• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

Suryaa

सुन, हमसे कायदे में रहोंगे, तो फायदे में रहोगे😎।
Banned
3,821
5,359
143
Es kahani ke 1st part mai vj bhai khude the
Vikram jayraj uf vj
Es kahani mai raaz hai
Jo naam nahi hai
Pr phire bhi woger nai raaz kah kar pukara
Kyu??
Aur jabe mahi ke soul tigger ki the to use ek alag judaw mahshoos huva tha
Aur phire jab usne apne soul ko amplipy kiya tabe uske serious hone pr uska attitude raaz jesa tha
Mtlb mahi soul se kahi na kahi raaz se jude hai
And mahi ka brain
Y bhi ek que. Hai
Jo mahi nai khude se phucha tha
Aakhire kyu mera brain etna fast hai
Aakhire kyu vo itna alag hai
And alfreen ko sapna aanaa
Ek baare aae to sayog
Par do baar aae to mahayog
Kya pata sahaye vj ya asomodus ya kise aur nai jane bhuche kar y kiya taki alfreen aage chle kr raaz par war kare aur es se ese situation bane jis se raaz ka anth ho jae take uska aarambh ho sake

En sabhi se mann mai ek hi sawale aata hai
Aakhire kyu????

Aur y mable aur use 4th ladke ka jo raaz aur duplicate sulnder aur achutaa ke saath tha uska kya role hai
And ha soul ampliy mai bhj ek ladka tha uska kya role hai
Kahi y bhi kise k duplicate to nahi

Aur y raaz school aaega ya direct university mai dakhila lega

Aur raaz ki age kya hai
16 ya 18
Kyuki agar time change hai to
Phire raaz aur bakiyo k liye time bhi alag hoga
Jeska mtlb enke body k internal funtions bhi use timespeed k hisab se kaam karege

5 kyu?
5 problems one solution
VJbhai
 

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,529
94,694
304
  • Like
Reactions: Asif khan and Naik

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
Es kahani ke 1st part mai vj bhai khude the
Vikram jayraj uf vj
Es kahani mai raaz hai
Jo naam nahi hai
Pr phire bhi woger nai raaz kah kar pukara
Kyu??
Aur jabe mahi ke soul tigger ki the to use ek alag judaw mahshoos huva tha
Aur phire jab usne apne soul ko amplipy kiya tabe uske serious hone pr uska attitude raaz jesa tha
Mtlb mahi soul se kahi na kahi raaz se jude hai
And mahi ka brain
Y bhi ek que. Hai
Jo mahi nai khude se phucha tha
Aakhire kyu mera brain etna fast hai
Aakhire kyu vo itna alag hai
And alfreen ko sapna aanaa
Ek baare aae to sayog
Par do baar aae to mahayog
Kya pata sahaye vj ya asomodus ya kise aur nai jane bhuche kar y kiya taki alfreen aage chle kr raaz par war kare aur es se ese situation bane jis se raaz ka anth ho jae take uska aarambh ho sake

En sabhi se mann mai ek hi sawale aata hai
Aakhire kyu????

Aur y mable aur use 4th ladke ka jo raaz aur duplicate sulnder aur achutaa ke saath tha uska kya role hai
And ha soul ampliy mai bhj ek ladka tha uska kya role hai
Kahi y bhi kise k duplicate to nahi

Aur y raaz school aaega ya direct university mai dakhila lega

Aur raaz ki age kya hai
16 ya 18
Kyuki agar time change hai to
Phire raaz aur bakiyo k liye time bhi alag hoga
Jeska mtlb enke body k internal funtions bhi use timespeed k hisab se kaam karege

5 kyu?
5 problems one solution
VJbhai

brother,ek aath sawal ke jaeab abhi de deta hun jaise jab RAAZsirr ek acroym hai toh fir WOOGER ne usse RAAZ kyun kaha...???

waise ye koi secret nahi hai kyunki jab kisika naam nahi hota toh uski pehchaan hi uska naam ban jaaya karti hai....

RAAZ ke maamle me bhi yahi hua hai..wo ek anath hai jisse bachpan se RAAZ naam se pukara gaya aur ab jab ye baat saamne aayi hai ki RAAZ chaar planets ke intials hain,tab bhi is baat ko jhutlaya nahi jaa sakta ki RAAZ ki ab RAAZ ka naam hai....

ab agar baat karen time change ki toh brother,dobara padhiye,time change nahi time loop hua hai matlab ek hi second me waqt change ho gaya....

ye ek kism ka quantum mechanics hai jo scientific bhi hai....

kuch grah me 1000 saal beetane par bhi yahan ke hisaab se 1 saal hi beeta hota hai aur wo bhi binq koi fark aaye isiliye is baat se age aur hunar me koi fark nahi aata...

RAAZ ka maamla alag isiliye hai kyunki ek age ke baad usme change aane the aur wo waqt aa gaya hai...
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF WICKEDS SWEEP-STAKE KE PEHLE TASK KO JEET JAATE HAIN WAHIN WOOGER KI URJA RAAZ KO USKI ASLIYAT SE WAQIF KARWATI HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-36



PLANET-ELYSIAN


PLACE-SWEEP-STAKE




UNBELIEVABLE........


MAHI ke mooh se nikla tha ue shabd....

reason....


saamne ka drishya hi aisa tha...jahan ek taraf WICKEDS ki puri teams ne khudko ek bade se DHAAL ke roop me badal liya tha wahin dusri taraf MORALS ki puri team ne khud ke form ko transparent kar diya tha...

reason....

SWEEP-STAKE competition ka dusra charan,second task shuru ho chuka tha jisme ek nayi chunouti dono teams ke saamne thi....

aur ye chunouti thi wo anginat baan jo lagatar hazaron ki sankhya me unke upar baras rahe the aur wo bhi non stop....

un teeron ko sankhya aur speed itni zyada thi ki unhe dodge nahi diya jaa sakta tha aur isiliye hi WICKEDS aur MORALS ki team ne in baano se bachne ke liye alag alag yukti nikali...

jahan ek taraf WICKEDS ne khudko ek bade se dhaal me badal liya tha wahin MORALS ne khudke form ko transparent kar liya tha...

par jahan aisa karna in do teams ke liye faaydemand tha wahin iska ek bohot bada nuksaan bhi tha aur wo ye ki bhale hi in yuktiyon se dono hi teams un baano se bach paa rahe the,par bachna is samasya ka sirf ek temporary hal tha, permanent nahi...

un dono hi teams ka task tha,un baano ki varsha ko rokna...aur ye wo dhaal bankar aur khudko transparent banakar nahi kar sakte the....

par filhal wo kuch aur bhi nahi kar sakte the kyunki agar dono teams me se kisi ne bhi apne form ko change kiya,toh uske agle hi pal wo teer unke aar paar ho jaane the aur aisa hone se wo khudko bacha bhi nahi paate.......

dhadakte dil se MAHI, MABEL, ALFREEN baaki ke darshakon ke saath jigyasa purv ye sab dekh rahe the aur soch rahe the ki ab kaise ghumega ye khel,par anjaan the wo sab is baat se ki asli khel toh kabka ghum chuka hai aur saath hi ghum chuki hai ye puri KAHANI.....





PLACE-INFRONT OF FORBIDDEN FOREST SHIELD



ASAMBHAV.......YE KAISE HO SAKTA HAI......????


aakhne chowdi ho gayi thi WHIZZ MARILIZA ki....behad hairani se wo apne saamne ke nazare ko dekhte hue uspar yakin karne ki koshish kar rahi thi.....

wahin unki baat sun apni apni aakhon me naasamjhi ke bhaav liye chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS unke peeche khade the....

unhe toh ab tak ye bhi samajh me nahi aaya tha ki wo yahan FORBIDDEN FOREST ke saamne aakhir kar kya rahen hain...???

uske upar WHIZZ MARILIZA ki abhi kahi baaton ko sun unke dimag me naye sawalon ne janm le liya tha aur isiliye....


VIOLET-kya hua WHIZZ MARILIZA...????kya asambhav ghatith hua hai...???aur hum yahan FORBIDDEN FOREST kyun aaye hain....????


WHIZZ MARILIZA jo khud bohot zyada confused thi,unhone VIOLET WHIZZ ke sawalon par kuch kaha nahi,bas apne left hand ko ek taraf kar diya jiske baad unke haath se ek ray nikal aage badhi aur neech zamin par jaa lagi...

ye zamin wahi jagah thi jahan kaafi der pehle RAAZ, ACCHUTA aur SLUNDER teeno gire pade the....

jaise hi WHIZZ MARILIZA ki ray us zamin par padi toh....

us ray ne bhi RAAZ, ACCHUTA aur SLUNDER ke gire hue bodies ka aakar dhar ek digital ray se sketch bana diya...

har sketch par usse jiske liye banaya gaya tha,uska naam ujagar ho gaya tha jisse dekh chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS samajh toh gaye ki ye sketches RAAZ, ACCHUTA aur SLUNDER ke hain par ye jaankar unki hairani aur badh gayi thi....

unhe samajh me nahi aa raha tha ki wo teeno aakhir yahan kar kya rahe the..???


OPHILIA- RAAZ, ACCHUTA aur SLUNDER yahan????par kyun....????wo teeno yahan kyun aaye the???

OMMIN-usse bhi bada prashn ye hai ki wo warning bell aakhir baja kiske liye tha....????

MARILIZA-kiske liye wo warning bell baja,ye baat bhale hi chhuppi hui ho kintu kyun nahi baja,iska jawab toh saamne hai....

NOX-saamne hai matlab!!!

MARILIZA-FORBIDDEN FOREST....

iske chaaron taraf lage abhedya SHIELD apne andar ke saath saath aas paas ghati saari ghatna ke asar ko chupaane me saksham hain...

inhi ki wajah se aas paas ghati badi se badi ghatna ki khabar bhi CHOSENS tak nahi pahunch sakti..

VIOLET-iska matlab un teen SAVENTS ke saath kya hua tha,wo is waqt kahan hain,kis haal me hain, kya iske baare me kabhi pata nahi chal paayega...????

MARILIZA- jo dikh raha hai, samajh me aa raha hai,baat sirf utni hi nahi hai...kuch bohot hi bada hua hai yahan...!!!!aur jo bhi hua hai,wo koi akasmat ghatne waali ghatna nahi hai....

itna sab hona wo bhi ek saath koi ittefak nahi ho sakta....

aur jaise ye ghatna sadharan nahi hai, waise hi isse rachne waala bhi maamuli nahi hai....

kyunki baat agar sirf un teen SAVENTS ki hoti toh fir bhi is gutthi ko kisi naa kisi tarah suljhaya jaa sakta tha,par 25 hazar saalon baad aaj achanak FORBIDDEN FOREST ke SHIELD ka badalna,ye toh hamare soch ki hadh se baahar ki ghatna hai....


WHIZZ MARILIZA ki baat sun chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS chownke...jo MARILIZA ne abhi kaha tha,wo toh wakayi kisi maha chamatkar se kam nahi tha...


VIOLET-SHIELD ka badalna!!! FORBIDDEN FOREST ki shield badal gayi....!!!par ye kaise sambhav hai...????aur aap ye kis aadhar par keh rahi hain...

MARILIZA-har WHIZZ aur WHIZZDER ke sikhane ka apna ek tarika hota hai...

jab mai yahan SAVENT thi,toh apne sharir ko ek shaktishali hathiyar aur kawach,dono me badalne ki practice ke liye hamare WHIZZDER hume yahin laaya karte the...

issi FORBIDDEN FOREST ki shield par hum abhyas kiya karte the...yahan biche SHIELD aur uski urja se bhali bhaali parichit hun mai....

aur is waqt jo shakti aur urja mai mehsoos kar rahi hun,wo us shield ki nahi hai jo pichle 25 thousand saal se is FOREST ko guard kar rahi thi....

ye ek nahi shield hai par sabse zyada aascharya ki baat ye hai ki is SHIELD ki urja pehle waali shield se bhi zyada hai....

wo SHIELD SOVEREIGN'S ki shakti ke ek bohot bade bhaag se bani thi,aur ye nayi shield usse bhi zyada taakatwar hai,toh zara socho ki isse lagane waala kitna shaktishaali hoga!!!

aur ho naa ho,jisne ye shield lagayi hai,ussine un teeno SAVENTS ko bhi gayab kiya hai....

VIOLET-par sawal hai kyun??? SAVENTS ko gayab karna, FORBIDDEN FOREST ki SHIELD ko hatana nahi apitu usse badal dena,itna sab aakhir kyun????

MARILIZA-jo hona tha,wo ho chuka hai...usse badla nahi jaa sakta...ab dekhna ye hai,ki aage kya hoga...???

kyunki jaise jo ho chuka hai,usse socha ya predict nahi kiya jaa sakta tha,waise hi jo hoga,usse bhi predict karna kaafi mushkil hone waala hai....

ye puri gutthi un teen gumshuda SAVENTS me se ek SAVENT ke naam ki tarah hi hai...RAAZ.......





BACK TO RAAZ:-




WO CHAAR DHABBE DIKH RAHE HAIN....WAHI HAIN WO CHAAR PLANETS AUR AAPKI MANZIL....


FORBIDDEN FOREST se gayab hokar mai aur WOOGER ki wo urja roopi ray antariksh ke kisi andheri jagah par pahunchte the...

yahan pahunchte hi khud ki roshni ke daayre ko badhate hue WOOGER ki urja ne ek patli par behad strong ray aage ki taraf chhodi...

wo ray aage badhti hui sidhe jaakar ek bade se dhabbe se jo ki planet tha, usse takrayi aur aisa hote hi us dhabbe numa planet se bhi ek ray nikli jo ek disha me badh chali aur kuch hi seconds me hume us ray se nikalte tez ujale ki chamak me kul chaar dhabbe dikhayi diye...

ye dhabbe hi the wo chaar PLANETS......RENAISS,ANGIS, ANNJAYA,ZEAL....wo chaar planets jinse mera adhura wajood pura hone waala tha...

ye chaaron planets ek dusre se kayi light years door the par fir bhi in chaaron ke beech ek alignment thi,ek connection tha...

ye chaaron planets ek dusre ke bilkul seedh me the...hum in chaaron planets se hi kaafi door the par bade bade dhabbe ke roop me inke hone ka abhaas mujhe ho raha tha....

un chaaron planets ke position ko dekh....


MAI-ye left side jo first planet hai,yahi RENAISS hai naa matlab BRAIN....

WOOGER-haan....uske baad ANGIS planet hai,fir ANNJAYA hai aur aakhir me ZEAL....

MAI-ye planets kaale dhabbon ki tarah kyun dikh rahe hain...aur ye PLANETS jis system ka hissa hain,uska star matlab suraj kahan hai..???

yahan se dekhne par toh in chaaron hi PLANETS ke kisi bhi bhaag par surya ki roshni nahi dikh rahi hai...????

WOOGER-wo isiliye kyunki in planets ka koi star ya suraj hai hi nahi....aur yeh chaaron planets DEAD PLANETS hain....

yahan jeeven ka waas nahi hai....

MAI-jeeven ka waas nahi hai!!!par tumne toh kaha tha naa ki ye mera paanchwa janm hai...

aur in planets par hi toh mere pichle chaar janm beete hain....toh fir ye dead planets kaise ho gaye????

WOOGER-ye aapka paanchwa janm hi hai par human form me aapne pehli baar saans li hai...

isse pehle ke aapke chaaron janm unhi cheezon ko roop me the jo is waqt aapke andar nahi hain...

BRAIN,BODY,BLOOD aur SOUL.....


ab ye ek nayi aur ajeebo garib baat thi....janm toh hua par bas mere alag alag body parts ka....gazab....

is naye khulase se sawal toh bohot ubhre mere andar par maine kuch pucha nahi kyunki mai jaanta tha ki abhi jo jawab mujhe milenge,unhe sirf mai sun paaunga,par puri tarah se samajhne ka waqt abhi aaya nahi tha...

ye sirf tabhi ho sakta tha jab mai apne missing parts ko in chaaron planets se haasil karun....

aur isiliye.....


MAI-toh hume pehle RENAISS jaana hoga naa...!!!!

WOOGER-nahi..pehle hume ZEAL jaana hoga....

MAI-ZEAL....!!!matlab soul...mujhe pehle apna SOUL haasil karna hoga...???

WOOGER-nahi...haasil toh aapko pehle apna subconscious brain hi karna hai par....

usse bhi pehle kuch hai,jo dekhna aapko zaroori hai.....


apni baat puri kar WOOGER ki urja ne mujhe apni chapet me liya jiske baad mai aur wo gayab ho gaye....





ZEAL....THE SOUL:-



YE DHUAN KAISA....????


gayab ho hum sidhe ZEAL ke atmosphere ke andar prakat hue...

prakat hote hi jab maine niche dekha toh mujhe kahin bhi zamin nahi dikhi...dikha toh sirf gaadha dhuan.....

jo pure planet me faila hua tha...bhale hi dhuan gas ke form me hota hai par ye jo dhuan hamare niche dikh raha tha,usse ek behad strong solid force mujhe feel ho rahi thi...

ek aisa force jisse dekh lag raha tha ki agar isse chhu bhar lo toh sharir ko nichodte hue ye dhuan usse raakh me badal dega....

maine us dhuen ko dekh apna sawal pucha tha jiske baad....


WOOGER-ye aapke SOUL ka AURA hai jo pure planet me faila hua hai...

MAI-tumne kaha tha ki pehle mujhe kuch dekhna hai...par yahan hum kya dekh paayenge...yahan toh pura Planet hi is dhuen numa AURA ki chapet me hain....

WOOGER-zyada der tak nahi....


WOOGER ki urja ke aisa kehte hi us urja ke andar se ek badi si transparent sheeshi nikli jiske andar ek neela drav dikh raha tha...

ye sab dekh maine kuch kaha nahi kyunki mai jaanta tha ki jab aagaz hua hai toh anjaam bhi hona hi hai....

WOOGER ki urja se wo neele drav se bhari sheeshi nikli aur aisa hone ke agle hi pal us sheeshi ke upar jo knob laga tha,wo khul gaya...

knob ke khulte hi wo sheeshi apne aap ulti ho gayi aur aisa hone par us sheeshi me jo neela drav tha,wo neeche gir gaya....

neeche girta hua wo neela drav is planet ke upar tairte dhuen me samata chala gaya...

ye sab kya hai,mai ye soch hi raha tha ki tabhi kuch aisa hua ki....


MAI-AMMMAAAZZZIIINNNGGGG....


mere mooh se taarif ka ye shabd nikla...

reason....

dhuen me vilin hone waala wo neela drav us dhuen ke beech se hokar neeche zamin par chala gaya tha aur jaise hi us drav ne zamin ki satah ko chhua......

uske agle hi pal pura drishya hi badal gaya...jahan abhi tak wo jagah, wo planet jahan hum the,wo dead thi,har taraf bas dhuan hi dhuan tha,us jagah ka pura nazara change ho chuka tha...

dekhte hi dekhte kuch hi seconds me wo dead planet ek living planet me badal gaya....

pura dhuan chhat chuka tha aur ab humare neeche hare bhare pedon se dhaka ek jungle dikha raha tha....

maine apni nazar har taraf ghumayi toh maine dekha ki ye jagah kisi vintage riyasat ki tarah thi...

humare neeche ek jungle tha wahin humse kuch hi kms door right side par wo jungle khatm ho raha tha aur shuru ho raha tha koi kingdom....

us kingdom ki banawat ko dekh maine andaza lagaya tha ki ye ek vintage jagah hai..

mai ye sab dekh hi raha tha ki tabhi mera sharir neeche zamin ki taraf jaane laga...

mere saath saath WOOGER ki urja bhi neeche aa rahi thi.

kuch hi palon me hum neeche hari hari ghaas se bhari zamin par the....

kuch der yahan wahan dekhne ke baad is naye chamatkar ke baare me WOOGER se mai puchne hi waala tha ki tabhi.....



TUGDUG...TUGDUG....TUGDUG...TUGDUG....


kisi ke behad tezi se hamari taraf badhne ki aahat mere kaano me pahunchi jisse sun maine aa rahi awaaz ki disha me dekha toh....

sweth rang ke bohot hi khubsoorat ghode par ek usse bhi aakarshak vyaktitv ka yuvak baitha humari taraf aa raha tha...

khule hue lambe baal aur baalisht sharir se dhani us yuvak ke netra hamari taraf hi tike hue the...

par hairani mujhe tab hui jab ek haath me baan aur dusre haath se ussi baan par pratyancha chadha usne hamari taraf nishana saadha....

aur meri hairani tab aur badh gayi jab hamare behad kareeb aane ke baad bhi uske ghode ne apni disha nahi badli...

aisa lag raha tha maano yaa toh wo yuvak hume apne baano se maar girayega yaa fir uska ghoda hume kuchal dega....

ye sab dekh mai ek taraf hone ko hua par tabhi.....


WOOGER-aapko hatne ya chhupne ki koi awashyakta nahi hai....bas khade rahiye,kuch nahi hoga...


WOOGER ke urja ki baat sun jab maine uski taraf dekha toh...


WOOGER-vishwas rakhiye....


WOOGER ki baat ke baad maine bhi sochna chhodna aur saamne dekhne laga....

ab tak wo ghode par baitha yuvak hamare behad kareeb aa gaya tha..ghode se halka upar uth hamari hi taraf apni pratyancha ko taan usne teer chhod diya...

wo teer tezi se hamari taraf badha..us teer ka nishana theek mere sir ka madhya bhaag tha....

sansanate hue aage badhta hua wo teer mere karib aata gaya aur fir...


SOOBH.....

ye awaaz nikalta hua wo teer mere sir ko bina chhue,uske beech me se hote hue paar nikal gaya aur fir....


QNNNNQNNNNNQNNNN.....


ek tadapti hui si awaaz aayi mere piche se... jab maine palat kar dekha toh paaya ki mujhse thodi door par ek cheetah gira pada hai aur us teer ne usse hi bheda hai....

ye scene dekh jab maine wapas saamne dekha toh paaya ki ab tak wo ghoda thik mere kareeb pahunch chuka tha aur agle hi pal....

us teer ki hi tarah wo ghoda bhi mujhe bina chhue mere beech mese hote hue nikal gaya...

mujhe paar kar wo yuvak us ghode par baitha aage badhta chala gaya aur us cheeteh ke paas pahunch usme dhase teer ko usne ghode par baithe baithe hi kheencha jisse wo teer us cheeteh ke saath uske ghode par aa gaya....

apne ghode me us mrit cheeteh ko liye wo yuvak aage badh chuka tha.....

ye sab dekhne ke baad jab maine WOOGER roopi urja ki taraf dekha toh....


WOOGER-ye sab ek DRISHYAM hai....aaj se 50 hazar saal pehle ghati ghatna ka DRISHYAM....

MAI-par mera isse kya lena dena...???

WOOGER-pehle aap mujhe ek baat bataiye..???ab tak jitna bhi aapko khudke baare me pata chala hai,usse aap apne nirman ka kya nishkarsh nikalte hain...???

MAI-maksad...kisi khaas maksad ko pura karne ke liye hi mera wajud hai...

WOOGER-bilkul sahi...kintu jis maksad ke liye aapko chuna gaya hai,uske liye aapse pehle us yuvak ko chuna gaya tha jisse abhi abhi humne yahan ghode par sawar dekha tha...

kintu wo prayas asafal raha tha...aur isiliye aapka nirman hua...???aur wo bhi bohot hi alag tarah se....

taaki jo galti pehle ki gayi thi,
us galti ko dobara dohrana naa pade....

MAI-matlab mai bhi bas ek prayas hun..jo pehle ki hi tarah galat bhi ho sakta hai...

WOOGER-bilkul..aur isiliye hi is grah ke vinash ke baad bhi yahan ke DRISHYAM ko sambhal kar rakha gaya tha....

taaki aap isse dekh sako...aur samajh sako ki chuk kahan hui....????

aap abhi yahan ek ke baad ek us yuvak ki kayi jhalkiyan dekhenge jisme uska vyaktiv,aur uska hunar nazar aayega aur aakhir me wo drishya dikhega jab is grah aur yahan rehne waale laakhon bekasoor logon ka samuh vinash ho gaya tha....

yahan se jaane ke baad jab aap apne pehle padhav RENAISS ke saamne pahunchenge,tab aapko apne hi subconscious brain ko jisse lene aap wahan jaane waale hain,usse ek line me batana hoga ki kyun asafal raha tha ye yuvak...

agar aapka jawab sahi hua,sirf tabhi aap RENAISS planet me enter kar paayenge warna is yuvak ki hi tarah aapka bhi anth ho jaayega.....

MAI-jo yuvak abhi yahan se gaya,jisse mujhse pehle chuna gaya tha,uska naam kya tha....???


WOOGER-..........VIKRAM..........








AAJ KE LIYE ITNA HI.....






AAPKA APNA V...J.....
 
Top