• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
Hero ki jo analytical approach hai wo kewal satya dekhati hai usake liye koi bhi baat ya ghatana sahi ya galat nahi hoti wo kewal ghatana hoti hai jisaka prabhav Jis per jaisa hota hai wo waisa hi dekhata hai.
Per Jis samaj me ham rahte hai waha emotion/bhawanaye bahut mayane rakhati hai aur adhiktar log usi prabhav se nirnay lete hai.
Jabki hame gyat hai bramhand Kitana Vishal hai aur hum Hamari prithvi hi nahi hamara saurmandal bhi usake samane tuchchh kan ke bhati hai. Fir bhi hum sochate hai ki parampita ko kewal Hamari hi fikar hai ki hum use kis naam se bulate hai kis tarah se pujate hai, Sab kuchh jaankar bhi agyani bane rahate hai.
Mere khayal se VJ aur raaz me sirf ek cheej ka farak hai.
VJ apane aas paas ke logo ki parwah karta tha aur raaz ko wo bhi nahi hai.
Aur Insan galati na Kare jab wo kisi bade ohade yaa pad per ho to ye gun mahatwapurn hoti hai wo bhawnao me na aakar sahi aur galat ke hisab se faisale Le.
VJ aur RAAZ ke beech ka fark hi first part aur second part ke beech ka fark hai...

but RAAZ actual me kya sochta hai,kya chahta hai,ye guessing aakhri update tak chalegi....
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

Maq

Lovely person????
429
518
109
Adbhut mindblowing fantastic story hai bro apki.
First part bhi padha hai maine woh bhi awesome tha. Bohat hi accha likhte ho aap. Kahani ko jis tarha aap dikhate hona woh khabile tareef hai. Aap ki writing skills bohat hi lajawab hai aur aap ki imagination ki toh kya hi baat kare awesome bohat badiya. Aap ki story ko padte hue aisa lagta hai ke apne samne wo scene chalraha hi. Aur aap ki story jis hisab se ja rahi hai usse dekh kar lagta hai ALFREEN aur RAAZ ke beech bohat kuch hone wala hai. Mujhe MAHI ka character bohat hi pasand aya. Ab dekhte hai ke alfreen raaz ka ATTITUDE kaise todti hai. Keep it up bro.



Agle update ka besabri se intezar rahega...
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

23n24

Member
432
1,544
138
AB TAK AAPNE PADHA KI RAAZ,MAHI,ALFREEN AUR SABHI SAVENTS KA NAYA SAFAR SHURU HO CHUKA HAI...

AB AAGE:-




CHAPTER-1

(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-13




PLANET- ELYSIAN


PLACE-THE CHOSENS




SO SAVENTS...AAP SAB READY HAIN APNE IS NAYE SAFAR KE SHURUAT KE LIYE....

YES WHIZZ.....


is waqt hum apne institution ke bade se green lawn me khade the...aaj bhi kal hi ki tarah hum saare SAVENTS ne do lines banayi hui thi..

ek me hum matlab hostlers khade the aur dusre me discholars...

hamare saamne hamare is PHASE ke chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS khade the...

wahin unke beech me khadi OPHILIA WHIZZ ne pure josh aur excitement me apne haathon ko malte hue humse ye sawal pucha???

aaj hamare is naye safar ki asli shuruat honi thi jiski liye saare SAVENTS bohot excited the...

waise toh ye shuruat kal hi ho gayi thi par kal humne kuch sikha nahi tha....

kal pure institution hour me hume is adbhudh jagah ka bas round liya tha...

is beech hamare first phase ke chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ne hame is institution ke itihas ke baare me bataya...

wo saare extraordinary SAVENTS jinhone yahan par excel kiya tha,humne unki tasveeren dekhi aur kissen bhi chune....

yahan ka education system bhi hamare worlds ke systems se bilkul alag tha...

jahan hamare exams ek band kamre me papers ke through individually hote hain,wahin yahan sab open me sabke saath hota tha...

kehne ka matlab ye hai ki yahan students yaani SAVENTS ko apne hi sabhi PHASEMATES se individually aur group me compete karna padta tha...

aur result bhi anokha tha..paas ya fail wala system hi nahi tha.. jaisa ki kal hi WHIZZ ne bataya tha ki hamare performance ke hisaab se hume khitaab milega aur wahi khitaab next PHASE me hamari pehchaan bhi hoga....

in sab ke beech VOILET WHIZZ se hume ye bhi pata chala ki ye institution teen hisso me divided hai aur teeno hisse teeno PHASE me bate hue hain...

kissi bhi PHASE ke SAVENT ko dusre PHASE me jaane ki,aur us PHASE ke SAVENT se baat karne ki ijazat nahi hai...

par har acadamic calander me ek baar saare PHASES ek jagah ikattha hote hain..

kyun,iska jawab baad ke liye WHIZZ ne taal diya tha....

khair,jaisa ki maine bataya ki ab hamare is naye romanchit safar ki shuruat hone waali thi....

aur iski shuruat karne ke liye OPHILIA WHIZZ aage kuch bolne hi wali thi ki....


MAHI-ma'am, i mean WHIZZ,can i ask a question???


kal hi ki tarah wo ladki jisne kal WHIZZ ke kisi sawal ka jawab diya tha,usne sawal puchne ke liye apna haath upar kiya....

OPHILIA-sure,go ahead...

MAHI- WHIZZ,kya yahan claasrooms nahi hote....aur hum kaun kaun se subjects padhenge...???


MAHI ke sawal ko sun chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS muskuraye aur....

OPHILIA-MAHI,udaa bhale hi aasman me jaata hai par har udaan ki shuruat zamin se hi hoti hai...

abhi toh aap sabko zamin mili hai,dheere dheere udna bhi aa jaayega...

MAHI sawal tab karo jab jawabon ke daur me koi jawab reh jaaye...


OPHILIA ki baat sun MAHI ko bhi laga ki apne excitement me uski timing gadbada gayi hai...

wahin uske baaju me khadi....


ALFREEN-thoda toh sabr kar le maate...hamesha khambe par chadhi rehti hai....

MAHI-haan yaar...baarish ka mousam aane se pehle hi raincoat pehen liya maine...


MAHI ki baat sun ALFREEN aur MAHI dono hi muskura diye....


OPHILIA-par chaliye,aapke is safar ki shuruat aapke hi sawal se karte hain??? classrooms yahan bhi hote hain but unme bhi sirf practicals hi hote hain...

aur rahi baat subjects ki toh yahan materialistic subjects ki padhayi nahi hoti...

haan aapko books milenge,par wo sirf spells memmorize karne ke liye honge...

aapke is saal ke books aapke aapke obode aur hostel me pahunch chuke hain...

aur unke usage ka tarika aapko kal se bataya jaayega....

aur sabse important baat,yahan par padhaye jaane waale subjects aap khud hain...


OPHILIA ki baat sun sabhi shocked ho gaye jisse hamare chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ne bhaamp liya....


VIOLET-chownko mat.. sab samajh jaaoge...but pehle ek sawal ka jawab do...

neend ke waqt sapne me agar hum hawa me ud rahe hain,toh sense me aane ke baad waisa kyun nahi kar paate???


WHIZZ ke sawal par koi jawab de usse pehle hi..


VOILET-kyunki sapne me dekhi gayi cheez toh sirf ek vehem hoti hai...usse real me kaise kiya jaa sakta hai...???right????

SAB-RIGHT???

OMMIN-WRONG....real aur fake ke beech wahi fark hai jo magic aur illusion me hota hai...

hum sabke dimag me ek peripheral system hota hai,tantrika tantra jo hamare dimag ki bahari satah ka abodh hissa hota hai...

issi system ko agar sahi tarah se channelize ya train kiya jaaye toh ye system pure planet ke har energy aur magnetic field se jud sakta hai aur agar aisa ho gaya toh aapki kalpanayen aapki haqiqat ban sakti hain..

bramhaand ke baaki saare logon ke liye is peripheral system ka ek nirdharit daayra hota hai but aap sabhi SAVENTS ki soch aur us soch ki shakti ka koi daayra nahi hai..

har wo chiz jo ab tak aapke liye maatra ek kalpana thi,usse sach banane ke liye bas aapka self confidence,patience aur jaisa ki kal bataya gaya tha focus chahiye...

aur isiliye hi aap sab khudhi subjects hai jisse aapko explore karna hai..jitna zyada khudko explore karoge,utna zyada sikhoge....

NOX-ye toh hui subjects matlab aapki baat..ab karte hain object ki baat...META PHYSICAL CAPABILITY...simple word me kahun toh MAGIC.....

aur aaj hum bas inhi dono chizon par baat karenge.... SUBJECT matlab aap sab aur OBJECT matlab MAGIC.....

OMMIN-par iske liye hume 2 volenteers chahiye honge...so anybody interested????


OMMIN WHIZZDER ki baat sun sabhi SAVENTS ne jhat se apne apne haath upar kar liye... siwaye 3 ko chhod kar..


ye teen aur koi nahi mai aur mere dono side khade namune the...namune kyun,ye next update me pata chal jaayega....

khair,haath uthane ke maamle me bhi baazi ALFREEN aur MAHI ne maar liya tha...

kyunki in dono ke haath baaki sabhi se pehle uthe the jisse hamare saamne khade WIZZDERS aur WHIZZES ne dekh liya tha aur isiliye....


OMMIN-aap dono...aage aayiye....


OMMIN ne un dono ke taraf point kar apne paas bulaya jisse dekh wo dono khush ho gaye aur turant OMMIN ke next jaakar khade ho gaye....


OMMIN-aankhen band karo aur apne chitt ko puri tarah shaant karo....

aur jab meri awaaz sunayi de,tab khud ko udta hua mehsoos karo...


apne chitt ko shaant karna kisi bhi SAVENT ke liye piece of cake tha aur isiliye ALFREEN aur MAHI ne jaise hi apni apni aankhen band ki,unke chitt shaant hote chale gaye...

wahin un dono ke aankhen band karne ke baad OMMIN ne un dono ke sar par apna haath rakha aur...


ANUSAGGIKA NIRWESTAYATI....

UNWIND THE PERIPHERAL......


OMMIN ne is spell ko uccharit kiya..aur agle hi pal unke haathon se do safed urja ki kirane nikal MAHI aur ALFREEN ke sir me sama gayi...

wahin jab MAHI aur ALFREEN ko jaise hi OMMIN ki awaaz sunayi di toh unhone khud ko udta hua imagine karna shuru kiya aur unke aisa sochte hi.....

un dono ke pair dheere dheere zamin se upar uthne lage jisse dekh saare SAVENTS ke mooh khul gaye the....

5 feet tak upar uthne ke baad MAHI aur ALFREEN ka sharir aur upar nahi utha aur hawa me rook gaya.....

wahin MAHI aur ALFREEN dono ko hi ye ehsaas ho chuka tha ki wo hawa me uthe hue hain...

is ehsaas ke man me aate hi un dono ne apni apni aakhen khol di aur jab khudko hawa me uthe hue dekha toh un dono ki khushi ka thikana naa raha...

par ye khushi kuch hi palon ki thi kyunki fir dheere dheere un dono ka hi sharir wapas neeche utarne laga...

un dono ne koshish kari ki wo hawa me hi rahe, OMMIN ke kahe mantra ko unhone man hi man repeat bhi kiya par koi faayda nahi hua aur wo dono neeche zamin par aa gaye...

unke man me mantra uccharit karne ki baat ko OMMIN bhaamp gaye the isiliye...


OMMIN-mantra sirf keh dene se kaam me nahi aate...uski bhi apni ek vidhya hai aur wahi tum sabko sikhni hai...

jaao, apni jagah par jaakar khade ho jaao...


MAHI aur ALFREEN is naye anubhav se khush hote hue apni apni jagah par jaakar khade ho gaye....

wahin mere left side me khada banda toh mooh se laar tapkaye ALFREEN aur MAHI ki khubsoorti me hi khoya hua tha...aur issi madhoshi me....


KAASH YE DONO PARIYAN UDTE HUE MERI GODH ME AAKAR GIRTI... MERE LIYE TOH WAHI MAGIC BAN JAATA....


ye bol phute the mere left side khade mahanubhav ke mooh se jisse sun mere right side khade mahapurush ne unhe ghur kar dekha....

ye dono mahapurush mere saath hostel ke hi hain aur ye hi wo dono hain jinhone mere saath haath nahi uthaya tha but as said, inka intro next update me....


wahin MAHI aur ALFREEN ke apni jagah par khade hone ke baad...


OPHILIA-ye toh tha subject check...
ab baat karte hain us chiz ki jisse subject matlab aap sab khudko check karenge ya fir ye kahun ki khud ko nikharenge....

matlab MAGIC....

aap sabne dekha ki WHIZZDER OMMIN ne MAHI aur ALFREEN ke sir par haath rakh kar ek spell bola tha jiske baad hi MAHI aur ALFREEN ka sharir hawa me utha tha...

spell bolna toh aasan hai par usse kaam nikalwana utna hi muskil....

aisa kyun,iski detail aapko kal ke class me bataya jaayega but filhal ke liye short me bas itna jaan lijiye ki MAGIC ko successfully use me laane ke teen modes hai....

1ST- REQUEST MODE

2ND-COMMAND MODE

aur 3RD-ATTACH MODE


ab in teeno modes ko kaise excess kiya jaata hai,ye toh aapko kal ki class me pata chalega but usse pehle kal aap sabko hume ye batana hai ki ye teeno modes me hain kya??

ye aap sab ka aaj ka what to say, homework hai... jaisa ki aapko bataya jaa chuka hai ki aapke books aapke destinations me pahunch chuke hain,toh jaayiye aur answer check out kijiye......

we hope aapko aapke is nayi journey ki first class achi lagi hogi....

class dismiss...


ye bol hamare charon WHIZZES aur WHIZZDERS chale gaye aur unke jaate hi humara group jo ki hostlers ka tha,wo bhi hostel ki taraf badh chala...

wahin WHIZZDERS aur WHIZZES ke jaane ke baad...


MAHI-chal,jaldi se mere ghar chalte hain aur OPHILIA WHIZ ke puche question ka answer dhundte hain...

ALFREEN-pehle tu mere ghar chal...mom dad hum dono ka hi wait kar rahe hain...pehle saath me lunch karenge,uske baad answers dhundenge...

MAHI-cool chal fir....


dono hi ALFREEN ke ghar ki taraf nikal gaye.....

ek hi din hua tha in dono ko mile hue par dekh kar aisa lag raha tha maano dono bachpan ke buddies hon...

aaiye inki nayi nayi friendship ki shuruat kaise hui,ispar zara nazar ghuma lete hain...


MAHI aur ALFREEN ki friendship kal hui aur jab MAHI ko pata chala ki ALFREEN EARTH se hai toh ye friendship aur gehri ho gayi thi...

kal pure institution ke safar ke waqt dono alag alag muddon par ek dusre ko apni apni raay dete rahe jisse dono ka bond aur acha ho gaya...

ALFREEN ko jo ABODE allot hua tha, coincidentally wo MAHI ke baaju me hi tha...

jiske baare me jaankar ALFREEN aur MAHI dono ki khushi double ho chuki thi.... shaam ko hi MAHI FLORIN aur MARIA se bhi mili...wo bhi MAHI se milkar kaafi khush hue....

par saath hi unhe ye jaankar dukh aur shock bhi laga ki MAHI orphan hai..

dukh toh normal baat hai.. shock unhe isiliye laga kyunki orphan hone ke baawajud MAHI ko ghar allot hua tha wahin RAAZ hostel me rehta tha....

MAHI ke wapas apne ghar jaane ke baad FLORIN aur MARIA issi mudde par baat kar rahe the jisse sun ALFREEN ke kaano me wahi baatein gunj uthi jo kal raat gunji thi...kya???aayiye,ek din aur piche chal aaj ye bhi jaan lete hain....



SMALL FLASHBACK FROM YESTERDAY'S NIGHT......



AAP DONO TOH WAISE KE WAISE HI HAIN MOM,POPS...BILKUL BHI NAHI BADLE...


hickiyon ke beech apni awaaz ko sayyamit rakhne ki koshish karte hue ALFREEN ne apni baat kahi..

wahin FLORIN aur MARIA ka dil jo unki ek louti beti ke hamesha ke liye kho jaane ke gum me buri tarike se toot gaya tha,wo aaj wapas jud raha tha....

kisi waqt wo toot kar bhikarte hue roye the,wahin aaj wo dono wapas khudse khudko jodne ki khushi me roye jaa rahe the...

MARILIZA ke ALFREEN ko hosh me laane ke baad jab FLORIN aur MARIA ki nazar apni beti par padi,toh unke gale se hote hue ALFREEN ke naam ki cheekh har taraf gunj uthi thi...

par uske baad se abhi tak bas unke rone ki awaaz hi us room me sunayi de rahi thi...

hazaron baar chum chuki thi MARIA apni beti ko,wahin FLORIN toh bas kabhi ALFREEN ke haath pair ko chhukar toh kabhi khud ko chimatkar apne aap ko yakin dilane me lage hue the ki jo wo dekh rahe hain,wo sach hai koi sapna nahi...

haal toh ALFREEN ka bhi zyada alag nahi tha par kuch din pehle behoshi se uthne ke aur sacchayi jaanane ki wajah se usne jaldi hi khudpar kaabu paa liya tha aur abhi abhi jo baat usne boli thi,wo bhi uske mom dad ke mind ko light karne ke liye kahi thi....

par iska kuch khaas asar hua nahi.. FLORIN aur MARIA ke jasbaat itne gehre the ki sayammit hone me waqt toh lagna hi tha aur wo lag raha tha...

wahin in sabse thodi door khade teeno SOVEREIGN aur MARILIZA bhi saamne chal rahe drishya ko dekhkar dukhi bhi the aur Khush bhi...

SOVEREIGN ko khushi thi maa baap aur santan ke punah milap ki aur dukh isiliye ki milap se pehle ke virah ka kaaran kahin naa kahin wo teeno bhi the...

par in sabse alag mai peeche us bedroom ke darwaze ke paas chupchaap khada ye soch raha tha ki ye sab noutanki band hon toh mai hostel jaaun....

kuch der aur laga is bhawnaon ke tufaan ke thamne me par aakhirkaar ye tham hi gaya....

aur jaise hi MARIA aur FLORIN kuch normal hue tab unka dimag chalna shuru kiya jisne sabse pehle un dono ke man me dheron sawal paida kiye aur isiliye ek ek haath se abhi bhi apni beti ke haath ko thaam wo dono piche palte aur aankhon ke wo paani jo ab sukhne lage the,un aansuon ki rekhaon ko sawal ka roop dhara SOVEREIGN ki taraf dekhne lage...

same condition ALFREEN ki bhi thi...uske saath kya hua,ye toh usse pata tha,par kyun hua,ye usse janana tha...

wahin teeno SOVEREIGN bhi FLORIN, MARIA aur ALFREEN ki khamoshi me chuppe sawal samajh gaye aur....


SHAILA-jo hua,aapke nazariye se dekhen toh zyadti hai,par agar niyati ke nazariye se dekhen,toh jo hua, agar wo nahi hua hota,toh aap par zyadati ho jaati....


SHAILA ki baat un teeno me se kisiko bhi samajh me nahi aaya aur ye baat unke chehre ke expressions saaf bata rahe the isiliye....


AKSHAANT-baat lambi nahi hai par gehri hai... shaant man se suniyega...

jo bhi student yahan tak pahunchta hai,wo GOD GIFTED hota hai...uski ek alag hi jeeven urja hoti hai jo uske janm se kayi varsh purv hi paida ho jaati hai...

aur isiliye hume bhi us paida hone wale bachhe ke baare me purv se hi pata rehta hai...

wo jeeven urja us GOD GIFTED bacche ke paida hone tak adrishya roop se rehti hai aur jab us chune hue bache ka janm hota hai,toh uski wahi urja uske mastishk ki urja ke saath mil jaati hai jisse us bacche ka astitv pura hota hai....

har GOD GIFTED baccha apne surroundings ke liye ek blessing ki tarah hota hai but ALFREEN aur RAAZ ke maamle me wahi blessing curse me badal gayi....


RAAZ...is naam ko sun baaki sab toh normal hi rahe but ALFREEN chownki....


ALFREEN-RAAZ!!!!kaun RAAZ??? aur uska mujhse kya lena dena???


ALFREEN ke sawal par FLORIN ne meri taraf ishara kar ALFREEN ko mere baare me aur saath hi orphanage ke baare me bhi bataya....

sab kuch sunane ke baad...


ALFREEN- par iska mujhse kya lena dena???

SHAILA-PLANETS AURA ke baare me kya jaanti ho???

jawab ki jagah SHAILA ne ulta ALFREEN se sawal kiya jisse sun


ALFREEN-AURO living planets ka wo energy field hai jo us planet ke har celestial being se energy leti bhi hai aur unhe energy deti bhi hai...(FACT)

SHAILA-right...par is AURA ka tumse ya fir tumhare jaise har GOD GIFTED se ek alag connection hai...

ek GOD GIFTED bacche ke janm ke waqt uski jeeven aur mastishk urja ka pravah hadh se zyada hota hai..

itna zyada ki ye dono urja khud ko sambhal nahi paati aur iske extra kan apne aas paas ke pure surroundings me faile jaati hai...

aur tab us PLANET ka AURA us uncontrolled energy ko khud me sokh leta hai jiski wajah se us jagah ke area ka har energy field kayi guna zyada strong hojaata hai....

aur isiliye hi ek GOD GIFTED baccha apne surroundings ke liye blessing se kam nahi hota but tum dono ke case me iska ulat hua...

jaisa ki maine bataya ki jeeven urja ki wajah se hume pehle hi ye pata chal jaata hai ki aane waale samay me kaun sa GOD GIFTED baccha kahan paida hone waala hai,toh aise me jab humne ek hi jagah ke aas paas do do jeeven urja ko dekha toh hume shock laga....

aur wo isiliye kyunki sirf tum dono hi aise do GOD GIFTED bacche ho jo aas paas paida hone waale the...

isse pehle aisa kabhi nahi hua tha..iska reason bhi wahi AURA hi hai...

kyunki ek bacche se nikle jeeven aur mastishk urja me hi itni shakti hoti hai jisse mushkil se wahan ki surroundings sokh paati hai..

par us energy ko puri tarah se stabilize hone me 100 se zyada saal lagte hain but RAAZ ka janm tumhare janm ke 22 saal baad hone waala tha jiska matlab tha ek nayi jeeven aur mastishk urja ka tumhare grah ke satah se milna..

aur agar aisa ho jaata toh tumhari dharti ka ek bohot bada bhaag unstable ho jaata...

aur wo bhi kuch is tarah ki saikdon mile tak ki satah ek baar me hi deh jaati aur saath hi laakhon log mrityu ko praapt ho jaate....

aur isiliye hi tumhare 16 varsh ke hote hi tumhara accident kiya gaya jisse tum behosh ho gayi...

tumhare behosh hote hi tumhari jeeven urja ko nikal liya gaya jisse tum ek lambi neend me chali gayi..wo neend jisse tumhare grah me coma kaha jaata hai..

aur jab aisa hua,toh tum se nikli wo jeeven aur mastishk ki urja jo tumhare surroundings ki satah me samayi hui thi,wo bhi khatm ho gayi....

tumhe ussi haalat me yahan le aaya gaya aur wahan prithvi par tumhari jagah tumhare mare hue clone ko rakh diya gaya...


puri kahani sunane ke baad pure hall me sannata sa chaa gaya..FLORIN aur MARIA ka dimag shaant ho gaya tha,kyunki unhe samajh aa gaya tha ki agar aisa nahi hota toh najaane kitne log maare jaate aur uska kaaran anjaane me hi sahi par unki beti hoti...

par ALFREEN ka man ab bhi shaant nahi tha...par kyun????

har SAVENT ki hi tarah ALFREEN ka dimag bhi har tarah se kaafi tez tha...

uski aneko khubiyon me se ek bohot badi khubi thi uske instincts jo ki usse uske dad se virasat me mile the....

aur ek SAVENT hone ki wajah se uski ye khubi kayi guna multipy hokar nikhri hui thi...

har situation ke if and buts ko bohot ache se guess kar leti thi ALFREEN...

itna hi nahi,har tark,har disclosure ke waqt uska subconscious mind active ho jaata tha jo usse sahi aur galat ka sujhaav deta tha...

aur abhi bhi waisa hi hua...jab SHAILA puri kahani sunaa rahi thi tab...


ALFREEN'S MIND-YE SAB PURA SACH NAHI HAI......TERE AUR TERE MOM DAD KE SAATH JO KUCH BHI HUA HAI,USME KISI NAA KISI TARAH IS RAAZ KI INVOLVEMENT HAI...

DIRECTLY AUR INDIRECTLY,BUT THIS GUY IS SOME HOW RESPONSIBLE FOR UR PARENTS SUCH LONG SUFFERING...


ye the wo bol jo ALFREEN ke dimag me lagatar ghumte aa rahe the jisse wo nakarne ki koshish kar rahi thi...

par in sabke beech uski aankhen RAAZ aur uske filhall ke ATTITUDE par tiki thi...wo dekh rahi thi ki jo ladka kahin naa kahin itne bade haadse se direct juda hua hai,saari baatein sunane ke baad bhi uske expressions aise hain maano usse koi fark hi nahi pada hai....


SHAILA-i think aap sab samajh gaye honge ki jo hua,wo kyun hua???but fir bhi aapke itne saal ke pain ke liye we are extremely sorry....

MARIA-aapko sorry kehne ki zaroorat nahi hai....ye toh GOD ki marzi thi...jo baatein aapne batayi,uske hisab se toh jo hua,wo acha hi hua..warna najane kitne begunahon ki jaan chali jaati...

hume toh issi baat ki khushi hai ki hamari beti zinda hai aur aaj hume wapas mil gayi hai....


ye kehkar unhone apni beti ka maatha chum liya...


FLORIN-aur wo bhi ussi haalat me jaise pehle thi...ye toh ab bhi 16 saal ki hi lag rahi hai...

SHAILA- wo isiliye kyunki ye ab bhi 16 saal ki hi hai.... ALFREEN ke andar se jis jeeven chakra ko nikala gaya tha,uski wajah se iski umr bhi rook gayi thi jo ab firse shuru hui hai...

toh ALFREEN ab bhi 16 saal ki hi hai.....

AKSHAANT-ab jab saari baatein open ho chuki hain toh kya ab bhi aap wapas EARTH jaana chahenge???

MARIA-bilkul nahi...hum ab hamesha apni beti ke saath hi rahenge...

AKSHAANT-bohot ache..toh fir aap teeno apne alloted ABODE par chale jaayiye and RAAZ aapko hostel jaana hai...


AKSHAANT ke aisa bolte hi hum sabke beech do MAGIC DOOR khul gaye...

ek FLORIN and family ke liye tha aur dusra mere liye...


FLORIN-kya RAAZ hamare saath nahi reh sakta..wo bhi toh hamare bache ki tarah hi hai....


FLORIN ki baat ka SOVEREIGN kuch jawab dete usse pehle hi...


MAI- bacche ki tarah aur bacche me utna hi fark hota hai jitna nariyal ke andar aur bahar ke bhaag ka hota hai...

mai ek orphan hun...mujhe kisi ke adopted bheek bole jaane se zyada acha orphan bolne me lagta hai...and I'll like to keep it that way...


ye bol bina kuch sune mai hostel waale MAGIC DOOR se hote hue dusri taraf chala gaya....

wahin mere bolne aur jaane ke baad bhi kuch der tak SOVEREIGN office me shanti hi rahi but fir...


FLORIN-wo shuru se aisa hi hai..apne dil ki karta hai...ab hume bhi chalna chahiye...


FLORIN ne mahoul ko light karne ke kiye apni baat kahi jiske baad ALFREEN FLORIN aur MARIA SOVEREIGN se ijazat le unke liye khole MAGIC DOOR se hote hue apne alloted ABODE ki taraf chal diye...

par in sabke beech ALFREEN ka dimag ghum chuka tha.. apne instinct ki wo baatein jo ab tak wo nakarte hue aa rahi thi,ab usse sahi lagne lagi thi...

chehra toh uska shaant tha but dimag me ghussa bhara pada tha jo chikh chikh kar keh raha tha ki...


ALFREEN'S MIND-ek anath hokar bhi itni akad....koi naa,ab toh tu bhi yahi hai aur mai bhi,jaisa unsult tune abhi mere mom dad ka kiya hai,usse kayi guna zyada humiliation interest ke saath tujhe wapas karungi mai....

tutegi teri HIMMAT,jhukega tera EGO,aur khatm ho jaayega tera ye ATTITUDE.......






AAJ KE LIYE ITNA HI.....





AAPKA APNA V.J
Ek dam super-duper hit update.jabardast,fantastic aur sath hi wonderful update
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF CHAARON WHIZZES AUR WIZZDERS SAVENTS KO SAAL KE PEHLI CLASS ME MAGIC KI KUCH BASICS BATATE HAIN WAHIN ALFREEN AUR MAHI KI ACHI KHAASI FRIENDSHIP BHI HO JAATI HAI.

AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)




UPDATE-14




PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSEN'S HOSTEL




1ST-GHURNA BAND KARNE KA KYA LEGA TU????

2ND-JO MUJHE CHAHIYE WO TERE PAAS NAHI HAI???

1ST-KYA BOLA????

2ND-WO CHHOD...TU YE BATA DUKAN KIS CHIZ KI DAALI HAI TUNE???TABHI NAA BATAUNGA KI MUJHE KYA CHAHIYE....???


ye tark vitark ka jo aadan pradhan aap sab padh rahe hain,ye ho raha hai mere DO PHASEMATES jo ki saath hi mere sah hostlers bhi hain,unke beech...

aayiye,scene ko aage badhane se pehle aapka in do namuno se taaruf karwa dun......

waise taarif ke laayak taaruf nahi hai in dono ka par kahani ke nalayak kintu mahatvapurn paatr hain ye dono isiliye andekha nahi kar sakte....

filhal mai apne room me apne bed par baitha hua hun....aur in do mahanubhavon me se ek mere side me hi tika hua hai aur dusra mere saamne chair par baitha hai...

waise toh kaayde se intro sawal puchne waale se shuru kar jawab dene waale pe khatm karna chahiye par yahan zara ulta hoga..

pehle jawab dene waale ka intro jaan lijiye...

kaaran...inki taarif thodi zyadi hai....

toh jisne khudpar ghure jaane ka ilzaam lagne ka jawab diya hai,ye ek akhand chutiya hai aur iska naam iske is talent ki gawahi bhi deta hai....

kaise???aayiye jaante hain..iska naam hai.....


ACHHUTA....ye akhand chutiya ARROW naam ke Planet se hain...5.8 feet ke ek sadharan kadh kaathi ka meri hi tarah saawla sa banda hai ye...aur looks ki toh pucho hi mat...

upar waale ne isse banaya nahi balki assemble kiya hai...

16 saal ki umar me hi sir ke beech ka hissa chaand ban chuka hai..matlab saala chendwa hai..

sir se thoda niche aayen toh iski ek aankh kerela ko dekhti hai toh dusri kanyakumari ko...matlab saala bhainga bhi hai...

aur thoda niche aayen toh iske saamne ke do daath aadhe aadhe toote hue hain...matlab aadha adhura phopla bhi hai...

halka sa aur neeche aaye toh hothon ke beech ke hisse me halka gadha sa bana hai maano darar ho...

aur sone par suhaga,saala har waqt apne body ke kisi naa kisi part ko khujlata rehta hai....

mijaz ki baat karen toh har waqt apne me hi mast rehta hai ye banda..saamne waale ki kisi bhi baat kaa bura maanana toh isne sikha hi nahi aur naahi apni harkaton se kisi ko hasana aur irritate karne se baaz aata hai ye...

wahin dusri taraf mere saamne chair par baithe wo mahapurush jinhone ACHHUTA par ghurne ka ilzam lagaya tha,ye mahanubhav ACHHUTA se bilkul ulte hain..

inka naam SLUNDER hai aur ye CARAPACE naam ke planet se hain...

ACHHUTA se alag bhai sahab ke pure daath sahi salamat hai..infact kuch zyada hi sahi salamat hai..kehne ka matlab ye hai ki iske saamne ke kuch daath bahar ki taraf nikle hue hain...jisse isne shape me laane ke liye halka halka katwaya bhi hai par phir bhi daath bahar hi dikhte hain...

dikhne me ye bhi halka saawla hi hai...har waqt serious rehna aur even chote chote mazak ko bhi dil par le lena iski aadat hai...

iski hasi toh kayamat hi hai..waise toh ye zyada hasta nahi hai par agar hase toh soya hua pura mohalla bhi iski hasi ki awaaz se uth jaaye..

hamare pehle din ke class ke baad jab hum sabki language ko ek kar diya gaya tha,tabhi se ye dono mere room me pade rehte hain...

maine abhi tak in dono ki har baat par sirf haan yaa naa me hi jawab diya hai but jahan ek taraf ACHHUTA apne dheeth aadat ki wajah se yahi tika rehta hai wahin dusri taraf SLUNDER ko mera serious rehna acha lagta hai,isiliye wo bhi yahin paaya jaata hai..

ek aur reason bhi hai..in dono ke hi bedaul chehre aur sharir ki wajah se baaki ke sabhi hostlers in dono ko dekh mooh banate hain isiliye ye yahin mere aaju baaju hi bhinbhinate rehte hain...

intro khatm,scene shuru....


SLUNDER-abbe kitni bakwas karta hai tu din bhar...WHIZZ ne jo pata lagane ke liye bola tha,uske baare me tu padh nahi sakta kya???

ACHHUTA-haan,jaise uske baare me padh lene se kal hi PHASE 2 me entry mil jaayegi....

aur beta tu jo mujhe padhne ka gyan de raha hai,tu khud kya leke baitha hai???ORIGIN OF MAGIC...is book me hai WHIZ ke puche gaye sawal ka jawab par tu jisme aakhen gadaye baitha hai,ye toh wo book hai hi nahi....


darasal is waqt SLUNDER ke haathon me do kitaben thi...ek niche thi aur jo wo padh raha tha,wo kitab ORIGIN OF MAGIC nahi thi....


SLUNDER- wo mai already padh chuka hun...ye toh bus yunhi padh raha hun...

ACHHUTA-yunhi!!!!kamasutra ki kitab hai kya????mujhe bhi dikha toh zara...


ye bol excitement se ACCHUTA uthne ko hua toh....


SLUNDER-baith ja wapas chupchaap...ye aisi waisi kitab nahi hai...par dimag me jab gandagi hi bhari ho toh tu aur sochega bhi kya???

ACHHUTA-gandagi!!!!saale,jis kala ki wajah se pura bramhand bhara pura hai,uske baare me sochna,kahan se ganda hua???

saale,kamsekam tujhse aisi soch ki ummid mujhe bilkul bhi nahi thi..khaaskar ke tab jab tu aur mai,dono hi is adbhudh kala (kamasutra)ke jeete jaagte example hain...

SLUNDER-hain!!!!wo bhala kaise????

ACHHUTA-abbe apna aur mera naam bhul gaya kya???tere naam ke beech ke akshar(LUND)aur same to same,mere naam ke beech ke akshar(CHHUT).....

issi se toh duniya chal rahi hai....

SLUNDER-chhiii...saale,kitni gandi soch hai teri.....mai hi pagal hun jo yahan tere saath baitha hun....but now i am out of here....


ye bol SLUNDER uthne ko hua....


ACHHUTA-arre bhai bhai..tu toh naraz ho gaya...mai toh mazak kar raha tha....


ACHHUTA ne SLUNDER ko wapas chair me baithate hue bola...


SLUNDER-mujhe aisa mazak pasand nahi hai....

ACHHUTA-thoda time de,pasand aane lagega....

SLUNDER-tu fir shuru ho gaya...

SLUNDER ne bhadakte hue bola....

ACHHUTA-kya yaar..tu bhi baat baat par garam ho jaata hai..chal thik hai,nahi karta mazak..ab ek serious question puchun???

SLUNDER-tu aur serious????

ACHHUTA-lai..ab kaun ungli kar raha hai????


kuch der tak ACHHUTA ko ghur kar dekhne ke baad...

SLUNDER-puch??

ACHHUTA-tune apne daanth shape me laane ke liye halke halke katwayen hain kya???

SLUNDER-haan,kyun???

ACHHUTA-kharcha bhi aaya hoga????

SLUNDER-thoda bohot..par tu ye sab kyun puch raha hai???

ACHHUTA-isiliye kyunki tune faaltu me paise waste kiye...jabki mere paas tere daath ko ekdum shape me laane ka perfect tarika pata hai aur wo bhi free of cost....

SLUNDER-acha,toh bata naa,kya tarika hai????

ACHHUTA ki baat sun excited hote hue SLUNDER ne pucha....

ACCHUTA-arre,simple hai re...dekh,mai pehle tere gardan ko piche se pakdunga,aur fir tujhe dhakelte hue diwal ke paas le ke jaaunga..fir operation shuru... tere daanth ko ek diwal se dusre diwal aur fir dusre diwal se teesre diwal me ragadta chala jaaunga...

dekhna, ek minute ke andar tere pure daanth andar....


ACHHUTA ne bhi pure excitement me apni baat kahi jisse sun....


SLUNDER-MAADA***OD......


ghusse se kaampte hue chilla utha SLUNDER....

aur fir tezi se apne haath me pakde books ko fek maara usne ACHHUTA ke mooh par jisse jhukte hue ledeke bacha ACCHUTA...


ACCHUTA-abbe pagal ho gaya hai kya????itna acha idea diya maine...thanks kehne ki jagah ye sab kya kar raha hai tu???

SLUNDER-ruk saale..thik se thanks bolta hun tujhe...


ye bol behad ghusse se ACCHUTA ki taraf badha SLUNDER jisse dekh...


ACCHUTA-ye saala lundeshwar paagal ho gaya hai....nikal leta hun nahi toh bina sabun ke hi dho dega saala mujhe....bhai RAAZ, milte hain....

ye bol turant door se hote hue bhaga ACCHUTA aur uske piche piche bhaaga SLUNDER.....

wahin un dono ke jaane ke baad maine SLUNDER ki feki hui dono books uthayi jisme se ek toh hamare issi PHASE ki thi...

par jab meri nazar dusre book ke cover par gayi toh meri aankhen choti hoti chali gayi....

book ke panne paltate hue mere mooh se us book ka naam nikla...


"THE FORBIDDEN FOREST".......




PLANET- THE PAGAN (GODLESS)



PLACE-OUTSIDE THE CONCEAL....





KITNI AJEEB BAAT HAI NAA...JIS JAWAB KO HUM DHUND RAHE HAIN,HUME USKE SAWAL KA KOI CHHOR TAK PATA NAHI.....

kaale libaden me dhake ek shaksh jisne apne dono haath failaye hue the, aur jiske saamne bane CONCEAL se gaadhi kaali urja ke kuch kan uske sharir me pravesh karte jaa rahe the,uske mooh se ye shabd nikle the jisse sun....

isme naya kya hai???kintu in sabke beech ye mat bhoolo ki hum kaun hain???"VOTARIES"....

aur wo bhi PRIMES.....

ye ohda hamari zimmedari ko har pal badhata jaata hai....isiliye jo kartavya hume soumpa gaya hai, hume wo kisi bhi haal me pura karna hai...

jaisa pehle bolne waale VOTARY ke saath ho raha tha,thik waisa hi is dusre VOTARY ke saath bhi ho raha tha....

jahan ye conversation ho rahi hai,us planet ka naam hai THE PAGAN....aur jahan ye do log jo khudko VOTARIES bata rahe hain,khade hain,wo is Planet ka aisa chhor hai jiske aage ye nahi jaa sakte...

kyun???? aayiye jaan lete hain....

ye pura planet apne jitne bade size ke CONCEAL me ghira hua hai....

CONCEAL....ek kism ki chupi hui Shakti.....jisse dekha toh nahi jaa sakta par us apar shakti ko mehsoos kiya jaa sakta hai..

aur apne haath failaye ye dono VOTARIES ussi shakti se bhare samandar se khudko charge kar rahe hain...

par ye dono baat kis baare me kar rahe hain???aayiye inhi se jaan lete hain????

VOTARY 1-but us hal ko dhundte najaane kitni hi sadiyan beet chuki hai,par ab tak hamare haath kuch bhi nahi laga hai....

VOTARY 2-agar itna hi asaan hota toh ye kaam hume nahi mila hota....par hum haar nahi maan sakte,hume hamare lakshya praapt karna hi hai....

VOTARY 1-par kaise????

VOTARY 2-jawab pata hai tumhe..ab tak hum kul 2 hi aise hain jinhe PRIME RANK mila hai....

par hamari sammilit shakti bhi us kawach ko todne me asamarth hai par puri nahi....

par phir bhi,hum dono ki puri taakat lagane se us kawach me aadhi sendh lag hi jaati hai...

isiliye hume apne jaise hi aur do PRIME VOTARIES ki zaroorat hai...

4 PRIMES ki akjut hui shakti se wo kawach avashya toot jaayega...

VOTARY 1-mujhe aaj bhi is baat ki hairani hoti hai ki jab hamare SEARCH aur VISUALIZE SPELLS wahan kaam kar sakte hain toh fir hum wahan kyun nahi jaa paate....

VOTARY 2-spells urja se banti hai jo ki kisi hawa ke jhoke ki tarah hoti hai jo kahin bhi aa jaa sakti hai......wo jagah sirf logon ke liye pratibandhit hai...


jis chiz ki suraksha ke liye wahan wo kawach hai,usse hum dekh toh sakte hain,mehsoos bhi kar sakte hain par usse haasil nahi kar sakte......hume aur shakti ki awashyakta hai...

VOTARY 1-uske liye hume aur do PRIMES ki zaroorat hai..itne varshon me sirf hum hi do aise VOTARIES hue hain jinhe PRIMES ka khitab mila hai....

sadiyan beet gayi,par do toh chhodo, aisa koi ek bhi ab tak kaabil nahi nikla jisse PRIME banane ka rutba praapt ho sake...

VOTARY 2-har chiz ka ek sahi waqt hota hai..jo hum chahte hain,shayad uska abhi tak uchit waqt nahi aaya hai....

ek baar,bas ek baar hamari shaktiyon ki dhaar itni mazboot ho jaaye,jisse us sarhad ko bheda jaa sake...

ek baar,bas ek baar hamare spells ki tarah hamare kadam bhi us kawach roopi diwal ka laangh saken,phir dekhten hai kaise hamare kaam ki chiz humse bachi rehti hai aur kaise rok paata hai Hume wo


"FORBIDDEN FOREST"......




AAJ KE LIYE ITNA HI.....




AAPKA APNA V.J.....
 
Top