• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

Black water

Vasudhaiv Kutumbakam
5,873
21,052
188
Waiting bhai
 
  • Like
Reactions: Naik and Iron Man

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,529
94,694
304

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SWEEP-STAKE COMPETITION KA DUSRA TASK SHURU HO CHUKA HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ PLANET ZEAL PAR PAHUNCH CHUKA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-37



PLANET-ZEAL


PLACE-NEAR ZEAL'S CAVERN




ye CAVERN (a big cave) toh earth ke sabse bade CAVERN HANG SON DOONG se bhi bada dikh raha hai...(fact...earth ka ye cave veitnam me hai..)

par ye ladka VIKRAM yahan kya kar raha hai???and more importantly mai yahan kya kar raha hun...???


is waqt hum ZEAL grah ke is kingdom ke border par bane ek bohot hi bade CAVERN,ek gufa se kuch door khade the...

wahin VIKRAM apne ghode me baitha us CAVERN ko dekh raha tha....


WOOGER-is gufa me ek vastu hai,aur ussi vastu se is pure adhyay ki rachna ka aarambh hua hai.....

jaisa ki aapko pata hai ki ZEAL ka arth SOUL hota hai...

par ye naam is grah ko ussi vastu ki wajah se mila hai jo is gufa ke andar hai...

us vastu ki shakti se is planet ko iski aatma mili jisse yahan jeeven shuru hua...

jo nazare aap dekh rahe hain,unki rachna hui....

par ussi vastu ki wajah se is planet ka sarvnaash bhi hua....

filhal hum ek drishyam me hain...ek bhuli hui kahani jo sirf aapko dikhane ke liye sambhal kar rakhi gayi thi kintu is bhuli hui kahani me agar ab bhi kuch bacha hai toh wo hai ye gufa aur iske andar rakhi wo vastu....

aur us vastu me hai aapki SOUL jisse aapko haasil karna hai....

MAI-wo VIKRAM us gufa ki taraf kyun dekh raha hai..??kya usse maalum hai ki us gufa me kya hai...???

WOOGER-ye har din jungle ke madhya bane vishal jharne ke paas shashtr vidya ke adhyan ke liye jaata tha...

jaate aur aate dono hi waqt,ye yahan is CAVERN ke baahar rook usse thodi der tak dekhte rehta hai aur fir chala jaata hai....

aur rahi baat uske is gufa ke secret ko jaanane ki toh usse aadhi hi baat pata hai...

usse ye pata hai ki is gufa se hi uske Planet ka astitv bana hai...usse bas itna gyat hai is planet par jeeven ka rahasya us gufa ke andar se hai....

MAI-kisne batayi usse ye baat..???

WOOGER- is sawal ka jawab hi hai aapka pehla drishyam.....


WOOGER ke aisa kehte hi hamare samne ka scene change ho gaya....



SCENE-1


is waqt hum kisi aur jagah par the aur abhi raat ka samay tha...ye ek basti jaisi jagah thi jahan mashale jal rahi thi aur humse thik aage ek reth ka bada sa akhada tha jisme is waqt 6 logon ke beech malyudh ho raha tha jisse hamare dekhte hi dekhte unme se ek ne jeet liya...


WOOGER-is waqt hum is planet ke shuruati dour ke DRISHYAM ko dekh rahe hain...

sadiyon pehle jab is planet ka nirman hua,aur yahan logon ka vaas hua toh is jagah ko chalane ke liye kisi ek vyakti ka chunaav hona tha aur jo mal yudh hum dekh rahe hain,yahi tha wo tarika jisse us vakt ke sabse shaktishali manushya ko yahan ka sardar banaya gaya...

jo abhi is malyudh me jeeta hai,wahi tha ZEAL ka sabse pehla shashak....


WOOGER ke aisa kehte hi drishya phir badal gaya....



SCENE-2


is drishya me wahi manushya jo ki ZEAL ka pehla shashak tha,wo ek safar par nikla hua tha....


j
WOOGER-ye jaanane ke liye ki ye planet kitna bada hai, is shashak ne apne kuch vishwas paatr logon ke saath is planet ka bhraman karna shuru kiya aur pahuncha is jagah par....


ek baar firse hamare saamne wo CAVERN tha par ek alag dour me...


WOOGER- jab isne is gufa ko dekha aur iske andar se aarahi beintihan urja ko mehsoos kiya toh usse andar jaane ka man kiya...


WOOGER ki baat sunte hue maine saamne dekha toh paaya ki us shashak ne apne ek daas ko andar jaane ke liye kaha aur uski baat maan jaise hi us daas ne gufa ke muhane me pahunch andar kadam rakhne ki koshish ki toh wo bhasm ho gaya....


MAI-arre,ye kya hua????

WOOGER-dekhte jaaiye....


WOOGER ke kehne par jab maine saamne dekha toh....


us aadmi ke bhasm hote hi us gufa ke baahar hawa me hi bade bade aksharon me kuch likhana shuru ho gaya...

ye lekhni thi ZEAL planet ke baare me...jab wahan ye likhaya ki is gufa aur iske andar rakhe vastu ki wajah se hi ZEAL planet me jeevan ka vaas shuru hua hai tab sabhi chakit rah gaye.....

is sacchayi ko sun abhi sabhi chakit ho hi rahe the ki tabhi wo akshar mit gaye aur unki jagah naye aksharon ne le li jisse padh wo sabhi log aur chakit ho gaye....

kyunki ab wahan jo likha tha wo ek tarah ki bhavishyawaani thi jo keh rahi thi ki....


rogiyon ke beech wo
akela AAROGYA HOGA....

jo mere RAAZ ko

jaanane aur sambhalne
ke YOGYA HOGA.....


ye shabd likhaye the us gufa me muhane par jiske padhne ke baad wo shashak ye samajh gaya ki har koi us gufa ke andar nahi jaa sakta...

infact sirf koi ek deserving banda hi us gufa ke andar jaa paayega...

in adhbhudh sachayiyon ko dekh aur samajh wo shashak apne daason ke saath wahan se chala gaya....

par usne tay kiya ki itni aloukik aur adhbhudh jagah se wo door nahi jaayega aur isiliye usne is gufa se kuch door ek nagri basayi aur wahin rehkar is pure Planet ka sanchalan karne laga....

jo gufa ne bhavishyawaani ki thi,ussi ko adhaar bana saal mese kisi ek din us shashak ne apne planet ke sabse kaabil aur honhaar logon ko us gufa ke andar jaane ki baat kahi aur saath hi ye ghosna bhi kiya ki jo koi aisa karne me kaamiyab hoga,us din se wahi vyakti aur uske baad uske vanshaj hi is planet par raaj karenge....

SCENE ENDS....



ye saare drishya dekhne ke baad hamara drishyam gayab ho gaya aur hum ab wapas apne original waqt me aa chuke the aur ussi gufa ke saamne khade the,par is baar wo VIKRAM wahan nahi tha,wo jaa chuka tha.....


WOOGER-us ghoshna ke baad har saal kisi ek din is planet ke sabse hunarmand log us gufa me ghusne ki koshish karte the...

par koi bhi kaamiyab nahi hua....aur isiliye tab se lekar is planet ke tabah hone tak ussi pehle shashak ke vanshajon ne hi is planet par raaj kiya...

MAI-hmm..matlab ye VIKRAM bhi ussi vansh ka vanshaj tha....!!!

WOOGER-haan wo vanshaj toh tha par uttaradhikari nahi....

MAI-matlab....!!!!


mere aisa kehte hi drishya change ho gaya jiska matlab tha ki ab hum ek naye DRISHYAM me the.....



SCENE-3



TUMHARA ITNA DUSSAHAS KI HUMSE PRATIKSHA KARWAO...

ITNA ADHIK WAQT LAG GAYA TUMHE JAL KA EK PYALA HAMARE PAAS LAANE ME....


ye bolte hue ek bade se mahal ke beecho beech bane garden me baithe ek chote se Rajkumar ne apne saamne khade sewak ke haathon se jal ka wo pyala liya aur ussi jal ko us sewak ke mooh me fek diya jisse wo dara hua sewak aur dar gaya....


SEWAK-skshama Rajkumar..... kintu mujhse vilamb nahi hua hai...is udyan se rasoi grah kaafi door hai...wahan jaakar jal yahan tak laane me thoda waqt lag jaata hai rajkumar....

RAJKUMAR-jab humne keh diya tha ki tumhe vilamb hua hai toh iska arth hai ki tumse vilamb hua hai..

tumhara itna dushaas ki tum humse zuban ladao.... humari baat ko kaato....

sipahiyon,le jaao is batamizz ko aur iski nangi peeth par 100 kode barsao.... iski dardnaakh cheekh pure mehel me gunj hamare kaano tak pahunchni chahiye....


Rajkumar ki baat sun us sewak ki rooh kaamp gayi...wo kuch kehta usse pehle hi wahan khade 2 sipahiyon ne usse pakad liya aur lejaane lage par tabhi....


RUK JAAO.....CHHOD DO US USSE.....


ye awaaz un sipahiyon ke piche se aayi thi jisse sun jab un sipahiyon ne turant us sewak ko chhod diya...

wahin is awaaz ko sun us sewak ke dand ko nirdharit karne waale rajkumar ke chehre par naagwaari ke bhaav utpann ho gaye....

wahin wo jisne sipahiyon ko rukne ke liye kaha tha,wo chalta hua aage aaya aur rajkumar ke saamne khada ho gaya....


RAJKUMAR-bhrata VIKRAM....aap har baar hamare faislon ke beech kyun aa jaate hain....???

VIKRAM-kyunki tum hamesha galat faisle hi lete ho....


VIKRAM jiske drishyam ko dekhne ke liye RAAZ yahan pahuncha tha,ye wahi tha aur ye DRISHYAM tha uske baal kaal ka...

VIKRAM us rajkumar ka bada bhai tha par umar me usse bas ek saal hi bada tha....

dono hi bhai sikke ke do alag pehluon ki tarah the...jahan Vikram ek shaant aur sacha baccha tha wahin uska chota bhai choti si umar me hi behad hi negetive, egoistic aur bigda hua tha....

aur iska kaaran tha uska raajshri pariwaar..sadiyon se ZEAL planet ke shahshak hone ki wajah se ye parivaar apne aap ko is planet ka bhagwaan maanane laga tha...

unka bas yahi maanana tha ki jo bhi wo karenge,woh sahi hoga...aur sabke liye anniwarya bhi...

unhe kisi aur ki feelings se koi matlab nahi rehta tha.par inke negetive parivaar me VIKRAM inke ulat positive paida hua tha...

uska vyavahar udaar tha..wo har kisi ki kadar karta tha....par uski ye aadat uske pure pariwaar me kisiko bhi pasand nahi thi....aur isiliye...


RAJKUMAR-agar faisla humne kiya hai toh wo sahi hi hoga....aur waise bhi maamla humara hai..

aur isse hum jaisa chaahenge,waise niptayenge....isiliye dobara humare maarg me aane ki aap koshish naa karen toh behtar hoga...


apne chote bhai ki baat sun VIKRAM ko ghussa toh bohot aaya par usne apne ghusse ko dabaya aur....


VIKRAM-kisi par anyay karna kabhi sahi nahi ho sakta mere bhai...mujhe apne raaste se door raho,ye kehne sa acha hai ki tum apna rasta badal lo...

RAJKUMAR-hum rajkumar hain aur is Planet ke bhaavi maharaj bhi..aur ek raaja apna raasta kabhi nahi badalta....

par aap ye nahi samajhenge....kyunki naa aapki soch raajsi hai aur naahi apke khoon me ubal hamare pitah sa hai...


CHATAAKKH......


Rajkumar ki baat sun VIKRAM ne usse ek zor ka tamacha maar diya jiske baad wo ghusse se rote hue mahal ki taraf bhaag gaya aur aisa hone je kuch der baad....


KYA TUMNE APNE CHOTE BHAI PAR HAATH UTHAYA....???

VIKRAM-haan par.....


CHATAAKHHH..CHATAKHHH.....CHATAKKHHHH.....


aage kuch bol nahi paaya VIKRAM...

wo kuch kehta usse pehle hi uske gaal par lagatar teen thappad pade jisse uske honth tak phat gaye...

VIKRAM ko ye thappad maare the khud uske pitah ne...

reason....

vikram ne jaise hi apne chote bhai par haath uthaya toh uska bhai sidhe apne pitah ke paas gaya aur badha chada kar VIKRAM ki burayi karne laga jiske baad VIKRAM se unhone sawal pucha aur aadha jawab milte hi usko lagatar teen thappad pada....


KING-mujhe vishwas nahi hota ki tu sach me hamara hi khun hai...????

kyunki hamara khun itna thanda nahi ho sakta.....


thappad padne se VIKRAM ka dimag kuch seconds ke liye sunya ho gaya tha par jab wo sambhla toh...


VIKRAM-par pitashri hamara apraadh kya hai..???humne toh bas us nirdosh vyakti ko bachaya tha....

aur chote rajkumar ki abhadra baat ki wajah se humne unpar haath utahaya tha...


KING-us aadmi ko pesh kiya jaaye....


VIKRAM ki baat sunane ke baad uske pitah ne zor se chillate hue ye aadesh diya jiske agle hi pal....


dhamm.......


is awaaz ke saath ek vyakti us king ke kadmo me gira..

ye wahi aadmi tha jisse thodi der pehle VIKRAM ne bachaya tha....

neeche gir us aadmi ne apna sir upar kiya aur kuch kehne ko hua par tabhi...


SWSSSSS........


behad zor se chali KING ki talwar jiske agle pal us aadmi ka sir uske dhadh se alag hokar VIKRAM jo thoda piche hi khada tha,uske pairon ke paas giri....

is drishya ko dekh VIKRAM ki aankhen jaise pathra si gayi thi..wo jadwath hokar ekdum sthir khada ho gaya tha....

wo waise hi rehta par tabhi King ki awaaz uske kaano me gunj uthi....


KING-isse humne nahi,tumne maara hai VIKRAM......bhale hi iska sir hamari talwar dwara kata hai kintu iska kaaran sirf aur sirf tum ho....

agar tumne rajkumar ki baaton ke beech hastakshep kar isse us dand se nahi bachaya hota jo rajkumar ne iske liye nirdharit kiya hai,toh abhi ye zinda rehta....

ab meri baat kaan kholkar suno....is planet me sirf hum aur hamara parivaar jo chahenge,wahi hoga..hamara har faisla yahan ke basne waale har vyakti ka mukkadar hai....

hamara diya har dand yahan rehne waale har manushya ki niyati hai....

jitni jaldi ho sake,is satya ko maano aur jaisa har raajshi khoon karta aaya hai,waisa aacharan dhaaran kar lo warna hum tumhe is mahal aur apni zindagi se nikal fekenge...

aadhi baat hi sun paaya VIKRAM...uska aadha dhyan toh ab bhi us kate hue sir ki taraf tha...aasuon se bhar gaya VIKRAM ka chehra....

kuch der tak yunhi thaga sa khade rehne ke baad wo apne pitah ke saamne se aur saath hi us mahal se hamesha hamesha ke liye nikal gaya....




SCENE ENDS:-



ye sab dikhane ke baad DRISHYAM gayab ho gaya.....

drishyam dekhte waqt jahan meri aankhen us chal rahe chalchitra ki taraf thi wahin WOOGER ki urja ka dhyan meri taraf tha..

par pure scene me mere expressions kahin bhi nahi badle..maine yunhi pura scene dekhta raha tha...

aur ab jab drishyam khatm ho chuka tha toh meri nazar saamne dikh rahe gufa ke taraf thi...


WOOGER-koi sawal!!!!

MAI-ye sab bas ek drishyam hai,right???matlab live kuch nahi hai,bas jo ho chuka hai,ussi ghatna ke alag alag clips hain...

toh kya abhi mai is gufa me nahi jas sakta..matlab andar se dekhne bhar ke liye...?!!!

WOOGER-is pure planet ko shakti ussi gufa ke andar rakhe vastu se hi milti thi....wo vastu yahan rehne waale har jeev ko jaanta tha..

yahi nahi,agar koi baahar se bhi aaye tab bhi us vyakti ke is planet par pair rakhte hi uske baare me wo vastu sab kuch jaan leti thi...

bhale hi ab ye planet dead planet hain,par ye gufa aaj bhi yahan moujud hai...aur iski shakti aaj bhi utni hi prabal hai...

MAI-wo sab toh thik hai par ye jo gufa dikh rahi hai,ye bhi toh bas ek drishyam hi hai naa...original thodi naa hai...

WOOGER-suraj dharti se carodon meel door hota hai par phir bhi uski tapish har dharti mehsoos karti hai....agar aapko bhi karni hai toh koshish karkar dekh lijiye....


WOOGER ki baat sun mai aage badha aur sidhe us gufa ke baahar
jaakar khada hi gaya...

saamne andhera tha..kuch seconds rook jaise hi maine apna ek pair aage badhaya toh....


DHOOB......

ek tez jhatka laga mujhe aur mai wapas jahan se chala tha,wahin aakar gira....

MAI-ye kya tha????ek yaad me itni taakat...!!!!

WOOGER-maine jis tapish ki baat ki thi,ye wahi tha...

agar ye asliyat hota toh aap bhi raakh ho chuke hote.....




PLANET-ELYSIAN




PLACE-SWEEP-STAKE





YE RAAZ KAHAAN CHALA GAYA HAI...???KAAFI DER SE DIKH NAHI RAHA.....!!!!


FLORIN ki baat sun MARIA ne bhi RAAZ ke stand ki taraf dekha jahan se RAAZ nadarad tha....


MARIA-aap jaante toh ho usse..wahi karta hai jo uska dil kehta hai....competition dekhne ka man nahi hoga isiliye bahar chala gaya hoga...



STELLAR'S STAND


YE RAAZ ABHI TAK KAISE NAHI LOUTA...AUR WO DONO ACCHUTA AUR SLUNDER,WO BHI NAHI DIKH RAHE HAIN....

KAHIN MAINE JO RAY US RAAZ PAR PHEKI THI,USKA ASAR ZYADA SERIOUS TOH NAHI HO GAYA....!!!!


RAAZ ke stand ki taraf nazar ghumaye hue ALFREEN ye baatein badbada rahi thi....


MABEL-arre tu wahan kahan dekh rahi hai....???saamne dekh, competition kaafi interesting hota hua lag raha hai.....


MABEL ki baat sun apni sochon ko jhatak jab ALFREEN ne saamne dekha toh....


SWWWWW...SWWWWWW.......


WICKEDS ki team jo ki dhaal ka roop dhar aa rahe baano se khudko bacha rahi thi,us dhaal ke beecho beech ek ubhar aana shuru hua aur aisa hone ke agle hi pal us ubhar ke beech behad teevr gati se ek baan nikla aur aage ki taraf badh gaya.....


par kyun???aayiye pehle ye jaan lete hain...

darasal dhaal ka roop liye WICKEDS behad dhyan aur baariki se un anginat baano ko dekh rahe the...

lagatar kaafi waqt tak dekhte rehne ke baad unhe kuch alag dikhayi diya...

alag ye tha ki un anginat baano ki varsha ke beech rah rah kar kuch seconds ke antaral me ek baan unki taraf aa raha tha jisse halka prakash nikal raha tha....

aur jab bhi wo baan unki taraf aata toh us waqt us baan ke aage peeche koi aur baan nahi hota tha....

ye dekh WICKEDS ko laga ki ho naa ho par in asankhya baano ke beech ye halka chamakdaar baan ZUNYATA matlab UNREAL hai...

aur ye abbhas hote hi is dhaal ke madhya ki jagah par jo SAVENT tha,usne apna roop ek baar firse badla aur second ke 10we hisse se bhi kam samay me ek baan ka roop dhar wo us dhaal ke madhya se hota hua aage nikla aur jaisa ki maine bataya tha ki us chamkile baan ke aage aur piche koi baan nahi hota tha,isiliye wo SAVENT numa baan bina kisi avrodh ke aage badhta hua gaya aur sidhe us chamkile baan se takra gaya aur jaise hi ye hua toh.....


BOOM..........


is awaaz ke saath pura STADIUM ek tez roshni se jagmaga utha aur tabhi WHIZZ ki awaaz gunj uthi...


MABBA-SECOND TASK COMPLETED....

WINNERS,WICKEDS.....


par kyunki ye competition best of three tha aur pehle do task ke winners WICKEDS rahe hain, isiliye is second task ke saath ye competition bhi yahin khatm hota hai aur isiliye with a clean sweep, is saal ke SWEEP-STAKE competition ke winner hain WICKEDS......


jahan MABBA ki anouncement ke baad WICKEDS ke samarthakon se bhara aadha STADIUM unki awaaz numa hooting se gunj utha wahin dusri taraf MORALS ke supporters se bhara baaki ka aadha STADIUM ek dum khamosh ho chuka tha...

is khamoshi me MAHI, MABEL aur ALFREEN bhi shaamil the...yunhi udaas ho wo teen apni apni seats se uthe aur baahar nikalne ko hue hi the ki....


MAINE KAHA THA, CHAMPION HONA AUR CHAMPION KI TARAH HONA,IN DONO BAATON ME FARK HOTA HAI....


is awaaz ko sun MAHI, MABEL aur ALFREEN palte toh unhone dekha ki unke saamne MORANA, ANWIR aur unke kuch saathi khade hain....


ANWIR- CHOSENS ke pichle 25 thousand years ke itihaas me aisa bohot kam baar hua hai jab MORALS se WICKEDS ko haraya ho warna is baar ki hi tarah har baar in MORALS ki izzat hi utarti aayi hai....

isiliye yahan se jaane ke baad dobara sochna... ek WICKED ka ATTITUDE hi success ki chabi hai...

apna lo isse,faayde me rahogi....


MAHI ko dekhte hue ANWIR ne ye baat kahi jisse sun...


MAHI-har addhyaya,har chapter kahin naa kahin se shuru hota hi hai...

zaroori toh nahi ki pichle 25 hazar saal se jo hota aa raha hai,wahi aage bhi hoga...

isiliye tum hamari nahi apni fikr karo.. kyunki jis din hum PHASE 2 me aaye,tumhare aur tumhare jaise ka CHAPTER khatm ho jaayega,aur shuru hoga CHAPTER 2.....

apni baat bol apne dono friends ke saath nikal gayi MAHI is baat se anjaan ki flow flow me usne bata diya hai ki ye chapter ab khatm hone ke kagar par hai and now its time to announce the next chapter......


(UNEARTH THE IMMORTAL)

second chapters name.....







AAJ KE LIYE ITNA HI....






AAPKA APNA V..J....
 
Top