• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Akhir kyu? From hatred to love (with pics) (Completed)

Kya hero ne jo bhi kiya wo sahi kiya? (Voting aap sabhi 2-3 update pdhne k baad karna)

  • Hn sahi kiya

    Votes: 338 67.2%
  • Nahi, apni behan k sath aisa nhi krna tha

    Votes: 56 11.1%
  • Rahul nirdosh hai

    Votes: 90 17.9%
  • Neha nirdosh hai

    Votes: 19 3.8%

  • Total voters
    503

paarth

Member
378
1,186
123
Update - 64

Ab tak...

Neha(mann me) : haa! Baat toh sahi hai! Aise me mom dad bhi naraaz nahi hoenge aur mein bhi iss se hamesha ke liye peecha churra lungi.

Tabhi neha rahul ki taraf aage badhti hai aur bina mann ke ajeeb sa muh banaate hue usse gale lagaane ke liye aage badhne lagti hai, tabhi rahul usko kandho se pakadta hai, ek haath uske gaal par rakhta hai aur aage badh ke uske kaan me aisa kuch kehta hai, jisse sunkar neha ki aankhein phati ki phati reh jaati hai aur uska shareer sihar uthta hai.

Ab aage...

Bechaini! Ek ajeeb sa ehsaas, ek peeda, neha ko abhi khaae jaa rahi thi. Phati aankho se wo saamne dekh rahi thi, par na toh usse kuch sunayi de raha tha aur saamne kya chal raha hai neha uss se bhi vanchit thi kyuki rahul ne jo kaha usse sunke uske hosh hi udd chuke the.

Rahul toh kuch kadmo ke baad hi dheere dheere sabki aankho se ojhal ho gaya aur kab uski flight ne udaan bhari aur kab wo plane bhi sabki aankho se ojhal ho gaya, samay ka pata hi nahi chala. Neha toh tab se stabdh sii khadi saamne dekhe jaa rahi thi jabki waha kuch dekhne layak tha hi nahi. Usse toh hosh tab aaya jab nisha ki rone ki siskiya thodi tezz hui aur uske kaano me padi. Peeche palat kar neha ne dekha toh paaya nisha ro rahi thi aur rajesh unhe shaant karwa rahe the, baaki sab ki aankhein bhi nam thi. Idhar wo shaant sii khadi kuch derr hui pehle ki ghatna ke baare me soch rahi thi. Tabhi uske kaano me awaaz padi aur sabki tandra bhang hui,

Rajesh : chalo beta!

Rajesh ke kehne par jese sabhi gam se baahar nikle aur wapas ghar ki or jaane lage. Sab apne apne ghar ko laut gaye, ab rahul toh tha nahi toh fir bhala anshu aur vanshu kya karti ghar par? Wo dono bhi shaam hote hi nikal gayi apne ghar. Neha ki samajh nahi aa raha tha, uska sar chakra raha tha, aur usse gussa bhi boht aa raha tha.

Neha (mann me) : usne zaroor ye jaan boojh ke kiya tha, soch raha hoga aisa karne se mein pighal jaungi, ya...ya ye bhi ho sakta hai ki mera mazaak udaane ke liye ye sab kiya ho? Shit! Mera toh dimag phata jaa raha hai. Jaate jaate bhi ye mera peecha nahi chorr raha.

Yaha rahul aur saurabh jab Mumbai pohuche. Toh unhe station pe dherr saare taxi drivers ne gher liya,

"Saaab kidhar jaane ka?"
"Aao na saaab, mein leke chalta hai aapko".
"Arre bhau, kaha jaana hai?"

Kuch aise hi sawaalo se rahul aur saurabh ko gherte hue taxi drivers ne bheed laga di. Par rahul toh jese sab ke liye taiyaar tha. Usne ek taxi driver ko ek parchi dii, jisme poora address details me likha hua tha, ki kaha se mudna hai, kon si road se jaana hai, kitna bhaada lagega, kitna samay lagega.

Ye parchi master ne hi usse bana ke dii thi, jab taxi waale ne parchi dekhi toh uska sar hi chakra gaya. Chuna lagaane ka prashn hi nahi uthta. Parchi par address ki har ek details likhi hui thi. Koi chaah kar bhi rahul aur saurabh ko chuna nahi laga sakta tha.

Kherr! Rahul aur saurabh dono hi ek society me pohuche, jaha par chauthi manzil pe unka flat tha, abhi unke paas koi bhi key nahi thi toh dono flat ke baahar khade hue the aur kisi ka wait kar rahe the,

Saurabh : tu sure hai na ki yahi ghar hai?

Rahul : haa!!

Saurabh : but yaar abhi tak koi aaya hi nahi.

Rahul : baat ho gayi hai meri, koi na koi aata hi hoga.

Tabhi kuch derr me ek vyakti aaya aur rahul ko flat ki key diya aur wapas chala gaya, andar se flat poora furnished tha, rahul aur saurabh dono fresh hue uske baad rahul naha ke ready ho gaya, kyuki yaha uska kaam tha 3 mahine tak khushi ko protect karna. Usse ye baat satae jaa rahi thi ki ye khushi kahi ziddi ladki na nikle, pata nahi kesi hogi? Kya nature hai uska? Maanegi bhi ya nahi?

Saurabh : bhai ab tu kaha chal diya?

Rahul : mein yaha nahi rahunga! Mujhe ek important kaam niptana hai, 3 mahine tak ussi me busy rahunga.

Saurabh : wtf? Abe toh mein yaha akela kya karunga?

Rahul : tu tension mat le, 3 mahine tu software development ke aur courses kar lena.

Saurabh : mein pehle hi do kar chuka hu, aur mere se aata hai software develop karna.

Rahul : haa par abhi aur advanced waale kar. Samjha? Ab mein chalta hu.

Saurabh : meri toh kuch samajh nahi aa raha yaar

Rahul : don't worry! Mujhe pata hai mein kya kar raha hu.

Wo waha se nikal ke ek aur bataye gaye adress par jaata hai toh saamne ek boht bada ghar tha.

Iss se pehle ki wo aage badh paata, ghar ke bahar khade security guard ne usse rok diya,
"Kis se milna hai aapko?"

"Ohh haa! Ek minute..", rahul ne apna phone nikaala aur wapas se wo address padha aur uss security guard ko dikhaaya.

Adress padhne ke baad security guard ne kuch ajeeb nigaaho se rahul ko neeche se upar tak dekha, rahul ek simple white t shirt aur jeans me tha aur kuch bhi nahi. Kahi se bhi wo koi aisa vyakti nahi lag raha tha jo iss bungalow ke maalik se koi relation rakhta ho.

"Yaha kis kaam se aaye ho?" Usne pucha.

"Ohh haa! Master chen ne mujhe bheja hai, ye ghar toh unhi ka hai na? Aap logo ko bataya nahi kya kisi ne?" Rahul ne kaha.

Security guard 1: master chen? Ye kon hai? Tum jaante ho kya?

Security guard 2 : naa bhai na! Isko bhagao ye faaltu time pass kar raha hai yaha.

Rahul : aap dono ka ho gaya ho toh mein andar jau?

Ussi bungalow me upar side, khidki ke paas ek vyakti baitha hua tha jo kuch soch raha tha,

Vyakti (mann me) : master ne kaha tha rahul naam ka ladka Mumbai aane waala hai. Ab tak aaya nahi?

Tabhi usne khidki se parda hata kar dekha to paaya neeche ek ladka security guards se behas kar raha hai aur wo forun neeche dekhne chala gaya.

Abhi yaha rahul aage badhne hi wala tha ki ek awaaz ne teeno ko rok diya,
"Kya chal raha hai yaha?"

Sabhi ne uski or dekha, jab vyakti ne rahul ko dekha toh usne forun puch liya,

Vyakti : rahul? Kya tum rahul ho?

Rahul : jii haa! Par aap kon?

Tabhi uss vyakti ko samajh me aa gaya aur usne aage badhkar rahul ka haath bade hi aadar ke saath milaaya,

Vyakti : Nice to meet you! Mein, rajneesh. Master ka secretary. Mein aapko lene station hi aane waala tha.

Rahul : arre iski koi zaroorat nahi, mein wese bhi mumbai ko acche se dekh raha tha, thoda ghoom hi liya.

Rajneesh : jii! Please follow me!

Rajneesh (security guards se) : aur tum dono! Kya bakwaas kar rahe the? Jaante bhi ho ye kaun hai?

Maalik ki daant sunn dono security guards chup hokar nazre neeche kar liye, andar aate aate rahul bungalow ki banawat ko dekh raha tha aur soch raha tha ki ek din uske paas bhi khud ka bada sa ghar hoega.

Baahar khade 2 security guards muh hi taakte reh gaye,

Security guard 1 : arre bhai ye toh sach me maalik ko jaanta hai

Security guard 2 : maalik khud se baahar aake haath milae uss se...

Rajneesh : aap yaha baithiye! Mein abhi aaya!

Rahul ko Rajneesh ke muh se 'aap' sunn bada hi atpata lag raha tha, kyuki Rajneesh umr me wese hi master se bhi bade lag rahe the. Rajneesh ki umr 50 toh hogi hi, ye anumaan rahul ne lagaya.

Thodi hi derr me Rajneesh tray me pani lekar aaya toh rahul ye dekh apni jagah se uth khada hua,

Rahul : arre ye...?

Rajneesh : jii paani pijiye!

Rahul : dekhiye sabse pehle aap mujhe "aap" kehna band kar dijiye. Mujhe accha nahi lagta ki koi mujhse bada mujhe aise bulae. Aur aapko mere liye ye sab pani laane ki koi zaroorat nahi hai.

Rajneesh : accha chaliye theek hai! Mein aapko mister rahul kehkar bulaunga. Rahi baat pani dene ki toh uska toh koi ilaaj nahi hai kyuki yahi toh mera kaam hai.

Rahul : kya matlab?

Rajneesh : matlab ye ki... Mera kaam yahi hai mister rahul. Miss Khushi ke liye unka poora khaana aur baaki saare ghar ke kaam mein hi karta hu.

Rahul : par aapne kaha ki aap secretary ho master ke?

Rajneesh : haa! Bilkul hu!

Rahul : par master ki secretary toh monica didi hai na?

Rajneesh : haa! Par ye kisne kaha aapko ki master ke paas sirf ek hi secretary hai?

Rahul : toh fir aap ye khaana banaana?

Rajneesh : jii! Ab mein wese hi 52 baras ka ho gaya mister rahul. Toh unhone mujhe miss khushi ke saath rakha hai. Unki dekh-bhaal ke liye. Warna pehle mein bhi monica miss ki tarah master ka business hi sambhaalta tha.

Rahul : ohh! Ab samajh aaya. Toh fir wo bahar security guards master chen ko kyu nahi jaante?

Rajneesh : wo isliye kyuki unhone kabhi master chen ko dekha hi nahi hai. Saara kaam yaha par mein sambhaalta hu. Aur isliye unhe lagta hai ki mein hi maalik hu.

Rahul : ohh! I see!

Rajneesh : mister rahul. Aap apna bag utaar dijiye aur khaana ready hai, mein laga deta hu.

Rahul : ohh! Toh mujhe yahi rukna hai na teen mahine?

Rajneesh : jii haa! Toh ab kuch zaroori baat kar lii jae mister rahul?

Rahul : zaroori baat? Well! Kahiye!

Rajneesh : toh aapki payment rahegi 50,000 rupae ek mahine ke hisaab se. Aur miss khushi par aap jo bhi kharch karenge wo bhi aapko diya jaega. I hope master ne toh aapko bata hi diya hoga?

Rahul : wait... kyaaaaaaaaaaaa??? Payment??

Rajneesh : haa! Payment! Aap miss khushi ko protect karenge, toh aapko pay toh karna hi padega na? Bina payment ke kon bodyguard kaam Karta hai?

Rahul (mann me) : oooo bhaisahab!!! Ye sab kya chal raha hai? Kahi master ne jaan bujh ke toh nahi payment rakhi? Meri business me help karne ke liye? Yadi aisa hai toh thank you master!

Rajneesh : well! Mein aapko ye bataana chaahta hu ki kal se aap miss khushi ke saath unke college jaenge aur unki class me hi rahenge. Aap unka khayaal rakhenge aur unki zaroorato ka khayaal bhi rakhenge. Well, saral bhaasha me kahe toh aap unke partner rahenge. Master chaahte hai ki koi unki beti ke saath ghul mil sake, unke din aur bhi khush-haal kar sake. Wo yakeen karte hai ki aap aur miss khushi ek dusre se kayi saare vishayo par baat cheet kar sakte ho.

Ek...ek minute!! Ladki ka khayaal rakhna? Uski zaroorato ka? Baat cheet? Partner? Toh fir pariksha ka kya? Master ne toh kaha tha ki ye sab ek pariksha ki tarah hi lo. Fir ye sab kya hai? Rahul ko ye sab kisi shaadi ki tarah lagne laga tha.

Rahul : ohhhh! J...jii!

Rajneesh (smiles) : miss khushi thodi gusse waali zaroor hai, par wo ek boht hi pyaari ladki hai. Mujhe poora yakeen hai ki aap aur miss ek dusre ke saath boht jald ghul mil jaenge.

Rahul : j..ji mein koshish karunga haha..!

Rajneesh : miss khushi ka college bhi almost chhutne wala hoga, aap chaliye mere saath, aap college bhi dekh lena.

Rahul : uhm!! Okay!

Thodi derr baad ek jaguar me rahul aur rajneesh dono baithe hue college ki or jaa rahe the. Aur idhar rahul window se baahar mumbai ki badi badi buildings ko dekh soch vichaar me pada hua tha. Usse apni maa nisha aur baaki sabhi gharwaalo ki yaad aa rahi thi. Usse abhi boht aage jaana tha. Uska maqsad sirf yaha aake hi khatam nahi hota. Gehri saas lekar usne inn khayalo ko dur kiya aur mumbai ki khubsoorti dekhne me vyast ho gaya.

Thodi hi derr me college bhi aa gaya. College ka naam xxxxx medical college tha aur ye Mumbai ka top medical Colleges me se ek hai. Parking toh ek se badhkar ek cars se bhari hui thi, mercedes se lekar BMW tak, Audi se leke Porsche tak. Waqai! Ek bade sheher ki baat hi alag hoti hai. Rahul dekh raha tha ki ye sab cars yaha ke logo ke liye kitni normal hai aur jis hisaab se cars customised thi, rahul samajh gaya tha ki ye kisi company ki cars nahi hai, sabki apni private car hai. Paisa! Paisa ho toh kya kuch nahi ho sakta?

Rahul aage ki seat par Rajneesh ke bagal se baitha hua tha jo driver seat par the. Rahul sab kuch andar car ke sheeshe se hi dekh raha tha.

Rajneesh : wese!? Aap drive karte ho kya car mister rahul?

Rahul : umm! Haa! Kabhi kabhi!

Rajneesh : aapke paas license hai?

Rahul : haa!

Rajneesh : chaliye! Ye badi hi acchi baat hai!

Tabhi ek jaani pehchaani ghanti ki awaaz aayi matlab ki aakhiri lecture samaapt hua aur kuch hi derr baad students nikal kar aane lage.

Kuch students group bana kar nikal rahe the, hassi mazaak karte hue. Rahul ko ye sab dekh apne college ke din yaad aa gaye. Jab wo shrishti aur richa aise hi saath me college ki chutti hone ke baad nikla karte the. Uske chehre par apne aap muskaan aa gayi aur richa ka chehra uske mann me aa gaya.

"Wo rahi miss", bagal me baithe rajneesh ne ungli dikhaate hue students ke aa rahe jhund ki or point kiya jiss se rahul ka dhyaan bhang hua aur usne ungli ke direction ka peecha karte hue dekha toh paaya ki...
.
.
.
.
.
.
.
.

Aaj ke liye itna hi guys!

Toh usne paya ki aaj ka update khatam hua ab readers ko wait karna padega paglon ki tarah taki writer bhaisaab thodi meherbani Karen and new update jaldi se jaldi dal de. Taki hum bor naa hoon. Mast update tha bahut hi badhiya
 
Tiger

New Member
26
80
13
Mast lajawab sandar update tha.. and Rahul Neha se kya kaha iska to pata hi nahi chala.. and dekhte hai Khushi ki kaise behave karti hai Rahul ke sath.. well SAB interesting chal Raha hai... Bass Mai itna kahunga thoda jaldi update dene ki koshish kijiye... and Keep it rocking...❤️❤️❣️
 
Top