• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance ajanabi hamasafar -rishton ka gathabandhan

Lib am

Well-Known Member
3,257
11,242
143
Update - 19

raghu ke baar baar kahne par bhi kamla gusse ko shaant nahi kar pa rahi thi. uska gussa pal pratipal badhata ja raha tha. uski aankhe laal aur laal hoti jaa rahi thi. khubsurat bedag chehra aor jyada tamtamata ja raha tha. raghu pahli baar kisi ko itni gusse mein dekh raha tha. jo pal pratipal uske hrday gati badhata ja raha tha. kya kare kya na kare kuchh samajh nahi aa raha tha. ab to dar bhi lagne laga kahi gusse mein kamla khud ko nuksan na paucha baithe ye baat dimag mein aate hi raghu bola... kamla shant ho jao itna gussa karna sahi nahin hain.

kamla… kaise shant ho jaoo apke karan dono bhag gaye. aap kahi se bhi un dono ko dhundh kar lao jab tak mai unhe man bhar kar kut na lu mera gussa shant hone wali nahi hain.

raghu….vo to bhag gaye ab kaha se laun, suno jyada gussa karna thik nahi hai isliye shant ho jao.

kamla.. mai nahi janti aap kahin se bhi pakad kar lao lekin lao.

raghu... ye kiya baccho jaisi zid hai. tum mere sath chalo.

raghu hath pakad kamla ko car🚘 ki or le jane laga kamla jana to nahi chahti thi lekin raghu jabardasti khich kar le jane laga. jate hue kamla boli… apko zid lag raha hai. un ladko ne mere sath jo kiya vaisa hi apke sath karte to aap bhi unhe marne ki zid karte.

raghu…kya kiya tha un ladko ne jo aap gusse mein unhe is tarah peet rahin thi. apko itna gussa aaya ki aap shant hone ka naam nahi le rahi ho.

kamla... kya kiya? un dono ne apki hone wali bibi ko gandi gandi bate kahin, bina mere marji ke mere jism ko chhua. aap hi bataiye aise mein kisko gussa na aaye.

kamla ki bate sunkar raghu ko bhi gussa aane laga lekin ab gussa karke koi fayda nahi ladke to bhag gaye. isliye raghu gusse ko kabu mein rakhte huye man mein bola…. sale haramiyo meri hone wali bibi ko chhedne aur chhune ki tumhari himmat kaise huyi. abhi samne hote to goli maar deta.

dono car ke paas pahunch gaye the. raghu kamla ko car mein baithne ko kah rah tha lekin kamla baith hi nahi rahi thi. baar baar baithne ko khane par bhi jab kamla nahi baithi to raghu ne kah... kamla kya hua car me kyu nahi baith rahi ho. chalo car mein baitho ghar chalte hai.

kamla bina sune thoda aage bad gayi. Waha patthar pada hua tha. patthar uthaya aur de mara car ke pichhe lagi shishe par phir ghumkar samne aayi aur samne ke shishe par bhi patthar de mara, patthar padte hi shisha tut kar bikhar gaya. shisha tutte hi raghu sar pakad kar baith gaya phir bola…. kamla ye kiya tha?

raghu jis tarah baitha tha use dekhkar lag raha tha sut but mein koi bikhari road par baitha hain. isliye kamla gussa bhul khil khila kar has diya. kamla ko hanste dekh raghu bola…kya ladki hain abhi abhi gusse mein tilmila rahi thi ab dekho kaise hans rahi hai. koi kah nahi sakta abhi abhi gusse mein thi.

kamla... mera gussa aise hi shant hoti hain jab tak tod phod na kar lu mera gussa shant hi nahi hoti.

raghu hath par sar marte huye bola... he ma kya ladki hai. pahle mil nahi rahi thi ab mili hai wo bhi gusse aur todu phodu wali.

kamla... kya bola phir se boliye jara, thik se sun nahi payi.

raghu haklate huye.. kaha kuchh bola, maine to kuchh kaha hi nahi.

kamla.. nahi apne abhi kuchh to bola, jara phir se boliye sunu to, aap tarifh kar rahen the ya burai.

raghu uth kar car ka darwaza kholte hue bola.. chhodo un bato ko chalo kahin chalte hai mujhe tumse kuchh bate karna hai.

kamla... jayenge kaise car ke andar kanch bikhre pade hain.

raghu... main abhi saaf kar deta hu.

kamla... aap ko chot lag jayegi hato aap, main saaf karti hu.

raghu... mujhe chot lag jayega to kiya apko nahi lagega. aap hato saaf mai karta hoon.

dono me mai mai ki jang chhid gaya tha. raghu kahe mai saaf karunga kamla kahe main saaf karungi. dono mei se koi manne ko taiyar nahi ho rahe the. ant mein faisla ye liya gaya dono milkar kanch saaf karenge phir dono ne savdhani se kanch saaf kiya aur chal diya.

inko jane dete hain ham chalte hai kalu aur bablu ke paas wo dono kaha gaye. bablu jab bhaga tha. tab wo bahut dara huya tha. girte padte ek khali jagah ja kar baith gaya. uske naak se ab bhi khoon bah raha tha. behte khoon ko pochha phir gaal ko sahlate huye bola…aaaa kitna mara hai? nadan balak ko koi itna marta hai. khukhar dayan kahi ki.

kameez utarkar chek kar raha tha uske badan mein jaha jaha chappal pada tha waha waha laal laal nishan pad gaya tha. un nishano par hath rakhte hi ahaaa ahaaa kar bablu cheekh pada phir bola… aaiiii maa ledy don ne kitna mara hai pure body ka naksha hi badal diya.

kuchh der bad kalu bhi girte padte waha pahunch gaya. bablu ko nang dhadarng baitha dekh bola... kaisa dost hai tu mujhe akele mar khate hue chhod aaya bhala ho us bhale manush ka jisne kamla ko rok liya nahin to aaj kamla jaan lene ka pura vichar bana chuki thi.

bablu...aiiii maaa aa gaya tu, kamla jis tarah maar rahi thi maine to socha tha aaj tu pairo par nahi char kandho par chal kar aaega.

bablu ke paas jakar do rakh kar diya phir bola... sale tu to chahta yahi hai mai maar jaun aur tu akele akele kamla ke sath maza mare.

bablu...tu aisa soch bhi kaise sakta hai. tu apna langotiya yaar hai kamla ke sath jo bhi karenge sath mei karenge. Waise yaar uske komal komal badan ko chhukar maza aa gaya.

kalu... yaad mat dila pura body jhanjhana raha hain aahaaa maja aa gaya lekin saja bhi to mila.

bablu... saja mila to kiya hua uske body ko chhune ka ahsaas bhi to nirala tha aahaaa…

tabhi waha ek shakhs aa tapka unhe dekh kar bola…. are mere bina puchh ke languron kaha munh mar kar aa rahe ho. jisse tumhare huliya ka naksha bigda hua hain.

dono.. tu kaun hai ve ?

shakhs…. mai kaun hu ye janna jaruri nahi hai ye batao tum dono ka huliya kisne bigad diya.

bablu... puchh mat yaar puri ki puri tikhi mirchi hai. hath lagao to hath jale munh lagao to munh jale lekin hai badi kamal ki ladki uski jaisi aas paas ke kayi ilakon mein koi nahi hai.

kalu... ha yaar usko dekhte hi tan badan mein jwala hilore marne lagta hai. ang ang mein angare jalne lagta hai.

shakhs…. kahi tum Banerjee sahab ki ladki kamla ki baat to nahi kar rahe ho.

dono... ha yaar wo hi to ek ladki kamal ki hai. lekin kamal ke sath dhamal wali bhi hain kiya chappal bajati hain dhage khol deti hai.

shakhs… ha hai to kamal ki lekin suna hai uski shadi fix ho gayi hai.

dono…. nahi yaar aisa nahi ho sakta nahi to ham dono bhari jawani mein vidhva ho jayenge.

shakhs... vidhva! tum dono vidhva kaise ho sakte ho. Vidhva to shadi ke baad pati ke marne par ladkiya hoti hai.

dono…. sale tu hame gyaan de raha hai ruk tujhe abhi batata hu

dono jakar shakhs par tut pada. bas aiii maa uiiii maa ki aavaze aa raha tha. dono abhi abhi kamla se jitna peet kar aaya tha uski bhadash anjan shakhs par nikal diya. itna mara kapde phat gaya aankhe sujh gayi shayad ek aadh haddi bhi toot gaya. maar maar kar jab dono thak gaye tab chhod diya. shakhs uthkar jane laga to dono ne pichhe se ek ek laat aor maar diya phir wah shakhs ade tirchhe lehrate huye chale gaye phir bablu bola…. are yaar kamla ki shadi ho gayi to hamara kiya hoga.

kalu…. aisa nahi hone de sakte kuchh to karna padega.

bablu…. ha yaar kuchh to karna padega nahin to hamare life ki sukh chain chhin jayega. Mohalle ki raunak chali jayegi har taraf andhera hi andhera ho jayega.

kalu... ha yaar kah to sahi raha hai lekin ek baat samajh nahi aaya hamne abhi abhi pita kise tha use to kabhi dekha nahi na hi hamare Mohalle ka hai, na hi aas paas ke ilake ka hai.

bablu... jo bhi ho maza bahut aaya dil ko bahut tasali mila.

kalu... ha yaar chal ab ghar chalte hain.

bablu…. ghar nahi pahle doctor ke paas chalte hai aisi hal mein ghar gaye to aor jyada kutai hogi.

dono apna apna ilaj karane doctor ke paas chal diya. idhar kamla ko sath lekar raghu ek coffee shop mei gaya tha jaha baith kar dono ne ek dusre ko aor kareeb se jaan gaye the. kuchh pal sath bitakar dono ek dusare ke aor kareeb aa gaye the. dono ne ek dusare se bahut si bate share kiya, jo kuchh khaas log hi jante the. ant mein dono bahar nikle phir kamla ko ghar chhod raghu ghar ko chal diya. raghu kuchh jyada hi khush najar aa raha tha. hota bhi kyon na ek gussail aur khubsurat ladki ko humsafar banane chala tha. Baton ke dauran jana kamla kitni suljhi huyi ladki hai. raghu ko laga usne bache huye jeevan ki Safar ko tay karne ke liye jise apna Humsafar chuna wo uske liye , perfect hai. bas thodi gusse wali hai. gussa bhi tab karati hai jab gussa dilane wali koi kaam kiya jaye. khair raghu jab ghar pahuncha tab surbhi aur pushpa kahi jane ke liye nikali thi. Car ka shisha tuta hua dekh kar raghu ke paas aaya phir surbhi boli…. raghu car ka shisha kaise tuta dikha tujhe kahi chot to nahi laga.

pushp... bhaiya aap car theek se chala nehi pate ho to chalte kyu ho. dikhao aap ko kahi chot to nahi laga.

dono raghu ko ghuma ghuma kar dekhne lage lekin unhe kahi bhi chot ke nishaan ya khoon ka dhabba nahi dikha. tab surbhi boli…chot ke nishaan to kahi dikh nahi raha tujhe kahi dard to nahi ho raha.

pushpa….lagta hai bhiaya ko andruni chot laga hai. chalo bhaiya doctor ke paas chalte hai.

surbhi... ha beta chal doctor ke paas chalte hai. pushpa ja dusari car ki chaabi lekar aa. na jaane tere papa kaha chale gaye jab dekho yaha waha ghumte rahenge.

pushpa chaabi lene andar jane lagi tabhi raghu bola…pushpa kahi jane ki jarurat nahi hai. mai theek hu mujhe kahi chot nahi laga hain.

surbhi... ja beta tu lekar aa ye hamse chhupane ke liye jhooth bol raha hain. raghu tu jhooth kab se bolne laga.

raghu... ma mujhe kahi chot nahi laga na hi main jhooth bol raha hu. aap andar chalo phir batata hoon.

raghu unhen andar jane ko kah raha tha lekin surbhi aur pushpa doctor ke paas jane ki zid karne laga. tab raghu bola…. ma car ka shisha accident se nahi apke hone wali bahu ke patthar marne se tuta hai.

dono...kyaaa?

raghu... ha ab andar chalo phir batata hoon.

raghu dono ko andar lekar gaya tab pushpa boli... bhaiya bhabhi se milne pahle din gaye aor unhen gussa dila diya, itna gussa dilaya kee bhabhi ne car ka shisha tod diya. suno bhaiya saaf saaf kah deti hu agar bhabhi ne rishta toda to apki khair nahi.

surbhi…is ladke ka mai kiya karu akal se paidal na janen kiya kar aaya. sun raghu ye rishta tuta to ham koi dusari ladki nahi dhundhenge. Tu khud hi dhundhkar layega,kah deti hoon.

raghu…aap dono bhi na pahle sun to lo hua kiya tha. main jab kamla se milne ja raha tha. tab mujhe raste mein kamla gusse mein ek ladke ko gira gira ke chappal se pit rahi thee…. iske baad kya kya hua raghu ne sab bata diya.

aaj ke liya itna hi aage ki kahani next update se janenge. yaha tak sath bane rahne ke liye aap sabhi pathako ko bahut bahut dhanyavaad 🙏🙏🙏🙏
Mast update, sahi ladki mili hai raghu ko. Ye hi raavan & sons ki khaat khadi karegi.
 
Destiny

Will Change With Time
Prime
3,965
10,660
144
Ye dalal bhi sari gupt property hadap na chahata he iss lite usko beta chahiye tha wo apni plan ravan ko bataya nehni
Sanket aur Bhairava milke apyasu ku kaam tamam karna chahate hain uski ghinona kam khatam karna chahate hain.
Raghu apni maa,behen aur pitaji k sath thodi khushi ka muhurat bitaya.kamala ek dam tikhi mirchi aur Raghu ice .kese sath nivayenge ye donno.
Fantastic update bro.
Thank you🙏🙏🙏
Dalal ka maksad sirf gupt property hadpna hi nehi kuch aor hain.
 
Destiny

Will Change With Time
Prime
3,965
10,660
144
Kamala ko samajhna muskil nehni namunkin he kab kya karti he pagli he.kamla k shaddi baat sunke kalu dukhi he kuch gadbad naa karde.
Raghu ko kamla jesi ladki chahiye thi .amazing update.
Thank you🙏🙏🙏🙏
Sirf kamla hi nehi ladkiyo ko samjhna bahut hi muskil hain uska jita jagta udharan kamla hain. Kalu aur bablu babal to karne aur kis andaj me karenge vo hoga bada mazedar.
 
Destiny

Will Change With Time
Prime
3,965
10,660
144
Update - 20

रघु एक एक किस्सा मुस्कुराते हुए मजे ले लेकर सुना रहा था। जैसे जैसे रघु सुनता जा रहा था। वैसे वैसे मां और बहन के हाव भाव बदलने लग गया। दोनों के चहरे पर गुस्से की लकीरें साफ दिखाई देने लग गया। रघु के चुप होते ही पुष्पा बरस पड़ी…भाभी ने सही किया, कार के शीशा तोड़ने के जगह आप'का सिर फोड़ देता तो अच्छा होता। उन लड़कों को पीटने के जगह आप भाभी को रोक रहे थे।

सुरभि...रघु उन लड़कों ने बहु को छेड़ा ओर तू उन्हें पीटने के जगह बहु को रोक रहा था। बिना दांए बांए देखे तुझे उन लड़कों को पीटना चाहिए था फिर पुलिस के हवाले कर देना चाहिए था।

रघु...मां मुझे थोड़ी पता था उन लड़कों ने कमला को छेड़ा था। मै तो बस…..

सुरभि…कैसे नहीं पता जब बहु उन लड़कों को गिरा गिरा के पीट रहीं थी, देखकर ही तुझे समझ जानना चाहिए था उन लड़कों ने कुछ ऐसा वैसा किया होगा तभी बहु उन्हे पीट रही थीं।

पुष्पा…भईया कोई भी लड़की ऐसा तब करती हैं जब बात हद से ज्यादा बड़ जाए। आम तौर पर लड़कियां एक हद तक ऐसे लड़कों को ज्यादा तुल नहीं देती हैं लेकिन जब हद पार हो जाए तब ही लड़कियां ऐसा करती हैं। आप'ने क्या किया उन लड़कों को भाग जाने दिया मैं होती तो भाभी के साथ मिलकर पहले पीटती फिर पूछती हुए किया था।

सुरभि…तू इतना समझदार होते हुए भी इतनी बड़ी नादानी कैसे कर आया। बहु उन लड़कों को पीट रहीं थी ओर तू रोक रहा था। कल को कोई लड़का ऐसे ही मुझे या तेरी बहन को छेड़ेगा, हमारे पीटने पर तू भी हमे रोकेगा।

रघु…रोकूंगा नहीं मैं उन लड़कों को गोली मार दूंगा।

सुरभि...अच्छा तो फिर उन लड़कों को क्यों भागने दिया? भले ही कमला से तेरा शादी नहीं हुआ हैं। आज नहीं तो कल वो भी हमारे परिवार की एक सदस्य बनने वाली हैं। तुझे ऐसा नहीं करना चाहिए था।

रघु…मां हों गई गलती अब माफ भी कर दो मेरी अच्छी मां।

सुरभि...सही हैं गलती करो और माफी मांग लो है न।

सुरभि और पुष्पा मुंह फेर कर बैठ गई। रघु उठकर पुष्पा के पास गया पुष्पा के चेहरे को अपनी ओर घुमाया फिर हाथ जोड़कर बोला.. मेरी प्यारी बहन गुस्सा थूक कर माफ कर दे।

पुष्पा...हटो आप मुझे आप'से बात नही करना हैं न ही माफ करना हैं।

पुष्पा के बदले तेवर ने रघु को सोचने पर मजबूर कर दिया उससे बहुत बड़ी गलती हों गया। अब उसे कैसे भी करके दोनों को मनाना हैं। लेकिन पुष्पा ने न मानने का मन बना लिया। इसलिए रघु पहले मां को मानने का सोचा फिर सुरभि के पास जा'कर नीचे बैठ गया ओर हाथ जोड़कर बोला…मां हो गईं गलती माफ भी कर दो न वादा करता हू आगे फिर कभी ऐसा गलती नहीं करूंगा।

सुरभि...अपना वादा अपने पास रख तुझे कोई माफी नहीं मिलने वाला आने दे तेरे बाप को उन्हे सब बताऊंगी फिर उनसे ही माफी मांगते रहना ।

रघु…मां पापा को कुछ भी मत बताना बहुत डाटेंगे।

सुरभि...क्यों न बताऊं मैं तो बताऊंगी डांट पड़ेगी तभी तुझे अकाल आएगा।

इनके माफीनामा का स्वांग चाल ही रहा था। उसी वक्त राजेंद्र घर पधारे अंदर एंट्री करते ही पहला दृश्य उन्हे दिखा रघु घुटनों के बल हाथ जोड़े बैठा था।पुष्पा मुंह फुलाए बैठी थी ओर सुरभि डांटने के अंदाज में रघु को कुछ कह रही थीं। जो भी सुरभि ने कहा राजेंद्र ने सुन लिया फिर बोला…सुरभि क्या बताने वाली हों बताओ मै सुनने आ गया। रघु तू घुटनों पर क्यों बैठा हैं। तुझे सोफे पर जगह नहीं दिखा, जा जा'कर सोफे पर बैठ जा।

रघु उठने लगा तभी सुरभि बोली...तू कहा जा रहा हैं। जैसे बैठा है वैसे ही बैठा रह। आप इधर तो आयो फिर सुनती हूं इस नादान की नादानियां।

मां की डांट पड़ते ही रघु जैसे था वैसे ही दुबारा बैठ गया ओर सिर को झुका लिया। जरा सी भी साहस रघु जुटा नही पा रहा था कि सिर उठाकर देखे ओर नजरे मिलाकर पिता से या मां से बात कर सकें। राजेंद्र समझ गया माजरा कुछ संगीन हैं तभी तो सुरभि इतनी गुस्से में हैं। इसलिए जल्दी से सुरभि के पास जा'कर बैठ गया फ़िर बोल...बात किया हैं तुम आज इतने गुस्से में क्यों हों। जहां तक मुझे पता हैं तुम रघु पर कभी भी गुस्सा नहीं करते हों।

सुरभि…गुस्सा न होऊं तो ओर किया करू इसने कारनामे ही ऐसा किया हैं। आप सुनेंगे तो आप को भी गुस्सा आ जायेगा।

राजेंद्र…ऐसा क्या किया? जो तुम इतने गुस्से में हों। तुम ही तो कहती रहती हो रघु कुछ गलत नही कर सकता फिर आज क्या किया जो तुम आगबबूला हों गई हों।

सुरभि…रघु अपने कारनामे अपने मुंह से सुना तेरा बाप भी तो सुने तू आज किया गुल खिला आया।

रघु अजीब सी धर्मसंकट में फस गया करे तो करे क्या? उसकी छोटी सी भुल इतना तुल पकड़ लेगा उसे इल्म ना था। सोचा था किसी तरह मां और बहन को मना लेगा ओर बात आई गई हो जायेगा लेकिन अब तो मुद्दा High court तक पहुंच गया। High court का जज उसका बाप था जो उसे काला पानी की सजा भी दे सकता हैं। रघु को पश्तवा होने लगा वो उस वक्त वहां पहुंचा ही क्यों था। पहुंचा तो पहुंचा लड़के को पीटा क्यों नहीं, नहीं पीटना था न सही कमला को रोका क्यों, कमला को रोकना ही नहीं चाहिए था।

जो वो कर रहीं थीं उसे करने देना चाहिए था। रघु के दिमाग में ये बात भी चलने लग गया। टूटा हुआ शीशे के साथ कार को घर नहीं लाना चाहिए था। कार को किसी मैकेनिक के पास छोड़कर आता ओर कार खराब हों गई हैं घर पर झूठ बोल देता या बोल देता छोटा सा accident हों गया था। कार में कुछ खराबी आ जाने के कारण रिपेयर करने दे आया हूं। नाना प्रकार की बाते उसके दिमाग में चलने लग गया। बाप के आगे उसके जुबान को ताला लग जाता था। जितना जरूरी होता था उतना ही बोला करता था। लेकिन इस वक्त माजरा कुछ ओर हैं। उसे अपनी गलती बताना हैं। जिसे कभी नहीं बताने वाला इसलिए रघु चुप चाप सिर झुकाए बैठा रहा। रघु के न बोलने पर सुरभि बोली...रघु किया हुआ तुझे कुछ बोला गया था। तूने ठीक से सुना नहीं या न सुनने का ढोंग कर रहा हैं।

राजेंद्र...अहा सुरभि रघु नहीं बोल रहा हैं तो तुम ही बोल दो उसका जुबान वैसे भी मेरे सामने लड़खड़ा जाता हैं।

सुरभि…जुबान लड़खड़ाए या कुछ भी हो, बोलना तो उसे ही हैं। रघु जल्दी बता तू क्या कर आया मुझे और गुस्सा न दिला।

चल रही बातो से राजेंद्र इतना तो समझ गया रघु बड़ा कुछ संगीन कर आया था। जिससे सुरभि इतने गुस्से में हैं। इतने गुस्से में उसने कभी सुरभि को नहीं देखा, देखा भी होगा लेकिन रघु के प्रति कभी नहीं, उसके लिया यहां जानना जरूरी हो गया रघु कर किया आया। उसने अगर दहाड़ कर या डांट कर पूछना चाहा तो रघु मरना पसंद करेगा लेकिन खुद से कभी नहीं बताएगा। इसलिये रघु के पास गया। उसे उठाया फिर आप'ने पास बैठाकर प्यार से पूछा…रघु बेटा बताओ ऐसा किया हुआ जो तुम्हारी मां इतने गुस्से में हैं। बता दो मै तुम'पे गुस्सा नहीं करुंगा।

पहली बार में रघु कुछ नहीं बोला राजेंद्र ने एक बार ओर पूछा फ़िर भी रघु ने कुछ नहीं बोला तीसरी बार पुछने पर रघु को कोई ओर चारा न दिखा इसलिए बताना ही बेहतर समझा फिर एक एक क़िस्सा जैसे जैसे घटा था वैसे वैसे सुना दिया। सुनते ही राजेंद्र को भी गुस्सा आया। लेकिन उसने सोचा इससे पहले जब भी वो रघु की गलती पर गुस्सा हो'कर रघु को डांटा, तब सुरभि रघु के पक्ष में रह कर रघु को समझा बुझा कर दिलासा दिया करता था। लेकिन आज का माजरा दूसरा हैं। सुरभी पहले से ही बहुत गुस्से में थी। इसलिए उसका गुस्सा करना ठीक नहीं हैं। जवान बेटा हैं कही ऊंच नीच कुछ कर बैठ तो क्या होगा। ऐसे ही अनेकों विचार करने के बाद नर्म लहजे और समझाने के अंदाज में बोला...रघु बेटा गलती तो तुम'से हुआ हैं। मन तो कर रहा हैं तुम्हे कस के एक चाटा मारू लेकिन मार नही सकता। कहते है बेटा जब कंधे को छूने लग जाए तब उससे दोस्ताना व्यवहार करना चाहिए एक दोस्त की तरह उसे समझाना चाहिए। आज तुम'से जो हुआ हैं वो कोई साधारण बात नहीं हैं। एक लड़के के लिए साधारण बात हो सकता है लेकिन एक लड़की के लिए बहुत बड़ी बात हैं। राह चलते लड़के उसे परेशान करे उसे छेड़े उस पर छिटकसी करे इतना करे की उसे मजबूर हो'कर पीटना पड़े इससे दुर्भाग्य की बात और किया हो सकता हैं। तुम्हे जब दिखा कमला बेटी किसी लड़के को बहुत बुरी तरह पीट रही थी तो तुम्हे समझ जाना चाहिए था लड़के ने जरूर संगीन कुछ किया होगा तभी उसे इतनी बुरी तरह पीटा जा रहा था। तुम्हें उस पर हाथ नहीं उठाना था न सही तुम पुलिस को बुला लेते या फिर कमला बेटी को न रोककर जो वो कर रही थीं करने देते।

बिना दहड़े बिना चीखे चिलाए प्यार से बात करते देख सुरभि खुद से बोली...आज तो इनका एक अलग ही रूप देखने को मिल रहा हैं। रघु की छोटी सी गलती या बिना किसी गलती के इतनी ऊंची आवाज़ में बात करते थे कि रघु थार थार कांपने लग जाता था ओर आज देखो कैसे समझा रहे हैं। Oooo समझा आज मैं गुस्से में हूं तो मेरी जगह इन्होंने ले ली वाहा जी वाहा!

सोचकर ही सुरभी मंद मंद मुस्कुरा दिया। रघु भी अचम्बे में था जहां मां इतने गुस्से में थी वही बाप प्यार से बात कर रहा हैं । ये तो चमत्कार हों गया। इतने प्यार से बोलने पर रघु को थोडा बल मिला और धीरे से बोला…पापा माफ कर दो आगे से ऐसा नहीं होगा।

रघु इतना धीरे बोला पास बैठा बाप भी ठीक से सुन नहीं पाया इसलिए राजेंद्र बोला….क्या बोला तोड़ा तेज बोल मैं सुन नहीं पाया।

रघु हकलाते हुए बोला…. व व व वो पा पा पा पापा मा मा मा माफ कर दो आगे से ऐसा नहीं होगा।

राजेंद्र...माफ़ी मांगने में भी इतना डर रहे हों चलो माफ किए। लेकिन एक बात हमेशा ध्यान रखना लड़की आपने परिवार की हो या दूसरे परिवार की उसकी अपनी मान सम्मान होता हैं इसलिए कभी कुछ भी ऐसा न करना जिससे उसके मन सम्मान में तुम्हारे करण दाग लगे और कभी ऐसा नजारा देखने को मिले और समझ न आए तुम्हें करना किया चाहिए तो तब तक बीच में न घुसो जब तक मजरा समझ न आए। जब माजरा समझ आ जाएं तब बेधड़क घुस जाओ और खुद भी हाथ के मैल साफ कर लो।

रघु…जी पाप।

राजेंद्र..जी पापा के बच्चे हमारे होने वाली बहु को मनाया की नहीं बहुत गुस्से में थी कार का शीशा भी तोड़ दिया। कही रिश्ता तोड़ दिया तो क्या होगा। न जाने कितने रिश्ते टूटे तब जा'कर बड़ी मुस्किल से ये रिश्ता जुड़ा हैं टूट गया न तो शादी करने के सपने देखना छोड़ देना।

राजेंद्र जी ने पाल भर में गंभीर माहोल में परिवर्तन ला दिया। रघु जो अभी तक सहमा सहमा सा था मुस्कुरा दिया। सुरभी और पुष्पा भी मुस्कुरा दिये फिर सुरभि बोली…पुष्पा जा बहु से बात कर देख वो ज्यादा गुस्से में तो नहीं हैं। पता चला घर जा'कर मां बाप को बोल दिया मुझे इस डरपोक लड़के से शादी नही करनी है।

पुष्पा मुस्कुराते हुए चली गई फिर रघु बोल...मां मैं डरपोक नहीं हूं और न ही कमला नाराज है इस घटना के बाद हम दोनों ने बहुत देर तक बाते किया उस वक्त कमला ने ऐसा कुछ भी नहीं कह।

राजेंद्र…नाराज नही है ये तो बहुत अच्छी खबर हैं नहीं तो हमें दूसरी लड़की ढूंढना पड़ता। जिसे हम ढूंढते न जाने वो कैसी होती कमला जैसी समझदार होती भी की नहीं।

सुरभि…समझदार तो हैं लेकिन बहुत गुस्से वाली हैं। शादी के बाद संभालकर रहना कही गुस्से में तुझे ही न लपेट ले।

दोनों कुछ वक्त तक रघु के साथ मस्करी करते रहें। फिर रघु रूम में चला गया। पुष्प ने आ'कर बता दिया कमला नाराज नहीं हैं। जो दोनो को पहले ही रघु ने बता दिया था। इधर डिंपल अनुराग को कुछ जरुरी बात करने की बात कहकर एक कॉफी शॉप पर बुलाया। अनुराग समय से पहूंच गया पर डिंपल अभी तक नहीं पहुंचा था। कुछ वक्त अनुराग को wait करना पड़ा फ़िर डिंपल आ गईं। डिंपल के आते ही अनुराग ने कॉफ़ी का ऑर्डर दिया। कुछ क्षण बाद वेटर कॉफी दे गया। कॉफ़ी की सिप लेते हुए अनुराग बोला…बोलों भाभी इतना क्या जरूरी बात करना था जो मिलने बुला लिया।

डिंपल...अनुराग तुम मुझे मजाक मजाक में भाभी बोलते हो आगर ऐसा हों जाएं कि मैं तुम्हारा परमानेंट भाभी बन जाऊ तो तुम्हें कैसा लगेगा। जबकि तुम मेरे बारे मे बहुत कुछ जानते हों।

अनुराग...ummm थोड़ा अजीब तो लगेगा लेकिन मैनेज कर लुंगा क्योंकि बहुत से लड़कियों का शादी से पहले कई अफेयर होता हैं लेकिन शादी के बाद बीती जिंदगी भुलाकर नए सिरे से शुरू करती हैं। तो इसमें कोई बड़ी बात नहीं है। क्या तुम अपश्यु से शादी करना चाहती हों?

डिंपल...मैं समझ नहीं पा रही हूं क्या करूं या क्या कहूं? तुम्हारे कहने पर मैंने अपश्यु का प्रपोजल एक्सेप्ट कर लिया। पर अपश्यु एक बूरा लड़का हैं। जानते हुए भी मेरी फीलिंग उसके लिए बदलता जा रहा हैं। I think मुझे अपश्यु से प्यार होने लग गया हैं।

अनुराग...तुम्हें एक बात बता दूं अपश्यु हमेशा से बूरा नहीं था मैं बचपन से उसके साथ रहा हूं। बस पिछले कुछ वर्षो से उसमें बदलाव आना शुरु हुआ हैं। शायद बुरी संगत के करण रस्ता भटक गया होगा। इसलिए तो मैं उसे सही रस्ते पर लाने की कोशिश कर रहा हूं।

डिंपल...क्या तुम सच कह रहे हों?

अनुराग...हां सच कह रहा हूं। पर कोई भी स्टेप लेने से पहले मैं चाहूंगा की तुम अपश्यु के मान की बातों को जान लो कहीं ऐसा ना हों तुम उसके प्यार में पड़ जाओ ओर तुम्हारे साथ अपश्यु सिर्फ और सिर्फ टाईम पास करना चाहता हूं।

डिंपल...तुम उसकी चिंता ना करों पहले मैं अपश्यु के मान की बातों को जानूंगा फ़िर मेरा फीलिंग उसे बताऊंगा। वैसे मैं कुछ कुछ तो जान गई हूं। अपश्यु के मन में मेरे लिया कैसा फीलिंग हैं।

अनुराग...क्या जाना मुझे नहीं बताओगे भाभी जी!

डिंपल...अभी नहीं बाद में बताऊंगा बस तुम दुआ मांगना। हम जिस काम में लगे हैं वो सफल हों और मेरे प्रति अपश्यु की फीलिंग पुरी तरह बदल जाएं।

अनुराग...हम सिर्फ कोशिशें कर सकतें हैं। क्या होगा इसका फैसला तो कोई और करेगा?

डिंपल...हां ये तो हैं। अभी कोशिश करते हैं बाकी बाद में देखेंगे। अच्छा मैं चलती हूं तुम कॉफी का बिल पे कर देना।

अनुराग...ये किया बात हुई मिलने तुम'ने बुलाया ओर बिल मैं पे करू।

डिंपल...देवर के होते हुए भाभी को बिल पे करना पड़े। ऐसा ना चलेगा जाओ जा'कर बिल पे करों मैं चाली।

इतना कह डिंपल चल दिया ओर अनुराग बिल पे कर अपने रस्ते चला गया। ऐसे ही बातो बातो में पल गिनते गिनते दिन कब बीत गया पता ही नहीं चला शाम को राजेंद्र ने फोन पर महेश से बात कर अगले दिन महेश के घर आ'कर शादी की दिन तारिक और बाकी की बात करने की बात कही तो महेश भी आने को कहा दिया। ये बात राजेंद्र ने सुरभि को बता दिया जिसे सुनकर सुरभी भी प्रसन्न हो गईं। होती भी क्यू ना जल्दी ही उसके घर में एक नया सदस्य आने वाली हैं जो उसके एक मात्र बेटे की एक मात्र बीबी होने वाली हैं।

आज के लिए इतना ही अगले अपडेट में जानेंगे रघु और कमला की शुभ विवाह का शुभ मूहर्त कब का है और दोनो समधी में किया किया बाते होती है। यहा तक साथ बने रहने के लिए सभी पाठकों को बहुत बहुत धन्यवाद।

🙏🙏🙏🙏
 
Last edited:

Destiny

Will Change With Time
Prime
3,965
10,660
144
Surbhi ke achhe swbhav ka ye sukanya fayda uhta kar surbhi ka apmat kar rahi hai...jyda achha hona bhi thik nahi hai nahi to ye sukanya or jyada apman karti rahegi...achho ke liye achha or bure logo ke liye kathor banana padta hai..

Awesome update Bhai

ऐसा लग रहा है जैसे साफ सुथरी कहानी की बाढ़ सी आ गई हो । एडल्ट फोरम पर ऐसी कहानियों के लिए कोई सोच भी नहीं सकता । बहुत ही रिश्क है । रीडर्स पसंद करेंगे भी या नहीं यह सोचकर अधिकतर लोग लिखना ही नहीं चाहते ।

बहुत ही बढ़िया कहानी है । मुझे सबसे बढ़िया लगा जब कमला और रघु की शादी फिक्स हो रही थी । बेहतरीन अपडेट था यह ।
इसके अलावा आशीष और रघु की बहन पुष्पा के बीच की अंडरस्टैंडिंग भी बहुत बढ़िया लगा । शायद चार साल से अकेले कोलकाता में रह रही थी इसलिए आशीष की संगत में रहकर और उसके अच्छाईयों से प्रभावित हो कर उसे दिल दे बैठी ।

कैरेक्टर का नाम तो सच में काफी फनी चुना है आपने । कुछ तो काफी ही कामेडियन है ।

बहुत ही बेहतरीन स्टोरी है पर इंग्लिश में लिखे हुए शब्दों में कुछ गलतियां हुई है । पर कोई बात नहीं , आप ने लिखकर रीडर्स को खुशियां ही दी हैं । समझने वाले आराम से समझ जाएंगे ।
बीच बीच में कामेडी का तड़का भी गजब का लगाया है आपने । राजेन्द्र जी , उनकी पत्नी और रघु एवं पुष्पा का कैरेक्टर मुझे बहुत ही बढ़िया लगा । इसके अलावा कमला और उसके माता-पिता का भी ।

आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग अपडेट भाई । इसी तरह खुशियां बांटते रहिए ।

raghu chacha ravan laakh chaahe kitna bhi kamina kyun na ho lekin kuch mamlo mein dusro ke phate mei mei taang nahi aadate....
Ap bhi usme sochne samajhne ki itni kaabiliyat hai ki damini ke mamle zyada tul nahi dena aur agar damini ya uski beti nahi maan rahi hai to jor jabardasti nahi karni chahiye....kyunki wo bhali bhaanti jaanta hai ki agar damini ki beti se raghu ki shaadi ho bhi gayi to koi faida nahi hoga....coz is planning mein ek chaalbaaz bahu ki jarurat hai na ki koi aadarshvadi bahu....
yaha ek aur baat saamne aayi hai... wo ye ki dalal apne naam ki tarah dalal nikla.... waqt aane par apne matlab ke liye kisiko bhi na bakse ...
Dosti ke aad mein wo puri jaaydaad hadapne ki firak mein hai aur ravan ko ilm tak nahi is baat ki...
Dusri taraf apshyu abhi tak bacha hua hai sankat ke hatho se.... kyun sankat bas tab se bas planning kiye hi jaa raha hai...
isse achha to kamla hai... on the spot apne dushmano ko dhul chata di...

waise jab bahu banke aayegi to iski aur sukanya ke bich bahot badi ladayi ho sakti hai....

Well sabhi pehlu mein sabhi arthpoorn baaton, kirdaaro bich huye vaartalaap ko aur gatividhiyo ko ek sathik gati ke sath samete huye hai update ke jariye writer sahab ne shabdon mein khoob roopantaran kiya hai. .

Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :yourock: :yourock:

Superbb Update

Itnaa maar khaane ke baad bhi yeh Kalu aur Bablu nhi sudhree. Jab maar khaa rahe the tab toh bahot bol rahe the chorr de phir tere raaste nhi aayenge.

Lekin yeh saale kutte ki dumm hai tedi ki tedi. Itna kuch hone ke baad bhi uske hi pichhe padhe hue hai.

Dekhte hai ab aage kyaa hota hai

Superb update

Nice and awesome update...

majedar update ..kamla ka gussa itna badha ki raghu ko hi pakad ke laane ko kehne lagi un dono ko 🤣.
ab wo to jaanta nahi to pakadke layega kaise .
gusse me car ke shishe hi tod daale aur jab raghu niche baithkar afsos karne laga tab jaake gussa shant hua kamla ka 🤣..
gusse ko kam karne ka tarika to pehle se aisa hi hai kamla ka .

bablu aur kalu maar khane ke baad bhi kamla ko chhune ke maje ko bhule nahi 🤣..
aur ek anjan shaks ko peetkar apne aap ko khush kiya .

surbhi aur pushpa ko kitni chinta huyi raghu ki jab car ko tuta hua dekha .
par raghu ke sach batane par sab samajh gaye dono ,pushpa to naraj jaise ho gayi thi ki kahi kamla shadi se mana na kar de .

Raghu saaf saaf bach gaya sirf gaadi k kanch hi kamla n nahi tow aisa lag raha tha gusse m kahi Raghu ka sir hi na fod de
Kalu or bablu ko apni bhadas nikalne woh aadmi bechara kaha aa gaye pitni or dono n mast bajaya uss bechare ko
Badhiya shaandaar update bhai
Lajawab

Kamala ko samajhna muskil nehni namunkin he kab kya karti he pagli he.kamla k shaddi baat sunke kalu dukhi he kuch gadbad naa karde.
Raghu ko kamla jesi ladki chahiye thi .amazing update.

Mast update, sahi ladki mili hai raghu ko. Ye hi raavan & sons ki khaat khadi karegi.
Next update update post kar diya jisme hai raghu ki class lagate ghar walo ka behtarin nazara.maza aaye to batana na bhulna2.
 
Kajal...

Lιғe ιѕ ѕυper cool wιтнoυт αɴy rυle.
189
724
93
kuchh vishesh bate aur patron ka parichay:-

kahani ke sabhi patr aur ghatnae kalpanik hain. jisaka kisi bhi jeevit ya mrity vyakti se koi sambandh nahin hain. jagah ka naam vastavik hain lekin vah ki kisi bhi vastavik ghatna ka kahani se koi sambandh nahin hain. agar kisi bhi ghatna se koi samanta hota hain to yah ek sahayog hoga.

kahani ki shuruvat Kolkata ke ek raj parivar se hota hai. jo bahut samay pahle darjaling ke hasin vadiya aur shant vatavran se mohit hokar apna dera darjaling mein jama liya. jinaka shasan pashchim Bangal evam uske aas paas ke rajyon mein hua karta tha. samay ke sath sath parivartan aaya aur inake adhipaty rajyon ki semayen chhoti hoti gain. inake rajyon ki semaen tab or kam ho gaya jab british samrajy ne apana pair pasarna shuru kiya. british samrajy ne anaitik tareekon se desh ke dusare rajaon ka jo hal kiya vah hal is raj parivar ka bhi hua. inse inka sabhi raj paat chhin liya gaya aur inhe sirf inke hisse ki jaminon ka jamindar bana diya gaya. dheere dheere samay bitta gaya aur inse inake jamine chhinta gaya. ant mein inake paas kuchh panch chhah so ekad jamine bachi jo darjaling aur uske aas paas ke shahron mein tha. islie pura raj parivar kolkatta chhodkar darjaling mein bas gye. desh aajad hone ke bad janta dvara chaynit rajnaytik partiya desh par shasan karne lage lekin darjaling ki janta apne samasyao ko lekar raj parivaar ke paas aane lage. pidhi dar pidhi raj parivar janta ke hitaishi rahe. vaise hi ek pidhi 80 ke dasak mein darjaling ki jantao ke sukh dukh ka dhyan rakh rahe the. lekin kahte hain na achchhe logon ke sath hi jydatar bura hota hain vaise hi inake sath hua hain. aage ki kahani mein vistar se janenge ab is kahani mein aane wale kuchh mul patron ka parichay jaan lete hain.

1 rajendr pratap rana:- log inhen ranaji ya raja ji ke naam se sambodhit karte hain. bahut hi sulajhe hue aur vyaktitv ke bahut dhani hain. har kaam ko suniyojit aur soch samajhkar karte hain. lekin inaki ek galti ki saza inake parivar par aafat ki badal lekar aaega.

2 surbhi rana:- ye hain rajendr ji ke dharmapatni ya kahun ardhangini jaisa inaka naam vaisa hi inka gun ghar mein inka hi raj chalta hain . parivar ke sadasy ho ya ghar mein kaam karane wale naukar chakar sab se prem bhav ka vyavhaar karate hain.

3 raghu veer rana:- ye hain rajendr aur surbhi ka ek matr chasmo chiraag inaka abhi tak shadi nahin hua hain. inke liye ladki ki khoj jaari hain. rajendr ji aur surbhi ji ke achchhe sanskaron ke chalte inake adanr koi durgurn nahin hain. padhai samapt kar chuke hain aur apne pita ke kamon mein hath batate hain sath hi garib aur anath bachchon ko padhate hain.

4 pushpa rana:- ye hain rajendr aur surbhi ji ke ek matr suputri sab ki ladali hain aur svabhav se natkhat hain. ye apne college ke antim varsh mein hain. jo is vakt Kolkatta mein rah kar padhai kar rahe hain

5 ravan rana:- ye hain rajendr ji ka chhota bhai jaisa naam vaisa hi gun inke man mein hamesha chhal chhaturi chalta rahta hain. apne bade bhai se bair rakhte hain aur sabhi samptti ko akele kaise hadap le isi taak mein lage rahte hain.

6 suknya rana:- ye hain ravan ki bivi atyadhik sundar hain jis karan ghamand kut kut kar bhari hui hain inka apni jethani se bilkul nahin banti hain. ghar ki smast bhaag daud jo surbhi ke hath mein hain chhinne ke tak mein lage rahte hain.

7 apashyu rana:- ye hain ravan aur suknya ji ka ek matr jalata hua chirag. inke naam ka inke gunon se dur dur tak koyi sarokar nahin hain. kahate hain ma baap ka gun unke bachchon ko upahar mein milta hain. vaise hi inke andar apne ma baap ke sabhi durgudono ka bhandar paryapt matra mein hain. bas inake adanr ek sadgudrn yah hain ye apne chacheri bahan pushpa se bahut adhik sneh karate hain.

8 mahesh banarji:- ye ek office mein unche pad par kaam karte hain. svabhav se bahut paropakari hain. kabhi kabhi inka yah gudn inhe hi pareshani mein dal dete hain. inke purvaj bhi jamindar hua karte the lekin Angrej aur vidrohio ne inke sabhi jamindari chhin liya tha. kismat achchhi thi jo ye jinda bach gae the.

9 manorma banarjee:- inka svabhav bahut gussail hain aur inka svabhav thoda chidchida ho gaya hain jab se inke bete ki paanch saal ke umr mein nidhan ho gya.

10 kamla banarjee:- ye bhi apne ma ki tarah gussail hain aur gussa aane par ghar ke sabhi samano ko tod dete hain. jisaka harjaana mahesh banarjee ji ko bharna padta hain. inki khubsurti bemisal hain aur buddhi aur samjhdari bharpur matra mein hain. iss vakt apne college ki padhai mein vyast hain. ye ladko ko kutne ke mamle mein bilkul bhi parhej nahin karte kisi ladke ne inke saath badsaluki kiya to use apne chappal se mar mar ke apni chappal to thod hi lete hai sath hi ladke ki thobde ka naksha hi bigad dete hain.

ye to hain kuchh mul kirdaron ka parichay baki jaise jaise kahani aage badata jaega vaise vaise or bhi kirdar judte jayenge. ab kuchh pathak puchhenge ismen to hero ka koi parichay hi nahin hain to mahashay abhi hero ke ma baap ek nahin huye hain matlab abhi hero ke ma baap kuvare hain to hero ka parichay kaise de dun. aaj ke liye bas itana hi jaldi hi pahala update pesh karunga
.
Nice intro...​
 
Kajal...

Lιғe ιѕ ѕυper cool wιтнoυт αɴy rυle.
189
724
93
Update - 1

pahadi ghati mein basa ek ganv jo charon or khubsurat pahadiyon se ghira hua hain. gaanv ke chaupal par ek javan ladka pulisiya jeep ke bonat par baitha hain. ladke ke peechhe do mustande, hath mein do nali banduk liye khada hain. donon itne mustaydi se khade hain ki thoda sa bhi hil dol hote hi turant action mein aa kar samne wale ko dher kar de. unke samane ek bujurg shakhs hath jode khada tha. shakhs ke peechhe kai log hath jode apne ghutno par baith the. sab daar se thar thar kaanp rahe the. sabko kaampte hue dekhkar ladka ataahas karte hue bola… "kyon re mukhiya suna hai too kar bharne se mana kar raha hain." mukhiya jo pahle se hi daar se kapkapa rahe the. ab to usse bola bhi nahin ja raha tha. mukhiya paristhiti ko bhaap kar samajh gaya kuchh nahin bola to samne khade mustande pal bhar mein unke dhad se praan pakheroo ko aajad kar denge aur kuchh galat bola to bhi pal bhar mein uske shareer ko jeevan viheen kar denge. isalie mukhiya apne vadi mein shaleenta ka samavesh karte hue bola…." mayi baap ham ne apna sabhi kar bhar diya hain. aap or kar mangenge to hame apne baal bachchon ko bhookha rakhana padega. hamamen aor kar bharne kee samarth nahin hain." mukhiya kee baaton ko sunkar ladka rookhe tevar se bola…."jo kar tum logon ne bhara vah to sarkari kar tha. mera kar kaun bharega? ladke kee baton ko sunkar mukhiya soch mein pad gaya ab bole to kya bole phir bhi use bolna hee tha nahin bola to uske sath kuchh bhi ho sakata tha. isliye mukhiya darte darte bola…." mayi baap is baar bagano se utpadan kam hua hain. sarakari kar bharne ke baad jo kuchh bhee hamare paas bacha hain usse hamare ghar ka kharcha chala paana bhee sambhav nahin hain aise mein aap aor kar bharne ko kahenge to hamare gharon mein roti ke laale pad jaayenge." mukhiya kee baaton ko sunkar ladka gusse se garajte hue bola…"sun ve jameen par regne wale keede mera naam apasyu rana hai. main koyi tapasvi nahin jo mujhme achchhe gudoo ka bhandar hoga, main achchha karm karunga isliye main tum sab ko kal tak ka samay deta hoon. iss samay ke adanr mera kar mujh tak nahin pahuncha to tumhare ghar kee bahu betiyo ki ijjat ko neelam hone se nahin bacha paoge." apne bahu betiyo ke ijjat neelam hone kee baat sunkar mukhiya asahay mahasus kar raha tha. use apne ghar kee ijjat bachane ka ek hee rasta dikhta hain aur vah hain apasyu kee baton ko maan lena. isliye mukhiya deen heen bhaav se bolta hain…" mayi baap hame kuchh din ka mahlat dee deejiye ham kar bhar denge."

mukhiya kee bate sunkar apasyu hatahas karte hue bola…." tumhe mohlat chahiye diya jitnee mohalt chahiye le lo lekin jab tak tum kar nahin bhar dete tab tak apne gharon se roj ek ladki mere daak bangle mein bhejte rahna ek raat kee dulhan banakar."aur apane saathiyon se bola…" chalo re sab ghadi mein baitho nahin to ye keede makode mere dimag ka gobar bana kar apne aangan ko leep denge. sun ve mukhiya kal tak kar pahunch jaana chahiye nahin to jitna let karega utna hee apne bahu betiyo kee ijjat lutvata rahega aur yahan kee bate rana ji ke kan tak nahin pahuchna chahiye nahin to tum sab apne jaan se jaoge aur tumhare bahu betiyan apani avaru mere mustando se nuchbate nuchbate mar jayegi." apasyu apne mustando ke sath chala gaya. usake jate hee baithe hue bheed mein se ek bola…." mukhiya ji aisa kab tak chalega. hame kab tak ek hi kar do baar bharna padega." mukhiya bolta hain…" shayad jeevan bhar is papi se apne gharon ki maan sammaan bachane ke liye ek kar ko do baar bharna padega." tabhi bheed mein se ek or vyakti bola…" ham kab tak iske or iske baap ka julm sahte rahenge. ham raja ji ko bol kyon nahin dete."

mukhiya bola…."are o bhairava too bavala ho gaya hain suna nahin ye papi kya kah kar gaya hain. yaha ki bhanak raja ji ke kanon tak pahuncha to donon baap bete hame markar hamare bahu betiyon ke aabru se tab tak khelte rahenge jab tak hamare bahu betiyaan jeevit rahengi." mukhiya kee baton ko sunkar bhairava bola…" mukhiya ji hamne agar is papi ki maang ko pura kiya to ham to bhukhe pet hi mar jaayenge." mukhiya bhairava aur baki sab ko samjhate hue bola…."aisa kuchh bhi nahin hoga. har mahine mahal se raja ji hamare bharan poshan ke liye anaaj, kapde aur baki jaruri samano ko bhijvate hain. usse hamara gujar basar chal jaega. ab tum sab jao aur kal iss papi tak uska kar pahuchane ki taiyari karo."

sab dukhi man se apne apne gharon ko chal dete hain. mukhiya bhi unke peechhe peechhe chala jata hain. dusari aor pahadi ke choti par bana aalishan mahal jiske bhavyta ko dekhkar hi andaja lag jata hain. yaha rahne wale logon ka jeevan tamam sukh suvidhaon se paripurn hain. mahal ke andar rajendr pratap rana apne bete raghu ko bula rahen hain. unke aavaj mein itna garjana hain maano koyi babbar sher vadi ko dahad kar bata rahe ho . main yah ka raja hoon. rajendr ji ke bulane se raghu apne room se daud kar aate hain aur rajendr ke samane sar jhukae khada hokar bolata hai…." apne bulaya papa ji" rajendr ji apne bete ko kampte hue dekhkar bolate hain…." ha maine bulaya lekin tum aise kanp kyon rahe ho." raghu kuchh nahin bolta chupchap khada rahta hain. raghu ko bolta na dekhakar vaha baithi raghu ki ma surbhi bolti hain…." raghu beta tu mere paas aa, aap bhi na mere bete ko har baar dara dete ho. raj pat chali gayi lekin rajshahi akad ab tak nahin gayi." raghu chupchap apne ma ke paas jakar baith jata hain. rajendr ji apne patni ki bato ko sunkar muskurate hue "are suru (surabhi) rajpat bhale hi chali gai ho lekin rajshahi hamare khoon mein hain. khoon ko kaise badle vo to apna rang dikhayega hi." surbhi apne bete ka sar sahlate hue "apko apne khoon ka jo bhi rang dikhana hain ghar se bahar dikhao. aap ke karan mera ladla bina koyi galti kiye aise daar gaya hain jaise duniyan bhar ke sabhi galat kam isne kiya hain."

surbhi ki bate sunkar rajendr ke chahre par aaya hua muskan or gahara ho gaya tha. rajendr ji apne jagah se uthkar apne bete ke paas jakar baithte hue "raghu main tera dushman nahin hoon main aisa isliye karta hu taki tu rah bhatak kar galat raste par na chal pade. tujhe hi to aage chalkar yaha ki jantao ka sukh duhkh ka khayal rakhna hain." rajendr ji ki bate sunkar surbhi bolti hain…." suniye ji aap abhi se mere bete par apne kaam ka bojh na dale apko kitini baar kaha hain aap mere ladle ko dahadkar na bulaya kare. agli baar apne mere ladle ko dahadkar bulaya to mujhse bura koyi nahin hoga." surbhi ki bate sunkar rajendr bole…."dhyan rakhunga suru ji! mujhe apna dana pani band nahin karvana hain." rajendr ji ki bate sunkar surbhi banavati gussa dikhate huye boli…."achchha ji! main apka dana pani band kar deti hoon. ab aana dana chugne dane ke jagha kankad paros doongi." rajendr surbhi se chuhal karate huue bole…." jo bhi parosogi main usse hi apna pet bhar loonga mujhe apna pet bharne se matlab hain."donon ki chuhalvaji chalta rahta hain. ma baap ke jhoothi takrar ko dekhakar raghu apne dar se mukt ho jata hain. phir raghu bolta hain…." ma papa main jaan gaya hoon ye sab aap mere liye hi kar rahe ho. ab aap donon apni jhoothi takrar band keejiye aur mujhe bataiye apne mujhe kyon bulaya kuchh vishesh kaam tha?" rajendr bolta hain.." kuchh vishesh kaam nhin tha main to apne bete se maskari karne ke liye bulaya tha." surbhi bolti hain…" apka maskhari karne se mera ladla kitna saham jata hain. apako kuchh ilm bhi hain." tabhi raghu bolta hain… " ma aap phir se shuru mat ho jana main bachchon ko padhane ja raha hoon. mere janen ke bad apako papa se jitna ladna hain lad lena." ye kahkar raghu uthkar bhag jata hain. surbhi apne bete ko aavaj deti rah jati hain. phir rajendr bolte hain…."suru raghu ko janen do aur raghu hame jo karne ko kah gaya hain vo shuru karen." surbhi uthkar jate hue boli…" abhi main dopahar ke khane ki taiyari karvane ja rahi hoon aapse bad mein niptoongi." surbhi ke kichan mein jate hi. rajendr bhi apne kuchh kaam niptane chale jate hain.

Bahot hi bhadiya update hai...
Ye baap bete ka dar gaon walo ke under ghar kar gaya hai..is liye inka samna karne ki kisi me himmat hi nahi hai..
 
Luffy

Well-Known Member
7,017
29,006
203
Update - 20

raghu ek ek kisse ko maze le lekar suna raha tha saath hi muskura raha tha. lekin pushpa aur surbhi ke haav bhaav badalti ja rahi thee. dono ke chehre par gusse ki lakiren dikhayi de rahi thee. raghu ke chup hote hi pushpa baras padi…. bhabhi ne sahi kiya, car ki shishe todne ke jagah apka sar phod deti to achchha hota. un ladkon ko peetane ke jagah aap bhabhi ko rok rahe the.

surbhi... raghu un ladkon ne bahu ko chheda aur tu unhe peetne ke jagah bahu ko rok raha tha. bina day baay dekhe tujhe un ladkon ko peetna chahiye tha phir police ke hawale karna chahiye tha.

raghu... ma mujhe thodi pata tha un ladkon ne kamla ko chheda tha. mai to bas…..

surbhi…. kaise nahi pata jab bahu un ladkon ko gira gira ke peet rahin thee, dekh kar hi tujhe samajh janana chahiye tha un ladkon ne kuchh aisa vaisa kiya hoga tabhi bahu unhe peet rahi thee.

pushpa…. bhaiya koi bhi ladki aisa tab karti hain jab baat had se jyada badh jaye. aam taur par ladkiya ek had tak aise ladkon ko jyada tul nahin deti hain lekin jab had paar ho jati hai tab hi ladkiya aisa karti hai aur aap ne kiya kiya un ladkon ko bhag jane diya main hoti to bhabhi ke saath milkar pahle peetti phir puchhati hue kiya tha.

surbhi…tu itna samajhdar hote hue bhi itni badi nadani kaise kar sakta hai. bahu un ladkon ko peet rahi thee aur tu rok raha tha. kal ko koi ladka aise hi mujhe ya teri bahan ko chhedega, hamare peetne par tu bhi hame rokega.

raghu…rokunga nahi mai un ladkon ko goli maar dunga.

surbhi... achchha to phir un ladkon ko kyon bhag jaane diya bhale hi kamla se tera shadi nahi hua hai aaj nahi to kal vo bhi hamare parivaar ki ek sadasy banne wali hai.

raghu…. ma ho gayi galti ab maaf bhi kar do meri achchhi ma.

surbhi... sahi hai galti karo aur maafi mang lo hai na.

surbhi aur pushpa munh pher kar baith gayi. raghu uthkar pushpa ke paas gaya pushpa ke chahre ko apni aor ghumaya phir haath jodkar bola.. meri pyaari bahan gussa thuk kar maaf kar de.

pushpa... hato aap mujhe aapse baat nahi karni hai na hi maaf karna hai.

pushpa ke badle tevar ne raghu ko sochne par majboor kar diya usse bahut badi galti ho gaya. ab use kaise bhi karke dono ko manana tha. lekin pushpa ne na manne ka man bana liya tha. isliye raghu pahle ma ko manne ka socha phir surbhi ke paas jakar neeche baith gaya haath jodkar bola… ma ho gayi galti maaf bhi kar do, wada karta hu aage phir kabhi aisi galti nahi karunga.

surbhi...apna wada apne paas rakh tujhe koi maafi nahi milne wala aane de tere baap ko unhe sab bataungi phir unse maafi mangte rahna.

raghu…. ma papa ko kuchh bhi na batana bahut datenge.

surbhi... kyu na bataun, mai to bataungi daant padegi tabhi tujhe akal aaega.

inke maafinama ka swang chal hi raha tha. usi waqt rajendr ji ghar padhare andar entry karte hi pahla drshy unhe dikha raghu ghutnon ke bal haath jode baitha tha. surbhi aur pushpa munh phulaye baithi thi. surbhi daantne ke andaaz mein raghu ko suna rahi thee. jo bhi surbhi ne kaha rajendr ne sun liya phir bole…. surbhi kya batane wali ho batao mai sunne aa gaya. raghu tu ghutno par kyu baitha hai. Tujhe sofe par jagah nahi dikha, ja jakar sofe par baith.

raghu uthne laga tha. tabhi surbhi boli... tu kaha ja raha hai. jaise baitha hai waise hi baitha rah. aap idhar to aayo phir sunati hu is nadaan ki nadaniyan.

ma ki daant padte hi raghu jaise tha waise hi dubara baith gaya aur sar ko jamindoj kar liya. jara si bhi sahas raghu juta nahi pa raha tha vo sar utha kar dekhe aur nazre milakar pita se ya ma se baat kare. rajendr samjh gaya majara kuchh sangeen hain tabhi to surbhi itni gusse mein hain. isliye jaldi se surbhi ke paas jakar baitha phir bol...baat kiya hain tum aaj itne gusse mein kyon ho. jahan tak mujhe pata hai tum raghu par kabhi bhi gussa nahi karte ho.

surbhi…. gussa na karu to or kiya karu isne karnama hi aisa kiya hai. aap sunoge to aap ko bhi gussa aa jayega.

rajendr…. aisa kya kiya? jo tum itne gusse mein ho. tum hi to kahti rahti ho raghu kuchh galat nahi karta phir aaj kya kiya jo tum aagbaboola ho gayi.

surbhi…. raghu apne karname apne munh se suna, tera baap bhi to sune tu aaj kiya gul khila aaya.

raghu ajeeb si dharmsankat mein phas gaya kare to kare kya? uski chhoti si bhul itni tul pakad lega use ilm na tha. socha tha kisi tarah ma aur bahan ko mana lega aur baat aayi gayi ho jayegi lekin ab to mudda high court tak pahunch gaya. high court ka jauge uska baap tha jo use kala pani ki saza bhi de sakta tha. raghu ko pashtava ho raha tha vo us waqt wahan pahuncha hai kyu tha. pahuncha to pahuncha ladke ko peeta kyu nahin, nahi peetna tha na sahi kamla ko roka kyu, kamla ko rokna hi nahi chahiye tha. jo vo kar rahi thee use karne dena chahiye tha . raghu ke dimag mein ye baat bhi chal raha tha. tuta hua shishe ke saath car ko ghar nahi lana chahiye tha. Car ko kisi mekanik ke paas chhod aana chahiye tha. ghar mein jhooth bol deta car kharab ho gai hai ya bol deta chhota sa accident ho gaya tha. Car mein kuchh kharabi aa jaane ke karan repair hone de aaya. nana parkar ki baate uske dimag mein chal raha tha. baap ke aage uske juban ko tala lag jaata tha. jitna zaroori hota tha utna hi bolta tha. lekin is wakt mazra kuchh aor tha. use apni galti batana tha. jise kabhi nahi batane wala tha. isliye raghu chup chaap sar jhukaye baitha raha. raghu ke na bolne par surbhi boli... raghu kya hua tujhe kuchh bola gaya tha. tune suna nahi theek se, ya na sunne ka dhong kar raha hain.

rajendr.. aaha surbhi raghu nahi bol raha hai to tum hi bol do uska zuban mere samne ladkhada jaata hai.

surbhi…. zuban ladkhadaye ya kuchh bhi ho, bolna to use hi hain. raghu jaldi bata tu, kya kar aaya, mujhe aur gussa na dila.

chal rahi baato se rajendr itna to samajh gaya raghu bada kuchh sangeen kar aaya tha. jisse surbhi itni gusse mein hain. itne gusse mein usne kabhi surbhi ko nahi dekha, dekha bhi hoga lekin raghu ke prati kabhi nahin, uske liye yaha janna zaroori ho gaya tha raghu kar kiya aaya. usne agar dahad kar ya dant kar puchhna chaha to raghu marna pasand karega lekin khud se kabhi nahi bataega. isliye raghu ke paas gaya. use uthaya phir apne paas bithakar pyaar se puchha… raghu beta batao aisa kiya hua jo tumhari ma itni gusse mein hain. bata do mai tum pe gussa nahi karunga.

pehli baar me raghu kuchh nahin bola rajendr ne ek baar aor puchha phir bhi raghu ne kuchh nahin bola tisri baar puchhne par raghu ko koi aor chara na dikha isliye batana hi behtar samjha aur ek ek qissa jaise jaise ghata tha waise waise suna diya. sunte hi rajendr ko bhi gussa aaya. lekin usne socha isse pahle jab bhi vo raghu ki galti par gussa hokar use dantta tha tab surbhi raghu ke paksh mein rah kar raghu ko samajha bujha kar dilasa deta tha. lekin aaj ka majra dusra tha. surbhi pahle se hi bahut gusse mein thee. isliye uska gussa karna theek nahi hai. javaan beta hain kahi oonch neech kuchh kar baith to kya hoga. aise hi aneko vichaar karne ke baad narm lahaja aur samjhane ke andaaj mein bola... raghu beta galti to tumse hua hain. man to kar raha hai tujhhe kas ke ek chata maaru lekin maar nahi sakta. kahte hai beta jab kandhe ko chhune lage tab usse dostana vyavhar karna chahiye ek dost ki tarah use samajhna chahiye. aaj tujhse jo hua hain vo koi sadharan baat nahin hain. ek ladke ke liye sadharan baat ho sakta hai lekin ek ladki ke liye bahut badi baat hai. rah chalte ladke use pareshan kare use chhede us par chhitakasi kare itna kare ki use majboor hokar peetna pade isse durbhagya ki baat aur kya ho sakta hai. tumhe jab dikha kamla beti kisi ladke ko bahut buri tarah peet rahi thi to tumhe samjh jaana chahiye tha ladke ne zaroor sangeen kuchh kiya hoga tabhi use itni buri tarah peeta ja raha tha. tumhe us par haath nahi uthana tha na sahi tum police ko bula lete ya phir kamla beti ko na rokkar karne dete jo vo kar rahi thi.

bina dahade bina cheekhe chilaye pyaar se baat karte dekh surbhi khud se boli.. aaj to inka ek alag hi roop dekhne ko mil raha hain. raghu ki chhoti si galti ya bina kisi galti ke itni oonchi aavaz mein baat karte the ki raghu thaar thaar kampne lagata tha aur aaj dekho kaise samajh rahe hain. Ooo samjha aaj main gusse mein hoon to meri jagah inhone le liya waha ji rajendr babu sahi khel gaye seedha gol box mein ghus kar penalty mein gol kar diya, ek kadam aage bada kar state drive maarke gend ko seema rekha ke paar bhej diya.

sochkar hi surbhi mand mand muskura diya. raghu achambe mein tha jahan ma itne gusse mein thi vahi baap pyaar se baat kar raha tha. ye to chamatkar ho gaya. itne pyaar se bolne par raghu ko thoda bal mila aur dheere se bola… papa maaf kar do aage se aisa nahi hoga.

raghu itna dheere bola paas baitha baap bhi theek se sun nahin paya isliye rajendr bola…. kya bola toda tej bol sun nahin paya.

raghu haklate huye bola…. vo papa maaf kar do aage se aisa nahi hoga.

rajendr... maafi mangne mein bhi itna dar rahe ho chalo maaf kiya. lekin ek baat hamesha dhyaan rakhna ladki apne parivaar ki ho ya dusare parivaar ki uski apni maan sammaan hota hain isliye kabhi kuchh bhi aisa na karna uske man sammaan mein tumhare karan daag lage aur kabhi aisa nazara dekhne ko mile aur samajh na aaye tumhen karna kiya chahiye to tab tak beech mein na ghuso jab tak majara samajh na aaye. jab majara samajh aa jaye tab bedhadak ghus jao aur khud bhi haath ki mail saaf kar lo.

raghu…. ji papa.

rajendr... ji papa ke bachche hamare hone wali bahu ko manaya ki nahi bahut gusse mein thi car ka shisha bhi tod diya. kahi rishta tod diya to kya hoga. na jaane kitne rishte tute tab jaakar yaha rishta juda hai tut gaya to shadi karne ka sapne dekhna chhod dena.

rajendr ji ne pal bhar mein gambhir mahol mein parivartan la diya. raghu jo abhi tak sahma sahma sa tha muskura diya. surbhi aur pushpa bhi muskura diya phir surbhi boli…. pushpa ja bahu se baat kar dekh vo jyaada gusse mein to nahin hain. pata chala ghar jaakar ma baap ko bol diya mujhe is darpok ladke se shadi nahi karni hai.

pushpa muskurate hue chali gayi phir raghu bola... ma main darpok nahi hoon aur na hi kamla naraz hai is ghatna ke baad ham dono ne bahut der tak baat kiya us wakt kamla ne aisa kuchh bhi nahi kaha.

rajendr…. naraz nahi hai ye to bahut achchhi khabar hain nahi to hame dusari ladki dhundhna padta. jise ham dhundhte na jaane vo kaisi hoti kamla jaisi sundar samjhadar aur gusse wali hoti bhi ki nahi.

surbhi…. samjhadar to hain lekin bahut gusse wali bhi hai. shadi ke baad sanbhal kar rahna kahi gusse mein raghu tujhe hi na lapet le.

donon kuchh wakt tak raghu ke saath maskari karte rahe. phir raghu room mein chala gaya. pushp ne aakar bata diya kamla naraz nahi hai. dono ko pahale hi raghu ne bata diya tha. baato baato mein pal ginte ginte din kab beet gaya pata hi na chala sham ko rajendr ne phon kar mahesh se baat kiya aur agale din unke ghar aakar shadi ki din tarik aur baki ki baat karne ki baat kahi to unhone bhi aane ko kaha diya. ye baat rajendr ne surbhi ko bata diya jise sunkar surbhi bhi prasann ho gayi. hoti bhi kyu na jaldi hi uske ghar mein ek naya sadasy aane wali hai jo uske ek maatr bete ki ek maatr bibi bankar aane wali hai.

aaj ke liye itna hi agale update mein janenge raghu aur kamla ki shubh vivaah ka shubh muhart kab ka niklta hai aur dono samdhi mein kiya kiya baate hoti hai. yaha tak saath bane rahne ke liye sabhi paathakon ko bahut bahut dhanyavaad 🙏🙏🙏🙏
Superb update
 
parkas

Prime
22,906
52,707
258

Nice and excellent update...
 
Top