• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery AAKHIR AISA KYO KIYA..

Ankitshrivastava

Well-Known Member
3,946
11,123
144
  • Like
Reactions: Tiger 786

Ankitshrivastava

Well-Known Member
3,946
11,123
144
Namaskaar ankit bhai

Sabse pahle to nai kahani ke liye hardik subhkaamnaaye

Aur aapne jo suruwaat ki, aur jo sawaal kiye hai, us par mera jawaab bhi aapki hi tarah hai, ki pyaar me had hona jaroori hai, nhi to pyaar me gadbad hi hogi.

Chaliye, ab story ka intzaar raha,

Lage raho ankit bhai

Thanks buddy......
 
  • Like
Reactions: THE_PHENOM

Ankitshrivastava

Well-Known Member
3,946
11,123
144
-: PROLOUGE :-

24 YEAR AGO....

( 24 SAAL PAHLE.....)

Ek badi si company me khade huye kuch trucks me log maal laadne me lage huye the....ki tabhi waha police aa gai....

Aur police dekhte hi waha ke logo me afra-tarfi mach gai...aur saare log apne aapko bachane ke liye bhaag khadi hui....jabki police ke log un sabke picche bhaagne lage...

Well....kuch hi der me police ne sabko apni hirasat me le liya.....aur unse puch- taach karne par police ko us factory ke karta-dharta aur us gair-kanooni maal ke malik ka naam pata chala......MR.PRATAAP NAYAK......

Aur jaise hi police ko prataap ke baare me pata chala....to police ne uska giraftari worrent nikaal diya....aur usko pakadne nikal gai....

Wahi prataap ko jab ye pura maamla pata chala....to wo police ke naam se ghabra gaya....aur seedha pahuch gaya apne khas dost ke paas....jo sirf prataap ka dost hi nhi tha....balki uske sath ek manager ki tarah kaam bhi karta tha.....MR.SAMEEM KHAN....

Prataap- sameem....kya hai ye sab...humari company me police....meri giraftari ka warrent.......ye sab ho kya raha hai....

Sameem- are pratab bhai....aap tention kyo le rahe ho.....main hu na...

Prataab- par ye gair-kanooni saamaan ka panga.....aur police mere piche....

Sameem(beech me)- kuch nhi bhai......police ki tention na lo....main hu na.....main sab sambhaal luga...aap ghar jao...main dekhta hu.....jao...

Prataap- pakka na....

Sameem- ha bhai....aap jao....befikr raho....

Prataab- theek hai....tum mujhe khabar dete rahna....

Sameem- hmm..

Aur fir jaise hi prataap waha se nikla....waise hi ek police ki jeep uske pichhe lag gai.....

Aur aage ja kar us jeep ne prataap ki car ko takkar maar di....jisse pratap ki car door ja giri.....aur ek joordaar dhamake ke sath car jal kar khaak ho gai...aur sath hi sath prataap naayak bhi....

Agle din sahar me yahi news faili...ki prataap naayak apni company me production ki aad me drugs ka business bhi chalata tha....aur jab police ne use pakadna chaha....to police se bhaagte waqt prataap ki car ka accident ho gaya...jisme prataab ki mout ho gai.....

Prataap ki mout se 2 logo ko bahut dukh hua tha....ek thi prataap ki patni....aur dusra tha prataap ka sasur.....

Prataap ki patni ka to jaise sabkuch lut hi gaya tha....ek to pati gaya....uper se pati ke maathe par laga kalank....aur usse bhi badi baat thi uska pregnent hona.......

Prataap ki patni ki kokh me 8 mahino ka baccha pal raha tha....jiska soch kar prataap ka sasur jyada hi paresaan tha...

Use ye dar tha...ki kahi prataap ki karni ki saza uski biwi aur uski hone wali aoulaad ko na mile.....

Bas isliye prataap ke sasur ne ek bada faisla liya....aur apni beti ki dusri saadi karwa di....

Halaki prataap ki patni ye saadi nhi karna chahti thi...par apni aoulaad ke bhavishya ki khatir wo maan gai.....aur dard ka kadwa ghooth pi kar dusri saadi kar li.......

=================

-: PRESENT ME :-

PUNEET KI JUWAANI........

Sahar ke baahar ek highway ke uper bane flyover ki patti par baitha hua main apni jindagi ka pichhla ek saal soch raha tha......

Mera pichhla saal kaisa gujra tha.....ye sochte huye hi mera dil kaamp uthta hai.....par jo bhi ho......hai to haqiqat hi....

Pichhle saal jo bhi hua....wo sab sochte hi mera dil yahi bolta tha...ki kaash meri jindagi se ye pura saal cut jaata.....ya fir main wo sab badal pata...jo bhi is saal me hua tha....

Par main aisa kuch nhi kar sakta....kyoki jo hona tha....wo to ho chuka.....use ab jhutlaya nhi ja sakta.....aur na hi badla ja sakta hai.....

Ab mere saamne sirf sach ko swikaar karne ka rasta hi bacha tha......kyoki sach ko koi nhi badal sakta....aur na hi koi jhutla sakta hai.....

Ek saal pahle tak main kitna khush tha.......sabkuch tha mere paas.....ek saandaar jindigi thi meri.....

Aisa lagta tha ki bhagwaan ne mujhe jitne bhi dukh diye the....un sabka ab hisaab kar diya tha.....

Mere paas ek achhi noukri thi....ek pyaar karne wali biwi thi.....aur ek ghar....jo ab humara ghar tha....mera aur meri biwi ka.....

Ab isse jyada ek insaan ko bhala kya chahiye hota hai.....ki uska ek ghar ho....ek pyaar karne wali biwi ho....jindgi gujarne ke liye ek acchi noukri ho.....bas....yahi to chahte hai hum aam insaan....

Aur wo sab mere paas tha....par achanak ye kya hua...kyo hua....kaise hua.....ye to main bhi nhi samjh paya....

Aur jab tak main samjh pata....tab tak bahut der ho chuki thi....bahut der.....kyoki fir main us sabko rok nhi sakta tha....bas dekh sakta tha....aur dekh-dekh kar andar hi andar mar sakta tha.....

Par maine wo bhi saha......wo bhi bas yahi soch kar...ki aaj nhi to kal mera waqt fir se badlega.....kabhi to bhagwaan ko meri haalat par daya aaygi....aur wo sab theek kar dega....

Bas isi intzaar me dooba hua main kai din tadapta raha...marta raha.....par...par kya hua....bhagwaan ko mujh par daya nhi aai.....bilkul bhi nhi...

Aur picchli raat usne mera sabkuch cheen liya....mera chain...mera sabr.....mera pyaar....meri jindagi....sab kuch....

Aur ab mere saamne 2 hi raaste hai.....ya to main chup rah kar har din marte huye jeeta rahu......

Ya fir abhi aur isi waqt ek kadam badau....aur is tadap bhari jindagi se chhutkara pa kar mout ki sukoon bhari need so jaau.....

Bas yahi sochte huye main khamoshi se neeche highway par doudti hui gaadiyon ki bhari bheed ko dekhne laga....

Us bheed me kahi na kahi meri aankho se nikalte aanshuo ki boonde bhi ja kar mil rahi thi....jo saayad mere liye hi is uchhai ko naap rahi thi....aur us dharti se bol rahi thi..ki bas kuch der aur.....tumhara ek laal tumhari god me samane aa raha hai......

Us najare ko dekhte huye meri dhadkane badne lagi thi...main haaf sa raha tha....ek bhayanak dar meri aankho ke saamne andhera paida karne laga tha....

Par tabhi maine apne dil me chhipe dard ko baahar nikala....aur usne mere dar ki saari deewaare gira di.....aur meri aankho ke aanshu bhi rok diye....

Ab meri aankho me dhudhlapan nhi tha...mujhe mera rasta bilkul saaf dikh raha tha......

Bas mere dil me ek hi khyaal aa raha tha....ki kaash main apne dard ko use bata sakta.....jo meri jindagi me sabae khas hai....

Par ab mujh me itni himmat nhi thi...ki main apne dil ko aur jyada dhadkne ka mouka du.....aur us khas saksh se baat kar saku....

Isliye maine sabkuch kismat par chhoda....aur fir dil ko majboot kar ke apni aankhe khol di...

Aur aankhe khulte hi meri najar mere hath me pakdi hui tasveer par gai.....jisme mere sath meri jindagi moujood thi....

Aur fir maine kuch der tak us tasveer ko dekha....aur ek aakhiri baar use choom kar aankhe bad kar li.....

Aur uske baad mere dil se bas ek hi aawaaj nikli.....AAKHIR AISA KYO KIYA.....???
 
Last edited:

Ankitshrivastava

Well-Known Member
3,946
11,123
144
-: INTRODUCTION :-

1 YEAR AGO......
( 1 SAAL PAHLE )...

Sahar me bani ek building ke 2bhk flate me ek pyara joda rahta hai.....jo 2 mahine pahle hi is ghar me aaya tha....

Puja- aao na punni......aur kitni der....

Puneet- aa raha hu pujji...bas 2 minute....

Puja- kya yaar...tumhare ye 2 minute pichhle 20 minute se ab tak nhi huye....aise bhi kya baat karte ho...jo time ka bhi pata nhi lagta...

Tabhi puneet phon par baat karte huye bedroom se nikal kar dining table par aa gaya...

Puneet(phon par)- kal batata hu...bbye...

Puja(ghoor kar)- bata diya sabkuch....ya kuch rah gaya hai...

Puneet(muskura kar)- are yaar....ek wahi to hai...

Puja(beech me)- jo tumhari jindagi hai....hai na...

Puneet- nhi...tum bhi ho na...

Puja- hmm...par mujhe kabhi-kabhi lagta hai...ki agar tum dono me se ek koi ladki hoti na....to main yaha nhi hoti....tum dono hi ghar basa lete...hehehe...

Puneet(gussa dikha kar)- bas bhi karo....sorry......ok ..

Puja- nhi...tum mujhe sorry mat bolo...lo nasta karo...waise mujhe tumhare dost se koi problem nhi...

Puneet- janta hu.....waise poha mast bana hai....

Puja- thanda ho gaya na...ruko...main garam karti hu...

Puneet- are nhi.....main kha luga...

Puja(plate le kar)- aise kaise....pati ho mere.....aur mera pati thanda nasta kar ke office jaaye...um hu.....main abhi lati hu.....aur suno.....wo ek courier aaya hai tumhara....dekh lo tab tak....

Fir jaise hi puja kichen me gai....waise hi puneet us letter ko dekhne laga....aur dekhte hi khushi se doudta hua kichen me pahucha aur puja ko apni baahon me bhar liya....

Puja- aah...are...kya hua.......

Puneet- meri jaan....main aaj bahut khush hu...bahut-bahut-bahut khush....

Puja- ok baba....par apni jaan ko jara bataoge...ki khushi ki baat kya hai....

Puneet- ye dekho....mera promotion hua hai......yeeee....

Puja(khush ho kar)- sacchi....ye to.....uuummmhhh....i love you...

Puneet(hoth chhu kar)- are wah....pramotion milte hi muh meetja ho gaya....to ek baar aur...uuummhh...

Puja- uummhh...bas karo.....office jana hai ki nhi....

Puneet- are ha yaar...aaj mujhe nai post milegi......

Puja- to jaldi se nasta karo....aur jao....mujhe aaj bahut kaam hai...

Puneet- ek second....tumhe kya jaroori kaam aa gaya....haa...

Puja- are...mere pati ko pramotion mila hai.....to kya main puri building ka muh meetha nhi karaugi....main sabke liye laddu banaugi...

Puneet- ohh..par waise to nhi...jaise mera kiya....

Puja- kya...kya bola...

Puneet(door ja kar)- kkk..kuch nhi...

Puja- ya to aao....tumhari to main...

Aur fir puneet hall me bhaga aur uske picche puja...aur pakda-pakdi khatm hui to sofe oar puneet tha aur uski god me puja....jo uske seene par pyaar se ghoose maar rahi thi....

Puneet- bas....ab maafi de yaar...aur nasta bhi...

Puja- ohh...dekha...tumhare chakkar me der ho jaygi....ab aaraam se nasta karo aur jao...mujhe laddu bhi banane hai.....

Puneet- ok...par jyada mehnat mat karna.....thode se laddu banana....

Puja(kichen se)- main kar loogi.....aur rajni hai na.....use bula loogi help ke liye.....tum tention mat lo....

Puneet- ok...jaisa tum kaho....

Fir puneet nasta kar ke apne office nikal gaya....aur wahi puja ne apni padosan ke sath mil kar laddu banane suru kar diye....

TO DOSTO......YE HAI KAHANI KE 2 KHAAS KIRDAAR......

PUNEET AUR PUJA.......

Par agar mujhe kisi bhi insaan ke baare me koi kahani batani hai.....to sabse pahle us insaan ke baare me thodi si personal jaankari dena jaroori hai....jaise unka family background.....unki soch....unka jeene ka tareeka....unke khwaab....unka aachaar-vyavhaar....etc....

To yaha main aapko un dono insaano ke baare me batata hu....jinse is kahani ki suruwaat hoti hai.......

Ye dono hai PUNEET aur PUJA.....jo kabhi ek-dusre ke premi hua karte the....par aaj ek-dusre ke humsafar ban chuke hai...matlab an dono ne saadi kar li hai....aur unke beech premi-premika wala rishta ab pati-patni ke rishte me badal chuka hai.....

To aaiye....inke baare me thoda sa jaan lete hai.....

PUNEET RAJVANSH -

Puneet ek seedha-sadha ladka hai........jo dikhne me to accha hai hi....par usse bhi accha dimaag se hai......

Aur isi dimaag ki wajah se usne school se le kar college tak hamesha topper ki possition hasil ki thi....yaha tak ki schoular le kar hi apne college ki padhai puri ki thi.....

Aur uska dimaag dekh kar hi ek badi IT company ne use seedha ek badi post par select kiya tha.....

Dimaag ki baat to ho gai....wo to tej tha....but dil ke maamle me puneet thoda alag hi tha....jise hum kamjor dil ka bol sakte hai....

Par yaha dil ki kamjori ka matlab ye nhi...ki wo darpok hai...bilkul nhi....wo nidar insaan hai....

Dil ki kamjori ka matlab ye hai...ki puneet kafi emotional insaan hai....wo agar kisi insaan ke sath dil se judta hai...to fir us par jaroorat se jyada bharosha karne lagta hai....aur us saksh ki har baat par suport karta hai....

Aur fir wo chahte huye bhi kuch aisa nhi kar pata...jisse saamne wale ka dil dukh jaaye......

Kul mila kar ye kah sakte hai...ki agar puneet kisi se dil se jud gaya....to fir usko had se jyada support karta jata hai...

Aur agar kabhi puneet ko wo insaan koi kasam de de....tab to puneet us kasam ko marte dam tak nibhata tha...

Yaha tak ki hum ye kah sakte hai....ki puneet ka dil aisa hai....ki agar kabhi puneet ka dil toota...to wo saayad khud bhi toot jayga....aur apne aapko hi nuksaan kar lega.....

Aur yahi kamjori puneet ko kai baar musibat me bhi daal deti thi.....jiske liye uske khas dost ne puneet ko kai baar dhanta bhi...samjhaya bhi....par puneet is maamle me jyada nhi badal paya...

Baat kare puneet ke sapno ki...to uske koi bade sapne nhi hai...wo bas acche se jindagi jeena chahta hai.....na jyada paison ki khwahis hai....aur na hi kisi tah ki taaqat ka sapna...

Puneet to bas apni jindagi apni patni ke sath aur apne pariwaar ki yaadon ke sath khushi-khushi jeena chahta hai.....

Baat kare puneet ke pariwar ki...to uska apna koi nhi tha....ek tarah se wo anaath hi tha....par wo janm se anaath nhi tha....

Asal me puneet ka pariwar patakhe ki factory chalata tha.....aur usi factory me huye ek haadse ki wajah se puneet ne apna pura pariwar ek dhamake me kho diya tha.......

Aur jab puneet ne apna pariwaar kho diya....to uske apno ke naam par sirf uska ek dost hi rah gaya tha....jo puneet ke liye sirf dost nhi...balki ek bhai tha....ya yu kahe ki bhai se bad kar tha.....

Puneet ko uske dost aur uske pariwaar ne hi sambhala tha....par puneet itna khuddar tha...ki usne dost ka ahsaan lena pasand nhi kiya......balki khud tution kar ke apna kharcha nikala....aur fir schoular pa kar college ki padhai ki...aur apne dam par hi ek acchi job haasil ki....

Well.....jab puneet college me tha...to uska dost bhi usse alag ho gaya...kyoki wo apni padhai ke liye videsh chala gaya....aur puneet ek baar fir se akela rah gaya.....

Par bhagwaan ne puneet ka akelapan door karne ke liye use ek naya dost de diya....wo thi puja....jo pahle puneet ki dost bani...fir lover....aur ab uski patni.....

PUJA RAJVANSH -

Puja....jo ab to puja rajvansh ban chuki hai....par pahle puja khatri thi.....matlab uske mata-pita khatri surname likhte the....

Puja ek bahut hi bade ghar ki beti thi...jo bade naajo se pali hui thi.....use apne ghar par sab pyaar karte the....aur ghar me to uski hi dadagiri chalti thi....kyoki wo sab bhai-bahno me badi thi....aur apne pita ki laadli.....

Puja ne bachpan se hi jo chaha wo hasil kiya tha.....chahe wo khilona ho...dress ho....cycle ho....scootar ho...car ho....paisa ho...ya kahi ghoomne jana ho....matlab sabkuch.....

Puja bas ek baar bolti thi...aur use wo cheej mil jati thi......isliye puja thodi jiddi aur ghamandi bhi ho gai thi....

Puja bhale hi ziddi aur ghamandi thi....par padhai ke maamle me bhi kafi acchi thi...aur padhai ke alawa acting me bhi bahut acchi thi....aur isliye puja ne school se le kar college tak hamesha dramo me acting ka kamaal dikhaya tha.....aur kai awards bhi jeete the......

Padhai aur acting ke alawa bhi puja ko ek junoon tha....wo tha ek saandaar business women banna.....isliye usne college me business course hi chuna tha.....

Par jab puja ne puneet ko dekha....to wo use itna pasand aa gaya...ki puja ne busness chhod kar IT me admission le liya.....

Aur fir puja ne puneet se dosti ki....aur wo dosti puja ko badalne lagi....matlab puja ki zidd aur ghamand puneet ke pyaar ki wajah se kam hota gaya.....

Puja ne sirf puneet ki khatir hi acting se bhi doori bana li thi...kyoki puneet ko uska acting karna pasand nhi tha......

Aur puja ne apne paison ka roub dikhana bhi puri tarah se khtm kar diya tha....kyoki puneet ko paiso walo se dar sa lagta tha......

Kul milakar puja pyaar ki khatir puri tarah badal chuki thi...use ab koi chaahat nhi thi....siwaye puneet ke...

Par puja ke gharwalon ko puneet pasand nhi tha....isliye puja ne apne gharwalo ke khilaaf ja kar puneet se saadi ki thi...

Aur saadi ke baad se sirf puneet hi puja ka sabkuch tha....uska pyaar...uska pariwar....bas puneet.....

====================

Par kahte hai na...ki insaan ki kuch aadte puri tarah khatm nhi hoti....wo kabhi na kabhi baahar aa bhi jati hai.....kabhi gusse ki wajah se...to kabhi kisi aur wajah se....bas wahi puja ke sath bhi kabhi-kabhi ho jata tha...matlab uska gussa...zidd aur ghamand kabhi-kabhi saamne aa jata tha....

Puja apne pati puneet se itna pyaar karti thi...ki uske liye kisi bhi had tak ja sakti thi....aur wo gai bhi....par kisliye.....ye to aapko aage hi pata chalega.....

To dosto....puja aur puneet ke baare me to aapko bata diya....aur inke pyaar aur rishte ke bare me bhi....

Par jaisa ki maine pahle bola tha....ki pyaar kabhi kam ya jyada hone se jindagi me kuch bura bhi ho jata hai....aur kabhi accha bhi...

To ab dekhna ye hai...ki ye pyara joda apne pyaar me kis had tak jata hai....aur wo had inke pyaar ko kaha le jati hai....acchai ki taraf....ya buraai ki taraf.....??????
 
Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244
-: PROLOUGE :-

24 YEAR AGO....

( 24 SAAL PAHLE.....)

Ek badi si company me khade huye kuch trucks me log maal laadne me lage huye the....ki tabhi waha police aa gai....

Aur police dekhte hi waha ke logo me afra-tarfi mach gai...aur saare log apne aapko bachane ke liye bhaag khadi hui....jabki police ke log un sabke picche bhaagne lage...

Well....kuch hi der me police ne sabko apni hirasat me le liya.....aur unse puch- taach karne par police ko us factory ke karta-dharta aur us gair-kanooni maal ke malik ka naam pata chala......MR.PRATAAP NAYAK......

Aur jaise hi police ko prataap ke baare me pata chala....to police ne uska giraftari worrent nikaal diya....aur usko pakadne nikal gai....

Wahi prataap ko jab ye pura maamla pata chala....to wo police ke naam se ghabra gaya....aur seedha pahuch gaya apne khas dost ke paas....jo sirf prataap ka dost hi nhi tha....balki uske sath ek manager ki tarah kaam bhi karta tha.....MR.SAMEEM KHAN....

Prataap- sameem....kya hai ye sab...humari company me police....meri giraftari ka warrent.......ye sab ho kya raha hai....

Sameem- are pratab bhai....aap tention kyo le rahe ho.....main hu na...

Prataab- par ye gair-kanooni saamaan ka panga.....aur police mere piche....

Sameem(beech me)- kuch nhi bhai......police ki tention na lo....main hu na.....main sab sambhaal luga...aap ghar jao...main dekhta hu.....jao...

Prataap- pakka na....

Sameem- ha bhai....aap jao....befikr raho....

Prataab- theek hai....tum mujhe khabar dete rahna....

Sameem- hmm..

Aur fir jaise hi prataap waha se nikla....waise hi ek police ki jeep uske pichhe lag gai.....

Aur aage ja kar us jeep ne prataap ki car ko takkar maar di....jisse pratap ki car door ja giri.....aur ek joordaar dhamake ke sath car jal kar khaak ho gai...aur sath hi sath prataap naayak bhi....

Agle din sahar me yahi news faili...ki prataap naayak apni company me production ki aad me drugs ka business bhi chalata tha....aur jab police ne use pakadna chaha....to police se bhaagte waqt prataap ki car ka accident ho gaya...jisme prataab ki mout ho gai.....

Prataap ki mout se 2 logo ko bahut dukh hua tha....ek thi prataap ki patni....aur dusra tha prataap ka sasur.....

Prataap ki patni ka to jaise sabkuch lut hi gaya tha....ek to pati gaya....uper se pati ke maathe par laga kalank....aur usse bhi badi baat thi uska pregnent hona.......

Prataap ki patni ki kokh me 8 mahino ka baccha pal raha tha....jiska soch kar prataap ka sasur jyada hi paresaan tha...

Use ye dar tha...ki kahi prataap ki karni ki saza uski biwi aur uski hone wali aoulaad ko na mile.....

Bas isliye prataap ke sasur ne ek bada faisla liya....aur apni beti ki dusri saadi karwa di....

Halaki prataap ki patni ye saadi nhi karna chahti thi...par apni aoulaad ke bhavishya ki khatir wo maan gai.....aur dard ka kadwa ghooth pi kar dusri saadi kar li.......

=================

-: PRESENT ME :-

Sahar ke baahar ek highway ke uper bane flyover ki patti par baitha hua main apni jindagi ka pichhla ek saal soch raha tha......

Mera pichhla saal kaisa gujra tha.....ye sochte huye hi mera dil kaamp uthta hai.....par jo bhi ho......hai to haqiqat hi....

Pichhle saal jo bhi hua....wo sab sochte hi mera dil yahi bolta tha...ki kaash meri jindagi se ye pura saal cut jaata.....ya fir main wo sab badal pata...jo bhi is saal me hua tha....

Par main aisa kuch nhi kar sakta....kyoki jo hona tha....wo to ho chuka.....use ab jhutlaya nhi ja sakta.....aur na hi badla ja sakta hai.....

Ab mere saamne sirf sach ko swikaar karne ka rasta hi bacha tha......kyoki sach ko koi nhi badal sakta....aur na hi koi jhutla sakta hai.....

Ek saal pahle tak main kitna khush tha.......sabkuch tha mere paas.....ek saandaar jindigi thi meri.....

Aisa lagta tha ki bhagwaan ne mujhe jitne bhi dukh diye the....un sabka ab hisaab kar diya tha.....

Mere paas ek achhi noukri thi....ek pyaar karne wali biwi thi.....aur ek ghar....jo ab humara ghar tha....mera aur meri biwi ka.....

Ab isse jyada ek insaan ko bhala kya chahiye hota hai.....ki uska ek ghar ho....ek pyaar karne wali biwi ho....jindgi gujarne ke liye ek acchi noukri ho.....bas....yahi to chahte hai hum aam insaan....

Aur wo sab mere paas tha....par achanak ye kya hua...kyo hua....kaise hua.....ye to main bhi nhi samjh paya....

Aur jab tak main samjh pata....tab tak bahut der ho chuki thi....bahut der.....kyoki fir main us sabko rok nhi sakta tha....bas dekh sakta tha....aur dekh-dekh kar andar hi andar mar sakta tha.....

Par maine wo bhi saha......wo bhi bas yahi soch kar...ki aaj nhi to kal mera waqt fir se badlega.....kabhi to bhagwaan ko meri haalat par data aaygi....aur wo sab theek kar dega....

Bas isi intzaar me dooba hua main kai din tadapta raha...marta raha.....par...par kya hua....bhagwaan ko mujh par daya nhi aai.....bilkul bhi nhi...

Aur picchli raat usne mera sabkuch cheen liya....mera chain...mera sabr.....mera pyaar....meri jindagi....sab kuch....

Aur ab mere saamne 2 hi raaste hai.....ya to main chup rah kar har din marte huye jeeta rahu......

Ya fir abhi aur isi waqt ek kadam badau....aur is tadap bhari jindagi se chhutkara pa kar mout ki sukoon bhari need so jaau.....

Bas yahi sochte huye main khamoshi se neeche highway par doudti hui gaadiyin ki bhari bheed ko dekhne laga....

Us bheed me kahi na kahi meri aankho se nikalte aanshuo ki boonde bhi ja kar mil rahi thi....jo saayad mere liye hi is uchhai ko naap rahi thi....aur us dharti se bol rahi thi..ki bas kuch der aur.....tumhara ek laal tumhari god me samane aa raha hai......

Us najare ko dekhte huye meri dhadkane badne lagi thi...main haaf sa raha tha....ek bhayanak dar meti aankho ke saamne andhera paida karne laga tha....

Par tabhi maine apne dil me chhipe dard ko baahar nikala....aur usne mere dar ki saari deewaare gira di.....aur meri aankho ke aanshu bhi rok diye....

Ab meri aankho me dhudhlapan nhi tha...mujhe mera rasta bilkul saaf dikh raha tha......

Bas mere dil me ek hi khyaal aa raha tha....ki kaash main apne dard ko use bata sakta.....jo meri jindagi me sabae khas hai....

Par ab mujh me itni himmat nhi thi...ki main apne dil ko aur jyada dhadkne ka mouka du.....aur us khas saksh se baat kar saku....

Isliye maine sabkuch kismat par chhoda....aur fir dil ko majboot kar ke apni aankhe khol di...

Aur aankhe khulte hi meri najar mere hath me pakdi hui tasveer par gai.....jisme mere sath meri jindagi moujood thi....

Aur fir maine kuch der tak us tasveer ko dekha....aur ek aakhiri baar use choom kar aankhe bad kar li.....

Aur uske dil se bas ek hi aawaaj nikli.....AAKHIR AISA KYO KIYA.....???
Jabardast Starting bhaiii

Kahani ke suruaat mein hi ek suspense aur ek maut. Jabardast.

Pratap Naayak ki maut ko accident toh nhi lagti. Yeh ek sochi samjhi saajish hosakti hai jisme uska dost cum manager Sameem Khan aur police mile hue hai. Aur unhi logo ne milke Pratap Nayak ko maara hoga.

Idher woh ladka woh apni jindagi se tang aagaya hai woh hai toh kahani ka hero hi. Aur shayad woh pratap nayak ka beta hosakta hai. Jisse shayad uski biwi ne dhoka diya ho.

Par chaahe kuch bhi hua ho. Suicide karna kisi bhi tarah ki problem ka solution nhi hota hai. Uss problem ka dhatt ke saamna karna chahiye.

Ab dekhte hai kyaa karta hai woh ladka. Aur aisa kyaa kiya hai uski biwi ne.
 
Lucky..

“ɪ ᴋɴᴏᴡ ᴡʜᴏ ɪ ᴀᴍ, ᴀɴᴅ ɪ ᴀᴍ ᴅᴀᴍɴ ᴘʀᴏᴜᴅ ᴏꜰ ɪᴛ.”
6,635
25,201
204
Sandaar...Dhamakedar Starting Bhai..

Lagta hai puneet or puja ki married life me kaafi sare problem aane wale hai future me...

Pyaar, Dhokha, Dard, Revenge Sab dekhne ko milenge lagta hai...

Awesome superb Update and INTRO..
 
Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244
-: INTRODUCTION :-

1 YEAR AGO......
( 1 SAAL PAHLE )...

Sahar me bani ek building ke 2bhk flate me ek pyara joda rahta hai.....jo 2 mahine pahle hi is ghar me aaya tha....

Puja- aao na punni......aur kitni der....

Puneet- aa raha hu pujji...bas 2 minute....

Puja- kya yaar...tumhare ye 2 minute pichhle 20 minute se ab tak nhi huye....aise bhi kya baat karte ho...jo time ka bhi pata nhi lagta...

Tabhi puneet phon par baat karte huye bedroom se nikal kar dining table par aa gaya...

Puneet(phon par)- kal batata hu...bbye...

Puja(ghoor kar)- bata diya sabkuch....ya kuch rah gaya hai...

Puneet(muskura kar)- are yaar....ek wahi to hai...

Puja(beech me)- jo tumhari jindagi hai....hai na...

Puneet- nhi...tum bhi ho na...

Puja- hmm...par mujhe kabhi-kabhi lagta hai...ki agar tum dono me se ek koi ladki hoti na....to main yaha nhi hoti....tum dono hi ghar basa lete...hehehe...

Puneet(gussa dikha kar)- bas bhi karo....sorry......ok ..

Puja- nhi...tum mujhe sorry mat bolo...lo nasta karo...waise mujhe tumhare dost se koi problem nhi...

Puneet- janta hu.....waise poha mast bana hai....

Puja- thanda ho gaya na...ruko...main garam karti hu...

Puneet- are nhi.....main kha luga...

Puja(plate le kar)- aise kaise....pati ho mere.....aur mera pati thanda nasta kar ke office jaaye...um hu.....main abhi lati hu.....aur suno.....wo ek courier aaya hai tumhara....dekh lo tab tak....

Fir jaise hi puja kichen me gai....waise hi puneet us letter ko dekhne laga....aur dekhte hi khushi se doudta hua kichen me pahucha aur puja ko apni baahon me bhar liya....

Puja- aah...are...kya hua.......

Puneet- meri jaan....main aaj bahut khush hu...bahut-bahut-bahut khush....

Puja- ok baba....par apni jaan ko jara bataoge...ki khushi ki baat kya hai....

Puneet- ye dekho....mera promotion hua hai......yeeee....

Puja(khush ho kar)- sacchi....ye to.....uuummmhhh....i love you...

Puneet(hoth chhu kar)- are wah....pramotion milte hi muh meetja ho gaya....to ek baar aur...uuummhh...

Puja- uummhh...bas karo.....office jana hai ki nhi....

Puneet- are ha yaar...aaj mujhe nai post milegi......

Puja- to jaldi se nasta karo....aur jao....mujhe aaj bahut kaam hai...

Puneet- ek second....tumhe kya jaroori kaam aa gaya....haa...

Puja- are...mere pati ko pramotion mila hai.....to kya main puri building ka muh meetha nhi karaugi....main sabke liye laddu banaugi...

Puneet- ohh..par waise to nhi...jaise mera kiya....

Puja- kya...kya bola...

Puneet(door ja kar)- kkk..kuch nhi...

Puja- ya to aao....tumhari to main...

Aur fir puneet hall me bhaga aur uske picche puja...aur pakda-pakdi khatm hui to sofe oar puneet tha aur uski god me puja....jo uske seene par pyaar se ghoose maar rahi thi....

Puneet- bas....ab maafi de yaar...aur nasta bhi...

Puja- ohh...dekha...tumhare chakkar me der ho jaygi....ab aaraam se nasta karo aur jao...mujhe laddu bhi banane hai.....

Puneet- ok...par jyada mehnat mat karna.....thode se laddu banana....

Puja(kichen se)- main kar loogi.....aur rajni hai na.....use bula loogi help ke liye.....tum tention mat lo....

Puneet- ok...jaisa tum kaho....

Fir puneet nasta kar ke apne office nikal gaya....aur wahi puja ne apni padosan ke sath mil kar laddu banane suru kar diye....

TO DOSTO......YE HAI KAHANI KE 2 KHAAS KIRDAAR......

PUNEET AUR PUJA.......

Par agar mujhe kisi bhi insaan ke baare me koi kahani batani hai.....to sabse pahle us insaan ke baare me thodi si personal jaankari dena jaroori hai....jaise unka family background.....unki soch....unka jeene ka tareeka....unke khwaab....unka aachaar-vyavhaar....etc....

To yaha main aapko un dono insaano ke baare me batata hu....jinse is kahani ki suruwaat hoti hai.......

Ye dono hai PUNEET aur PUJA.....jo kabhi ek-dusre ke premi hua karte the....par aaj ek-dusre ke humsafar ban chuke hai...matlab an dono ne saadi kar li hai....aur unke beech premi-premika wala rishta ab pati-patni ke rishte me badal chuka hai.....

To aaiye....inke baare me thoda sa jaan lete hai.....

PUNEET RAJVANSH -

Puneet ek seedha-sadha ladka hai........jo dikhne me to accha hai hi....par usse bhi accha dimaag se hai......

Aur isi dimaag ki wajah se usne school se le kar college tak hamesha topper ki possition hasil ki thi....yaha tak ki schoular le kar hi apne college ki padhai puri ki thi.....

Aur uska dimaag dekh kar hi ek badi IT company ne use seedha ek badi post par select kiya tha.....

Dimaag ki baat to ho gai....wo to tej tha....but dil ke maamle me puneet thoda alag hi tha....jise hum kamjor dil ka bol sakte hai....

Par yaha dil ki kamjori ka matlab ye nhi...ki wo darpok hai...bilkul nhi....wo nidar insaan hai....

Dil ki kamjori ka matlab ye hai...ki puneet kafi emotional insaan hai....wo agar kisi insaan ke sath dil se judta hai...to fir us par jaroorat se jyada bharosha karne lagta hai....aur us saksh ki har baat par suport karta hai....

Aur fir wo chahte huye bhi kuch aisa nhi kar pata...jisse saamne wale ka dil dukh jaaye......

Kul mila kar ye kah sakte hai...ki agar puneet kisi se dil se jud gaya....to fir usko had se jyada support karta jata hai...

Aur agar kabhi puneet ko wo insaan koi kasam de de....tab to puneet us kasam ko marte dam tak nibhata tha...

Yaha tak ki hum ye kah sakte hai....ki puneet ka dil aisa hai....ki agar kabhi puneet ka dil toota...to wo saayad khud bhi toot jayga....aur apne aapko hi nuksaan kar lega.....

Aur yahi kamjori puneet ko kai baar musibat me bhi daal deti thi.....jiske liye uske khas dost ne puneet ko kai baar dhanta bhi...samjhaya bhi....par puneet is maamle me jyada nhi badal paya...

Baat kare puneet ke sapno ki...to uske koi bade sapne nhi hai...wo bas acche se jindagi jeena chahta hai.....na jyada paison ki khwahis hai....aur na hi kisi tah ki taaqat ka sapna...

Puneet to bas apni jindagi apni patni ke sath aur apne pariwaar ki yaadon ke sath khushi-khushi jeena chahta hai.....

Baat kare puneet ke pariwar ki...to uska apna koi nhi tha....ek tarah se wo anaath hi tha....par wo janm se anaath nhi tha....

Asal me puneet ka pariwar patakhe ki factory chalata tha.....aur usi factory me huye ek haadse ki wajah se puneet ne apna pura pariwar ek dhamake me kho diya tha.......

Aur jab puneet ne apna pariwaar kho diya....to uske apno ke naam par sirf uska ek dost hi rah gaya tha....jo puneet ke liye sirf dost nhi...balki ek bhai tha....ya yu kahe ki bhai se bad kar tha.....

Puneet ko uske dost aur uske pariwaar ne hi sambhala tha....par puneet itna khuddar tha...ki usne dost ka ahsaan lena pasand nhi kiya......balki khud tution kar ke apna kharcha nikala....aur fir schoular pa kar college ki padhai ki...aur apne dam par hi ek acchi job haasil ki....

Well.....jab puneet college me tha...to uska dost bhi usse alag ho gaya...kyoki wo apni padhai ke liye videsh chala gaya....aur puneet ek baar fir se akela rah gaya.....

Par bhagwaan ne puneet ka akelapan door karne ke liye use ek naya dost de diya....wo thi puja....jo pahle puneet ki dost bani...fir lover....aur ab uski patni.....

PUJA RAJVANSH -

Puja....jo ab to puja rajvansh ban chuki hai....par pahle puja khatri thi.....matlab uske mata-pita khatri surname likhte the....

Puja ek bahut hi bade ghar ki beti thi...jo bade naajo se pali hui thi.....use apne ghar par sab pyaar karte the....aur ghar me to uski hi dadagiri chalti thi....kyoki wo sab bhai-bahno me badi thi....aur apne pita ki laadli.....

Puja ne bachpan se hi jo chaha wo hasil kiya tha.....chahe wo khilona ho...dress ho....cycle ho....scootar ho...car ho....paisa ho...ya kahi ghoomne jana ho....matlab sabkuch.....

Puja bas ek baar bolti thi...aur use wo cheej mil jati thi......isliye puja thodi jiddi aur ghamandi bhi ho gai thi....

Puja bhale hi ziddi aur ghamandi thi....par padhai ke maamle me bhi kafi acchi thi...aur padhai ke alawa acting me bhi bahut acchi thi....aur isliye puja ne school se le kar college tak hamesha dramo me acting ka kamaal dikhaya tha.....aur kai awards bhi jeete the......

Padhai aur acting ke alawa bhi puja ko ek junoon tha....wo tha ek saandaar business women banna.....isliye usne college me business course hi chuna tha.....

Par jab puja ne puneet ko dekha....to wo use itna pasand aa gaya...ki puja ne busness chhod kar IT me admission le liya.....

Aur fir puja ne puneet se dosti ki....aur wo dosti puja ko badalne lagi....matlab puja ki zidd aur ghamand puneet ke pyaar ki wajah se kam hota gaya.....

Puja ne sirf puneet ki khatir hi acting se bhi doori bana li thi...kyoki puneet ko uska acting karna pasand nhi tha......

Aur puja ne apne paison ka roub dikhana bhi puri tarah se khtm kar diya tha....kyoki puneet ko paiso walo se dar sa lagta tha......

Kul milakar puja pyaar ki khatir puri tarah badal chuki thi...use ab koi chaahat nhi thi....siwaye puneet ke...

Par puja ke gharwalon ko puneet pasand nhi tha....isliye puja ne apne gharwalo ke khilaaf ja kar puneet se saadi ki thi...

Aur saadi ke baad se sirf puneet hi puja ka sabkuch tha....uska pyaar...uska pariwar....bas puneet.....

====================

Par kahte hai na...ki insaan ki kuch aadte puri tarah khatm nhi hoti....wo kabhi na kabhi baahar aa bhi jati hai.....kabhi gusse ki wajah se...to kabhi kisi aur wajah se....bas wahi puja ke sath bhi kabhi-kabhi ho jata tha...matlab uska gussa...zidd aur ghamand kabhi-kabhi saamne aa jata tha....

Puja apne pati puneet se itna pyaar karti thi...ki uske liye kisi bhi had tak ja sakti thi....aur wo gai bhi....par kisliye.....ye to aapko aage hi pata chalega.....

To dosto....puja aur puneet ke baare me to aapko bata diya....aur inke pyaar aur rishte ke bare me bhi....

Par jaisa ki maine pahle bola tha....ki pyaar kabhi kam ya jyada hone se jindagi me kuch bura bhi ho jata hai....aur kabhi accha bhi...

To ab dekhna ye hai...ki ye pyara joda apne pyaar me kis had tak jata hai....aur wo had inke pyaar ko kaha le jati hai....acchai ki taraf....ya buraai ki taraf.....??????
Jabardast Updatee

Toh iss kahani ka hero Puneet hai. Aur shayad jo ladka suicide karne ki soch raha tha woh Puneet hi tha. Jaise Puneet ke character me baare mein bataya gaya uss hisaab se Puneet ka dil iss kadar toota hai ke ab wih jeena hi nhi chahta. Aur uska dil toda hai usne jisse woh apni jaan se jyaada chahta tha jo uski biwi hai Puja.

Par Puja ne aisa kyaa kiya aur kyo kiya jisse Puneet ka dil toot gaya. Par shayad Puja ne jo bhi kiya ho woh usne sirf Puneet ke liye kiya hoo.

Dekhte hai aage kyaa hota hai. Yeh premi joda kya kya naye rang dikhata hai iss kahani mein.
 
parkas

Prime
22,374
51,804
258

Nice and beautiful introduction...
 
aalu

Well-Known Member
3,082
13,027
143
pyar kee had,,, sabki apni soch aur waisa jawab... kya had hona jaroori hain,,, shayad kyunki jab koi apne had ko laanghta hain toh bhayanak ghatnaye ghat-ti hain... kisi ke liye achhi toh kisi ke liye buri...

kahani mein pehle se hi maloom hain kee puja dhoka degi kis liye aur kyun nahin maloom,,, lekin jitna pyar karti hain karan mamuli nahin hoga,,, lekin wo kadam jo uske liye liya gaya usse maut ke muh tak kheench ke le aaya,,, toh kya wo uske liye tha wakai ya phir wo ek swarth bhara kadam tha,,, jisne tabahi ke shiva kuchh nahin diya...

puneet ka iss duniya mein koi na hain shivya uski bewi aur ek dost ke... lekin jab uske sabse kareebi log hi dhokha de dee toh sahare ke lie kuchh bachta hi nahin hain... beshara insaan ko zindagi kee kastho se behtar maut kee sukoon bhari neend lagti hain... shayad issi soch ne kahani ke nayak ko uss unchai pe laa diya jahan se uski puri zindagi dikhai dee,,, ant mein bacha kya toh wo bas akela...

waise iss kahani ko padhte wakt ek hi khayal deemag mein rahta hain kee aage kuchh bura hone wala hain,,, jaise kisi ko apni maut kee ghari bata dee jaaye aur wo bas shabkuchh chhor ke ussi intejar mein rahta hain kee wo ghari kab aayegi aur usse jana hoga... main toh yahee soch raha hoon kee fast forward mein saari ghatnaaye samne aa jaye jisne puja ko dhokha dene par majboor kiya... phir puneet mar ke bhoot ban ke badla pa pa pa pa pujiiiiiiiii.....

do logo ne dhokha khaya ek puneet ne doosra pratap ne,,, surname dono ke alag hain toh shayad unke ek doosre se koi seedha sambandh na ho,,, ya phir jis bachhe ko seema kee konkh mein chhor ke gaya pratap wo santaan ussi ka ho,,seema shaadi ke baad seema nayak se seema raajvansh bana ho... khair in dono ghatnao ka ek doosre par kya prabhaw parta hain wo aage dekhenge...
 
Top