• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

★☆★ Xforum | Ultimate Story Contest 2022 ~ Reviews Thread ★☆★

Aagasthya

A Loner.
Staff member
Moderator
28,099
12,907
259
***Breaker of chains : Rise of New Era***

c510339562d1cabfda42e86b88da2680.jpg


Amawas ki Kaali Andheri raat thi aur na jaane aaj baadal kuch jyada hi gurraa rahe the, shayad kuch kahna chah rahe the, par humesha ki trah aaj bhi unki sunne waala koi nahi tha. Par door ek sunsaan kile ke tahkhaane me ek shaksh zarur kisi se kuch sunna chah raha tha………………..





Shaksh- Bata de, murakh mujhe jo janna hai, kab tak aise hi bediyo me sadta rahega, apni saari jawani aise hi nikaalega kya. Mujhe de de jo main maang raha hu, aisho aaram ki zindagi de dunga tujhe…..



Kaidi ko koi hosh nahi tha, uske dono hatho me bel bandi hui thi, jo uske hatho ko baandte hue uske kaara ghar ke beecho beech chat par bandhi hui thi, uske haatho par bel ki jakdan se gehre laal-neele nishan ho chuke the, uska sharir zakhmo se aur kale neele nishano se bhara hua tha, ye saaf tha kaidi ko bahut waqt tak trah trah peeda di gyi thi.

Isi peeda ki wajah se use use shaksh ki baate dhundli sunaai de rahi thi, uski aankhe aadhi khuli thi, use lag raha tha wo ek sapna dekh raha hai, uski kale bade baal khulkhar uske chehre par faile hue the, uski aankhe uske baalo me se rah rahkar jhaank rahi thi. Uski aankhe dard aur km neend ki wajah se srukh laal thi, chehre par ek bhi shikand nahi thi, badi kaali daadhi se uska chehra ek khukhaar sher jaisa lag raha tha, isi beej lagataar us shaksh ki aawaj se uske kaano tak rah rahkar pahuch rahi thi.



Kaidi aisi sthiti me bhi data hua tha, aur na jaane kyu uska mann aaj khush tha, aur shaksh ki baate sunkar uske sukhe hotho par halki muskan aa gyi. Jo us shaksh se dekh li.



Shaksh- ab kya rah gya hai teri zindagi me hasne ke lie, tu yaha bediyo me sad raha hai, jaanwaro se bhi bat trr zindagi jee raha hai, teri saari zindagi mere hatho me hai, teri bahan aadhi paagal ho chuki hai, teri maa lambi neend so rahi hai, tere baap ko tune khud us din maar dia tha. Kuch hi dino me teri behan 20 saal ki ho jaaegi, tab poore 2 saal ho jaaenge tujhe is kaid khaane me. Mujhe de de jo mujhe chahiye aur fir jee lena apni zindagi.



Kaidi apni behan ke baare me sunte hi uske andar se na jaane kaise shakti aa jaati hai, aur wo zor se dahaad ke bolta hai, aur poore tahkhaane me aawaj goonj jaati hai, bhaari bhaari bedio se badhe hote hue bhi aisa lagta hai wo abhi chut kar us shaksh ki gardan pakad lega. Uska poora sharir hil uth ta hai

Kaidi- nahi dunga tujhe kuch bhi, khaali hath jaaega tu humesha yaha se, ek din main yaha se nikal kar teri gardan ko apne hatho se tod dunga, aur tere khoon ki ghoot piyunga. Apni kaali jubaan se meri behan ka zikar na karna kabi, warna teri ruh ko anantkaal tak apna gulaam banaunga.



Shaksh (haste hue)- dekh raha hu, teri hekdi abhi gyi nahi hai. Jaildar se kahunga teri hawa tight karega, jis din tu tutega, us din mujhe tu sab kuch bata dega, ek na ek din tujhse main uglwa hi lunga sab



Kaida (gurraate hue)- chala jaa, tu yaha se, isse pahle main tujhe aur is jaildaar ko aur is poore tehkhaane ko tabah kar du, aaaaahhhhhhhh………

Shaksh (shaintaani hasi haste hue)- koshish to karke dekho kya hota hai.

Kaidi ki aawaj ek dum bhaari kisi jaanwar jaisi ho jaati hai, uske baal hawa me uthne lagte hai uske hath bade hone lagte hai….par jaise hi uski shakti badhne lagti hai. Wo bedia safed Roshni se jal uthti hai, aur wo kaidi dard se tadapne lagta hai.



Kaidi- aaah DARK MAGE…….tujhe ek din yaha se nikalkar mout ke ghaat utaar dunga..aaaaaahhhh



Dark Mage (apna kaala jaadui staff ghumaata hai)- jab tak mujhe jo chahiye tun ahi deta, tu yahi rahega………aaram se soja abhi..mere paaltu….hahahahaaaaaa

Dark Mage jaadu karke use sula deta hai.

DM- jaildaaaar, mere paaltu ka dhyaan rakho, jyada hi jangli ho raha hai, main dobara aaunga tab tak ye seedha ho jaaana chahiye.



Jail daar- ji sarkaar.

Dark mage apne kale choge me chehre ko dhak kar bahar nikal gya, baahr uska kaal dragon uska wait kar raha tha. Wo uspar baithkar apne mehal me chala gya.



Idhar kothary me jaildaar ne, kaidi ko 4 gaaliyan di aur wapas apni gasth par chala gaya…..

Kaidi abhi tak behosh tha, thodi der me hosh me wo wapis aaata hai, dekhata hai ki dark mage jaa chuka hai aur wo waise hi kaidkhaane me bediyo se bandha hua latka hua hai. Uske dono baaju dard kar rahe hai, aur uska poora sharir jaise aag me jal raha tha.



Kaidi sochne lagta hai, kaise usne apne laalach ke chalte, apni poori zindagi tabah kar li, kaise uska bhara poora pariwaar usne apni hi hatho se khatam kar dia, aur jo dard uske dil me hai wo in sab bediyo ke dard se dard se, dark mage ke julm se badh kar bhi jyada hai. Dark mage usko itna tabah nahi kar sakta jitna usne khud ko kar lia tha. Kaidi sochne lagta hai jaise kal hi baat thi……



2 saal pahle Backstory……



Dunia ke paas ab samay kum bacha hua tha, is dunia ka sooraj khatam hone wala tha, bus 10-15 saalo me saari dharti ki uraja, ped poude, jeev jantu, poora jaadu bhi jo ki sooraj ki uraja se tha, khatam hone waale the. Aise waha ke Rajkumar DUNGEON MASTER ne ek tarkeeb nikaali jisse poori dunia bach sakti thi, aur fir se sukh shaanti wapis aa sakti thi. Par uske lie uske akele ke paas itni shakti nahi thi. Aur isme waha ke raja Mahamahim jadugar aur uske mantri raajkumar dungeon master ke plan ko support nahi kar rahe the. Aise me ek baar aakhri koshish karte hue Dungeon Master ne Apne pita ke aur sab mantrio ke aage apna plan vistaar me batakari sabko raaji karne ki sochi……….

Mantrimandal sabha :



Dungeon Master: Mahamahim, humare paas aur koi upaae nahi hai, agar humne kuch nahi kiya to dharti kuch saalo me khatam ho jaaegi, is dharti pe Jeevan ka vinaash ho jaaega.

Mahamahim: jaise har chiz ka shuruwaat hoti hia, har chiz ka ant bhi zaruri hai, yahi prakarti ka niyam hai, hume isse chedchaad nahi karni chahiye

Dungeon Master: Par iska matlab aap apne raajay praja aur pariwaar ka ant dekh sakte hai ? kya ek raja hone ke naate aapka dharam nahi banata ki apni praja aur raaj ko bachae

Mahamahim: Kitne hazar saalo se hum apni praja aur raaj ko kaayam karte aa rahe hai, apne shatruo se aur najaane kine vinaashkaari sankato se humne apne raajya ki Raksha kari hai, parantu ab jab Jeevan savaym hi khatam hone jaa raha hai, sristi ka virod sawayam param shakti ka virod hai, ye to honi hai honi ko koi nahi taal sakta, agar sampooran vinash niyati ke anusaar hona hai to hume dharam ki raah par chalte hue isko swikaar kar lena chahiye.

1 Mantri: maharaja bilkul sahi kah rahe hai, prakarti hi pram shakti hai (sab mantrimandal ne sath me bola)

Dungeon Master
: kya prakarti ne khud hi hume sochne aur samjhe ki shakti aur khud ke bachav ki shakati nahi di hai, kya humaara faraz nahi banata ki agar prakarti aur is dharti ko bachaane ka agar koi tarika hai hum us par amal kare, kya humari shakti aur soch khud prakarti ka hissa nahi hai. Kya hume apne ghar ko bacchane ka koi mool adhikaar nahi hai.



Mahamahim: tum apne sawarth ke lie, aur maout ke darr se aisa bol rahe ho, tumhe andaza nahi hai ki zindagi aur mout ek hi hisse ke do pahlu hu. Tum bus aane waale samay ko lekar darr rahe ho, parantu parakarti ne hume jo shakti di hai, Jeevan dan dia hai to hume prakarti ka dia jaane wale amar ant bhi manjoor hona chahiye. Hum prakarti ke niyamo ka aadar sammaan karte hue apni maryaada par challenge. Yahi humamara tumhare majamahim ka, raajkul ka, faisala hai. Sannnn staff ki aawaj (mahamahim ne apni staff ko zameen par jor se maarte hue kaha….)

Dungeon master: panratu…..

Mahamahim (gusse se): aakhri faisla hai……(staff zameen par maarte hai, poori sabha me safed rohni fail jaati hai)

Poora mantri mandal chaaplusi karte hue bolte hai- jai ho mahamahim ki jai ho….





Us din Dungeon master waha se sir jhukhaaye chala jaata hai, parantu use uske upar apne samaj, apne ghar bar apni janta ko bachane ka bhaar mahsoos hota tha, use lagta tha jab uske paas sabkuch thik karne ki vidya hai to, ek raata hai, to kyu wo ruk raha tha.



Aakhri usne mahamahim, apne pita, ki aagya ko na maante hue, sab kuch apnne haath me lene ki sochi, is sab ke lie uske paas itni shakti nahi thi, poore samraajy me sabse takatwar mahamahim hi tha. Isilie usne apni maa aur behan ko apni baat samjhaate hue apni aur kar lia.



Rani maa, dungeon master ki maa, usse bahut pyaar karti thi, wo apne bete ke lie, apne pariwaar ko bachane ke lie kuch bhi kar sakti thi, use bhi apne bete ke upar naaj tha ki uski vidya ki wajah se poori duniya bach jaaegi.



Doosri traf, Twin-Flame, dungeon master ki behan, beshak apne bhai se bahut pyaar karti thi, parantu wo apne pita ki laadli thi unse se bahut pyar karti thi, par wo apne pariwar ko, janta ko, khona nahi chahti thi, use bhi apne bhai ke plan jo ki zindagi ko bachane aur kaayam karne ka tha, par bharosa tha. Apne pita aur bhai me se kisi ek ko chunne ki kasamkash uske lie bahut muskil thi, kyu ki wo bachpan se hi Bi-polar thi, jiske rahte uska savbhav kabhi kabhi bahut dayadil, naramdil aur komal par kabi kabi bahut khuni-bhayanak aur nirdayi ho jaati thi, uska aadha sharir kabhi kabhi aag jaisa ja luth ta tha, kabi kabi barf jaisa ban jaata tha…uske paas anokkhi shaktiya thi, wo bhi bahut shaktishali thi.. Par jaise taise wo maan gyi aur tino mahal aur raajya se door ek puraani khandar me jaakar vidhi ko poora karne ka plan banaya.



Tino, Dungeon Master ke Dragon Drogon ke upar baith kar Andheri raat me udkar khandar me pahuch gye. Drogon pure Mystical kingdom me sabse shaktishaali mythical creature tha, wo dungeon master ke sath hi bada hua tha, dono ke beech ek atut rista tha, wo dungeon ka poori trah se wafadaar tha, wo gehre laal rang ka dragon tha, jo ki bade bade seharo, parvato ko apni aag se khatam karne ki shakti rakhta tha. Wo 100 foot lamba dragon tha, matlab ki badi badi building uske saamne choti lagti thi. Par kamal ki baat ye thi ki mythical creature hone ki wajah se wo apna size kum jyada kar sakta tha, jyada tar wo apne aap ko ek ghode ya hathi ke size tak hi rakhta tha, kabi kabi ek chote se chipkali jaisa bhi, jisse wo dungeon master ke gale ya kandhe par khelta rahta tha.



Tino, Andheri raat me khandar me pahuchte hai, drogon apna size chota karke wahi pe raat ki neend poori karne lagta hai.



Dungeon master: maa main vidhi shuru karta hu, aap dono ko ko vidhi me saamil hona hoga, uske beech hum tino apni shaktiyo ko kendrit karte hue vidhi ko poora karna padega.

Rani maa- thik hai beta, tum jaldi karo, tumhare pita se koi baat nahi chipti, vidhi ko jaldi poora karna hoga, agar wo aa gye to vidhi poori nahi hogi

Twin-flame- ha bhai, tum vidhi shuru karo, tab tak main bahar pahra deti hu.




Vidhi ke anusar, tino ki shaktio ko ek hona tha jiske rahte, ek apar shakti ki wajah se dungeon master dusri dunia ka portal khol deta, aur waha ki urja se apni dunia ke surya ko thik kar dega.



Dungeon master vidhi shuru karta hai, rani maa vidhi ke kaary me hath bataati hai, raani maa ke paas “foresight” ki power thi, wo kuch samay tak future me dekh sakti thi, wo dekhti hai ki mahamahim apne mythical creature FlameWings par baith kar khandar ki tarf aa rahe hai, aur uske sath kingdom ka sabse takatwar samurai jo ki raajgaddi ke lie bahut loyal tha, wo bhi aa raha hai.



Raani maa- beta jaldi karo, tumhare pita ji aa rahe hai, unko pata lag gya hai, aur wo yaha aayenge to sab kuch tahas mahas kar denge, shayad hume maar bhi de, tumhe unke gusse ka pata hai.

Dungeon master: maa par vidhi to abhi aadhi hui hai, mere paas shakti nahi hai ki akele main is vidhi ko poora kar paau

Rani maa- beta main tumhe apni poori shakti de deti hu, aur tumhari behan bhi apni shakti tumhe de degi, isse tum vidhi poori kar lena, aur main tab tak tumhare pita ko sambhal lungi.

Dungeon master: maa tum agar apni shakti mujhe de dogi to tum uske bina tumhari soul urja unbalance ho jaayegi, tum bahut kamjor ho jaaogi, aur aapki umar bhi jyada hai, pata nahi kya hoga, main ye risk nahi le sakta.

Rani maa- jyada der ki baat nahi hai, vidhi poori hone ke baad tum mujhe meri shakti wapis kar dena. Baaki baato ka samay nahi hai, ujawal bhavishy ke lie itna risk to lena padega, Beti jaldi andar aao….(rani maa twin flame ko aawaj deti hai)

Twin-flame ko apni maa ki ghabraayi hui aawaj sunai deti hai, wo daud kar andar jaati hai.

Twin-flame- kya hua maa ?

Rani maa- beti baato ka samay nahi hai, tumhare pita is traf aa rahe hai, hume apni shaktiya tumhare bhai ko deni hongi.




Twin-flame : thik hai maa, jaisa aap kahe.

Dungeon Master taiyaar ho jaata hai, dono maa-beti apni shakti dungeon master ko dene lagti hai.

Rani-maa hawa me dono hath ghumati hai, aur apni shakti dungeon master ko de deti hai : (Dance of souls)

Twin-flame apna jaadu karti hai, (ice age), aur uski shakti dungeon master ke andar chali jaati hai.

Maa-beti, dono ki shakti milne ke baad dungeon master ki shakti badh jaati hai, uske aankho me se halki halki aag ki lapte nikalne lagti hai, aur uska pahna hua choga apna rang badalkar laal ho jaata hai.

Idhar rani-maa jaise hi apni shakti dungeon master ko deti hai, uske sharir me ek dum se spast roop se dikhne waali kamjori aa jaati hai, aur uske baal jaise safed ho jaate hai. Par twin-flame ki umar abhi kum thi isilie us par jyada asar nahi hua. Uska dimagi santulan thoda bigad ho gya tha

Rani-maa- samay na gawao ab, jaldi se vidhi ko poora karo, beti tum mere sath bahar aao.

Twin-flame (hosh sambhalte hue)- aasha karti hu aap kaamyaab honge bhaiya.

Dungeon master (smile karte hue): bilkul meri behna.




Dono maa beti, khandar ke bahar pahuch jaati hai, aur mahamahim ka intezaar karti hai, idhar dungeon master ne shakti milne ke baad vidhi ki gati ko tej kar dia tha.



Mahamahim apne firephoneix (Flamewings) ke upar baith ke aa raha hota hai, jiske sath Demon samurai bhi hota hai, ab rani maa aur twin-flame dono ko mahamahim flamewings ko dekh sakte the.

Rani-maa aur twin-flame, dono ko darr lag raha tha, dono hi mahamahim ki shaktio ki aage bahut kamjor thi. Par fir bhi rani-maa ko umeed thi ki wo mahamahim ko kaise bhi karke waha rok lengi. Twin-flame bahut hi pareshan thi, uska dimag fata jaa raha tha, wo apne pita ka saamna nahi karna chahti thi, uske dimag me ajeeb sa pagalpan chaata jaa raha tha.

Twin-flame ka sir ghumne lagta hai, aur wo apne sir ko jor jor se ghumaane lagti hai, uske baal poore khul kar bikhar jaate hai, aur wo ajeeb si hasi hasne lagati hai, jise sunkar rani maa chintit hokar puchti hai, kya hua beti thik to ho.




Twin-flame (ajib si hasi haste hue)- aaee Bhudia tu apna kaam kar na, yaha sab marne waale hai, mout ka taandav hone waala hai, mains sabko jala kar raakh kar dungi.

Rani-maa samjh jaati hai ki twin-flame ka dusra roop bahar aa gya hai, aur wo ab jo bhi saamne hoga usko maar daalegi.

Wo apne aap ko sambhal leti hai, apni shaktiya dungeon master ko dene ke baad wo thodi kamjor ho gyi thi, use maalum tha wo aise condition me jyada ladd nahi paaegi. Wo bus kuch bhi karke thoda samay nikaalna chahti thi, jisse dungeon master vidhi ko poora kar le.

Dungeon master ke pas shakti thi, to usne sabse pahle khandar ke chaaro aur ek surakha kawach ka mantra padh kar ek jaadui ghera bana dia, jiske andar aana kaafi muskil tha.

Mahamahim flamewings ke upar se dekhta hai ki uski beti aur uski patni khandar ke bahar khade hai aur wo samj jaata hai ki uska beta bhi andar hai aur kuch galat hone waala hai.

Wo demon samurai ke sath tha, dono khandar ke paas jaake utar jaate hai, Mahamahim bina kisi ladai ke maamle ko rafa dafa karna chahta tha, par shyad usko bhi andaza tha aisa hona namunkin hai. Demon samurai chup chaap mahamhim ke sath khada tha, use pata tha ye raj gharane ka matter hai, wo mahamahim ki aagya ke bina kuch bhi nahi karega.

Mahamahim- maharani tumse ye ummeed nahi thi hume, aapne raajgaddi ke hukum ka ullaghan kiya hai.

Rani-maa- humne apne baccho ka sath dia hai, aur apni janta ke hit ke lie socha hai, jo aap nahi kar paae, aapne jaha mirtyu ko apna liya hai, wahi humne Jeevan ko gale se lagaya hai, hum apne pariwar aur janta ko aise marne nahi denge

Mahamahim- aap putra moh me andhi ho gyi ho maharani, aap ko sahi galat ki samajh nahi rahi.

Rani-maa- sahi galat ki samajh janam dene waali sirf, Jeevan ko shuru karne waali sirf maa hi samjh sakti hai. Huamri samajh sahi raah par hai maharaja aap hi bhatak gye hai.

Mahamahim samjh jaata hai, raani-maa se baat karke kuch nahi hoga, wo apni putri twin-flame ki aur dekh kar kahta hai.

Mahamahim (uski aawaj me dukh aur disappointment thi): beti tum bhi apne pita ke khilaaf ho gyi ho, hume ye dekh kar bahut dukh hua hai.

Twin-flame jo ki raani-maa aur mahamahim ki baato par dhyan nahi de rahi thi, wo paagal hokar apna aaapa kho chuki thi, usne mahamahim ki baat ka ajeeb si bhaari aawaj me bus ek hi shabd me jawaab dia- Maroge……

Aur ye bol kar twin-flame jaadu ghere ke bilkul samne kood padi thi, jaise ki wo humle ke lie taiyar thi. Idhar mahamahim bhi samjh gya tha ki uski beti ka dusra savbhaav baahar aa gya hai, ab wo khukhaar ho gyi hai usse baat karne ka kuch faaeda nahi. Wo Demon samurai ko order deta hai.

Mahamahim: samurai aage badho aur jaadu ghere ko tod do…

Demon samurai: jo aagya mahamahim




Demon samurai attack karte hue: (Demon slash), apni talwar ko hawa me ghumaata hua apna attack taiyar karta hai, dekhte hi dekhte uski talwaar black ho jaati hai, aur kaali talwar ko jor se jaadui ghere ke upar maarta hai, ek badi kaali parchaai hawa ko kaat ti hui, ghere par padti hai. Aur ghera thoda kamjor ho jaata hai….





Idhar khandar ke andar dungeon master apni vidhi ko poora karne hi vaala hota hai, jab use demon samurai ka attack feel hota hai, use pata lagta hai uske paas jyada waqt nahi hai, wo apni poori shakti se. vidhi ko jaise taise poori kar deta hai, uski saanse chad jaata hai, uske sharir ki nashe fool jaati hai, uski chaati me saans lena bhaari ho raha tha, par use pata ki vidhi kitni zaruri hai isilie wo rooka nahi. Aur jaise hi vidhi poori hui, dusri dunia ka portal khul jaata hai. Jo ki khandar ki theek upar hota hai. Jaise hi wo portal khulta hai, aasman beech me fat jaata hai, aur raani-maa, mahamahim, twin flame aur demon samurai sab aasman ki aur dekhte hai. Mahamahim ko jis baat kar dar wahi ho gya, use laga ki ghor anarth hone waala hai.

Mahamhim: jaldi karo samurai.

Demon samurai mahamahim ki traf dekhta hai, aur apni gardan se haa me ishaara karta hai, aur ek bada attack karta hai (Dance of dark angel) is attack ke sath demon samurai ki black sword se bahut saare dark shadow attacks lagataar jaadui ghere par padne lagte hai. Aur ghera ek dum se toot jaata hai.




Ghere ke tut te hi, dungeon master ko pata lag jaata hai, parantu tab tak wo dusri duniya, jo ki ek multiverse ki hazaro dhartio me ek aur dharti thi, ke suraj se shakti lena shuru kar deta hai.

Mahamahim dekhta hai ki aasman me khule portal me se urja nikal rahi hai aur khandar ke andar jaa rahi hai, use pata chal jaata hai ki dungeon master urja khich raha hai. Mahamahim ko jaldi hi kuch karna tha, nahi to bahut der ho jaati.




Mahamahim khandar ki aur kadam badhaata hi hai ki, twin-flame attack kar deti hai. (Hell fire….) charo aur aag fail jaati hai, par mahamhim ki shakti ke aage twin flame kuch bhi nahi thi, wo aag ko apni chadi ghumar kar, apne staff ki uraja se sokh leta hai.

Mahamahim: bus beti bahut hua, hume jaane do

Raani-maa: aap kahi nahi jaa sakte, rani maa attack karti hai (soul lock): jisse mahamhim ki soul aur rani-maa ki soul aapas me lock ho jaati hai.




Mahamahim: rani-sahiba bus kijie, aap galat kar rahi hai.

Rani-maa: sahi galat ka samay nikal chuka hai..aahhhh




Rani maa ki shakti kum thi isilie wo struggle kar rahi thi, par use pata thi ki use kuch hi der ke lie mahamahim ko rokna hai.

Idhar mahamahim ne samurai ko ishara kia, demon samurai aage badhkar twin-flame ko sambhalne ke lie taiyaar hua. Demon samurai ne apni talwar ki urja apne next attack se badha di, uski talwar ab kaali hokar usme ajib se laal aag jal uthi thi.




Par itne me hi, aasman me se khule portal me se kisi jaanwar ki guraane ki uchi aawaj aati hai

Graarrrrrr Graarrrrrr raarrrrrrr

Sab upar dekhne lagte hai, ek kale rang ka bada dragon apne muh se aag nikaalta hua portal me se is dunia me aa raha tha, jaise hi wo portal me se poora nikala usne jaise poore khandar ko apne wings ke niche le lia, poora khandar andhere me dhoob gya. Fir ek dum dragon ne apne muh se aag faiki (Volcono fire)



Par jaise hi aisa hua, mahamahim ne rani-maa ka attach ek dum se tod dia apne jaadu se ek ghera bana lia aur dragon ki aag se sabse bacha lia. Par mahamhim ke jaadui ghere ke aas paas ki jagah sab jal uth ti hai. Wo uchi uchi lapto me kuch nahi dikh raha tha.

Rani-maa apni foresight ki power use karti hai, use pata lag jaata hai kya hone wala hai, wo xforum-communication se mahamahim ko usi waqt sab bata deti hai. Par jaise hi wo ye karti hai uski shakti khatam ho jaati hai aur wo behosh ho jaati hai.

Twin-flame ye dekhti hai aur wo samajti hai ki mahamahim ne rani-maa ko maar dia hai, wo mahamahim ki traf attack karne ke lie aage badhati hui daud padti hai, aur hawa me kood kar attack karne ko hoti hai ki mid-air me hi mahamahim apni shakti ka prayog karte hue twin-flame ki shaktiya cheen lete hai aur use behosh kar dete hai.

Mahamahim demon samurai ko jaldi se ek xforum-communicate karte hue Sandesh bhejta hai, aur demon samurai jaldi se rani-maa aur twin-flame ko dono kandho par uthakar dragon ki aag ke beech se khandar se door ghane jungle me le jaata hai. Wo samaj jaata hai ki kuch bada galat hone wala hai.




Jaise hi aag thodi kum hoti hai, dragon apne wings se hawa ko tej karte hueaag ko kum kar deta hai, black dragon ke attach se khandar ke andar vidhi ko poora kar rahe hai dungeon master ka link dusri dunia ki urja se toot jaata hai, aur wo jaldi se apne dragon ko taiyaar kar leta hai, dungeon master ka fire dragon Drogon apne bade poore roop me aa jaata hai, aur fire phoenix flamewings bhi apna size bada kar leta hai aur dono black dragon se ladne ke lie taiyar ho jaate hai.



Itne me ek aawaj poore aasman me goonj uthi hai, jo ki black dragon par baithe ek shaksh ki thi, aur wo koi aur nahi DARK MAGE tha

DARK MAGE: is duniya ke vaasiyo tumhara naya raja aa gya, tumhari sukh shaanti ke lie yahi sahi hoga ki tum humari shakti ke ghutne tek do, warna anjaam bhukto aur mout ko gale lagao, hahahaha (pagal ki trah haste hue)

Mahamahim aur dungeon master dono khandar ke bahar hote hai, bade bade dragons ke wings se hawa tej chal rahi thi.

Mahamahim: beta, abhi ke lie aapsi baato ko bhul jaao, ye shaksh humari dunia kaisi bhi ho uspar kabja karne aaya hai aur iske iraade shaitaani lag rahe hai.

Dungeon Master: pita ji aap thik kah rahe ho, aisa hi lagta hai.

Dark Mage apne black dragon se utar kar niche aa jaata hai, aur mahamahim aur dungeon master usko dekh rahe the, dono kaano kaan chokanne the, aur kisi bi waqt hone wale humle ke lie taiyar. Jab wo dhyan se dekhte hai to dono shock ho jaate hai.

Dark Mage: to is poore saamraayja ke raja tum ho buddhe.

Dungeon master: tameez se baat karo, tumhe nahi pata tum kisse baat kar raha hu

Dark mage: jitni ijjat ek gulam ko milni chahiye utni mil rahi hai, aur dekho to humari shakal milti hai par fir bhi tujhe dekhkar mujhe kitni ghinn aa rahi hai. Tumhari zindagi abhi tak vyarth thi, ab tumhare Jeevan ka ek hi maksad meri seva, apne raja ke aage juko. (dark mage apna kaala staff zameen par maarta)




Dark mage ki shakal dungeon master se milti thi, par bus ye fark tha ki wo ek jaalim dunia ko khatam karne wala, laalchi insaan tha. Aur dungeon master life ko save karna chahta tha, dayadil thi, sabke hit ke lie sochne waala.

Mahamhim: tumhare lie accha hoga tum jaha se aaye ho, aur tumhare jo bhi iraade hai unko lekar apni dunia me wapis chale jaao. Isi me tumhari aur sabki balai hai.




Dark mage ab unke chaaro aur chalte hue baat karne lagta hai, : tum mujhe apne pita ki yaad dilaato ho, wo bhi aise hi badi badi baate kiya karte the jinka koi matlab nahi tha, mujhe humesha lagta tha unka dimag kharab hai, isilie mujhe unse nafrat thi. Aaahhhhhhhh (dark mage attack kar deta hai)…

Iske sath hi ladai shuru ho jaati hai dungeon master ka fire dragon drogon aur sath me mahamahim ka flamewings aur dark mage ke dragon ke sath ladne lag jaate hai.




Mahamahim us attack se bache hue apne staff se dusra humla karte hai, aur dark mage us attack ko apne staff se absorb kar leta hai.

Dungeon master bhi ladai me saamil ho jaata hai, wo attack karta hai to uske attacks ko dark mage apne baaye hath se rok deta hai aur uske upar attack kar deta hai.




Mahamahim aur dungeon master dono samaj jaate hai ki dark mage bahut jyada powerful hai, usko aise nahi hara sakte hai.

Idhar dark mage samjh jaata hai ki mahamahim jyada powerful hai par dungeon master ke andar ladne ke badiya gur hai. Wo soch leta hai use kya karna hai.




Dark mage ek bada attack karta hai : apne anjaam ke taiyaar ho jaao (Darkness of dark side of moon) jisse ek bada kaala energy ka gola dungeon master ki traf jaa padta hai.

Isse dungeon master rokne ki koshish karta hai (first ray of sun) apne attack se, ek badi light ki beam uske staff se nikalti hai aur dark mage ki energy ball se takra jaati hai. Par dark mage ka energy ball bahut shakti shalli tha. Mahamhim ko bhi us attack ko rokne ke lie dungeon master ke paas jaana pada.




Par jaise hi mahamhim dungeon master ke paas jaane ke lie aage badhta tha, dark mage isi chiz ka intezaar kar Raha tha. Dark mage ne apne staff se ek energy ball aur banayi aur mamahim ko usme kaid kar lia.

Dark mage: buddhe bahut chappar chappar kar li tune, tera kaam khatam ho gya ab. Ab is dunia ko teri zarurat nahi hai.

Dungeon master : pita ji, nahi!!!!!!!!!!!!!!!!!!

Dungeon master ka attack bada ho jaata ho jaata hai, aur wo badi koshish karke dark mage ki badi energy ball ko piche push karke aasman me fenk deta hai.

Par tab tak dark mage mahamhim ko apne energy ball me kaid karke aasman me khule hue dusri dunia ke portal me fenk deta hai, uske piche piche dungeon master ka dragon and flamewings dono hi portal me chale jaate hai, aur jaise hi dark mage aisa karta hai, wo portal band ho jaata hai.

Dungeon master : main tujhe jaan se maar dunga (fire of thousand suns) dungeon master attack karne ki shuruwaat karta hai. Par isse pahle hi dark mage dungeon master ke piche teleport hokar usko apni energy beam se hit kar deta hai….aur dungeon master wahi behosh ho jaata hai.

Aur jab aankh khulti hai to dungeon master apne aap ko kaidi paata hai, wo bhi usi khandar ke tahkhaane me. Wo jaadui bedio se bandha hua tha.

Dark mage: ab tu mera gulaam hai mera kaidi hai, aur jab tak tu mujhe dusri duniayao ke portal khol ke dega, taaki main sab par jaake unpar raaj kar saku.

Dungeon master: mere pita ji kaha hai, tune kya kiya unke sath haramzaade.

Dark mage: us buddhe ko bhul jaa ab tu, ab tu bus meri seva karega, mujhe pujega

Dungeon master: hahahahaha, abe saale tujhe kon pujeja tujhe koi nahi jaanta idhar, tu kon hai, ye dunia khatam hone wali hai, isilie maine dusri dunia ka portal khola tha, aur ab tu is marti dunia ka raja banna chahta hai, jab yaha ke logo ko pata lagega ki mahamahim nahi rahe, unka bharosa bilkul uth jaaega, aur aise bhi koi bhi unke saamne aaya to usko wo jalakar maar denge

Dark mage: abe choti akal ke chuze, baap chala gya to kya hua beta to zinda hai, main raaj karunga ab teri ghatiya shakal hai mere paas, par fir bhi tujse accha dikhta hu, aur teri maa aur behan bhi zinda hongi is dunia me kahi, unhe dhund kar tere saamne unko maar dunga.

Dungeon master apni maa aur behan ka name sunta he ghabra gya: nahi unko kuch mat karna, nahi to main tujhe jaan se maar dunga.

Dark mage: agar unki sehmati chahta hai to mujhe dusri dunia ke portal kholne ki vidhi bata de, main tujhe chod dunga.

Dungeon master: aisa kabi nahi hoga, main usse pahle mar jaaunga

Dark mage: to marr saale idhar hi, saddta rah suvar ki trah….jab tak tu mujhe bataega nahi tu idhar hi kutte ki trah kaid rahega………….






Ab in sab baato ko 2 saal ho chuke the………

Dungeon master bedio me bandha hua apne aap ko kos raha tha, kyu usne wo plan socha ab uski wajah se agar kaise bhi karke ye dunia bach bhi jaae to dark mage is dunia par raaj karega aur apne zulamo se tabahi faila dega. Uski wajah se uski maa nahi rahi thi, uske pariwar ke kisi bhi member ko uski khabar nahi thi. Wo akela tanha bus apni aakhri saanse gin kar maut ka intezar kar raha tha. Uske dil me dard aur aag thi, jisse ya to wo khud ya fir dark mage dono me se ek ko jalana chahta tha.

Is dark mage shahi gharane me madira aur aurto ke beech ayaashi kar raha tha, mantri mandal bhi Rajkumar ke is roop ko dekhkar taajuub me the. Mahamahim ke jaane ke baad dark mage, jiska chehra hoobhu dungeon master se milta tha, raja ban gya tha. Mahamhim ki mirtryu ki khabar khud black samurai sabi mantrio ko di thi, sabko ye pata tha mahamahim dunia ko bachane ke lie ek vidhi ka aagman karte hue maut ko gale laga lia.

Idhar twin-flame pita ki maut ke baad bahut khookhar ho gyi thi, uske nirdayi roop ne uske dimag par kabja kar lia tha, use apne pita ki mirtyu aur us raat ki koi baat yaad nahi thi dark mage ne uski nirdayita ko dekhte hue use raaj darbaar sambhalne ke lie de dia tha, wo dark mage ka right hand ban gyi thi sab mantri usse darte the, aur wo jo bhi mantri uske khilaaf bolta twin-soul usko ya to maar deti ya fir usko maar maar ke mantri mandal se bahar kar deti.

Idhar 2 saal se demon samurai mahamahim ke raaj ko dil me dabae hue tha, aur raani-maa jo ki 2 saal se neend me so rahi thi, wo aaj amawas ka kaali raat ko jaag uthne waali thi, ye amaawas ki raat koi maamuli raat nahi thi, ye wo raat hai jisme sabi jaadugraniyo ki shaktiya 1000 guna badh jaati hai, aur aaj twin-flame ka janamdin tha, wo ab yuvaawastha me paripakh hone jaa rahi thi, aur iske sath hi use apne bi-polar character par poora poora control milne waala tha.

Jaise hi amawas ka kaali raat sabse Ghani hoti hai, raani-maa ki 2 saal se jaadui neend toot jaati hai. Wo beshak jaadui neend me so rahi thi, par usko apne aas pas ho rahi sab baato ka gyaan tha, uski neend jaise hi khulti hai to jaise poore raajya me jaadui lehar daud jaati hai, uski aankho me gusse aur dard ke aasu hote hai, jo na chahkar bhi uski aankho se nikal kar bah uthte hai, use apne pati ke sacrifice, apne bete ke bandhi hone ka aur apni beti ka maansik utpeedan, aur apne raajya ke logo ka dukh mahsoos ho raha hota hai. Par use pata tha abhi aasu bahane ka waqt nahi hai.

Same chiz, twin-flame ke sath bhi hui thi, use aisa lagta hai ki jaise wo ek gehri neend sa jaag uthi hai. Use sabse pahle us raat ki baate yaad aati hai, kaise wo, uska bhai aur maa ladai ke lie taiyaar ho rahe the aur uske pita ne usko behosh kar dia tha, aur fir usko 2 saal ke daruan uske doosre roop ke kiye hue bure kaam yaad aate hai, usko bahut gehra dard mehasus hota hai. Aur uski aankho me se aasu beh uthte hai.

Dark mage apni raat ki aiyaashiyo ko poora karke chain ki neend so raha tha, use in sab chizo ki bhanak bhi nahi thi.

Par itne lambe samay se chal raha ghinona atyachaar band hone waala tha.

Twin-flame apne kamre me roti Hui subak subak kar aasu Baha rahi thi, ki acchnak uske kamre ka darwaaja khula hai aur raani-maa daakhil ho jaati hai. Twin-flame apni najre uthakar apni maa ki traf dekhti hai Wo daud kar apni maa ke kadmo me gir jaati hai aur uski kamar ke charo aur hath daalkar rone lagati hai. Raani-maa apni beti ke Sundar chehre ki aur dekhti hai aur uske chehre par giri baalo ki lat ko uske kaan pe piche karke bolti hai

Raani-maa: bus beti, ab sab thik ho jaaega

Twin-flame (apne sir ko apni maa ke hath par dabate hue kahti hai) : par kaise maa, batao kaise thik hoga

Twin-flame ki aawaj me beinteihaa dard tha, jiska koi ant nahi tha.

Raani-maa: beti jaldi chalo, main tumhe samjhaati hu.

Raani-maa aur twin-flame dono, jaldi se jaha dungeon master kaid tha usi khandar ki aur chal padi. Raani-maa apne jaadu se khud ko aur twin-flame ko andrishy kar deti hai. Aur jab dono khandar pahuchate hai, to waha ke jyadtar pahredaar raat ko neend so rahe hote hai par fir bhi raani-maa khandar ke sabi pahredaaro aur jaildaar ko bhi apne jaadu se gehri need Sula deti hai, raat abhi kuch hi der me khtam hone wali thi, subah ki pahli Kiran nikalne ko thi.

Dungeon master bedio me bndha hua tha, uska chehra badi daadhi aur ghane bade baalo se bhara hua tha, uska bada majboot sharir bade bade choto aur nishano ke baad bhi kathor aur shaktishaali maloom hota tha, wo bhi bedio se Bandha halki jhapi le raha tha, parantu jaise hi usne kadmo ki aahat suni to usse bada achambha hua, uski aankho me aasu jhalak aaye the, kyu wo jaan gya tha ki ye koi nahi uski maa ke kadmo ki aawaj thi.

Kadmo ki aawaj jaldi se uske kaaragrah ki aur badh rahi thi. Sath me ek shaksh aur tha, jiske pair ki jutiya aawaj kar rahi thi.

Dungeon master se intezaar sehan nahi hota hai, uske man ki utsukta itni badh jaati aur uske chanchal man se, jo ki 2 saal se dukh aur dard se tadap raha tha, aawaj nikal uth ti hai.

Dungeon master: MAA!!!!

Raani-maa aur
twin-flame,
bhag kar uski karagrah ki aur jaate hai. Tino ka milan hota hai

Raani-maa: beta

Twin-flame: bhaiyaa

Raani-maa apne jaadu se karagrah ki salaakhe gaayab kar deti hai aur jhat se dungeon master ki bedia bhi gayab kar deti hai, dungeon master, jo ki do saal se dhang se chala bhi nahi tha, maa aur behan ko dekh kar unko aur bhag uthta hai.

Aur us kaale khandhar ke ek chote se karagrah me, ek maa aur dono bacche fir se ek ho jaate hai.

Tino thodi der tak rote hue, ek dusre ko kuch der tak gale lagaaye rakhte hai, fir thodi der me raani-maa dungeon master ke sir par hath rakh kar uske baalon ko sehlaati hai aur uske chehre ko pakad kar kahti hai. Beta tumhare papa ko wapis laane ka samay ho gya hai. Waqt aa gya hai ki poora pariwar wapis ek ho jaae.

Dungeon master: kaise maa, aap kya kah rahi hai.

Raani-maa: beta tumhare pita ko pahle hi pata tha ki kuch bura home wala hai, jaise hi dark mage is dharti par aaya to uski Shakti dekh kar unhe pata chal gaya tha use haraana naamunkin hai, par shayad kaali-poornima ke din, jo ki aaj hai, usko haraaya Jaa sakta hai, kyu ki meri Shakti wapis aur kaafi jyada ho chuki hai, aur twin-flame ki shakti ne yuva awasta ke baad pooran roop le lia hai. Ye ab pahle se kai guna shaktishaali ho gyi hai, aur isne apni bi-polar character par bhi kabu kar lia hai. Aur black samurai mehal me rahkar dark mage ki chokidaari kar raha hai, kuch bhi hone se pahle wo hume aagah kar dega, beta ab jaldi karo

Dungeon Master apni choti behan, twin-flame ki traf dekhta hai, use apni behan par bada naaz aur pyaar aata hai, dusri traf twin-flame jo ki pichhle do saal me kaafi badal gyi thi, uska sharir aur shakti dono hi kaafi taakatwar ho chuke the uske baal khule hue the, sunahre rang ke. Aur kapde bhi sunhare ho gye the, jo ki ak badi jaadugarni ki nishani thi

Dungeon master: maa main samjh gya. Thik hai. Par meri staff mere paas nahi hai.

Raani-maa mantra padhti thi, aur dungeon master ko pahle se bhi shaktishaali staff de deti hai. Dungeon jab staff ko apne hath me leta to usko apne sharir me pahle se bhi kai guna jyada shakti ka aabhaas hota hai

Dungeon Master: ye to pahle se bhi jyada shaktishaali staff hai

Raani-maa: ha beta iski zarurat padegi, ab jaldi se vidhi shuru karte hai.



Dungeon master ne jaldi se wahi vidhi shuru kar di, aur fir se aakash me ghor ghane baadal chaane lage aur bijli chamakne lagi, us dunia ke jaadu me jaise hi jaadui halchal honi shuru hui ki dark mage ki neend khul jaati hai, daaru aur nangi aurto ke beech wo apne Shahi kamre me tha, us kamre ka pahra black samurai aur khud Shahi senapati de rahe the.

Dark mage dhyan laga kar apni shakti se pata kar leta hai ki dungeon master ko kisi ne aajad kar dia hai (jaadui bedia dark mage ki thi, usi ki wajah se)

Dark mage andar se hi cheekh uthta hai: senapati, jaldi se sena ko taiyar karo.

Senapati aur black samurai, dono bahar se hi aawajj lagate hai, kya hua huzoor sab thik to hai.

Dark mage apne kapdo ko muskil se lapete hue bahar aata hai, saaf dikh raha tha ki wo niche se bilkul nanga hai

Dark mage: raajya ke bahar koi kaala jaadu kar raha hai, jo humare raajya aur is dunia ke lie khatra hai, jaldi se sena ko taiyaar karo. Tab tak black samurai tum humare sath chalo.

Dark mage ka plan tha ki wo sabse pahle jaake dungeon master ko aajad karne walo ko maar de, aur black samurai ek Shahi gaddi ka rakhwala jisko sab maante hai uski aakho me apni image positive bana le, taaki baad me poori sena aur raajya uske sath ho jaae. Jisse wo dungeon master ko bura aadmi, ek behrupiya karaar kar sake.

Dark mage aur black samurai, dark mage ke black dragon pe baithkar usi khandhar ki aur udd padte hai, Shahi sena kuch hi der me waha pahuchne waali thi. Isi beech black samurai ne telepathy se raani-maa ko message bhej dia tha ki dark mage ko pata chal gya hai.

Idhar dungeon master portal ko jaise hi kholta hai, use us portal me se drogon (fire dragon ), flamewings (fire phoenix) aate dikhte hai, aur flamewings par sawaar use apne pita mahamahim najar aate hai.

Drogon aur dungeon master ka rista bahut attoot tha, drogon bahut emotional ho gya tha, uski aankho se aasu (jo ki chote chote fire ke gole the) tapak rahe the. Sabse pahle drogon hi chota hokar, dungeon master ki traf udd padta hai aur uske poore badan par lipatt jaata hai, aur apni lambi jeeb se uske poore sharir ko chaatne lagta hai, dungeon master bhi drogon se gale lagkar bhavuk ho jaata hai, wo bhi haste haste drogon ko gale lagata hai. Drogon wooo, wooohhh grooorrr ki aawaje nikaal raha tha, isi beech dono ka pyaar dekh ke raani-maa aur twin-flame hass rahe the.

Dungeon master: bus bus, drogon, maine bhi bahut yaad kiya tujhe.

Flamewings zameen par jaise hi utarta hai aur Mahamahim flamewings se utar kar mudkar apne pariwar ko dekhte hai, raani-maa, twin-flame aur dungeon master sab mahamahim ki or daud padte hai. Sab ek dusre ko gale lagaate hai.

Dungeon Master - pita ji Hume maaf kar dijie, sab humari galti hai, humaari wajah se ye sab hua, hume Sikh mil gyi hai, aap sahi the.

Raani-maa, twin-flame, dungeon master sab chok jaate hai : KYAA!!!!

Mahamahim: Haa bete, hum galat the, tum aur tumhari maa sahi the. Tum sabse, pariwar se, apne raajya se, apne logo se itne din door rahkar hume ahasaas hua zindagi kya hai, pariwar kya hai. Aur ise surakhshit rakhna kyu zaruri hai. Sabse jyada maine apne pariwar se milne waali khushi, apne baccho ko yaad kiya, kaise tum bachpan me haste khelte the.

Twin-flame: sach papa

Mahamahim: ha meri bitiya (mahamahim twin-flame ko apni aur kheech kar uske maathe ko chum leta hai, aur twin-flame ke aankho se hata saaf karta hai)

Twin-flame: maine bhi aapko bahut Miss Kiya.

Dungeon master: accha, tu to 2 saal se Hell roop me thi, tujhe kya pata hai

Twin-flame: hell roop me zarur thi par mere angel roop ko bhi sab pata tha, ab dono ko kabi bhi control kar sakti hu.

Dungeon master: Ha dekh raha hu teri shakti kaafi badh gyi hai, pita ji main dekh raha hu aap ki shakti bhi badh gyi hai. Aap to pahle se do guna shaktishaali ho gye hai.

Mahamahim: beta us dunia ka sooraj humare sooraj se jawaan hai shaktishaali hai, isilie waha ka jaadu bhi shaktishaali hai, dark mage isi wajah se itna shaktishaali hai.

Dungeon master: par ab hum sabki shakti badh gyi hai, ab hum use Hara denge.

Drogon beech me : grroor rooore grrrooor (jaise wo bhi ladne ke lie bilkul taiyaar tha)



Flamewings apne pankh zor zor se fadfada kar apni sehmati de raha tha.

Mahamahim: bilkul hum is baar use Hara denge, chahe hume kuch bhi karna pade, par wo bahut hi hoshiyaar aur zaalim hai, hume use Kum nahi samjhna chahiye. Beta tumhari shakti sooraj se aati hai, tum doosri dunia ke sooraj se apni shakti badha lo, tumhe iski zarurat padegi.aur baaki sab taiyar ho jaao dark mage aata hi hoga

Dungeon master: ji pita jee main samjh gya.

Dungeon Apni urja bhadhaane lagta hai, par itne me hi dark mage waha aa jaata hai.

Dark mage aur demon samurai, dono black dragon par baithe hote hai,

Dark mage aur demon samurai, dragon se utarte hai, black dragon apni power dikhaate hue apne nostrils se aag fenk raha hai aur chinghaad raha tha. Aur isi beech mahamahim black samurai ko telepathy se message kar deta hai.

Dark mage jab dekhta hai ki mahamahim wapis aa gya hai to wo samjh jaata hai ki black samurai ke aage ab koi story nahi bana paaega. Aur isi beech demon samurai ek second ke andar apni talwar se dark mage ki gardan Par waar karta hai.

Dark mage ki gardan talwaar se cut jaati hai, aur sir dhad se alag ho jaata hai, dark mage ka sir door jaakar gir jaata hai aur dhad ke ghutne zameed par gir jaate hai aur waha laash ban kar uski gardan se skhoon banhne lagta hai. Demon samurai ko lagta hai ki dark mage mar gya, aur raani-maa, aur baaki logo ko bhi ek pal ka sukoon milta hai

Par.

.

.

.

.

.

Achanak se hasne ki aawaj aati hai, to pata lagta hai.Dark mage ka kata hua sar door pada hai hota hai, aur usme se hasne ki aawaj aa rahi hoti hai.

Aur fir dhad aur sir dono dhua ban ke udd jaate hai, aur aasman me se hasne ki aawaj aane lagti hai.



Demon samurai, raani-maa, dungeon master, mahamahim aur twin-flame sab hairaan ho jaate hai.

Dark mage, black dragon ke kaan me chupa hota hai aur wo apna roop bada karke insaan ke size me aa jaata hai.

Dark mage: mujhe pahle hi is black samurai par shak tha, par main iska dimag kabi padh nahi paaya kyu ki ye apna dimag humesha shant rakhta tha. Koi nahi, ab jab Buddha gang wapas aa gyi hai, thode log jyada ho gye to kya hua, khoon jyada Baha dunga, aisa pahli baar to ho nahi Raha, hahahahahah (paagal ki tarah haste hue)

Mahamahim: tumhara khel khatam hua dark mage, agar apni jaan pyaari hai to apni dunia me wapis chale jaao.

Dark mage: buddhe mujhe Gyan dena band kar, teri sehat ke lie thik nahi hai. Us dunia me jaakar kya karunga waha ab mere lie kuch nahi hai, ye dunia ran birangi hai, acchi ladkia hai idhar. Aur tu to rah ke aaya hai udhar tujhe pata hai

Mahamahim: mujhe pata hai isilie main is dunia me tujhe kabi nahi rahne dunga, tu khooni darinda hai, jiske koi ussool mariyaada nahi, tu ek jallad hai ek taakat ka pyaasa aadmi hai tu. Tere jaisa aadmi raaj gaddi par nahi, jail me hona chahiye, bedia me bandha hua.

Dark mage: buddhe lagta hai tere Dil me bahut pyaar ban gya hai mere lie, koi nahi jyada der Zinda nahi rahega tu, tere dil ko teri chaati se nikaal kar uska khoon tere dono baccho ko pilaaunga.

Dungeon master: pita ji, aisa kya kiya tha isne us dunia me

Mahamahim: is haiwaan ne apne hi poore pariwaar ka katal kar dia tha, aur uski saari shaktiya chura Li thi, aur waha zabardasti raaja ban gya tha. Jab main waha gya to log hairaan ho gye aur jab maine unhe bataya ki main doosri dunia se aaya Hu to unhone mujhe iska kaala ghinona raaj bataya, maine waha 2 saal iske kaale raaj se ubharne me un logo ki sewa kari aur madad Kari.

Dungeon master, raani-maa, twin-flame, black samurai sab ye baate sun kar chounk gye, unhe apne kaano par wiswaas nahi ho raha tha

Dungeon master: Chee, koi insaan Aisa bhi ho sakta hai, itna neech gira hua.

Dark mage, pagal jaise haste hue: hahahahaha, tum jaise chote dimaag waalo ko kya pata hai. Pariwar, pyaar aur riste ye sab kamjor dimag ke insaan karte hai, ye sab aadmi ko baandh dete hai, kamjor kar dete hai, andar se khokhla bana dete hai. Aazaadi ka matlab in sab se mukht hokar hi aadmi ko samjh aata hai, jab maine apni maa, behan aur baap ko maara to unki cheenkho ko sunkar jaise aaatma mukht hi gyi, waise aazaadi mujhe kabi feel nahi hui thi. Main aazad ho gya tha, aur azaadi ke baad mujhe pata chala ki zindagi ka asli matlab aazad hokar hi samjh aata hai, aur rules me rahkar aadmi ka dimag kamjor ho jaata hai, aadmi machine ban jaata hai apne aap ko bhul jaata hai. Aur main ab sabko ye sikhaane yaha aaya tha, aur is chuze ko kaha tha ki mujhe bhi aise portal khol kar de taaki dusri dunia me jaakar sabko main ye sikhaau. Par shyad pahle mujhee tum sab ko maarkar is chuze ko samjhana padega ye. Hahahahaha hahaha (pagal ki hasi haste hue)



Dark mage apne aap ko 5 clones me divide kar leta hai. Uski urja se poora aasman kaala ho gya tha.

Dungeon master dark Mage ki aisi ghatiya ghinoni baate sunkar bahut gusse me aa gya hai, uska paara aasman Chu raha tha.

Dungeon master: apni bakwaas band kar, tu aaj Zinda nahi bachegi, tu kisi dunia ke kaabil nahi hai, tere sharir ka koi bhi hissa Zinda nahi rahna chahiye, tujhe jala kar khaak kar dunga main.

Dungeon master ek dum se attack kar deta hai (fire of raging sun): ek bada aag ka gola 5 clones ki traf teji se badh uthta hai.

Dark mage ka ek clone (shadow of moon) attack karta hai aur magic ki ek black ball dungeon master ke aatcck ko rokk deti hai.

Mahamahim: beta isne apne pariwar ki shaktiya sokh li thi, isilie iske paas humari sabki milakar shaktiya hai, isilie isko sab mil kar hi Hara sakte hai.

Dungeon master ka gussa aasman Chu raha tha, wo bahut garam ho gya tha.

Dungeon master: thik hai pita jee, par isse sirf main maarunga.

Dungeon master: aaaaahhhhhhhhh!!!!

Dungeon master ke guuse ki wajah se uraja bahut badh gyi thi, uski staff ka magic bahut strong Ho gyi thi, ki uska rang aur dungeon master ke kapde golden rang ke ho gye the.

Mahamahim: sab taiyaar ho jaao.

Dark ke sabi clones ke paas raani-maa, twin-flame, dungeon master aur Mahamahim jaisi shaktiya thi.

Twin-flame (ice age): ek barf ki strike karti hai, aur poori dharti zam jaati hai, par dark mage apne attack (fire of raging sun) jo ki dungeon master ka attack tha usse ice age attack ko rok deta hai.

Demon samurai: (Song of devil) attack karta hai, par dark mage flame ki sword bana kar usko rokk leta hai. Aur teleport hokar piche se uski kamar par waar karta hai.

Demon samurai : aaahhhh!!!!

Raani-maa jab ye dekhta to wo waha aakar demon samurai ki madad karti hai

Raani-maa: apne mind se ek badi chattan uthakar dark mage ki traf maarti hai, par dark mage ka clone usko bhi Tod deta hai.

Mahamahim: dark mage ki asli urja ko mehasoos karo, uski asli uraja waale sharir par waar karo, clone se ladne ka koi faaeda nahi.

Dark mage : buddhe Tera dimag bahut jyada chalta hai, tujhe pahle khatam karta hu.

Dungeon master teleport hokar dark mage ke piche chala jaata hai: aur uski gardan pakad leta hai, aur bolta hai

Dungeon master: teri haisiyat nahi hai unse baat karne ki, tu gandagi ka keeda hai.

Dark mage ki gardan dungeon master ne dabochi Hui thi, aur dark mage ke pair hawa me the.

Dark mage haste hue: hahaha, ha aise hi paagalpan ki limits ko cross kar do, kitna accha hai na ye, aazad ho jaao

Dungeon master attack karta hai (solar shine) aur dark mage ke clone ko attack hot hota hai aur clone zameen me Dass kar blast ho jaata hai.

Aise hi dungeon master baaki ke clones ko bhi attack se khatam kar deta hai. Par asli dark mage chupa hua tha. Asli dark mage ne khud ko adrishya kar lia tha aur wo chip kar mahamahim ke piche chala jaata hai. Aur jaise hi piche se dark mage attack karne waala hota hai.



Mahamahim: kaayar humesha chip kar hi waar karte hai

Ye bolkar mahamahim apne staff se energy beam se dark mage par attack kar deta hai.

Dark mage: aaaaahhhhhhhhh

Dark mage ke kandhe par mahamahim ki energy beam lag jaati hai.

Dark mage: lagta hai ghee tedhi ungli se nikaalna padega.

Dark mage apne clones ko wapis bula leta hai, aur apna final attack shuru karta hai.

Dark mage apni is dunia ko alvida kah do tum ab :hahahahaha (Darkness of Black hole)

Dark mage ka attack itna shaktishaali tha ki uske chaaro ki light khatam ho gyi thi, khandhar ke chaaro aur bus andhera hi chaa gya tha, ek badi kaali energy ball jiska size ek paravat ke jitna tha, dark mage ne dungeon master ki taraf fenk di.



Dungeon master: main aisa nahi hone dunga, main kisi ko kuch nahi hone dunga.

Dungeon master apna counter attack karta hai, (Fire of raging sun)

Par dungeon master ka attack usko rok nahi paaya, tabhi raani-maa aur twin-flame Dungeon master ke paas teleport ho gye.

Raani-maa ne attack kiya (angelic shine of souls) aur twin-flame ne sath dete hue (Holy fire) attack kiya.

Par muskil se dark mage ka itna bada bhari attack ruk Raha tha.

Dark mage : hahahahahah, tumhari dunia me sab kamjor hai, aur tum aur tumhari kamjor dunia ko khatam karke main nayi dunia banaunga.

Mahamahim bhi dungeon master ke paas me teleport Ho jaata hai.

Mahamahim: aisa kabi nahi hoga, teri kaali kartute aaj tere sath khatam hongi.

Mahamahim attack karta hai. (Feirce light!!!!)

Mahamahim ke attack ke baad ek dum se energy ball wapis dark mage ki traf jaane lagta hai.

Itne me hi waha shaahi sena aa jaati hai, aur senapati dekhta hai ki dark mage se poora Shahi pariwar lad raha hai.

Aur wo sena ko wahi rukne ka aadesh deta hai.

Dark mage ka black dragon bhi drogon aur flamewings ke attacks nahi Bach paa raha tha.

Drogon ne apne panjo ko black dragon ke wings ko pakad liya tha aur uski gardan par jor se kaat liya tha, jisse kaafi saara khoon aur Maas drogon ne kaat liya tha. Saamne se black dragon ki chaati par flamewings me bhaari fire 🔥 wala attack kar dia. Iske sath hi black dragon zameen par Jaa gira

Idhar jab dark mage dekhta hai ki uska dragon kuch nahi kar paa raha hai aur uska energy ball uski taraf badh raha hai. Usne ek aur ghinoni chaal chali.

Dark mage: ye dragon bhi kisi kaam ka nahi nikla, sab mujhe akele hi karna padega, aur dekho to janta bhi aayi hai tamasha dekhne

Dark mage ne apni shakti badhane ki Sochi, dark mage ne apne black dragon ki urja kheechni shuru kar di, aur sath me poori sena se bhi kaale magic se urja khichni shuru kar di, aur jab laga ki urja kaafi ho gyi hai. Dark mage apna attack kar dia, apne magic se wapis badi kaali energy ball Push kar dia.

Is baar to uska attack badi hi tezi se dharti ki aur badh raha tha aur Mahamahim, dungeon master bhi mil kar kuch nahi kar paa rahe the.

Dungeon master: iska attack to bahut powerful hai pita ji, hume aur zor lagana padega.

Raani-maa: beta mujhe tumpar bharosa hai, tumhe is attack ko khatam karna hoga.

Twin-flame: bhaiya, main aapke sath hu.

Mahamahim: beta, iski shakti beshak jyada hai, par humare pariwar ke aapsi pyar ki shakti ko koi nahi hra shakta. Ab waqt aa gya hai, tum is pariwar ke mukhiya Bano, tum sambhalo sab.

Dungeon master: pita ji aap ye kya kah rahe, main kuch samjha nahi.

Mahamahim: tum sab samjh jaaoge, tumhari maa aur behan ka dhyan rakhna.

Ye kahte hi, mahamahim dungeon master, raani-maa aur twin-flame ko energy ball se door teleport kar deta hai.

Iske sath hi mahamahim, black energy ball ko apne andhar sokh leta hai, aur Mahamahim aasman me teleport ho jaata hai, jaise bahut bada dhamaka hota hai, poore aasman me light hi light ho jaati hai.

Aur jaise chote chote jugnu ki baarish si hone lagti hai, aur wo baarish dungeon master ke upar girne lagti hai.

Dungeon master: Pitaa ji!!!!!!!!! Nahi!!!!.

Dungeon master, zameen par ghunt tek kar ro raha hota hai.

Dark mage: hahahahahah, buddhe ka time aa gya tha, ek gya ab 3 baaki hai. Dark mage lagataar has raha tha

Dungeon master se ab bardaash se bahar ho jaata hai, wo gusse se aag babula ho jaata hai.

Use ek dum se apne pita ki aawaj sunai deti hai, ab mahamahim magical realm me tha

Mahamahim: beta ab sab tum par hai, meri saari shakti, buddhi aur takat tumhare anadar hai, tum sab kuch kar sakte ho, jo kabi main nahi kar saka, muje tum par naaj hai beta.Main humesha tumhare sath hu

Dungeon master: pita ji, main aapki legacy ko dil se laga kar rakhunga, aur koshish karunga ki sahi raste par chalta rahu.

Mahamahim: mujhe tum par bharosa hai beta, ab jaao is dunia ko bachao.



Dungeon master: tera khel aaj hi khatam karta hu main dark mage.

Dark mage dekhta hai ki dungeon master ki power kai guna badh chuki hai, use pata nahi chal paa raha tha ki wo kitna taakatwar hai, dungeon master ki shakti teji se badh rahi thi.

Dungeon master: tu dekh ab.

Dungeon master apne dher saare clones bana kar hawa me dark mage ko chaaro aur se gher leta hai

Dark mage ki hasi ruk jaati hai, wo Darr jaata hai, aur ghum ghum kar dekhne lagta hai

Dungeon master: tujhe bedio se, bandhano se dar lagta hai na. To ye le

Dungeon master magic se saare clones se dark mage ko magic bedio me kaid kar leta hai.

Dark mage ab har jagah se bedio se Bandha tha, aur hawa me tair raha tha.

Senapati, raani-maa, twin-flame, demon samurai aur Shahi sena, ye sab dekh rahi thi.

Ab dungeon master ke paas apaar shakti thi aur Mahamahim ki saari buddhi thi.

Dungeon master ne kai saare dusri dunia ke portal khol die. Aur waha ke sooraj urja lene laga hai.

Dungeon master: tujhe pyaar aur pariwar ki taakat nahi pata, dekh ye hai taakat pariwar ki(FIRE...OF…THOUSAND…..SUNS!!!!)



Dark mage: NAHI!!!!!!?!!!

fire-breathing-dragon-gif-12.gif

Ek badi fire Baal bedio me bandhe hue dark mage se jaakar takaraati hai, aur dark Wahi bhasam ho jaata hai, bedio se dungeon master dark mage ka magic apne andar shokh leta hai.



Iske sath hi dungeon master ladai Jeet leta hai, dark mage ke atyachaar aur jurm se sabko chutkaara milta hai, dungeon master ka pariwar, uska dragon drogon fir se harmony me apna jeevan shuru karte hai.

Dungeon master apni knowledge ka upyog karte hue, dusri dunia ke sooraj se apni dunia ko thik kar leta hai. Mahamahim ki yaad rakhte hue, wo apni behan ko dark mage ki dunia ko sambhalne bhej deta hai.Aur raani-maa raaj gharana sambhaalti haai, demon samurai humesha ki tarah raajgaddi ki pahredaaro karta hai.



Aur Dungeon Master aasha karta hai ki magical realm me balance bana rahe, Parr aap jab dusri duniao se ched chaad karte hai to sab kuch sahi kaise rah sakta hai, parr wo kahani kabi baad me.



Abhi ke lie…..



The End….
Kaafi time baad koi fantasy story padhi..
Bhadiya story thee..story line simple thee..
Hero ne aache Kam ke chalte portal khola lekin khul gya multiverse ka darvaja aur samne aagya ussi ki ek dark side..
Khair story theek thi..koi heroine bhi honi chahiye thi..Lekin at end sab kuch theek ho gya..par afsoos uske pitaji ne khud ko sacrifice kr diya..
Great work Batman..
 
  • Like
Reactions: Batman

Batman

Its not who i am underneath
Staff member
Moderator
19,478
14,240
214
WishMaster


Stadium logo se khachakhach bhara hua tha, aur ho bhi kyu na, football ka match chal raha tha, log apne pasandida palyers ko cheer kar rahe the, pura stadium fans ki awaj se goonj raha tha aur is chillam chilli me sabse aage tha… Nilesh…

Nilesh ball ke hone wale har paas par romanchit hokar apni team ko cheer kar raha tha, uski favoutire team argentina ka player Messi opponant team ke defenders ko chakma dete huye goal post ki taraf bad raha tha.. match khatam hone me bas chand pal baki the aur ab match apne nirnayak mod par tha.. aur ekdum pura stadium shant ho gaya.. sabko utsukta thi aage kya hoga dekhne ki aur ab bas messi aur goalkeeper hi bache the, Nilesh saans roke is pal ko dekh raha tha aur fir aayi messi ki jaduai kick aur ball swing hote huye goalkeeper ke hath ke uper se goal post me ja pahuchi aur shant stadium logo ki awaj se ek baar fir gunj utha…

Nilesh ko to aisa lag raha tha mano abhi bhag ke maidan me jaye aur players ke sath hi is jeet ka jashna manaye but afsos wo ye nahi kar sakta tha, daudna to dur uske liye to chalna bhi mushkil tha

Bachpan se hi Nilesh ke dono pairo me shakti nahi thi.. wo chhota tha tab baki baccho jaisa hi tha par baad me use ek bimari ne jakad liya jisme uske pairo ki takat kam hone lagi.. pehle to kisi ko samajh nahi aaya ke kya ho raha hai aur Nilesh ab ache se chal bhi nahi pata tha, gharwalo me kayi koshish ki par koi fayda nahi hua aur ab Nilesh ne bhi apni halat se samjhauta kar liya, ha dawaiyo aur malish ki wajah se uske pairo me itni takat thi ke wo lathi ke sahare chal sake par apan football player nahi ban paye iska dukh use hamesha raha.

Aaj Nilesh ek international company me ek bade post par kaam kar raha tha, wo kehte hai na bhagwan agar aapse koi ek chiz leta hai to dusri bahut khubiya aapko deta bhi hai aur ye baat Nilesh ke mamle me sach thi.. uska dimag yani ek super computer tha

Company ke sare important software ke code usi ne tayar kiye the aur company ko bhi usse bahut umeede thi, uske company me hone se wo internationl market me tike huye the, rival companies Nilesh ko man chahe package par hire karne ko ready thi par Nilesh ko paiso ka lalach nahi tha, is company ne use tab sahara diya tha jab sabne uska sath chhoda tha isiliye wo is company ko chhodne wala nahi tha aur iske piche ek aur reason bhi tha… Shanaya…

Use wo din aaj bhi yaad tha jab Shanaya uski jindagi me aayi thi, uska employee of the year ke liye selection hua tha aur wo kafi khush tha, sath hi uski research ab khatam hone aayi thi aur uske research papers ko international magazines ne bahut saraha tha aur agar wo is project me safal ho gaya to ye information technology ki field me ek badi kranti hone wali thi aur uski company world ki top companies me pahuch jati..

Isiliye khud company ke malik ki taraf se aaj Nilesh ke liye dinner ka ayojan kiya gaya tha aur waha maujud sabhi logo ne Nilesh ki bhar bhar ke tarik ki aur sath hi aaj waha naye join huye employes ke liye bhi welcom party thi aur inhi naye logo me se wo bhi thi.. Shanaya… Nilesh ne use dekha aur dekhta hi rehgaya.. aisi khubsurti usne aaj ke pehle kabhi nahi dekhi thi.. uski khubsurti me ek alag hi najakat thi.. ek ada thi…. Shanaya waha sabse mil kar has kar baat kar rahi thi aur aise baat karna Nilesh ko kabhi nahi jama tha.. shayad uski sharrrik kami ke wajah se wo apne aap ko auro se alag manta tha isiliye to sabse thoda hekdi me baat karta tha aur agar koi uske sath sahanubhiti dikhane ki koshish kare to Nilesh ko uska bahut gussa aata tha.. isiliye Nilesh ka koi dost bhi nahi tha.. halanki wo rehta sabke sath tha par fir bhi akela tha.. use ab ye akelapan hi pasand aane laga tha par aaj uske man me Shanaya ko dekh ke irshya nirman hi gayi aur sath hi ek akarshan bhi.. is akarshan ke piche bhi ek reason tha… Shanaya ka beech beech me Nilesh ki taraf dekhna… ya ye shayad bas Nilesh ka bhram tha..?

Naye join huye engineers ko alag alag teams me bata gaya aur purane logo ke sath milaya gaya, Shanaya ko Nilesh ke team me hi jana tha aur uske liye usne request bhi ki thi aur uska science background hone ki wajah se uske liye ye easy tha aur waise bhi koi aur Nilesh ki team me jana nahi chahta tha.. ek to Nilesh ka gussail swabhav upar se wo jo kaam kar raha tha wo bahut mushkil tha sath hi Nilesh kaam ke mamle me bahut strict tha.. uske sath kaam karne se acha kalepani ki saja kaat aaye aisa purane employes ka kehna tha.. Shanaya ko ek ache project me america jane ka chance hokar bhi usne ye khadus Nilesh ke sath lab ka kaam kyu chuna ye kaiyo ko samajh bhi nahi aaya tha..

Aaj Shanaya ka Nilesh ke sath kaam karne ka pehla din tha.. Nilesh ke office me

“may I come in sir”

“yes, come in, have a seat”

“miss Shanaya, mujhe subah 9 baje kaam shuru karne ki adat hai aur raat me kitna late hoga kuch keh nahi sakte.. chutti bhi agar aur koi option na ho tab hi le sakte ho.. sara documentation aapko dekhna padega aur kaam ke beech mujhe disturbance bilkul pasand nahi hai aur sabse important baat hai is project ko gupt rakhna.. rival companies is project ki info lene ki bahut koshish karengi par fir bhi abhi unhe hamare leval me aane ke 5 saal lagenge aur tab tak main ye project khatam kar dunga” itna bol ke Nilesh ruka aur Shanaya ke hav bhav dekhne laga aur fir dobara usne bolna shuru kiya

“agar chahe to tum abhi bhi team switch kar sakti ho, but sirf aaj, baad me koi reason kaam nahi aayega, mujhe aisa koi chahiye mere sath jo is kaam me mera pura sath de”

Nilesh ne thoda kade shabdo me kaha, asal me wo Shanaya ki taraf dekhna taal rahatha aur ladkiyo se baat karne ki adat na hone ki wajah se use uske sath baat karna mushkil ho raha tha aur Shanaya ye baat samajh gayi aur wo muskurayi aur boli

“yes sir, I understand, maine aapke research ke papers padhe hai aur mujhe aapke sath hi kaam karna hai”

“ok then, Shanaya ab tum meri team me ho, tum mujhe Nilesh bula sakti ho”

“thank you sir, sorry Nilesh”

“theek hai fir aaj se hi kaam shuru karte hai, tumne research padhi hi hai fir bhi ek baar batata hu artificial intellegence, virtual and augumented reality aur quantum technology in sab ko mila kar hum information technology me ek naye yug ki shuruwat karne wale hai, digitisation se hone wale changes se hum manvi jeevan aur jeevanshaili ko ek alag mukam par la khada kar denge, biological computing ke bare me chalu is research se sari genetical informantion jaisa DNA aur RNA ko hum computer se connect kar sakenge aur conputer ek DNA storage jaisa bhi kaam kar sakega aur aane wale samay me hum is bio computer aur 3D printing ki madad se insani sharir ke parts hum tayar karenge jo body ke baki parts ki tarah hi kaam karenge, internet of things aur computing technology se jud kar wo brain tak message bhej sakenge aur brain ka command bhi receive kar sakenge, for example jaise hamare hath par hum sparsh mehsus kar sakte hai, tempreture mehsus kar sakte hai, koi chiz naram hai ka sakht hai ye jaan sakte hai ye tabhi hota hai jab hamara hath brain ko aise signal bhejta hai aur hamara central nervous system fir hame us chiz ke bare me batata hai ke ha ye naram hai ye sakht hai ab theek waisa hi hamara banaya hua ye nakli hath bhi kisi chiz ya usse related sari bato ki details brain tak pahucha payega aur is messaging me computer ke neural network ka kaam sabse jyada important ho jata hai, neuromorphic technology ke madad se insani brain ka clone jaisa computer hum tayar karne wale hai jiske liye hame neuromorphic chip ko develop karna hoga aur ye computerised brain har chiz me ek human brain se jyada prabhavi hoga”

Shanaya Nilesh ki kahi sari baate gaur se sun rahi thi..

“Nilesh tum jante to tumhare is project se science ki field me ek bahut badi kranti hone wali hai, aur agar hum ye sab banane me safal rahe to ho sakta hai ke shayad is chiz ke liye tumhe nobel prize bhi mile duniya bhar ke mahan scientists me tumhara naam hoga” Shanaya ne kaha

“Shanaya, mujhe kahi bhi apna koi naam nahi karna hai na hi mujhe koi prize chahiye, hum agar isme safal ho gaye to lakho apang logo ka jeena saral ho jayega, mere jaise logo ka aur yahi mere liye sabse bada puraskar hoga” Nilesh ne kuch muskura kar kaha aur Shanaya achambit hokar uski taraf dekhne lagi

Dheere dheere samay beetne laga, Shanaya samay ke mamle me ekdum punctual thi wo barabar 9 bajne ke 5 minute pehle pahuch jati thi aur kai baar Nilesh ke baad hi ghar jati thi, uska kaam ke prati lagav dekh kar Nilesh bhi prabhavit tha, wo kaam ke mamle me bhi tatpar thi, uski hoshiyari aur kaam karne ka tarika dekh kar kabhi kabhi Nilesh bhi shock ho jata tha, Nilesh ne bahut logo ke sath kaam kiya tha.. par wo log kaam ki kathinai dekh kar pareshan ho jate ya usme lagne wala samay dekh kar, aur unke kaam ka utsah dekh kar Nilesh unpar gussa karta tha par Shanaya ke mamle me aisa kuch nahi tha.. aur Shanaya bhi man laga kar kaam karti thi…

Human brain ki taraf se aane wala message kaise decode karna hai aur fir unke banaye nakli body part se electronic message wapis brain tak kaise bhejna hai isme Shanaya ko khasi dilchaspi thi aur apne project ke sare notes bhi usne barabar rakhe the isiliye ab kaam ko speed mil gayi thi, Nilesh ka Shanaya par vishwas badh gaya tha aur ab wo project ki detail bhi uske sath share karne laga tha jo shayad uske alawa kisi ko pata nahi the..

Shanaya ke khushnuma swabhav ki wajah se ab Nilesh me bhi changes hone lage the aur ye changes company ke baki employes bhi notice kar rahe the, unke beech ka rishta ab formal nahi raha tha balki usse aage badh gaya tha, Shanaya Nilesh ki chinta karne lagi thi, Nilesh ka kaam me busy hone ke baad khane pine ka bhi dhyan nahi rehta tha, par ab waha Shanaya thi jo use in sab ki yaad dilati thi

Ek din company ke manager Mr. Gupta Nilesh ki lab me project ka kaam dekhne aaye the… baad me company ke malik Mr. Bajaj bhi aane wale the tab tak Mr. Gupta Nilesh aur Shanaya sare project ki details le rahe the aur future plans bata rahe the aur manager ne Nilesh se baat chit suru ki..

“Nilesh main jaanta hu ke ye bahut mushkil kaam hai lekin hum chahte hai ke ye project jald se jald pura ho, hame fir is technology ka patent le kar jald se jald production ka kaam bhi shuru karna hai”

“Sir, ye project shuru karne se pehle hi meri Mr. Bajaj se baat ho gayi hai.. Artficial intellegence ka use karke hum jo source code tayar kar rahe hai aap uska patent le lijiye lekin body parts ka patent mat ljiyega kyuki usse ye technologoy se bas ameero ko fayda hoga garibo ko kuch nahi milega, maine isi shart par ye project shuru kiya hai aur Bajaj sir ne mujhe aisa vachan bhi diya hai aur agar aisa nahi hai to main abhi resign kar deta hu”

“Nilesh tumhe pata hai na tum kisse baat kar rahe ho? Company ne tumhare upar itna paisa kharch kiya tumhare is project pat itna paisa lagaya wo aise waste karne ke liye? Aur agar tumhe apne talent ka itna hi ghamand chadh gaya hai to tum ye company chhod sakte ho”

“sir, main itne saal din raat ek karke ye project pura kar raha hu kyuki is duniya me mere jaise najane kitne apang log hai jo garib bhi hai unko iska fayda ho par ek baat aap dhyan me rakhiyega, is project ki sari details bas mere dimag me hai, mere bagair aap ye kabhi pura nahi kar paoge”

Nilesh gusse me kaamp raha tha aur Shanaya ek taraf khadi hokar ye sab dekh rhi thi aur itne me waha Bajaj sir ki entry huyi aur unhone saari baat jani, unke aane se mahol thod shant ho gaya tha Mr. Bajaj waha apni khurchi par baithe aur unhoe Shanaya aur Nilesh ko dekha aur bole

“kisi ko job chhodne ki jarurat nahi hai, manager sahab Nilesh sahi bol raha hai, maine usse wada kiya hai aur ab mujhe is bare me koi baat nahi karni hai.”

Uske din ke baad se Nilesh wapis kaam me lag gaya tha aur ab unka project last stage me pahuch chuka tha, aur jaise jaise project complete hone ke karib pahuch raha tha Nilesh aur Shanaya bhi paas aa rahe the, Nilesh ko Shanaya ka sath pasand aane laga tha, use ab Shanaya ka usi fikra karna use kya acha lagta hai kya nahi dekhna, uske liye nayi chize banana sab bhane laga tha, Nilesh ki itni care kabhi kisi ne nahi ki thi, Shanaya ki waha hone se Nilesh ab pura badal gaya tha,

Ek din Nilesh ko company ki taraf se kuch kaam ke liye london bheja ja raha tha aur jiske chalte wo pandhra din bharat ke baahar rehne wala tha aur isi beech kabhi chutti na lene wali Shanaya ne bhi chutti le li thi, isse Nilesh chauka jarur par usne chutti de di thi

London ke 15 din Nilesh ke liye bahut mushkil the, wo kab bharat jayega aur Shanaya se milega aisa use lag raha tha, ab uske man me Shanaya ko shadi ke liye propose karne ka plan chal raha tha par sath hi ek darr bhi sata raha tha ke wo uske jaise apang insan se shadi ke liye raji hogi ya nahi ? kahi iske baad jo dosti hai wo bhi na tut jaye ? nahi nahi Shanaya aisi nahi hai, wo is sab pe kaise react karegi? Aadi kayi sawal uske man me ghum rahe the

Wapis aane ke baad wo Shanaya se mila par na jane kyu use Shanaya ka bartav thoda alag laga, wo Nilesh se door door rehne lagi thi aur achanak ek din dophar me Shanaya ko ek phone aaya aur phone par bolte huye hi wo Nilesh ke cabin me aayi, “….. ha ha theek hai, chalega, main Nilesh se baat karti hu wo na nahi kahega.. theek,ok..bye”

“kiska phone tha” Nilesh ne pucha “tumhe pata nahi na mujhe kaam par aane ke baad phone ka disturbance nahi chahiye”

“ha, I know par mere ek dost ka phone tha usne shahar ke thoda bahar kitaraf ek gaming zone open kiya hai.. naam bhi thoda ajeeb hi hai ‘
WishMaster’.. wo jane do.. main baat ye hai ke wo chahta hai ke uska opening tumhare hatho se ho aur maine tumhare behalf par use ha bol diya hai”

“arey par…”

“ab par var kuch nahi tumhe aana hi padega tum kabhi kisi ke sath mix nahi hote ho milte nahi ho aise kaise chalega”

Aur Shanaya ke bolne ke baad aakhir Nilesh ready hua aur aakhir me wo dono us gaming zone ki taraf jane nikle.. Shanaya bhi kafi khush thi aur idhar udhar ki baate kar rahi thi Nilesh ko bhi lag raha tha ke wo bhi uske sath baate kare par fir bhi wo shant hi raha, uske dimag me asankhya khayal ghum rahe the par fir bhi wo shant tha aur akhir wo log waha pahuch hi gaye, gaming zone ke bahar hi ek ucha handsome yuvak khada tha Shanaya use dekhte hi uski taraf gayi aur uske gale lag gayi

“aaj kitne dino baad mulakat huye hai Gaurav, kaha chale gaye the itne din, main to police ke complaint karne wali thi tumhari gumkhudgi ki acha hua call kara tumne”

Wo dono ekdum khush the aur Nilesh unki taraf dekh raha tha, Gaurav aage aaya aur usne Nilesh se hath milaya

“Nilesh, thank you so much yaha aane ke liye, main tumhe Nilesh bula sakta hu na ? wo asal me main aur Shanaya college friends hai baad me wo uski field me aur main apni field me chale gaye, mujhe bhi artificial intellegenge aur biotechnology me kafi interest hai aur apne hisab se main bhi kuch chote chote experiments karta rehta hu usi se ek idea mere dimag me aayi aur maine uska rupantar fir is gaming zone me kar diya…”

Baad me Nilesh ke hatho se ribbin kata gaya aur sabne waha taaliya bajayi.. Nilesh bhi apne ko mile hua is sanman se khush tha, baad me Gaurav Nilesh ko sara game zone dikhane laga aur end me wo use leke ek khurchi ke paas aaya, wo khurchi yani ek chota sofa hi tha.. ekdum aaramdayak, us khurchi ke upar ke adhe gole ke aakar ka kaanch topa laga hua tha aur uspe ECG machin ko hote hai waise alag alag cords jode huye the

“Nilesh ye khurchi yani is gaming zone ki shan hai, ab main aapko batata hu ke is khurchi par baithne se yaha aane wale logo ki wishes kaise puri hoti hai, pehle aap is khurchi par baithiye”

Shanaya ne fir Nilesh ko khurchi par baithne me madad ki aur Gaurav Nilesh ko explain karne laga

“insan ke man me anek ichhaye hoti hai par wo sari to puri nahi ho sakti lekin hame unke pura hone ki umeed jarur hoti hai.. insan ka man yani kya iske bare me kai salo se kai scientist research kar rahe hai, hum kaun hai hamara kya astitva hai ye hum hamesha sochte hai, humhare khayal, feelings, kalpanaye, humhare sapne, personality sab kuch hamare man ki hamare brain ki den hai, saari feelings wahi tayar hoti hai, hamara brain asankhya neorons ka bana hua hai jo ekdusre se jude hai aur isi neuro circuit ke bare me maine research ki hai jiska vishay hai insan ki behavior aur uske piche tayar hone wali feelings…. Hum kaun hai? Ye sawal akhand manav jati ko sadiyo pareshan karta aaya hai, aur ye sawal insan ke dimag me aaya kyu? Kyuki hum soch sakte hai aur hamari soch ka aur sapno ka ek sidha sambandh hai, hum jo din bhar sochte hai wahi hame sapne me dikhta hai na? kyu ki din bhar sochte huye vivchar karte huye hum hamare brain cells ke jo neurons ko activate karte hai wahi raat me hame sapna dikhate hai aur isi idea ka use karke maine ke khurchi banayi hai jo aapke brain ke sare activate neurons ko ek jagah lakar aapko aapna man chaha sapna dikhata hai jisse bhale ki real me na sahi lekin aap apni wishes puri kar sakte hai”

“ab ye goli kha lo isse tumhare brain par jyada stress nahi aayega”

Nilesh ne wo goli kha li aur us khurchi par aaram se baith gaya aur wo kanch ka topa uske sar par lag raha aur uske lage alag alag cords uske sar par alag alag jagah lagaye gaye aur kuch hi samay me Nilesh ko neend aa gayi..

Ab wo ek football ke maidan par khada tha.. sare stadium me log uske naam se cheer kar rahe the, messi ne usko awaj diya aur sath hi uski taraf ball paas kiya aur ab ball leke wo goalpost ki taraf bhag raha tha samne aaye defender ko chakma dete huye uske ball ko ek kick mari aur ball sidha goalkeeper ke upar se goalpost me ja pahuchi aur sara stadium khushi se gunj utha, Nilesh ne khusi me apna tshirt bhi faad diya tha fir aage use ek bada sa restaurent dikha jaha Shanaya uske samne khadi thi aur wo bilkul kisi raja ke jaisa uske samne khada tha aur Shanaya uski taraf aayi aur Shanaya ke use gale laga liya aur boli “kitne dino baad mile ho Nilesh, kaha the itne din”

Aur ab wo shadi ke mandap me khada tha aur uske samne Shanaya thi aur abhi wo Shanaya ke gale me haar daalne hi waha tha ke tabhi sab taraf andhera ho gaya……

**********

Uske dimag me ek jordar jhatka laga aur kano ke paas mano koi jor jor se dhol baja raha ho aisa lagne laga aur ankho par ek tivra roshni padi.. use aage ka kuch nahi dikh raha tha, wo chillana chahta tha lekin awaj nahi nikal rahi thi, usse kuch bolte nahi ban raha tha aur akhir ek naam uske muh se nikla… Shanaya… par koi response nahi aaya usne dheere dheere aankhe kholi aur idhar udhar dekha to wo ek cot par soya hua tha, aaju baju dekha to wo samajh gaya ke wo hospital me tha aur uske sharir par marijo ke kapde the aur hath me saline lagi huyi thi, sar par safed patti lagi huyi thi, uski hulchal sun kar nurse ander aayi usne nurse se ishare se pucha ke use kya hua hai to wo boli

“aap yaha pichle 6 mahine se ho, aap kaun ho hum nahi jaante 6 mahine pehle 3 log aaye the unhone aake aapko yaha admit kiya aur unme se ek ne hospital ko aapki dekhbhal ke liye 5 lakh rupaye diye tab se aap yahi ho”

Nilesh ne bed se uthne ki koshish ki lekin fir se wo chakker kha kar gir gaya aur behosh ho gaya.. baad me 3 mahine baad use fir hosh aaya, doctor aur nurses ne uski bahut ache se dekhbhal ki aur use bolne ki stithi me laya par use apna pehle ka kuch yaad nahi aa raha tha aur yaad karte time uska sar bahut jor se dukhne lagta tha isiliye is bare me usse kisi ne kuch nahi pucha..

Ek din gardan me wheel chair par jab wo baitha tha tab use waha rakhe news paper me ek news dikhi..

‘Shanaya aur Gaurav in pati patni ko artificial intellegence aur banavati body parts ke liye nobel prize ke liye chuna gaya hai’

Aur dusri news aisi thi

‘Bajaj tech company ko artificial intellegence ke use se human body parts banane ka patent mil gaya’

Ye sab padh ke Nilesh ko kuch sujh nahi raha tha, uska sar chakrane laga tha aur wo jor se chillane laga.. uski awaj sunkr nurse waha bhagte huye aayi aur pucha ki kya hua to usne wo news use dikhayi aur un dono ka photo dekh kar nurse boli

“yahi to hai wo log jinhone aapko yaha admit kiya tha” fir paper me chape Mr. Bajaj ki photo ko dekh kar boli “aur ye wo sir hai jinhone 5 lakh diye the aapki dekhbhal keliye”

Ye sunkar Nilesh ekdum shocked reh gaya

Shanaya ka naam padh kar nurse boli

“ab mujhe yaad aaya, I am sorry sir par ye madam ne aapko dene ke liye ek letter bhi diya tha par aapki tabiyat theek nahi thi isiliye maine wo apko naih diya, main abhi lakar deti hu”

Uske baad us nurse ne ek safed lifafa lakar Nilesh ko diya aur wo use open karke wo khat padhne laga

“Nilesh,

Main tumhare liye ye letter chhode ja rahi hu, main jaanti hu ke tum ye khat kam se kam chhe mahine baad padhoge, maine waisi sari vyastha kar di hai isiliye tum hamara kuch nahi bigad paoge..

Tumhe yaad hai hamari pehli mulakat jab maine tumhe kaha tha ke tume iske liye nobel prize mil sakta hai tab tumne meri baat ko taal diya tha au tab hi main samajh gayi thi ke tum murkh ho..

Itni badi khoj ki aur uske liye ki gayi itni mehnat ko aise hi waste karna chahte ho to ye murkhta ka hi lakshan hai.. tumhare strich swabhav aur gussail bato ki wajah ne tumne kai baar mera apman kiya aur tumhe pata nahi bhai chala.. fir bhi maine sab has kar sehan kiya kyuki brain se aane wale message kaise decoe karna hai aur fir electronic messages brain tak jaise jayenge ye mujhe tumse seekhna tha isiliye main itne din tumhare sath ye sab dhyan se seekh rahi thi..

Mujhe laga tha kuch samay baad tum samajhdar ho jaoge lekin nahi, manager se jis din tumne jhagda kiya main usidin samajh gayi thi ke tum murkh nahi maha murkh ho, jo apni ki gayi research ka fayda lena bhi nahi jaante…

Us meeting ke baad mujhe Bajaj sir ne milne bulaya tha meri tarah unhe bhi laga tha ke tum samay ke sath samajhdar ho jaoge lekin aisa nahi hua baad me hum dono ne is samasya par hal dhundhna shuru kiya aur tab mujhe Gaurav ki yaad aayi, wo hamare rival company ka scientist tha aur wo bhi isi field me research kar raha tha, Bajaj sir se use jyada package par hamari company me le liya

Tumhe jab 15 dino ke liye london bheja gaya tha tab maine aur Gaurav ne wo khurchi banayi.. yaad hai wo game zone wali khurchi.. tumhe bas us khurchi par lakar bithana bas itna hi kaam bacha tha aur wo maine bakhubi kiya..

Nilesh tumhe samajh hi nahi aaya ke agar koi hamara brain control kar sake to wo kitna khatarnak ho sakta hai.. humne tumhi se seekhe huye knowledge ka tumpar hi istamal kiya, tumhare brain me chipe sare source code, tumhari aage ke sare ideas humne decode kar liye aur hamara kaam aasan ho gaya..

Tumhe kya laga tha main tum jaise langde se shadi karungi?

Tumhe ek aur baat batati hu.. humne tumhare brain par ek naya experiment bhi kiya aur ye sari bate tumhare dimag se delete ki.. ab tum unhe yaad nahi kar paoge.. is process me tumhara brain bahut thak gaya tha isiliye tum kam se kam 6 mahine nahi uthne wale ye hum jante hai aur isi beech hum hamari sari wishes puri kar sakte hai aur tum kisi ko kuch batane ki koshish bhi ki to tumpar kaun yakin karega, tum jis hospital me ho wo mental hospital hai..
hoshiyar insan ne swarthi hona chahiye nahi to bade log tumhara istamal apne swarth ke liye kar sakte hai is baat ko hamesha dhyan me rakhna…

Aur tum jinda jo ise hamara ehsan samajhnaaur dobara hamare raste mat aana.”


Ye sab padh kar Nilesh ka dimag chakrane laga tha, usne kabhi nahi socha tha ke uske sath aisa bhi kuch ho sakta hai aur Shanaya uske sath aisa kar sakti hai, Nilesh ka sar bahut jyada dard karne laga tha uski aankho ke samne andhera chhane laga aur wo behosh ho gaya…….

Review :

Story Genre : Thriller + Sci-Fi

Story :
Sci-fi ke angle se story bahut hi badiya thi, kahani ke kirdaaro ko badia backstory dekar pesh kiya gya hai, kahani ki buniyaadi soch bahut hi badia thi, ek sci-fi idea jo ki human life ko better kar sake, sabko life me equal opportunity and happiness mile. kahani ki shuruwat bahut badia thi, nilesh ki physical handicap hone ke baad bhi uske dimag ki genius capabilities ne nilesh ko ek new hope di thi, par uski ye new hope rich and selfish people ne cheen li.

writing skills : Kahani likhne aka writing skills ki baat kare to kaam kabile taarif hai, thriller aur sci-fi ke rahte kahaani me stop and play button jo hona chahiye, wo dikh raha tha, ek suspense aur ek romanch kahani ke har ek shabd me dikh raha tha, characters ki alag alag backstories ko acche dhang se pesh kiya gya hai jisse kahani ki sampoornta dikh rahi hai, dialogue writing kirdaaro ke hisaab se bilkul sahi kari gyi hai.

Reader's view: as a reader, Ye story aadmi ko dhero emotions ko ek sath darshaati hai, ek apang aadmi jiske pas sirf uska dimag hai jisse wo apni aur baakio ki kamjori ko door karne ki sochta hai aur kadi mehnat karta, par sakt se sakt aadmi ko bhi kamjor karne wali ek chiz "ladki" uske man me alag armaan jagaati hai aur uske sapno ko bhi uske sharir jaisa apang kar deti hai. ye kahani man ko hope, love, passion and excitement feel karati hai. ek reader jisko thriller + sci-fi pasand hai, usko zaruru padhni chahiye.


“theek hai fir aaj se hi kaam shuru karte hai, tumne research padhi hi hai fir bhi ek baar batata hu artificial intellegence, virtual and augumented reality aur quantum technology in sab ko mila kar hum information technology me ek naye yug ki shuruwat karne wale hai, digitisation se hone wale changes se hum manvi jeevan aur jeevanshaili ko ek alag mukam par la khada kar denge, biological computing ke bare me chalu is research se sari genetical informantion jaisa DNA aur RNA ko hum computer se connect kar sakenge aur conputer ek DNA storage jaisa bhi kaam kar sakega aur aane wale samay me hum is bio computer aur 3D printing ki madad se insani sharir ke parts hum tayar karenge jo body ke baki parts ki tarah hi kaam karenge, internet of things aur computing technology se jud kar wo brain tak message bhej sakenge aur brain ka command bhi receive kar sakenge, for example jaise hamare hath par hum sparsh mehsus kar sakte hai, tempreture mehsus kar sakte hai, koi chiz naram hai ka sakht hai ye jaan sakte hai ye tabhi hota hai jab hamara hath brain ko aise signal bhejta hai aur hamara central nervous system fir hame us chiz ke bare me batata hai ke ha ye naram hai ye sakht hai ab theek waisa hi hamara banaya hua ye nakli hath bhi kisi chiz ya usse related sari bato ki details brain tak pahucha payega aur is messaging me computer ke neural network ka kaam sabse jyada important ho jata hai, neuromorphic technology ke madad se insani brain ka clone jaisa computer hum tayar karne wale hai jiske liye hame neuromorphic chip ko develop karna hoga aur ye computerised brain har chiz me ek human brain se jyada prabhavi hoga”
Adi bhai, ye content, ek dum gold mine jaisa hai, bahut hi jabardast creation hai aapki, salam aapki skills ko aur creativity ko :claps: :applause: :bow:

Baaki ek baat aur add karna chahunga, agar ho sake to iska next part zarur laana, kahani ki sugandh aisi thi ki lagta hai biryaani aur bhi ban sakti hai. :D:
 
  • Love
Reactions: Adirshi

Batman

Its not who i am underneath
Staff member
Moderator
19,478
14,240
214
Kaafi time baad koi fantasy story padhi..
Bhadiya story thee..story line simple thee..
Hero ne aache Kam ke chalte portal khola lekin khul gya multiverse ka darvaja aur samne aagya ussi ki ek dark side..
Khair story theek thi..koi heroine bhi honi chahiye thi..Lekin at end sab kuch theek ho gya..par afsoos uske pitaji ne khud ko sacrifice kr diya..
Great work Batman..
:hug: Thanks B. Boy.
Heroine, Noted. next part me laayenge bhai, is part me zarurat nahi thi. :laughing: captain america ki trah 80 saal randwa nahi rakhunga hero ko
 
  • Haha
Reactions: Aagasthya

Batman

Its not who i am underneath
Staff member
Moderator
19,478
14,240
214
Best Buddy
“Yaar…..Jass.! Shaadi hi toh hai na …karlungi tujse….”

“ meine toh nhi kaha esey…..”

“Meine kab kaha Tum keh rahe ho….!...mein hi keh rahi hu…. dekho hum dono ache friend Hein..Tum mere best buddy ho..hum ek dusre ko samjhte hain acche se…or mujhe pta hai tum muje like krte ho…hehehe….so shaadi v kr lenge.. …abhi college life enjoy kro ghumo firo ladkiyon k saath maje lo…yaar….gf banalo ek adh…..!

Thik hai Maan Li tumhari baat…..pr enjoy tum kro girl school se aai ho first year b college ka girls college mein lagaya hai…abb yahan aai ho maze karlo…bf bnalo…hum toh sath Hein …jbb dunia se dil ubh gya toh aa jana laut k…. mein samne hi khada hunga tere liye…..meine smile di…

“Accha bf bnalu…or fir sex v kr lu toh…..toh tumare andar ka mard toh nhi hurt hoga.”

“Agar last mein mujhe tum jaisi ladki puri life k liye mile toh muje kya lena…puri life kabhi tumhari azadi pe bandish nahi launga kabhi ..”
Vese v agar zindgi ko kuch or manzoor hua toh……………..!

“Hmmm agar life ne humey milne na diya toh v hum best buddy toh rahenge hi .. promise…”

“or mein tujhe apne se bandh kr b nhi rakhunga..tumey meri taraf se puri azaadi milegi…!”

“Chlo shodo v kya baatein lekr Beth gaye hum …. Poonam ne kaha..”

Ji haan mein or Poonam do month pehle hi mile the ..lekin hum ek dusre k itne kareeb aagye jaise janmo k sathi hon….humari pasand na pasand itni milti thi k kabhi kabhi muje yeh sab Karishma hi lgta. mein uske Ishq mein din-ba-din pagal hota ja raha tha.Upar se uski bala ki khubsurati..jheel c neeli ankhen gora rang.sense of humour.perfect thi voh..main hr pal usko khush rakhna cha Raha tha. uski Han mein Han milana meri aadat bn gai thi…humare dipartments alagh hone k bawajood hum pura pura din college mein ek sath bitate the.

Abhi tak ladkiyon mein rahne Kaarn uski ladkon se baatein krne mein alag hi dilchaspi thi mein kabi use rokta nhi tha shyad muje uspe Bharosa hi boht tha.or vese bhi mein sochta tha ki jitna mein usey rokunga who utna hi iss k liye utsuk hogi ..yehi Insan ka subav hai..mere dost or uske touch mein jo ladke the sabke sath full jamti thi uski.. ..Mera sochna tha ..agar voh mere sath rehne ko sochegi toh uska khudka mind set hona chahiye iss k liye .or mein usse apne sath bandh kar nhi rakhna chahta tha…

Ravi Jo uske classmate ka dost tha dikhne mein kuch khas nhi tha lekin Poonam uske sath kuch jyada hi chitchat krne lgi thi muje thoda ajeeb b lga lekin uss se pehle hi woh bol padi ek din… “esey Matt dekho kuch nhi hai…arrey tum mere best buddy ho…!”

“Pr mein kabi tumhe kisi aur k pass jane se rokunga b nhi..”

“Teri Kasam esa kuch nhi”……or jal rahi hai tumhari……….hehehe…..

Din beet te Gaye Poonam or Ravi ek dusre ke or kareeb ho jatey hein..aaj kal hum mein thori bohot anban hone lagi pr hum phir v ek- sath the ..ek din usne muje Ravi k sahmne kaha… “yaar mein or Ravi ik dusre ko like krne lage Hein..pr tumne kaha tha tum muje nhi rokoge or hr jagah meri support kroge. tum mere best buddy Jo ho…!”

Mere panvo tale se jameen khiski dil toota ..kyuki kuch b ho lekin mein Poonam ko bohot chahta tha…esey mein uss se dur bhi nhi ho skta tha…

humari ek din ladai v ho gai..lekin Poonam ne dubara khud mujhe bula liya..pr ab Humare beech Ravi v tha mujhe jaln hoti lekin shyad pyaar k aagey uski dosti jyada majboot thi …woh apne pyar k aagey hamesha humari dosti ko pehl deti……...ik din Poonam ne Ravi ke kisi dost se online video call krli isse unme ladai ho rahi thi mein vahan pahuncha.

Poonam mujhe boli “buddy ise samja yr ye mujpe shakk kr raha ha..yr isko mene kaha ki end mein shaadi issi se karungi..!

Yeh sunte muje who batein yaad aai jo hum mein hui thi..mein flashback mein chala gya tha …Poonam ke jhatkne se vapas present mein aaya…. “Mr kidhar kho gye yr mere sabse kareeb tum ho.. samjao isse..”

Me- o.. Haan haan..Yar Ravi tum Poonam ke character pr Shaq nhi kr skte..ladko se milne julne se yeh Galt toh nhi ho skti…jab tumse mili thi toh mene kabhi isse galt nhi kaha....

“Haan yr buddy ye samjta nhi..tum to great ho man..……”

Kuch dino baad meri Ravi se kuch behas ho gai .usne mujhe kaha ki mein Poonam ko like krta hu tabhi mein iss se jalta hu..mene kaha like toh krta hu lekin mein majboori ka rishta nhi rakhna chahta…Tumhe mujse problem ho skti hai pr Muje Poonam or meri dosti pe bharosa hai..
us din k baad Ravi ne mere or Poonam k vich diwar khadi krdi lekin Poonam fir v mujse milti rehti.. Ravi iss se jalne laga..uska kehna tha ki mein abhi v Poonam se shadi k sapne dekhta hu…yeh sach v tha pr mein un dono ke rishte ko kharab nhi karna chahta tha yeh meri andruni feelings thi… pr Ravi ki inn baaton mein akar Poonam mujse naraaz ho gai..mene Poonam ko bohot samjhaya ki mein unke relation ko kharab nhi karna chahta. lekin uski ankhon pr Ravi ke pyar ka parda chda hua tha..meine chupp rehna thik smja…

uske baad hamara milna kam ho gea par hum chatting pr baat kr lete the. Humari dosti hi kuch azeeb thi hum ek dusre se door nhi reh skte the..meine Ravi se last time kaha tha ki kya pta kall tum v Poonam k sath na raho pr mein ek dost k natey hamesha uske sath hunga ..or kisi ladke ko agar koi ladki apna best friend kehti hai toh smjhna us ladki k liye us ladke k mayine boht hein...apne dooston ke jhund mein se agar woh kehti hai ki tum mujhe ache se samjhte ho or tum hi mere best friend ho toh yeh bohot badi baat hai..mujhe iss pr fakr hai ki Poonam meri dosti ko pyaar se badkr mahatav deti hai.yeh gf bf vale masle se bohot aagey ki baat hai..
or time aaney pe yahi hua Ravi ki jgah koi or aa gya mein vahin apni jgah tha ….kyuki dosti ki jagah pyaar nhi le skta.

Poonam ke who lafaz “Tum mere best buddy ho” aaj v sach hein…. Humaari dosti pehle se v strong hai..



Toh dosto meine choti c kosis ki hai..iss contest mein hissa lene ke liye...hindi mein grammar or vocab thodi weak hai... lafzon ki v kami thi...vese bhi sex story likhna asan hai ..non erotic mein bohot kuch dekhna padta hai....sabhi tarah k reviews ka intezar rahega

Review :

Story Genre : Romance (college humour)

Story :
College romance ko leke ye kahani hai, do ladka ladki. isme bus ek tikhepan ka tadka hai Best friend wala :laughing: , halaka hasi majak aur drama tha. ye kahani aajkal chal rahe best friend bf gf wale trio ko dikhaati hai.

writing skills : dialogue skills kaafi acche the, jaha jaha emotion dikhne chahiye the dikhaye gye hai, kahani kuch kuch jagah thik chalti hai, kuch kuch jagah ek tippani ka roop le leti hai halaki uski wajah se kahani ka roop nahi badalta.

Reader's view: as a reader, Ye story kaafi humurous thi, ek ladka jiske man me ek ladki ke lie pyaar hota hai aur wo use aajaadi se khula chod deta hai ye soch kar ki apni hogi to wapis aa jaaegi. ek pyaar bhari umang jo ki college ke pyar me hoti hai wo dekhne ko milti hai, agar kisi ko aisi kahani pasand to ise wo zarur padhe
:claps: :applause:
 
  • Like
Reactions: Scripted
9,380
39,528
218
Story - " लोकल "
Writer - avsji .

वेलेंटाइन डे । चौदह फरवरी ।
इससे बेहतर दिन कोई हो नहीं सकता था इस खुबसूरत कहानी को पोस्ट करने के लिए । ऐसा लगा कि मन फ्रेश हो गया । दिमाग ताजगी से भर गई । चेहरे पर मुस्कान लौट आई ।

कहानी का प्लाट हमारे दिनचर्या का हिस्सा बयां करते हैं । मुम्बई के लोकल ट्रेन में सफर करना.... तौबा तौबा । मैंने मुम्बई में बहुतों बार लोकल ट्रेन से जर्नी किया है और हावड़ा के लोकल ट्रेन में तो करीब करीब रोजाना ही सफर करता हूं । आफिस टाइम में इन ट्रेनों में सफर करना....माने तो पुरे शरीर का हर व्यायाम एवं हर आसन करवाना । शरीर का जो अंग जहां है उसी जगह पर रखे हुए आधे - पौने घंटे तक जर्नी करना और ऊपर से भीड़ में से आती हुई पसीने एवं पाद की बदबू । मन खिन्नता , वितृष्णा से भर जाता है ।
आप ने सही कहा कि लोकल ट्रेन हर स्टेशन पर तीस सेकंड से ज्यादा नहीं रूकती । आफिस टाइम में सैकड़ों लोगों की भीड़ में ट्रेन पर यदि चढ़ गया वही बड़ी उपलब्धि हो जाती है ।

इस पुरे प्रकरण को बहुत ही खूबसूरती से दर्शाया है आपने ।

इसके बाद लोकल ट्रेन में किसी हसीना से आंखें चार होना... यह तो सोने पे सुहागा था ।

बात कहानी की ही नहीं बल्कि जिस तरह से प्रस्तुत किया गया...पेश किया गया और जिस अंदाज में... जिस शैली का प्रयोग कर के हमारे समक्ष रखा गया उसके लिए मैं क्या ही कहूं ! एक उच्च स्तरीय लेखनी का नमूना था यह । आउटस्टैंडिंग ।

ये तीसरी कहानी है इस कांटेस्ट की जिसने मेरा दिल जीत लिया । मुझे विश्वास है आप की यह रचना कांटेस्ट में अपनी जीत पक्की करेगी ।

आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग
एंड.....जगमग जगमग ।
 
  • Love
Reactions: avsji
9,380
39,528
218
Story - The Shadi Market
Writer - Adirshi .

अवार्ड विनिंग स्टोरी है यह । लेकिन दुख की बात है कि मोडरेटर द्वारा लिखित कहानी रेस में ही शामिल नहीं होगी ।

एक्चुअली यह कहानी नहीं बल्कि हकीकत है । शादी ब्याह को लेकर यह कहानी समाज को आइना दिखाती है । एक व्यंग्य के द्वारा प्रस्तुत अद्भुत रचना है यह ।
मुझे यह कहने में कोई झिझक नहीं कि यदि मैं जूरी में शामिल होता तो इस कहानी को वीनर घोषित करता ।
आउटस्टैंडिंग ।

" दुल्हा बिकता है " - जिसकी अंटी में जितना ताकत वो दुल्हे की ऊंची बोली लगाकर खरीद सकता है ।
लेकिन यहां तो दुल्हे का कोई खरीददार ही नहीं मिल पा रहा था । जबकि लड़का अच्छा खासा कमा भी लेता है । कभी लड़की इनकार कर दे रही है तो कभी रोहन खुद । कभी लड़की के गार्जियन को वो उनके कसौटी पर खरा नहीं उतर रहा है तो कभी झूठ का आवरण खुल जा रहा है । ( मामा जी ने झूठ का सहारा जो लिया था और यह भी हकीकत है कि ऐसा अक्सर होता है )

जहां लड़का या लड़की की उम्र शादी करने लायक हो जाती है वहां उनके अभिभावकों का चिंतन होना स्वाभाविक ही होता है । और अगर अभिभावक लड़की के हों तो बहुत ज्यादा ।
लेकिन यह प्रोब्लम अरेंज मैरेज में है । लव मैरिज में अभिभावकों को बस अपना सिर्फ आशिर्वाद ही देना है । न दहेज लेने देने का झंझट...न ही शादी पर होने वाले अनाप शनाप खर्च का झंझट और न ही मेहमानों की खातिरदारी का झंझट ।

मुझे सबसे बढ़िया लगा जब रोहन लड़की के गार्डियन के सामने ऐसे बैठा था जैसे वो कोई लड़का नहीं लड़की हो । बस चाय पानी ले जाने का कसर बाकी रह गया था ।
बहुत मजेदार सीन था वह ।

अरेंज मैरेज और लव मैरेज के बाद एक तीसरी तरह का मैरेज भी आज के जमाने में खुब फल फूल रहा है । इन्टरनेट के माध्यम से जुड़कर " शादी डॉट कॉम " में अपने अपने प्रोफाइल डालकर वर या वधु चुन कर मैरेज करना ।
अब मुझे पता नहीं ऐसी शादियां कितना टिकाऊ होती है । लेकिन फिर भी एक ओप्सन तो है ही ।
इसी ओप्सन को यूज कर के तीन लड़कियों के साथ परिचय हुआ रोहन का । बातें भी हुई । पर अंततः अंजाम वही ढाक के तीन पात । यहां भी बात न बनी ।

यह पुरा अध्याय हंड्रेड परसेंट वास्तविक लगा मुझे । और क्या खूब लिखा आपने भाई इसे ! आउटस्टैंडिंग ।

राई भर की गलतियां नहीं थी इस कहानी में । कहानी पढ़ने के दौरान चेहरे पर बार बार मुस्कान तैरने लगा था । और यह कोई जबरदस्ती नहीं बल्कि स्वाभाविक था । यही तो खुबी होती है अच्छे राइटर्स में । किरदारों को अपने अपने कार्य करने दिजिए...फील हम ( रीडर्स ) खुद कर लेंगे ।

आप के द्वारा लिखित यह सबसे बेहतरीन कहानी थी । आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग ।
और जगमग जगमग भी ।
 
  • Love
Reactions: Adirshi

avsji

..........
Supreme
3,507
15,898
159
Story - " लोकल "
Writer - avsji .

वेलेंटाइन डे । चौदह फरवरी ।
इससे बेहतर दिन कोई हो नहीं सकता था इस खुबसूरत कहानी को पोस्ट करने के लिए । ऐसा लगा कि मन फ्रेश हो गया । दिमाग ताजगी से भर गई । चेहरे पर मुस्कान लौट आई ।

कहानी का प्लाट हमारे दिनचर्या का हिस्सा बयां करते हैं । मुम्बई के लोकल ट्रेन में सफर करना.... तौबा तौबा । मैंने मुम्बई में बहुतों बार लोकल ट्रेन से जर्नी किया है और हावड़ा के लोकल ट्रेन में तो करीब करीब रोजाना ही सफर करता हूं । आफिस टाइम में इन ट्रेनों में सफर करना....माने तो पुरे शरीर का हर व्यायाम एवं हर आसन करवाना । शरीर का जो अंग जहां है उसी जगह पर रखे हुए आधे - पौने घंटे तक जर्नी करना और ऊपर से भीड़ में से आती हुई पसीने एवं पाद की बदबू । मन खिन्नता , वितृष्णा से भर जाता है ।
आप ने सही कहा कि लोकल ट्रेन हर स्टेशन पर तीस सेकंड से ज्यादा नहीं रूकती । आफिस टाइम में सैकड़ों लोगों की भीड़ में ट्रेन पर यदि चढ़ गया वही बड़ी उपलब्धि हो जाती है ।

इस पुरे प्रकरण को बहुत ही खूबसूरती से दर्शाया है आपने ।

इसके बाद लोकल ट्रेन में किसी हसीना से आंखें चार होना... यह तो सोने पे सुहागा था ।

बात कहानी की ही नहीं बल्कि जिस तरह से प्रस्तुत किया गया...पेश किया गया और जिस अंदाज में... जिस शैली का प्रयोग कर के हमारे समक्ष रखा गया उसके लिए मैं क्या ही कहूं ! एक उच्च स्तरीय लेखनी का नमूना था यह । आउटस्टैंडिंग ।

ये तीसरी कहानी है इस कांटेस्ट की जिसने मेरा दिल जीत लिया । मुझे विश्वास है आप की यह रचना कांटेस्ट में अपनी जीत पक्की करेगी ।

आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग
एंड.....जगमग जगमग ।

संजू भाई साहब, बहुत बहुत धन्यवाद आपके रिव्यु का!
और उससे भी अधिक धन्यवाद आपकी शुभकामनाओं का। वैसे जीतना हारना अलग बात है, लेकिन सबसे ज़रूरी है पाठकों को कहानी पसंद आना। मुझे ख़ुशी है कि आपको यह कहानी पसंद आई, और आपके चेहरे पर मुस्कान आ सकी।
 
  • Love
Reactions: SANJU ( V. R. )
9,380
39,528
218
Story - " pari "
Writer - Indian Princess .

दुखों से मेरा नाता है.. दुखों से मेरा रिश्ता है.. दुःख ही मेरी पहचान है ।
यह मैं आप की कहानी के लिए ही नहीं बल्कि अपनी सच्चाई भी व्यक्त कर रहा हूं । ख़ुशी के पल ढूंढने पड़ते हैं मुझे और अगर मिल गया तो वो दिन मैं स्वर्ग का सुख प्राप्त करने जैसा अनुभव करता हूं ।

आप की कहानी हमेशा मेरी हालत बयां करती है । शायद दुखों से आप का भी नाता है और मेरा भी ।
यह कहानी आप की " मीरा सिरीज" की यादें ताजा कराती है ।
एक लड़की जिसके मां बाप भाई सभी को मार दिया गया... एक लड़की जो मुश्किल से उस वक्त दस - बारह साल की होगी... एक लड़की जिसे भगवान ने शारीरिक रूप से विकलांग बना दिया हो.... एक ऐसी लड़की जिसके साथ सालों बलात्कार हुआ हो... एक ऐसी लड़की जो कुंवारी मां बनने वाली हो !
उस बच्ची के साथ ऐसी बर्बरता !
यह मुझे हमेशा दुःख पहुंचाता है । लेकिन ऐसे दुःख देखकर मुझे अपने गम भी कम लगने लगते है ।‌‌ प्रेरणा मिलती है और संघर्ष करने के लिए ।

इस धरती पर कलयुग का शासन है लेकिन कहीं न कहीं सतयुगी लोग भी मिल ही जाते हैं आप के जीवन में । अभिनव सतयुगी इंसान था लेकिन कलयुग में वो कर भी क्या सकता था ! एक अबला और दुखियारी लड़की को तिल तिल मरते हुए देखने के बावजूद भी वो क्या कर सका ! सब कुछ समझते हुए भी वो दर्शक मात्र बना रहा ।

प्रिंसेज मैडम ! मुझे बाकी लोगों के रिभ्यू से कोई मतलब नहीं। पर मुझे यह कहानी पसंद ही नहीं बल्कि बहुत ज्यादा पसंद आया । खास तौर पर लड़की की दर्दनाक मौत । और यही तो क्लाइमेक्स था स्टोरी का ।

एक बार फिर से आपने अपनी लेखनी का जलवा बिखेर दिया । बहुत ही बढ़िया लिखा आपने ।

आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग स्टोरी एंड
जगमग जगमग ।
 
Last edited:
  • Love
Reactions: Indian Princess
9,380
39,528
218
कहानी- ये कैसी बिदाई
रचनाकार- SANJU ( V. R. ) महोदय

बहुत ही बेहतरीन और दिल को झकझोर कर रख देने वाली प्रस्तुति।। सच कहूं तो इस कहानी ने रुला दिया मुझे।। ये एक कहानी नहीं है बल्कि साधारण शब्दों में आपने जमीनी हकीकत से रूबरू करवा दिया है। इस कहानी की तारीफ के लिए शब्द नहीं मिल रहे हैं मुझे।। मां की वेदना और पीड़ा, बेटों की अनदेखी और बेरुखी और बहन का प्यार। समाज की कड़वी सच्चाई से रूबरू करवाती आपकी ये कहानी उन सभी बच्चों के लिए एक सबक है जो पैसों के पीछे भागने के चक्कर मे अपने जन्मदाता को बहुत पीछे छोड़ जाते हैं और जब तक वो लौटकर वापस आते हैं तब तक सब कुछ खत्म हो चुका होता है।।

माँ से बड़ा ममतामयी और त्यागमयी दुनिया में कोई नहीं होता, अगर इंसान अपनी माँ के पैर धोकर सारी जिंदगी पिये तब भी माँ के ऋण से उऋण नहीं हो सकता। जो अपने बच्चों की खुशी के लिए अपने सीने में हजार दुःख भी छुपाकर खुश रहती है।। संजू की माँ कितनी बदनसीब थी जिसके बड़े बेटे ने उसका साथ इसलिए छोड़ दिया क्योंकि उनके पापा ने मरते समय अपनी बची खुची जमीन उसकी मां के नाम कर दी।
संजू का बड़ा भाई लालची निकला। उसकी नजर में अपनी माँ के प्यार से बढ़कर जमीन का टुकड़ा था।।

संजू ने भी शहर जाकर पढ़ाई करने का जो फैसला लिया वो गलत नहीं कहा जा सकता, लेकिन उसने गलती ये की कि एक बार शहर जाने के बाद उसने ये जानने की कोशिश नहीं की कि उसकी मां बहन किस हाल में हैं।। वैसे भी जिस घर में पुरुष नहीं होते वहां की औरतों पर जिस्म के भूखे भेड़िए हमेशा ताक लगाए रहते हैं। इसी बात का फायदा उठाकर गुड़िया की इज़्ज़त लूट ली गई। हरिहर काका का बेटा सच में एक अच्छा इंसान था जिसने सबकुछ जानते हुए गुड़िया से शादी की।।

संजू ने जो सपने लेकर शहर आया था वो तो पूरा हो गया लेकिन उस सपने को पूरा करने के लिए उसे अपनी मां की कुर्बानी देनी पड़ी।
एक बूढ़ी माँ जिसने सारे जमाने से टक्कर ली सारे दुःख दर्द हंसकर अपने बेटों के लिए सहती रही, लेकिन अपने बेटों की बेरुखी से हार गई।। टूट गई।। बिखर गई। संजू और उसके भाई को जब तक अपनी गलती का एहसास होता उनकी मां उन्हें छोड़कर बहुत दूर जा चुकी थी।। मेरी नजर में संजू और उसके भाई की बहुत बड़ी गलती है जिसके कारण उनकी माँ की मौत हुई।।

10 में से 9.9 नम्बर हमारी तरफ से और अगर इस कहानी को पहला पुरस्कार नहीं मिला तो ये बहुत ही नाइंसाफी होगी ऐसा मेरा मानना है।।
Thank you Mahi Maurya ji :hug:
Lekin yeh bhi sach hai ki es forum par ek se badhkar ek dhurandhaar writer hai.
Aur waise bhi shaukia maine sirf ek saal se hi likhna shuru kiya hai. Readers ka response hi mere liye kafi hai.
 
  • Like
Reactions: Mahi Maurya
Top