• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

★☆★ Xforum | Ultimate Story Contest 2022 ~ Reviews Thread ★☆★

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
Everything Is Binary ~ harshit1890

harshit bhau op :bow:, this is one of the best short stories I have ever read,
starting se leke end tak jara bhi story ka thrill khatam nahi hua, har badhte pal ke sath utsukta thi ke aage kya hoga,
I am a fan of science fiction stories aur sath me thriller ka tadka bole to gajab
phishing se leke duniya ke ant tak story ka pace kahi bhi kam nahi hua...
characters ke dialogues, unke actions chizo ko leke unke reactions was on point.. isme kahi bhi atishayokti nahi thi..
talking about characters vikrant aur dimitri ka character bahut sahi build kiya gaya hai, though vikrant aur dimitri ke background ka utna ullekh nahi hai aur wo samajh bhi aata hai ki aap 7k ki word limit me sab kuch nahi daal sakte but jitna hai wo samajhne ke liye kafi hai rahi baat pratiksha ki to sex is fine but mere hisab se uske character ka main kaam bas ek dialogue bolne ka tha... 'tujhe bas chori suit karti hai' aur yahi se akkhi kahani bani, isi baat ne vikrant ka ego hurt kiya aur bhai hologram ki madad se duniya badalne nikla, agar pratiksha ye line nahi bolti to shayad vikrant ka dimag use hologram ki baato ki taraf akarshit nahi karta
the story executed the concept of time paradox very well...
for me this is a perfect plot for a superhit movie or webseries bas koi badhiya producer aur director mile.. :D
Thank you so much Adi bhai... A super review by a super person :bow: :bow: Is kahani ko lekar sabhi ne jis tarah se review diye hain usko mein bayan nahi kar sakta. Sabhi ke different. It is a mehnat vassul kahani... :bow: Lagta hai group mein bolna padega thoda thoda paisa daal kar produce karenge :shy: :D Thank you so much bhai... pleasure :bow:
Flight ~ harshit1890


Harshit bhau ye USC me soch kar hi aye the ke logo ke dimag ka dahi banane ka hai aur wo kaam unhone bahut gajab tarike se kiya :bow:
this is not a normal story aur jo log Sci-fi ke fan nahi hai ya science ke concept se thoda dur hai unko is kahani ko samajhne me kafi dikkat aayegi
(kayi scenes par mera khud ka dimag ghuma hai :Sweat: )
this is a sci-fi masterpiece aur aisi stories aapko XF poar bahut kam padhne ko milengi..
kahani ka concept chunna aur fir usko itne badhiya tarike se sabke same pesh karna, time maze dizziness multiverse.. harshit1890 bhau deserves a huge applause for this story :applause: :applause:
Padhte hu samjhna vakai sirf ek sci-fi diwana hi samjh skta tha. Even gyani bhai said ki kya likh dia hai ye :haha: Limited readers ke lye hi sahi bas execution sahi hua hai ye review se padh kar malum chalgaya tha bhai... Thank you so much bhai... :bow: :bow: Ispar aap movie produce kar do :D

Thanks Adi bhai for reading both stories :bow:
 

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
35,701
47,491
304
Thank you so much Adi bhai... A super review by a super person :bow: :bow: Is kahani ko lekar sabhi ne jis tarah se review diye hain usko mein bayan nahi kar sakta. Sabhi ke different. It is a mehnat vassul kahani... :bow: Lagta hai group mein bolna padega thoda thoda paisa daal kar produce karenge :shy: :D Thank you so much bhai... pleasure :bow:

Padhte hu samjhna vakai sirf ek sci-fi diwana hi samjh skta tha. Even gyani bhai said ki kya likh dia hai ye :haha: Limited readers ke lye hi sahi bas execution sahi hua hai ye review se padh kar malum chalgaya tha bhai... Thank you so much bhai... :bow: :bow: Ispar aap movie produce kar do :D

Thanks Adi bhai for reading both stories :bow:
Karenge bhau ek din film bhi produce karenge :D
Stories ready hai apne paas aapki gyani bhai ki bas paiso ka jugad ho jaye :D
 
  • Haha
Reactions: harshit1890
9,380
39,528
218
ये कैसी बिदाई । ~ SANJU ( V. R. )

emotianal kar diya sanju bhai, this story is beyond compitition,
mera dimag kahani padhte time uske scene ko kisi film ki tarah background me chalane lagta hai aur aisa bas kuch ki kahaniyo ke sath hota hai,
main bilkul bhi utna emotional aadmi nahi hu but is kahani ne dil ko chuu liya bhai,
purani filmo ki yaad dila di aapne, aajkal aisi kahani padhne ko kam milti hai jo ek maa ke dard ko bayan kare, uspe bhi xf par to shayad hi aisi koi kahani milegi.. is kahani par bolne ke liye shabd kam pad rahe hai bhai..
aapki lekhni bahut kamal ki hai jisne is kahani ke madhyam se bahut powerful impact chhoda hai..
this is one of he best story of this contest no doubt.
plot ke chayan se leke character ke gathan tak, dialogues ke leke emotions tak sab perfect
this one is a must read. :superb:
Thank you bhai... bahut badhiya lagta hai jab ek behtreen writer aap ki story ki prashansa karta hai. Aap khud bahut hi umda writer ho.
Thank you so much bhai :hug:
 
Last edited:
  • Love
Reactions: Adirshi

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
Karenge bhau ek din film bhi produce karenge :D
Stories ready hai apne paas aapki gyani bhai ki bas paiso ka jugad ho jaye :D
Financer khojte hai :online:
 

Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244
Love In Local Train ~ Jaguaar


bas ek hi sawal what do we call it love or arranged ?
a simple and well written love story jo padhne walo ke chehre par muskan le aaye,
ye ek aisi kahani hai jisse bahut log relate kar payenge aur unhe ye unki hi kahani lalegi
khas kar wo log jo mumbai se hai aur jinko local me kabhi pyar hua hai..
apne shahar se kahi dusri jagah jakar adjust karna aasan kaam nahi hai par agar kisi ka sath mil jaye to baat alag ho jati hai khas kar kisi khubsurat ladki ka, aman ke sath bhi aisa hi hua pehle sheetal se mulakat fir dosti aur fir pyaar..
writing ki baat kare to I know your writing skills very well to waha tipani karne ka koi matlab nahi hai, you are a phenomenal writer
it was an enjoyable read.. :superb:
Thank you

You can call it love story. Kyoki hosakta hai Sheetal ko pehle se hi Aman se pyaar tha. Par mumbai mein yeh pyaar aur jyaada gehra hua. Ekdusre ko janne ko bhi mila. Toh isse arranged kehna galat hoga.
 
  • Like
Reactions: Adirshi

avsji

..........
Supreme
3,507
15,898
159
लोकल ~ avsji

maine ye baat shayad chit chat me bhi kahi hai ye is USC me bahut sara quality content aaya hai and this story proves me right
this story truly shows writers experience in romance writing aur jis tarah se aapne local train uski jounnery ko bataya hai jis tarah se discribe kiya hai just amazing, is kahani me koi kami nahi hai..
main mumbai se to nahi hu ha par kayi baar mumbai gaya jarur hu aur local se safar bhi kiya hai so I can relate with the story,
bas meri story aur isme alag baat ye thi ke hamari najre to mili thi bar baat wahi khatam ho gayi :D
overall story was fantastic.. :superb:

भाई साहब - सबसे पहले तो बहुत बहुत धन्यवाद! 🙏
पाठकों को कहानी पढ़ कर आनंद मिले, रस मिले, तो उससे अधिक प्रसन्नता की बात एक लेखक के लिए और कुछ नहीं!
साथ बने रहें! उम्मीद है कि आप मेरी अन्य कहानियाँ भी मौका निकाल कर पढ़ेंगे!
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

Destiny

Will Change With Time
Prime
3,965
10,660
144
Buree Qismat! Phir bhi too milee ~ Destiny

thanks bhai light hearted story likhne ke liye,
back to back 3 sad story padhne ke baad this story was a breath of fresh air for me..
sara mood sahi kar diya ye story ne aur chehre par muskaan aa gayi..
waise to I don't relate that much with prabhu kyuki apun ghar me bada hai baki chhote se itne bhi kaam nahi karwaye jate bhai :D,
ha ab prabhu ki kismat ka kuch nahi keh sakte wo uske jivan me kab kya utpat macha de par ye bhi utna hi sahi hai ke agar kismat itni hi kharab hoti to wo khushi se dobara nahi milta..
baki kehne ko jyada nahi hai.. kahani achi hai sabse main main jaha post ki hai wo page bhi sahi hai, agar koi upar ki sari kahaniya padh ke aaye to use ye kahani jarur padhni chahiye, taki mood sahi ho jaye..
overall an enjoyable read. :superb:
Thank you dada

Kab se wait kar raha tha koyi mod ek acha khasa revo de. Der aaye durust aaye jankar aacha bhi laga ki commedy story me achhi pakad rakhne wale ek lekhak ko mere iss choti si rachna ne chahre par muskan la diya aur mind ko fresh kar diya.

Ek baar phir se thank you 🙏 dada
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

Death Kiñg

Active Member
1,366
6,932
144
ये कैसी बिदाई । By SANJU ( V. R. )

:bow: :bow: :bow:

An outstanding creation Sanju bhai. Ek aisi kahani jiski Mujhe bilkul bhi umeed nahi thi ke XF par padhne ko milegi. Maa, isi shabd ke chaaron taraf ghoomti dikhayi di ye kahani. Ek maa ki bhavnaye, uski soch, uska apne bachon ke liye Nischal prem aur wo tyaag jo ek Maa apne poore jeevan karti hi rehti hai, sab kuchh tha iss kahani mein.

Jahaan Xf par log apni hi Maa ko khud bhi aur doosron ke saath sexually fantasize kar rahen hain, wahin ek iss tarah ki kahani ki maujoodgi sachmuch mein dil ko chhoo leti hai. Wo Maa jisne sadaiv apne bachon ki bhalayi aur unke behtar jeevan ke liye mehnat ki, ant mein uski aakhiri saanson ke chlate waqt uske paas koyi naa tha.

Kahani bhale hi Sanju ke nazariye se chali, par asal mein is kahani ki ek maatra naayak aur naayika kewal aur kewal wo Maa hi thi. Haalanki Sanju ka shehar jaakar aage padhne ka sochna kahin se bhi galat naa tha par wahaan jaakar apni Maa aur Behen ko bhool hi jaana, ye kahin se bhi jaayaz naa tha. Uske bade bhai ke to kya hi kehne, satya hi hai Paisa gehre se gehre rishte ko jalakar raakh kar deta hai, uske saath bhi yahi hua.

Par iss beech Gudiya ke saath jo hua wo sachmuch bahut dardnaak tha. Ek ladki ke liye uski asmat se khilwaad hone se adhik kasht kaarak kya hi ho sakta hai, par jahaan burayi hai wahin achayi bhi maujood hoti hai. Aur Hari Kaka ke bete ne isi baat ka parichay diya. Gudiya se shaadi ke liye khud hi prastav rakhna darshata hai ke insaniyat yunhi khatam nahi ho jaati.

Par jab tak Sanju apni galti samajh paata, tab tak bahut derr ho chuki thi, apni Maa ke aakhiri waqt mein wo unke saath naa tha, aur ye baat jeevan bhar, uske dil ko jhakjhorti rahegi, aakhir Maa to Maa hoti hai.

Kahani ka concept jitna badhiya tha uss se bhi behatreen tha uska presentation. Sahi shabdon ka chunaav kiya gaya lekhak dwara aur bhavnao par bahut hi badhiya niyantran dikhayi diya. Ab iss kahani ko rating dena iske saath anyaya hoga, bas yahi kahunga ke ye story top 3 mein apni jagah bana hi legi, ismein koyi shakh nahi.

Outstanding Story bhai! Jagmag Jagmag :D.
 
  • Love
Reactions: SANJU ( V. R. )

Death Kiñg

Active Member
1,366
6,932
144
Love In Local Train By Jaguaar .

Ek romantic story, ab hum ye to jaante hi hain ke Jaguaar bhai Romance likhne mein maahir hain. Iss se pehle bhi do long stories Romance genre ki aap complete kar chuke hain, to of course ye kahani bhi behatreen hi honi thi.

Kahani ka main protagonist arthat hero tha Aman, joki nature se ek sharmila ladka hai par saath hi bahut talented bhi hai. Nateejtan, company ki taraf se promotion mila Usse par saath hi transfer bhi. Mumbai yaani Mayanagri joki kitne hi logon ka sapnon ka shehar hota hai, Aman ki manzil bhi wahi thi. Par wo iss baat se anjaan tha, ke usse uska payaar bhi Mumbai mein hi milne waala tha.

Sheetal, jiska swabhav bilkul Aman se ulat tha, aakhir Mumbai mein rehne ka asar to padna hi tha. Aman ke dil mein usse dekhkar hulchul shuru ho gayi. Pehle halki si baat cheet,fir dosti aur fir pyaar... Aakhir Aman Sheetal ko apna dil de hi baitha. Par apne sharmeele swabhav ke chalte keh naa paaya, zyadatar hindustani laundon ki kahani yahi hai waise!

But, Sheetal se kuchh hi samay ki doori ne tadpa diya usse aur aakhir Aman ne himmat dikhayi, par uske izhaar ka tareeka alag tha. Ek khat ke zariye usne apne dil ki baat Sheetal tak pahunchayi, khat hi ek zariya hai jo bilkul rubaroo baatcheet jaisa lagta hai. Love Letters & All, reminds me of the old days...

Par twist ye tha ke Sheetal pehle se hi Aman se pyaar karti thi. Sheetal ne Aman ko ek shaadi mein dekha tha aur wahin pehli nazar ke pyaar ka shikaar ho gayi thi. Last, mein dono ka ek doosre se sabhi kahi ankahi baaton ka izhaar karna dil ko chhoo gaya. Ek happy ending huyi, dono ki shaadi ke roop mein!

Jaisa maine pehle kaha hi, Romantic stories aap bahut badhiya likhte hain, ye story bhi ussi prakaar ki thi. Ek simple si prem kahani thi jisse aapki lekhni ne shaandar bana diya. Haan, shayad emotions waale factor mein halka saa kaam kiya jaa sakta tha.

Outstanding Creation Bhai!
 

Baban

ᴇᴋ ᴋᴀʜᴀᴀɴɪ... ᴀɪꜱɪ ʙʜɪ
573
1,082
139
Ehsaas ~ Baban

that was an amazing story bhai,
story bas do characters ke around ghumti hai tanmay aur maya aur unka pyaar...
it was a perfect mix for emotions and superbly written dialogues...
tanmay and maya's conversation was gem....
kahani padhte time koi ye nahi keh sakta ke maya mar chuki hai aur ye bas uska ehsaas hai jo tanmay ke ander ab bhi jivit hai,
good job baban bhai.. :superb:
Thank you very much ♥️
Aap ko itna acccha laga jaankey khusi hui ♥️♥️
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )
Top