• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

★☆★ Xforum | Ultimate Story Contest 2020 ~ Reviews Thread ★☆★

Status
Not open for further replies.
2,964
2,838
159
Story - फक्त एक ख्वाहिश fountain_pen

Main teen din se review karne ki kosis kar raha hun aur 3 bar story bhi padh chuka hun ... Shyad is waqt uljhi chijen main nahi samjh pa raha hun ..

Aakhri me wo dono jab ghumne gaye the .. jahan ye samwad aaya ab hum dobara nahi milenge .. aur fir kahani kuch dango ke piche back chali gayi ..

Main ye kadi jod nahi pa raha hun ... Yadi aap thoda highlight kar denge ... Aur ye bhi ki amne samne baithe 2 log video confrance me kaise pahunch gaye ...

To bahut kuch clear ho jayega ...

माफ करना भाई, आपकी परेशानी मैं समझ सकता हूँ। दरअसल इक-दो वजह रही इस कहानी को जल्दबाजी़ में निबटाने की, assassin भाई से पूछा है उसके सोल्यूशन के बारे में।

इन वजहों से अलग आपके सवालों पर अपन बात जरूर कर सकते हैं।

पहला, अपराजिता ने एकाएक अपना रास्ता क्यूं बदल लिया।

दूसरा, दंगों का बीच में आना.


वैल, अपराजिता के बाबा को समर का हमेशा सुर्खियों में रहना पसंद नहीं था, जिसका इज़हार उन्होंने समर को हास्पिटल में गालियां सुनाकर कर दिया।

दंगों वाला पार्ट इस कहानी का बहुत अहम और इमोशनल हिस्सा था जो मैंने जानबूझकर इसलिए हटा दिया, शायद किसी को वो आबजेक्शनेबल लगे, और ये ही बडी़ वजह रही कि मैं जो चाहता था वो कहानी में ठीक से रख नहीं पाया। मसलन शिवानी का समर से अलग होना मगर उसके डैड का समर के साथ रहना......

वीडियो कांफ्रेस वाला कोई मसला नहीं है, काम में व्यस्तता की वजह से दोनों ज्यादातर फोन पर कनैक्टिड रहते, इक दिन अपराजिता के बाबा को इन दोनों के रिश्ते के बारे में पता लगा, अपने बाबा की मंजूरी न मिलने पर उसने समर के साथ अपना रिश्ता खत्म किया और वहां से कहीं और चली गई।

इसके बाद की कहानी थोडी़ कंट्रोवर्शियल हो सकती थी जिसके बारे में ना चाहते हुए भी मैंने बस थोडी़ सा ही लिखा(दंगा वाला पार्ट)।

उम्मीद है इस कहानी को लेकर आपके काफी उलझने क्लीयर हो गई होंगी।
 
Last edited:

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Story:- Amulya tohfa


Writer:- Milan2010


Review:-
Ye kya tha bhai Itni science story me achi nahi lagti hum apni books ki science parh lete hai hamare liye ye he bohat bari baat hai Lekin ap ki soch ko salute hai Sach me Hume hamare banane wale ke diye tohfe ki qadar nahi hai Pani ki qadar abhi hame nahi hai kiu ke insaan ke paas jo cheez hoti hai us ko us ki qadar nahi hoti lekin Jab wo cheez hum se cheen jati hai tab us ki qadar ka Ahsaas hota hai Bohat zabardast tareeke se ap ne Story ko narrate kia Story ma Flow bhi bohat acha tha Story me bohat se aise alfaz the jo mujhe samajh he nahi aye adhi story to mere liye aljabra ke sawal he ban gye the lekin phir bhi story parh ker bohat acha laga umeed karta hu aage bhi ap ki stories parhne ko milti rahe gi Best of luck for contest
:thanks: Damha sir :dost:
jaankar acha laga aapko kahani pasand aayi
ab rahi baat science ki toh use maine easy se easy way me likha hai..kuch aisa nahi tha jo aap nahi jaante the
aur bhai bura mat maanna par jo asliyat hoti hai use padhna hamesa boring hi lagta hai

aapne iss story ko as science ki book samajkar padha hai..shayad isliye aap ise sahi se feel nahi kar paaye
mai chahta toh earth aur paani ke banne ki baate naa likhta..par muje laga ki voh iss story ki jaan hai
paani aur dharti dono ese hi insaan ko nahi mili..laakho crore saal ke baad hume yeh do amulya tohfe mile hai..bas isiliye use likha
kehne ko paani 1 shabd hai aur 4 letters ka hai..lekin yeh 4 letter ke banne ki piche hi kahani har insaan ko janna chahiye

anyways aapne sahi kaha ki jo hamare pass hota hai uski kadar nahi hoti
bhai puchiye aapko kya samaj me nahi aaya..??
aur agar aap bura naa mane toh mai request karunga ki ek baar story ko as a science ki kitaab naa samaj kar paani ki gehrayi ke baare me feel karke padhe..fir shayad aapko meri baat samaj aayegu ki maine use kyu likha

anywaya thank u so much bhai for such a beautiful review
:thanks:
 

Damha

I LOVE KUNG FUUUUU!!
Staff member
Sectional Moderator
17,656
19,528
229
:thanks: Damha sir :dost:
jaankar acha laga aapko kahani pasand aayi
ab rahi baat science ki toh use maine easy se easy way me likha hai..kuch aisa nahi tha jo aap nahi jaante the
aur bhai bura mat maanna par jo asliyat hoti hai use padhna hamesa boring hi lagta hai

aapne iss story ko as science ki book samajkar padha hai..shayad isliye aap ise sahi se feel nahi kar paaye
mai chahta toh earth aur paani ke banne ki baate naa likhta..par muje laga ki voh iss story ki jaan hai
paani aur dharti dono ese hi insaan ko nahi mili..laakho crore saal ke baad hume yeh do amulya tohfe mile hai..bas isiliye use likha
kehne ko paani 1 shabd hai aur 4 letters ka hai..lekin yeh 4 letter ke banne ki piche hi kahani har insaan ko janna chahiye

anyways aapne sahi kaha ki jo hamare pass hota hai uski kadar nahi hoti
bhai puchiye aapko kya samaj me nahi aaya..??
aur agar aap bura naa mane toh mai request karunga ki ek baar story ko as a science ki kitaab naa samaj kar paani ki gehrayi ke baare me feel karke padhe..fir shayad aapko meri baat samaj aayegu ki maine use kyu likha

anywaya thank u so much bhai for such a beautiful review
:thanks:
ok ek bar dobara read karu ga
 
  • Love
Reactions: Milan2010

nain11ster

Prime
23,615
80,592
189
Story:- परा विद्या

Writer:- nain11ster


Review:-
Main story ke baare me zada nahi keh sakta kiu ke main ne theek se story nahi parhi kiu ke translate ker ke parhne me bohat mushkil hoti hai Lekin main ne complete parhi hai jis se mujhe story ka Narration aur flow acha laga Ek behtreen kahani jis me bohat kuch daikhne ko mila Umeed karta hu aage bhi ap ki story aise he parhne ko milti rahe gi Best of luck for contest

i appreciate your hard work .. but by simply translate on google u cant find anything in story .. as shown in review .. its ok if you r not comfortable in Devnagri font ..
 

nain11ster

Prime
23,615
80,592
189
Story :- Kanch Ka Gharonda…… (Vayang)

Writer :- nain11ster

Link :-

pehle to aapko dusri story likhne ke babut bahut shukriyan :thankyou:
story ka title hi vayang rakh diya :lol:
waise title ke sath story line kafi mail khati hai
story line bahut achi hai..story mein jo tpoic liya hai wo bhi kafi mast hai
sach kahu aisi story ko newpaper mein chapna chahye tha :D
kyu ki aajkal ke ladke/ladkion ko ye samjana bahut jarurai hai..
jo aapne story ke madhyam se badi hi sarlata se samajya hai..

mishra & misharayan ji ache savbhav ke paratit hote hai..
chitra & ojas ka kafi acha varnan kiya hai..jo aajkal ke ladke/ladkiyon darshata hai :good:
sahi hi kaha aajkal english do batein kya keh do samne wala tarif samaj baithata hai :D
sach hi kaha aapne abhi ke time mein koi vishay par charcha karo thodi der mein kisi aur hi baat pe behas ho jati hai
jis kisi vishay par charcha ho rahi hai wo to kahi dur reh jata hai aur yaha log ek dusre ko troll karte rehte hai

story mein aapne ek galti kar di sabke apne apne point of view dikhane chahiye the :sad:
aajkal ke bache bas mobile , game , frineds ke sath hi busy rehte hai
unhe ye bhi samjana chahiye ke unke maa-baap ki kya aashayein hai
maa-baap ke prati apna dharm aur jimmedarion ko samjana chahiye

aajkal logo ko dikhawa karna bahut pasand hai jaise ki wo logo mein popular bane
jise log follow kare lekin yaha bhi thodi galti unke maa-baapon ki hai..
unhe thik se baton ka gyan de kya sahi hai kya galat wo bataye main ye nahi kehta ki sabhi aisa karte hai
lekin kayi maa-baap bachon ko pyaar dena aani paise se tolte hai..
aajkal to bachon ko sambhale ke liye baby sitter rakhte hai.. :angry:
isi liye ab pyaar dikhawe ke reh gaya hai..
is baat pe babut charcha ho sakti hai wo badmein karnege.. :D

story bahut hi shandar rahi..aage bhi aap kisi aise hi vishay par koi story likhe to humein bahut acha lagenga
:thankyou:


best of luck for contest:good:

Rating :- 4.6/5 Stars
story ka title vyang nahi hai balki ... wo story discription hai .. ise suffix samjh lo .. title to Kanch Ka gharonda hi hai ..

story mein aapne ek galti kar di sabke apne apne point of view dikhane chahiye the :sad: mujhe lagta hai ki aap ko story ki theme thodi aur clear karni jyada jaroori hai ... yah ek vyang hai .. aur yahan har point ki charcha hoti hai ... point jo ek common hota hai aur usi par charcha aage badhti chali jati hai ... apna apna point to sabka dikh hi raha tha..

kya aap ko ojas ka point nahi dikha .. jo khud ko samrt handsome aur sath hi sath expert all rounder bhi manta tha... ya celebrity chitra ka point nahi samjh me aaya jo social site par din raat khud ko mashur kar rahi thi .. ya fir mishra ya mishrayan ji ka point samjh me na aaya ki .. bhagti jindgi me wo apne bachon ko riston me rahna nahi sikha paye .. ya sath rahne ke sadachar sikhane me koi chuk ho gayi... ya fir ye point nahi samjh me aaya ki mishrayn jaise soch rakhne wale log musibaton me bhi dusron ka sochte hain... mujhe hairani hai aap ke is line pe .. ho sake to pane point ko clear kijiye ... warna main bus matr is aap ki padhne me chuk samjh sakta hun...

ha ha ha... main ek hi vyang me sanhi baton par charcha nahi kar sakta .. har point apne aap me valid hote hain .. yahan bus mudda baudhik vikas ka tha... jispar maine charcha ki thi kuch kirdaron ke manodsha ke sath ... kahani ko itna sarahne ka shukriya .... aap ka aabhar :)
 

nain11ster

Prime
23,615
80,592
189
Story - Kanch Ka Gharonda……



Link- https://xforum.live/threads/★☆★-xforum-ultimate-story-contest-2020-entry-thread-★☆★.16291/post-1564560



Writer- nain11ster



About story-

Nainu bhai faad diya :applause: :applause: :applause: :applause: :applause: :applause:

Jo chij aapne likhi hai wo main bahut samay se likhne ki koshis kar raha hu , kabhi kabhi kisi jagah par thoda moda is vichar ko likhta jarur hu lekin kabhi ispar puri story likhne ki nahi sochi , ye story padhkar bahut khusi hui :superb:

Osho kaha karte the ki insan ka dimag vaigyanik ka aur dil kavi ka hona chahiye tabhi to jivan ko samjh payega aur ji bhi payega ..

Boudhikta yahi hai ki aap pahle chijo ko samjho jano aur fir ek nirnay par pahucho lekin wo nirnay bhi aisa na ho jo badala na ja sake , tarak aur tathay ke aadhar par apne vicharo me badalaw karte rahna chahiye yahi jivan ki nishani hai ..

Jis tarah se nadi ka jal bahta hua hi sudhh rahta hai usi tarah se niyam kayade kanoon aur samajik vichar bhi waqt ke sath badalte hue hi sahi aur nayaypurn rah pate hai , aur ye badlaw bhi tabhi sambhaw ho sakta hai jab ham dusaro ki bhi sunne ki aadat dale ,

Main writer ki is bat se sahmat nahi hu ki ye concrete thought ki prawitti aajkal social media ke aane se badhi hai , asal me ye to hamesha se hi rahi hai, har tarah ke log hamesha se rahe hai bas social media ke aane se ye log ab dikhane lage hai … :approve:

Is story me kai muddo par bat ki gayi vayang ke madhyam se jaise social media ka galat upyog , logo ki concrete thinking , parsidhdhi ki chahat aur bhookh , logo me ek ajib tarah ke ego ka vikas hona janha wo kisi aur ki sunte hi nahi balki khud ki hi chalana chahte hai, aur in sab ka mul karan samajik boudhikta ki kami :approve:

Ab nainu bhai ki writing skill ke bare me kuchh kahna hi galat hoga sabhi ko pata hai ki wo kitane achche writer hai ..

Narration kamal ka tha , plot bahut hi umada ..

Bas ek chij ki kami mujhe thodi si khal gayi wo thi ki ye story se jyda ek nibandh jaisa laga , khair vayang me story ke base par ek gahari bat kahne ki koshis ki jati hai , isliye ye kami ignore ki ja sakti hai ..

Lekin main thahra harisankar parsai ji ka die heart fan , unke vayang padhkar main kabhi kabhi hans bhi jata hu to kabhi puri tarah se hil bhi jata hu , to vayango se meri apeksha thodi jyda ho jati hai … :approve:

Aur fir shri lal Shukla ki raag darbari .. :faint:

Isliye mujhe vayang se pyar sa hai thoda , to ager main writer se thodi jyda apeksha kar raha hu to mujhe maaf kijiyega :makeup:

Note for writer –

Nainu bhai dil khus kar diya aapne , ab fir bologe ki review me jyda nahi likha .. to iske liye hath jodkar maafi ..

Aur kuchh likhte hi nahi bana main to bas prem me pad gaya hu , vayang ke prem me .. ek bar fir se (ye, ye jawani hai Diwani ka dialog hai :lol1: ) mujhe pyar ho jayega … fir se .. ?

Best of luck for contest ?
Main writer ki is bat se sahmat nahi hu ki ye concrete thought ki prawitti aajkal social media ke aane se badhi hai , asal me ye to hamesha se hi rahi hai, har tarah ke log hamesha se rahe hai bas social media ke aane se ye log ab dikhane lage hai … :approve:

aap ki is baat se main sahmat hun ... isliye maine ek baar shuru me dhuan aakrshit karwana chaha tha ... is baat ko lekar ki .. sampurn kuch bhi nahi hota... dusri baar maine fir social media ke achai ko batate huye baudhik vikas ke sandarv me hi likha tha... brand lene me itni chhan bin lekin kisi mudee par vichar banana hai to apne favourite ko sun liye ...

is baat me koi do rai nahi ki badlte pariwes me vicharon ke adan pradan me bhi badlaw kafi aaye hain ... lekin in badlaw ko hume hi balance karna hai ... ache bure har waqt me rahe hain lekin ... un dashkon me koi raton raat famous ho jaye sambhw nahi tha kintu aaj aap to dekh hi rahe hain ... kahan tak gir jate hain...

fir is charcha me aage nahi badhenge kyonki internet ke fayde aur nukshan apne aap me ek bada vishay hai ... haan ukt likhi aap ki baten purn satya hai ... jise main accept karta hun ...

baki aap ne aise tarifon ke pul band diye ki main to bilkul roj 3 4 bar ise padh kar khud me muskura leta hun... plot kuch aisa tha ki ye ise likhna kafi kathin tha.. vyang ke madhyam se vichar ko bahar lana .. aur use sahi jagah par darshana .. wo bhi kahani me .. kafi muskil hota hai.. isliye ek hi lay aur ek hi emotion me likhe hone ke karan ye niband pratit hota hai .. kyonki is kahani me koi bhaw nahi the ... :)

aap ke comment padh kar aur bhi jyada reply karne ka din kar raha hai lekin itne par hi apni baat samapt karta hun.. waise aap ne bhi revoo me mujh par vyang mar hi diya apne pichle revoo ke reply ka .. ye udhar raha :D
 
  • Haha
Reactions: Chutiyadr

nain11ster

Prime
23,615
80,592
189
Story = Kanch Ka Gharonda…… (Vayang)
Writer = nain11ster


Kahani ko padhne ki baad...aate hai ush baat pe jise writer sahab ne zikra kiya hain kahani mein bhoutik aur boudhik vikas pe... Kyun na sidhi tarike se nazariya batayai jaye... zamane ke sath chalna chahiye... sach hai ji... Chitra aur ojas jaise log bhi zamane ki sath hi chalte hai.. yeh bhi thik hai... lekin inke soch social se nahin balki social sites se vikas hoti hain... Ya yeh kahu social sites ke un chijo se jish se yeh gyan mile ki 'hum hi hum hain baki sab chai kam pani hai "... Kamal ki soch hoti hai inki aur sath hi buddhi, gyan, jankari ki vikas ki... ek example, mother's day par apne mom gift de ya na de lekin mother's day ko lekar kuch na kuch achhi wali post jarur karenge social sites pe , uspar wahan kitne likes mile kitno ne comments kiye, kisi dusre ki post ko zyada likes comments toh nahin mile ishi baat pe inki soch atki rahti hain.. Kyunki inki boudhik vikas toh inhi sites se aise jankariya hasil karte huye hai.... ab inlogo ne aise hi bina jankari aur gyan ke hi ek samajik samashya ko leke ek post kar diya jisko dekh ke writer sahab bhi us vishay pe vichar bimarsh karne ya pratikriya dene gaye ush social site pe... par jawab ke roop mein wohi mila ek hi dialogue bole toh "hum, hum hai baki sab chai kam pani hai"... ya phir kisi dusre vishay ko laad kar bolti bandh kar dete hain... aur isme inka sath dete hai woh log joh Aankh kan naak muh sab bandh karke inko follow karte hai...kyunki unke paas sathik jawab hi nahi hai writer sahab ko dene ke liye.. isliye baad mein abuse pe Utar aate hain... kyun ki haarna inlogo ko pasand nahi.. yeh toh rahi Internet jariye chalte kuch social sites pe any time rahne wale kuch logo ki baaton.. ab aate real life mein joh kand hua ojas ke sath... ab kya kahu.. ojas jaise log har roj haarte hai.. yahan tak ki yeh baat iske ird gird ghum rahe samche bhi jante hain lekin dikhate yeh hai ki Sikandar wohi hai jo kabhi nahi haarta .. kya kare inka jep kharch bhi toh ojas jaise ke badoulat hi chalta hai...ab aise mein koi iske jaise ko haar k shaadi chakha de toh ladai toh pakkam pakki hi hai.. ab koi suljhe huye ya samajhdaar log aise logo se inki baaton se dur hi rahte hai...
anubhav....bure bhi hote aur achhe bhi... aur isse jankariya, gyan, soch ki vikas mein bahot hi aham madad milte hai... Aur kisi chij ke upor dusro ki anubhav ko janke bhi ush chij bade mein gyan hasil kar sakte aur jab aap khud ush chij ko pratyaksh roop se vyavahar karke bura hai ya achha, uske joh anubhav hai,, dusro samne mat ya vichar rahenge woh unique roop mein aayenge unlogo ke liye joh ush chij ka vyavahar karna chahta hai.. .. waise akshar kuch anubhavon se hum bansit rahte hain... Jab tak pratyaksh roop sw jaan nahi lete tab tak hum un vishvas nahi karte.. writer sahab bhi shayad aise alag duniya mein ji rahe log aur unke be sir per ke vichar bimarsh walo se milnki anubhavon se bansit the ... aur jab mil liye toh yeh kahani bani... aur hum readers ko yeh janne ka mauka mila ki unka kya rai hain Chitra aur ojas jaise soch rakhne wale tatha unko aankh mud anusaran karne walo ke liye.... so... mul vishay par sthayi vichar vimarsh wohin karte hai joh iski jankari rakhte hai ya janne ko ichhuk hote hai, joh reality mein zyada vishvas rakhte hain, jinka bhodhik aur bhiutik vikas reality ko dekhke huwa hai.... na ki Chitra aur ojas ya phir dono ko follow karne wale logo se jiko mul vishay par sathik vichar karne ke liye koi jawab hi nahi hai unke paas..... aur yeh bina vaastavikata jane gyan batana aur har haal apni fati huyi ego ko bajaye rakhana mahaz ek kanch Ka Gharonda hai.. tutne mein der nahin lagegi.. writer sahab Chitra aur ojas aur inke anusaran karne walo ki soch ko udharan deke jish baat sabit karna chahte the tatha ek sandesh bhi dena chahte the aaj ke generation ko usme woh kamyab rahe.
So nain11ster ji Brilliant story with awesome writing skill :applause: :applause:
Btw writer sahab ne chitra ojas jaise logo ki soch aur unko anukaran karne walo ki parkhacche uda diye is kahani ki jariye aur joh inlogo jaise soch rakhte hon unka soch badal jaye... :adore:

naina ji ek panna mere liye chhap di ... wowwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwww... :bow: :bow: :bow:

ab aap ne itna kuch likh diya hai ki main nih shabd ho gaya hun..... charchayen aur mudde bahut hain .. aur un muddon ke ander bhi vaikalpit mudde bahut sare hain ... lekin jab bhi hum kisi vishay par baat karne baith jate hain to mukhya mudda kahim kinare ho jata hai...

main bahut dino se in vishyon par likhne ke liye soch rah tha par har bar thoda likh kar chhod diya karta tha ... main aap sab ka dhanywad karna chahunga kyonki jis tarh se aap sab ne kahani ki barikiyon me chhipe sandesh ko chuna hai .. us se main is tarh ki story likhne ke liye main prerit hua hun...

abhi bhi main "mahabhoj" ... "kir-kiriyan" "jung lagi cycle" aur "badhta dawav" naam se kuch vyang ko likhna shuru kiya hun .... ummid ha main trakpurn dhang se aur vishyon par purn sodh kar ke kisi sahi nishkarsh ke sath in sab vishyon par likh paun... lekin ye aap sab ka pyar aur non-fictional ko sarahne ka hi natija hai jo main ab in vishyon par kaam kar raha hun..

thanks a lot for such a beautiful revoooo...

waise aap ne jo likha hai na ki maine parkhache uda diye hain aur shayad unki soch badal jaye ... viswas maniye ... kisi ko samjhana aaj ke samay me namumkin hai kyonki pahle log sunte the to samjhte the ... aaj kal sunte nahi hai ... sidha jawab de dete hain .. isliye ye samjh pana unke bus ka nahi ... haan 10000 me se kisi 1 ne bhi bus samjh liya to main ye man kar chalunga chalo kuch to acha kiya :)
 
  • Love
Reactions: Naina

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,259
189
naina ji ek panna mere liye chhap di ... wowwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwww... :bow: :bow: :bow:

ab aap ne itna kuch likh diya hai ki main nih shabd ho gaya hun..... charchayen aur mudde bahut hain .. aur un muddon ke ander bhi vaikalpit mudde bahut sare hain ... lekin jab bhi hum kisi vishay par baat karne baith jate hain to mukhya mudda kahim kinare ho jata hai...

main bahut dino se in vishyon par likhne ke liye soch rah tha par har bar thoda likh kar chhod diya karta tha ... main aap sab ka dhanywad karna chahunga kyonki jis tarh se aap sab ne kahani ki barikiyon me chhipe sandesh ko chuna hai .. us se main is tarh ki story likhne ke liye main prerit hua hun...

abhi bhi main "mahabhoj" ... "kir-kiriyan" "jung lagi cycle" aur "badhta dawav" naam se kuch vyang ko likhna shuru kiya hun .... ummid ha main trakpurn dhang se aur vishyon par purn sodh kar ke kisi sahi nishkarsh ke sath in sab vishyon par likh paun... lekin ye aap sab ka pyar aur non-fictional ko sarahne ka hi natija hai jo main ab in vishyon par kaam kar raha hun..

thanks a lot for such a beautiful revoooo...

waise aap ne jo likha hai na ki maine parkhache uda diye hain aur shayad unki soch badal jaye ... viswas maniye ... kisi ko samjhana aaj ke samay me namumkin hai kyonki pahle log sunte the to samjhte the ... aaj kal sunte nahi hai ... sidha jawab de dete hain .. isliye ye samjh pana unke bus ka nahi ... haan 10000 me se kisi 1 ne bhi bus samjh liya to main ye man kar chalunga chalo kuch to acha kiya :)
Aap likhiye... hum readers padhne ke liye atur hai.... aur un vishay tatha vicharo ko janne samjhane aur uchit sameeksha karne ke liye bhi... :smile:
 
Last edited:

Damha

I LOVE KUNG FUUUUU!!
Staff member
Sectional Moderator
17,656
19,528
229
i appreciate your hard work .. but by simply translate on google u cant find anything in story .. as shown in review .. its ok if you r not comfortable in Devnagri font ..
Main ne wohi apps use ki lekin Wording thori change ho gayi thi jis wajha se problem huwi Main ne baki stories bhi translate ker ke parhi hai lekin iss ki Wording bohat mushkil ho gayi thi
 

nain11ster

Prime
23,615
80,592
189
Main ne wohi apps use ki lekin Wording thori change ho gayi thi jis wajha se problem huwi Main ne baki stories bhi translate ker ke parhi hai lekin iss ki Wording bohat mushkil ho gayi thi
haan main samjh sakta hun .. google translate me transitive aur intransitive verb ke hisab se translate karte hain .. ab words hi google me nahi pakad me aate to translate likhi hui bhawna ke sath hona bahut muskil ho jata hai.. aap ke comment ke baad maine khud translate kiya tha .. taki check kar sakun aap ne kya padha ... :D
 
Last edited:
Status
Not open for further replies.
Top