Tirgi mein jal uthana chandni mein kho jana,
kis tarah hua mumkin paaniyo pe soo jana,
Umar-bhar ki chahat ka ek hi sila paya,
dard ne hame smjha, hamne dard ko jana,
Ek rang apna hai ek rang duniya ka, (Sad Ghazals)
dekhna kahi khud se munharif n ho jana,
Mausami fazao mein raat rut ki chao mein,
chandni bhi aayegi tum bhi aa ke roo jana.
Baadlo ke saaye mein ye to unki aadat hai,
jiske sar pe suraj ho uske sath ho jana.