• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy दिव्यास्त्र.[The power of five elements](action,advanture,fantasy,magic,thriller) ( Completed )

RAAZ

Well-Known Member
2,143
6,001
158
UPDATE 94

Shukracharya or unke asuro kaam ho gya tha. Halaki sare asur samapt nahi hue the. Parantu shukracharya ke jane ke baad unhone apni haar swikaar kar li thi. Or patallok ka vatavarn bhi in pancho ki shaktiyo se badal gya tha. Jis bajah se jo burai baha nivaas karti thi vo ab kam ho gyi thi.

And dev or uska pariwar is waqt gehri neend me so rahe the. Sirf dev hi jeevit tha. Lekin vo koma me tha. Or vo koma se uthna hi nahi chahta tha.gurudev ne tamam kosis karke dekh li lekin dev hai ki uthne ka naam hi nahi le raha tha.

Bahi man me dev ki aatma bahut takleef me thi. Uske sab apne ja chuke the. Jis bajah se vo brih ki peeda se gujar raha tha. Tabhi uski antaraatma me swayam mahadev ne use darshan diye. Jinhe dekhkar dev ne unhe pranaam kiya.

Mahadev- putra mujhe tumper bahut garv ho raha hai. Tumne jo karya kiya hai vo bakai me sadharan nahi hai.
Me bahut prasann hu tumse. Parantu tum jaag kyu nahi rahe ho.

Main- mahadev aap to jante hi hai. Bhale hi me apne karya me safal raha hu. Parantu me apna sab kuch kho chuka hu.or aise akele mujhe nahi jeena hai. Isliye me vinti karta hu Aapse ki mere prano ko har leejiye.

Mahadev- putra tumhare pariwar ka antim samay yahi tha. Unki kismat me jo likha tha vo hua. Parantu tum aise haar nahi maan sakte tumhe jeena hoga putra

Main- mahadev mujhe itni badi saja mat deejiye. Me nahi jee paunga. Kam se kam aise to bilkul nahi. Mera pariwar hi meri pehchan hai. Unke moh se me bimukh nahi ho sakta. Mujhe unki jarurat hai.

Mahadev- me samjhta hu putra tumhari manodasha.

Main- kya un sabhi ko bapis lane ka koi marg nahi hai. Me har sambhav chounotiyo ko paar kar jaunga. Bas aap unhen Jeevan daan de dijiye. Chahiye to mere pran le lijiye. Parantu un sabhi ko jeevan de dijiye prabhu.

Ye sunkar mahadev soch me pad gye. Vo aisa kar sakte the. Parantu isse prakriti ke chakra me badlav ho jayega ye baat bhi vo achhe se jante the. Filhal jo hua hai vo badal sakta tha. Parantu ek satya ye bhi tha ki vo ye sab swayam hi karna chahte the. Arnav unhi ka ans tha or vo usi ko itne dukh me nahi dekh sakte the. Abhi tak Hui sari parikshao me vo utrin raha hai. Usne apni sujh bujh ka badiya pradarshan kiya hai jis bajah se mahadev usper ati prasann the. Isliye unhone faisla kar liya dev or baki sabhi ko Jeevan daan dene ka.

Mahadev- putra tumhare dukh ne mujhe vivas kar diya hai. Tum mere ans ho or me tumhe dukh me kadapi nahi dekh sakta. Isliye tumhare ab tak ke liye gaye karyo ka fal me tumhe avashya hi dunga. Parantu aisa karne se kai badalav bhi aayenge prakriti me. Jinhe tumhe hi fir se vyavasthit karna hoga. Kya tum aisa karne ko tatpar ho.

Ye sunte hi dev ke chehre ki hasi bapis aagyi. Use aisa anubhav pehle kabhi nahi hua tha. Vo turant hi dandvat ho gya or mahadev ki istuti karne laga.

नमामीशमीशान निर्वाणरूपं । विभुं व्यापकं ब्रह्मवेदस्वरूपम् ॥

निजं निर्गुणं निर्विकल्पं निरीहं । चिदाकाशमाकाशवासं भजेऽहम् ॥

निराकारमोङ्कारमूलं तुरीयं । गिराज्ञानगोतीतमीशं गिरीशम् ।

करालं महाकालकालं कृपालं । गुणागारसंसारपारं नतोऽहम् ॥

तुषाराद्रिसंकाशगौरं गभीरं । मनोभूतकोटिप्रभाश्री शरीरम् ॥

स्फुरन्मौलिकल्लोलिनी चारुगङ्गा । लसद्भालबालेन्दु कण्ठे भुजङ्गा ॥

चलत्कुण्डलं भ्रूसुनेत्रं विशालं । प्रसन्नाननं नीलकण्ठं दयालम् ॥

मृगाधीशचर्माम्बरं मुण्डमालं । प्रियं शङ्करं सर्वनाथं भजामि ॥

प्रचण्डं प्रकृष्टं प्रगल्भं परेशं । अखण्डं अजं भानुकोटिप्रकाशं ॥

त्रय: शूलनिर्मूलनं शूलपाणिं । भजेऽहं भवानीपतिं भावगम्यम् ॥

कलातीतकल्याण कल्पान्तकारी । सदा सज्जनानन्ददाता पुरारी ॥

चिदानन्दसंदोह मोहापहारी । प्रसीद प्रसीद प्रभो मन्मथारी ॥

न यावद् उमानाथपादारविन्दं । भजन्तीह लोके परे वा नराणाम् ।

न तावत्सुखं शान्ति सन्तापनाशं । प्रसीद प्रभो सर्वभूताधिवासं ॥

न जानामि योगं जपं नैव पूजां । नतोऽहं सदा सर्वदा शम्भुतुभ्यम् ॥

जराजन्मदुःखौघ तातप्यमानं । प्रभो पाहि आपन्नमामीश शंभो ॥

रुद्राष्टकमिदं प्रोक्तं विप्रेण हरतोषये ॥।

ये पठन्ति नरा भक्त्या तेषां शम्भुः प्रसीदति ॥

Ye pura kehne ke baad fir se dev ne unhe pranaam Kiya. Or ye sampurn श्रीरुद्राष्टकं sunne ke baad mahadev ati prasann ho gye.

Mahadev- putra tumhari is stuti se me bahut prasann hua hu. Tumhari is bhakti or shraddha ke fal ke rup me tumhe vardaan swarup tumhe or tumhare pariwar ko jeevan pradaan karta hu. Parantu vats meri baat yaad rakhna tumhe is sansaar ka santulan fir se banana hoga.

Main- prabhu aapke aadesh ka me puri nistha se palan karunga. Jo bhi mere vash me hoga me use avashya hi karunga. Kripa kar mujhe bataye ki kis prakaar ke badlav honge.

Mahadev- putra ye tumhe jab sahi samay aayega tab tumhare gurudev tumhe avgat kara denge. Tab tak apna jeevan sadhram dhang se jeete raho or bhakti ke marg per chalte raho. Mera aasirbaad hai tumhare sath hai hamesha.

Main- ye sunkar me dhanya ho gya prabhu. Aapki kripa samast sansaar per banaye rakhe.

Ye sunne ke baad mahadev ne Tathastu bola or bo antardhyan ho gye. Bahi iske baad dev or uska samast parivar nidra se jaag gya. Unhe sab kuch yaad tha. Unhe aisa laga jaise vo so rahe the or pratah hote hi jaag gye.

Dev Prachi aalia Renu or Surbhi gurudev ke aashram me the or baki log ghar per.

Gurudev ne jab sabhi ko sahi salamat dekha to go mahadev ki leela samajh gye or unhe koti koti dhanyabaad diya. Bahi dev ke is kaarname per samast devtao ne un sabhi per phulo ki varsha ki or apne apne aasirbaad in sabhi ko pradaan kiye.

Bahi dev ne gurudev ko mahadev ke dwara kahe gye vachan sunaye ye bhi ki vo prakriti me badalaav ki baat kar rahe the.

Tab gurudev ne dev ki bato ko samjha or usse kaha.

Gurudev- vats. Mahadev ne kaha hai to satya hi hoga. Parantu abhi uska samay nahi aaya hai. Jab vo samay aayega tab me swayam hi tumhe iski suchna de dunga. Tab tak ke liye apna karm karte raho.

Or gurudev ne use aasirbaad diya.

Vo din nikal jane ke baad dev and party sabhi ko pranaam karke apne ghar lout gyi. In charo ko kuch pata hi nahi tha ki unhe kya hua tha. Tab dev ne unhe sari ghatna bigatbaar suna di. Or jab unhe pata chala ki divyastra fir se vilupt ho gya hai to sabhi ko tagda jhatka laga. Khaskar renu or surbhi ko. Kyuki unki vo shaktiya ja chuki Jo divyastra se unhe mili thi. Sirf unki hi nahi baki sabhi ki bhi divyastra wali shaktiya ja chuki thi. Lekin dev ke pass janm se mili shaktiya thi. Bahi aalia ek pari thi to uske pass bhi shaktiya thi. Prachi ko dev se virasat me shaktiya mili thi. Vo uske pass thi. Or rahi baat Renu or Surbhi ki to unke pass gurudev ke dwara diye gye mantra abhi bhi the. Jo unki soi hui janm se mili shaktiyo ko jaga dete the. Is prakaar sabhi ke pass unke janm se mili shaktiya already thi. Or yahi baat dev ne un charo ko batai to vo sabhi samaj gyi. Or kush bhi ho gyi.

Bahi ghar pahuchne per sabhi apne gharwalo se mile. Unhe dekhkar aisa laga jaise varso ke bichde aaj mil rahe ho. Or aisa swabhavik bhi tha. Aakhir apni mrityu ko parast karke jo aaye the sabhi. Uske baad sari kahani gharwalo ko sunai gyi. Jise suke sabhi dhanya ho gye. Or sabhi ne agle hi din ghar me ek badi puja ka aayojan Kiya. Samast devi devtao ko dhanyabaad dene ke liye.or ye puja swayam gurudev ne sampann karwai. Tridev or samast devi devtao ka aasirbaad baras pada iske baad sabhi per.

Or fir aise hi inki jindagi chalti rahi. Clg pura hone ke baad gurudev ne Renu or Surbhi ke liye shadi ke prastaav ko bheja un dono ke liye unhone bahut hi sundar or susil ladko ka chayan Kiya jise ek hi najar me dono pariwar ki majuri mil gyi. Akhir gurudev ke chayan kiye hue ladke the. Unme mana karne jaisa kuch tha hi nahi. Or badi Dhoom dham se un dono ka vivah sampann kara diya gya. Vo bhi gurudev ke dwara. Ye unhi ka farz tha. Jo unhone bakubhi nibhaya. Or dono ka vivah sampann ho gya. Jaha Renu pahuchi nasik or Surbhi pahuchi ujjain. Dono hi mahadev ki sharan me thi. Jaha unka sundar bhavisya unke liye tayyar baitha tha.

Bahi dev or Prachi ke clg hojane ke baad inke vivah ki baat chali. Or sabko keval ek hi tension thi ki Prachi ke perants kaise react karenge. Parantu mahadev or gurudev ke aasirbaad se aisa kuch nahi hua jo nahi hona tha. Prachi ke maa papa is shadi ko razi ho gye. Or unhe Aalia se koi aitraj bhi nahi tha. Unhe bas beti ki kushi pyari thi. Jab khud Prachi ne kaha ki use koi problem nahi hai tab unke liye koi prashn bacha hi nahi karne ko. Or bahi aalia ke maa papa ko bhi Aalia ne prithvi per bulaya or fir sabki sehmati or mujudgi me in teeno ka vivah bhi sampann karaya gya. Sabhi bahut kush the. Khaskar bade log. Kyuki unke bache ab settle Jo ho gye the.

Vivah ke baad kuch rashmi ko pura karne ke liye ye teeno Parilok gaye. Jaha ranipari ne apne jamai ka bahut hi bhavya swagat kiya. Or fir baha ke reeti ribazo karaye gaye teeno ko. Jise unhone puri shraddha se sampann kiya. Or fir kuch din vahi ruke or fir bapis prithvi loute aaye.

Bahi inki shaktiyo ke liye ye teeno roj hi dhyan lagate the. Or unhe jaagrit karte the. Halaki unke istemaal ka mouka inhe nahi milta tha. Parantu dev samaj ki burai ko saaf karne ke liye Inka istemaal karta rehta tha. Gunde badmasho ke safaye me. Police or kanun ki madad vo chhipkar karta tha.

Bahi chirag or lucky bhi settle the apni life me. Clg ke baad dono ne apni apni pasand se shadi kar li. Jise ye log clg me hi mile the. Or ye raaj aaj bhi unke seene me dafn hai ki dev or bakio ke pass powers hai. Or achhi baat ye thi ki lucky police me chala gya tha. Or kai mouko per vo dev ko suchana deta rehta tha madad ke liye. Khaskar bahut hi kathin paristhitiyon me. Jaha police jyada kuch nahi kar sakti thi.

Or chirag vo business minded tha isliye usne dev ki madad se ek chhota sa business shuru kar diya. Or dheere dheere vo patri per bhi chalne laga. Jisse in sabhi ki life's set ho chuki thi.

Bahi jaisa mahadev ne kaha tha kuch badlab honge prakriti me. Or aisa samay bhi najdeek aane laga tha. Jab kuch bhayankar sankat samast brahmand per aane ke aasar banne lage the. Jiske liye gurudev ne dev ko sachet kar diya tha.

Baki ab agle part me dekhenge ki ye sankat akhir kya hai. Or dev inse kaise niptega. Apni seemit shaktiyo ke sath……….

Tab tak ke liye…..

RADHE RADHE

TO ALL MY READERS……...

AND MAT BHULIYE….

IT'S JUST A BEGINNING……….

Boss aaj aapki story finish Kari Aur Kia hi zabardast story thee maza aa Gaya Pura bandh ke rakha story ne. Maza hi aa Gaya Baqi Surya 1 and 2 to aapke sath puri Kari thee hi. Ab Surya 3 bhi shuru karege aur us safar pe bhi aage badege. Baqi is story ke part 2 ka Intezar rahega. Aur Asha karta hoon jaldi woh bhi likhege aap.
 
Rajesh

Well-Known Member
3,317
7,885
158
UPDATE 1

Kehte hai. Is brahmmand me bahut se raj chhipe hue hai. Jo insan kafi nahi jaan sakta. Chahe vo kitani hi kosis Kyu na karle. Jab tak us perbrahm ki ikchha nahi hoti tab tak ek tinka bhi nahi hilta hai.

Aisa hi kuchh is kahani me bhi hua hai.

Croro saal pehle. Jab danav or devtao me yudh hota tha. To anek दिव्यास्त्रों ka istemaal Kiya jata tha. Jinme is pore brahamand ko khatm karne ki shaktiya hoti thi. Or aaj bhi hai. Lekin ye दिव्यास्त्र samay ke sath vilupt ho gye. Or ye tabhi samne aayenge jab swayam bhagwan ki ikchha hogi. Aise hi ek दिव्यास्त्र ki ye kahani hai.

Darashal shukracharya ne kai varsho tak tap karke Brahm Dev ko prasann Kiya.

Brahma- aankhe kholo vats. Mango kya vardaan chahte ho tum.

Shukracharya- he bhagwan. Me to bas mere asuro ka kalyan chahta hu. Me chahta hu ki unhe bhi devtao ke saman hi samman or shaktiya mile. Lekin vishnu bhagwan ne hamesha hi hamare sath chhal Kiya hai. Or asuro ko jo bhi vardan milte the. Un vardano ko unhi ke khilaaf istemaal kar dete hai. Isliye Me nyay chahta hu aapse.

Brahma- shukracharya ham aapki vani ko samaj rahe hai. Iska aap hi koi upay bataiye ki hame kya karna chahiye.

Shukracharya- prabhu me chahta hu aap mujhe koi aisa दिव्यास्त्र ya shakti pradan kare jisse me पंचतत्व ko apne adheen kar saku. Or danavo ko uski shaktiyo se amar bana saku.

Brahma- shukracharya. Is sansar me koi bhi amar nahi ho sakta. Lekin aisa ek दिव्यास्त्र me tumhe pradan kar sakta hu. Isse danav amar nahi honge lekin vo पंचतत्व ko apne adheen jarur kar payenge. Lekin aap is दिव्यास्त्र ko apne kisi ek danav ko hi de sakte hai. Agar usne ye दिव्यास्त्र kho diya ya vo kisi tarah parajit ho gya to ye दिव्यास्त्र is sansar me vibhajit ho jayega. Or jab is दिव्यास्त्र ki ikchha hogi tabhi ye samane aayega.

Shukracharya ne is per vichar kiya or bahut sochne ke baad Brahma ji se ye दिव्यास्त्र lene ka faisala kiya.

Shukracharya- prabhu mujhe swikaar hai. Aap kripa kar ye दिव्यास्त्र mujhe pradan kare.

Ye sunkar Brahma Ji ne TATHASTU bol diya. Or isi ke sath ek naye दिव्यास्त्र ki rachna hone lagi. Or thodi hi der me ye pori tarah se bankar ready hogya.

Isme पंचभूतों ke pratik ke rup me 5 alag alag stone lage hue the. Har ek stone ka matlab ek shakti se tha.

AAKASH (SPACE)

VAYU (AIR)

JAL (WATER)

AGNI (FIRE)

PRITHVI (EARTH)

Ye दिव्यास्त्र brahma ji shukracharya ko deke antardhyan ho gye.

Or ye astra pake shukracharya bahut khush hue. Kyuki ab punchbhut unke kabu me jo aagye the. Isse pehle keval mahadev hi in punchbhuto ke swami rahe hai. Isiliye unhe Bhutnath bhi kehte hai.

Ab shukracharya ke samne sabse badi problem ye thi ki is astra ko diya kise Jaye. To unhone ye astra Tarkasur ko de diya. Kyuki Tarkasur ka ant keval Shiv ke putra ke hatho hi ho sakta tha. Or filhal shiv ji aisa kuch bhi karne ka mood nahi tha. Unki to abhi tak shadi bhi nahi hui thi. Yani ki vo amar tha. Or is astra ke mil jane se vo or bhi shaktishali ho gya tha. Usne pore brahmand me hahakar macha diya tha. Devtao se yudh hota to usme bhi vo aasani se sabhi ko parajit kar deta. Kyuki sabhi devta kisi na kisi tatva ke pratik the. Jaise Surya Dev agni ke pratik. Varun dev jal ke pratik. To is astra ki madad se Tarkasur ne sabhi devtao ko apne kabu me kar liya. Unki shaktiya bilkul samapt ho gyi thi. Bas vo jinda the kisi tarah. Vo Brahma Ji ke pass gye unse madad ki guhar lagai. Lekin vo bhi kuch nahi kar sakte the. Unka kehna tha ki keval Shiv ka ans hi Tarkasur ka ant kar sakta hai.

Lekin devtao ke aagrah per Brahma or visnu ji ne aadi shakti se prarthna ki. Ki ab aapke or shiv ke milan ka samay aagya hai.

To is per vichar karke aadi shakti ne SATI roop me Prajapati daks ke yaha per avtar liya.

Or aage chal kar unka vivah bhi shiv ke sath ho gya. Lekin kismat ko kuch or hi manjoor tha. Prajapati ke dwara ek yagya me apne pati ka apman devi Sati seh Na Saki or unhone bahi per aatmadah kar liya. Jisse Tarkasur or bhi khush ho gya. Or usne or tabahi machana prarambh kar diya. Kyuki shiv bhi ab Sati ke gum me doob chuke the. Or apna deviye roop tyag chuke the. Jis bajah se tridev bhi khandit ho gye the. Or sabhi ki shaktiya dheere dheere kam hone lagi thi. Tab sare devta ek baar fir se aadi shakti ke pass gye or unse punah avtar lene ki ikchha pragat ki. Tab unhone Parvati ke roop me janm liya. Or unhone kai varsho tak ghor tapasya ki tab Jake vo shiv ko pa saki. Unka vivah hua. Or unki pehli santan hui KARTIKEY. jinhone Tarkasur ka vadh kiya. Or is srishti ko maha vinash se bacha liya.

Tarkasur ke ant ke sath hi vo ASTRA bhi prithvi ke punchmahabhuto me vileen ho gya. Or uska kabhi kuch bhi pata nahi chal paya kisi ko bhi. Danavo ne use khojne ki bahut kosis ki lekin use nahi khoj paye ye log. Lekin shukracharya ko ye pata tha ki kabhi na kabhi ye ASTRA apne aap ko samne jarur pragat karega. Bas use ishare ko samajne ki jarurat hai. Jis din is ASTRA ne apne hone ka praman is sansar ko diya. Tabhi samaj lena ki danav ise fir se prapt karne ke liye koi bhi had paar kar jayenge.

Bahi dusri taraf ye dar sabhi devtao or tridev ko bhi tha.
Isi dar ko apne sath leke Indradev brahma ji ke pass gye.

Brahma- kaho indra kaise aana hua yaha per.

Indradev- prabhu aap to sab jante hai. Mere yaha aane ka kaaran bhi aap jante hi hai.

Brahma- ha me janta hu Indradev. Aap us ASTRA ko leke chinta me hai.

Indradev- ha brahm dev. Agar vo ASTRA fir se pragat ho gya or kisi danav ke hath lag gya to anarth ho jayega. Sabhi devta fir se danavo ke adheen ho jayenge. Aapko iska koi hal sochna hoga.

Brahma- hame iska upay gyat hai indradev. Lekin is upay ke liye ye samay upyukt nahi hai. Usme abhi samay hai.

Indradev- brahmadev. Iska upay kya hai aap hame Bata sakte hai.

Brahma- jab samay aayega tab me swayam Aapko iska upay bata dunga. Or is upay ko karne me aapka bhi ek bahut bada yog daan hoga.

Indradev- jaisi aapki aagya brahma dev.

Uske baad indradev bapis swarg chale gye.

Or iske baad kai Arab saal nikal gye lekin vo astra abhi tak samne nahi aaya kisi ke bhi.danav abhi bhi iski talash jari rakhe hue the.unhe ummid thi ki jald hi ye astra samne aayega.

Is ke crore saal baad.

Uttrakhand ki rajdhani dehradun ki khubsurat badiyo ke bech bane ek hospital me ek aurat bahut jor jor se dard me chilla rahi. Ye dard jo use ek naya sukh dene wala tha. Darashal vo kisi bache ko janm dene wali thi. Docters pori kosis kar rahe the ki normal delivery ho jaye. Or vo aurat vo apna pora jor laga rahi thi. Or raat ke karib 11:29 min. Per us aurat ne ek bahut hi khoobsurat ladke ko janm diya. Jaise hi us ladke ne janm liya or rona start Kiya. Achanak se sare badal me jordar bijli kadakne lagi. Or musladhar baris bhi hone lagi. Sabhi isse thoda dar bhi gye the ki achanak se ye sab kya hone laga. Bahi us ladke ki maa us ladke ko dekha or Behosh ho gyi. Docters ne unhe check Kiya to paya ki unki dhadkane dheemi padti ja rahi hai. To docters ne apni kosis ki or us aurat ko oxygen lagaya. Or electric shok diya. Tab Jake uski condition me sudhar aaya. Uske baad docters ne us aurat ko ek injection diya jisse vo so gyi. Bahi vo ladka bhi ab aaram kar raha tha. Or mousam bhi saaf ho chuka tha.

Ward ke bahar ladke ke dada or usse 2 saal badi bahen uska intjaar kar rahe the.

Docters ward se bahar gye to dono ne unhe gher liya.

Dada- docter bahu kaisi hai.

Doc- ghabrane ki jarurat nahi hai. Ab vo theek hai. Or khusi ki baat ye hai aap ko pota hua hai. Or aapki bahu bhi sahi salamat hai. Kuch ghanto baad unko hosh aajayega tab aap unse mil sakte hai. Or ha filhaal aap apne pote ko dekh sakte hai. Halaki vo abhi so raha hai

Ye sunke dada to khusi se nachne lage. Kyuki unki beintaha doulat ka baris jo aagya tha.unhone khusi se ladke ki badi bahen ko God me utha liya or usse bolne lage ki tumhara Bhai aaya hai.

Vo ladki bhi bahut khush thi. Use khelne ke liye ek khilona Jo mil gya tha.

Maine abhi tak aapko in sabka intro nahi diya. Chalo de deta hu.

Jagdish sinha- ye hero ke dada hai. Inki age karib 50 hai. Inke pariwar me ab yahi ek mard bache hai. Inki kafi pustaini jaydad hai. Jinhe abhi tak inke bete ne sambhala hua tha. Lekin 3 mahine pehle ek accident me unki mout ho gyi. Jisse ek baar fir se sari jimmedari jagdish ji per aagyi thi. Or unhe is baat ki bhi kafi chinta thi ki unke Jane ke baad is sab ka kya hoga. Lekin ab unki chinta dur ho gyi thi. Inki shadi 18 saal ki age me hi ho gyi thi. Or 2 saal baad inke ladke ka janm hua. Jiska naam inhine viswas sinha rakha tha. Or iske baad inko koi or santan Hui hi nahi.

Or hero ki dadi bhi bahut pehle mar chuki hai. Inka jyada bada pariwar nahi hai.

Nirmala devi- ye apne hero ki mummy hai. Inki age filhaal 25 hai. Kafi fit dikhti hai. Or Sadi me to qehar girati thi hero ke dad per. Lekin jab se unki death hui hai. Ye keval apni beti ke liye hi jinda hai. Or ab inke ladke ke liye bhi.
Ye bhi kafi padi likhi hai. Or dadaji ke sath business sambhalti hai.

Renuka- ye apne hero ki badi bahen hai. Inka janm hero se 2 saal pehle hua hai. Kafi cute hai. Jo bhi ise dekhta hai sabse pehle uske gaalo ko khechne ki ikchha hoti hai.

To dosto ye tha ek chhota sa intro. Aage or bhi character aayenge jinka time per intro karwata rahunga….

To be countinue……………...
nice
 
  • Like
Reactions: Rahul0087@

nice update
 
  • Like
Reactions: Rahul0087@
Top