• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy इच्छाधारी देव

Boby

Well-Known Member
2,714
12,927
159
UPDATE - 81

Hum to unhe koi pani ki chattan samajh ke apni masti me mast the…………

……….Jab wo uth khade hue aur sare paudhe patte hate to hame hamari galti ka ahsas hua. Kintu tab tak bahot der ho chuki thi.

Rishi – murkho. Ye kya kiya tum dono ne Tum apni Hawas me itne andhe ho gaye ke tumhe kisi aur baat ka dhyan hi nahi raha? hamari varsho ki tapasya tumne apne kaam ki bhent chada di. Kya tum logo k pas apna ghar nahi tha. Jo sambhog ke liye sagar ke itne gahre tal me chale aaye?

SM – kshama rishivar hamara naya naya vivah hua hae hum apne prem me hosh kho baethe the. Krapya krodhit na ho.

Rishi – krodhit na ho? Tumhe malum bhi nahi tumne kya kiya hae. mere jagte hi sambhavtah kai buri shaktiyo ko mere yaha hone ka ahsas ab tak mil chuka hoga. Jinse chhip kar mae yaha tap kar raha tha.

SM – chhip kar?

Rishi - ha chhip kar

SM - kintu kyu Rishivar?

Rishi - ye janna tumhara kaam nahi hae murkh balak. Mae tum dono ko shrap deta hu ke jis patni ke jism ki chahat tumhe uske saath is sagar ke tal tak le aayi tum apni usi patni ke saath isi tal me vas karoge is se bahar nahi ja sakoge. Marte dam tak tum yahi rahoge. Tumhe ekant chahiye thin a. ab tum dono sadev ke liye isi ekant me rahoge. Is anant faile sagar ki gahrai se kabhi bahar nahi nikal paoge. Na hi koi tumhe yaha se nikal payega. Yadi aesa hua to usi kshan tum dono ki mout ho jayegi.

SM - Itna kah kar rishi jane laga to maene aur meri patni ne unke charna pakad liye.

SM – rishivar hame kshama kar dijiye hame is tarah shrap mat dijiye . hum nadan hae. Jawani ke josh me hum se galti ho gayi rishivar hamari jindagi yu barbad na kijiye. Yadi aap kshama nahi kar sakte to nisandeh aap hame is kshan mratyu dand de dijiye. bhala hum sari jindagi yaha kaese bitayege. Hamare ghar ka kya hoga hamare rajya ka kya hoga. Hame kshama kar dijiye rishvar

Rishi – nahi tumhe kshama nahi mil sakti.

GM – aap to rishi hae gyani hae, daya ke sagar hae. rishivar Aap to jagat kalyan ke liye tap karte hae . fir aap hum jaese nadano ko kshama kyu nahi kar sakte. Aap hi hame dand de dege to hum kis se kshama mangege. Krapya hame kshama kar dijiye.

Rishi – mera shrap wapas nahi ja sakta ab rahna to tumhe yahi padega. Kintu tum dono ki umar aur uske bahkave me ki gayi galti ko dekhte hue mae apne shrap ki umar ghata jaroor sakta hu. Mae yaha ye manchitra jo swarn mani tak pahuchne ka marg batata hae. isi ko apne pas buri shaktiyo se bachane ke liye yaha chhup kar tap kar raha tha. Jisse mae iske asli haqdar ke aane tak apne pas rakh saku. Kintu tum dono ki wajah se ab ye baat un buri shatiyo tak pahuch chuki hae. wo mera vadh kar ke bhi ye maanchiotra mujhse chheen lege.

Isiliye ab tum dono ka dand ye hae ke tum dono hi yaha khatarnak magarmachh ban ke rahoge aur ye maanchitra tumahri patni ke pet me rahega. Tum tak kai shaktiya aayegi ise hasil karne ke liye kintu tum Swayam ye kisi ko nahi doge. Yadi unhone ye manchitra hasil karne ke liye tumhe marne ki koshish ki to tum dono ke marte hi ye manchitra anant me kho jayega. Fir ye kisi ko nahi milega. Na hi swarn mani kisi ko milegi. Tum me se kisi ek ko vivash akr ke dusre se ye manchitra manga gaya aur tumne diya to tumahre shareero me ek visphot hoga jisse tum dono aur wo teesra sab mare jaoge. Kintu yadi kisi din koi aesa aaya jo tum dono ko mare bina tumhari patni ke pet se ye maanchitra nikal layega. Us din tum log apne asli roop me aa jaoge aur mera shrap khatam ho jayega. Uske baad hi tum log apne rajya me wapas ja paoge. Kintu yad rahe aane wale har vyakti ko tum sirf apna dushman hi man ke chaloge. Kyu ki yadi tumne aesa nahi kiya to tum dono ki mrityu tay hae.

Itna bata kar. SM chup ho jata hae. aur dev hath jod kar aankhe band kar ke

Dev – hey rishivar aap jo koi bhi hae jaha kahi bhi hae mae aapko shat shat naman karta hu. Aap jante the ek din mae yaha aauga aur ye manchitra hasil karuga. Isiliye aapne inhe ye aadesh diya tha. Aapki badi krapa hae jo aapne is manchitra ko surakshit rakha. Aur ab aapke dwara kahe hue sare vakya bhi poore ho chuke hae to krapya ab inhe apne shrap se mukt kijiye aur inhe fir se inke asli roop me le aaiye.

Dev ke itna kahte hi kahi se ek roshni ki kiran aati hae aur dono magarmachho pe aakar lagti hae. kiran ka magarmachho se takrav hote hi dono magarmachh insane roop me aa jate hae. jaha ek behad akarshak aur sundar rajkumar khada tha. Aur uske pas hi ek ati sundar stri jo ki uski patni thi.

Rudra – are waah bhai aap dono to bahot hi sundar lag rahe hae. ab apna parichay hi kara do rajkumar

………. Mae vanraj ka putra hu rajkumar vanshraj aur ye meri dharma patni vaniki

Rudra – ati sundar ab chale kya yaha se bahot thand lag rahi hae yar abhi bahar nikalne me bhi samay lagega.

Vanshraj – nahi rudra koi der nahi lagegi. Itna kah kar vanshraj apni ankhe band karta hae. to sab waha se adrashya ho jate hae. aur pal bhar me hi sab nil sagar ke kinare khade the. Aur ab unme se kisi ke kapde tak geele nahi the.

Rudra - wah yar hum to turant hi bahar aa gaye. Ab kya irada hae vanshraj aur vaniki. Ab fir se yaha samay bitana chahe to hamara ye mahal samne hae jisme kal rat hum logo ne dera dala tha. Chaho to kuchh din fir se yaha naye vivah ka anand utha lo

Vaniki - na baba maaf kijiye bahot anand utha liya aur uska phal bhi mil gaya yadi ghar me hote to hamare bachhe ghum rahe hote ab tak. Ye sab inki wajah se hua. Ab mujhe jaldi ghar pahuchna hae wahi ja kar chain aayega mujhe

Rudra – dekha vanshraj maja dono ne liya aur iljam tumahre upar. Khaer pareshan mat ho har jagah ki aurto ka yahi haal hae.

Rudra ki is baat par sab hasne lagte hae.

Dev - chalo ant bhala so sab bhala yaha ki kahani ka ant to ho gaya aur sukhad ant hua. Aap dono ko apna ghar mil gaya ye sabse achhi bat hae. chaliye ab van me chalte hae sambhavtah vanrraj bhi besabri se hamri hi prateeksh kar rahe hoge.

VR – ha dev chaliye ghar chalet hae.

Vanshraj fir se apni ankhe band karta hae is bar thoda samay jyada laga. Kintu fir bhi jald hi wo log van me rajmahal ke samne khade the. Wo log seedha andar jate hae. jaha vanraj bechaini se tahal rahe the.

Vanshraj – pranam pita shree

Vanraj palat kar dekhta hae to uski ankho me aansu aa jate hae. wo bahe faila dete hae to vanshraj aur vaniki dono daudte hue unke paero pe ja kar girte hae. lekin vanraj unhe utha ke sense se laga leta hae.

Vanraj – mere bachho tum log aa gaye. Mujhe yakeen tha dev tumhe jaroor layega

Fir thodi der ke baad sab log baeth ke baate karne lagte hae.

Dev – maharaj aapne hame pahle hi kyu nahi bata diya ke ye aapke putra aur putrvadhu hae?

Vanraj – kyu ke mae waha hone wali ladai ko kamjor nahi karna chahta tha. Yadi tum jaan jate yuraj to itni bahaduri se nahi ladte tumahre man me ek sankoch hota prahar karte samay aur yahi pe ye dono shrap ke karan tumhe nuksan pahucha dete fal swaroop jitta koi bhi nahi kintu nuksan jaroor ho jata. Isiliye maene pahle se kuchh nahi bataya. Kai baar chup rahne me hi jeet hoti hae. aur dekh lo jeet meri hi hui aakhir me.

Dev – ji maharaj aur shayad yahi wajah thi jis wajah se aap har kisi ko is van se gujarne nahi dete the.

Vanraj – bilkul sahi kaha aapne dev, kyu ki yadi har koi apni shaktiyo samet yaha se nikal jata to mere bachho ke liye waha mushkile jyada khadi ho jati . inki aadhi mushkile to mae yahi rok deta tha kintu kabhi kabhi yaha hui galtiyo ki wajah se inka samna bhi buri taqato se hua. Par inhone mil ke unhe haraya har baar.

Rudra – maharaj aapka sochna sahi tha. Isse in dono ko yaha baethe baethe aap shayta kar rahe the. Yahi ek pita ka kartavya bhi hae.

Dev – maharaj ab hame aagya de. Hame bhi jana hae.

Vanraj - thik hae dev kintu apna vachan mat bhulna apne vivah ke pashchat tum dono ko ek lambe samay ke liye yaha isi van me rahna hae ham sab ke saath.

Dev – jaroor maharaj

Vanraj - aur maene jo kaha tha use bhi yaad rakhna aap ko kabhi bhi hamari shayata ki awshyakta ho to behichak hame yad kijiye ga hum sena sahit aapke samne hoge.

Dev – ji maharaj. Ab aagya?

Vanraj – jao dev aur swarn mani ko hasil karne me vijay prapt karo.

Deva aur rudra apni ankhe band kar ke waha se adrashya ho jate hae. aur kuchh samay bad wo log wapas tilism nagri me khade the.
 
Akil

Well-Known Member
3,033
8,441
158
Story ko gahrai se padhne ke liye dhnyavaad bhai. aage ka safar aur jyada romanchak aur manoranjak hoga. ye vaada hae. dhnyavaad bhai aap ke support ke liye
Baaqi sab toh thik hai bro par in sab ke darmiyaan Dev se jude baaqi logon ka haalchaal bhi dikhaaiye bro like thakuranayans and the lady cop etc ka
 
Vk248517

I love Fantasy and Sci-fiction story.
5,705
17,758
189
Awesome fantastic update bro
 
Nevil singh

Well-Known Member
21,171
52,926
173

bahad khubsurat update hai bhai
 
Top