• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy इच्छाधारी देव

Boby

Well-Known Member
2,741
12,999
159
Aisa nhi h buddy maine to ye forum he chor diya tha. Aapke story padi story kafi aage ja chuki h or aapne uniqueness banaye rakhi h bs thoda thakur ke beti ke liye acha nhi laga mana wo arougent thi but ye to uske parwarish ke karan hua or fir uska koi roll nhi. Mami wala seen thoda hawas ka laga ye meri openen h so bura mat manana. Poonam or Dev ke love story mst h or unka prem bhi shandar h or jab ke flashback khatm ho gaya h to dekhna h ab Dev or Poonam ka kya karte h qke ab unke uper jayda khtra h. Meri ek sirf suggestions h Dev or Poonam ke sath Rudra or Nilam ko kisi Adventures tour pe bejo jismai Dev or Poonam ko power mile or sath mai Salaka ka bhi charecter meature karo. Baki aapke story bhut mst h. Thanks for entertaining us.
Ritima aapne jo jyoti wala point bola us me jaha tak aapne padha ho sakta hae aapko sahi nahi laga ho but deva kisi ka bhi fayda nahi uthayega. Ye carrector loveable hae jo b isse judega apni marji se judega jyoti aur deva b aese hi jude rahege hamesha. Aur jo log aage milege wo bhi. Rahi bat mamiyon ki. To unki b jarurate hae . Ha hawas kah sakte hae but use jarurat bhi kah sakte hae ek tarah ki. Waise aapke opinion k liye thnx. Koshish karuga apne readers ke mutabik aage bad saku. Sath bane rahiyega.???
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Tiger 786

Boby

Well-Known Member
2,741
12,999
159
UPDATE – 27


Wahi PN ki ankho me bhi aasu the aur wo bhi in do pyar karne walo ki mout ko sah nahi paya . aur turant waha se uthkar apne ghar aa gaya.

Tabhi joro ki bijli kadkadane ki awaz aati hae aur tej barish hone lagti hae.

Udhar mandir me rudra ko ek jhatka lagta hae aur use bahot tej chakkar aa jata hae

Rudra – deeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeevvv

Sab log chonk kar use dekhne lagte hae unhe kuch samajh me nahi aata ke kya hua. Rudra bahot tej rone lagta hae.

Nilam – kya hua rudra ?

Rudra – nilam mujhe abhi tilism nagri jana hae isi waqt. Mujhe kuch bahot bure ki ashanka ho rahi hae mera dev khatre me hae nilam mere bhai ko meri jarurat hae. mae ja raha hu tum yaha sab ka khayal rakhna .

Nilam – nahi rudra nahi jo galti tumne ki dev ko akele jane de kar. Wahi galti mae nahi dohraugi. Tum pachhta rahe ho na dev ko akele jane diya

Rudra – ha nilam mujhe us ke saath jana chahiye tha.

Nilam – mae pachtana nahi chahti rudra isiliye mae bhi tumhare saath jaugi.

Dono apne maa bap ke paas aate hae

Rudra – maa babu ji mujhe jana hae abhi tilism nagri. Mujhe bahot ghabrahat ho rahi hae mere dev ko meri jarurat hae wo khatre me hae .

Rudra ke pita – aesi baat hae to jao bachcho hum tumhe nahi rokege apna khayal rakhna

Fir dono un sab se vida le kar ghode pe nikal padte hae. aaj unki rafter hawa se bhi tej thi. Jaha wo din bhar ka safar tha rudra aur nilam ne us safar ko matra 3 ghante me poora kiya aur tilism nagri pahuche. Waha ki halat data rahi thi ke ek bhayanak toofan is nagri se kuch hi samay pahle gujra hae. jisme sab kuch tabah ho chukka hae .

Rudra aur nilam teji se raj mahal pahuchte hae to wha samne safed kapde me lipti hui dev aur poonam ki lashe samne padi thi. Aur unhe le jane ki taiyari chal rahi thi.

Rudra – deeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeevvvvvvvv mere bhaiiiiiiiiii nahii ye nahi ho sakta uth ja dev ye kaese so raha hae tu

Uski halat is samay paglo jaesi ho gayi thi. Wo jor jor se dev ko pakad ke hilane lagta hae wahi nilam bhi dev aur poonam ke pas aa jati hae aur poonam se lipat ke rone lagti hae.

Kisi tarah badi mushkil se maharaj bhairav singh rudra ko sambhalte hae

Rudra – maharaj kis ki itni himmat hui ki mere dev ko mujhse chhen liya. Kaun ho wo neech

BS – rudra beta, wo jo koi bhi tha dev ne use khatam kar diya hae. aur dev ke aakhri shabd yahi the ke tu pareshan mat hona maene badla le liya hae. use pata tha tu poori duniya ko aag laga dega. Is liye usne tujhe shant rahne ke liye hi kaha hae aur tere liye apna ye hath ka kada diya hae.

Rudra wo kada le kar chum leta hae aur use apne hath me pahan leta hae. use pahante hi rudra aankhe band akrta hae to use shuru se lekar aakhri tak sab najar aa jata hae. aur wo foot foot ke rone lagta hae.

Idhar pashupatinath apne ghar me bhari dil ke saath baetha tha. Use to khush hona chahiye tha. Lekin uski aankho se aansu band hi nahi ho rahe the wo bas roye ja raha tha. Tabhi uske guru waha aate hae

G – badhai ho pashupatinath tum kamyab hue. Jao aur jakar singhasan le le.

PN – nahi guruvar aap to mujhe yu taane mat dijiye mae pachta raha hu

G – pachta rahe ho? Hame ulta path pada rahe ho Pashupatinath

PN – nahi guruvar mae to bas singhasan chahta tha ha us ke liye sumant dev mara jaata to mujhe abhi itna bura nahi lagta par sirf sumant dev .lekin yaha to lasho ke ambar lag gaye guruvar bhala itni lasho se bane singhasan par mae kaese baeth sakta hu………….

…………..aur sabse bhayanak baat dev aur poonam ka bichchadna do pyar karne wale meri wajah se mout ki nind so gaye. Ye kya ho gaya guruvar

……….. aap to saksham hae rok sakte the na fir aapne kyu aesa ho jane diya?boliye guruvar

G – ha mae rok sakta tha isiliye maene roka bhi lekin kya tumne meri baat mani ? nahi tum us waqt taqat ke nashe me choor ho chuke the. Tumne meri bat ko ansuna kar diya aur ye sab hua tumahri wajah se. mae tumhe shrap deta hu pashupatinath ke tumahri wajah se do premiyo ki mout hui hae aur unki aatmaye bhatak rahi hae waese hi tum bhi bhatkate rahoge sadiya beet jaayegi lekin na to tumhe shanti milegi na hi mout. Ab tum is shareer ka bojh uthakar akele bhatakte rahoge. ek FAKEER ban kar pashupatinath fakeer ban kar Anantkaal tak.

Itna kah kar uska guru waha se chala gaya.

PN – nahi guru dev mujhe kshama kar dijiye . mae ye sab nahi chahta tha maene unki mout ki kamna nahi ki thi

Gurudev mujhe maafi de do mujhe aesa shrap ne de mae aapke hi sahare hu. Mujhe kshama kar de guruvar

Pashupatinath rota raha bahot der tak apne guru se maafi mangta raha. Aakhir uske guru ko wapas aana pada.


G – PN tumhara apradh kshama yogya nahi hae. kyu ke ishwar sab kuch kshama kar deta hae kintu jis hriday me prem ka vaas hota hae uska tootna , bikharna wo bardasht nahi karta

PN – gurvar mae manta hu mujhse ghor paap hua hae kintu aap to antaryami hae. aap hi sochiye kya meri aesi mansha thi? kya mae un ke pyar ka dushman tha? kya mae unhe juda karna chahta tha? nahi guruvar mera uddeshya unhe marna ya unse unka prem cheenna nahi tha. kadapi nahi

Kya maene dev aur poonam ki mout chahi thi?

Kya maene itne logo ki mout chahi thi?

Nahi gurudev mae ye sab nahi chahta tha. Mae pachta raha hu. Jo maene singhasan ka lalch kiya aur ab jaan bhi gaya hu ke ishwar jise jo deta hae use utne me hi khush rahna chahiye. Jyada ka lalch burai ko janam deta hae paap ko janam deta hae. aap mujhe kshama nahi karna chahte to mat kijiye lekin ab ye paap se bhara jeevan mae nahi jee pauga mujhe bhi mout hi de dijiye.

G- pashupatinath tum ache se jante ho ke mae siddh yogi hu. mera diya hua shrap khali nahi ja sakta ab tumhe mujhse mout to nahi mil sakti. Ha lekin mae tumahri saja ko kam jaroor kar sakta hu. Lekin us ke liye tumhe kathor tap karna hoga apne tapobal se tumhe dev aur poonam ki bhatakti hui aatmao ko khojna hoga wo jaha bhi hae saath hi hae. unhe khojne ke baad tumhe dev ki aatma ko shaktiya ekatrit karne ke liye sadhna me baethana hoga poonam ki aatma bhi saathi hi rahegi jisse wo majboot ban sake. Sahi waqt aane par unhe naya janam milega aur jab unka punarjanam ho to dono ke balig hone tak tumhe intjar karna hoga aur fir tumhe pahle dev ko taiyar karna hoga ke wo apni shaktiya jagaye jab wo taiyar ho jayega to usi ke dwara poonam ko sab yad dilana hoga aur fir yaha tilism nagri me unhe wapas lakar sabse mila dena jo tumhari wajah se bichhade hae unhe ek kar do ishwar tum par krapa karege.ho sakta hae usme ek sadi lage ya usse bhi adhik par tumhe apna tap tab tak karna hoga. kintu ye to tumhara praychit hi hoga, mukti tumhe tab milegi jab is kahani ka ant hoga, jo tumhari vajah se shuru hui.

Itna sab kah kar guru ji gayab ho jate hae……

……….pashupatinath - dhanyawad guruvar aapne mujh jaese papi par daya ki hae . mae intjar karuga mae intjar karuga dev aur poonam ke wapas aane ka unhe mila ke rahuga mae gurudev.……………………

………………itna kah kar fakeer baba chup ho jate hae aur sab ke chehre dekhne lagte hae.

FB - dev ab ye batane ki jarurat nahi ke wo neech paapi jis ki wajah se ye sab hua wo pashupatinath koi aur nahi balki mae hi hu.

Waha moujud sab unhe dekhne lagte hae. unki ankho me aasu the.

FB – dev poonam mujhe maaf kar do bachcho mae swarth me andha ho gaya tha.

Dev – nahi baba ye to niyati thi jo aapke dwara poori hui aap to maatr ek saadhan the. Lekin ye bhi sach hae ki aaj agar hum sab ek hae to us ke peeche aapki sadiyo ki tapasya aur mehnat hae. usi ki vajah se aaj hum sab ek ho chuke hae. aapne apna prayshchit poora kiya baba. hame aapse koi shikayat nahi, Lekin abhi aapko hame saath dena hae. mae aapko jaane nahi duga.

FB – jaesa tum kaho dev

Dev – baba mera wo pagal dost kaha hae rudra. Wo kahi najar nahi aa raha hae.

FB - dev rudra yaha nahi hae. wo…..wo……..
 
Last edited:
Top