• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy इच्छाधारी देव

Boby

Well-Known Member
2,741
12,999
159
UPDATE – 26

Ab tak...........
................Lekin dev ko abhi poonam bhi nahi dikh rahi thi isliye wo kafi akelapan mahsus kar raha tha.........................................................

Idhar mantrik tilmilaya hua ghum raha tha apni gufa me, jaha pashupatinath bhi moujud tha.

PN – kya hua mantrik bahot bechain najar aa rahe ho

Mantrik - PN tu to janta hae ke haar mujhse bardasht nahi hoti. Us raja sumant dev ko to maene maar hi diya tha. Ke achanak aakhri mouke par pata nahi kaha se wo dono ladke aa gaye aur meri ichcha adhuri rah gayi.

PN – lekin tum do mamuli ladko se haar kaese gaye mantrik?

Mantrik - wo dono ladke koi sadharan nahi the , mujhe apni shaktiyo se gyat hua hae ke wo dono hi naag lok ke wasi hae Jinme se ek hae dev singh jo nag lok ka rajkumar hae aur dusra uska abhinna mitra Rudra.

……….dev singh kai divvya shaktiyo ka malik hae uski sadhna bahot uchch star ki hae. aur wo bahot jald hi apni sadhna ke dam pe ichchadhari banne wala hae. jab bhi wo lagatar lambi sadhna me baethega to wah ichchadhari ban jayega. Kyu ke us ke pas aesi aesi shaktiya hae. jo use is kaam me madad karegi. isiliye usne meri abhimantrit talwar ka bhi samna kar liya jo kisi ke bas ki baat nahi. Mae un dono ko maaf nahi kar sakta. Is baar mae unhe bhi maar daluga. Bas sahi waqt ka intjar hae.

PN – aesi baat hae to wo waqt tumhare samne hi hae jaha hamare sare dushman ek saath hoge aur tum asani se unhe maar sakte ho. Lekin tilism nagri ka singhasan mujhe chahiye ye bhulna mat.

Mantrik - kya baat kar rahe ho aesa waqt mere samne hae ? magar kaese?

PN – tumahri wo haar dev singh ki jeet thi. Aur usi jeet ke badle me raja sumant dev apni beti dev singh ko de rahe hae.

Mantrik – mae samjha nahi.

PN - to suno raja sumant dev ki do betiya bhi hae ye to tum jante hi ho. jinme se wo apni badi beti ka vivah dev singh se kal tay karne wala hae. aur usi prayojan se aaj tilism nagri me dev singh apne maa baap ke saath aaya hua hae . kal unka rishta pakka ho jayega.

…………..matlab ab hamare samne sirf sumant dev hi nahi balki dev singh jaesi majbut deewar bhi khadi hone wali hae. kal tak to dev singh sumant dev ka kuch nahi lagta tha. Lekin ab ye rishta ho jane ke baad tum khud socho kya dev singh ke sasur ban chuke us sumant dev ka bal bhi banka kar paoge?

Wo dev singh aakash patal ek kar ke bhi tumhe khoj nikalega aur tumhe maar dalega.

Mantrik ko dev singh ka wo roop yaad aa jata hae. to wo bhi kaanp jata hae.

Mantrik - tum seedhe seedhe batao kahna kya chahte ho?

PN – kahna ye chahta hu ke kal ka din agar un ke rishte ke liye shubh hae to fir unki mout ke liye bhi shubh hae. jab unhe marna hi hae to kal hi kyu nahi?

………….kal wo log ladne ki mansik sthiti me nahi hoge sab apni khushiya manane me lage hue honge aese me un par aakraman yadi hua to wo sambhal nahi payege.aur jaesa ki tumhara vichar bhi hae ke tumhe sabko maarna hae to sab ikatthe bhi hoge. aur dev abhi Ichhadhari nahi bana, use abhi marna asan hoga tumhare liye.

………tum apni poori shakti se un par hamla kar do nishchit hi jeet tumahri hogi.

Mantrik - Tumhe poora yakeen hae ki sab log waha milege?

PN – bilkul. Sumnat dev ka pariwar to yaha hae hi. Dev singh ka rishta hone ja raha hae to dev singh , uske mata pita bhi nagri me hae, aur Rudra apne khas mitra ki is khas ghadi me saath nahi hae ye to sochna hi murkhta hogi na? wo bhi awashya saath hoga.

……….muqabla to hoga lekin kyu ki tum taiyar hoge kintu wo nahi. Isliye jeet tumhari hi hogi.

Mantrik - sahi kaha tumne PN kal sach me sabhi moujud hoge raja sumnat dev to marega hi lekin……..

………. Mae un dono ko (dev aur rudra )chhoduga nahi unhe jaan se maar duga. Tumhe to sirf tilism nagri chahiye thi na mae naag lok ka vansh hi mita duga kal, fir naag lok bhi tumhara ho jayega.

PN – tumne to dil khush kar diya mantrik ab to mujhe bhi kal ka besabri se intjar rahgea.

Pashupati nath apne ghar pahuchta hae aur apni sadhna me leen ho jata hae. wo tha to ek sadhak hi. Use bhi apni shaktiya badani hi thi. Wo usi me laga hua tha. Poori raat nikal jati hae subah jab wo uthta hae to samne us ke guru prakat hote hae.

Guru – pashupatinath kaese ho?

PN – sab aapki krapa hae guruwar

Guru – kintu maene to tumhe hamesha logo ki bhalai hi sikhai thi tum logo ko marne ka karya kab se karne lage?

PN – mae kuch samjha nahi guruvar

G – tum jo aaj karne ja rahe ho use ho sake to rok lo. kyu ki usse kisi ka bhala nahi hone wala.

PN – guruvar maene aapki har baat aaj tak mani hae. kintu bachpan se hi mujhe raja banne ka shouk tha. Aaj mera wo sapna poora hone wala hae.aur aap mujhe rok rahe hae?

G – ha rok raha hu kyu ki tere ruk jane me hi sabki bhalai hae.

PN – mujhe kshama kare guruvar kintu maene mantrik ko sab bataya hae. aur wo apni poori taqat ikatthi kar chuka hae ab use rokna mere bas me nahi.

G -krodhit hote hue – yadi rokna tumhare bas me nahi tha to use shuru kyu kiya?

PN – lekin guruvar ………

G – chup raho murkh tu nahi janta ke aaj jo hone wala hae uska anjam kya hoga. Kis kis ko bhugatna padega., aur kitni sadiyo tak iska asar chalega, kab tak bhugatna padega ye sabko tumhe iska andaza bhi nahi hae. Us tabahi se koi nahi bachega sirf tu hi use rok sakta hae. ho sake to rok le varna us tabahi ki aandhi tujhe bhi le dubegi. Mae ja raha hu. Tere paas antim chetawni dene aaya tha. Ab apna aur sabka bhavishya sudharna chahta hae ya bigadna ye tere haath me hae.

Itna kah kar PN ke guru gayab ho jate hae.

PN man me – ye guru ji ko bhi pata nahi kya ho gaya hae. bhala mere upar kya vipatti aayegi. Dono raja marege aur dev marega mera kya nuksan hae isme. Mae to raj hi karuga na. jane do baad me guru ji se miluga pahle aaj ka kaam ho jaye.

Idhar subha hote hi sab log taiyar ho kar ek jagah ikatthe hote hae jaha par aaj dev aur poonam ka rishta hone ja raha tha. Kuch der ke baad rajkumari poonam bhi sone aur hero se ladi hui waha pahuchti hae shalaka ke saath jise dekh kar dev to apni sudh budh hi kho deta hae.

Poonam bhi dev ko dekh kar behad khush hoti hae kyu ki dev bhi bahot sundar lag raha tha. Dono ki aankhe ek duje se milti hae aur ankho hi ankho me baate bhi hoti hae.

Fir waha pooja shuru hoti hae jaha par vedi pe dev aur poonam ko bithaya jata hae. aur baki sab log bhi pooja me saath hi baethe the. Kareeb 2 ghante ki pooja ke baad samapan hota hae. aur pandit ji ka ishara paate hi dev aur poonam uthkar khade ho jate hae fir dev poonam ka hath tham kar use ek sone ki hire jadit anguthi pahna deta hae aur fir poonam bhi dev ko hire ki anguthi pahna deti hae.

Fir sab log un par phoolo ki barsat karte hue taliya baja kar badhai dete hae. us ke baad raja sumant dev ki taraf se amantrit mehman aa kar poonam aur dev ko badahi ke saath tohfe dene lagte hae. aur us ke baad dopahar ka bhojan shuru ho jata hae.

Idhar rudra subah savere apne maa baap ke saath nilam ke ghar pahuchta hae , jaha par nilam aur us ke mata pita unka hi intjar kar rahe the. Waha se sab log shiv ji ke bade wale mandir jate hae jo ke nag lok se thoda duri pe tha waha pahuch kar wo log pooja me baethte hae. un ki pooja bhi kafi samay tak chali jis ke baad nilam aur rudra ne bhi ek dusre ko anguthi pahna di aur fir apne bado ka ashirvad liya.

……….. abhi wo log waha khade baate hi kar rahe the ki tabhi rudra ko kuch bechaini hone lagi.

Nilam - kya hua rudra?

Rudra – nilam aaj mujhe bahot ghabrahat ho rahi hae. mujhe samajh nahi aa raha hae aesa kyu ho raha hae.

Nilam - aapki tabiyat to thik hae na vaid ji ke paas chale?

Rudra - nahi nilam mae bilkul thik hu tum chinta mat karo, bas ji ghabra raha hae. aur pata nahi kyu meri aankho me aansu baar baar aa rahe hae aesa lag raha hae ki mae bahot jor se rone lagu.

Nilam - kya rudra aap aaj bhi majak karne lage bhala apne rishte ke din koi rone ka sochta hae? mae kya itni buri hu?

Rudra - nahi nilam tu to mera dil meri saans ki dor hae lekin aaj dev jo ki meri jaan hae wo mere saath nahi hae aur mujhe kuch achcha nahi lag raha hae.

Idhar tilism nagri me achanak tej shor hone lagta hae. jise sun kar sab chonk jate hae. tabhi sumnat dev

SD – sevak dekho bahar ye shor kaesa hae

Sevak daud kar bahar jata hae aur ulte pair hi wapas aata hae.

Sevak – maharj kisi ne aakraman kar diya hae. jo ke door se hi najar aa rahe hae. kafi bhayanak sena hae

Itna sunte hi dev apni talwar khinch kar bahar nikalta hae peeche peeche bhairav singh aur sumant dev bhi talware lekar nikalte hae.

Samne ka najara dekh kar kuch der ko to sumant dev bhi ghabra jate hae tabhi unki najar dev ko dhundhne lagti hae jo ke unke paas najar nahi aa raha tha.

Sumant dev – are ye dev kaha gaye

Bhairav singh samne ki taraf ishara kar deta hae. jaha dev samne ke ped pe bahot teji se chad chukka tha aur ped ki sabse unchi daal par khada hokar apne haath aage badata hae to uske haath se neeli roshni nikalti hae aur samne najar aa rahe sainiko pe bijli ban ke girti hae bahot se sainik udte hue door ja girte hae.

Lekin sainiko ki matra jyada thi jo ki nagar me ghus chuke the sumant dev ke sainik unse ladne me lagte hae idhar sumant dev, bhairav singh aur Nagarjun bhi maidan me aa jate hae. aur apni apni shaktiyo ke prahar karne lagte hae.

udhar dev waha se chalang laga kar udta hua un sainiko ke beech kud padta hae.apni ankhe band kar dono haath faila deta hae.jis se rang birangi chingariya nikalne lagti hae wo teji se gol chakr ke jaese ghumta hae aur uske aas pas ke sainik rakh ke dher me badalne lagte hae. dev itni tej ghum raha tha ki bas ek bawandar sa najar aa raha tha aur us ke aas pas raakh hote sainik , dev to najar hi nahi raha tha.

Door se ye sab mantrik dekh raha tha use ashcharya hone lagta hae dev ki shaktiyo se. use samajh me aa jata hae ki is tarah dev kuch hi der me uski saari sena ka khatma kar dega.

Ye sab koi aur bhi chhup kar dekh raha tha. Aur wo tha pashupatinath. Jo is waqt aarm se ek jagah chhupkar baetha tha lekin is sari tabahi ki jad sirf wahi tha.

Udhar SB , BS , aur Nagarjun bhi mantrik ki mayavi sena par mout ban kar toot pade the aur apni apni shaktiyo ka bharpoor istemal kar ke teji se mantrik ki sena ko mitti me mila rahe the. Tilismi shaktiyo ki badaulat maharaj SD bhi akele ek taraf mantrik ki sena ko jad se ukhadne me lage the. Aur dusri tarfa nagarjun aur bs bhi kuch aesa hi kar rahe the. Kintu nagarjun maharaj BS ke aas pas hi rahne ki koshish kar raha tha. Kyu ki wo janta tha ke maharaj ki suraksha yaha uska pahla kaam hae. uski khas wajah ye thi ke is waqt dev aur rudra dono hi maharaj ke aas pas nahi the. dev vyast tha aur rudra to aaya hi nahi tha.

Idhar mantrik apna aakar bada kar dev ke samne ja pahuchta hae.

Dev bhi apni ankhe band kar ke mantrik ke barabar aakar kar leta hae. mantrik kya hua dev singh aaj tu akela hi khada hae? tera wo dost bhag gaya kya doom daba ke?

Dev – shukar mana ke wo yaha nahi hae. varna is baar jo tune aakrman kar ke galti ki hae is galti ke baad wo tujhe itne tukdo me kaat deta ke pata nahi chalta tera mooh kidhar hae aur sir kidhar hae. use yaad bhi mat kar kyu ki uska koi bharosa nahi us tak teri soch bhi pahuchi na to wo khud isi pal yaha aa jayega.

Itna sab sun kar mantrik ki aanke lal ho jati hae gusse se wo apne dono hatho se dev ka gala pakad leta hae to dev dono hato ki muthhiya band kar ke mantrik ke pet me bahot teji se marta hae

Mantrik ke hatho se dev ka gala chhut jata hae aur wo kuch foot door ja kar girta hae lekin us ke vishal aakar ke karna us ke neeche usi ke sainik dab jate hae jab tak wo uthe uske sainik dam tod chuke the.

Par mantrik in sab ki parwah nahi karta. Aur fir se uth kar dev ke samne ja khada hota hae.

Dev – mantrik tujhe kya chahiye.kyu hamla kiya hae tilism nagri par.

Mantrik - bato me samay nasht mat kar murkh balak mujhe teri mout chahiye kyu ki tune mere raste me aane ki galti ki hae.

Dev – ja yaha se varna tera anjam bahot bura hoga.

Mantrik dev par apni shakti ka vaar karta hae to dev sirf apna haath aage kar deta hae jisse mantrik ki shakti beech me hi ek dhamake ke saath nasht ho jati hae. tabhi

SD – mantrik chala ja mere rajya se dev pe hamla kiya to accha nahi hoga tere liye. mantrik ghum kar sumant dev ke samne ja khada hota hae aur us par bhi apni shakti fenkta hae jise sumant dev rokta hae. lekin wo us shakti ke dabav se kafi door jakar girta hae. mantrik ankhe band kar ke apna haath aage kar deta hae to sumant dev aur bhairav singh ek sath bandh jate hae.

Tabhi ek tej roshni ki kiran aa kar sumnt dev aur bhairav singh ke bandhano se takrati hae. aur wo log aazad ho jate hae ye koi aur nahi balki poonam thi jo is waqt ek yodha ke roop me aa kar maidan me khadi ho chuki thi. Aur usi ke saath shalaka bhi thi ye dono bahne is waqt rajsi vastro me na ho kar ek yodha ke rup me aa chuki thi.

Shalaka teji se dusri taraf daud laga deti hae aur apni talwar se dushman sainiko ko katti chali jati hae uski talwar is samay bijli ki tarah nach rahi thi. Dekhte hi dekhte wo apne mahal ke aaspas jitney dushman sainik the unhe saaf kar deti hae aur dusri taraf badh jati hae jaha unke sainiko par dushman bhari pad raha tha. Lekin waha bhi shalaka ke pahuchne se hadkamp mach jata hae. shalaka ka chehra is samay khoon se ranga hua bada bhayanak lag raha tha.

Udhar jaese hi poonam dev ke paas pahuchti hae...............

Dev – poonam aapko nahi aana chahiye tha. Jaiye aap mae hu na sab sambhal luga.

Poonam - nahi dev tum akele nahi ho mae tumhare saath hi rahugi.

Poonam bhi apna aakar dev ke barabar kar leti hae dev hath aage badata hae aur poonam ka hath tham kar dono ek saath chalang lagate hae mantrik par. Dono ki ek saath kick mantrik par padti hae jisse jameen pe ghisatta hua kafi door ja kar girta hae. saath hi apne sekdo sainiko ko bhi apne neeche pista chala jata hae. mantrik behad gusse me aa jata hae aur apni muthhi band kar ke poonam ki taraf kar deta hae fir achanak se use khol kar foonk maar deta hae.

Poonam bhi samajh jati hae aur apni talwar samne kar ke teji se gol ghumane lagti hae jisse waha ek bawandar sa ban jata hae aur mantrik ki fenki hui shakti poonam tak aane se pahle hi us bawandar me ghus ke gayab hi jati hae. mantrik ko samajh me nahi aa raha tha to apna hath aage badata hae paani ka anjul bhar ke mantra padta hae aur poonam par fenkta hae tabhi dev aage bad ke poonam ko apni baho me bhar ke chhupa leta hae. aur wo pani ke chheete tejab ki tarah dev pe padne se pahle hi dev ki powers se wo dev ki peeth pe pahuchne se pahle hi sookh jate hae.

Mantrik se bhi ab bardasht nahi hota

Mantrik – dev singh mae nahi chahta tha ke tujh par apni sari shakti laga du ye maene kai varsho ke tapasya se ekatrit ki hae lekin tu mujhe majboor kar raha hae. aur haarna mera swabhav nahi isliye tumhe aakhri baar mouka de raha hu ab bhi waqt hae laut ja tilism nagri chhod kar mae tujhe aur tere naag lok ko baksh duga. Varna tum sab ko maar daluga.

Dev – tune kam se kam mujhe wapas jane ka mouka to diya lekin tune do galtiya ki hae ek yaha hamla kar ke dusra mujhse dushmani mol lekar, ye to shukra mana ke mae akela hu agar mera rudra yaha hota to ab tak tujhe sirf patak patak kar hi samapt kar deta. Waese jinda to tujhe mae bhi nahi chhoduga varna wo sala mujhe chhodega nahi. Ab uski narajgi door karni hae to tujhe mout to deni hi padegi.

Mantrik – achcha hua tera dost nahi aaya varna wo bhi abhi yaha mara pada hota par us ke naseeb me kuchh saanse baki hae. tujhe marne ke baad mae use bhi maar daluga wo kahi bhi ho mujhse bach nahi paayega.

Dev – ye tune teesri galti kar di mere samne mere dost ki jaan lene ki baat kah kar, ab to tu gaya mantrik

Mantrik jaldi se apne dono haath upar kar ke apni shaktiya ikaththi karta hae. jise dekh kar poonam ghabra jati hae.

Poonam - dev ye vajra shakti ka istemal karne wala hae kuch karo. Dev poonam ko dhakka dekar khud se kafi door kar deta hae aur wah bhi apne dono haath utha ke sari sahkti ikathi karta hae .

idhar mantrik hamla kar deta hae dev par tabhi dev aankhe kholta hae mantrik ki shakti dev se takrane hi wali thi ke poonam beech me aa kar poora war apne upar le leti hae aur dev ko door kar deti hae. mantrik ki shakti se poonam ka aakar teji se ghatne lagta hae aur wo teji se jameen pe aa kar girti hae. us ki sanse ukhadne lagi thi. Uska poora shareer is waqt neela padta jar aha tha.

………….ye dekh kar Dev ka krodh badh jata hae wo mantrik ki taraf badta hae to mantrik fir se ek war kar deta hae kintu tab tak dev bhi us par war kar chuka tha dono ke seene pe ek duje ki shakti ka waar hota hae to jaha dev jameen ki taraf girne lagta hae wahi mantrik ko jhatka itna jabardast lagta hae ke wo aakash ki uchaiyo me udta hua anant akash me gayab ho jata hae. us ke gayab hote hi uski mayavi sena ke bache hue sainik bhi jadui tareeke se gayab ho jate hae.

Idhar dev ki halat bhi najuk thi . wo aur poonam ek saath lagbhag marne ki sthiti me pahuch jate hae.

Poonam - dev.......... hamara.......... Milan........hamara.......... Milan adhura........... rah gaya dev...........

Dev – poonam mujhe chhod ke.......... akeli mat jao......... mae tumahre....... saath........saath chaaluga bas kuch kshan ki mohlat de do. Mae aata hu.……… Jaese tease dev uthkar khada hota hae aur aasman ki taraf dono haath kar ke ankhe band kar deta hae aur mantra padne lagta hae. thodi der ke baad ek tej hare rang ki roshni dev ke hatho se nikalti hae aur poore tilism nagar ke upar fail kar gayab ho jati hae. dev ki halat is shakti ke istemal se aur bigad jati hae.

wo dhadam se poonam ke paas gir jata hae. un dono ko gher ke sab log khade the. Rani nilmani aur kaushalya to ro ro kar behal ho chuki thi sumant dev aur bhairav singh bhi ro rahe the. Aur shalaka bhi bahan se lipat ke roye ja rahi thi. uski god me ek taraf dev ka sir rakha tha dusri jangh pe poonam ka.

Dev – pita ji, maene yaha aane se pahle nag lok ko surakhit ghere (shiled cover ) me bandh diya tha. Aur ……….. aur……….. abhi maene tilism nagri ko bhi ……….. surakhit ……….. surakshit ghere me bandh diya hae………….…….. maaaaaa........... mae ja raha hu. Aap roiye mat h...h...h...hum……. Dono jaroor wapas aayege aap logo ke paas. hum dono sath ja rahe hae na to ek saath hi aayege.........

Sumant dev – dev, poonam tum dono mujhe maaf kar dena meri wajah se ye sab hua hae.

Dev – nahi maharaj isme aapka koi dosh nahi hae. aap dubara ye mat kahiyega. Aur ab jab tak hum dono wapas nahi aate tab tak aap logo ki ankho me aansu nahi aane chahiye.

Nag lok aur tilism nagri ab surakshit hae koi bahri taqat mere is suraksha ghere ko tod kar nahi aa payegi aur na hi kisi dusre vyakti ki koi bhi buri shakti yaha kam karegi.

…………. Yadi koi aaya bhi to wo yaha apni shakti ka istemal is nagri ke virudhh nahi kar payega.

Dev – pita ji rudra jab meri mout ki khabar sunega to use sahan nahi hoga. Us pagle ko sambhal lena use kahna mujhe maaf kar de mae dosti ka rishta tod kar ja……ja… raha hu lekin mae jald hi wapas aauga tab use mujhse jitna ladna ho lad sakta hae.

BS – dev beta aesa mat bol tum log thik ho jaoge. hamne wo buti lane ke liye sainik bhej diye hae naglok, bas kuchh der rum jao wo buti aate hi tum dono swasth ho jaoge mere bachho bas kuchh pal ruk jao.

Dev – nahi pita ji bahot der ho chuki hae aur ab hamara antim samay aa gaya hae aap rudra ka khayal rakhna.

BS - mae use kaese sambhaluga dev...... use koi nahi sambhal payega wo pagal ho jayega. wo apni jaan de dega.

Dev – pita ji use aap ye kada de dena (dev apne hath me pahna hua kada utar ke apne pita ko deta hae)

Dev – pita ji hum......hum.. ja rahe hae hame aagyaaaa……..aaaaaaa…….

Poonam………

Poonam- dev…………..

Dono haath me haath pakde hue hi shant ho jate hae. dono ki hi aknhe ek duje ke chehre pe thi hatho me hath tha. Lekin dono ke hi jismo me jaan nahi thi. Ek sannata waha chha jata hae..................
 
Last edited:
Top