• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy इच्छाधारी देव

Vickey1211

Well-Known Member
7,591
16,026
188
Update - 23



Rudra - are waah tu to sab janta hae. par mere yaar mea to bholenath se yahi prarthna karuga ke tujhe kuch na ho kabhi. Varna mae bhi jeete ji mar jauga. Aur abhi to mujhe bahot jeena hae be. Nilam ke saath 20 25 bachche paeda karne hae, aur……..

………. Are ha nilam se yaad aaya sham ko nilam ke paas bhi jana hae chal jaldi us raja ko dekhte hae abhi use bhi uske mahal pahuchana hae. tu bhi na jab dekho baato me laga deta hae, chal.

Dev muskrat hua rudra ke saath ped ke neeche pahuchta hae. jaha raja behosh pada tha. Kisi tarah use hosh me laya jata hae.

Dev – pranam maharaj

Sumant dev – tum kaun ho yuvak?

Dev – maharaj mae nag lok ka rajkumar dev singh hu aur ye mera param mitra rudra hae.

Sumant dev – kya aap dono dev aur rudra ho . aap dono se mil kar behad khushi hui. bahot nam suna hae aap logo ka.

Rudra - are waah humara bhi naam chalne laga hae kya? maharaj bhi hame jante hae.

Sumant dev muskrate hue – ha beta tum dono ki kirti to charo dishao me hae. waese mae tilism nagri ka raja sumant dev hu.

Dev – aaiye maharaj pahle aap ko aapke mahal pahucha dete hae fir baat karege.

Fir dev unhe unke rath me bitha deta hae aur khud unka sarthi ban kar rath bada deta hae rudra peeche se dono ghode le kar chalne lagt hae.

Kuch hi der me wo log mahal pahuch jate hae. dev sainiko se kah kar maharaj ko unke kaksh me pahucha deta hae. jaha ek ek kar ke sab aa jate hae. maharani, rajkumariya, mantri. Thodi der ke baad baki to sab chale jate hae ab waha sirf raj pariwar aur dev, rudra hi bache the,

Sumant dev – beta dev ye hae hamari rani kaushalya devi

Aur ye hamari badi suputri poonam aur ye chhoti shalaka.

Dev aur rudra sabse haath jod kar milte hae kintu poonam aur dev ek duje me hi kho jate hae. ye baat sabne dekhi aur sab ke chehre pe muskrahat thi.

Sumant dev – beti poonam aap janti hae. aaj agar dev na hote to shayad hamara aaj akhri din hota. Inhone apni bahaduri se hame bachaya aur inka saath dene wale hamesha ki tarah rudra ne bhi. Ye dono farishte ki tarah waha pahuche aur hamare prano ki raksha ki.

Maharani kaushalya (MK) – yuraj aap nahi jante aapne ham sab par aur is rajya par kitna bada upkar kiya hae.

Dev – nahi maharani ji ye to hamar farz tha bhala maharaj ko musibat me chhod kar ham kaese nikal jate.

MK – chalo ishwar ka dhanyawad aapki jaan to bach gayi. Aur ye jakhm bhi kuch hi dino me thik ho jayege.

Tabhi dev – maharaj mae abhi aata hu.

Maharaj - are yuraj kaha chal diye

Tab tak dev bahar nikal chukka tha. Thodi der me wo aaya to uske haath me wahi jadi butiya thi. Dev ne maharaj ke paas aakar unhe jadi butiyo ke kuch patte hath se masal kar khila diye. Abhi 2 min bhi nahi gujre the ke maharaj ke chehre ki kharoche aur shareer pe lage ghav teji se bharne lage aur dekhte hi dekhte maharaj jo hilne me bhi karah rahe the ek dam se uth kar baeth gaye.

Ye dekh kar sab ki aankhe khuli ki khuli rah gayi kyu ki ye chamatkar to dev aur rudra ke liye bhi naya hi tha.

Rudra - kya baat hae maharaj aap to na sirf thik hue balki uth kar khade bhi ho gaye. Aur itni furti bhi aa gayi. Ho jaye do do haath kushti ke

Sab log hasne lage.

Sumant dev – yuraj ye kaesa chamatkar hae?

Dev – maharaj asal me hum hamare kulguru ki aagya anusar in jadi butiyo ko lene hi gaye the ke wapas aate hue aapse mulakat ho gayi. Ye sab inhi jadibutiyo ka asar hae.

Sumant dev – jeete raho vats. Tumne to mujh me nav yovan jaga diya aesa prateet ho raha hae.

Rudra – maharani ji sambhal ke rahiyega……

Dev – rudraaaaaaaaaaaaaaaaaa

Rudra – ohh kshama maharani mooh se nikal gaya

Idhar maharani to sharm se pani pani ho gayi rudra ki baat sun kar.

Fir maharaj unhe apne saath le gaye aur dopahar ka khana khilaya, lekin har waqt poonam aur dev ki najar baar baar ek duje se takrati aur poonam Sharma ke garden neeche kar leti. tab

Dev – ab aagya de maharaj nag lok pahuchne me bhi samay lagega

Sumant dev – thik hae rajkumar. Aate rahiyega. Hamare mahal ke is nagri ke aur hamare hriday ke dwar aap ke liye aur nag lok wasiyo ke liye hamesha khule rahege.

Dev – dhanyawad maharaj

Rudra – poonam ko dekhte hue hath jod ke, waese maharaj nag lok bhi ati sundar hae kabhi padhariye waha bhi dev “aapko” poori nagri dikhayega apni. Kyu dev?

Dev – jarorr aap log bhi awashya aaiye nag lok

Sumant dev – ha yuvraj hum bhi aayege. Apne pita shree ko hamara sadar namaskar kahiyega.

Fir dev aur rudra nikal padte hae nag lok ki taraf abhi wo tilism nagari ki seema me hi the ke tabhi Ek kabutar udta hua aaya aur dev ke kandhe pe baeth gaya. Dev ne apna ghoda roka aur kabutar ko hath me pakad ke dekhne laga to us ke gale me taweej dekha aur taweej nikal ke dekha to usme ek sandesh tha dev na turan wo padha to padh ke khush ho gaya aur mahal ki chat ki taraf dekha jaha rajkumari khadi muskrat rahi thi.

Dev ne rajkumari ko dekh ke wo sandesh chum liya aur kabutar ko apne pas rakh liya. to rajkumari turant Sharma kar neeche bhag gayi.

Rudra – are kya hae isme aesa jo tu chum raha hae. dev ne sandesh rudra ki taraf bada diya .

Rudra sandesh padte hue – “aapne hamare pitas hree ki jaan bachayi us ke liye hum aap ke sadev adhari rahege. Aur dubara aapse milne ke liye bekarar bhi. Poonam”

Sandesh padh ke rudra - waah mere sher maharaj ko bacha liya aur rajkumari ka dil chura liya sauda bura nahi raha. Shabash.

Dev bhi muskra diya aur fir dono chal pade apne nagar ki or.

Dev – kyu be kya bakwas kar raha tha. Tu waha pe jaban ko rok nahi sakta kya. Maharani ko sharminda kar diya

Rudra - maene kya kaha aesa jo maharani ne ab tak nahi kya? Are mae to majak me kah raha tha. aur beta tune jo ab tak roj raat ko sirf sapno me kiya hae na maharani ne wo kai rato tak haqiqat me kiya hae jag kar. Ye dono rajkumariya jameen se nahi nikli samjha, isliye mujhe ye gyan mat pel. Chup chaap chal

Dev – saale tu nahi sudhrega.

Rudra – ha beta tu jo meri khichai karta rahta hae nilam ke samne wo bhool gaya ab maene kuch kiya to bura lag raha hae.

Ye dono isi tarah bate karte hue nag lok aa jate hae jaha pe mahal me pahuchte hi rudra to bhag jata hae bholenath ke mandir. Jaha nilam uska intjar kar rahi thi.

Aur dev andar mahal me jata hae.

Dev – pranam pita ji , pranam kulguru

Dono – jeete raho dev

Bhairav singh – putra aane me itna vilamb kaese hua?

Dev – pita ji wo raste me kuch samasya aa gayi thi usi wajah se der hui

Bhairav singh – kis ka itna dussahas ke hamare putra ka rasta roke tum hame batao dev

Dev – are are pita ji krodhit na ho jo bhi the unhe maene aur rudra ne apne tareeke se samjha diya lekin wo ek mantrik tha jisne hamla kiya tha tilism nagri ke raja par wo bhi achanak jisse raja gambhir roop se ghayal ho gaye wo mantrik unhe marne hi wala tha ke ham beech me kood pade aur unhe bacha liya fir mantrik se talwar baji ki jisme wo doom daba kar bhag gaya dekh luga jaesi dhamki dekar . jiska koi saar nahi . fir hum gaye tilism nagri aur maharaj ka atithya sweekar kiya fir yaha aaye isliye der ho gayi.

Bhairav singh – thik hae yuvraj ab aap apne kaksh me jakar vishram kijiye.

Dev ke jaane ke baad

Bhairav singh – Kulguru. Aap turant pata lagaiye wo kaun sa dusht mantrik tha jisne ye hamla kiya aur uska itna sahas hua kaese ke wo hamare bete ko dhamki dekar chala gaya. Use hum swayam dand denge.

KG – jo aagya maharaj mae abhi pata karta hu.

Idhar bholenath ke mandir jab rudra pahucha to waha use nilam gusse me thalati hui najar aayi.

Rudra - mar gaye pahli mulakat me hi der se aaya hu pata nahi ab ye mera kya haal karegi waese darta to mae rakshaso se bhi nahi par ha isse pata nahi kyu dar lag raha hae. he bholenath bacha lena apne is nadan bhakt ko.

Nilam rudra ko dekhte hi bhadak gayi. – aa gaye aap itni jaldi aane ki kya jarurat thi 4-6 mahine baad bhi aate to mae aapka kya kar leti? Mae to bewkoof hu hi yahi intjar karti rahti aapka

Rudra -achcha itni jaldi itni mohabbat ho gayi mujhse

Nilam ko apni galti ka ahsas hota hae wo Sharma jati hae lekin turant khud ko sambhal kar…….

…………koi mohabbat nahi hui ye to aapne mujhe bulaya tha isliye aa gayi mae. Varna mujhe aur bhi bahot se kaam hae. ab jaldi se bolo jo bhi bolna hae mujhe ghar bhi jana hae. faltu nahi rahti mae.

Rudra nilam ka haath pakad kar – soch raha hu in hatho ke liye son eke kangan banwa du. Lekin tumahre paas samay nahi to mae kya karu?

Nilam mere liye kangan banwane ki koi jarurat nahi apni biwi ke liye hi banwa lena aur pahna bhi dena.

Rudra – usi se to pooch raha hu

NIlam – achcha fir tum……………….

Rudra – kya hua?

Nilam – kya kaha aapne? Biwi? Mae?

Rudra – ha nilam jab se tumhe dekha hae tum hi tum najar aati ho mujhe har jagah. Kya tum meri jeevan sangini banogi?

Nilam – rudra kya mae is layak hu?

Rudra – beshak nilam sirf tum hi is layak ho bolo dogi sari jindagi mera saath?

Nilam ha rudra maene bhi jab se aapko dekha hae kuch ho gaya hae mujhe aur mujhe bhi har jagah bas aap hi najar aate hae. mae bhi aapse pyar karne lagi hu.

Rudra aage bad ke nilam ko gale se laga leta hae to nilam bhi rudra ki chhati se lipat jati hae.

Idhar rajmahal me dev singh poonam ke sapno me khoya hua tha. Halaki wo chahta to ek pal me poonam ke pas pahuch sakta tha. Lekin use maryada ka khayal tha isliye wo majboor tha. Bas aankhe band kar ke poonam ka muskrat chehra dekh raha tha. Use bhi kuch achcha nahi lag raha tha. To wo baar baar wahi sandesh nikal ke padh raha tha achanak dev bhi uth baethta hae aur ek sandesh likhne lagta hae apni poonam ke liye.

“ poonam ye to hamare liye bahot badi baat hae ke ek bramhand sundari hamari abhari hae, hamne aap ke pita ji ke pran to bacha liye lekin tilism nagri me aa kar hamari ek bahot keemti cheez chori ho gayi aur hame yakeen hae ki wo chori jisne bhi ki hae wo aapke mahal me hi hae.par hum waha kuch kah nahi paaye.”

Itna sandesh likhkar wo kabutar ke gale me dal deta hae aur use uda deta hae, fir Wo bechaini me raat kaat leta hae. ke pata nahi kal kya jawab aayega.

Subah hote hi wo taiyar ho kar apne kamre se nikal hi raha tha ki rudra aa jata hae.

Rudra - kya baat hae mere sher kaha ja rahe ho.

Dev – kahi nahi yaar. Bas thoda man bechain hae. to baag me jaa raha hu chal aaja dono chalte hae.

Rudra aur dev mahal ke bag me aa jate hae

Rudra – tujhe ek khushkhabri deni hae kyu ki us par sabse pahla huq tera hae.

Dev – achcha aesa hae to bol fir

Rudra – dev tujhe yakeen nahi hoga lekin nilam ne mujhe haa kar di hae. wo bhi mujhse shadi karna chahti hae.

Dev- dhatt tere ki ye koi khushkhabri hae?

Rudra – kya bolta hae yar mae use pyar karta hu

Dev – sarkar is saal me aapka ye panchva pyar hae jo shadi tak pahuch gaya hae.

Rudra – are wo sab to yu hi thi bas samay gujarne ke liye par ye to meri jindagi hae dev mae sach kah raha hu.

Dev – agar ye baat hae to kha dosti ki kasam. Kyu ki mae janta hu tu kisi bhi haal me dosti ki jhuthi kasam nahi kha sakta

Rudra – hamari dosti ki kasam dev nilam hi teri bhabhi banegi varna mae kabhi shadi nahi karuga.

Dev – waah ye hui na sahi khush khabri. Ab sun mae bhi tujhe khushkhabri sunata hu.

Rudra - janta hu mae teri khushkhabri.

Dev – achcha to bol jara mae bhi sunu ke tu mujhe kitna janta hae

Rudra – rajkumari poonam se prem ho gaya hae aapko , aapki nind haram ho gayi hae, use dekhna chahte hae, use milna chahte hae, usse shadi kar ke 10-15 bachcho ke baap banna chahte hae. hae na yahi baat?

Dev mooh fade uski baate sun raha tha- yar tu to sach me kamal hae. tujhe kaese pata ye sab baate

Rudra – rajkuamr ji hum bhi dimag rakhte hae aur aankhe hamari ek dam sahi hae ab tak . kal jo aap dono ka nain matakka chal raha tha na wo maene to kya waha moujud sabne dekha aur ek baat batau.

Dev – kya?

Rudra – aap dono ko ek duje se pyar ho gaya hae ye aap dono se pahle rajkumari ke maa, bap, bahan aur mujhe pata chal chuka hae. kyu ki kal aap dono ki halat saaf saaf chilla ke kah rahi thi. Ke aap dono to gaye kaam se.

Dev – ha yar sach me hame pyar hua hae. maene to kal raat hi rajkumari ko sandesh bhej diya tha.

Rudra – are waah tab to tum ladao baeth ke prem ki patang hum chale.

Dev – Kaha ja raha hae be?

Rudra yar mujhe kuch kaam hae baad me miluga tujhse. Waese bhi wo dekh aa gaya tera kabutar. Mae chala

Dev upar dekhta hae to samne se wahi kabutar udta hua chala aa raha tha. Aur aakar seedha dev ke kandhe pe baeth gaya. Dev ne kabutar ke gale se sandesh nikala

“aap kaese hae? aap pahuch gaye the na sakushal? Aur aapne ye kya sandesh bheja tha? Mae koi bramhand sundri nahi. Bas ek sadharan si ladki hu. Khubsurti to aapki najro me hae jisne hame itna maan diya. ab batao ye naag lok ke ekloute yuvraj ki aesi kaun si keemti cheez thi jo chori hui? wo bhi hamare mahal me? Agar aap chor ko bhi jante hae to jarur bataiyega use hum dand denge.

Poonam”

Dev –sandesh paa kar jhum uthta hae aur kabootar ko chum leta hae. – yar tu to bade kaam ki cheez hae. chal tu aaram kar mae aata hu.

Fir dev apne kaksh me jata hae. aur dubara sandesh likhne lagta hae.

“Poonam , mae yaha pahuch to gaya lekin meri kushalta nahi hae. meri keemti cheez jo chori ho gayi to mae kaese kushal ho sakta hu. Wo keemti cheez tha mera dil. Aur jisne chori kiya us chor ka naam hae {Bramhand sundari Poonam} lekin aap use koi dand mat dena. Kyu ki ab mera us ke bina jeena mushkil hae. ha poonam. Hum aapse behad mohabbat karne lage hae. hum nahi jante hamari mohabbat ka anjam lekin. Bas aapse pyar ho gaya hae. agar aap ke dil me hamare liye thodi si bhi jagah ho to is sandesh ka jawab jaroor dena chahe wo ha me ho ya na me. Hum bechaini se intjar karege.

DEV”

Dev fir se raat ka intjar karta hae aur pana sandesh kabutar ke gale me dal ke bhej deta hae.

Dusre din poonam ka jawab aa jata hae.

“Dev aapki keemti cheez hame bahot pyari lagi isliye hamen le li lekin us ke badle me apna dil bhi to diya aapko. ye chori nahi adla badli thi . kyu ke hamari bhi halat aap ki tarah hi hae. ham bhi aapse prem karne lage hae. lekin hum chahte the pahle ye baat aap kahe tab hum aapko bataye. Aapne hame is kabil samjha uske liye shukriya dev.

Sirf aapki Poonam”

Dev ki to khushi ka thikana nahi rahta ye jan kar ke poonam bhi use pyar karti hae. aur ab to usne ye baat sweekar bhi kar li….. ………lekin ab to bas is tarah sandesh ka hi sahara tha.



Isi tarah ke prem bhare sandesh un ke lagbhag roj hi hote rahe isi tarah kareeb 6 mahine beet gaye. Lekin dev aur poonam mil nahi paa rahe the par ye judai un ke pyar ko aur bada rahi thi aur milne ki ichcha bhi badti hi ja rahi thi.

Ye halat maharaj sumant dev bhi samajh rahe the. Par unhe sahi waqt ka intjar tha wo koi jaldbaji nahi karna chahte the.

Aur idhar dev ki halat to kharab hi hone lagi thi poonam ki yaad me.

Ek din jab rudra aaya to BS ne seedhe use apne paas bulaya

Rudra – kya baat hae maharaj sab kushal to hae?



BS - nahi rudra sab kushal nahi hae isliye tumhe bulaya hae hamne.



Rudra – aapke is sewak ke hote yadi aap chintit hae to ye mera durbhagya hoga mahar mujhe bataiyt aesi kaun si chinta aapko ghere khadi hae.
Mast update h Bhai
Maza aa gya
 

Boby

Well-Known Member
2,741
12,999
159
UPDATE - 24

BS - hum tumhe kuch kahe to kyat um wo karoge rudra?

Rudra – aap ko humse poochne ki jarurat nahi hae aagya de maharaj.

BS – rudra kyat um jante ho aajkal dev itna udas kyu rahne laga hae? na thik tarah se khata hae na peeta hae, kai baar hamne use raato me tahalte dekha hae. aakhir use ho kya gaya hae. bas yahi chinta hame sataye ja rahi hae.

Rudra muskrate hue – bas itni si baat hae? waese use kuch nahi hua hae maharaj wo bahot dino se hum kahi gaye bhi nahi ek hi tarah ki dincharya chal rahi hae kuch naya nahi hae shayad isliye aesa hoga . aap chinta na kare mae usse baat kar luga.

BS – ha rudra hum bhi yahi chahte hae ke tum usse baat karo. Agar kahi jana chaho to ghum aao.

Rudra – jo aagya maharaj

Fir rudra seedha aata hae dev ke pas lekin dev to wahi mahal ke bag me baetha poonam ke sandesh pad raha tha.

Rudra - kya haal hae mere yaar

Dev – aao rudra .

Rudra - ye kya hal bana diya hae apna dost

Dev – kuch nahi yaar ab poonam ke bina kuch achcha nahi lagta

Rudra – agar aesi baat hae to tu bol ke to dekh Sali sari tilism nagri ek taraf aur tera ye fauladi dost ek taraf aaj ke aaj hi poonam teri baho me hogi

Dev – janta hu yar lekin mae aesa chahta nahi.

Rudra - to fir tu chahta kya hae.

Dev – mae poonam se shadi karna chahta hu. Lekin hamari baat to ab tak hum dono ke dil me hi hae tu hi bol meri baat aage kaese badegi.

Rudra – abe mae kya yaha mochi laga hu kya? Tera dost hu to mae hi aage badauga na. teri tarah nahi hu mae. Ab tu dekh beta ye rudra kya karta hae bas beech me apni chonch band rakhna varna mujhse bura koi nahi hoga tere liiye samjha. Kyu ki mujhe ab to poonam hi chahiye bhabhi ke roop me mere yaar. Ab chal ke pahle apna huliya sudhar le aur fir Chal maharaj ke paas, aur dekh tera ye dost kya karta hae.

Dev – lekin maharaj ke paas kyu ?

Rudra – abe akal ke dushman shadi kya khud hi kar ke aayega? Ab chal na yar.

Dev aur rudra andar jate hae jaha dev taiyar hota hae aur fir wo dono darbar me jate hae jaha maharaj baethe the.

Maharj bhairav singh(BS) – aao mere veero bolo kya haal hae?

Rudra – sab aapki kripa hae maharaj, agar aapki aagya ho to mae kuch kahna chahta hu.

BS – ha ha rudra kaho tumhe humse poochne ki jarurat nahi. Nisankoch hokar kaho.

Rudra – wo maharaj dev ne aapko bataya hi hae ke tilism nagri ke maharaj se hamari bhent hui thi.

BS – ha dev ne bataya tha. To ?

Rudra - maharaj dev ne unhe apna mitra banaya hae aur yu opcharik roop se unhe nag lok aane ka amantran bhi diya. lekin mera ye sujhav hae ki tilism nagri ke maharaj se aapko mitrata badani chahiye jisse ki waqt aane par us taraf ki seemaye bhi surakshit rahe.

BS – ye to uttam sujhav hae. hum abhi unhe dosti bhara sandesh aur kuch uphar bhej kar unse mitrata karna chahege.

Rudra – aapka vichar uttam hae maharj kintu mere paas usse bhi achcha ek rasta hae.

BS – to nisankoch ho kar kaho rudra

Rudra – maharaj agle hafte se hamare yaha jo varshik khel mahotsav aur pratiyogitaye honi hae. kyu na unme tilism nagri ke maharaj aur unke poore pariwar ko yaha se ek gharelu rajkiya nimantran bheja jaye. Wo yaha aapke atithi ban kar rahege to aapki mitrata bhi badegi aur unhe sapariwar is nagri ko janne ka mouka bhi milega.

Deva to mooh faade rudra ko suntan rah gaya aur man hi man rudra ke dimag ki tareef bhi kar raha tha.

BS – adbhut rudra sirf tumhare shastra hi nahi tumhara dimag bhi kafi tej chalta hae . hum aaj hi unhe sandesh bhijwa dete hae.

Rudra – ab hame aagya de maharaj.

BS – jao lekin darbar ke baad hamare kaksh me hi aaj aap dono dopahar ka bhojan karege.

Rudra aur dev sakpaka jate hae

Rudra – j j j ji…… maharaj mera to pet hi kharab hae aur dev bhi kah raha tha aaj uski kuch tabiyat thik nahi hae. kyu dev? to fir kabhi …….

BS – ye hamara aadesh hae ab jaiye aap dono

Rudra aur dev waha se garden jhuka kar chale jate hae aur BS mantri se kah kar raja sumant dev ko varshik karyakram me sapariwar aane ka nimantran bhej deta hae.

Dev – abe marwa diya na sale ab maharaj hajaro sawal karege kya jawab duga un sawalo ka

Rudra – abe ha yar fat to meri bhi rahi hae maene to socha hi nahi tha. Ke maharaj hame yu bulwa lege.

Dev – beta isliye kahte hae baap baap hota hae. ab fas gaye na

Rudra – abe ghabrata kyu hae. baap se yaad aaya bap hi to hae wo tere koi dushman to nahi . sab achcha hi hoga wo dekh teri mashooka ko bulane ke liye sainik sandesh le kar nikal bhi pada. manta hae ke nahi bhai ko.

Isi tarah ki baate karte hue. Kafi der ho jati hae dono bag me baethe the ke tabhi ek sainik aata hae.

Sainik – yuraj ki jay ho. Mahraj ne aap dono ko mahal me bulwaya hae . khane ka samay ho gaya hae.

Dev – tum chalo hum log aate hae.

Fir thodi der ke baad rudra aur dev pahuchte hae maharaj ke samne jaha bhojan laga hua tha. Maharani neelmani bhi wahi baethi hui thi

BS – aao beta baetho.aur hamare saath bhojan karo.

Dono baeth jate hae. aur khana shuru karte hae abhi pahla hi niwala mooh me dala tha ke bhairav sing

BS – to kya chakkar hae tilism nagri ke raj parivar ko bulane ka

Rudra - ukhu…. Ukhu……… kar ke kahasne lagta hae uske to gale me hi kaur atak jata hae.

Dev chup chaap baetha tha.

BS – are bolo bhai hamne kuch poocha hae dev?

Dev – ji pita maharaj mujhe kuch nahi pata ye to is rudra ka hi kahna tha unhe bulaye mae nahi janta

Rudra kha jane wali najro se dev ko ghurta hae aur man hi man use sekdo gaaliya deta hae.

BS – ha to rudra tu hi bata de.

Rudra - ji maharaj jaesa ke maene kaha tha darbar me ke unse dosti kar ke desh ki seemaye………

BS - wo sab rahne do aur asli karan batao. Wo hamne sun liya tha.

Maharani Neelmani(MN)- tu itna ghabra kyu raha hae rudra bata na beta asal baat kya hae?

Rudra - wo raaj mata asal me us din jab hum log tilism nagri gaye the. To waha

Dev – ukkhu ukkhu….. kar ke khasne lagta hae ab kaur dev ke gale me atka.

BS – aaram se khao dev, ha to rudra fir?

Rudra – to waha ke maharaj ne hame apne mahal me hi rakha aur apne saath bhojan bhi karwaya. Aur hame kafi ijjat bhi di aur………

BS – rudra tu asal baat batayega ya maar khayega?

Rudra – ji maharaj wo asal baat ye hae ke waha ki rajkumari poonam se apne dev ko pyar ho gaya hae.

Rudra ek hi saans me ye kah ke hafne lagta hae jaese kafi door se daudta hua aaya ho.

BS aur MN dono khamoshi se kabhi rudra ko dekhte to kabhi dev ko thodi der ke baad dono hans padte hae.

Rudra - kya hua maharaj aap hanse kyu?

BS – tum dono ki haalat par are bewkoofo tum dono ko kya laga hum yaha ke maharaj aese hi bane hue hae. hum sab jante hae.

Dev- pita maharaj?

BS – haa beta hum sab jante hae aur hamne apne star pe pata bhi karwaya hae rajkumari ki sundarta ki kirti to charo or hae. hame khushi hogi agar maharaj sumant dev ne ye prastav sweekar kar liya to.

MN – haa putra tu chinta mat kar. Mae khud maharani kaushalya se baat karugi waese bhi ab to wo agle hafte aa hi rahe hae na.

BS – chalo mera to ho gaya tum log aaram se khana khao hum chalet hae.

Fir Mahraj aur maharani chale jate hae.

Dev – waah beta kamal kar diya tune to. Yar

Rudra – bhai tere liye to kuch bhi. Par ab apni halat sudhar aese ujad ban ke mat ghuma kar. Tere maa bap ko taqleef hoti hae tu unka eklauta beta hae aur mera eklauta yaar. Khush ho ja ab to aur haa ye sab bate bhabhi ko sandesh me mat likh dena thoda sa unhe bhi chouka dege jab yaha unhe ye bate pata chalegi.

Udhar tilism nagri me jab doot pahuchta hae. Maharaj ke samne

Doot – maharaj ki jay ho. Maharaj mae naag lok se aay hu aur hamare maharaj ne aap ke liye ek aamntran bheja hae.

Maharj ka aagrah hae ki agle hafte nag lok me hone wale varshik mahotsav me aap saparivar sadar amantirt hae. aap aaiye aur hame seva ka mouka dijiye. Aur hamara aatithya sweekar kijiye.

Sumant dev – ham maharj bahirav singh ji ka nimantran sweekar karte hae. aap aaj ki raat yahi vishram kijiye kal hamara sandesh le ja kar maharaj ko de dijiyega.

Fir sumant dev aata hae apni maharani kaushaya (MK) ke paas jaha uski dono betiya poonam aur shalaka bhi baethi hui thi.

SD – aap logo ke liye ek aamantran aaya hae. naag lok se

Naag lok ka nam sun kar poonam ka chehra khil uthta hae jise raja aur rani bade gaur se dekhte hae.

MK – ye to badi khushi ki baat hae par aamantran kaesa?

SD – maharaj bhairav singh ji ka kahna hae ke agle saptah un ke naag lok me varshik karyakram hone ja rahe hae jisme hum sapariwar waha jaye aur wahi rah kar rajkiy aatithya sweekar kare saath hi varshik karyakramo aur pratiyogitao ka anand le.

To agar aap sab log chalna chahe to ham unke doot ke dwara sahmati sandesh bhej de.

Shalaka – ji pita maharaj ham sab chalege waese bhi bahot samay se hum log apne rajya se bahar kahi ghumne nahi gaye hae. isi bahane ghum bhi lenge naag lok . kyu poonam?

Poonam – jaesi aap sabki marji agar pita maharaj chahege to hum log waha awashya chalege.

MK – to fir thik hae maharaj aap unhe sandesh bhej de ke hum log aa jayege.

SD bhi ye jaan kar khush hota hae. ke uski soch sahi ja rahi hae. aur wo apne kaksh me chala jata hae. dusre din wo bhairav singh ko sandesh bhej deta hae aur apne aane ki sahmati deta hae.

Idhar nag lok me jab ye khabar dev sunta hae to uski khushi ka thikana nahi rahta.

BS – dev hum chahte hae ke jab wo log yaha aaye to unhe yaha aap ghumaye aur karyakramo ka anand bhi lene de hum unse karyakramo ke khatam hone ke baad ye baat karege.

Dev – jo aagya maharaj.

Badi mushkil se din cut rahe the poore rajya me karyakramo ki taiyari ho rahi thi raj mahal ka khel maidan bhi sajaya ja raha tha. Par Dev ko ab us din ka intjar tha jab poonam apne pariwar ke saath naag lok me aaye.

Aakhir wo din bhi aa gaya. Dev subah se taiyar ho kar bechini se poore mahal me ghum raha tha. Tabhi ek sevak ne aa kar soochna di ,

Sevak – yuraj tilism nagri ke maharaj apne pariwar sahit naag lok me padhar chuke hae. maharj ne aapko yaad kiya hae.

Devd daudta hua maharaj ke paas gaya. Jaha rudra pahle se khada muskra raha tha.

BS – dev, maharaj sumant dev nagar ki seema me pravesh kar chuke hae. aap hamare saath yaha unka swagat karege aur rudra tum sheeghra jao aur unhe samman ke saath hamare paas le aao. Jao

Rudra - jo aagya maharaj

Rudra chala jata hae. idhar dev bhi sab intjam dekhne lagta hae thodi der ke baad maharaj sumant dev pariwar sahit mahal me aate hae jaha maharaj BS maharani NM aur dev unka swagat karte hae. aur sab log andar aa jate hae.

BS – maharaj aapko aane me koi takleef to nahi hui?

SD – nahi maharaj sab kushal raha. Inse miliye maharaj ye hae maharani kaushalya aur ye hae hamari badi beti poonam, aur chhoti beti shalaka.

Poonam aur shalaka uth kar BS ke pair chhuti hae – pranam maharaj

BS – khush raho bachchiyo.

NM – badi pyari bachchiya hae aapki maharani kaushalya

MK – dhanyawad maharani. Par ab to ye yaha hae to aapki bhi beti jaesi hi hui na

NM – ha kyu nahi jaroor , dekho beti ab to aapki mata shree ne bhi kah diya hae. to ab ise apna hi ghar samjho kisi cheez ka sankch mat karna. Ab aap log jao bahar ghumo. Dev jao le jao aur inhe mahal dikhao.

Dev – ji mata shree

Fir dev shalaka aur poonam ko lekar mahal dikhane lagta hae.

Poonam ka to sharam se hi bura haal tha.

Shalaka – to yuraj

Dev – mera nam dev hae to aap bhi mujhe dev hi kahiye.

Shalaka – to dev kya ye varshik karyakram har varsh hote hae?

Dev – ji ha bilkul ye kai varsho se ho rah hae aur ab to jaese ek parampara si ban gayi hae.

Shalaka – to kya aap bhi bhag lete hae in pratiyogita me

Dev – ha kai baar liya hae. door desho se rajkumar bhi aate hae un ke saath muqabla karne me bada maja aata hae. ghudsawari, talwar baji , teerandaji kai tarah ki pratiyogitaye hoti hae.

Shalaka – waese poonam bhi in sab me kafi tej hae.

Dev – are ye baat to hame pata hi nahi thi.

Shalaka – abhi to dekhte jaiye aapko poonam ki bahot si baate pata chalna baki hae.

Dev – ham jaroor janna chaege .

Tabhi waha rudra aa jata hae.

Rudra - pranam rajkumari ji

Poonam aur shalaka - pranam

Rudra – to kaesa laga aapko mahal

Shalaka – sach me mahal to bahot sundar hae.

Rudra aaiye hum aapko aap logo ka kaksh dikhate hae is taraf. Are dev tumne rajkumari ji ko apna kaksh dikhaya ke nahi.

Dev – nahi bas wo hum to yahi ghum rahe the.

Rudra – kya yar kam se kam unhe apna kaksh to dikha de aur ha chat pe bhi ghuma dena hum tumhe chat pe hi milte hae.aaiye shalaka ji.

Shalaka bhi samajh jati hae aur rudra ke saath chali jati hae.

Idhar dev poonam ko apne kamre me le aata hae.

Dev – poonam ye hae hamara kaksh

Poonam – hamara?

Dev –agar tum chaho to ye hamara bhi ho sakta hae. aur agar na chaho to …….

Poonam aage bad ke dev ke hotho pe hath rakh deti hae

Poonam - aesa kabhi mat sochan dev kyu ke aap ke alava to mae kuch chah hi nahi sakti ab.

Dev – poonam ka hath chum leta hae to poonam Sharma ke haath dev ke hotho se hata leti hae.

Poonam – kya karte ho dev?

Dev- poonam hamne aapka bahot intjar kiya hae. aura b jab aap mere samne hae to ye judai sahan nahi hoti na ye doori

Poonam - is waqt mae aap ke saath akeli aap ke hi kamre me khadi hu. Doori hae kaha?

Dev – ha aap hamare kamre me hae lekin fir bhi jo doori hae wo sahan nahi hoti ye bahe to ab bhi khali hae na poonam

Poonam - to aapko kisi ki ijajat ka intjar hae kya?

Itna sunte hi dev lapak kar poonam ko apni baho me bhar leta hae aur kas ke apne seene se laga leta hae.

Poona bhi dev ki baho me aa kar ek thandi saans bharti hae. oooooooooohhhh dev is lamhe ka maine kitna intjar kiya aap ko bata nahi sakti

Dev – ha poonam mae samajh sakta hu kyu ki judai ki isi aag me mae bhi jala hu na.

Dev thoda poonam ko door karta hae dono ek dusre ki aankho me dekhte hae aur is baar poonam dev ko baho me bhar leti hae. dono ke man me vasna kahi nahi thi bas Milan ke in palo ko wo mahsus kar ke khush ho rahe the. Thodi der ke baad poonam dev ke seene se lagi hui.

Poonam – dev ab chhodiye na kisi ne hame aap ke saath is tarah dekh liya to badi badnami hogi.

Dev – aap hamari jaan hae poonam aur aapki badnami karne wala is duniya me paida nahi hua. Yakeen rakhiye

Poonam – aap par to ab khud se bhi jyada yakeen hae dev par ab chaliye upar rudra aur shalaka hamara intjar kar rahe hoge.

Fir dev aur poonam upar aa jate hae jaha rudra aur shalaka khade baate kar rahe the aur hans bhi rahe the.

Rudra – aa gaye aap hame to laga hame hi neeche aana padega shayad poonam ji ko chat se jyada kamra dekhna achcha laga kyu poonam ji?

Poonam – aesi baat nahi hum to bato me kho se gaye the.

Rudra – ji ha shayad aapki baate kuch jyada hi lambi chal nikli.

Poonam – rudra aap bhi ab tak akele hae?

Rudra - nahi rajkumari abhi mae shalaka ji se wahi bata raha tha. Mae ek ladki se prem karta hu. Uska naam hae nilam.

Pooanam - are wah ye to badi khushi ki baat hae fir use bataya ke nahi?

Rudra are maene to kab ka bata diya hae. aur wo shadi bhi karne ko taiyar hae par maene socha hae dev aur mae ek saath ek hi mandap me shadi karege.

Shalaka – lekin agar rajkumar dev abhi filhal shadi na karna chahe to?

Rudra - are aese kaese nahi karega? Aur ise na karni ho to na kare mae to mandap lagwa ke iski bhi karwa duga kyu ki mujhe to karni hae na yar. sab hans padte hae.

Poonam – rudra aap se mil ke bahot achcha laga. Ab aap hame nilam se kab milwa rahe hae?

Rudra – kal hi milwa dege. Use bhi aap ke aane ka samachar mil chukka hae aur wo bhi aap logo se milna chahti hae.

Poonam - fir to kal hum Neelam se jaroor milege.

Dev – ab chale neeche sab log intjar kar rahe hoge.

Rudra - ha ha chalte hae yuvraj dev singh ji lekin jo poonam ji se aap neeche baato me kho gaye the us ke nishan to mita dijiye.

Dev – matlab?

Rudra - are yaar rajkumari ka jhumka tumhare kandhe pe fansa hua hae. wo de do ab inhe. Jab jayegi to le lena dekhne ke liye.

Itna sun kar jaha dev aur shalaka hasne lagte hae wahi poonam ka chehra Sharma se lal ho jata hae.

Dev – tu bhi na kuch bhi kahta hae ye to bas yu hi ( dev turant wo jhumka apne kandhe pe lage kapde me se nikal ke poonam ko de deta hae.)

Fir sab neeche chale jate hae. aur sab ke sath baeth jate hae. uske baad kuch khas nahi hota rat ke khan eke baad sab log aaram karte hae
 
Top