• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy इच्छाधारी देव

ramumargaya

Member
360
449
78
UPDATE – 27


Wahi PN ki ankho me bhi aasu the aur wo bhi in do pyar karne walo ki mout ko sah nahi paya . aur turant waha se uthkar apne ghar aa gaya.

Tabhi joro ki bijli kadkadane ki awaz aati hae aur tej barish hone lagti hae.

Udhar mandir me rudra ko ek jhatka lagta hae aur use bahot tej chakkar aa jata hae

Rudra – deeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeevvv

Sab log chonk kar use dekhne lagte hae unhe kuch samajh me nahi aata ke kya hua. Rudra bahot tej rone lagta hae.

Nilam – kya hua rudra ?

Rudra – nilam mujhe abhi tilism nagri jana hae isi waqt. Mujhe kuch bahot bure ki ashanka ho rahi hae mera dev khatre me hae nilam mere bhai ko meri jarurat hae. mae ja raha hu tum yaha sab ka khayal rakhna .

Nilam – nahi rudra nahi jo galti tumne ki dev ko akele jane de kar. Wahi galti mae nahi dohraugi. Tum pachhta rahe ho na dev ko akele jane diya

Rudra – ha nilam mujhe us ke saath jana chahiye tha.

Nilam – mae pachtana nahi chahti rudra isiliye mae bhi tumhare saath jaugi.

Dono apne maa bap ke paas aate hae

Rudra – maa babu ji mujhe jana hae abhi tilism nagri. Mujhe bahot ghabrahat ho rahi hae mere dev ko meri jarurat hae wo khatre me hae .

Rudra ke pita – aesi baat hae to jao bachcho hum tumhe nahi rokege apna khayal rakhna

Fir dono un sab se vida le kar ghode pe nikal padte hae. aaj unki rafter hawa se bhi tej thi. Jaha wo din bhar ka safar tha rudra aur nilam ne us safar ko matra 3 ghante me poora kiya aur tilism nagri pahuche. Waha ki halat data rahi thi ke ek bhayanak toofan is nagri se kuch hi samay pahle gujra hae. jisme sab kuch tabah ho chukka hae .

Rudra aur nilam teji se raj mahal pahuchte hae to wha samne safed kapde me lipti hui dev aur poonam ki lashe samne padi thi. Aur unhe le jane ki taiyari chal rahi thi.

Rudra – deeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeevvvvvvvv mere bhaiiiiiiiiii nahii ye nahi ho sakta uth ja dev ye kaese so raha hae tu

Uski halat is samay paglo jaesi ho gayi thi. Wo jor jor se dev ko pakad ke hilane lagta hae wahi nilam bhi dev aur poonam ke pas aa jati hae aur poonam se lipat ke rone lagti hae.

Kisi tarah badi mushkil se maharaj bhairav singh rudra ko sambhalte hae

Rudra – maharaj kis ki itni himmat hui ki mere dev ko mujhse chhen liya. Kaun ho wo neech

BS – rudra beta, wo jo koi bhi tha dev ne use khatam kar diya hae. aur dev ke aakhri shabd yahi the ke tu pareshan mat hona maene badla le liya hae. use pata tha tu poori duniya ko aag laga dega. Is liye usne tujhe shant rahne ke liye hi kaha hae aur tere liye apna ye hath ka kada diya hae.

Rudra wo kada le kar chum leta hae aur use apne hath me pahan leta hae. use pahante hi rudra aankhe band akrta hae to use shuru se lekar aakhri tak sab najar aa jata hae. aur wo foot foot ke rone lagta hae.

Idhar pashupatinath apne ghar me bhari dil ke saath baetha tha. Use to khush hona chahiye tha. Lekin uski aankho se aansu band hi nahi ho rahe the wo bas roye ja raha tha. Tabhi uske guru waha aate hae

G – badhai ho pashupatinath tum kamyab hue. Jao aur jakar singhasan le le.

PN – nahi guruvar aap to mujhe yu taane mat dijiye mae pachta raha hu

G – pachta rahe ho? Hame ulta path pada rahe ho Pashupatinath

PN – nahi guruvar mae to bas singhasan chahta tha ha us ke liye sumant dev mara jaata to mujhe abhi itna bura nahi lagta par sirf sumant dev .lekin yaha to lasho ke ambar lag gaye guruvar bhala itni lasho se bane singhasan par mae kaese baeth sakta hu………….

…………..aur sabse bhayanak baat dev aur poonam ka bichchadna do pyar karne wale meri wajah se mout ki nind so gaye. Ye kya ho gaya guruvar

……….. aap to saksham hae rok sakte the na fir aapne kyu aesa ho jane diya?boliye guruvar

G – ha mae rok sakta tha isiliye maene roka bhi lekin kya tumne meri baat mani ? nahi tum us waqt taqat ke nashe me choor ho chuke the. Tumne meri bat ko ansuna kar diya aur ye sab hua tumahri wajah se. mae tumhe shrap deta hu pashupatinath ke tumahri wajah se do premiyo ki mout hui hae aur unki aatmaye bhatak rahi hae waese hi tum bhi bhatkate rahoge sadiya beet jaayegi lekin na to tumhe shanti milegi na hi mout. Ab tum is shareer ka bojh uthakar akele bhatakte rahoge. Anantkaal tak.

Itna kah kar uska guru waha se chala gaya.

PN – nahi guru dev mujhe kshama kar dijiye . mae ye sab nahi chahta tha maene unki mout ki kamna nahi ki thi

Gurudev mujhe baksh de mujhe aesa shrap ne de mae aapke hi sahare hu. Mujhe kshama kar de guruvar

Pashupatinath rota raha bahot der tak apne guru se maafi mangta raha. Aakhir uske guru ko wapas aana pada.


G – PN tumhara apradh kshama yogya nahi hae.

PN – gurvar mae manta hu mujhse ghor paap hua hae kintu aap to antaryami hae. aap hi sochiye kya meri aesi mansha thi?

Kya maene dev aur poonam ki mout chahi thi?

Kya maene itne logo ki mout chahi thi?

Nahi gurudev mae ye sab nahi chahta tha. Mae pachta raha hu. Jo maene singhasan ka lalch kiya aur ab jaan bhi gaya hu ke ishwar jise jo deta hae use utne me hi khush rahna chahiye. Jyada ka lalch burai ko janam deta hae paap ko janam deta hae. aap mujhe kshama nahi karna chahte to mat kijiye lekin ab ye paap se bhara jeevan mae nahi jee pauga mujhe bhi mout hi de dijiye.

G- pashupatinath tum ache se jante ho ke mae siddh yogi hu. mera diya hua shrap khali nahi ja sakta ab tumhe mujhse mout to nahi mil sakti. Ha lekin mae tumahri saja ko kam jaroor kar sakta hu. Lekin us ke liye tumhe kathor tap karna hoga apne tapobal se tumhe dev aur poonam ki bhatakti hui aatmao ko khojna hoga wo jaha bhi hae saath hi hae. unhe khojne ke baad tumhe dev ki aatma ko shaktiya ekatrit karne ke liye sadhna me baethana hoga poonam ki aatma bhi saathi hi rahegi jisse wo majboot ban sake. Sahi waqt aane par unhe naya janam milega aur jab unka punarjanam ho to dono ke balig hone tak tumhe intjar karna hoga aur fir tumhe pahle dev ko taiyar karna hoga ke wo apni shaktiya jagaye jab wo taiyar ho jaye to usi ke dwara poonam ko sab yad dilana hoga aur fir yaha tilism nagri me unhe wapas lakar sabse mila dena jo tumhari wajah se bichhade hae un he ek kar do ishwar tum par krapa karege.ho sakta hae usme ek sadi lage ya usse bhi adhik par tumhe apna tap tab tak karna hoga.

Itna sab kah kar guru ji gayab ho jate hae……

……….pashupatinath - dhanyawad guruvar aapne mujh jaese papi par daya ki hae . mae intjar karuga mae intjar karuga dev aur poonam ke wapas aane ka unhe mila ke rahuga mae gurudev.……………………

………………itna kah kar fakeer baba chup ho jate hae aur sab ke chehre dekhne lagte hae.

FB - dev ab ye batane ki jarurat nahi ke wo neech paapi jis ki wajah se ye sab hua wo pashupatinath koi aur nahi balki mae hi hu.

Waha moujud sab unhe dekhne lagte hae. unki ankho me aasu the.

FB – dev poonam mujhe maaf kar do bachcho mae swarth me andha ho gaya tha.

Dev – nahi baba ye to niyati thi jo aapke dwara poori hui aap to maatr ek saadhan the. Lekin ye bhi sach hae ki aaj agar hum sab ek hae to us ke peeche aapki sadiyo ki mehnat hae. usi ki vajah se aaj hum sab ek ho chuke hae. aapne apna prayshchit poora kiya baba. Lekin abhi aapko hame saath dena hae. mae aapko jaane nahi duga.

FB – jaesa tum kaho dev

Dev – baba mera wo pagal dost kaha hae rudra. Wo kahi najar nahi aa raha hae.

FB - dev rudra yaha nahi hae. wo…..wo……..

Bhai ab kuchh sex scenes de do. Kafi story flash back me ho chuki hai.


All the best?
 

Boby

Well-Known Member
2,720
12,965
159
UPDATE - 28



Dev – baba aapki jaban kyu ladkhada rahi hae wo thik to hea na? aap bolte kyu nahi kaha hae mera bhai?

FB– dev wo bilkul thik hae. lekin ……………….

Dev – lekin kya baba agar wo thik hae to kaha hae?

FB – prithvi lok me

Dev – kya prithvi pe? Lekin kyu ? Kaha?

FB - jis din wo hadsa hua tha us din use sambhalna sab ke liye behad mushkil ho gaya tha, kintu tumahre diye hue kangan ki wajah se use sab pata chala aur wo shant ho gaya, lekin samasya to waha bhi ho gayi. Kyuki wo khud hi nahi balki us ke saath nilam bhi shant ho gayi. tumahre antim sanskar ke baad rudra aur nilam ek dam gumsum ho gaye. Yaha tak ki wo ek duje se bhi baat nahi karte the na hi milte the.

……. Ye baat mujhe mere guru se pata chali aur unhi ki aagya se mae ek raat nilam ke paas pahucha us waqt bhi wo bas khoi khoi najro se shoonya me dekh rahi thi aur uski aankho se aansu bahe ja rahe the.

FB – nilam………..nilam…………..

Achanak nilam ki tandra tooti aur usne samne dekha

Nilam – aap kaun hae baba?

FB - sab bata duga nilam lekin pahle mere saath aao hame abhi rudra ke pas jana hae.

Fir FB aur nilam rudra ke paas aate hae. is beech na nilam ne kuch kaha na fakeer baba ne

Dono jab Rudra ke ghar pahuche to wo apne ghar ke bahar hi baetha hua tha ek dam udas aur gum sum

Nilam ne jakar rudra ko kandhe se pakad ke hilaya to rudra hosh me aaya

Rudra - are nilam tum yaha is waqt ? kya hua?

Nilam ne Pashupatinath ki taraf ishara kar diya

Rudra - pranam baba

PN - ayushman raho vats

Rudra – aapka is samay aane ka kya karan hae baba

PN – rudra mae jo kahne wala hu use poore dhyan se sunna. ye jo kuch bhi hua us sab ke peeche mera hi swarth tha dekha jaye to is sab ka karan mae hi hu.

Rudra - ye aap kya kah rahe hae?

PN - mae sach kah raha hu.

Rudra – nahi krapya apne shabd wapas le lijiye varna kahi aesa na ho ke mae apna sanyam kho kar koi galti kar baethu mujh par kisi siddh purush ki hatya ka kalank na lag jaye.

PN – ye sambhav hae hi nahi rudra. Isiliye maene kaha ke pahle meri poori baat ko sun lo. fir jo chaho kar lena kintu usse pahle nahi.

Rudra – thik hae baba aap kahiye mae sunuga.

PN – ye sab bahot pahle shuru hua mere man ki lalch ki wajah se tilism nagri ke singhasan ki lalach kintu mujhe apna sapna poora karne ka koi jariya nahi mil raha tha fir ek din mujhe ek mantrik mila aur mae ja kar use mila…………………………………..

PN use poori baat bata deta hae. jise sun kar rudra ek baar fir jor jor se rone lagta hae.

Rudra - ab aap mujhse kya chahte hae?

PN - mujhe mere guru ka aadesh hae bas wahi tumhe batane aaya hu. Lekin usse pahle mae tum dono se kuch janna chahta hu.

Rudra - poochiye

PN – tumne kaha tha ke tum dono apna grahasth jivan tabhi shuru karoge jab dev aur poonam ka shuru hoga. To ab wo is sansar me hae hi nahi kya ab tum apna grahasth jeevan shuru karna chahoge?

Rudra – babaaaaaaaaaaaaaa…………..

……………ye baat yadi kisi aur ne kahi hoti to wo dusri saans lene ke liye jeevit nahi rahta. Mera dev mara nahi hae. wo laut ke aayega. Wo khud bhi kah kar gaya hae. aur abhi aapne hi kaha ke aap use dhundhkar apne pas rakhege aur sahi waqt par use yaha layege to wo mara kaese hae? ha wo hum sab se door jaroor chala gaya hae. isliye ye to sambhav hi nahi ke bina us ke mae sirf apne Vishay me ya apni khushiyo ke Vishay me soch bhi loo. mae apni pratigya jaroor poori karuga. Us ke bina mae vivah nahi karuga . aur agar is intjar me mae mar bhi jau to mujhe parwah nahi.

PN – nilam tumahra kya vichar hae. rudra to vivah dev ke bina karega nahi. To kya tum kisi aur se vivah kar ke apna jeevan bitana chahti ho?

Nilam ek feeki si muskan de kar - baba mera vivah to rudra se usi din ho gaya tha jis din mae pahli baar isse bholenath ke mandir me mili. hamara rishta bholenath ke mandir me tay hua tha. Ab kisi aur se vivah ka sochna bhi mere liye sambhav nahi . mae hamesha rudra ki hi rahugi chahe hamara tan mile ya na mile mujhe bhi koi parwah nahi chahe mujhe kitna bhi intjar karna pade mae karugi.

PN – jeete raho mere bachcho. Mujhe tum dono se yahi ummid thi.

………. Ab suno rudra. Jab dev yaha aayega. Tab tak yu to wo khud behad shaktishali ho chuka hoga. Lekin fir bhi ek cheez hae jo use tum dono hi de sakte ho kyu ki yadi dev wo cheez pana chahe to use dugna samay lag jayega .

Rudra – nahi baba hum nahi chahege ke dev ko samay jyada lage pahle hi aapne kaha ke use bahot samay lagne wala hae. fir kisi aur cheez ko pane ke liye utna hi samay aur lagega to ye uchit nahi. Mujhe bataiye mae use jaldi lane ke liye kya kar sakta hu.

PN – wahi jo ab tak tum dono dost karte aaye ek duje ki sahayta. Jaese dushman adhik hone pe tum dono aadhe aadhe baat lete the aur unhe nipta dete the. Thik waese hi is samay chakr ko bhi tum us ke saath baat sakte ho yadi us ke hisse ka aadha kam tum kar do to use samay aadha lagega. Ho sakta hae jab tum us cheez tak pahucho tab tak dev bhi aa jaye aur fir tumhe wahi aa kar madad karega use pane me.

Rudra – baba khul kar bataiye aap kahna kya chahte hae?

PN – tumhe aur nilam ko bhi wahi tapasya karni hogi jo mae karuga , jo dev aur poonam karege. Meri tapasya se mae tum sab ki madad karuga, dev apne tap se shaktiya hasil karega, poonam apne tap se khud ko tilismi shaktiya aur dev ki shaktiya sambhalne ke liye majbut karegi, tum aur nilam apne tap se ICHCHADHARI banoge aur fir sahi waqt aane par dev aur poonam ke saath mil kar us SWARN MANI ko hasil karoge. Jiski sahayta se tum bhavishya me aane wale apne dushmano ka naash bhi kar paoge aur us mantrik se badla bhi le paoge kyu ki wo ab tak jinda hae aur is waqt wo bhi apni shaktiya hasil karne ke liye tapasya kar raha hae. yadi wo safal hua to us mani ko hasil kar ke na sirf wo amar ho jayega balki is baar wo dev ko hamesha hamesha ke liye samapt kar dega.

Rudra – us mantrik ko to mae maruga baba use kuchal ke rakh duga jisne is baar mere dev ki jaan li mujhe mere dev se juda kiya. Mae taiyar hu baba.

PN – uske liye tumhe aur nilam ko bhi apna shreer tyagna padega, kyu ki jo siddhi dev, poonam, aur wo mantrik hasil karege wo shareer ke sath pana mumkin hi nahi.

Rudra - bas itni si baat? apne dev ke liye mae khushi khushi apne pran tyag sakta hu ye shreer chhod sakta hu.

FB - tum dono kyu ki apni marji se shareer chhodoge isiliye mae tum dono ke shareer surakshit rakhuga jab tumhari tapasya sampoorn hogi tum dono ko apne apne shareer me wapas bhej duga. isse tum dono ki aayu bhi yahi se shuru hogi aur tum dono ke jism bhi budhe nahi hoge., lekin ek baat ka dhyan rakhna rudra tumhe aur nilam ko hamesha saath rahna hae tum dono hi ichchadhari nag nagin ban jaoge tab tum kahi bhi ja sakoge kisi ka bhi roop le sakoge, tum se bada shaktishali naag ya nagin poore sansar me koi nahi hoga, tum jo ichcha karoge wo poori hogi. Lekin jab tak tum dono ka vivah na ho jaye tum dono ka Milan nahi ho payega . aur yadi tumhara Milan ho gaya. To tumhare SAMBHOG karte hi. Tum dono fir se sadharan nag nagin ban jaoge aur is nag lok me wapas aa jaoge. Tum dono ki sari mehnat vifal ho jayegi. Ha kintu yadi tum chaho to kisi anya stri ke saath sambhog kar sakte ho. Nilam ke alava.

Rudra – aesa nahi hoga baba. Mera vivah dev ke bina nahi hoga aur vivah se pahle nilam ke saath ya kisi anya ke saath mera sambandh bhi nahi hoga.

PN - thik hae ab tum dono kisi gupt sthan pe chale jao aur apni tapasya isi waqt se shuru kar do. sadhna me baetht hi tumahre pran is shareer se nikal jayege aur mae ye shareer surakshit kar duga. Ishwar tumhe safal banaye.

Present time………………

Us ke baaad rudra aur nilam bhi apni tapasya me leen ho gaye. Sab koi apni apni jagah pe jam gaya tha. Aur kamoshi se sab bhavishya me hone wale mahasangram ki taiyariyo me jut gaye the. Wo waqt aur jagah kaun si hogi koi nahi janta tha par sab apni apni taraf se taiyariyo me jut gaye the. Us yuddh ke liye jo abhi kshitij ke us paar tha.

Dev – baba itni der me aapne ye pahli achhi khabar sunai hae. bas itna aur bata de ke mera dost mera bhai kaha hae . aankhe taras gayi hae use dekhne ke liye.

PN – jaese ke maeen bataya ke nilam aur rudra bhi tapasya me leen ho gaye the. To ab unki bhi tapasya poori ho chuki hae aur wo dono h ichhadhari naag nagin ban chuke hae. unhone sach me apna vada nibhaya hae dev, itne varsho tak apni mangetar ke saath akele bitane ke bavjood rudra ne kabhi apni seema paar nahi ki. Usi wajah se aaj na sirf rudra balki nilam bhi sono hi behad shaktishali ban chuke hae. wo tumare gaanv ke bahot najdeek pahuch chuke hae. lekin tum use abhi mat milna kyu ki us mantrik jo ab ek aghori ban chuka hae. us ki najar swarn mani ko hasil karne ke liye hi Nilam pe lagi hui hae. wo rudra ko pakad kar marna chahta hae aur nilam ke saath sambhog kar ke swarn mani hasil karna chahta hae. kyu ki yadi us aghori ne nilam ke saath pratham sambhog kar liya to use bina kisi mehnat ke rudra se bhi badi shaktiya hasil hop jayegi jo ke is waqt nilam ki hae.

Dev krodh me – kaha hae wo aghori baba?

FB – aavesh me mat aao putra ab har kadam soch samajh ke rakhna hae tumhe. Jab tak rudra tumhare gaanv nahi pahuch jata tab tak tumhe bhi uske paas nahi jana hae varna us aghori ko pata chal jayega ke tum aa gaye ho. …………

Dev – to usse kya farak pad jayega baba

FB - use ye pata chalte hi wo rudra aur nilam ko khatam kar dega aur tumhe bhi fir swarn mani hasil nahi hogi. jiski sahayta se us dusht aghori ka nash sambhav hae.

Deva – lekin baba kahi wo rudra ko kuch kar na de.

FB – rudra to pahle se ek mahan yodha hae aur ab to sekdo salo ki tapasya se aur bhi shaktishali ho chuka hae. aur ye mat bhulo ki us ke saath nilam bhi hae. uska ahit itna asan nahi, use marna itna aasan nahi hoga aghori ke liye isse wo swarn mani kho sakta hae. isiliye wo bhi isi intjar me hae jab rudra tumahre gaanv ke jungle ke kareeb aaye to wo use khatam kar sake.

Dev – aesa nahi hoga baba ab to aesa bilkul nahi hoga. “Because I am back bahanchod.”

Sabhi ek saath - kya?????????

Dev – k..k..k..kuch nahi mae ye kah raha tha mae aesa hone nahi duga.

Man me … abe kya bol diya sala ye English kaha se nikal gayi mere mooh se wo bhi tilism lok me.

Idhar rudra aur nilam apni masti me aaram se chale ja rahe the unhe jaldi pahuchna bhi nahi tha kyu ke jis samay unhe us jungle me jana tha wo samay abhi door tha.

Rudra – kya nilam thak to nahi gayi ho?

Nilam – nahi rudra hum thake nahi hae. lekin hame yaha jana hae ye tumhe kaese pata chala?

Rudra – nilam jab hum log tapasya me leen the tab PN mere pas aaye the aur unhone meri aatma ko mer shareer me wapas daal diya aur fir……………

PN - rudra …………… utho putra tumahri sadhna aaj poori hui

Rudra dheere se aankh khol kar dekhta hae.

Rudra – pranam baba

PN – ayushman bhav putra. Aaj mae fir tumhare paas apne guru ki aagya se aaya hu vats

Rudra - baba kshama chahta hu kintu aap pahle meri utsukta ko shant kijiye.

PN muskrate hue – achcha thik hae pooch?

Rudra - baba mera dev kaha hae, poonam kaha hae?

PN – wo bhi apni tapasya poori kar chuke hae aur unhone to kai saal pahle punarjanam bhi le liya hae.

Rudra – sach baba abhi kaha hae wo? kya wo nag lok me hae ? kya mae unse mil sakta hu?

PN – nahi putra abhi wo waqt nahi aaya kintu jald hi wo wqt aayega jab tum aur dev fir se mil jaoge kintu……

Rudra – kintu kya baba?

Usse pahle tumhe ek karya karna hae

Rudra – aadesh de baba

PN – tumhari aur nilam ki tapasya ka samay poora ho chuka hae aur tum dono poori tarah se ichchadhari ban chuke ho. Aur tum dono ke andar itni shaktiya aa chuki hae ke tum har buri taqat ka samne kar sakte ho.

Rudra – ye sab aapki krapa hae baba

PN - Ab jyada waqt nahi bacha hae. tum dono turant hi prathvi lok me chandan pur namak jagah jao waha se paedal hi tumhe SURYAGARH ke jungle me jana hae aur wahi jakar tumhe aage ka marg milega aur sambhavtah tumhari mukat dev aur poonam se bhi hogi. Fir tum sab ko ek saath tilism lok aana hoga. Pahle itna rasta paar kar lo fir aage ki baate hum tilism nagri me karege. Kintu isme bahot khatra hae. sawdhani behad jaroori hae. isliye tumhe aur nilam ko jungle me pahuchne tak sawdhan rahna hoga, tum dono apni kisi bhi shakti ka upyog us jungle ko paar karne se pahle nahi karoge na apni suvidha ke liye na hi kisi ladai jhagde ke liye aur dhyan rahe tumhe us jungle me us din pahuchna hae jis din poonam ki raat ho usse pahle nahi jab tum jungle tak pahuchoge to aage ka marg swayam hi milta chala jayega. aur wo jo maene khud par sanyam rakhne ki baat kahi thi use avashya yaad rakhna. kyu ke ab tak tum aur nilam bina shareer ke the ab tumhe tumhara shareer wapas mil gaya hae aur abhi tak tum dono ka vivah nahi hua to vivah tak khud par sanyam rakhna. mae bhi nahi chahta kuchh kshan ki khushi ke bhakave me aakar tum apni itni badi aur salo ki mehnat par pani fer lo.

Rudra – ji baba mae dhyan rakhuga, baba mae dev se kab miluga?

PN – isshwar behtar jante hae putra kya pata isi safar me tumhe dev mil jaye. Ya ye bhi ho sakta hae ke safar ki samapti pe hi mile. Us ishwar ki maya kisi ko nahi pata hoti. maene nilam ki aatma bhi uske shareer me dal di hae use uthao wo jaag jayegi. Ab tum dono prasthan karo.

Present time...........

Rudra - bas fir maene tumhe bhi sadhna se jagaya aur hum yaha ke liye nikal pade lekin. Baba ne pahuchne ka samay bhi nishchit bataya hae varna hum turant waha pahuch jate aur ye bhi kaha ke paedal jana hae apni kisi shakti ka bhi upyog nahi karna hae raste me, na apni suvidha ke liye na hi kisi ladai jhagde ke liye. sabse badi baat tumhare sath rahte hue door rahna hae ab dekho is katil jawani se mae khud ko kaese bachau ji to chahta hae tumhe abhi yahi lita ke ........

Nilam - A........ ye mujhe apne neeche litane ka sochna bhi nahi varna bhulo mat dev bhaiya milne hi wale hae aapne mujhe litaya to dev bhaiya aapko khade rahne layak nahi chhodege ab chhodo ye letne litane ki baat aur aap chinta kyu karte hae ? Hum bina koi divya shakti istemal kiye bhi sab pe bhari padege . lekin bhagwan na kare ki koi aesa mouka abhi aaye.

Rudra – ha sahi kaha chalo dekhte hae aage kya hota hae. uff teri ye jawani mujhe to bholenath hi bachaye ab .......
 
Last edited:
Top