• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy इच्छाधारी देव

Sabhi91

Active Member
1,393
3,953
159
UPDATE - 22



Dusre din raj sabha me.

Kulguru- dev aapko ek karya karna hae aap aur rudra mere saath aaiye.

Rudra aur dev dono uth kar KG ke pass chale jate hae jo unhe ekant me le jata hae.

KG - dev aap ko kal yaha se shiromani parvat par jana hae aur kuch jadi butiya lani hae. jinhe keval aap dono hi la sakte hae. wo jadi butiya 100 varsho me ek baar nikalti hae jis ke kuchh pattiyo ke sevan se poora rajgharana swastha jawan jeeta hae aur balwan rahta hae. aur javan rahta hae. yadi use kisi lagbhag mrat jeev ke mooh me bhi daal do to wo uske prabhav se turan swasth ho jata hae aur pahle se adhik shaktishali ho jata hae. aap dono kal hi chale jaye pratah kaal.

Dev – ji kulguru hum chale jayege kintu uski pahchan?

KG – us me ek adbhut roshni footti hea aur uski mahak hi tumhe apni taraf khinch legi. Shiromani parvat pe pahuch kar tum dono uttar disha me jana tumhe khud hi pata chal jayega.

Dev – jo aagya guruwar

Fir rudra aur dev KG ko pranam kar ke nikal jate hae.

Idhar mantrik aur pushpaknath baethe baate kar rahe the.

Mantrik – pushpak nath jashn manane ka din najdeek aa raha hae bas kisi tarah kal ka din nikal jaye parso ka din shubh hae. parso hi hum apna hamla karege meri mayavi sena taiyar hae aur mujhe apni siddhi se ye talware bhi prapt ho chuki hae jo ki abhimantrit hae is raja ko to meri mayavi sena hi nipta degi na nipta payi to is abhimantrit talwar ke war se mae raja sumantdev ko mout ki nind sula duga. Aur fir hamar spna poora hoga.

Pushpaknath – lekin koi rukawat to nahi aayegi?

Mantrik pahali baat to koi rukawat aayegi nahi aur agar aa bhi gayi to meri mayavi sena ke aage nahi tikegi aur fir bhi koi badi dikkat hui to mae is abhimantirit talwar ke war se us rukawat ko bhi door kar duga. Tum nishchint raho.

Idhar naye din ka surya uday hote hi dev aur rudra apne ghodo par nikal padte hae shiromani parvat ki or abhi wo kuch hi aage gaye the ki rudra ka ghoda ruk jata hae. kyu ke use samne se nilam aati hui najar aa jati hae dev use dekh kar muskra deta hae.

pass aa kar nilam- are wah aaj to aap dono ek dam saj dhaj ke nikle hae. kaha ja rahe hae?

Rudra – nilam hum kisi kaam se ja rahe hae. shiromani parvat pe. Tum bhi chalogi?

Nilam - mae bhala waha ja ke kya karugi?

Dev rudra ko chidate hue – ha ha tum hi chali jao nilam kyu ki rudra mujhe bhi yu hi le ja raha hae mera koi kaam nahi waha ise to bas awaro ki tarah ghumna aata hae. koi kam dham to karta nahi.

Nilam samajh jati hae dev ki majak aur – kya aap awaro ki tarah ghumte hae mae to samjhi thi ke aap dono koi mahan yodha hae. par aap to awar nikle.

Rudra – kya bakta hae be?

Dev – achcha mae bak raha hu ?

Rudra - nilam tum iski bato me mat aao. Hum kam se hi ja rahe hae. kal tak aa jayege.tum jao apne ghar iska to dimag hi kharab hae ladki dekhi nahi ke bak bak chalu.

Nilam – mae janti hu ye yaha ke yuraj hae. awara ki tarah nahi ghum sakte . aur aap in ke saath hae iska matlab aap bhi poori nagri me shresht hi hae. mae to majak kar rahi thi. Acha ab aap jaiye. Mae bhi chalti hu.

Rudra ghode se niche utar kar – suno nilam

Nilam – kya hua?

Rudra - wo kya tum kal mujhe sham ko shiv mandir pe mil sakti ho?

Nilam – kyu ?

Rudra - had hae yaar sab abhi bata duga to kal milne ka kya fayda? Tum milogi ya nahi

Nilam – abhi to jao kal dekhugi samay mila to aaugi” aur wo mud kar jane lagti hae

Rudra bhi apne ghode par sawar ho kar aage badta hae to peeche se

Nilam – mae intjar karugi tumhara rudra

Rudra ki khushi ka thikana nahi rahta wo peeche mudkar dekhta hae to nilam hasti hui bhag jati hae. fir ye dono bhi aage nikal jate hae.

Dev – badhai ho rudra tune to mujhe bhabhi de di yar

Rudra - are teri bhabhi wo abhi hui nahi he.

Dev – abe jahndus kami kya rah gayi ab?

Rudra – nahi yar ladkiyo ka bharosa nahi hae. kal usne mana kar diya to?

Dev- tu bewkoof hi rahega abe agar mana karna hota to ye kyu kahti ke intjar karegi. Tu chinta mat kar dekhna ladk hi hoga.

Rudra – kya matlab ladka hi hoga?

Dev – abe mera matlab ha hi kahegi , khushkhabri hi milegi . gadha hae tu bhi pahle darje ka. Kuch samajhta hi nahi. Chal aage.

Rudra bhi khushi khushi chalne lagta hae. aur poore din bhar ka safar tay karne ke baad wo log jab shiromani parvat pe pahuchte hae to raat hone lagi thi.

Rudra - abe ye to raat ho gayi yar ab kya karege?

Dev – chinta mat kar yahi kahi apna mahal banayege pahle wo jadi buti lelete hae aaja.

Fir dev aur rudra uttar disha ki taraf badne lagte hae andhera to tha lekin chandni raat ka samay tha unhe itni bhi dikkat nahi aa rahi thi. Jab andhera Ghana hone laga to rudra ne apne ghode ke saath bandha hua mashal ka saman nikala aur mashal jala li kyu ke ab waha ped ghane ho gaye the to chand ki roshni paryapt nahi thi. Sunsaan parvat pe wo log kareeb 2 ghante paedal chalte rahe tabhi dev ko ek manmohak khushboo aane lagi.

Dev – lagta hae buti isi taraf hae kyu ki aage se khushboo aa rahi hae. chal rudra

Fir wo log teji se aage badne lagte hae to thodi door jakar unhe waha us jadi buti ke darshan ho hi jate hae. dev paas jakar us buti ka ek patta tod kar sunghta hae to uska poora shareer jhanjhana jata hae sanso se hoti hui khushboo uske poore jism me bhar jati hae.

Dev – rudra yahi hae vo buti chal aaja.

Jaese hi wo aage badne wale hote hae Tabhi un ke thik samne ek saath kareeb 500 naag girte hae.

Jinhe dekh kar dev ko bahot krodh aata hae. aur rudra bhi apni talwar kinch leta hae to dev uska hath pakad kar use rok deta hae.

Dev – ye kya badtamiji hae? jante ho hum kaun hae?

Tabhi ek naag un ke samne insane roop me pragat hota hae. tum jo koi bhi ho hame usse koi matlab nahi tumne yaha aakar pahli galti ki hae dusri galti yaha ka patta tod kar ki teesri galti agar tumne ki hum se ulajh kar to apni jaan gava baethoge. Nikal jao yaha se.

Rudra - abe o saanp ho kar bhonkta kitna hae be.tu janta nahi hum log kaun hae sunega na to moot dega

Dev – rudraa shant rah yar tu bhi na …..

Rudra - abe mujhe nahi ise samjha tujhe bhi kya ho gaya hae.

Deva us naag se - tum log kaun ho aur yaha hame rokne ka karan?

Naag – dekho hum nag lok se yaha niyukt kiye gaye pahredar hae. waha ke kulguru ne hame yaha tainat kiya hae. ye jo jadi buti hae srf hamare maharaj aur unke pariwar ke liye hae kisi anya k liye nahi isliye nikal jao yaha se

Rudra - abe kenchue jisse baat kar raha hae uski bhi sun le sale bhonkta hi ja raha hae. use puch to le ke hum log hae kaun

Naag – achcha itna ghamand hae apni pahchan par to chalo batao kaun ho tum log?

Rudra - haaaaaaa ab fategi beta teri. Sun ye hae shoorveer, mahaveer, kai sare danavo ka ant karne wale, maha parakrami, mayavi shaktiyo ke malik naag lok ke hone wale samrat yuvraj dev singh.

Aur mae hu inka param mitra rudra.

Wo naag aur us ke saare sathi sidhe jameen pe sir rakh dete hae.

Dev -utho mitra ye kya kar rahe ho.

Naag – yuraj hame kshama kar de hamne aapko pahchana nahi isliye aesi galti kar baethe . krapya hame kshama kar de. Aur rudra aap bhi hame kshama kar de ham aap dono ko nahi jante the yaha se nikalne ka kabhi awsar mila hi nahi hum yaha se bandhe hue hae. isliye aap dono yoddhao ko nahi pahchan paye.

Dev – are are aap yu lajjit na ho aap log to bas apna karya kar rahe the aapki swami bhakti adbhut hae. ek sache sevak ke saare gun aap me hae. shayad isliye kulguru ne aap logo ko yaha rakha hae. waese mae kulguru se kah kar aap logo ki yaha ki sewa har 6 mahine me badalwa duga jisse aap bhi nagri ka sukh bhog sake.

Naag -dhanyawad yuvraj aap log aaj rat yahi vishram kijiye mae abhi sari jadi buti bandh kar aap ko de deta hu aap log kal subah jaiyega. Fir waha se thoda aage wo nag apni shaktiyo se dev aur rudra ke thaharne aur khane peene ka intjam kar deta hae aur wo dono waha ja kar khana kha kar aarm karne lagte hae. jaha rudra to nilam ke sapno me khoya tha aur kal hone wali mulakat ka soch raha tha. Wahi dev ko nind aa gayi din bhar ki thakan ki wajah se.

Dusre din pratah kaal dono uthkar taiyar hote hae. tabhi naag aata hae. yuraj aapke ghodo ke saath hi maene jadibutiya baandh di hae.

Dev – bahot bahot dhanyavad mitra. Ab hame jana hoga. Safar kafi lamba hae. hum chalte hae.

Naag - mae dhanya ho gaya yuraj aap ke darshan pa ke.

Dev aur rudra use gale lagate hae aur nikal padte hae apni nagri ki or.

Wo log parvat shikhar se badi teji se utar aaye aur ab jungle ko paar karte hue teji se aage bad rahe the. Unhe safar shuru kiye hue kareeb 3 ghante ho chuke the Ke tabhi

Dev aur rudra ko dikhai deta hae ke ek raja apne 10-12 sainiko ke saath ghira hua hae. use sena ki ek tukdi ne ghera hua hae jinke paas har tarah ke hathiyar hae. raja shayad ladai karne ke uddeshya se nahi nikla tha isiliye na to usne koi kawach pahna tha na hi us ke pas ek talwar kea lava koi hathiyar. Ha us ke sainik jaroor the par un ke pas bhi sirf ek ek talwar hi thi.

Lekin wo sabhi is waqt ghire hue. The tabhi us sena ne raja aur us ke sainiko par hamla kar diya aur unhe katne lage.

Idhar dev aur rudra ye dekh kar ek duje ko dekhte hae aur teji se apne ghode un ki taraf mod dete hae . aur waha pahuchte hi. Teji se us sena ko katne lagte hae.



Idhar koi 5 sainik raja ko gher chuke the. Aur us par war kar rahe the raja khud ko bhali bhati bacha raha tha fir bhi wo thoda jakhmi ho chukka tha. Shayad achanak hue hamle ki wajah se aur samne wali sena me sainik bhi jyada the. Raja apni shaktiyo ka istemal karta hae lekin sainiko par uska koi asar nahi ho raha tha. Wo nirantar raja ki or bad rahe the. Tabhi waha dev apni poori rafter se pahuchta hae aur sainiko ko katne lagta hae.

dev ki talwar ke aage. Koi sainik tik nahi paa raha tha. Raja gambhir roop se ghayal hua pada tha.

Udhar rudra bhi sainiko se akela lad raha tha lekin wo un sab par akela bhari tha. Idhar dev ne sare sainik maar dale aur raja ki taraf dekha aur unhe sambhalne laga raj ka sir apni god me rakhe wo unhe hosh me lane laga.

Itne me rudra bhi sab ko nipta kar aa gaya. To wo bhi dev ki sahayta karte hue raja ko uthane laga. Wo log ja hi rahe the. Ke achanak samne mantrik prakat hua.

Mantrik – ruk jao ladko tum log raja ko le kar nahi ja sakte. Ise yahi rakh do varna tum dono ki garden bhi apni talwar se kaat duga .

Rudra - are baap re mea to bahot dar raha hu. Hame baksha de hame jane de. Abe chmgada ki aulad. Tune kya hame tinka samajh rakha hae. sale gaand faad duga agar ek shabd bhi nikala to janta hae kis ke samne khada hae, beta jan jayega na to jindaagi bhar khada nahi hoga na tu na TERA. Samajah gaya.

Mantrik – dusht kaesi abhadra bhasha bol raha hae. lagam de apni jaban ko

Rudra - sale lagam hum dete hae sirf ghode ko, apne LODE aur jaban ko nahi tu hae kya be. Aur is tarah se in par hamla kyu kiya.

Dev un dono ki baat sun raha tha aur shant khada tha.

Mantrik - tujhse mae nahi meri talwar baat karegi.

Dev ne turant raja ko rudra ke hawale kiya rudra bhi raja ko lekar kinare ho gaya aur ek ped ke neeche raja ko lita diya aur dev ko dekhne laga.wo janta tha ab is lode mantrik ke din poore ho gaye kyu ki usne dev ko lalkar ke galti kar di hae.

……..mantrik ne hamla kiya to dev ne bhi apni talwar nikal ke mantrik ki talwar ka war roka. Lekin ye kya dev ki talwar ke do tukde ho gaye jise dekh kar dev chonk gaya lekin idhar rudra ka krodh satve asmna pe pahuch gaya.

Rudra – devvvvvvvvvv ………. shaktiiiiiiiiiiiiiiiii

Dev rudra ki bat samajh gaya aur turant apni aankhe band kar li aur apna hath aage kiya idhar rudra ne bhi apni aankhe band ki rudra aur dev ki mili hui shakti ke aage kuch nahi thahar sakta tha. Dev ke haath me ek chamchamati hui bahot bhari talwar prakat hui jise dekh kar mantrik ki bhi aankhe sikhud gayi kuch der ke liye to uski aankho ke aage us talwar ki chamak se sara najar hi gayab ho gaya uski aankhe chundhiya gayi.

Par mantrik ne wapas khud ko sambhala aur dev ke upar hamla kiya. Is bar uski talwar jaese hi dev ki talwar se takrai ek jor ki bijli kadki aur aur ek garjana hui.

Ek jhatka sa laga mantrik ko jisse uska poora shareeer jhanjhana gaya.

Wo sambhal kar fir aage bada aur lagatar dev pe hamle karne laga. dev abhi sirf us ke war rok raha tha.

Ke tabhi dev 10 foot upar chalang laga ke seedha talwar ka hatha mantrik ke sir pe maar deta hae mantrik ka sir phat jata hae .

jamin pe aa kar dev mantrik pe teji se war karne lagta hae war itne jyada teji se ho rahe the ke mantrik ko na talwar najar aa rahi thin a war samajh aa rahe the wo bokhla jata hae wo apni poori koshish karta hae par dev war pe war kiye jar aha tha jise mantrik badi mushkil se rok pa raha tha is beech use kai ghav lagte hae. wo to mantrik tha aur us ke haath me abhimantrit talwar varna koi aur hota to dev ki talwar ke ek hi war se khatam ho jata.

Mantrik samajh jata hae. ke galat aadmi se ulajh baetha hae. dev us par fir war karta hae to mantrik jan bujh kar ludakta hua door ho jata hae. aur fir khada ho kar.

Mantrik – mae abhi ja raha hu. Lekin tumse jald hi miluga aur tumhara kaal ban ke aayega ye mantrik yaad rakhna. Jald hi aauga mae.

Aur mantrik waha se gayab ho kar bhag jata hae.

Rudra turant dev ke pas aa jata hae.

Rudra – kaun tha ye madarchod. Bahot lambi lambi fenk raha tha kaal ban ke aayega. Sale ki kali gaand hi maar luga agli baar aaya to. Waese bhi bahot din ho gaye kisi ki gaand nahi maari maene. Har bar tu mujhe kinare kar deta hae.

Dev – rudra mere yaar jab tak mae hu tujhe kisi ke aage aane ki jarurat nahi tu mere liiye keemti hae. tujhe kaese samne kar ke mae kinare ho jau.

Rudra – bas kar pagle rulayega kya? Tu hamesha mujhe kinare karta hae na. lekin agar tujhe kuch ho gaya to janta hae kya hoga?

Dev – achche se janta hu. Tu poora ravan hae. mujhe jis din kuch hua us din tu sab kuch bhul kar uske khoon ka pyasa ho jayega jab tak mujhe chot karne wale ke shareer me ek boond bhi khoon ki hogi tu use marta rahega. Wo mout mangega par tu itna kameena hae use marne bhi nahi dega.

Rudra - are waah tu to sab janta hae.
Superb sir jeee......
Dev ka Poonam se kab mulakat hogi..... mujhe to laga tha shayad isi safar pe hogi......
Waiting for next update...
 
  • Like
Reactions: Tiger 786

Boby

Well-Known Member
2,741
12,999
159
Update - 23



Rudra - are waah tu to sab janta hae. par mere yaar mea to bholenath se yahi prarthna karuga ke tujhe kuch na ho kabhi. Varna mae bhi jeete ji mar jauga. Aur abhi to mujhe bahot jeena hae be. Nilam ke saath 20 25 bachche paeda karne hae, aur……..

………. Are ha nilam se yaad aaya sham ko nilam ke paas bhi jana hae chal jaldi us raja ko dekhte hae abhi use bhi uske mahal pahuchana hae. tu bhi na jab dekho baato me laga deta hae, chal.

Dev muskrat hua rudra ke saath ped ke neeche pahuchta hae. jaha raja behosh pada tha. Kisi tarah use hosh me laya jata hae.

Dev – pranam maharaj

Sumant dev – tum kaun ho yuvak?

Dev – maharaj mae nag lok ka rajkumar dev singh hu aur ye mera param mitra rudra hae.

Sumant dev – kya aap dono dev aur rudra ho . aap dono se mil kar behad khushi hui. bahot nam suna hae aap logo ka.

Rudra - are waah humara bhi naam chalne laga hae kya? maharaj bhi hame jante hae.

Sumant dev muskrate hue – ha beta tum dono ki kirti to charo dishao me hae. waese mae tilism nagri ka raja sumant dev hu.

Dev – aaiye maharaj pahle aap ko aapke mahal pahucha dete hae fir baat karege.

Fir dev unhe unke rath me bitha deta hae aur khud unka sarthi ban kar rath bada deta hae rudra peeche se dono ghode le kar chalne lagt hae.

Kuch hi der me wo log mahal pahuch jate hae. dev sainiko se kah kar maharaj ko unke kaksh me pahucha deta hae. jaha ek ek kar ke sab aa jate hae. maharani, rajkumariya, mantri. Thodi der ke baad baki to sab chale jate hae ab waha sirf raj pariwar aur dev, rudra hi bache the,

Sumant dev – beta dev ye hae hamari rani kaushalya devi

Aur ye hamari badi suputri poonam aur ye chhoti shalaka.

Dev aur rudra sabse haath jod kar milte hae kintu poonam aur dev ek duje me hi kho jate hae. ye baat sabne dekhi aur sab ke chehre pe muskrahat thi.

Sumant dev – beti poonam aap janti hae. aaj agar dev na hote to shayad hamara aaj akhri din hota. Inhone apni bahaduri se hame bachaya aur inka saath dene wale hamesha ki tarah rudra ne bhi. Ye dono farishte ki tarah waha pahuche aur hamare prano ki raksha ki.

Maharani kaushalya (MK) – yuraj aap nahi jante aapne ham sab par aur is rajya par kitna bada upkar kiya hae.

Dev – nahi maharani ji ye to hamar farz tha bhala maharaj ko musibat me chhod kar ham kaese nikal jate.

MK – chalo ishwar ka dhanyawad aapki jaan to bach gayi. Aur ye jakhm bhi kuch hi dino me thik ho jayege.

Tabhi dev – maharaj mae abhi aata hu.

Maharaj - are yuraj kaha chal diye

Tab tak dev bahar nikal chukka tha. Thodi der me wo aaya to uske haath me wahi jadi butiya thi. Dev ne maharaj ke paas aakar unhe jadi butiyo ke kuch patte hath se masal kar khila diye. Abhi 2 min bhi nahi gujre the ke maharaj ke chehre ki kharoche aur shareer pe lage ghav teji se bharne lage aur dekhte hi dekhte maharaj jo hilne me bhi karah rahe the ek dam se uth kar baeth gaye.

Ye dekh kar sab ki aankhe khuli ki khuli rah gayi kyu ki ye chamatkar to dev aur rudra ke liye bhi naya hi tha.

Rudra - kya baat hae maharaj aap to na sirf thik hue balki uth kar khade bhi ho gaye. Aur itni furti bhi aa gayi. Ho jaye do do haath kushti ke

Sab log hasne lage.

Sumant dev – yuraj ye kaesa chamatkar hae?

Dev – maharaj asal me hum hamare kulguru ki aagya anusar in jadi butiyo ko lene hi gaye the ke wapas aate hue aapse mulakat ho gayi. Ye sab inhi jadibutiyo ka asar hae.

Sumant dev – jeete raho vats. Tumne to mujh me nav yovan jaga diya aesa prateet ho raha hae.

Rudra – maharani ji sambhal ke rahiyega……

Dev – rudraaaaaaaaaaaaaaaaaa

Rudra – ohh kshama maharani mooh se nikal gaya

Idhar maharani to sharm se pani pani ho gayi rudra ki baat sun kar.

Fir maharaj unhe apne saath le gaye aur dopahar ka khana khilaya, lekin har waqt poonam aur dev ki najar baar baar ek duje se takrati aur poonam Sharma ke garden neeche kar leti. tab

Dev – ab aagya de maharaj nag lok pahuchne me bhi samay lagega

Sumant dev – thik hae rajkumar. Aate rahiyega. Hamare mahal ke is nagri ke aur hamare hriday ke dwar aap ke liye aur nag lok wasiyo ke liye hamesha khule rahege.

Dev – dhanyawad maharaj

Rudra – poonam ko dekhte hue hath jod ke, waese maharaj nag lok bhi ati sundar hae kabhi padhariye waha bhi dev “aapko” poori nagri dikhayega apni. Kyu dev?

Dev – jarorr aap log bhi awashya aaiye nag lok

Sumant dev – ha yuvraj hum bhi aayege. Apne pita shree ko hamara sadar namaskar kahiyega.

Fir dev aur rudra nikal padte hae nag lok ki taraf abhi wo tilism nagari ki seema me hi the ke tabhi Ek kabutar udta hua aaya aur dev ke kandhe pe baeth gaya. Dev ne apna ghoda roka aur kabutar ko hath me pakad ke dekhne laga to us ke gale me taweej dekha aur taweej nikal ke dekha to usme ek sandesh tha dev na turan wo padha to padh ke khush ho gaya aur mahal ki chat ki taraf dekha jaha rajkumari khadi muskrat rahi thi.

Dev ne rajkumari ko dekh ke wo sandesh chum liya aur kabutar ko apne pas rakh liya. to rajkumari turant Sharma kar neeche bhag gayi.

Rudra – are kya hae isme aesa jo tu chum raha hae. dev ne sandesh rudra ki taraf bada diya .

Rudra sandesh padte hue – “aapne hamare pitas hree ki jaan bachayi us ke liye hum aap ke sadev adhari rahege. Aur dubara aapse milne ke liye bekarar bhi. Poonam”

Sandesh padh ke rudra - waah mere sher maharaj ko bacha liya aur rajkumari ka dil chura liya sauda bura nahi raha. Shabash.

Dev bhi muskra diya aur fir dono chal pade apne nagar ki or.

Dev – kyu be kya bakwas kar raha tha. Tu waha pe jaban ko rok nahi sakta kya. Maharani ko sharminda kar diya

Rudra - maene kya kaha aesa jo maharani ne ab tak nahi kya? Are mae to majak me kah raha tha. aur beta tune jo ab tak roj raat ko sirf sapno me kiya hae na maharani ne wo kai rato tak haqiqat me kiya hae jag kar. Ye dono rajkumariya jameen se nahi nikli samjha, isliye mujhe ye gyan mat pel. Chup chaap chal

Dev – saale tu nahi sudhrega.

Rudra – ha beta tu jo meri khichai karta rahta hae nilam ke samne wo bhool gaya ab maene kuch kiya to bura lag raha hae.

Ye dono isi tarah bate karte hue nag lok aa jate hae jaha pe mahal me pahuchte hi rudra to bhag jata hae bholenath ke mandir. Jaha nilam uska intjar kar rahi thi.

Aur dev andar mahal me jata hae.

Dev – pranam pita ji , pranam kulguru

Dono – jeete raho dev

Bhairav singh – putra aane me itna vilamb kaese hua?

Dev – pita ji wo raste me kuch samasya aa gayi thi usi wajah se der hui

Bhairav singh – kis ka itna dussahas ke hamare putra ka rasta roke tum hame batao dev

Dev – are are pita ji krodhit na ho jo bhi the unhe maene aur rudra ne apne tareeke se samjha diya lekin wo ek mantrik tha jisne hamla kiya tha tilism nagri ke raja par wo bhi achanak jisse raja gambhir roop se ghayal ho gaye wo mantrik unhe marne hi wala tha ke ham beech me kood pade aur unhe bacha liya fir mantrik se talwar baji ki jisme wo doom daba kar bhag gaya dekh luga jaesi dhamki dekar . jiska koi saar nahi . fir hum gaye tilism nagri aur maharaj ka atithya sweekar kiya fir yaha aaye isliye der ho gayi.

Bhairav singh – thik hae yuvraj ab aap apne kaksh me jakar vishram kijiye.

Dev ke jaane ke baad

Bhairav singh – Kulguru. Aap turant pata lagaiye wo kaun sa dusht mantrik tha jisne ye hamla kiya aur uska itna sahas hua kaese ke wo hamare bete ko dhamki dekar chala gaya. Use hum swayam dand denge.

KG – jo aagya maharaj mae abhi pata karta hu.

Idhar bholenath ke mandir jab rudra pahucha to waha use nilam gusse me thalati hui najar aayi.

Rudra - mar gaye pahli mulakat me hi der se aaya hu pata nahi ab ye mera kya haal karegi waese darta to mae rakshaso se bhi nahi par ha isse pata nahi kyu dar lag raha hae. he bholenath bacha lena apne is nadan bhakt ko.

Nilam rudra ko dekhte hi bhadak gayi. – aa gaye aap itni jaldi aane ki kya jarurat thi 4-6 mahine baad bhi aate to mae aapka kya kar leti? Mae to bewkoof hu hi yahi intjar karti rahti aapka

Rudra -achcha itni jaldi itni mohabbat ho gayi mujhse

Nilam ko apni galti ka ahsas hota hae wo Sharma jati hae lekin turant khud ko sambhal kar…….

…………koi mohabbat nahi hui ye to aapne mujhe bulaya tha isliye aa gayi mae. Varna mujhe aur bhi bahot se kaam hae. ab jaldi se bolo jo bhi bolna hae mujhe ghar bhi jana hae. faltu nahi rahti mae.

Rudra nilam ka haath pakad kar – soch raha hu in hatho ke liye son eke kangan banwa du. Lekin tumahre paas samay nahi to mae kya karu?

Nilam mere liye kangan banwane ki koi jarurat nahi apni biwi ke liye hi banwa lena aur pahna bhi dena.

Rudra – usi se to pooch raha hu

NIlam – achcha fir tum……………….

Rudra – kya hua?

Nilam – kya kaha aapne? Biwi? Mae?

Rudra – ha nilam jab se tumhe dekha hae tum hi tum najar aati ho mujhe har jagah. Kya tum meri jeevan sangini banogi?

Nilam – rudra kya mae is layak hu?

Rudra – beshak nilam sirf tum hi is layak ho bolo dogi sari jindagi mera saath?

Nilam ha rudra maene bhi jab se aapko dekha hae kuch ho gaya hae mujhe aur mujhe bhi har jagah bas aap hi najar aate hae. mae bhi aapse pyar karne lagi hu.

Rudra aage bad ke nilam ko gale se laga leta hae to nilam bhi rudra ki chhati se lipat jati hae.

Idhar rajmahal me dev singh poonam ke sapno me khoya hua tha. Halaki wo chahta to ek pal me poonam ke pas pahuch sakta tha. Lekin use maryada ka khayal tha isliye wo majboor tha. Bas aankhe band kar ke poonam ka muskrat chehra dekh raha tha. Use bhi kuch achcha nahi lag raha tha. To wo baar baar wahi sandesh nikal ke padh raha tha achanak dev bhi uth baethta hae aur ek sandesh likhne lagta hae apni poonam ke liye.

“ poonam ye to hamare liye bahot badi baat hae ke ek bramhand sundari hamari abhari hae, hamne aap ke pita ji ke pran to bacha liye lekin tilism nagri me aa kar hamari ek bahot keemti cheez chori ho gayi aur hame yakeen hae ki wo chori jisne bhi ki hae wo aapke mahal me hi hae.par hum waha kuch kah nahi paaye.”

Itna sandesh likhkar wo kabutar ke gale me dal deta hae aur use uda deta hae, fir Wo bechaini me raat kaat leta hae. ke pata nahi kal kya jawab aayega.

Subah hote hi wo taiyar ho kar apne kamre se nikal hi raha tha ki rudra aa jata hae.

Rudra - kya baat hae mere sher kaha ja rahe ho.

Dev – kahi nahi yaar. Bas thoda man bechain hae. to baag me jaa raha hu chal aaja dono chalte hae.

Rudra aur dev mahal ke bag me aa jate hae

Rudra – tujhe ek khushkhabri deni hae kyu ki us par sabse pahla huq tera hae.

Dev – achcha aesa hae to bol fir

Rudra – dev tujhe yakeen nahi hoga lekin nilam ne mujhe haa kar di hae. wo bhi mujhse shadi karna chahti hae.

Dev- dhatt tere ki ye koi khushkhabri hae?

Rudra – kya bolta hae yar mae use pyar karta hu

Dev – sarkar is saal me aapka ye panchva pyar hae jo shadi tak pahuch gaya hae.

Rudra – are wo sab to yu hi thi bas samay gujarne ke liye par ye to meri jindagi hae dev mae sach kah raha hu.

Dev – agar ye baat hae to kha dosti ki kasam. Kyu ki mae janta hu tu kisi bhi haal me dosti ki jhuthi kasam nahi kha sakta

Rudra – hamari dosti ki kasam dev nilam hi teri bhabhi banegi varna mae kabhi shadi nahi karuga.

Dev – waah ye hui na sahi khush khabri. Ab sun mae bhi tujhe khushkhabri sunata hu.

Rudra - janta hu mae teri khushkhabri.

Dev – achcha to bol jara mae bhi sunu ke tu mujhe kitna janta hae

Rudra – rajkumari poonam se prem ho gaya hae aapko , aapki nind haram ho gayi hae, use dekhna chahte hae, use milna chahte hae, usse shadi kar ke 10-15 bachcho ke baap banna chahte hae. hae na yahi baat?

Dev mooh fade uski baate sun raha tha- yar tu to sach me kamal hae. tujhe kaese pata ye sab baate

Rudra – rajkuamr ji hum bhi dimag rakhte hae aur aankhe hamari ek dam sahi hae ab tak . kal jo aap dono ka nain matakka chal raha tha na wo maene to kya waha moujud sabne dekha aur ek baat batau.

Dev – kya?

Rudra – aap dono ko ek duje se pyar ho gaya hae ye aap dono se pahle rajkumari ke maa, bap, bahan aur mujhe pata chal chuka hae. kyu ki kal aap dono ki halat saaf saaf chilla ke kah rahi thi. Ke aap dono to gaye kaam se.

Dev – ha yar sach me hame pyar hua hae. maene to kal raat hi rajkumari ko sandesh bhej diya tha.

Rudra – are waah tab to tum ladao baeth ke prem ki patang hum chale.

Dev – Kaha ja raha hae be?

Rudra yar mujhe kuch kaam hae baad me miluga tujhse. Waese bhi wo dekh aa gaya tera kabutar. Mae chala

Dev upar dekhta hae to samne se wahi kabutar udta hua chala aa raha tha. Aur aakar seedha dev ke kandhe pe baeth gaya. Dev ne kabutar ke gale se sandesh nikala

“aap kaese hae? aap pahuch gaye the na sakushal? Aur aapne ye kya sandesh bheja tha? Mae koi bramhand sundri nahi. Bas ek sadharan si ladki hu. Khubsurti to aapki najro me hae jisne hame itna maan diya. ab batao ye naag lok ke ekloute yuvraj ki aesi kaun si keemti cheez thi jo chori hui? wo bhi hamare mahal me? Agar aap chor ko bhi jante hae to jarur bataiyega use hum dand denge.

Poonam”

Dev –sandesh paa kar jhum uthta hae aur kabootar ko chum leta hae. – yar tu to bade kaam ki cheez hae. chal tu aaram kar mae aata hu.

Fir dev apne kaksh me jata hae. aur dubara sandesh likhne lagta hae.

“Poonam , mae yaha pahuch to gaya lekin meri kushalta nahi hae. meri keemti cheez jo chori ho gayi to mae kaese kushal ho sakta hu. Wo keemti cheez tha mera dil. Aur jisne chori kiya us chor ka naam hae {Bramhand sundari Poonam} lekin aap use koi dand mat dena. Kyu ki ab mera us ke bina jeena mushkil hae. ha poonam. Hum aapse behad mohabbat karne lage hae. hum nahi jante hamari mohabbat ka anjam lekin. Bas aapse pyar ho gaya hae. agar aap ke dil me hamare liye thodi si bhi jagah ho to is sandesh ka jawab jaroor dena chahe wo ha me ho ya na me. Hum bechaini se intjar karege.

DEV”

Dev fir se raat ka intjar karta hae aur pana sandesh kabutar ke gale me dal ke bhej deta hae.

Dusre din poonam ka jawab aa jata hae.

“Dev aapki keemti cheez hame bahot pyari lagi isliye hamen le li lekin us ke badle me apna dil bhi to diya aapko. ye chori nahi adla badli thi . kyu ke hamari bhi halat aap ki tarah hi hae. ham bhi aapse prem karne lage hae. lekin hum chahte the pahle ye baat aap kahe tab hum aapko bataye. Aapne hame is kabil samjha uske liye shukriya dev.

Sirf aapki Poonam”

Dev ki to khushi ka thikana nahi rahta ye jan kar ke poonam bhi use pyar karti hae. aur ab to usne ye baat sweekar bhi kar li….. ………lekin ab to bas is tarah sandesh ka hi sahara tha.



Isi tarah ke prem bhare sandesh un ke lagbhag roj hi hote rahe isi tarah kareeb 6 mahine beet gaye. Lekin dev aur poonam mil nahi paa rahe the par ye judai un ke pyar ko aur bada rahi thi aur milne ki ichcha bhi badti hi ja rahi thi.

Ye halat maharaj sumant dev bhi samajh rahe the. Par unhe sahi waqt ka intjar tha wo koi jaldbaji nahi karna chahte the.

Aur idhar dev ki halat to kharab hi hone lagi thi poonam ki yaad me.

Ek din jab rudra aaya to BS ne seedhe use apne paas bulaya

Rudra – kya baat hae maharaj sab kushal to hae?



BS - nahi rudra sab kushal nahi hae isliye tumhe bulaya hae hamne.



Rudra – aapke is sewak ke hote yadi aap chintit hae to ye mera durbhagya hoga mahar mujhe bataiyt aesi kaun si chinta aapko ghere khadi hae.
 
Last edited:
Top