• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool 2 (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,138
189
UPDATE 7

Dhire dhire din bitne laga...Vakt ke saath har ek cheej badal raha tha lekin 2 cheej mein aaj bhi koi badlaaw nahi aaya tha.

Ek Raj ka dard bhari duniya...Din bhar apne hi dard bhari yaado mein duba rehta.

Dusra Sumit aur uska charecter...Kisi ko kuch samajh mein nahi aa raha tha...Raj ko bhi ajeeb to bahut lagta lekin usne kabhi puchne ki koshish hi nahi kiya...Apne dard bhari duniya se baahar nikalta to hi pucchta.

Issi tarah 1st sem ka exam complete bhi ho gaya aur result bhi aa gaya tha.


Sumit:- Ye kya hai Raj?

Raj ka result dekh Sumit ka gussa saatwein aasmaan me tha.

Raj chup hi raha.

Sumit:- Just pass hua hai.

Kuch der chup rehne ke baad...

Raj:- Bhai aap ko dekh kar hi result aisa aaya hai.

Sumit:- Kya matlab?

Raj:- Exam time mein aap bhi nahi padhte thhe...To mujhe laga exams mein easy question aayenge aur exam ko underestimate kar diya.

Sumit:- Ye sabse badi bewkoofi hai...Apna preparation dusron ko dekh kabhi nahi karna chahiye...Sabka padhne ka tarika alag hota hai...Koi late start karke bhi cover kar leta hai to kisi ko bahut time lagta hai.

Raj kuch nahi bola...Aur Sumit ka shak bhi yakin mein badal gaya.

Sumit:- Vajah kuch aur hai? Sach bol.

Raj:- Nahi bhai...Mai sach keh raha hun.

Sumit:- Mere sir par Chutiya likha nahi hai jo tu mujhe samajh raha hai.

Raj kuch der chup rehne ke baad...

Raj:- Bhai padhne ka man hi nahi karta...Din raat Kirti ke baare mein hi sochta hun...Aur upar se ye dard...Kabhi khatm hi nahi hota...Sirf aur sirf wohi yaad aati hai...Padhne ka man hi nahi karta.

Sumit:- To khaana khana aur saans lena bhi band kar de?

Raj:- Kya?

Sumit:- Wo to nahi bhulta.

Raj:- Wo kaise bhul...

Sumit:- To padhna kyu bhul jaata hai...Sahi vakt par sahi kaam karna chahiye...Abb budhaape mein jaa kar to tu padhega nahi...Pyar apni jagah aur padhaai apni jagah...Present ka asar future par padhna nahi chahiye.

Raj chup hi raha.

Sumit:- Tu keh raha tha...Mai bhi nahi padhta.

Mai koi padhaai par dependent nahi hun...B. Pharm chhod MBBS padh raha hun...Kal jarurat pada to ye bhi chhod dunga aur kuch bhi kar ke jee lunga...Itna himmat hai mujh me...Bol hai tujh mein?

Aur tu bahut badi badi baatein kar raha tha...Doctor banna tera sapna hai...Tu itna dedicated hai utna hard working hai...Tere Papa ko itna fakhr hai tujh par...Ye baatein bata raha tha.

Agar yahi baat mai tere Papa ko bata dun to wo aur bhi fakhr mehsus karenge...Aakhir unka beta itna bada aashiq hai.

Raj:- Nahi...

Sumit:- Dekh bhai...Pyar apni jagah par sahi hai...Tu koshish kar Kirti ko manaane ki...Hazaar koshish kar...Jab tak wo maan na jaaye...Ladta reh apne pyar ke liye.

Lekin...Baaki cheej bhi to jaruri hai...Abhi padhega nahi to kya sirf pyar se hi jindagi kat jayegi teri?


Raj sirf Sumit ko hi dekh raha tha.

Sumit:- Mai vaada kar chuks hun...Vakt aane se pehle hi tujhe Kirti se milaa dunga...Lekin tu...

Sumit kehte kehte ruk gaya.

Raj:- Lekin kab? Aap kuch kar bhi to nahi rahe hai.

Udaas aawaj mein bola Raj.

Sumit:- Kar to raha hun koshish...Aise kaise chutki bajaate ye sab ho jayega...Pehle mujhe Kirti se dosti karna padega...Aur usse vishwash dilaana padega ki tera sach mein koi galti nahi hai.

Thoda time to lagega hi.

Raj:- Lekin bhai please thoda jaldi kijiye...Abb aur raha nahi jaa raha hai.

Sumit:- Haan...Koshish karunga...Lekin tujhe baaki ki har cheej mein dhyan dena hoga...Agar kabhi mujhe shak bhi hua to tujhe mingle karwaane ka plan cancel.

Raj ne darte hue Haa keh diya...Wo jaanta tha ki Sumit majaak to bilkul bhi nahi kar raha hai...Abb usse bhi yahi aakhiri raasta najar aa raha tha.

Sumit:- Dekh bhai...Life mein hajaaro problem aata hai...Iska ye matlab nahi ki tu haar maan jaaye...Saamna karna padta hai.

Mujhe dekh tujhe kya lagta hai? Iska life kitna mast hai...Agar mera life aur problem pata chala to pagla jaayega.

Fir bhi lad raha hun iss ummeed se ki kabhi to iss mushkil se baahar niklunga.


Raj:- Kya hai bhai aapka problem?

Sumit:- Vakt aane par bataunga.

Iss baar bhi Sumit ne muskura kar taal diya.


Sumit:- (In his mind) Iska jald hi kuch karna padega...Kirti...Ye naam...Ajeeb sa jaadu hai...Pehle Kirti se dosti karta hun...Fir dekhta hun Raj ke liye kya kar sakta hun? Na jaane mera ye faisla mujhe jindagi me kis mod par le jaaye.



Sumit yahi soch raha tha ki uske mobile mein ek phone aaya...Number unknown tha.

Sumit:- Hello.

Hi

Dusri taraf se jawaab aaya aur aawaj sunte hi Sumit pehchaan gaya.

Sumit:- Hello beauty queen...Aaj tumhe meri yaad kaise aa gayi?

Megha:- Kaise ho tum? Beemar to nahi ho?

Sumit:- Mujhe kya hoga?

Megha:- Achanak se college aana band kar diya...Aur aate bhi ho to mujhse koi baat nahi karte...Haan khush to hun lekin soch rahi thi ki kahi kuch ho to nahi gaya jo achanak se itna badal gaye? Aur upar se result bhi accha nahi aaya...5th position...Sab soch rahe thhe tum topper ho.

Sumit:- Result se yaad aaya...Congrats Miss topper.

Megha:- Mai aur topper? Mai to 3rd hun.

Sumit:- Ladkiyon ki baat kar raha tha...Ladkon se mujhe kya lena dena?

Megha:- To ladkiyon se hai?

Sumit:- Nahi sirf tum se.

Megha:- Flirting kuch jyada hi direct nahi ho raha hai?

Sumit:- Tum bhi ajeeb ho...Flirting naa karu to problem...Karu to problem?

Megha:- Waise tumhara result itna bura kaise? Matlab tumhara level ka to nahi hai?

Megha ne baat badalne ki koshish ki.

Sumit:- Ye kya? Romantic baaton ke bich mein padhai ki baatein.

Megha:- Bataao naa.

Sumit:- Bataane ke liye khaas hai hi kya...Exam ke do hafte pehle se kitaab ko haath bhi nahi lagaya...Aur mai exam mein top karne ke liye padhta bhi nahi hun...Apni khushi ke liye apni marji se.

Aur baaki ki students...Kuch mehnat unki bhi.

Megha:- Tumhe nahi lagta agar tum padhai mein aur bhi serious honge to life mein bahut aage tak jaaoge.

Sumit:- Tumhe nahi lagta humari jodi duniya ki best jodi ban sakti hai.

Megha:- Fir suru ho gaye?

Sumit:- Pehle tum saath to do...Fir suru karenge humari love story.

Megha:- Bekaar baatein karna koi tumse sikhein.

Sumit:- Pyar karna koi mujhse sikhe.

Megha:- Aur irritate kiya to phone rakh dungi.

Sumit:- Phone se to alag kar dogi...Lekin apne dil se? 2 hafte college kya nahi aaya tum itna bechain ho gayi.

Socho agar hum nahi mile...To baaki ke 50-60 saal tumhe issi bechaini mein bitaani padegi.

Megha:- Koi bechaini nahi hai...Tum par taras aa gaya to socha haal chaal pucch lu...Lekin tumhari bakwas karne ki beemari ka koi ilaaj nahi.

Sumit:- Ilaaj to tum apne dil ki karo...Jo abb tumhara naa reh kar mera ho chuka hai.

Iss baar Megha sach mein phone kaat deti hai.

Sumit mobile ko table mein rakh bed par lait jaata hai.

Raj:- Aap pyar karte hai Megha se?

Iss sawaal ka jawaab tha Sumit ka muskaan...Isse jyada Sumit kuch nahi bola.
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
8,511
34,400
219
ye pahla hero hai champ bhai.,..........jo mujhe pasand aya

jindgi jiya jata hai..........na kata jata hai ....na banaya jata hai

mera lifestyle bhi sumit jaisa hi hai.................
koi mere se khush na ho........... lekin mein khud se khush hoon
mein kisi ko problem nahi deta,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
lekin intzar karta hoon ki kisi ko problem ho...........
.aur mein uska solution nikalu :D

ab ise maje lena kaho...................
ya.......
kameenapan

lekin yehi pasand hai


ab megha ko to line par laga diya....................
keerti ko line par lagane ki soch raha hai.................

keep it up

aur mr. ashiq......................
ishq na milne par..............apne so called target ko hi bhool gaya
aise insan ko pyar kya kuchh bhi nahi mil sakta jindgi mein......................
jo pane ke liye koshish nahi karta
balki dukhda rota hai

keep it up
 
Last edited:
Top