Bhai aapke sawal ka jawab update 278 aur 280 me diya gaya hai..
Raj sab ko ghumane ke liye jarur sath le kar aaya hai....kintu iss tilismi jagah par ghumane ke liye nahi.
Usne clearly sab ko bata diya tha ki vo sabhi mahal me hi ruke kyon ki iss jagah par kisi ki jaan bhi ja sakti hai ya phir unke sath kuch bhi ho sakta hai...lekin unhone raj ki baat na mante huye iss tilism wali jagah par aaye hain...Raj ne to bar bar iss jagah par aane se mana kiya tha.
Mama ki mout se jude sawal ka jawab 280 me mil jayega ki raj ne aisa kyo kiya.
Jaha tak aapne divya ki baat ki to bhai, agar mama ki jagah divya bhi hoti, tab bhi raj samanya manav ki bhanti hi vyavhar karta.
Raj ke liye dharm aur insaniyat har rishte se upar hai.
Agar aisa nahi hota to kisi janam me divya usse bichhadti nahi.
Hospital me jab payal pagal ho kar admitt thi.tab bhi usko theek karne ke liye raj ne shaktiyo ka prayog kar ke theek kar sakta tha lekin usne aisa nahi kiya..
Maa coma me thi, raj chahta to apni shaktiyo se use theek kar deta lekin usne aisa nahi kiya.
Veer ki jaan bachane ke liye jo injection behad jaruri tha..usne vo dawayi ek jarurat mand aurat ko de diya, ye jante huye bhi ki ye dawayi hi veer ki jaan bacha sakti hai..lekin usne insaniyat ke naate uss aurat ki pareshani ko value di.
Veer ko bachane ke liye chahta to apni shaktiyo ka prayog kar sakta tha..lekin usne aisa bhi nahi kiya.
Paridhi jab apni antim saanse gin rahi thi, raj chahta to apni shaktiyo se usko theek kar leta lekin usne aisa nahi kiya.
Bhai bhagwan ram jab van me the aur seeta ka haran hua, vo chahte to aisa kuch nahi hua hota, vo sarv shaktiman the..phir bhi unhone samanya manav ki bhanti hi vyavhar kiya...har jagah apni shaktiyo ka pradarshan nahi.
Laxman jab meghnad ke shakti baan se mrityu ke karib the tab bhi unhone apni shaktiyo ka prayog nahi kiya..ek samanya manav ki bhanti hi vyavhar kiya.
Main kahani me sirf ye dikhana chahta hu ki shaktiya paas me hone ka ye matlab nahi hai ki unka har jagah pradarshan karte phiro.
Shakti prayog ke bhi apne kuch maapdand hote hain.
Ek chote se bachche ko bhi agar shaktiya mil jaye to vah bhi asadharan admi ban jayega..kuch bhi kar sakta hai..koi bhi kaam uske liye karna mushkil nahi hoga.
Lekin inn sab me uski kabiliyat kaha hai...? kabiliyat to kewal shakti ki rahegi...vo to zero hai unke bina..
Duniya me achche to lakho log hain, ye shaktiya unhe kyo nahi mili, raj ko hi kyo mili...? kyon ki sirf achche hona hi paryapt nahi hai..
Aur phir ye saajan aur divya ki apni prem pariksha hai..jise unko apne dum par paar karni hai..kisi shakti ke bal par nahi..
Raj mama ko bina shaktiyo ke apne dum par bacha sakta tha lekin shayad unhe raj par vishwash nahi tha.
Vaise bhi bhai kahani me character bahut ho gaye hain, kuch to kam karne hi padenge na.