• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Bechara Dil Kya kre (Completed)

do you like the story

  • yes

    Votes: 15 93.8%
  • no

    Votes: 1 6.3%

  • Total voters
    16

Mayaviguru

Active Member
1,090
2,477
159
ummid krta hu ap sabhi ka sath milega
 
  • Like
Reactions: Siraj Patel

Mayaviguru

Active Member
1,090
2,477
159
bhai, ye Taashipur kon si bus jaayegi?" pratap ne paas me khade ek nav-yuvak se pucha. Us nav-yuvak ne pahle to pratap ko upar se neeche tak ghura phir paas me khadi ek bus ki taraf ishaara kar diya. Pratap ne apna beg uthaya aur bus ki taraf chal diya. Bus lagbhag khali hi thi. Pratap ek window seat par baith gaya.
.
Pichle do dino se ghar me chal rahe drama aur emotional atyachaar ka repeat pratap ke dimaag me ghumne laga.
.
Pratap delhi ki ek multi-national company me project manager tha. Kal hi pratap 15 din ki chutti lekar ghar aaya tha. Kaaran tha maa ki kharab tabiyat. Pratap jaise hi ghar pahucha to usne paya ki pita ji drawing room me baithe aaloo ke paraatho ka aanand le rahe hai. "pita ji, maa kaha hai?" pita shree ko yu paraathe khata dekh pratap ne hairaani se pucha. Paraathe kuch jyada hi swadisht the shayad kyuki pita jee ne bina kuch bole hi kitchen ki taraf ungali ghuma di. Pratap jab kitchen me pahucha to ek baar phir hairaan ho gaya. Maa bahut khushi se aaloo ke paraathe bana rahi thi. Thodi der to pratap asamanjas (duvidha) me raha ke aakhir ye maajra kya hai? "maa.........." is se pahle ki pratap kuch puch pata maa ne aaloo ke paraatho se bhari plate uske haath me thama di. Pratap chupchaap wo plate le kar pita ji ke bagal me aakar baith gaya. Ab tak saari kaahani pratap ko samajh aa gayi thi. Maa ne ek baar phir jhutha bahaana bana kar pratap ko ghar bulaya tha. "pita jee mai aap logo ko pahle hi bata chuka hu ke mujhe shaadi nahi karni lekin phir bhi aap log maante kyu nahi?" pratap ne pita ji se kaha. Is se pahle ki pita ji kuch jawab dete maa waha pahuch gayi- "chup kar ke paraathe kha verna ek thappad padega to saari hoshiyaari dhari rah jaayegi". Maa ke is counter-attack ke jawab me pratap sirf itna hi bol paya "lekin maa aapko to maloom hai saari baat!" "ha ha maloom hai hume sab, tujhe shaadi nahi karni to mat kar, teri marji lekin kabhi shakal dekhi hai apni aaine me? Jab tu yaha se gaya tha to laal tamatar jaise chehra tha tera aur ab din raat kaam kar kar ke pichke hue kele jaise dikhne laga hai." maa aaj turant hi jawab diya. Iske baad pure din ke drama aur emotional atyachar ke baad aakhir-kaar maa-pita ji ne pratap ko pita ji ke bachpan ke dost major ram singh ke yaha "taasipur" me apni chuttiya bitaane ke liye raaji kar hi liya
.
 

Mayaviguru

Active Member
1,090
2,477
159
  • Like
Reactions: Siraj Patel

Mayaviguru

Active Member
1,090
2,477
159
taashipur" utrakhand ke khubsurat parvato ke beech basa ek chhota sa town. Bus apne nishchit samay par taashipur ke liye rawana ho gayi. Bus lagbhag khali hi thi kyuki bus me is samay keval 15-20 log hi the.
.
Tashipur ka safar 7-8 ghante ka tha. Pratap baithe baithe ek baar fir apne ateet me kho gaya. Aaj se 10 saal pahle pratap ki job lagi thi delhi ki ek multinational company me. Pratap ke maa-pita jee bahut khush the aur unhone pratap ke liye ladki dekhna bhi shuru kar diya. Ek mahine ki kadi mehnat ke baad maa ko ek ladki pasand aa gayi thi. Pratap ko lekar maa-pita jee ladki dekhne gaye the. "punam" yahi naam tha us ladki ka. Ladki ko khana banana aur ghar ke baaki kaam karne nahi aate the lekin wo dekhne me bahut hi khubsurat thi. Maa-pita jee to pahle se hi raaji the. Pratap ne punam se akele me kuch baat karni chahi to dono ko akela chhod diya gaya. Pratap ne punam se sirf itna hi pucha ki ye shadi uski marji se ho rhi hai ya nahi? Wo kisi aur se pyar to nahi karti? Punam ne jawab me sirf itna hi kaha ki ye shaadi uski marji se ho rahi hai. Punam se baat karne ke baad pratap ne shaadi ke liye haa kar di. 15 din me hi dono ki shaadi bhi ho gayi. Suhaagraat ko punam ne pratap se kaha ki "she needs some time to adjust in new family. Isliye use kuch samay chahiye." pratap ko uski baat sahi lagi. 7 din baad jab pratap ki chhutiya khatam ho gayi to wo vapas delhi chala gaya aur punam apne ghar. Kuch samay baad jab pratap vapas aaya to punam ko lene uske ghar gaya lekin punam ne pratap ko na-mard (impotent) bata kar uske saath jaane se inkaar kar diya aur sath me devorce ki demaand bhi ki. Jabki sachayi to ye thi ke un dono ne kabhi ek dusre ke sath sex kiya hi nahi tha. Is baat ne pratap ke dimaag par gahra prabhaav dala tha. 6 mahine tak case chalne ke baad pratap aur punam ka devorce ho gaya. Punam ne aisa kyu kiya pratap kabhi nahi jaan paya aur na hi usne jaan-ne ki koshis ki. Is ghatna ke baad pratap ke maa-pita jee ne uski dusri shadi karaani chahi lekin pratap ne saaf inkaar kar diya. Pichle 10 saal pratap ne sirf kaam par dhyaan diya. Uske maa pita jee lagataar use maanane ki koshish karte rahe . Kal jab pratap ghar aaya to maa-pita jee pratap ko tashipur major ram singh ke yaha apni chhuttiya bitaane ke liye raaji kar liya. Pratap ache se jaanta tha ki chhuttiya sirf bahana hai. Lekin pratap ne kaafi der sochne ke baad ye tay kiya ki kisi dusre ki vajah se wo apne aap ko saja nahi dega. Pratap ne tay kar liya tha ke agar use ladki pasand aayi to wo shaadi kar lega.
.

"excuse me, can i sit here" is awaaz ke saath hi pratap apne ateet se nikal kar vapas present me aa gaya. Ek 25-26 saal ki videshi ladki pratap ke saamne khadi thi. "yeah sure" pratap ne kaha to wo ladki pratap ke bagal me baith gayi
.
 

Mayaviguru

Active Member
1,090
2,477
159
update de diya hai bhai
 
  • Like
Reactions: Siraj Patel

Mayaviguru

Active Member
1,090
2,477
159
:applause::congrats: for new Thread
Super duper update bhai ekdum jhakaas dhamakedar mind-blowing update
Bilkul sahi ja rahe ho bhai aise hi story ko continue karo lekin aap se ek request hai story ko incomplete Mat chhodna aap ki story Mast Hai.....
Keep going
We will wait for next update
:yourock:
Bhai story ekdam complete hogi updates bhi daily aayenge aj start kiya to do de diya kal se daily ek update mil jayenge jav tak story complete nhi ho jaegi agr kisi din miss kiya to agle din dual updates dunga.. incomplete stories se kitna gussa aata hai i know mai khud bhi reader hu ..so ap tension free rhe aur sath dete rahe
 
  • Like
Reactions: Siraj Patel

Siraj Patel

The name is enough
Staff member
Sr. Moderator
133,835
110,307
354
Bhai story ekdam complete hogi updates bhi daily aayenge aj start kiya to do de diya kal se daily ek update mil jayenge jav tak story complete nhi ho jaegi agr kisi din miss kiya to agle din dual updates dunga.. incomplete stories se kitna gussa aata hai i know mai khud bhi reader hu ..so ap tension free rhe aur sath dete rahe
Ok bhai thanks
 
Top