- 8,204
- 18,453
- 174
Last edited:
Very well update bhai
Update 8
**********
raghuveer: barson pahle jab yash ne mujhe chetavani di thi. tab mai itna nahi dara tha. jitna ab darr gaya hon. socha tha, yash future me neha se shadi karega. hamare bachhe azad country me parvarish pa rahe han. jawan hone par azad vicharon wale bante hue azad life jiyenge. jaise humne apni life apni marzi se ji ha. aise hi hamare bachhon ka bhi adhikar banta ha. wo bhi apni life apni man marzi se jiyen. yash ki chetavani par mujhe laga tha, mujhe future me aisa hi kuch dekhne ko milega. sab bachhe yash ke deewane jo ban gaye the. lekin ye nahi socha tha meri rashmi, meri wife, meri mohabbat jisse mai aaj bhi beinteha pyaar karta hon. wo bhi yash ke pyaar me pagal ho jaayegi. kaise sambhal sakta hon mai khud ko. kahan se laun itni sahnshakti mai.
raghuveer: billionaire ban chuka hon. rashmi nahi chahiye mujhe kuch bhi sivaye tumhare. aur bhi kitni zayada sundr ho gai ho tum rashmi. aur bhi kitna pyaar badh gya ha mere dil me tumhare liye. toot jaaunga mai rashmi agar tum bin jeena pad gaya mujhe toh.
rashmi ne raghuveer ke gaal par hath rakh raghuveer ka chahra fer kar apni orr kr dia.
rashmi: mujhe shama kar do raghu.. tumhare pyaar me koi kami nahi paai ha maine. tumhare pyaae ke kaaran maine ab tak ki whole life bohut hi khubsoorat ji ha. par mai bhi kyaa karun raghu. ek aurat ke dil me do do mardon ka pyaar nahi panpa karta ha. lekin mai apne dil me yash ke liye feeling ko janam lene se rok nahi paai
rashmi raghuveer ki god me beth gai. raghuveer ke lund ko pakad kar apni chut me leti hui raghuveer ko kiss karne lagi.
rashmi: raghu!. hamara pyaar bohut badhkar h. ab tak mai khud ko sambhale hue hon. aage bhi sambhalne ki koshish karungi. lekin ek baat ka wada mai tumse karti hon. hum kabhi alag nahi honge. hamara pyaar kabhi kam nahi hoga. hum hamesha akhri sans tak aise hi ek dusre se pyaar karte rahenge. ab tak future ki chinta ko bhul kr hum jeete aaye han. ab bhi kuch bhi chinta mat karo raghu. warna mai aurat hon raghu. tumhare dil me dard badhne lagta ha to socho mujhe kitni sharmindgi hoti hogi tumhari ankhon me aise dard ko jaan kar. raghu mai mar jaaungi, agar tumne mere prati dil me kuch bura socha toh. sharmindgi meri jaan le legi. agar tumne khud ko normal na kiya toh.
raghuveer rashmi ki aisi baat sunkar kanp utha.
raghuveer: rashmi marne ki baaten na kiya karo tum.
rashmi: tum bhi future ki chinta chhod kyun nahi dete.
raghuveer: darr lagta ha rashmi. kahin tumse door na hona pad jaaye mujhe
rashmi: ye darr apne dil se nikal do. kyaa yash ne mujhe tumse chheenne ki koshish kari ha.
raghuveer: nahiii!!.
rashmi kiss karti hui raghuveer ke lund par upar neeche hone lagi.
rashmi: sivaye pyaar ke baki sab bhul jaao raghu.. kuch yaad rakhna ha to ye baat yaad rakho.. aage life me chal kar kuch bhi humen face karne ko mile, halat kaise bhi karwat kyun na badal len. hum dono kabhi juda nahi honge. pyaar ki shakal badal jaayegi. par pyaar kam nahi hoga. badhta hi jaayega har pal.
<---------------------------------------------------->
3 saal aur beet gaye
*********************
In Yash's Own House
*********************
Yash family introduction
**************************
vikrant thakur dada
bharti thakur dadi
abhinav thakur taya
babita thakur tai
adarsh 28
anup 27
kajol 26
nisha 25
**************************
digvijay thakur papa
ragini thakur maa
supriya 25
saanvi 24
shweta 22
**************************
abhiraj chacha
deepti chachi
ekta 25
garima 24
arjun 22
***************************
abhay 30
mayank 30
ye do kirdar bhi yash parivar se han. gaon se aaye han. aur bhi characters story me add honge..
sunday ka din tha. yash ke taya ki beti nisha ban than kar kamre se nikli. bag kandhe me latkati hui high heel shoes pahne thak thak ki awaz karti kothi ke porch ki orr badhne lagi. jald hi porch me thi. gadi ka door khol kar jaise hi driving seat par bethne lagi.
nisha ki maa babita wahan aai aur boli: kahan ja rahi ho nisha beti?.
nisha ne apni maa ko dekha aur driving seat par bethti hui normal se lahje me boli
nisha: life me koi aur rang to rah nahi gaya ha maa. saare rang us manhoos ke kaaran kumlaa gaye han. aag lag gai ha hamari umar bhar ki khushiyon ko. pata nahi kis haramzade ki karni ka phal humen bhugatna pad raha han.
babita apni beti ke moh se itni badi gaali sunkar kuch nahi boli. boli to itna hi boli: bataya nahi tuney?. kahan jaa rahi ha!.
nisha: apni friends se milne jaa rahi hon maa!. 4 ghante me laut aa jaaungi.
babita ne ek gahri saans li fir boli: akeli mat jaa. abhay aur mayank ko sath leti jaa.
nisha hairan hui: unhe kyu sath le jaaun?. wahan unka kyaa kaam?.
babita: hairat hai aaj ki date bhi tum bhul gayi!.
nisha: kuch khaas ha kyaaa aaj ki date me maa?.
babita: haan!.
nisha: kyaaaaa?.
nisha ne chabi ignition par hi thi. usne apni maa ki baat ko khas nahi jana tha. mood hi alag tha uska. uske kaano me apni maa ki awaz padi
babita: aaj manhoos 18 saal ka ho gaya ha!.
aur nisha ke hath se chabi neeche gir padi. bade aram se gadi ki driving seat par bethi thi. apni maa ki baat sunkar itni speed se driving seat par se uchhal kar gaadi se bahar aai. jaise driving seat ke neeche se achanak se hi kai keelen nikal kar uski gaand me ghus gai hon. nisha ke chahre ke zalzale me bhav ubhar aaye the. pure wajud me jaise dhamake se hone lage the. nisha bhaag kar apni maa ke saamne ja khadi hui thi.
nisha ko dekhne wale kai the.
nisha: kk-kyaaa??.
babita ko apni beti nisha ki halat dekh kar bada dukh hua.
babita: aaj tak woh manhoos laut kar nahi aaya ha. par ab woh zarur aayega.
nisha khadi khadi kanpne lagi thi. uske chahre ke bache saare rang bhi ud gaye the. andr ki orr jaane lagi
nisha: mm-apne kamre me wapis ja rahi hon
babita: itna mat darr beti. tu abhay aur mayank ko sath le jaa.
nisha tezi se sir inkar me hilati hui kanpti hui tezi ke sath apne kamre ki orr bhaagne lagi. wahin abhay aur mayank jo lawn me hi ek jaga bethe idhar hi dekh rahe the. dono bade ghuse se ek dusre ko dekhne lage. chairs ke sath hi guns khadi rakhi hui thi. dono apni apni guns uthaa kar uth khade hue aur hawai firing karne lage.
abhay: hamare rahte kisi ko darne ki zarurat nahi ha. bhoon kar rakh dunga us shaitan ko main!!.
mayank: chaaaachiiiii. nisha bahan ko, sab ko dilasa deti raha karo. hamare rahte wo shaitan hamari bahno ko hath bhi nahi laga sakta.
nisha ko chhod parivar ki sabhi ladkiyan firing ki awaz sunkar upar balcony me aa khadi hui thi.
sab ke chahre haldi ki tarah zard ho chuke the. sab honto par jeeb fer khaufzada nazron se ek dusre ko dekhne lagi.
sabki ankhon me ek hi prashn tha: ab kyaaaa hoga??.
usi sham gaon se do hathyaron se bhari gadiyan aur kai gadiyan jinke andr abhay aur mayank ke rishtedar mard the, kothi par aa pohnche.
Before Some Days
*******************
yash ka dada, papa, taya chacha aur khandan ke kuch aur bade usi rishi ji maharaj ke saamne bethe hue the.
rishi maharaj chatai par lete hue the. unki halat bohut nazuk thi. aisa lag raha tha, ab tak me unki aatma aur sharir ka tana tootne wala ha.
rishi maharaj vikrant thakur ko dekh kar bole: vikrant!. mera dunya se jaane ka samay ho gaya ha. mann ko badi ichha thi mai us ladke se milun. par mere bhagya. jitni saanse mere bhagy me thi, woh maine le li. parantu tum sabki saanse tab tak samapt nahi hongi. jab tak tum sab sache mann se apne paapo ka prayashchit nahi kar lete. khud ko badloge nahi. tab tak tumme se kisi ko mukti nahi milne wali. wo ladka 18 ka hone wala ha. jald hi wo tum sab ke saamne hoga.
digvijay: hum sab bhi barson se usi ka intezar kar rahe han. jaan se maar denge. tukde tukde kar denge us shaitan ke.
rishi maharaj digvijay ko ghoorte hue bole: marne maarne ki baaten ab bhul jaao moorkh. do baar usay maar chuke ho. is baar nahi maar paaoge. is baar wo marne ke liye nahi janma ha. aur na hi tumme se koi tab tak marega jab tak wo nahi chahega. meri ek hi salah ha. sachhe mann se tauba kar lo. karni ka phal to tumhe bhugatna hi hoga. parantu tumhare khud ko badal dene se, apne papo ka prayashchit karne se tumhare mukadar ujwal hone lagenge.
vikran thakur badi nafrat se bola: aur apne parivar ki sari izzaten uske charano me daal den. maharaaaajj!!.. hum thaakurr hann thaakurr. sir dhad se alag ho jaaye. par hum apni izzat ko mela nahi hone de sakte.
rishi maharaj bhi nafrat se bole: izzat.. huh izzat.. tum log jaanwar ho. wahshi darinde ho. baat izzat ki karte han. suno moorkho--
tabhi yash ka chacha abhiraj utha aur rishi ji maharaj ko bolne se rok gaya
abhiraj: hum aap ki izzat karte han maharaj. iska ye matlab nahi ha. aap kuch bhi bolte chale jaayen. kaise bhi bolte jaayen. pure desh me kon aisa ha, jo hamare saamne sir utha kar baat bhi kar sake.
taya abhinav bola: hamare saamne uthne wale sir hum dhad se alag kar dia karte han. hamare khilaf bolne wale ki hum zuban guddi se khench liya karte han.
rishi maharaj: parantu us ladke ke aage tumme se kisi ki bhi daal nahi galegi. tum sab keede makode ho uske saamne. is bar khas devtaon ne usay shakti daan karke bheja ha. is baar tum chah kar bhi uska baal bhi baka nahi kar sakte. is bar wo ladka marne ke liye nahi janma hai.
digvijay: ye to waqt hi batayega. woh kyaa ha aur hum kyaa ha. woh marta ha ya jeeta ha. do bar pahle bhi usay maar chuke han. is baar bhi maar kar hi dum lenge. nahi milti humen mukti to na sahi. nahi maut aaati to na aaye. mard hokar bhi mardangi dikhane layak nahi rahe han hum to bhi koi chinta nahi. lekin khandan ki izzat mitti me nahi milne denge. us ladke ke bistar ki zeenat nahi banne denge. kaat daalenge.. cheer daalenge us shaitan ko.
vikrant: hamari saari izzaten hamari nigrani me han. wo shaitan hamari izzat se kyaa khelega. kisi ko dekh bhi nahi paayega. chhoona to door ki baat ha. karib bhi nahi aa paayega.
rishi: yahii!.. yahii tumhare isi ghamand ko chakna choor karne ke liye bhagwan ne tumhare hi parivar me usay janam dekar tum sabki akad ko mitti me mila dia ha. achhooot samjhte the na tum sab usay.. usi achhoot ki ragon me tumhare thaaakurrr khandan ka ooonchaaaaa khoooooooon shamil kar dia. suno moorkho! woh ladka is zamane ka sabse bada soorma ha. wo shaitan nahi farishta ha. woh manhoos nahi masum ha. usay masum maan lo. aur bhagwan bhi chahta ha, tum sab shrap se mukt ho jaao. tabhi usay tumhare parivar me shamil kiya gaya ha.
ab sab rishi ji maharaj ki baaten sunkar guse me aaye kabu se bahar hone lage the. isse pahle se kuchh galat kar bethe koi.. sab wahan se uth kar chale gaye. aur rishi ji maharaj sabko gusse se dekhne lage.
rishi ji maharaj badbadaye: moorkho abhi woh ladka asal sach se avgat nahi ha. avgat ho gaya na to qayamat se pahle qayamat aa jaayegi. isse pahle k usay sab yaad aa jaaye. saara zahreela sach uske saamne khul jaye. sudhar jaao.. ghutne tek do uske saamne. warna hone wali tabahi se, milne wali zillat se tumhe koi nahi bacha sakta. waise bhi karni ka phal to bhugana hi padta ha.
kuch hi der me rishi ji maharaj ke sharir se aatma nikal kar swarg yatra ke liye nikal padi.
<--------------------------->
vikrant thakur ki kothi ke andr khandan ke mardon auraton ke sivaye koi aur bahar ka person nahi thi. gaon se hi kuch auraten aur mard kothi me kam ke liye bulwa liye gaye the. baki purane sabhi naukar naukraniyon se koti se nikal kar kahin aur jaga fit kar dia gaya tha. matter alag tha. nahi chahte the, khandan ki izzat mitti me mile..
puri kothi ko kadi nigrani me le liya gaya. ab din raat khandan ke apne hi mard kothi ki suraksha karne wale the. aisi hi suraksha milon door gaon me bhi kari jaane lagi thi. gaon ke charon orr ke 5 mile ke area me kisi bhi begane person ko parvesh karne ki abse ijazat nahi thi.
<--------------------------->
yash ki badi bahan shweta thakur jo yash se 4 saal badi thi. apni maa ragini ke kamre me thi. door andr se lock tha. shweta karwat ke bal leti hui apni maa ke chahre ko dekh rahi thi
fir shweta ne apni maa ke gaal ko chum liya: maa!..
shweta ki ankhon se ansu bah nikle. jo ragini ke chahre ko bhigo gaye.
shweta hichki ke sath roti hui boli: maa!.. maa ye kaisi zindagi mili ha humen maa. utho na maa. dekho na maa. mera koi bhai nahi hai maa. ek hai, par mai usay bhi bhai nahi kah sakti. sab kahte han, wo manhoos ha. bachpan se sunti aa rahi hon woh bohut bada manhoos ha. maa woh dunya me aaya to aap behosh ho gai. coma me chali gai. sab kahne lagi. manhoos dunya me aate hi maa ki jaan le gaya. maa kyaa sach me mera bhai manhoos ha. par mera dil kyun nahi maanta ha maa. ek hi to bhai ha mera. kaise woh manhoos ho sakta ha. kitna payara tha woh. par kisi ne mujhe uske paas nahi jaane dia. usse mujhe pyar nahi karne dia. ye manhoos ha isse pyaar nahi karna, aisa sab bolte the.. pichhle 6 saalon se sunti aa rahi hon maa. mera bhai hi mere jism o jaan ka maalik banega.. kyun maa!. ek bhai kaise apni bahan ke jism ka malik ban sakta ha. jab suna to dil ro dia tha maa.. fir suna mai, aur sab, aap bhi maa.. maa aap ke bhi jism aur jan ka maalik bhai banega. aap ja jism bhi bhai ki property ban gaya ha. koi mujhe kuch nahi batata ha maa. kyaaa ha asal baat.. maa tum to sab jaanti hogi. ankhen kholo na maa. mujhe batao na maa.. agar sach me mera bhai hi mere jism ka maalik ha. to aap ki permission se mai mera jism mere bhai ko de dungi maa.. haan maa bhai mujhe apni jaan se bhi payara ha.. ab suna hai bhai aane wala ha. ye sab kah rahe han, bhai ko aate hi jaan se maar denge. maa! mai bhai ko marte hue nahi dekh sakti. koi mera sath nahi dega. koi meri baat nahi sunega. maa ap hosh me aa jaao na.. mere bhai ko bacha lo na.
shweta roti hui apne maa ke chahre par ansu giraye ja rahi thi. aur wo barson se so rahi ab bhi har baat se anjan gahri nind me thi.
<--------------------------->
neha thakur dressing table ke saamne stool par bethi khud ko ghor se dekhe ja rahi thi. sharam ka gahra rang uske gaalon ko aur bhi haseen chamakdar banaye ja raha tha.
neha thakur: bhagwan teri leela aprampaar ha. tu aise aise chamatkar dikhata ha. dekhne wale ascharyacahkit rah jaate han. 44 ki ho gai hon. lekin abhi bhi 26/27 se zayada ki nahi lagti. kitni haseen ho gai hon mai aur bhi aur rashmi bhi. sab mujhe aur rashmi ko dekh kitne hairan rah jaate han.
neha thakur apne face ko aaine me dekh badbadaye ja rahi thi. tabhi dabe paon yash kamre me aaya. neha thakur ke peeche aa kar "bhooooooooohh"
aur neha halki cheek maar kar darr gayi
yash: hahaha
neha thakur stool se uth khadi hui. yash ne neha ka bazo pakada aur neha ko ghuma diya. fir neha thakur ko peeche se hug kar gaya. neha thakur shocked hui aaine me yash ko dekhne lagi. aaj yash ke chahre par chamak alag thi. honto par muskan alag thi.
yash jhuka aur neha thakur ke gaal par kiss kar di.
yash: kasma se bohut payari lag rahi ho nehu!!.
aur neha thakur ka moh hairat ke maare khul gaya: nehu??.
yash: yess my darling.. my baby.. my sweetheart.. my janu! ummmah ummmmah ummmah
aur neha thakur ke chahre par sharam ke rang hamesha se zayada badh aaye
neha thakur hakla kar boli: yy--yash!.. aa-abhi kuch din rahte han na
neha thakur sab samjh gai thi
yash: nahiii nehu my darling. aaj mai 18 ka gaya hon.
neha thakur: pp-tumhari date of birth to--
yash: wo fake ha. real me mai aaj 18 ka ho gaya hon. wo to aap meri date of birth baare nahi janti thi. khud se anuman laga kar school me likhwa di thi. aur aaj ke din ke surprise ke liye maine bhi apni sahi date nahi batai thi..
aur neha thakur samay se kuch roz pahle hi yash ke khud ke itna aur aise karib aate jaan kar bhavanon ke ekdum se sharir me, dil me janam le jaane se kanpne lagi..
is baar yash ne neha ko ghumaya aur neha thakur ke chahre ko pakad kar apne hont neha thakur ke honto ke karib karne laga. neha thakur ke sharir me kapkapahat aur bhi adhik badhne lagi.
honto se hont milte. tabhi neha thakur ne yash ke seene par dono hath rakh kar yash ko peeche dhakel dia. khud bhi do kadam peeche hatkar gahri saanse leti hui yash ko dekhne lagi.
.
.
.
.
.
.
aaj ke liye itna hi mitro. milte han agle update ke sath jald hi. tab tak ke liye update ko bar bar read karte rahe.. like revo dil khol kar rakhne ka mitro...
Nice updateUpdate 4
**********
yash ne takkar maar kar ladke ko neeche gira dia tha. ananya ke moh se nikalte khun ne yash ki khun ko khaula dia tha. ragon me khun ki raftar ko badha dia tha. lekin yash joshila nahi tha. kam akal bacha nahi tha. super genius tha. sahnshakti me kamal haasil tha yash ko.
yash chahta to ladke ko wahin gaadh deta. lekin sab paas the aur abhi wo bacha tha dunya walun ki nazar me. yash ne khud ko shaant kiya. par ladka aur uske dost ghuse me aa gaye. ladke ka baaap apne bete ko samjhane laga. ladke ki maa angry woman thi. wo nahi mani. wo chahti thi, uska beta bhi yash ko takkar maare. jaise yash ne uske bete ko maari ha.
sarah sabko guse se dekh rahi thi. ananya aur sab bachhe ghabra se gaye the. lekin yash ki pitai wali baat par sabko gusa aane laga.
tab yash ne ek nirali baat neha thakur ke kaan me kar dali. sunkar neha thakur ki ankhen chamak uthi.
neha thakur: ladai se baat samjhale nahi sambhalegi. aisa karte han. mera beta aur(ladke ki maa se boli thi) aap ka beta. dono me race ka mukabala karwate han. aap ka beta race me jeet gaya to mere bete ko ek nahi do baar takkar maar kar apna badla le sakta h.
wo ladka aur uske dost neha ki baat sunkar yash ko dekhne lage
ladka: ye mujhse race lagayega!. ??????
ladke ki maa bhi has padi. ????
ladke ke baap ko ye baat badi ajib lagi.
neha thakur: haan!. aur tera beta mere bete se kabhi jeet nahi sakta. baat utni thi nahi. jitni badha di gai. mere beti ko kick maar kar bhi tumhare bete ko chain nahi mila. meri beti ka khun tak nikal dia tumhare bete me. ulta tumhi humpar bhadak rahe ho. mere bete ne takkar maari. bajaye mamla ko rafa dafa karne ke, bachhon ke beech khel kood me aisa ho jata ha. ye na soch kar apne americans hone ke ghamand me aa gaye tum log. ab mera beta sabke saamne tumhare bete ko hara kar uska aur tumhara sara ghamand chakna choor kar dega.
is bat par ladke ka baap bhi thoda ghusse me aa gaya tha. yash age me kam tha. ladka yash se age me double tha. yash race jeet hi nahi sakta tha. aisa sabko yakeen tha. idhar ananya lavanya sarah paridhi aur ankush sab ko bhi lag raha tha. yash haar jaayega.
lekin rashmi aur neha thakur dono confident thi. yash kyaa chiz ha. wo jaan gai thi.
300 meter ki race me do chakkar lagaye jaane tay hue. ab saahil par ladai khatam aur manoranjan start ho gaya tha. sab do line me khade ho gaye.
yash aur ladka dono barabar khade ho gaye.
yash ladke ko dekh kar masum face bana kar dhire se boli: race to tu haarega hi kutte. meri ananya ke moh se khun nikaal kar tuney apni maut ko awaz di ha.
ladka yash ki saaf english me badle lahje ko sunkar hairan bhi hua aur gaali sunkar gusse me aa gaya
ladka: ye race mai to jeet hi jaaunga. bad me bhi mai tujhe chhodunga nahi.
yash: bad me mai tujhe mujhe "nahi chhodunga" wali baat ke layak hi nahi rahne dunga.
race shuru hui aur yash dhime andaz me daudne laga. ladka speed se daudta hua yash se bohut aage nikal gaya. ye dekh kar ananya cheekh padi
ananya: yaaashhhhh!. tujhe haarna nahi jeetna ha. mere liye yash.. plz
yash ne mud kar nahi dekha
sarah: yaaashhh mere liye bhi.. plz tum tez daudo.. tumhe jeetna ha yaaashhh
lavanya: yaasshh!. tum haar gaye to mai tumse kabhi baat nahi karungi
paridhi: aur mai bhi.. yaashh mere bhai!. aaj in americans ko dikha do. hum indians sabse mahaan han.
ankush: yaashh!.. tez daudo.. plz mere liye.. mere bhai ho na tum.. hum chauhan han yaashh bhai.. tum bhi chauhan ban jaao. jeeet jaaao
ladka first round me 300 meter tak ja poncha tha. aur yash adhe raste me tha. ladka wapis aata hua yash ke karib se guzarta hua dheema huaa aur hasta hua bola..
ladka: hahaha!. bachhe ho tum abhi
yash ek kameeni smile ke sath bola: lekin tumhari mummy ekdum patakha ha. kitni sexy ha woh
itna bol kar yash is baar full speed se daudne laga. aur ladka kuch der ke lye wahi khada yash ko hairat fir bohut zayada ghusse se dekhne laga tha.
itni der me yaash 300meter point tak pohch wapis bhi aane laga
tab ladke ke dost aur uske mummy papa cheekhe: runn! paull!!. runnnn!.. fast!.
aur paul full speed se daud pada
lekin yash ke pairon jaise zameen par pad hi nahi rahe the. yash itni speed se daudne laga tha. dekhne wale hairat me pad gaye. is baar paul wapis se wahan pohncha jahan se race start kari gai thi. yash wahan pohnch wapis bhi aane laga tha
paul bhokhla gaya tha pahle yash ki bat sunkar aur yash ki speed dekh kar
is baar yash uske karib pohnch slow hua: bachhe to tum ho meri nazar me. tumhari koi aukat nahi ha mere saamne. race bhi tum haaroge aur zindagi ki bazi bhi.
yash ne paul ko dara aur paul darr gaya. wo sahi se bhaag nahi saka.. yash ne ye race jeet li
tab neha thakur ne khub ladke ki maa ko zaleel kiya. khud ke indian hone par garv ka izhaar kiya. wahan diffrent countries ke log bhi the kuchh.. wo clapping karne lage
<-------------------------------->
ghar pohch sab bohut khush the aur yashh ananya, lavanya, paridhi, ankush aur sarah ko ghoor kar dekhne laga. fir koi bhi baat kiye bina sabse alag jaane laga
sab yash se bohut khush the. aur ghar pohnch kar yash ko hug karke yash ke liye badh chuke pyaar ko show off karna chahte the. lekin yash ka mood dekh kar sabke moh utar gaye. sab hairan bhi hue. fir bhaag kar yash ko gher kar khade ho gaye
yash: mujhe kisi se baat nahi karni ha
ananya ko dukh hua woh rone lagi: kyun yash!. kyaa tum hamare bhai nahi ho
lavanya: nahi yash!. plz humse baat karni mat chhodo. humen hamari galati batav
aise hi sab bolne lage
yash: mai bahadur bachha hon k buzdil?.
sab: yash tum to bohut bade bahadur ho. hum sabse zayada bahadur ho
yash: lekin aap sab darpok ho. aap sab darr gaye the. mai akela tan kar khada tha. mai sabse chhota hon. fir bhi mai nahi dara. lekin aap sab darr gaye. aaj dono mummy wahan na hoti. aap sab toh side khade mujhe pit-te hue dekh keval ansu hi baha rahe jate. nahiii!. mujhe buzdil logo se nafrat ha....
mujhe unse pyaar ha. jinse mai nafrat karun. wo unse nafrat karen. mai jinse pyaar karun. sab unse pyaar karen. mai jinse ladun. sab unse laden. maine ananya di ke liye us ladke se ladai ki. aur ananya mere liye bol bhi nahi saki. koi bhi kuch bhi nahi kar paaya. bass thar thar kanpta raha wahan itne sare logo ko dekh kar. kyaaa yahi pyaar ha. kyaa itna thoda sa pyaar aap sab mujhse karte ho. jisse pyaar ho uske liye seena aage kar dia jaata ha aur aap sab..
yash chalak tha. baki sab abhi itne bade nahi the, aisi baaton ko pahle se hi sahi se jaan jaate. lekin yash alag tha. woh apne sath rahne walun ko sabse alag aur unique dekhna chahta tha. abhi se sabke andr hulchal badha kar, unke chhote se dimagon ko samay se pahle hi bohut bada bana dena chahta tha.
yaashh ka bhashan sunkar, yash ka kaatdar lahja sunkar pahle to sab bhuchakke hue. fir sab ke sab apne andr josh ko badhta hua feel karne lage. yash ki baaten sabko andr se jhanjhod kar rakh gai thi. pyaar ko alag hi andaz me janam de gai thi.
rashmi aur neha thakur kuch fasle par khadi hairani bhul kar garv se, pyaar se smile se yash ko dekh rahi thi
rashmi: neha yaar!. tuney yash ki surat mujhe bohut bada gift de dia ha yaar
neha: maine nahi!.. bhagwan ne. khud yash bhi hamare liye gift bankar aaya ha.
rashmi: yash nirala ha. hamare bachhon ko jaisa yash bana dega. mai to abhi se imagine karne lagi hon.
neha thakur: hamare bachhon ka future bada hi bright hone wala ha rashmi
rashmi ko shararat soojhi. woh neha ki gaand par hath ferti hui boli: aur tera.. hehehe.. haaaye meri banno rani.. tera dulhaa to kamal ka hai
neha puzzle hui. fir naughty hoti hui boli: mujhse punga nahi rashmi. warna yash jitna mujhe maanta ha. utna tujhe nahi. mai yash se kah dungi. mai akeli nahi hath aaungi uske. mujhe hath lagana ha to sath me rashmi ko bhi pata le. aur yash ke liye aisa kuch kar jana mushkil nahi hoga
aur rashmika ka moh dekhne wala ho gaya tha. neha thakur rashmika ka shocking face dekh hasne lag gai thi
wahi sab bachhe yash ki baaton par paul ke liye bade gusse me aa gaye.. sabse pahle sarah wapis ghar se bahar jaane wale raste par mudi
radhika: sarah tu kahan ja rahi ha
sarah ruki.. mudi aur bade hi gusse ke sath boli: mai us paul ka moh todne ja rahi hon. mai wahi tod deti. par sach me mai bohut darr gai thi. radhika mai yash se bohut pyaar karne lagi hon. mai yash ko nahi chhod sakti. yash ke liye mai paul se, sari dunya se takra jaaungi.
sarah ki baat par sabke moh aur bhi adhik khul gaye. aur is bar sab ke andr josh badh gaya. sab bhi sarah ke peeche bhaagne lage
paridhi: mai bhi us kutte paul ka moh tod dunga. usne mere bhai yash ko maarne ki baat kari thi
ananya: mai darr gai thi. kick lagi, mai giri to bohut darr gai thi. lekin ab nahi darungi.. yash plz.. tum mere bhai bane rahna. mai ab wada karti hon. paul se ya kisi se bhi nahi darungi.. usse darungi. usay peetungi.
lavanya: yash!. mujhe na ladai se darr lagta ha. kisi ko ladte dekh lun to meri ankhon ke aage andhera chhaane lagta ha. mujhe ladai wali movies bhi pasand nahi hai. yash mai tere liye paul se ladungi. yash mujhse sabse zayada pyaar karna tum. mai tumse sabse pyaar karti hon
lavanya sabse zayada masum thi. yash se bhi zayada. yash ke to do roop the.
ankush gusse se hawa me hi mukke aur laaten chalane laga tha..
ankush: mai pahle mukke maar kar paul ka moh todunga.. fir jaise usne ananya didi ko kick maar kar giraya ha. main bhi aise hi paul ko kick maar kar giraunga.
yash ne apne bhav nahi badle. masum face abhi masum dikhai nahi de raha tha
yash: paul ke ghar ka pata jaante ho aap sab
is baat par sab ek dusre ko dekhne lage. fir moh dheele banate hue bole: nahiii
yash: to fir wapis aao mere paas..
sab yash ke paas wapis aa gaye
paridhi ne yash ka hath pakad liya: yash tum humse pyaar karna nahi chhodoge na
aisi hi baatn sabne bari bari kari
yash: haan chhod dunga.
sabke chahre latak gaye
yash: agar aap woh na bane, jo maine aap sab ko bane dekhna chahta hon. mere liye, mere pyaar ke liye aap sab ko kadi mahnat karni padegi
lavanya ne yash ko hug kiya. yash ke gaal ko chuma aur bade hi payare andaz me boli: hum apne bhai yash ke pyaar ke liye kuch bhi kar jaayengi. yash bhai! tum kitne payare ho. kitni badi badi baaten karne lage ho. yash bhai! humen tumhari baton ki samjh nahi aa rahi ha. tum humen batao. hum kyaa karen.
ek ek karke sab yash ko hug karte yash ke gaal ko chum kar lavanya ke jaise hi apne jazbat ka izhaar karne lage. is samay raghuveer bhi ghar aa pohncha tha. wo ye scene dekh kar, baaten sunkar emotional ho gaya tha.
raghuveer mann me: yash beta! tum kyaaa ho!. chetavani bhi dete ho. aur aise kaam bhi kar jaate ho. kaise mai apne mann me tumhare prati bure vichar kabhi la sakunga. khilono se khelne ki umar me tum gyan bhi baant rahe ho aur mitti ke putlon ko insan bhi bana rahe ho. wo bana rahe ho. jo mai ek pita hokar bhi nahi bana sakta. itni kam umar me mai aisi baaten laakh chahne ke bawajud bhi nahi samjha aur sikha sakta tha. jo tumne pal bhar me samjha bhi deen sikha bhi den. aur sab ko apne peeche chalne par majbur bhi kar dia. pyaar ki aisi inteha kahan dekhne ko mil sakti ha. i am so proud of you my son.
rashmika aur neha thakur dono ki ankhen nam hone lagi thi.
raghuveer sab bachhon se mila. aaj sabse specially mila. dher sara pyaar aur dher sara gyan dia. himmat ko badhawa deti baaten kari. rashmika aur neha thakur bhi karib aa gai. apna pyaar jata kar apne apne andaz me vichar pesh karne lagi.
usi din shaam se ghanta bhar pahle sab karibi park me gaye. wahan pohnchte hi yash bola
yash: to fir mere liye apne pyaar ko sabit kar dikhaao aap sab
sarah: yash! humen kyaa karna ha.
yash: daud lagao. mere liye, mere pyaar ke liye. daudo, jitna zayada daud sakte ho, sab daudo.
sarah khil uthi: basss!.. itni si baat.
yash: haan!.. itni si baat!.. bass jab mai permission na dun. tab tak rukna nahi ha
sabne okay bola. aur ek sath daud pade.
sab yash ko dekhne lage. raghuveer neha thakur aur rashmika kuch fasle par grass par beth gaye.
panchu 5 min ke ek round laga kar yash ke pass pohnche. saans phulne lagi thi sabhi ki.
lavanya sabse zayada thak gai thi. karib pohnch kar boli: yashh!.. mai thak gai hon. mai ruk jaaun
dusre bhi aisa hi bolte, lekin yash ki baat sunkar bina ruke aage badh gaye
yash: jo ruka aaj mai usay apne sath nahi sone dunga.
lavanya ka moh dekhna wala ho gaya tha. wo rone wali bhi ho gai thi. fir uske andr josh badh gaya. wo is bar aur bhi tez daudne lagi
raghuveer: yash ko sabhi ko samjhane ka tarika bohut badhia ha
rashmika: har guzarte lamhe ke sath yash mere dil me aur bhi adhik gahraiyon me utarne laga h. sab bachhe aur bhi kitna zayada yash se pyaar karne lage han na.
neha thakur: haan!.. aur aisa yash ke pyaar ke kaarna hi possible ha. warna to pyaar hum bhi kitna sab se karte han. hamari nahi maan sakte. yash jaise bete ki mummy hona bade samman ki baat ha.
rashmi fir naughty mood me aai neha thakur ko dekh kar kuch bolne hi wali thi
neha thakur ne hath utha diya: kuchh boli to fir mai bhi bol dungi!.
neha thakur ke honto par shararat se bharpur muskan thi. rashmika ka khula band aise band ho gaya. jaise galati se ek bhi shabd moh se nikla to bhari parinam bhugana padega. aur neha thakur ke sath sath raghuveer bhi has pada.
sab bachhe ek round aur laga kar yash ke karib aa pohnche aur lavanya ki halat bohut buri ho chuki thi
wo yash se kuch bolne hi wali thi
yash sabko karib aate dekh kar peeche mud gaya. sab ke paas koi aur chara nahi tha. wo bhagte hue aage badh chale. ye yash ke liye pyaar ki inteha thi. sab bina ruke aage badhte chale gaye
tabhi yash ki nazar door ek bench pr bethe 28 yrs ke ek chinese person par padi. yash kuch pal usay ghoor kar dekhta raha. wo bhi daud rahe ankush aur sab ko dekh raha tha
yash neha thakur ke paas gaya.. aur usse ek baat kari.. neha thakur ne chinese person ko dekha aur
neha thakur: rashmi!.. raghu! mai aai kuch der me
aur neha thakur us chinese ke paas jaane lagi. wo chinese sab bachhon ko bhagte hue dekh raha tha. neha thakur ko apne karib aate hue dhayan me nahi rakh paya
idhar lavanya 3 round me yash ke paas aane se pahle hi kuch peeche grass par gir padi.. baki sab ki halat bhi buri thi.
yash sabse bola: jab tak giro nahi.. bhagte rahna ha..
paridhi phooli sans ke sath boli: yaash girne se chhot lag sakti ha
ankush: mujhe bhi.. meri tangen kaanpne lagi han yash
sarah: mujhe to lag raha ha yashh!.. jaise meri tangen beech me se jo hisson me deivde ho gai hon.
ananya: mai bhi bohut thak gai hon yaashhh!.. par thoda aur daud sakti hon
yash bina kuch bole lavanya ke paas gaya. lavanya apni thakan aur gir padne ko bhul kar hanpti hui uth bethi aur apni tangon ko dabati hui yash se boli
lavanya ki ankhon me ansu aa gaye the: yasshh!.. kasam se mai khud se nahi giri. mujhse aur nahi bhaga gaya. meri tangon me jaan khatam ho gai thi. tum plz mujhe apne sath sone dena yash. tumhare bina mujhe nind nahi aayegi
yash ne lavanya ko gale se laga kar lavanya ke gaal ko chum liya
yash: ap to sabse badhkar himmat wali nikli ho yaar
yash ka mood badalta rahta tha. kabhi kaise mukhatib karta aur kabhi kaise. kabhi didi to kabhi naam se pukar lia karta tha. ab ki baar dostana andaz me bola to lavanya bohut zayada thaki hone par bhi khil uthi.
yash ne usay sahara dekar khada kia aur support deta hua rashmi aur raghuveer ke paas ja pohncha. lavanya ki tangen buri tarah kanp rahi thi. karib pohnch kar lavanya dhadam se beth gai..
wahin yash ne mud kar dekha to ek ek karke sabhi gir pade the. sab apni apni jaga par bethe yash ko hi dekh rahe the. soch rahe the, lavanya ki tarah yash unke paas bhi aaye. aur lavanya ki tarah unse bhi baaten kare. unhe bhi lavanya ki tarah sahara de.
yash ek ek karke sabhi ke paas gaya. aur unhe leke rashmi raghuveer ke paas aa pohncha. rashmi aur raghuveer dono lavanya ki legs ko dabane me lage hue the. fir dusron ke sath bhi aisa hi karne lage. sab bachhe aise sukun mahsus karne lage the.
udhar neha thakur chinese ke paas ja pohnchi.. usse hello haaye ki. fir paas bethte ki ijazat maangti hui baat shuru kar gayi
neha thakur: Master hoshu! mera naam neha thakur ha. mai kuch roz pahle hi india se aai ho. aap ki pareshani ka solution mere paas hai.
hoshu ke murjhaye chahre par ekdum se jaise ronaq aa gai.
hoshu: mai kuch samjha nahi?.
neha thakur: master hoshu!. kuchh apne peeth peechhe chhura ghonpne me bade maahir hua karte han. kuchh apne bagairat bankar apnu ko hi matlab ke liye istemal karne se peeche nahi hata karte. aap ki jo bhi preshani ha. uski jad tak mai ponch chuki hon
master hoshu uth kar khada ho gaya. dono hathu ki muthiyan bheenchta hue neha thakur ko ajib si nazron se dekhne laga
neha thakur: master hoshu! cool down.. mai aap ke dushmano me se nahi hon. plz aap beth jaaiye.
master hoshu beth gaya: master hoshu!. mere liye ap ke mann me jo bhi thoughts a rahi hon. filhaal ke liye unhe side rakhte hue meri baat dhayan se suniye. mai aapki har uljhan door kar dungi. lekin sabse pahle aap apni wife ko bachane ki sochiye.
master hoshu: tum!... aaaappp! mere wife ke baare me kaise jaanti han.
neha thakur: sab sawalon ke jawab aap ko mil jaayenge. kyaa aap pahle apni wife ko na pa kar aise sawal karenge. jaaiye pahle apni wife ko apni custody me lijiye. fursat me mujhse miliye. mai to yahi kahungi, aap apni wife ke sath hamari sharan me aa jaaiye. aap ki wife hamesha ke liye surakshit rahegi. parde me chhupa aap ka dushman bhi benaqab ho jayega. fir aap usay badi asani se maut ke ghaat utar sakte han. hamesha ke liye happy life ji sakte han.
master hoshu ke chahre par ek rang aa raha tha. ek jaa raha tha.
master hoshu: mai kaise aap ki baaton par bharosa kar sakta hon?.
neha thakur ke honto par smile aa gai: aap ki ankhon me aas je jalte diye mujhe mere sachha hone ka sanket de rahe han. mai kon hon. detail me bad me bata dungi. asal me mujhe bhi aap se kuch kaam lena ha. na bhi lena hota to bhi mai aap ke kaam zarur aati. aur mujhe jo kam aap se lena ha, wo legal ha illegal nahi. ap ki aatma par koi bojh nahi aayega. aap ko mann ki khushi hi prapt hogi.
master hoshu ne ek gahri saans li. fir bola: hmmm!.. theek ha... kahan ha meri yana!!.
neha thakur ne yash se jana address master hoshu ko bata dia
master hoshu ek jhatke me utha to neha thakur apna address master hoshu ko batati hui boli: apni wife ko lekar mere ghar pr aa jaaiyega. wahin aap se mulaqat hogi.
master hoshu ne haan me sir hilaya aur neha thakur badbadai: yash bete to har step badi speed se lete ja rahe ho. abhi to india se usa ke safar ki thakaan bhi nahi utari aur tum itna sab karne lage.
<------------------------------>
master hoshu new york me rahe lakhon chinese me se ek tha. 100 masters me se ek tha. har prakar ki fighting me expert tha. master hoshu ke karibi rishtedar ne hi master hoshu ki wife ko kidnap kar liya tha. master hoshu ko majbur banaya ja raha tha, ek illegal aur jaan jaane ki hadh tak khatarnak kaam ke liye uspar dabav badhaya ja raha tha. lekin master hoshu kisi surat aisa kam karna nahi chahta tha. isliye upset sa hua park me aa betha tha. usay kuch samjh nahi aa rahi thi. police ke paas jata to wife ki tukdon me laash usay recieve karni padti. koi rasta sujhaai nahi de raha tha. bada jayala tha. usay pata chal jata, uski wife kahan ha. fir kuch bhi karke apni wife ko azad karwa leta. lekin kahin se koi pata nahi chal pa raha tha.
manzar raghuveer house ka tha. sab dinner kar chuke the. master hoshu apni wife ke sath wahi tha. bohut khush tha. apni yana ko pa gaya tha. master hoshu aur uski wife dono bhi dinner kar chuke the.
master hoshu uski wife yana, neha thakur raghuveer aur rashmika sabhi ek room me bethe hue the.
master hoshu: madam! aapne mujhe karazdar kar dia.
master hoshu apni wife yana ka hath pakad kar sahlate hue aage bole: mai aur yana bachpan se hi ek dusre se bohut pyaar karte aaye hann.
yana: mai wahan kaid me rah kar bohut tadpi hoshu ke liye. mere dil me darr tha. kahin hoshu mere kidnap ho jaane par majbur na ho jaaye. aaj tak bure karmon se bachte aaye han hum. aise me koi chara nahi rah jata tha hoshu ke pass. aur hoshu meri jaan bachane ke liye majbur ho jata. burai wali zindagi humen jeene ko milti, agar hoshu ko success milti. warna hoshu ki jaan jaane ke chances zayada the. hoshu ko kuch ho jata to mai bhi mar jati.
master hoshu: aap ki waja se meri yana sahi salamat mujhe mil gai. burai ke raste par chalna bhi mere liye maut thi. aap ki waja se mujhe zindagi bhi mil gai aur rooh ka sukun bhi.
yana: hum aap ka ahsan nahi utar sakti madam.. ek akhri ahsan aur hum par kar dijiye. humen hamare dushman ke baare me bata dijiye. jab tak wo nahi marega, hum sukh se ji nahi paayenge.
neha thakur: kuch rishte dil se ban jaya karte han. aur aap dono ke liye hamare dilon me badi mohabbat janam le gai ha. maine kaha tha, mujhe bhi aap se kuch kam lena hai. lekin aap ko iska muavaza wasul karna padega. hum free me aap ki sahayata nahi le sakte han. hamara jo kam aap se ha. wo long term ke liye hoga. isliye aap inkaar mat kariyega.
master hoshu ke pochhne par neha thakur ne bol dia. wo apne bachhon ko na keval har tarah ki fighting me exeprt dekhna chahti han. physically mentally bhi strong dekhna chahti han. itna strong k kabhi koi unke saamne thahar na sake.
aur master hoshu ke sath sath yana ne shukar guzari ki ek gahri saans lete hue bharpur khushi ka izhaar kiya. dil se apni sevaon ka, apni bhavanaon ka izhaar kiya
ant me neha thakur ne master hoshu aur yana ko unke karib apne hi ek asteen ke saanp ka bata dia.. dono sunkar chaunk uthe.
yana: hoshu!.. maine pahle hi apne shak ka izhaar kar dia tha na
hoshu sharminda sa hokar bola: haan yana!.. tab mujhse laparwahi hui. aur ye din dekhna pad gaya. in kuch dino me mai pal pal mara hon.
usi raat master hoshu ne apne relative apne asteen ke saanp ke sir kuchal dia. ab wo azad tha. ab uski yana ke liye koi khatra nahi tha..
idhar yash raat ko utha. bed se utar kar kamre se nikla aur fir house se bhi bahar nikal kar kuchh doori par ek ped ke paas gaya.. ped ki ek shaakh me ek chhed tha. us chhed me ek sanp ka basera tha.
yash khada hokar us chhed ko ghoorne laga. kuch h seconds guzre the. ek black snake chhed se bahar nikal kar reengta hua, ped se utarta hua yash ke saamne a kar phun uthaaye khada ho gaya
yash ghutno par betha aur saaap ki ankhon me dekhne laga. yash ki ankhon se nikal rahi magnatic rays se saanp sammphit ho gaya
yash: meri ankhon me ghor se dekho.. tumhe ek chahra dikhaai de raha hoga. ise ghor se dekh lo.. sivaye is chahre wale ke kisi aur ko mat maarna.. ise jaan se maare bina wapis mat aana.. ab jaaaao
yash ne jaise hukam diya. saanp apna phun zameen par tikata hua ek disha me reengta hua jaane laga. yash saanp ko dekhta hua badbadaya: mai masum hon. mujhse pyaar karne wale masum han. masum bankar jaan bhi maang lo. hum de denge. humse takrane ki surat me sivaye maut ke kuch nahi milega. masumon ke khun ke badle khun bahana hoga.
kuch der bad yash sabke beech bed par leta so gahri nind so raha tha.
agli subah paul apne bister par murda halat me mila. usay saanp ne das liya tha.
.
.
.
.
.
.
.
aaj ke liye itna hi mitro.. milte han apne update ke liye jald hi.. update pasand aaye to dil khol kar like comments pelne ka. sardiyon me likhte hue hath kam chhodne lag jate han.. isliye kanjoosi nahi karne ka. wadde dil wale hone ka sabut thokiyega..
bohut bohut shukriya bhai . kahna mushkil ha. khair dekhte han kiska number pahle lagta haSabse pehla kiska number lagage...kahi ankush ka toh nahi![]()
bohut bohut shukriyaBahot jabardast bhai kiya update tha bhai mast maja aa gaya bhai![]()