• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Vengeance ~ Revenge is sweet [ᏚᎩᏚᎢᎬᎷ]

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Who are your two favorite male characters in this story?

  • Total voters
    317

RJ02YOGENDRA

Jaaaaaanam.......
151
312
64
we do use popunders instead of popups

Btw we have customised our codes for those who use ad blockers :hint: they will get to see more ads if they use any kind of adblockers :D

Cant you see why only few users are getting extra ads and why remaining people are not complaining if they do try to block the ads they will get to see more ads its as simple as that :dazed:

If you’re not satisfied with my answer , create a new id and check for yourself

Moreover sometimes cache does the things worse , ask the person to clear browser cache and restart their device it will sort things out

Regards
I don't see ads because I use Brave browser 😁
 
CG

Sab Chutiyapa hai Bhaya
1,995
3,556
159
we do use popunders instead of popups

Btw we have customised our codes for those who use ad blockers :hint: they will get to see more ads if they use any kind of adblockers :D

Cant you see why only few users are getting extra ads and why remaining people are not complaining if they do try to block the ads they will get to see more ads its as simple as that :dazed:

If you’re not satisfied with my answer , create a new id and check for yourself

Moreover sometimes cache does the things worse , ask the person to clear browser cache and restart their device it will sort things out

Regards
Check with your ACP which device I am using mostly. To type this message already 3 pop up/popunders appeared. No ad blockers are installed on my phone.
 
sorbobhuk

Well-Known Member
2,422
5,805
158
UPDATE 53 ~
(BACK TO HOME)

****
Pune Outskirts
Old Factory ~ 1:50 PM

*Beep*

Aetheria: Welcome Back, Corpse!

Aarav ke gate kholte he Aetheria ne uss ka welcome kiya, Wanhi ye daikh ker Tarun aur Akanksha heraan ho gye, Aarav unhe Veer ki banayi underground base per le ker aya tha.

Tarun(Amazed): Boss, Ye ap ne kab banaya?

Akanksha ke chehre se dikh raha tha ke wo bhi ye he puchna chahti hai, Aarav unhe le ker andar aa gaya.

Aarav: Ye mere ek friend banaya hai! Lekin ab ye hamara hai, Hum ye apne liye Use ker sakte hai.

Dono uss ke peeche sab kuch daikh ker heraan ho rahe the, Aisa kuch unhone sirf filmon me daikha tha, Lekin ab unhe sach me aisa kuch dikhayi de raha tha.

Aarav: Aj se hum yahan kaam karne wale hai! Tum sabhi yahan reh sakte ho, Kuch din me upar wali factory renovate ho jaye gi, Uss ke baad tumhe yahan ane ke liye kuch bhi pareshani nahi ho gi, Ye hai hamari guild ka naya Ghar!!

Dono ki aankho me chamak aa gayi, Dono pehli baar kisi guild ko join ker rahe the, Pehli baar he un ka experience itne kamal ka ho raha tha, Kanhi na kanhi dono ne kisi Guild me jaane ka sapna chhod diya tha, Lekin ab wo ek guild me aa gye the to unhe vishwas he nahi ho raha tha.

Akanksha: Ap bhi hamare saath yanha raho gye kya?

Aarav: Nahi, Mujhe abhi wanhi rehna ho ga! Mere Project ke liye ye zaroori hai.

Akanksha(Low Tone): Hmm, Okay!

Akanksha ka muh utar gaya, itne samay ke baad Aarav usse waapis mila tha, Lekin abhi bhi wo uss ke saath reh nahi sakti thi, Usse aise daikh ker Aarav ne uss ke paas ate huwe uss ke sar per haath rakh diya.

Aarav: Ab aise muh nahi latkao! Ek baar sab kuch ho jaye uss ke baad hum sab ek saath rahe gye, Lekin tab tak hamay adjust karna ho ga.

Aarav ki baat sun ker Akanksha ke Chehre per muskurahat aa gayi, Usse ache mood me daikh ker Aarav unhe aage le ker jaane laga, Ek gate ke baahir sabhi ruk gye.

Aetheria: Entering the Mana Stone Storage Room!

*Wooosh*

Aetheria ne un ke liye gate khol diya, Aarav un dono ko saath le ker andar chala gaya, Andar ate he dono ki aankhe khulne lagi, Room ke andar bohat se Mana stone rakhe huwe the aur sabhi high rank ke Mana stone the.

Tarun: Boss, Ye sab kya hai?

Aarav: Aj se tum yahan kaam karne wale ho! Yahan Blue Moon project ke liye Stone purify ho gye.

Tarun: Lekin mujhe Purify karne nahi ate! Mujhe laga tha ke ye ap ki special ability hai.

[Master!]

Un ke baat karte huwe he Tinkerbell ki cheekhne ki awaaz ayi, Aarav ne uss taraf daikha to Tinkerbell ek table ke upar baithi huwi thi, Uss ke haath me ek pankh pakda huwa tha aur aage stone rakhe huwe the.

Tinkerbell(Sobbing): [Sorry, Master! Mujhe uss din darwaza nahi kholna chahiye tha, Lekin Please ab ye punishment khatam ker de na, Ab aur Engraving nahi ker sakti]

Tinkerbell buri tarha se thak chuki thi, Aarav ne usse uss din ke liye saza di thi, Usse ignore karte huwe Aarav dono ko aage dikhane laga.

Aarav ne ek stone nikala aur ek pankh uthate huwe table per aa gaya, Wahan ek book rakhi huwi thi.

Aarav: Stone Purify karna koi Ability nahi hai! Rune Engrave karne se hum Stone ka nature aur bohat kuch badal sakte hai, Lekin sahi Rune pata hona bohat zaroori hai, Tumhare paas Skill ho sakti hai, Lekin jab tak tumhe Runes ka nahi pata tumhari skill useless hai.

Tarun: Ap keh rahe ho ke Mana Stone sirf Rune Engraving se purify ho rahe hai?

Aarav: Yes, Lekin sirf Rune Engraving nahi! Ye Runes hazaron saalo ki mehnat se banaye gye hai, Lekin ye itne Powerful hai ke ye sirf ek secret ban ker iss kitaab me chupa diye gye hai.

Aarav ne book aage karte huwe kaha, Ye book Aarav ko Tutorial Tower ki pejli quest ke samay Skeleton se mili book thi, Aarav ne usse Prison me dhayan se padha to ye sirf ek information book se bohat zada thi.

Ye Stone Monarch's ke banaye gye Runes the, Yanhi per Battle Stone banane ke liye bhi Runes the, Wohi battle Stone jis ne kabhi Aarav ko bachaya tha.

Tab Aarav kitaab ki value samajh nahi saka, Lekin ab wo usse samajh bhi raha tha aur Use bhi ker raha tha.

Aarav: Mere saath contract me hone se tum mere Skill Use ker sakte ho! Tumhare saath Malia bhi Use ker sakti hai, Ab se tum dono ye Rune engraving seekhne wale ho, Ye Runes sirf skill se nahi ban sakte, Ek galti aur pura stone waste ho sakta hai, Ab mujhe dhayan se daikho.

5d14be0508abf318c321b23e1a15d19a.jpg

Aarav ne ek laal stone utha ker apne paas kiya aur Pankh uss ke upar rakhte huwe Rune Engrave karne laga-

Tarun: Ye pankh konsa hai? Aisa Pankh mujhe pehle kabhi nahi dikha!!

Aarav: Ye phoniex bird ka feather hai! Ye Runes ki power badha deta hai, iss pankh se ki gayi Engraving seedhe stone ke mana per Engrave karti hai, Koi chah ker bhi isse daikh nahi sake ga, Lekin ye ek aur wajha se zaroori hai.

Aarav ke pankh rakhte he Aarav ke haath se Mana nikalne laga, Pankh se hote huwe Mana Stone me jaane laga.

Aarav: Aise Runes ko sirf mana se Engrave ker sakte hai! Bohat zada mana hona chahiye engraver ke paas, Lekin itna mana sirf kuch cheeze he bardasht ker sakti hai, Phoniex Feather ke liye ye Mana koi badi baat nahi hai.

Aarav ne pankh hata diya, Runes khud he stone ke andar gayab hone lage, Uss ka nature aur shape badalni shuru ho gayi thi.

a723978387e30d8319edb31dc30f111f.jpg

Aarav: Lekin sirf Pankh he nahi! Ye Runes bhi har koi handle nahi ker sakta, Malia ke paas Mana hai, Lekin sirf itna ke wo ek din me 2-3 Stone he purify ker sakti hai, Yanhi tum beech me ate ho.

Tarun(Shocked): Main? Lekin kaise?

Aarav ne ek normal stone nikal ker Tarun ke haath me pakda diya, Tarun ko samajh nahi ayi ke Aarav kya karwana chahta hai.

Aarav: Tumhari Ability Mana Manipulation se tum ye kaam ker sakte ho! Tumhe simply low rank stone se Mana le ker Engraving karni ho gi.

Tarun: Ye ho sakta hai kya?

Aarav: Ye kaam bohat mushkil hone wala hai! Shuru me tum ek bhi mushkil se ker sako gye, Lekin jaise jaise tum karte raho gye tumhari Ability aur Skill dono grow karti rahe gi, Aise tumhari Ability per bhi tumhari pakad mazboot ho jaye gi, Lekin tumhe pura focus karna ho ga.

Tarun haath me stone pakde soch me per gaya, Aarav uss per ek badi zimedari daal raha tha, Aarav ke anusar ek galti bhi pura stone barbad ker sakti thi, Lekin Tarun ke liye ye bilkul new experience hone wala tha.

Tarun: Wokky, Boss! Main ache se mehnat karunga, Ap ka bharosa tootne nahi dunga.

Tarun ki baat sun ker Aarav muskura diya, Tarun wanhi baith ker shuru ho gaya, Wo bilkul bhi samay barbad nahi karna chahta tha, Aarav usse wanhi chhodte huwe Akanksha ko le ker baahir nikalne laga.

Tinkerbell: [Master, Ab to mujhe jaane do]

Aarav: [Tum aa sakti ho mere saath! Lekin tumhari punishment abhi puri nahi huwi]

Tinkerbell(Happy): [Okay, Master!]
.

Tinkerbell khushi se pankh wanhi rakhte huwe Aarav ke saath baahir aa gayi, Tarun ko wanhi chhodte huwe wo log baahir aa gye.

Akanksha: Ab hum kanha jaane wale hai?

Aarav: Training room ki taraf! Ab tumhe sword se larna seekhna ho ga, tum sirf apni Ability per he nirbhar nahi reh sakti ho, Tumhe khud larna seekhna ho ga.

*Beep-Beep*

Message ki tone sun ker Aarav ne apna phone nikal liya, Aarav ne screen per daikha to usse Tanu ne family chat group me add kiya tha.

Aarav ne group khola to uss me Tanu ne kuch nahi picture send ki huwi thi, Aarav ne usse open ki to wo picture baby kitsune ki thi.

9b33b6bae937165c43d7844d70b42fd5.jpg

Akanksha: Ye to kitsune hai na bhayia? Kitsune ki picture ye ladki kaise bhej rahi hai ap ko?

Aarav(Sigh): Bohat lambhi kahani hai! Lekin ab baby kitsune uss ghar me reh raha hai.

****
Veer's House
Mumbai ~ 9:13 AM

4 Days Ago.....,

*Click*

Darwaza kholte huwe ishika aur Tanu tezi se baahir aa gayi-

Ishika: Tanu, tum ne mujhe time kyu nahi bataya? Office ke liye late ho rahi hu main.

Tanu(running): Sorry Di! Masti karte huwe time ka ehsaas he nahi huwa, Abhi bhi time hai ap pohanch jaye gi.

Dono bhaagte huwe sidhiyon se neeche chali gayi, Unhen saamne he table per Meera aur Priya baithi dikh gayi.

Meera: Tanu aur ishika beti ayi hai kya?

Tanu: Haan ji Maa! Please jaldi se breakfast de de, Hum late ho rahe hai.

Priya: Kanhi late nahi ho rahi tum! Jeth ji aur Papa ji ne aj tum dono ko ghar rukne ke liye kaha hai.

Ishika: Wo kyu?

Priya: Mujhe bhi theek se nahi pata! Lekin kal tumhare boss aur Malhotra uncle ke kuch Illegal business per raid huwi hai, Dono raat ko bhaag gye hai, Lekin media wale hamay target ker rahe hai, Aj ke din unhone hamay ghar rehne ke liye kaha hai.

Priya ki baat sun ker ishika aur Tanu dono wanhi ruk gayi aur ek dusre ko daikhne lagi, Abhi kal raat he wo dono un dono se mili thi, Unhe thodi ghabrahat hone lagi thi.

Priya: Lekin tum kuch bhool rahi ho ishika?

Ishika(Frowns): Ab kya huwa?

Priya(Sigh): Huh, Tumhe nahi lagta ke tumhe apne bade bhai ko kal raat ke liye thanks kehna chahiye? Wo bechara kal puri raat tumhare paas baitha tumhara khayal rakhta raha hai, Upar se tumhe haatho me uthaye bhi wohi ghar laya hai.

Ishika ke gaal dobara laal hone lage, Usse tanu ne bataya tha ke kal sab ne Aarav ko usse uthaye daikha hai, Lekin ab jab uss ki Maa khul ker keh rahi thi to usse sharam aa rahi thi.

Meera: Ye to tumhari Maa sahi keh rahi hai! Ek thanks to deserve karta hai Aarav, Lekin sirf tum he nahi Tanu ko bhi thanks kehna chahiye, Kal tum bhi to saath he thi.

Tanu: Maa!

Meera: Abhi koi Maa nahi! Tum aur ishika abhi Aarav ko thanks keh ker aoo, Uss ke baad breakfast karna.

Dono ek dusre ko daikhti huwi waapis upar jaane lagi, Kal raat ke baad dono Aarav ko face karne se hichkicha rahi thi, Aarav ke kamre ke baahir ja ker dono khadi ho gayi.

Ishika: Ab kya kare?

Tanu: Waapis chale hai na! Maa se keh de gye ke thanks keh dia?

Ishika: Lekin agar unhone Aarav se pucha to? Hamay sach me thanks to kehna chahiye.

Dono uss ke darwaze per he khadi pareshani me doobi huwi thi, Dono me se koi bhi aage nahi badh rahi thi.

*Click*

Andar se kundi ki awaaz ayi, Lekin unhe samajh nahi ayi ke ye khuli hai ya band huwi hai? Ishika ne gehra saans lete huwe door handle pakda aur uss ghooma diya.

Ishika: Main andar aa sakti hu kya Aara-

Ishika kehne ko huwi lekin uss ki awaaz beech me he ruk gayi, Uss ke saamne Aarav kursi per baitha huwa tha wanhi uss ke saamne ek ladki table per bent kiye huwe bilkul naked khadi huwi thi, Aarav ka haath uss ki kamar per rakha huwa tha.

Tanu: Kya huwa Di?

Ishika ne side per tanu ki taraf daikha to wo usse heraan daikh ker confuse khadi huwi thi, ishika ne waapis kamre me daikha to wo aur bhi chaunk gayi, Saamne ab sirf Aarav baitha huwa tha.

Ishika: What the fuc-!

Ishika ko kuch samajh nahi aa rahi thi, Uss ne abhi Aarav ke saath ek Nude ladki ko daikha tha, Lekin ab wahan koi ladki nahi thi, ishika kamre ke andar hote huwe daikhne lagi per pure kamre me koi nahi tha.

Aarav: Kuch chahiye kya aap ko?

Aarav ka saval sun ker ishika ko dhayan aya ke wo kaise bina kuch kahe seedhe andar ghus ayi hai.

Tanu: Ye kon hai?

Tanu ekdum se baahir se andar aa gayi aur seedhe Aarav ke paas chali gayi, Uss ki nazar Aarav ke haath me pakde baby kitsune ke upar thi, Baby Kitsune bhi uth chuka tha.

Aarav: Umm, Ye mere ek friend ka pet hai! Usse kuch dino ke liye kanhi jana hai to ye mujhe diya hai.

Aarav unhe baato me behla raha tha, Wanhi balcony ke baahir Malia kapde pehan rahi thi, Aarav ne ishika ki nazar se bachate huwe baahir bhaga diya tha, Uss ki speed se sirf ek pal me wo balcony me chali gayi thi.

Tanu(Happy): Aww, Kitna cute puppy hai ye! Konsi breed hai?

Baby Kitsune ne Artifact pehna huwa tha, Artifact se Baby Kitsune bakiyo ko ek dog ki tarha dikhayi de raha tha.

Aarav: American Eskimo!

Kitsune ki mostly appearance American Eskimo se similar thi, Artifact se usse aur bhi waisa bana diya gaya tha, Ye common breed nahi thi to ye breed chose karna he zada sahi tha.

Baby Kitsune: *Yawn*

Tanu: Aww kitna adorable hai! Di ap bhi daikho na kitna cute lag raha hai ye.

Ishika bhi Aarav ke paas aa gayi, Ye chance milte he Aarav ne Malia ko jaane ka signal de diya, ishika bhi baby Kitsune ko daikhne lagi, Usse bhi kitsune cute lag raha tha.

Ishika: Kya naam hai iss ka?

Ye saval sunte he Tinkerbell ka muh ban gaya, Ab dobara Aarav naam dene wala tha, Uss ki naming sense kaisi hai ye Tinkerbell ko ache se pata tha.

Aarav: Eskimo!

Tanu aur ishika dono herani se usse daikhne lage, Aarav ne literally breed ko he naam rakh diya tha.

Tanu: Seriously? Ye naam rakha hai ap ne?

Aarav: Kuch galat hai kya? Agar acha nahi laga to khud koi naam de do!

Tanu usse dhayan se daikhte huwe naam sochne lagi, Ishika aur tanu dono baby kitsune ko daikh ker bhool he gayi thi ke wo yahan kya karne ayi hai aur un ke saamne baitha shakhs Aarav hai jis ke khilaf kal wo sazish rach rahi thi.

Tanu: Fluffy! Aj se tumhara naam Fluffy hai, Kaise ho Fluffy?

Baby Kitsune: Woof!

Baby Kitsune ne khushi se bark kiya to dono usse daikh ker khush ho gayi, Usse ye naam pasand aya tha, Tanu ne haath aage kiya to Baby Kitsune uss ke paas chala gaya.

Tanu: Aww, Please kya Fluffy mere saatg reh sakta hai kya? Main vada karti hu ke fluffy ka pura dhayan rakhu gi.

****
Present......,

Akanksha(Pout): To ap ne kitsune unhe de diya? Ap ko nahi lagta ke ap kuch zada he ache ban rahe ho?

Akanksha ka thoda muh latak gaya, Aarav samajh gaya ke usse jealousy ho rahi hai.

Aarav: Kuch badi baat nahi hai! Unhe shak nahi ho ga, Ab main bhi baby Kitsune per nazar rakh saku ga, Uss ne recent me he tail nikali hai to usse pampering ki zarorat hai.

Akanksha chup ker gayi, Aarav usse le ker Training Room me chala gaya, Malia pehle se andar un ka wait ker rahi thi.

Aarav: Akanksha, Go gear up! Hum training shuru karne wale hai, Aj tumhe main train karu ga.

Akanksha ye sun ker khush hote huwe wanhi rakhe protective gears daikhne lagi, Utne me Malia Aarav ke paas aa gayi, Uss ka chehra laal ho raha tha aur wo Aarav se eye contact nahi bana rahi thi.

Aarav: Kuch huwa hai kya?

Malia: I don't know! Lekin uss din ke baad ye body ajeeb behave ker rahi hai, Raat ko ye body khud he heat ho rahi hai ap ke baare me soch ker, Ab ap saamne ho to ye body extra sensitive ho rahi hai.

Malia ki body natural react ker rahi thi, Lekin uss ke liye ye feeling bilkul nayi thi, Uss din to usse pareshani me samajh nahi ayi, Lekin ab usse Aarav ko daikhte huwe bhi ajeeb lag raha tha.

Aarav: Baad me ye problem solve kare gye! Lekin abhi mujhe tum se puchna hai ke tumhe sach me koi dikkat to nahi hai na tumhare baby ke wahan rehne se?

Malia: Bilkul bhi nahi, Master! Ap ne usse apne paas rakha hai, Mujhe vishwas hai ke ap uss ki raksha mujh se bhi achi ker sakte hai.

*Clang*

Ekdum se Akanksha ka haath lagne se kuch swords neeche gir gayi, Akanksha shirt change ker rahi thi, Uss ne abhi wo sirf ek sleeveless shirt pehne huwe thi.

Aarav ki nazar uss ke baazo per bane nishan per chali gayi, Aarav seedhe uss ke paas chala gaya aur uss ka haath pakad ker daikhne laga.

Aarav: Ye nishan kaisa hai?

Akanksha foran haath chudwate huwe nishan chupane lagi, Aarav ko samajh aa gayi ke kuch to baat hai.

Akanksha(Nervous): Ye to bus aise he! Kanhi lag gayi ho gi na?

Aarav ne Akanksha ko pakadate huwe apne paas kheench liya, Aarav seedhe Akanksha ki aankhon me Aankhen daale huwe khada tha, Un ke cheharon ke beech sirf inches ki distance thi.

Aarav: Ye nishan kaise aya?

Akanksha ghabra gayi, Uss ki aankhon me ansoo ane lage.

Akanksha(Tears): Jab main chacha chachi ke saath rehne lagi thi! Chachi ne Papers sign karwane ke liye mere haath per garam tel daal diya tha.

*Sigh*

Aarav ne Akanksha ka haath chhod diya, Akanksha usse masalne lagi, Aarav ki pakad bohat zor ki thi, Aarav peeche ho ker usse daikhta raha.

*Ring-Ring*

Aarav ka phone ring kiya to Aarav ne Akanksha se nazar hata ker screen per daikha, Call uss ki secretary ki thi.

Aarav: Hello!

Secretary: Good Afternoon Sir!.....Sir ap se milne ke liye Miss Sonia personally aa rahi hai, Abhi wo on the way hai.

Aarav: Theek hai! Unhe wait karne ke liye kehna, Mujhe kuch samay lagay ga ane me.

Secretary: Okay Sir!

****
Singh Enterprises
Mumbai ~ 5:19 PM

*Click*

Aarav darwaza kholte huwe Car se utar gaya, Aarav ne yahan ate huwe Suit pehan liya tha, Usse wahan daikhte he secretary wahan aa gayi.

Secretary: Evening Sir!

Aarav: Kya situation hai?

Aarav ne chalte huwe he pucha, Secretary ne apne haath me pakda huwa tablet open ker liya.

Secretary: Hum ne sabhi media walo ko building ke paas se hata diya hai! Yahan ate huwe ap ko kisi ne nahi daikha, Miss Sonia ap ka andar ap ke kamre me wait ker rahe hai.

Secretary tablet se Aarav ko brief report dene lagi, Aarav bhi office ki taraf badhte huwe sab kuch sunta raha, office ke baahir pohanch ker Aarav ne secretary ko baahir rukne ke liye keh diya.

Aarav: Ye meeting main akela attend karu ga! Tum abhi baaki sab kuch daikh sakti ho.

Secretary orders follow karte huwe wahan se chali gayi, Aarav darwaza push ker ke kholte huwe andar chala gaya, Saamne he chair per Sonia baithi huwi thi, Usse daikhte he ek pal ke liye Aarav bhi ruk gaya.

71987bee2c0aa1ba8769439b546fa557.jpg

Sonia ka wahan baithe huwe he ek different Aura tha, Usse daikh ker pata chal raha tha ke wo yahan tak kaise logo ko face ker ke ayi hai, Aarav seedha andar chala gaya.

Usse daikhte he Sonia bhi khadi ho gayi, Aarav ne uss ki taraf jaate huwe apna haath aage badha diya, Soniya ne bhi usse tham ker handshake ker liya.

Aarav: Miss Sonia? Mujhe laga nahi tha ke itni jaldi ap ko dobara daikh saku ga!

Sonia: Aisa kya? Lekin jab saamne wala ap ke jaisa dilchasp insaan ho to milne ka mann karta rehta hai.

Aarav muskurate huwe apni chair per baith gaya, Sonia uss ke saamne baith gayi.

Aarav: Kya le gi ap?

Sonia: Actually mujhe ek aur meeting attend karni hai! Agar hum seedhe business per aa sakte to mujhe zyada khushi hoti.

Aarav: Sure! kahiye ap ko kya kehna hai?

Sonia: Mr.Aarav, Yahan aj mere ane ka maksad Blue Moon project se related hai! Main Blue Moon project ko sponsor karne me interested hu.

Aarav: Hmm! Meri secretary ne ap ko sabhi conditions bata di ho gi?

Aarav ki baat sun ker Sonia ne apne bag me se ek Envelope baahir nikal liya, Envelope daikhte huwe uss ne Aarav ki taraf khisaka diya.

Sonia: Ye meri conditions hai! Ek baar padh len.

Aarav ne envelope se contract nikal ker usse padhne laga, Sonia ki company project me bohat zada Shares maang rahi thi, Aarav ne usse waapis table per rakh diya.

Aarav: Nope! Ye demands acceptable nahi hai.

Sonia: Mr Aarav, Shayad ap situation ko samajh nahi rahe! Ap ki company ki reputation Sachin Malhotra ki wajha se bohat kharab huwi huwi hai, Ap jo shares offer ker rahe ho uss per sponsor milna bohat mushkil hai, Shayad koi aye bhi nahi.

Aarav: To main puch sakta hu kya? Miss Sonia, Phir ap yahan kya ker rahi hai?

Aarav chair per relax hote huwe kaha, Sonia ko aise javab ki he umeed thi, Sonia ke aage bade bade log dab gaye the, Lekin Aarav uss ki aankhon me Aankhen daal ker baat ker raha tha.

Aarav: Wo log yahan nahi aye gye kyu ke wo ye project deserve nahi karte! Lekin hum dono ek he tarha se soch rahe hai, Un sabhi logo ka vision sirf Eternapower tak seemit hai, Lekin tum yahan aage ka soch ker ayi ho, Lekin tumhe Blue Moon ka future dikh raha hai!

Aarav ne beech me ap se tum kehna shuru ker diya, Sonia usse dhayan se observe karte huwe uss ki sabhi baate sun rahi thi, Lekin wo andar he andar Aarav se impress hoti ja rahi thi.

Sonia(Smile): Bilkul jaisa mujhe laga tha! Tumhari target shuru se main thi? Baaki sab sirf promotion ke liye wahan the!

Aarav uss ki baat sun ker muskura diya, Blue Moon project ko Sponsor karne ki power sirf kuch logo ke paas thi, Un me se ek Sonia thi.

Aarav ne drawer khola aur ek naya Envelope nikal ker table per rakh diya.

Aarav: Ye ek nayi offer hai! Conditions abhi bhi Wohi hai, Lekin ab ye contract sirf Eternapower ke kiye nahi pure Blue Moon project ke liye hai, Mujhe 10 bewakoof sponsor se tumhare jaisa ek Strong partner saath rakhna acha lage ga.

Aarav ki offer sun ker Sonia muskuaye bina nahi reh sakti thi, Aarav kitne risky decisions le raha tha ye dono ko pata tha ke ye bewakoofi hai, Lekin Aarav ki offer dikhane ka andaz he usse alag bana raha tha, Sonia khud ko rok nahi sakti thi.

Sonia(Smile): Tumhare saath kaam ker ke acha lage ga! Main sach me daikhna chahti hu ke tum mujhe kya kuch naya dikhane wale ho, Mr. Aarav Singh!!!

Aarav: Tum bilkul bhi disappoint nahi ho gi! Bohat kuch naya daikhne ko mile ga tumhe, Aise he mere saath chalte rehna, Lekin hamay kuch din rukna ho ga.

Sonia: Aisa kyu? Kabhi jaane wale ho kya tum?

Aarav(Sigh): Haan, Ab waapis ghar jana ho ga mujhe! Lekin mujhe zyada samay nahi lage ga, Purani yaadien peeche chhodne ka samay aa gaya hai.

****
Sainte-Croix Hospital
France ~ 6:32 AM

*Knock-Knock*

Aakash ke ward ke darwaze per knock huwi thi Barbie neend se uth gaya, Upar ghadi ki taraf daikha to abhi 6 baj rahe the, Aankhen saaf karte huwe Barbie Ward ke darwaze per chala gaya.

*Click*

Barbie ne darwaza khola to uss ke saamne Saanvi khadi huwi thi, Usse daikhte he Barbie ne saamne se hat ker usse andar ane ka raasta diya, Haath me ek box pakde Saanvi andar aa gayi.

Saanvi: Kaise ho?

Barbie: Main theek hu Ma'am! Lekin ap itni subha yahan kaise?

Saanvi ne box aage karte huwe dikhaya, Barbie ne calender daikha to usse sab samajh aa gayi, Saanvi andar aa gayi.

Saanvi ki nazar seedhe bed per laite Aakash per chali gayi, Uss ke kadam khud he dheeme ho gye, Saanvi wanhi Aakash ke paas ja ker baith gayi.

Saanvi: Happy Birthday!

Saanvi ne dheemi awaaz me kaha, Box ko wahan rakhte huwe Saanvi cake nikalne lagi, Aj Aakash ka Birthday tha.

Barbie: Mujhe kehna to nahi chahiye! Lekin ap ko ye sab karne ki zaroorat nahi hai, Aakash sir bhi ye he chahte hai ke ap zindagi me aage badhne lage.

Barbie ne ek Envelope nikalte huwe Saanvi ke saamne rakh diya, Saanvi ko pata tha andar kya hai, Barbie ki baat ko ansuna karte huwe wo Cake per candle's lagane lagi.

Barbie: Kab tak ap aise karti rahe gi? Ap ko pata hai Sir ye he chahte hai, Phir kyu?

Barbie ki baat sun ker Saanvi ek pal ke liye ruki, Lekin phir dobara wo Candle jalane lagi-

Saanvi: Main ap ki respect karti hu! Lekin ap ko bhi pata hai kera javab har baar nahi he ho ga, Ye divorce paper dene se ap ke sir mujhse peecha nahi chudwa sakte, Main har halat me un ke saath rehne wali hu.

Envelope me Aakash ke sign kiye gye Divorce Paper the, Ye Paper Aakash ne bohat pehle he Saanvi ko de diye the, Lekin uss ne unhe accept karne ki choice Saanvi per chhod di thi.

Barbie(Sigh): Huh, Jaisa ap ko sahi lage Ma'am! Lekin ye papers apne paas rakhiye, Ap ka mann kabhi aage badhne ka kare to ye accept ker lena.

Barbie ne Envelope aage karte huwe kaha, Saanvi ne ek baar usse daikha aur waapis apne kaam per lag gayi.

Saanvi: Tumhe pata hai Barbie main kaisi family se ayi hu?

Barbie: Nahi, Ma'am!

Saanvi(Smile): Mere Mummy Papa mujhe duniya me akele chhod gye the! Uss samay jab mere paas koi nahi tha tab Aakash ne mujhe apnaya tha, Mujhe ek ghar diya ek naam diya izzat di, Mujhe pata hai wo sab Aakash ne sirf mere per taras khaate huwe kiya tha, Lekin mere liye uss pal se Aakash mere bhagwan ban gye.

Saanvi ne Aakash ke chehre ko niharte huwe kaha, Apne haatho se uss ne Aakash ke chehre per aye baalo ko hata diya.

Saanvi: Aakash ne kabhi mujhe pyaar nahi kiya! Sach kahu to main bhi uss ghar ko kabhi apna nahi samajh saki, Lekin mujhe ye pata hai, Jab Jab Aakash mere kareeb aye tab tab mujhe ek rahat mili hai, Aakash se mujhe pyaar huwa ya nahi, Lekin mere liye mere sab kuch Aakash he hai.

Saanvi ne Barbie ki taraf daikha aur Envelope uthate huwe usse pakda diya.

Saanvi: Ab ap batao! Main kaise apna sab kuch chhod sakti hu? Aakash kis bhi halat me kyu na ho, Mere liye wo mere pati hai aur ek Patni hone ke nate main apna Patni dharam pura karu gi.

Barbie ab usse aur kuch bhi nahi keh sakta tha, Un ke baat karte huwe Morning round per Aakash ki female doctor aur residents ki team aa gayi.

Doctor: Good Morning! Arrey Miss Saanvi ap bhi itni subha yahan hai, Sab theek to hai na?

Saanvi(Smile): Sab theek hai! Aj mere husband ki Birthday hai to yahan celebrate karne ayi hu, Ap bhi aye saath karte hai.

Doctor: Ap kariye ye ap ka private time hai! Hamara disturb karna sahi nahi ho ga.

Saanvi: Aisi kuch baat nahi hai! Ap bhi to itne samay se Aakash ka khayal rakh rahi hai, Ap sab bhi hamare liye family members ki tarha he ho.

Saanvi ke force karne per lady doctor ko haan kehna he per gaya, Saanvi ne Cake ko beech me rakha aur khud Candle blow karne ke liye Aakash ka haath pakad ker baith gayi.

*Fuuuu*

“Happy Birthday day!!!”

Sabhi taliyan bajate huwe birthday wish karne lage, Saanvi cake katne lagi.

Doctor: Saanvi, Mujhe ek baat samajh nahi ayi! Ye cake per Mr. Aakash ke naam ke saath dusra naam kis ka hai?

Lady doctor ki baat sun ker sab ne Cake ko dhayan se daikha, Wahan sach me Aakash ke naam ke saath ek aur naam tha, Saanvi ne daikha to usse bhi samajh aa gayi ke wo kis naam ka puch rahi hai.

Saanvi: Ye Aakash ke bade bhai ka naam hai! Uss ki bhi aj birthday hai, Aarav!!
.
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he, Ye update ek new year gift ke roop me diya gaya hai, Saal ki akhri raat apne dosto aur pyaaro ke saath manaye agar ghar hai to story ka lutf uthaye, Target hamara wohi hai 80 likes, milte hai agle update per tab tak ke liye, Happy New Year!!!]
bahut badhiya update hai....................dekhte ab aarav akhansha ke chachi ke sath kya karta hai..........or ishika jab piche mudi to iss moke me hi malia belconi me chala geya...........ab mujhe cnfuse kar ehe hai aap..........pehle veer or ab aakash ka bada bhai aarav kaise ban geya............dekhte hai conclusion me kya aata hai..........
waiting for next update
 
  • Like
Reactions: Salty~Otaku

Amir

Active Member
982
2,136
139
B

[Aj ke liye itna he, Ye update ek new year gift ke roop me diya gaya hai, Saal ki akhri raat apne dosto aur pyaaro ke saath manaye agar ghar hai to story ka lutf uthaye, Target hamara wohi hai 80 likes, milte hai agle update per tab tak ke liye, Happy New Year!!!] very nice
 
  • Like
Reactions: Salty~Otaku

Night Warrior

Don Corleone
Staff member
Administrator
2,025
2,074
189
Check with your ACP which device I am using mostly. To type this message already 3 pop up/popunders appeared. No ad blockers are installed on my phone.
Frequency is set for no of popunders
 
dododo

Active Member
663
1,596
123

Excellent update. Lagta hai ki Aarav ko Taraun aur Akansha par pura bharosa hai Tabhi weh unko Veer ki banayi huyi gupt jagah par le aaya. Shayad yeh jaruri bi tha kyonki unse Pure Mana Stones jo banane the. Usne is vidhi ko in dono ko bhi sikha diya. Ye bahut bada risk hai, usko kisi tarah in dono ko monitor bhi karna chahiye. Weh Peter ki Vision Sharing ability yahan use nahi kar sakta nahi to Peter ko bhi iske baare me pata chal jayega.

Ishika ke achanak under aa jane ko Aarav ne badi hi safai se handle kiya aur saaf bach gaya. Great. Akansha ka dard ab Aarav jaan gaya hai, Chacha aur Chachi to gaye. Mallia ki body 'heat' hona bada mazedaar tha. Lekin KItsune ka to ek baccha hai, usko is feeling ko samajhna chahiye. Yeh feeling to universal hai, chahe insan ho ya fir jaanvar.

Sonia aur Aarav ka interaction accha laga, dono manje huye businessperson ki tarah ek dusre par daanv fenk rahe the lekin ant me Sonia ne Aarav ka offer sweekar ker liya. Interesting. Aarav ko ek badhiya partner mil gaya.

<Aarav(Sigh): Haan, Ab waapis ghar jana ho ga mujhe! Lekin mujhe zyada samay nahi lage ga, Purani yaadien peeche chhodne ka samay aa gaya hai.>
Chacha chachi ki to khair nahi.

Saanvi ka Akash ke liye commitment dekh kar accha laga. Lekin aakhri line ne dimag ko hila diya. Idhar Saanvi ne Aarav ko Akash ka bada bhai bataya, udhar Veer ne message me Aarav ko apna bada bhai bataya, aur Akash ne Veer ke marte samay apna best friend bola. Confusion. Shayad aage ja kar clear hoga.
 
Last edited:

TrueYash

New Member
12
17
3

Fantastic update bro
Bohat si chije samz aa gayi....

Bro muze ek baat samajh nahi aaya ki aarav ki sealed power Jo hai vo relese hogi yaa fir use fir se level up karna hoga aur agar vo level up karega to kaha tutorial tower 🗼 me ya Apex tower 🗼 me kyuki shayad aarav S rank player ko maar sakta hai to use Apex tower 🗼 Jana chahiye muze lagta hai.......

Apex tower 🗼 me aisa kya hai jo sare S rank aur A rank player hai aur bahar nahi aa pate for so called replacement problem in tower aisa kya hai jo sare vaha par hai???

Aarav apni guild bana raha hai to name nahi bataya bro guild jaa,aur haa aarav ko mat rakhne Dena😂😂😂

Sonia bohot tedhi khir lag Rahi hai but shayd aarav ko shayad aage chakhne ko mil jayegi😝😝

Baki sab mast hai bro bus timetable update kar Dena shayad like Target is baar jaldi khatm ho sakta hai...
 
  • Love
Reactions: Salty~Otaku
Top