Very fast paced, full of action, bhibhast, ek jhatke me hi Malhotrra aur Shankar ko khatam kar diya aur koi surag bhi nahi chhoda.
Ye update sirf action ke liye tha, Usse he enjoy karne ke liye, Baki details ke liye next update rakha tha.
Lagta hai ki Aarav ne Shadow ko bulane ke liye 'Beast Summon Ability' use kari hogi, wase us pack ka Alpha hone ke karan weh Shadow ko bula sakta tha.
Yup! Ek Summon beast mark karne ki permission thi, Obviously Shadow se behtar koi nahi tha.
Ishita aur khas kar Tanu ko ab samajh me aa gaya hoga ki Aarav unka bhala chahta hai. Tanu ki dil ki dhadkane.... Waahhh... kya baat hai.
Kabhi Kabhi ache log saamne hote huwe bhi hum un ki achai nahi daikh pate, Tanu ke liye Aarav ko apne bhai ki jagha Accept na karne ke liye usse apne mind me ek villain banana per gaya.
Aarav ki team ab ban gayi hai, Mallia (Kitsune), Tarun, Anna (Ashanka) Zoe,, aur bhi naam judte ja rahe hain. Shadow aur Lime ko to weh kabhi bhi bula sakta hai.
Zoe ko team member nahi keh sakta! Kyu ke abhi Aarav uss per utna trust nahi karta, Baki sab sahi hai.
Kuch updates pehle ye Hannah kis cousin ke baare me baat kar rahi thi.... Clear nahi hua...
Future me reveal hoye ga! Abhi nahi
Haan, ek baat aur, Urvi ki tarah Ishita ko bhi koi major beemari na ho, jaldi se uska ilaj karwa do, Elixir to hai hi Aarav ke pass, pata nahi kitna hai. Udhar Akash bhi coma me pada hua hai.
Aarav ke paas Elixir the nahi, Uss ne unhe purchase kiya tha, Uss samay uss ke liye kisi aur per Use karne se behtar raasta Pratap se deal karna laga