- 7,687
- 8,972
- 189
Update ... Wednesday night / Sunday morning or night...
Last edited:
Ya Sala dukh kahi khatam nhi hota( KALYUG... Part 2 )
( Dark Side of Society / Samaaj )
At Home Time 11:23AM...
...Kamlaaaa.. ooo... Kamlaaa.... Dekh toh teri ladli ne kya gul khilaya hai... ek adedh umer ki aurat gate khat khtate hue Keh rahi hai jiske peeche peeche moholle ki kuch aurtain bhi jama ho chuki hain... Jo ghar ka kaam chod kar tamasha dekhne ke liye jama ho chuki thi... Aur aapas mai khusur pusur ki baatein bhi chal rahi thi...
Tabhi kamla gate kholti hai... kya hua Padma kyun chilla rahi hai... ( tabhi woh saamne khadi aurton ki itni saari bheed ko dekh chonk jaati hai... ) Tum sab yaha kyun jama hue ho kya hua...
( Tabhi uski nazar bheedh mai khadi apni beti par padti hai jise dekh use bhi jor ka dhakka lagta hai use samjh nahi aa raha tha ki kya chal raha hai... )
Kamla... Yashu.. yeh sab kya hai... Yeh baacha tumhare hath mai kiska hai aur yeh itni bheedh kyun ikkatha kar rahi hai...
Yashoda apni maa ko safayi de hi Rahi thi ki Tabhi Padma beech mai hi uski baat kaat deti hai...
Padma... Are usse kya puch rahi hai mujhse puch karmjali pta nahi kaha se muh kala karwa kar aayi hai... Chii tumhari ladki aisa kaam karti hai mujhe pata nahi tha maine toh ise sati Savitri samjh rakha tha... aacha hua Aaj hi mujhe iske baare mai pta chal gaya warna mere bete ki zindagi mai khud barbaad kar deti...
Kamla... ( hosh hi udh gaye the yeh sunkar ) Yeh sab kya keh rahi hai Padma aisa kuch nahi hai... Mai janti hun meri beti ko woh aisa kabhi nahi kar sakti... Hum ander chal kar baat karte hai iss baare mai... Aise sabke saamne tamasha toh na banao.....
Padma... Aahhh haa toh main jhooth bol rahi hun.... Aur yeh teri beti pta nahi kiska paap liye ghar aayi hai kuch jawab hai tumhare paas iss baat ka... Kiska baacha hai iski goad mai bata... Aur kya gharme kya baat karni hai.. yahi bol jawaab de hai tere paas jawaab kiska baccha hai yeh aakhir baaki sabko bhi toh pata chale teri beti kitni badi ran*..
Kamala aur kuch sun na saki aur ghar ke ander chali gayi... Abhi aage Padma kuch kehti usse pehle ek tezz awaaz goonjhti hai..
Basss bhut ho gaya tum sab ka kab se bole jaa rahe ho tum log... Ek baar meri beti se toh puch lo ki sacchai kya hai... Bina poori baat sune baat ka batangadh banaye jaa rahi ho... Mujhe poora bhorsha hai meri beti aisa koi kaam nahi kar sakti jaisa tum keh rahi ho... Agar tumhari baat sahi sabit hui toh main tumhare pairon mai girkar maafi maangunga aur nahi toh tumhe meri beti se sabke saamne maafi maangni hogi... ( Yeh awaaz kisi aur ki nahi balki yashoda ke pita Tej Singh ki hai )
Yashoda jo itni der se sab kuch sun rahi thi sehh nahi paati aur apne pita ke gale lag fut fut kar rone lagti hai... TejSingh bhi apni beti ko dulaar kar shant krne ki koshish kar raha tha...
Yashoda bhi apne pita ke seene se lag kuch had tak himmat bator leti hai... Aage poori kahani sabke saamne suna deti hai... Jise sun kar sabke muhh khule ke khule reh jate hai.. kisi se kuch bolte nahi ban raha tha... Sab jaha yashoda ko pehle galat nazron se dekh rahe wanhi ab hairan the jo usne kal raat se le kar ab tak kiya hai... Padma ke toh muhh par tamacha pada aisa haal ho gya tha... Usne kitna kuch nahi keh diya tha yashoda ko... uske charitr ke baare mai ab woh kis muh se maafi maange yehi soch rahi tabhi woh dekhti hai sabka dhyan yashoda par hai... Jo abhi bhi bacche ko hath me liye apne pita keseene se lag roye jaa rahi aur sabka dhyan bhi un dono ki taraf dekh woh chupke se ghar se nikal jati hai bina kisi ki nazron mai aaye...
Kuch der baad TejSingh jab Padma ko wanha nahi dekhta toh baaki sab bheed ko. Bhi bhaga deta hai... Tamasha laga rakha hai kya yaha jao sab apna apna kaam karo majak bana rakha hai sabne meri masoom bacchi ka jao sab... ( Yeh sabd sunte hi sab aise bhaage apne ghar ko jaise snaap dekh liya ho kuch hi der mai poora angan Khali ho jata hai aur TejSingh apni beti ko le ander chal padta hai.. )
Ander ghar mai ek chota sa kamra tha jisse lag kar charpai thi ek pankha latka hua jo ghoom raha hai... Ek choti si kitchen aur bathroom aur chota sa aangan yeh hai yashoda ka ghar jisme woh apne maa papa ke saath rehti hai... Dekhne se lag raha hai Jane kab se colour tak nahi hua ghar mai paint ki papdi har taraf se utar chuki hai... aur chath par seelen bhi dekh sakte hai jo raat mai shayad paani se pad gayi ho...
Kher TejSingh apni beti yashoda ko charpayi par bithata hai... Jo abhi tak aasun Baha rahi uski aankhein saaf darsha rahi aakhir uski kya galti thi jo yeh sab uske saath hua... Woh bas iss masoom ko bachana chaah rahi thi magar samaj ki yeh halat dekh use Rona aa raha tha... Jo Padma uske maa saman thi woh aaj usper itna bada iljaam sabke saamne daal di thi... Kyun kisliye sirf samaaj mai apna naam bada karne ke liye... Unhone ek baar mere baare mai nahi socha mai toh unki beti thi na... Yehi soch uske man mai rukne ka naam nahi le rahi thi...
Jaise taise woh khud ko shant karti hai apne pita ko tab se usko sambhal rahe the unko ek baar fir bahon Mai bhar chup ho jati hai... TejSingh bhi apni beti ko pyaar de rahethe woh samjh rahe the beti kya shithi se gujar rahi hogi... Woh bhi samaaj mai rehte hai har dusre din aise batain unhe sunne ko milti hai... Kisi ki ladki bhaag gayi kisi ki bahu ka dusre ke saath sambhadh yeh toh roz ki kahani thi iss samaaj ki jo aaj use apne ghar tak phunch gayi thi magar use apni beti par poora yakeen hi in sabme himmat de raha tha jisse usne datkar saamna kar samaaj ke muh par rakh kar tamacha diya hai... Jo shayad abhi ke liye kaafi tha sab kuch shant rakhne ke liye...
Kher kuch der mai Yashoda shant ho jati hai lekin shayad uski kismat mai aaj Rona likha hua tha.... TejSingh apni beti ko chup Kara apni dharampatni Kamla ko awaaz deta jo kaafi der se use dikh nahi Rahi thi jab se drama shuru hua usne kamla ko dekha nahi tha... Woh idher udher Kamla ko na Parker kitchen mai jaaker dekhta hai toh dhaak se neeche gir padta hai... Jane kitni hi takleefo mai TejSingh himaat se datkar lada tha kabhi uski aakhon ne uska saath nahi choda tha magar aaj uski aankhein bhi uska saath chod deti hai woh phut phut kar rone jagta hai...
Apne pita ki awaaz sun Yashoda bhi baache ko khaat par chod kar kitchen mai jaaker dekhti hai toh uska bhi haal apne pita se bura ho jata hai... Uski maa kitchen ke fash par giri hui hai jiske muh se jhaag nikal raha hai... Jo pata nahi kab se jhagda ke beech mein yaha punch kar yeh kadam utha li thi... Dono baap beti ek baar fir bahon mein rone lagte hai... Unki pukaar khokle samaaj tak nahi jaa rahi thi... Jo kuch der pehle uske ghar mai mojoud tha... Yashoda kuch der baad age badh maa ko check karti hai magar uski maa duniya chod jaa chuki thi...
Shayad Kamla samaaj ke samne beti ka iss tarah dutkaar dena Seh nahi paayi... Gereeb ghar mai ek ijjat hi hoti hai jiske sahare woh ab tak khadi hui thi... Paristhiti kaise bhi thi apni beti aur pati ke saath usne har cheez ka datkar saamna kiya... Magar shayad uska wishwas kamjor pad gaya ya yeh keh sakte hai ki jo samaaj uske saamne nahi peeth peeche auron par baat karta... wohi aaj usse uska saamna hua toh woh jhel nahi paayi... Kaise apni jaan se pyaari beti ko sablog gher kar doshi thera rahe the... Kaise ek maa apni baachi jise nazo se paala usne kaise yeh dard seh paati... Samaaj ke jhoothe iljaam ne usse uski saanse tak cheen li... Aur usko woh kadam uthane par majboor kar diya...
Time 2:39...
TejSingh apne kuch Doston ka sahara lekar apni patni jise woh behad pyaar karta uski Chita ke saamne khada hua hai... Uske hath mai jal rahi lakdi use kaise woh apni patni ko aag ke hawale kar de.. jise kabhi chot tak na phunchayi ho usne... Aaj usi kamla ki Chita ko aag dene ke samay uske haath kaamp rahe hai.. reh reh kar use kamla ki baatain yaad aa rahi ki... Jo kabhi majaak mai usse kha karti thi ki woh suhagan marna chahti thi... TejSingh ek nazar Kamla ke chehre par daalta hai use kamla ki maang mai sindoor haath mai chudi payal dekh khud ko rok nahi pata aur lakdi Chita par daal kar rone lagta hai... Jise uska dost sahara deta hai...
Kaafi samay tak sab khade kamla ki Chita ko jalte hue dekhte rehta hai... Fir ek ek kar sab TejSingh ko santavana ke aakhiri sabd keh apne apne ghar nikal jate hai... Magar ek shaks abhi wohi ruka hua tha woh usse kuch kehna chahta magar shayad yeh jagah sahi na lagi use... Ya sabke saamne kehne se Katra raha tha... Woh TejSingh ko sahara de kar khada karta hai..aur saath lekar ghar ki aur chal deta hai...
Ghar par auraton ka jumawada ek baar fir laga hua tha.. magar iss baar sabki aankhon Mai jhoothi sahanubhuti thi... Jo TejSingh samjh chuka aur kuch na kehte hua ghar ke ander phunch jata hai..wanha uski beti abhi tak roye jaa rahi thi... Kya hua uske saath ek hi din Mai sab kuch ujad gya... Har koi usse sambhalne ki koshish kar rahe the magar uska dukh koi nahi samjh sakta jispe bitti hai wohi jaanta hai...
Kher Kaafi samay tak jamawaada bana raha fir sab ek ek kar apne apne ghar ko chal diye... ab wanha sirf TejSingh aur uski beti reh gayi thi woh ek nazar apne beti ko dekhta aur dewaar se peeth tika kar baith jata uski beti bhi kuch shaant si ho gayi thi... Aankh se aansun sookh gye the woh khaat par baithi kal raat se abhi tak hui ghatanao ke baare mai soch rahi thi...
Kaafi samay tak kamre mai sannata pasra hua tha tabhi... Baccha ki rone ki awaaz se baap beti dono ka dhyan Tut jata hai... Yashoda jo soch mai gum thi bahar nikal kar baache ko ek Nazar dekhti hai toh use yaad aata hai subh se usne kuch bhi nahi khaya hai jabki paida hota hi sabse pehle use maa ka doodh ki zaroorat hoti hai... Yashoda use utha kar check karti hai toh uska badan bhi garam ho raha hota hai... Woh bhaag kar baache ko le kitchen mai jaati hai aur uske liye doodh garam karti hai... Jo woh saath mai layi thi magar itna sab ho gaya jisse uska dhyaan hi nahi gaya...
Garam doodh karne baad use paani mai daal thada kar rahi ho hai.. tabhi use yaad aata hai woh kaha par hai jiss jagah thodi der pehle uski maa use chod kar chali gayi thi... Yeh yaad aate hi uski aankhein bheeg jaati hai jisse tapak kar kuch boond doodh mai bhi gir rahi hoti hai magar uska dhyaan kahi aur hi tha... Tabhi baacha ek baar fir kilkaari maar rota hai jisse uska dhyaan tutta hai aur woh apne aansun ponch ek nazar use dekhti hai wahi baith katori aur chammach ki madat se use doodh pilati h...
Baacha bhi chup chaap dhoodh peene lagta lgta subh se bhookha hone ke karan woh doodh Peeta rehta hai kab woh so jata hai pta nahi rehta... Yashoda bhi jab dekhti hai baacha so Gaya hai toh use le wapas kamre mai dakhil hoti hai jaha uske pita use dekh rahe the.. jaise puchna chaah rahe the kya hua...
Yashoda kuch na keh bacche ko khaat par litane ko hoti hai ki tabhi uska dhyaan apne hath ki ungli par jata hai jise baache ne kass kar padke hue tha... Jise dekh Yashoda ke chehre par ek baar fir muskaan tair jaati hai woh ungli chudane ki koshish krti hai magar baacha use chodne ko raazi nahi hota... Woh ek tak use niharti hai fir ek kiss use maathe par kar ' natkhat nand kishore ' kehti hai... Jise bolte waqt uske chehre par muskaan thi...
TejSingh kaafi samay se dono ko dekh raha tha usko apni beti ko dekh thoda khush hua magar aage aane waale samay bhi uski chinta badhaye jaa raha tha... Ab uske paas na ghar hai na naukri na gehene sab kuch usne apni beti ko nurse banne ke liye daav par laga diya tha... Yaha tak ki apni patni ki antim kriya ke liye bhi usne paise apne dost se udhar liye the jo woh kaise dega soch raha tha... Qyuki usse yeh baat pata hai udhaar dene wala lene waale ke saath kaisa salook karta yeh sab usne mai samaaj rehkar dekha hai... Abhi woh sab chup hai qyuki woh khud bure nahi Banna chahte lekin aaj nahi toh kal woh firse yaha aayenge jaroor...
Yahi sab baatain soch hi Raha tha saath uski nazar beti par tiki hui thi... Jise thodi der pehle dekh lag raha tha iske shareer mai Jaan nahi hai... Abhi ek pyaari si muskan tair rahi hai.....
Aise hi baithe kaafi samay beet jata hai baacha jo so raha tha use fir se bhookh lag uthtati hai woh rone lagta hai.. jisse Yashoda ki aankh bhi khul jati hai jo uske sir par hath fer baithe baithe hi so gayi thi... Yashoda dekhti hai baacha fir se rone laga hai toh laad pyaar use chup karne ki koshish karti hai... Magar bacha jab chup nahi hota toh doad kar kitchen mai jaakr dekhti hai toh doodh khtam ho chuka tha... Woh turant wapas kamre mai aake apni chunni doodnti hai use daal chappal pehen bahar jaane ko hoti hai ya hi uske pita use aawaj dete hai...
TejSingh... Tum rehne do beti doodh mai le aata hun...
Shayad woh bina kahe samjh gaye the beti kya karne jaa rahi hai... Abhi mamla garam hi tha isliye woh apni beti ko ghar se bahar nahi jaane dena chahte the... Qki bhookhe bhediye aise hi moke ki talash mai rehte hai... Unhe fark nahi padta samne waala kya mehsoos kar raha hai... Bas akele paakar raat ke andhere mai apni hawas kisi na kisi se mita kar unhe chod dete hai... Fir dusre din dusre shikaar ki talaash mai baith jaate hai... Pta nahi kitni zindagi inlogo ne barbaad kar chuke honge... Magar koi inke khilaaf kuch nahi kar sakta ameeron ko kaha fark padta hai police tak khareed lete hai...
Kher itna keh TejSingh dukaan ki taraf chal deta hai.. aur doodh ka packet le ghar ko chal deta hai... Ghar mai ghuste samay ek baar woh apne ghar ko bahar se dekh kuch soch raha hota hai... Shayad yeh ghar bhi ab uska saath chod dega jald hi apne aapne waale zindagi ke baare mai soch raha tha tabhi use Yashoda ki awaaz sunayi deti hai jo kab se apne pita ka intezar kar rahi thi... Jab bahar nikal usne pita ko gate par khade sochte dekh toh usne hosh mai lane ke liye une jhakjhor diya... TejSingh bhi soch se bahar nikal jald hi ghar ke ander chal deta hai.. doodh ka packet bina kuch kahe Yashoda ko pakada deta hai... Jise Yashoda bhi bina kuch soche jaldi se lekar kitchen ki taraf bhaagti hai...
Yashoda ek baar fir doodh garam kar use thanda karke bacche ko pilane lagti hai.. thodi der jab baacha so jata hai toh use le kamre mai khaat par lita deti hai aur uske baaju mai khud let use niharti rehti hai... Ek haath sir par ferte kab uski neend lag jaati pata nahi chalta... Raat bhi bhut ho chuki poora din jo kuch bhi hua sab uske dimag mai chal raha tha... Wahi TejSingh bhi paas mai padi kursi par baith apni beti ko dekh raha tha... Fir aane waale kal kebaare mai ek baar fir sochte sochte kab uski neend laggayi pta hi nahi chala...
( Update post kar raha hoon is baar like aim 20 likes ka hai... Batana kaisa laga mistakes btaoge toh aur aacha lagega but batana jarur... )
Keep supporting...
keep loving....
Thanks BhaiCongratulations bro for new story
starting Kafi sad hai to Kafi romanchak story hony wali hai
keep writing n posting
waiting for new update
Ya Sala dukh kahi khatam nhi hota
Very imotional update![]()
Bhai wesy he itne dukh hen aur na barhana kabhi Khushi kabhi Ghum dekhanaBacha kar rakho aansun aage kaam aayenge...