Very nice update mja aa gya ab aage dekhte hain kya hota haiUPDATE 10 ~
(Departure)
AARAV HOUSE
Manali ~ 9:24 AM
*Click* *Click*
“Ye ho gya mera pura Suitcase tayar!!!”
Urvi apne Suitcase ke lock ko band karte huwe khud se kaha, Suitcase pura tayar ker ke wo neeche biche huwe gadde per baith gayi aur rest karne lagi, Aj un me jaane ka din tha
Urvi wanhi baithe apne kamre ke kone kone ko daikh rahi thi, Ye he kamra tha jahan wo pichle 12 Saal se reh rahi thi apne bhai aur Papa ke saath, Lekin aj wo ye sab peeche chorr ker jaane wale the.
Na-Jane kitni yaade Kaid thi iss ghar me unn ki, Ye koi bara ghar nahi tha sirf 1 kamre wala ghar tha lekin dono behan bhai ke liye ye kisi mehal se kam nahi tha, Pura din jab apne kaamo se thak ker wapis ghar ate to yanhi un ko sab se zada sakoon milta tha.
*Knock* *Knock*
Kamre ke darwaze per dastak huwi to Urvi apne khayalo se baahir aa gayi, Darwaze per Aarav khara apni behan ko daikh raha tha, Uss ko daikh Urvi ne muskurate huwe side per ho ker Aarav ko jagha di jahan Aarav aa ker baith gaya.
Urvi apne bhai ke baazo se lag apna sar uss ke kandhe per rakh ker baith gayi-
Urvi: (Softly) Aj iss ghar ko bhi chorr ker ja rahe hai hum???
Aarav: (Nod) Jana to pare ga! Zindagi chalte rehne ka naam he hai.
Urvi: Ek baar Maa ki yaado ko peeche chorr ker Uss ghar se nikal gye the, Aj itne waqt baad wohi dard ho raha hai to ajeeb lag raha hai.
Urvi ki baat sun Aarav ne ek lambi saans bhari aur uss ke saamne wo pal aa gye jab wo apna purana ghar chorr ker yahan aye the apne Pita ke saath-
Aarav: Yaade jagha ya cheezo me nahi hoti Urvi!!! Jo hamari khubsoorat yaade hoti hai wo hamare dil me hoti hai, Jab tak wo yaade dil me hai tab tak Jagha aur Cheeze mayine nahi rakhte.
Aarav ki baat sun Urvi uss ke baazo ko aur zor se jakarne lagi, Aj bhi hamesha ki tarha Urvi ki mushkilo ka jawab Aarav ke paas tha, Lekin abhi bhi Urvi ke chehre per udaasi thi jis ko Aarav bhaanp pa raha tha.
Aarav: (Chuckle) Waise yanhi per tu apne School ki larkiyo ko tution deti thi na!!!
Urvi ki Udaasi ek pal me uran chuu ho gayi aur uss ke chehre per herani chaa gayi, Aarav se alag hote huwe wo usse herani se daikhne lagi
Urvi (Shocked): Ap ko kaise pata?
Aarav: (Smirk) Tujhe kia laga tha? tu mujh se chupa ker ghar me tution de gi aur mujhe pata nahi chale ga! Abhi tujhe bohat lambi zindagi jeeni pare gi mujh se kuch chupane ke liye.
Aarav ne halki muskurahat se kaha wanhi Urvi ke gaal sharam se laal ho gye kahan wo soch rahi thi ke wo kaise geniuse ki tarha Tution aur ghar ke kaamo ki timing manage ker ke apne bhai se sab kuch ache se chupa rahi thi.
Wanhi Aarav pehle se he sab kuch jaanta tha, Urvi apne haatho ke mukke bana Aarav ke upar baras pari Aarav wanhi gira sirf hansta raha, Apni behan ke chehre se udaasi khatam ker usse thora sakoon mila tha.
Abhi tak Aarav ne Urvi ko ye nahi bataya tha ke 1 Maheene baad wo dobara usse chorr ker khatre ke muh me jaane wala hak, Urvi ko sirf ye pata tha ke Aarav ko new job mili hai jis se wo Urvi ka treatment Easily karwa sakta hai.
Aarav ne Urvi ka haath pakra aur usse kheenchte huwe apni banho me jakar lia-
Aarav: Aise he hansti rehna hamesha! Ab sab kuch theek ho jaye ga, America me tu bilkul theek bhi ho jaye gi phir wanhi ek ache se medical college me parh ker tu Doctor ban jaye gi, Phir main Araam se apni doctor behan ke paiso per Ayaashi karu ga.
Aarav ne akhri baat mazak me kahi jis per Urvi bhi hansne lagi, Ek mushkil hafte ke baad Zindagi me dobara sab kuch acha hone laga tha Urvi sirf prarthana ker rahi thi sab kuch aise he chalta rahe
“Darling!!!”
Kamre ke baahir se awaz ayi to dono apne khayalo se baahir aa gye-
Urvi: (Chuckle) Lo aa gayi Shetaan!
Urvi ne khare hote huwe kaha to Aarav bhi khare ho gaya aur Urvi ke saath baahir aa gaya, Un ke saamne he ek choti larki khari huwi thi.
Aarav: (Whisper) Mujhe he lag raha hai ya phir Sach me aj gusse me ho ye?
Aarav ne Urvi ke kaan me khus-phusate huwe kaha, Abhi wo baat ker he raha tha ke wo larki gusse me Aarav ke kareeb aa gayi aur Aarav ke chutki kaatne lagi.
Aarav: Ouch! ye kis liye bhala?
Larki: Huh! Pura hafta gayab rahe ho aur mujh se puch rahe ho ke ye kis liye hai? Kahan gayab the ap?
Larki ne muh phulate huwe kaha, Ye Akanksha thi Manohar ki beti shuru se he uss ki Aarav aur Urvi se bohat banti thi jis ki wajha se wo un se apni saari zid puri karwati thi.
Aarav: Haye! Main kitni bari galti ker gaya iss baar maaf ker do next time se tumhe bata ker jao ga.
Aarav bhi darne ka halka natak karte huwe bola, Akanksha apni hansi control karne ki koshis ker rahi thi lekin wo uss me asafal rahi aur apne muh per haath rakh hansne lagi.
Akanksha: Kitne bare natakiye ho ap! Iss baar chorr rahi hu, Lekin yaad rahe jab main hamari shadi ho jaye gi uss ke baad aisa kuch nahi karne du gi.
Akanksha apni kamar per haath rakhte hiwe nakli gussa sajaye boli, Bachpan se he uss ne apni zindagi me sirf 2 mardo ko sab se ahem mana tha 1 uss ke pita jinho ne uss ko sehzadi ki tarha pala tha, Aur dusra Aarav-
Akanksha aksar kehti rehti ke wo bare hone ke baad Aarav se shadi kare gyi, Uss ki wo masomiyat daikh sab ke dil pighal jate aur wo bhi usse chirhane lag jate.
Urvi: (Chuckle) Phir decide ho gya! Hum dono mil ker bhayia ki class lia kare gye.
Urvi ki baat sun Akanksha ne uss ke haath per taali de di-
*Knock* *Knock*
Darwaze per dobara dastak huwi aur Manohar andar aa gaya, Aarav ne Urvi ko ishara kia to wo Akanksha ko le ker kamre me chali gayi-
Manohar: Kia baate ho rahi thi?
Aarav: Kuch nahi bus Akanksha class le rahi thi meri-
Aarav ki baat sun Manohar halke se muskura dia, Phir uss ne apne haath me pakre ek kagaz ko Aarav ki taraf ker dia jis ko Aarav ne pakar lia.
Manohar: Ghar ke paise tere account me transfer ker diye hai!
Aarav yahan se jaane wala tha to wo fazool me ghar khali nahi chorna chahta tha, Iss liye Aarav ne Manohar se ghar baichne ke liye kaha Manohar uss ki baat se khush nahi tha.
Kuch der shanti se sochne ke baad Manohar ne Aarav ko apna faisla suna dia-
“Tu baich main khareedta hu”
Aarav chah ker bhi mana nahi ker sakta tha, Kiu ke uss ko urgent me ghar baichna tha aur itni jaldi sab kuch hona mushkil tha iss liye wo Manohar ke faisle ko chup ker ke maan gaya.
Aarav: Thank You Uncle!
Aarav apne haath me pakri receipt ko parhte huwe dheeme se bola, Manohar ne Ghar ke jitne paise bante the uss se kuch zada he diye the-
Manohar: Thank You rakh apne paas! Mujhe tera Thank You nahi chahiye bus wada chahiye ke sab kuch sahi ho jane ke baad tu wapis aya kare ga.
Manohar Aarav ke kandhe ko pakar apne gale se lagate huwe bola, Aarav ko yun bhejna uss ke liye Asaan nahi tha Aarav ki fikar abhi bhi usse sata rahi thi.
Aarav se alag hone ke baad Manohar ne apne jeb me haath dala aur ek Smart phone Aarav ko pakra dia-
Aarav: Uncle iss ki kia zaroorat thi?
Manohar: Tujhe kaha na kuch mat bol! Chup ker ke apne paas rakh le, Waise bhi ye meri taraf se nahi Akanksha ki taraf se hai, Tum dono ke jaane se bohat udaas hai wo dikha nahi rahi lekin ghar per roo rahi thi, Zid ker ye mobile le to lia lekin khud tujhe dene ki himmat nahi thi to mujhe dene ko keh dia.
Aarav itne pyaar se diye Gift ko mana nahi ker sakta tha, Udaas wo bhi tha aise sab ko chorr ke jane per lekin ye zaroori tha kanhi pohanchne ke liye kanhi se nikalna he parta hai.
Kuch der Aarav yun he Manohar se baat karta raha, Parth aur Divya bhi aa gye jo dono ko Airport chorne jaane wale the Manohar dukan ka bahana bana ker ruk gaya aur Akanksha bhi tabiyat kharab hone ka keh ker ruk gayi.
Adarsh sab Passport, Ticket urgent me karwa ker unhe de ker wapis ja chuka tha, Lekin abhi un ki Manzil Adarsh ka ghar nahi tha, Sab sharto me ek shart Aarav ne aur rakhi thi ke America jaane se pehle usse ek aur jagha jana tha.
****
Murtala Muhammed International Airport
Nigeria ~ 12:39 PM
“Ye paani pee le!”
Aarav ne ek paani ki bottle Urvi ko dete huwe kaha, 8 Ghante ke safar ke baad un ki flight land ho gayi thi lekin itne lambe safar ke baad Urvi ko Jet Lag ho rahe the, Wanhi ek Air hostess se puch ker Aarav Urvi ko ek jagha baitha ker paani peela raha tha.
Lekin Urvi ki puri body me thakan aur pet me dard hone laga tha, Aarav Urvi ka haath pakarte huwe usse le ker baahir aa gaya.
Urvi ko ek jagha baitha ker Aarav ne apna samaan le lia aur Urvi ke saath baahir aa gaya-
“Mr. Aarav?”
Aarav ko saamne he ek Admi haath me uss ke naam ka board liye khara dikh gaya, Wo bhi Aarav ko daikhte he pehchan gaya, Adarsh ne Aarav ke liye yahan sab ko set ker dia tha aur ek Jack naam ke bande ko un ki sab zaroorat ka khayal rakhne ko keh dia.
Dono ko baahir ata daikh Jack ne aage barh un se baggage Cart pakar li-
Jack: Mr. Aarav ap sab se pehle kidhar jana chahe gye?
Aarav: Meri behan ki halat kuch theek nahi hai! Sab se pehle hume rest karne ke liye kanhi jana hai.
Jack: Ok to hum pehle ap ke stay ke liye jahan sab kuch tayar kia hai wahan chalte hai?
Jack ne Aarav se pucha jis ke hami milte he wo unhe baahir le gaya aur Parking se apni Car la ker uss me unhe le ker nikal gaya, Lagos ek bara sehar tha unhe apni destination me pohanchne me 25 Minute lag gye.
Ye ghar Adarsh ne yahan ane per stay ke liye banwaya tha, Lekin phir bhi Aarav ke ghar se ye ghar bhi bohat bara aur sundar tha.
![]()
Aarav aur Urvi dono he iss ghar ko daikh ker ek he baat soch rahe the, Agar ye ghar itna bara hai to wo ghar kaisa ho ga jahan Adarsh khud rehta hai.
Ghar ke baahir he 2 ladies servants ne un ka sawagat kia, Urvi ko daikh foran situation samajh ker unho ne uss ko sambhal lia, Servants ke kaamo me professionalism bohat ache se jhalak raha tha.
Sawagat karte waqt un ke chehre per ek muskurahat thi lekin Urvi ko daikhte he wo Muskurahat pareshani me badal gayi thi, Urvi ko ek kamre me bed per laita ker unho ne AC ka temperature set ker dia.
AC bilkul Manali ke temperature ke hisaab se set huwa tha, Kuch waqt he huwa tha ke Jack ek doctor ko le aya jo Urvi ko check karne laga.
Aarav: Sab kuch theek to hai na Doctor?
Aarav jo tab se Urvi ki halat se pareshaan tha ab uss ko aur bhi fikar hone lagi thi, Doctor ne apna kaam kia aur Urvi ke kamre se baahir aa gaya.
Doctor: Pareshaan hone ki koi baat nahi hai, Sirf Normal jet lag ki wajha se unhe thori mushkil ho rahi hai Unhe abhi rest karne de time zone Achanak change huwa hai to unhe adjust hone me kuch waqt chahiye, Extreme jet lag nahi hai 1 ya 2 din ke andar un ke recover hone ke chances hai.
Doctor ne kuch aur instructions Servants ko de diye Jin ko unho ne ache se samajh lia, Sab kuch samjha ker doctor wahan se chala gaya.
Servant 1: Sir ap ke liye khana tayar hai! Ap abhi khana chahe gye kia?
Aarav: Main Urvi ke saath he khana khao ga!
Aarav ki baat sunte he dono khane mo kamre me laane ki tayari karne lagi, Aarav bhi khud ko fresh karne ke liye bathroom chala gaya aur apna muh haath dhone laga.
Muh dhone ke baad Aarav seeshe me khud ko daikhne laga, Aarav ki ankhe halki chamak rahi thi Aarav ne apne ungli se apni ankh me pehne lens ko nikal dia.
Aarav: Ye bhi toot gaya!
Aarav lens ko daikhte huwe bola jo damage tha, Aarav dobara seeshe me apni ankho ko daikhta hai jo Neele rang me chamak rahi thi, Aarav jab se wapis aya tha uss ki ankhe aisi he thi.
Pehle to sab Aarav ko theek daikh ker khushi se kuch nahi bole, Lekin jab sab ne khusiye mana li to Urvi ne Aarav ko bataya ke uss ki ankhe neele rang se chamak rahi hai.
Aarav ko khud kuch nahi pata tha iss baare me, Daisuke se baat karne per unho ne ek andaza lagaya ke shayad ye ankhe Alpha ki prowess ko aur bhi kholne ki wajha se badli hai, Alpha ki ankhe Laal thi lekin Aarav ki Neeli thi.
Uss ki ankhe normal na hone ki wajha se Manohar ne usse ek normal lens banwa ker dia tha, Lekin uss chamak se lens bhi damage ho chuka tha-
Aarav: Mujhe apni ankhe control karne ho gi!
Aarav ne khud se kaha aur apne ankho ko waapis badalne ki koshis karne laga lekin wo Abhi bhi waise he chamak rahi thi, Jab kuch der tak koshis karne ke baad bhi kuch nahi huwa to Aarav ankho per Black Glasses laga ker baahir aa gaya.
****
“Saamne taxi ke paas khare Admi ke paas Car le jao!”
Aarav ne apne saath wali seat per baithe drive ker rahe jack se kaha to uss ne Car ko taxi paas ker ke park ker dia, Aarav baahir nikla uss ke saamne Taxi ke paas Daisuke khara taxi wale ko pay ker raha tha.
Aarav ko daikhte he wo uss ke paas aa gaya-
Daisuke: Akhir mil he gye hum iss duniya me bhi!
Daisuke ne hanste huwe kaha to Aarav bhi uss ki baat per muskura dia, Aarav ne jack ko ishara kia to Jack car le ker wahan se nikal gaya.
Aarav: (Sigh) Iss kaam ko kaise chorr sakta tha! Ana to parna he tha mujhe.
Aarav ka dil ghabrane laga tha, Itna lamba safar ker ke wo yahan aa to gye the lekin ab jab wo yahan pohanch gye the to Aarav ki himmat jawab dene lagi thi.
Daisuke: Phir chalte hai Andar!
Daisuke ne Aarav ki taraf daikhte huwe bola to Aarav ne sar hila ker hami bhar di, Dono uss ghar ki taraf barhne lage lekin har kadam ke saath Aarav ke kadam bhaari hote ja rahe the-
Aarav apne haatho se apni shirt pakar apni Anxiety chupana chah raha tha lekin chupa nahi paa raha tha, Akhir Aarav ke kadam ruk gye aur wo wanhi khara ho gya, Apne saath Aarav ko Na chalta daikh Daisuke ne peeche ghoom Aarav ko ruke daikha to wo uss ke paas aa gaya.
Daisuke: Khare kiu ho gye ho? Chalo andar chale!
Daisuke ne Aarav ko hilate huwe kaha lekin Aarav chup khara apne saamne us ghar ko daikhta ja raha tha, Ek chota sa ghar jo zada fancy nahi tha lekin khubsoorat tha.
Aarav: I can't do this! Mere haath pair mera saath nahi de rahe Daisuke.
Aarav ne Ronasi Awaz me kaha to Daisuke ko bhi Aarav ke liye bura lagne laga, Aarav wanhi neeche apna sar pakar ker baith gaya jin cheezo ko wo ab tak yaad karne se bach raha tha wo sab uss ke saamne kisi film ki tarha chal raha tha.
Andrew ke akhri pal! Andrew jis ne Aarav ki jaan bachane ke liye khud ki jaan kho di, Aarav abhi khud ko maaf nahi ker saka tha wo apna sar pakre khud ko koos raha tha ke akhir kiu uss waqt uss ne Andrew ki baat nahi mani?
“Aarav bina soche aage mat barho!!!”
Andrew ne saaf saaf Aarav ko aage barhne se roka tha, Lekin lagatar larayi jeetne ki wajha se garoor me aye Aarav me sun'ne ke baad bhi usse unsuna ker dia aur aage barha jis ke nateeje me Andrew ko apni zindagi gavani pari.
Aarav: (Sobbing) Akhir kis muh se Andrew ki family ki batao ga main? Ke meri wajha se Andrew ko marna para? Ke main he hu jis-
*Chataak*
Aarav abhi bol he raha tha ke Daisuke ne ek zordar jhapar Aarav ke gaal per jhar dia, Aarav herani se apne saamne baithe Daisuke ko daikhne laga.
Daisuke: Aarav tum ab koi bache nahi ho, Jo tumhe sahi galat seekhana pare mujhe! Iss waqt tum Na sirf khud ko ilzaam de rahe ho saath me ek soldier ki zindagi ka Apamaan bhi ker rahe ho.
Daisuke ke chehre per gussa tha jo aj tak Aarav ne nahi daikha tha, Daisuke hamesha calm aur soch samajh ker faisle lene wala insaan tha, Lekin iss lamhe wo bilkul alag insaan he lag raha tha.
Daisuke: Andrew tumhari wajha se nahi tumhare liye mara tha! Ek soldier ne apni zindagi khoyi apni duty pura karte huwe lekin tum yahan khud ko ilzaam de ker uss ka Apamaan ker rahe ho.
Aarav: Lekin-
Daisuke: (Angry) Chup! Ek soldier apni puri zindagi iss pal ke liye jeeta hai kab wo apni duty nibhate huwe apne akhri pal jiye ga, Lekin tum un palo ko apni galti ka Naam de rahe ho, Yaad karo wo pal jab tum sab ki zindagi bachane ke liye khud sab Demon Wolves ko apne saath le ker uss khayi me kud gye the, Agar wahan tum marr jaate to hum bhi iss ke liye puri zindagi khud ko ilzaam dete kia?
Daisuke ne Aarav ko daant lagate huwe kaha aur usse uss ke apne pal yaad karwa diye, Uss waqt Aarav kisi ko apni moat ka zimedar nahi samajh raha tha sirf un sab ko bachane ke baare me sochte huwe sab Demon wolves ko le ker uss khayi me kud gaya tha-
Aarav: (Sofly) Sorry!
Aarav ne maafi maangi to Daisuke bhi shaant hone laga, Uss ke lafz sakht the lekin Sach the Ek soldier ke liye wo pal sab se zaroori hote hai jahan wo sirf saamne wale ko bachana chahta hota hai, Aur jab wo saamne wala bach jaye to wo khushi aoni zindagi ko khone ke ghum se zada hoti thi.
Daisuke: Ab aise muh bana ker yahan mat baith! Ek soldier ban aur mere saath chal apni duty nibhane.
Daisuke ne haath aage barhate huwe kaha, Aarav bhi uss ka haath pakar ker khara ho gya, Aarav ke liye ye pal mushkil the lekin usse in ka saamna karna he tha.
Dono chalte huwe darwaze per gye aur ek baar ek dusre ki taraf daikh darwaze per dastak de dete hai, Kuch Pal ki khamooshi ke baad andar se lock khulne ki awaz ane lagi aur dono khud ko Mazboot ker ke khare ho jate hai.
Darwaza khula aur un ke saamne ek Aurat chehre per muskurahat liye khari thi, Apne saamne 2 anjaan logo ko daikh pehle uss ne pehchanne ki koshis ki lekin jab nahi pehchan saki to uss ne puch lia.
Lady: Kis se milna hai ap ko?
Daisuke (Respectfully): Mr. Andrew Yakubu ka ghar ye he hai?
Lady: (Nod) Haan ji! Main un ki wife hu! Becca Yakubu, Lekin mere husband iss waqt duty per hai.
Daisuke: Mera Naam Daisuke hai! Japanese Intelligence Officer Aur mere saath khara larka mera partner hai Aarav, hamare paas ap ke liye kuch hai.
Daisuke ne apne ap ko introduce karwaya aur Aarav ko Aage barhne ka ishara ker dia, Becca herani se dono ko daikh rahi thi Aarav ne apni jeb me haath daal ek letter nikal becca ki taraf barha dia.
Aarav ke haath kaanp rahe the Becca ne uss ke haath se letter le lia, Letter ke upar likhi writing parhte he uss ne darwaze ko pakar ker khud ko girne se bachaya.
Becca: (Wheep) Is he dead?
Becca ne akhri umeed bhari nazro se Aarav ki taraf daikhte huwe pucha, Aarav kuch bhi na keh saka sirf apni nazre jhuka ker khara ho gya, Becca ka haath apne muh per chala gaya wo apni roti huwi awaz dabane ki koshis ker rahi thi.
Becca apne haath me letter ko jakre khari khud ko shaant karna chah rahi thi lekin ye uss ke liye bohat mushkil tha, Becca ne thore side per ho ker unge raasta dia to dono andar aa gye un ko hall me baitha ker wo khud Bathroom me chali gayi.
“Peeche hato mujhe Bhi daikhne do!”
Aarav aur Daisuke apne paas darwaze ke peeche se bacho ki awaz sun sakte the, Wahan 3 bache darwaze ke peeche chup ker un dono ko daikh rahe the, Dono un sab ke foreigner the jo roz unhe daikhne ko nahi milte the.
Kuch der baad Becca Bathroom se baahir aa gayi, Uss ne apne ap ko fresh ker lia tha lekin uss ki ankhe abhi bhi laal thi rone ki wajha se uss ke haath me letter khula huwa tha.
Becca: I'm sorry! Main iss waqt ap ko kuch offer nahi ker sakti.
Becca apne ansoo chupate huwe bol rahi thi lekin uss ki awaz me abhi bhi ronasapan unhe mehsoos ho raha tha.
Daisuke: Ap uss ki fikar mat kare, Hum yahan sirf apne dost ki akhri khawaish puri karne aye the! Kuch dino me official's ap ke paas aa ker sab kuch bata de gye.
Daisuke ne kuch aur zaroori cheeze usse bata di, Sab kuch batane ke baad dono jaane ke liye khare ho gye aur baahir ki taraf chalne lage
”What were his last moments like?”
Un ke peeche se Becca ki halki si awaz ayi jis ne dono ke kadam wanhi rok diye, Daisuke fikar ke saath Aarav ko daikhne laga lekin Aarav khud ko sambhale huwa tha.
Aarav: He was a true hero.
Aarav ne Becca ki taraf daikhte huwe kaha, Becca ke chehre per muskurahat aa gayi lekin ankho se ansoo bhi dobara behne lage.
Becca: at least he was happy!
Aarav ne haan me sir hila dia aur chalte huwe Daisuke ke saath baahir ane laga, Usse teeno bache wanhi chuppe dikhe, 2 larkiya ek larke ke peeche chuppi huwi thi.
Uss ko daikh Aarav ko Urvi ki yaad aa gayi, Aarav ne apne haath se uss ke sar ko thapthapaya aur uss ke paas ho gya.
Aarav: Protect your family!
Aarav ki baat wo larka samajh to nahi saka lekin uss ne haan me sar hilate huwe haan keh dia, Aarav muskura ker baahir aa gaya.
Daisuke: Kaisa mehsoos ho raha hai?
Aarav: (Sigh) Mann bhaari hai abhi bhi!
Daisuke: Hmm! Coffee piyo gye kia? Taxi wala bata raha tha yanhi paas me ek coffee shop hai.
Daisuke ne Aarav se pucha, Aarav coffee Peeta to nahi tha lekin Agar Daisuke usse bula raha tha to baat sirf coffe ki nahi thi, Apne Phone se Aarav ne Jack ko inform ker dia aur Daisuke ke saath coffee shop ki taraf chala gaya.
Ek khubsoorat aur acha coffee shop thi Office time tha to zada log bhi nahi the, Dono ek table per baith gye aur Daisuke ne coffe Order ker di dono ke liye.
Aarav: to kia baat hai?
Aarav ne seedhe kaam ki baat per ate huwe kaha, Uss ke paas zada waqt nahi tha usse Urvi ke paas wapis Jana tha wo usse sota huwa chorr ker yahan aya tha, Shaam ka andhera chaane laga tha.
Daisuke: Kuch sawal ho gye tumhare mann me pehle wo puch lo!
Aarav: Hmm! Theek hai to mera pehla sawal, Ap ne mujhe mera status kisi ko batane se mana kiu kia hai?
Aarav ke sawal per Daisuke muskurane laga jaise usse iss sawal ki he umeed thi, Daisuke ne Aarav ko Tower ke andar shuru me he kisi ko bhi apna status batane se mana ker dia tha aur uss per koi sawal bhi nahi karne ka kaha tha.
Daisuke: (Sigh) Huh! Aarav jaise tumhe pata hai ke hum pehle log nahi hai jo uss tower me gye hai, Lekin hum bakiyo se alag zaroor hai.
Aarav: Alag! Wo kaise?
Daisuke: Main ne wapis ane ke baad Orc King ki information lene ki koshis ki hai to mujhe pata chala hai Orc King ek B Rank beast hai, Hume na sirf waqt kam mila tha pehli quest ke liye saath me hamara target bhi bakiyo se bohat zada strong tha, Tumhe kia lagta hai iss ki wajha kia ho gi.
Aarav: Kia?
Daisuke: (Smirk) Shuru me to mujhe bohat si wajha dikh rahi thi! Hum ek complete team the 1 Archer, Healer, Tanker, Blacksmith aur Dealer ye puri 1 balance party thi jo easily kisi D Rank beast ko hara sakti thi, kiu ke hamare paas jo bhi member the sab ke paas bohat impressive Power aur prowess thi, Lekin hum me 1 tha jo agar akela bhi hota to uss Quest ko complete ker sakta tha.
Daisuke ke har lafz ka koi na koi matlab tha, Aarav bhi koi bacha nahi tha usse samajh aa raha tha ke baat kis taraf barh rahi hai.
Daisuke: Tum! Aarav tum ab tak ke pehle ho jis ke paas Unique Ability hai aur wo bhi 1 nahi 2 saath me tumhari skill Slash bhi 2 fold skill hai jo ab tak sirf 1 ke paas thi, Agar in sab ko ignore bhi kare to 1 baat jo mujhe hazam nahi ho rahi wo ye hai ke hum sab ko shuru me he ek job mili hai jis ke according he hume skills aur abilities milti hai lekin jaisa tum ne mujhe bataya tumhare status me Tumhare paas koi job hai he nahi.
Aarav ko Daisuke ki har baat me sense mehsoos ho rahi thi, Baki sab bhi Powerful the lekin Aarav un sab me se alag tha-
Daisuke: Agar kisi aur ko pata chala tumhare status ke baare me to tum per khatra aa jaye ga, Tum khud ko to bacha lo gye lekin tumhare apno ka kia?
Aarav: (Aggressively) Kia kehna chahte ho ap?
Daisuke: Gussa mat karo baat ko samjho! Tum alag ho lekin hum abhi kuch keh nahi sakte abhi ke liye tumhe khud ko agli Quest ke liye tayar rakhna hai aur agar tum official's ke haath char jate to tumhe bachana muskil ho jata, Iss liye main ne Adarsh Sayani se tumhare liye baat ki Adarsh ki Family World ki big 4 Family me se 1 hai, Adarsh ka real business weapons ka hai jo uss ki family me saalo se chalta aa raha hai, Adarsh Official ko sambhalne ki takat rakhta hai iss liye main ne tumhe uss ke paas bheja hai lekin tum uss per bhi pura trust mat karna sirf Uss ko Use karo.
Daisuke ne har baat 2 baar dohrate huwe Aarav ko kahi jis ko Aarav ne ache se yaad ker lia, Daisuke ko Aarav ki fikar thi ye Aarav ache se daikh sakta tha agar iss waqt Daisuke usse kisi kaam se rok raha tha to wo Aarav ki bhalayi ke liye he tha.
Aarav: Ab aage kia karna hai?
Daisuke: Adarsh se permission le ker main ne tumhare liye ek trainer ko manaya hai! Tum apne status ke baare me sirf mujhe ya usse bata sakte ho, Aur bhi jo tumhare paas stats point hai unhe invest mat karna training ke baad khud sochna kaise invest karne hai points.
Aarav: Hume sach me training ki zaroorat hai kia? Strength to hum sirf point add karne se le sakte hai!
Daisuke: (Chuckle) Ye to tumhe training me khud pata chal jaye ga! Kab tak yahan rukne wale ho?
Aarav: Urvi kuch acha mehsoos nahi ker rahi jet lag ki wajha se to kal tak jana to mushkil hai!
Daisuke: Koi baat nahi tumhara trainer bhi tab tak wahan aa jaye ga! Main tumhari behan se milta to zaroor lekin abhi meri flight ka time hai.
Aarav: Koi baat nahi next time mil le gye! Waise bakiyo ki kuch khabar.
Aarav ke sawal per Daisuke kuch der ke liye gehri soch me chala gaya, Jaise soch raha ho usse kuch kehna chahiye ya nahi.
Daisuke: (Sigh) Huh! Chupane se kia badal jaye ga, Isabelle ko main ne wapis ate he Apne paas bulwa lia tha, Kiu ke Isabelle vacation per thi to uss ke ghar walo ne koi missing report nahi karwayi jis se uss ko Bina kisi issue ke japan le aya, Uss ki halat abhi kuch khaas achi to nahi hai lekin wo mehfooz hai.
Aarav: Nice! Aur Yoo-Jung?
Daisuke: Yoo-Jung ka main kuch keh nahi sakta! Main ne koshis ki lekin contact nahi ker saka main, Bus 1 khabar mili hai ke wo khud Korean intelligence ke paas chali gayi hai.
****
Adarsh Nigeria House ~
10:57 PM
Aarav ghar wapis aa gya to servants ne usse raat ke khane ka pucha to Aarav ne unhe mana ker dia, Daisuke ke saath baato me uss ne thora bohat khaa bhi lia tha.
Aarav thakan bhare din ke baad abhi sona chahta tha, Lekin pehle wo Urvi ke kamre me check karne ke liye chala gaya, Kamra khola andar andhera tha Urvi ke bed ke paas ja ker Aarav ne daikha aur phir dobara baahir jaane ko huwa.
“Bhayiaaa!!!”
Urvi dar se Aarav ko pukarte huwe uth gayi, Aarav bhaag ker uss ke paas chaka gaya apne bhai ko saamne daikh Urvi uss ke gale lag lag gayi.
Urvi: (Shivering) Bhayia! kahan the ap?
Urvi buri tarha kaanpte huwe boli to Aarav uss ko apne saath laga ker baith gaya-
Aarav: Yanhi hu main! Kia ho gya tha tujhe?
Urvi: Wo main ne ek bura Sapna daikha! Ap ko kisi ne bandha huwa tha aur ap ko mujh se dur kheench rahe the hum dono ek dusre ke paas ana chah rahe the lekin aa nahi paa rahe the.
Aarav: Dar mat! wo sirf ek bura Sapna tha soo ja Araam se.
Urvi: Ap bhi yanhi mere saath soo jao na! Mujhe dar lag raha hai.
Urvi ne Aarav ko jakarte huwe kaha ti Aarav bhi Urvi ko laita ker wanhi uss ke saath lait gaya, Urvi ne side Aarav ko pakar lia aur dono ki ankhe neend se band hone lagi.
.![]()
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he umeed karta hu ap logo ko ye update pasand aye ga, Aur last update me main ne Wednesday ko update dene ka nahi kaha tha, main ne kaha tha ke agar 30 likes huwe to update wednesday ko aye ga, Iss baar bhi target 30 likes hai agar target complete huwa to next Update Monday night ko aa jaye ga, To main chala sone yaad rahe Good Morning pyaare reviews aur Like ke saath kehna hai, Milte hai agle update per tab tak ke liye Sayonara!!!]
Bohat Maza ka update tha.... Daisuke ki baato se bohat kuch samajh aa gaya ke ho kia raha hai.... Conversation me ap ne story ko bohat ache se explain kia aur jo Aarav ki alpha ke saath larayi thi maza aa gaya....Aisa nahi power milne ke baad bus aise he Aarav ne hara dia Balke Aarav khud bhi zakhmi huwa aur agar ice bear saath na deta to Aarav jeet bhi nahi sakta....Aur phir jis tarha ap ne Powerful slash dikhaya uss ne goosebumps de diye....Bohat acha update tha parhe me maza aya umeed karta hu aage ke update bhi iss tarha ke he maze ke ho gyeUPDATE 5 ~“Demon Wolf! Hai to wo bhi ek wolf he lekin wo hamari duniya ke wolf se kayi hisse zada khatarnak khonkar hai, Wo ek aise jeev hai jin ko jaane bina un se larne ka sochna bhi hamare liye moat hai, Earth ke Wolves se zada tez zada taqatawar zada khonkar aur nidar, Aur tum mujhe keh rahe ho main aise jeevo ke beech us bache ko marne ke liye chorr du?”
[ALPHA VS AARAV ARYA]
Daisuke ne andrew ke haath se apni kalayi ko churate huwe kaha, Daisuke ki ankho me dard tha jis ka andaza us ke kaanpte badan se lagaya ja sakta tha.
Aarav ne apni jaan khatre me daal ker zada Demon Wolves ko apne peeche le ja ker khayi me apne saath kheench lia tha, Per kuch Demon Wolves phir bhi Bakiyo ke peeche lage rahe 20 Minute bhaagne ke baad unhe ek Cave dikhi jis ko daikhte he daisuke ne sab ko uss ke andar jaane ka keh dia tha.
Cave ke muh per kuch phool lage huwe the, Jis ko daisuke wolfsbane keh raha tha, ek purple rang ke phool jinho ne Cave ke muh ko dhaka huwa tha, Jis ki wajha se Demon Wolves bahir he ruk gye the.
![]()
30 Minute baad jab Daisuke sab ki safety ke baare me sure ho gya to us ne Aarav ko dhoondne ke liye akele bahir jaane ka sab ko kaha aur bahir ki taraf nikal gaya, Jis ke reaction me Andrew us ke saamne aa gaya us ko rokne ke liye.
Andrew: Mujhe anubhooti hai ke tum per is waqt kia beet rahi hai! Lekin main tumhe aise bahir nahi jaane de sakta.
Wahan sirf Andrew tha jise Daisuke ki halat ka andaza tha, Wo dono apne desh ke sipahi the jinho ne logo ko bachane ki kasam khayi thi, Apne ankho ke saamne ek bahadur larke ko un ke liye yun apni jaan ko khatre me daalta daikh ker wo khud ko kaise surakshit mehsoos ker sakte the?
Lekin Andrew bhi bahir khatre ko jaante huwe bhi yun Daisuke ko bahir kaise bhej sakta tha, Jahan se Aarav gira tha wahan ki gehrayi to unhe pata nahi thi per Aarav ke survival chances kitne low the ye sab ko pata tha.
Vansh: (Irritated) Oye! Ye kia laga rakha hai yahan? Tumhe lagta hai ke wo zinda bacha bhi ho ga wahan? Wo bhediye cheer phaar ker kha chuke ho gye ab tak use, Abhi Us ke peeche hum sab ko yahan khatre me chorr ker bhagne ki jagha ye batao yahan se nikalna kaise hai?
Vansh jo sab kuch daikh raha tha wo tang ate huwe bola, Us ki baate sun Daisuke ne gusse bhari nazro se use ghoora jis oer Vansh ke rongte khare ho gye.
Vansh ek mazboot shareer ka malik tha per Daisuke ek Intelligence Officer tha, Iss me koi shak nahi tha ke agar Daisuke aur Vansh larte to Vansh he tha jo neeche gir ker dhool chatne wala tha.
Andrew: Calm Down Soldier! Uss ki baate karwi zaroor hai per galat nahi hai, Hume pehle yahan situation ko handle karna chahiye, Yahan bhi sab dare huwe hai kise ko kuch nahi pata ke un ke saath kia ho raha hai agar kisi ko situation ke baare me kuch idea hai to wo sirf tum ho.
Daisuke ne apni nazre jhuka li aur Haatho ki muthi zor se bheench li, Wo Aarav ke peeche jaana chahta tha per wo aise sab ko beech me itne sawalo ke saath nahi chorr sakta tha.
Daisuke: Theek hai! aa jao main batata hu ke kis hell me aa ker phans chuke hai hum.
Daisuke Vansh ki taraf ek gusse se bhari nazar daali aur sab se kaha jis per sab Daisuke ke paas aa gye, Daisuke sab ke saamne ek pathar per baith gaya.
Daisuke: (Sigh) Jaise main ne pehle kaha! Hum pehle nahi hai jin ke saath ye sab ho raha hai, Hum se pehle bhi log the jo iss tarha Yahan teleport huwe the, Jab hume iss cheez ki khabar huwi to hum ne use start me to lightly lia per jab hume un baki bache huwe 4 logo me supernatural powers dikhi to sab ko apna pura focus un per karna he para, Iss sab ko top secret investigation ka roop de dia gaya, Jis se hume bohat Ajeeb cheeze daikhne aur jan'nne ko mili.
Daisuke ne sab ki taraf daikha to sab dhayan se us ki baato ko sun rahe the, Jo kuch unho ne daikha tha uss ke baad Daisuke per Shak ki koi wajha nahi bachi thi.
Daisuke: Un 4 logo ka kehna tha ke unhe kuch nahi pata achanak he wo apni jagha se yahan teleport ho gye the bilkul jaise hum huwe hai, Unhe bhi hamari tarha ek quest mili thi jis me unhe ek E RANK Beast (AZHDAAR) ko maarne ka kaha gaya, Azhdaar dikhne me ek komodo dragon jaisi dikhne wali Creature thi, Jis ki thook Acid jaise thu aur wanhi us ki Tail kisi bari chattan ko torne ki taqat rakhti thi.
![]()
Isabella: Wait! Hamari Quest me to koi rank nahi likha?
Daisuke: Right! Unhe bhi Rank nahi pata tha, Rank to kia unhe to ye bhi nahi pata tha ke un ke saath ho kia raha hai, pehle 20 din to unhe sab kuch samajhne me lag gye, In 20 dino me unho ne Information Collect ki phir jab finally unhe cheeze samajh ayi to unho ne Quest complete ki aur jaise he unho ne Quest Complete ki unhe un ke Reward me jaise kaha gaya tha wo wapis aa gye.
Yoo-Jung: Iss ka Matlab agar hum apni quest Complete kare to hum bhi wapis ja sakte hai?
Yoo-Jung ne Daisuke ki baato se andaza lagate huwe kaha jis per sab ko ek umeed dikhi, Wanhi Daisuke Yoo-Jung ka sawal sun ker thori soch me per gaya lekin wo khud ko thora normal ker ke apni baat aage barhata hai
Daisuke: Haan! Hum Quest puri ker ke wapis ja to sakte hai, per zada waqt ke liye nahi, Quest ke end me un 4 ko ek notification mila tha jis me unhe un ki Tutorial Tower me next visit ki timing batayi gayi thi.
Vansh: (Frightened) Wait! Matlab yahan se nikalne ke baad hume yahan wapis ana ho ga?
Daisuke ki baat per sab ke chehre per ayi wo khusi ki chamak ek pal me bujh gayi.
Daisuke: Haan! Lekin iss ke beech me Unhe 1 Maheene ka waqt mila tha total 4 baar wo Tutorial tower me aye the, Lekin har baar un ki Quest ki Difficulty barhti gayi jis ke chalte 4th Quest un me se sirf ek puri ker ke wapis aa saka.
Daisuke ki Baat sun sab ke chehre peele per gye, Kahan wo yahan se nikalne ki so h rahe the wanhi ab unhe apne saamne Moat nazar aa rahi thi.
Yoo-Jung: Lekin ye zaroori to nahi hume bhi un ki tarha wapis ana pare, Hume iss jagha ka kuch pata nahi hai ke yahan konse niyam chalte hai, to ap kaise keh sakte ho ke hume bhi Wohi sab karna ho ga?
Yoo-Jung ne dobara ek sawal pucha jis per sab ko ehsaash huwa wo dar ke maare itni sime baate kaise soch nahi paa rahe the, Wanhi Daisuke Yoo-Jung ko iss situation me itna calm daikh ker halka sa muskura dia.
Daisuke: Smart Girl! Tumhara sawal bilkul sahi hai, Tumhe yaad hai main ne kaha hum pichle 2 saal se in cheezo ko investigate ker rahe hai? In 2 saalo me hume 4 aur Group mile jo waise he yahan aye hai.
Daisuke ki iss baat ne ek aur shock de dia sab ko, Wanhi Yoo-Jung ko uss ke sawal ka jawab bhi mil gaya.
Daisuke: Hum pehle Group ki wajha se thora zada serious ho chuke the iss liye jab hume dusra group mila to hum ne un ke thorough iss duniya ko aur bhi jankari lene ka faisla ker lia aur aise he janakari lete rahe, Baki groups ko bhi 30 din ka waqt milta jis me Unhe ek E RANK Beast ko Maarna hota tha, Jis ke liye unhe different skills aur abilities milti.
Andrew: (Curiously) Skills???? Abilities????
Iss baar Andrew na sawal kia jo khamooshi se sab kuch sun aur samajh raha tha, Jis per Daisuke Sab mo system ke baare me samjhane laga jis ki information unho ne baki groups se li thi
“Sab se pehle to har player ko un ki Status window dikhayi deti jis me wo apna Rank, Level, Skills, Abilities aur Stats daikh sakte hai, saath me unhe un ki Health aur Mana bhi dikhne ko milta hai.
Jitne high tumhare stats number ho gye utna tumhara wo stat high ho ga, For example jaise Yoo-Jung ki intelligence hum sab se zada hai iss liye uss per [Enchanced Language Understanding] skill lete waqt itna zada effect nahi huwa, Kiu ke wo skills High Intelligence Stat ke liye hai.
Skills kia hai? To Skills hamari kisi bhi talent ko aur bhi zada powerful karti hai, Jaise Yoo-Jung ke paas ek Archery talent hai jis ki wajha se us ke paas Archery wali skills ho gi”
Daisuke ne Yoo-Jung ko daikhte huwe kaha jaise wo use uss ki skills batane ka keh raha ho, Yoo-Jung ne sab ki taraf daikha to sab use he daikh rahe the jis per Yoo-Jung ne dobara apni status window khol li jis ko kholne ka tareeka Daisuke use smajha raha tha.
Yoo-Jung: (Sigh) Enhanced Kyūjutsu!
![]()
Yoo-Jung ne apni ek skill ke baare me sab ko bata dia, Jis se sab ko wo pal yaad aa gye jab Yoo-Jung bhaagte huwe Arrow Shoot ker paa rahi thi, Uss waqt to sab apni jaan bachane me itne masroof the ke wo iss cheez per dhayan he nahi de sake, Per ab jab unho ne iss baare me socha tha wo Normal bilkul nahi tha.
Daisuke: Bilkul aise he skill hamare talent ko bohat strong buff deta hai jis se hum apni skills use ker sakte hai, Wanhi Abilities Skills se alag alag hai jahan skills Talent per based hai jinhe ap physically use ker sakte ho wanhi Abilities aisi cheeze hai jo physically possible nahi hai jaise Magical powers jis ki wajha se ap Ability users ko Mage bhi keh sakte ho, Ability me alag alag tarha ke Abilities hoti hai for Example Healing Ability, Attack Ability aur Shield Creation Ability, Mostly Players ya to sirf Skill ya phir Ability dono me se ek le sakte hai per kabhi kabhi kuch ke paas Skills ke saath abilities bhi hoti hai.
Isabella: Healing Ability! Meri Status Window per mujhe ye Ability Dikh rahi hai. Aur saath me kuch alag alag skills bhi jo Healing ke liye use ho sakti hai
![]()
Daisuke: Nice! Hamare paas ek healer bhi hai, Skills aur Abilities aisi hai jo Humans se bohat zada powerful hai per un me ek aur bhi hai Unique Ability users Unique Ability Users Na hone ke barabar hote hai iss liye iss ke baare me hum kuch nahi jaante per iss duniya me mili ek book ke hisaab se ek Unique Ability Millions Dual Skill and Ability Users se zada Powerful hota hai, Un ki Unique Ability un ke ilawa koi possess nahi ker sakta.
Daisuke ne System ki puri Details sab ko bata di jo kisi ke liye bhi hazam karni mushkil thi per wo sab chup the.
Yoo-Jung: Mujhe kuch baate samajh nahi ayi! Jab baki sab ko 30 din ka waqt mila hai to Hume sirf 7 din Kiu? Aur Hume yahan la ker Quest kiu di ja rahi hai?
Yoo-Jung ne dobara sab ko heraan ker dia Time limit per ab tak kisi ka dhayan nahi gaya tha, per ab jab Yoo-Jung ne iss ke baare me pucha to sab aur bhi dar gye.
Daisuke: Time limit ke baare me mujhe bhi kuch nahi pata, Per mujhe jahan tak lagta hai hum sab yahan koi test Subject hai kiu ke main iss jagha ke baare me aur system ko pehle se samjh pa raha hu iss liye shayad system ko hume sab samajhne ke liye waqt dena sahi nahi laga, To iss liye shayad meri wajha se Time limit kam ho gayi hai.
Vansh: Matlab tumhari wajha se hum sab ki zindagi aur bhi khatre me per chuki hai?
Vansh ne gusse se bola wo ab tak apna gussa shant kiye baitha tha per jab use Daisuke yahan kasoorwar nazar aya to wo gusse se ubal para, Lekin wo kuch karta uss se pehle use apne kanhde per Andrew ka haath mehsoos huwa
Andrew: kuch pagal panti mat karna! Iss waqt hamare liye tum se zada zaroori daisuke hai.
Andrew ne Vansh ke kandhe per pakar banate huwe kaha apne kandhe per dard mehsoos ker Vansh Shanti se neeche baith gaya,
*Oowwwoooo*
Ek zordar Howl ne sab ka dhayan Cave se bahir ki taraf kheench lia, Us Howl ke foran baad bahir jo Demon Wolf ke kadmo ke awaze tez hone lagi aur dheeme dheeme dur jati mehsoos hone lagi
Vansh: (Smiles) Lagta hai Demon Wolves hume chorr ker chale gye hai, Hum ab bahir ja sakte hai.
Vansh un awazo ko sun ker bola ab wo wahan se nikal sakte the iss se pehle demon wolves wapis ate.
Daisuke: (Frightened) Pagal mat bano! Ye howl in Demon Wolves ke liye nahi thi, Ye howl Alpha ke liye thi.
“Alpha???”
Sab ke chehre per dar tha jis tarha Daisuke Alpha se dar raha tha wo Sadharan dar nahi tha, Wo Dar se zada khoof tha Alpha ka khoof.
Daisuke: Ek Demon wolf E Rank Azhdaar ko takar dene ke liye kafi hota hai per ek Alpha ki presence me wo E Rank ka Demon Wolf kisi D Rank Beast ke jitna powerful hota hai, Agar iss howl ne Alpha ko yahan bulaya hai to behtar hai ke hum bahir jo bhi chal raha hai uss ke beech me na aye!
Daisuke ki baat sun sab ne ishare se hami bhar li, Wo ek E Rank Normal Wolf se aoni jaan bacha rahe the agar wohi Demon D Rank ke jitna powerful hota to bachne ke chances na ke barabar the.
Aur wanhi ab un ke saath Alpha khud bhi tha jis ke power ka kisi ko andaza nahi tha, Yahan tak Daisuke ko bhi Alpha ke baare me kuch nahi pata tha, Use un books se kuch pata chali thi to sirf ek line.
“For the strength of the pack is the Alpha, And the strength of the Alpha is the pack”
****
[The Demon Alpha Wolf marks you as its enemy.]
[Aarav Arya VS Alpha Demon Wolf]
[You can now see your opponent's status.]
*Grab*![]()
Aarav ne sword per apni pakar mazboot ker li, Use andaza tha ke wo apni moat ke saamne khara hai per kuch palo ke andar he Aarav ke andar kuch badal chuka tha jahan pehle wo dar raha tha wanhi ab wo calm mind se situation ko ache se notice ker raha tha.
Iss waqt us ka opponent Alpha Demon Wolf tha jis ki power ko us ne abhi daikha tha, Alpha na sirf us se bara aur takatwar tha us ke paas ek power thi jis se wo apne muh se ek beam nikalta tha wo bhi itni powerful beam jis ne Bhaaloo ko cheer dia tha.
Aarav: Mujhe use gussa nahi dilana chahiye! Agar main use Power me nahi hara sakta to main dimagh se kaam lu ga.
Aarav ne ek baar pura plan dobara yaad kia, Wo ab yahan se bhaag nahi sakta tha Battle Stone ke curse ki wajha se, iss liye wo position le ker khara ho gya.
Uss ko yun khara daikh Alpha bhi ready ho gya Aarav apni nazre Alpha per garaye huwa tha per agle he pal Alpha Achanak apni jagha se gayab ho gya, Palak jhapakte he Alpha apni jagha se gayab ho chuka tha.
Aarav ko Alpha apne side se uss ki taraf ata mehsoos ho raha tha per wo react nahi ker paa raha tha Alpha ne 1 pal me ek bari distance ko paar ker lia aur seedhe Aarav ke saamne aa ker apne Claw se Aarav ki haath ko ukharna chaha.
Claws ne Aarav ke kandhe ko buri tarha zakhmi ker dia per Aegis ne zada effect khatam ker dia jis se us ka haath ukharne se bach gaya, Lekin attack se Aarav hawa me kuch feet dur ja gira.
Alpha Aarav se kuch dur khara ho gaya jaise wo Aarav ko dobara khara hone ka chance de raha tha, Per uss ek Attack ne Aarav ko andar tak pura hila dia tha wo wanhi baitha dard se karah raha tha.
Aarav ko uss Attack se ehsaas ho raha tha ke dono ke beech kitna power difference hai, Aarav ko ab apni kismat per hansi aa rahi thi Alpha wolf iss fight ko serious bhi nahi le raha tha wo jaise sirf Aarav ke saath khel raha tha, phir bhi Aarav uss ke saamne weak tha.
*Tip* *Tip*
Aarav ki nazre neeche thi jab use khoon ki boonde neeche girti dikhi, Aarav ne jab khoon daikha to use Ehsaas huwa us ka Jabra toot chuka hai aur ye khoon us ke muh se beh raha hai, Aarav apne haatho per lage us khoon ko daikh ateet ki yaado me khone laga.
![]()
Aarav ke pita ji ke Antim Sanskar ko 2 din he huwe the jab uss ke pita ji ne jis se karze liye the wo apne paise lene aa gye, wo Aadmi apne 2 beto ke saath Aarav ko ek jagha gher ke khare ho gye apne paise ki wasooli karne ke liye.
Per Aarav jis ne apne pita ji ka antim sanskar bhi Manohar se paise Udhar le ker kia tha wo kahan se 2 Lakh de sakta tha, jab Aarav ne unse waqt mangna chaha to wo gusse se Aarav ko peetne lage Aarav ka badan ke alag alag hisse se khoon behne laga un me se ek ne Aarav ke muh per laat maari to Aarav ke muh se bhi khoon behne laga.
![]()
Kisi ne Manohar ko khabar ker di to wo bhaagte huwe wahan aa gaya aur un logo ko un ke paise de ker jaane ka keh dia, wo log paise gin ker hanste huwe wahan se chal diye.
Aarav peeche se unhe gusse se ghorta raha wo unhe wanhi pakar ker un se badla lena chahta tha per wo aisa ker nahi sakta tha kiu ke uss ke Anjam ka use andaza tha.
Wo log Aarav ko chain ki zindagi jeene nahi dene wale the agar Aarav un se panga leta to, Aarav ne gusse ke karwe ghoont pee liye per ye sab yanhi khatam nahi huwa karza lene wale ate rahe Aarav un se beizati sehta raha bina koi jawab diye.
Per ab cheeze Alag thi use yahan kisi anjaam ki fikar nahi karni parne wali thi, Uss ke paas ek moka tha Us beizati aur takleef se bane jawale ko shaant karne ka moka, Aarav ne Sword per dobara pakar banayi aur khare ho ker apni shirt se apne muh per lage khoon ko saaf ker lia.
![]()
Aarav ko dobara khara hota daikh Alpha bhi dobara Attack ke liye ready ho gya aur dobara bhaagne laga per iss baar Aarav apni jagha per bina hile khara raha, Alpha ghoomte huwe Aarav ke side oer gaya aur Uchalte huwe Aarav ke sar per waar karne laga.
[Skill (Slash) Awakened]![]()
*Swisshhh*
Aarav ne Alpha ko jaise he hawa me mehsoos kia to foran apni Sword se us per Attack kia, Aarav ki speed ek pal ke liye tez huwi Aarav ko Sword ka weight bhari mehsoos huwa uss ki sword ke slash ka Pressure pehle se zada tha, Jis se Aarav Alpha per hit lene me kamyaab ho gya.
Alpha ne hawa me he apni position change ker li jis se wo Apna sar katne se bach gaya per us ke side per ek bara cut lag chuka tha jis se khoon beh raha tha.
*Groowwwrrrr*
Alpha dard se karahne laga use bhi ehsaas ho gya ke Aarav Us se weak zaroor hai per itna bhi nahi ke wo Alpha ko khud se yun khelne de, Sirf ek galti aur Alpha wanhi sar katwaye mara ho sakta tha.
Aarav ke chehre per ek muskurahat aa gayi pehli baar tha jab koi Aarav ko iss nazro aise dar ki nazro se daikh raha tha, Aj tak logo ne use sirf kisi keere ke jaise treat kia tha, Per ab ye badal chuka tha wo kisi ki Ankho me khoof laane me kamyaab ho gya tha.
Ye ek aisi feeling thi jo Aarav ne aj se pehle kabhi mehsoos nahi ki thi, Wo kisi ko dard me daikh ker khush nahi ho raha tha balke iss baat se khush tha ke wo pehli baar apne liye yun kuch ker saka hai, Wo aj kisi Hopeless insaan ki tarha sirf zameen per nahi gira raha.
*Arrggghhhh*
Alpha hawa me mushkil situation me zaroor tha per wo phir bhi Aarav ki gardan per apne claws se Attack karne me kamyaab ho gya tha, Aarav ko uss ki gardan per jalan mehsoos ho rahi thi jaise wahan se uss ki skin jal rahi ho.
Aarav: Mujhe Claws se bhi bach ke rehna ho ga, Ye koi Sadharan Claws nahi hai.
Jahan Aarav apne agle move ke baare me soch raha tha wanhi Alpha gusse se Aarav ko ghoor raha tha, Jis Insaan ko wo kamzoor samajh raha tha wohi uss ko moat ke ghat utarne ke kareeb tha.
Alpha ne khud ko thora peeche kia aur apna muh khol lia, Uss ke muh me wohi beam dobara ikathi hone lagi, Alpha ko ye karta daikh Aarav ghabra gaya.
![]()
Aarav physical Attack ko to seh pa raha tha per iss beam ki power ka use koi andaza nahi tha, Alpha ne us Beam ko Aarav ki taraf shoot ker dia Aarav ne khud ko bachane ke liye side per jump kia per Alpha ne Beam ko us taraf ghooma dia.
Aarav ke paas jab dodge karne ke liye jagha nahi bachi to khud ko bachane ke liye Aarav ne apni Sword ko apne aage shield ki tarha rakh lia.
Tabhi Sword per lage uss Mana Stone ne chamakna shuru ker dia jis ke foran baad Sword ke gird ek Blue Aura phelne laga, Beam Sword se ja takrayi per Sword use rok paa rahi thi.
Lekin uss beam ka pressure itna zada tha ke wo Aarav ko peeche ki taraf push ker rahi thi. Aarav ne Sword ko neeche zameen per ghusa di per wo abhi bhi peeche ko push ho raha tha.
*Clang*
Beam ke pressure se Sword side per ja giri Aarav ne saamne se hatna chaha per Beam Aarav se bohat zada tez thi Beam seedhe Aarav ki chest per lagi, Aarav ki chest ki sab hadiye puri toot gayi Aur wo hawa me urte he peeche ja gira
*Agggghhhhh*
Aarav dard se chilane laga us ki cheekh itni unchi thi ke uss ka gale se Awaz nikalni band ho gayi, Wanhi Alpha bhi itni zada Beam ko ek saath shoot karne ke wajha se pura Exhaust ho gya tha.![]()
Pehle he bhaaloo se larne ki wajha se wo zakhmi tha aur girne ki kagar per tha wanhi Aarav ke diye zakhm ki wajha se us ki halat aur bhi kharab ho gayi thi per wo abhi bhi apne pairo per khara tha, Per uss ki beam me power bohat kam ho chuki thi jis ki wajha se Aarav zinda bach gaya tha warna Aarav wanhi chaati me ched liye mar jata.
*Grrrrr*
Alpha ne guraya wo Aarav ke saamne abhi bhi mazbooti se khara tha wo Aarav ko apni Power dikha chuka tha, Wanhi Aarav bus dard se karahe ja raha tha uss ke paas uthne ki bhi himmat nahi thi.
Per phir bhi Aarav ne apne haath neeche rakhe aur un per zor daalte huwe apne shareer ko upar uthaya.
*Ahhhh*
Dard ki ek tez lehar uss ke pure shareer me pheli per Aarav ruka nahi wo yun khud ko haara huwa nahi Maan sakta tha, Aarav dobara apni jagha per khara ho gaya us ka pura shareer kaanp raha tha.
Lekin wo us dard ki parwah kiye bina Apni Sword ke paas gaya aur apni sword wahan se utha li aur Alpha ki taraf point ker di, Aarav ke saamne dobara uss ki Health ki window aa gayi.
![]()
Aarav apni akhri HP per tha matlab ab uss ke paas waqt nahi tha, Wo kisi bhi lamhe wanhi gir sakta tha per Aarav apni Zindagi ki pehli aur akhri Battle yun haarna nahi chahta tha, Abhi uss ka sirf ek maqsad tha wo tha ye battle jeetna.
Lekin wo iss larayi me zada der tik nahi sakta tha iss liye agla Attack uss ka akhri Attack hone wala tha, Aarav ne apne kadam Alpha ki taraf barha diye aur dheeme un kadmo ko tez karte huwe bhaagne ka roop de dia.
Aarav ko yun talwar liye apni taraf ata daikh Alpha bhi uss ki taraf bhaagne laga per Alpha khud ko kamzoor nahi dikha raha tha wo apni raftaar se bhaag raha tha, Aarav ke kareeb ate he Alpha us ki taraf hawa me uchla.
Alpha ko Attack karta daikh Aarav ne bhi apni Sword se Attack karne ke liye Sword liye position li, Lekin Alpha tak uss ki Sword pohanchne se pehle Alpha ka Attack us per pohanchne wala tha, Aarav Alpha ki speed ko match nahi ker sakta tha iss ka use bhi ehsaas ho gya tha.
*Crack*
Achanak Alpha ke neeche se ek spike tez Raftaar se nikla jis ko Alpha Dodge na ker saka aur wo Alpha ke andar ghus gaya, Alpha wanha hawa me latak gaya aur dard se karahne laga per uss ne Aarav ko nazar andaz nahi kia aur dobara apne muh me beam ikathi karne laga.
Wanhi jab Aarav ne Alpha ko aise daikha to ye uss ke liye best Chance tha wo iss waqt Alpha ko hara sakta tha, Lekin agar wo fail hota to Alpha ki beam uss ke chehre ko cheerte huwe guzar jati.
Lekin Aarav ruka nahi uss ne apni sword per power lagayi aur uss ghooma dia us ki sword Lal rang se chamki aur uss ke saamne ek notification aya.
[Deathly Slash]
![]()
Sword seedhe Alpha ke sar ko us ke dhar se alag karte huwe Aarav ke haath se chut ker du ja giri, Wanhi Alpha ka kata huwa sar zameen per gir gaya.
Aarav: Huh! Main jeet gaya.
Aarav ne khud se kaha wo Iss battle ko jeetne me kamyaab ho gya per us ki HP bilkul khatam ho gayi thi, Wo bhi neeche girne laga girte huwe uss ne side oer daikha to bhaaloo apna haath zameen me ghusaye laita huwa tha, Matlab bhaaloo ne bhi Aarav ki tarha apni akhri power Alpha se jeetne me lagayi thi.
Akhir me dono Alpha ko harane me kamyaab ho gye, Aarav wanhi Alpha ki latki huwi Body ke neeche gir gaya, Uss ka sar upar ki taraf tha jahan use Khayi ke upar kuch Demon Wolves dikhe jo apne Alpha ki laas ko daikh rahe the, Aarav ki ankho ke aage dheeme dheeme andhera chaya aur wanhi band ho gayi.
.![]()
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he, Ye wala Update 5K+ Words ka Mega update tha, Aur jaisa main ne pehle kaha main ghar nahi tha to update ko jab bhi thora thora time milta to tab likha hai, Iss Update me kuch parts boring lag sakte hai per unhe ignore mat karna un parts se aage story samajhne me Easy ho ga, Time laga hai per Update per bohat mehnat ki hai, Umeed karta hu ap logo ko update acha lage ga aur agar update acha lage to Like aur Review zaroor dena tab tak ke liye Sayonara!!!]
Bilkul sahi keh rahe ho....Abhi waqt lage ga lekin hum jur chuke hai to baki readers bhi jald he aa jaye gyeabhi story start hui hai to abhi jyada logon ne isko read nahin kiya hoga per time ke saath aapko aur bhi readers mil jayeinge aur like aur comment bhi bahut mileinge so best of luck bhai
Sahi keh rahe ho fantasy me bohat dhayan dena parta hai main ne khud start kari thi lekin abhi update likhne ki himmat he nahi ho rahiBilkul sehmat hu bhai aapki baat se sex story me to kese bhi khich sakte hein me sirf ek suggestion k liye bola tha aap aapka Kam bdia krr rhe ho keep it up![]()
Nice update
Aarav vapis laut aya earth pe dekhte hai aage kya hota hai..
