achinsaha
I 🖤 🖤Darkness 🖤🖤
- 1,227
- 2,329
- 143
Nice update superbUPDATE 4 ~
[WILL TO LIVE]
Kaisa lage ga? agar ap puri tarha toot chuke ho, Haar maan li ho aur tabhi ap ke paas ek moka aye us haar ko jeet me badalne ka, Lekin wo moka milne ke bawajood ap use hasil na ker pa rahe ho.
Aisi he kuch Halat is waqt Aarav ki thi, Jab sab Darwaze uss ke saamne band ho gye the tab. Use ek chance mila us Healing Potion ke roop me.
Jis ko daikh Aarav ko laga wo yahan se nikal sakta hai, Wo wapis Urvi ke paas ja sakta hai apna Wada nibhane, Per wo umeed ek pal me toot ker bikharne lagi thi, Aur uss ko torne ki wajha thi wo Lal Khoon ke liye bhooki ankhe.
[Alpha Demon Wolf presence stunned player body, Player have fallen into a stunned state.]
Notification saamne ate he Aarav ki pura Badan ek pressure me aa gaya, use aisa lagne laga jaise wo kisi haathi ke neeche daba ho aur chah ker bhi hil nahi pa raha tha.
Aarav dard se karah raha tha, Per wo janta tha ye Chance dobara nahi milne wala, Wo is Chance ko kisi halat me bhi gawana nahi chahta tha, Lekin uss ki ankho ke aage andhera chaane laga.
“Bhayia”
Aarav ke andar ek cheekh goonji iss awaz ko Aarav achi tarha jaanta tha, Ye awaz us insaan ki thi jis ki siwaye us ka koi aur nahi tha, jis ko wo duniya me sab se zada pyaar karta tha, Uss ki behan Urvi, Awaz me fikar thi Aarav ne apni ankhe khol daikha to uss ki behan ghabaraye huwe bhaag ker uss ki taraf aa rahi thi.
Aarav: (Faintly) Urvi?
Urvi ko apne saamne yun daikh, Aarav ko chehre per muskurahat ayi per agle he lamhe Us ke saamne se Urvi gayab hone lagi, Aarav ne khud ko aage barhna chaha per wo dabao use hilne he nahi de raha tha
Aarav: (Screams) Aaraaav!!!!! Aage barh.
Aarav khud per he chilaya, Aur uss Dabao se Nikalne ki koshis karne laga per wo dabao barhte he ja raha tha, Aarav ka pura badan Kaanp raha tha, per wo ruka nahi aur koshis karta raha us ka pura chehra zor lagane se laal ho gya.
[Activating Unique Ability (Will to live)]
[Requirements not met]
[To use the Unique Ability (Will to live) to its full potential, you have to meet its requirements]
[Current Progress (3.8%)]
[Fear Decreased -40%]
[Endurance Increased +10]
[Intelligence Increased +20]
[Strength Increased +10]
[Stamina Increased +10]
[Agility Increased +10]
[All stats return to normal after the Unique Ability (Will To Live) deactivated]
Aarav ke saamne Bohat se Notification aa gye, jis ke foran baad Aarav ke upar wo dabao kam hone laga, Aarav puri taqat laga raha tha jis se wo ab hil pa raha tha per Aarav ka is waqt ek he mission tha us potion ko hasil karna.
*Thump*
Aarav ne apna haath puri taqat se uthaya aur ghoomate huwe uss healing potion ki bottle per rakha dia, Apne angothe se us bottle ke upar cork jaisi lagi cheez ko nikal dia aur Bottle ko apne munh per laga ker pure paani ko pee gaya.
Use pee ker Bottle ko Aarav nr wanhi chorr dia, Healing Potion ka taste normal paani jaise he tha, per jab kuch second tak kuch nahi huwa Aarav ko fikar hone lagi kanhi ye sach me koi normal paani to nahi tha kia?
*Agggghhhhh*
Wo kuch aur sochta uss se pehle he agle he pal us ke sabhi zakhm buri tarah jalne lage, Wo buri tarha tarapne laga usse kuch samajh nahi aa rahi thi yahan kia ho raha hai, dheeme dheeme wo jalan khatam hone lagi aur Aarav wanhi laite lambi saanse bharne laga.
Healing Potion ne apna kaam ker dia tha, Process Dardnak tha per worth it tha, Aarav ne apne haath ki taraf daikha to use apne zakhm tezi se bharte huwe dikhayi diye.
“Huh”
Jab Aarav ka dard kam huwa tha use dobara Ehsaas huwa ke wo iss waqt kis situation me hai, Uss ne waise he laite tezi se Alpha ki taraf nazar ghoomayi to ab un laal ankho ke saath use Alpha ka halka roop bhi dikhne laga.
Alpha wanhi baitha Aarav ko daikh raha tha Uss ke saath he bache huwe Wolves bhi khare huwe the, Per wo Aarav per koi react nahi ker raha tha, Maano Use Aarav se koi khatra nazar he nahi aa raha tha.
*Crack* *Crack*
Achanak wo Ice spikes tootne lage aur un ke peeche khara Bhaaloo dobara saamne aa gaya, Alpha ne jaise he use daikha use pata lag gaya ke ye he uss ka opponent tha.
Alpha bina waqt gawaye uss ki taraf bhaagne laga, Bhaaloo ne Alpha ko apno taraf ata daikh dobara Spikes ko nikala per Spike ke tezi se nikalne ke bawajood Alpha un ke nikalne se pehle wanha se aage barh paa raha tha.
Uss ki raftaar tez thi wo jaise jaise bhaag raha tha uss ke peeche ek shadow jaisa figure reh ja raha tha jo Alpha ki Half body chupaye huwe tha.
*Crack*
Ek Spike Alpha ke bilkul saamne nikla per Alpha ne bhaagne ki jagha upar ki taraf chalaang laga di, Hawa me he Alpha ne apna munh khola to uss ke munh me ek neeli roshni ikathi hone lagi, Jis ko uss ne Bhaalo ki taraf bhej dia.
*Groowwwrrrr*
Wo roshni jaisi cheez bhaalo ki kamar ko upar se cheerte huwe nikal gayi, Bhaalo sahi waqt per dodge ker saka warna wo uss Roshni se jaan gawa baithta.
Per ab Bhaalo bhi gusse me aa gaya tha, Uss ne Alpha ke neeche ane se pehle wahan ice spikes nikalne shuru ker diye jis ko Alpha ne dodge ker lia per Spikes tezi se nikalte ja rahe the, Dono apni puri jaan laga ker lar rahe the.
Aarav unhe larta daikh moke ka faida utha ker khara ho gya, Uss ke zakhm kafi had tak bhar gye the, Ab jab Aarav ne dhayan se daikha to use wapis jaane ka koi Raasta nazar nahi aa raha tha.
Aarav: Ab kidhar jao main?
Aarav chaaro taraf nazre ghoomane laga, per Wahan koi raasta nahi tha, Tabhi Aarav ki nazar wapis uss khali healing potion ki bottle per gayi, Aarav ne uss taraf daikha jahan se bottle ayi thi to use wahan ek chota sa cave hole dikha, jahan use kisi ka haath bhi dikha.
Aarav: Koi! Koi hai kia wahan?
Aarav larkharate huwe uss Cave ki taraf chalne laga, Uss ke peeche zordar larayi ki awaze ati rahi per wo un sab ko unsuna ker ke aage barhta raha aur seedhe us Cave me ghus gaya, Cave ki entrance choti he thi jis me Bhaalo ya bhediyo ka ghusna mushkil tha.
Aarav seedha andar chala gaya per jab us ne uss haath wale shaks ko daikhna chaha to uss ki ankhe dar se phel gayi, Kiu ke wahan koi insaan nahi sirf ek murda hadiyo ka kankal tha.
Use daikhte he Aarav buri tarha se hil gaya uss ne ab tak chahe jo bhi daikha tha per kisi ko iss halat me mara huwa daikhna abhi bhi uss ke liye khofnak tha, Sirf ek galti aur iss Kankal ke jaise he Aarav bhi aise he kanhi phenka huwa ho sakta hai.
Sirf itna soch ker he us ki ruh kaanp uthi, Aarav ne khud per kabu kia, Ye waqt kabu khone ka nahi tha, Agar use waqt mila tha to use uss waqt ka sahi se Istimaal karna tha, Aarav wahan nazre ghooma ker kuch dhoondne laga jis se wo survive ker sake.
Aarav ki nazar Us kankal ke haath me pakre ek kagaz per gayi, Aarav ne karwa ghoont bhara aur kankal ke haath se wo kagaz le lia, Wo ek letter ke jaise tha jis per kuch alag he zuban likhi thi per Aarav use parh paa raha tha.
[Enchanced Language Understanding]
Skill apna kaam ker rahi thi ye daikh Aarav ko khushi huwi, Aarav ne uss letter ko parhna shuru kia.
“Tum agar ye parh rahe ho iss ka matlab tum bhi meri tarha yahan phans chuke ho, Main bhi apne apno se dhoka kha ker yahan phans gaya tha, agar tumhare paas koi flying ya phir high jumping skill hai to tum yahan se Easily nikal sakte ho, Agar tum bhi meri tarha Kamzoor skills ke saath janam liye ho to phir hum dono bad-kismat hai.
Kiu ke iss Cave se bahir ke beast tumhe yahan se zinda nikalne nahi de gye, mere paas sirf Black Smith ki skills thi per main apne banaye weapons he use nahi ker sakta tha, Agar tumhare paas koi bhi Fight skills hai to mere bag me tumhe koi na koi weapon mil jaye ga.
Mere paas rakhe bag me agar tum haath daalo gye to wo bag tumhe tumhari Skills aur level ke mutabik mera banaya sab se strong weapon jis ko tum use ker sako wo de de ga, Aur agar kisi tarha tum meri wajha se yahan se nikalne me kamyaab ho gye to tumhe meri ek khawaish puri karni ho gi.
Aisa nahi hai main tum per zabardasti ker sakta hu agar tum nahi karo gye to ye mere liye ek akhri haar ho gi per agar tum kisi tarha bach gye aur tum meri khawaish pura karna chaho to Please jis din tum Stone Monarch se mile use tarpa tarpa ker maro gye.
Mujhe Sirf Us ki moat nahi chahiye balke us ki wo tarap chahiye us ki ankho me wo khof jis me wo jeena chahe per chah ker bhi jee na ker sake”
Uss letter ek ek lafz me krodh bhara huwa tha har lafz se jaise page phatne ko ho raha tha, Ye shaks chahe jo bhi tha uss ke akhri lamho ki wo tarap Aarav mehsoos ker paa raha tha.
Letter me aur bhi details likhi thi, Wanhi Aarav ko wahan ek Book bhi mili jis me Weapons ki details thi jis ko Aarav ne parha to wahan ek armor ki details bhi thi, Aarav ne use Kankal ki taraf daikha to book me bani picture aur kankal ka pehne kapre ek jaise the.
Aarav: (Frowns) Kia? Ye kapre Armor hai?
Aarav ko ko vishwas nahi ho raha tha, Uss kankal ne jo kapre pehne the jis ko book Armor keh rahi thi wo kisi Cosplay ki tarha ke lag rahe the, Per Uss Armor ki jo details likhi to wo Unreal thi.
Aarav aage barh kee us Armor ko lene ka chah ker bhi aage nahi barh paa raha tha, Akhir wo kisi ki corps per tha wo kis tarha khud ko kisi mare huwe insaan ke jism se aise kuch nikalne ke liye kayal ker sakta tha.
*Roaaaaar*
Baahir se larai ki awaze aur tez ho gayi Aarav ke paas iss waqt apne zameer ki awaz sunn'ne ka waqt nahi tha, Aarav ne kaanote haatho se us Kankal se wo Armor nikal lia, Aarav ko khud se ghin aa rahi thi per wo ruka nahi.
Armor ko nikal ker Aarav ne pehan lia, phir Aarav us bag ko dhoondne laga jis me Weapons the per wahan koi bag nahi tha, Thi to sirf ek choti Potli Aarav ne aage barh use uthaya aur use khol daikhne laga us me kia hai?
Per wo potli khaali thi Aarav ne apna haath andar daal ker check karna chaha tha us ka haath us potli me ghusta he raha aur daikhte he daikhte us ki kohni tak haath andar chala gaya.
Aarav heran huwa per wo uss ko ignore ker ke andar khojne laga, Aarav ke haath ne kisi cheez ko chua to Aarav ne use pakar ker bahir ki taraf kheench lia, bahir nikali to wo ek sword thi, Aarav ne dobara book kholi aur uss sword ki details daikhne laga.
Aarav: Kia ye kafi hai?
Aarav ne khud se pucha ke kia wo sirf itne Weapons se survive ker sakta hai kia, Aarav book me kisi aur cheez ko dhoondne laga jaise he us ne akhri page khola to wahan use kuch stones nazar aye jo chamak rahe the.
Un me se ek stone Mana Stone tha jo Mana provide ker sakta tha jo bohat Kamal ki cheez thi, lekin jis ne Aarav ki ankho me chamak layi thi wo dusra stone tha, Aarav ke chehre per muskurahat aa gayi.
[Battle Stone]
Ye ek aisa stone tha jo 2 Insaano ya opponents ke beech ek battle shuru ker sakta tha, Jis me dono ko 1 Ghante ka time milna tha 1 Ghante ke andar kisi ek ko dusre ko maarna tha warna Battle stone ka Curse dono ko wanhi Rakh bana deta.
Iss battle ke waqt koi bhi us battle me interfere nahi ker sakta tha, Agar koi aur Dono me se kisi ko Maarne ki koshis karta to Curse use bhi rakh bana deta, Koi bhi battle chorr ker bhaagta to dusra Winner maan lia jata aur bhaagne wale oer curse ka effect ho jata.
Dono me se kisi ek ke marne se battle khatam hijata aur opponent ki power ke hisaab se jeetne wale ko Reward milne wala tha, Per Aarav ko reward se koi matlab nahi tha uss ke mann me alag he khichri pak rahi thi.
Aarav: 1 Ghanta! Agar main sirf ek Ghante ke liye Apne Opponent ko Aisi halat me bhej du jis me wo lar na sake aur phir use utha ker yahan se nikalne ka raasta dhoondo to shayad me sab se lare bina survive ker sakta hu.
Aarav ke chehre per muskurahat gehri ho gayi use un 4 Zakhmi Demon wolves me se 1 sab se zada injured choose karna tha, Jis ko wo bakiyo ke muqable Easily Knock down ker sake.
Aarav ne apne sword uthayi aur uss ke upar Mana stone rakha to wo khud Sword se chipak gaya, Aarav ne us kankal jis ki hadiya tukro me bikhar gayi thi unhe wanhi miti me daba dia, Phir Aarav ne apni sword aur wo potli uthayi aur Baahir ki taraf chal dia.
*Ba-Dump*
Jaise he Aarav bahir aya uss ke saamne se bhaalo hawa me urte huwe peeche ek bolder se ja takraya, Uss ke saath he Alpha bhi uss taraf bhaag ke ker uss per Attack karne laga.
Aarav 10 minute tak Cave me tha, Un 10 minute me Bhaalo ki halat Bohat zada buri ho chuki thi, Jagha Jagha se us ka jism khula huwa tha jis se lagatar khoon beh raha tha, Uss ka ek haath uss se alag ho chuka tha.
Wanhi Alpha bhi bohat zada injured tha uss ki speed pehle se slow ho chuki thi, Per bhaalo ke muqable wo bohat sahi tha, wo bina ruke dobara Bhaaloo per apne Claws se attack karne laga.
Per Aarav ko un dono per focus nahi karna tha, Aarav baki Wolves ko dhoodne laga per un me se sirf 1 Wolf he bacha tha baki 3 Mar chuke the, Bhaaloo Alpha ke hone ke bawajood 3 ko maarne me kamyaab ho gya tha, Aur jo bacha tha wo theek se hil bhi nahi paa raha tha.
Aarav: Sorry! Lekin mujhe ye karna ho ga.
Aarav ne apne saath latke bag me se Battle Stone nikal lia, Jaisa Book me likha tha Aarav ne uss Stone ko apne haath me zor se dabaya aur tor dia, Uss Stone me se ek Laal dhua nikalne laga jo us Wolf ki taraf barhne laga.
*Swoosh*
Ek hawa ke jhonke ki tarha Achanak Alpha uss Wolf ke saamne aa gaya, Aur khud aage barh ker smoke me aa gaya.
[The devil wolf marks you as its enemy.]
[Aarav Arya VS Alpha Demon Wolf]
[You can now see your opponent's status.]
Aarav ki ankhe saamne aye Notification ko aye parh herat aur dar se phelne lagi, Kanha wo uss Marne ke kareeb wolf ko use ker ke yahan se nikalna chahta tha, Lekin wanhi us ka Opponent ab Alpha khud tha, Per kaise abhi to wo Bhaaloo se lar raha tha?
Aarav ne foran bhaaloo ki taraf daikha to wo wanha gira huwa tha, Matlab Alpha ne Bhaaloo ko maar dia hai? Bhaaloo ko maar ker wo seedhe Apne saathi ko bachane ke liye khud Aarav ka opponent ban gaya tha.
Aarav ko kuch samajh nahi aa raha tha ke uss ki kismat achi hai ya buri? kanha kabhi kismat use jeetne ki Aas dilawati aur agle he pal wo aas khud cheen leti, Per iss thore se waqt ke andar Aarav me kuch badal chuka tha.
Aarav: (Sigh) theek hai! Ab Itna aage aa ker main peeche nahi hatne wala, Ab chahe Moat ke kareeb Wolf ho ya chahe khud Alpha jis ko ana hai ab aa jao.
Aarav ne dheeme se bola aur garajti Ankho se Alpha ko daikh us ki taraf apne kadam barha diye.
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he, Ye Update bohat mushkil se likha hai umeed karta hu ap logo ko pasand aye ga, Next update ki date raat tak bata du ga ga, Tab tak ke liye Sayonara!]













