• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
IMG-20230123-135812.jpg




•°UPDATE 42•°


Recap -


Manav "Ab iske aage hum kal padhenge. Tumhare paas doosre subjects ke koi doubts nahi hai, hai na?
Tum bhi tired lag rahi ho. . 🥱 to aaj ki class apan yahin khatam karte hai."

Hua!

Saanvi ne table ki ek daraaz kheechi aur usme se, practice questions ki kuch moti- moti kitaaben baahar nikaal li.


Uske chehre par badle ki ek behad shaatir muskaan ubhar aayi, jab usne apni saaf aawaaj me kaha,


Saanvi : " Ab me tired nahi balki bahut energetic mehsoos kar rahi hoon!" 😏




AB AAGE :-




"Mujhse ye problem solve nahi ho rahi. . aur yeh bhi, aur... ye wali bhi ! " 🥺
Practice book khol kar, Saanvi ne ball-point pen se questions par circle banate hue kaha.


Thaka hua Manav, jo ab apna aur dimaag nahi khapa sakta tha, usne fir bhi kaha,

Manav : " Uhm... dikhao kya questions hai... " :sweat:



Saanvi : "Yeh to bas Math hai..! mujhe to aur bhi kaayi doubts hai; physics, chemistry, biology, geology, political science..."


Nikaali hui kitaabo ko kholne ke saath hi, usne, ek-ek karke, kisi magic trick ki tarah, uss chhoti si daraaz se aur jyada practice books nikaal li.


Thakaan hone ke kaaran, itni kitabon ko dekhar ab Manav ko chakkar aa rahe the, 😵
aur.. woh kewal kuch hi math problems ko solve kar saka...


Is beech, Saanvi kursi par araam se tik kar baithi thi aur apne haathon ko apni chhaati ke aage baandhe (cross hands) , Manav ko ek kutil muskaan ke saath dekh rahi thi. 😏



Manav (man me) : "Damn! middle school ka syllabus itnaa difficult kabse ho gaya! ???" 😩

Halaanki, chunki woh Saanvi ke saamne khud ko sharminda nahi kar sakta tha, isliye naa chaahte hue bhi use, unn questions par apna dimaag lagana pada..



Wo 8th Class ki math problems solve karne ki koshish kar raha tha, lekin uske dimaag me advanced mathematics ki calculus chal rahi thi;
Aur.. , jab woh physics ke numericals hal kar raha tha, to uski soch, college level physics ki theories ke ird gird ghoom rahi thi...



Inn subjects me, uske vartmaan knowledge aur ek middle school level ke concepts ke beech bada antar tha..
Aur is antar ne uske liye, kewal middle school concepts ko hi use karte hue, questions solve kar paana lagbhag asambhav bana diya..




Jab Manav frustrate hota hua unn sawaalon se joojh raha tha, tab Saanvi ne bade utsaah se poocha,


Saanvi : "Uncle, tum inhe solve kar bhi sakte ho ya.. Nahii !? " :hinthint:



Manav ne use English me bahut torture kiya tha, aur ab use, usse apna revenge lete hue bada sukhad anubhav ho raha tha. :evillaugh:



Apna sar khujate hue Manav sawaalon me uljha hua tha, uska dimag jaise fata jaa raha tha.
Halaanki, koshish karne ke bajaay ye accept karna ki ek top university ka student hokar bhi, woh middle school ki problems solve nahi kar sakta.. jyada sharmnaak hota.



Akhirkar haar maante hue Manav ne pen neeche rakha aur kaha,


Manav : "Tum mujhe apni saari NCERTs dedo.., jisse mai middle school ke concepts ka revision kar lunga. "


Saanvi ne uski baat ka galat matlab samajh liya,

Saanvi : "Lekin kal to mujhe unhe school le jaana hai! " :idk1:


Manav : "It's fine! mujhe bas aaj raat ke liye chahiye"
weh confident lag raha tha.



"Ok wait!" Bolkar Saanvi uth khadi hui, bed ke paas pahuch kar apna school bag uthaya aur usme se sabhi NCERTs nikaal kar Manav ko saunp di.



"Der raat tak mat jaagna," 🙂

Apne haathon me textbooks liye Manav ne, darwaje tak jaate hue usse kaha.



Aashcharya se Saanvi ne uski or dekha. Weh hairaan thi ki itna dimaag khapane ke baad bhi Manav usse kitne achche se pesh aa raha tha aur.. jaisa usne expect kiya tha woh bilkul bhi gussa nahi hua..


Isse pehle ki wo apne aap ko sambhaal paati, Manav, bedroom se jaa chuki tha.
Kahan? oopar attic me yaar jahan Avantika ka studio tha. 😄


Saanvi ne niche apne gulabi pajamas ki or dekha aur fir uski najar collar ke neeche ki apni komal twacha par padi,


Saanvi (man me) : "Kya.. mai usko jara bhi attractive nahi lagti..!?" :?:


"Haar baar.. tution khatam karte hi woh chala jaata hai.. jaise ki ye uske liye bas ek task ho ..."

Ye sab sochte hue Saanvi ne apni chhaati ke halke ubhaar ko dekha. Achaanak, usne dimaag us sundar ladki ka figure aa gaya :booby2: jisse weh Athletic Games ke dauraan, Chennai University me mili thi.


Aahna ki khoobsurati ko yaad karte hi woh jal bhun gayi aur apne bed par kood gayi.



Jab Manav studio me pahuncha, to usne dekha ki wahan ke saaf-suthre farsh par, uske liye bade kareene se bistar lagaya gaya tha, aur bistar ke ek taraf, hanger par uske dhule aur dry kiye hue kapde latke hue the..


Manav (man me) : "Auntie kitni thoughtful aur considerate woman hai. .

Agar Sani me apni mom ke aadhe gun(virtue) bhi aa gye, to future me.. mai bada khushkismat rahunga.... Urm.., ye mai kya soch raha hun... sighs*"



Khair Manav ne bistar par baithne se pehle saari NCERTs ko paas hi floor par rakh diya. Fir usne ek random NCERT uthayi aur use padhne laga.


Baahar, jaisa ki Avantika ne anumaan lagaya tha, toofaan jaari hi raha. ⛈️ Halki peeli roshni se jagmagata chhota sa attic, garm aur shaant tha.



Padhte-padhte use baar baar jhapkiya aarahi thi. :yawn:

Clap!

Iss baar kitaab uske haath se chhootkar neeche par gir padi. :sleep:



Neeche,

Apne kamre me, palang par karvaten badal rahi Saanvi, so nahi pa rahi thi.
Haarkar usne night lamp on kiya aur decorative chamakte sitaron se bhari hui ceiling ko dekhne lagi.



Thodi der baad, wo apne bed se utri aur dabe paanv apne bedroom se baahar nikali aur.. Attic ki seedhiyaan chadhne lagi;
Weh ye jaan ne ko utsuk thi ki Manav kya kar raha hai..



shayad use shak ho raha tha ki kahin Manu uss Class President se to baat nahi kar raha.. :D


Jab usne Manav ko uske chaaron or bikhari hui textbooks ke saath sote hue paaya, to uska shakki (shak se bhara hua) dil paseej gaya.🥺


Baahar baarish ki boondon ki awaaj, ander attic me halki-halki sunai de rahi thi.


Saanvi (man me) : "Idiot ne meri books har jagah faila rakhi hain." 😔


Usne ek pal ke liye socha aur fir bistar ke paas pahuch gayi. Usne apni books ikatthi ki aur books lekar wahan se nikalne hi wali thi ki achanak uske man me ek vichaar aaya..
Weh jhuki aur kitsabon ko ek taraf rakhkar, aahista se Manav ke pairo ke paas pade kambal ko uthaya aur uspar ache se daal diya..



Iske baad usne sote hue Manav ke chehre ki or dekha aur uski band aankhon ke saamne apna haath lehraaya.. 👋
Uske dimaag me kuch shararat soojhi aur weh Manav ke sar par ek thappad maarne ko hui.. lekin ant me, usne apna haath wapas kheech liya aur use nahi jagaaya.


Khair. . Sabhi kitaaben lekar Saanvi doosri manjil par, apne bedroom me laut aayi.



Agli subah, 🌦


Jab Manav ki neend khuli, to weh apne aap ko hostel-room me na paakar thoda chaunk gaya. Uthte hue, usne dekha ki kambal ek taraf pada hua tha aur uske aas paas bikhri hui saari books ja chuki thi.


Baarish abhi bhi ho rahi thi, halaanki kal raat jitni tej nahi thi.


Baharhaal usne apne kadpe badle aur pehli manjil par jaane ke liye seedhiyaan utarne laga. Jab weh Saanvi ke room ke paas se gujara, to uska room kaafi shaant tha..


Chop ! Chop !...


Kitchen se sabjiyaan kaatne ki awaaj aa rahi thi.


6Manav kitchen ki taraf aaya to use apne apron me Avantika dikhi jo khana banane me busy thi.


Weh andar gaya aur uska abhivaadan kiya,

Manav : "Morning, auntie" 😊


"Are Manu aap uth gaye..? 😄

Avantika uski or dekhakar muskurayi aur poocha,
"Aap ache se so to paaye na?"


Manav : "Haan mai ache se soya. 😀 Kya Sani abhi nahi uthi?"



Avantika : "Wo to ek lazy bug hai.. jab tak ki koi use uthane na jaaye woh nahi uthegi. Aap apne subah ke wash-up ke liye Sani ke bathroom me chale jaein. Maine wahan aapke liye naya towel aur ek naya toothbrush pehle hi rakh diya hai," 😊


Manav : “.. Mai uske uthne ka wait karunga. Aise uske room me jaana sahi nahi rahega. "


Ispar Avantika ne muskurate hue sehmati me apna sar hila diya. :approve:


Vaastav me.., agar Sani ko pata chalta ki Manav ne usko, uske ajeeb-o-gareeb sleeping poses me dekh liya hai, to nishchit roop se weh gusse se tamtama jaati aur subah subah bakheda khada kar deti. 🤣



Galai hui udad daal peeste hue Avantika ne poocha,


Avantika : "Sani ke dad aapko university le jayenge. Abhi ke liye aap living room me relax karein ya TV dekhlein. "


Jab Manav ne stand par rakhe samaan aur Avantika ko daal peeste hue dekha to wo uske paas gaya aur uski help karne laga,


Manav : "Mendu vada with sambhar and sandwiches? Mai aapki help kar deta hu, " :smile:




Avantika ne use madad karne se mana nahi kiya. Woh muskurayi aur boli, "Good Boy. ." 😊


Manav : "Aur aap ek Great Mother~"


Ispar Avantika ne yunhi casually kaha,


Avantika : "Hehe~ isme great kya hai.. Usually sabhi mothers breakfast banati hai.. Apki mom bhi to banati hongi ? " 😄


Manav ne thoda sochne ke baad uttar diya,


"Woh.. bahut busy hai.. aur unke paas unn sabhi cheejon ko karne ka time nahi rehta hai joki normal mothers kiya karti hai." :sigh2:


Manav ki awaaj me halki maayusi ko bhampte hue, Avantika uski or dekhkar muskarayi,

Avantika : "Koi baat nahi Manu.. yeh bhi to ab aapka hi ghar hai, ” 😊



Uski baat Manav ke dil ko chhuu gayi. Weh nahi jaanta tha ki uske liye Saanvi ke man me kya feelings hai, lekin use itna jaroor pata tha ki Avantika use apne family member ke roop me maanti hai.



Khair use samajh nahi aaya ki Aunty ki iss baat par wo kya kahe..
Weh sambhar ki taiyaari me busy ho gaya aur chupchaap uspar kaam karta raha.


Kuch hi der baad, Rajyavardhan aur Saanvi neeche pahli manjil par aa gaye.
Ab tak, swaadisht khushboo faila rahe mendu vada, sambhar aur sandwiches dinning table par pahuch chuke the. 🤤
Ye Manav aur Avantika, donon ke efforts ka result tha.


Saanvi ke neeche aate hi Manav uske bedroom me chala gaya,
Aur idhar.. Table dekhkar Rajyavardhan bhi khush tha ki.. Manav ne naashta banane me Avantika ki madad ki..


Saanvi to surprised thi ki Manav kitha mehnati aur kaabil ladka tha.

Halaanki, jab uski maan ne use aise ashcharyachakit hone ke liye daanta, aur Manav se kuch seekhne ne liye kaha, to usne virodh me apne gaal fula liye. 😠



Baharhaal, unka simple breakfast khatam hone tak, raat bhar se ho rahi baarish bhi band ho chuki thi. 🌥☁



Rajyavardhan, Saanvi aur Manav ko school & college le jaane ke liye ready ho gaya,
Jabki Avantika ne fatafat kitchen ka kaam nibtane ke baad apna apron utaar diya, jisse uska patle straps wala flower halter top ujaagar ho gaya.

Usne apna sunglasses pehna aur garage me jaane se pehle ek bahut hi sundar lady-like kaala purse utha liya.


Kareeb 2 minute ke baad, Avantika ne garage se ek laal rang ki Ferrari nikaal li.


Manav, Avantika ke turant ek perfect mother se ek fashionable woman me badal jaane se hairaan tha.
Lekin haan.., yah koi aashcharya ki baat nahi thi... kyunki Avantika ek top-rated designer jo thi. . so uska fashionable hona to laajmi hi hai. 😍


Manav ne use jyadatar ek aadarsh maan ke roop me dekha tha aur shayad weh bhool gaya tha ki Avantika ka khud, apna designing career tha.
Apni reputation aur ability ke saath, weh yakeenan apni elite team ko lead kar rahi thi aur apna independent studio chala rahi thi.


Sabko bye karne ke baad, Avantika ki chamakdaar laal Ferrari tezi se aage badh gayi.


Idhar apni low-profile black Chevrolet se Rajyavardhan ne Saanvi aur Manav ko apne apne institutions me chhoda.



Khud par logon ki jyada attention se bachne ke liye,
Manav ne Rajyavardhan se use, University ke main gate se lagbhag 100 meter door chhodne ko kaha.


Aur.. Rajyavardhan ko alwida kehne ke baad, Manav university ke main gate ki or badh gaya.


Door se hi, usne dekha ki kuch students gate ke oopar ek bada banner laga raha the, jispar likha tha,


“A Warm Welcome to the World Famous Biologist Manas Shisht and Globally Well-known Meteorologist Anvi Kapoor who will be Giving Lectures at the University!”


" Vishv prasiddh Biologist Manas Shisht aur vishv star-par jaani maani Meteorologist Anvi Kapoor ka hardik swaagat hai..
Ye dono prasiddh hastiyaan jald hi University me apna Lecture dengi!"



Ye update yahin tak..
bache replies bhi kuch der me karta hu :good:

Doston next sunday (5 Feb) ko mera exam hai to tab tak ke liye break, kya kare padhna to padega :sad:



:reading1: 🅁🄴🄰🄳,

🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄


Haa lekin beech me 1 ya 2 update jesa bhi possible raha mai post kar dunga :wavey:
Tab tak ke liye be happy, be healthy and
God bless you all 😇
To be continued.....
 
Last edited:

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
Dekho chand aaya, chand nazar aaya
Aaya aaya aaaya, haan ji aaya chand nazar aaya

:D :D :D
Xabhi bhau :wave:
Update 25 se ab tk ki kahani padhi maine lgatar karib 17 update, hat's off bhai, kya Jabardast transformation dikhaya hai aapne, kya character building ki hai, detailing, finishing or imogis ka to jvab nhi bhai, mujhe Bahut jyada maza aa rha hai yah story ko padhne me, keep it up, superb jabarjast amazing lajavab sandar updates with awesome writing skills bhai :yourock:
Aree :love:
Chane ke jhaad par nhi chane ke pahad par chada diya bhai :laughing:
:bow:
Thank you so sO MUCH Bro
means a lot 😇🙏😄
Itne dino baad thread pr aane ke liye mafi chahta hu mai, pr notification hi nhi aate mere pass,

Mai vo browser istemal karta hu jo play store me hi avalible nhi hai, Firefox lite (validity expired) vala,
It's ok bhaya :hug: aap aye to :happyjump:
Ads se relief mil rha kya firefox lite me? :?:
Me bhi uc browser use kar raha hu isme bhi aadhe notifications to gol ho jate h 🤧
Sare character mind blowing hai fir vo sanvi ho ya Uski Saheli, sasu ma ho ya sasur ji, chacha ji ho ya shalini ji, aapne dosti ko bhi awesome tarike se pesh kiya hai abtk, suspense bhi lajvab rakha hai aapne Vahi adhyatm ko bhi jagah di hai jo 4 chand lga gya kahani ko...
Wah brother ab tak ki kahani ka crux chand shabdon me, ek dum to the point 😍
:laughclap: :laughclap:
bahut bahut dhanyavaad bhai 😄🙏
 
Status
Not open for further replies.
Top