Update 2
Kashi. May I come in mam?
Mam. Yes come in.
Kashi. Mam ap ny bulaya tha.
Mam. Haan aao betho.
Kashi. (Beth jata ha) Thank you mam.
Mam. Dekho Aakash me nahi chahti k tumhara future khrab ho. Tum final year me ho aur iss waqt koi bhi baat tumhara career khrab kr skti ha.
Kashi. Yes mam I understand.
Mam. Agr smjhty ho tou phr ye harkatain chor do.
Salman aur Raj sy tou me ye expect kr skti hun lakin tum sy mujhe iss attitude ki umeed nahi thi.
Kashi. Sorry mam.
Mam. Ye tumhary liye final warning ha. Salman aur raj ko bhi samjha do. Next time agr aisa kch hua tou me tum teenu ko report kr dun gi. Aur phr tum teenu k khilaf legal action lia jaey ga.
Kya tum yahi chahty ho.
Kashi. No mam. Please ap report na kijye ga. Next time apko shikayat ka moka nahi mily ga.
Mam. Tum meri baat mano aur salman aur raj ki company chor do. Faidy me raho gy
Kashi. Mam vo mery dost hain unko kesy chor dun.
Mam. Agr nahi chor skty tou phr unko bhi sidhy rasty per lana tumhara kam ha.
Kashi. Ok mam me koshish krun ga.
Mam. Agr na kr sky tou tum teenu k liye acha nahi ho ga.
Kashi. Mam ap please gussa na hon. Me apki har baat manun ga. Aur un donu ko bhi manvaon ga.
Mam. Thek ha. Dekhti hun tum kitna mano gy meri baat aur apny dostu sy kitna manvao gy.
Kashi. Ok mam.
Mam. Ab tum ja skty ho.
Kashi utha aur khamoshi sy office sy nikl gya.
Office k bahr salman aur raj wait kr rhy thy.
Salman. Kya bola mam ny.
Kashi. Raj ko report kr rhi ha mam.
Raj. Mazak na kr yar sach bata kya bola mam ny.
Kashi. Yar final warning di ha mam ny teenu ko. Agr dubara koi problem hui tou report kr dy gi.
Raj. Ye tou galat baat ha yar.
Kashi. Galt ha ya sahi ha. Mujhe apna career bht pyara ha. Me tou mam ko ab koi shikayat ka moka nahi dun ga.
Salman. Tu thek keh raha ha yar. Mam phsyco ha. Report kr bhi dy gi. Dubara dehan rakhain gy.
Home town.
Ghr me.
Ekbal k ghr k sb log nashty ki table per bethy hain. Lakin ekbal table per nahi tha.
Arman. Maa papa kahan hain.
Barkha. (Kashi ki maa) raat ko aay he nahi. Ussi chudail k ghr py hon gy. (chudail sy matlab shaila thi jis sy ekbal ny dusri shadi ki thi)
Zara. Yakeen nahi hota kesy uss orat ny papa ko qabu kr rakha ha.
Barkha. Beti vo orat ha he aisi.
Arman. Ab kya ho skta ha maa. Jo hona tha vo tou ho gya
Barkha. Arman zra kashi ko fone kr. Pta nahi kis hal me ho ga mera beta.
Arman. Maa meri raat ko baat hui ha kashi sy vo bilkul thek ha. Maa tujh sy ak baat krni thi.
Barkha. Haan bol.
Arman. Maa mujhe ak larki Pasand ha.
Zara. Wah bhai kya baat ha. Hmain tou pta he nahi chalny dia.
Barkha. Zara kyu tang kr rhi ha bhai ko. Tu bata beta kon ha kya krti ha.
Arman. Maa meri colleague ha. Ap papa sy baat kro na.
Barkha. Mujhe kch detail tou bata phr me baat krun.
Arman. Uss ka name riya ha. Lakin ak problem ha.
Barkha. Kya problem ha.
Arman. Ma vo age me mujh sy 2 sal bari ha.
Barkha. Kyaaa. Tu apny sy bari larki sy shadi krna chahta ha.
Arman. Maa please. Age sy kya farq parta ha. Me aur riya ak dusry sy bht pyar krty hain. Please maa. Papa sy baat kro na.
Barkha. Acha beta thek ha. Me baat krti hun. Agr tum donu ak dusry sy pyar krty ho tou mujhe koi problem nahi ha.
Arman. Thank you maa. I love you.
Zara. Bhai kb milva rhy ho bhabi sy.
Arman. Milva dun ga. Pehly maa papa ko dekh leny do.
Barkha. Aj raat ko baat krti hun tery papa sy.
Fayaz chacha ka ghr.
Fayaz aur fozia nashty ki table per bethy thy.
Fozia. Fayaz suniye. Me soch rahi thi k ap ab devar g ki shadi krva dijye. Unki umar kafi ho gyi ha.
Fayaz. Kyu isaac ny kch bola ha kya tum ko.
Fozia sochty huey. "kya inko sb bata dun. Kahin ye kch galat na smjh lain. Nahi btana thek nahi ha."
Fozia. Nai mujhe kch nahi bola unhu ny. Lakin mujhe laga. Iss liye ap sy baat ki. Ap ekbal bhai sahab sy baat krain aur isaac sy bhi.
Fayaz. Haan kch krty hain. Baat krta hun Isaac sy uss ki umar ho gyi ha. Chlo tumhain school chor dun phr me ny office jana ha. Haan chaliye.
Raat ko dinner k bd barkha ny ekbal sy baat shru ki.
Barkha. Suniye g ap sy ak baat krni thi.
Ekbal. Haan bolo.
Barkha. Jab sy ap ny dusri shadi ki ha ap mujhe aur bachun ko time he nahi dety.
Ekbal. Me ny tumhain pehly bhi kaha ha k iss topic per mujh sy baat na kia kro. Koi aur baat ha tou btana.
Barkha. Acha ap naraz kyu ho rhy hain. Me ny ap sy arman k bary me baat krni thi.
Ekbal. Bolo me sun raha hun.
Barkha. Arman k liye ak larki dekhi ha. Agr ap bolain tou kisi din chal k un logun sy baat krain
Ekbal. Acha tou mujhe btaey bgair he yahan kam ho rhy hain.
Barkha. Ap k pas dukan sy aur shaila sy time he kahan hota ha.
Ekbal. Dekho Barkha har baat me shaila ko na laya kro. Aur behtar yhi ha k tum aur bachy uss ko accept lo.
Barkha. Acha usko chorain. Ye btaen k kb chlaim larki valun sy baat krny.
Ekbal. Un logun ko pegham bhej do. Weekend py chly jaty hain.
Barkha. Thek ha. Me pegham bhej deti hun.
Barkha arman k kamry me gayi aur usko bola k riya ko bolna k weekend py hm uss k ghr aa rhy hain rishta dekhny. Apny ghr valun sy baat kr ly.
Arman bht khush hua.
Arman ny kashi ko call ki.
Arman. Hello bhai kesa ha.
Kashi. Me thek hun bhai ap batao.
Arman. Me bhi thek hun. Bhai ak good news ha.
Kashi. Let me guess. Maa aur papa riya bhabhi k liye maan gaey.
Arman. Tujhe maa ny btaya na.
Kashi. Arry nahi bhai ap ki awaz sy andaza ho gya tha. Kyu k ap ny riya bhabi k bary me mujhe he btaya tha sirf.
Iss liye me ny guess kr lia.
Arman. Haan sahi guess kia.
Kashi. Congratulations bhai. Ye batao shadi ka kya plan ha.
Arman. Me ny maa ko bola ha k un logun sy baat krain jaldi shadi k liye.
Kashi. Haan bhai achi baat ha. Vesy bhi ghr me kafi time sy koi khushi nahi aai.
Arman. Ye bta tu manage kr ly ga na. Aany me koi problem tou nahi.
Kashi. Nahi bhai mery exams abhi kafi door hain. Me aa jaon ga.
Arman. Chal thek ha. Phr baat ho gi.
Kashi. Ok bhai. Take care.
Salman. Kya hua kashi. Khush lag raha ha.
Kashi. Arman bhai ki shadi aa rhi ha.
Salman. That's good. Bulaey ga na hmain bhi.
Kashi. Pagal ha tu. Tum donu mery sath chlo gy.
Ekbal ki dukan per.
Ekbal. Ary fayaz.. Tu aj dukan per kesy
Fayaz. Bhai jaan kch baat krni thi ap sy
Ekbal. Haan haan aa beth. Bol kya baat ha.
Fayaz. Bhai sahab isaac sy baat krain uss ki shadi kr dety hain.
Ekbal. Ye tum logun ko shadi ka bhoot kahan sy char gya. Raat ko barkha arman ki shadi ka bol rahi thi. Aur tu isaac ka bol raha ha.
Fayaz. Bhai jaan apko isaac ki harktun ka tou pta he ha. Iss sy pehly k vo ghr me koi gandgi phelaey uski shadi zruri ha.
Ekbal. Tu aisa kyu bol rha ha fayaz.
Fayaz. Mujhe lagta ha k uss ny fozia sy koi galat baat ki ha. Fozia khul kr bta nahi rahi lakin mujhe shak ha k kch hua ha.
Ekbal. Mujhe puri baat bata.
Fayaz ny Fozia sy hui sari baat Ekbal ko bata di.
Ekbal. Agr isaac ny kch kia ha tou me usko ghr sy nikal dun ga.
Fayaz. Bhai abhi sirf shak ha. Lakin phr bhi uski shadi krvani zruri ha.
Ekbal. Me aj baat krta hun isaac sy. Ye kam jaldi sy jaldi hona chahiye.
Fone per.
Kashi. Kesy ho isaac chacha.
Isaac. Yar tu mujhe chacha na bola kr itna bhi bara nahi hun me.
Kashi. Chacha ho tou chacha he bolun ga na.
Issac. Chacha k sath sath tera dost bhi tou hun.
Kashi. Haan ye bhi thek ha. Aur batao. Ajkal kahan raatain guzar rahy ho.
Isaac. Vohi muhally vali 3 tou tujhe pta he hain. Aur k office colleague ha.
Kashi. Wah chacha tumhary tou mazy hain.
Isaac. Bhtije tu vapas aa tujhe bhi mazy krvaon ga.
Kashi. Meri itni kismat kahan.
Isaac. Kismat bnany sy banti ha meri jaan. Mery sath raha tou sb sikha dun ga.
Kashi. Koi new item nahi mili kya.
Isaac. Ak ko fasany ki koshish kr rha hun. Lakin time nahi mil raha proper. (iss bar isaac ka ishara fozia ki taraf tha)
Kashi. Dehan rakhna chacha kahin fasaty huey khud na fas jana.
Isaac. Me purana khiladi hun bachy. Tu fikar na kr.
Kashi. Ok chacha phr baat ho gi.
Isaac. Ok buddy.
Raat ko dinner k bd ka time tha.
Fayaz k darvazy per bell baji.
Fozia darvaza kholny gyi.
Fozia ny darvaza khola tou samny isaac khra tha.
Fozia. Tum yahan??
Isaac. Kesi hain bhabi g