• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller POWER

LionHeart007

AHSAN
1,291
4,681
159
🇪🇮🇩🇲🇺🇧🇦🇷🇦🇰

*Asʟᴀᴍ ᴏ ᴀʟaɪᴋᴜᴍ.*

Oɴ ᴛʜɪs ʙʟᴇssᴇᴅ ᴏᴄᴄᴀsɪᴏɴ ᴏғ Eɪᴅ, ᴡɪsʜɪɴɢ ʏᴏᴜ ᴀɴᴅ ʏᴏᴜʀ ғᴀᴍɪʟʏ ᴊᴏʏ, ʜᴀᴘᴘɪɴᴇss, ᴘᴇᴀᴄᴇ ᴀɴᴅ ᴘʀᴏsᴘᴇʀɪᴛʏ! Eɪᴅ Mᴜʙᴀʀᴀᴋ! Tʜᴇ ᴍᴀɢɪᴄ ᴏғ ᴛʜɪs ᴅᴀʏ ʙʀɪɴɢ ᴀ ʟᴏᴛ ᴏғ ʜᴀᴘᴘɪɴᴇss ᴀɴᴅ ʙʟᴇssɪɴɢs ɪɴ ʏᴏᴜʀ ʟɪғᴇ ᴛʜᴀᴛ ᴡɪʟʟ ғɪʟʟ ʏᴏᴜʀ ʜᴇᴀʀᴛ ᴡɪᴛʜ ᴊᴏʏ. Wɪsʜɪɴɢ ʏᴏᴜ ᴀɴᴅ ʏᴏᴜʀ ғᴀᴍɪʟʏ ᴀ Hᴀᴘᴘʏ Eɪᴅ.❤🌙🤲🏻

*𝒲𝒶𝓇𝓂 𝓡𝓮𝓰𝓪𝓻𝓭,*

AHSAN
 
Last edited:

LionHeart007

AHSAN
1,291
4,681
159
  • Like
Reactions: Zoro x

LionHeart007

AHSAN
1,291
4,681
159
romanchak update .to sidra nida ne apna kaam shuru kar diya aur munna ke ek godaam me jakar uske drugs ko jala diya .
par unse jo bhul huyi thi wo bahut badi hai kyunki munna ko pata nahi tha kaun uska nuksan kar raha hai par ab pata chal gaya .
lagta hai sidra aur nida ka koi bada matter hai multan me jo unko abhi tak jinda rakha hua hai kuch logo ne .isliye munna ne dono ko sirf pakadne ko kaha na ki jaan se maarne ko .

viki khush to bahut tha tender milne se par apne maa baap ki kuch aisi baate suni jo saari khushi ek pal me khatm ho gayi .
Thanks Bhai 😊.

haan ab kaam to shurooo ho hi chuka hai or jo ghalti kii hai uska bhugtaan bhi krna hi pade gaa.

haan kuch to aisa hai jis wajah se ab tak inki life unstable hai.
Wrna koi bhi gunda mawaali jiska aapne itna bada nuksaan kr diya ho or woh aapko zinda chod de.

Haan Viki Khush to hai hi lekin usne sach m kuch aisa sun liya hai k kisi k bhi hosh udd jain.

Or Viki k us raaz se aaj parda uth jaye gaa jiske baare m ab tak woh khud bhi nhi jaanta hai.
 
LionHeart007

AHSAN
1,291
4,681
159
Update 19

To chaliye jaante hain k Viki n aisa kya sun liya tha call pr k uska aisa reaction aaya.

{

Viki jab call cut krne laga to usne suna k...

Abu: dekho Ghazala tum aise hi bila wajah hi pareshan ho rhi ho, isme aisa kuch nhi hai k tum itna tension lo .

Phupho: bhai me bhi Bhabhi ko yehi samjha rhi thi k aap Pareshan naa hon woh sirf ek khwaab hi to tha isme itna kya sochna .

B.Mamu: haan tum parehaaan naa ho sab thk hi hoga.

Ami: aap log samajh kyun nhi rhe hain, mera dill fhabraa rha hai kuch yo baat hai.

Abu: Kuch bhi baat nhi hai basss tumhaara vehem hai bss.

Ami: kya vehem kaisa vehem haan Khawaab mene yaa aap logon ne nhi dekha, naa hi hum m se kisi ko woh ehsaas huwa, lekin Viki ko huwa isaka mtlb samajh rhe ho aap log.

Abu: kehna kya chahti ho thk se batao.

Ami: me ye bol rhi hun k Viki ne jo Khawaab dekha or jo ehsaas usse huwa hai iska mtlb yeh bhi to ho sakta hai na k woh abhi bhi zinda ho or kisi mussebat m hai isii liye Viki ko aisa mehsoos huwa kyun k woh 2non ek se hi to hain .

Abu: pr ye sab ek coincidence bhi yo ho sakta hai na zaroori nhi k sach hi ho.

Ami: haan lekin jhoot hai aisa bhi to pakka nhi hai na .

Khala: haan baat m dam to hai lekin aaj se pehle to kabhi aisa nhi huwa k Viki ko aisa kuch mehsoos huwa ho.

Ami: kisne kaha tumse, kya Viki n khud bola k usse kabhi kuch feel nhi huwa, nhi naa ho sakta hai k usne pehle bhi kuch feel kiya ho pr dhehaan naa diya lekin is baar kuch to aisa huwa hai jiski wajah se uski feeling itni strong ho gyii k woh disturb ho gaya.

Abu: haan yeh bhi ho sakta hai, kyun k bhale hi woh 2 alag alag jism hain pr hain to ek 2sre se jude huwe hi naa .

Ami: haan bilkul 2non JUDWAA jo the to aisa to hoga hi naa.

Mamu: haan baat to thk hai pr humen is baat ka khayaal rakhna hoga k kisi ko uske baare m pata na chale khaas tor pr Viki ko to bilkul bhi nhi wrna kya ho sakta hai iska hum andaaza bhi nhi laga sakte.

Abu: BilKul thk bola wrna 16 saal pehle jo huwa tha usse 2baara yaad bhi nhi krna chahte hum sab.

yehi sab suna tha Viki ne phone 📱 pr Viki ne hi kya baaher mojood sabhi ne suna tha.
abhi andar baaten to or bhi ho rhi thin pr Viki is se zeyaada sun hi nhi saka or aage ka to sab jaante hi hain.

}

Now Present Time

Viki is waqt kaafi disturbed tha or woh uthta hai or taizi se chalte huwe andar jaane lagta hai lekin is se pehle k woh zeyaada aage jaa paata Fiza or Sadiya usse rok leti hain.

Viki: baaji please mujhe choden mujhe sab sach jaanna hai k aakhir kya chupaaya jaa rha hai mujh se.

Sadiya: dekho Viki abhi tum kaafi disturbed ho is liye pehle thoda paani piiii lo or yahan baitho baad m baat kr lena.

Viki: nhi baaji mujhe sab sach jaanna hai or woh bhi abhi k abhi.

Fiza: dekho Viki tum aise andar jao ge or gusse m sab se baat karo ge to kaisa lage ga sabko, woh sab bade hain please samjho meri baat ko.

Viki: me nhi aap samjhen meri baat pichle 16 saal se mujh se sach chupaaya jaa rha hai lekin woh sach hai kya mujhe to kuch idea bhi nhi tha lekin aaj jo huwa hai uske baad to ab me aise chup nhi reh sakta mujhe sach jaanna hai.

Sadiya: pr aise gusse m baat kr k.

Viki: kisne kaha k me gusse m hun ya gusse se baat krne waala hun, me to bss pareshan hun jo ho rha hai usko le kr is liye mujhe jane den please.

Fiza: chale jaana pehle meri baat yo sun lo.

Viki: ab kya baaki hai sunne ko. mujhe aapse nhi un sab se baat krni hai .

Saba: Viki aap sabr se kaam len agr baaji bol rhi hain to ek baar unki baat sun len please.

Saba k bolne pr Viki bhi ek pal k liye ruk jaata hai or sochta hai k woh shayad kuch zeyaada hi react kr rha hai, usse ek baar Fiza ki baat sun leni chahiye.

Viki wahin ek chair pr baith jaata hai or ..

Viki: thk hai baaji to batayen kya baat hai, lekin please sab sach, or pehle ye batayen k kon kon ye sach jaanta hai ?

Sadiya: tum se bade takreeban sabhi jaante hain.

Saba: to Fiza baaji baat kya hai asal m ?

Fiza: dekho Viki jo me bataane waali hun usse dehaan se or tahmmul k saath sunna or baat poori hone dena us se pehle kuch react mat krna ok !

Viki: thk hai ab batayen .

Fiza:
" asal m tumare parents ki Aulaad sirf tum or Sami 2 bhai hi nhi hain balke tumhari 1 behen bhi thi jo tumhaari judwaa thi bohot hi pyaari thi bilkul pari jaisi cute sii, tumse sirf kuch hi seconds badi thi,

Tum 2non hamesha saath rehte the hamesha ek jaise kaam krte the khel kood jo bhi ho sab ek saath.

agr chot tumhe lagti thi yo dard usse hota tha, waise hi usse chot lagne pr tumhe dard hota tha, bilkul aisa tha jaise tumhare jism to 2 hon lekin jaan ek agr kabhi bhi usse koi bhi problem hoti to tum bechain ho jaate the or paaglon ki trhan usse dhoondne lagte the or jab tak woh mil nhi jaati or tum usse Sahi salaamat naa dekh lete tum parehaaan hi rehte the or baaki sab ko bhi pareshaan kr dete the tum.... jaan basti thi usme tumhaari hamesha uska khayaal rakhte the, abhi the hi kitne bade, mehez 3.5 se 4 saal k hi to the tum lekin bilkul badon ki trhaan khayaal rakhte the ek 2sre ka.

Tum 2non ki wajah se poore ghr m ronak lagi regti thi lekin shayad qismat ko hamari ye khushiyan manzoor nhi thin. kyun k woh manhoos din aaya jo barbaadi or gham ka aisaa toofaan le kr aaya jisne sab barbaad kr diya or humse bohot kuch cheen liya.
Hamare Nana Abu, unka guard, or tumhaari behen.

Nana Abu kahin jaa rhe the jungle wale area se, unke saath unka ek guard tha or saath the hamari family k 2 anmol heere yaani k tum or tumhaari Behen.

sab acha chal rha tha Nana ka kaam bhi ho gaya tha or tum sab waapas aa rhe the Lekin achaanak gaadi k breaks fail ho gye or gaadi khaayiii m jaa girii Nana or tumhaari behen back seat pr baithe the or tum driver k baraabar m baithe the or Nana ka guard hi drive kr rha tha Jab Car 🚗 giri to us guard ne foran hi tumhe cover kr liya or tumhe bachaa liya lekin Nana or tumhaari Behen nhi bach paaye guard khud bhi bohot zakhmi ho gaya tha pr kaise bhi kr k usne tumhe Car se baher nikaala lekin tum behosh ho chuke the pr behosh hone se pehle tumne Kuch aisa dekh liya jiska tumhe bohot gehraa sadmaa pohoncha.

tumne apni jaan se pyaari Behen ko neeche khaayiii m girte huwe dekha tha or phir car k girte huwe hi window se ek patthar tumhare sarrr m laga or tum behosh ho gye .

guard ne tumhe baher nikaala or apne phone 📱 se Dadaji jo call mila kr tumhaari shirt m Mobile daal diya, guard khud to car m hi phansaa huwaa tha pr usne tumhe nikala liya tha or Nanaji ko nikaalne ki bhi koshish ki pr car 🚗 ludakte huwe kaafi neeche aa gyi thi or phir ek gadhe m jaa giri or huwa ek dhamaaka or sab khatam ho gaya Nana ji or tumhaari Behen hamen chod kr jaa chuke the or woh Bahadur or wafadaar guard bhi apna farz poora krte huwe shaheed ho gaya.

Dada jii ne jab call pick kiya to unko bhi dhamaake ki awaaz sunayiii di, unhon ne baar baar awaaz di pr saaamne se koi kuch naa bola Dada ji foran hi samajh gye k kuch to gadbad hai or unhon ne Tumhare Abu ko call kr k sab bata diya or khud bhi apne guards or chachu k saath nikal pade ussi raaste pr tum sabki talaash m .

Thodi hi der m Dadaji wahan pohonch gye jis jagah pr woh haadsaa huwaa tha, thoda neeche utarne pr hi unhe tum wahan jhaadiyon m behosh pade mile or tumhare paas guard ka phone.

Jab unhon ne neeche dekha khaayiii m to wahan unhe car jalti huii nazar ayii woh us time kaafi dar gye the or bohot dykhi bhi the pr unhe us time tumhaari fikr bhi thi unhon n paani tumhaare face pr maara jis se tumhe hosh aaya pr tum sirf ek hi baat bole jaa rhe the or bohot dare huwe the saath hi m tum roo bhi rhe the, tum bol rhe the meri ' Api gir gyi, meri Api gir gyii ' or reye jaa rhe the phir tum achaanak se behosh ho gye jald gi timhe hospital le jaaya gaya or ye accident waali baat sabko pataa chal gyiii sab bohot dukhi the tumhaare parents baaki sab ghr waale sabhi ro rhe the or sabse bura haal to tumhaari Ami ka tha kyun k unhon ne to sabse zeyadaa khoya tha ek taraf unke Abu yaani tumhaare Nana ot unki jaan unki aankon ka 1 taara unki beti tumhaari Behen ko bhi khoya tha or 2sri taraf unki aankon ka 2sra taara yaani tum hospital m behosh pade the tumhare sarr m bhi chot lagi thi jiski wajah se tum behosh the, atleast sabko to yehi lag rha tha.
Tadfeen k baad sabhi hospital pohonch gye the jahan tumhaara ilaaj chal rha tha.

Doctor ne bataya k tum ab khatre se baaher ho lekin tumhare sar m lagi us chot or tumhe jo sadmaa lagaa tha apni Behen ko girta dekh kr uski wajah se tum pichla sab kuch bhool jao ge.

ye baat sun kr sab or bhi dukhi ho gye the pr bss itna itmenaan tha k tum bach to gye or phir jab tumhe hosh aaya to tum ajeeb harkaten kr rhe the dare sehme se the kisi k paas nhi jaa rhe the badi mushkil se tumhe behlaaya tha.

Doctor ne bataya k us sadme ka asarr tumhaare dimaagh pr kaafi gehraa huwa hai isii liye yaad-daasht chali jaaane k baad bhi tum poori trhaan se us sadme se baaher nhi aaye ho, tume fully recover hone m kuch waqt lage ga tab tk tumhaara khayaal rakha jaye pr baad m bhi koshish yehi ki jaye k tumko sach na pata chale wrna koi nhi jaanta k tum pr iska kya asarr hoga or tum kaise react karo ge.

"

phir Fiza thoda ruk kr boli..

Fiza: isii liye sabne tumse sach chupaaya, ab tum hi batao kya hum m se koi bhi tumhe phirse us haalat m dekh sakta tha jis haalat m aaj se 16 saal pehle dekha tha ? ab tum hi bolo bolo....

pr Viki to jaise sannaate m hi chala gaya tha woh ek dam chup baitha tha bss uski aankhon se aansoo beh rhe the or woh subkiyaan hi le rha tha.

roo to wahan mojood sabhi log rhe the jinme Sami bhi shaamil tha woh to khud us waqt mehez 2 saal k aas paas ka tha jab ye haadsaa huwa tha isii liye usse kich yaad nhi tha is baare m.

Viki wahin roye jaa rha tha or ab to uske sarr m halka halka dard bhi shurooo ho gaya tha or usse sab kuch kisi film k kaisa chalta huwa nazar aaa raha tha, or usse sab yaad aane laga tha .

Saba usko sambhaane ki koshish kr rhi thi kabhi uske sarrr ko sehlaati to kabhi uske haathon ko masalti, usse khud kuch samajh nhi aaraha tha k woh kya kare pr acha yeh huwa ka Viki ne khud ko sambhal liya jald hi.

Ab Viki ka dard to tha hi itna bada k usse jhelna asaan bilkul bhi nhi tha lekin wahan mojood sabki haalat dekh kr Viki n khud ko sambhalaa or baaki sabko bhi vhup krwaaya.. Sami ko apne gale se laga kr dilaase diye.

Apna dard to woh sabse chupa gaya pr Saba se nhi chupaa saka woh ache se samjh rhi thi k is waqt Viki kis dard or takleef m hai lekin phir bhi woh sabke baare m sochte huwe khud pr kaaboo rakh rha hai lekin andar se woh kitna tadap rha hai iska andaaza tha Saba ko isii liye usne Viki ko gale lagaa liya ho usse honslaa dene lagi.

Jald hi kuch had tak sab normal ho gye the, phir Viki utha or Andar ki taraf chal diya jahan sabhi bade mojood the, Fiza or Sadiya ne Usse rokna chaaha pr Saba ne ishaare se manaa kr diya or bola k ab woh normal hai atleast itna to Normal hai hi k woh kuch bhi galata nhi kare gaa.

Viki anadar Room m gaya gate knock kiya.
gate khala ne khola or side ho gyiin .

Sab Viki ko wahan dekh kr thode heraan ho gye kyun k uske face se saaf pataa chl rha tha k woh roya hai.
Viki chahe kitna bhi strong kyun na ho lekin jab usne apne Maa Baap ko saamne dekha or usse sab yaad ayaa to woh khud pr kaaboo na rakh saka or seedha jaa kr 2non se ek saath lipat gaya or unhe gale lagaa liya.
Ami uske sarr m haath pherte huwe bolin "kya huwa mere bete ko, batao aise roo kyun rhe ho tum to mere sher ho na, hmm bolo"

Viki bss itna hi bol paaya "Ami meri Api" or phirse rone laga .

uski baat sun kr sab samajh gye k Viki ko sab yaad aagaya hai lekin sabko shock bhi laga k ye kaise huwa ??

Viki kuch der aise hi rota rha phir jab woh chup huwa to..

Ami: bass mera baccha aise rote nhi tum to mere sher bete ho naa or sher aise nhi rote, or socho tumhari API agr tumhe aise rota dekhti to usse kitna bura lagta k uska BHAI uski wajah se roo rha hai to ab rona band karo wrna usse bhi takleef hogi or kya tum usse takleef dena chahte ho.

Viki foran hi bola "nhi bilkul nhi me apni Api ko kabhi dukhi nhi kr sakta".

Ami: acha ab yeh batao k tumhe sab pata kaise chala or kaise sab yaad aagaya ?

" Me bataati hun ka kaise Viki ko sab yaad ayaa"

yeh awaaz thi Saba ki woh sab bhi Andar aaa chuke the or phir Saba ne bataya k kaise Viki ne uki baaten sun lin phone pr phir Fiza ne sach batayaa or phir Viki ko yaad aana sab kuch.

Abu: beta ab jo ho chuka hai usse yaad krne se kya faidaa ulta hamare aise rone se usse bbi to takleef hogi naa to abse koi nhi roye gaa.

Viki: g Abu abse koi nhi roye gaa ....hmm...🙂.

Aaj k liye itna hi guys.

please give your support.

likes or reviews dena naa bhulen 🙂.

SHADOW KING

Supreme
15,888
32,827
259
nice update ..to viki ne kuch jyada nahi suna tha bas ye suna ki uski ek behan thi ,jab wo apne maa baap se puchhne jaanewala tha to fiza ne usko rok diya aur sab sach bhi bata diya .
viki ki ek judwa behan thi jo haadse me marr gayi ,dono bahut chhote the par unme pyar beshumar tha .
guard viki ko bachane me kamiyab hua par baaki logo ko nahi bacha paya 😔.

viki ki yaddasht chali gayi thi par ab usko bahut kuch yaad aa gaya hai .
aisa lagta hai ki wo haadsa kisi ne jaanbujhkar anjam diya tha break fail karke 🤔🤔..
 
parkas

Well-Known Member
33,140
70,746
303

Nice and awesome update....
 
Top