• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Samraat ..The Tales of Debauchery, Hate & Revenge

Daksh The King

Active Member
905
6,390
124
Covid Se Pahle....

covid se pahle meri busyness kuch aisi thi.. mere liye lunch ka samay nikaal pana mushkil tha... mera kaam hi aisa tha.. upar ki krpa se sab koshal mangal tha.. par covid ne aisa disturb kiya.. kuch aise halat kharab hue.. karze ke bojh tale ja daba.. jo abhi tak utar nahi saka... life jaise taise kat rahi rahi thi..
samay freee tha bohut free tha.. so XP ko khub samay dia maine...

parrr abbb

uparwale ki krpa se mera dhanda firse apni routine par aane laga ha... aise me samay ki firse kami ho gayi ha mere paasss....
ab aap sab se juda hon to to juda rahunga.... update ki speed kabhi zayda samay mila to zayada likh kar post kar dia karnga....
kam mila to kammm...

jaise hi last kuch days se udpate likhna to door ki baat.. likhna kya ha. wo bhi nahi sochne ka samay tha mere paas..

aaj kuch din me samay mila.. to socha kya likha jaaye.. fir abhi dedh ghante me update likh daala... aur post bhi kar di...

so update let ho to mayus nahi hona.. updates aate rahenge.. der se sahi.. par aap ka sath bana rahega...

Thanks For You Love......
 
Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,210
42,574
174
Episode:32

sanjana ke gird mela laga hua tha. pura school usay gher kar khada tha.

safe hone ke baad koi bhi student wahan se ghar ke liye rawana nahi hua tha. bachhu ke parents bhi wahi aa gaye the.

media wale bhi ek majma ki surat wahi maujud the, sanjana ko live dikha rahe the.
sanjana pehle bhi ek confident girl thi. mala ki ray ke kaaran woh sari hi badal gayi thi. uska confidence lavel asmaan ki bulandiyon ko chhune laga tha. uske chehre par aaya glow sabhi ko sammaniya khade hone par bhi majbur kar gaya tha.

sab jo pehle ye jante the, sanjana ek teacher ha, ek anath ladki ha. ab wahin sab samjh rahe the. sanjana ek devi ha. uske chehre ki chamak bhi logon ke dilon me uske liye aise hi vichar le kar aai thi.

sanjana ek news reporter ke poochhe gaye prashn ke uttar kuchh aise boli.

sanjana : har nari ek maa bhi hoti ha. har maa apne bachhu ke liye apni jaan bhi de sakti ha. ek nari kamzor ho sakti ha, par ek maa kabhi kamzor nahi ho sakti. jab jab ek maa ke bete ki jaan khatre me aayi ha. maa ne apni jaan ki parwa na karte hue apne bete ki jaan bachai ha. ek nari ladna nahi janti par ek maa dunya ke har khatre se ladna jati ha. apne bete ko bachane ke liye har woh hathiyar istemal kar jati ha, jiska istemal usay nahi bhi aata. (hath jod kar upar ki or dekh kar) ek maa dusri maa ko himmat aur taqat kyun nahi degi. ek maa dusri maa ke dard ko bohut achhe se samjhti ha. ek maa dusri maa ke kaleje ko chhalni hote hue kaise dekh sakti ha. mere baare me sab jaante han. maine hosh sambhala toh khud ko anathashram me paya. wahin pali badhi, wahin padhai likhai ki. meri zindagi ka ek ek din ek ek lamha sab ki jaankari me ha. maine apni puri life me kabhi koi hathiyar nahi uthaya. kabhi koi gun nahi chlaai. chalana toh door ki baat ha, maine kabhi koi gun hath me bhi nahi padki. is baat ke hazaron gawah mil jayenge aap media walun ko. sabzi kaatne ke liye ek chhuri toh maine uthai ha. par kabhi koi hathiyar nahi uthaya..

niche kuchh fasle par padi gun ko utha kar woh firse boli..

ekkkk gunnnnn kyaaaaaaaaa!! MAA KALI mujhe is dunya ka har hathiyar chalane ki himmat aur taqat de sakti ha.
JAI HO MAA KALI KI.. JAI MAA KALI.. JAI MAA KALI..

sanjana ki awaz me aisi goonj aa gayi thi. sabko apne dilon me woh awaz utarti hui mehsus hone lagi thi.

sanjana khamosh hui toh usi pal pura school, police force aur media sab ek sath bol pade..

JAI MAA KALI..

JAI MAA KALI..

JAI MAA KALI..

JAI MAA KALI..

sabke ek sath bolne par aisi goonj hui. school ke daro deewar larz uthe. farsh aise hilne laga, jaise bhukamb aa gaya ho.

bachhon ki awaz sabse badhkar thi.

fir bachhon ne ek nayi awaz me bolna shuru kar dia.

SANJANA MAA KI JAI HO.....

SANJANA MAA KI JAI HO.....

fir toh sab hi bachhu ki awaz me awaz milane lage..

SANJANA MAA KI JAI HO.....

SANJANA MAA KI JAI HO.....

SANJANA MAA KI JAI HO.....

sanjana ne bhi kisi ko mana nahi kiya. usay samjh aa gaya tha, usay ab kaise jeena ha. usay uska laksh nazar aa gaya tha. ek MAA ne usay pure desh ki, pure world ki maa bana dia tha.

usi samay upar se 2 helicopters shor machate sunaai dene lage. dekhte hi dekhte un helicopters ke liye jaga khali kar di gayi. kuch der me dono helicopters land hue toh ek helicopter se education minister jo keh ek mahila thi, woh IG police ke sath aate hue dikhai di.

dusre helicopter se CM aur kuch dusre ministers bhi utarne lage..

sab sanjana ke saamne pohnch kar hath jod kar khade ho gaye. jab woh helicopter se utre toh unke chehron par bhav aur the. jaise hi woh sanjana ke saamne pohnche toh unke bhav badalte chale gaye the.

woh sab bhi sanjana ke saamne hath jod kar sammaniya khade ho gaye the.

firse "SANJANA MAA KI JAI HO" se pura school goonj utha.

{::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::}

alka ek private plane me bethi india laut rahi thi.

do ghante tak sab shant raha. alka sukun se bethi hui india pohnchne ke intizar me thi. india me koi uska khaas intezar karne wala nahi tha. ek daksh tha, woh bhi uska nahi raha tha. baki kisi se usay koi zayada gharz nahi rahi thi. desh apna tha, toh uske liye tadap aur mohababt thi alka ke andar. isliye jald se jald apne desh pohnch jana chahti thi.

woh bhul gayi thi jin ghattiya logon ke hath woh lagi ha. woh kis nature ke log han. saanp, bichhu par aitbar kiya ka sakta ha. par in ORG walun kar kabhi nahi. jo power prapt karke dharti ke bhagwan ban bethte han. kaise woh ab mala ko hath se jaane de sakte the. alka bhi khaas thi BAO ke liye, par jo value mala ki thi woh alka ki nahi thi.

alka ne piche mud kar dekha toh usay plan me koi bhi dikhai nahi dia.. pehle toh alka ne ise normally samjha. par kuch der tak usay koi bhi nahi dikha toh usay gadbad ka ehsas hua. alka ne sheeshe se bahar dekha toh badlon ke upar se ud raha plane samudra ke upar tha. door door tak pani hi pani tha.

ek baar dekh kar toh alka me pure badan me hi sansani daud gayi. usne socha agar aise hi plane crash ho jaye toh------ iske aage woh nahi soch saki.

alka uthi aur plane me dusre agents aur air hostess ko dekhne lagi. par usay koi bhi dikhai nahi dia. pilot cabin ki aur badhi aur door knock kar dia. par koi response nahi mila.

alka ko yakin ho gaya kuch toh gadbad ha. alka ne mala ki madad se door lock ko pighla kar andar ghus gayi.

par ye kyaa.....

andar koi nahi tha. plane bina pilot ke ud raha tha. usi samay plane ne bhi ek jhatka khaya, thoda sa lehra gaya. alka ne khud ko girne se bachane ke liye latak rahi ek hook ko thaam liya. foran alka wapis palti aur parachute apni peeth par bandhne lagi.

parachute bandhne ke baad mala ki madad se bahri door pighla kar alka plane se kood gayi. ab tab plane me ho rahe jhatke bohut badh chuke the. jaise hi alka plane se koodi, plane badi speed se right side me tedha ho kar niche samudra ki or girne laga.

alka ko aisa koi experince nahi tha. woh toh apni jaan bachane ke liye plane se kood gayi thi. mala ne bhi usay badi himmat di thi.

alka bhi badi speed ke sath niche ki or aa rahi thi. plane ab alka se bohut door ho chuka tha.

kuch der me alka ke hosh kuch thikane aaye toh alka ne dekha, bohut niche ek aur plane bhi ud raha tha. ab alka BAO walun ki chaal samjh gayi thi. alka ko bada ghussa aane laga. kamino ne badi kamal ki chaal chali thi.

alka ab samjh gai thi. kyun plane me usay koi bhi dikhaai nahi dia tha. sab ke sab kood kar dusre plane me ja pohnche honge. is baat ka yakin alka ko ho gaya tha. alka ko dusra plan bhi dikhai de gaya tha. jo badi speed ke sath samudra me gir raha tha.

alka bhi usi speed ke sath niche ki aur ja rahi thi. alka ko door door tak koi bhi island bhi dikhai nahi de raha tha. alka ko samjh nahi aa rahi thi. woh khud ko kaise bachaye. samudra me giri toh samudri jeev uska keema bana denge.

usi samay par mala chamakne lagi. alka ko sukun mila. woh samjh gai, mala ke rehte usay kuch nahi ho sakta.

alka badi speed ke sath dusre BAO ke plane ke paas pohnchti ja rahi thi. dusre plane ke upari hisse me bane ek mirror cabin me teen agents heavy guns liye maujud the. unhe order tha, alka ko shoot kar dia jaaye. mala kisi bhi haal me hath se nikalne nahi chahiye.

jaise hi alka range me aai. agents alka ko shoot kar dena chahte the. alka kuch aur karib pohnchi toh teeno ne alka ki or guns seedhe karte hue trigger daba diye.

usi samay par alka ko bhi ek zaabrdast jhatka laga aur alka apni jaga se senkdo meter door ja pohnchi. koi bhi goli alka ko chhu nahi saki thi. sabhi agents heran reh gaye the. aise kaise ekdumm se woh mukhalif side me door ho gai thi.

plane ke andar betha ek leader aur kuch agents camera view dekh rahe the, woh bhi cheekh pade.

"ye..ye itni speed se kaise ja rahi ha"

koi aur cheekha

"ohhh ye kaise mumkin ha... kaise ek hi second me hamari nazron se ojhal ho sakti ha"

"impossible"

heran toh alka bhi ho gayi thi. usay aisa laga, jaise kisi ne usay thaam liya ho. apne bahun me jakad liya ho. alka badi heran thi. par dusre hi pal jab alka flash speed ke sath us area se door hone lagi toh alka ke liye khud ko sambhalna mushkil hone laga.

alka jaanna chahti thi, woh kiski bahun me ha. par woh kuch nahi poochh saki. uske hawaas kaam chhodne lage the. mala uske gale me na hoti toh shayad woh behosh ho chuki hoti. itni speed ke kaaran uska blood pressure uski ragon ko phaad bhi chuka hota. par woh safe rahi thi.

jaane kitni der guzri.. alka jo apni ankhen band kar chuki thi. ankhen khol kar dekhne lagi toh khud ko ek ped ki chhaon me lete dekh kar jhatke se uth khadi hui.

"asambhav"

"ye kaise mumkin ha.. door door tak toh paani hi paani tha. fir main kaise itni jaldi khushki par aa gai"

alka ghum fir kar charon aur dekhne lagi. usay kuch smajh nahi aai toh woh ek side me chal di..

wahi BAO ka ek plane khud se samudra me gir kar doob chuka tha, toh dusre plane ko usi unknown vyakti ne alka ko safely ek island par chhod kar blast kar dia tha. koi bhi BAO agent jeevat nahi bacha tha. plane ke tukdo ke sath uske bhi tukde samudra me gir kar samudri jeevo ke pet me utar chuke the.

{::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::}

wahin natasha apne island par thi.. usay island par pohnche kuch hi samay hua tha. woh bohut khush thi. usay GURU JI ki aur se ek kaam mila tha. jise achhe se anjaam dekar usay bepanah khushi prapt hui thi.

alka ko wahi bacha kar ek island par chhod aai thi. kiski madad usne ki thi. natasha nahi janti thi. woh natasha ke SAMRAT ki rani alka ha. ye bhi nahi janti thi. par alka ko thamne hue usay behad sukun mehsus hua tha. apnepan ka ehsas hua tha.

abhi tak woh alka ke lams ko mehsus kar pa rahi thi. apni saanso me utar chuki alka ki khushbu ko mehsus kar pa rahi thi.

natasha masrur halat me bed par leti hui chhat ko take ja rahi thi. soch rahi thi, kaisi ajib, kitne sukun wali life usay mil gayi ha. inti achhi life ke baare me toh usne kabhi socha bhi nahi tha.

aisa sab sochte hue natasha fir apne parivar ko sochne lagi. usi samay woh uthi aur faisla karne lagi. ab usay apne parivar ko ek nazar dekh lena chahiye. jaise woh tadap rahi ha. waise hi woh bhi toh barson se uske liye tadap rahe honge.

aur fir uske parivar ka dushman bhi toh ha. usay bhi toh khatam karna tha. jitna dard us dushman ne dia tha. usay bhi toh utna hi dard dena tha.

dushman ke baare me sochte hue natasha ke khun ki raftar badhne lagi. uski mutthiyan kasti chali gayi. bohut zayada ghusse me aa gayi thi woh. kaisa ghattiya dushman tha uske parivar ka. jo uske parivar ko itna bada ghao de gaya tha.

{::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::}

vikram singh, vinay aur parachi delhi wali kothi me the. sab preshan bethe hue the.

rupali ke chale jaane ke baad parachi vinay se doori bana gai thi. vinay bhi bohut guilty feel kar raha tha. usay ab tak yakin nahi aaya tha, usne apni hi behen ko chod dia tha. kabhi kabhi woh tensed ho jata tha. ghabra jata tha. kabhi kabhi usay ghussa bhi aane lagta tha. payal uske hath aate aate reh gati thi. payal uske mind se nikal hi nahi rahi thi.

pehle jo parachi ko chod kar, uski dono seels khuli jaan kar payal singh par ghusse tha. ab ye soch kar "payal singh ke dono chhed abhi bhi seeled han" vinay bohut khush bhi tha. ek baar firse woh payal singh ko sochne laga tha.

delhi pohnch kar vinay aur parachi dono ek dusre se door hi rahe the.

vikram singh : mujhe samjh nahi aa rahi, rupali ne hum teeno ko delhi aane ko hi kyun bola tha. richa ke sath woh khud kahan gayi ha.

parachi : dad! mom apna mobile bhi sath nahi le gayi han.

vinay : dad kya kuch jadu shadu wala matter nahi ho sakta. jaisa sab hua ha, meri shadi ko lekar ke, mujhe lagta ha, kuch bohut badi gadbad ha dad.

parachi ka sunkar chehra laal ho gaya.

vikram ne parachi ko dekha toh bola : mujhe sab shuru se batao

parachi vikram singh ko sab batane lagi.

vikram singh : vinay tum confirm ho, shadi ke samay payal hi thi. aur room me bhi tumahre sath payal thi.

vinay jo soch chuka tha, payal singh kabhi bhi kisi mard ke karib nahi gai. parachi ki dono khuli hui seels yaad aayi toh woh bol pada

vinay : dad mujhe lagta ha, room me payal singh nahi thi. face wala maamla mujhe confuse kar raha ha. par baki ka kuch bhi mujhse payal singh wala nahi laga.

parachi ghusse se cheekhte hue : woh main thi. samjhe, ab bol rahe ho kuch bhi payal ka nahi laga tha. jab laga tha toh bol dete, mere sath itna ghattiya toh na hota. pi kar bhi tum hosh me the toh fir kyun kiya mere sath ye sab..

vinay sharamsar ho gaya.. vikram ne parachi ko chup karwa dia

vikram : koi bohut badi baat ha, jo hamari smajh me nahi aa rahi. tum dono ki koi galti nahi ha.

parachi lambi lambi saanse lekar khud par kabu paate hue vinay ko ghusse se dekhne lagi.

parachi : mom ke behavior ko leke bhi mujhe doubt ho raha ha dad. plz kuch kijiye. satish bhai aur alka bhabhi ka bhi koi ata pata nahi ha.

vikram : chalo hum tumhare nana ki haveli chalte han. ab wahin is matter ko solve karna sahi rahega. yahan rahe toh koi aur gadbad ho sakti ha.

kuchh der me sab gaadi me bethe rupali ke mayke ki haveli ki or ja rahe the.

gaadi vinay drive kar raha tha. pichhe wali seats par bethe parachi aur vikram singh ko nind aane lagi. woh bethe bethe hi so gaye.

gaadi jab haveli pohnchi toh dono ki ankh khul gayi.

gaadi ruk chuki thi. vinay gaadi se utar chuka tha.

vikram singh aur parachi bhi gaadi se utre toh bahar nikal par dono shocked ho gaye.

parachi ghabra kar : dad ye vinay humen kahan le aaya ha.

vikram bhi khud ko raja thakur ki haveli me dekh kar shocked tha..

kuchh fasle par ek badi chair par bethe hue raja thakur vikram singh ko dekh rahe the.

vikram singh unhe dekh kar preshan ho gaya.

vikram singh : vinay tum humen raja thakur ke paas kyun lekar aaye ho.

vinay jaise hosh me aa gaya : enn! ohhhh! mmm..main nahi janta dad.. main yahan kaise pohnchaa.

parachi bohut dar gayi thi. gadi ke door handle ko thaam kar kholte hue woh boli.

"mmm..mujhe bhi ab yakeen hone laga ha dad. zarur koi bhoot preet ka chakkar ha. mmm..mujhe yahan se jana ha..mm.. main yahan nahi reh sakti.. yahan payal singh meri jaan le legi."

vinay bhi payal singh ka soch kar dar gaya. yahan woh khud ko bacha nahi sakta tha. payal wahan se ghayab thi toh zarur woh haveli me hi hogi.. vinay haveli ki building ki or dekhne laga..

usi samay payal singh jo apne kamre ki khidki me khadi hui thi. uski nazar bhi teeno par par gayi.. woh cheekhte hue guards se : vinay kutte ko jaane mat dena.

vinay samjh gaya woh chuhe daan me phas chuka ha. vikram aur parachi guards ko bhagte dekh kar samjh gaye.. woh ab yahan se nahi ja sakte..

raja thakur bas teeno ko ghoore hi ja raha tha. woh kuch bhi nahi bol raha tha.. kuch hi der me guards ne teeno ko gher liya..

{::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::}

ek mantri apne ek dost ke sath apne farmhouse par betha hua tha.

mantri : yaar nandu! hamara khel toh bigad hi gaya. us do take ki chhokri ne hamara sara khel bigad dia. warna kuch hi der me hamare sathi jail se bahar hote. agle kuch dino me hi hum hote is desh ke mukhe manrti..

nandu : woh to tum ab bhi banoge. dekh longa main us chhokri ko bhi. sari game kharab kar di us haramzadi ne. chhodunga nahi main usay.

mantri : dheeraj.. mere mitr dheeraj.. dekha nahi tha, kaise CM, IG aur dusre ministers uske saamne hath jod kar khade ho gaye the. woh ladki koi sadharan ladki nahi ha nandu. warna hamare itne khaas admiyon ko woh akeli chhokri nahi maar sakti thi.

nandu ye sunkar thanda ho gaya.. woh bhi sanjana ke baare me ghor karne laga. usay laga, sanjana ke maamle me jaldbazi sahi nahi rahegi. jaldi karega toh koi na koi gadbad ho jayegi. agar woh bhi maara gaya toh fir kaise woh apna mission kaise pura kar sakta tha.

{::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::}

dhananjay thakur apne kamre me preshan betha hua tha. usay abhi tak samjh nahi aai thi. kyun uska admi uske khilaf ho gaya tha. kaise police uske gupt sthan par ja pohnchi thi.

aise samay par main uske dimag me tha. sari jankari maine uske gande dimag se prapt kar li thi. dhananjay thakur mere kisi kaam ka nahi tha. haan dharti par bojh tha. jab tak zinda rehta, aise hi ghinone kaam karta rehta. uska marna zaruri thi. uske jaiso ka marna zaruri tha.

woh ek supplier tha. usse bade bade maujud the. mujhe dhananjay ko maar kar aage badhna tha. dhananjay jise bachhe aur ladkiyan becha karta tha. dhananjay se uska number dial karwaya. fir uske dimag me pohnch kar uske baare me jaana. uska naam vikas tha.

main wapis dhananjay ke dimag me aaya. woh kursi par betha hua sochon me gum tha. maine usay apne control me liya. uske kapde utarwa kar usay nanga kiya. uske kamre me maujud ek almari me ek mini machine gun maujud thi. dhananjay ne us machine gun ko utha liya.

kamre ke center me pohncha toh maine usay azad chhod dia. woh apne hath me gun dekh kar heran hua. jaise hi usay apne nange hone ka ehsas hua toh machine gun phenk kar herangi se khud ko dekhne laga. apne hathu se apne gande sharir ko chhune laga.

"yy..ye main ekdumm se nanga kaise ho gaya. mm.. main toh kursi par betha hua tha"

SAMRAT.....

SAMRAT ka naam nahi suna kya tumne dhananjay thakur..

woh stupid kamre me ghum ghum kar dekhne laga. meri awaz sunkar foran jhuk kar woh machine gun utha gaya tha. machine gun hathu me liye kamre me ghum ghum kar dekhne laga.

"kkk..kon SAMRAT"

HAHAHA...SAMRAT ko toh puri dunya jaan chuki ha. tumne bhi toh news suni thi. tumhare partners ne tumhe khabar bhi toh di thi. bhul gaye kya dhananjay thakur.

"kk..kahan ho tum.. ttt..tum nazar kyun nahi aa rahe ho"

dhananjay thakur pasina me nahane laga tha. woh bohut dar gaya tha. usay awaz toh sunaai de rahi thi. par koi dikhaai nahi de raha tha.

HAHAHA...SAMRAT dikhai nahi dekta moorkh thakur.. SAMRAT ki awaz aur kaarname hi dikhaai dete han. amreica me jo hua tha. kya tumne woh dekha nahi tha.

"NNN..NNN..nahi...HHHHH...haaan dekha tha..PPP...par woh sach kaise ho sakta ha.SAMRAT jaisa kuch nahi ho sakta.. ye sab mann ghadat ha."

HAHAHA... tum fir gun tumhare hath me ha. meri awaz tum sun rahe ho. SHOOT ME.. dekho main kahin tumhe dikhaai de raha hon toh BHOON do mujhe goliyon se. puri dunya me bol do. tumne SAMRAT ko maar diya ha. fir puri dunya me tumhare naam ka tooti bolne lagega.. tum dunya ke sabse bade soorme ban jaoge. COME ON! SHOOT ME!

dhananajay thakur ab bhi kamre me charon aur ghum ghum kar mujhe talash kar raha tha. ab woh inteha ki dehshat me aaya hua tha. uska pura wajud kaanpne laga tha. dikhai dene wale ko maar kar sher toh ban sakta tha dhananjay thakur. par dikhai ne dene wale ko kaise maarta.

"BHBH....BHOOOT..BHOOOOOOOOOOOOOTTT"

HAHAHAHA..

dhananjay thakur mujhe bhoot samjhne laga tha.

maine firse usay apne control me le liya. dhananjay sab samjh raha tha. uske sath kya ho raha tha. woh kya kar raha tha. ye bhi jaan pa raha tha. par uska khud par control nahi raha tha. apni ankhon se sab dekh kar bohut zayada bhokhlaya hua tha. bohut zayada dehshat me aaya hua tha.

main dhananjay thakur ko lekar uske parivar ke saamne le gaya. sab usay nanga dekh kar cheekh pade..

dhananjay thakur ne apne bete ki or machine gun seedhi kar di. dhananjay ki patni cheekh padi.

"pagal ho gaye ho kya.. apne hi bete ko kyun maarna chahte ho tum"

dhananjay : HAHAHA... main paapi hon, main hathiyara hon. tum sab bhi paapi ho, hathiyare ho. pehle main tum sab ko maarunga, fir khud mar jaonga. kisi ko bhi zinda nahi chhondunga.

dhananjay thakur bol toh raha tha. par uske andar hulchal mach uthi thi. woh kuch bhi apni marzi se nahi kar raha tha. main sab usse karwa raha tha. na woh khud marna chahta tha, aur na hi apne parivar me se kisi ko maarna chahta tha.

dhananjay thakur ka beta bhi bohut bada harami tha. bohut si ladkiyon ka rape woh kar chuka tha. woh apne baap ke hathu me machine gun dekh kar bohut zayada dar gaya tha. shayad machine gun dekh kar na darta. par nanga dekh kar woh samjh gaya tha. uska baap pagal ho chuka ha. pagal admi kisi ko bhi maar sakta ha.

dhananjay ka dusra beta kuchh doori par khada tha. woh apna pistol nikal kar dhananjay ke hath par fire karne wala tha. uska irada tha, machine gun ko dhananjay thakur ke hath se gira de. fir dhananjay thakur ko kaabu me karna mushkil nahi rahega.

par usi lamhe dhananjay thakur ne apne hath ko ghuma aur machine gun ka mini round chala diya.. kai goliyan machine gun se nikli..

TAD.....TAD.....TAD.....TAD.....TAD.....TAD.....TAD.....TAD.....TAD.....TAD.....

ki bhayankar awaz ke sath AAAAAAAAAhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh ki awaz bhi nikli aur dhananjay thakur ke dusre bete ke sharir me anginat chhed ban gaye.

sab cheekh pade toh dhananjay thakur zor zor se hasne laga..

HAHAHAHAHAHAHA..... koi nahi bache, haram ka maal kha kar jeene walo! sabko maar dunga main.

dhananjay thakur ka bada beta kuch bhi nahi kar paya tha. uske paas koi gun nahi thi. dhananjay thakur ne fir usay bhi bhoonna shuru kar diya. ghar ki aurten gehre sadme me aane lageen. par ye bhi aisi aurten thi, jo zulm ki inteha kar jaya karti thi. dhananjay thakur un sabhi ko bhi shoot karne laga.

kisi ke seene me toh kisi ke pairon me fire karne laga..

dhananjay ki ek beti kam age ki thi. woh dar ke wahin gir padi thi. usay goli nahi maari thi dhananjay thakur ne.

haveli me jitne bhi bure the. dhananjay thakur ne sabko shoot kar dia. aise samay par haveli ke kuchh naukar aur guards door khade hue thakur ko dekh rahe the. woh bhi bohut dare hue the. unhe kuch samjh nahi aa rahi thi. dhananjay thakur aisa kyu kar raha tha. koi bhi thakur ko rok bhi toh nahi sakta tha.

thakur fir wapis apne admiyon ki or palta aur machine gun ka rukh unki or karte hue ek super agent ke jaise stunt karta hua fire karne laga. dekhte hi dekhte kai naukar aur gunde khun me nahane lage..

thakur fir haveli me ghum ghum kar maut ka khel khelne laga.

maut ka nanga naach khatam hua toh maine dhananjay thakur ko azad chhod dia..

woh machine gun phenk kar wahin gir pada.. uski dimagi halat bohut zayada kharab thi. apne hi hathun se woh apne parivar ko moot ke ghaat utar chuka tha. bohut bada jhatka laga tha usay..

main dhananjay thakur ke dimag me tha. dhananjay thakur ye sab sehn nahi kar paa raha tha. mujhe lag gaya tha. woh pagal ho gaya ha. main dhananjay thakur ko fir bhi nahi chhod sakta tha. aise ghatiya insan ko chhod kar main koi galti nahi karna chahta tha. kya pata, kabhi ye theek ho jaaye aur fir se pehle se bhi badhkar bure karam karne lage. ho sakta ha, tab tak main ise bhul jaaon. mera maksad bohut bada tha. ho sakta tha, main palat kar na laut sakun.. tab dhananjay thakur kuchh aisa jugad bhi kar sakta tha. jisse woh meri telepathy se bach sakta tha.

usi machine gun ko utha kar dhananjay thakur ne apni chin ke niche rakha aur trigger daba dia..

haveli me ek bachhi ke siva koi bhi zinda nahi bacha tha. bache the toh kuchh naukar aur kuchh mahilayen bachi thi.

{::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::}
Yaar bhai tumne to jhadi lga di back to back seen badal kr, pr kya gajab ka update diya hai bhai padh kr anand aa gya superb bhai sandar jabarjast lajvab amazing fantastic

Alka ko hva me parashut se samudra me girte dekh kr guru ji ne Natasha ko bheja uski madad karne ke liye or Vo gyi bhi vha, alka jo India aane ka sukun Mna rhi thi jald hi use pta Chal gya ki kuchh to gadbad hai or Usne samay rahte hi plane se kood gyi or Vahi Natasha ne madad ki jamin tk pahuchne ke liye alka ke or dono plane ko pani me hi duba diya koi jinda nhi bacha Unme se...

Natasha ab apne birth parents ki talash me hai hai India Dekhte hai use kya kya pta chalta hai vha...

Sanjana ki jay jay kar Hui or usne ek behtreen speech bhi di, sath hi CM sp ke sath education minister bhi use badhai dene pahuche, yha ye minister apne dost nandu ke sath baith kar Sanjana ko khatm karne ka plan bnaye baitha hai, Dekhte hai ye kya kr paate hai...

Ye richa ki bahan bhai or papa nikle to nanihal ki taraf the pr pahuche Raja thakur ki haveli me or payal thakur ki najar padne pr usne guards ko kahkr sabko dhar dabocha hai, ab dekhte hai aage kya hota hai, RAJA thakur ki dahakti Hui ankho ka samna kaise karte hai...

Superb bhai :hug:
 
Vk248517

I love Fantasy and Sci-fiction story.
5,706
17,766
189
Episode:34

natasha : HAAN! main hi TARA hon. aap sabki TARA.. kisi se bhi milne se pehle mujhe ek kaam karna ha.. aap sab plz piche khade ho jaayen..

natasha badi mushkil se khud par kaabu banaye hue the. warna woh apne parivar se milne ke liye bohut bechain ho rahi thi. badi mushkil se usne ye shabd apne moh se nikalne the. apni maa ke sath sath apne sare parivar ki tadap ka usay bohut achhe se ehsas bhi ho raha tha.

par kya karti. woh TARA thi toh ek QUEEN bhi thi. uske dusre parivar ko maar kar usay natasha se QUEEN banne par majbur kar dia gaya tha.

kaise woh apne parivar ke sabse bade dushman ko maaf kar deti. paida hote hi kuchh pal apne parivar ke sath bitane ke baad usay uske parivar se alag kar dia gaya tha. kaise uske payare barson tak uske liye tadapte rahe the.

beta hota toh sehn bhi kar lete. par unke parivar ki beti, unki izzat ko unse door kar dia tha dushman ne. beti ki judaai ka dard, bete ki judaai se kahin badhkar hota ha.

usi dard me tadap rahe the sab. natasha bhi apne parivar ke dard ko feel karte hue apni gadi ki or palti aur door khol kar ek ek karke teeno ko sar ke baalon se pakad kar bahar ghaseet laayi..

sab dekh kar cheekh pade..

"NARAIN MISHRA"

kisi ko yakin hi nahi ho raha tha. NARAIN unke saamne tha.. jo hamehsa gaurds ke beech raha karta tha. guards ke bina kabhi kahin nahi jaya karta ha. kaise unki TARA unhe mamuli gundo ke jaise utha laai thi.

sab dekh kar shocked ho gaye. sanjana bhi situation ko samjhne ki koshish kar rahi thi. koi dhire se badbadane laga toh koi khul kar bolne laga.

sanjana jaan gai, aane wali sabki ladli TARA ha. jo uske jaise hi apne parivar se door ho gai. sanjana ye bhi jaan gayi. TARA lautte hi apne parivar ke dushmano ko bhi apne sath laai thi.

sanjana TARA ko dekh kar bohut khush ho gai thi. sanjana ko TARA ki or se waves aa rahi thi. aisi kashish usay apne parivar ke kisi bhi sadasy ki or se nahi aai thi. jitni TARA se aane lagi thi. sanjana ko TARA apne liye special dikhne lagi thi.

natasha ne apni belt me adsa hua khanjar nikala aur narain ke barabar ja baithi.. teeno abhi tak behosh the.

sab narain aur uske beto ko dekh kar jahan surprised the. wahin ab TARA ke hathu me khanjar dekh kar shocked ho gaye. unki TARA toh ek mard bani hath me khanjar thame unke dushman ke paas bethi hui thi.

natasha sabko dekhte hue boli : yahi han na woh dushman jisne mujhe aap sab se door kar dia tha. yahi ha na woh dushman, jise chah kar bhi aap sab maar nahi sake. jiske waar se aap sab chot par chot khate aaye han na aap sab.. par ab main laut aayi hon. aap sabki TARA laut aai ha. ab se TARA ke parivar ka koi bhi dushman zinda nahi rahega.. kisi ki bhi himmat nahi hogi, TARA ke parivar ki or ankh utha kar bhi dekh sake.

natasha khunkhar lehje me boli aur fir khanajr se chhote chhote cheere dete hue teeno ko hosh me laane lagi. kuchh hi der me teeno hosh me aa gaye. hosh me aate hi teeno cheekhne lage.

jaise hi sabki nazren apne dushmano par padi toh unka cheekhna wahin tham gaya. narain ne apne saamne dilip sharma ko dekha toh uska moh khula reh gaya. narain janta tha dilip sharma kamzor rival nahi ha. isiliye narain mishra aur uske parivar ka koi bhi members kabhi bhi bina security ke kahin bhi nahi aaya jaya karta tha.

**************************
natasha parivar ka intro..
**************************

dilip sharma..dada
nargis sharma.dadi

rajeev sharma..papa
solanchna......mummy

ashok..bhai
umesh..bhai
ayushman..bhai
rahul.....bhai
natasha...

gautam sharma..chacha
geeta sharma...chachi

chacha ke teen bete..

sanjay..
ravi....
rakesh..

anjali.. bua
roshan.. fufa

bua ke teen bete..

bharat..
sachin..
vinod...

**********************************************

natasha ke papa rajeev sharma ne foran hi ek naukar se keh kar apne papa ko wahin laane ko keh dia.

kuchh der me dilip sharma bhi wahin the.. natasha ne apne daddu ko wheel par bethe dekha toh usay bada dukh hua. wheel chair ko paas laane ka ishara kiya toh daddu apne dushman ko na dekh kar TARA ko dekhne lage.

natasha : dada ji! aapki TARA aapke saamne ha.

dada ki ansuon bhari ankhon me chamak aa gai. hont tharthara uthe.

dada ji : TARA beti!

natasha : ab bhi ansu bahayenge aap dada ji.. apne dushman ka anjaam nahi dekhenge.

dada ji ne narain ko dekha jo ab bohut zayada ghabraya gaya tha.

dada : kyun narain mishra! aa gaye na tum mere pairon me. mera koi bhi beta ya pota tujhe mere saamne nahi la saka. meri poti kaise tujhe aur tere beto ko chyuntiyo ke jaise mere pairon me le aai ha. tumhare liye doob marne ka mukam ha narain mishra. zarur meri poti tujhe tere bil se nikal laai hogi.

dada ji ekdumm se badle andaz me bole toh narain ko apni reeth ki haddi me sansanahat si mehsus hone lagi.

natasha : ji dada jaan. iske qile se ise utha laai hon.

dada : kyun narain mishra! ab kahan gai tumhari force.. badi suraksha me raha karte the tum. kahan gaye tumhari suraksha karne wale.

narain : dekho dilip! mujhe aur mere beto ko yahan se jaane do. nahi toh--

dada : tum ab bhi nahi samjhe ho narain.jitni asani se tum meri poti ke hath lage ho. isse tumne andaza nahi lagaya. tera aur tere parivar ka samay ab samaapt hone ko ha.
TARA beti isne tumhe hum sabse door karke jitna dard dia tha. utna hi dard tumhe bhi humse door hone par sehna pada hoga. apne hathu se ise anjaam tak pohncha kar apna badla lo. humse kahin badh kar tumhe dukh uthane pade honge.

natasha : dada ji aapne kabhi khun nahi bahaya kya..??

dada : tumhare liye khun ke ansu to bohut roya hon main TARA beti. par kisi munush ka khun nahi bahaya. khun bahana humen zeb nahi deta. hum narain ke jaise ghattiya vichar nahi rakhte TARA beti.

sanjana aage badhi toh natasha usay dekh kar chonk gayi. uska moh hairat se khula reh gaya. pehle woh dhayan nahi de paai thi. ab dhayan diya toh chonk uthi. usay sanajna ke andar se alka jaisi waves aane lagi thi. woh badi heran hui. fir usay jaise sab yaad aane laga. ab woh samjhi, kyun GURU JI ne usay alka ke liye kaam dia tha. alka ka naam nahi jaanti thi. badi speed ke sath uske alka ki madad kari thi. alka ko island par chhod kar wahan se nikal li thi.

ab sab yaad aane laga toh alka ke gale me maujud mala ka bhi usay ehsas hone laga tha. usay mala ke andar se jo kashish feel hui thi. wahin alka ke badan se usay feel hua tha. wahin ab sanjana se usay feel hone laga tha.

sanjana ne bhi natasha ko dekha toh woh bhi kuchh kuchh samjh gayi.. ankhon se hi kuchh ishara kiya aur fir dada ji ki wheel chair ke pairon me beth kar dada ji ke hathu ko thaam gai.

sanjana : dada ji! is kutte ne TARA didi ko hi nahi aap sab se door kiya tha. mujhe bhi aap sab se door kar dia tha.

sanjana ki baat par TARA, dada ji, aur dusre sab sannate me aa gaye. woh toh aisa kuch bhi nahi jaante the. sanjana kaise is parivar ki ladki ho sakti thi.

dada : SANJANA MAA! main kuchh samjha nahi.

sanjana ke honto par ek dard bhari muskan aa gai.

sanjana : SANJANA MAA toh main dusron ke liye bani hon dada ji. main toh aapki poti hon.. itna bol kar sanjana ne apni mummy ki or dekha.

sanjana : mummy kya mujhe dekh kar bhi aapko nahi laga, main aapki beti hon. sanjana ki ankhon se firse aansu behne lage toh sanjana ki mummy tadap kar boli..

sanjana mummy : beti! jab se tumhe dekha ha. mere dil ki halat bohut kharab ha. baar baar aise vichar mann me aane lage han, jaise tumse mera koi nata ha. kya nata ha, samjh nahi paa rahi. ek hi baat mann me aati thi. par jo sab beeta tha guzre samay me. usay bhi toh nahi jhutlaya ja sakta.

sanjana mummy rone lagi thi. sanjana uski beti ha, jaan kar tadap uthi thi.

sanjana ne TARA ke hathun se khanjar liya aur narain ki jaang me ghusaa dia.. narain halq phaad kar cheekh pada

sanjana khuni andaz me : bol kutte!! is parivar ki ek nahi do do betiyon ko tune sabse door kiya tha. boolllll... sanjana ne fir dusri jaang me bhi khanjar utaar diya..

narain cheekhta hua : haaaaann! haaaaaann! maine gautam ki beti ko bhi hospital se uthwa liya tha. usay ek anath ki zindagi jeene par majbur kar diya tha.

dada : toh woh murda bachhi..??

narain : ww..woh sab pehle se hi fixed tha.. pehle se hi ek murda bachhi arrange kar li gayi thi..

sab sunkar gehre sadme me aa gaye the. kitna bada khel khela tha narain mishra kutte ne.

dada ji sanjana se : ttt..tum bhi meri poti ho.

sanjana : haann dada ji.. sanjana dada ji se lipat gayi. dada do do potiyon ko paa kar khushi se nihaal ho uthe the. woh rone lage the. bhagwan ne ek sath do do TARA unhe lauta di thee.

sanjana dada ji se alag hui aur palat kar apni mummy ko dekhne lagi.. TARA apne dushmano ko expire karne ke liye teeno ke hathu aur pairon me khanjar se ghaao lagane lagi.

ab milan ka samay aa gaya tha. sanjana ke bolne ke kaaran koi bhi khud par kaabu nahi rakh paa raha tha.

sanjana natasha ke chacha ki beti thi.

sanjana aur TARA ki mummy dono cheekhti hui dono se lipat gayi.. sabhi parivar wale bhi ankhon me khushi ke ansu liye wahin dono ko gher kar khade ho gaye..

bada dard bhara milan tha. khushi ka rona tha. par dadi, mummy aur chachi bilak bilak kar ro rahi thi... barson baad TARA mili thi. toh sanjana jiski koi ummid hi nahi thi woh bhi mil gayi thi.

bohut der tak ye scene chalta raha. sanjana aur TARA ke bhai, bua ke bete sab bhi bohut zayada khush ho gaye the. unhe do do behne mil gayi thi.

dada, dadi,mummy, papa, chacha chachi, bhai, bhabhiyan dusre sabhi relatives bohut zayada khush the..

natasha aur sanjana baari baari sabhi se mili. kisi ka mann hi nahi ho raha tha dono se alag hone ka.. natasha ya sanjana jiske bhi gale lagti.woh khub usay chumta pyar karta. khud se alag karne ko mann hi nahi kar raha tha. par pehla milan tha aur milne wale bohut the.

sabse zayada dono mummiyon ko samay dia gaya. dono khub bilak bilak kar ro rahi thi. natasha aur sanjana ki ankhen bhi ganga jamuna bani hui thi.

sabhi ka milan chal hi raha tha. security incharge bhagta hua aaya

incharge : bohut si gadiyon badi speed k saath aati hui dikhaai de rahi han.. mujhe lagta ha sir! woh hamare dushmano ki gadiyan han.

sab hadbada gaye.

sanjana : zarur kothi ke andar ka koi ha, jisne khabar di hogi.

natasha : mummy papa! aap sab plz kothi ke andar jaayen. hum dekh lete han.

mummy dar gayi : nahi! ab main tumhe khud se door nahi jane dungi TARA beti.

natasha ke honto par muskan aa gayi

natasha : mummy aapki beti lohe ki bani ha. abhi toh aapne apni beti ko jana hi kahan ha. sanjana ko sabhi jaan gaye, par TARA ko koi nahi janta..

mumym : fir bhi beti, mera dil nahi manta. ab main tujhe ek pal bhi khud se door nahi jane dungi.

natasha : bhai! aap mummy ko andar le jaayen. aap sab bhi andar jayen. main dekhti hon aane walun ko.

charon bhai seena taan kar : hum han na sabki raksha karne ke liye. ab tak hum hi toh pure parivar ki raksha karte aaye han.

sanjana : aapki behne bhi kam nahi han bhai.

sanjana ki baat par sab ke honto par smile aa gai.

natasha : der mat karen, aap sab andar jaayen.. natasha sabse bolti hui kothi ke andar maujud sabhi naukar aur gaurds ko bhi dekh rahi thi. sanjana bhi sath me dekh rahi thi. unki yakin tha kothi ke andar koi na koi dushmano ka admi zarur maujud ha. warna itna jaldi unhe khabar nahi ho sakti thi.

natasha ki nazar ek guard par padi. natasha zameen se 2 feet upar fly karte hue pal bhar me hi uske paas ja pohnchi. woh natasha ko dekh kar ghabra gaya tha. gun seedhi karke fire karne hi wala tha. natasha ne uski gun chheen kar uske bazo ko pakda aur dusre hi pal woh guard narain mishra ke upar gira pada tha.

natasha : dekha narain kutte! aise hi tere parivar ke sabhi mardon ka ant karungi main.

narain QUEEN ki power pehle sun chuka tha. abb usay udte hue dekha toh bohut zayada dar gaya.

narain : QUEEN! plz mujhe maaf kardo. mujhse bohut badi galti hui thi. aap chahen toh mujhe jaan se maar den. par mere beton ko jaane den. jitna dono ke sath aapne kar dia ha. ye bhi bohut ha. aap mahaan han, dayalu han, mere beton ki jaan bakhshi kar den.

natasha narain ki baat sunkar hasne lagi toh baaki sabhi jo natasha ko fly karte dekh kar heran hue the. ab narain ke moh se QUEEN shabd suna toh sabko QUEEN wali news yaad aa gai. ye jaan kar unki TARA hi QUEEN han, ajib si halat ho gai thi sabhi ki.

natasha : dayalu.. HAHAHA.. dayalu toh main hon narain.. kaiyon par daya karungi main. main QUEEN ho thehri.. ek QUEEN daya nahi karegi toh usay QUEEN kon kahega.. main bhi daya ka daman kabhi nahi chhodungi.. tujh jaise paapi ko is dunya se mukt karke, tere paapi beton aur poton ko is dunya se mukt karke main kaiyon par daya karungi. daya hi toh ha ye bhi.. tujh par na sahi, tujh jaise jispar zulm karte honge. unpar toh daya hi ha.

narain natasha ke shabd sunkar, uske lehje ki khunkhari jaan kar cheekhne laga. firiyad karne laga..

par natasha ko uspar daya nahi aane wali thi. itni der me bahar se firing ki awaz aane lagi. bahar narain ek beta aur pote cheekhne lage..

"mere dada aur chachao ko bahar bhej do. warna is kothi ki eent se eent baja dunga main"

natasha : waaahhhh!! kya baat ha narain. tera koi pota itna daler bhi ha. chal dekhti hon uski daleri bhi. ab woh yahan aa hi gaya ha toh usay bhi tere sath hi khatam karti hon.

natasha ne mud kar sabko dekha.. jo shocked halat me usay hi dekh rahe the.

sanjana sukun se thi.....

natasha : aap sab andar jaayen plz.. kuchh der me hum mil bethte han. bhai dada ji ko andar le jayen.

mummy hairat bhari awaz me : TARA beti! tum hi QUEEN ho..

natasha : haan mummy aapki beti hi QUEEN ha.. baad me aapse baat karti hon. abhi aap sab andar jayen.

sab na chahte hue bhi andar chale gaye.

sanjana wahin khadi rahi thi........

dada, dadi aur sabko ko chhod kar natasha aur sanjana ke papa, chacha aur bhai wapis aa gaye. unhe wapis aate dekh kar sanjana aur natasha mand mand muskurane lagi..

umesh : behne bhaiyo se kahin badhkar bhi taqatwar ho jaayen. aur bhai jitne bhi apni behno se kamzor ho jayen, behno ki raksha ki zimmedazi hamesha unki hi hua karti ha.

rahul : pehle kabhi humen apni jaan se payari behno ke liye ladne ka moka nahi mila tha. pehle hum bachhe the. warna dushman kabhi tum dono ko humse alag nahi kar sakte the.

ravi : hum agar ladai se bach ke rehte han toh iska matlab ye nahi hum kayar han.

sab kuchh na kuchh bolne lage. natasha aur sanjana ke honto ki muskan aur bhi gehri ho gai.

incharge ek waepon box le aaya tha. sabne ek ek gun utha kar apne hathu me kari.

apne parivar ki raksha ke liye apne dushmano se do do hath karne ke liye sab kisi bhi had tak jaane ke liye betaab ho gaye the.....
Awesome updates👍🎉
 
Sweetkaran

Active Member
1,282
3,452
143
Episode:35

rajeev sharma bhi aaj full form me the. ek gun unke hath me bhi thi...

sabse pehle us gaddar guard ko bandha gaya. fir sab apne liye jaga ka chunao karne lage. parivar ke mard pehle kabhi aise mood me nahi aaye the. aaj khushiyan mili thi toh khun ki holi khelne ke liye bhi tayyar the.

sanjana ne natasha ke hath ko thaam liya : didi aap toh badi kamaal ki nikli..

natasha jise pura pura ab sanjana ko leke pura pura ehsas ho gaya tha : hum dono ek samman han na. hum dono ek hi taar se judi han na. mujhe lagta ha--

sanjana : GURU JI aaye honge aapke paas.

natasha ne GURU JI ka suna toh sanjana ko badi shiddat ke sath khud se lipta gayi..

natasha : meri behen, main bata sakti main kitni khush hon. mujhe lagta ha, jisse main mili thi woh bhi hum panchu me se ek thi.

sanjana khush hoke : didi kisse mili thi aap.

natasha : baad me bataongi. pehle inko dekh lete han.

sanjana : ladna sahi nahi ha didi. humen dusre tarike se is matter ko handle karna hoga. jaisi surat e haal bani ha, mujhe lagta ha kuchh hi der me media bhi pohnch jaayegi.

natasha ko bhi laga uska QUEEN ke roop me saamne aana sahi nahi hoga..

natasha : theek ha, par main in kutton ko nahi chhod sakti.

sanjana : main konsa inko chhodne wali hon. ye aur bahar ke kutte woh bhi khatam honge didi.

wahi hua jo sanjana ne anuman lagaya tha. waaki me hi bahar media ki kai gadiyan aa gai.

sanjana : bhai ghar me koi loud speaker ha kya.

natasha : uska kya karne wali ho tum..??

sanjana : mai chhat par ja kar media se baat karungi..

sanjana ko apni value ka bakhubi ehsas ho gaya tha...

kothi ke andar se sanjana ko uske matlab sa sab mil gaya tha.. security ke liye aisa intezam kiya gaya tha. sanjana kuchh der me chhat par khadi hui bahar dekh rahi thi.

kothi ko charon sides se narain ke admiyon ne ghera hua tha.. kuchh doori par sanjana ko police aur media ki gadiyan bhi dikhi..

wahin media wale bhi sanjana ko dekh gaye the.. sanjana ko toh door khade hue aam log bhi dekh gaye the. jahan woh pehle heran hue the. ab sanjana ko dekh kar shor machane lage. sanjana maa ke naam ki mala japne lage..

sanjana ko foran hi live dikhaya jaane laga..

sanjana : aap sab mujhe yahan dekh kar heran ho rahe honge.. main aap sab ko bata dun. school me jo kuchh bhi hua tha. woh maine nahi kiya tha. woh sab MAA KALI ke aashirvad se mumkin hua tha. hazaron bachhu ki zindagiyo ki raksha karne ke liye MAA ne mujhe shakti di thi.

main toh ladna nahi janti thi. ladna bhi seekh gayi aur sabhi aatanvadiyo ko maar kar apne bachhu ki jaan bhi bacha gai.

ye sab MAA ki di hui shakti se hua ha. MAA ne hi meri life se juda hua sara gyan mere mann me utaara.. main jaan gayi, main anath ladki nahi hon. main delhi ke famous business tycon dilip sharma ki poti hon. main gautam sharma ki beti hon.

bade dukh ke sath mujhe ye kehna pad raha ha. hamare payare desh me bohut se log aise bhi han, jo bina matlab ki dushmani ke liye intehai ghattiya pann par utar aate han.

isi city ke famous business tycon narain mishra mere parivar ke business rival han. ye baat pura shahar bhi jaanta ha.

bade papa rajeev sharma ki beti TARA jiske baare me aap me bohut se logon ne suna hoga. woh dedh saal ki umar me hi lapata ho gai thi. mera janam ek hospital me hua tha. wahin se mujhe mere parivar se door kar dia gaya tha.

aisa sab karne wala koi aur nahi narain mishra aur uska parivar ha.

niche kothi ke andar bhi sab live dekhne lage the. sab sunkar dukhi hone lage. sanjana ka bola ek ek shabd sach tha.

sanjana ruk kar sabko dekhne lagi.. mic apne moh ke saamne kiye woh bol rahi thi.
sab sun rahe the. media sab live telecast kar rahi thi.

sanjana : main aur meri behen dono par hi MAA ki kripa hui ha. meri tarah woh bhi laut aai ha. TARA didi lautte samay apne sath narain mishra aur uske do beton ko bhi apne sath laai ha. narain mishra aur uske dono beton ke sath sath uske parivar ke sabhi sadasy hamare kasurwar han. aur hum unhe maaf nahi kar sakte.

apne bachhu ko bachane ke liye maine bohut se anginat aatanvadi maar diye.. toh narain mishra jaise log bhi meri nazar me kisi riyaayat ke layak nahi han. main aap sab se keh dena chahti hon. narain mishra aur uske parivar ke kaaran mujhe aur meri didi ko barson anatho ki zindagi bitani padi ha. mere pure parivar ko khun ke ansu rona pada ha. main aur meri didi narain mishra aur uske parivar se badla le kar rahenge.

sanjana ke ek ek shabd me goonj thi. Maturity thi. aam janta toh sanjana maa ke liye pagal ho chuki thi. sanjana ke moh se nikla ek ek shabd unke liye jaise dharam ban ke reh gaya tha.

par police ya narain mishra ke parivar ke liye ye sab sehn kar jana mumkin nahi tha.

sanjana ke is live telecast ne pure desh me tahalka macha kar rakh dia tha.. narain mishra harami tha. gandi nature ka tha. bura tha toh bure logon se bhi usse sambandh the.

narain mishra aur uske bete ye sab sunkar dare nahi the. unhe aas mil gai thi. woh jaan gaye the. sanjana ke aisa kar jaane se desh bhar me maujud unke friends, partners unko bachane ke liye kuchh bhi kar jaayenge..

sanjana khamosh hui toh kothi me reh rahe sabhi ko sanjana ki ek ek baat sahi lagi. wahin pure desh me telephone ki, mobile ki ghantiyon par ghantiyan bajne lagi.

natasha bhi wahin chhat par aa gayi..

sanjana ne mic side rakh dia tha. ab wait ke siva ke koi aur chara nahi raha tha.

natasha bhul gai thi. usay sab surat se pehchante han. mahino purani baat woh bhul gai thi. usi samay media ne usay live telecast karna shuru kiya toh ek naya hungama shuru ho gaya..

pehle bhi natasha ko lekar pure desh me news chalti rahi thi. firse chalne lagi toh sanjana wale tahalke se bhi bada tahalka mach utha.

natasha jo sanjana se uski kahi baat kar charcha kar rahi thi. niche se ek naukrani bhagti hui aai..

naukrani : malikan aap natasha han na.. wahi jutu ke sath udne wali.. tv par aapke baare me bata rahe han.

natasha ko khud par ghussa aaya. woh foran niche jane lagi. sanjana bhi uske sath niche jaane lagi. ab usay bhi yaad aa gaya tha. natasha ko toh pehle bhi tv par dekh chuki thi.

mummy : TARA beti, tum toh sab ke saamne expose ho gai ho.

natasha : mummy! jo hona tha woh ho gaya. ab aage ka sochte han.

bhabhiyan toh bas sanjana aur natasha ko hi dekh rahi thi. woh badi heran thee. kaise ghar me biyah kar aayi han. jahan ki do do ladkiyan extraordinary thee.

dono wahin beth kar news dekhne lagi..

sanjana : didi ye toh sach me gadbad ho gayi. aise toh hamare parivar ke liye problems create hone lagengi.

ek bhabhi ne channel change kiya toh wahan sanjana par kuchh charcha chal rahi thi.

bhabhi : sahi toh kuchh bhi nahi hua. aapne jo kaha woh bhi kisi ko hazam nahi hua.

dadi : ab narain ke sare dost milkar usay bachane ki sochenge.

sanjana : kuchh bhi karte toh aisa sab toh dekhne ko milna hi tha. kothi me maar dete toh bhi hamare liye preshaniyan khadi ho jaati. ab unhe chhod nahi rahe han toh bhi dikkaton ka saamna karna padega. chhod dia toh baad me bhi aise hi halaton se vaasta padta rahega. ab dushmani khuli ha toh ladai bhi khul kar hogi.

sanjana mummy : jaisa haal TARA beti ne un teeno ka kiya ha. media toh khub uchhalegi is baat ko.

mummy : narain ya uske parivar wale ab chup nahi rahenge. pehle hamari ladai is had tak nahi aai thi.

natasha : ab yahan rehna safe nahi rahega.. mere paas ek island ha. wahin sab milkar rahenge.

kyaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa..?? island!!

sab heran ho gayi

natasha : haan! QUEEN bani hon toh ek secret base ki bhi zarurat thi mujhe. bohut bada island ha woh. wahan hum sab milkar rahenge.

bhabhiyan excited ho gai thi..

ek bhabhi : woowww! how romantic! aisa hi toh maine sapna dekha tha, ek island par rehne ka. jo sirf aur sirf hamara ho.

sab hasne lagee.

narain ka ek beta aur pote jo kothi ke bahar maujud the. woh live tv par dikhai de rahe the. hathun me guns liye woh bohut ghusse se bol rahe the. narain mishra aur dono ko bachane ke liye woh kuchh bhi kar jayenge. aisa bol rahe the.

police ke bade bade adhikari bhi wahin aa gaye the. khub hungama mach utha tha. ab ladai toh hone se rahi. live ladai koi bhi nahi lad sakta tha.

IG of police wahin ek camera ke saaamne bolne laga.

"SANJANA MAA ye sab kya ha. plz aap is sab ko band kar den. ye sab sahi nahi ha. aise ladai badh jayegi. aur khun ki nadiyan behne lagengi. puri dunya me hamare desh ka mazak bankar reh jayega"

mummy : sanjana beti! IG sir! sahi bol rahe han.

sanjana bhi tv par IG Ko sunte hue : kyun didi! kya karna sahi rahega.

natasha : chhod toh nahi sakte hum teeno ko.

dadi : TARA beti! baad me bhi toh sabko maar sakti ho. ab chhodna hi sahi rahega.

ek bhabhi : TARA hi natasha bhi ha. toh ab shoes wale matter ko leke bhi sab chup nahi bethenge. maamla bohut upar tak jaane wala ha.

dusri bhabhi : mere papa bhi toh minister han. woh kuchh nahi hone denge apni beti ke sasural walun ko.

sanjana : koi hamara kuchh nahi bigad sakta bhabhi.

bua : TARA beti! jaise tum pehle inhe inke bil se nikaal lai thi. baad me bhi vaise hi nikaal sakti ho. ab tumse toh ye chhup nahi sakte.

natasha : sahi kaha bua ji aapne.. mujhse bach pana ab unke liye mumkin nahi rahega.

natasha aur sanjana uthi toh mummy aur sab bhi uth khadi hui. ab firing ka koi khatra nahi tha. isliye sab bhi kothi se bahar nikalne lagi.

narain mishra aur uske beto ke paas pohnche toh papa, chacha, fufa aur sare bhai bhi wahin aa gaye.

papa : toh barson baad milne wali pehle kamyabi humse door hone ja rahi ha.

ek bhai gun ko lehrate hue : maar dete han teeno ko. jo hoga dekha jayega. ek baar ye hamari nazron se door hua toh milna mushkil ho jaayega. saanp ko jitni jaldi maar do, utna hi achha ha. pata nahi fir bad me kis bil se nikal kar das le.

dusra bhai : sahi kaha tumne bhai. fir natasha ko dekhta hua.. TARA meri behen pehle kahan se mile the tumhe ye teeno. aur kaise utha laai thi tum teeno ko.

natasha : bhai main QUEEN bhi toh hon na. QUEEN kisi ko dikhaai nahi deti.

sab ko yaad aya toh chinta wale bhav sabhi ke chehro par se jaate rahe.

bahar aur bhi kai bade bade ministers aaye hue the. woh bhi public war nahi chahte the. par zayada tar aise bhi the jo narain mishra ko marne nahi dena chahte the. narain mishra unke bade kaam ka banda tha.

ek minister woh bhi tha, jiske terrorists ko sanjana ne school me maar dia tha. woh bhi is moke ka bharpur fayda uthane ki soche hue the.

sanjana apne bhaiyo ke sath gate par gayi aur chhota gate khol kar IF of police ke sath sath do aur ko andar aane ko bol dia.. narain mishra ka beta aur pote bhi aana chahte the. par unhe nahi aane dia gaya.

woh andar pohnche toh gate band kar dia gaya.. andar narain mishra aur uske beto ka haal dekh kar ghabra gaye.

IG : sanjana maa! ye sahi nahi hua ha. aise baat sambhali nahi jayegi.

sanjana : IG sir! inke liye baad me bhi koi maafi nahi ha. ye ab nahi toh baad me zarur marenge. fir baat jitni bhi bigarti ha bigad jaaye. abhi desh ki shanti ka maater bana hua ha toh inhe chhod rahe han. warna hamara aisa koi irada nahi tha.

IG police aur uske sath aaye baki ke do bhi kadwe ghunt pi kar rah gaye.

natasha : IG sir! aap inhe lejaane ka intezar kar sakte han. lekin pehle bahar ke khade huon ko pehle yahan se hata dia jaaye. kahin aisa na ho hamara irada badal jaaye aur tal chuki war firse shuru ho jaaye. dekh rahe han aap mere papa, chacha, fufa aur bhaiyon ko. sab ke sab maar dene aur mar jaane ke liye ready han.

IG aur dusre dono bade adhikari sabko dekhne lage.

fufa : aap mujhe jaante hi honge IG sir!. main kitni shaant nature ka hon. matter hamare khandan ki bachhiyon ka, izzat ka ha, hum mar toh sakte han, par piche nahi hat sakte. humne kuchh samay ke liye apne hath roke hue han. kuchh samay ke liye khud par control banaye hue han. jo mann me thaan lete han, woh kar ke rehte han. meri betiyon ne keh dia. ab in sabhi kutton ka akhri samay shuru ho chuka ha toh aisa hi hoga. ab se hum sab ka ek hi maksad ha. apne dushmano ka khatma. jab tak ye haramzade rahenge. humen chain se jeene nahi denge.

kuchh minto me kothi ke saaamne se narain aur uske bete poton ko side kar dia gaya. media ki gadiyan bhi kuchh doori par ja khadi hui thee.

teen ambulance kothi ke andar dakhil hui, jo emergency ke liye wahin kuchh fasle par khadi thee. ambulance ko andar ghuste dekh kar narain ka beta aur pote ghusse me aa gaye. woh samjh gaye, andar unke apnu ko torture kiya gaya ha.

narain ko jab ambulance me daala jane laga toh khuni ankhon se sabko dekhne laga.

narain : dekh lunga, sab ko dekh lunga. ab dushmani ke rang badal hi chuke han toh main bhi dikhaa dunga main kitni power me hon.

papa : kutte ki jaan kya bachi kuchh der ke liye, sher banne laga.

HAHAHAAHAHAHA.. sab zor se hasne lage.

natasha : jaao jaao narain mishra jaao. tum hospital bhi pohnch paate ho ya nahi. baki sab bhul kar bas itna hi sochho. jaise pehle tujhe aur tere pillon ko utha laai thi. aise hi firse utha laaongi. aur is baar kisi ko khabar bhi nahi hone dungi. is baar tu akela nahi hoga. tere parivar ke sabhi mard honge. tere saamne hi ek ek ko kaatungi. sabse akhir me tera ant karungi.

narain mishra QUEEN ko bhul gaya tha. jaise hi QUEEN ki baaten suni toh ghabra kar nazren chura gaya.

kuchh der me teeno ambulance kothi ke bahar thee. kothi ka gate band ho chuka tha.

teeno ambulance narain ke bete aur poton ke paas pohnch kar ruk chuki thi. door khol kar andar zakhmo se choot teeno ko lete dekha toh sab ghusse se pagal hone lage..

ek pota gun upar aakash ki or karte hue fire karne laga..

"koi bhi kutta zinda nahi bachega. sab ko maar dunga. mere dada, mere papa aur chachu ko torture karke maut ko awaz di ha.. main kisi ko bhi zinda nahi chhonga.

media bhi bhaag kar aage aane lagi toh usay aage nahi aane dia gaya. woh door rehte hue hi ambulance ke andar ka scene capture karne lage. par jitne gunde wahan the. teeno ambulance ke andar ka view dikhai nahi de raha tha.

gangster minister bhi cheekhne laga : ab aap sabko yakin aa gaya hoga. SANJANA MAA woh nahi han, jo dikhaai de rahi han. zarur woh khud bhi ek terrorist rahi hongi. jo terrorists school me mare the. abb toh mujhe lagta ha, woh sab SANJANA MAA ke sathi hoge. sab pehle se planed tha. dushman desh ki koi bohut badi chaal thi. apne kuchh admi marwa kar sanjana jaise aam ladki ko SANJANA MAA bana dia. hum sabki ankhon me dhul jhonkne ke liye itna bada plan banaya gaya ha. dushman desh ne isse pehle bhi kai baar aisi hi chalen chal kar hamare desh ki shanti ki bhang karne ki saazishen rachi han. is baar zarur koi mastermind is sab ke piche ha.

minister ke joshile andaz par sabke chhakke chhoot gaye.. sabki sochon ki dhara badalne lagi.

andar maujud sanjana ke sath sath natasha aur sab bhi bhuchakke reh gaye.. ekdumm se kaise is harami minister ne baazi hi palat kar rakh di thi. desh ki masoom janta dushman desh se judi koi bhi baat bina samjhe sach maan liya karti thi.

SANJANA MAA ke liye janta ke mann me aaya SAMMAN tootne laga. pura desh is samay sab live dekh raha tha. kuchh ghante pehle jo sab SANJANA MAA, SANJANA MAA kar raha tha. ekdumm se sab apne vicharon me hulchal si machti hui mehsus karne lage.

minister sabke chehre dekh raha tha. woh mann me bola.. ab dekhna sanjana maa main tera kya haal karta hon. tune mera sara plan chopat kar dia tha. par ab dekhta hon kaise mera plan aage nahi badhta. kaise main is desh ka mukhe mantri nahi banta. tujhe hi seerhi bana kar main desh bhar ki janta me aur bhi famous ho jaonga. fir dekhte hi dekhte main ban janonga is desh ka mukhe mantri.

natasha aur sanjana dono andar kothi ke andar ja ghusi thi. woh news par janta ke vichar jaanna chah rahi thi. media kisi ko hero heroine bana deti ha toh pal bhar me hi kisi ko bhi hero se zero bhi bana deti ha.

yahan minister ke bayan ke baad media ne alag angle se baaten karni shuru ki toh kuchh hi der me logon ke vichar badi speed ke sath badalne lage.

kothi ka gate band tha. andar sabhi hathiyar liye tayyar the.

minister : mujhe lagta ha ab media ko narain mishra aur uske beto ka haal jaanne ki zarurat ha.

narain mishra bhi minister ki baat sun gaya tha. woh bhi dilip sharma ko maat dene ke liye koi bhi rasta choose kar sakta tha. zakhmi tha, par dushmani ke aage woh khud ko bhul kar dushman ko chot dene ki soch betha tha. teeno ka first treatment bhi chalu tha. teeno ke zakham ambulance me hi clean karke dressing ki jaa rahi thi. usi samay par narian mishra aur uske bete, poto ke sath sath gunde bhi piche hat gaye aur media ko aage aane dia.

narain mishra : jaisa kuchh der pehle sanjana ne kaha tha. woh sab jhut tha. hamari dilip sharma se business ko leke dushmani toh ha, par hum itne ghattiya nahi ho sakte, unke ghar ki betiyon ko kidnap karen. mai nahi janta dono ladkiyan kon han. sach me hi woh dono ladkiyan dilip mishra ki potiyan han, ye dilip mishra aur uska parivar dushman desh ke sath milkar koi sazish rachne me laga hua ha.

narain ka beta aur pota toh narain mishra ko palatte dekh kar heran ho gaye the. narain mishra ke bayan badal dene par woh sab bhi usi ke andaz me sochne lage. woh bhi fir usi andaz me baaten karne lage.

SANJANA MAA ke liye jo achhe vichar abb bhi kaiyon ke mann me the. woh narain mishra ki baaton par badalne lage.

narain mishra : kothi ke andar maine itni guns dekhi ha. aisa laga mujhe, jaise pure shahar ko udane ka plan bana rakha ho dilip sharma ne.

kothi ke andar sab ke sab ab apne sar ko thaame bethe the. kisi ne guman tak nahi kiya tha. situaion aisi disha bhi badal sakti ha.

sanjana aur natasha dono sab ko dekh rahi thi. woh dono nahi ghabrai thi. baki sab ab ghabrane lage the.

mummy : TARA beti! tum kitne barson baad mujhe mili ho. kahin tum mujhse firse door toh nahi ho jaogi.

natasha : are nahi mummy ji.. aisa kabhi nahi hoga. ab toh hamara island par rehna majburi bhi ban gai ha. hum jald hi island ke liye nikal padenge.

sab tv par bethe hue narain mishra aur uske beto ke sath sath minister ki bhi kadwi baaten sun rahe the.

narain mishra ne ye bhi bata dia tha. kothi ke andar ki dusri ladki QUEEN ha..

halat bohut zayada kharab ho chuke the. sanjana aur natasha sab ko maarne lagti toh bhi aam janta me apna naam nahi bacha sakti thi. koi solution nahi bacha tha dono ke paas. dushman ko toh kabhi bhi maar sakti thi. par jo desh darohi hone ka khatab inhe dia jaa raha tha. uske jawab me woh kuchh bhi nahi bol sakti thi.

natasha bhi chahti toh QUEEN bankar bohut kuchh badal sakti thi. kaiyon ko maar toh sakti thi. par kisi ke vichar nahi badal sakti thi. vichar badalne ke liye achhe karam karne padte han. aur yahan koi bhi karam karne ko achha nahi tha.

GURU JI bhi is samay unke paas nahi aaye the. koi bhi baat nahi kari thi unhe ne.

narain mishra ka ek pota jo hathun me gun liye hue tv par dikhaai de raha tha.

woh ekdumm se hi zor zor se hassne laga..

HAHAHA..HAHAHA..HAHAHA..HAHAHA..HAHAHA..HAHAHA..HAHAHA..HAHAHA..HAHAHA..HAHAHA..

kothi ke andar ke sabhi tv par usay paglon ke jaise haste hue dekhne lage. wahin bahar media usay live capture karte hue herat me gum thi.

minister ko bhi laga, narain ka ye pota zarur paagal ho gaya ha.

firr...

kuchh hi der me uska pagalpan dikhaai bhi dene laga. uske hath me maujud gun ka rukh apne hi papa ki or hua..

"HAHAHA.....HAHAHA......PAAPi HA TU SAAALE.. KITNE JHUT BOLEGA TU SAB SE.. AYE NARAIN MISHRA, SAALE HARAMI, CHUTIYE, GANDI NAALI KE KEEDE..TUJH JAISA PAAPI BHI BHALA IS DAHRTI PAR KOI HOGA.. THUUUU HA TUJHPAR NARAIN MISHRA.. KOTHI KE ANDAR TOH PAIRON ME GIR KAR MAAFI MAANG RAHA THA.. JAAN KI BHEEK MAANG RAHA THA.. BAHAR AATE HI KUTTE SE SHER BANNE LAGA HA..APNE HI DESH KE HARAZON MASUMO KO BACHANE WALI EK MASOOM LADKI KO DESH DAROHI BOLTA HA...."

fir uski gun ka rukh minister ki or hua....

OYE MINISTER.. SAALA TU KHUD MUKHE MANTRI BANNE KE LIYE SHCOOL ME AATANKVADI BHEJTA HA.. MASOOM BACHHU KO JAAN SE MAAR DENE KI DHAMKI DEKAR APNE MOST WANTED CRIMINALS KO JAIL SE BAHAR KARANE KI SAZISH RACHTA HA. EK AAM SI LADKI JISKE ANDAR MAA KAALI UTAR AAI THI. TU USAY DUSHMAN DESH KI SAZISH BOLTA HA. THUUUUUU HA TUJHPAR. EK KURSI KE LIYE TU EK AISI LADKI PAR AAROP LAGATA HA. JISKE ANDAR MAA KALI KI SHAKIYON KI JHALAK DIKHAAI DI HO..

AFSOS HA MUJHE MERE DESH KI JANTA PAR BHI... JO EK PAL ME APNI HI BETI KO "SANJANA MAA" BANA DETE HAN TOH DUSRE HI PAL IN HARAMI MINISTERS KE JHUTE, MANN GHADAT SHABDO PAR APNA DHARAM TAK BADALNE LAGTE HAN..

narain mishra ke sath sath sab moh phade usay dekh rahe the. ise kiya hua. kuch der pehle yahi badh chad kar bol raha tha. yahi sabse aage tha. yahi sabse keh raha tha. kothi ko hi uda do.

ab yahi keh raha tha. sab jhute han. farebi han. makkar ha, daghabaz han.

uska papa uske saaamne aaya aur uske moh par thappad maar dia.

"kya bakwas kar raha ha tu"

thappad ke badle me awaz sunaai di..

HAHAHA...HAHAHA...HAHAHA...

SAMRAT.....SAMRAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAATTTTTTTT HOOOOON MAIN...

jaise hi ye shabd uske moh se nikle toh kothi ek andar bethi hui natasha uth kar nachne lagi..

"OHH JIO MERE SAMRAT..SAHI SAMAY PAR AAYE HO"

sabko QUEEN aur SAMRAT wali puri baat yaad aa gai..

sabke moh se bas itna hi nikla... kya SAMRAT sach me ha...

natasha : haan!! QUEEN ha toh SAMRAT bhi ha. ab dekhna kaise sara matter solve hota ha.

sab tv par nazren gadaye bethi hui thi. puri kothi me ekdumm se shanti phel gayi thi.

.
.
.
.
.
.
Aaj Ke Liye Itna Hi Mitro! Milte Han Agle Episode Ke Sath Jald Hi..

::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::
Marvelous awesome fabulous jabardast Shandar update bro
 
parkas

Prime
23,036
52,939
258
Episode:03

daksh samudra me tairta hua aage badhne laga. daksh ki life 6 saal pehle jaisi bhi thi, par ghar se nikalne ke baad ki life daksh ke liye adventurous life ban gayi thi.

apnu se mili dhutkaar ne daksh ko ek naya jeevan de dia tha. 6 saal marine life ji kar daksh wo ban chuka tha. jo woh apne desh me, apne pariwar ke sath reh kar nahi ban sakta tha.

shimuna ke daksh ki life me aa jaane se daksh ki adventurous life aur bhi zayada adventurous, thrilling ho gayi thi. jaisa aur jitna shimuna ne daksh ko bata diya tha. daskh shimuna se sab sun aur jaan kar pehle to heran hua tha. par fir baad me wo khush bhi ho gaya tha..

daksh pichhle 6 saal se aisi hi life to ji raha tha. khatron me bina darre kood padna uska shauk ban gaya tha. according to shimuna daksh ke liye ab aage ki life ek dangerous life me badalne wali thi. puri dunya nimoons ke sath sath daksh ki raah par bhi lagne wali thi. daksh to tha hi khatron ka manjha hua khiladi.. khatra kitna bada hi kyun na ho, daskh hamesha datt kar saamna kiya karta tha.

nayi milne wali chunauti ko bhi daksh ne pure mann se accept kar liya tha. koi tha nahi ab uski zindagi me, apna desh apna pariwar wo chhod chuka tha. apne naye ban chuke dushmano se ladte hue agar wo mara bhi jata ha toh kisi ko kaano kaan khabar bhi nahi honi thi. khabar ho bhi jaati to kaunsa kisi ko fark padne wala tha. koi nahi ab uske liye rone wala.

shimuna : daksh bohut der se khamosh ho tum! why?

daksh : (lambi saans chhodte hue) tum to mere andar ho shimuna, mere vichar nahi jaan sakti kya tum?

shimuna : daksh main to tumhare andar ki wo baat bhi jaan sakti hon, jo tum bhi nahi jaante, tum wo bhul chuke ho. par main bina tumhari permission ke aisa kuch nahi kar sakti. It is bad to take interest in someone's personal thoughts daksh!!

daksh shimuna ki baat par muskura pada

daksh : (glad) shimuna you can be my good freind!

shimuna bhi daksh ki baat par khush ho gai.

shimuna : definitely main tumhe tumhari dunya ki sabse best friend ban kar dikhaungi daskh. mere liye badi khushi ki baat ha daksh, jo earth par aate hi mujhe tum mil gaye. mujhe tumhare jaisa dost shayad hi earth par milta.

daksh : mujhe bhi kuchh aisa hi lag raha ha shimuna.. warna pichhle 6 saal se maine kabhi kisi ladki se dosti nahi ki.

shimuna : (shocked) why?

daksh : jald hi reason bhi bata dunga. mujhe lagta hai, tum hi wahi ho, jis ke aage main apna dard khol sakta hon.. warna to koi is dunya me mujhe aisa mila nahi jis ke saamne main khud ko khol sakun..

shimuna : (chirp) i am glad to know that i am becoming special to you.

daksh : tum hamari dunya se nahi ho na aur fir tumse zayada der kuch chhupaya bhi to nahi ja sakta.. tum to mere andar samaai hui ho aur jaane kitne samay tak tum mere andar hi rehne wali ho. mujhe bhi tum jaisi hi ek dost ki zarurat thi. mujhe bhi jo ek dost ki kami feel hua karti thi, aaj woh bhi puri hote hue nazar aa rahi ha..

shimuna : main samjh sakti hon daksh, zarur tumhari zindagi me kuch aisa hua ha, jis bina par tum aise ban gaye ho.. par main tumse wada karti hon daksh.. kabhi bhi apni had se aage badhne ki koshish nahi karungi. apni power ka galat use nahi karungi.

daksh : woh to theek ha, par abb main aise aur itni raftar se to nahi tair sakta.. agar mian aise hi tairta raha to main fir wo hasil nahi kar paaonga, jiski talash hum dono ko ha. main ye bhi to nahi janta wo samudra ke kis area me milengi mujhe.

shimuna : dd-daskh mere paas ek solution ha, aa-agar tum ghussa na karo to

daksh : isme hichkichane ki kya baat ha. ye to achhi baat ha shimuna jo tumhare paas koi solution ha

shimuna : daksh baat hichkichane ki ha bhi aur nahi bhi

daksh : shimuna mujhe lagta ha hamare beech ye formality ab khatam ho jani chahiye. aise to hum har baat par vichar hi karte rahenge aur kaam ki baat hum kabhi nahi kar payenge.

shimuna : sahi kaha tumne daksh.. mujhe to vaise bhi koi problem nahi hone wali thi. baat to tumhari ha. kyunki main tumhare andar hon. aur jo baat main kehne jaa rahi hon, uska connection tumhare brain se tha.

daksh : brain se? shimuna khul kar kaho jo bhi kehna chahti ho!

shimuna : daksh jab se tum is dunya me aaye ho. apni ankhon se tumne jo kuch bhi dekha ha, kaano se jo kuch bhi suna ha. wo sab tumhare brain me save ha. par tumne kabhi uska use nai kiya. tum apni us memory se anjaan ho. askar sab dekha suna hum regularly yaad nahi karte toh hum usay bhulne lagte han. par wo neurons me maujud rehta ha.

daksh : hmmm ye to tum sahi keh rahi ho.. aage bolo

shimuna : tumhare brain me utar ke main wo sab kuch read kar sakti hon daksh, jo tum bhul chuke ho. jo tum yaad nahi rakh paaye, main wo bhi read karke apni memory me save kar sakti hon aur meri memory tumhari memory se kahin badhkar ha. mera brain tumhare brain se kahin badhkar powerfull ha. daksh tum mujhe samudra me mile the.. toh tum ek marine life jeene wale insan huwe..tum bohut se aise bhi logon se mile hoge, jinse tumne samudra me paai jaane wali rare cheezon ke baare me suna hoga, books me padha hoga, pics dekhi hongi. tum wo sab yaad nahi rakh sakte.. par agar tum mujhe permission do apne brain me ghusne ki toh main wo sari jaankari wahan se prapt kar sakti hon.

shimuna ki baat sunkar daksh ko 440 nahi 1000+ volts ka jhakta laga tha. shimuna ki baaten sunkar samudra ke paani me hi uska mohn khula ka khula reh gaya tha. bahar hota to zarur koi na koi makhi daskh ke mohn me ghuss jaati.

daksh : asambhav!!!

shimuna : sab kuch mumkin ha daksh, main apne planet ki princess hon, hamare planet par king pariwar ke paas bohut si shaktiyan hoti han.. mujhme bhi han. yahi shaktiyan lozan bhi pana chahta ha..

daksh ne ek lambi saans chhodi... apne dono hathon ki mutthiyon bana kar band karke aur khol kar dekhne laga.

daksh : jab se tum mujhe mili ho shimuna, mujhe sab ajeeb dekhne sunne ko mil raha ha. agar tum sach keh rahi ho shimuna, toh fir ye aur bhi achhi baat ha.. isse kaam jaldi hone ki sambhavana ha. warna mai kahan pure samudra me maara maara firta rahunga. main jaanta bhi to nahi keh wo rare things mujhe kahan se prapt hongi.

shimuna : uske liye mujhe tumhare barin ko khangalna padega daksh!!

daksh : aur mere brain ko khangalte samay tumhe milegi meri guzri zindagi ki wo dastan, jise maine aaj tak sab se chhupa kar rakha hua ha.

shimuna : haan aisa bhi ho sakta ha daksh.. par main tumse wada karti hon. mai tumhare brain ke us hisse me nahi ghusungi jahan tumhare secrets save han.

daksh : (sad) nahi shimuna tum chaho to wo sab bhi jaan sakti ho.

shimuna : nahi daksh, woh sab main tumhare mohn se sunna chahungi, khud se main aisa nahi karna chahti. ye achhi baat nahi hogi, na tumhare liye aur na hi mere liye. tumhare memory ko search karte samay main jo kuch bhi dekhongi, wo sab tumhe bhi dikhaai dene lagega.. isse tum par zarur achha asar nahi padega.

daksh : (breathe) haan sahi kaha tumne shimuna, main abhi wo sab kuch firse yaad nahi karna chahta.

shimuna : toh tumhari orr se mujhe permission ha daksh?

daksh : Go Ahead!!

daksh ki permission milne par shimuna daksh ke dimaag me ghus gai.. wahan se wo daksh ki zindagi me aaye huwe logon ko search karne lagi. daksh ki samudra se judi sari info search karni shuru kar di. koi vyakti agar daksh se mila tha ship par, usse hui sari baaten, uske paas dekhi hui books, un books me maujud rare things ki rare pics, daksh jo books khud se library me ya ship par padh chuka tha. shimuna wo sab bhi search karne lagi..

jaise jaise shimuna aage badh rahi thi, vaise vaise samudra ke paani me rehte hue daksh ki ankhon ke saamne bhi ek film si chalne lagi thi. jahan daksh tha, wo samudra ka kam gehraai wala area tha. wahan daksh ko koi khatra nahi tha. daksh ko samudra me kuch aur dikhaai nahi de raha tha. kuch dikh raha tha toh wo sab kuch dikh raha tha daksh ko, jo shimuna daksh ki neurons me search kar rahi thi.. daksh ko apna guzra samay firse dikhne laga. guzra samay yaad kiya jaaye toh wo hamesha achhi buri yaaden dono lekar aata ha. daksh bhi achhi buri dono yaadon me jaane laga.

shimuna ki search ki waja se daksh ko brain me bohut peedan bhi hone lagi thi.. daksh ne apne sarr ko dono hathon se thaam liya tha.

40 mint tak shimuna daksh ke brain me busy rahi.. sari info search karke usay apne brain me utarne lagi. tab tak daksh ki halat bohut kharab ho chuki thi. ye baat shimuna ne pehle daksh ko nahi bataai thi. shimuna khud bhi sab kuch jaldi kar lena chahti thi.

shimuna apne kaam se free hui to daskh behosh ho chuka tha. ab shimuna ke liye tension nahi rahi thi. daksh jo kuch nahi jaanta tha, jo kuch daksh bhul chuka tha. shimuna wo sab kuch jaan chuki thi. konsi rare thing daksh ke liye sabse best han aur kahan kahan uske milne ki sambavana hai, shimuna jaan chuki thi..

behosh ho chuke daksh ko shimuna ne apni power ka use karke samudra me tairana shuru kar dia. shimuna daksh ko flash speed se samudra me leke ek side me aage badhne lagi.

:::::::::::::::::::::

daksh ek island ke sahil par tha. shaam hone wali thi.

daksh ko hosh aaya toh wo apni ankhen kholne ki koshish karne laga.. ankhen to daksh ki nahi khul paai thee, par uske mohn se dard ke kaaran karahen zarur nikalne lagi thee.. daksh ko apna pura jism phode ki tarah se dukhta hua mehsus hua..

daksh ne sar hilane ki koshish ki toh uski cheekhen nikalne lagi..

daksh : sshhh--shimuna ye mujhe itna dard ko kyun ho raha ha

shimuna : sorry daksh ye sab meri waja se hua ha. mujhe aisa karna pada daksh.. tum to behosh ho gaye the. mujhe apni power use karni padi. jo kuch mujhe tumhare liye chahiye tha... wo sab dhundne ke liye mujhe 4000 mile tak samudra ko search karna pada.

daksh : (shocked) kyaaaaaaaaaaaaaa?

shimuna : haan daksh uske liye mujhe wapis ek baar firse afirca ke samudra ki orr jaana pada tha.. apni puri speed ka use kiya ha maine daksh. 6 ghanton me maine 4000 mile tak ke samudra ko chhan maara tha.. meri power ka aisa use tumhara sharir sehn nahi kar paaya aur tumhari aisi halat ho gai.

daksh : (karahte hue) kuch mila bhi ha ya aise hi khali hath laut aai ho.

shimuna : (chehakte hue) haan mila na, bohut kuch mila ha mujhe daksh..

daksh ko khushi bhi hui par dard ka ehsas bohut badhkar tha.

daksh : mere is dard ka kuch karo shimuna.. mujhse sehn nahi ho raha ye dard!!

daksh ki halat sach me hi bohut kharab thi. daksh ek insaan tha, ek nimoon girl ne apni power ka use kuch zayada hi ek insan par kar dia tha.

shimuna : daksh tumhare right hand me ek ocean flower ha, usay mohn me lekar chabaao.

shimuna ki baat par daksh ko apne right hand me kisi laplapi si cheez ka ehsas hone laga.. apni bachi khuchi shakti ka pryog karke daksh ne apne hath me maujud samudri phool ko apne mohn me daal liya.. daksh ko us ocean flower ka taste bohut zayada kadwa laga.. wo usay ugalne wala tha. par shimuna ne usay rok diya.

daskh mohn se to kuch nahi bol sakta tha. mind me hi wo shimuna se bol pada.

daksh : aisa lag raha ha shimuna jaise mere andar ki antadiyan tak bahar aane wali hon. kitni jaldi is samudri phool ka ras mere andar tak phel gaya ha.

shimuna : yahi to khasiyat ha daksh is phool ki. dekhna kitni jaldi tumhara sara dard jaata rahega..

daksh ke liye us kadwe phool ko chabana zeher chabane ke barabar tha. par marta kya na karta, usay wo phool chaba chaba kar nigalna hi pada.

daksh ko apne seene me jaise bhanwar se bante hue mehsus hone lage the..aisa lagne laga jaise uske sharir me koi unwanted cheez ghus gai ho... jo khaya tha, wo pet me utar ke apna asar dikhane laga tha. daksh ki cheekhen firse shuru ho gaee.. shimuna kuch nahi boli. kuch bol kar koi fayda bhi to nahi hone wala tha.

daksh kuch mint tak cheekhta, chillata, tadapta raha.. fir wo ekdumm se shaant pad gaya.. agar koi dekhta to yahi samjhta, daksh mar chuka ha.. daksh ki saans tham chuki thi. body me koi bhi movement dekhne ko nahi mil rahi thi.

ye condition bhi zayada der barkraar nahi rahi.

daksh lete lete hi kisi adiyal ghode ki tarah ekdumm se hi palti khaa kar uth khada hua.. daksh apni ankhen baar baar bhench raha tha. apni mutthiyan wo baar baar khol aur band kar raha tha.. apne dono pair utha utha kar wo bade zor se sahil ki ret par maar raha tha..

daksh firse cheekhne chillane laga.. is baar ka cheekhna kuch aur andaz me tha.. koi dekhne wala hota to wo daksh ko dekh kar yahi kehta "paagal ha saala"

shimuna bhi daksh ki halat par hassne lagi thi. daksh ka dard hi khatam nahi hua tha, sath hi daksh ke andar shakti bhi bohut badhne lagi thi. shakti badhi toh daksh ki dimagi halat bhi uske control se bahar hone lagi thi. ocean flower ki kadwahat aur heat ne bhi daksh ke andar shakti aur aag bohut badha di thi. shimuna ye sab jaanti thi. wo ye bhi jaanti thi, daskh ki aisi halat zayada der nahi rahegi.. daksh jald hi theek bhi ho jaayega.

bass wo daksh ki halat dekh kar khub hass rahi thi. daksh bhi shimuna ki hansi me apni hansi ki awaz milaye sahil par idhar udhar daudne laga.

daksh ne ya shimuna ne ek baat par dhayan nahi kiya tha. jitni speed ka pryog kiya tha shimuna ne samudra me, usi speed ki waja se daksh ka underwear samudra ke kis area me utar gaya tha, shimuna ya daksh dono nahi jaante the. ocean flower ki heat ne daksh ke jism aur dimag me hi aag nahi bhari thi. daksh ke lund me bhi ek bhayankar aag bhar di thi..

daksh ki bhaag daud se daksh ka lund bhi sath me hi uchhal kood macha raha tha.. jiska akaar apne pure joban par tha. jiski sakhti hamesha se kahin badhkar thi.

tumblr-p9pa4f-HTBw1t1dytvo1-640

:::::::::::::::::::::::

har ghar me, har mohalle me, har gaon me, har town me, har shahar me, har state me, har country me ek haakim hota ha.

ghar me, mohalle me ya fir gaon, town ya shehar me jo sabse bada hota ha. jiski baat sunna wahan rehne walun par farz hoti ha.. aiso ko haakim kaha jata ha.

ghar me, mohalle me agar koi ek bada ho, kisi ek ka order chalta ho to negative soch rakhne wale khud ko uski jaga par laane ke liye sar dhar ki baazi bhi laga diya karte han..

kahin ladaaiyan hoti ha to kahin sazishen janam lene lagti ha. kisi par hukumat karna, har power rakhne wale ki soch hua karti ha. zayada power rakhne wala aur bhi ilake apne under lene ki koshish karta ha. toh wahin jiske pass power na ho, woh power paa kar hukumat karne ke khawab dekhne lagta ha.

hamari earth par 5-7 desh bohut powerfull desh han.. sabse powerful country america ha.. jaise uski soch ha, all world par kabza karne ki, har desh me apna jhanda lehrane ki, har kisi ke sar ko apne aage jhuka hue dekhne ki. jis desh me koi insan khaas ho, uske andar abilities ka bhandaar ho.. usay apne under lene ki koshish karte han. jis desh me kuch aisa paaye jaane ki sambhavana ho, jise paa kar wo aur bhi powerfull ban sake. toh fir wahi apni power ka use karke us desh ya us jaga ko apne under lene ki koshish karte han.

hukamran banne ka sapna dekhne wale all universe me paaye jaate han. jaise prithvi par america ha toh

nimoonica me lozan ha.. lozan bhi ek negative soch rakhne wala nimoon tha. power ke lalach me, nimoonica ka king banne ke chakkar me wo apne kuch sathi bana kar saazishen karne laga.

lozan fir nakam nahi raha, kai saal tak sazishen karne ke baad lotham se usne singhasan chheen liya.. par usay kuch prapt nahi ho saka.

According to Nimoonica's laws.....

lozan ko sab ke saamne shimuna ke sath sambhog karna tha. sambhag ke baad fir shimuna ke sath wahin moka par shadi karni thi. lozan king banta aur shimuna malika. shadi ke foran baad shimuna ke pure pariwar ke sarr kalam kar diye jaate.

par.....

shimuna ko ye sab manzoor nahi tha. ek malika banne ki chah uske dil me bhi thi. par apne pariwar ko wo marta hua nahi dekh sakti thi. apne planet par wo lozan ko king bante bhi nahi dekh sakti thi. shimuna jaanti thi lozan kitni ghattiya nature ka nimoon ha. ek bar lozan king ban gaya to fir uske planet wale khushiyon ko tarasne lagenge.. lozan king banne ke baad power paane ka haqdar bhi ban jaata.. fir power paa kar wo pure planet par aur aas paas ke planets par tabahi macha deta..

shimuna lozan ki nature se bakhubi waqif thi.. isi kaaran wo apne planet se bhaag kar earth par aa gai.. kisi dusre planet par bhi wo nahi jaa sakti thi. wahan wo lozan se mehfuz nahi reh sakti thi. ek earth hi usay mehfuz dikhi toh wo fir earth par aa gai..

usay bhaagte hi lozan ko bhi khabar ho gai.. lozan ne apne sabse khaas aur darinda sift warriors ko shimuna ke piche laga diya.. wo bhi shimuna ke piche earth par aa gaye.. par wo shimuna ko paa na sake.. daksh ki surat me shimuna nimoons ki nazron se mehfuz ho gai. ab shimuna ko paa lena nimoons warrirs ke liye asaan nahi tha.
.
.
.

.
Aaj ke liye itna hi mitro.. Read and enjoy this update.. Reviews ke liye to kehna hi nahi padega mujhe. 2 update me hi itna zabardast prem dekh kar mere mann ko bohut khushi mili ha.:vhappy:

::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::
Nice and awesome update.....
 
The angry man

Active Member
960
3,011
138
Episode:35

rajeev sharma bhi aaj full form me the. ek gun unke hath me bhi thi...

sabse pehle us gaddar guard ko bandha gaya. fir sab apne liye jaga ka chunao karne lage. parivar ke mard pehle kabhi aise mood me nahi aaye the. aaj khushiyan mili thi toh khun ki holi khelne ke liye bhi tayyar the.

sanjana ne natasha ke hath ko thaam liya : didi aap toh badi kamaal ki nikli..

natasha jise pura pura ab sanjana ko leke pura pura ehsas ho gaya tha : hum dono ek samman han na. hum dono ek hi taar se judi han na. mujhe lagta ha--

sanjana : GURU JI aaye honge aapke paas.

natasha ne GURU JI ka suna toh sanjana ko badi shiddat ke sath khud se lipta gayi..

natasha : meri behen, main bata sakti main kitni khush hon. mujhe lagta ha, jisse main mili thi woh bhi hum panchu me se ek thi.

sanjana khush hoke : didi kisse mili thi aap.

natasha : baad me bataongi. pehle inko dekh lete han.

sanjana : ladna sahi nahi ha didi. humen dusre tarike se is matter ko handle karna hoga. jaisi surat e haal bani ha, mujhe lagta ha kuchh hi der me media bhi pohnch jaayegi.

natasha ko bhi laga uska QUEEN ke roop me saamne aana sahi nahi hoga..

natasha : theek ha, par main in kutton ko nahi chhod sakti.

sanjana : main konsa inko chhodne wali hon. ye aur bahar ke kutte woh bhi khatam honge didi.

wahi hua jo sanjana ne anuman lagaya tha. waaki me hi bahar media ki kai gadiyan aa gai.

sanjana : bhai ghar me koi loud speaker ha kya.

natasha : uska kya karne wali ho tum..??

sanjana : mai chhat par ja kar media se baat karungi..

sanjana ko apni value ka bakhubi ehsas ho gaya tha...

kothi ke andar se sanjana ko uske matlab sa sab mil gaya tha.. security ke liye aisa intezam kiya gaya tha. sanjana kuchh der me chhat par khadi hui bahar dekh rahi thi.

kothi ko charon sides se narain ke admiyon ne ghera hua tha.. kuchh doori par sanjana ko police aur media ki gadiyan bhi dikhi..

wahin media wale bhi sanjana ko dekh gaye the.. sanjana ko toh door khade hue aam log bhi dekh gaye the. jahan woh pehle heran hue the. ab sanjana ko dekh kar shor machane lage. sanjana maa ke naam ki mala japne lage..

sanjana ko foran hi live dikhaya jaane laga..

sanjana : aap sab mujhe yahan dekh kar heran ho rahe honge.. main aap sab ko bata dun. school me jo kuchh bhi hua tha. woh maine nahi kiya tha. woh sab MAA KALI ke aashirvad se mumkin hua tha. hazaron bachhu ki zindagiyo ki raksha karne ke liye MAA ne mujhe shakti di thi.

main toh ladna nahi janti thi. ladna bhi seekh gayi aur sabhi aatanvadiyo ko maar kar apne bachhu ki jaan bhi bacha gai.

ye sab MAA ki di hui shakti se hua ha. MAA ne hi meri life se juda hua sara gyan mere mann me utaara.. main jaan gayi, main anath ladki nahi hon. main delhi ke famous business tycon dilip sharma ki poti hon. main gautam sharma ki beti hon.

bade dukh ke sath mujhe ye kehna pad raha ha. hamare payare desh me bohut se log aise bhi han, jo bina matlab ki dushmani ke liye intehai ghattiya pann par utar aate han.

isi city ke famous business tycon narain mishra mere parivar ke business rival han. ye baat pura shahar bhi jaanta ha.

bade papa rajeev sharma ki beti TARA jiske baare me aap me bohut se logon ne suna hoga. woh dedh saal ki umar me hi lapata ho gai thi. mera janam ek hospital me hua tha. wahin se mujhe mere parivar se door kar dia gaya tha.

aisa sab karne wala koi aur nahi narain mishra aur uska parivar ha.

niche kothi ke andar bhi sab live dekhne lage the. sab sunkar dukhi hone lage. sanjana ka bola ek ek shabd sach tha.

sanjana ruk kar sabko dekhne lagi.. mic apne moh ke saamne kiye woh bol rahi thi.
sab sun rahe the. media sab live telecast kar rahi thi.

sanjana : main aur meri behen dono par hi MAA ki kripa hui ha. meri tarah woh bhi laut aai ha. TARA didi lautte samay apne sath narain mishra aur uske do beton ko bhi apne sath laai ha. narain mishra aur uske dono beton ke sath sath uske parivar ke sabhi sadasy hamare kasurwar han. aur hum unhe maaf nahi kar sakte.

apne bachhu ko bachane ke liye maine bohut se anginat aatanvadi maar diye.. toh narain mishra jaise log bhi meri nazar me kisi riyaayat ke layak nahi han. main aap sab se keh dena chahti hon. narain mishra aur uske parivar ke kaaran mujhe aur meri didi ko barson anatho ki zindagi bitani padi ha. mere pure parivar ko khun ke ansu rona pada ha. main aur meri didi narain mishra aur uske parivar se badla le kar rahenge.

sanjana ke ek ek shabd me goonj thi. Maturity thi. aam janta toh sanjana maa ke liye pagal ho chuki thi. sanjana ke moh se nikla ek ek shabd unke liye jaise dharam ban ke reh gaya tha.

par police ya narain mishra ke parivar ke liye ye sab sehn kar jana mumkin nahi tha.

sanjana ke is live telecast ne pure desh me tahalka macha kar rakh dia tha.. narain mishra harami tha. gandi nature ka tha. bura tha toh bure logon se bhi usse sambandh the.

narain mishra aur uske bete ye sab sunkar dare nahi the. unhe aas mil gai thi. woh jaan gaye the. sanjana ke aisa kar jaane se desh bhar me maujud unke friends, partners unko bachane ke liye kuchh bhi kar jaayenge..

sanjana khamosh hui toh kothi me reh rahe sabhi ko sanjana ki ek ek baat sahi lagi. wahin pure desh me telephone ki, mobile ki ghantiyon par ghantiyan bajne lagi.

natasha bhi wahin chhat par aa gayi..

sanjana ne mic side rakh dia tha. ab wait ke siva ke koi aur chara nahi raha tha.

natasha bhul gai thi. usay sab surat se pehchante han. mahino purani baat woh bhul gai thi. usi samay media ne usay live telecast karna shuru kiya toh ek naya hungama shuru ho gaya..

pehle bhi natasha ko lekar pure desh me news chalti rahi thi. firse chalne lagi toh sanjana wale tahalke se bhi bada tahalka mach utha.

natasha jo sanjana se uski kahi baat kar charcha kar rahi thi. niche se ek naukrani bhagti hui aai..

naukrani : malikan aap natasha han na.. wahi jutu ke sath udne wali.. tv par aapke baare me bata rahe han.

natasha ko khud par ghussa aaya. woh foran niche jane lagi. sanjana bhi uske sath niche jaane lagi. ab usay bhi yaad aa gaya tha. natasha ko toh pehle bhi tv par dekh chuki thi.

mummy : TARA beti, tum toh sab ke saamne expose ho gai ho.

natasha : mummy! jo hona tha woh ho gaya. ab aage ka sochte han.

bhabhiyan toh bas sanjana aur natasha ko hi dekh rahi thi. woh badi heran thee. kaise ghar me biyah kar aayi han. jahan ki do do ladkiyan extraordinary thee.

dono wahin beth kar news dekhne lagi..

sanjana : didi ye toh sach me gadbad ho gayi. aise toh hamare parivar ke liye problems create hone lagengi.

ek bhabhi ne channel change kiya toh wahan sanjana par kuchh charcha chal rahi thi.

bhabhi : sahi toh kuchh bhi nahi hua. aapne jo kaha woh bhi kisi ko hazam nahi hua.

dadi : ab narain ke sare dost milkar usay bachane ki sochenge.

sanjana : kuchh bhi karte toh aisa sab toh dekhne ko milna hi tha. kothi me maar dete toh bhi hamare liye preshaniyan khadi ho jaati. ab unhe chhod nahi rahe han toh bhi dikkaton ka saamna karna padega. chhod dia toh baad me bhi aise hi halaton se vaasta padta rahega. ab dushmani khuli ha toh ladai bhi khul kar hogi.

sanjana mummy : jaisa haal TARA beti ne un teeno ka kiya ha. media toh khub uchhalegi is baat ko.

mummy : narain ya uske parivar wale ab chup nahi rahenge. pehle hamari ladai is had tak nahi aai thi.

natasha : ab yahan rehna safe nahi rahega.. mere paas ek island ha. wahin sab milkar rahenge.

kyaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa..?? island!!

sab heran ho gayi

natasha : haan! QUEEN bani hon toh ek secret base ki bhi zarurat thi mujhe. bohut bada island ha woh. wahan hum sab milkar rahenge.

bhabhiyan excited ho gai thi..

ek bhabhi : woowww! how romantic! aisa hi toh maine sapna dekha tha, ek island par rehne ka. jo sirf aur sirf hamara ho.

sab hasne lagee.

narain ka ek beta aur pote jo kothi ke bahar maujud the. woh live tv par dikhai de rahe the. hathun me guns liye woh bohut ghusse se bol rahe the. narain mishra aur dono ko bachane ke liye woh kuchh bhi kar jayenge. aisa bol rahe the.

police ke bade bade adhikari bhi wahin aa gaye the. khub hungama mach utha tha. ab ladai toh hone se rahi. live ladai koi bhi nahi lad sakta tha.

IG of police wahin ek camera ke saaamne bolne laga.

"SANJANA MAA ye sab kya ha. plz aap is sab ko band kar den. ye sab sahi nahi ha. aise ladai badh jayegi. aur khun ki nadiyan behne lagengi. puri dunya me hamare desh ka mazak bankar reh jayega"

mummy : sanjana beti! IG sir! sahi bol rahe han.

sanjana bhi tv par IG Ko sunte hue : kyun didi! kya karna sahi rahega.

natasha : chhod toh nahi sakte hum teeno ko.

dadi : TARA beti! baad me bhi toh sabko maar sakti ho. ab chhodna hi sahi rahega.

ek bhabhi : TARA hi natasha bhi ha. toh ab shoes wale matter ko leke bhi sab chup nahi bethenge. maamla bohut upar tak jaane wala ha.

dusri bhabhi : mere papa bhi toh minister han. woh kuchh nahi hone denge apni beti ke sasural walun ko.

sanjana : koi hamara kuchh nahi bigad sakta bhabhi.

bua : TARA beti! jaise tum pehle inhe inke bil se nikaal lai thi. baad me bhi vaise hi nikaal sakti ho. ab tumse toh ye chhup nahi sakte.

natasha : sahi kaha bua ji aapne.. mujhse bach pana ab unke liye mumkin nahi rahega.

natasha aur sanjana uthi toh mummy aur sab bhi uth khadi hui. ab firing ka koi khatra nahi tha. isliye sab bhi kothi se bahar nikalne lagi.

narain mishra aur uske beto ke paas pohnche toh papa, chacha, fufa aur sare bhai bhi wahin aa gaye.

papa : toh barson baad milne wali pehle kamyabi humse door hone ja rahi ha.

ek bhai gun ko lehrate hue : maar dete han teeno ko. jo hoga dekha jayega. ek baar ye hamari nazron se door hua toh milna mushkil ho jaayega. saanp ko jitni jaldi maar do, utna hi achha ha. pata nahi fir bad me kis bil se nikal kar das le.

dusra bhai : sahi kaha tumne bhai. fir natasha ko dekhta hua.. TARA meri behen pehle kahan se mile the tumhe ye teeno. aur kaise utha laai thi tum teeno ko.

natasha : bhai main QUEEN bhi toh hon na. QUEEN kisi ko dikhaai nahi deti.

sab ko yaad aya toh chinta wale bhav sabhi ke chehro par se jaate rahe.

bahar aur bhi kai bade bade ministers aaye hue the. woh bhi public war nahi chahte the. par zayada tar aise bhi the jo narain mishra ko marne nahi dena chahte the. narain mishra unke bade kaam ka banda tha.

ek minister woh bhi tha, jiske terrorists ko sanjana ne school me maar dia tha. woh bhi is moke ka bharpur fayda uthane ki soche hue the.

sanjana apne bhaiyo ke sath gate par gayi aur chhota gate khol kar IF of police ke sath sath do aur ko andar aane ko bol dia.. narain mishra ka beta aur pote bhi aana chahte the. par unhe nahi aane dia gaya.

woh andar pohnche toh gate band kar dia gaya.. andar narain mishra aur uske beto ka haal dekh kar ghabra gaye.

IG : sanjana maa! ye sahi nahi hua ha. aise baat sambhali nahi jayegi.

sanjana : IG sir! inke liye baad me bhi koi maafi nahi ha. ye ab nahi toh baad me zarur marenge. fir baat jitni bhi bigarti ha bigad jaaye. abhi desh ki shanti ka maater bana hua ha toh inhe chhod rahe han. warna hamara aisa koi irada nahi tha.

IG police aur uske sath aaye baki ke do bhi kadwe ghunt pi kar rah gaye.

natasha : IG sir! aap inhe lejaane ka intezar kar sakte han. lekin pehle bahar ke khade huon ko pehle yahan se hata dia jaaye. kahin aisa na ho hamara irada badal jaaye aur tal chuki war firse shuru ho jaaye. dekh rahe han aap mere papa, chacha, fufa aur bhaiyon ko. sab ke sab maar dene aur mar jaane ke liye ready han.

IG aur dusre dono bade adhikari sabko dekhne lage.

fufa : aap mujhe jaante hi honge IG sir!. main kitni shaant nature ka hon. matter hamare khandan ki bachhiyon ka, izzat ka ha, hum mar toh sakte han, par piche nahi hat sakte. humne kuchh samay ke liye apne hath roke hue han. kuchh samay ke liye khud par control banaye hue han. jo mann me thaan lete han, woh kar ke rehte han. meri betiyon ne keh dia. ab in sabhi kutton ka akhri samay shuru ho chuka ha toh aisa hi hoga. ab se hum sab ka ek hi maksad ha. apne dushmano ka khatma. jab tak ye haramzade rahenge. humen chain se jeene nahi denge.

kuchh minto me kothi ke saaamne se narain aur uske bete poton ko side kar dia gaya. media ki gadiyan bhi kuchh doori par ja khadi hui thee.

teen ambulance kothi ke andar dakhil hui, jo emergency ke liye wahin kuchh fasle par khadi thee. ambulance ko andar ghuste dekh kar narain ka beta aur pote ghusse me aa gaye. woh samjh gaye, andar unke apnu ko torture kiya gaya ha.

narain ko jab ambulance me daala jane laga toh khuni ankhon se sabko dekhne laga.

narain : dekh lunga, sab ko dekh lunga. ab dushmani ke rang badal hi chuke han toh main bhi dikhaa dunga main kitni power me hon.

papa : kutte ki jaan kya bachi kuchh der ke liye, sher banne laga.

HAHAHAAHAHAHA.. sab zor se hasne lage.

natasha : jaao jaao narain mishra jaao. tum hospital bhi pohnch paate ho ya nahi. baki sab bhul kar bas itna hi sochho. jaise pehle tujhe aur tere pillon ko utha laai thi. aise hi firse utha laaongi. aur is baar kisi ko khabar bhi nahi hone dungi. is baar tu akela nahi hoga. tere parivar ke sabhi mard honge. tere saamne hi ek ek ko kaatungi. sabse akhir me tera ant karungi.

narain mishra QUEEN ko bhul gaya tha. jaise hi QUEEN ki baaten suni toh ghabra kar nazren chura gaya.

kuchh der me teeno ambulance kothi ke bahar thee. kothi ka gate band ho chuka tha.

teeno ambulance narain ke bete aur poton ke paas pohnch kar ruk chuki thi. door khol kar andar zakhmo se choot teeno ko lete dekha toh sab ghusse se pagal hone lage..

ek pota gun upar aakash ki or karte hue fire karne laga..

"koi bhi kutta zinda nahi bachega. sab ko maar dunga. mere dada, mere papa aur chachu ko torture karke maut ko awaz di ha.. main kisi ko bhi zinda nahi chhonga.

media bhi bhaag kar aage aane lagi toh usay aage nahi aane dia gaya. woh door rehte hue hi ambulance ke andar ka scene capture karne lage. par jitne gunde wahan the. teeno ambulance ke andar ka view dikhai nahi de raha tha.

gangster minister bhi cheekhne laga : ab aap sabko yakin aa gaya hoga. SANJANA MAA woh nahi han, jo dikhaai de rahi han. zarur woh khud bhi ek terrorist rahi hongi. jo terrorists school me mare the. abb toh mujhe lagta ha, woh sab SANJANA MAA ke sathi hoge. sab pehle se planed tha. dushman desh ki koi bohut badi chaal thi. apne kuchh admi marwa kar sanjana jaise aam ladki ko SANJANA MAA bana dia. hum sabki ankhon me dhul jhonkne ke liye itna bada plan banaya gaya ha. dushman desh ne isse pehle bhi kai baar aisi hi chalen chal kar hamare desh ki shanti ki bhang karne ki saazishen rachi han. is baar zarur koi mastermind is sab ke piche ha.

minister ke joshile andaz par sabke chhakke chhoot gaye.. sabki sochon ki dhara badalne lagi.

andar maujud sanjana ke sath sath natasha aur sab bhi bhuchakke reh gaye.. ekdumm se kaise is harami minister ne baazi hi palat kar rakh di thi. desh ki masoom janta dushman desh se judi koi bhi baat bina samjhe sach maan liya karti thi.

SANJANA MAA ke liye janta ke mann me aaya SAMMAN tootne laga. pura desh is samay sab live dekh raha tha. kuchh ghante pehle jo sab SANJANA MAA, SANJANA MAA kar raha tha. ekdumm se sab apne vicharon me hulchal si machti hui mehsus karne lage.

minister sabke chehre dekh raha tha. woh mann me bola.. ab dekhna sanjana maa main tera kya haal karta hon. tune mera sara plan chopat kar dia tha. par ab dekhta hon kaise mera plan aage nahi badhta. kaise main is desh ka mukhe mantri nahi banta. tujhe hi seerhi bana kar main desh bhar ki janta me aur bhi famous ho jaonga. fir dekhte hi dekhte main ban janonga is desh ka mukhe mantri.

natasha aur sanjana dono andar kothi ke andar ja ghusi thi. woh news par janta ke vichar jaanna chah rahi thi. media kisi ko hero heroine bana deti ha toh pal bhar me hi kisi ko bhi hero se zero bhi bana deti ha.

yahan minister ke bayan ke baad media ne alag angle se baaten karni shuru ki toh kuchh hi der me logon ke vichar badi speed ke sath badalne lage.

kothi ka gate band tha. andar sabhi hathiyar liye tayyar the.

minister : mujhe lagta ha ab media ko narain mishra aur uske beto ka haal jaanne ki zarurat ha.

narain mishra bhi minister ki baat sun gaya tha. woh bhi dilip sharma ko maat dene ke liye koi bhi rasta choose kar sakta tha. zakhmi tha, par dushmani ke aage woh khud ko bhul kar dushman ko chot dene ki soch betha tha. teeno ka first treatment bhi chalu tha. teeno ke zakham ambulance me hi clean karke dressing ki jaa rahi thi. usi samay par narian mishra aur uske bete, poto ke sath sath gunde bhi piche hat gaye aur media ko aage aane dia.

narain mishra : jaisa kuchh der pehle sanjana ne kaha tha. woh sab jhut tha. hamari dilip sharma se business ko leke dushmani toh ha, par hum itne ghattiya nahi ho sakte, unke ghar ki betiyon ko kidnap karen. mai nahi janta dono ladkiyan kon han. sach me hi woh dono ladkiyan dilip mishra ki potiyan han, ye dilip mishra aur uska parivar dushman desh ke sath milkar koi sazish rachne me laga hua ha.

narain ka beta aur pota toh narain mishra ko palatte dekh kar heran ho gaye the. narain mishra ke bayan badal dene par woh sab bhi usi ke andaz me sochne lage. woh bhi fir usi andaz me baaten karne lage.

SANJANA MAA ke liye jo achhe vichar abb bhi kaiyon ke mann me the. woh narain mishra ki baaton par badalne lage.

narain mishra : kothi ke andar maine itni guns dekhi ha. aisa laga mujhe, jaise pure shahar ko udane ka plan bana rakha ho dilip sharma ne.

kothi ke andar sab ke sab ab apne sar ko thaame bethe the. kisi ne guman tak nahi kiya tha. situaion aisi disha bhi badal sakti ha.

sanjana aur natasha dono sab ko dekh rahi thi. woh dono nahi ghabrai thi. baki sab ab ghabrane lage the.

mummy : TARA beti! tum kitne barson baad mujhe mili ho. kahin tum mujhse firse door toh nahi ho jaogi.

natasha : are nahi mummy ji.. aisa kabhi nahi hoga. ab toh hamara island par rehna majburi bhi ban gai ha. hum jald hi island ke liye nikal padenge.

sab tv par bethe hue narain mishra aur uske beto ke sath sath minister ki bhi kadwi baaten sun rahe the.

narain mishra ne ye bhi bata dia tha. kothi ke andar ki dusri ladki QUEEN ha..

halat bohut zayada kharab ho chuke the. sanjana aur natasha sab ko maarne lagti toh bhi aam janta me apna naam nahi bacha sakti thi. koi solution nahi bacha tha dono ke paas. dushman ko toh kabhi bhi maar sakti thi. par jo desh darohi hone ka khatab inhe dia jaa raha tha. uske jawab me woh kuchh bhi nahi bol sakti thi.

natasha bhi chahti toh QUEEN bankar bohut kuchh badal sakti thi. kaiyon ko maar toh sakti thi. par kisi ke vichar nahi badal sakti thi. vichar badalne ke liye achhe karam karne padte han. aur yahan koi bhi karam karne ko achha nahi tha.

GURU JI bhi is samay unke paas nahi aaye the. koi bhi baat nahi kari thi unhe ne.

narain mishra ka ek pota jo hathun me gun liye hue tv par dikhaai de raha tha.

woh ekdumm se hi zor zor se hassne laga..

HAHAHA..HAHAHA..HAHAHA..HAHAHA..HAHAHA..HAHAHA..HAHAHA..HAHAHA..HAHAHA..HAHAHA..

kothi ke andar ke sabhi tv par usay paglon ke jaise haste hue dekhne lage. wahin bahar media usay live capture karte hue herat me gum thi.

minister ko bhi laga, narain ka ye pota zarur paagal ho gaya ha.

firr...

kuchh hi der me uska pagalpan dikhaai bhi dene laga. uske hath me maujud gun ka rukh apne hi papa ki or hua..

"HAHAHA.....HAHAHA......PAAPi HA TU SAAALE.. KITNE JHUT BOLEGA TU SAB SE.. AYE NARAIN MISHRA, SAALE HARAMI, CHUTIYE, GANDI NAALI KE KEEDE..TUJH JAISA PAAPI BHI BHALA IS DAHRTI PAR KOI HOGA.. THUUUU HA TUJHPAR NARAIN MISHRA.. KOTHI KE ANDAR TOH PAIRON ME GIR KAR MAAFI MAANG RAHA THA.. JAAN KI BHEEK MAANG RAHA THA.. BAHAR AATE HI KUTTE SE SHER BANNE LAGA HA..APNE HI DESH KE HARAZON MASUMO KO BACHANE WALI EK MASOOM LADKI KO DESH DAROHI BOLTA HA...."

fir uski gun ka rukh minister ki or hua....

OYE MINISTER.. SAALA TU KHUD MUKHE MANTRI BANNE KE LIYE SHCOOL ME AATANKVADI BHEJTA HA.. MASOOM BACHHU KO JAAN SE MAAR DENE KI DHAMKI DEKAR APNE MOST WANTED CRIMINALS KO JAIL SE BAHAR KARANE KI SAZISH RACHTA HA. EK AAM SI LADKI JISKE ANDAR MAA KAALI UTAR AAI THI. TU USAY DUSHMAN DESH KI SAZISH BOLTA HA. THUUUUUU HA TUJHPAR. EK KURSI KE LIYE TU EK AISI LADKI PAR AAROP LAGATA HA. JISKE ANDAR MAA KALI KI SHAKIYON KI JHALAK DIKHAAI DI HO..

AFSOS HA MUJHE MERE DESH KI JANTA PAR BHI... JO EK PAL ME APNI HI BETI KO "SANJANA MAA" BANA DETE HAN TOH DUSRE HI PAL IN HARAMI MINISTERS KE JHUTE, MANN GHADAT SHABDO PAR APNA DHARAM TAK BADALNE LAGTE HAN..

narain mishra ke sath sath sab moh phade usay dekh rahe the. ise kiya hua. kuch der pehle yahi badh chad kar bol raha tha. yahi sabse aage tha. yahi sabse keh raha tha. kothi ko hi uda do.

ab yahi keh raha tha. sab jhute han. farebi han. makkar ha, daghabaz han.

uska papa uske saaamne aaya aur uske moh par thappad maar dia.

"kya bakwas kar raha ha tu"

thappad ke badle me awaz sunaai di..

HAHAHA...HAHAHA...HAHAHA...

SAMRAT.....SAMRAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAATTTTTTTT HOOOOON MAIN...

jaise hi ye shabd uske moh se nikle toh kothi ek andar bethi hui natasha uth kar nachne lagi..

"OHH JIO MERE SAMRAT..SAHI SAMAY PAR AAYE HO"

sabko QUEEN aur SAMRAT wali puri baat yaad aa gai..

sabke moh se bas itna hi nikla... kya SAMRAT sach me ha...

natasha : haan!! QUEEN ha toh SAMRAT bhi ha. ab dekhna kaise sara matter solve hota ha.

sab tv par nazren gadaye bethi hui thi. puri kothi me ekdumm se shanti phel gayi thi.

.
.
.
.
.
.
Aaj Ke Liye Itna Hi Mitro! Milte Han Agle Episode Ke Sath Jald Hi..

::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::
Superb mindblowing update
 
arish8299

Member
224
958
93

Wah superb sabd nahi hai kuch kahne ko
Donon hi update lajawab hai jis prakar se baji palti maja aa gaya samrat bhi agaya...
 
Awan Badshah

Active Member
1,779
4,906
158
Episode:34

natasha : HAAN! main hi TARA hon. aap sabki TARA.. kisi se bhi milne se pehle mujhe ek kaam karna ha.. aap sab plz piche khade ho jaayen..

natasha badi mushkil se khud par kaabu banaye hue the. warna woh apne parivar se milne ke liye bohut bechain ho rahi thi. badi mushkil se usne ye shabd apne moh se nikalne the. apni maa ke sath sath apne sare parivar ki tadap ka usay bohut achhe se ehsas bhi ho raha tha.

par kya karti. woh TARA thi toh ek QUEEN bhi thi. uske dusre parivar ko maar kar usay natasha se QUEEN banne par majbur kar dia gaya tha.

kaise woh apne parivar ke sabse bade dushman ko maaf kar deti. paida hote hi kuchh pal apne parivar ke sath bitane ke baad usay uske parivar se alag kar dia gaya tha. kaise uske payare barson tak uske liye tadapte rahe the.

beta hota toh sehn bhi kar lete. par unke parivar ki beti, unki izzat ko unse door kar dia tha dushman ne. beti ki judaai ka dard, bete ki judaai se kahin badhkar hota ha.

usi dard me tadap rahe the sab. natasha bhi apne parivar ke dard ko feel karte hue apni gadi ki or palti aur door khol kar ek ek karke teeno ko sar ke baalon se pakad kar bahar ghaseet laayi..

sab dekh kar cheekh pade..

"NARAIN MISHRA"

kisi ko yakin hi nahi ho raha tha. NARAIN unke saamne tha.. jo hamehsa gaurds ke beech raha karta tha. guards ke bina kabhi kahin nahi jaya karta ha. kaise unki TARA unhe mamuli gundo ke jaise utha laai thi.

sab dekh kar shocked ho gaye. sanjana bhi situation ko samjhne ki koshish kar rahi thi. koi dhire se badbadane laga toh koi khul kar bolne laga.

sanjana jaan gai, aane wali sabki ladli TARA ha. jo uske jaise hi apne parivar se door ho gai. sanjana ye bhi jaan gayi. TARA lautte hi apne parivar ke dushmano ko bhi apne sath laai thi.

sanjana TARA ko dekh kar bohut khush ho gai thi. sanjana ko TARA ki or se waves aa rahi thi. aisi kashish usay apne parivar ke kisi bhi sadasy ki or se nahi aai thi. jitni TARA se aane lagi thi. sanjana ko TARA apne liye special dikhne lagi thi.

natasha ne apni belt me adsa hua khanjar nikala aur narain ke barabar ja baithi.. teeno abhi tak behosh the.

sab narain aur uske beto ko dekh kar jahan surprised the. wahin ab TARA ke hathu me khanjar dekh kar shocked ho gaye. unki TARA toh ek mard bani hath me khanjar thame unke dushman ke paas bethi hui thi.

natasha sabko dekhte hue boli : yahi han na woh dushman jisne mujhe aap sab se door kar dia tha. yahi ha na woh dushman, jise chah kar bhi aap sab maar nahi sake. jiske waar se aap sab chot par chot khate aaye han na aap sab.. par ab main laut aayi hon. aap sabki TARA laut aai ha. ab se TARA ke parivar ka koi bhi dushman zinda nahi rahega.. kisi ki bhi himmat nahi hogi, TARA ke parivar ki or ankh utha kar bhi dekh sake.

natasha khunkhar lehje me boli aur fir khanajr se chhote chhote cheere dete hue teeno ko hosh me laane lagi. kuchh hi der me teeno hosh me aa gaye. hosh me aate hi teeno cheekhne lage.

jaise hi sabki nazren apne dushmano par padi toh unka cheekhna wahin tham gaya. narain ne apne saamne dilip sharma ko dekha toh uska moh khula reh gaya. narain janta tha dilip sharma kamzor rival nahi ha. isiliye narain mishra aur uske parivar ka koi bhi members kabhi bhi bina security ke kahin bhi nahi aaya jaya karta tha.

**************************
natasha parivar ka intro..
**************************

dilip sharma..dada
nargis sharma.dadi

rajeev sharma..papa
solanchna......mummy

ashok..bhai
umesh..bhai
ayushman..bhai
rahul.....bhai
natasha...

gautam sharma..chacha
geeta sharma...chachi

chacha ke teen bete..

sanjay..
ravi....
rakesh..

anjali.. bua
roshan.. fufa

bua ke teen bete..

bharat..
sachin..
vinod...

**********************************************

natasha ke papa rajeev sharma ne foran hi ek naukar se keh kar apne papa ko wahin laane ko keh dia.

kuchh der me dilip sharma bhi wahin the.. natasha ne apne daddu ko wheel par bethe dekha toh usay bada dukh hua. wheel chair ko paas laane ka ishara kiya toh daddu apne dushman ko na dekh kar TARA ko dekhne lage.

natasha : dada ji! aapki TARA aapke saamne ha.

dada ki ansuon bhari ankhon me chamak aa gai. hont tharthara uthe.

dada ji : TARA beti!

natasha : ab bhi ansu bahayenge aap dada ji.. apne dushman ka anjaam nahi dekhenge.

dada ji ne narain ko dekha jo ab bohut zayada ghabraya gaya tha.

dada : kyun narain mishra! aa gaye na tum mere pairon me. mera koi bhi beta ya pota tujhe mere saamne nahi la saka. meri poti kaise tujhe aur tere beto ko chyuntiyo ke jaise mere pairon me le aai ha. tumhare liye doob marne ka mukam ha narain mishra. zarur meri poti tujhe tere bil se nikal laai hogi.

dada ji ekdumm se badle andaz me bole toh narain ko apni reeth ki haddi me sansanahat si mehsus hone lagi.

natasha : ji dada jaan. iske qile se ise utha laai hon.

dada : kyun narain mishra! ab kahan gai tumhari force.. badi suraksha me raha karte the tum. kahan gaye tumhari suraksha karne wale.

narain : dekho dilip! mujhe aur mere beto ko yahan se jaane do. nahi toh--

dada : tum ab bhi nahi samjhe ho narain.jitni asani se tum meri poti ke hath lage ho. isse tumne andaza nahi lagaya. tera aur tere parivar ka samay ab samaapt hone ko ha.
TARA beti isne tumhe hum sabse door karke jitna dard dia tha. utna hi dard tumhe bhi humse door hone par sehna pada hoga. apne hathu se ise anjaam tak pohncha kar apna badla lo. humse kahin badh kar tumhe dukh uthane pade honge.

natasha : dada ji aapne kabhi khun nahi bahaya kya..??

dada : tumhare liye khun ke ansu to bohut roya hon main TARA beti. par kisi munush ka khun nahi bahaya. khun bahana humen zeb nahi deta. hum narain ke jaise ghattiya vichar nahi rakhte TARA beti.

sanjana aage badhi toh natasha usay dekh kar chonk gayi. uska moh hairat se khula reh gaya. pehle woh dhayan nahi de paai thi. ab dhayan diya toh chonk uthi. usay sanajna ke andar se alka jaisi waves aane lagi thi. woh badi heran hui. fir usay jaise sab yaad aane laga. ab woh samjhi, kyun GURU JI ne usay alka ke liye kaam dia tha. alka ka naam nahi jaanti thi. badi speed ke sath uske alka ki madad kari thi. alka ko island par chhod kar wahan se nikal li thi.

ab sab yaad aane laga toh alka ke gale me maujud mala ka bhi usay ehsas hone laga tha. usay mala ke andar se jo kashish feel hui thi. wahin alka ke badan se usay feel hua tha. wahin ab sanjana se usay feel hone laga tha.

sanjana ne bhi natasha ko dekha toh woh bhi kuchh kuchh samjh gayi.. ankhon se hi kuchh ishara kiya aur fir dada ji ki wheel chair ke pairon me beth kar dada ji ke hathu ko thaam gai.

sanjana : dada ji! is kutte ne TARA didi ko hi nahi aap sab se door kiya tha. mujhe bhi aap sab se door kar dia tha.

sanjana ki baat par TARA, dada ji, aur dusre sab sannate me aa gaye. woh toh aisa kuch bhi nahi jaante the. sanjana kaise is parivar ki ladki ho sakti thi.

dada : SANJANA MAA! main kuchh samjha nahi.

sanjana ke honto par ek dard bhari muskan aa gai.

sanjana : SANJANA MAA toh main dusron ke liye bani hon dada ji. main toh aapki poti hon.. itna bol kar sanjana ne apni mummy ki or dekha.

sanjana : mummy kya mujhe dekh kar bhi aapko nahi laga, main aapki beti hon. sanjana ki ankhon se firse aansu behne lage toh sanjana ki mummy tadap kar boli..

sanjana mummy : beti! jab se tumhe dekha ha. mere dil ki halat bohut kharab ha. baar baar aise vichar mann me aane lage han, jaise tumse mera koi nata ha. kya nata ha, samjh nahi paa rahi. ek hi baat mann me aati thi. par jo sab beeta tha guzre samay me. usay bhi toh nahi jhutlaya ja sakta.

sanjana mummy rone lagi thi. sanjana uski beti ha, jaan kar tadap uthi thi.

sanjana ne TARA ke hathun se khanjar liya aur narain ki jaang me ghusaa dia.. narain halq phaad kar cheekh pada

sanjana khuni andaz me : bol kutte!! is parivar ki ek nahi do do betiyon ko tune sabse door kiya tha. boolllll... sanjana ne fir dusri jaang me bhi khanjar utaar diya..

narain cheekhta hua : haaaaann! haaaaaann! maine gautam ki beti ko bhi hospital se uthwa liya tha. usay ek anath ki zindagi jeene par majbur kar diya tha.

dada : toh woh murda bachhi..??

narain : ww..woh sab pehle se hi fixed tha.. pehle se hi ek murda bachhi arrange kar li gayi thi..

sab sunkar gehre sadme me aa gaye the. kitna bada khel khela tha narain mishra kutte ne.

dada ji sanjana se : ttt..tum bhi meri poti ho.

sanjana : haann dada ji.. sanjana dada ji se lipat gayi. dada do do potiyon ko paa kar khushi se nihaal ho uthe the. woh rone lage the. bhagwan ne ek sath do do TARA unhe lauta di thee.

sanjana dada ji se alag hui aur palat kar apni mummy ko dekhne lagi.. TARA apne dushmano ko expire karne ke liye teeno ke hathu aur pairon me khanjar se ghaao lagane lagi.

ab milan ka samay aa gaya tha. sanjana ke bolne ke kaaran koi bhi khud par kaabu nahi rakh paa raha tha.

sanjana natasha ke chacha ki beti thi.

sanjana aur TARA ki mummy dono cheekhti hui dono se lipat gayi.. sabhi parivar wale bhi ankhon me khushi ke ansu liye wahin dono ko gher kar khade ho gaye..

bada dard bhara milan tha. khushi ka rona tha. par dadi, mummy aur chachi bilak bilak kar ro rahi thi... barson baad TARA mili thi. toh sanjana jiski koi ummid hi nahi thi woh bhi mil gayi thi.

bohut der tak ye scene chalta raha. sanjana aur TARA ke bhai, bua ke bete sab bhi bohut zayada khush ho gaye the. unhe do do behne mil gayi thi.

dada, dadi,mummy, papa, chacha chachi, bhai, bhabhiyan dusre sabhi relatives bohut zayada khush the..

natasha aur sanjana baari baari sabhi se mili. kisi ka mann hi nahi ho raha tha dono se alag hone ka.. natasha ya sanjana jiske bhi gale lagti.woh khub usay chumta pyar karta. khud se alag karne ko mann hi nahi kar raha tha. par pehla milan tha aur milne wale bohut the.

sabse zayada dono mummiyon ko samay dia gaya. dono khub bilak bilak kar ro rahi thi. natasha aur sanjana ki ankhen bhi ganga jamuna bani hui thi.

sabhi ka milan chal hi raha tha. security incharge bhagta hua aaya

incharge : bohut si gadiyon badi speed k saath aati hui dikhaai de rahi han.. mujhe lagta ha sir! woh hamare dushmano ki gadiyan han.

sab hadbada gaye.

sanjana : zarur kothi ke andar ka koi ha, jisne khabar di hogi.

natasha : mummy papa! aap sab plz kothi ke andar jaayen. hum dekh lete han.

mummy dar gayi : nahi! ab main tumhe khud se door nahi jane dungi TARA beti.

natasha ke honto par muskan aa gayi

natasha : mummy aapki beti lohe ki bani ha. abhi toh aapne apni beti ko jana hi kahan ha. sanjana ko sabhi jaan gaye, par TARA ko koi nahi janta..

mumym : fir bhi beti, mera dil nahi manta. ab main tujhe ek pal bhi khud se door nahi jane dungi.

natasha : bhai! aap mummy ko andar le jaayen. aap sab bhi andar jayen. main dekhti hon aane walun ko.

charon bhai seena taan kar : hum han na sabki raksha karne ke liye. ab tak hum hi toh pure parivar ki raksha karte aaye han.

sanjana : aapki behne bhi kam nahi han bhai.

sanjana ki baat par sab ke honto par smile aa gai.

natasha : der mat karen, aap sab andar jaayen.. natasha sabse bolti hui kothi ke andar maujud sabhi naukar aur gaurds ko bhi dekh rahi thi. sanjana bhi sath me dekh rahi thi. unki yakin tha kothi ke andar koi na koi dushmano ka admi zarur maujud ha. warna itna jaldi unhe khabar nahi ho sakti thi.

natasha ki nazar ek guard par padi. natasha zameen se 2 feet upar fly karte hue pal bhar me hi uske paas ja pohnchi. woh natasha ko dekh kar ghabra gaya tha. gun seedhi karke fire karne hi wala tha. natasha ne uski gun chheen kar uske bazo ko pakda aur dusre hi pal woh guard narain mishra ke upar gira pada tha.

natasha : dekha narain kutte! aise hi tere parivar ke sabhi mardon ka ant karungi main.

narain QUEEN ki power pehle sun chuka tha. abb usay udte hue dekha toh bohut zayada dar gaya.

narain : QUEEN! plz mujhe maaf kardo. mujhse bohut badi galti hui thi. aap chahen toh mujhe jaan se maar den. par mere beton ko jaane den. jitna dono ke sath aapne kar dia ha. ye bhi bohut ha. aap mahaan han, dayalu han, mere beton ki jaan bakhshi kar den.

natasha narain ki baat sunkar hasne lagi toh baaki sabhi jo natasha ko fly karte dekh kar heran hue the. ab narain ke moh se QUEEN shabd suna toh sabko QUEEN wali news yaad aa gai. ye jaan kar unki TARA hi QUEEN han, ajib si halat ho gai thi sabhi ki.

natasha : dayalu.. HAHAHA.. dayalu toh main hon narain.. kaiyon par daya karungi main. main QUEEN ho thehri.. ek QUEEN daya nahi karegi toh usay QUEEN kon kahega.. main bhi daya ka daman kabhi nahi chhodungi.. tujh jaise paapi ko is dunya se mukt karke, tere paapi beton aur poton ko is dunya se mukt karke main kaiyon par daya karungi. daya hi toh ha ye bhi.. tujh par na sahi, tujh jaise jispar zulm karte honge. unpar toh daya hi ha.

narain natasha ke shabd sunkar, uske lehje ki khunkhari jaan kar cheekhne laga. firiyad karne laga..

par natasha ko uspar daya nahi aane wali thi. itni der me bahar se firing ki awaz aane lagi. bahar narain ek beta aur pote cheekhne lage..

"mere dada aur chachao ko bahar bhej do. warna is kothi ki eent se eent baja dunga main"

natasha : waaahhhh!! kya baat ha narain. tera koi pota itna daler bhi ha. chal dekhti hon uski daleri bhi. ab woh yahan aa hi gaya ha toh usay bhi tere sath hi khatam karti hon.

natasha ne mud kar sabko dekha.. jo shocked halat me usay hi dekh rahe the.

sanjana sukun se thi.....

natasha : aap sab andar jaayen plz.. kuchh der me hum mil bethte han. bhai dada ji ko andar le jayen.

mummy hairat bhari awaz me : TARA beti! tum hi QUEEN ho..

natasha : haan mummy aapki beti hi QUEEN ha.. baad me aapse baat karti hon. abhi aap sab andar jayen.

sab na chahte hue bhi andar chale gaye.

sanjana wahin khadi rahi thi........

dada, dadi aur sabko ko chhod kar natasha aur sanjana ke papa, chacha aur bhai wapis aa gaye. unhe wapis aate dekh kar sanjana aur natasha mand mand muskurane lagi..

umesh : behne bhaiyo se kahin badhkar bhi taqatwar ho jaayen. aur bhai jitne bhi apni behno se kamzor ho jayen, behno ki raksha ki zimmedazi hamesha unki hi hua karti ha.

rahul : pehle kabhi humen apni jaan se payari behno ke liye ladne ka moka nahi mila tha. pehle hum bachhe the. warna dushman kabhi tum dono ko humse alag nahi kar sakte the.

ravi : hum agar ladai se bach ke rehte han toh iska matlab ye nahi hum kayar han.

sab kuchh na kuchh bolne lage. natasha aur sanjana ke honto ki muskan aur bhi gehri ho gai.

incharge ek waepon box le aaya tha. sabne ek ek gun utha kar apne hathu me kari.

apne parivar ki raksha ke liye apne dushmano se do do hath karne ke liye sab kisi bhi had tak jaane ke liye betaab ho gaye the.....
Fantastic update Daksh The King bhai
 
Top