If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Ab tak. . Mujhe maaf kar do kishan, Mai bhi tumhe bahut pasand karti hun par Mai ye shadi nhi tod sakti warna wo log ( lala aur ranjeet) hamare pariwar ko jine nhi denge , aur agar unhe pata chala ki Mai tum se pyar karti hun to wo tumhe bhi nuksaan pahunchane ke koshish karenge. Aur agar tumhe kuchh ho gya to Mai jeete ji mar jaungi. . (Rote huye) Mere bhagya me hi pyaar nhi likha hai kishan.... Nhi likha hai.... " . Ab aage . Itna bol kar sheetal rote huye waha se sidhe nimi ke bangle ke taraf chali jaati hai, kishan bhi usse jaane deta hai, filhaal uske paas waqt tha, kishan ne ye than liya tha ki kuchh bhi kar ke wo sheetal ko lala ke changul se chhuda hi lega, usne ek bar ke liye ye baat dadi aur bijendra dada ko batane ka socha, lekin fir wo ye bhi nhi chahta tha ki uski vajah se birendra ji aur lala ke pariwaaro me dushmani ki neeb pad jaaye. Par hamare kishan bhaiya iss baat se poore anjaan the ki lala aur birendra ji ki dushmani ki neeb to uske janm ke samay hi rakhi ja chuki thi , jab shambhu pratap ji kishan ke janm ke baad rakhe samaroh ki nimantran dene iss gao me aaye the. . . Sheetal ke iss tarah se mana kar ke rote huye chala jana kishan ko bahut pida de rhi thi. Usse samajh nhi aarha tha ki wo kya kare, ant me wo haveli ke tarf chala gya. . (Me as Kishan) . Mai iss waqt bahot ashant mehsoos kar rha tha, Socho log morning walk kar ke ekdam tarortaza feel karte hai, par Mai,.... Sala mere sath hi aisa hota rha hai hamesha se . Jis bhi chiz ki lalsa man me jaagti hai bhagwan usse mujhse chhen leti hai... Bachpan me maa ko mujhse aisa door kiya bhagwan ne ki bas usse dekh sakte the... Na wo mujhe God me letti aur pyar karti thi, aur na meri itni himmat hoti thi ki Mai wo pyaar mang saku apni maa se... . Fir ek bahan thi, jo suruat me to mujhpe jaan nyochhbar karti thi jab tak 3 - 4 saal ki thi... Par jaise jaise vo badi hoti gayi bhagwan usse bhi hamse door karte gaye. . Pita to janm ke saal bhar baad se hi mujhse door hone lage the. . Ek dada ji the jinse thoda bahut jeene ke liye himmat milti thi, par bhagwan ko wo bhi pasand nhi aaya aur unhone unhe bhi mujhse chhen liya wo bhi hamesha hamesha ke liye. . Aur aaj, pahli baar ........ pahli baar kissi ladki ko dekh kar mujhe ye ehsahah hua tha ki , haa mere andar bhi ek dil hai... Mujhe bhi pyaar ho gya tha usse.... Aur ussne bhi mere pyaar ki avhelna na ki... Par bhagwaan kaha khush hote ye sab dekh kar, unhone ek aisa jaal pahle hi bichha diya tha jisme Mai aaj aakr phas gya hun. . Sach kahu to din pratidin mere antarman me mai upar wale ke astitwa par hi sawal uthane laga tha, aur agar lagta ki nhi upar wala sach me hai, to hamesha ek shikayat ki bhavna mujhe uparbale se hoti thi. . Aaj meri aankhe anayash hi nam ho gyi thi, aur issi udhedboon me sochte huye mai kab haveli pahonch gya mujhe iska gyat hi nhi rha... Mera chehra aisa ho rkha tha ki jaise agar koi mujhe sneh se gale laga leta to Mai wahi ro padta. . . "Kishan, ... Kishaannnnn..... Kaha kho gaye ho itne der se aawaj laga raha hunn.... Are ye kya halat bana rakhe ho, kya hua hai , kisi ne kuchh bola kya... " . Birendra ji jo ki abhi haveli ke mukhya dwar ke paas bane dalan me kuchh mehmano ke sath baatchit kar rhe the unhone kishan ki aisi halat dekhi to daudte huye kishan ke pas pahunche... Unhe laga ki kal raat me jo kuchh bhi hua uska khunnas nikalne ke liye mere pariwar walo ne mujhe kuchh kaha hoga. . Mai - are, kuchh nhi hua dada ji, aur mujhe koi kya bolega... Wo to Mai kuchh jyada hi running kar liya hun iss liye thodi thakavat si hone lagi. Baaki koi baat nhi hai, aap bevajah hi pareshan ho rahe h. . Birendra ji - to fir kya jaruri thi itni daud lagane ki, chalo mere sath pahle.... Mai abhi kalpana se bol kar ladsi mangawata hunnn... Jab sehat hi nhi rahegi to fir daud kaise laga payrga. . Mai mana karte raha fir bhi dada nhi mane aur mujhe apne sath dalan me le gaye. Waha aur bhi bahut sare log mausud the jinme mere bade papa bhi mausud the. . Mai bhi wahi dalan kursi pe baith gya, kuchh dere jab kalpana bua aayi to unhone mujhe lassi ka ek bada sa gilas thama diya aur sath me ek plate mix dry fruits.... . Kalpana - tum ne abhi tak apne joote bhi nhi khole, hadd karte ho tum bhi. Lo jaldi se pi lo aur ye saare dry fruits khaane hai tumhe. . Mai - saare.... Are buaa, aap bhi to dekho aap kitni patli ho, aur mujhe dekho... ( apne dole dikhate huye) .. Mujhe nhi aap ko inn dry fruits ki zarurat hai... Wo aap kha lo Mai lassi pi leta hunn. . Kalpana - jyada hoshiyar banne ki koshish mat karna samjhe, Mai sab samajhti hunn., aur Mai kis angle se tujhe dubli patli dikhti hun... Chup chaap ye khaa varna mujhse bura koi nhi hoga. . Mai - are , Mai to bas mazak kar rha tha kalpi bua, aap bhi na turant gussa ho jaate ho... Aap yahi ruko thode der, Mai abhi aaya kapde badal kar... Ye to paseene me poori gandh deni lagi hai. Aap ruko.. Aur Hann....Par aapko bhi in dryfruits me se thoda khana padega.... . Kalpana - Mai nhi kha sakti kishan aaj, samjho na baat ko. Pita ji aap hi boliye na. . Birendra ji - kalpi sahi bol rahi hai kishan, kuchh rashm hai jinke poore hone ke baad hi kalpana kuchh khayegi. . Mai - to kya tab tak bua bhookhi rahegi. . Tabhi haveli ke andar se dadi aate huye boli, jo ki kab se hamlog ki baate sun kar mushkura rahi thi,... . " Are ho bail, uski byah hone ja rhi hai, to ek din bhookhi rah sakti hai wo, byah thode na baar baar hoti hai. Aur waise bhi rashm bas kuchh ghanto ka hi hai, aur agar Tu aise hi isse apne bato me bajhaye rakha to isse aur der hogi. " . Mai - ( kalpana bua ki hatho se jhat se lassi aur dryfruits lete huye) are der kyu hogi dadi, aap le jao inhi aur jaldi se rashm poora karo... Varna jyada late hi jayega bua ko khane me. . Meri harkat par waha mauzud saare log hasne lage, mera man bhi ab bahut had tak shant ho chuka tha. Maine lassi aur plate ko wahi table pe rakha aur bahar bane hi bathroom me chala gya haath mooh dhone. Uske baad apne kamre me jakar kapde badalne laga. Mujhe abhi tak ghar me rajnish nazar nhi aaya tha. Mai wapas niche aaya aur dalan me hi baith kar lassi pine laga. . Mai - " Dada ji, rajnish to mujhse pahle hi idhar aagya tha, to wo nazar nhi aarha hai. " . Birendra ji- are hann, usse Mai e hi bheja hai nimi bitiya ke sath, .. Wo aaj mehndi ki rashm bhi hai na sham ko to uske liye jo jo zaruri saman chahiye tha wo laane ja rha tha, nimi ko bhi kuchh lena tha market seto wo bhi sath hi chali gayi. .
Mai- (man me) achha beta, bina bole hi nikal gaye dono , aane di fir inke khabar leta hunn.
.
Mai - dada kuchh kaam bhi hai kya, to bata dijiye Mai abhi khali hi baitha hunnn.
.
Fir birendra dada ji ne mujhe kuchh kaam diye, jisme ki ghar aaye mehmaano ke liye jagmha khana banaya ja tha tha waha dhyan dena. Waise to waha par pahle se hi raghav chacha mauzud the. , wahin ghar me 2din baad bat at aane wali thi to uske swagat me jo pandal lagna tha wo bhi aaj aaj hi lagna tha. Waha bhi ja kar mai dekhne laga .
.
.
.
Wahin chhat pe ek kamre ke khidki se ek ladki kishan ko tab se dekh rhi the jab se wo daud laga kar haveli aaya tha, suruat me to uss ladki ko bhi chinta hone lagi kishan ke ruansi chehre ko dekh kar. Uske chehre pe chhaye dard ko achhi tarah se dekh paarhi thi wo yuvti.
Par jaise jaise kishan, birendra ji, kalpana aur sharda ji ke sath baat karte karte shant hua waise hi iss ulti ka bhi man ekdam shant ho gya, aur kishan ne jo harkat dalan me kiya tha usse dekh kar iss ladki ke chand se chehre par bhi bahut hi sundar mushkan aajati hai, oar jaise hi kishan birendra ji ke bataye kaamo ko karne ke liye waha se jata hai, waise hi uss ladki ke chehre pe bhi bhao badal jaate hai, aur uske aankho me aanshu aane lagti hai.
.
" Are nehu, Tu ro kyu rahi hai, kya hua hai. "
.
. Ji hanan ye ladki aur koi nahi balki neha hi thi, jiske man me kal raat se hi bahut saaare khyala aarhe the. Vajah bhi kal ku raat hi thi jisme ek aisa sapna iss ladki ne dekha tha jisne isse raat bhar sone nhi diya.
Aur to aur sapne me usne dekha bhi to kise, apne uss bhai ko jisse wo apne hosh samhale ke baad se shirf nafrat karti aarhi thi.
Par wo nafart kyu tha uske man me apne bhai ke prati, ishka jabab to uske paas bhi nhi tha.
Usse to bachpan se uske mata, pita, chachi, didi( sonam & poonam) sabke muh se apne bhai ke baare me galat hi suna tha. Use bachpan se hi uske pita (sunil) bataya karta tha ki tumhara bhai manhoosh hai, jis din se wo janm liy hai ghar ke halat bigad gaye hai issiliye usse ghar se baahar kar diya hai.
.
Fir usse wo baate yaad aati hai ki kaise ussne apne hatho se uss din apne bhai ko chanta mara tha, jab school me kishan ko bhookh lagne ke karan uske paas gya aur lunch mangne par usse chanta maar diya tha... Wo bhi bas apne ek dost ke kahne par, uss din bhi usse bura laga tha, aur wo agle din maafi mangne ke liye bhi taiyaar hi gyi thi. Par shayad uske naseebme maafi likha hi nhi tha upar wale ne, kyonhki agle din hi kishan subah subah hi apne dadi ke kahne par, uske dada ke ek dost ke flat , jo ki bhopal me tha waha chala gya. Jisee bhopal tak khud raaju kaka chhodne gaye the.
.
Tab bhi neha ke ankho se anshu beh rahe the aur ab bhi, usse aisa lag rha tha ki bhagwan hi nhi chahte hai ki uska bhai usse maaf kar de.
.
. Kamre me avni aur khushi aayi thi, jo ki apne bahan ko iss tarah aanshu bahate dekh thoda ghabra jaati hai aur usse poochti hai, par neha to abhi apne khayalo me utna khoyi huyi thi ki usko ehsaas bhi nhi hua kiusse koi aawaz de rha hai, wo tab bhi waise hi khidki ke bahar anant ko nihar rahi thi aur apne khayalo me kishan ke sath ki gayi jyadtiyo ko soch soch kar aanshu baha rahi thi. .
Par uski aisi halat ko uski banne sahan nhi kar pati aur jhat se dono mil kar neha ko gale laga li aur fir boli.
.
Khushi - neha, neha... Kya hua.... Ro kyu rahi ho hannn..... Kisi ne kuchh bola hai kya...
Nehaaaa. a.
.
Neha jo ab tak apne khayalo me thi wo achanak khushi ke yu chillane se apne khayalo se bahar aa jati hai, aaur samne dekhti hai to uski dono bahne,... Jo ki bahan se jyada hamsaya the ek dusre ke liye wo khadi pareshan ho rhi hai.
.
Neha - (hosh me aate hi) Kkyaaa. Huaa tttumm llog yahaaa,
.
Avni - Tu ro kyun rahi thi pahle ye bata, kisi ne kuchh bola kya yahann...
Badi ma ne kuchh bola kya...
.
Neha - nhi, aisi koi baat nhi hai, mujhe bhala koi kyu kuchh bolenge.
Mai to bahar bhai ko dekh rhi thi, aur yahi soch rhi thi ki bhai kabhi mujhe maaf karega bhi ya nhi, kal ki ghatna se to saf pata chal gya ki hamare ghar bale jan boojh kar ham logo ko bhaiya ke khilaf bhadkate Aye hai, jiske karan hamlog hamsha unse galat pesh aate rahe.
.
Avni & khushi - ham dono bhi raat se yahi sab soch rahe the nehu, pata hai hame hamesha mummy gussa karti thi jab bhi ham dono bhaiya ke sath unchi awaj me kuchh bolte the tab tab mummy hampe gussa karti thi . Aur wo ye baat bolti thi ki jo tum log kar rhi ho na shayad hi uska maafi mile tum logo ko.
.
Itna bolte bolte unke aankhe bhi halki si nam ho gyi thi., aakhir the bhi to ye teeno ghar ke sabse chhote sadasya, bechariyo ke dil bhi utna hi nazuk tha.
Par yaha Neha wo baat nhi batati thi jiske kaaran wo aaj itna pareshan lag rhi thi.
'Raat me jo swapn dekhi thi uski baat '
.
Aakhir kya tha wo . . .
.
(Short Flash back of night)
.
Raat ka samay, Ek nizzan vishal registaan, chandni raat me aisa lag rha tha ku jaise ret ki jagah wahan safed barf ho. Wahin charo taraf bas ret hi ret ke tille nazar aa rhe the, waise to aam taur par dekha jata hai ki registan me door door tak kahin bhi paani ki ek boond bhi nazar nhi aati hai, par yahan waisa kuchh nhi tha, ...
Regustan me door se ek khoobsoorat si ladki daudte huye kahi ja rhi thi. . . Wo ladki iss waqt ek rajasthani choli aur ghaghra pehan rakhi thi, chhann chhann ki aawaj se ye maalum pad raha tha ki usne koi bhati payjeb pahan rakha hai, aakho se bah rhe ashruo pe jaise hi chand ki raushni girti, aisa lagta aashmab se koi tara toot kar dhari pe gira ho.
Hafte hafte, wo ladki apni bhari ghaghre ko achhi tarah se samhalte huye uss kuye ke paas pahunchi jiske bagal me ek foos ka jhopda bana hua tha, ... Yahi wo kuaa tha jisme hamesha paani bhara rhta tha....
Uss jhopade ke andar piliya roshni iss baat ko shabit kar rhi thi ki andar jarur kisi na kisi ka basera hai,
.
. " Jay, jay.... Suraj abhi tak wapis nhi aaye hai jay.... Naahi unka koi sandesh aaya hai jay... Tum to bole the ki wo jald hi wapas aa jayenge.....
par... Wo nhi aaye jay... Nahi aaye..... ( itna bol kar wo ladki uss shaks ke samne hi zameen par baith kar rone lagti hai. )
.
"Aapko apne suraj par bharosha nhi hai bhabhi, unhone vachan diya hai ki wo wapas jarur lautenge. Aur mujhe gyat hai ku pandit surajdev ka vachan surya ke tarah hi atal hai, jis tarah surya kabhi apna rashta nhi bhatakta waise hai mera mita suraj bhi kabhi apne vachno se bimukh nhi hota hai.
Aap vyarth hi pareshan ho rhi hai...? "
.
Wo shaks jise ladki ne jay keh kar pukara tha usne ladki ko izzat ke sath foosh ke bane aashan pe baithate huye, aur ghade se pani nikal usse dete huye aasvashan diya...
.
Mai vyarth pareshan ho rhi hun, kyu na hunn pareshan... 4 barsh beet gaye hai jay aur pratidin tum ta ho baat bolte ho ki wo aajayenge, ye bhi nhi batate ki wo gaye kahan hai....
Pratidin,... Pratidin unke liye shrangar karti hun, savar ke baithi rahti hun , mane bas yahi khayal rahta hai ki asj mere suraj jarur aayenge. Par...
Tum batate kyun nhi ki wo kaha gaye hai, kiske kahne pe gaye hai...
Mai pita ji se poichti hunn to wo bhi nhi batate, ab aur intezar nhi hota mujhse jay... Nhi hota..... (Fir rone lagti hai)
.
Achanak kisi film ki tarah scene change hota hai
.
"Nandani, tum mere liye baaghi ban gayi..... Tumhe pata hai na guru ji ka krodh, unse aisi baat nhi karni chahiye thi tumhe. Tumhe maagi mangni chahiye apne pita se, wo mere guru hai, unki aagya manna mera dharm hai na nandani...
Unhone mujhe jo karta saunpa tha jab tak wo purna nahi hota Mai kaise lautta batao....
Chalo pahle guru ji se maafi mango, nahi to Mai iss math me nahi rah paunga... "
Ek yuvak ke God me sar rakh kar leti huyi ye wohi ladki thi ji ki registan me dikhi thi... Abhi iske chehre pe saare jahaan ka santosh aur sukoon dikh rha tha, uska pritam jo laut aaya tha. Pokre 6 saalo ke baad lauta tha suraj...
Nandani hi thi wo ladki jo jay se milne ke liye registan me gayi thi.
Nandani ke pita ek shukra math ke guru the jaha uvko aur uvtiyao ko shashtra aur shaaashtra vidya ki shiksha di jaati hai, aur iss math ka sabse kaabil vidyarthi tha suraj.... Pandit suraj dev
. Zaahir si baat hai kabil hone kaaran wo apne guru ka chahita bhi tha, par aamilpur rajya ke raajkumar se apni beti nandani ka vivah inhone bachpan me hi tay kar diya tha, issiliye wo thode pareshan rahne lage the. Unhe apna shishya bhi sabse pyara tha, par sath me rajya ka bhi lobh, aamilpur ka matra ek varish tha agar usse nandani ka vivah ho jatato uski beti raani banjati aur wo uss rajya ka raajguru... Yahi lalach ne unke man me suraj ko raste se hatane ka khyala janm le lita.
.
Yahi karan tha ki unhone suraj ko ek aise asur ka naash karne ki aagya de diya tha jisse aaj tak kisi ne nhi hara paya tha...
.
Par suraj 6 varsho ki lagatar mehanat aur prayash ke baad uss asur ko samapt kar ke math me fir bapas aagya tha .
Suraj ko to ratti bhar bhi apne guru par sandeh nhi tha, wo kabhi sapne me bhi nhi soch sakta tha ki uske guru usse jaanbujh kar maut ke muh me bhejna chahte hai,
.
Par nandani, jise bhanak lag gayi thi ki uske pita uska kahi aur vivah karane ke liye suraj ko jaanboojh kar maut ke muh me Bheje the.
.
Iski pushti ke liye usne apne kuchh khash saheliyo ko apne pita ki jashushi pe laga diya tha jisse usska shak sach saabit ho gya tha, ... Aur sach jante hi usne apne pita se bagavat kar diya....
Aur jaise hi suraj wapas aaya usne apne pita se bol diya ki wo jald hi suraj se vivah kar ke iss math ko chhod kar surajdev ke rajya chali jayegi.
.
Aur yahi karan tha ki suraj apni nandani ko samjha rha tha , jo ki abhi befiakar ho kar apne suraj ke God me uske pyar ko mehshoos kar rhi thi.
.
Nandani - aap sachayi se avgat nhi hai suraj, mai janti hunn sachayi... Mere pita ne meri vivah aamilpur ke rajkumar ke sath tay kar chkr hai, issilye unhone janbujh kar aapko uss asur se yudh karne bheje jisse aaj tak koi hara na paya tha.
.
Suraj- maine to hara diya na ...
.
Nandani - ha, par ab aur nhi, agar aapko kuchh ho jata to aapki kasam mai mera krodhagni poore rajya ko jala deti.
.
. Abhi ye dono aapas me baat kar hi rahe the ki waha nandani ki ek saheli aati hai aur bolti hai ki undono ko guru ji math ke aashram me bula rhe hai. Jise sunkar dono ashram ki or jane lagte hai.
.
Suraj - Apne krodh ko kahu me rkhna nandani, ye mat bhoolna ki wo tumhare pita krme sath sath ham dono ke guru bhi hai.
.
Nandani - (nazre niche karte huye) theek hai....
.
.
Ashram me
.
Guru ji - bahot bahot badhayi tumhari safalta ke liye, suraj... Mujhe garv hai putra ki tumhare jaisa tezbaan , aur sauryavaan shisya mere math me, mere ashram me shiksha prapt kiya hai.
Mujhe garv hai ki mai tumhara guru hunn.
.
Suraj - ye to mera kartavya tha guru dev, guru ki aagya ka palan karna to mera sarvpratnam kartavya hai, aur mujhe mere kartavyo se vimukh to Maut bhi nahi kar sakti guru dev.
.
Guru ji - bahut khoob putra.... Mujhe sun kar.... Akhunnn ukhunnnn....... Akhunnnnn....
.
Suraj - (guru ji ko pakadte huye) kya hua guredev, aspki tabiyat thik nhi lag rhu hai mujhe, aap vishram kariye chaliye mai aapko apke kaksh me le jata hunnn....
.
Guru ji- nhi nhi putra, bas halka sa khanshi hai.... Akhuunn ukhunnn...
Nandani beta jara mere kamre me jo ghada hai usse pani le aao....
.
Nandani bhi daudte huye kamre me jaate hai par ghade me paani nhi hota hai.
.
Nandani bahar aste huye, - is ghade me to paani nhi hai, mai apne jamre se lekar aati hun.
. Fir wo daudte huye apni kamre ki taraf bhagti hai, jise dekh kar uske pita yani ke guru dev ke chehre pe pal bhar ke liye el shaitani mushkan aajati hai... Lalach bhi kya se kya kara deti hai na... Wahi jasl kuchh nandani ke pita yani ki guru ji ka bhi tha.
.
Nandani ke jaate hi,
Guru ji - suraj, mere putra, mai tumse abhi tak guru dakshina nhi managa hun uska samay ab aagya hai...
.
Suraj - aap bas agya dijiye gurudev aapko gurudakshina me kya dunn mai...
.
Guru - pahle vachan do ki mai jo bhi mangunga tum nih sankoch mujhe bina samay vyarth kiye tatkaal doge.
.
Suraj - mai, pandit suraj dev aapko vachan deta hun ki aap jo bhi mujhse gurudakshina mangiyega mai usse bina vilambh kiye tatkal aapko de dunga.
.
Guru ji - mujhe tumhari sheesh chahiye suraj... Kya tum doge....
.
Suraj bina kuchh soche huye,.... - jo agya gurudev....
.... Naheeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeee..............
. Khaaaachhh
.
Nandani jo ki apne pita aur suraj ki antim baate sun ki thi wo abhi jyada kuchh bol bhi nhi paayi ki suraj ne turant apni talvaar nikalkar apne gale par tez vaar kar diya uska sar guru ji ke hatho me ja gira aur dhad wahi pe gur kar chhatpatane laga... Waha khoon ke ek dhara si bah gayi......
.
Par yahi tha jo nhi hona chahiye the....
.
Nandani daudte huye aayi aur suraj ke sharir ke paas baith kar rone lagi....
.
Lekin ye rudhan ek bahut bada tufaan laane wala tha.... Ye sanket tha uss bhavishya ka jisme shirf aur shirf sarvnaash th aur kuchh nhi...
.
Nandani jo ki apne pita ki hatho se apne suraj ki sar ko lekar apne God me rakg kar dahad dahad kar ro rhi thi, usko dhyan bhi nhi tha ki uske uss dard bhare rudhan se waha kya ho raha hai....
Pal bhar me hi poora mausam badal gya... Jahan kuchh der pahle tak aashman ekdam neela aur sar pe surya dera dale huye tha wahi nandani ke iss vilaap ne jaise saare sansaar ko ek andhere me dubo diya.....
.
Achanak nandani ne apni aankhe kholi, uski aankhe agar swaym kaal bhi dekh leta to dar jata....
" Tum ne ek baap, ek guru , aur to aur ek inshan ke ashtitwa ko kalankit kiye ho guru pashumitra, tum ne aaj wo apradh kiye ho jiska dand shirf aur shirf maut hai , apr mai ek putri ki audhe ko kalankit nhi karungi guru pashumitra .
He agni dev, agar mera suraj ke prati pyar me ek bhi khot na ho, agar mere samarpan me ek bhi kami na ho to mai aap se nivedan karti hun ki jiss rajya ke liye iss paapi ne mere suraj ka katl kiya hai wo rajya jal kar bhashm ho jaye. , aur agar mera pyar sachha hai to mujhe aur mere pritam suraj ko ek sath apne saran me le...
Aur aap, khud ko guru kahte ho na , mere pita ho na.... Mai aapko shrap deti hunnn... Ki aap jis sthan pe mere suraj ki hatya kiye ho tab tak aap wahi pe kaid ho kar rahoge....
Jab tak aapko nandani aur suraj se maafi nhi mil jaati.... Jo ki ab sambhav nhi hai....
.
He agni dev vilambh mat kijiye...... Mai aapka aavahan karti hunnn.....
.
.
Agle hi pal raj nandani jo ki apne God me suraj ke sav ko rakhe huye thi... Wo dhuu dhuu kar jalne lagi.....
Aur wahi haal uss rajya ka bhi huaa, jaha ka har makaan, raajmahal, baag, bagiche.... Doshi, nirdosh,,,,,, raja rank..... Sab kuch... Sab kuchh jalne laga...
.
Wahi.. Guru pashumitra, jo ki ekdam stabdh khade the, unki halat aisi ho gyi thi ki kaato to khoon nhi niklega.... Unki putri ne ek aisa shrap diya tha unhe jisse unhe shrishti ke ant tak jhelna tha,
Ab unkko apne kiye par pachhtava ho rha tha....
.
Abhi wo apne aanshu baha hi rahe the ki....
.
Booooom...... Nandani aur suraj ke shareer me ek bahut bada vishfot hua aur ussi ke sath poora math tabah ho gya... Waha mausud har ek shaks rakh ban gya... Sibay guru pashumitra ke...
Jaise hi unke sav me vishfot huaa waise hi guru pashumitra apne aapko kisi janjeer me bandhte mehshoosh hone lage aur ant tah wo wahinn.... Ush math me ashram me hi bandh ke rah gaye....
.
Aur ushheee vishfot ke kaaran raatri ko neha ka swapna tuta....
Wi iss vakt itna dar gayi thi ki usse pata hi nhi chala kab wi suraj nam ka vilaap kar ke rone lagi thi....
.
Jab wo shant huyi tab uska dhyan bartmaan pe aaya... Usne ghadi me dekha to raat ke 1.30 baje the....
.
Neha (man me) ... - aakhir kaun tha wo ladka... Uska chehra to bilkul kishan bhai jaisa tha...
Aur uss ladki ka chehra bilkul mere jaisa....
Ye aakhir kaisa swapn tha, kya ye koi bhram tha, ya sanyog.
Bhavishya ki kalpanaye tha ya beeta huaa kal...
Aakhir ye kya tha....
.
.
. Aaj ke liye itna hi guys. Bahut mehnat lagi hai iss ansh ko likhne me, like to thok ke hi jana hoga.
Toh Neha aur kishan ka punarjanm hua hai aur dheere dheere Neha ko sab kuch yaad aata jayega parntu kishan ko kuch bhi pata nahi hai abhi aur sayad jab usko uski dadi woh mala dengi toh sayad kishan ko bhi kuch yaad aajaye...
Ab tak mai chilla kar - abe o suaro ki aulaado, dikhayi nahi deta kya, jab gadi chalane nhi aati to kyun rakhhe ho,
.
Meri baato ko sun kar scorpio wale ne apni gaadi rok di aur fir apne gate khola...
Ye ek lagbhag 65 saal ka budha tha, jisko dekhte ke sath lag raha tha ki iska audha bhi shayad bijendra dada jaisa hi hoga.
.
Ab aage
.
(New introduction)
.
Sukhdev seth ( lala) 65 - bijendra ji ke gao ka hi ek rasukhdaar aur ghamandi insaan, shehar me iska apna realstate ka business hai, par wo shirf naam ka hai, baaki real state ke aad me ye bahot saare gair kanuni dhande ko anjam deta hai, jaise drugs smugling, duplicate medecine,
Illegal transport, aur bhi bahot sara gair kanuni kaam karta hai ye.
.
Hari laal ( munsi)56 - ye hai seth ka chamcha, jo ki seth ki saari legal aur illegal dhando ki lekha jokha rakhta hai, ye hamesh seth ke sath hi rahta hai.
.
Kallu pahalvan 26( seth ka personal bodyguard ) - kallu sukhdev seth ka personal bodyguard hai, par uski ek aur parichay bhi hai jo ki aage kahani ke sath sath pata chalega.
Kallu ke pita gaao me akhada khole huye hai aur waha wo gai ke navyuvko ko kushti ke gur sikhate hai.
Kallu uss akhade ka sabse behtar pehalwaan hai, par kuchh majboori ke kaaran usse lala ka bodyguard banna pada, baaki dil ka bahot saaf hai.
.
(Lala ki family)
.
Ranjeet ( bada beta) 50 - baap ke sath uske saare ache aur bure dhando me involve rahta hai... Ek taraf se dekha jaye to lala ka itna bada gair kanuni dhande ko khada karna ranjeet ke tez dimag ke vajah se hi hua hai. Ladkiyo ko tuchh samjhta hai, iske anusaar ladkiya sirf ladko ke bistar garm karne ki chiz hoti hai. Par kahte hai na ki jo insaan darinda hota hai unhi ke naseeb me bhagvaan kisi sati savitri ko likh deti hai, waisa hi haal kuchh iska hai, jitna kameena ye hai utni hi sidhi aur sanskaari iski bibi reena hai.
.
Reena ( ranjeet ki patni) 45- ye ek shant swabhav ki aurat hai , isko shirf apne bache aur bhagvaan ki pooja inhi do chizo se matlab hai,
.
Rockey 25(Ranjeet aur reena ka beta) - ye ek awara kism ka insaan hai,jyadatar sahar me hi apne baap ke farmhouse me raate rangeen karte rahta hai. Par gai me jab bhi aata hai to ekdam seedha ban ke aata hai, kaaran hai sheetal , sheetal ka jisse vivaah tay hua hai wo rockey hi hai. Rockey jab se sheetal ko dekha tha rab se hi uske jism ke prati uski iraade badal gaye the... Par usne jaldbaaji nhi ki, rockey bhi apne baap jaisa hi bahot tez tha... Usne dimag lagaya aur apne gao me apni ek alag hi chhavi bana li. Sath hi sath sheetal ke maa ke dil me bhi ek achhe ladke ki chhavi bana li, yahi karan tha ki uske ek baar bolne matra se hi sheetal ki maa shadi ke liye razi ho gyi thi.
.
Simran 20( urf simi) - ye jaldi gao nhi aati hai, jyadatar shahar me hi rahti hai, iska nature apni maa jaisa hai, kabhi bhi galat kaam nhi karti hai , hamesha apni study pe focused rahti hai.
. Ab kahani ke taraf .
" Ee kon hai re hariya, gao me pahle to kabhi nhi dekha dekha hai, par chehra kuchh jana pehchana lag rha hai, aur iske sath itni subah subah sheetal ka kar rhi hai. "
.
Lala ne jaise hi kishan ki aawaj suni waise hi gadi se utar kar munshi se poocha.
.
Lala ke gaadi se bahar nikalte hi munshi aur kallu pehalwaan bhi bahar nikal gya.
.
" Kaun hai re Tu chhokre, aur yahann seth ji ki hone waali bahu ke sath kya kar rha hai... Aur sheetal bitiya aap yaha kya kar rhi ho... Aapko maalum hai na ki aap kuchh mahino me seth ji ke ghar ke bahu banogi to aise itne subah subah kisi gair mard ke sath ghumna achhi baat nhi. "
. Munshi ne pahle to tav se kishan se uska parichay poochha fir baad me sheetal se uske yaha hone ka karan.
.
"Sheetal" Jo ki lala ko gadi se utarte hi pehchan gyi thi, usse dekh kar darne lagi...
.
Sheetal - wo wo, mai kal nimi ke ghar pe thi kaka, to ussi ke sath subah tahalne nikli thi, aur ye koi gair nhi hai, ye swargiye shambhu pratap ji ke pote hai yaha kalpana didi ke shadi me aaye hai.
.
Sheetal ne jaise hi mera parichay diya waise hi wahan mauzud teeno shaks ke chehre ki bhav badal gaye.
Lala ke chehre pe ek nafrat aur aaahcharya ke bhao aagye the kishan ke shambhu pratap ji ke pote hone ki baat jaan kar,
Wahi munsi bhi aashchrya chakit hokar kishan ko dekhne laga, par uske chehre pe ek dar ka bhai bhi mujhe dekhne ko mila,
Wahin, kallu pehalvaan ke aankho me ek chamak dikhi thi mujhe, uske chehre pe aschrya ke saath khushi ke bhi bhai dikhe.
.
Mujhe to kuchh samajh nhi aarha tha ki ye sab mere baare me sun kar aise kyu react kar rhe hai, mai to bas abhi yahi soch rha tha ki yahi hai wo log jinke ghar me sheetal ki shadi set hua hai.
. Pata nhi kyu, par mujhe ye jaan kar bahot bura lag raha tha. Shayad mai ab sheetal ko pasand karne ke sath sath pyar bhi karne laga tha. Mujhe achha nhi lag rha tha ki sheetal kisi aur ki ho jaye. Par abhi mai aisa kuchh karna nhi chahta tha jisse ki meri life me aur bhi pareshaniya aaye. Aur pahle sheetal ke man ki baat bhi to jaanna tha, uske baad hi iske baare me kuchh sochta..... . Munshi - achha thik hai sheetal bitiya, dikha do chhote pratap ji ko apna gao fir. Ham log chalte hai. Hame der ho rhi hai. . Munsi ji jaise hi waha se jaane lage maine unhe aawaj laga kar roka... Zahir si baat hai jiss baag ke liye usse roka tha wo ti hua hu nhi, aur kisi ko aise hi chhod dena mujhe pasand nahi... . Mai - are thoda rukiye uncle ji, hamse bina mile kaha ja rhe hai... Av itna subah subah gaadi ko havayi jahaj bana kar nikal rhe ho, to thoda hamse bhi mil lo na. Aur iss havaayi jahaj ko kon chutiya uda rha tha jara mujhe bataiye. . Tabhi lala udhar se bolta hai . . Lala - jaban samhal Kar baat karo ladke, varna yahi zameene dafan kar dunga tumhe... Tum mehmaan ho to mehmaan ban kar rh. Chalo hariya... . Munshi - aur hann, wo Mai tha jo gaadi chala rha tha, bol kya bolna hai tujhe bol. . Mai - filhaal to mai jyada kuchh nhi bolna chahta kyonki mai iss gao me koi bakheda nhi karna chahta, kyonki mai yaha shadi me aaya hun mehmaan ban kar... Par ek hidayat deta hunn munshi ji, apni havayi jahaj ko soch samajh kar kahi le jana, ekadh baar tufaan me fas gayi na to tum sab gayab ho jaoge.... . Chalo sheetal.... . Itna bol kar kishan sheetal ki hath pakad kar waha se nikal gaya, aur jakar nimi aur rj ke paas baith gya... . Aur idhar munshi - tum waha khade khade kya tamasha dekh rahe the kallu, jab wo ladka mere aur seth ji ke baare me ulti sidhi baate kar rha tha ! Yahi duty nibha rhe ho tum.... Koi bhi raah chalte hame gaali dekar chala jaye. . Kallu - maaf karna munshi ji, par mai pratap ji ke kisi bhi sadasya pe hath nhi utha sakta. Unke bahut se upkaar hai hmare pariwar par. . Lala - apna upakar apne pichhwade me daal le re kallua, saala wo 2 din ka chhokra hame suna kar chala gya aur tu upkaar ki baate kar rha hai. . Fir teeno gaadi me baith kar shahar ki taraf nikal jaate hai. . . Charo kuchh der vyayam, yog aur daud lagte hai fir kishan rajnish ko wapas haveli chalne ko kahta haii, aaj se shadi ki veedh prarambh hone wala tha haveli me, Aaj mehndi ke rashm ke sath sath aur bhi bahut saare kshetriye veedh aur rashm hone the. . Wapas aate waqt bhi rj aur nimi apne me hi lage rhe, Aur unke pichhe mai aur sheetal chupchap chale aa rhe the... . Jab se mai,... lala aur munshi se mila tha, aur usse mujhe ye pata chala tha ki lala ke ghar me hi sheetal ka byaah tay hua hai, tab se mujhe kuchh bechaini si hone se lagi thi, dil me kahi dard sa uthne laga tha,... Aur man me chal rhe issi udhedbun ke karan mai abhi tak sheetal se kuchh bhi nhi bola tha. . Sheetal bhi ye baat note kar rhi thi . . Sheetal -" Kya hua kishan, aap kuchh bol kyu nhi rahe hai, mujhse koi galti ho gyi hai kya... " . Mai - are nhi to, aisi koi baat nhi hai mai to bas aaj haveli me kya kya kaam bacha hai karne ko yahi sab soch rha tha. Achha tumhare ghar me kon kon hai sheetal, ? . Sheetal -filhaal to bas mai aur meri maa hai.... Papa abhi bhi dehradoon me hi hai, wo bhi army me hai na to unki duty wahi lagi pe base camp me lagi huyi hai. Mai bhi wahin pe thi, pichhle mahine hi gao aayi hun... . Mai - achha issiliye tum ne uss din bola tha ki mujhe pahle kabhi dehradun me dekhi ho. . Sheetal - hann, par wi mere muh se achanak nikal gya tha,.... Sach to ye h ki mai pahle tumhe kabhi nhi dekhi hun. . Mai - achha.... Waise shadi kab h tumhari. ( kishan aage dekhte huye bolta hai, jise sunkar sheetal uske chehre aur aankho ko dekhnelagti hai. .
Sheetal - .... .......
.
Mai - kya hua, shadi ty huyi hai tumhari to apne dosto ko nhi bulaogi kya.
.
Sheetal - mujhe nhi pata, meri shadi mujhse bina poochhe huye meri ma ne tay kar di, jabki Mai abhi shadi nahi karna chahti.
.
Mai - kya.....? Tumne ladke ko dekha hai, ya fir uske baare me pata lagaya h ki nhi.
.
Sheetal - Mai ne usse dekha hai dikhne me to thik hi lagta hai, par mujhe uske vyavhaar kuchh sasi nhi lagta. Gao me to shareef bana firta hai, Par neelam aur saveeta ka kahna hai ki shahar me wo apne college me poori aiyaashi karta hai.... Are wo bhi to aake hi shahar ne rahta hai... Wahi uske dadd ji ki apni buisness hai.
.
Mai - jab tum itna sab kuchh janti ho to shadi kyun kar rhi ho usse, jab wo itna ghatiya hai tab to wo tumhari zindagi barbaad kar dega.
.
Sheetal - Mai ne maa ko bahut samjhaya, par unka kehna hai ki shadi ke baad wo sudhar jayega. Aur wo kahti hai ki agar ab wo shadi ko todne ki koshish karengi to fir aage chal kar jab bhi meri kisi se shadi hogi go uss shadi me lala pareshani karega.
.
Sheetal ki baat sun kar Mai achanak ruk gya, aur mere man me bas yehi khayal aaya ki ab Mai sheetal ko apne dil ki baat bol din, iss se acha mauka shayad fir dobara na mile.
.
Mere achanak rukne se sheetal jo thoda aage chal gayi thi wo pichhe mud kar dekhi , aur mujhe yun khud ko ghoorta dekh nazre niche kar li.
.
Ham dono abhi haveli ke pichhe wale bagiche me pahunche the... Jaha iss waqt koi nhi tha,... Rj aur nimi bhut aage nikal chuke the, shayad haveli bhi pahunch chuke honge.
.
Mai dheere dheere sheetal ki aankho me dekhte huye uske taraf badhne laga. Aur uske paas pahonch kar uske haath pakad liye... Aur uske baad..
.
" Sheetal, Mai kal se hi tumhe kuchh kehna chah raha tha, par maine jaise hi suna ki tumhari shadi tay ho gyi hai waise hi pichhe hat gya... Par ab nhi....
"Sheetal " Mai tumse bahut pyar karne laga hun, pata nhi kyunn tumhe dekhta hun to lagta hai tum me meri poori duniya samayi huyi hai....
Mai tumhe al a bana chahta hun sheetal,...
I love you.... Sheetal...
Kya tum meri pyaar ko apna sakti ho. . .
.
Kishan jo ki itna bolte bolte apne ghutne pe baith gya tha aur ek aas bhari nigaho se sheetal ke jabab ka intezaar karne laga tha.... Par sheetal.... Ek pal ke liye to sheetal ko aisa laga ki usne poori duniya hi jeet li ho aur uske aankho se khushi ke aanshu tak girne lage.
Par jaise hi usse yaad aata hai ki uske shadi ek aise gharane me pahle hi tay ho chuki hai , jahan ke log insaan nhi balki haivaan hai.
Gao bhar me lala aue uske bete ranjeet ke kisse mashhoor the, rockey yahan nhi rhata tha islye usske baare me yaha gao me bahut kam log hi jante honge.
.
" Mujhe maaf kar do kishan, Mai bhi tumhe bahut pasand karti hun par Mai ye shadi nhi tod sakti warna wo log ( lala aur ranjeet) hamare pariwar ko jine nhi denge , aur agar unhe pata chala ki Mai tum se pyar karti hun to wo tumhe bhi nuksaan pahunchane ke koshish karenge. Aur agar tumhe kuchh ho gya to Mai jeete ji mar jaungi.
.
(Rote huye)
Mere bhagya me hi pyaar nhi likha hai kishan.... Nhi likha hai.... "
. .
..
.
Aaj ke liye itna hi guys... Agla update ek mega update hoga neha se related... Jiska zikra maine pichhle mega update dene se pahle kiya tha.
. Neha ka swapn