• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Lucifer- The fallen angel(completed)

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Lone survivor

Well-Known Member
8,687
29,811
219
WRITER’s NOTE

School times se likhne ka bahut shauk tha mujhe mostly poems hi likhta tha. School me hi ek ladki mili bahut pyaari thi. College ke 3rd year tak relationship chala fir vo chali gaye door. Uske baad kabhi socha nahi tha dobara kuch likunga. Bilkul man hi nahi karta tha. Nashe to jaise jindagi ban gaye the. Pehle bhi nashe karta tha lekin uske baad jada ho gaye. Akela rahna acha lagne lagega aur dheere dheere sab door hote chale gaye. Main akela hi bacha tha. Tab kahi se xf ka pata chala aur pata nahi kyu aise hi ek raat pehli story ka first update post kar diya. Ek medium mil gaya tha mujhe kuch share karne ka aur acha bhi lagne laga tha. Dheere dheere vapas likhna start kiya aur es baar stories. Xf par kuch stories likhi fir vo band hua to yaha aa gaya. Aur vohi silsila yaha bhi kamyaab raha. Aap sabko sayad idea nahi hoga ki jo thoda bahut interact hota hai humara yaha vo kitna important ho sakta hai kisi ki life me. Es waqt mere pass almost sab kuch hai lekin agar kisi ko kuch share karna chahu to aisa person nahi hai esliye beech beech me kuch updates me apni situation likh deta hu to acha lagta hai. I hope ki humara sath aise hi aage bana rahe.

Ek mew story ka dimag me kuch idea hai lekin kab start hogi eske liye abhi sure nahi hu

May be main kuch dino ke liye rehab chala jau ya fir kuch aur mil jaye sath chalne ke. Lets see

In the end i want to thank each and everyone of you guys who has supported me and gave me so much love. Means a lot

Thank you so much guys. Jaldi hi milte hai ek new story ke sath tab tak ke liye 👋
 

gopal.10495

Member
138
495
78
UPDATE-14
Ek bahut bade hall type room me ek admi khada hua tha aur kuch announce kar raha tha aur uske samne bahut sare log bathe hue the jinme ashmita bhi thi

Aadmi- so this deal goes to... sabki najar us aadmi par tiki hue thi aur ashmita bilkul shant bathi hue thi jaise usse pata ho ki deal to usse hi milne wali hai, Mano vo to yaha formalities puri karne aae ho

Aadmi- to the rathore group aur ye vaha foota ek bomb
Jaise hi raichand ka naam liya gaya ek second me vaha ka shant mahool me khusar phusar hone lag gaye
Sab yehi soch rahe the ki ye kaise hogya, deal to raichands ki thi aur unka offer bhi bahut acha tha sath me market me unki monopoly bhi thi to aisa kya hogya ki kuch mahino pehle india aaye company ko etni badi deal de di gaye

Yaha ye sab chal raha tha aur vahi ashmita bina koe expression diye vaise ke vaise bathi hue thi

Aadmi fir se bolne laga
Now I welcome the MD and ceo of rathore group miss inaaya to come and sign the documents

Ye sabse bada dhamaka tha ashmita ke liye jiske bare me usne socha tak nahi tha
Inaaya naam sunte hi unke chehre ke expression badalne lag gaye aur uski najar apne aap gate ki taraf chali gaye jaha se inaaya ek one piece black dress me kahar dahate hue ander aa rahi thi

Ashmita to bas usse dekhti hi rah gaye
Ye usne apne sabse horrible dream me bhi nahi socha tha ki aisa kuch ho jayega

Vaise aisi hi halaat kisi aur ki bhi thi vaha lekin uski halaat ka karan tha dar
Ab vo dar kis chhij se tha ya kis ke liye tha ye to nahi pata lekin inaaya ko dekh ke hi uske chehre par pasine aagaye the aur ye vohi aadmi tha jo sab announce kar raha tha

Inaaya ander aaye us aadmi se hath milaya documents sign kiye aur bina kuch bole vaha se jane lagi

Vo ashmita ke pass pahuchi jo aankhen faade bas usse hi dekh rahi thi
Vaha ek second ruki dono ki aankhen ek dusre se mili aur fir inaaya muskurae aur vaha se chali gaye

Ashmita me to jaise jaan hi nahi bachi thi ab, usse abhi tak yakeen nahi ho raha tha ki uske sath ek jhatke me kya hogya aur ye uska pehle project tha

Vaise abhi uske dimag me deal se related koe bhi baat nahi thi lekin inaaya.......
Inaaya ko vaha dekh ke vo puri tarah se hil chuki thi

Dheere dheere vaha se sab log jane lage aur last me sirf ashmita hi bach gaye thi vaha aur ek vo aadmi

Vo aaya ashmita ke kandho par apna hath rakha aur I'm sorry bol ke vaha se chala gaya

Pata nahi kitni hi der tak ashmita vaha bathi rahi aur pata nahi uske sath es time kyu bit rahi thi
Ye to sirf vohi janti thi

In the end usne bahut muskil se Tara ko call kiya aur usse bulaya

Tara bechari ashmita ki aisi aawaz sun ke hi bahut dar gaye thi aur bhagte hue vaha pahuchi aur kisi tarah ashmita ko vaha se ghar leke gaye

Next day

Lucifer- how was my gift?
Inaaya apne cabin me ghusi to vaha sofe par lucifer pehle se batha hua tha
Batha nahi leta hua tha

Inaaya- well it was not that bad
Lucifer- so now we can talk right?

Inaaya- lucifer main tumhe pehle hi kuch chhije clear kar deti hu
I will not work with ashmita at any cost and I will not let you disrespect her too
Eske alava kuch chahiye to batao
Lucifer- I never disrespected anyone in my life

Inaaya- mujhe pura bharosa hai tum par( sarcastically)
Lucifer- dil hi tod diya tumne to

Inaaya- hai tumhre pass dil?
Lucifer- bahut bada lamba mota kala hai dikhau?

Inaaya- third thing don't you dare to talk to me like that again
Lucifer- pagal dunia me aagya hu bc main

Inaaya- lucifer last chance thoda gusse me bolti hai
Lucifer- look I wanted to be with ashmita no matter what
So agar tum kuch kar sakti ho to batao hum dono ka fayda hoga otherwise agar meri vajah se deal aaye hai to ja bhi sakti hai

Inaaya- why you wanted to be with her?
Lucifer- it's personal and definitely not sensual

Inaaya kuch bolne wali thi ki uska intercom baja
" ma'am miss ashmita raichand wants to meet you"

Ashmita ka naam sunte hi inaaya lucifer ko dekhne lagi aur lucifer uski taraf halki smile pass Kar deta hai

Inaaya- tumhe jana hai?
Lucifer- sayad mafi mangne aaye hai
Tum easily mera kaam kar sakti ho ab
Profit dekho miss rathore profit
Main tumse kuch nahi maang raha aur bahut kuch de raha hu

Inaaya ne ek baar fir lucifer ko dekha sayad kuch padhna chah rahi ho fir boli " bejh do"

Inaaya- coffee peoge ya saraab?
Lucifer- zehar

Inaaya- baatein bhi uski tarah hi karte ho aur inaaya khadi hoke ek bahut mhangi saraab ki bottle nikalti hai aur teen chhote chhote peg banati hai

Knock knock
"Come in" inaaya andar se boli

Aur dheere dheere gate khula aur ashmita usme se andar dakhil hue

Sabse pehle to uski najar inaaya par gaye jo vapas apni jagah par bath gaye thi aur uske samne teen glass rakhe hue the fir uski najar lucifer par gaye jo seat piche karke usse hi dekh raha tha

Dono ki najare mili aur lucifer ko smile karte dekh ashmita andar hi andar jal bhun gaye lekin usse abhi tak ye samjh nahi aaya tha ki vo yaha kya kar raha hai?

Inaaya- khadi hi rahna hai kya?
Ashmita bina kuch bole lucifer ke side me bath gaye

Aur vaha shanti chha gaye koe kuch nahi bol raha tha vahi inaaya sirf ashmita ko hi ghur rahi thi

Lucifer- tum dono lesbian to nahi ho?
Ya fir tum hi eska khoya hua pyaar ho bachpan ka esliye sab kuch etna awkward kar diya ek dam se
Inaaya- shut up

Lucifer- main to bas jaan pahchan badha raha tha
Inaaya- lucifer????
Please shut the fuck of

Lucifer- okayyyy
Do second fir koe nahi bola uske baad ashmita ne himmat karke bol hi diya I'm sorry inaaya, I'm really really sorry

Lucifer- fuck main sahi tha
Khushiya manao bc khoya hua pyaar mil gaya
Ashmita lucifer ko kha jane wali nighao se dekhti hai lekin bol nahi pati kuch

Inaaya- agar tumne ek aur word bola to main bhul jaungi ki humare bich koe deal thi aur fir tumhe kuch nahi milega
Lucifer- jada ho raha hai ab
Lekin sah leta hu thoda aur

Ashmita- inaaya main bachhi thi tab mujhe nahi pata tha kisi chhij ka
I'm really sorry to what I did to you
I want to apologize for everything
Inaaya- great I accepted your apology
Cheers aur ek glass lucifer ko aur ek ashmita ko diya jabadarsti cheers kiya aur ek jhatke me lucifer aur inaaya pee gaye lekin ashmita ko kuch samjh nahi aaya

Ashmita- wait what?
Inaaya- yeah I accepted your apology now get the fuck out of my office
I'm discussing something very important with lucifer

Ashmita- inaaya please listen to me na?
Please
Inaaya- tumne galti ki tumne maafi mangi aur maine maaf kar diya
Sab khatam
Ab jaldi se niklo yaha se bahut time waste ho gaya hai mera

Inaaya- lucifer kya tum MISS RAICHAND ko bahar ka rasta dikha doge?
Lucifer- I think enhe pata hai?

Inaaya- next 10 seconds me agar ye yaha se chali gaye to main tumhri conditions accept kar lungi

Lucifer ne etna suna, khada hua ashmita ko god me uthaya aur office ke bahar chhod aaya
Fir vapas cabin me aagya
Lucifer- that was fun

Inaaya- you also get out now
Ek week do tumhra kaam ho jayega lekin mera naam nahi aana chahiye
Lucifer- thank you you rude bitch
Aur vaha se chala gaya

Bahar to sochne laga ki aage kya karna hai, lucifer jada dimag to lagata nahi tha usne simply yehi socha tha ki ashmita se to sidhe jake bol nahi sakta ki mujhe apne sath rakh lo tumhe meri jarurat hai ya fir lucifer ko uski jarurat hai lekin vo inaaya ke through kaise bhi karke ashmita tak pahuch sakta tha
Ha ye jarur tha ki inaaya ke through jane me usko hate bahut jada milegi ashmita se lekin kya hi fark padta hai
At least apna mission to kar hi payega na fir kya pata usse apne bare me bhi janane ko mile

Yehi sab sochta sochta vo apne flat par aagya aur ek do chhilam fukne ke baad dhayan lagane laga

Usse abhi inaaya ke bare me janana tha esliye usne uska naam liya lekin ye kya bc?
Blank?
Kuch bhi nahi dikha?
Ashmita ke time par usse thodi bahut destruction to dikhi thi yaha to usse kuch nahi dikh raha

Kya chutiya shakitya hai bc mere pass lucifer apne hi man me badbadaya

Sala jinke bare me janana hota hai unke bare me to kuch bata nahi pata kya ghanta karu main aisi shaktiyo ka

Lucifer ye sab sochta sochta so jata hai

Kahi dusri jagah par
"Maine bahut intezaar kar liya hai lekin ab aur nahi. Ab to vo dono ek jagah mojud hai, bahut tadpa hu main aur ab sabko tadpa tadpa ke ek chij chij ka badla lunga"

" lekin sir kya hum us se lad payenge?"

" Ha ha ha ha ha ha ha hum usse lad hi nahi payega, hum usse hara bhi payenge"

"Vo kaise"

" yehi to fayde hai lambi tapasya ke aap bahut kuch jaan jate ho aur main jaan gaya hu uski ek sabse badi kamjori, ab mujhe koe nahi rok sakta"

"Marega vo fir bhi nahi"

" Ha ha ha marna bhi nahi hai, vo aisi loop me fasega ki vo bas dua karega ki maut aajaye"

" kya soch rahe ho aap"

" jao vaha aur bas halato ko dekh ke aao lekin yaad rahe kuch karna mat nahi to kutto ki maut mare jaoge"

" usse pata lag jayega jaise hi hum uske aas pass jayenge"

" kosis karna fir zinda vapas aane ki"

" jo nahi ho sakta"

" vaha jao aur mujhe vaha ki halaato ke bare me batao, ki kab hum kya kar sakte hai"

" ye to aap dekh sakte ho"

" unke bare me nahi dekh sakta, ab aur koe sawal nahi aur jao"

Eske baad sab vaha se chale jate hai
Ye koe information nikalne wali yojna nahi thi bas ye dekhne ke liye apne logo ki kurbani di ja rahi thi ki vo ab bhi utna hi saktisali hai ya fir waqt ne kamjor bana diya hai

Vaise bhi raja ko kaha hi praja ki chinta hoti hai usse to bas Jung jeetne se matlab hota hai chahe kimat kitni bhi badi kyu na chukani pade

Aur yaha bhi yehi chal raha tha ek bahut badi jung jiski suruvaat to barso pehle hue thi aur abhi tak chali aa rahi thi aur umeed to yehi thi ki ye jaldi hi khatam hone wali bhi nahi thi kyuki abhi to vajir chaal chal raha tha, na abhi raja ne ek kadam bhi chalaya tha aur rani ko to pata bhi nahi tha ki khel suru ho chuka hai, vo to abhi bhi apne mahal me aaram faila rahi thi lekin eska ye matlab nahi tha ki pyade kurbaan nahi honge
Sabse pehle number to pyaado ka hi aata hai aur fir uske baad dheere dheere baki sab ka....

Sath bane rahe
Achchha likhte ho bhai...

Mast update
 
  • Like
Reactions: Zoro x
Top