• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Completed)

dhparikh

Well-Known Member
6,545
7,912
173
UPDATE- 101


Sarita dwara pyaar ka izhar kiye jane par Nishchal Khushi se phoola nahi sama raha tha. Uska itne din ka intezar aaj khatam ho gaya tha. Usne Khushi se jhoomte huwe apni bahein faila di to Sarita Uske sine se lag gayi.


dono ke liye ye ehsas bahut sukhad tha. Dono ko is samay yahi lag raha tha ki ye wakt yahi tham jaye aur dono aise hi gale lage huwe sari zindagi gujaar dein. Dono ki dhadkane bahut tezi se chal rahi thi. Sarita ke gaal sharam aur Khushi se lal ho gaye the. Kuchh der dono aise hi shant ek doosre ke gale lage huwe khade rahe.


Thodi der baad Sarita ne is shanti ko bhang karte huwe kaha.


Sarita- Ab mujhe samajh mein aaya ki main aapke samne aisa bartav kyon kar rahi thi.

Nishchal- hhmmmmm. Par ye to batao ki tumhe is baat ka ehsas kab huwa.

Sarita- Di ki shadi ke samay.

Nishchal- Achha ji. To tumhara 15-20 din mein hi ye haal ho gaya hai to mera socho. Maine to jis din tumhe pahli baar dekha tha usi din se tumpar mar mita hoon. Socho. Itne dino mein meri kya halat hui hogi.


Nishchal ki baat Sunkar Sarita usase alag hui aur use dekhne lagi. Nishchal ne usase kaha.


Nishchal- Ab aise kyon ghoor rahi ho.

Sarita- Main ghoor nahi rahi hoon. But Seriously Pahli baar milne par hi??

Nishchal- Aur nahi to kya. Tumhe lag raha hai main Mazak kar raha hoon.

Sarita- Nahi Mazak nahi lag raha hai, lekin aapko dekhkar kabhi laga hi nahi ki aap mujhse pyaar karte hain. Aapne pahle kyon kuchh kaha kyon nahi??


Nishchal ne Sarita ki nakal karte huwe kaha.


Nishchal- Aapne pahle kuchh kaha kyon nahi??


Nishchal ki baat sunkar Sarita chidh gayi aur munh fulakar doosri taraf dekhne lagi to Nishchal ne kaha.


Nishchal- Us din gadi mein maine wo sab tumse hi kaha tha, lekin tum to itna hiper ho gayi thi ki mujhe apni baat hi badalni padi. Agar us din maine kano mein bluetooth nahi lagaya hota to tum mera gaal lal kar chuki hoti. Itna hi nahi. Tumne us baat ko lekar ye andaza laga liya ki main charu se pyaar karta hoon. Had hai yaar.

Sarita- Kyao na lagaun andaza. Wo hamesha apke aas paas mandara rahi thi.

Nishchal- Achha. Ye to naya tarika khoj nikala hai tumne ki jo insan kisi ke aas-paas mandara raha ho wo usase pyaar karta hai. aise to tum mere aur Jawed ke bare mein, Jawed aur Mohit ke bare mein aur Mera aur mohit ke bare mein bhi sochti hogi.


Nishchal ki baat sunkar Sarita ko hansi aa gayi aur wo hanste huwe boli.


Sarita- Nahi main aisa kuchh nahi sochti aap logo ke bare mein. Main to bas….


Nishchal ne uski aankho mein dekhte huwe kaha.


Nishchal- Kya bas.


Sarita ko ab kuchh bolte hi nahi ban raha tha to Wo waha se jane lagi to Nishchal ne uska hath pakadkar apni taraf kheech liya. Sarita Nishchal ke sine se lag gayi. Nishchal ne Sarita ki aankho mein dekhte huwe uske chehre par aayi hui lato ko uske kan ke pichhe karte huwe kaha.


Nishchal- Tumne to kah diya jo kahna tha. Ab mera bhi jawab to sun lo.


Itna kahkar Nishchal apna munh Sarita ke kan ke paas le gaya. Sarita ki dhadkane is samay bekaboo ho rahi thi. shayad yahi hal nishchal ka bhi tha. Nishchal ne uske kaan mein dhire se kaha.


Nishchal- I Love You too. Mujjhe tumse pyaar tha. tumse pyaar hai aur hamesha tumse hi pyaar rahega.


Ye sunkar Sarita ne apni aankhe band kar li thi. is samay Sarita ekdam madhosh ho chuki thi. Nishchal ki sans use apni gardan par mahsoos ho rahi thi. Sarita ke sharir mein ek ajeeb si halchal ho rahi thi.


Nishchal apni baat kahkar pichhe hat gaya. To Sarita ne apni band aankhein kholkar Nishchal ko dekha to wo samne khada mand mand muskura raha tha.


Ye dekhkar Sarita ne sharam ke mare apna chehra doosri taraf ghuma liya. Nishchal ko bhi ye samajh mein aa raha tha ki dono filhal is mamle mein jyada baat nahi kar payenge to Nishchal ne kaha.


Nishchal- I think ki ab hamari batein poori ho chuki hain to main jaun.

Sarita- Lagta hai Manisha so gayi hai to fir darwaza kaun kholega??


Sarita ne ye baat Nishchal ki taraf dekhte huwe kaha to Nishchal ne shararat bhare lahze mein kaha.


Nishchal- To directaly tum ye kyon nahi kahti ki main aaj raat yahi par ruk jaun. Chhote miya ka bahana kyon bana rahi ho??


Sarita ne Nishchal ki baat sunkar apni aankhe badi karte huwe kaha.


Sarita- Hey bhagwaan. Maine aisa to nahi kaha na. main aisa kuchh soch bhi nahi rahi hoon. Agar aapko bharosha na ho to use phone karke dekh lijiye. Wo uthegi hi nahi kyonki wo raat mein aksar apna phone silent mein rakhti hai.

Nishchal- Pata hain mujhe. Main to bas aise hi tumhe chhedne ke liye bol raha tha. Ab kya karein ham??

Sarita- Aapko sona hai.

Nishchal- haan.

Sarita- To aisa kariye aap bister par so jaiye main jameen par bistar lagakar so jaungi.

Nishchal- Are nahi aise kaise. Tum bistar par so jao main jameen par so jaunga.

Sarita- Nahi na. waise bhi mujhe neend aa nahi rahi hai to aap so jaiye.

Nishchal- Chalo koi baat nahi fir ham dono baith kar batein karte hain.


Itna kahkar Nishchal bed se tek lagakar jameen par baith gaya to Sarita ne kaha.


Sarita- Abhi to aap kah rahe the ki aapko neend aa rahi hai.

Nishchal- Kuchh samay pahle aa rahi thi, lekin ab nahi aa rahi hai aur plz ab is baat ko lekar tum mujhse jhagda mat karne lag jana.

Sarita- (ghoorte huwe) Aap kahna kya chahte hain ki jhagda main start karti hoon.

Nishchal- Aur nahi to kya. Dekho tum jhagda karne ke mood mein aa gayi ho..

Sarita- Thik hai ab main kuchh nahi bolungi. Aap khud hi boliye, khud hi suniye aur jab thak jaiye to chupchap so jaiyega.


Sarita ki baat sunkar Nishchal ne Sarita ki naak pakadte huwe kaha.


Nishchal- Ye tumhari naak hai na. jab gusse mein ekdam lal ho jati hai to tum bahut khoobsurat lagti ho aur wo khoobsurti mere dil ka haal behaal kar deti hai.


Nischal ki baat sunkar Sarita ne hanste huwe kaha.


Sarita- Aap kaam hi aisa karte hain ki mujhe gussa aa jata hai.

Nishchal- Achha ye sab chhodo. Chhote miya bata rahi thi ki tumhara kuchh aim hai jiske karan tum Pyaar se door bhagti thi.


Nishchal ki baat sunkar Sarita bhi bed ke doosre kinare par jameen par baith gayi aur boli.


Sarita- aim. Haan mera aim to IAS ban-na hai. Kisi ki baat ne mere dilo dimag par itna gahra asar dala hai ki maine usi samay apna lakshya nirdharit kar liya ki mujhe aage kya karna hai Tabhi maine soch liya tha ki jab tak mera ye lakshya poora nahi ho jata tab tak main in pyaar mohabbat ke chakkaro mein nahi padungi.

Pahle apne dam par apni pahchan bana loon. Fir koi nai jimmedari ke bare mein sochungi, lekin wo kahte hain na ki hamesha jo aap chahte hain wo nahi hota. Mujhe aapse pyaar hona tha aur wo ho gaya.

Nishchal- Ab ye to bahut Achhi baat hai. tumhara aim bahut hi achha hai. (fir Mazak mein) Lekin mujhe lagta hai ki jab tak tumhara aim poora nahi ho jata tab tak tum shadi bhi nahi karogi. Iska matlab hai ki tumhare last attempt tak mujhe most eligible Bachler banker rahna padega.

Sarita- Mera First attempt hi last attempt hoga.

Nishchal- (Hanste huwe) Matlab ye ki mujhe tab tak aise majanuwo ki tarah jindagi gujarni padegi.

Sarita- Hatiye aap. Mera Mazak uda rahe hain aap to. Waise aapka kya aim hai.

Nishchal- Tumhare sapne ko udan dena.


Nishchal ki baat sunkar Sarita use dekhne lagi to Nishchal ne kaha.


Nishchal- Jyada to kuchh nahi lekin main tumhare har kadam par tumhara sath doonga. Tumhare har achhe bure wakt par tumhare sath rahunga. Tumhare har Us faisale ka main samman karunga jo hamare hit mein ho.

main tumhare liye chand tare tod kar lane ka jhootha wada nahi karunga, lekin itna jaroor kahunga ki jeewan ke kisi bhi mod par jab bhi tumhe meri jaroorat hogi tum mujhe apne sath khada paogi.


Nishchal ki baat sunkar Sarita Aakar uske bagal mein baith gayi. fir dono aise hi bate karte huwe so gaye.


Subah Jab Manisha ne uthkar darwaza khola to usne dekha ki Sarita aur Nishchal jameen par baithe baithe hi so gaye hain. Sarita ka Sir Nishchal ke kandhe par tha aur Sarita ke sir par Nishchal ne apna Sir tikaya tha.


Ye dekhkar Manisha ke chehre par ek pyaari si muskan tair gayi. Usne Wakt jaya na karte huwe Es khoobsurat najare ko apne phone mein kaid kar liya.


Dono ki selfi lene ke baad Sarita kamre ke andar aayi aur jor se boli.


Sarita- Good Mornigh Guys..


Manisha ki aawaz sunkar dono hadbada kar uthkar baith gaye. Jab dono ne samne dekha to Manisha khadi muskura rahi thi. Dono ye dekh kar jhenp gaye. Nishchal turant uthkar khada ho gaya aur Sarita ne apni najre niche jhuka li.


Nishchal ne hadbadate huwe Manisha se kaha.


Nishchal- Sorry. Main duty ke liye late ho gaya hoon to main jata hoon.


Itna kahkar Nishchal waha se Sarpat bhaga. Sarita bhi bahana banakar Waha se bhaag khadi hui aur bathroom mein ghus gayi. Manisha dono ki halat dekhkar muskurane lagi.


Sarita Bathroom se nikal kar Nashta karke jab taiyar hokar PS jane ke liye nikli to Manisha use hi ghoor rahi thi. Sarita ne Manisha se kaha.


Sarita- Kya hai?? Aaise kyo ghoor rahi ho mujhe??

Manisha- Aaj kaun si cream lagayi hai didiya. Aaj to tumhara chehra bahut glow kar raha hai.


Itna sunte hi Sarita ne uske kaan pakadkar marodte huwe kaha.


Sarita- Achha beta Tumhe kuchh jyada hi chamak dikh rahi hai. Abhi tumhari raat wali harkat ko main bhuli nahi hoon. Uski bhi saza milegi tumhe.


Manisha ne Sarita ki baat sunkar azeebogarib munh banate huwe kaha.


Manisha- hey bhagwaan. Ab to bhalayi ka jamana hi nahi raha. Jiska bhala kiya maine wahi mujhe saza dene ki baat kar raha hai. Kuchh karo bhagwaan kuchh karo.

Sarita- (hanste huwe) Tumne jo harkat ki wo main bhuli nahi hoon. Bhagwan bhi sab dekh rahe hain. ki kisne kya kiya hai.

Manisha- Tum chaho tab bhi nahi bhool sakti kal raat wali baat. Aap dono ka wo prisious movement jo tha wo.

Sarita- (ghooorte huwe) Tum din-ba-din badtamiz hoti ja rahi ho.

Manisha- Achha thik hai Ab Apne PS jao. Mujhe bakhsh do.


Manisha ki baat sunkar Sarita ne apni kalayi mein lagi ghadi mein dekha aur boli.


Sarita- Ohhhhhhhoooooo. Tere karan itna late ho gaya. Main jati hoon.


Sarita apne PS ke liye nikal gayi aur Manisha use jate huwe dekhkar muskurane lagi. Isi tarah din gujarte rahe. Sarita aur Nishchal ko apne pyaar ka izhar kiye huwe 4 din bit chuke the. Par us din ke baad dono ke bich jyada baatchit nahi hui thi. dono ek doosre ke samne aane par jhijhak mahsoos karte the. Ye sab Manisha note kar rahi thi.


Ek sham Sarita PS se jaldi aa gayi. to Manisha ne Sarita se kaha.


Manisha- Didiya main soch RAHI HOON ki kyon na aaj ham log bahar khana khane chalein. Main boss ko bhi bula leti hoon.


Manisha ki baat par Sarita ne kuchh nahi kaha bas muskura kar rah gayi to Manisha ne kaha.


Manisha- Matlab main boss ko bula loon.


Manisha ne turant Nishchal ko phone kiya aur poori baat batai aur thoda jaldi aane ke liye bola. Thodi der mein Nishchal bhi aa gaya. Jis Restorant mein khane ka plan bana tha wo unke ghar se lagbhag 1 kilometer ki doori par tha. thodi hi der mein wo sab restorant mein baithe huwe the. Dono ko ekant dene ke liye Manisha ne kaha.


Manisha- Mujhe ek phone karna hai aap log baithiye main aati hoon.


Manisha yah kahkar chali gayi. Sarita aur Nishchal dono chupchap baithe huwe the. Kuchh der baad Sarita ne apna sir uthakar dekha to Nishchal use hi dekh raha tha. ye dekhkar Sarita jhenp gayi aur apni najarein fir se niche kar li. Nishchal ye dekhkar Muskura utha. Thodi der baad Nishchal ne kaha.


Nishchal- To kya socha hai tumne??

Sarita- (apni najare uthakar) Kis bare mein.

Nishchal- Abhi
kiss ke bare mein to baat kar nahi raha hoon.

Sarita- (aankh dikhate huwe) jyada hoshiyar ban-ne ki koshish mat kijiyega mere samne.

Nishchal- (kaan pakadte huwe) Sorry.. main preparation ke bare mein pooch raha tha. uska kya socha hai.

Sarita- Sorry mat boliye aap. Main soch rahi hoon ki naukari chhod doon. Kyonki ye naukari karte huwe preparation karna bahut hi kathin hai.

Nishchal- Okkkk. Agar tumhe lagta hai ki tum Naukri karte huwe dhang se preparation nahi kar paogi to tum aisa hi karo, lekin aisa karne se pahle ekk baar Uncle aur Aunty se baat jaroor kar lena.

Sarita- Mummy ko to koi pareshani nahi hogi mere naukari chhodne se. but papa ko manana padega is baat ke liye. Sath mein mummy papa ko aage ke preparation ke liye bhi manana padega, papa ko to koi dikkat nahi hogi isase, lekin mummy jaroor mujhe ye sab karne nahi dengi.

Nishchal- Tum koshish to karo. Agar meri jaroorat padi to main khud Aunty se baat karunga iske bare mein.

Sarita- Thik hai main baat karti hoon mummy papa se. Main ise hi apna final attempt samajhkar padhna chahti hoon isliye aisi taiyari ye naukari karte huwe sambhav nahi hai.

Nishchal- Kyaa baat hai. Tumhe itni jaldi hai apni shadi ki.

Sarita- (shararat karte huwe) Aur nahi to kya. Kya pata main apna aim achive karne mein lagi rahi aur fir se aap kisi charu ke chakkar mein pad jao. Is baar main ye risk nahi lena chahti.

Nishchal- (Muskurate huwe) Thikk hai fir. Apne ghar mein baat karo aur apne mind ko relax karo. Uske baad preparation shuru kar do. Kuchh hi din mein Notification aane wala hai.

Sarita- Haan. Achhi padhai ke liye refrecement bhi jaroori hai.

Nishchal- Notes ki chinta tum mat karna. Notes tumhe main provide kar dunga aur ek baat hamesha yaad rakhana ki main har kadam par tumhare sath hi rahunga.


Tab Tak Manisha bhi aa chuki thi. Order inhone pahle hi de diya tha to khana bhi tab tak aa chuka tha. Nishchal to bahar khata nahi tha, lekin aaj Sarita ke liye usne thoda bahut khana khaya aur payment karke ghar ke liye nikal gaye. Ye log paidal hi the to tino sath hi bate karte huwe ja rahe the.


Chalte huwe Nishchal ne Sarita ka hath pakad liya aur aage dekhte huwe chalne laga. Sarita ne jab Nishchal ki taraf dekha to use aage dekhte huwe paya to man mein hi kaha.


Sarita- Dekho to. Aise behave kar rahe hain jaise inhe pata hi na ho ki inhone mere hath pakda hai.


Sarita apna hath chhudane ki koshish karne lagi to Nishchal ne uska hath kaskar pakad liya. Manisha kankhiyo se ye sab dekh rahi thi wo apni colony ke najdeek hi pahuch chuke the to Manisha ne kaha.


Manisha- Main jati hoon aap log aaiye.


Ye kahkar Manisha age chali gayi to Sarita ne Nishchal se kaha.


Sarita- Ye kya kar rahe hain aap??

Nishchal- (anjan bante huwe) Kya kar raha hoon??

Sarita- hath chhodiye mera. Koi dekh lega.

Nishchal- ye haan chhodne ke liye thode hi pakda hai. Ab to Sari Zindagi tumhara hath pakadkar chalna hai. I Love You.


Ye sunkar Sarita ka chehra sharam se laal ho gaya tha. Nishchal ne apna mobile nikala aur photo kheechne laga to Sarita ne kaha.


Sarita- ab ye kya kar rahe hain aap.

Nishchal- tumhara ye roop har samay dekhne ko nahi milta hai. Har samay to tum naak par gussa liye lady don bani mujhe hadkati rahti ho. Isliye is roop ki phone click kar raha hoon.

Sarita- (hans kar) Kaun sa roop??

Nishchal- Sharam se laal huwe tumhare gaal aur ye jhuki hui najarein.

Sarita- Hmmmm. Agar ab ho gaya ho to kripa karke mera hath chchod dein. PG aa gaya hai.


Nishchal ne Sarita ka hath chood diya to Sarita ne kaha.
Sarita- Ab aap jaiye.


Nishchal- Haammmm. Pahle tum jao.


Sarita jane lagi. kuchh door jane ke baad wo pichhe mudkar uski taraf dekhne lagi. Nishchal ne ishare se poocha ki kya hai to Sarita ne kaha.


Sarita- I Love You too.


Itna kahkar Sarita jhat se andar bhaag gayi. Nishchal Uski ye harkat dekhkar muskurane laga.


Usi raat Sarita ne apne Mummy papa se job chhodne ki baat ki aur iska karan bhi bataya. Aanand ji ko to koi pareshani nahi hui lekin Raani ji ka kahna tha ki use job karne ki jaroorat nahi hai ab koi achha ladka dekhkar uski shadi karni hai unhe, lekin Sarita ki zid aur Anand aur Manisha ke samjhane ke baad Raani ji aakhir maan hi gayi.


Sarita ke Resignation ki baat jab uske staff ko pata chali to Mohit, Jawed, Ranjana, Janhavi, Vikas, Kaushal ko bahut dukh huwa. Sath mein unhe is baat ki Khushi hui ki Sarita Apne Aim ke liye job chhod rahi hai. Saabhi ne use best wishes di.


Udhar Nishchal ne Savi se Apne aur Sarita ke rishte ke bare mein bata diya. Savita bahut khush hui aur usne Sarita se baat ki aur use is naye rishte ke liye badhayi di.
Sarita Aur Manisha Abhishek se milne ke liye jail mein gaye.


Manisha ne Abhishek ko Sarita aur Nishchal ke bare mein bataya to Use bhi bahut Khushi hui, Kahi na kahi use bhi pata tha ki Nishchal hi Sarita ke liye best choice hai.


Sarita ne Resign de diya tha aur Nishchal se kuchh promiss karke Allahabaad aa gayi.



Lagbhag 9 Mahine baad..


Abhishek ki saza poori ho gayi thi use lene ke liye Sarita, Manisha, Raani ji Aur Aanand ji khud gaye the. SAbhi bahut khush the ki unka bhaai aur unka beta Kai Baras baad ghar aa raha hai. Abhishek ne bhi bahut Salo baad khuli hawa mein sans li thi. Use bhi bahut Khushi hui sabse mil kar. Abhishek sabhi ke sathi Allahabad wapas aa gaya.


Udhar Amit ko Nishchal ne apne Sath rakha huwa tha. lekin uski naukari abhi bhi use wapas nahi mili thi. Amit ne jo baat Nishchal se kahi thi. Uske anusar wo sachmuch bahut badal gaya tha. wo poori imaandari aur lagan se kaam kar raha tha. Yahi sab dekhte huwe Nishchal ne SSP se baat karke use naukari par bahal kar diya tha.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Nice update...
 
Top