• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,213 83.2%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 24 1.6%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 188 12.9%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 33 2.3%

  • Total voters
    1,458

Werewolf

ʏᴏᴜ ᴍᴀʏ ᴄᴏᴍᴇ ᴛᴏ ʀᴇɢʀᴇᴛ ᴛʀʏɪɴɢ ᴛᴏ ᴍᴀɴɪᴘᴜʟᴀᴛᴇ ᴍᴇ
Supreme
11,487
89,494
259
Last edited:

andyking302

Well-Known Member
6,024
14,253
174
Update - 67 ~ No one cares about you being second.
Ab tak...

Sonia ko pata nahi kya hua par wo achanak hi zorr se darwaaza band kar baahar nikal gayi.

'Hmm?'

[Something happened...!]

Wo baahar nikli aur nikalte hi usne sabse pehle Mrinal ma'am ko dekhte hue pucha, "Where's the washroom!?"

"Yaha aage se left!" Mrinal ma'am ne bataaya toh Sonia bas tezz kadmo ke saath andar ghuss gayi aur ek baar fir...

*Slaaaammm*

Zorr se usne darwaza andar se hi band kar liya.


Ab aage...

Sonia iss waqt sheeshe ke saamne khadi hui thi.

Aankhein laal, palko par saje hue halke halke aasu jo bas zameen par tapakne hi waale the.

Thodi tezz saasein aur darpan me wo apni khud ki iss haalat ko dekh rahi thi.

Wo toh bas kuch hi dino ke liye baahar gayi thi zaroori kaam se. Keval kuch hi dino se Veer se nahi mili thi. Toh fir...

Toh fir uske kuch din apne sheher se dur rehne par itna bada badlaav kese aa gaya? Wo Kaera jo logo ko bhaav tak nahi deti thi, wo Kaera jisse harr ek cheez boring sii prateet hoti thi. Wo Kaera jisse ladko me koi interest nahi tha. Wo Kaera jo kabhi emotions nahi dikhaati thi.

Toh wo Kaera aaj yaha iss qadar Veer se kyu lipti hui thi bhala? Kyuuuuu???

Aisa kya ho gaya tha inn kuch dino me ki Kaera jaisi ladki Veer ke aalingan me giri hui thi?

Sonia ki kuch samajh nahi aa raha tha. Aaj toh wo yaha Veer ki haalat dekhne aur usse belated congratulations kehne aayi thi uske apne naye food truck ki shuruaat ke liye.

Par... Par yaha ka nazaara toh kuch aur hi tha. Uski puraani dost, jo uss se theek se baat tak nahi karti thi. Uss se kya, jo kisi se bhi dhang se baat nahi karti thi, hamesha ladke uske peeche rehte the. Aaj wo...

Aaj wo yaha ek ladke, Veer se lipat ke chipki hui thi. Jhatka toh laga tha Sonia ko. Par uss se bhi zyaada usse ye baat sata rahi thi ki...

Wo Veer se pehle mili thi. Wo gayi thi Suhana aur Prakash Uncle ke saath Veer ke college uss se pehle milne. Usne pehle Veer ki saari details nikalwaayi thi. Veer ne pehle usse bachaaya tha. Wo Veer ko pehle se jaanti thi. Fir...

FIR KYUUUUUUU!??!

Kyu Kaera aur Veer ke beech usse wo nazar aa raha tha? Wo rishta jo abhi tak uske aur Veer ke khud ke beech nahi bann paaya tha. Kyuuuu??

Zara sochiye ki aap kisi naye dost se mile. Sab kuch badhiya chal raha hai. Aap kuch din ke liye baahar gaye aur jab aap wapas aaye toh aap kya dekhte ho?

Ki aapka ek puraana mitr jo aapse ab rutha hua hai wo aapke uss naye dost ke saath hass kar ghul milkar baatein kar raha hai. Toh kesa lagega aapko? Aisa lagega na ki aapse wo cheez chheen lii gayi ho? Ki aapko kisi makkhi ke samaan nikaal kar thaal me se fek diya ho!? Lagega na!?

Kuch aisa hi ho raha tha abhi, Sonia ke saath.

Aur tezz saasein lete hue usne apni aankhein band kar lii...

*20 years ago*

"La la la la ummmm la la laa hnnn~"

Aaj vacation ka akhiri din tha. Ab mein 1st class me jaane waali thi. Aur kal, meri 1st class ka pehla din tha.

Apne baalo me ribbon baandhte hue mene sheeshe me dekha aur mamma ki make-up kit se brush utha ke apne chehre par foundation potne lagi. Mein sundar thi. Mamma jaisi. Aisa soch ke mein mamma ki nakal karne lagi.

Tabhi peeche se meri mamma aayi aur mujhe dekhte hi hassne lagi.

"Hahahaha~ Sonu?? Ye kya kar rahi hai meri bacchi?"

"Mamma ka makeup laga rahi hu~"

"Accha jii? Aur kyu bhala? Bacche kabse makeup lagaane lage?"

"Mamma lagati hai toh Sonu bhi lagaegi~"

Mene Mamma ki baat par zyaada dhyaan nahi diya. Mujhe toh make-up se matlab tha. Aur pout kar kar ke mein apne poore chehre par makeup pot rahi thi. Banta santa kuch nahi tha par mujhe toh karna tha.

Kyuki kal mera first class ka pehla din tha. Mere friends ko bhi toh pata lagna chahiye na ki mein kitni khubsoorat ho gayi hu vacation ke baad. Sab mujhe dekh ke cute bulaenge fir.

Aur harr baar ki tarah mein 1st class me bhi first aaungi. Fir second me bhi, gir third me bhi aur fir hamesha. Mamma Papa meri firse tareef karenge. Mujhe firse gifts denge. B'day party me bhi sabhi meri tareef karenge. Mein didi ko chidhaungi ki firse mere marks zyaada aaye hehe~

Aur inhi baato ke baare me soch soch kar mein so gayi.

Naya din hua, nayi shuruaat.

"Arre Namrita!?? Jaldi karo baba! Sonu ko school bhi chorrna hai."

"Aayi baba! Kar toh rahi hu. Suhana ko tiffin diya abhi abhi. Van me baitha ke hi aa rahi hu usse."

"Haan thoda jaldi karna."

Papa ne mamma ko jaldi karne ko kaha toh mamma fatafat mera tiffin bhi ready kar ke laayi aur mere bag me rakh dii.

Aur fir mere chehre ko pakdi aur mere maathe ko choomte hue boli, "Meri bacchi ka aaj pehla din hai na? Nayi class ka? Enjoy karna haan? New friends banaana!"

Mein muskuraayi aur mamma ke gaal par pappi dete hue baahar nikal kar car me baith gayi. Mujhe car behad pasand thi. Harr kisi ke paas nahi hoti thi car. Isliye mein Van me jaane se mana kar deti thi mamma ko. Mujhe accha lagta tha apne dosto ko ye dikhaana ki hamaare paas car thi.

"Shailendra! Aapka tiffin bhi rakh diya hai. Theek hai na?"

"Hmm~"

"Aapko pata hai na? Kuch din pehle hamaare bagal me naye padosi shift hue hai."

"Pata hai Namrita! Pata hai! Aur mein mil bhi aaya hu unse. Kaafi badi company ke maalik hai wo Kishor saahab. Mere jitni hi umr ke honge. Shayad hamari company se bhi badi hai unki company."

"Hmm~ Isliye aapko unse acche sambandh bana ke chalna chahiye."

"Tum toh aise keh rahi ho jese mein jaake unse jhagad ke aa jaunga. Hahahaha~"

"Bas keh rahi hu. Aap toh jaante hi hai ki aadmi kaan bharne me kitna aage rehta hai. Padosi hai ab wo hamaare. Sambandh bana ke chaliyega!"

"Jii mohtarma!! Wese... Aaj toh qayamat lag rahi ho iss neeli saree me. Haan!?"

"Dhattt! Aap bhi na..."

"Papa chalo jaldi!! Mein late ho rahi huuu~" Mein chillaayi. Na jaane kya khusur pusur kar rahe the mamma aur papa.

Aur meri baat sunn Papa forun hi aaye. Car start hote hi hum nikal pade mere school ki orr.

Papa ne mujhe chora aur bye kiya. Aur mein bhi unhe bye bol ke apni class me ghuss gayi.

Mera bag naya tha. Nayi dress, naye shoes mere, naye chamkeele ribbons. Saare bacche bas mujhe hi dekh rahe the. Hehe~

Mein apni seat par jaake baithi, apni best friend ke bagal se.

Meri best friend ~ Ava!!

Wo dikhne me meri hi tarah khubsoorat thi. Bas antar ye tha ki uski skin thodi aur zyaada safed thi aur uske baal peele the. Jaise videshi ladkiyo ke hote the. Mujhe ye baad me pata laga tha ki aisi ladkiyo ko blonde kehte the.

"Avaaa~"

"Sonu~ Tu aa gayi! Wowww! Ribbon boht acche hai~"

"Hehe~ Thank you!"

Par hamaari baatein zyaada nahi ho paayi kyuki madam aayi aur unhone sabko baitha diya.

"Baccho! Aaj aapki class me ek nayi student ka admission hua hai. Aur aaj se wo aap logo ke saath hi padhegi. Okay? Student! Please come in! Andar aao beta~"

Ma'am ne andar aate hi ek news pheki thi hamaari taraf. Class me koi naya student aaya tha. Ya yu kahe ki aayi thi.

Hum sabhi apni nazre gadaye darwaaze ki entrance par dekhne lage.

Aur ma'am ke bulaane par ek behad hi sundar sii ladki andar aayi. Hum sabke muh khule hue the usse dekh ke. Uske baal meri aur Ava ki tarah utne lambe nahi the, keval kandhe tak hi the. Aur isliye wo ribbon ki jahah sarr par red band lagayi hui thi.

Aaj uska pehla din tha toh school dress me nahi balki wo princess waali red frock pehne hue thi.

Mere paas bhi princess frock thi par itni khubsoorat nahi.

"Baccho! Ye hai Kaera! Aaj se ye aapke saath hi padhegi. Theek hai? Welcome karo sabhi. Say Welcome Kaera!"

"Welcome Kaera~" hum sabhi chillaye aur uske baad usne hume thank you kaha.

Kitna ajeeb naam tha? Kaera!? Pehli baar mene aisa koi naam suna tha.

Kherr! Fir ma'am ne hamaari bench ke aage waali bench jis par ek hi ladki baithi hui thi udhar Kaera ko baithne keh diya.

Wo aayi aur mere saamne waali bench par baith gayi.

Ava harr baar ki tarah apni baatein shuru kar uss se baat karne lagi aur baato hi baato me mujhe pata laga ki wo Ava ki hi tarah meri padosi thi.

Mein bhi khush thi. Mujhe shayad ek aur friend mil gaya tha. Par...

Par aaj sab mujhe chorr uske baare me baat kar rahe the. Mene apne ird gird dekha aur...

Aur waqai...

Sabhi uski dress ko dekh ke uski tareef kar rahe the.

Aur unki harr baatein mere kaano me pad rahi thi. Mein bhi toh saj ke aayi thi. Fir mere... Mere baare me koi baat kyu nahi kar raha tha?

Mene usse peeche se tatola, wo palti aur mujhe dekhi.

"Tumhe pata hai. Aisi same frock mere paas bhi hai. Mein kayi baar p-pehen chuki hu usko. I-Iss se bhi acchi hai wo..." Mene uss se kaha.

"Hmm!?" Par usne mujhe dekhne ke baad ignore kar diya aur apna dhyaan padhaayi par dene lagi.

'Huhhhhhh????'

Mujhe gussa aaya. Iss ladki ne meri baat sunn'ne ke baad kuch kaha kyu nahi? Mere paas iss se bhi acchi dress hai. Isse sunkar toh usse kuch kehna chahiye tha na?

'Ughhh!!!'

Mene firse usse tatola aur usse bulaaya.

"T-Tumhe pata hai? Mere paas bhi iss se accha hairband hai. Mamma laayi thi. Par mere baal t-tumhaari tarah chote nahi hai na isliye... Isliye mein nahi pehenti."

"Okay!" Wo bas itna bol waapas se mud ke apni copy me likhne lagi.

'Uggggghhhhhhhhhg!!!!'

Mujhe itna gussa aa raha tha.

"Kaera tumhari frock boht acchi hai."

"Tumhare upar red frock acchi lag rahi hai."

"Good morning students! Arre waah! New student? So pretty? What's your name? Kaera? Kitna pyaara naam hai. Aur ye frock tum par boht pyaari lag rahi hai. Arre waah! Tumhari toh handwriting bhi sundar hai. Ye lo~ Meri taraf se star. Fufu~"

Bacche, yaha tak ki teacher bhi uski tareef kar rahi thi. Ava bhi... Ava bhi unke saath milke khel rahi thi.

Meri copy ka page kab mere haatho me rehke marud gaya mujhe pata hi nahi chala.

Chutti ka time ho gaya tha. Aur ab...

Ab mere chehre par muskaan thi. Ab mein isse bataane waali thi ki mein bhi kam nahi thi.

Mein line me lag kar class se baahar aayi aur uske bagal se khadi ho gayi.

"Arre mere papa aa gaye!" Mene jaan bujh ke uske paas rehke zorr se bola taaki wo mujhe dekhe. Dekhe ki mere paas car thi...

Aur mein daud ke gayi apne papa ke paas aur car me ghus ke window se usse dekhne lagi.

Hehe~ Ab bol na? Bolti band ho gayi? Mere paas bhi aisa kuch tha jis mein show off kar sakti thi.

Par...

Tabhi ek black colour ki car aayi. Hamaari car se bhi acchi dikhne waali car. Usme se ek uncle jaisa koi baahar nikla aur jhuk ke Kaera ko welcome kar raha tha car me andar baithne ke liye.

"Aaiye Miss!"

Aur wo Kaera uss car me andar jaa ke baith gayi.

Mera muh khula ka khula tha. Mene gusse me aake apni skirt ko muh me bhar liya aur zorr se kaatne lagi.

"Paaaapaaaaa~" mein chillaayi.

"Haan kya hua?"

"Wo... Wo Kaera ke paas bhi car hai. Kyuuuuu?? Uske paas kyu hai car??? Wo uncle kaun hai???"

"Accha wo? Haha~ Kya wo bhi tumhaare school me aa gayi? Chalo acchi baat hai. Wo hamaare padosi hai. Aur wo jo uncle the wo unke yaha kaam karte hai. Madhav naam hai unka."

"Toh hamaare ghar me koi kaam karne waala kyu nahi hai?"

"Huh? Hamaare yaha bhi toh aate hai na kaam karne waale Sonu!?"

"Nahiiiii!!! Unn uncle ki tarah mujhe bhi ek uncle chahiye jo car me mujhe roz baithaaye. Uggghhhhhh~"

Aur mein rone lagi. Aaj jese muh ki khaayi thi mene. Mujhe wo ladki bilkul bhi pasand nahi aa rahi thi. Ava bhi uss se jaake mil chuki thi. Mera koi nahi tha. Sab dogle the.

Aur mein rote rote hi ghar gayi.

Agla din hua...

Agle din aaj wo Kaera sabse left ki row me first seat par baithi hui thi. Wo poori row ladko ki thi.

Uske peeche ki bench khaali thi. Toh mein aur Ava uske peeche jaake baith gaye. Aaj mein usse sabak sikhaane waali thi. Hehe~

Par iss se pehle ki mein usse sabak sikha paati. Mein peeche baithe ladko ki shaitaaniyo ka target bann chuki thi.

Wo meri choti kheechte, hamaari desk par kaagaz phekte, bottle se paani chidakte aur mein aur Ava ma'am se complaint karte. Ma'am unhe daatati par thodi derr baad fir wahi shuru ho jaata.

Aur mein rone lagi. Meri soorat poore rone waali ho chuki thi. Naak behne lagi thi, aankho se bade bade aasu aur mera chehra poora laal ho chuka tha. Mujhe rota dekh Ava bhi subukne lagi thi.

Tabhi...

Saamne se Kaera khadi hui aur peeche aayi aur unn ladko ko gusse se dekhte hue boli,
"Mene sab dekha hai. Aur ab mein principal ma'am ke paas jaa rahi hu tum logo ki complaint likhwaane. Dekhna ab! Tum dono ki kese shaamat aati hai. Seedha resticate hoege ab tum."

Kaera ne unko itna bas kaha tha ki unke poore chehre ka rang udd chuka tha. Kyu??

Kyuki hum me se koi nahi jaanta tha ki ye resticate kis bala ka naam tha? Kya hota tha iska matlab? Hum bas mann me sawaal hi liye the.

Wahi Kaera muskuraa ke bas unhe chidha ke jaane ka keh keh ke darra rahi thi unhe. Jo kuch bhi tha, Kaera ko dekh ke hum sab yahi samajh rahe the ki resticate koi boht buri cheez ka naam tha.

"Ab toh gaye tum sab bacchu! Resticate seedha! Ab pitaayi lagegi tumhari."

"Nahi! Nahi!! Mat jao Kaera. Sorrrrryyyy! Sorrrryyy! Maaf kardo. Ab hum ratticate nahi hona chahte."

"Ratticate nahi resticate!"

"Haan woi woi...ab hume reticate nahi hona."

"Hmph~ Toh sorry kaho inse. Aur kaho ki aisa kabhi nahi karoge."

"Sorry! Sorry Ava! Sorry Sonu! Sorry! Sorry~"

Mein toh bas ashcharya ke maare sab hota dekh rahi thi. Aaj mujhe pata chala tha ki...

Ki itni buri bhi nahi thi ye ladki ~ Kaera!

Aur fir departure hua...

Hum sab nikle. Aaj mene koi show off karne ki koshish nahi kii. Par aaj...

Aaj uski black car jab aayi toh usme se ek khubsoorat sii aunty baahar nikli.

"Kaera~ ♡"

Wo usse pukaarti hui hamaari taraf aayi aur uske haath ko thaam lii.

"Chalo beta! Aur tumhaari friend Sonu kaha hai?"

"Sonu ye hai Mom!"

'Huh? Mein? Friend? Kaera ki? Kya usne ghar me ye bataya tha?'

Unn aunty ne mujhe dekha aur mujhse boli,
"Accha toh tum ho Namrita jii ki beti haan? Kitni pyaari ho tum. Aaj tumhaare papa ko kaam hai. Toh aaj unhone ne mujhe aapko aapke ghar bhejne ko kaha hai. Toh chale beta?"

"Hmm~"

Mein Kaera ki car me uski Mamma ke saath sawaar ho gayi. Mene dekha ki Kaera ki mamma ka pait fula hua tha.

Ghar pohuchte hi Mamma ne gate khola, mein unke perr se jaa chipki aur mamma aur wo aunty baat karne lagi.

Tabhi mene mamma ko kheench ke neeche jhukaaya aur kaha~
"Mamma! Wo aunty ka pait fula hua hai. Andar baby hai na???"

"Haayyye! Isse itna sab kuch pata hai? Aapki beti toh boht hoshiyaar hai haha~"

"Haan beta!"

Mamma ne meri baat par sarr hilaaya toh wahi aunty ne meri tareef kii. Hehe~

Agle din mein Ava aur Kaera, apni do pagli sakha saheliyo ko wo paath padha rahi thi jiske baare me mujhe khud kuch nahi pata tha.

"Dekho~ Mamma logo ka pait fulta hai iska matlab unke andar baby hai. Kaera, tumhe nayi behan ya bhai milega jaldi se. Hehe~"

"Par Baby aata kaha se?" Ava puchi.

"Mujhe nahi pata. Nani kehti thi ki bhagwan ke ashirwad se hota hai sab kuch."

Aur aise hi samay guzarta gaya. Hum teeno ki dosti aur gehri hoti gayi. Hum teeno hi ghar se baahar nikal ek dusre ke ghar jaate aur khelte.

Kabhi kabhi toh derr raat tak ek dusre ke ghar me bane rehta the. Hum teeno ke beech ek gehra bond banta jaa raha tha. Aur mein, Kaera ko ab utna hate nahi karti thi.

Fir exams aaye aur hum sabhi ne dil laga ke exams diye.

Result aaya toh pata chala ki...

Mein second aayi thi. Aisa kabhi nahi hua tha ki mein first na aau. Bhala kisne meri jagah chheen lii?

Parents teachers meeting ke waqt mein mamma Papa ke saath teacher ke saamne khadi hui thi jab teacher ne khud bataaya ki...

"Iss baar first tumhari friend aayi hai Sonia. Matlab... Kaera!"

Ye vaakya jese mere dil pe laga tha.

Uss din mein boht royi. Boht!!

Second class aayi. Mene boht mehnat kii. Par...

First place par mera naam nahi likha tha. Iss baar bhi mein second thi. Mein firse khub royi.

Aur fir ek din...

Mene dekha ki Kaera ke ghar ke baahar behad bheed lagi hui thi. Aunty safed kapde pehne hue laiti hui thi. Meri mamma ne mujhe andar kheench liya aur bed par lita ke mujhe sulaane lagi.

Tabhi ghanti baji ghar kii aur baahar Kaera ke papa the. Wo Kaera ko ghar par chorr ke kahi jaa rahe the.

"Kya aap iska thodi derr dhyaan rakhengi?"

"Ye bhi koi kehne ki baat hai? Kaera ko yaha chorr jaaiye! Mein inko telephone kar diya hai. Ye aate hi honge. Bilkul bhi accha nahi hua..."

"J-Jii! D-Dhanyavaad!"

Wo haath jod ke chale gaye.

Kaera ekdum masoom chehra liya mere sang baithi hui thi. Mein jaanti thi kya hua tha.

Uski mamma marr chuki thi.

Mein uthi aur apni mamma ke paas gayi.

"Mamma!!!"

"Hmm?"

"Kaera... K-Kaera ki mamma... jaa chuki hai na?"

Mein nahi jaanti thi ki marrta kese hai aadmi, kyu marrta hai. Par itna jaanti thi ki ek baar insaan marr jaata tha toh fir wo kabhi waapas nahi aata tha.

"Haa beta!"

"Ab wo waapas nahi aaengi na?"

Mamma ne meri baat par dheere se sarr hilaaya.

"Mammaaa~" aur pata nahi kyu, par mein ro padi.

Mujhe dekh mamma bhi ro padi aur unn ne mujhe aur Kaera ko apne gale se laga liya.

"Tum dono behne ho samjhi? Apni behan Kaera ka dhyaan rakhogi na Sonu?"

"Hmm~"

"Acchi bacchi!"

Uske baad se hi mere andar jo ghrina thi wo kam ho gayi Kaera ke liye.

Mein uske saath aur khelna chaahti thi. Aur samay bitaana chaahti thi. Par uske baad se hi jese...

Jese uska khelna kudna band ho chuka tha. Usse ghar mew qaid kar diya gaya tha. Mein uske ghar jaati toh mujhe bas 5-10 minute milne ke baad waapas bhej diya jaata tha.

Samay guzra aur wo silsila abhi bhi jaari raha.

Mein second aati thi aur Kaera first. Ye ek routine ban chuka tha. Harr gatherings me, Mujhe bas yahi sunn'ne ko milta...

"Kaera iss baar bhi first aayi."

"Badi hi hoshiyaar bacchi hai"

"Maa ke na hone ke bawajood kitni samajhdaar hai ye."

Sab tareefo ke pul baandhte the.

"P-Papa mein bhi toh second aayi na?" Mein bas yahi keh paati.

"Hmm~"

Aur mujhe haan me sarr hila ke harr insaan ignore kar deta tha. Value thi toh keval pehle sthaan kii.

I realised ki...

NO ONE CARES ABOUT YOU BEING SECOND!!!!

Kitna hi dusra sthaan kyu na paa lo. Kabhi bhi pehle ki barabar nahi kehlaoge.

Idhar Kaera ko ghar se nikalne hi nahi dete the. Mein uske ghar ke baahar apni cycle me baithe uske ghar par lage upar window me usse dekha karti thi.

Wo roti thi. Ab toh Ava bhi jaa chuki thi yaha se.

Aur ab Kaera ko bhi band karke rakhne lage the.

Mein unke ghar jaati aur uske papa se ladke bhaag ke ghar aa jaati. Kese uncle the? Gande ekdum! Mein unhe jeebh dikha ke kabhi kabhi chidha bhi diya karti thi.

Fir mujhe samajh aaya...

Ki usse ghar par hi saari education dii jaa rahi thi. Abhi bhi wahi hota tha, mein second aur Kaera first.

Sports ke dauraan wo mujhe dikhaayi deti. Mein uss se baat karne jaati toh wo kuch nahi kehti thi.

Bas apna kaam karti aur waapas laut jaati.

I HATED IT!!!

I HATED EVERYTHING!!!

Mein ye sab nahi chaahti thi. Kaha gaya hamaara wo sunehra pal? Wo sunehra bachpan?

Fir ek din...

Ek baar essay competition hua. Mujhe yaad hai uss competition me kisi dusre school ki ek ladki first aayi thi. Aur Kaera second thi.

Pehli baar uss din mujhe kuch naya dekhne ko mila tha. Kaera uss first aane waali ladki se jaa ke mili thi. Haath milaayi thi uss se.

Aur mere dimaag me ek baat baith gayi thi. Yadi mujhe uska recognition chaahiye tha. Toh mujhe usse haraana tha.

Mere dimaag me apni mamma ki kahi baat fir goonj gayi. "Apni behan Kaera ka dhyaan rakhogi na Sonu?"

Aur bas...

Mene apna maqsad bana liya tha.
I WILL DEFEAT HER!

Aur uss din se hi mene jii jaan laga dii apni. Ki mein Kaera ko hara ke hi rahungi. Safal toh nahi ho paa rahi thi par mene haar nahi maani thi.

Wo jis college me admission lii, mene bhi ussi me liya. Wo jis competition me bhaag leti, mein bhi ussi me leti.

Mujhe yaad hai. College ka final year tha. Aur mene apni jee jaan laga dii thi. Raato ki neend udaa dii thi Kaera ko haraane ke liye.

Aur shayad bhagwaan ne meri sunn lii thi.

"Congratulations Sonia! You are the top scorer! 98.9% Wowwww!"

Ye news jaise sunn'ne ke liye mein kabse tadap rahi thi.

"A-And who's the second? Ma'am?"

"Second? Second is Kaera. With 98.5%. She had a severe cold few weeks ago. I hope she'll come today to gather her report cards."

'H-Huhhh!? Kaera ko... cold tha!??'

Aur jese firse mujhe apne muh me haar ka swaad chakhne ko mila.

Even though mene usse hara diya tha. Par mene usse iss haalat me haraaya tha. Wo bukhaar me thi aur apne exams dii. Aur yaha mein samajh rahi thi ki mene usse hara diya.

Apne nichle honth ko daato tale dabaate hue mene ma'am ko dekha aur kaha, "Can you... Can you please hide this? Can you tell her that she's the first one. She's the top scorer."

"Huh?? N-Noo! Why would I do that? And whyy???"

"P-Please! Don't worry! I'll manage everything. Just tell her. Please! It's a request!"

"That's...."

"P-Pleaaaaseeeee!!!"

"O-Okay! F-Fine!"

Aur kuch derr baad hi darwaaza khula. Wo andar aayi. Kaera!!

Usne apna report card liya. Aur usse jab pata chala ki wo top scorer thi toh usne bas sarr hilaaya aur mujhe dekh ke waapas chali gayi.

Mein ek baar fir... Roti rahi...

***

Aur harr baar ki tarah aaj bhi, Sonia ke chehre par aasu bikhre hue the.

'They are waiting outside...!'

Jaldbaazi me aasu poch usne ek banaavti smile mirror me dekhte hue apne hontho par bikheri.


177fcfac2aaea098109078536aa62c3c

Aur wo nikal gayi baahar. Waapas se Veer ke room ki taraf.

"S-Sonuuu!?"

Uski behan Suhana ne usse dekha toh pukaara par...

Sonia Suhana ko ignore kar waapas se Veer ki orr gayi.

Veer : Huh!?? A-Aap theek toh ho na?

Sonia (smiles) : Yessss!!! Mujhe kya hua bhala?

Par Veer ko abhi bhi kuch shaq ho raha tha.

'Something is wrong!'

[She was crying.]

'Huh!??'

[Uske gaalo ko dekho. Aasuo ke nishaan! She was crying inside the bathroom.]

'P-Par kyuuu? Achanak se aise?'

[I think she doesn't likes Kaera.]

'No wayyy! Miss Kaera aur wo aapas me dost hai bachpan ke. I know abhi unke beech utna accha relationship nahi hai. Par wo hate nahi karti Kaera ko. She herself told me that.'

[Hmm~ Toh kuch toh baat hai!]

'Y-Yeah!!!'

Wahi dusri orr Kaera jo Veer se bas kuch derr pehle alag hoke usse nihaar rahi thi, usne Sonia ki taraf dekha bhi nahi tha abhi tak. Uska poora focus Veer par tha.

Tabhi Sonia ko ek aur jhatka laga.

"T-That... That..." Wo ungli dikhaa ke Kaera ke haath ki orr ishaara kar rahi thi.

Veer aur Suhana ne jese hi dekha toh paaya ki Kaera ke haath me ek blazer tha.

"That's... It's the one I bought for Veer!!!!!"

Wo tezz awaaz me boli toh Suhana ko bhi dhyaan aaya. Ye toh wahi blazer tha jo Suhana aur Sonia ne milke Veer ko dilaaya tha jab wo Delhi trip par gaye the saath me. Ye bhala Kaera ke paas kya kar raha tha!?

Sonia : HOWWWW!??? HOW COME YOU HAVE THIS!??

Kaera : Mmm?

Sonia : YE... YE TUMHAARE PAAS KESE!?? HOOOWWW!???

Kaera (smiles) : It's a secret!

Usne badi hi asaani se kaha. Par Kaera ki choti sii baat Sonia ko shayad dil par jaa kar lagi thi.

Suhana : Hoooo~ Yeah yeah! That's the same.

Veer : Ye...!?

'Wait! Ye toh mene... If I remember correctly. Toh ye mene... Yeah! That night... Mene uss ladki ko diya tha ye blazer. How come...!? Miss Kaera ke paas ye..!?'

[Hmmmmmm~ :huh: ]

Kaera : I have this too~

Aur tabhi Kaera ne apne purse se ek brahmaastra nikaala.

Haatho me ek chota sa teddy liye usne wo sabhi ko dikhaaya.

Kaera (smiles) : He gave it to me! Right Veer?


23560d0dee1dfd27993ad6ea6578f497

Veer : Huh!? M-Mein...!?

Sonia : V-Veeeeerrr???

Suhana : Hoooooo~ Interesting~

[ :rip: ]

'Fuck! Shut up!!!!'

Sonia jese wahi khade khade shaant sii pad gayi. Uske expression kisi ko nazar nahi aa rahe the. Kyuki wo sarr jhukaaye hue thi aur uske baalo se aadha chehra uska dhakk chuka tha. Shareer me kampan ho raha tha uske...

Suhana : Oh no!! Sonu!?

Veer bewakoof nahi tha. Wo dekh paa raha tha ki Sonia ko kuch na kuch beech beech me ho raha tha. Aur tabhi usse jese yaad aaya. Jo baatein khud Suhana aur Sonia ne usse bataayi hui thi.

Ki Sonia hamesha Kaera ko haraana chaahti hai. Bas uss se ek baar aage nikalna chaahti hai taaki Kaera usse recognise kare.

Aur ab shayad Veer ko saari baat samajh aa chuki thi.

[Aah! So that's why~ ]

Veer : Miss Sonia~

Par Sonia ne koi jawaab na diya.

Veer (sighs) : Miss Sonia! Aapko kisi se khud ko compare karne ki zaroorat nahi. Aap apne aap me best ho. You don't need people who raise questions at you! You are you, Miss Sonia!!

*Badump*

Sonia ka dil zorr se dhadka.

Sonia : H-Huhhh!?

Iss baar usne sarr uthaate hue Veer ko dekha.

Veer : I don't care about anything. Chaahe aadmi first aaye ya second... I don't care... Insaan ki kaabiliyat ki pehchaan inn panno me likhe marks se nahi hoti Miss Sonia. For me, you and Miss Kaera are equal. You both are very different yet very same.

*Badump*

Sonia : S-Say that again!

Veer : Huh!? W-what? I don't care about anything?

Sonia : N-Nahi! Second last me j-jo tumne kaha.

Veer : !??? F-For me, you and Miss Kaera are equal!

Bas! Veer ka itna kehna hi tha ki fir wo hua jisse dekh waha maujood sabhi dang reh gaye.

Sonia aage badhi aur wo Veer ko chaathi me jaa ke ghuss gayi.

"Huh!??? W-Wha!?? Ughhyuuu...."

Veer : M-Miss Soniaaa???

Aur iss se pehle ki wo virodh kar paata.

*Chu~♡*

'!!???'

Sonia ke honth uske gaalo par the.

Suhana : Sonuuuuuu!???????

Kaera : ??????

Aur tabhi...

*Ding*

[Mission : Take Sonia on a date.

Rewards : ??? Points.
Time Limit : 2 weeks.]

'Huh? W-Waitttt!!!!'

[Rest in peace! :pray: ]

'Shutttttt uppppp Pariiiiiii~'
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!

Like thokne ka aur comments rakhne ka. ✨
शानदार जबरदस्त भाई लाजवाब update bhai
 

Tiger 786

Well-Known Member
5,719
20,871
173
Update - 65 ~ Rush Hour!
Ab tak...

Steve : Jii Dada!

Aur muskuraate hue Slogan Veer ke paas aaya aur uska chehra uthaate hue dekhte hue bola,

"Ab mein nahi... Tu khud laega usse yaha. Hahahaha~"

Par usse kya pata tha ki jis baat ke liye wo khush ho raha tha. Veer ko yaha kuch alag hi praapt ho chuka tha. Kuch aisa jis se shayad Slogan ki khud ki dhajjiya udd sakti thi.


Ab aage...

*Slam*

"Mene kaha na mein yaha ruk sakti hu."

Ye awaaz thi Ragini ki jo zorr se table par haath patak kar saamne baithe police officer se baat kar rahi thi.

Sonali ke saath Ragini Veer ko dhundne nikal chuki thi aur Veer ke baare me saari details bhi officer ko saajha kar dii thi usne. Par jaisa ki harr police officer iss waqt suggest karta, wahi kaam iss police officer ne bhi kiya, wo tha ki Ragini ko ghar bhejna aur police team ke saath khud search par nikalna.

Raat ke 12 baj rahe the aur aise me ek aurat ka police station me hona sahi nahi baith raha tha. Halaki wo yaha safe thi parantu uski yaha koi zaroorat hi nahi thi. Veer ko dhundna police ka kaam tha, isliye Ragini se details lene ke baad aur complaint likhne ke baad unhone Ragini ko ghar jaane ke liye suggest kar diya.

Officer : Dekhiye madam! Aapki yaha filhaal koi zaroorat nahi hai. Humne details likh lii hai. Hum search jaari karte hai. Yadi kuch pata chalta hai, ya aapki zaroorat padti hai toh hum aapko contact karenge. Abhi aap jaa sakti hai.

Ragini : P-Par...

Sonali : Bhabhi jii! Police uncle keh rahe hai toh sahi hi keh rahe hai. Hamaare yaha rehne se kuch badlega nahi.

Ragini : Par Sonali...

Officer : Dekhiye, bacchi theek keh rahi hai. Aap jaaiye aur thoda araam kariye. Kyuki ho sakta hai hume aapki kisi bhi waqt madad ki zaroorat pade.

Ragini : Hmm...

Na chaahte hue bhi mann maarke Ragini aakhir maan hi gayi. Uska mann yahi rukk kar Veer ke baare me kuch khabar sunn'ne ka tha. Kaash uske baare me bas kuch pata chal jaaye. Kyuki ab Ragini ko andar se waqai ghabraahat hone lagi thi. Raat kaafi ho chuki thi ab. Na jaane kya hua hoga Veer ke saath? Theek bhi hai ya nahi? Kuch inhi sawaalo ki beech ghiri hui thi woh.

Sonali ke saath lautate hue Ragini dobaara se apne ghar chali gayi. Arohi aur Nidhi ke phone nirantar aa rahe the uss se Veer ki khabar jaan'ne ke liye, yaha tak ki dono hi ghar aane bhi taiyaar thi lekin Ragini ne khud unn dono ko hi mana kar diya tha. Itni raat me unhe bulaana theek nahi tha. Aur wese bhi Ragini ke saath Suman samet baaki sabhi thi.

Toh koi chinta waali baat nahi thi. Bas aas thi toh Veer ki kuch khabar jaan'ne ki.

Wahi dusri orr, Kaera apne kamre me band hoke bistar par laiti hui aaj ki vardaat ke baare me soch rahi thi. Aur uske haatho me ek jaani pehchaani sii cheez thi.

Veer ka diya ho wahi chota sa teddy.

'He cannot die! He will come back!'

'Why did he do that for me? Saving me? With his own life?'

Kaera ko aaj se pehle kisi ke liye aisi feelings kabhi nahi aayi thi. Wo Veer ko potential danger me dekhne se darr rahi thi. Kese bhi kar ke wo Veer ko sahi salaamat waapas dekhna chaahti thi.

***

*Vroooooooooooommmm*

Yaha apni car ko repte hue iss samay Karan Raghu ki car ko follow kar raha tha. Dono hi car ke pahiye tezz raftaar me ghoomte hue apni manzil tak aage badh rahe the. Aadhi raat me jaha log sone lagte hai wahi duniya me baahar na jaane kya kya chalta rehta hai iski khabar unn andar reh rahe logo ko nahi rehti. Kuch aisa hi haal yaha abhi tha.

Karan abhi apni Mercedes drive kar hi raha tha jab achanak hi car ki front desk par rakha Kaera ka phone baj utha.

*Beep* *Beep*

'Huh!?'

Usne apne left hand se Kaera ka phone check kar jaise hi dekha toh paaya ki kisi unknown number se usse message aaya hua tha.

'Message!?'

Kuch soch ke usne wo message khol diya, aur uske aisa karte hi usse ek photo nazar aayi. Par wo downloaded nahi thi.

Jaise hi usne download kar uss photo ko dekha toh maano perro tale zameen khisak gayi thi uske.

Uss photo me Veer ek chair se khoon se lathpat bandha hua tha. Aadhi phati hui uski white shirt, bikhre hue baal, twacha me cuts aur kayi jagah gehre ghaav. Aur khaaskar uske chest ka wo khoon se sana hua wound jo shirt ke andar tha.

'Shiiiittttttt!!!!'

Photo dekhte hi Karan ko jis baat ka darr tha wahi hua. Veer kabze me tha aur unn logo ne koi kasar nahi chorri thi Veer ki khaatirdaari karne me.

Aur uss photo ke theek neeche ye bhi likha hua tha ki Veer ko bachaana hai toh akeli aa jao. Dhyaan rahe koi police ya hoshiyaari nahi, akeli matlab akeli.

'Fuck! I knew it!'

*Slam*

Kheejte hue Karan ne apne steering pe zorr se haath patka.

Usne Kaera se uska phone keval isliye maanga tha kyuki usse laga tha ki shayad...

Shayad uski behan ko threats pohuchaane waala aadmi, yaani ki Slogan kaho firse koi threat uski behan ko bheje. Bas issi ko soch ke usne Kaera se uska phone maanga tha.

Aur wahi hua, threat toh aaya hi tha par uss se bhi tension waali baat ye thi ki unke paas Veer tha. Yaani ki abhi palda unka bhaari tha.

'Mujhe pretend karna hoga ki mein Dii hu.'

Usne sochte hue Kaera ke h phone se ussi number par message likhe ke bheja, "K-Kaha!? Kaha aana hai mujhe?"

Aur jaise uski ye tarqeeb kaam kar gayi. Kyuki waha se agle hi pal ek address likh ke aa chuka tha.

'Bingo!'

Bina fir koi pal gavaate hue Karan ne aage chal rahe Raghu ko phone lagaaya aur usse saari baat bata dii.

Raghu : Bohut badhiya! Kuch nahi se toh kam se kam ye accha hai ki hume unke hideout ke baare me pata lag gaya. Ab bas hume approach bohut hi savdhaani se karna hoga.

Karan : Haan!

Aur kuch hi shan me wo dono Mirror Gallery ke sthaan par pohuch chuke the. Dono Raghu aur Karan ki mulaqaat Jassi se hui jo wahi thehre apni team ke aane ka wait kar raha tha. Ki shayad kisi ko Veer ke baare me kuch pata chala hoga.

Par koi fayda nahi, na hi Jassi ki team aur na hi Kishor ki team ko kuch pata laga tha. Kishor ki team toh bas timepass karne ke liye gayi thi shayad. Kyuki Kishor ne khud keh ke rakha tha, dur dur se bas wahi bane raho, baaki Veer ko bachaane ki zaroorat nahi hai.

Par Karan ki khabar ne jaise ek nayi aas jaga dii thi unme.

Jassi : Bohut acche! Par tum yaha kyu aa gaye?

Karan : Wo abhi important nahi hai. Important ye hai ki... Ab hum aage kaise badhe?

Jassi : Hmm~ Follow me! Everyone!!!! Mein aage aage chalunga... Aur tum sab... Mere peeche peeche aaoge. Clear hai?

"Haaaannnn!" Sabhi ke ek saath chillaane ki awaaz aayi toh jese ek naya josh sa bhar gaya tha waha unn aadmiyo me.

Jassi : Hume kisi bhi haalat me Veer ko bachaana hai. Okayyy??

"Haaaannn!!!" Ek baar fir, uchi awaaz me unka shorr waha goonj gaya.

Yadi aaj Veer ne Kaera ko na bachaaya hota toh Jassi shayad itna tatpar nahi rehta apne kaam me. Par Veer do baar Kaera ki madad kar chuka tha. Insaaniyat naam ki bhi koi cheez hoti hai jisse Jassi bhali bhaati jaanta tha. Aaj Veer ko bachaana zaroori tha.

Aur isliye, ye sabhi Jassi ko follow karte hue nikal pade. Par issi beech Suhana ke jo aadmi the, yaani ke Divya dwara bheje gaye aadmi. Jab unhone dekha ki Jassi aur baaki sabhi kahi jaa rahe hai toh wo bhi unke peeche peeche chal diye.

Slogan ko yaha nahi pata tha ki na jaane kitne log uske adde ki taraf badh rahe the.

Slogan's Hideout...

Idhar Slogan ne apne hideout par Veer ki chand tasveere kheech kar unhe Kaera ke phone par bhej toh diya tha par...

Par Kaera ka phone iss waqt Kaera ke nahi balki uske chote bhai ke paas tha. Aur iss baat se Slogan bekhabar tha.

Wo sabhi Veer ko akela chorr thodi derr Veer se dur baith apni baato me lage hue the.

Aur idhar Veer kisi aur hi state me jaane ki taiyaari kar raha tha.

[Mein... Mein ON kar rahi hu. Okay!?]

Pari Beowulf's Blessings ko ON karne ki bol rahi thi. Veer ne bas ek behad hi halki sii nod dii.

Aur...

Switch toggle hua aur Beowulf's Blessings ON ho gaya.

Uske ON hote hi, Veer ki saasein aur tezz ho gayi, ekdum se uska shareer garmaane laga aur aankhein laal sii hone lagi. Maano jese wo kayi dino se soya na ho.

[Your breathing has increased drastically... Blood flow is increased too, Body heat ho rahi hai boht tezz, Redness in eyes... Bas thodi derr... Dekho, timer chal raha hai. Tum ye state keval 25 minutes ke liye maintain kar sakte ho. Uske baad ye cooldown hone lagega.]

Par Veer toh ab jese response dene ki haalat me bhi nahi tha. Uska seene jaldi jaldi itni zorr zorr se upar neeche ho raha tha jaise maano wo koi aspataal me aaya mareez ho.

Jab wahi khade ek aadmi ne Veer ko dekha toh bauhe sikod ke wo Veer ke nazdeek aaya aur haath se uske shareer ko dhakel ke uss se bola,
"Aye? Kya kar raha hai ye? Huh? Lambi lambi saasein kyu le raha hai?"

Fir jaise usse kuch soojha toh Veer ke shareer par haath laga ke usne dekha aur itna garam shareer ka taapmaan paate hi uske haath jhatke se peeche ho gaye.

Wo apne saathiyo ki orr mudte hue chillaaya,
"Abe iska toh poora shareer jal raha hai!"

"Jalne de!! Saale ko batti dii hai na toh pit pit ke uska shareer garma gaya hai. Hahahaha~"

"Hahahahahah~"

Aur wo thahaake laga ke hassne lage.

[These bastards...]

Ek baar aur uss aadmi ne Veer ko dhakela, par jss baar uske chehre ko upar uthaaya toh Veer ki ekdum khoon ke samaan laal aankhein dekh uski gaand hi phat gayi. Wo firse palat ke bola,
"Abey! Abey iski aankhein toh ekdum laal ho rakhi hai."

"Haan toh bane rehne de. Saale ko sone nahi de rahe hai na toh laal toh hoengi hi. Aur abhi kuch derr me kuch peela bhi hone waala hai uska. Hahahaha~"

"Hahahahahaha~"

Aur wo sabhi ek baar fir zorr zorr se hassne lage. Par tabhi...

*Khaaaachhhhhhhh*

Aadmi : !???

*Whoooooooooooooooshhhhhh*

*Thuuuuudddddddd*

"Huh!??"

Achanak kuch hua. Kuch aisa jisse bas uss aadmi ne dekha hote hue aur uske baad wo kuch karne ki sthiti me hi nahi bach paaya tha.

Peeche maujood logo ko toh bas sunaayi diya. Achanak se aayi awaaz par dhyaan dete hue jaise hi unhone mud ke dekha toh ab unki reedh ki haddi tak badan me raungte khade ho chuke the.

Jidhar Veer pehle kursi me bandha hua tha. Udhar ab keval wo kursi zameen par padi hui thi. Upar wire se jo LED bulb latak raha tha wo zorr zorr se wire ke sang idhar se udhar ho raha tha.

Aur jo aadmi Veer ke paas usse check karne gaya tha. Wo zameen par pade idhar se udhar ho raha tha. Aur uske haath uske gale par the.

Dhyaan dene par pata chala ki..

Uske gale me wahi rassi bandhi hui thi jisne Veer ko baandh rakha tha. Par...

Veer gaayab tha.

Ye drishya dekh ke unhe pal bhar ke liye aisa laga jaise maano unn sabhi ne kisi bhoot ko dekh liya ho.

Pal bhar pehle hi unka dushman waha kursi me bandhe hue tha aur pal bhar baad hi...

Wo gaayab tha, aur waha par unka saathi jo apni jaan bachaane ki koshish kar raha tha keval wahi dikhaayi diya unhe. Raungte toh khade hone hi the.

Aisa laga jaise maano ek hawa ka jhoka aaya aur sab kuch badal diya. Ab unhe kya pata tha ki ye hawa ka jhoka nahi tha balki aandhi thi...

Jo khud Veer tha!

"Abeeeeyyyy!!!"

Unme se ek chillaaya aur uske saathi sabhi bhaagte hue apna saara kaam chorr uss gire hue aadmi ke paas aaye.

Ek ne aake sabse pehle hawa me jhool rahe bulb ko roka aur uske baad unn sabhi ne uske gale me tight bandhi rassi ko loose kiya.

"Oyeee! Kya hua? Kaha gaya wo behanchod? Ayeee!!! Tum sab dhundo re, yahi kahi luka hoga. Samaano ke peeche check karo! Haraam khor bhaagne na paaye!"

Unme se ek ne kaha. Jo gira hua tha wo rassi khulte hi zorr zorr se saasein lene laga. Pal bhar me maut dikhaayi de gayi thi usse apni.

Aadmi : Kya hua betichod kuch bol!!!

Par wo aadmi toh kuch bol hi nahi raha tha. Usne jaise bhoot dekh liya tha. Usse yaad tha ki wo Veer ke chehre ko utha ke uski laal aankho ke baare me mazaak sunn hass raha tha aur tabhi...

Tabhi na jaane kya hua tha...

Par Veer uss par ekdum se uchakte hue jhapta aur seedha uski peeth par chadh uske gale me wahi rassi kassi aur yu agle hi shan usse dhakel ke kahi chhup gaya.

Usse kya pata tha ki jab sab Veer ka mazaak udaa rahe the tab Veer apne haatho ko adjust karke unn rassiyo ke loops ko ek ek karke baahar nikaal raha tha.

Aur jab bas aakhiri loop bacha hua tha toh usne wo nikaala nahi, balki apne sheer force ke saath jhatke se uss rassi ko hi ghacch se cheer ke tod diya tha.

Ye sab kuch itni tezz hua tha ki wo aadmi kuch keh hi nahi paaya tha. Aur ab toh maano jaise wo sadme me jaa chuka tha. Wo drishya uske liye boht hi bhayankar tha. Laal aankh liye ek banda aapke upar uchak ke jhapat jaaye toh aadmi darr hi jaega.

Yaha unke ek leader ne sabhi ko Veer ko dhundne ke aadesh de diye the.

Hideout bada tha. Aur jagah jagah kuch na kuch samaan rakha hua tha. Kahi dherr saare bade bade containers toh kahi khule me kuch boriyaa rakhi hui thi. Kahi badi badi kuch machines toh kahi lakdiyo ki silliyaa. Kul milaake chhupne ke liye kayi jagah thi.

Aur wo apne apne hathiyaar nikaal Veer ko unn jagaho me dhundne lage. Par ab toh jese game palat chuka tha.

Yaha ek akela banda rush kar raha tha unpe. Aur wo bhi straight on nahi balki dimaag se.

Bhale hi Veer dimaag se rush maar raha tha par...

Uska dimaag jese kuch sunn hi nahi raha tha iss waqt. Kyuki Pari kaafi derr se usse chillaaye jaa rahi thi ki yahi sahi mauka hai bhaagne ka. Bhaago!

Par Veer ke iraade kuch aur hi lag rahe the. Na hi wo kuch bol raha tha, na hi kuch sunn raha tha.

Aur Pari bechaari bas kismat ko hi dosh de sakti thi.

[Damn ittt!!! Yadi Card me +50% healing nahi hoti toh tum behosh ho gaye hote pakke se. Ussi ke kaaran tumhaari bleeding ruki hui hai. Wo balance kiye hue hai. Par Card ke OFF hote hi... Noooo! You have to run Veer!!!!!!]

Lekin Veer par Pari ki koi bhi baat ka asar nahi ho raha tha.

[Shiiiittt!!! He's not listening to me!]

Aur uske baad...

*Thuuuuuddddd*

"Huhhh!?"

Ek aur awaaz aayi aur jaise hi aadmiyo ne uss awaaz ki orr dekha toh paaya ki unka ek aur saathi neeche pada hua tha aur apna sarr pakad idhar se udhar chillaa raha tha.

"Aaaaaaaaaaaaaaahhhhh"

Iss baar fir, Veer ka koi ata pata nahi tha. Wo toh jaise andhere me se nikal nikal ke ek ek ko gira raha tha.

Aur nateeja, unke leader ka gussa badhna.

"Madarchod! Baahar nikal haraami! Kaha chhupa hai?? Tum sab me se koi ek... Boss aur Steve Bhai ko jaldi bata ke aao."

"H-Haan bhai!!!"

Aur ek baahar nikal gaya. Kyuki Steve aur Slogan baahar ke area me the. Iss baat se bekhabar ki andar kis type ka rush chal raha tha.

Par jaise abhi toh unhe aur bhi kuch dekhna baaki tha.

*Click*

"Huhhhh?"

Na jaane waha kaun sii machines rakhi hui thi. Par unke side me boht bade bade fans lage hue the.

Aur jaise hi wo on hui, unke side me lage fans ghumne lage. Ek nahi, aisi kayi machines thi waha jo baari baari ON ho chuki thi.

Wo iss qadar se rakhi hui thi ki beech me table par jo khule taaza taaza noto ki gaddiya rakhi hui thi ginn'ne ke liye. Ek baar me tezz tarraar hawa ka jhoka unn fans me se aaya aur table par rakhe saare paise ya panne jo bhi kaagaz ka tha sab hawa me udd chule.

Machines iss qadar jami hui thi ki wo udte hue paise ek hi jagah par gol gol ghumne lage.

Jaise maano koi bawandar sa aa gaya ho.

"Abeeeeeyyyyyyy!!!"

Unka Leader chillaaya aur sabhi ke saamne hawa me bas udte hue paise hi dikhaayi de rahe the.

Jaise maano wo paise nahi, madhumakkhi thi jo unke aas paas mandra rahi thi.

Apne haatho se vyarth hi prayaas karte hue wo paise hataane lage. Par Veer ke liye jaise kaam asaan ho chuka tha.

Wo ek ke paas jaata aur...

*Poooooooowwwww*

*Thud*

*Pooooooowwww*

Ek back fist punch seedha aadmi ki naabhi par...

"Guhhhh!!!!"

180° degree turn lete hue dusra back fist punch uske nichle jabde par...

"Gwaaakkkhhh"

Aur fir ek shandaar inside crescent kick jisme uska daaya perr ghumta hua aaya aur ussi jabde par firse vaar kiya.

"Aaaaaaaaghhhhh"

Teen combo me hi wo banda dherr tha. Iss baar Veer combos delivery kar raha tha. He wanted to make sure ki unme se ek bhi uthne na paaye.

Veer par jaise koi bhoot sawaar ho gaya tha. Wo ek jagah se dusri jagah itni tezzi se switch kar raha tha. Upar se koi bhi wasted move nahi tha. Sabhi ekdum sateek aur potentially harmful the.

"Teri behanchod...."

*Bang*

*Bang*

*Bang*

Jinke paas guns thi wo ruke nahi, aur ussi paiso ke bawandar me unhone Veer ko jaha dekha waha fire kar diya. Par...

Veer ki agility 50% badh chuki thi. Unke reaction time se, Veer ki khud ki speed zyaada tha.

Fire karne ka koi fayda nahi tha. Veer sthir nahi tha. Wo toh jaise ek bande se dusre bande par apne haath saaf kar raha tha. Aur zyaada derr wo ek bande ke paas reh hi nahi raha tha.

"Madarchodo... Ughhh!!! Ye... Ye machines band karo chutiyo...."

Chalo, kisi ko toh dhyaan aaya.

Idhar baahar Slogan aur Steve kuch baat kar rahe the jab andar se ek daudte hue aaya...

Aadmi : Dada... Dada... Wo... Wo...

Par iske pehle ki wo kuch keh paata Slogan ne usse ishaare se shaant rehne ko keh diya.

Slogan : Tumne suna Steve?

Steve : Jii Dada!

Slogan : Gaadi ki awaaz.... Rukne kii...

Steve : Jii! Mein dekhta hu, aap andar jaiye.

Slogan : Police!?

Steve : Nahi Dada! Police yaha nahi aaegi. Aane hi nahi denge hamaare aadmi unhe. Mein dekhta hu...

Aadmi : Dada wo... Wo...

Slogan (kheejte hue) : Kya huaaa!??

Aadmi : Wo ladka hamaare changul se chooth gaya.

Bas! Slogan ka itna sunn'na tha ki usne saamne rakhi table par itni zorr se gusse me laat maari ki wo poori table hi palat gayi.

Slogan : Madarchodo!!!! Kar kya rahe the tum sab andar??? Kaha gaya wo?????

Aadmi : W-Wo... Dada... Wo... Wo maar raha hai.

Slogan : Huh!??

Aisa laga jaise Slogan ne koi chutkula suna tha.

Slogan : Kya kaha?

Aadmi (darrte hue) : Wo... Wo... Wo ek ladka hum sab par bhaari pad raha hai Dada. Pata nahi kya hua... Par achanak se hi uski rassi khul gayi aur wo hum sab par jhapat pada. Aur wo paise achanak se hawa me...

Slogan (gusse me) : Kya badbada raha hai...!?

Par abhi wo apna vaakya poora rakhta tabhi uske kaano me wo awaaz padi...

Copter ki awaaz...

Aur Slogan ka muh gusse me aur bhi bhayanak ho chala.

Slogan : KISHORRRRR!!!!!!

Uski samajh me nahi aa raha tha ki jab Kaera ko address bheja gaya tha toh bhala Kishor ka copter yaha kese aa gaya? Wo Kaera ko bhali bhaata jaanta tha. Wo jaanta tha ki Kaera kisi ko bhi nahi bataegi aur akeli hi aa jaegi.

Kya gadbad ho gayi? Kaha galat reh gaya wo? Kya usse dii gayi information galat thi? Ki Kaera Veer ke prati attracted hai? Ya Kaera ne hi sabhi ko bata diya tha?

Usse koi bhi baat samajh nahi aa rahi thi. Aati bhi kese? Kaera ka phone toh Karan ke paas tha, jis se Slogan ka poora plan palat chuka tha bina uske pata lage hi.

Par ye samay unn vyarth prashno par ab joojhne ka nahi tha. Samay tha action lene ka.

'Iss baar mein tumhe bataata hu Kishor. Ek jhatka lagega aaj tumhe.'

Slogan ne bas ek call kiya aur fir uss aadmi ke saath andar chala gaya.

Steve baahar aaya toh usse jis baat ka darr tha wahi hua. Dherr saari gaadiya aake lagti jaa rahi thi. Aur unme se dherr saare bande nikalte jaa rahe the.

Uski hawa toh jab tight hui jab copter ko hawa me udte hue dekha usne.

"Iski... Dada ko yaha se le jaana padega. Jald hi..."

Idhar Jassi ne full on attack karne bol diya tha. Usse pata tha ki ye move boht hi rash tha par shayad aaj uski kismat uske saath thi.

Kyuki...

Kyuki Veer iss waqt unke qabze me nahi tha. Wo toh alag hi dhoom machaaye hue tha andar.

Aur aise time par baahar se rush maarna andar ki orr... Ye jaise perfect strategy bann gayi thi apne aap.

Off guard catch kar liya tha Slogan aur unke saathiyo ko unn sabhi ne. Slogan ki poori team iss achanak hamle ke liye ready nahi thi. Naa hi Veer ke hamle ke liye.

Par...

*Whooooooooooooossssshhhhh*

Anhoni hona jaise likha hua tha. Hawa me jo copter udd raha tha wo...

*Kaboooooooooooooommmmm*

Ek tezz dhamaka hua aur uss copter ke chithde udte hue palak jhapakte hi zameen par girne lage.

Raghu : Nahiiiii!!!!

Jassi : Damnnnn ittt!!! Inke paas ye kaha se...!?? Shitt! Illegal weapon.... Damn you Slogan!!!

Karan : Shitttt!!! Wo log andar...

Raghu : Wo... Wo gaye Karan.

Karan : Damn it!!! Dad... Dad boht gussa hone waale hai. Fir bhi... Please! Koi waha jao... Sambhal ke... Shayad wo zinda ho...

Hawa me jo copter udd raha tha. Uske liye Slogan ne shayad yahi prabandh kiya hua tha.

Rocket launcher!

Jii haan, abhi abhi copter ko jisne udaaya tha wo ek rocket launcher ki missile hi thi. Missile hideout ke upari chorr se launch kii gayi thi. Aur ye missile...

Helicopter ke paas jaise hi aayi, uske andar se nikalti heat ki taraf attract hote hue seedha helicopter se jaa bhidi.

Aur fir dhamaaka....

Jaise maano aatishbaazi sii ho rahi thi aasmaan me. Ye kehna toh mushqil hi tha ki andar maujood pilot bache bhi honge ya nahi? Obviously, wo shayad marr chuke the.

Ye weapon illegal tha. Aur Slogan ke paas iski access thi, ye baat khud bata rahi thi ki uski pohuch kaha kaha thi. Ye bataane ki bhi zaroorat nahi ki uska main base toh foreign me tha. Aur yaha wo saalo baad laut ke aaya tha. Uske bawajood wo itni dum rakhta tha ki Kishor jaise powerful aadmi ko bhi hila ke rakh de.

Yadi yahi ladaayi Slogan ke apne adde jo ki videsh me tha usme ho rahi hoti toh Kishor ke jeetne ka sawaal hi nahi tha.

Jassi kya, waha maujood sabhi ye baat jaante the ki Rocket launcher kis kism ka weapon tha. Wo toh accha hua ki Slogan ka hideout aisi jagah tha jaha dur dur tak kisi ko ye khabar bhi nahi thi ki ek udta hua helicopter yu tehes mehes ho chuka tha.

Jassi : Yadi iske paas aur missiles hui toh hum dikkat me pad jaengi. Aur yadi isne ek bhi hum pe aim kari... Toh...

Raghu (gulps) : Toh ab!?

Jassi : Hum wese hi aage badhenge. Sabhi log... Follow me!!! Risk hai but... Dekha jaega...

Aur ek baar fir Jassi ka order sunn aage badhe. Dono hi taraf se aadmi bhidh pade. Jinke paas guns thi wo guns se firing shuru kar diye. Ek full scale rush tha ye.

Aur unki ladaayi ke beech, Raghu, Jassi aur Karan andar ki orr jaate jaa rahe the.

Jassi : Tumhe pata hai na?

Raghu : Haan!

Jassi ne kuch pucha toh Raghu uska ishaara samajh gaya aur Karan ke sameep hoke chalne laga. Karan ke paas koi weapon nahi tha. Plus Veer se bhi zyaada zaroori abhi uski safety thi.

***

Idhar andar Veer apne kaam me lage hue tha jab machines band hui aur hawa me udte paise, kaagaz zameen par gire toh Veer sabse pehle unke leader par jhapta.

Aur usse pakad ke 360° turn lete hue full force ke saath uss aadmi ko saamne ki deewaar me bhed diya.

*Craaaaaaaasssssshhhhh*

Wo aadmi deewaar me lage hue kuch racks me jaa ke bhida aur lohe ki wo pattiya seedhe uski naak me jaakar lagi toh poore room me uski dard bhari cheenkh goonj uthi.

"Aaaaaaaarrrrrgghhhhhhhhh..."

Sab kuch ast vyast kar ke rakh diya tha Veer ne. Wo ek jagah theher hi nahi raha tha jis kaaran se uss par aim karna faaltu hi tha.

Jese hi Slogan andar aaya, andar ki haalat dekh usse bada jhatka laga par uss se pehle ki wo iss haalat par apne vichaar rakh paata tabhi...

Tabhi side se uske upar koi kooda aur usse zameen par roll karwaate hue uske upar baith gaya.

Aur ab...

Slogan ke saamne Veer ka chehra tha. Wo bhayankar chehra jis par ek badi hi khaufnaak sii shaitaano waali muskaan thi. Aankhein ekdum khoon ke maafiq laal, jaise kisi ka khoon hote hue dekhne ka intezaar kar rahi ho.

[Found him... This bastard!!! Don't kill him! Tumhe koi mission nahi mila hai. So...]

Par Pari ki baat Veer kaha sunn raha tha?

Veer ne Slogan ke gale ko zorr se bheencha jaise usse wahi dam ghot ke usse maar dega.

Aur Slogan achanak se iss sthiti se bachne ke liye apne haatho se Veer ke haath churraane laga.

"Ughhh...'"

[Noooooooo!!! D-Don't..... Don't.....]

Wo chillaayi...

Aur shayad uski pukaar kisi ne sunn lii.

Kyuki agle hi pal Veer ke upar peeche se Steve kooda aur dono hi zameen par roll karte hue ek dusre ko jakad ke ek dusre par haawi hone ki koshish karne lagi.

Hadbadi me Slogan utha aur jeb se revolver nikaala usne...

Slogan : Steeeveee!! Pakad ke rakh madarjaat ko... Saala ek chhachundar me itni himmat aa gayi aaj? Aaj toh ye yahi marrega... Pakad ke rakh haram khor ko...

Steve koshish toh poori kar raha tha lekin...

Veer jaise uske saare tries fail karta jaa raha tha.

Aur tabhi...

*Ding*

[2 minutes left before turn OFF.]

Jis baat ka darr tha wahi hua. Keval 2 minute hi bache hue the card ko turn OFF hone me.

[Noooooo.... Shitttt!!! Aise me... No no noooooo!!! Jaldi se... Jaldi se isse hata ke Slogan pe focus karo. He has the gun.]

Slogan idhar intezaar kar raha tha Steve ka. Ki Steve Veer ko aisi position me laaye jis se goli maarne me asaani ho. Kahi Steve ko goli na lag jaaye.

Aur Steve shayad kamayaab ho raha tha.

Wo Veer ke neeche the aur peeche se uske gale me deadlock maare hue tha. Aas paas ke bande dard se karaah ke uthe aur madad ke liye aage badh rahe the.

Slogan ke chehre par ek kaatil muskaan aa chuki thi, kyuki Veer ki wahi chotil chhaathi ab uski nazro ke theek saamne thi.

Bas trigger dabaane ki derr thi.

Slogan : Goodbye Veeeeeerrrrr!!!

Aur trigger dab gaya...

*BAAAAAANNNGGGGGGG*

"Aaaaaaaaargghhhhhhhh"

Khoon nikalna shuru ho gaya.

Slogan : T-Tummmm.... !!!?

"Haan mein!!!" Aur tabhi wahi se awaaz aayi Jassi ki.

Jiske haath me revolver tha. Aur wo khoon Veer ka nahi balki Slogan ke haath se beh raha tha kyuki Jassi ne enter hote hi Slogan ko dekh uss par nishaana laga ke gun chala dii thi. Par nishaana thoda chooka aur wo bullet jaake Slogan ki baah me jaa ghusii.

Karan : Veeeeeerrr!!!

Ab Slogan ka khel khatam tha ye soch Jassi aur Raghu poori team samet aage badhe par...

*Shuuuuuttttt*

"Huhhhhh!?"

Achaanak hi ghapp andhera ho gaya. Kisi ne Lever gira ke poori electric supply hi band kar dii thi.

Aur jese Slogan ko apna raasta mil gaya tha. Wo chillaaya...

"Steeeeveeeee!!!"

Steve kuch nahi bola. Usse pata tha kya karna hai.

Veer ko wahi chorr wo bhaaga. Unhe toh jese andhere me bhi raasta rata hua tha.

Aur idhar andhere me Jassi samet baaki sabhi Veer ke paas pohuche.

Karan : Veeeeeeerrrr!

*Ding*

[Beowulf's Blessings Turning OFF.]

*Ding*

[Beowulf's Blessings has been turned OFF.]

*Ding*

[You cannot activate Beowulf's Blessings for the next 24 hours.]

Aur issi ke saath Veer ki aankho me se wo laali hattne lagi. Saasein thamne lagi...

Aur...

Uski aankhein band hone lagi. Zaahir tha ki uska behosh hona banta hi tha.

Akhiri shabd usse jo sunnaayi diye wo the...

Karan ki awaaz, "Veeeeeeerrrrrr!!!"

Aur Pari ki awaaz, "Listennnn... Don't go into the..."

Par unn baato ko poori sunn'ne se pehle hi wo gehri behoshi me chala gaya.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Raat me jaag jaag ke kaafi kuch changes karte hue likha hai. Like thok ke jaane ka aur apne views rakhne ka. Famiglia arc ki shuruaat ho chuki hai. Parallel me Slogan Arc chalega aur saath hi khatam bhi hoega.

Dhanyavaad! ✨
Superb update
 

Luffy

Well-Known Member
7,017
29,011
203
Update - 67 ~ No one cares about you being second.
Ab tak...

Sonia ko pata nahi kya hua par wo achanak hi zorr se darwaaza band kar baahar nikal gayi.

'Hmm?'

[Something happened...!]

Wo baahar nikli aur nikalte hi usne sabse pehle Mrinal ma'am ko dekhte hue pucha, "Where's the washroom!?"

"Yaha aage se left!" Mrinal ma'am ne bataaya toh Sonia bas tezz kadmo ke saath andar ghuss gayi aur ek baar fir...

*Slaaaammm*

Zorr se usne darwaza andar se hi band kar liya.


Ab aage...

Sonia iss waqt sheeshe ke saamne khadi hui thi.

Aankhein laal, palko par saje hue halke halke aasu jo bas zameen par tapakne hi waale the.

Thodi tezz saasein aur darpan me wo apni khud ki iss haalat ko dekh rahi thi.

Wo toh bas kuch hi dino ke liye baahar gayi thi zaroori kaam se. Keval kuch hi dino se Veer se nahi mili thi. Toh fir...

Toh fir uske kuch din apne sheher se dur rehne par itna bada badlaav kese aa gaya? Wo Kaera jo logo ko bhaav tak nahi deti thi, wo Kaera jisse harr ek cheez boring sii prateet hoti thi. Wo Kaera jisse ladko me koi interest nahi tha. Wo Kaera jo kabhi emotions nahi dikhaati thi.

Toh wo Kaera aaj yaha iss qadar Veer se kyu lipti hui thi bhala? Kyuuuuu???

Aisa kya ho gaya tha inn kuch dino me ki Kaera jaisi ladki Veer ke aalingan me giri hui thi?

Sonia ki kuch samajh nahi aa raha tha. Aaj toh wo yaha Veer ki haalat dekhne aur usse belated congratulations kehne aayi thi uske apne naye food truck ki shuruaat ke liye.

Par... Par yaha ka nazaara toh kuch aur hi tha. Uski puraani dost, jo uss se theek se baat tak nahi karti thi. Uss se kya, jo kisi se bhi dhang se baat nahi karti thi, hamesha ladke uske peeche rehte the. Aaj wo...

Aaj wo yaha ek ladke, Veer se lipat ke chipki hui thi. Jhatka toh laga tha Sonia ko. Par uss se bhi zyaada usse ye baat sata rahi thi ki...

Wo Veer se pehle mili thi. Wo gayi thi Suhana aur Prakash Uncle ke saath Veer ke college uss se pehle milne. Usne pehle Veer ki saari details nikalwaayi thi. Veer ne pehle usse bachaaya tha. Wo Veer ko pehle se jaanti thi. Fir...

FIR KYUUUUUUU!??!

Kyu Kaera aur Veer ke beech usse wo nazar aa raha tha? Wo rishta jo abhi tak uske aur Veer ke khud ke beech nahi bann paaya tha. Kyuuuu??

Zara sochiye ki aap kisi naye dost se mile. Sab kuch badhiya chal raha hai. Aap kuch din ke liye baahar gaye aur jab aap wapas aaye toh aap kya dekhte ho?

Ki aapka ek puraana mitr jo aapse ab rutha hua hai wo aapke uss naye dost ke saath hass kar ghul milkar baatein kar raha hai. Toh kesa lagega aapko? Aisa lagega na ki aapse wo cheez chheen lii gayi ho? Ki aapko kisi makkhi ke samaan nikaal kar thaal me se fek diya ho!? Lagega na!?

Kuch aisa hi ho raha tha abhi, Sonia ke saath.

Aur tezz saasein lete hue usne apni aankhein band kar lii...

*20 years ago*

"La la la la ummmm la la laa hnnn~"

Aaj vacation ka akhiri din tha. Ab mein 1st class me jaane waali thi. Aur kal, meri 1st class ka pehla din tha.

Apne baalo me ribbon baandhte hue mene sheeshe me dekha aur mamma ki make-up kit se brush utha ke apne chehre par foundation potne lagi. Mein sundar thi. Mamma jaisi. Aisa soch ke mein mamma ki nakal karne lagi.

Tabhi peeche se meri mamma aayi aur mujhe dekhte hi hassne lagi.

"Hahahaha~ Sonu?? Ye kya kar rahi hai meri bacchi?"

"Mamma ka makeup laga rahi hu~"

"Accha jii? Aur kyu bhala? Bacche kabse makeup lagaane lage?"

"Mamma lagati hai toh Sonu bhi lagaegi~"

Mene Mamma ki baat par zyaada dhyaan nahi diya. Mujhe toh make-up se matlab tha. Aur pout kar kar ke mein apne poore chehre par makeup pot rahi thi. Banta santa kuch nahi tha par mujhe toh karna tha.

Kyuki kal mera first class ka pehla din tha. Mere friends ko bhi toh pata lagna chahiye na ki mein kitni khubsoorat ho gayi hu vacation ke baad. Sab mujhe dekh ke cute bulaenge fir.

Aur harr baar ki tarah mein 1st class me bhi first aaungi. Fir second me bhi, gir third me bhi aur fir hamesha. Mamma Papa meri firse tareef karenge. Mujhe firse gifts denge. B'day party me bhi sabhi meri tareef karenge. Mein didi ko chidhaungi ki firse mere marks zyaada aaye hehe~

Aur inhi baato ke baare me soch soch kar mein so gayi.

Naya din hua, nayi shuruaat.

"Arre Namrita!?? Jaldi karo baba! Sonu ko school bhi chorrna hai."

"Aayi baba! Kar toh rahi hu. Suhana ko tiffin diya abhi abhi. Van me baitha ke hi aa rahi hu usse."

"Haan thoda jaldi karna."

Papa ne mamma ko jaldi karne ko kaha toh mamma fatafat mera tiffin bhi ready kar ke laayi aur mere bag me rakh dii.

Aur fir mere chehre ko pakdi aur mere maathe ko choomte hue boli, "Meri bacchi ka aaj pehla din hai na? Nayi class ka? Enjoy karna haan? New friends banaana!"

Mein muskuraayi aur mamma ke gaal par pappi dete hue baahar nikal kar car me baith gayi. Mujhe car behad pasand thi. Harr kisi ke paas nahi hoti thi car. Isliye mein Van me jaane se mana kar deti thi mamma ko. Mujhe accha lagta tha apne dosto ko ye dikhaana ki hamaare paas car thi.

"Shailendra! Aapka tiffin bhi rakh diya hai. Theek hai na?"

"Hmm~"

"Aapko pata hai na? Kuch din pehle hamaare bagal me naye padosi shift hue hai."

"Pata hai Namrita! Pata hai! Aur mein mil bhi aaya hu unse. Kaafi badi company ke maalik hai wo Kishor saahab. Mere jitni hi umr ke honge. Shayad hamari company se bhi badi hai unki company."

"Hmm~ Isliye aapko unse acche sambandh bana ke chalna chahiye."

"Tum toh aise keh rahi ho jese mein jaake unse jhagad ke aa jaunga. Hahahaha~"

"Bas keh rahi hu. Aap toh jaante hi hai ki aadmi kaan bharne me kitna aage rehta hai. Padosi hai ab wo hamaare. Sambandh bana ke chaliyega!"

"Jii mohtarma!! Wese... Aaj toh qayamat lag rahi ho iss neeli saree me. Haan!?"

"Dhattt! Aap bhi na..."

"Papa chalo jaldi!! Mein late ho rahi huuu~" Mein chillaayi. Na jaane kya khusur pusur kar rahe the mamma aur papa.

Aur meri baat sunn Papa forun hi aaye. Car start hote hi hum nikal pade mere school ki orr.

Papa ne mujhe chora aur bye kiya. Aur mein bhi unhe bye bol ke apni class me ghuss gayi.

Mera bag naya tha. Nayi dress, naye shoes mere, naye chamkeele ribbons. Saare bacche bas mujhe hi dekh rahe the. Hehe~

Mein apni seat par jaake baithi, apni best friend ke bagal se.

Meri best friend ~ Ava!!

Wo dikhne me meri hi tarah khubsoorat thi. Bas antar ye tha ki uski skin thodi aur zyaada safed thi aur uske baal peele the. Jaise videshi ladkiyo ke hote the. Mujhe ye baad me pata laga tha ki aisi ladkiyo ko blonde kehte the.

"Avaaa~"

"Sonu~ Tu aa gayi! Wowww! Ribbon boht acche hai~"

"Hehe~ Thank you!"

Par hamaari baatein zyaada nahi ho paayi kyuki madam aayi aur unhone sabko baitha diya.

"Baccho! Aaj aapki class me ek nayi student ka admission hua hai. Aur aaj se wo aap logo ke saath hi padhegi. Okay? Student! Please come in! Andar aao beta~"

Ma'am ne andar aate hi ek news pheki thi hamaari taraf. Class me koi naya student aaya tha. Ya yu kahe ki aayi thi.

Hum sabhi apni nazre gadaye darwaaze ki entrance par dekhne lage.

Aur ma'am ke bulaane par ek behad hi sundar sii ladki andar aayi. Hum sabke muh khule hue the usse dekh ke. Uske baal meri aur Ava ki tarah utne lambe nahi the, keval kandhe tak hi the. Aur isliye wo ribbon ki jahah sarr par red band lagayi hui thi.

Aaj uska pehla din tha toh school dress me nahi balki wo princess waali red frock pehne hue thi.

Mere paas bhi princess frock thi par itni khubsoorat nahi.

"Baccho! Ye hai Kaera! Aaj se ye aapke saath hi padhegi. Theek hai? Welcome karo sabhi. Say Welcome Kaera!"

"Welcome Kaera~" hum sabhi chillaye aur uske baad usne hume thank you kaha.

Kitna ajeeb naam tha? Kaera!? Pehli baar mene aisa koi naam suna tha.

Kherr! Fir ma'am ne hamaari bench ke aage waali bench jis par ek hi ladki baithi hui thi udhar Kaera ko baithne keh diya.

Wo aayi aur mere saamne waali bench par baith gayi.

Ava harr baar ki tarah apni baatein shuru kar uss se baat karne lagi aur baato hi baato me mujhe pata laga ki wo Ava ki hi tarah meri padosi thi.

Mein bhi khush thi. Mujhe shayad ek aur friend mil gaya tha. Par...

Par aaj sab mujhe chorr uske baare me baat kar rahe the. Mene apne ird gird dekha aur...

Aur waqai...

Sabhi uski dress ko dekh ke uski tareef kar rahe the.

Aur unki harr baatein mere kaano me pad rahi thi. Mein bhi toh saj ke aayi thi. Fir mere... Mere baare me koi baat kyu nahi kar raha tha?

Mene usse peeche se tatola, wo palti aur mujhe dekhi.

"Tumhe pata hai. Aisi same frock mere paas bhi hai. Mein kayi baar p-pehen chuki hu usko. I-Iss se bhi acchi hai wo..." Mene uss se kaha.

"Hmm!?" Par usne mujhe dekhne ke baad ignore kar diya aur apna dhyaan padhaayi par dene lagi.

'Huhhhhhh????'

Mujhe gussa aaya. Iss ladki ne meri baat sunn'ne ke baad kuch kaha kyu nahi? Mere paas iss se bhi acchi dress hai. Isse sunkar toh usse kuch kehna chahiye tha na?

'Ughhh!!!'

Mene firse usse tatola aur usse bulaaya.

"T-Tumhe pata hai? Mere paas bhi iss se accha hairband hai. Mamma laayi thi. Par mere baal t-tumhaari tarah chote nahi hai na isliye... Isliye mein nahi pehenti."

"Okay!" Wo bas itna bol waapas se mud ke apni copy me likhne lagi.

'Uggggghhhhhhhhhg!!!!'

Mujhe itna gussa aa raha tha.

"Kaera tumhari frock boht acchi hai."

"Tumhare upar red frock acchi lag rahi hai."

"Good morning students! Arre waah! New student? So pretty? What's your name? Kaera? Kitna pyaara naam hai. Aur ye frock tum par boht pyaari lag rahi hai. Arre waah! Tumhari toh handwriting bhi sundar hai. Ye lo~ Meri taraf se star. Fufu~"

Bacche, yaha tak ki teacher bhi uski tareef kar rahi thi. Ava bhi... Ava bhi unke saath milke khel rahi thi.

Meri copy ka page kab mere haatho me rehke marud gaya mujhe pata hi nahi chala.

Chutti ka time ho gaya tha. Aur ab...

Ab mere chehre par muskaan thi. Ab mein isse bataane waali thi ki mein bhi kam nahi thi.

Mein line me lag kar class se baahar aayi aur uske bagal se khadi ho gayi.

"Arre mere papa aa gaye!" Mene jaan bujh ke uske paas rehke zorr se bola taaki wo mujhe dekhe. Dekhe ki mere paas car thi...

Aur mein daud ke gayi apne papa ke paas aur car me ghus ke window se usse dekhne lagi.

Hehe~ Ab bol na? Bolti band ho gayi? Mere paas bhi aisa kuch tha jis mein show off kar sakti thi.

Par...

Tabhi ek black colour ki car aayi. Hamaari car se bhi acchi dikhne waali car. Usme se ek uncle jaisa koi baahar nikla aur jhuk ke Kaera ko welcome kar raha tha car me andar baithne ke liye.

"Aaiye Miss!"

Aur wo Kaera uss car me andar jaa ke baith gayi.

Mera muh khula ka khula tha. Mene gusse me aake apni skirt ko muh me bhar liya aur zorr se kaatne lagi.

"Paaaapaaaaa~" mein chillaayi.

"Haan kya hua?"

"Wo... Wo Kaera ke paas bhi car hai. Kyuuuuu?? Uske paas kyu hai car??? Wo uncle kaun hai???"

"Accha wo? Haha~ Kya wo bhi tumhaare school me aa gayi? Chalo acchi baat hai. Wo hamaare padosi hai. Aur wo jo uncle the wo unke yaha kaam karte hai. Madhav naam hai unka."

"Toh hamaare ghar me koi kaam karne waala kyu nahi hai?"

"Huh? Hamaare yaha bhi toh aate hai na kaam karne waale Sonu!?"

"Nahiiiii!!! Unn uncle ki tarah mujhe bhi ek uncle chahiye jo car me mujhe roz baithaaye. Uggghhhhhh~"

Aur mein rone lagi. Aaj jese muh ki khaayi thi mene. Mujhe wo ladki bilkul bhi pasand nahi aa rahi thi. Ava bhi uss se jaake mil chuki thi. Mera koi nahi tha. Sab dogle the.

Aur mein rote rote hi ghar gayi.

Agla din hua...

Agle din aaj wo Kaera sabse left ki row me first seat par baithi hui thi. Wo poori row ladko ki thi.

Uske peeche ki bench khaali thi. Toh mein aur Ava uske peeche jaake baith gaye. Aaj mein usse sabak sikhaane waali thi. Hehe~

Par iss se pehle ki mein usse sabak sikha paati. Mein peeche baithe ladko ki shaitaaniyo ka target bann chuki thi.

Wo meri choti kheechte, hamaari desk par kaagaz phekte, bottle se paani chidakte aur mein aur Ava ma'am se complaint karte. Ma'am unhe daatati par thodi derr baad fir wahi shuru ho jaata.

Aur mein rone lagi. Meri soorat poore rone waali ho chuki thi. Naak behne lagi thi, aankho se bade bade aasu aur mera chehra poora laal ho chuka tha. Mujhe rota dekh Ava bhi subukne lagi thi.

Tabhi...

Saamne se Kaera khadi hui aur peeche aayi aur unn ladko ko gusse se dekhte hue boli,
"Mene sab dekha hai. Aur ab mein principal ma'am ke paas jaa rahi hu tum logo ki complaint likhwaane. Dekhna ab! Tum dono ki kese shaamat aati hai. Seedha resticate hoege ab tum."

Kaera ne unko itna bas kaha tha ki unke poore chehre ka rang udd chuka tha. Kyu??

Kyuki hum me se koi nahi jaanta tha ki ye resticate kis bala ka naam tha? Kya hota tha iska matlab? Hum bas mann me sawaal hi liye the.

Wahi Kaera muskuraa ke bas unhe chidha ke jaane ka keh keh ke darra rahi thi unhe. Jo kuch bhi tha, Kaera ko dekh ke hum sab yahi samajh rahe the ki resticate koi boht buri cheez ka naam tha.

"Ab toh gaye tum sab bacchu! Resticate seedha! Ab pitaayi lagegi tumhari."

"Nahi! Nahi!! Mat jao Kaera. Sorrrrryyyy! Sorrrryyy! Maaf kardo. Ab hum ratticate nahi hona chahte."

"Ratticate nahi resticate!"

"Haan woi woi...ab hume reticate nahi hona."

"Hmph~ Toh sorry kaho inse. Aur kaho ki aisa kabhi nahi karoge."

"Sorry! Sorry Ava! Sorry Sonu! Sorry! Sorry~"

Mein toh bas ashcharya ke maare sab hota dekh rahi thi. Aaj mujhe pata chala tha ki...

Ki itni buri bhi nahi thi ye ladki ~ Kaera!

Aur fir departure hua...

Hum sab nikle. Aaj mene koi show off karne ki koshish nahi kii. Par aaj...

Aaj uski black car jab aayi toh usme se ek khubsoorat sii aunty baahar nikli.

"Kaera~ ♡"

Wo usse pukaarti hui hamaari taraf aayi aur uske haath ko thaam lii.

"Chalo beta! Aur tumhaari friend Sonu kaha hai?"

"Sonu ye hai Mom!"

'Huh? Mein? Friend? Kaera ki? Kya usne ghar me ye bataya tha?'

Unn aunty ne mujhe dekha aur mujhse boli,
"Accha toh tum ho Namrita jii ki beti haan? Kitni pyaari ho tum. Aaj tumhaare papa ko kaam hai. Toh aaj unhone ne mujhe aapko aapke ghar bhejne ko kaha hai. Toh chale beta?"

"Hmm~"

Mein Kaera ki car me uski Mamma ke saath sawaar ho gayi. Mene dekha ki Kaera ki mamma ka pait fula hua tha.

Ghar pohuchte hi Mamma ne gate khola, mein unke perr se jaa chipki aur mamma aur wo aunty baat karne lagi.

Tabhi mene mamma ko kheench ke neeche jhukaaya aur kaha~
"Mamma! Wo aunty ka pait fula hua hai. Andar baby hai na???"

"Haayyye! Isse itna sab kuch pata hai? Aapki beti toh boht hoshiyaar hai haha~"

"Haan beta!"

Mamma ne meri baat par sarr hilaaya toh wahi aunty ne meri tareef kii. Hehe~

Agle din mein Ava aur Kaera, apni do pagli sakha saheliyo ko wo paath padha rahi thi jiske baare me mujhe khud kuch nahi pata tha.

"Dekho~ Mamma logo ka pait fulta hai iska matlab unke andar baby hai. Kaera, tumhe nayi behan ya bhai milega jaldi se. Hehe~"

"Par Baby aata kaha se?" Ava puchi.

"Mujhe nahi pata. Nani kehti thi ki bhagwan ke ashirwad se hota hai sab kuch."

Aur aise hi samay guzarta gaya. Hum teeno ki dosti aur gehri hoti gayi. Hum teeno hi ghar se baahar nikal ek dusre ke ghar jaate aur khelte.

Kabhi kabhi toh derr raat tak ek dusre ke ghar me bane rehta the. Hum teeno ke beech ek gehra bond banta jaa raha tha. Aur mein, Kaera ko ab utna hate nahi karti thi.

Fir exams aaye aur hum sabhi ne dil laga ke exams diye.

Result aaya toh pata chala ki...

Mein second aayi thi. Aisa kabhi nahi hua tha ki mein first na aau. Bhala kisne meri jagah chheen lii?

Parents teachers meeting ke waqt mein mamma Papa ke saath teacher ke saamne khadi hui thi jab teacher ne khud bataaya ki...

"Iss baar first tumhari friend aayi hai Sonia. Matlab... Kaera!"

Ye vaakya jese mere dil pe laga tha.

Uss din mein boht royi. Boht!!

Second class aayi. Mene boht mehnat kii. Par...

First place par mera naam nahi likha tha. Iss baar bhi mein second thi. Mein firse khub royi.

Aur fir ek din...

Mene dekha ki Kaera ke ghar ke baahar behad bheed lagi hui thi. Aunty safed kapde pehne hue laiti hui thi. Meri mamma ne mujhe andar kheench liya aur bed par lita ke mujhe sulaane lagi.

Tabhi ghanti baji ghar kii aur baahar Kaera ke papa the. Wo Kaera ko ghar par chorr ke kahi jaa rahe the.

"Kya aap iska thodi derr dhyaan rakhengi?"

"Ye bhi koi kehne ki baat hai? Kaera ko yaha chorr jaaiye! Mein inko telephone kar diya hai. Ye aate hi honge. Bilkul bhi accha nahi hua..."

"J-Jii! D-Dhanyavaad!"

Wo haath jod ke chale gaye.

Kaera ekdum masoom chehra liya mere sang baithi hui thi. Mein jaanti thi kya hua tha.

Uski mamma marr chuki thi.

Mein uthi aur apni mamma ke paas gayi.

"Mamma!!!"

"Hmm?"

"Kaera... K-Kaera ki mamma... jaa chuki hai na?"

Mein nahi jaanti thi ki marrta kese hai aadmi, kyu marrta hai. Par itna jaanti thi ki ek baar insaan marr jaata tha toh fir wo kabhi waapas nahi aata tha.

"Haa beta!"

"Ab wo waapas nahi aaengi na?"

Mamma ne meri baat par dheere se sarr hilaaya.

"Mammaaa~" aur pata nahi kyu, par mein ro padi.

Mujhe dekh mamma bhi ro padi aur unn ne mujhe aur Kaera ko apne gale se laga liya.

"Tum dono behne ho samjhi? Apni behan Kaera ka dhyaan rakhogi na Sonu?"

"Hmm~"

"Acchi bacchi!"

Uske baad se hi mere andar jo ghrina thi wo kam ho gayi Kaera ke liye.

Mein uske saath aur khelna chaahti thi. Aur samay bitaana chaahti thi. Par uske baad se hi jese...

Jese uska khelna kudna band ho chuka tha. Usse ghar mew qaid kar diya gaya tha. Mein uske ghar jaati toh mujhe bas 5-10 minute milne ke baad waapas bhej diya jaata tha.

Samay guzra aur wo silsila abhi bhi jaari raha.

Mein second aati thi aur Kaera first. Ye ek routine ban chuka tha. Harr gatherings me, Mujhe bas yahi sunn'ne ko milta...

"Kaera iss baar bhi first aayi."

"Badi hi hoshiyaar bacchi hai"

"Maa ke na hone ke bawajood kitni samajhdaar hai ye."

Sab tareefo ke pul baandhte the.

"P-Papa mein bhi toh second aayi na?" Mein bas yahi keh paati.

"Hmm~"

Aur mujhe haan me sarr hila ke harr insaan ignore kar deta tha. Value thi toh keval pehle sthaan kii.

I realised ki...

NO ONE CARES ABOUT YOU BEING SECOND!!!!

Kitna hi dusra sthaan kyu na paa lo. Kabhi bhi pehle ki barabar nahi kehlaoge.

Idhar Kaera ko ghar se nikalne hi nahi dete the. Mein uske ghar ke baahar apni cycle me baithe uske ghar par lage upar window me usse dekha karti thi.

Wo roti thi. Ab toh Ava bhi jaa chuki thi yaha se.

Aur ab Kaera ko bhi band karke rakhne lage the.

Mein unke ghar jaati aur uske papa se ladke bhaag ke ghar aa jaati. Kese uncle the? Gande ekdum! Mein unhe jeebh dikha ke kabhi kabhi chidha bhi diya karti thi.

Fir mujhe samajh aaya...

Ki usse ghar par hi saari education dii jaa rahi thi. Abhi bhi wahi hota tha, mein second aur Kaera first.

Sports ke dauraan wo mujhe dikhaayi deti. Mein uss se baat karne jaati toh wo kuch nahi kehti thi.

Bas apna kaam karti aur waapas laut jaati.

I HATED IT!!!

I HATED EVERYTHING!!!

Mein ye sab nahi chaahti thi. Kaha gaya hamaara wo sunehra pal? Wo sunehra bachpan?

Fir ek din...

Ek baar essay competition hua. Mujhe yaad hai uss competition me kisi dusre school ki ek ladki first aayi thi. Aur Kaera second thi.

Pehli baar uss din mujhe kuch naya dekhne ko mila tha. Kaera uss first aane waali ladki se jaa ke mili thi. Haath milaayi thi uss se.

Aur mere dimaag me ek baat baith gayi thi. Yadi mujhe uska recognition chaahiye tha. Toh mujhe usse haraana tha.

Mere dimaag me apni mamma ki kahi baat fir goonj gayi. "Apni behan Kaera ka dhyaan rakhogi na Sonu?"

Aur bas...

Mene apna maqsad bana liya tha.
I WILL DEFEAT HER!

Aur uss din se hi mene jii jaan laga dii apni. Ki mein Kaera ko hara ke hi rahungi. Safal toh nahi ho paa rahi thi par mene haar nahi maani thi.

Wo jis college me admission lii, mene bhi ussi me liya. Wo jis competition me bhaag leti, mein bhi ussi me leti.

Mujhe yaad hai. College ka final year tha. Aur mene apni jee jaan laga dii thi. Raato ki neend udaa dii thi Kaera ko haraane ke liye.

Aur shayad bhagwaan ne meri sunn lii thi.

"Congratulations Sonia! You are the top scorer! 98.9% Wowwww!"

Ye news jaise sunn'ne ke liye mein kabse tadap rahi thi.

"A-And who's the second? Ma'am?"

"Second? Second is Kaera. With 98.5%. She had a severe cold few weeks ago. I hope she'll come today to gather her report cards."

'H-Huhhh!? Kaera ko... cold tha!??'

Aur jese firse mujhe apne muh me haar ka swaad chakhne ko mila.

Even though mene usse hara diya tha. Par mene usse iss haalat me haraaya tha. Wo bukhaar me thi aur apne exams dii. Aur yaha mein samajh rahi thi ki mene usse hara diya.

Apne nichle honth ko daato tale dabaate hue mene ma'am ko dekha aur kaha, "Can you... Can you please hide this? Can you tell her that she's the first one. She's the top scorer."

"Huh?? N-Noo! Why would I do that? And whyy???"

"P-Please! Don't worry! I'll manage everything. Just tell her. Please! It's a request!"

"That's...."

"P-Pleaaaaseeeee!!!"

"O-Okay! F-Fine!"

Aur kuch derr baad hi darwaaza khula. Wo andar aayi. Kaera!!

Usne apna report card liya. Aur usse jab pata chala ki wo top scorer thi toh usne bas sarr hilaaya aur mujhe dekh ke waapas chali gayi.

Mein ek baar fir... Roti rahi...

***

Aur harr baar ki tarah aaj bhi, Sonia ke chehre par aasu bikhre hue the.

'They are waiting outside...!'

Jaldbaazi me aasu poch usne ek banaavti smile mirror me dekhte hue apne hontho par bikheri.


177fcfac2aaea098109078536aa62c3c

Aur wo nikal gayi baahar. Waapas se Veer ke room ki taraf.

"S-Sonuuu!?"

Uski behan Suhana ne usse dekha toh pukaara par...

Sonia Suhana ko ignore kar waapas se Veer ki orr gayi.

Veer : Huh!?? A-Aap theek toh ho na?

Sonia (smiles) : Yessss!!! Mujhe kya hua bhala?

Par Veer ko abhi bhi kuch shaq ho raha tha.

'Something is wrong!'

[She was crying.]

'Huh!??'

[Uske gaalo ko dekho. Aasuo ke nishaan! She was crying inside the bathroom.]

'P-Par kyuuu? Achanak se aise?'

[I think she doesn't likes Kaera.]

'No wayyy! Miss Kaera aur wo aapas me dost hai bachpan ke. I know abhi unke beech utna accha relationship nahi hai. Par wo hate nahi karti Kaera ko. She herself told me that.'

[Hmm~ Toh kuch toh baat hai!]

'Y-Yeah!!!'

Wahi dusri orr Kaera jo Veer se bas kuch derr pehle alag hoke usse nihaar rahi thi, usne Sonia ki taraf dekha bhi nahi tha abhi tak. Uska poora focus Veer par tha.

Tabhi Sonia ko ek aur jhatka laga.

"T-That... That..." Wo ungli dikhaa ke Kaera ke haath ki orr ishaara kar rahi thi.

Veer aur Suhana ne jese hi dekha toh paaya ki Kaera ke haath me ek blazer tha.

"That's... It's the one I bought for Veer!!!!!"

Wo tezz awaaz me boli toh Suhana ko bhi dhyaan aaya. Ye toh wahi blazer tha jo Suhana aur Sonia ne milke Veer ko dilaaya tha jab wo Delhi trip par gaye the saath me. Ye bhala Kaera ke paas kya kar raha tha!?

Sonia : HOWWWW!??? HOW COME YOU HAVE THIS!??

Kaera : Mmm?

Sonia : YE... YE TUMHAARE PAAS KESE!?? HOOOWWW!???

Kaera (smiles) : It's a secret!

Usne badi hi asaani se kaha. Par Kaera ki choti sii baat Sonia ko shayad dil par jaa kar lagi thi.

Suhana : Hoooo~ Yeah yeah! That's the same.

Veer : Ye...!?

'Wait! Ye toh mene... If I remember correctly. Toh ye mene... Yeah! That night... Mene uss ladki ko diya tha ye blazer. How come...!? Miss Kaera ke paas ye..!?'

[Hmmmmmm~ :huh: ]

Kaera : I have this too~

Aur tabhi Kaera ne apne purse se ek brahmaastra nikaala.

Haatho me ek chota sa teddy liye usne wo sabhi ko dikhaaya.

Kaera (smiles) : He gave it to me! Right Veer?


23560d0dee1dfd27993ad6ea6578f497

Veer : Huh!? M-Mein...!?

Sonia : V-Veeeeerrr???

Suhana : Hoooooo~ Interesting~

[ :rip: ]

'Fuck! Shut up!!!!'

Sonia jese wahi khade khade shaant sii pad gayi. Uske expression kisi ko nazar nahi aa rahe the. Kyuki wo sarr jhukaaye hue thi aur uske baalo se aadha chehra uska dhakk chuka tha. Shareer me kampan ho raha tha uske...

Suhana : Oh no!! Sonu!?

Veer bewakoof nahi tha. Wo dekh paa raha tha ki Sonia ko kuch na kuch beech beech me ho raha tha. Aur tabhi usse jese yaad aaya. Jo baatein khud Suhana aur Sonia ne usse bataayi hui thi.

Ki Sonia hamesha Kaera ko haraana chaahti hai. Bas uss se ek baar aage nikalna chaahti hai taaki Kaera usse recognise kare.

Aur ab shayad Veer ko saari baat samajh aa chuki thi.

[Aah! So that's why~ ]

Veer : Miss Sonia~

Par Sonia ne koi jawaab na diya.

Veer (sighs) : Miss Sonia! Aapko kisi se khud ko compare karne ki zaroorat nahi. Aap apne aap me best ho. You don't need people who raise questions at you! You are you, Miss Sonia!!

*Badump*

Sonia ka dil zorr se dhadka.

Sonia : H-Huhhh!?

Iss baar usne sarr uthaate hue Veer ko dekha.

Veer : I don't care about anything. Chaahe aadmi first aaye ya second... I don't care... Insaan ki kaabiliyat ki pehchaan inn panno me likhe marks se nahi hoti Miss Sonia. For me, you and Miss Kaera are equal. You both are very different yet very same.

*Badump*

Sonia : S-Say that again!

Veer : Huh!? W-what? I don't care about anything?

Sonia : N-Nahi! Second last me j-jo tumne kaha.

Veer : !??? F-For me, you and Miss Kaera are equal!

Bas! Veer ka itna kehna hi tha ki fir wo hua jisse dekh waha maujood sabhi dang reh gaye.

Sonia aage badhi aur wo Veer ko chaathi me jaa ke ghuss gayi.

"Huh!??? W-Wha!?? Ughhyuuu...."

Veer : M-Miss Soniaaa???

Aur iss se pehle ki wo virodh kar paata.

*Chu~♡*

'!!???'

Sonia ke honth uske gaalo par the.

Suhana : Sonuuuuuu!???????

Kaera : ??????

Aur tabhi...

*Ding*

[Mission : Take Sonia on a date.
Rewards : ??? Points.
Time Limit : 2 weeks.]

'Huh? W-Waitttt!!!!'

[Rest in peace! :pray: ]

'Shutttttt uppppp Pariiiiiii~'
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!

Like thokne ka aur comments rakhne ka. ✨
Fantastic update
 

Tiger 786

Well-Known Member
5,719
20,871
173
Update - 66~ Greetings!
Ab tak...

Uski aankhein band hone lagi. Zaahir tha ki uska behosh hona banta hi tha.

Akhir shabd usse jo sunnaayi diye wo the...

Karan ki awaaz, "Veeeeeeerrrrrr!!!"

Aur Pari ki awaaz, "Listennnn... Don't go into the..."

Par unn baato ko poori sunn'ne se pehle hi wo gehri behoshi me chala gaya.


Ab aage...

"Toh ye sab hua haan!?"

Ye awaaz thi Kishor ki, jisse sab kuch Raghu aur Jassi waha khade hokar bata rahe the.

Darwaaze ke baahar hi Karan chhup ke khada hua tha aur unki baatein sunn raha tha.

Unhe Slogan ke hideout se laute kuch hi derr hui thi abhi aur Raghu aur Jassi poori report de rahe the Kishor ko.

Rahi baat Veer ki toh Karan ne usse sahi jagah pohuchaa diya tha filhaal ke liye.

Jassi : Jii!

Kishor : Bewakoof kahi ke...

Jassi : Huh!??

Raghu : !??

Kishor : Nahi! Tumse nahi! Kuch nahi! Toh? Aur kya hua? Kuch aur baat?

Jassi : Nahi Sir! Bas wahi copter hi bas...

Kishor : Hmm~ Theek hai! Tum log jaa sakte ho.

Aur Raghu Jassi haan me sarr hilaate hue waha se nikal gaye. Room ke baahar aate hi unhe Karan khada hua dikhaayi diya.

Raghu : Meri...

Karan (khuspusaate hue) : Haan haan, mil jaegi tumhe tumhari cigarette.

Raghu (smiles) : Bas!!!! Yahi sunn'na tha. Chal Jassi!

Jassi : Hmm~

Aur wo dono waha se nikal gaye. Kishor ke room ki lights bhi band ho chuki thi. Par Karan wahi khada hua tha, aur kuch soch raha tha.

'Dad ki bheji gayi help. There was something wrong. Aisa pehle kabhi nahi hua. Mujhe aisa kyu lag raha tha ki wo saare aadmi peeche peeche khade hue the. Aur keval meri Raghu aur Jassi ki help kar rahe the. Khud se aggresive hoke aage badh unn ne action nahi liya. Which is strange... Kuch baat hai...'

***

Next day...

8:26 PM...

'Hmm!?'

'Aaarghh! Kidhar hu mein!?'

'Huh? Ye... Ye haath par...!?'

Apni aankho ko jhapkaate hue jab Veer ne apne aas paas ka jayza liya toh usse kuch samajh nahi aaya theek se.

Wo laita hua tha aur uske seene par patti bandhi hui thi. Jagah jagah dressing bandhi thi uske. Thoda dard abhi bhi tha par rahi baat wo kaha tha iss waqt toh...

Kehna mushqil tha. Kyuki ye hospital toh kahi se bhi nahi lag raha tha. Haan, hospital me istemaal hone waale equipments zaroor lage hue the jagah jagah par lekin fir bhi Veer ko aisa laga ki ye hospital nahi tha.

Usne apne aap ko adjust kar jab sarr jhukaate hue apne haath ki orr dekha toh paaya ki...

Uski hatheli par kisi ladki ka sarr tha. Toh yahi bhaaripann usse apne haath par mehsoos ho raha tha.

'Huh!?'

Wo thoda chakit tha. Wo toh Slogan aur uski party se bhid raha tha. Fir uske baad kya hua tha? Usse kuch yaad nahi aa raha tha theek se. Itna hi yaad tha usse ki wo Slogan ko maarne jaa raha tha aur fir wo Steve achanak se uske upar kood pada. Fir uss se chheena jhapti houne lagi aur uske baad usse jaise kuch yaad nahi aa raha tha ki kya hua.

Par uss se bhi zyaada abhi ye zaroori tha ki ye uski hatheli par sarr rakh ke kaun laiti hui thi?

Jab Veer ne apna haath nikaala toh uske haatho ki halchal se uss ladki ka chehra saamne aaya.

'A-Arohi dii!???'

Maalum pada ki Arohi uski hatheli par sarr rakhe hue thi itni derr se.

Aur shayad Pari bhi iss waqt sleep mode me thi. Warna uske mann me sochte hi wo toh pehle hi apni chapar chapar shuru kar chuki hoti.

Veer ke apne haath kheechte hi Arohi ki bauhe sikudi aur uski palke jhapki. Wo uthi aur Veer ki taraf dekhi toh...

Usne paaya ki Veer hosh me tha aur usse hi dekh raha tha.

Arohi : Veeeeeeerrrrr!!!

Wo hairat me aage badhi. Aur aage aate hue fir achanak hi rukk gayi.

Veer : Arohi Dii!?

Arohi : Finally! Tumhe hosh aa gaya. T-Tumhe kesa mehsoos ho raha hai? Kahi dard hai? Aur... Aur tumne ghar me kyu nahi bataya tha? Haan?

Veer : Calm down! Calm down! Ek saath itne sawaal? Mein... Mein theek hu ab.

Arohi : Hum sab kitni tension me the tumhe pata bhi hai?

Veer : Sorry Dii! Umm... Wese, Mein kaha par hu?

Veer ne jab ye pucha tab hi uske side me laga parda khula aur ek mahila ki awaaz aayi,

"Tum mere ghar me ho."

Veer ke saamne ek mahila khadi hui thi. Hontho pe muskaan, bhure khule baal, aur wo apne top ke upar hi ek doctor waali white coat pehni hui thi.

Veer : Huh? Aap kaun?

Arohi : Ye hai Mrinal Ma'am! Inhone hi tumhaara treatment kiya hai.

Veer ne fir zyaada kuch nahi socha. Mrinal ma'am ke baare me jaan'na hi tha toh usme puchne ki kya zaroorat thi bhala?

'Check!'

[Name : Mrinal.
Age : 37
Bio : Mrinal ek kaabil doctor hai. Apne pati aur ek bacche ke saath rehti hai. Pati navy me hai. Aur bacche ki dekh baal ke liye inhone apni job as a doctor chorr dii. Ab keval ghar pe hi clinic khol ke rakhi hui hai.

Favourability : 11
Relationship : Strangers.]

'Ohhh!'

Mrinal Ma'am ko check karne ke baad, Veer ko kuch na kuch idea toh lag hi gaya tha unke baare me.

Veer : Aap!?

Mrinal (smiles) : Mein Mrinal! Par uss se pehle ye batao ki kesa mehsoos kar rahe ho?

Veer : Thoda dard hai seene me. Baaki I'm fine!

Mrinal : Wow! Mene iss se pehle kabhi kisi ki itni speedy recovery nahi dekhi. Wound ko dekh ke laga tha ki 12 ghante se bhi zyaada pehle ka ghaav hai. Par jab bataaya gaya ki ye kuch derr pehle ka hi tha toh meri bolti hi band ho gayi thi. Tumhaari immunity boht tezz hai. Itni ki... I'm having doubts.

Mrinal apni aankhein sikode Veer ko kuch sochte hue dekhi toh Veer chinta me pad gaya. Kahi aisa na ho ki ye Mrinal ma'am uss se uski itni tezz healing ke baare me puchne lage. Ab wo ye thodi keh sakta tha ki Beowulf's Blessings ne uski healing 50% badha dii thi.

Usne khaaste hue thoda naatak kiya aur fir pucha,

Veer : Wese... Kya time ho gaya? Aur mein yaha kese aaya?

Mrinal (smiles) : Time? Tum kal derr raat me yaha laaye gaye the. Aur aaj next day ki raat ke 8:30 baj rahe hai.

Veer : Kyaaaa?

Mrinal (smiles) : Jii haan! You have a strong build!!

Bolte hue Mrinal ne uske nange seene par apni ungli firaayi jaha patti bandhi hui thi aur uske gaal thap-thapaate hue firse boli, "Mein baakiyo ko inform kar deti hu. They want to meet you!"

Aur bas wo muskuraate hue chali gayi.

Idhar jab Veer ne palat ke Arohi ko dekha toh Arohi Mrinal ko jaate hue ghur ke dekh rahi thi.

Veer : Kya hua?

Arohi : Kuch nahi!

Veer : Ab aap bataengi ki kya hua tha? Mein yaha kese?

Arohi : Hmm~

Veer : Kahiye!

Arohi : Kal raat me... Kareeb 1:45 baje the tab Ragini Bhabhi ko tumhaare friend Karan ne phone lagaya tha aur unhe sab kuch bataaya. Fir Ragini bhabhi sabhi ke saath yaha aayi. Wo Karan hi tumhe yaha leke aaya tha. Tumhaari haalat dekh sab chintit me the. Bhabhi ro rahi thi. Fir subah jab ho gayi toh unhone mujhe aur tumhaari Nidhi ma'am ko bataaya. Hum subah hi aaye the tumse milne par tum behosh the. Fir abhi shaam ko aaye hai sabhi.

Veer : Wait! Karan? Mera dost? Sabhi? Kaun kaun aaya hai?

Arohi : Mein, Kavya, Dada jii, Pranjal, Bhabhi, Suman aunty, unki bahu Aabha aur beti Sonali, wo Nidhi ma'am aur unki beti Juhi aur kuch derr me wo Karan bhi aane waala hai.

Jaise jaise Arohi naam ginaate jaa rahi thi, Veer ka muh hairat ke maare khulta jaa raha tha aur aankhein bhi felti jaa rahi thi.

'Pranjal!? What the hell he's doing here?'

Veer : Itne log aaye hai!?

Arohi (nods) : Hmm~

'Gaya mein! Bhabhi... Shittt! Nidhi ma'am bhi... Kya jawaab dunga unhe? Zaroor gussa karengi woh.'

Wo apni soch me dooba hua tha jab usse apni hatheli apr firse kuch mehsoos hua.

Arohi ka haath!

Nigaahe upar kar usne Arohi ko dekha jiski aankhein thodi namm thi.

Arohi : Mein... Mein...

'!??'

Bechaari se shayad kuch bola nahi jaa rahi thi. Gala bhi roondh gaya tha uska.

Arohi : Hamesha aisa kyu?

Veer samajh chuka tha Arohi kis baare me baat karna chaah rahi thi. Par uske paas iss waqt sunn'ne ke alaawa koi aur chaara nahi tha. Wo ye nahi keh sakta tha ki wo kabhi dobaara mushqil me nahi padega. Aur beshaq, Arohi uss se yahi chaahti thi ki Veer dobaara inn maslo me na pade. Par aisa toh namumkin tha. Veer ab uss dagar par tha jaha se lautna namumkin tha.

Veer : I...

Arohi : You always make me sad!

Wo sarr jhukaaye khud ki aankhein chhupaate hue apne aasu pochne lagi. Par...

Veer : AROHIIII!

Arohi : !???

Bas! Bas, ek baar uska naam direct apne muh se pukaarne par Arohi ke poore badan me raungte khade ho gaye. Pata nahi kya tha aisa ki harr baar jab bhi Veer uska naam pukaarta tha toh bechaari Arohi ke shareer me kampan sa fel jaata tha.

Veer aage badha aur apne maathe ko uske maathe se tika diya.

Veer : I'm sorry! I cannot promise ki mein mushqilo me nahi padunga. But I promise ki mein apni aur aap sab ki care karunga. Acche se!

Shayad, abhi ke liye itne se shabd hi kaafi the. Arohi ne haan me sarr hilaaya aur Veer ki hatheli ko ek baar firse zorr se dabaate hue wo uthi aur baahar jaane lagi.

Wo nikli hi thi jab baahar se daudate hue andar jaldbaazi me Ragini aayi.

Uski aankhein laal thi jo saaf darsha rahi thi ki wo raat me soyi nahi thi.

Veer : Bha..!??

Par Veer apne shabd poore keh paata ki uss se pehle hi Ragini aage aayi aur usko apne gale se laga liya.

Uski nazre jagah jagah Veer ke chehre toh kahi uske shareer ki jaanch karne me lagi hui thi.

Veer : M-Mein theek hu. Bhabhi!

Wo baithi aur Veer ke haath ko kass ke thaam lii.

Kuch derr tak toh wo kuch na boli, bas lambi lambi saasein liye khud ko durust kar rahi thi. Aur iss beech dono hi Veer aur Ragini ek dusre ko hi dekh rahe the.

Veer : Mein... !???

Jab uski saasein thami toh ek baar fir wo Veer ke gale lag gayi. Veer, bas aashcharya me apni Bhabhi ko hold kiye hue tha.

Aur tabhi, uske kaano me Ragini ki badi hi dheemi sii awaaz padi, "You'll be punished later. Abhi rest karo!"

Aur bas, Veer Ragini ki baat sunn muskuraaya aur apni Bhabhi ko ek baar zorr se firse apni baaho me kass liya.

Ragini, na jaane kitni tension me thi. Kal shaam se hi. Fir raat me wo police ke paas gayi, jaha se usse Veer ka koi pata nahi chala, fir raat bhar tension ke maare uss bechaari ki neend udd chuki thi. Aur jab Karan ka phone uske paas aaya aur firse Veer ko uss haalat me paaya toh jese wo andar se toot hi gayi thi. Kitni baar aur usse Veer ko aise dekhna padega? Bas! Iss se zyaada baar ke liye ab wo taiyaar nahi thi shayad.

Pehli baar toh usse utna kasht nahi hua tha par harr guzarte din, Veer aur uske beech ka rishta mazboot ho raha tha. Aur aaj jab usne Veer ko punah uss haalat me dekha toh andar itni peeda hui thi usse ki wo kayi baar royi thi chhup chhup ke.

Ab Veer ko hosh me dekh, iss se badi khushi ki baat abhi Ragini ke liye koi nahi thi. Kehna toh hazaar baatein chaahti thi wo. Veer ko khari khoti sunaana bhi chaahti thi. Par wo sab baad ke liye jaise usne bacha ke rakha tha. Abhi, wo sirf iss baat ko jeena chaahti thi ki Veer uske saamne tha. Poore hosh me aur uski apni baaho me tha.

Veer aur Ragini, dono ko hi iss baat ka pata nahi chala tha ki dekhte hi dekhte kitne kareeb aa chuke the woh.

Veer (smiles) : Bhabhi ka huqum sarr aankho par.

Ragini bhi uski baat par muskuraayi aur uth ke jaate hue boli,
"Baaki log bhi baahar khade hai. Mein unhe andar bhejti hu. Aur hamaari adhuri baat, ghar par karenge hum."

Veer (smiles) : Jii!

Ragini baahar gayi aur iss baar uske Dada jii aur Pranjal andar aaye. Pranjal ko dekhte hi Veer ne apna guard raise kar liya tha. Aise banaavti insaan ke saamne behtar hai ki aap ekdum chaukanne raho.

Aur wahi hua,

"Ohhh mere bhaaaiiii!!!"

Banaavti rone ki soorat banaate hue Pranjal aage badha aur Veer ke gale lag gaya.

Pranjal : Ye kya haalat karwa lii tumne apni mere bhai? Tum theek toh ho na?

Wo alag hua toh Manorath bhi Veer ke paas aaye.

Manorath : Veeeerrr!!

Veer : Dada jii! Aap!?

Manorath : Subah Arohi bitiya ne bataaya sab kuch toh hum chale aaye. Mere bacche ye sab kya karwa liya? Baahar Ragini bitiya ne bataaya sab kuch. Tum kisi ladki ko churraane gaye the? Beta!!! Mein... Mein jaanta hu dusro ki jaan bachaana acchi baat hai. Par zara apni jaan ka bhi toh dhyaan rakho. Haan?

Veer : Maaf karna Dada jii! Mein aage se dhyaan rakhunga.

Manorath : Rakhna hi padega tumhe...

Pranjal : Dada jii! Sabse acchi baat ye hai ki Veer sahi salaamat hai ab hamaare paas hai na?

'Haan be geedad! Tere mann me kya chal raha hai Pranjal! Mein acchi tarah se jaanta hu.'

Veer Pranjal ki saari chikni chupdi baatein samajh raha tha.

Manorath : Bilkul!

Veer : Ab aapki sehat kaisi hai Dada jii? Aap toh badhiya chalte hue andar aaye. Ab perr theek hai na?

Manorath : Hahaha~ Arre mein bhi jawaan hu. Kaun kehta hai mein budha hu?

Veer : Hahaha~ Bilkul!

Manorath : Wese... Baccho! Mene faisla le liya hai. Veer! Tum jald se theek ho jao. Uske baad mein wo faisla sunaane waala hu.

Veer : Kaisa faisla?

Manorath (smiles) : Samay aane par pata lag jaega.

Aur itna bol Manorath Veer ki baah thap-thapaate hue jaane lage. Wahi Pranjal bhi ek akhiri look Veer ko deke jaane laga.

Aur unn dono ke jaane ke baad hi uske kamre me Aabha, Suman aur Sonali, teeno ki paltan aa gayi.

Suman toh apne maalik ko waapas dekh itna khush thi ki uss se kuch kaha hi nahi jaa raha tha. Uski jaise saari chinta gaayab ho gayi thi waapas se Veer ko dekh.

Suman : Ab... Ab aap kesa mehsoos kar rahe hai Veer jii?

Veer (smiles) : Pehle se behtar!

Suman (smiles) : ....

Aabha (blushes) : Aap ko... Aap ko dobaara se dekh hum sab behad khush hai. Sab chinta me the... Pehle...

Veer (smiles) : I know! Uske liye maaf karna. Sab ko itni chinta me daal diya mene.

Suman aur Aabha jab jaane ke liye hui toh Suman ko dhyaan aaya ki uski ye nikammi Sonali ne toh kuch kaha hi nahi. Toh usse apni kohni se tatolte hue usne Sonali ko ishaara kiya aur khud Aabha ke sang baahar chali gayi.

Ab toh usse kehna hi tha. Akhir uski Maa ne jo keh ke rakha tha.

Wo muh pherre pherre hi Veer se boli, "Khaane ka vyapaar shuru kiya aur... aur beech me hi vyapaar chorr gaayab ho gaye. Hmph~"

Veer : Huhhhh!?

Veer ko jaise visvaash hi nahi hua tha ki Sonali ne ye kaha tha. Baad me usse khud hassi aa gayi iss baat par.

'Is she mad!? Haha~'

Veer (smiles) : Jald hi waapas se food truck fir se shuru karenge. Tum saath dogi na?

Sonali : Haaahh!?? Mein?? Mein... Mmm~

Veer ke sawaal iss qadar puche jaane par bechaari Sonali thoda jhep gayi. Saath dogi mera? Ye aisa sunaayi pad raha tha usse jaise Veer uss se janmo janam ka saath maang raha tha. Aur sharmaate hue wo peeche mud gayi.

Fir uthi aur jaane se pehle ek baar usse dekhi aur boli, "Bhagwaan tumhe jald hi theek kar de."

Aur firse mud ke wo sarpat kamre ke baahar nikal gayi.

Uske jaate hi Veer ne ek lambi gehri saans lii.

Jab kamra ek baar fir dhadalle se khula aur do cheh chahaati awaaz uske kaano me padi.

"Chalo chalo chalo... Bhaiya se milne..."

"Maaaamuuuuuu~"

Aur uske saamne do pyaari pyaari fuljhadiya thi.

Ek Kavya toh dusri natkhat Juhi.

Veer : Kavya? Juhi!??

"Maamuuuuuu~"

Juhi ko toh apni gaddi chaahiye thi. Wo seedha Veer ke bed par chadhi aur uski goad me aake baith gayi. Uski haath me jagah jagah bandhi pattiyo ko wo badi hi komalta se touch kar rahi thi. Jese dekh rahi ho ki uske maamu ko touch karne se kahi dard toh nahi ho raha?

"Bhaiyyyaaaaa!!!"

Kavya bhi aayi aur uske gale se lag gayi. Aur kaafi derr tak dono hi ek dusre ke aalingan me bane rahe.

Fir alag hote hi Kavya ne apne sawaal shuru kar diye.

Kavya : Kyu gaye the aap waha haan? Wahi Kaera ke liye na? Jo aksar newspaper aur TV me aati hai? Jiske saath aapki ek pic bhi aayi thi newspaper me? Uske liye? Whyyyyyy???? Bhaiyaaaa! Aap jaante hai na ki aapke aas paas bhi aapki care karne waale log hai. Toh fir khud ko aisi pareshani me kyu daalte ho?

Veer : Meri pyaari Kavya! Uss raat mene tumhe aur Arohi dii ko bhi toh bachaaya tha na? Toh yadi mein kisi aur ladki ko uss halaat me dekhta hu toh kya mein usse ignore kar dunga? Ki nahi ye meri behan nahi hai toh hone do uske saath jo hona hai. Batao behna? Hmm?

Veer ke aise puchne par Kavya shaant pad gayi. Aur muh fulaate hue apna sarr jhuka lii.

Kavya : I... Sorry!!!

Veer (smiles) : Koi baat nahi!

Aur Veer ne apni pyaari behna ko gale se laga liya. Toh iss baar...

*Chu~*

'Huhhhh!?'

Kavya ne uske gaal ko haule se choom liya aur firse uss se chipak gayi.

"Get well soon Bhaiya!!"

Veer (smiles) : Hmm~

Juhi : Mein bhi... Mein bhi maamu ko kissy dungi.

Veer : Hahahahaha~

Juhi khadi hui aur apne maamu ke gaalo ko geela kar uss se lipat gayi. Veer dheere se Juhi ke kaan ke kareeb aaya aur pucha, "Tumhari Mummy kaha hai Juhi?"

Toh Juhi bhi shaatir thi. Usne bhi dheere se Veer ke kaan me hi jawaab diya.

Juhi : Mummy baahar hai. Aaj mummy college se bhi jaldi aa gayi thi.

Veer : Ohhh!

Kavya : Bhaiya! Mein Juhi ko leke baahar jaati hu. Aapki ma'am ko bhi milna hai aapse.

Veer : Sure!!!

Kavya Juhi ko apni goad me uthaayi aur baahar nikal gayi. Ab shayad Nidhi ma'am hi baahar bachi thi jinse Veer ka milna baaki tha.

Kuch minute yu hi guzar gaye par abhi tak darwaaza khulne ki koi bhi awaaz nahi aayi thi Veer ko.

'Shayad wo mujhse naraaz hai.'

Ek gehri saas lete hue Veer laitne hi jaa raha tha jab firse darwaaza khula aur koi andar aaya.

Aur saree ki harqat, paayalo ki chham chham, uss parichit sii aahat paate hi Veer jaise samajh gaya tha ki kaun aaya tha.

Uski Nidhi ma'am!

Veer ki nigaahe parde ke chhorr par hi thi. Jaise hi parde ko paar karte hue uski Nidhi ma'am andar aayi.

Dono ki aankhein aapas me jaa judi.

Pal bhar ke liye Nidhi ke kadam wahi tham gaye aur wo parda pakde Veer ko hi dekhti rahi.

Fir ahista ahista wo aayi aur Veer ke paas baith gayi.

'Why does it feels like Deja vu? Fuckkk! Deja vu nahi ye pehle bhi hua hai. Last time bhi... I can tell she's mad.'

Mahaul awkward sa ho raha tha ab. Dono me se koi kuch bol hi nahi raha tha.

'Ma'am? Ahem! Aapko puchna hota hai ki mein kaisa hu? Fucccckkkk!!!! She's not even saying anything. Kya mujhe hi convo start karna padega? I hope wo chillaaye na bas.'

Veer : Umm...

Par Veer ke kuch bolne se pehle hi...

Nidhi : Kesa feel kar rahe ho ab?

Nidhi ne akhir puch hi liya uss se.

Veer : Mein... I'm... I'm better!

Nidhi : Hmm~

Aur ek baar fir khamoshi chhaa gayi.

'Mere aur ma'am ke beech hamesha aise hi conversations kyu hote hai!?'

Usne socha aur tabhi...

*Ding*

[System has been activated.]

[Kyuki tumhe aurto se theek se baat karna nahi aata. Wahahahahaha~]

Jiski kami thi, wo bhi haazir ho chuki thi ab.

'Aao maharaani sahiba. Tumhaari hi toh kami thi. Aur ek baat bolu!?'

[Of course! Haha~]

'SHUT THE FUCK UP!!!'

[What the!? Heyyyyy!!!!]

'Ekdum shaant! Mujhe ma'am se baat karne do.'

[Hmph~]

Nidhi : Mein... Mein chalti hu. Tum rest karo.

Wo uthi toh Veer bol pada, "Bas!? Jaa rahi ho aap?"

Nidhi : H-Haan! Tumhe dekhne aayi thi. Tum theek ho toh... You need rest so, m-mein chalti hu.

Veer : I see! Aur Shreya jii!?

Nidhi : Mujhe jab khabar mili thi toh woh office jaa chuki thi. Aur tabse mene usse nahi bataaya hai. Jaa kar usse bataungi. Subah aaegi wo milne tumse fir.

Veer : Ohhh! Toh aap!?

Nidhi : Mein chalti hu.

Aur wo uthkar jaane ke liye hui...

Veer : Aap naraaz ho. Hai na?

Nidhi : M-Mein kyu naraaz houngi bhala? Kis baat ke liye? Koi reason hi nahi mere liye naraaz hone ko. Jis student ko mene itna kaha ki inn sab me na pado wo meri baat sunta hi kaha hai? Kayi baar samjha chuki hu usse. Kayi baar kaha ki bhavishya par dhyaan de. Par wo keval apne mann ki hi karta hai. Ab mene bolna chorr diya hai. Toh bhala... bhala kis baat se naraaz hona?

Veer ne Nidhi ki baat sunn ek aah bhari.

'Aur ye keh rahi hai ki ye naraaz nahi hai.'

[Ye hum ladkiyo ki baatein tum nahi samjhoge. She's mad and sad too!]

Veer : Ma'am!!

Nidhi : M-Mein chalti hu.

Wo aage badhi hi thi jab Veer ne uski kalaayi thaam lii.

Veer : Ma'am! Rukiye please! Mat baat kariye but please. Thodi derr rukiye.

Veer bas Nidhi ke saath kuch shaanti ke pal guzaarna chaahta tha. Par uski kismat toh kharaab thi. Akhir aise kese?

"Veeeeeeeeeerrrrr!!!"

Darwaza khula aur ek behad hi haseen sa chehra uske saamne aaya.

"M-Miss Kaera!?????"

Kaera daudate hue aayi aur Veer ko hosh me dekh aage badh uske gale se lag gayi.

'Damnnnn it!!!'

Pehli baar, Kaera ne usse aise hug kiya tha apne aap se. Aaj jese Veer apne aap ko behad hi important samajh raha tha. Kaera jaisi ladki uski baaho me jo thi. Jab aisi ladki aapke gale se lagi ho toh andar ek strong feeling aati hi hai.

Kaera : I knew it! I knew you would come. I was right~

Nidhi apne sarr ko palat ke unn dono ko baaho me baahe daale dekh rahi thi. Aur jo kalaayi uski Veer ke haath me thi. Usse Nidhi ne dheere dheere churraate hue azaad kar lii.

Veer : Ma'am!?

Nidhi bina kuch kahe apne saree ke chorr ko zorr se bheenche hue baahar nikli jab achanak darwaaze par hi usse ek aur husn ki devi ke darshan ho gaye.

Unn dono ki nazre kuch pal ek dusre ke upar rahi aur uske baad Nidhi sarr jhukaate hue room ke baahar nikal gayi.

Idhar andar aa rahi ladki koi aur nahi Sonia thi. Jo apni trip se waapas aayi thi. Kaafi samay se wo Veer se nahi mil paayi thi. Recent me hi usse baahar jaana pad gaya tha. Aur Veer ke baare me ab jaan'ne ke baad usne tay kiya ki wo visit karne jaegi.
Aur wahi uss se jee bhar ke acche se milegi. Usse food truck ki badhaayi bhi degi.

Uske sang hi Suhana bhi khadi hui thi peeche. Wo bhi aayi hui thi.

Aur dono hi behne jab andar aayi toh unhe nazar aaya ki...

Kaera zorr se Veer ko apni baaho me liye hui thi.

Sonia ne jaise hi ye dekha toh uske kadam wahi rukk gaye.

Suhana (mann me) : Oh no! Not again...

Veer ne jab dono behno ko dekha toh wo unhe bulaane hi waala tha ki...

*Slaaaaaaammmmmmm*

Sonia ko pata nahi kya hua par wo achanak hi zorr se darwaaza band kar baahar nikal gayi.

'Hmm?'

[Something happened...!]

Wo baahar nikli aur nikalte hi usne sabse pehle Mrinal ma'am ko dekhte hue pucha, "Where's the washroom!?"

"Yaha aage se left!" Mrinal ma'am ne bataaya toh Sonia bas tezz kadmo ke saath andar ghuss gayi aur ek baar fir...

*Slaaaammm*

Zorr se usne darwaza andar se hi band kar liya.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!

Like thokne ka aur revos rakhne ka. ✨
Awesome update
 

Tiger 786

Well-Known Member
5,719
20,871
173
Update - 67 ~ No one cares about you being second.
Ab tak...

Sonia ko pata nahi kya hua par wo achanak hi zorr se darwaaza band kar baahar nikal gayi.

'Hmm?'

[Something happened...!]

Wo baahar nikli aur nikalte hi usne sabse pehle Mrinal ma'am ko dekhte hue pucha, "Where's the washroom!?"

"Yaha aage se left!" Mrinal ma'am ne bataaya toh Sonia bas tezz kadmo ke saath andar ghuss gayi aur ek baar fir...

*Slaaaammm*

Zorr se usne darwaza andar se hi band kar liya.


Ab aage...

Sonia iss waqt sheeshe ke saamne khadi hui thi.

Aankhein laal, palko par saje hue halke halke aasu jo bas zameen par tapakne hi waale the.

Thodi tezz saasein aur darpan me wo apni khud ki iss haalat ko dekh rahi thi.

Wo toh bas kuch hi dino ke liye baahar gayi thi zaroori kaam se. Keval kuch hi dino se Veer se nahi mili thi. Toh fir...

Toh fir uske kuch din apne sheher se dur rehne par itna bada badlaav kese aa gaya? Wo Kaera jo logo ko bhaav tak nahi deti thi, wo Kaera jisse harr ek cheez boring sii prateet hoti thi. Wo Kaera jisse ladko me koi interest nahi tha. Wo Kaera jo kabhi emotions nahi dikhaati thi.

Toh wo Kaera aaj yaha iss qadar Veer se kyu lipti hui thi bhala? Kyuuuuu???

Aisa kya ho gaya tha inn kuch dino me ki Kaera jaisi ladki Veer ke aalingan me giri hui thi?

Sonia ki kuch samajh nahi aa raha tha. Aaj toh wo yaha Veer ki haalat dekhne aur usse belated congratulations kehne aayi thi uske apne naye food truck ki shuruaat ke liye.

Par... Par yaha ka nazaara toh kuch aur hi tha. Uski puraani dost, jo uss se theek se baat tak nahi karti thi. Uss se kya, jo kisi se bhi dhang se baat nahi karti thi, hamesha ladke uske peeche rehte the. Aaj wo...

Aaj wo yaha ek ladke, Veer se lipat ke chipki hui thi. Jhatka toh laga tha Sonia ko. Par uss se bhi zyaada usse ye baat sata rahi thi ki...

Wo Veer se pehle mili thi. Wo gayi thi Suhana aur Prakash Uncle ke saath Veer ke college uss se pehle milne. Usne pehle Veer ki saari details nikalwaayi thi. Veer ne pehle usse bachaaya tha. Wo Veer ko pehle se jaanti thi. Fir...

FIR KYUUUUUUU!??!

Kyu Kaera aur Veer ke beech usse wo nazar aa raha tha? Wo rishta jo abhi tak uske aur Veer ke khud ke beech nahi bann paaya tha. Kyuuuu??

Zara sochiye ki aap kisi naye dost se mile. Sab kuch badhiya chal raha hai. Aap kuch din ke liye baahar gaye aur jab aap wapas aaye toh aap kya dekhte ho?

Ki aapka ek puraana mitr jo aapse ab rutha hua hai wo aapke uss naye dost ke saath hass kar ghul milkar baatein kar raha hai. Toh kesa lagega aapko? Aisa lagega na ki aapse wo cheez chheen lii gayi ho? Ki aapko kisi makkhi ke samaan nikaal kar thaal me se fek diya ho!? Lagega na!?

Kuch aisa hi ho raha tha abhi, Sonia ke saath.

Aur tezz saasein lete hue usne apni aankhein band kar lii...

*20 years ago*

"La la la la ummmm la la laa hnnn~"

Aaj vacation ka akhiri din tha. Ab mein 1st class me jaane waali thi. Aur kal, meri 1st class ka pehla din tha.

Apne baalo me ribbon baandhte hue mene sheeshe me dekha aur mamma ki make-up kit se brush utha ke apne chehre par foundation potne lagi. Mein sundar thi. Mamma jaisi. Aisa soch ke mein mamma ki nakal karne lagi.

Tabhi peeche se meri mamma aayi aur mujhe dekhte hi hassne lagi.

"Hahahaha~ Sonu?? Ye kya kar rahi hai meri bacchi?"

"Mamma ka makeup laga rahi hu~"

"Accha jii? Aur kyu bhala? Bacche kabse makeup lagaane lage?"

"Mamma lagati hai toh Sonu bhi lagaegi~"

Mene Mamma ki baat par zyaada dhyaan nahi diya. Mujhe toh make-up se matlab tha. Aur pout kar kar ke mein apne poore chehre par makeup pot rahi thi. Banta santa kuch nahi tha par mujhe toh karna tha.

Kyuki kal mera first class ka pehla din tha. Mere friends ko bhi toh pata lagna chahiye na ki mein kitni khubsoorat ho gayi hu vacation ke baad. Sab mujhe dekh ke cute bulaenge fir.

Aur harr baar ki tarah mein 1st class me bhi first aaungi. Fir second me bhi, gir third me bhi aur fir hamesha. Mamma Papa meri firse tareef karenge. Mujhe firse gifts denge. B'day party me bhi sabhi meri tareef karenge. Mein didi ko chidhaungi ki firse mere marks zyaada aaye hehe~

Aur inhi baato ke baare me soch soch kar mein so gayi.

Naya din hua, nayi shuruaat.

"Arre Namrita!?? Jaldi karo baba! Sonu ko school bhi chorrna hai."

"Aayi baba! Kar toh rahi hu. Suhana ko tiffin diya abhi abhi. Van me baitha ke hi aa rahi hu usse."

"Haan thoda jaldi karna."

Papa ne mamma ko jaldi karne ko kaha toh mamma fatafat mera tiffin bhi ready kar ke laayi aur mere bag me rakh dii.

Aur fir mere chehre ko pakdi aur mere maathe ko choomte hue boli, "Meri bacchi ka aaj pehla din hai na? Nayi class ka? Enjoy karna haan? New friends banaana!"

Mein muskuraayi aur mamma ke gaal par pappi dete hue baahar nikal kar car me baith gayi. Mujhe car behad pasand thi. Harr kisi ke paas nahi hoti thi car. Isliye mein Van me jaane se mana kar deti thi mamma ko. Mujhe accha lagta tha apne dosto ko ye dikhaana ki hamaare paas car thi.

"Shailendra! Aapka tiffin bhi rakh diya hai. Theek hai na?"

"Hmm~"

"Aapko pata hai na? Kuch din pehle hamaare bagal me naye padosi shift hue hai."

"Pata hai Namrita! Pata hai! Aur mein mil bhi aaya hu unse. Kaafi badi company ke maalik hai wo Kishor saahab. Mere jitni hi umr ke honge. Shayad hamari company se bhi badi hai unki company."

"Hmm~ Isliye aapko unse acche sambandh bana ke chalna chahiye."

"Tum toh aise keh rahi ho jese mein jaake unse jhagad ke aa jaunga. Hahahaha~"

"Bas keh rahi hu. Aap toh jaante hi hai ki aadmi kaan bharne me kitna aage rehta hai. Padosi hai ab wo hamaare. Sambandh bana ke chaliyega!"

"Jii mohtarma!! Wese... Aaj toh qayamat lag rahi ho iss neeli saree me. Haan!?"

"Dhattt! Aap bhi na..."

"Papa chalo jaldi!! Mein late ho rahi huuu~" Mein chillaayi. Na jaane kya khusur pusur kar rahe the mamma aur papa.

Aur meri baat sunn Papa forun hi aaye. Car start hote hi hum nikal pade mere school ki orr.

Papa ne mujhe chora aur bye kiya. Aur mein bhi unhe bye bol ke apni class me ghuss gayi.

Mera bag naya tha. Nayi dress, naye shoes mere, naye chamkeele ribbons. Saare bacche bas mujhe hi dekh rahe the. Hehe~

Mein apni seat par jaake baithi, apni best friend ke bagal se.

Meri best friend ~ Ava!!

Wo dikhne me meri hi tarah khubsoorat thi. Bas antar ye tha ki uski skin thodi aur zyaada safed thi aur uske baal peele the. Jaise videshi ladkiyo ke hote the. Mujhe ye baad me pata laga tha ki aisi ladkiyo ko blonde kehte the.

"Avaaa~"

"Sonu~ Tu aa gayi! Wowww! Ribbon boht acche hai~"

"Hehe~ Thank you!"

Par hamaari baatein zyaada nahi ho paayi kyuki madam aayi aur unhone sabko baitha diya.

"Baccho! Aaj aapki class me ek nayi student ka admission hua hai. Aur aaj se wo aap logo ke saath hi padhegi. Okay? Student! Please come in! Andar aao beta~"

Ma'am ne andar aate hi ek news pheki thi hamaari taraf. Class me koi naya student aaya tha. Ya yu kahe ki aayi thi.

Hum sabhi apni nazre gadaye darwaaze ki entrance par dekhne lage.

Aur ma'am ke bulaane par ek behad hi sundar sii ladki andar aayi. Hum sabke muh khule hue the usse dekh ke. Uske baal meri aur Ava ki tarah utne lambe nahi the, keval kandhe tak hi the. Aur isliye wo ribbon ki jahah sarr par red band lagayi hui thi.

Aaj uska pehla din tha toh school dress me nahi balki wo princess waali red frock pehne hue thi.

Mere paas bhi princess frock thi par itni khubsoorat nahi.

"Baccho! Ye hai Kaera! Aaj se ye aapke saath hi padhegi. Theek hai? Welcome karo sabhi. Say Welcome Kaera!"

"Welcome Kaera~" hum sabhi chillaye aur uske baad usne hume thank you kaha.

Kitna ajeeb naam tha? Kaera!? Pehli baar mene aisa koi naam suna tha.

Kherr! Fir ma'am ne hamaari bench ke aage waali bench jis par ek hi ladki baithi hui thi udhar Kaera ko baithne keh diya.

Wo aayi aur mere saamne waali bench par baith gayi.

Ava harr baar ki tarah apni baatein shuru kar uss se baat karne lagi aur baato hi baato me mujhe pata laga ki wo Ava ki hi tarah meri padosi thi.

Mein bhi khush thi. Mujhe shayad ek aur friend mil gaya tha. Par...

Par aaj sab mujhe chorr uske baare me baat kar rahe the. Mene apne ird gird dekha aur...

Aur waqai...

Sabhi uski dress ko dekh ke uski tareef kar rahe the.

Aur unki harr baatein mere kaano me pad rahi thi. Mein bhi toh saj ke aayi thi. Fir mere... Mere baare me koi baat kyu nahi kar raha tha?

Mene usse peeche se tatola, wo palti aur mujhe dekhi.

"Tumhe pata hai. Aisi same frock mere paas bhi hai. Mein kayi baar p-pehen chuki hu usko. I-Iss se bhi acchi hai wo..." Mene uss se kaha.

"Hmm!?" Par usne mujhe dekhne ke baad ignore kar diya aur apna dhyaan padhaayi par dene lagi.

'Huhhhhhh????'

Mujhe gussa aaya. Iss ladki ne meri baat sunn'ne ke baad kuch kaha kyu nahi? Mere paas iss se bhi acchi dress hai. Isse sunkar toh usse kuch kehna chahiye tha na?

'Ughhh!!!'

Mene firse usse tatola aur usse bulaaya.

"T-Tumhe pata hai? Mere paas bhi iss se accha hairband hai. Mamma laayi thi. Par mere baal t-tumhaari tarah chote nahi hai na isliye... Isliye mein nahi pehenti."

"Okay!" Wo bas itna bol waapas se mud ke apni copy me likhne lagi.

'Uggggghhhhhhhhhg!!!!'

Mujhe itna gussa aa raha tha.

"Kaera tumhari frock boht acchi hai."

"Tumhare upar red frock acchi lag rahi hai."

"Good morning students! Arre waah! New student? So pretty? What's your name? Kaera? Kitna pyaara naam hai. Aur ye frock tum par boht pyaari lag rahi hai. Arre waah! Tumhari toh handwriting bhi sundar hai. Ye lo~ Meri taraf se star. Fufu~"

Bacche, yaha tak ki teacher bhi uski tareef kar rahi thi. Ava bhi... Ava bhi unke saath milke khel rahi thi.

Meri copy ka page kab mere haatho me rehke marud gaya mujhe pata hi nahi chala.

Chutti ka time ho gaya tha. Aur ab...

Ab mere chehre par muskaan thi. Ab mein isse bataane waali thi ki mein bhi kam nahi thi.

Mein line me lag kar class se baahar aayi aur uske bagal se khadi ho gayi.

"Arre mere papa aa gaye!" Mene jaan bujh ke uske paas rehke zorr se bola taaki wo mujhe dekhe. Dekhe ki mere paas car thi...

Aur mein daud ke gayi apne papa ke paas aur car me ghus ke window se usse dekhne lagi.

Hehe~ Ab bol na? Bolti band ho gayi? Mere paas bhi aisa kuch tha jis mein show off kar sakti thi.

Par...

Tabhi ek black colour ki car aayi. Hamaari car se bhi acchi dikhne waali car. Usme se ek uncle jaisa koi baahar nikla aur jhuk ke Kaera ko welcome kar raha tha car me andar baithne ke liye.

"Aaiye Miss!"

Aur wo Kaera uss car me andar jaa ke baith gayi.

Mera muh khula ka khula tha. Mene gusse me aake apni skirt ko muh me bhar liya aur zorr se kaatne lagi.

"Paaaapaaaaa~" mein chillaayi.

"Haan kya hua?"

"Wo... Wo Kaera ke paas bhi car hai. Kyuuuuu?? Uske paas kyu hai car??? Wo uncle kaun hai???"

"Accha wo? Haha~ Kya wo bhi tumhaare school me aa gayi? Chalo acchi baat hai. Wo hamaare padosi hai. Aur wo jo uncle the wo unke yaha kaam karte hai. Madhav naam hai unka."

"Toh hamaare ghar me koi kaam karne waala kyu nahi hai?"

"Huh? Hamaare yaha bhi toh aate hai na kaam karne waale Sonu!?"

"Nahiiiii!!! Unn uncle ki tarah mujhe bhi ek uncle chahiye jo car me mujhe roz baithaaye. Uggghhhhhh~"

Aur mein rone lagi. Aaj jese muh ki khaayi thi mene. Mujhe wo ladki bilkul bhi pasand nahi aa rahi thi. Ava bhi uss se jaake mil chuki thi. Mera koi nahi tha. Sab dogle the.

Aur mein rote rote hi ghar gayi.

Agla din hua...

Agle din aaj wo Kaera sabse left ki row me first seat par baithi hui thi. Wo poori row ladko ki thi.

Uske peeche ki bench khaali thi. Toh mein aur Ava uske peeche jaake baith gaye. Aaj mein usse sabak sikhaane waali thi. Hehe~

Par iss se pehle ki mein usse sabak sikha paati. Mein peeche baithe ladko ki shaitaaniyo ka target bann chuki thi.

Wo meri choti kheechte, hamaari desk par kaagaz phekte, bottle se paani chidakte aur mein aur Ava ma'am se complaint karte. Ma'am unhe daatati par thodi derr baad fir wahi shuru ho jaata.

Aur mein rone lagi. Meri soorat poore rone waali ho chuki thi. Naak behne lagi thi, aankho se bade bade aasu aur mera chehra poora laal ho chuka tha. Mujhe rota dekh Ava bhi subukne lagi thi.

Tabhi...

Saamne se Kaera khadi hui aur peeche aayi aur unn ladko ko gusse se dekhte hue boli,
"Mene sab dekha hai. Aur ab mein principal ma'am ke paas jaa rahi hu tum logo ki complaint likhwaane. Dekhna ab! Tum dono ki kese shaamat aati hai. Seedha resticate hoege ab tum."

Kaera ne unko itna bas kaha tha ki unke poore chehre ka rang udd chuka tha. Kyu??

Kyuki hum me se koi nahi jaanta tha ki ye resticate kis bala ka naam tha? Kya hota tha iska matlab? Hum bas mann me sawaal hi liye the.

Wahi Kaera muskuraa ke bas unhe chidha ke jaane ka keh keh ke darra rahi thi unhe. Jo kuch bhi tha, Kaera ko dekh ke hum sab yahi samajh rahe the ki resticate koi boht buri cheez ka naam tha.

"Ab toh gaye tum sab bacchu! Resticate seedha! Ab pitaayi lagegi tumhari."

"Nahi! Nahi!! Mat jao Kaera. Sorrrrryyyy! Sorrrryyy! Maaf kardo. Ab hum ratticate nahi hona chahte."

"Ratticate nahi resticate!"

"Haan woi woi...ab hume reticate nahi hona."

"Hmph~ Toh sorry kaho inse. Aur kaho ki aisa kabhi nahi karoge."

"Sorry! Sorry Ava! Sorry Sonu! Sorry! Sorry~"

Mein toh bas ashcharya ke maare sab hota dekh rahi thi. Aaj mujhe pata chala tha ki...

Ki itni buri bhi nahi thi ye ladki ~ Kaera!

Aur fir departure hua...

Hum sab nikle. Aaj mene koi show off karne ki koshish nahi kii. Par aaj...

Aaj uski black car jab aayi toh usme se ek khubsoorat sii aunty baahar nikli.

"Kaera~ ♡"

Wo usse pukaarti hui hamaari taraf aayi aur uske haath ko thaam lii.

"Chalo beta! Aur tumhaari friend Sonu kaha hai?"

"Sonu ye hai Mom!"

'Huh? Mein? Friend? Kaera ki? Kya usne ghar me ye bataya tha?'

Unn aunty ne mujhe dekha aur mujhse boli,
"Accha toh tum ho Namrita jii ki beti haan? Kitni pyaari ho tum. Aaj tumhaare papa ko kaam hai. Toh aaj unhone ne mujhe aapko aapke ghar bhejne ko kaha hai. Toh chale beta?"

"Hmm~"

Mein Kaera ki car me uski Mamma ke saath sawaar ho gayi. Mene dekha ki Kaera ki mamma ka pait fula hua tha.

Ghar pohuchte hi Mamma ne gate khola, mein unke perr se jaa chipki aur mamma aur wo aunty baat karne lagi.

Tabhi mene mamma ko kheench ke neeche jhukaaya aur kaha~
"Mamma! Wo aunty ka pait fula hua hai. Andar baby hai na???"

"Haayyye! Isse itna sab kuch pata hai? Aapki beti toh boht hoshiyaar hai haha~"

"Haan beta!"

Mamma ne meri baat par sarr hilaaya toh wahi aunty ne meri tareef kii. Hehe~

Agle din mein Ava aur Kaera, apni do pagli sakha saheliyo ko wo paath padha rahi thi jiske baare me mujhe khud kuch nahi pata tha.

"Dekho~ Mamma logo ka pait fulta hai iska matlab unke andar baby hai. Kaera, tumhe nayi behan ya bhai milega jaldi se. Hehe~"

"Par Baby aata kaha se?" Ava puchi.

"Mujhe nahi pata. Nani kehti thi ki bhagwan ke ashirwad se hota hai sab kuch."

Aur aise hi samay guzarta gaya. Hum teeno ki dosti aur gehri hoti gayi. Hum teeno hi ghar se baahar nikal ek dusre ke ghar jaate aur khelte.

Kabhi kabhi toh derr raat tak ek dusre ke ghar me bane rehta the. Hum teeno ke beech ek gehra bond banta jaa raha tha. Aur mein, Kaera ko ab utna hate nahi karti thi.

Fir exams aaye aur hum sabhi ne dil laga ke exams diye.

Result aaya toh pata chala ki...

Mein second aayi thi. Aisa kabhi nahi hua tha ki mein first na aau. Bhala kisne meri jagah chheen lii?

Parents teachers meeting ke waqt mein mamma Papa ke saath teacher ke saamne khadi hui thi jab teacher ne khud bataaya ki...

"Iss baar first tumhari friend aayi hai Sonia. Matlab... Kaera!"

Ye vaakya jese mere dil pe laga tha.

Uss din mein boht royi. Boht!!

Second class aayi. Mene boht mehnat kii. Par...

First place par mera naam nahi likha tha. Iss baar bhi mein second thi. Mein firse khub royi.

Aur fir ek din...

Mene dekha ki Kaera ke ghar ke baahar behad bheed lagi hui thi. Aunty safed kapde pehne hue laiti hui thi. Meri mamma ne mujhe andar kheench liya aur bed par lita ke mujhe sulaane lagi.

Tabhi ghanti baji ghar kii aur baahar Kaera ke papa the. Wo Kaera ko ghar par chorr ke kahi jaa rahe the.

"Kya aap iska thodi derr dhyaan rakhengi?"

"Ye bhi koi kehne ki baat hai? Kaera ko yaha chorr jaaiye! Mein inko telephone kar diya hai. Ye aate hi honge. Bilkul bhi accha nahi hua..."

"J-Jii! D-Dhanyavaad!"

Wo haath jod ke chale gaye.

Kaera ekdum masoom chehra liya mere sang baithi hui thi. Mein jaanti thi kya hua tha.

Uski mamma marr chuki thi.

Mein uthi aur apni mamma ke paas gayi.

"Mamma!!!"

"Hmm?"

"Kaera... K-Kaera ki mamma... jaa chuki hai na?"

Mein nahi jaanti thi ki marrta kese hai aadmi, kyu marrta hai. Par itna jaanti thi ki ek baar insaan marr jaata tha toh fir wo kabhi waapas nahi aata tha.

"Haa beta!"

"Ab wo waapas nahi aaengi na?"

Mamma ne meri baat par dheere se sarr hilaaya.

"Mammaaa~" aur pata nahi kyu, par mein ro padi.

Mujhe dekh mamma bhi ro padi aur unn ne mujhe aur Kaera ko apne gale se laga liya.

"Tum dono behne ho samjhi? Apni behan Kaera ka dhyaan rakhogi na Sonu?"

"Hmm~"

"Acchi bacchi!"

Uske baad se hi mere andar jo ghrina thi wo kam ho gayi Kaera ke liye.

Mein uske saath aur khelna chaahti thi. Aur samay bitaana chaahti thi. Par uske baad se hi jese...

Jese uska khelna kudna band ho chuka tha. Usse ghar mew qaid kar diya gaya tha. Mein uske ghar jaati toh mujhe bas 5-10 minute milne ke baad waapas bhej diya jaata tha.

Samay guzra aur wo silsila abhi bhi jaari raha.

Mein second aati thi aur Kaera first. Ye ek routine ban chuka tha. Harr gatherings me, Mujhe bas yahi sunn'ne ko milta...

"Kaera iss baar bhi first aayi."

"Badi hi hoshiyaar bacchi hai"

"Maa ke na hone ke bawajood kitni samajhdaar hai ye."

Sab tareefo ke pul baandhte the.

"P-Papa mein bhi toh second aayi na?" Mein bas yahi keh paati.

"Hmm~"

Aur mujhe haan me sarr hila ke harr insaan ignore kar deta tha. Value thi toh keval pehle sthaan kii.

I realised ki...

NO ONE CARES ABOUT YOU BEING SECOND!!!!

Kitna hi dusra sthaan kyu na paa lo. Kabhi bhi pehle ki barabar nahi kehlaoge.

Idhar Kaera ko ghar se nikalne hi nahi dete the. Mein uske ghar ke baahar apni cycle me baithe uske ghar par lage upar window me usse dekha karti thi.

Wo roti thi. Ab toh Ava bhi jaa chuki thi yaha se.

Aur ab Kaera ko bhi band karke rakhne lage the.

Mein unke ghar jaati aur uske papa se ladke bhaag ke ghar aa jaati. Kese uncle the? Gande ekdum! Mein unhe jeebh dikha ke kabhi kabhi chidha bhi diya karti thi.

Fir mujhe samajh aaya...

Ki usse ghar par hi saari education dii jaa rahi thi. Abhi bhi wahi hota tha, mein second aur Kaera first.

Sports ke dauraan wo mujhe dikhaayi deti. Mein uss se baat karne jaati toh wo kuch nahi kehti thi.

Bas apna kaam karti aur waapas laut jaati.

I HATED IT!!!

I HATED EVERYTHING!!!

Mein ye sab nahi chaahti thi. Kaha gaya hamaara wo sunehra pal? Wo sunehra bachpan?

Fir ek din...

Ek baar essay competition hua. Mujhe yaad hai uss competition me kisi dusre school ki ek ladki first aayi thi. Aur Kaera second thi.

Pehli baar uss din mujhe kuch naya dekhne ko mila tha. Kaera uss first aane waali ladki se jaa ke mili thi. Haath milaayi thi uss se.

Aur mere dimaag me ek baat baith gayi thi. Yadi mujhe uska recognition chaahiye tha. Toh mujhe usse haraana tha.

Mere dimaag me apni mamma ki kahi baat fir goonj gayi. "Apni behan Kaera ka dhyaan rakhogi na Sonu?"

Aur bas...

Mene apna maqsad bana liya tha.
I WILL DEFEAT HER!

Aur uss din se hi mene jii jaan laga dii apni. Ki mein Kaera ko hara ke hi rahungi. Safal toh nahi ho paa rahi thi par mene haar nahi maani thi.

Wo jis college me admission lii, mene bhi ussi me liya. Wo jis competition me bhaag leti, mein bhi ussi me leti.

Mujhe yaad hai. College ka final year tha. Aur mene apni jee jaan laga dii thi. Raato ki neend udaa dii thi Kaera ko haraane ke liye.

Aur shayad bhagwaan ne meri sunn lii thi.

"Congratulations Sonia! You are the top scorer! 98.9% Wowwww!"

Ye news jaise sunn'ne ke liye mein kabse tadap rahi thi.

"A-And who's the second? Ma'am?"

"Second? Second is Kaera. With 98.5%. She had a severe cold few weeks ago. I hope she'll come today to gather her report cards."

'H-Huhhh!? Kaera ko... cold tha!??'

Aur jese firse mujhe apne muh me haar ka swaad chakhne ko mila.

Even though mene usse hara diya tha. Par mene usse iss haalat me haraaya tha. Wo bukhaar me thi aur apne exams dii. Aur yaha mein samajh rahi thi ki mene usse hara diya.

Apne nichle honth ko daato tale dabaate hue mene ma'am ko dekha aur kaha, "Can you... Can you please hide this? Can you tell her that she's the first one. She's the top scorer."

"Huh?? N-Noo! Why would I do that? And whyy???"

"P-Please! Don't worry! I'll manage everything. Just tell her. Please! It's a request!"

"That's...."

"P-Pleaaaaseeeee!!!"

"O-Okay! F-Fine!"

Aur kuch derr baad hi darwaaza khula. Wo andar aayi. Kaera!!

Usne apna report card liya. Aur usse jab pata chala ki wo top scorer thi toh usne bas sarr hilaaya aur mujhe dekh ke waapas chali gayi.

Mein ek baar fir... Roti rahi...

***

Aur harr baar ki tarah aaj bhi, Sonia ke chehre par aasu bikhre hue the.

'They are waiting outside...!'

Jaldbaazi me aasu poch usne ek banaavti smile mirror me dekhte hue apne hontho par bikheri.


177fcfac2aaea098109078536aa62c3c

Aur wo nikal gayi baahar. Waapas se Veer ke room ki taraf.

"S-Sonuuu!?"

Uski behan Suhana ne usse dekha toh pukaara par...

Sonia Suhana ko ignore kar waapas se Veer ki orr gayi.

Veer : Huh!?? A-Aap theek toh ho na?

Sonia (smiles) : Yessss!!! Mujhe kya hua bhala?

Par Veer ko abhi bhi kuch shaq ho raha tha.

'Something is wrong!'

[She was crying.]

'Huh!??'

[Uske gaalo ko dekho. Aasuo ke nishaan! She was crying inside the bathroom.]

'P-Par kyuuu? Achanak se aise?'

[I think she doesn't likes Kaera.]

'No wayyy! Miss Kaera aur wo aapas me dost hai bachpan ke. I know abhi unke beech utna accha relationship nahi hai. Par wo hate nahi karti Kaera ko. She herself told me that.'

[Hmm~ Toh kuch toh baat hai!]

'Y-Yeah!!!'

Wahi dusri orr Kaera jo Veer se bas kuch derr pehle alag hoke usse nihaar rahi thi, usne Sonia ki taraf dekha bhi nahi tha abhi tak. Uska poora focus Veer par tha.

Tabhi Sonia ko ek aur jhatka laga.

"T-That... That..." Wo ungli dikhaa ke Kaera ke haath ki orr ishaara kar rahi thi.

Veer aur Suhana ne jese hi dekha toh paaya ki Kaera ke haath me ek blazer tha.

"That's... It's the one I bought for Veer!!!!!"

Wo tezz awaaz me boli toh Suhana ko bhi dhyaan aaya. Ye toh wahi blazer tha jo Suhana aur Sonia ne milke Veer ko dilaaya tha jab wo Delhi trip par gaye the saath me. Ye bhala Kaera ke paas kya kar raha tha!?

Sonia : HOWWWW!??? HOW COME YOU HAVE THIS!??

Kaera : Mmm?

Sonia : YE... YE TUMHAARE PAAS KESE!?? HOOOWWW!???

Kaera (smiles) : It's a secret!

Usne badi hi asaani se kaha. Par Kaera ki choti sii baat Sonia ko shayad dil par jaa kar lagi thi.

Suhana : Hoooo~ Yeah yeah! That's the same.

Veer : Ye...!?

'Wait! Ye toh mene... If I remember correctly. Toh ye mene... Yeah! That night... Mene uss ladki ko diya tha ye blazer. How come...!? Miss Kaera ke paas ye..!?'

[Hmmmmmm~ :huh: ]

Kaera : I have this too~

Aur tabhi Kaera ne apne purse se ek brahmaastra nikaala.

Haatho me ek chota sa teddy liye usne wo sabhi ko dikhaaya.

Kaera (smiles) : He gave it to me! Right Veer?


23560d0dee1dfd27993ad6ea6578f497

Veer : Huh!? M-Mein...!?

Sonia : V-Veeeeerrr???

Suhana : Hoooooo~ Interesting~

[ :rip: ]

'Fuck! Shut up!!!!'

Sonia jese wahi khade khade shaant sii pad gayi. Uske expression kisi ko nazar nahi aa rahe the. Kyuki wo sarr jhukaaye hue thi aur uske baalo se aadha chehra uska dhakk chuka tha. Shareer me kampan ho raha tha uske...

Suhana : Oh no!! Sonu!?

Veer bewakoof nahi tha. Wo dekh paa raha tha ki Sonia ko kuch na kuch beech beech me ho raha tha. Aur tabhi usse jese yaad aaya. Jo baatein khud Suhana aur Sonia ne usse bataayi hui thi.

Ki Sonia hamesha Kaera ko haraana chaahti hai. Bas uss se ek baar aage nikalna chaahti hai taaki Kaera usse recognise kare.

Aur ab shayad Veer ko saari baat samajh aa chuki thi.

[Aah! So that's why~ ]

Veer : Miss Sonia~

Par Sonia ne koi jawaab na diya.

Veer (sighs) : Miss Sonia! Aapko kisi se khud ko compare karne ki zaroorat nahi. Aap apne aap me best ho. You don't need people who raise questions at you! You are you, Miss Sonia!!

*Badump*

Sonia ka dil zorr se dhadka.

Sonia : H-Huhhh!?

Iss baar usne sarr uthaate hue Veer ko dekha.

Veer : I don't care about anything. Chaahe aadmi first aaye ya second... I don't care... Insaan ki kaabiliyat ki pehchaan inn panno me likhe marks se nahi hoti Miss Sonia. For me, you and Miss Kaera are equal. You both are very different yet very same.

*Badump*

Sonia : S-Say that again!

Veer : Huh!? W-what? I don't care about anything?

Sonia : N-Nahi! Second last me j-jo tumne kaha.

Veer : !??? F-For me, you and Miss Kaera are equal!

Bas! Veer ka itna kehna hi tha ki fir wo hua jisse dekh waha maujood sabhi dang reh gaye.

Sonia aage badhi aur wo Veer ko chaathi me jaa ke ghuss gayi.

"Huh!??? W-Wha!?? Ughhyuuu...."

Veer : M-Miss Soniaaa???

Aur iss se pehle ki wo virodh kar paata.

*Chu~♡*

'!!???'

Sonia ke honth uske gaalo par the.

Suhana : Sonuuuuuu!???????

Kaera : ??????

Aur tabhi...

*Ding*

[Mission : Take Sonia on a date.

Rewards : ??? Points.
Time Limit : 2 weeks.]

'Huh? W-Waitttt!!!!'

[Rest in peace! :pray: ]

'Shutttttt uppppp Pariiiiiii~'
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!

Like thokne ka aur comments rakhne ka. ✨
Behtreen update
 
Top