• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Achanak ka Kanoon

Lovekillsyou

Active Member
649
2,715
124
Index

Update 1update 2update 3update 4update 5
Update 6update 7update 8update 9update 10
Update 11update 12update 13update 14update 15
Update 16update 17update 18update 19update 20
Update 21update 22update 23update 24update 25
Updateupdateupdateupdateupdate
updateupdateupdateupdateupdate
updateupdateupdateupdateupdate
updateupdateupdateupdateupdate
updateupdateupdateupdateupdate
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Shanu

Shahrukh

Well-Known Member
4,868
13,812
158
Bhai ek kaam kariye abhi kuch time break dijiye story ko or ache tarike se sonch ker jaisa ki apne is kahani ke bareme soncha hai waise updates likh kerr save keriye till end or ek saath post kijiye main to yahi suggest krunga 3 ya 4 updates me met (no) niptae it's request
 
  • Like
Reactions: Luffy and Naina

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,620
92,252
189
  1. Dosto insaan kahani to soch leta hain ki kaisi kahani ready karni hain ek badhiya ending ke sath.
  2. Muskil ye nahi ki kahani soch liye, muskil to ye hain bhai ki is kahani me conversation kaise daale.

Me thahra ek introvertet ladka. Mtlb samajhte ho iska ya nahi, me batata hu iska mtlb hain ki voh log jo jyada baat nahi karte.

Ab baat jo insaan kabhi kisi se talk nahi kare. uske liye kahani me do logo ko apas me baate karwana bahut muskil hain re baba.

Mujhe bahut hard pad raha hain.

Soch raha hu seedhe seedhe kahani hi bata du puri ki puri, maine jo jo soch rakha tha aur 3 ya 4 update me kahani khatam karu. Par isse mujhe bahut bura lagega. Apni pahli kahani ko is trah khatam karna.

Jinhone ye kahani ke thode bahut updates pade hain voh bhai log thoda suggest karo na yarr. Me conversation thodi kam daalu aur kahani pari karu to kaisa rahega. Ap log ko maja aaye me yahi chahta hu. Ye kahani me logo ke bich kya baate daalu isi thought ki wajah se kahani aage nahi badhi. Koi suggest karo yaar.

ap kuch bata do Naina ji, mere favourite kahani ke writer Jay Sutar sir aur Werewolf sir ap kuch batao.
Ya fir meri story ki readers ap bata do.
Naik Pta nhi Nevil singh krish1152 Shanu Junaid devil😈 Luffy Shahrukh

Abhi jisko tag nahi kiya maaf kariyega. Par ap bhi kuch btao yarr.
Dekho simple si baat hai . ...abhi ke abhi long review de dien long revos dene wale readers ju ki story pe .....lekin pehle ju ko kuch din rest lena chahiye.. Dimag shaant , to story line clear flow
 
  • Like
Reactions: Luffy

Jay Sutar

अहं ब्रह्मास्मि
2,485
31,541
189
  1. Dosto insaan kahani to soch leta hain ki kaisi kahani ready karni hain ek badhiya ending ke sath.
  2. Muskil ye nahi ki kahani soch liye, muskil to ye hain bhai ki is kahani me conversation kaise daale.

Me thahra ek introvertet ladka. Mtlb samajhte ho iska ya nahi, me batata hu iska mtlb hain ki voh log jo jyada baat nahi karte.

Ab baat jo insaan kabhi kisi se talk nahi kare. uske liye kahani me do logo ko apas me baate karwana bahut muskil hain re baba.

Mujhe bahut hard pad raha hain.

Soch raha hu seedhe seedhe kahani hi bata du puri ki puri, maine jo jo soch rakha tha aur 3 ya 4 update me kahani khatam karu. Par isse mujhe bahut bura lagega. Apni pahli kahani ko is trah khatam karna.

Jinhone ye kahani ke thode bahut updates pade hain voh bhai log thoda suggest karo na yarr. Me conversation thodi kam daalu aur kahani pari karu to kaisa rahega. Ap log ko maja aaye me yahi chahta hu. Ye kahani me logo ke bich kya baate daalu isi thought ki wajah se kahani aage nahi badhi. Koi suggest karo yaar.

ap kuch bata do Naina ji, mere favourite kahani ke writer Jay Sutar sir aur Werewolf sir ap kuch batao.
Ya fir meri story ki readers ap bata do.
Naik Pta nhi Nevil singh krish1152 Shanu Junaid devil😈 Luffy Shahrukh

Abhi jisko tag nahi kiya maaf kariyega. Par ap bhi kuch btao yarr.
Well my buddy thanks ke tumne mujhe is kaabil samjha ke tum mujhe mera opinion maang rahe ho.

Ab baat karte hai story ki toh mein kahunga ke ek rough story board ready karo ke story ka har arc kaha se start hoga aur kis situation par end.

First story hai is liye aisa kabhi mat sochna ke tumhe ek badi story likhne ki zarurat hai. Ek small start tumhe idea degi ke kaise story ko likha hai uske plot ko develope karna hai.

Ab baat karte hai conversation ki toh uske liye mein tumhe kuch Hindi sahitya ya phir tumhari jo bhi mother language hogi after all Bharat mei kaafi sari languages hai uske sahitya ko read karna start karo.

Mein premchand jaise sahityakar ka bada fan hu. Saath hi mein pehle se hi aise stories ya phir sahitya read karte aaya hu is liye mujhe conversation likha easy gaya.

Wahi agar conversation ko likhna hai toh unhe pehle situation ke hisab se tumhe samajna hoga. Khud ko us situation mei dalna hoga (real mei nahi bas thoughts mei) uske baad tum apne aap yeh samajh jaoge ke tumhe conversation ko kaise likhna hai.

Peace ✌️
 
Thank you so much sir ji. Main try karunga ek achhi kahani likhne ki. Thanks for your advice.
 
  • Like
Reactions: Naik

Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244
Update 5

Me Ghar wapas jaate time soch raha tha ki voh admi Kon tha Jo Ginni ke aas pass ghoom raha tha lakin dikhayi nahi de raha tha. Halaki me dekh sakta tha. Khair me iss baat ko jyada gahrai se nahi sochna chahta hu kyuki me Janta hu ki Ginni ko voh admi kuch nahi kar Sakta Hain kyuki maine ginni ke gale me ek locket dekha tha jiski wajah se voh ajeeb admi ginni ko chhoo nahi sakta tha.

Me iske baare me sochte sochte ghar par pahuch gaya tha aur is waqt apne ghar ke darwaaje pe khada huwa aur bell ki ganti baja raha tha. Kaafi der baad darwaaja khula to samne hi mujhe meri chhoti bahan nikita ke darshan ho gaye. Jo kamar me chunari ko band kar khadi thi. Usne apna ek hath apni kamar pe tikaya huwa tha. Aur lag to aisa raha tha jaise gusse me ho.

Nikita- bhaiya tujhe isi waqt ana tha. Saara mood kharab diya mera.

Main- maine aisa kya kar diya jisse tera mood kharab ho gaya. Pure din to me ghar se bahar tha.

Nikita- tv pe gana aa raha tha "camre camre waale video bana de re". Bahut badhiya gaana hain uspe dance kar rahi thi me.

( Hamare ghar pe dd free dish hain to kuch hi channels aate hain, papa news dekh lete hain aur ham log kabhi kabhi gaane sun lete the usme. Kabhi kabhi nikita aur me milkar dance bhi kar liya karte the.)

Main- are to chal aaj me bhi nachunga.

Nikita- jaane de naach kar koi fayda to hone waala hain nahi kabhi mere alava kisi aur ke samne bhi dance kiya hain nahi na! kya fayda dance sikh kar.

Me- are yarr ab tu to janti hi hai me kaisa dance karta hu, sabke samne dance karke ijjat ka bhajipaala ho jaata hain yarr.

( Sayad hi koi hoga jisne mera dance dekha hoga. Nikita aur mummy papa ke alava kisi ne mera dance nahi dekha aaj tak)

Nikita - hehehe aao aao me dikhati hu kaise naachte hain.

Tv ki gane ki dhun pe main aur nikita nonstop nache ja rahe the. Gaana to achha tha lakin hamara dance bilkul bhi acha nahi tha agar koi dekh leta to has has ke pagal ho jaata.

Udhar ghar ke dusre room me mummy so nahi pa rahi thi. Mere aane se aadhe gante pahle hi to mummy soyi thi bahut hi meethi neend aa rahi thi mummy ko. Tv ki tej aavaj ne mummy ko karib 5 minute me hi jaga diya tha aur 10 minute tak kosis kar rahi thi ki dubara so sake,

Lakin aisa neel aur nikita kaise hone dete unhe to pata hi nahi tha ki kis tufaan ko chheda ja raha hain.

Ufff ye bache! Mummmmyyyy mujhe bachao inse ye log mujhe sone bhi nahi dete. abhi baatati hu ek ek ko...........( Ye awaaj thi mummy ki)

Mummy ne itna kaha aur ek danda uthaya aur nikal gayi jis room se awaaj aa rahi thi waha.
,
,
,
,
,
,

Idhar me aur nikita nach rahe the aur ek 9xm pe ek naya gaana aaya

Nikita- Are wah kitna badhiya gaane aaya hain mujhe is gaane par bahut achha dance aata hain. Bhaiya jaisa jaisa me kahu vaisa karoge to me apko is song pe dance karne me expert bana dunnnggggiii aaaeeeeeee bahut zor se maara re.

Maine dekha mummy ne dande se nikita ki tango pe maara hain. darsal ye vahi waqt tha jab nikita apni tang(leg) ko thoda aage kiya tha aur mujhe dance me expert banane ka gyan de rahi thi.

Main- mummy maine kuch nahi kiya yahi hain jo itna udam macha rahi ti aur nachva rahi thi.

( Ap log agar ye soch rahe hain ki me kaisa bhai hu apni hi bahan ko pitwa rahu hu to sochlo mera kuch nahi jata. Is ghar ka saitan me nahi hu ye nikita saitan ki pudiya Hain, abhi aage dekhna aap log kahani me)

Mummy- mujhe kya ullu samajh rakha hai jo teri baato me aa jaungi is kam me tum dono saamil the.( Itna kahne ke badd ek danda mujhe bhi pad gaya)

Maine- uff mummy lagta hain ye danda sorry na.

Mummy ne danda fek diya. Hai to akhir ma hi na gussa bhi hamse aur pyar bhi hami se karti hai.

Mummy- theek agli baar jara meri neend ka bhi khayal kar lena, sorry maine tum dono ko maara dikhao to kahi jyada jor se to nahi maar diya ( mummy ne is baat ka dhyan suru se rakha tha ki kahi hame jyada jor se nahi lag jaaye)

Maine- are nahi laga mummy

Nikita- ha mummy mere bhi nahi laga.

Mummy- theek hain, nikita tu ja upar se kapde utaar la, kapde sukh gaye honge. Aut tu(neel) kabhi pad bhi liya kar ja apne kamre aur padayi kar.

Dono- okay mummy

apko bata du mummy ya papa ne mujhe kabhi padne par force nahi kiya lakin jab bhi kahte the tab me maan jaata tha aur padne lag jaata tha me apne kamre me padne baitha gaya.

Shaam ka waqt tha khaana banane ka time bhi ho gaya tha mummy aur nikita dono khana bana rahi thi aur main mobile chala raha tha. Karib 1 ghante hone ke baad khana bhi ban gaya. Me mummy papa aur nikita ham sab sath khaath baithkar khana khaate hain. Kuch der me hamara khaana bhi ho gaya.

Raat ke 10 baj rahe the mujhe neend nahi aa rahi thi isiliye me apne bed se utha aur bahar nikal gaya tahlne ke liye tahlte tahlte me ghar se thoda dur aa gaya tha, me apne aaj ke apne poore dine ke baare me soch raha tha subah dost ki shaadi fir ghar par aakar Nikita ke sath masti karna.

Aise hi apni soch me ghum ho kar chal raha tha ki me ruk gaya aur apne samne ek ladki ko dekha jo hath me fool liye apne ghar ke bahar baithi huwi thi.

Me- hy

Ladki- tu aaj yaha kaise

Me- bas tujhe dekha to chala aaya

Ladki- juthe me to yaha roj milti hu bas tu hi nahi aata yaha par.

Me- yar thoda busy tha kuch dino se mere peper chal rahe the.

Ladki- kaise gaye tere peper

Me- achhe gaye tu bata nimisha tere peper kaise gaye.

( Is ladki ka name nimisha hain meri bachpan ki dost hai. Aur nursury se lekar 8th tak ham log sath me pade hain balki ek banch par baithkar 8th tak ki life gujari hain. 8th ke baad hamare school change ho gaye nimisha ne aur maine dono ne alag alag college me admission le liya tha. Nimisha nature ki ek bahut achi ladki Hain aur me apko batana chahunga ki nimisha meri dost se jyada kuch nahi hain )

Nimisha- ache gaye the mere bhi.

Me- tu fool lekar yaha kyu baithi hain kiska proposal accept kar liya tune.

Nimisha- chhal pagal.

Me- batana pagal me kisi ko nahi bataunga.

( Sirf ham dono hi ek dusre ko pagal bolte hain aur koi nahi )

Nimisha- yarr aisa kuch nahi hain ye fool to maine apne garden me lagaye the kuch din pahle abhi dekha to unme se ye wala fool niche gira huwa tha to maine utha liya.

aur tujhe lag raha hain ki maine kisi ko bf bana liya pagal kahi ke

Me- oh fool to bahut achhe hain dikha to.

images

Nimisha- tum mere bf kabhi mat banna okay is baat par lo ye fool accept karo. Hehehehe

Me- okay deal done hahaha aaaahhhh

Me man me- ( mar gaya ye fool nahi hain ye kya cheej hain bachao )

Fool pakadte hi mujhe jhatke lagna suru ho gaye the mere samne nimisha thi isiliye khud ko lagbag nimisha se apni halat chhupane ki kosis kar raha tha. Agar andhera nahi hota to pakka pakda jaata. Andhera hone ki wajah se nimisha ne bhi mujhpar itna dhyaan nahi diya.

Nimisha- tu chillaya kyu yarr itna bhi khush mat ho tujhe pata hain in foolo ka name nishagandhini hain aur kuch log in foolo ko brahmkamal bhi kahte hain

Brahmkamal sunte hi meri fat gayi thi me samajh gaya tha mujhe jhatke kyu lag rahe hain. Maine nimisha ko fool bapas kar diye.

Me- kal aaunga kuch zaroori kam aa gaya.

Me vaha se lagbagh bhaag gaya tha.aur ek garden me jakar ghaas pe gir gaya. Aur bahut zor se haaf raha tha.

Aasman taaro se bhara huwa tha aur me taaro ko dekhkar khud ki halat par aansu baha raha tha. Mujhe ye suru se hi pasand nahi tha ki mujhe godly things( bhagvaan ki koi cheej ya kuch bhi) mujhe khud chhune nahi deti hain halaki ek baar jhatke khaane ke baad dubara me use chhoo sakta hu par pahli baar me har ek cheej mujhe jhatka deti hain jaise voh mujhe maar hi daalegi aur aajka jhataka to bahaut bada laga tha mujhe.

Aap soch rahe honge ki aaj mandir me to kuch nahi huwa mujhe lakin mujhe mandir ki sidiya chadte waqt hi jhatke lagna suru ho Gaye the. Lakin baad me band ho gaye aur me mandir me ghus bhi gaya bas me devi ma ki murti ko nahi dekh raha tha. Agar me murti ke paav bhi chhuta to me soch bhi nahi sakta tha ki mere sath kya hota sayad me mar bhi jaata.

Aaj ke liye itna hi milte hain agle update me.
Superbb Update
 
  • Like
Reactions: Lovekillsyou

Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244
Update 6

Subah ke 4 baj rahe hain raat ki bo saari baate ab me yaad. Nahi kar raha hu. Sabse pahle to pahle maine kuch exercises ki aur fir meditation karne baith Gaya, meditation abhi Maine Shuru hi kiya tha the ki achanak mujhe aisa Laga jaise main kahin aur pahunch Gaya Hun. Yahan Charon taraf andhera Hi andhera hua hai aur main kuchh bhi Nahin dekh pa raha hun. abhi main thoda Aage chalne ka faisla Kiya.

Dhire dhire Aage badhane per mujhe Samne ek Roshni dikhai di per yah roshani kuchh alag thi, aisa lag raha tha mano yah roshani Kisi murti ke Piche se a rahi hai.

Murti ka upar sar se lekar niche kandhe tak hi Roshni se dikhai de raha tha dekhne se to aisa lag raha tha ki yah Kisi devta ki murti hai. Per mujhe yah samajh Nahin a raha tha murti Kali kyon hai ya shayad ho sakta hai ki yah murti mujhe Andhere ki vajah se kali dikh rahi hai aur piche se aati huwi huwi Roshni ki vajah se murti thodi bahut dikhai de rahi hai.

Achanak murti ke Samne mujhe Koi baitha hua dikhai Diya actually mujhe vaha insan dikhai nahin diya tha per aisa lag raha tha jaise murti ke Samne Koi baitha hua hai.

Us shaqs ne kuchh shabd bole jise sunkar to jaisa hamesha mujhe hota hai is bar bhi mujhe current lagne lag Gaya. Ab mujhe aisa lag raha tha ki me aaj yahi mar jaunga kyuki ye awaaj se mujhe ghutan ho rahi thi aur me hil bhi nahi sakta tha.

Me kuch nahi kar sakta tha par achanak mujhe aisa laga jaise voh shaqs khada hokar mere pass me baith gaya hain. Mere chahre par paani ki boonde giri aur me uth gaya.

Ab me meditation se bahar aa gaya tha maine time dekha to 8 baj rahe the. Vaise agar voh meditation waala waqt yaad kiya jaaye to aisa lag raha tha mano voh paani ki boonde nahi ho vo anshoo hi the.

Ab me nahane chala gaya tha aur soch raha tha ki aaj ka pura din kaash acha chala jaye. Kyuki maine xxx company me job ke liye apply kiya tha aur mujhe unka interview dene jaana tha aaj.

Me company ke baare me bata du ki ye company xxx group of industries ka hissa hain. Isme kayi companies aati hain aur is industry ki ek company jiski magazine print karti hain vaha apply kiya tha.

Subah 11 bje: Social Printing ltd

8 majila imaarat waali is imaarat ke saamne me khada tha. Is company ka name jaisa ki main apko upar headline me bata chuka is company ka name social printing ltd hain.

Me company ke andar gusa aur receptionist se pucha yaha interview kis taraf liye ja rahe hain.

4rth flour sir.... She tells with a smile

Thank you miss..... Maine kaha

4rt flour par ek room bahar kaafi saare ladke aur ladkiyan room ke bahar khade the. Aur sayad apne number ka wait kar rahe the. Me bhi ek khaali seat dekhkar baith gaya aur apni baari ka intzaar karne laga.

(Writer- guys maine apni ab tak ki life ghar me hi gujari hain, isiliye mujhe jyada knowledge nahi hain office kis trah se chalta hain so agar kuch aisa lage ki ye cheej kabhi office me nahi hoti to iske liye mujhe maaf kijiyega)

Mujhe baithe huwe kuch der hi huwi thi ki mere phone par ek call aayi ye call mere dost aadi ki thi,

Aadi- tu social media printing company me kya kar raha hain.

Me- tu meri jasoosi kar raha tha.

Aadi- Ab tu meri company me enter marega to mujhe to pata chal hi jayega.

Me- abe ye bhi teri company hain.

Aadi- is sahar ki aadi company meri dad ke name pe hain, aur ye company dad ne mere name ki huwi hain, wur tujhe kaam karne ki jarurat kya pad gayi tera dost hain abhi, tu mere sath kam kara karega, ham dono milkar kaam karenge.

Mai- darsal baat ye hain me khud ko sabit karna chahta hu ki me bhi kuch kar sakta hu, mujhe kaam kisi ke recommend karne kisi aur ki wajah se nahi, mujhe ye job khud ke dam par mili hain.

Aadi- par tu isse badi post deserve karta hai.

Me- voh mukam bhi dheere dheere hasil ho hi jayega.

Aadi- theek hain me ye tera part time job samajh ke chhod raha hu aur apni hi company samajh ke kaam kariyo, me un logo ko bol dunga tujhe hire karne ke liye.

Me- nahi tu aisa nahi karega.

Aadi- theek hain bhai.

Aur call cut hone ke baad me apne interview ka wait karne lag gaya.
,
,
,
,
,
Kisi dusre sahar me ek mahal jaise ghar me kursi par baitha huwa hain aur apne samne baithe huwe aadmi pitate huwe dekh raha hain, 4 pahalwaan jaise negros ek aadmi ko kutte ki trah maar rahe hain. Us ghar me thodi thodi dur black suit pahne log hatho me m416 gun lekar khade huwe hain.

Dekhkar to ye koi don lag raha hain, aur usi se halki si duri par kuch do log khade huwe the aur apni ankho se us pitate huwe aadmi ko dekh rahe hain aur sath me aasoo bhi baha rahe hain, inki umra 55 ke pass hogi aur ye pati patni hain.

inke jagah jagah se phate purane kapde kapde dekh kar lag raha hain ki ye bahut gareeb parivaar hain. Yeh sab chal hi raha tha us chair pe baitha huwa aadmi bola.

Admi- Pura sahar Shera bhai se darta aur shera ke niyamo pe chalta aur tune mere niyam nahi maane Rohit.

Rohit- malik maaf kar dijiye maalik galati ho gayi dubara aisi galati nahi hogi.

Shera- dubara galati karne ke liye tu jinda bachega tab galati karega na saale.

Un dono me se admi bola

Aadmi- malik isko chhod dijiye ise markar meri bachi wapas to nahi aa jayegi na.

Shera- tum chinta mat karo hari bhai isko to me maar hi dalunga, kya ye admi janta nahi tha ki shera ko dehej lene waalo se sakht nafrat hain, gussa to me tumse bhi hu agar shera bado ki ijjat nahi karta to ab tak tum bhi pit rahe hote. Mujhe dahej lene aur dene waale dono se nafrat hain.

Hari- par malik is jaan lekar kya hoga meri beti mar gayi aur ab vob wapas nahi aane wali....itna kahkar hari ki ankho se ansoo nikalne lage.

Shera- lo tum kahte ho to abhi mar diya isko bas tum royo mat. Isi liye to ro rahe the na me ise maar kyu nahi raha.

( Writer- are confuse mat hoyiye hamre shera bhai jyada sun nahi paate lakin kisi ko mahsoos na isiliye ye jahir bhi nahi karte hai, is waqt hari bhi ye baat janta hain ki shera bhai sun nahi pate)

Shera- ye paise rakh lijiye, apki beti jaane ka dukh to dur nahi kar sakta par ye paisa apki zindagi ko saral banayenge.

( Chaliye me apko puri baat batata hu hari aur uski patni kamla dono ne apni beti ki shaadi bahut ache aur bade parivaar me ki thi par ladke waalo ne dahej mang liya tha, jisko dene me ye log ko financial Condition itni kharab ho gayi ki 1 saal tak to ye logo har din 1 roti khakar hi jinda rah rahe the aaye beti sasuraal waale use paise mangne ke liye uske mayike bhijwa dete the. Uski beti ko bahut bura lagta tha aur aise ek din khaali hath unki beti sasuraal gayi to sasuraal waalo ne hari ki beti ko ghar se bahar nikal diya air baad me hari ki beti ne aatmhatya kar li. Jab hari ki beti ki shaadi huwi thi tab shera bahut busy tha isiliye uska pata nahi chal paaya ki uske sahar me dahej liya ja raha hain lakin baad me jab use hari ki beti ki lash ke baare me aur usse judi puri kahani pata chali to usne rohit ko uthva liya aur uske baad to apko pata hi chal chuka hain.)

Kuch samay baad ek ladki ghar me gusi aur isse kuch samay pahle hi hari aur uski patni sath rohit mera mtlb lash sabko bahar diya tha. Voh ladki ghar me gusi.

Ladki- bhaiyaaa...

Itna kaha aur apne bhai se gale lag gayi.

Shera- kaisi hain meri bahan

Simran- me bahut achhi hu par apke chahre par tantion aur gussa kyu dikh raha hain.

Shera- ek dahej ka case tha.

Simran samajh gayi thi.

Simran- are apne matter to solve kar hi diya hoga aur ye gunda gardi chhod ke kuch achha karo aur mere liye ek babhi dhun kar lao.

Shera- tere liye babhi dhudne se pahle mujhe tere liye tera hone wala pati talasna hain.

Simran- kya bhaiya aap bhi.

Shera- chal aaja nasta karle maine bhi nahi khaaya hain.

New character introduction

Shera- bhopal sahar ka don. Aur ek acha asdmi. Age 35 year aur pura nahi sun paata lakin jaahir bhi nahi karta.

Simran- gori gori ladki Hain bilkul heroine lagti Hain bilkul yami gautam ke jaisi haaye bahut sunder hain. Age 20 year old.

,,

,
,
,
,

Aaj ke liye itna hi.
Awesome Update
 
  • Like
Reactions: Lovekillsyou

Werewolf

ʏᴏᴜ ᴀʀᴇ ᴀʟʀᴇᴀᴅʏ ᴜɴᴅᴇʀ ᴍʏ ɢᴇɴᴊᴜᴛꜱᴜ
Supreme
11,167
88,190
259
  1. Dosto insaan kahani to soch leta hain ki kaisi kahani ready karni hain ek badhiya ending ke sath.
  2. Muskil ye nahi ki kahani soch liye, muskil to ye hain bhai ki is kahani me conversation kaise daale.

Me thahra ek introvertet ladka. Mtlb samajhte ho iska ya nahi, me batata hu iska mtlb hain ki voh log jo jyada baat nahi karte.

Ab baat jo insaan kabhi kisi se talk nahi kare. uske liye kahani me do logo ko apas me baate karwana bahut muskil hain re baba.

Mujhe bahut hard pad raha hain.

Soch raha hu seedhe seedhe kahani hi bata du puri ki puri, maine jo jo soch rakha tha aur 3 ya 4 update me kahani khatam karu. Par isse mujhe bahut bura lagega. Apni pahli kahani ko is trah khatam karna.

Jinhone ye kahani ke thode bahut updates pade hain voh bhai log thoda suggest karo na yarr. Me conversation thodi kam daalu aur kahani pari karu to kaisa rahega. Ap log ko maja aaye me yahi chahta hu. Ye kahani me logo ke bich kya baate daalu isi thought ki wajah se kahani aage nahi badhi. Koi suggest karo yaar.

ap kuch bata do Naina ji, mere favourite kahani ke writer Jay Sutar sir aur Werewolf sir ap kuch batao.
Ya fir meri story ki readers ap bata do.
Naik Pta nhi Nevil singh krish1152 Shanu Junaid devil😈 Luffy Shahrukh

Abhi jisko tag nahi kiya maaf kariyega. Par ap bhi kuch btao yarr.
I can understand. Being an introvert ye kaam waqai mushqil hai. Basically you are afraid ki conversations aise na daale jaaye jo readers ko bore kare. Ab iska solution hai.

I'll suggest ki sabse pehla jo kaam karo wo hai ki give a main character a personality. (Yaha mein kahunga ki aap apni hi personality dedo).

Yadi Main character kisi situations me padega toh aapko fir usse apne hisaab se react karwana hai bas ki yadi aap uss jagah hote toh kesa react karte. Kya shabd kehte!? Bas unhe hi aapko likhna hai.

Ab baat aati hai baaki characters ki. Unka conversation kese karwaaye!? Yaha mein suggest karunga ki try to find extrovert people around you. Ya extrovert naam sunte hi jo personalities aapke mann me aati hai!? For example : extrovert shabd sunn mere mann Kung fu Panda ka wo Po yaad aata hai. Mein uski personality apne kisi ek character ko de sakta hu. Mujhe pata hai wo situations me kese react karta hai toh yaha mere do characters ready ho gaye.

Aise hi, you can create as many characters as you want and you can even induce the conversations then. Conversation karwaane ki sabse basic need hai, characters ki personality pata hona. Wo kya shabd bolenge according to situations. Aur mene upar bata hi diya ki how you can get various personalities for your characters. 😁
 
Thanks for suggesting. Werewolf bhai 👍
 
  • Like
Reactions: Werewolf and Shanu

Lovekillsyou

Active Member
649
2,715
124
Update 7
Duniya ki sari Khushi ek taraf aur berojgari se picha chhudaane ki Khushi ek taraf, Aaj Khush to main itna tha jitna koi berojgar kabhi Khush nahin ho sakta tha mujhe naukari mil gai thi.

Main hamesha sochta tha jab naukari milegi to Kya hoga, main sochata tha Jism per suit hoga, paon mein boot hoga aur hathon mein Gori ka hath hoga.

Bus bus aise hi sapne sochte sochte main Ghar a Gaya aur ghar aate hi Maine badi jor se gate khatkhataya.

dhadammmm....(khatkhatana ki awaaz)

Jara si der ki tasalli nahin hai Kaun hai Jo itni teji se gate Baja raha hai Tod dalo hamara darvaja..... Yah Dil jalane wali baat Nikita ne Kahi thi gate khol kar theek mere samne khadi thi aur yah Shabd kahe gaye the.

Me- Oye door well Jaise munh wali ladki tu yahan darvaje per khadi ho jaegi to mujhe gate khatkhatane ki jarurat nahin padegi.

Nikita- kutta hain tu.

Me- chal nikal hawa aane De.

Me sheedha mummy ke pass gaya aur mummy ke pao chuwe aur unse gale lag Gaya.

Mummy- kya baat hai aaj to bada Khush najar a raha hai mera laal.

Me- mummy mujhe naukari mil gai ab main kal se kam par jaya karunga.

Ek Garib family mein agar Kisi ek family member ki naukari lag jaaye to puri family ko support mil jata hai. Aur yahan to Mayi ke Lal ko naukari mil gai thi, mummy bahut khush Hui.

Mummy- are vah yah to bahut acchi baat hai kal kitne baje se jaega beta main tere liye lunch taiyar kar dungi.

Me- are mummy aaram se lunch taiyar kar dena Mera 9 baje ka time hai 8:00 baje to aap Daily khana banati ho.

Nikita- naukari Aaj Mili hai, chhod parson dega.

Me- kitni acchi baten Karti hai tu, tu gadi ke niche kyon nahin aa jati.

Nikita- pichhali bar Jitendra bhaiya ke sath jute ki factory mein kam karne gaya tha do din bad hi kam se har Gaya tha na.

Me- vo jute ki factory wala kam tha usmein pure din khada rahana padta tha. Jhoote ka kam hath se hone ki vajah se mere hathon mein chhale bhi pad gaye the isiliye mummy ne hi mana kar diya tha Maine kuchh nahin Kiya samjhaji..

Nikita- main to Khush hi ho jaaungi agar tu is kam per Tika Raha to, vaise kaisa Kam hai ye.

Mummy- haa! Tune yah to bataya hi nahin kam Kya Karna hai tujhe.

Me- ek badi limited company hai ismein job mila hai koi padha likha chahiye tha, agar simple language mein kahun to computer ka kaam hai Mummy.

Nikita, Mummy- achhi baat hain,

Mummy- Ja hath muh dhokar aaja bahar se aaya hai na tu.
 
Top