• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

ABHISHEK TRIPATHI

Well-Known Member
6,414
28,383
218
Update 120
Idher Raj pure raaste apni hi soch mein gumm tha.

Raj: Neha ko sach bata toh diya. Aur uska reaction dekh kar bhi lag raha tha ke woh samaj gayi hai. Par kahi usne koi kaand kardiya toh kyaa hoga. Aur kal ko agar woh Sonal ke saamne yeh raaz kholde tab hogyaa hoga. Kal Neha ko sach bol ke galti toh nhi kardi.

Par aur koi raasta bhi nhi tha. Neha ko rokhne ka yehi ek raasta tha. Warna pata nhi shayad woh apne gusse mein Sonal ko nuksaan pahoncha deti. Mujhe ab bas kaise bhi karke Sonal ko sambhalna hoga.

Yehi sab sochte hue woh ghar aajata hai. Ghar mein enter karte waqt uske chehre pe kisi bhi tarah ka koi expression nhi thaa. Woh ekdum shant tha aur bina kisi se koi baat kiye woh apne kamre mein chala jaata hai.

Idher Neha jab apne ghar aati hai toh woh bhi ekdum shant thi par saath mein uska dimaag bhi shant tha.

Mrs. Jaiswal: Beta kaha gayi thi tum. Batake toh jaana chahiye naa.

Neha: Main bas aise hi thoda bahar gayi thi.

Mrs. Jaiswal: Tum thikk honaa beta.

Neha: Haa mummy. Main ab bilkul thik hu.

Mrs. Jaiswal: Matlab.

Neha: Mummy main Raj sir se milne gayi thi. Unhone mujhe milne ke liye bulaya tha.

Mrs. Jaiswal yeh sunte hi thodi tension mein aajati hai.

Mrs. Jaiswal: Kyaaaa. Kyo bulaya tha usne. Aur kyaa kaha. Sab thikk hai naa.

Neha: Haa mummy sab thik hai. Unhone bas mujhe baat karne ke liye bulaya tha.

Mrs. Jaiswal: Kyaa baat ki usne.

Neha: Mummy unhone mujhe pyaar aur attraction ka matlab samjhaya. Mujhe samjhaya ke maine jo bhi kiya woh galat kiya. Maine kabhi unse pyaar kiya hi nhi tha. Woh bas mujhe achhe lagte the. Aur isi achhe lagne ko main pyaar samaj baithi thi.

Maine apni naa samjhi mein kitja galat kiya. Aaplogo ko unke ghar rishta leke bhej diya jabki woh pehle se shaadi sudha hai.

Mrs. Jaiswal: Kyaaaaa. Raj pehle se shaadi sudha hai.

Neha: Haa Mummy. Raj Sir aur Sonal dono pati patni hai. Par Sonal ki yaadash ek accident ki wajah se chali gayi hai isikiye usse kuch yaad nhi. Agar woh chahte toh mera pagalpan aur Sonal ki yaadash ka faiyda utha sakte the. Par woh one woman man hai.

Mrs. Jaiswal Neha ke andar yeh drastic change dekh kar bahot khush thi. Aur isi ke khushi ke chalte unki aankhon mein aansu aajate hai aur woh jhatt se Neha ko gale laga leti hai.

Mrs. Jaiswal: Aaj main bahot khush hu beta. Aaj pehli bahot samay ke baad kisi chiz ke naa milne pe tu gussa hone ki jagah khush hai. Aaj main bahot khush hu. Aakhir iss abhagan maa ki dua uss upar wale ne sunnli.

Neha: Shant hojaiye Mummy. Mujhe pata hai meri wajah se aapko aur papa ko kitna kuch jhelna padhta hai kitna kuch sunna padhta hai. Main harbaar aapko promise karti hu ke main khud pe control karungi par main nhi kar paati. I am sorry Mummy.

Mrs. Jaiswal: Nhii mera bachha. Galti toh humari hi thi naa. Agar tere saamne woh sab naa hota toh shayad tu bhi sabki tarah normal hoti. Humari galti ki saza humare bachhe ko mil rahi hai.

Kuch der mein Mr. Jaiswal bhi ghar aajate hai aur jab unhe Neha ke change ke baare mein pata chalta hai toh woh bhi bahot khush hote hai.

Mr. Jaiswal: Neha beta tumhe Sonal se aur apne dosto se maafi maangni chahiye.

Neha: Jii Papa. Main kal hi unse maafi maangugi.

Mr. Jaiswal: Waise aaj mere paas tumhare liye ek rishta aaya tha. Par maine mana kardiya hai.

Mrs. Jaiswal: Kisne bheja tha.

Mr. Jaiswal: Woh humare manager sahab ke jaan pehchan ke hai. Toh manager sahab mujhse puch rahe the Neha ke baare mein toh maine mana kardiya.

Neha: Kuch soch kar. Papa aap unhe bula lijiye.

Mrs. Jaiswal: Yeh tum kyaa keh rahi ho beta.

Neha: Main thikk keh rahi hu Mummy. Main nhi chahti ke meri iss bimaari ke chalte main phir aisa kuch karu. Iss pehle phir aisa kuch ho main uss raaste ki hi band kardena chahti hu.

Mr. Jaiswal: Par beta. Jab unhe tumhari bimaari ke baare mein pata chalega tab woh khud mana kardenge.

Neha: Hosakta hai woh meri majburi samjhenge. Aur phir abhi hi toh shaadi nhi horahi hai na. Mere complete treatment ke baad shaadi hojayegi. Isiliye aap unlogo ko bula lijiye.

Mr. Jaiswal apni patni ki taraf dekhte hai toh woh bhi haa mein sir hila deti hai toh woh maan jaate hai

Mr. Jaiswal: Thikk hai. Phir main Manager sahab se baat karke unlogo ko Sunday ko bula leta hu.

Neha: Jiiii.

Phir Neha apne kamre mein chali jaati hai.

Idher Raj dinner table pe ekdum chup chaap baitha hua tha. Naa kisi se koi baat kar raha tha aur nahi kuch bol raha tha. Sonal waha khadi Raj ko notice kar rahi thi.

Sonal: Mann mein. Yeh Raj ko kyaa hua hai. Itne chup se kyo hai. Neha se milne gaye the yeh jab se aaye hai tab se hi chup hai. Kuch toh hua hai inko. Shayad Neha ke saath hi kuch hua hai.

Khaana khaane ke baad Raj sidhe apne kamre mein chala jaata hai. Kuch der baad Sonal uske room mein aati hai aur darwaze pe knock karti hai. Raj darwaza kholta hai aur saamne Sonal ko khada pata hai toh woh side hojaata hai.

Sonal: Terrace pe chale.

Raj: Hmm.

Phir Sonal waha se sidha terrace mein chali jaati hai aur Raj bhi uske piche piche aajata hai.

Sonal: Ab bataiye kya hua hai.

Raj:. Kuch nhi hua hai. Hona kya hai.

Sonal: Ab mujhse baat chipayenge. Chaliye boliye kyaa hua hai. Kabse dekh rahi hu aap apni hi soch mein ghum hai. Aap Neha se milne gaye the naa. Kyaa hua udher.

Raj: Neha ko maine samjhane ki koshish ki hai. Par pata nhi woh samjhi bhi hai yaa nhi. Kyoki maine usse jo bataya hai uske baad uske chehre pe maine aisa waisa koi reaction nhi dekha.

Sonal: Aisa kyaa bola hai aapne usse.

Raj: Bas bola hai kuch.

Sonal: Wahi toh puch rahi hu aisa kyaa bola hai aapne.

Raj: Tumhe nhi bata sakta.

Sonal: Kyooo. Mujhe kyo nhi bata sakte.

Raj: Bas nhi bata sakta.

Sonal: Rajjj. Aapne aisa kyaa bola hai Neha ko. Jo aap mujhe nhi batana chahte. Kyaa mujhpe bharosa nhi.

Raj: Sonal ko apni baahon mein leke. Tum toh meri sabkuch ho. Tumpe bharosa nhi hoga toh kispe hoga. Yeh bol Sonal ke gaalon ko chum leta hai.

Sonal: Toh bataiyee.

Raj: Woh actually maine usse ek jhoot bola hai humdono ko leke.

Sonal: Kyaa jhoot.

Raj: Haa pura nhi. Bas thoda jhoot aur thoda sach.

Sonal: Saaf saaf boliye.

Raj: Mann mein. Agar maine boldiya aur isse isko problem hogyaa toh kyaa hoga. Par nhi bola toh yeh choregi nhi. Aur agar Neha ne isse baat karli toh aur problem hojayegi. Bhagwan madad karnaa.

Sonal: Kyaa soch rahe hai ab.

Raj: Thosa darr se. Wohh maine usse batadiya ki humari shaadi hochuki hai. Jisko lagbhag ek saal hone ko hai. Tum mujhse bahot pyaar karti ho. Itna ke tumne apni puri zindagi mere naam kardi. Tumne mere parivaar khushi ke kiye mujhse shaadi ki taaki mujhe mere past aur depression se bahar laa sako. Yeh jaante hue bhi ke main kabhi tumhe shayad pyaar naa kar saku kabhi tumhe patni ka woh haq naa de saku jo dena chahiye.

Par tumne niswarth bhaw se sirf mera aur mere parivaar ka khayal rakha. Kabhi bhi kisi bhi chiz ki maang nhi ki. Aur jab mujhe tumse pyaar hua aur tumhe propose karna chaha tab tumhara accident hogya aue tumharu yaadash chali gayi aur tum mujhe humari shaadi pyaar sabkuch bhul gayi.

Yeh sab Raj ek jhatke mein boldeta hai aur shant khada hojaata hai uski aankhon mein aansu bhi aajate hai. Woh bas khada rehke Sonal ke reaction ka intezaar kar raha tha.
Superb update
 
1,141
4,282
144
  • Like
Reactions: Luffy and Jaguaar

Destiny

Will Change With Time
Prime
3,965
10,660

कभी कभी बच्चो का जिद्द करना मां बाप पर बहुत भारी पड़ता। नेहा भी बीमारी के चलते जिद्दी करती थीं जिसे मां बाप पूरा करते थे। आज नेहा को समझ आ रहा था बीमारी के करण नेहा का किया हुआ जिद्द उसके मां बाप को कितना तकलीफ देता था। मां को तसल्ली हुई नेहा खुशी खुशी मान गई और जिद्द करना भी छोड़ दिया सिर्फ इतना ही नहीं शादी करने को भी तैयार हों गई।

अदभुत अतुलनीय लेखन कौशल
 
Destiny

Will Change With Time
Prime
3,965
10,660
144
Sorry guyss but aaj koi update nhi aayegaa. Meri tabiyat bahot jyaada kharab hogyi hai. Shayad kal aajayeee. Thank you.
अपडेट से ज्यादा जरूरी हैं अपका स्वस्थ रहना आप स्वस्थ रहेंगे तो एक के जगह दो अपडेट दे देंगे। इसलिए पहले आप ठीक हों जाइए और डॉक्टर के परमर्श अनुसार औषधि लेते रहिए
 
Last edited:

Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244

Thank you
 
Top