• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Completed)

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,722
46,177
259
Raghu bhai pyar m pagal huwe jaa rehe h guldasta bheje ja rehe h bachcha Singh se jhoot bol dia ki abhi tak mili nahi sahi jaa reho Raghu sahab
Dekhte h yeh Savita ki kia kahani h
Badhiya shaandaar update Mahi Mahi ji
धन्यवाद आपका महोदय।
अब रघु भी क्या करे। वो सरिता की खूबसूरती देखकर पगला गया है। इतना अच्छा मौका छोड़ दिया उसने सरिता को मारने का। इसका भी समय नजदीक आ रहा है।।

साथ बने रहिए।।
 
  • Like
Reactions: Naik and parkas

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,722
46,177
259
khud kabhi nahi likhenge horror aur yaha gyan de rahe hai 🤣🤣.. unko bolo ek horror likh do apne readers ke liye 😁..
horror matlab samajh gaye honge aap .
सब बहुत समझदार है।
आपके हॉरर कहने का मतलब सब समझ चुके हैं।।😅
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,722
46,177
259
lovely update ...

nischal ko abhi ye pata hi nahi ki wo jaane anjane me sarita se pyar karne laga hai ..jab kisike liye dil me feeling aane lage jo uske achche bure ko lekar ho to wo pyar hi kehlata hai 😍..

raghe ne apne taraf se koshish shuru kar di sarita ko impress karne ki 😍😍😍.. mere khayal me uske vichar bhi galat nahi hai ,,ab usko pyar ho gaya wo bhi dushman se ( aur unka pesha bhi dushmani wala hi hai ) to usko galat to nahi keh sakte .. jaan baksh di thi usne sarita ki ye bahut badi baat hai ..
ab sarita bhi soch me pad gayi ki uska shubhchintak kaun aa gaya ,,hitler / nischal to ho nahi sakta ye sochna sahi tha uska ..

raghu ne bachcha singh ko jhaanse me le liya ki sarita uske jaal me fansi nahi ,,ab wo kya bataye ki pyar ho gaya hai usko sarita se 😁😁..

ye aadmi kaun hai jo savii ke saath photo me hai aur usko savii se baat karte dekha tha sarita ne aur us aadmi ne sarita ki ghadi bhi lautayi thi 🤔🤔..
aur savii ke haawbhaw dekhke lagta hai usne jhooth kaha sarita se aur wo us aadmi ko bahut karib se jaanti hai ..

savii ka tension lena bhi sahi hai sarita ke liye ,,dil se jo apna mana hai usko 😍..
धन्यवाद आपका महोदय।
निश्चल को प्यार तो हो ही गया है लेकिन वो इस बात को अभी स्वीकार नहीं कर पा रहा है। रघु का हाल तो निश्चल के भी ज्यादा खराब हो चुका है वो तो पागल ही हो गया है पहली नजर में ही।
अगले दिन से सरिता को पटाने की कोशिश भी शुरू कर दी उस ने। बहुत तेज़ चल रहा है रघु।
सविता का रिश्ता उस तस्वीर वाले आदमी से अगले भाग में पता चल जाएगा।।

साथ बने रहिए।।
 

Akil

Well-Known Member
3,033
8,441
158
सही कह रहे हैं आप।
लेकिन ये काम निश्चल करेगा सरिता नहीं।
वो तो समझ ही नहीं पा रही है निश्चल का प्रेम।।
Yeh maine us situation ko analyse karke kaha hai jab woh Nishchal ke pyaar ko samajhkar khud usse pyaar karegi😁
Waise love triangle achchha banaaya hai aapne ek anaar (Sarita) ke pichhe Nishchal aur Raghu dono beemaar 😆
Dekhte hain ki Nishchal apne pyaar ko Raghu se kaise satark karke bachaayega
Aur Savita jiski kahani bataane ja rahi hai woh Sarita ka bhai Abhishek na ho 😜
 

dhparikh

Well-Known Member
6,536
7,908
173
UPDATE 40


Sarita ka kamre se nikalkar Wo apne room me chala gaya. Jaha par uska khana rakha rakha Thanda ho gaya tha. Uska mood kharab ho chuka tha to usne khane ke bare me socha hi nahi.


Nishchal apne bister par late gaya aur abhi jo kuchh bhi huwa uske bare me sochne laga. Mulajim se use pata chala tha ki Sarita ko Savi ne bhi khoob dant pilayi thi. Nishchal apne man me sochne laga.


Nishchal- Shiit yaar. Maine kuchh jyada hi bol diya use. Aaj se pahle uski aankho me maine is tarah aanshu nahi dekhe the. Sari galti meri hi hai. Mujhe usase is tarah se baat karni hi nahi chahiye thi. Lekin main karu to kya karu. Bahut jiddi hai ye. Meri sunti hi nahi hai. Agar mera kahna ek baar me hi maan jati to mujhe itna kahna hi nahi padta.

Pata nahi mujhe kya ho gaya hai. Baat jab Sarita ke upar khatre ki aati hai to pata nahi kyon mera dil dahal jata hai. Mujhe pata nahi kya ho jata hai ki main apne aapko rok hi nahi pata hoon. Bhagwan na kare agar use kuchh ho gaya to main kya karunga. Nahi nahi.

Main use kuchh bhi nahhi hone doonga. Chahe uske liye mujhe kuchh bhi kyon na karna pade. Lekin meri to baat hi nahi sunti wo. Lekin di ka naam sunte hi wo sari baat man-ne lagti hai. Haan ye sahi rahega. Main use di ka dar dikhakar apni baat manwa sakta hoon. Mujhe yahi karna padega.


Yahi sab sochte sochte Nishchal so jata hai. Subah Jab Sarita sokar uth-ti hai aur niche aati hai wo Guard use ek buckey lakar deta hai. Sarita ne usase poochaa.


Sarita- Ye kisne diya chacha.

guard- Pata nahi bitiya. Koi ladka aaya tha aur aapko dene ke liye bol gaya tha.


Sarita ne bukey lekar hall me aa gayi aur use dekhne lagi. Upar ki taraf ek chhota sa card laga huwa tha jisme likha tha.
Ek bahadur aur Janbaj Police Officer ko is nachhez ki or se tuchchh si Bhent. Aapka Sabse bada Fan aur Shubhchintak.


Ye padhkar Sarita soch me pad gayi ki ye aakhir hai kaun. Sarita guldasta apne kamre me lekar chali gayi aur fresh hokar Chaai nashta kiya. Aaj Usko pahle se kafi aaram tha to wo PS ke liye nikal gayi. Sarita PS to pahuch gayi lekin wo mana rahi thi ki Uska Samna Nishchal se na ho. Tabhi Uske Cabin ke bahar Janhavi ki aawaz aayi.


Janhavi- May I Come in Madam,

Sarita- Are Janhavi. Tum. Maine kitni baar kaha hai ki poochne ki jaroorat nahi hai. Bina puche bhi andar aa sakti ho tum.

Janhavi- Aage se Dhyan rakhungi madam. Ye aapke liye Bukey hai madam.

Sarita- (hairani se) Kya. Kisne bheja hai.

Janhavi- Maloom nahi madam, Isme Bhejne wale ka naam nahi likha hai Madam. PS ke bahar hi koi Subah hi rakhkar chala gaya tha. Iske upar aapka naam likha hai to main aapko dene ke liye aa gayi.


Sarita ne wo phulo ka guldasta le liya. Janhavi cabin se bahar chali gayi to Sarita ne usme laga card kholkar dekha to Usme likha tha.
Ek bahadur aur Janbaj Police Officer ko is nachhez ki or se tuchchh si Bhent. Aapka Sabse bada Fan aur Shubhchintak.


Thik aisa hi guldasta subah use ghar par bhi diya gaya tha. Ab Sarita ye sochne par vivash ho gayi ki aakhir use ye guldasta bhej kaun raha hai. Sarita sochne lagi ki Ho sakta hai ye guldasta hitlar ne bheja ho. ho sakta hai wo kal ke wakye ke liye sharminda ho,


lekin isme na koi sorry likha hai aur na hi uska naam. Upar se isme meri tariff likhi hai aur wo mera fan aur shubhchintak bata raha hai apne aapko to ye hitlar to nahi ho sakta. Agar hitlar nahi hai to fir kaun ho sakta hai.


Dimag ke ghode daudane ke baad bhi sarita ko samajh nahi aa raha tha ki aakhir ye guldasta kisne bheja. Jab use kuchh samajh nahi aaya to usne guldaste ko side me rakha aur apna kam karne lagi. Thodi der kaam karne ke baad Sarita ne Javed ko bulaya.


Jawed- Ji madam. Aapne bulaya.

Sarita- Javed ji. Maine aapko jo kaam diya tha bachhiyo ke maan baap se milane ke liye. Wo kaha tak pahucha.

Jawed- Madam. Ek bachhi ko to dadi le gayi baki bachi bachhiyo ke mummy papa ne mujhse sampark kiya tha to maine sab ko kal aane ke liye bol diya hai.

Sarita- Chalo ye achha huwa. Kam se kam sabhi apne ghar surakshit to ja rahi hain

Jawed- Madam ye to sab aapki mehnat ka nateeza hai. Aap itni shiddat se lagi hui thi to sabko surakshit rahna hi tha.

Sarita- Main un aadmiyo ke khilaf itni kadi report taiyaar karungi ki sab kam se kam 2-3 sal jail ke andar sadenge. Jab unke pariwar wale tadpenge to unhe pata chalega ki dard kya hota hai.
Jawed- Sahi kaha madam. Kisi ko bhi chhodna nahi hai.
Sarita- Main soch rahi thi ki kal sab bachhe ja rahe hain to main NGO hi chali jaun. Kal ke baad shayad hi un bachhiyo se kabhi mil paun main.

Jawed- Jaisa aapko thik lage madam. Koi aur kaam madam.

Sarita- Nahi jawed ji. Aap ja sakte hain.


Jawed Sarita ke cabin se chala gaya. Sarita ne sham tak PS me kaam kiya. Sham ko PS se nikalne ke baad wo dukan par rukkar sabhi bachhiyo ke liye kuchh gift aur chocolate li aur NGO Chali gayi.


SAbhi Bachhiya Sarita ko dekhkar bahut khush huwi Khaskar Akku. Wo to Sarita ka pichha hi nahi chhod rahi thi. Kuchh der NGO me rahne ke baad Sarita Sabhi bachho ko bye bolkar ghar ke liye nikal gayi.



*****

Udhar Bachha Singh Khushi wali khabar sun-ne ka intezar kar raha tha. Aaj tisra din tha aur sham ho gayi thi lekin abhi tak koi Khushi ki khabar nahi aayi thi.


pareshan hokar Bachha singh ne Raghu ko phone kiya. Us samay Raghu apne Panter heera ke sath baitha huwa gappe lada raha. Tabhi uska phone bajne laga. Raghu ne apne panter ko chup rahne ka bolkar Phone utha liya.


Raghu- Pranam Bhaiya.

Bachha Singh- Khush raho chhote. Chhote tum to kahe the ki do-teen din ke andar koi Khushi ki khabar sun-ne ko milegi, lekin aaj teesra din hai aur abhi tak koi Khushi ki khabar nahi sunai tune.

Raghu- Bhaiyaa. Wo Inspector mili hi nahi abhi tak.

Bachha Singh- Mili nahi matlab.

Raghu- Matlab ye bhaiya ki mere hatthe abhi tak nahi chadhi hai wo. Abhi uski Security bahut tite hai. Koi achha mauka dekhkar uska kaam tamaam kar doonga bhaiya. Aap fikar mat kariye.

Bachha Singh- Iska ye matlab huwa ki hamko aur intezar karna padega abhi.

Raghu- Haan bhaiya. Thoda to intezar karna hi padega na.

Bachha Singh- Jo bhi karna hai Jaldi kar chhote. Dhandhe ka bahut nuksan ho raha hai.

Raghu- Bas bhaiya kuchh din aur. Fir hamare rashte ka kanta hamesha hamesha ke liye saaf. Thik hai bhaiya ab ham phone rakhte hain. Heera ke sath ran-niti bana rahe hain usko sabak sikhane ka. Baad me baat karte hain.

Bachha Singh- Thik hai Chhote apna khayal rakhna.

Raghu- Ji bhaiya.


Itna kahkar Raghu ne phone Rakh diya aur ek gahri sans li. Raghu ke bagal me baitha huwa Heera use hairani se dekh raha tha. Raghu ke phone rakhne ke baad Heera ne kaha.

Heera- Aapne Bade bhaiya se jhooth kyon bola bhaai ki wo mili hi nahi. Us din to itna achha mauka chhodkar chale aaye the aap.

Raghu- Tu nahi Samjhega Be. Aur iske baare me ab mujhse kuchh mat poochna. Ab main ja raha hoon. Tum bhi jao apne ghar.


Itna kahkar Raghu uthkar waha se chala jata hai. Heera bhi uske pichhe pichhe bahar aa jata hai.



*****


Udhar Sarita NGO mein Bachhiyo se milkar Ghar aa gayi. aur kamre me jakar apne kapde badale aur Lone me aakar baith gayi. Waha par baithkar wo hare bhare pedo ko niharne lagi aur Usme kho gayi. Uska Dhyan tab Tuta Jab Savi ne use Aawaz di.


Savi- Sarita.

Savita- (hadbadakar) Hhaann….. Kyaa….. Kuchh kaha di aapne.

Savi- Are main ye bol rahi thi ki kiske khayalo me khoi hui ho jo mere aane aur mere bolne ke baad bhi tum apne khayalo se bahar nahi nikali.

Sarita- Kuchh nahi di. bas aise hi.

Savi- Kya huwa Sarita. Koi baat pareshan kar rahi hai kya tumhe.

Sarita- Nahi di. aisi koi baat nahi hai.

Savi- To fir tum yahan par akele kyon baithi hui ho aur itni udas kyon ho.

Sarita- Aise hi di. Kuchh Achha nahi lag raha hai. Aaj NGO Gai thi Un bachhiyo se milne. Kal wo sab apne apne pariwaron ke sath ghar chali jayengi. Pata nahi fir kab milna hoga. Bas yahi soch rahi thi.

Savi- Ye to bahut Khushi ki baat hai ki sabhi bachhiya bahut dino baad apne Parivar ke sath hongi. Jo pata nahi kitne din apne mata pita se door rahi.

Sarita- Haan di. Aapki baat sahi hai. Lekin in kuchh dino me unse bahut lagav sa ho gaya hai. Jab maine unhe bataya ki kal wo sab apne ghar chali jayengi to sab mere gale se lipat gayi. Unhe bhi mere sath lagav ho gaya hai. Lekin sab bahut khush thi apne Parivar ke sath jane ka sunkar.

Unke chehre ki Khushi bata rahi thi ki Sab kitni betab hain apne pariwar se milne ke liye. Khaaskar wo Akku. Wo to mujhe bhi apne sath chalne ke liye bol rahi thi. Mujhe samajh me nahi aata ki duniya me itna bure aur kamine log kyon hain. Jo chhote chhote bachho ko unke Parivar se alag kar dete hain.

Yahan to main thi. aur maine koshishh karke inhe bacha liya. Lekin har jagah to main nahi hoon na. Abhi kitni bachhiya kai jagah nark se bhi jyada badtar zindagi jine ke liye majboor hongi na di.

Savi- Pyar se sir sahlakar) Are Tum to bahut bahadur ho. tum itne se hi himmat haar gayi. abhi to tumhe in jaisi na jane kitni ladkiyo ko bachana hai. Hausla rakho.

Sarita- Himmat nahi hari hoon di. par mujhe khud par gussa aata hai ki main bachha singh jaise aadmiyo ka abhi tak kuchh nahi kar paayi. Sath me Sir ke upar bhi gussa aata hai ki wo mujhe har kaam karne se rokte hain. Itni khojbin karne ke baad bhi main uska pata nahi laga paayi abhi tak. Pata nahi kis bil me chhupkar baitha hai.

Savi- (Pyaar se) Sarita Ye duniya aisi hi hai aur aise hi chalti hai. Yaha agar Achhe log hain to bure log bhi hain, Agar Gam hai to Khushi bhi hai. Buraai hai to Achhai bhi hai. Isi achhai ko banaye rakhne aur Bachha singh jaise logo ka khatma karne ke liye hi bhagwan tum jaise kuchh imandar aur nek logo ko dharti par bhejta hai.

Bas tum Imandari se Apna kam karo, baki Jaha tak Nishu ki baat hai to Maine usase kaha hai ki wo tumhe har musibat se bacha kar rakhe. Isliye wo tumhe rokta rahta hai.

Sarita- Lekin aapne Sir se aisa kyon kaha.

Savi- Kyonki main apni pyaari bahan ko kisi khatre me nahi dekh sakti. kuchh nahi to kam se kam itna to kar hi sakti hoon.

Sarita- (muskura kar) Thik hai di.

Savi- Achha ab apna mood thik karo. Dekho Manisha ne tumhare birthday ki sari photo bheji hai. Chalo dekhte hain biathkar.


Tabhi Savi ko Rasoiya kisi kaam se bula leta hai to Savi Sarita ko mobile dekar kitchen me jane lagti hai aur Sarita se kahti hai.


Savi- Tum tab tak photo dekho, main aati hoon kitchen se.


Ye kahkar Savita kitchen me chali gayi. Sarita Savita ke mobile se photo dekhne lagi. Photo dekhte huwe kabhi uske chehre par muskan aa jati thi to kabhi hansi nikal jati thi to kabhi chehre par udasi chha jati thi. wo har photo ko bade dhyan se dekh rahi thi. photo dekhte dekhte Birthday ki sari photo khatam ho jati hai. Aur Savi ki photo shuru ho jati hain


Raghav Nishchal aur Savita ke NGO ke sahyogiyo ke sath. Sarita photo slide karti ja rahi thi aur dekhti ja rahi thi. Sarita ne do photo slide karke aage chali gayi. tabhi use kuchh dhyan aata hai to wo do photo slide karke pichhe aathi hai aur wo photo dyan se dekhne lagti hai.


Sarita Jis photo ko dekh rahi thi. usme Savita Ek aadmi ke sath thi aur Us aadmi ke sath bahut close selfi thi Savita ki. Us Aadmi ko dekh Sarita ne apne man me sochha.


Sarita- Ye aadmi to kuchh jana pahchana sa lag raha hai. Pata nahi kaha dekha tha. Kaha dekha tha kuchh yaad kyon nahi aa raha hai. Abhi kuchh din pahle hi dekha tha. Kahan dekha tha kahan dekha tha. Haan yaad aaya.

Ye to wahi aadmi hai. Jisase us din main mili thi. jab chhupkar main dadi se milne gayi thi aur wapsi me meri ghadi gir gayi thi to isi aadmi ne mujhe meri ghadi wapas la kar di thi, lekin di Is aadmi ke sath kya kar rahi hain. Kahi aisa to nahi hai ki ye wahi aadmi ho jisase us din didi chhup chhup kar baat kar rahi thi.
(ye wakya UPDATE No. 24 par hai)


Sarita apni hi soch me doobi hui thi ki kitchen ka kaam khatam kar ke Savita waha aa jati hai. Sarita ko itni gahri soch me dooba dekhkar wo uske kandhe ko hilatii hui kahti hai.


Savi- Are kya huwa madam. Sapne me hi kisi gunde mawali ko pakadne to nahi chali gayi tum.

Sarita- Kuchh nahhi… diiiii… wooo aapse ek baat poochni thiii di. agar aap bura na mane to main puchh sakti hoon.

Savi- Ye kya hai Sarita. Tumhe koi baat puchhne ke liye izazat ki jaroorat nahi hai. Tumm kuchh bhi puchh sakti ho.


Ye Sunkar Sarita ne Mobile Savita ke samne kar diya. Savita ke samne wahi photo thi. jise abhi Sarita dekh rahi thi. photo dikhate huwe Sarita na Savita se kaha.


Sarita- Ye Aadmi kaun hai. Iski photo aapke sath kaise. Kyaa aap ise janti hain.


Ye sunkar Savi ke chehre hi hansi gayab ho gayi aur uske chehre ke bhav badal gaye. Uska chehra aisa ho gaya jaise kisi ne uski chori pakad li ho. Savita ne turant Sarita ke hantho se mobile cheen liya. Sarita ne kaha.


Sarita- Kya huwa di. Maine kuchh galat pooch liya kyaa.

Savi- (hadbadate huwe) Wo.. Nahiiii.. too… wo main . tum ise kaise janti ho Sarita.

Sarita- Wo us din main Raat me raste se ja rahi thi….

Iske baad Sarita ne Us din ki sari kahani Savita ko bata diya. jise sunkar Savita ko kuchh tasalli hui. Poori kahani batane ke baad Sarita ne Savita se phir se poocha.


Sarita- Ab aap bataiye di. Aaap kaise janti hain inhe aur us din aap inse chhupkar kyon mil rahi thi.

Savi- Bahut lambi kahani hai Sarita.

Sarita- Kahani chahe jitni lambi ho, mujhe sun-na hai. Aap bataiye.

Savita- Thik hai main tumhe sab bataungi. Lekin agar chaay ki chuski lete huwe ye kahani shuru ki jaye to achha rahega.

Sarita- Thik hai di. Chaliye fir.


Uske baad Sarita aur Savita dono ghar ke andar aa gaye.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Nice update...
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,722
46,177
259
Yeh maine us situation ko analyse karke kaha hai jab woh Nishchal ke pyaar ko samajhkar khud usse pyaar karegi😁
Waise love triangle achchha banaaya hai aapne ek anaar (Sarita) ke pichhe Nishchal aur Raghu dono beemaar 😆
Dekhte hain ki Nishchal apne pyaar ko Raghu se kaise satark karke bachaayega
Aur Savita jiski kahani bataane ja rahi hai woh Sarita ka bhai Abhishek na ho 😜
धन्यवाद आपका महोदय।।
सरिता भी प्यार का इज़हार करेगी अपने, लेकिन उसको ये सब बहुत देर में एहसास होगा। जब तक निश्चल और रघु अपनी अपनी तरफ से जोर लगाते रहेंगे।।
सविता की कहानी भी कम रुचिकर नहीं है। अगले भाग में पता चल जाएगा।।

साथ बने रहिए।।
 
  • Like
Reactions: parkas

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,722
46,177
259
UPDATE- 41


Uske baad Sarita aur Savita dono andar aayi aur chaay ka cup lekar balcony me chali gayi. waha par lagi hui kursi par dono baith gayi. Chaay ki chuski lete huwe Sarita ne poochaa.


Sarita- To di. Ab aap apni lambi wali kahani shuru kariyye.

Savi- Matlab tum bina sune nahi manogi.

Sarita- Sawal hi paida nahi hota di.



(Yaha se kahani tab tak Savi ki jubani chalegi jab tak Photo wale ladke ke bare me Savi Sarita ko bata nahi deti, lekin bich bich mein Sarita aur Savita ka conversation hota rahega. Isliye is UPDATE ko dhyan se padhiyega aur confuse mat hoiyega.)


Savi- (Muskurakar) Thik hai to suno. Mere sath jo khade huwe hain photo mein. Unka Naam Anant hai, Ab chahe use mera boyfriend kah lo. Mera dost kah lo, mera pyaar kah lo ya meri zindagi kah lo. Wo mujhe Lucknow mein mila tha. Jab main NGO ke kaam ke silsile me Luchnow gayi thi.

Sarita- (Bich me kat-te huwe) Jab wo aapke liye itne mayne rakhte hain to fir aap unse chhup chhup kar kyon milti hain.

Savi- (hanskar) Itni Utawali mat bano Sarita. Pahle meri poori baat sun lo tumhe sare sawalo ka jawab mil jayega. To main kah rahi thi ki main inse Lucknow me mili thi. Jab main NGO ke kaam ke chalte waha gayi thi. Ye kareeb 5 Saal pahle ki baat hai.

NGO ke lagbhag 1 KM door hi Inki Pharmacy ki dukan thi. Ab ise sanyog kaho ya bhagwan ki marji ki mujhe rahne ke liye NGO ki taraf se jo flate mila tha wo inki pharmacy ke thik samne tha. To aksar Ye mujhe aate jate dekha karte the.

Pahle to maine is par jyada dhyan nahi diya kyonki Mard Jati hoti hi aisi hai. Ladkiyo ko dekhna to inki fitrat hi hoti hai. Lekin jab ye lagatar mere sath hone laga. Mere matlab hai ki ye mujhe lagataar dekhne lage to ek din mujhe gussa aa gaya aur maine jakar inhe khari khoti suna di.

Ye bechare meri ek hi dant se bhigi billi ban gaye. Inke munh se ek bhi shabd nahi nikla. Maine lagbhag 5 Minute tak inki jam kar class li, lekin Kya majal inki jo mere samne inhone apni juban kholi ho.

Sarita- (bich me hi) Are waah didi. Matlab Pyaar hone se pahle hi aapne nakel dal li jija ji ke upar.

Savi- Kaun jija. Kiska jija.

Sarita- Anant jija. Mere jija. Samjhi aap.

Savi- Chup kar tu aur aage sun. meri us dant ke baad in par itna asar pada ki agar ye mujhe kahi raste me dekh lete the to ye apna rasta badal lete the. Inki halat dekhkar mujhe bhi laga ki shayad maine kuchh jyada hi dant diya tha inhe.

Aise hi lagbhag 10 din bit gaye. In 10 dino me Anant ka ravaiya waisa hi raha. Ek din mujhe NGO ki kuchh ladkiyon ne bataya ki Yaha ki jo main market hai. Jab wo kisi kaam ke liye wahan jati hai to manchale ladke unko chhedte hain aur fabtiya kaste hain.

Mujhe ye sunkar bahut gussa aaya to AGLE din main khud un ladkiyo ke sath waha par gayi. waha jane ke baad mujhe pata chala ki wo ladke na sirf ladkiyo ko fabtiya hi nahi kaste balki unka hanth bhi pakad lete hain aur gandi bate karte hain.

Us din mere sath bhi yahi huwa. Ek manchale ne aakar mera hanth pakad liya aur mujhse badtamizi karne laga. Maine use samjhaya.

Main- Ye kya badtamizi hai. Chhodo mera hanth. mahilaon ko chhedna Achhi bat nahi hai. Tumhe tumhare gharwalo ne sanskar nahi diye hain kya.

Ladka- Tumm to in sabhi ladkiyo se jyada haseen ho. tum jaisi katto ladki maine aaj tak nahi dekhi. Meri girlfrnd ban ja. Bahut maze karaunga tujhe main.


Uski baat sunkar mujhe bahut jyada gussa aa gaya aur maine apna hanth jhatak kar uske dono galo par jordar thappad laga diye. Uske dono galo par mere hanth chap gaye. Waha par bahut public jama ho gayi.

Thappad khakar wo ladka baukhla gaya aur mujhe kheechkar apni car me baithane laga. Jisme uske do sathi bhi uski madad karne lage. Waha par itni public jama thi, lekin kisi ne aage badhkar mujhe bachane ki koshish nahi ki. Main chhekh rahi thi madad ke liye. Lekin koi bhi meri madad ke liye nahi aaya.

US din to meri izzat lut hi jati, lekin pata nahi kaha se Anant waha par hawa ke jhoke ki tarah aa gaye aur unhone mujhe us ladke se chhudaya aur us ladke ke bahut kutayi ki. Uske dono dosto ne bhi anant ko mara.

Tab tak public se 4-5 log aage aaye aur unhone anant ko un ladko se chhudaya. Wo tino ladke waha se bhag gaye. Mujhe bachane ke chakkar me Anant ko bhi bahut maar padi. Main unke paas gayi aur boli.

Main- Are Aapko to bahut chote aayi hain. Chaliye hospital chalte hain.

Anant- Nahi main thik hoon. Aap thik to hain na.

Main- Haan main thik hoon. Lekin aap thik nahi hai. Aap Chaliye mere sath hospital.

Anant mana karte rahe lekin main nahi mani aur Auto karke Anant ko baithakar main hospital chali gayi. Waha par unki ghavo ko saaf karke un par Malham lagakar kuchh dava di doctor ne aur aaram karne ke liye kaha.

Main Anant ko lekar Auto se Unki pharmacy tak aayi. Waha utarne ke baad main Auto wale ko kiraya diya. iske liye bhi wo mana karte rahe lekin main nahi mani. Fir maine Anant se kaha.

Main- Thank Yon Aapka. Agar aaj aap sahi samay par nahi aate to pata nahi kya ho jata.

Anant- Its Okk. Ye to mera farz tha. Aap ki jagah agar koi aur bhi ladki hoti tab bhi main yahi karta.

Main- Aap bahut achhe insan hai. Mujhe maaf kar dijiye. Maine us din aapko kuchh jyada hi suna diya tha. Jiska mujhe baad me pachhtava bhi huwa.

Anant- Koi baat nahi. Aapne kuchh galat nahi kiya tha us din. Waha par poori galti meri hi thi. Mujhe is tarah Aapko Nahi dekhna chahiye tha. Koi bhi ladki aisa hi react karti jaisa apne kiya hai. Isliye aap ko maafi mangne ki jaroorat nahi hai. Balki aap mujhe maaf kar dijiye. Pata nahi main aisi galti haise kar baitha.

Main- Koi baat nahi. Kabhi kabhi har insan se galti ho jati hai. Aap us baat ko bhul jaiye. Achha main chalti hoon ab.

Anant- Thik hai.

Main- Aur haan doctor ne jo dava di hai use time se kha lijiyega.

Itna bolkar main apne kamre me chali gayi. maine is ghatana ki jikar ghar par kisi se nahi kiya nahi to sab pareshan ho jate. Maine socha ki kuchh din baad yaha se chali hi jaungi. Isi tarah din gujarte rahe aur Anant ke sath mera milna julna bhi shuru ho gaya.

Jitna main usase milti. Usase baat karti. Utna hi uske bare me bahut sari achhi bate pata chali mujhe uski khoobi pata chali mujhe. Wo apne maa baap ka eklauta beta hai. Uski ek chhoti bahan bhi hai. Wo bahut suljha huwa insan hai.

Wo logo ki bahut izzat karta hai. Sabhi se prem se baat karta hai. Lekin kahte hain na ki aaj kal ke jamane me achhe insan ko koi chain se jeene nahi deta.

Khair dhire dhire ham dono ki mulakatein badhne lagi. Ham dono samay nikal kar ek doosre se milne lage. Ek din Anant ne mujhe park mein milne ke liye bulaya. Jab main park me pahunchi to wo pahle se hi waha par maujood the. Maine uske paas jakar baith gayi. Anant ne mujhse kaha.

Anant- Savi. Main tumse kuchh kahna chahta hoon, lekin samajh me nahi aa raha hai ki main tumhe kaise kahu wo baat.

Main- Ab tum mujhse kuchh kahne ke liye itna kab se sochne lage. Jo bhi kahna hai khulkar kaho.

Anant- main kah to doon, lekin pata nahi meri baat sunkar tum kaisa react karo.

Main- Aisi kya baat hai Anant. Jo tum itna hichkicha rahe ho. kaho tumhe jo bhi kahna hai.

Anant- Pahle tum wada karo ki tum meri poori baat sunogi. Aur agar tumhe meri baat pasand na aayi to tum mere sath apni dosti ka Rishta nahi todogi. Tum mujhse naraz nahi hogi.

Anant ki baat sunkar mujhe kuchh kuchh andaza ho gaya tha ki wo kya kahna chahta hai, fir bhi maine usase kaha.

Main- Thik hai. Main wada karti hoon. Ki tumhari ye baat kahne ke baad bhi hamara Rishta pahle jaisa hi rahega. Tum mere dost ho aur hamesha rahoge.

Anant- Savi. Mere papa sal bhar se mujhe shadi ke liye bol rahe hain. Kyonki meri maa ki halat to tum janti hi ho. shadi ke sambandh mein main jin ladkiyo se mila. Wo sab sundar thi. lekin mere dil me kabhi aisi feeling nahi aayi ki wo meri jivan sangini ban sakti hain. Isiliye maine abhi tak shadi nahi ki hai.

Lekin jab maine tumhe pahli baar dekha tha. Usi din se mere din se ye aawaz aati hai ki tum hi wo ladki ho jo meri Jeevan sangini ban sakti hai. Mujhe tumhari har baat pasand hai. Tumhara hansna, tumhara bolna, tumhara muskurana, aur tumhara marna.

Main apni baat jyada ghuma fira kar tumse nahi kahna chahta hoon Savi. Baat bas itni si hai ki mujhe tumse pahli najar me hi pyaar ho gaya hai aur main tumse shadi karna chahta hoon.

Main- Kyaa. Ye kya kah rahe ho tum.

Anant- Dekho Savi. Tum naraz mat hona. Mere dil me tumhare liye jo bhi feelings hain. Maine tumhe bata diya hai. Jaroori nahi hai ki tum bhi mere bare mein aisa hi socho. Agar tum mere proposal ko mana bhi kar deti ho tab bhi mujhe tanik bhi bura nahi lagega. Kyonki tumhari Khushi mere liye jyada mayne rakhti hai.

Main- Aisi baat nahi hai Anant. Tum bahut achhe ladke ho. wo bahut khushnaseeb ladki hogi. Jiske sath tumhari shadi hogi. Aisa nahi hai ki tum mujhe achhe nahi lagte, lekin main abhi shyor nahi hoon. Ki mere dil me tumhare liye jo feelings hain wo dosti hai ya pyaar. isliye Mujhe abhi thoda samay chahiye.

Anant- Koi baat nahi Savi. Maine tumse pahle hi kaha hai ki tummhari Khushi mere liye jyada mayne rakhti hai. Tum jitna chahe utna samay le sakti ho. tumhare haan aur naa ka intezar rahega mujhe. Chalo bahar kuchh khate pite hain.

Uske baad ham dono park se bahar aa gaye aur chaat ke thele ke paas chat khane chale gaye.

Sarita- Kya di. aap ko to turant jija ji ko haan bol dena chahiye tha. Aakhir jaisa aapne bataya hai us hisab se to jija ji bahut achhe insan hai. Aapko unhe aise tadpana nahi chahiye tha.

Savi- tum sahi kah rahi ho, lekin us samay mujhe kuchh samajh me nahi aa raha tha ki main haan karu ya na karu.

Sarita- Fir aage kya huwa. Jaldi batao.

Savi- Aage kuchh khas nahi huwa. Anant apne kam me busy ho gaye aur main apne kam me busy ho gayi. lekin ham dono samay nikal kar ek doosre se milte the, bate karte the aur ghoomte the. Us din ke baad Anant ne Us bare me dobara mujhse baat nahi ki aur na hi uske baat vyavhaar me hi koi kami aayi.

Kabhi kabhi main Anant ki baton par vichar karti to mujhe bhi lagne laga ki main bhi Anant ki taraf khichi ja rahi hoon. Isi tarah din gujarte rahe aur lagbhag 6 Mahine bit gaye. Ab mera NGO ka kaam poora ho gaya tha aur mujhe kabhi bhi Lucknow chhodkar wapas aana pad sakta tha.

Fir ek din maine Anant ko Park me milne ke liye bulaya. Ham dono usi park me mile aur usi jagah par chale gaye jaha us din Anant ne apne pyaar ka izhar aur Shadi ka prastav rakha tha. Hall chal janne ke baad maine Anant se kaha.

Main- Anant. Mera NGO ka kam ab poora ho gaya hai. Mujhe kabhi bhi yaha se jana pad sakta hai.

Anant- Tumhare sath samay itni jaldi gujar gaya pata hi nahi chala. Kuchh din aur ruk kar jati tum.

Main- Nahi Anant. Ab mera yaha ka kaam poora ho chuka hai to rukna muskil hai.

Anant- Thik hai Savi. Lekin jane ke baad apne is dost ko mat bhool jana.

Main- kaun dost. Kaise dost.

Anant- (chauk kar) Ye kya kah rahi ho Savi tum. Main apni aur tumhari dosti ki baat kar raha hoon.

Main- Lekin ab tum mere dost nahi ho. Aaj se apni dosti khatam Samjho.

Anant- Kyon. Kya ab main tumhari dosti ke kabil nahi raha kya.

Main- Haan. Ab tum dosti ke kabil nahi balki kisi aur ke kabil ho gaye ho.

Anant- Jo bhi kahna hai saf saf kaho Savi. Uun paheliyo mein baat mat karo mujhse.

Main- Are mere buddhu Anant. Ab tum mere dost nahi mera pyaar ho.
Anant- (Chauk kar) Kya kaha. Fir se kahna Savi.

Main- I Love You Anant. Main bhi tumse bahut pyaar karti hoon. Ye mujhe tab samajh me aaya jab tumse door jane ka khayal mere dil me aaya. Jab mujhe pata chala ki main kuchh din baad yaha se chali jaungi to mere man me bechaini hone lagi.

Mujhe har par tum aur tumhari baate yaad aane lagi. Sote jagte bas tum hi tum mere khayalo me ghumne lage ho. Mujhe bhi tumhare pyaar ka ehsah ho gaya hai. I love you Anant.

Anant- (Khushi se) I love you too Savi. Mujhe apne pyaar par poora bharosha tha ki tumhe bhi ek din mere pyaar ka ehsas hoga. Aaj main bahut khush hoon.

Main- Ek baat aur tumse kahna chahti hoon Anant, tum bura mat man-na meri baat ko.

Anant- Main tumhari kisi baat ka bura maan sakta hoon kya. Tumhe jo bhi kahna hai kah sakti ho.

Main- Main bhi tumse pyaar karti hoon aur tumse shadi karna chahti hoon, lekin agar mere ghar walon ne is rishte ke liye mana kar diya to ye shadi nahi hogi. Main apne gharwalo ke khilaf jakar tumse shadi nahi kar sakti Anant.

Anant- Tumne mere man ki baat chheen li Savi. Mujhe bhi dono parivaro ki marji se hi tumse shadi karni hai. Aisi shadi bhi koi shadi hai jisme hamare maa baap hi shamil na rahe.

Ye baat kahakr Anant ne mera man jeet liya. Us din hamne bahut sara vakt sath bitaya. Us din ke baad main aur Anant do din tak sath me ghume fire. Anant ne Mujhe apne Mummy papa aur chhoti bahan se bhi milwaya. Un logo ne bhi mujhe pasand kar liya.

Do din baad NGO ka kaam khatam ho gaya aur mujhe luchnow se wapas ana pada. Main bhi udas thi aur Anant bhi udas tha. Aakhir wo samay bhi aa gaya jab ham dono ek doosre se bichhad gaye. Main Lucknow se apne ghar aa gayi.

Ghar aane ke baad bhi ham dono phone par ek doosre se roz baat karte the. Dhire dhire samay apni gati se chalta raha aur ham dono ka pyaar parwan chadhta raha. Aise hi ek din ghar me mere rishte ki baat hone lagi.

Main mummy papa se Anant ke bare me baat karna chahti thi, lekin kar nahi pati thi. Ek din Mujhe Ladke wale dekhne aa gaye. Ladke wale ke aane ke baad ladki dikhane ki poori formilities khatm ho gayi.

Ladke walo ke chale jane ke baad main apne kamre me udas baithi hui thi ki tabhi Nishu mere kamre me aaya.


Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 
Top