• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Completed)

dhparikh

Well-Known Member
6,787
8,137
173
UPDATE- 37


Rani ji ki baat sunkar Savita khush ho jati hai. fir sabhi log milkar khana khate hain. Sarita Aaj apni maan ke sath hi soyi unse lipatkar. Itne mahine baad apni maan ke aanchal me lipatkar use sukoon ki neend aayi. Uske bagal me Manisha so rahi thi. Aanand ji Nishchal ke sath uske kamre me son eke liye chale gaye.


********

Usi Raat Shahar se door Ek kamre me Bachha singh baitha huwa tha, uske hanth mein sharab ki poori bhari hui botal thi. jise wo gat gat karke khali kar raha tha.


Sharab pine ke baad usne botal ko deewar par de mara. Bachha singh ka chehra gusse me tamtamaya huwa tha. uske bagal me Kaluwa, Raka aur Shambhu bhi baithe huwe the. Bachha Singh gusse se phunfkarta huwa bola.


Bachha Singh- Thhu hai tum sab ki zindagi par salo. tum sab Ek laundiya ko thikane nahi laga paye. bahut bade gunde bane firte ho. jakar chullu bhar pani me doob maro tum sab.

Kaluwa- Aisa mat kaho bhaai. Apan bhaeje rahe do aadmiyan ke. Lekin hamka nahi maloom tha ki dono ke dono ekdam nithalle nikalenge. Ek Laundiya ko nahi maar payenge.

Bachha singh- Raghu Aa Raha hai 3-4 din mein. Use agar is baat ka pata chal gaya ki tu saban ek ladki ko nahi maar paye to pata nahi wo kya karega tum sab ke sath.

Rakaa- Aap shaant ho jaiye maai baap. ham kuchh karte hain kuchh.

Bachha singh- (gusse se chillate huwe) Kaa karoge….. haaann bolo.. kaaa karogeee.. bol be. Sala itne din se dekh to raha hoon ki kaa kaam kar rahe ho tum sab. Ek kaam bhi tum saban se dhang se nahi hota.

Hamari hi mati mari gayi thi jo tum logo ke bharoshe ab tak baitha raha aur tum logan ko use marne ka kam saupa. Hamhi chutiya the jo soch rahe the ki ladki hai jyada kuchh nahi kar payegi, agar bahut pahle hi uska kaam tamam kar diye hote to aaj ye din nahi dekhna padta.

Shambhu- Aap apna khoon kahe jala rahe hain maai baap. Aap shant ho jaiye. Ab to Rahu bhai aa hi rahe hain to unke aane ke baad wo sab sambhal hi lenge.

Bachha Singh- (Gusse se) Haan jab Sab wahi sambhalega to tum log kaa achaar dalne ke liye baithe ho yaha. Bhago salon. Nikalo yaha se aur jab tak main na bullaun apni shakal bhi mat dikhana mujhe nahi to tum logo ki gand me goli marunga main. Bhago yaha bujdilo.


Bachha Singh ki dutkar se Kaluwa, Shambhu aur Raka Waha se chale gaye.



******

Agli Subah Sab log sokar uthe. Kaal ki thakan ke baad sabhi ko achhi nind aayi thi. Savita ke yaha kafi chahal pahal thi. Sabhi apne apne kam me vyast the. Sarita Subah jaldi uthkar PS ke liye nikal gayi thi. Raani ji ne use jaldi ghar aane ke liye bola tha. Rani ji apna saman pack kar rahi thi ki tabhi Savi unka nashta lekar kamre me aati hai.


Savi- Good Morning Aunty ji. Aap apni packing Kyon kar rahi hain. AAp log aaj hi ghar ke liye nikal rahe hain kyaa.

Rani ji- Haan bitiya. Waha bhi ghar me tala laga huwa hai.

Savi- To bas aaj bhar ke liye aap log aur ruk jaiye. Kal aap log chale jaiyega. Sarita ko bhi aap logo ke sath rahne ka mauka mil jayega.

Raani ji- Nahi bitiya. Ab hame jane do. Bahut kaam pada hai waha bhi.

Savi- Please Aunty. Ruk jaiye na. Bas aaj bhar ke liye ruk jaiye. Aapne mujhe apne beti kaha hai to apni is beti ki baat maan lijiye Aunty ji.

Raani ji- Thik hai bitiya. Ab tum itna kah rahi ho to ham ruk jate hain, lekin aaj tak hi. Kal ham logo ko jane se nahi rokogi.

Savi- thank You Aunty ji. To Chaliye aaj Aap sab log mere sath aaj shoping karne. Isi bahane thoda ghoomna firna bhi ho jayega.

Raani ji- Thik hai bitiya jaisa tummhe thikk lage.


Raani ji se baat karne ke baad Jab Savita bahar aayi to Nishchal ne use apne kamre me aane ke liye kaha. Savita Nishchal ke kamre me pahuchi aur kaha.


Savi- haan Nishu. Kuchh kaam tha kya.

Nishchal- Mujhe aapse bahut jaroori baat karni hai di. wo main… wo main.. kah raha tha ki aaj Se Agar Sarita hamare sath rahe to aapko koi dikkat to nahi hai.

Savi- (Hairani se) Kyon Kya huwa. Koi baat ho gayi kyaa.


Fir nishchal ne Us din ki sari ghatna Savi ko bata di. jise sun-ne ke baad Savi bhi chintit ho gayi aur usne Nishchal se kaha.


Savi- Achha Isiliye tum us din der raat tak uske sath the.

Nishchal- Haan di. waise Darne ki koi baat nahi hai. PS me waise bhi uska koi kuchh nahi bigad sakta. Waise bhi main to hoon hi uska dhyaan rakhne ke liye. Lekin Use Uske quarter me khatra hai.

Savi- Baat to sach me bahut Gambhir hai, lekin mujhe ye samajh nahi aa raha hai ki Sarita ne mujhse is baat ka jikar tak nahi kiya abhi tak. Uski family bhi nahi rahti sath me uske to kam se kam mujhe to bata sakti thi na.

Nishchal- Aap to janti hi hai di ki wo kitni jiddi hai. Kisi ki nahi sunti. Maine jab use kaha ki ab se use mere ghar par rahna hai to wo mujhse bhi bahas karne lagi, bolne lagi ki wo kisi bhi kimat par hamare sath nahi rahegi.

Savi- Achha. Aane do use aaj. Main bhi dekhti hoon ki wo kaise apne man ka karti hai. Use yaha to rahna hi padega.

Nishchal- Thik hai di. Aap use achhe se samjha dena ki jid na kare. Nahi to main apni jid par aa gaya to use bahut mahanga padega.

Savi- Haan dekhi hoon main tumhe. Uske samne aate hi bhigi billi ban jate ho aur baat aise kar rahe ho jaise bahut teer mare hain Uske rahte.

Nischal- Kyaa di ab aap bhi meri khichai kar rahi hain. Jaaiye main aapse baat nahi karta.

Savi- Are nishu main to majak kar rahi thi. main use achhe se samjha dungi. Tum fikar mat karo.


Savi ki baat sunkar Nishchal bhi taiyar ho kar apne kaam par nikal jata hai. Uske jane ke baad bhi Nishchal ki baate hi Savi ke dimag me ghoom rahi thi. Use Sach me sarita ki chinta hone lagi. Usne aaj hi Sarita se baat karne ka nirnay liya.



********

Idhar Bachha Singh ka Chhota bhaai Raghu Jis kaam ke liye Shahar se bhahar gaya tha. Wo kaam poora karke wapas Samay se pahle hi laut aaya tha. Aur Sidha bachha sinhg se milne ke liye Apne Adde par pahucha. Waha par use koi nahi dikha to Usne Bachha Singh ko phone lagaya to Bachha singh ne uSe Naye address par milne ke liye bulaya.


(Raghu 27-28 Sal ka ek Gabaru Naujawan hai. Sharir se balishth , Majboot kadkathi ka aur Aakarshak Vyaktitva ka Swami hai. Lambai lagbhag 6 fit ki, Gehuwe rang ka kaafi teekhe nain kakhs wala banda hai jo apne ek hanth me hamesha gold ke kade pahanta hai. Chehre par hamesha Gambhir bhav rakhta tha.

Dekhne wale Use Bahut siddha samajhte the, lekin uske Isi gambhir bhav ke pichhe Bepanah Gussa chhupa hota tha. Wo Ek Anath tha aur Bachha Singh ko Sadak kinare mila tha jab uski umar 5 Sal ki thi. Usne Bachha Singh ko Bhaiya bol kar khana manga tha. Raghu ki baato mein aisa jadu tha ki Bachha singh ko Uspar Taras aa gaya aur usne Raghu ko apne sath Rakh liya. Tab Se Bachha Singh hi Uske liye maa Baap Bhaai Bahan Sabkuchh tha.


Raghu Bachha Singh ko bahut manta tha. Wo Uske Alawa kisi ki baat nahi suntan tha, Yahan tak ki Boss Aur Sarkaar ki bhi. Boss Aur Sarkaar Bhi Use kuchh nahi bol Pate the, kyonki Wo bhale un dono ki baat nahi sunta tha, lekin bachha singh jo kaam bolta tha, use bahut hi safai se bina koi surag chhode samay se pahle Anjaam deta tha, isliye Boss Aur Sarkaar bhi Iske murid the. Raghu ka Link bahut hi tagda tha. Wo UP ke lagbhag har jile me apna kaam karta tha. Ab Raghu desh ke bahar bhi apna dhandha badhane ki firak me tha)



Raghu- Pranam bhaiyaa. Kya ho gaya bhaiyaa. Aap yahan par kyon baithe hain. Apna purana Adda badal diya Kyaa. Udhar koi doosra sambhal raha hai kya kaam. Waise ye jagah to pahle wali jagah se bhi jyada mast hai.

Bachha Singh- Are nahi Re Raghu. Aise koi baat nahi hai. Bas Apna dhandha Abhi bahut manda Chal raha hai. Isliye Wo jagah Chhodkar Ham Log Idhar Sift ho gaye hain. Tum baitho mere paas. Ham tumko sab batate hain.


Bachha singh ne Raghu ko kheechkar apne paas baith aliya. Bachha Singh ki baat sunkar Raghu ko kuchh andesha ho gaya ki koi na koi baat hai jo usase chhupai ja rahi hai. Uske Bachha Singh ke paas baith-te huwe Poocha.


Raghu- Bhaiya. Yuun Baat ko gol gol mat ghumao aur Saf Saf batao ki baat kya hai. Aapki bato se lag raha hai ki koi badi baat hogi.

Bachha Singh- Haan Chhote. Baat to bahut badi hai. Ek Nayi Inspectorany Aayi hai……..


Iske baad Bachha Singh ne Raghu ko Sari kahani batane lagta hai jo abhi tak ghati thi. jaise jaise Bachha Singh batata ja raha tha. Waise waise Raghu ke chehre ka rang aur bhav badalta ja raha tha. Poori kahani sun-ne ke baad Raghu Gusse me chillate huwe bola.


Raghu- Ye kya Kiya aapne Bhaiyaa. Itna kuchh ho gaya aur aapne ek baar bhi mujhe batana jaroori nahi samjha.

Bachha Singh- Ham Tumhara hi intezar kar rahe the. Ham soch rahe the ki jab tun yaha aaoge to ham bataenge. Hamne tumko isliye pahle nahi bataya kyonki main nahi chahta tha ki tum jis kaam ke liye gaye huwe ho. wo kaam adhora chhod kar aao. Maine socha ki pahle wo kaam poora kar lo. Uske baad yaha ka bhi dekh lenge.

Raghu- Waha ke kaam ke chhakkar me chahe yaha ka kam chaupat hi ho jaye. Hai na bhaiyaa.

Bachha Singh- Aisi koi baat nahi hai Chhote. Hamne tumko Isliye pahle nahi bataya tha ki hamko laga tha ki ham apni taraf se Us Inspectorani ko dekh lenge, magar wo bahut chalak hai. Hamse na ho paya.

Raghu- (gusse se dant piste huwe) Tum fikar mat karo bhaiya. Ab Raghu aa gaya hai na. To ab Poora hisab kitab hoga us laundiya aur Raghu ke bich.

Bachha- Ham to ab sab tumhare upar chhod diye hain. Ab jo bhi kaam karna hai tumhe hi karna hai. Ab wo tum soch lo ki kaise karna hai. Jaise bhi karna hai tum khud sambhalo ise. Ham to ye kah rahe hain ki Ab Jaunpur bhi tumhi dekho. Lagta hai ki ab mujhme wo baat nahi rahi gayi hai Chhote.

Raghu- Nahi bhaiya Aap me abhi bhi wahi baat hai. Aap bilkul bhi fikar mat karo. Bina uska kaam tamaam kiye to hamko bhi ab chain nahi milega. Ho sakta hai Kal hi aapko ek bahut Achhi khabar sun-ne ko Mil jaye.

Bachha- Ham to kab se ye Khushi sun-ne ke liye taras rahe the. Mujhe us Khushi ka intezar rahega Chhote. tum chaho to jate huwe apne 8-10 aadmiyon ko bhi sath me le jana. tumhe apna kam karne mein aasani hogi.

Raghu- Uski jaroorat nahi hai bhaiyaa. agar un sab ke gude me itna hi dam rahta na to mujhe apna hanth is kaam me nahi dalna hota, lekin sale sab nikamme hain. ab ye sab dekh lenge aur police wale bhi dekh lenge ki main us inspectorani ka kya haal karta hoon.

in police walo ki nani na yaad dilayi to mera naan bhi Raghu nahi. Sala main kuchh kaam se bahar kya chala gaya police ke bhi pankh nikal aaye hain jo jo sab sher bane fir rahe hain.

Bachha- tum chaho to jate samay ek baar singh Sahab se mil lena. tumhari kuchh madad bhi ho jayegi.

Raghu- Wo bhala kisliye.

Bachha- Are Chhote wo jane mane nete hain. tumhari har tarah se madad kar sakte hain. hamare sath achha khasa mel-jol hai unka.

Raghu- Aapki madad ki kya us neta ne bhaiyaa.

Bachha- Nahi Chhote, Is samay chunav ka seasion hai to wo apne chunav me lage huwe hain. wo apni chhavi kharab nahi karna chahte hain na.

Raghu- To jab us neta ne aapki madad nahi ki to meri madad kya khaak karega. ye neta sale jab apno ke sage nahi hote to hamare kya honge. main kisi ke paas nahi jaunguga bhaiyaa. mujhe apna kam bakhubi karna aata hai aur uska tareeka bhi mujhe pata hai.

tabhi to maine itna khoon, kidnapping, smuggling ki. lekin aaj tak mujhe police pakad nahi paayi. kyonki use pata hi nahi hai ki Raghu dikhta kaise hai. Agar main unke samne jakar bhi baith jaun to bhi mera kuchh nahi kar sakte wo log. Isliye main apne tareeke se hi kaam karunga.Aaap bas achhi khabar ka intezar karo bhaiya. ab main chalta hoon.


Itna kahkar Raghu Apna hanth hawa me lahrata ek hanth se doosre hanth me pahne kade ko pakadkar upar ki taraf karta ghumata huwa waha se chala gaya. uske jane ke baad Bachha singh khushi khushi apne man me sochne laga.


Bachha Singh- Bahut fudak liya tumne Inspectorani. Tumko pyaar ki bhasha samajh me nahi aati na ab dekhna mera bhaai tumhari kya halat karta hai. ab jo bhi hoga uski jimmedar tum khud hogi. sirf tum jimmedar hogi.


Itna kahkar Bachha singh jor jor se hansne laga aur wo bhi waha se uthkar chala gaya.



*******

Idhar Savi sab ko jaldi jaldi market chalne ke liye taiyar hone ke liye bol rahi thi. Manisha ne pahle hi Sarita ko phone karke bata diya tha ki use kitne baje mall pahuchna hai. Kuchh hi der me sab taiyar hokar mall jane ke liye nikal gaye.


Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Nice update...
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
23,121
46,515
259
Jabardastt Updateee

Toh akhir kar Raghu aahi gaya hai. Ab dekhna yeh hai ke woh ab kyaa karta hai Sarita ke khilaf. Nischal bhi back support mein hai Sarita ke.

Abhishek ki entry kab hogi Mahi ji.
धन्यवाद आपका महोदय।
रघु बच्चा सिंह की तरह नहीं है।
उसका सभी प्लान सटीक होता है। ये प्लान भी बिल्कुल सटीक है।
लेकिन रघु की किस्मत जुड़ी है सरिता के साथ जो आगे पता चलेगा आपको।
अभिषेक का आगमन मुझे भी नहीं पता है कि कब होगा।😁😄

साथ बने रहिए।
 
  • Like
Reactions: Jaguaar and parkas

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
23,121
46,515
259
romanchak update .. savita ne mana liya raani ji ko ek din rehne ke liye yaha par kyunki savita khushi chahti hai sarita ke liye .
nischal ne baat kar li savi se ki wo sarita ko uske ghar pe rok le kyunki uski jaan ko kharta hai .

raghu apna kaam karke vapas aa gaya hai aur uska target ab sarita hai ,,
raghu ke baare me pata chala ki wo apne kaam ko bakhubi anjam deta hai aur ab bachha singh khush ho gaya hai raghu ke aane se .

dekhte hai raghu apna kaam kar pata hai yaa nahi .
धन्यवाद आपका महोदय।
रघु की खासियत यही है इसलिए बच्चा सिंह उसे इतना मानता है। लेकिन रघु सरिता को मारता है या उसे बचा लेता है ये तो बाद में पता चलेगा।

साथ बने रहिए।।
 
  • Like
Reactions: parkas

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
23,121
46,515
259
UPDATE- 38


Idhar Savi sab ko jaldi jaldi market chalne ke liye taiyar hone ke liye bol rahi thi. Manisha ne pahle hi Sarita ko phone karke bata diya tha ki use kitne baje mall pahuchna hai. Kuchh hi der me sab taiyar hokar mall jane ke liye nikal gaye. Jab sab log waha pahuche to Sarita waha pahle se hi maujood thi. Unhe dekhte hi Sarita ne kaha.


Sarita- Badi jaldi aa gaye aap log. main yaha aadhe ghante se khadi hui hoon. lekin aap log abhi aa rahe hain. aapko pata hai ki main kitna important kaam chhodkar aayi hoon.

Raani ji- Haan pata hai. jab dekho tab kaam kaam aur bas kaam. noukari milne ke baad to hamari koi fikar hi nahi rah gayi hai tumhe. bas kaam ki hi fikar hai tumhe.

Sarita- Ara maa aisi baat nahi hai. main to bas ye kah rahi thi ki yaha pahuchne ke baad agar mujhe phone karti tab bhi main aa jati. mujhe itni jaldi bulaya isliye main ye bol rahi hoon.

Savi- Achha. ab to aa gaye hain na. chaliye jaldi jaldi shoping kar lijiye. jyada samay nahi lagana hai na.


Savi ki baat sunkar sabhi shoping karne ke liye mall ke andar chale gaye. Manisha aur Savi ne poore mall me ghoom ghoom kar kapde, cosmatics ke saman aur ladies section me jakar kapde khareedne lagi.


Sarita ne sabke liye kuchh na kuchh khareeda. Rani ji aur Aanand ji bas unke sath ghoom rahe the. unhone apne liye kuchh nahi khareeda tha. Poori shoping khatam hone ke baad jab bill dene ki bari aayi tho savi bill ka payment karne lagi to Sarita ne kaha.



Sarita- Di aap rahne dijiye. main payment karti hoon.

Savi- Are nahi tum rahne do. main karti hoon. shoping par to main tum logo ko lekar aayi hoon na.

Manisha- Are didi. bhale hi shoping par aap lekar aayi hain. lekin kal didiya ka janamdin tha aur mere yahan janamdin ka gift jiska janamdin rahta hai wo khareed kar sabko deta hai isliye ye sari shopping didiya ki taraf se hai.

Savi- Ye to bahut ajeeb hai. matlab jiska janamdin hai uski poori khushi tohfa kharidne me hi khatam ho jayegi.


Savi ki baat sunkar sabhi hansne lage. Sarita ne payment kiya aur sabhi mall se bahar aa gaye. sham ho chuki thi, isliye sabhi shidha ghar aa gaye. ghar pahuch kar Manisha ne turant apne kapde nikal kar check karne lagi aur sabko uske bare me batane lagi. baki sabhi hall me baithkar baatcheet karne lage.


subah Manisha, Ranii ji aur Aanand ji ko ghar nikalna tha isliye wo log jaldi se khana khakar sone ke liye chale gaye. Sarita Savita ke sath baith kar baat karne lagi, lekin usne ek baat note ki ki Savita Uski baato ka thik se jawab nahi de rahi thi.


na hi us-se kuchh pooch rahi thi. jab sarita usase kuchh kahti ho haan huun kahkar tarka deti thi. thodi der baad SAvi bhi apne kamre me chali gayi. wo apna bister thik kar rahi thi tabhi Sarita bhi Savi ke kamre me aa gayi. Sarita ne Savi se kaha.



Sarita- Kya huwa hai aapko di.

Savi- Kuchh to nahi. mujhe kya hoga.

Sarita- Nahi di kuchh to baat hai. tabhi aap mujhse aise baat kar rahi hain. mujhse koi galati ho gayi hai kya.

Savi- Nahi Sarita bas aaj kuchh thik nahi lag raha hai. baki aur koi baat nahi hai.


ye sunkar Sarita ne Savi ko pakadkar bed par baithaya aur uske pairo ke paas jameen par baith gayi. usne Savi ka hanth apne hanth me le liya aur use sahlate huwe SAvi ki aankho me dekhte huwe poocha.


Sarita- Dekhiye di. main janti hoon ki koi bahut badi baat hai jiske karan aap mujhse is tarah se baat kar rahi hain. aapko pata hai ki main aapse kitna pyaar karti hoon. yaha par ek aap hi hain jise main apna kah sakti hoon.

Savi- yahi to dikkat hai Sarita. ki tum mujhe apna samajhti hi kaha ho. kahne ko to tum bol rahi ho ki main tumhari apni hoon, lekin kya sach me aisa hai.

Sarita- Aakhir baat kya hai di. aap aisi baat kyon kar rahi hain. jab tak aap mujhe bataengi nahi ki baat kya hai tab tak mujhe pata kaise chalega ki aap kis baat ko lekar aisa bartav kar rahi hain mere seth.

Savi- Tum mujhe koi baat batati ho jo main tumhe bataun. maine tumhe kitni baar kaha hai ki koi bhi baat ho kaisi bhi baat ho mujhse chhipane ki jaroorat nahi hai tumko. main tumhari har baat par tumhare sath khadi rahungi, lekin tum batati hi nahi ho ki kya ho gaya hai kya nahi .

Sarita- Oohhhh Achhaa diii. aap abhi takk birthday wali baat ko lekar mujhse naraj hain Sorryy di. wo to bas mere dhyan se utar gaya tha.

Savi- Tumhare birthday wali baat par mujhe itna gussa nahi aaya tha, lekin jab tumhari jindagi……….. Kya tum mujhe is kabil bhi nahi samajhti ki mujhse ye baat share kar sako. agar tumhe kuchh ho jata ho.


Itna kahte kahte Savi ki aankhe chhalak aayi. dono me pata nahi kaise ye pyaar tha. koi rishta na hota huwe bhi ek aisi anjani dor ne Savita ko Sarita se bandh rakha tha ki Savita ke liye Sarita apni ho gayi thi. Savita ki aankho me aanshu dekh SArita ne uske aanshu pochhte huwe kaha.


Sarita- Bas main isiliye aapko nahi batana chahti thi. aap bahut jaldi pareshan ho jati ho. ab aap chup ho jaiye. mujhe kuchh nahi huwa. main bilkul thik hoon. Sir ne sahi samay par aakar mujhe bacha liya. ab main bilkul satark rahungi.

Savi- Ab tum waha par nahi rahogi.

Sarita- (chaukte huwe) WAha par nahi rahungi matlab. fir main kaha jaungi rahne ke liye.

Savi- Ab se tum mere sath rahogi isi ghar me.

Sarita- Are diii. uski koii jaroorat nahi hai. aap kyon pareshan ho rahi hain itna. maine 2 sipahi tainat karwa liye hain apne room ke bahar. ab darne ki koi jaroorat nahi hai.

Savi- Mujhe ab iske bare me koi baat nahi karni. main eek baar kah diya to kah diya. agar tumne meri baat nahi mani to aaj ke baad na hi tum mujhe di kahkar bulaogi aur na hi kabhi mujhse milne ki koshish karogi.

Sarita- (aankhe badi karke) Kya. ab ye kaisi jid hai aapki di.

Savi- Ye koi zid nahi hai Sarita. ye mera pyaar hai. Agar tumhe ise jid samajhna ho to samajhti raho. jab tum pyaar se nahi manogi to mujhe zid to karni padegi na. Ab is bare me koi baat nahi hogi. kal tum apna boriya bister bandhkar yaha par aa rahi ho ye final ho gaya. ab tum so jao. kal subah uncle Aunty aur Manisha ko Allahabad ke liye bhi nikalna hai.

Sarita Thik hai di. Jo aap chahengi wahi hoga.


Sarita ki baat sunkar Savita muskurane lagi. fir kuchh der Savita se baat karne ke baad Sarita apni maa ke paas sone ke liye chali gayi. Sarita ko aaj bhi bahut chain ki neend aayi.


Agle din subah Sarita ki family ko wapas lautna tha to wo sab subah jaldi jaldi taiyaari karke nashta wagairah karke Saman lekar Satation ke liye chale gaye. Sabhi ke chehre latke huwe the. Manisha bahut jyada udas thi. use dekhkar Savi ne kaha.



Savi- Manisha tum to ruk jao kuchh din.

Manisha- Rukne ke liye to main bhi soch rahi thi didi. Magar yahan par koi aisa hai jise meri Khushi bardast nahi hoti. Isliye main nahi ruk sakti.

Sarita- (gusse se) Bilkul bhi jaroorat nahi hai yahan rukne ki. Pahle padhai par dhyan lagao uske baad hi kuchh sochna.

Manisha- Dekha didi. Maine pahle hi kaha tha ki koi ek hai jise meri Khushi bardast hi nahi hoti. Meri khushiyo ke bich ka sabse bada roda yahi hai. Meri didiya.

Savi- Waise Sarita ne kuchh galat bhi nahi kaha. Padhai sabse jyada jaroori hai. ( Rani ji se Mukhatib hokar) Aunty ji aap logo se milkar bahut achha laga. Pata hi nahi chala ki do din kaise nikal gaye. Fir kabhi samay milega to jaroor aaiyega.


Ye sunkar Raani ji ne uske Sir par pyaar se hanth pherte huwe kaha.


Rani ji- Jab Sarita beti ghar se chali thi is Naukri ke liye to mujhe bas ek hi dar khaye ja raha tha ki yaha par ye kaise rahegi. Mujhe dar lagta tha. Meri beti pahli baar Allahabad Shahar se bahar Akeli hai, lekin jab usne phone par tumhare bare me bataya tha to main nishchint ho gayi thi aur tabhi se tumse milna chahti thi.

Tumse milne ke baad mujhe pata chala ki tumhare bare me Sarita ne hame jitna bataya hai, tum usase lakh guna Achhi ho. tumne meri beti ka itna achhe se dhyan rakha. Uske liye main tumhari bahut Ehsan mand hoon bitiya. Ham logo ko bhi tumse milkar bahut achha laga.


Savi- Are Aunty ji Ye aap kaisi baate kar rahi hain. Jaise Wo Manisha ki bahan hai waise wo meri bhi bahan hai. Aap Uski bilkul bhi chinta mat kijiye Aunty ji. Main uska bahut achhe se dhyan rakhungi.

Aanand ji- Wo bilkul sahi bol rahi hain bitiya. Tum wakai me bahut achhi ho. bhagwan tumhare jaisi beti har maa baap ko de. Achha bitiya. Ab ham chalte hain train bhi aa gayi hai.


Train bhi Platform par aa kar lag chuki thi aur chalne ke liye taiyar thi. Sarita ne apne maa-baap ke pair chukar aashirvad liya. Usne Manisha ko gale laga liya to Manisha Subukane lagi. Sarita ne use chup karaya.


Savi ne Bhi Raani ji aur Aanand ji ke pair chukar unhe pranam kiya aur Manisha ko gale lagakar fir se aane ke liye kaha. Uske baad Sabhi train me baith gaye. Kuchh hi der me train plateform chhodne lagi. Manisha train ke darwaze ke paas aakar khadi ho gayi aur Sarita aur Savi ko bye bolne lagi.


Un dono ko bye bolkar jaise hi wo mudi. Uski najar door khade huwe Raghav par padi. Wo bye ke ishare me hanth hilate huwe hanf raha tha. Aisa lagta tha ki jaise wo daudkar aaya ho. Manisha ke chehre par Raghav ko dekhkar ek muskan aa gayi aur usne bhi hanth ke ishare se Raghav ko bye kaha.


Fir Manisha ne apne dono hanth se apne kan pakadkar maafi ka ishara kiya. Jise dekhkar Raghav ke chehre par muskan aa gayi aur usne Use uski mafi kabool karne ka ishara kar diya. Dhire Dhire Train platform chhod chuki thi. Sabhi Allahabad ke liye rawana ho gaye the.


Raghav, Sarita aur Savi ke chehre par mayushi saaf dekhi ja sakti thi. Sarita Wahi se Direct PS ke liye nikal gayi. Raghav Aur Savii ghar ke liye nikal gaye.



*******

Ek Sunsan jagah par baithkar Raghu apne Vishwashpatra aadmiyo ke sath Sarita ko Raste se hatane ke liye vichar vimarsh kar raha tha. Raghu ne apne aadmiyo se kaha.


Raghu- Maine jaisa tum logo ko bataya hai thik waisa hi hona chahiye.

Aadmi- Jii bhaai aap fikar mat kijiye sab kuchh plaan ke mutabik hoga.

Raghu- Pata to hai na ki kya karna hai.

Aadmi- Haan bhai pata hai ki hame kya karna hai. Aap bilkul bhi fikar mat kariye.

Raghu- Agar koi bhi galti ki tum sab ne to tum log samajh sakte ho ki main tum logo ka kya haal karunga.

Aadmi- Koi galti nahi hogi bhaai.

Raghu- Thik hai fir niklo yaha se aur apne plaan ko anjam do.

Aadmi- Thik hai bhaai.


Itna kahkar wo Aadmi apne gantavya ki taraf chala gaya aur Raghu apne do tin aadmiyo ke sath nikal gaya.



******

Sarita PS me baithkar apna kaam kar rahi thi ki tabhi Janhavi Uske kabin me aati hai aur bolti hai


Janhavi- Madam, Abhi Ek phone aaya tha. Kisi ladki ki aawaz thi. wo kafi ghabraai hui lag rahi thi. Use hamari madad ki jaroorat hai.

Sarita-(chaunkate huwe) Kya. Mujhe turant uska Address do aur mohit, Amit aur Kaushal ko jaldi bhejo mere paas. Hame abhi nikalna hai usko bachane ke liye.

Jahhavi- Ji madam, Abhi bhejti hoon.

Kuchh hi der me Amit aur Mohit Sarita ke samne khade the. Sarita dono ko Sath lekar Ladki dwara diye huwe pate par jane ke liye nikalne ko hoti hai to Mohit ne Sarita se kaha.


Mohit- Madam . Ham waha par nahin Jayenge.

Sarita- Kyon Nahin jayenge wahan Par.

Mohit- Kyonki DSP sir ne aapko kahin bahar jane ke liye mana kiya hai.

Sarita - (thoda Gusse mein) Wahan par ek ladki ki jaan khatre mein padi hai aur Aapko DSP sir ke order ki padi hui hai. Aap Apni naukri karte hain ya unki Chamchagiri.

Mohit- Aapko Jo samajhna ho Samajh lijiye, lekin DSP sir ka yahi Order hai aur waise bhi jis jagah ka pata bataya hai us ladki ne wo jagah thik nahi hai. Ye kisi ka trap bhi to ho sakta jai Madam.

Sarita - (gusse me) Aap kitne bujdil hai Mohit ji. Apna farz nibhane se katra rahe hain aap. agar ye sach mein trap n hokar Hakikat hua to. Nahi main ye roka nahi ke sakti. Hame is ladki ko bachana hai. Ye mera PS hai aur mujhe kya karna hai ye achhi tarah se pata hai. Ab apni bakwas band karo aur chalo mere sath.


Zariye ki dant sunkar Mohit kuchh kah na saka aur sarita ke sath PS se bahar nikal gaya. Jo pata ladki ne Janhavi ko diya tha wo Shahar se thoda hatkar tha aur lagbhag sunsan tha. Wahan Gadiyon ki Aawajahi na ke barabar thi aur Road ke dono taraf badi badi jheel jhankhad the.


Sarita jab waha par pahuchi to waha door door tak koi nahi dikh raha tha. Mohit ne MSG dwara PS se aate samay hi Nishchal ko sab kuchh bata diya tha.


Nishchal ne MSG par hi Sarita ko Waha na jane ke liye mana karne ke liye Mohit ko bol diya tha. Nishchal ko shayad kuchh shak sa hone laga tha. Waha pahuchne ke baad Sarita se Mohit ne kaha.



Mohit- Madam, Mujhe to lagta hai ki shayad hamare sath kisi na majak kiya tha. Yaha door door tak koi najar nahi aa raha hai. Chaliye Wapas chalte hain yaha se.

Sarita- (gusse se) Mohit ji. Ye kaisi baate kar rahe hain aap. Kisi ladki ki jaan par ban aayi hai aur aap ko ye Mazak lag raha hai. Chalo thoda aage chalkar dekhte hain.

Mohit- Madam, Ladki ko phone kiye 30 minute ho chuke hain agar uske sath koi anhoni honi hoti wo wo ho chuki hogi. Waise bhi yaha par koi dikh to nahi raha hai.

Sarita- Sut-up Mohit ji. Apni bakwas band kariye aap aur duty par dhyan lagaiye apna.


Itna kahkar Sarita ne kuchh aage jakar charo or dekhne lagi. Sarita ka phone lagatar baj raha tha lekin Sarita ne us par koi dhyan nahi diya. Udhar Raghu Jhadiyo ke pichhe apne do sathiyo ke sath chhupa huwa tha. Usne apne sathiyo se kaha.


Raghu- dhyan rakhna tum dono. Nishana chukna nahi chahiye kisi ka nahi to bahut bura hall karunga main tum dono ka.

Dono- Ji bhaai.


Sarita Idhar Udhar ghoom rahi thi. tabhi Use 4-5 Log dikhayi diye jo shayad juwa khel rahe the. Sarita ne Mohit ko waha ja kar Unhe pakadne ka ishara kiya to mohit ne kaha.


Mohit- Madam, Aap yaha se chaliye. DSP Sir ne Turant yaha se nikalne ke liye order diya hai aur wo kab se aapko phone kar rahe hain. Aap phone to utha lijiye unka.


Sarita Mohit dwara Nischal ka jikar karne par chidh gayi. usne Mohit se gusse me kaha.


Sarita- Mohit ji. Ye mat bhuliye ki aapki boss abhi main hoon. To aapko is samay meri baat man-ni hogi na ki kisi aur ki. Agar aap un logo ke paas jane me dar rahe hain to aap wapas PS ja sakte hain. Mujhe meri team me darpok log nahi chahiye. Aap PS jaiye main aur Amit yaha par sab sambhal lenge.


Itna kahkar Sarita Amit ke sath un Juwariyo ke paas pahuch gayi aur Dono ne Apni gun nikal kar un par taan di. Mohit bhi ab majboor ho gaya. Wo aise Sarita ko chhodkar ja nahi Sakta tha. Isliye majbooran Use Sarita ke paas jana pada.


Mohit ne bhi apni gun nikali aur Us Juwariyo ke upar taan di. Wo Sare Aadmi Raghu ke Aadmi the jise Raghu ne Samjha kar bheja tha aur bas Juwa khelne ka natak karna tha Unhe tab tak koi Action nahi lena tha jab tak Raghu ki taraf se tin goli na chal jaye.



Sarita ko dekhkar wo Sabhi bhagne ka natak karne lage to Sarita ne ek ke pairo ke paas goli maar di to Sabhi apni jagah par ruk gaye. Sarita ne Amit se kaha.


Sarita- Bharo sabko gadiyo me. Aisa case lagaungi ki aaj ke baad ye yahan aana chhod denge.


Itna kahkar Sarita ne Ek kaskar Mukka Ek Aadmi ke pet me maar diya. Wo aadmi dard se bilbilane laga. Amit aur Mohit ghasit kar Un logo ko gypsy me bharne lage.


Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
23,121
46,515
259
कहानी का अड़तीसवाँ भाग लिख दिए हैं दोस्तो और पाठकों।।

पढ़िए, आनंद लीजिए और अपने महत्त्वपूर्ण विचार भी व्यक्त कीजिए।।
 
Top