• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

RAAZ

Well-Known Member
2,116
5,929
158
Update 98
Sonal ko aaye abhi thodi der hi hui thi ke ek announcement hota hai ke accounts ki class phir se start hogyi hai saare students apne apne class mein jaaye.

Yeh announcement sunte hi Neha ki khushi ka koi thikana hi nhi thaa.

Neha: Lagta hai Raj sir wapas aagaye hai. Chalo sab class ka time hogya hai.

Sonal jiska mood kharab tha aur kharab hojaata hai par woh kuch bolti nhi chup hi rehti hai.

Phir sab ek ek karke class ki taraf jaane lagte hai.

Ishita: Kyaa baat hai didi aap itni gusse mein kyo lag rahi ho.

Sonal: Tumhare bhaiya kuch din aur gujrat mein rehne wale hai. Aur unki class koi aur legaa jab tak woh nhi aajate.

Payal: Ooo. Isiliye aap gussa hai.

Sonal: Main kyo gussa houngi. Mujhe kyaa woh kuch din rahe yaa saari zindagi.

Payal: Shant shant. Hum samaj gaye aap gussa nhi hai.

Phir sab apni apni class mein jaake baith jaate hai. Sonal apna sir nichhe karke baithi hui thi.

Thodi der mein class mein professor ki entry hoti hai jisse dekhte hi Ishita bolti hai.

Ishita: Didi jara upar toh dekhiye kaun aaya hai.

Sonal: Koi bhi aaya ho mujhe kyaaa.

Ishita kuch bolti tabhi class mein aaye professor bolte hai.

Professor: Good Morninggg Studentssss.

Professor ki awaaz sunke Sonal jhatt se apna chehra upar karti hai toh uski aankhe badi hojaati hai. Chehre mein shock ke saath bahot jyaada khushi nazar aarahi thi.

Sonal: Shock aur Khushi se. Yehh yaha kabbb kaiseee kyuuu.

Ishita: Bhaiyaa ne jarur aapke saath mazaak kiya tha. Shayad woh aapko surprise dena chahte the.

Sonal: Mann mein. Yeh surprise toh mere liye jhatke se kamm nhii. Oo shayad isiliye yeh mera call receive nhi kar rahe the.

Raj: So students inn teen dino mein aap logo ne padhai toh achhe se ki hogi righttt. Toh chalo ek chota sa test hojaaye. Itne din jo maine padhaya uske upar.

Saare students Raj ko aise dekhne lage jaise Raj ne unki dono kidney maang li ho.

Raj: So chalo sab ready hojaao.

Saare students mann maarke test ke liye ready hojaate hai. Raj sabhi ko kuch questions deke apni jagah pe jaake baith jaata hai.

Kuch der baad woh uth ke students ke paas jaake unki help karne lagta hai. Par jab woh Sonal ke paas jaake khada hota hai toh Sonal Raj ko gusse se ghurr ke dekhti hai par Raj usko dekh sirf muskuraaye jaa raha tha.

Phir woh waha se dusre students ke paas bhi jaata hai. Aise hi Raj ke class ki time khatam hone wali hoti hai toh Raj bolta hai.

Raj: Okk Students. Now stop writing. Sonallll.

Sonal apna naam sunke thoda hairaan hoti hai par khadi hoke bolti hai.

Sonal: Yes Sir.

Raj: Saare papers collect karo aur mere cabin mein de do.

Sonal: Yes Sir.

Phir Sonal sabke paas jaake papers collect karti hai aur Raj ke pichhe pichhe nikal jaati hai uske cabin ki taraf.

Idher inndono ko aise jaate dekh Neha bhi bahana banake inka pichha karti hai.

Raj aur Sonal cabin ke andar aate hai toh Sonal papers ko table mein patak deti hai aur gusse se Raj ko ghurr ke dekhti hai.

Raj: Muskurate hue. Kyaa baat hai aaj Miss Sherni bahot gusse mein lag rahi hai.

Sonal: Daant peeste hue. Aapka mobile dena.

Raj: Uska kyaa karogi.

Sonal: Dijiye naa. Phir aapko toh pata chal hi jaayegaa.

Raj apna mobile Sonal ko deta hai toh Sonal usko jhatt se le leti hai.

Sonal: Isme incoming call free hai right.

Raj: Haa woh toh sab mein hota hai.

Sonal: Isme mera number save hai right.

Raj: Ekdum first mein pinned hai.

Sonal: Yeh aapke kis kaam mein aata hai.

Raj: Kyaa bol rahi ho baat karne ke kaam mein aata hai.

Sonal: Raj ka phone zameen mein patakte hue. Jab baat karni hi nhi hai toh phone rakh ke kyaa karenge aap.

Raj shock hoke Sonal ki taraf dekhta hai par Sonal abhi bhi gusse se ghuree jaa rahi thi.

Raj: Ayee pagal ladki. Yehh kyaa kiyaa. Mera phone kyo todd diyaa.

Sonal: Kal maine kitni baar call kiya tha aapko.

Raj: 5 baar.

Sonal: Aur aapne kyaa reply kiyaa tha ekbaar bhi.

Raj silent hojaata hai.

Sonal: Jab aapko mere se baat hi nhi karni toh mobile rakhne ka koi faiyda hi nhi hai.

Raj: I am Sorry. Mujhe nhi pata tha tumhe itna bura lagega. Main toh tumhe aaj yeh surprise dunga yeh soch ke call nhi uthaya tha. Agar mujhe pata hota tumhe bura lagega toh aisa kabhi nhi karta. Mujhe maaf kardo.

Sonal: Agli baar se aisa hogaa.

Raj: Kabhi nhiii. Agli baar se jitna bhi jaruri kaam ho tumhara call humesha receive karunga.

Sonal: Thikk hai maaf kiyaa. Par yeh baat dhyaan mein rakhiyegaa.

Raj: Jii Madam. Ab thoda sa smile kardijiyee.

Sonal: Smile karte hue. Achha ab main chalti hu. Chutti ke baad mulakat hogi.

Raj: Aree ruko. Tumhare liye kuch laaya tha main. Yeh bol Raj jhatt se apna bag kholke usme se Sonal ke liye ek sundar sa bracelet nikalta hai.

Sonal: Maine mana kiya thaa naa.

Raj: Tum chupp raho. Yeh main apni Girlfriend ko de raha hu tumhe nhi.

Sonal: Sharm aur hairaani se. Kyaa bola aapne.

Raj: Aree bhull gayi. Bataya tha kal.

Sonal: Hmmm.

Raj: Chalo haath aage karo.

Sonal apna haath aage karti hai toh Raj uske haath mein woh bracelet pehna deta hai.

Raj: Pasand aaya.

Sonal: Bahot khubsoorat hai. Thank You and Sorry woh gusse mein aapka mobile.

Raj: Choro ussko. Tumhare saamne yeh mobile kuch bhi nhi.

Sonal sharmaa jaati hai.

Raj: Waise aur bhi ek chiz hai par woh yaha nhi de sakta.

Sonal: Payal aur Ishita ke liye kuch nhi laaye.

Raj: Unke liye bhi hai. Recess mein mere paas bhej dena unko.

Sonal: Thikk hai Byee. Chutti ke baad milte hai. And Thanks for gift. Yeh bol Sonal waha se nikal jaati hai.

Raj: Betaa Raj lagta hai issbaar yeh pyaar tere upar bhaari padhne wala hai. Pehli waali Sonal aur iss waali Sonal mein kitna antar hai. Pehle wali toh chuimui si rehti thi. Par yeh wali toh ekdum sherni ki tarah hai. Par jaisi bhi hai yeh wali hi perfect hai.

Idher Neha jo inndono ka pichha karte hue Cabin ke paas aati hai par isse cabin ka darwaaza band milta hai aur awaaze mein nhi aarahi hoti hai.

Neha: Aree yaar yeh toh darwaaza hi band hai. Aur koi awaaze bhi nhi aarahi hai. Ab kyaa karu. Aur iss Sonal ko andat gaye hue bhi bahot time hogya. Itni der se yeh andar kyaa baate kar rahi hai. Mujhe toh 2 minute rukhne nhi dete aur Sonal ko itnu derr. Agar main student hu toh yeh bhi toh student hi hai. Filhal yaha se nikalti hu agar kisi ne dekh liya toh problem hojayegi.

Phir Neha waha se class ki taraf nikal jaati hai.

Idher Sonal Rajnke cabin se nikal kar class ki taraf jaate hue baar baar apni kalayi mein bandhi Bracelet ko dekh rahi thi aur beech beech meik usse chumm bhi rahi thi aur saath mein sharmaye jaa rahi thi.

Phir Sonal class mein aake baith jaati hai. Par uska dhyaan class se jyaada apni kalayi mein bandhi bracelet ke upar hi tha. Jo durr baithi Neha notice kiye jaa rahi thi.

Bagal mein baithi Ishita ki nazar jab Sonal ke bracelet ke upar jaati hai toh woh puchne lagti hai.

Ishita: Dheere se. Didi yeh bracelet kaha hai mila. Thodi der pehle toh nhi thaa aapki kalayi mein. Par bahot khubsoorat hai.

Sonal: Sharmate hue. Thodi der pehle kaha se dikhta. Abhi toh mila hai mujhe.

Ishita: Achha. Kaha se mila. Mujhe dikhaiye. Bracelet ko dekhte hue. Bahot khubsoorat hai agar aap kahi toh main rakh lu. Aur kisne diya.

Sonal: Apni kalayi kheench hue. Nhii yeh main nhi dungii. Yeh mujhe abhi abhi Raj ne gift kiya hai. Tumhe chahiye toh unse bolo. Main yeh wala kisi ko nhi dungi.

Ishita: Bhaiyaa ne diya. Achha isiliye woh aapko apnw saath le gaye the. Par yeh unhone galat kiya. Sirf aapke liye gift laaye. Humare liye kuch nhi laaye.

Sonal: Recess mein unke paas chali jaana aur apna gift le lena. Payal ko bhi le jaana.

Ishita: Bhaiya is greattt. Unke jaise koi nhiii.

Sonal: Dheere se. Ekdumm unke jaisaa koi nhi.


Phir dono class mein dhyaan dene lagte hai.
Ye Kia Raj ko doosri wali Sonal Pasand aa gayi ab pehli wali ka Kiya hoga lol...
 

dhparikh

Well-Known Member
6,545
7,915
173
Update 112
College over hone ke baad Raj aur Sonal dono college se sidha Mr. Jaiswal ke office jaate hai. Jiska address usne Yash se le liya tha.

Jaiswal ke office jaake Raj aur Sonal reception pe jaate hai.

Receptionist: How may I help you?

Raj: Humhe Mr. Jaiswal se milna hai.

Receptionist: Okkk. Kyaa aapke paas appointment hai.

Raj: Nhi.

Receptionist: Sorry Sir. But bina appointment aap unse nhi mil sakte.

Raj: Aap unhe kahiye Raj Kapoor milne aaya hai. Agar tab bhi woh mana karte hai toh hum chale jaayenge.

Receptionist Raj ki baat maanke call karke baat karti hai toh Raj ko upar jaane ki permission mil jaati hai.

Raj aur Sonal Mr. Jaiswal ke cabin mein jaate hai jaha Mr. Jaiswal akele baithe hue the.

Mr. Jaiswal: Aao Raj. Bolo kyaa baat karni hai jo tumhe yaha aana padha.

Raj: Uncle main aapse maafi maangne aaya hu.

Mr. Jaiswal: Thodi hairaani se. Maafi. Woh kisliye.

Raj: Uncle kal jo bhi hua woh thikk nhi tha. Aur maine jis tarah se aapse baat ki woh sarasar galat tha. Mujhe apni maryaada mein rehna chahiye tha. Gusse mein main yeh bhul gaya ke aap mujhse age mein bahot bade hai. Aapki aur Aunty ki kal maine uss tarah baat karke aaplogo ki insult kardi. Jo mujhe nhi karna chahiye tha.

Main apne gusse mein apne mummy papa samaan aaplogo ki insult kardi aur mujhe koi adhikar nhi hai apne se bade kisi ka bhi insult karne ka aise karke ek tarah se maine mere parents ki insult kardi mujhe nhi karna chahiye tha. Main samaj sakta hu aap ek ladki ke pita hai uske future ko leke tension hogi aur uske future mein usse har khushi mile yeh soch ke aap kal aaye the.

Main aaplogo ko pyaar ke saath bhi mana karsakta tha par pata nhi kaise mere gusse ne mere sahi galat sochne ki shakti ko chinnn liya tha. I Am sorry. Mujhe maaf kardijiye.

Mr. Jaiswal jo itni der se Raj ki baat sunn rahe the woh uske chup karne ke baad bolte hai.

Mr. Jaiswal: Tumhe pata hai Raj. Kal jab main tumhare ghar se nikla toh tumhe leke mere mann mein ek negative thoughts bann gaye the. Aur main sochne laga tha ke kaise sanskaar mile hai tumhe achha hua tumne rishte se mana kardiya.

Par aaj tumne meri uss soch ko galat saabit kardiya. Tum chahte toh apni iss galti ki maafi nhi bhi maang sakte the. Par tumne maafi maang ke yeh saabit kardiya tumhe achhe sanskaar mile hai. Tum sach mein ek achhe ladke ho. Jo bhi ladki tumse shaadi karegi woh humesha khush rahegi. Par shayad woh ladki meri beti nhi hai.

Aur tum bhi mujhe maaf kardena. Mujhe bhi woh business deal ki baat nhi uthani chahiye thi. Aur tumne deal cancel karke sahi kiya. Par main tumse ek baat kehna chahunga.

Raj: Boliye naa Uncle.

Mr. Jaiswal: Beta agar Neha tumhe kuch bolde toh please tum uski baat ka bura matt manna. Kyoki woh jaisi dikhti hai waisi hai nhi.

Raj: Main samjha nhi uncle.

Mr. Jaiswal: Aah kuch nhi. Jaane do. Main Neha ko samjhaunga ke woh tumhe bhull jaaye. Aur kal jo bhi hua woh main bhul chuka hu tum bhi bhul jaana.

Raj: Jii Uncle. Ab main chalta hu.

Phir Raj Sonal ko leke waha se nikal jaata hai.

Idher Mr. Jaiswal apni soch mein ghumm hojaate hai.

Mr. Jaiswal: Mujhe Neha ko samjhana hoga ke yeh ladka iske naseeb mein nhi hai. Warna pata nhi woh kyaa kar baithegi.

Idher Raj Sonal ko leke sidha ghar Neha ke ghar ki taraf jaata hai.

Sonal: Hum kaha jaa rahe hai.

Raj: Maine Mr. Jaiswal se toh maafi maang li. Par Mrs. Jaiswal se maafi maangna baaki hai. Aur aaj Neha ke upar haath uthake bhi galat kiya toh usse bhi maafi maang lunga.

Sonal ko Raj ki yeh chiz bahot pasand aati hai. Usko uspe bahot pyaar aane lagta hai par woh chup chaap baithi rehti hai.

Kuch der mein dono Neha ke ghar aajate hai. Dono jaake bell bajate hai toh Mrs. Jaiswal gate kholti hai toh Raj aur Sonal ko dekh kar hairan hojaati hai.

Mrs. Jaiswal: Tumdono isswaqt yaha.

Raj: Jii. Kyaa hum andar aasakte hai.

Mrs. Jaiswal: Haa aao.

Phir dono andar aake Sofa mein baith jaate hai.

Sonal: Aunty Neha nhi hai kyaa.

Mrs. Jaiswal: Woh apne kamre mein hai. Ruko bulati hu.

Phir Mrs. Jaiswal Neha ko bulati hai. Neha nichhe aake jaise hi Raj ko dekhti hai toh woh khushi se uchhal padhti hai. Par sang Sonal ko dekh uski aankhe gusse se laal hone lagti hai aur usko woh thappad yaad aajata hai.

Neha: Aapdono yaha.

Raj: Neha aaj jo bhi hua woh sahi nhi hua. Par mujhe tumhare upar haath nhi uthana chahiye tha. Bhale hi main tumhara teacher hu. Par mujhe koi haq nhi tumhare upar haath uthane ka. I am Sorry.

Neha yeh sunke bahot khush hoti hai ke Raj usko leke soch raha tha aur woh uske liye concerned tha. Par uski yeh khushi sang sang khatam hojaati hai Sonal ki baat sunn.

Sonal: Haa Neha. Inhone galat kiya. Inhe tumhare upar haath nhi uthana chahiye tha. Inko iss baat ka guilt tha iske liye humdono yaha pe aaye hai.

Neha: Koi baat nhii. Yeh bol chup hojaati hai. Raj aur Sonal dono ko hi Neha ke bolne ka tone achha nhi laga. Par woh dono chup rahe.

Raj: Aunty kyaa hum dono aapse akele mein baat karsakte hai. Pleaseee.

Mrs. Jaiswal kuch der sochti hai phir Neha ko uske kamre mein jaane ke liye bolti hai. Toh Neha dono ko ghurte hue waha se nikal jaati hai.

Raj: Aunty kal jo kuch bhi hua woh thik nhi tha. Aur mujhe aaplogo se uss tarah baat nhi karni chahiye thi. Mera aaplogo se baat karne ka tarika sarasar galat tha. Mujhe koi haq nhi ke main kisi se bhi aise baat karu. Please mujhe meri galti ke liye maaf kardijiye. Mere gusse ne mere sahi galat samajne ki shakti ko chinn liya tha. I am sorry. Pleasee mujhe maaf kardijiye. Aur maine aapki beti ke upar bhi haath uthaya uske liye bhi maaf kardijiye.

Mrs. Jaiswal: Ek nazar Neha ke kamre ki taraf dekhti hai phir bolti hai. Abhi kuch der pehle hi tumhare uncle ka phone aaya aur unhone mujhe sab kuch bataya hai. Unhone tumhe maaf kardiya hai toh maine bhi kardiya hai. Ek baat kahungi. Neha agar kuch bolde toh uski baato ka bura mat manna. Baa jaisi dikhti hai waise nhi hai. Baaki dil ki woh bahot achhi hai.

Raj: Main samjha nhi Aunty.

Mrs. Jaiswal: Choro. Ab woh sab bhull jaao. Jo hona tha hogyaa.

Raj: Jiii. Achha ab hum chalte hai.

Mrs. Jaiswal: Aree aise kaise. Lunch karke jaao.

Raj: Nhi Aunty. Aaj ghar jaane mein late hogya hai. Phir kabhi.

Yeh bol dono waha se nikal jaate hai. Unke nikalte hi Mrs. Jaiswal ekbaar phir se Neha ke kamre ki taraf dekhti hai aur chainn ki saans leti hai.

Idher Raj aur Sonal dono apne ghar jaa rahe the par Sonal apni socho mein hi gumm thi.

Raj: Kyaa baat hai Meri Sonu. Ab kyaa soch rahi ho. Ab toh khush hona maine tumhari ichha puri ki. Waise maafi maang ke mujhe bhi achha lag raha hai. Aisa lag raha hai koi bhaar mere dil se utar gaya. Thank Youuu.

Sonal: Aapko thank you bolne ki koi jarurat nhi hai Raj. Ab choriye iss baat ko.

Raj: Hmm. Waise tum kyaa soch rahi ho.

Sonal: Main soch rahi hu. Yeh Neha ke mummy papa dono ne aisa kyo kaha ke Neha jaisi dikhti hai waisi hai nhi. Phir baad mein dono ne hi topic change kardiya.

Raj: Ab hogaa kuch unka. Choro unki baate.

Sonal: Hmmm. Waise aap chahte toh Mr. Jaiswal se maafi maang ke ghar chal sakte the par aapne Mrs. Jaiswal se bhi maafi maang kar bahot achha kiya. Aur yeh dekh mujhe aapke upar bahot pyaar aaraha hai.

Raj: Achhhaa. Agar itna hi pyaar aaraha hai toh thoda pyaar dikha hi do iss bechare ko.

Sonal: Achha jii. Aapko pyaar dekhna hai.

Raj: Bholi si shakal banake Haa mein gardan hila deta hai.

Sonal apni jagah se halka sa uthke Raj ke kareeb aati hai. Yeh dekh kar Raj ki dhadkane badh jaati hai. Woh apni driving pe focus nhi kar paa raha tha. Isiliye woh ek jagah car rokh deta hai Sonal ki taraf dekhne lagta hai.

Sonal chehre pe ek bahot hi naughty sa expression liye Raj ko dekh rahi thi jisse Raj ka gala sukh jaata hai.

Raj: Haklaate hue. Sonuu. Meri jaan yeh kyaa kar rahi ho.

Sonal: Raj ko uska coller pakad ke apne kareeb laate hue ekdum sensual tarike se. Aapko pyaar dekhna hai naa toh wahi dikha rahi hu.

Sonal ki harqat pe Raj ke paseene chutne lagte hai. Woh darr aur excitement ke chalte apni aankhein band karleta hai aur hone wali harqat ka intezaar karne lagta hai.

Sonal ekdum dheere se Raj ke kaan ke paas aake halke se fukk maarti hai jisse Raj kaano jaata hai phir Sonal ekdum uske kaan ke kareeb aake jorr se chilla ke bolti hai CHUPPP CHAPP GHAR CHALIYEEEE. Yeh bol haste hue woh wapas se apne seat pe thik se baith jaati hai.

Sonal ki iss harqat pe Raj puri tarah bhaukla jaata hai. Uske kaan mein abhi bhi sensation horahi thi aur woh apne kaan sehlaane lagta hai. Usne kyaa socha tha aur uske saath kyaa hogya tha yeh chiz usse samaj mein nhi aata.

Raj: Ayee Pagall. Itni jorr se koi chillata hai kyaa. Puri kaan sunn hogaya hai meraa.

Sonal: Aree aapko toh pyaar dekhna tha naa. Toh pyaar dikha diya. Pasand nhi aaya kyaa mera pyaar.

Raj: Aree yeh kaisa pyaar tha. Maine toh kuch aur socha tha.

Sonal: Jyaada laalach achhi baat nhi. Ab chaliye ghar jaldi se.

Raj: Chorunga nhi. Iss chiz ka badla tumse leke rahunga. Yaad rakhunga tumhara yeh pyaar.

Sonal: Haste huee. Allee le bachhe ko bula lag gaya. Yeh bol aur jorr se hasne lagti hai.

Raj: Yeh toh waqt batayega. Mera bhi time aayega. Just wait and watch. Yeh bol woh gaadi ghar ki taraf badha deta hai.

Thodi der mein dono ghar aajate hai. Sonal Car se utarne lagti hai toh gate nhi khulta. Woh ghurr ke Raj ko dekhti hai toh woh muskura raha hota hai.

Sonal Raj ke kareeb aati hai aur jaise hi woh kiss dene wali hoti hai ke Raj apna chehra ghuma deta hai jisse Sonal ke honth Raj ke gaalon ki jagah uske hontho pe lag jaate hai.

Sonal isske liye taiyaar nhi thi aur isiliye uski aankheij badi hojaati hai aur Raj ki aankhon mein dekhne lagti hai. Par honth abhi bhi Raj ke hontho se chipke hue the.

Phir Sonal jhattt se Raj se alag hoti hai aur apna chehra dusri taraf ghumaleti hai. Usse bahot sharm aarahi hoti hai. Raj bhi apna chehra ghuma leta hai.

Dono hi kuch bolne ki halat mein nhi the. Raj gaadi ka lock khol deta hai toh Sonal jhatt se gaadi se utar ke bhaag jaati hai. Raj bhi uske pichhe pichhe andar aa jata hai.

Sonal bhaag ke sidha apne kamre mein jaati hai aur darwaaze se tekk laga ke khadi hojati hai. Uski saansein aur dil ki dhadkane bahit tezz chal rahi thi. Woh tekk lagake apne aap ko sambhalne ki koshish karti hai.

Kuch der baad woh Sharm se apna chehra apni hatheliyon mein chupa leti hai.

Sonal: Sharm se. Ishhhh. Yeh abhi abhi kyaa hogyaa. Woh toh hai hi besharm par main yeh kaise. Ab main unko face karungi. Mujhe kitni sharm aayegi unse nazre milate hue.


Kuch der tak waise hi rehne ke baad woh jaise taise fresh hoke change karti hai aur nichhe jaake thoda khaa leti hai.
Nice update...
 

Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244
Update 113
Raat ka samay tha. Mr. And Mrs. Jaiswal apne kamre mein baithe hue the.

Mrs. Jaiswal: Raj yaha aaya tha Sonal ke saath. Maafi maangne ke liye.

Mr. Jaiswal: Kyaa woh yaha bhi aaya tha. Ladka sach mein bahot achha hai.

Mrs. Jaiswal: Hmmm.

Mr. Jaiswal: Kyaa soch rahi ho.

Mrs. Jaiswal: Neha ke baare mein. Kyaa hogaa meri bachhi kaa.

Mr. Jaiswal: Chinta mat karo. Sab thikk hogaa.

Mrs. Jaiswal: Mujhe darr lag raha hai.

Mr. Jaiswal: Darne se kuch nhi hoga. Neha abhi thikk hai. Bas thodi depressed hai.

Mrs. Jaiswal: Galti meri hi hai. Mujhe Neha ka dhyaan rakhna chahiye tha. Agar main uska dhyaan rakhti toh shayad sab thikk rehta.

Mr. Jaiswal: Chup hojaao. Tumhari koi galti nhi hai. Aur jo hona tha hogya. Ab inn sabke baare mein mat socho aur so jaao.

Kuch der baad dono so jaate hai.

Idher Neha apne kamre mein baithi hui kuch soch rahi thi. Uske chehre mein gussa jalan saaf samaj aaraha tha. Aur sochte sochte woh kuch decide karti hai aur bolti hai.

Neha: Bahot jald sabko ek bahot bada wala surprise milega. Aisa surprise milega jiske baare mein kisi ne socha tak nhi hoga. Bas wait for some time. Yeh bol uske chehre mein ek muskaan aajati hai.

Agle din Raj apne kamre mein ready hochuka tha. Woh apne wardrobe mein kuch dhund raha tha ke tabhi ek drawer mein usse ek box ke andar Sonal ka mangalsutra Sindoor engagement ring aur woh locket dikhai deta hai jo Raj ne Sonal ko shaadi ke baad pehla gift diya tha.

Raj woh box bahar nikalta hai aur ek ek chiz ko achhe se dekhne lagta hai. Aur jab Sonal woh sab pehenke uske saamne aati thi uss waqt ko sochne lagta hai.

Kuch der unsab chizo ko dekhne ke baad Raj engagement ring uss box se nikalke apne pocket mein rakh leta hai aur phir uss box ko phirse uss drawer mein rakh ke apni chiz dhundke bahar chala jaata hai.

Kuch der baad dono nashta karke college ke liye nikal jaate hai. Raaste mein dono chup chaap baithe hue the. Tabhi Raj bolta hai.

Raj: Kyaa baat hai aaj meri sherni itni chup chaap kyo hai.

Sonal: Bas aise hi.

Raj: Sab thikk hai naa.

Sonal: Haa.

Raj ko thoda ajeeb lagta hai isiliye woh ek jagah gaadi rokh deta hai aur Sonal se puchta hai.

Raj: Kyaa haat Sonu. Kyaa hua hai. Sach sach batao.

Sonal: Kuch nhi hua hai Raj. Sab thikk hai.

Raj: Mujhe bhi bataogi. Tumhare chehre se saaf pata chal raha hai tum thodi pareshan ho. Chalo batao.

Sonal: Woh actually maine kal raat ek sapna dekha tha bas usi ko leke thoda pareshan hu.

Raj: Aisa kyaa sapna dekha tumne.

Sonal: Woh actually maine dekha gharwalo ko jab humare baare mein pata chala toh woh bahot naraz hogye. Mummy Papa bhi bahot naraz hogye the aur woh humhe alag karke mujhe wapas se humesha ke liye Jaipur le gaye. Bas yehi baat hai.

Sonal ki baat sunn Raj hasne lagta hai jisse dekh Sonal ko bahot hairaani hoti hai.

Raj: Haste hue. Tum itni si baat ke liye pareshan ho. Aree woh bas ek sapna tha. Just relax.

Sonal: Yaha main subah se pareshan hu aur aapko hasi aarahi hai. Sochiye agar yeh sapna sach hogya toh kyaa hogaa.

Raj: Aree aise kaise sach hojayega. Tum sirf meri ho aur koi tumhe mujhse durr nhi karpayega. Aur tum dekhna jab ghar mein sabko humare baare mein pata chalega tab sab bahot khush honge.

Sonal: Phir bhi mujhe thoda darr lag raha hai.

Raj: Achha chalo toh abhi jaake ghar mein sabko bata dete hai phir jo hoga dekha jaayega.

Sonal: Nhiiii. Abhiii nhiii.

Raj: Toh phir darna band karo. Aur muskurao. Main hoon naa.

Sonal Raj ki baat sunn thoda muskura deti hai par phir uska chehra pehle jaisa hojaata hai.

Raj: Achha thikk hai. Tum ekbaar ke liye apni aankhein band karo. Aur jab main bolu tabhi aankhein kholna.

Sonal: Kisliye.

Raj: Jaisa bola waisa karo. Tumhare darr ko humesha ke liye khatam karna hai mujhe.

Sonal Raj ki aankhon mein dekhte hue apni aankhein band kardeti hai. Phir Raj apne pocket se woh engagement ring nikalta hai aur Sonal ko bolta hai.

Raj: Ab apni aankhein kholo.

Sonal apni aakhein kholti hai toh Raj uske saamne woh ring liye baitha hua tha jisko dekh woh thoda hairaan hojaati hai.

Raj: Tumhare darr ko khatam karne ka mere paas yehi ek raasta hai. So Ms. Sonal Singh. Will you Marry me. Kyaa tum Sonal Singh se Sonal Raj Kapoor banna pasand karogi. Kyaa tum mere saath mein permanently rehna chahogi.

Raj ki baat sunn Sonal ki aankhon se aansu behene lagte hai. Usne kabhi nhi socha tha ke Raj aisa karega. Woh bahot khush thi. Itni khush thi ke woh jhatt se Raj ke gale lag jaati hai aur rone lagti hai.

Sonal: Rote hue. I Love You Raj. I Love you so muchhh. Maine kabhi nhi socha tha ke aap itni jaldi yeh karenge.

Raj: Aree rotee nhiii. Tumhe pata hai naa mujhe tumhari aankhon mein aansu pasand nhi hai. Chupp hojaao. Agar shaadi nhi karni hai toh koi baat nhi hai toh koi baat nhi.

Sonal rote hue hi Raj ke kandhe mein maarne lagti hai.

Raj: Achha achha thikk hai samaj gaya. Ab chupp hojaao.

Kuch der baad Sonal chupp hojaati hai aur Raj se alag hojaati hai.

Raj: Ab kyaa yeh ring aise hi pakde rahu yaa isko iski sahi jagah milegi.

Sonal apna haath aage kardeti hai toh Raj usko angoothi pehna deta hai.

Raj: Aaj se pehle tum Sonal Singh thi. Par aaj se tum sirf aur sirf Sonal Kapoor ho. Aur mujhe meri Sonal Kapoor ki aankhon mein aansu nhi dikhne chahiye. Samaj gayi tum.

Sonal angoothi ko dekhte hue hi haa mein gardan hila deti hai.

Raj: Ab toh saara darr khatam hogyaa na. Ab koi chahe bhi toh tumhe mujhse alag nhi karsakta. Ab khushhh.

Sonal jhatt se Raj ke gaalon ko chum leti hai aur bolti hai. Bahottt khushhh.

Phir Raj muskurate hue gaadi start kardeta hai aur college ki taraf badha deta hai.

Sonal: Yeh angoothi kiski hai.

Raj: Yeh tumhari hi angoothi hai. Tumhare liye hi li gayi thi.

Sonal: Mere liyeee kab.

Raj: Aah jisdin maine tumhe propose kiya usidin li thi. Aur usidin tumhe deta par main ghar mein hi bhul gaya tha. Aaj tumhe dene ke liye hi isse apne sang leke nikla tha. Par mujhe kyaa pata tha sang sang dena padh jaayega.

Sonal: Meri chiz hai mujhse jyaada durr nhi rakh sakte. Waise angoothi bahot achhi hai.

Raj: Tumse achhi toh nhii hai.

Sonal thoda sharma jaati hai.

Phir dono kuch der mein college ke paas aajate hai aur Sonal gaadi se utar ke college chali jaati hai. Raj bhi uske piche piche nikal jaata hai.

College pahonch ke Sonal sidha Canteen jaati hai jaha sab baithe baate kar rahe the.

Neha jaise hi Sonal ko dekhti hai toh usko gussa aane lagta hai par woh sabke saath thi isiliye chup chaap baithi rehti hai.

Sonal: Good Morning Guyss.

Sab: Good Morning.

Soniya: Kyaa baat hai aaj bahot khush lag rahi ho. Kyaa boyfriend ne propose kardiya hai kyaa. Yeh bol hasne lagti hai.

Soniya ke saath baaki sab bhi hasne lagte hai sivaay Neha ke. Aur idher Sonal ke gaal laal hojaate hai.

Sonal: Aisa waisa kuch nhi hai. Aur tumhare dimaag mein harwaqt yehi chalta hai.

Varun: Correction Sonal. Tumne kaha dimaag mein. Par isske paas dimaag hi kaha hai jo kuch chalega. Andar dekhogi toh khaali milega. Yeh bol hasne lagta hai.

Baaki sab bhi Varun ke joke mein hasne lagte hai par Soniya usko ghurr ke dekhne lagti hai aur sang sang uski peet mein ek mukka jhadd deti hai.

Soniya: Iske saamne koi baat karna hi gunaah hai. Jab dekho apni sade muh se sadi hui baate start kardeta hai.

Varun: Tere se toh bahot achha hai. Tu apna dekh.

Soniya: Tu apna dekh chachundar.

Aise hi inki tu tu main main start hojaati hai.

Vishal: Aree yaar bas karo. Jab dekho tab kutte billi ki tarah ladne lagte ho.

Vishal ke bolne se dono chup hojaate hai.

Soniya: Isko choro. Tum batao Sonal kyaa kaaran hai iss khushi ka.

Sonal: Aree kuch nhi hai. Bas aise hi.

Idher Ishita aur Payal ki Nazar Sonal ke ungliyon mein chali jaati hai jaha usse woh ring dikhti hai jisse dekh unki chehre pe bhi khushi aajati hai.

Ishita: Mann mein. Yehhh ringg. Yeh toh wahi ringg hai.

Payal: Mann mein: Matlab toh yeh hai bhabhi ki khushi ka kaaran. Bhaiya ne inhe ring pehna ke propose kiya hai. Matlab ab yeh phirse humari official bhabhi hogyi hai.

Ishita aur Payal ekdusre ko dekhte hai aur muskura dete hai. Thodi der mein inke class ki bell baj jaati hai toh yeh log apne apne class mein jaane lagte hai.

Ishita aur Payal Sonal ke paas aake dheere se uske kaan mein bolte hai.

Dono: Dheere se. Toh ab humdono aapko didi bole yaa bhabhi.

Sonal dono ko hairaani se dekhti hai toh dono Sonal ke haath pakad ke woh ring dikhati hai jisse dekhte hi Sonal apna chehra ghuma leti hai.

Dono: Ohhoo dekho toh koi kitna sharma raha hai. Chori chupke itna kuch hogyaa. Aur humhe pata tak nhi chala. Thats not fair didi urfff Bhabhiiii.

Sonal: Sharma ke. Tumdono ko kaise pata chalaaa.

Dono: Seriously. Aap harwaqt Raj bhaiya ke saath rehti hai. Unke sath aati hai unke saath hi jaati hai. Kisi aur se baat nhi karti. Ab hum itne toh bewakoof nhi jo yeh baat naa samjhe.

Sonal: Tumdono bahot shatirr ho.

Dono: Woh toh hai bhabhiii. Yeh bol hasne lagti hai.

Sonal: Pleasee aisee naa boloo. Koi sunn legaa. Pleaseeee kisi ko abhi iss baare mein mat batana. Ghar mein toh bilkul bhi nhiii. Pleaseeeee.

Dono: Ek shart pe.

Sonal: Aur woh kyaa.

Dono: Abse humdono bhabhi hi bulayenge. Agar manjur hai toh bolo. Warna hum chale ghar mein sabko batane ke liyee.

Sonal: Didi hi thikk hai naa.

Dono: Nhiii bilkul nhiii.

Sonal: Bahott jiddi ho tumdono.

Dono hasne lagti hai.

Sonal: Par sirf akele mein. Kisi ke saamne bilkul bhi nhiii.

Dono: Donee. Bhabhiiii. Yeh bol dono haste hue class ki taraf bhagg jaate hai.

Sonal bhi haste hue unke pichhe pichhe chali jaati hai.
 
Top