• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Completed)

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
23,121
46,454
259
Badhiya shaandaar update Mahi ji
Yeh dono jaha milte h bas shuru ho jate h jhagadne yeh bhi nahi dekhte amne samne aage peeche bhi koyi betha h ya nahi
Tow doosre hero ki bhi entry ho gayi badhiya h
धन्यवाद आपका महोदय।
इन्हीं लड़ाई झगड़े से दोनों के बीच प्यार शुरू होगया।
साथ बने रहिए।।
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
23,121
46,454
259
UPDATE- 33


Sarita ke yaha se nikalkar Nishchal ghar na jakar paas bane ek park me chala gaya. Aaj mausam bahut suhana tha aur thandi thandi hawa chal rahi thi. Nishchal park ke andar jakar Patthar ki bani ek baithke par late gaya aur Us Vakt (Jis din Sarita ne ladkiyon ko bachha Singh ke Changul se Chhudaya tha Aur Nishchal Sarita Ko Thappad marne ke baad PS se Bahar aaya tha) ke ke bare me sochne laga jab usne Mohit aur Jawed ko milne ke liye bulaya tha.


********

Nischal- Main tum dono se do din se milne ki koshish kar raha hoon, lekin samay hi nahi mil pa raha tha tum dono se milne ka.

Mohit- Sir agar aap us baat se naraz hain aur saza dene ke liye ham dono ko bulaya hai to main aapko bata dena chahta hoon ki isme jawed ki koi galti nahi hai. maine Sarita madam ko sabkuchh bataya hai. agar aapko saza deni hai to aap mujhe dijiye. jawed ko nahi.

Nishchal- main tum dono ko saza dene ke liye nahi bulaya balki tum dono ko maine ek khas kam ke liye bulaya hai. ummeed hai ki is baar tum dono mujhe nirash nahi karoge.

Jawed- Yes Sir. Aap kam bataiye. ham aapke wada karte hain ki is baar koi bhi galti nahi hogi hamse.

Nishchal- tum dono ko to pata hi hai ki Sarita ne in dino sare gunde mawaliyon ka jeena haram kar diya hai. Unke kaam dhandhe ka bahut nuksan kiya hai usne. Khas kar bachha singh aur uske aadmiyo ka. jiske karan uski jaan par bahut bada khatra mandrane laga hai. kabhi bhi kisi bhi samay kuchh bhi ho sakta hai.

Mohit- Aap bilkul sahi kah rahe hain Sir. Apni madam bhi kisi mamle me Unse kam nahi hain. bahut khatarnak hain apni madam bhi, khatarnak hone ke sath sath madam jiddi bhi hain, hamne unhe investigation ke liye bahut mana kiya lekin unhone hamari baat nahi mani.

Nishchal- Jab wo meri baat nahi manti to tum logo ki baat kaise maanegi wo. Wo thodi jiddi hai aur apne man ka karti hai lekin wo bahut hi honhar aur dabang police Officer hai. aise logo ko hamare department ko bahut jaroorat hai. Isliye mujhe uski bahut chinta ho rahi hai.

main chahta hoon ki aaj se, balki abhi se tum dono us par najar rakhoge. wo jaha bhi jati hai tum dono saye ki tarah uske pichhe rahoge. PS, Ghar, Hospital ya Agar wo bachhchon ko kahin Rakhti hai, har jagah. tum logo ko agar kuchh bhi is dauran sandigdh lage to turant mujhe phone karna.

Jawed- Aapne sahi kaha Sir. Mujhe bhi aisa lag raha tha ki madam ki jaan ko khatra ho sakta hai. itna sabkuchh ho jane ke baad jaroor koi madam ko jaan se marne ki koshish karega.

Nishchal- Isiliye ye jimmedari main tum dono ko saup raha hoon. apne kaam me hamesha ki tarah mustaidi dikhana.

Mohit- Thik hai Sir. Ham log madam ke pichhe saye ki tarah lage rahenge aur aapko pal pal ki suchna denge.

Nischal- Mujhko tum logo se yahi ummeed hai. Aur dhyan rahe is baat ka pata Miss Joshi ko bilkul bhi nahi chalna chahiye ki tum dono uspar najar rakh rahe ho. Agar is baar tum dono se kuchh bhi gadbad hui to tum dono samajh sakte ho ki main kya karunga tum dono ke sath.

Mohit- Bahut ache se jaan aur samajh gaya hoon Sir. Ab ham chalte hain. aapko samay samay par phone karte rahenge.


Itna kahkar Dono Waha se chale jate hain Aur Nishchal bhi apne kaam ke silsile me daure par chala jata hai. Do din baad Sham ko lagbhag 10.15 baje Nishchal ke paas Jawed ki call aati hai. phone uthakar Nishchal ne baat ki.


Nishchal- Haan jawed. Koi khabar.

Jawed- Sir, madam ke ghar ke bahar 1-2 log dikh rahe hain Sir.

Nishchal- To isme nayi baat kya hai Jawed. koi rahgeer honge. aane jane wale honge.

Jawed- Nahi Sir. Ye log bhaut der se yahi par khade huwe hai. aur baar baar madam ke ghar ki taraf hi dekh rahe hain.

Nishchal- Kya Sarita ghar par hai is Vakt.

Jawed- Nahi Sir. Dekh kar to lag nahi raha hai ki wo abhi nahi aayi hain, Kyonki maine unhe jate huwe nahi dekha aur abhi tak unke kamre ki light bhi band hai.

Nishchal- thik hai jawed. main pahuch raha hoon waha.

Jawed- Sir Ek baat aur. ye log aapas me kuchh baat kar rahe the, jisme se ek ne kaha ko wo pichhle 2 din se ghar nahi aayi hai, lekin shayad aaj aaye. aur aaj hi uska kaam tamaam karna hai.


Nishchal sochane lagta hai ki Sarita wakai me 2 din se ghar nahi gayi hai. ek din to wo hospital me so gayi thi aur doosre din didi ke sath NGO me thi. to ho sakta hai ki aaj wo ghar jaroor aaye. mujhe use kisi bhi tarah ghar nahi jane dena hai. agar wo ghar gayi to nischit hi aaj uski jaan chali jayegi. mujhe kuchh karna hoga. main Miss joshi ko phone karke ghar jane se rokta hoon.


Itna sochkar Nishchal ne Sarita ko phone kiya lekin phone not recheable aa raha tha. do-tin baar koshish karne ke baad jab phone connect nahi huwa to Nishchal ne Jawed se baat ki.


Nishchal- Jawed tum vahi ruko. main abhi pahuch raha hoon waha. wo Sarita ko nuksan pahuchane ke liye hi waha par aaye hain. Tum najar rakho unpar.

Jawed- Yes Sir. main inpar najar rakhunga.


Itna kahkar Nishchal ne phone rakh diya aur Sarita ke Quarter ki taraf Chal pada. Waha pahuch kar usne apni gadi jawed ko dete huwe kaha.


Nishchal- Kaha hain wo log.

Jawed- Sir wo log abhi kuchh der pahle hi yaha se chale gaye hain. Sarita madam bhi chand minute pahle hi aayi hain.

Nishchal- Achha tum ab jao aur mere phone ki pratiksha karna. jab main phone karunga to tum aur Mohit aa jana.

Jawed- Agar aap kahe to main bhi aapke sath chalu.

Nishchal- Nahi Jawed. Abhi filhal jaroorat nahi hai tumhari. tum bas chaukanne rahna aur mere phone ka intezar karna.


Nishchal ki baat sunkar Jawed waha se Nishchal ki gadi lekar chala jata hai. Nishchal ne Sarita ke phone par call kiya to wo busy aa raha tha. kai baar try karne par bhi jab phone busy raha to Nishchal ke paas ghar ke andar jane ke siway aur koi marg nahi bacha. Jab wah Boundry koodkar ghar ke andar dakhil huwe to use do parchhaiya. kamre me jati hui dikhayi di. Nishchal ne furti dikhate huwe Light off ki aur Sarita ke paas pahuch gaya.



********

tabhi bahar kisi gadi ke horn ki aawaz se Nischal apni soch se bahar aaya. Us samay Raat ke 2 baj rahe the. uska ghar jane ka mod nahi huwa to usne socha ki wo park me hi so jata hai, lekin waha jheengur aur anya kide makaudo ki aawaz uski neend disturb kar rahi thi. isliye kuchh der baad wo uthkar apne doosre wale ghar chala gaya jaha par usne dadi ko rakha tha.


Subah Sarita ki neend khulti hai subah ke 8 baj rahe the. wo jaldi se naha dhokar taiyar hokar pooja path karke NGO ke liye nikal gayi. Jab wo NGO pahuchi to sabhi use dekhkar bahut khush huwe. Usne sabhi ke liye choklate liya tha. usne sabhi ko choklate dekar munh meetha karwaya.


Tabhi Sarita ki najar Dadi ke upar padi to wo unhe waha dekhkar khush bhi hui aur chakit bhi ho gayi. Sarita ne dadi se poocha.


Sarita- Aree dadi aap kab aayi. main Sir se aapke bare me baat karne hi wali thi.

Dadi- Aaj subah hi Police bahu mujhe yaha par lekar aaye aur mujhe meri beti se milwaya. police babu bahut hi aachhe hain beti.

Sarita- (bhunbhunate huwe) Haan wo to pata hai ki wo kitne ache insane hain. poori mehnat maine ki aur Dadi ko Gudiya se milwane ke creadit khud le liya. matalabi insane.

Dadi- Lekin Police babu ne ye bhi bataya ki Meri bachhi ko tumne Bachha singh se Bachaya. Gudiya ne bhi mujhe tumhare bara me bataya ki kaise tumne uska khyal rakha


Ye baat sunkar Sarita bahut khush ho gayi. use apni pichhli kahi gayi bato ka afsos hone laga, ki nahak hi usne Nishchal ko bhala bura kaha. Tabhi Waha par Akkku daudati hui aayi aur Sarita se kaha.


AKku- Are didi. aap sabko choklate kyon bant rahi hain. Mujhe choklate bahut achhi lagti hai. aap sari choklate mujhe de dijiye. main sabse chhoti hoon na. main kisi ko bhi choklate nahi doongi .

Sarita- (hanste huwe) lekin ye to galat baat hai Akku. Achhe bache to sari chije apne dosto aur sakhiyo se mil bant kar khate hain. main to samajhti thi ki tum bahut achchii bacchii ho, lekin tum to sari choklate akele hi khana chahti ho. iska matlab tum achhi bachhi nahi ho.

Akku- Nahi main bahut achhi bachhhi hoon didi. mujhe ghar me sab bolte hain ki Akku bahut achhi bachhi hai.

Sarita- tab to tumhe choklate sabke sath bantkar khana chahiye phir.

Akku- Haan didi main sab ko choklate dungi. aap mujhe poori choklate de dijiye.


Abhi Akku aur Sarita baat kar hi rahe the ki Waha par Gudiya aa jati hai. Gudiya ne Akku se kaha.


Gudiya- Akku tumne didi ko birthday wish kiya ya nahi.

Akku- Kya aaj didi ka birthday hai. lekin di to cack layi hi nahi hain. ye to chhoklate layi hain.

Sarita- Haan main cack lana bhool gayi akku.

Akku- Lekin birthday par sabhi cack kat-te hain fir apna birthday manate hain. to aap kyon nahi lekar aayi cack.

Sarita- Chalo mere sath abhi cack kat-te hain fir.


Sarita ki baat sunkar Akku uske sath chal padi. Sarita Akku ka utawalapan dekhkar bahut khush ho rahi thi. Sarita ne kal hi soch liya tha ki is baar wo ghar nahi ja rahi hai to apna birthday NGO me hi in bachho ke sath hi manayegi. SArita ne NGO ke ek karmchari ko bekary bhejkar cack mangwaya. Sarita ne Us Bekery ka address bhi us aadmi ko de diya. jaha par usne kal hi cack ka order de diya tha.


thodi hi der me wo karmchari cack lekar aa gaya aur bahar ek table lagakar cack us par rakh diya. sabhi bachhe Sarita ko gherkar khade ho gaye. Sarita se jyada khush to Akku thi. Cack dekhte hi uske munh me pani aa gaya. Usne khushi se uchhalte huwe Sarita se kaha.


Akku- Chaliye didi. jaldi se cack katiye. mere munh me pani aa raha hai.

Sarita- Main nahi Akku. Cack tum katogi.

Akku- Nahi didi. Mummy kahti hain ki jiska birthday hota hai cack wahi kat-ta hai. to birthday aapka hai to cack bhi aap hi katogi na.

Sarita- Chalo thik hai dono log milkar cack kat-te hain.


Fir Sarita ne Akku ke hath me chhuri pakda di aur uska hanth pakadkar cack katne lagi. cack katne ke baad bachho ne Sarita ko birthday wish kiya. Sarita ne sabhi ko cack khilaya aur Sham ko wapas aane ka bolkar PS ke liye nikal gayi.


Sarita ne PS me kisi ko nahi bataya tha ki Aaj uska janamdin hai to kisi ko pata nahi tha is bare me. SArita ne PS pahuch kar roj ke jaise kaam karne baith gayi. Kuchh der baad Rawat Sir ne Sarita ko kaam ke silsile me Sarita ko apne cabin me bulaya. Sarita Rawat sir ke cabin me chali gayi.


Jaise hi Sarita Rawat sir ke cabin me gayi. usi Wakt Nischal PS me aata hai Aur Sidha Sarita ke cabin me chala jata hai, lekin SArita apne cabin me nahi thi to Nishchal intezar karne lagta hai Sarita ko. Sarita Rawat Sir ke paas thi aur Uska mobile uske cabin me hi rakha tha. kuchh der intezar karne ke baad Jab Sarita nahi aati to Nischal Uske cabin se nikalne ki sochta hai.


usi Wakt Sarita ka mobile bajne lagta hai. Nishchal ne Screen par dekha to Jaanu naam show kar raha tha. Nishchal ne socha ki ye shayad Sarita ka Boyfrnd hoga. kuchh der bajne ke baad phone band ho gaya. kuchh pal me fir se dobara call aayi aur kuchh der bajne ke baad band ho gayi. kuchh pal baad tisri baar jab call aayi to Nishchal jhunjhla gaya aur man me hi bola.


Nishchal- (Man me) Kistna Chipku hai ye SArita ka Boyfrnd. Isko samajh me nahi aata ki agar Sarita phone nahi utha rahi hai to busy hogi, kuchh der baad karu, lekin nahi, sabar hi nahi ho raha hai isase to. phone par phone kiye pada hai. Sahi bhi hai. Kisko sabar hoga Sarita jaisi ladki agar uski Girlfrnd ho. Sundar, bahadur aur apne kam ke prati wafadar. dekhu to aakhir kiska naseeb itna jordar hai jise Sarita jaisi girlfrnd mili.


Yahi sochkar Sarita ka phone Nishchal ne utha liya. lekin tab tak call cut ho gaya tha. kuchh pal baad fir se phone bajne laga to nishchal ne phone receive kar liya aur jaise hi apne kan me lagaya. ek dandanati hui madhur aur tez aawaz uske kano se takrai. ye Manisha ki aawaz thi.


Manisha- Hello didiya. kaha ho tum. kab se tumko phone kar kar ke pareshan ho rahe hain aur ek tum ho jo phone hi nahi utha rahi ho. ham log station ke bahar khade hain. koi ricsha aur auto wala nahi mil raha hai. tumhare quarter tak kaise aaun.

Hello didiya. mujhe pata hai tum gussa karogi ki maine tumhe aane ki khabar kyon nahi ki, lekin ham tumhe surprise dena chahte the. isliye agar bata dete to wo surprise kaise rahta fir. helloo didiya. sun rahi ho na. are kuchh boli bhi didiya.

Nishchal- (apne man me) Are yaar ye to apni bahan se bhi chaar kadam aage hain. phone uthane ki deri me hi isne itna kuchh suna diya. baap re. badi sher hai to chhoti sawa sher hai. dono bahano se to bach kar rahna padega. (manisha se) Hello.

Manisha- Aap kaun hain aur meri didiya Sarita Joshi kahan par hain.

Nishchal- Wo to Sir ke sath meeting me baithi hui hain.

Manisha- Achha, fir aap kaun hain aur meri didiya ka phone aapke paas kya kar raha hai.

Nishchal- Main bhi unke sath hi kaam karta hoon. unhone hi mujhe phone sambhal kar rakhne ke liye diya hai.


Nishchal ne Manisha se jhooth bol diya, lekin use nahi pata tha ki uska ye jhooth use bhari padne wala hai. Nishchal ki baat sunkar Manisha ne kaha.


Manisha- Achha. to aap meri didiya se niche post par kaam karte hain. I think ki aap didiya ke driver hain. tabhi didiya ne apna phone aapko diya hai. to driver jao aur meri didiya ko bolo ki uski janu ka phone hai.


Nishchal -(chakit hote huwe man me) Lo bahut smart bante firte the na. lo driver ban gaye ab. aur jhoth bolo. sidhe nahi bata sakte the ki uske boss ho. nahi. masti chadhi thi na to ab driver banker bhugto. (manisha se) Ji jaroor. abhi kuchh der baad jab meeting khatam ho jayegi to main unhe bol dunga.

Manisha- Tab tak ham yaha baithkar makkhi marein kyaa. Aap abhi andar jaiye aur meri didiya ko boliye ki uski bahan aur uske mummy papa uska station ke bahar intezar kar rahe hain.

Nishchal- Lekin abhi to meeting…………

Manisha- (bich me hi) Ab jyada juban na ladao mujhse. nahi to didiya ko bolkar tumko naukari se nikalwa doongi. Samjhe ya nahi samjhe. ab chupchap jao aur didiya ko mera sandesha do.

Nishchal- (man me) Are baap re. Kya ladki hai yaar. sidhe dhamki par utar aayi. Bade miya to bade miya. chhote miya subhan allah. (Manisha se) madam ko to abhi samay lagega. rukiya main aata hoon aap sab ko lene ke liye.

Manisha- Haan ye hui na baat. ab aaye line par. jaldi se aana. jyada der nahi lagana nahi to didiya..

Nishchal- (bich me) Haan mujhe pata hai ki aap apni didiya se bolkar mujhe naukari se nikalwa dengi. rukiye main jaldi hi aa raha hoon.


Itna kahkar Nischal ne phone rakh diya. Uske chehre par muskan aa gayi. Usne apne dimag me kuchh naya plan kiya aur Sarita ke cabin se bahar nikal gaya.


Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
23,121
46,454
259
कहानी का तैंतीसवाँ भाग लिख दिए हैं दोस्तों और पाठकों।

पढ़िए, आनंद लीजिए और अपने महत्त्वपूर्ण विचार भी व्यक्त कीजिए।।
 

DARK WOLFKING

Supreme
15,532
31,887
244
UPDATE- 31


pahla aadmi- Hamko pata hai ki ham kiske ghar me ghuse hain. maine to socha tha ki tu bhag gayi hogi, lekin yaha to tum dono ka romance chal raha hai. jise shayad ham dono ne disturb kar diya hai, lekin koi nahi tum dono chinta mat karo. tum dono apna romance upar jakar kar continue rakhna. ab tum dono marne ke liye taiyar ho jao. hamare paas jyada samay nahi hai.



itna kahkar wo aadmi apne doosre sathi ko dekhkar hansne laga.


Us Aadmi ki baat sunkar Nishchal ka khun khaul utha. lekin abhi wo is setuation me nahi tha ki koi action le pata. fir Nishchal ne socha ki apne dimag se abhi kaam lena padega, josh josh me use hosh nahi khona hai, kyonki un dono ke nishane par is samay Sarita thi. Nischal ko ye bhi nahi pata tha ki in dono ke sath aur kitne aadmi hain. Isliye wo koi bhi khatra mol lene se abhi dar raha tha.


agar Nischal ne thodi si bhi hoshiyari dikhayi to Sarita ki jaan ja sakti thi. Jab wo dono Aadmi ek doosre ko dekhkar hans rahe the. Tabhi Nishchal ne Sarita ko kuchh ishara kiya kuchh samjhane ke liye. lekin Sarita shayad samjhi nahi. tabhi doosre aadmi ki aawaz sunai padi.


Dusra Aadmi- Chalo achha hi hai. waise to ham is inspectorni ko marne ke liye aaye the. lekin DSP tum iske bich me faltu ka aa gaye. Ab hame tumko bhi khatam karna padega, kyonki tum ab iski maut ka tamasha live dekhoge.

ham apne kisi bhi katal ka koi surag nahi chhodte, isliye tumhe bhi iske sath marna hoga. Waise bhi jab tum dono ek doosre se itna pyaar karte ho to tum dono ko ek sath marne me koi problem nahi aayegi. Kyo DSP Sahi kaha na maine.


Gunde ki baat Sunkar Sarita ne use khaa jane wali najaro se dekha, lekin wo abhi kuchh bol bhi nahin sakti thi. Uski baat sunkar Nishchal ne kaha.


Nishchal- Pyaar aur isase. Mujhe pagal kutte ne kata hai kya. tum log mujhe kyon marna chahte ho. waise bhi maine to kuchh kiya hi nahi. jo kuchh bhi kiya hai is Jangali billi ne kiya hai. Mujhe chod do.


Nishchal ne Sarita ki taraf dekhkar us aadmi se kaha. Nishchal ki baat sunkar Sarita ne hairani se Nishchal ki taraf dekha aur kaha.


Sarita- Ye kya kah rahe hain aap sir. Aap itne Darpok kaise ho sakte hain. maine socha nahi tha ki aap mere sath aisa kuchh karenge. aaj mere upar musibat aayi to aap mujhe bachane ke bajay apni jaan ki bheekh mang rahe hain.

Nishchal- to kya karu main. main tumhari tarah bewkoof nahi hoon. Jan hai to jahan hai. Tabhi Naukri bhi hai aur tabhi pyaar bhi hai. Agar zinda hi nahi rahunga to Naukari aur Pyaar Khaak karunga. waise bhi bahadur banker kaun sa tamga mil jayega mujhe. Tumne to bahaduri dikhayi thi na. dekho aaj us bahaduri ka parinam samne hai. main darpok hi thik hoon.


Nishchal ne apne hanth khade kar diye. Ye dekhkar Sarita Gusse se boli.


Sarita- Aapko Sharam aani chahiye Sir. Aap jaise darpok insan ke liye ye naukari hai bhi nahi. Are jo ek Ladki ki hifajat nahi kar sakta wo is Vardi ki hifajat kya karega.

Nishchal- Mujhe nahi karni kisi ki hifajat. Mujhe apni jaan bahut pyaari hai. Tumhe bahut shauk hai khatro se khelne ka to tum hi bano lady don aur tum mujhe bachaao. Ab dekho tumhari jaan khatre me pad gayi. meri mano to inse mafi mang lo. shayad tumhari jaan bakhsh de ye log. Kyon bhaai sahi kaha na maine.


Nishchal ki maafi wali baat Sunkar Sarita ne use gurjar dekha aur gusse se boli.


Sarita- Kabhi nahi. main mar jana pasand karungi, lekin inke samne apne ghutne nahi tekungi. Aur aap. main to aapko bahut bahadur samajhti thi, lekin aap to bujdil aur darpok nikle. in sadak chhap taporiyo se dar gaye.

Nishchal- Ab ye tapori ho ya dhapori ho. lekin inke hanth me gun hai aur mujhe gun dekhkar bahut dar lagta hai. Are bhai. Aapke sath jo aur bhai log bahar hain unke paas bhi gun hai kya. Sabko Andar bula lo.

Pahla Aadmi- Kaisi baat karte ho DSP. ham to tumhe bahut bahadur samajhte the. lekin tum to ek nambar ke darpok nikle. Waise bhi. Iske liye to ham dono hi kafi hain. Ek Adna si ladki ko marne ke liye agar poori fauj lekar aaun to ye ham logo ke liye sharam se doob marne ki baat hai. are ham log bhale hi gunde aur khuni hain, lekin apna bhi ek usul hai.


Nischal apni baato me unhe uljahkar jo kuchh bhi jan-na chahta tha wo usne jaan liya ki in dono ke alava aur koi bhi inke sath nahi hai. Nishchal ne apna drama continue kate huwe kaha.


Nishchal- Sahi kaha bhaai. Ek ladkii ko marne ke liye 2 log bahut hain. Agar fir bhi tum log mujhe chhodne ka wada karo to main hi is ladki ko tapka deta hoon. Jab se ye Aai hai Isne bhi meri naak mein dam karke rakhaa huwa hai.


Nishchal ki baat sunkar Sarita Hairani se use dekhne lagi. Nishchal ki baat sunkar Sarita ne kaha.


Sarita- Kitne Ghatiya insane ho aap Sir. Apne hi junior ko marne ki baat kar rahe hain. Are aap to Sir kahlane ke layak hi nahi hain. aapke liye mere dil me thoda bahut jo samman tha wo aapki is baat ko sunkar khatam ho gaya hai. Are aap to police department ke upar ek kalank hain. jisne gundo ke talve chatne ke liye ye naukari join ki hai. Main marne se nahi darti hoon, lekin aap jaise ghatiya aadmi ke samne marungi is baat ka mujhe afsos hai. Thoo hai aapke upar.


Itna kahkar Sarita ne apna munh fer liya. Nischal ne Sarita se kaha.


Nischal- To aur kya karun main. mujhe apni jaan bahut pyaari hai. tumhari tarah main bahadur nahi hoon. main to bas paise kamane ke liye hi ye naukari join ki hai.


pahla gunda jo in dono ki tu-tu main-main sunkar jhunjhala gaya aur gusse se cheekhne huwe bola.

Pahla Gunda- Chuk karo tum dono. Kab se dekh raha hoon ki tum donon apni bakwas kiye ja rahe ho. Ham yahan tumhe marne aaye hain tumhari bakwas sunane nahin aaye hain.


Gunde ki baat Sunkar Sarita ne Usase kaha.


Sarita- Tum shant raho thodi der. Marne aaye ho to maar lena. Main Kahni Bhagi nahi ja rahi hoon. (Fir nishchal se mukhatib hogar) Aur aap. Ab samjhi main. Mujhe rishwat ke case me aapne hi fansaya tha. rishwat aap lete the aur uska thikra mere upar dalte the aap. Savi didi ke kahne par aap ne is mamle ko rafa dafa kiya. Tabhi to main sochu ki aapko dadi itni aasani se mil kaise gayi jo mujhe jameen aasman ek kar dene se nahi mili. Aapne hi bachha singh ke sath milkar ye sara khel khela tha mere sath. Hai na.

Nischal- To kya karta main. Jab se aayi ho meri naak me dam karke rakh diya hai tumne. tumhari wajah se meri upri kamai band hone ki kagar par aa gayi. to kya karta main. Wo to di ki baat main kabhi nahi tal-ta isliye tumhe mujhe majbooran is case se nikalna pada.

Sarita- (gusse me) Jo log galat hain main unki nak me dam karti aayi hoon aur aage bhi karti rahungi. Mujhe koi nahi rok saktaa.

In dono ki tu tu, main main fir se shuru ho gayi thi. Jo har pal badhti ja rahi thi. jise dono gunde bahut der se sun rahe the. Jab un gundo ke bardast ki sima par ho gayi to ek gunda cheekha huwa bola.


Dusra Aadmi- Chup bilkul Chup raho tum dono. Agar dono ki ek bhi aawaz bahar nikli to 6 ki 6 goliya uske bheje me utar doonga. yaha maut tum dono ke sir par khadi hai aur tum dono apne me hi vyast ho gaye ho. marne ke liye taiyar ho jao tum dono. pahle is ladki ko tapkata hoon uske baad tujhe dekhta hoon DSP.


Itna kahkar Doosre Aadmi ne apni gun Sarita par taan di. ye dekhkar Nishchal ne furti se jhukkar apne shoos se gun nikali aur Us Aadmi ke pairo par goli maar di jiske hanth me gun thi. pairo me goli lagne se wo aadmi dard se chillate huwe jameen par gir pada. jiske karan uske hanth se gun chhitak kar door ja giri.


ye dekhkar doosra aadmi chaukanna ho jata hai aur danda fenk kar Sarita ko marta hai, lekin Sarita pahle se hi chaukanni thi. isliye usne niche jhukkar apne aapko bachaya aur furti se daudkar wo niche giri hui gun utha leti hai. tab tak wo aadmi ek chaku nikal leta hai. Sarita uske hanth me nishana lagakar trigger daba deti hai. jisase goli jakar uske hanth me lagti hai aur uske hanth se chaku chhutkar jameen me gir jati hai.


goli hath me lagne se wo aadmi bhi tadapta huwa jameen par gir jata hai. fir Sarita aur Nischal dono apni apni gun dono ke sir par tan dete hain ye sab kuchh kuchh hi pal me ghatit huwa tha. Sarita hairani se Nishchal ki taraf dekhte huwe kahti hai.


Sarita- Jab aapke paas gun thi to aap ne ise chalayi kyon nahi unse apnee jaan ki bheekh kyon meng rahe the.

Nischal- kyonki main tumhari tarah bevkoof nahin hoon. Waise bhi Tumse baat karne ka abhi mera mood nahi hai. tumko samjhate samjhate main pagal ho jaunga.


itna kahkar Nishchal apna phone nikalta hai aur Jawed ko phone karta hai aur use sari setuation se avgat karata hai. Jawed thodi der me ambulance lekar pahuchne ke liye bol deta hai. Thodi der baad Jawed aur Mohit ek Ambulance lekar aate hain aur Un dono Aadmiyon ko Ambulance me dalkar hospital chale jate hain.


Uske baad Sarita ne jameen par khoon ke dhabbo ko saaf kiya. Nishchal Sarita se bina koi baat kiya jane lagta hai to Sarita Nischal se kahti hai.


Sarita- Rukiye Sir. Mujhe aapse baat karni hai.

Nischal- Nahi mujhe tumse koi baat nahi karni hai.

Sarita- Lekin mujhe to karni hai na.


Usi samay Nishchal ko ek purani baat yaad aati hai jab Sarita Bachha singh ko pakadne ki jid kar rahi thi aur nishchal use samjha raha tha. Nishchal uski nakal karte huwe kahta hai.


Nischal- Main aapka naukar nahi hoon. main bhi ek police officer hoon.


Nischal ki baat sunkar Sarita use ghoorkar dekhti hai aur bolti hai.


Sarita- Aap baat baat par meri nakal mat utara kariye.

Nischal- Kyon na utaru. tum meri baat kabhi sunti ho jo main tumhari baat sunu.

Sarita- Aap apne aapko samajhte kya hain. Baat Baat par mujhe suna dete hain.

Nischal- Main apne aapko kuchh nahi samajhta, lekin tum jab se aai ho apne apko top samajhne lagi ho. Bina soche samjhe kuchh bhi karti rahti ho. Akele hi bachha singh jaise gunde se pakadne chali ho. Lekin main tumhein kyon bata raha hoon ye sab. Tumse kuchh kahne ka koi matlab hi nahin hai, kyonki tum meri baat sunti kahan ho. main jab bol raha tha ki main hanth hata raha hoon aawaz mat karna to meri baat nahi maan sakti thi kya tum.


Nischal ki is baat ka Sarita ke paas koi jawab nahi tha. kyonki Us samay to Sarita kisi aur hi duniya me chali gayi thi Nischal ki chhuwan se. Usne baat ko badalte huwe kaha.


Sarita- Jab aapke paas gun thi to aapne unhe pahle kyon shoot nahi kiya. unse apni jaan ki bheekh mangne ki kya jaroorat thi.

Nischal- Mujhe to ye samajh nahi aata ki Tumko Ye naukari kisne di. Tum Sach mein Padhaai aur training karke hi join ki ho na ya kahi se sourse sifarish se tumhe ye naukari mili hai. Tumhare paas dimag hai bhi ya nahi. Mujhe nahi pata tha ki Wo akele aaye hain ya uske sathi bhi sath me hain unke.

Yahi pata lagane ke liye main drama kar raha tha. jiske liye maine tumhe ishara bhi kiya tha. lekin tum sach me bail buddhi ho ya tumne meri baat kisi bhi kimat par na man-ne ki kasam kha rakhi hai. tum to unhe uksa sahi thi goli chalane ke liye. tumhe marne ki bahut jaldi thi kya. kabhi to meri baat maan liya karo. agar main samay par nahi aata to pata nahi kya ho jata aaj. aur kya bol rahi thi tum. main darpok hoon. ghatiya insane hoon main. thu hai mujhpar.

Sarita- (sharmindagi ke sath) Sorry Sir. us samay mujhe yahi laga to maine bol diya. aur kya ab meri jaan bachane ke liye jeevan bhar mujhe ehsan jataoge kya aap. aur main itni kamjor bhi nahi hoon ki apni hifajat na kar saku.

Nischal- Tumse to baat karna hi bekar hai. pata nahi tumhare paas har baat ka uttar kaha se maujood rahta hai.

SArita- Haan to mat baat kariye ne. maine nahi bulaya aapko yaha par baat karne ke liye.


Dono ki tu tu main main fir se shuru ho gayi thi. Abhi inki tu tu main main aur aage badhti tabhi Sarita ka phone bajne laga. ye dekhkar Nishchal ne kaha.


Nishchal- Kyaa baat hai Miss Joshi. Itni raat ko kaun phone kar raha hai. tumhara boyfriend hai kya.

Sarita- (ghoor kar) Aapse matlab.

Nishchal- Matlab kYon nahi hai. Aakhir uske Girlfrnd ki jaan bachayi hai maine. Use bol dena ki sirf phone par baat karne se hi koi Boyfrnd nahi ban jata. Girlfrnd ko protect karna bhi jaroori hota hai.

Sarita- Aap thodi der shant rahenge. Aap apna munh band kar chupchap kursi par baith jaiye. Aur haan munh se aawaz bilkul bhi nahi aani chahiye.

Nischal- Haan. mere munh se aawaz niklegi to tumhara Boyfrnd tumhe chhod dega. isliye tum dar rahi ho na.

SArita- Please Sir. Do minute ke liye shant hokar baith jaiye.

Nishchal- (dhire se) Apne boyfrnd se baat karni hai to mujhe kyon baitha rahi ho.

Sarita- (phone receive karke) Ruko main video one karti hoon.

Sarita- (phone ka mike hath se band kar Nischal se) main video calling karne ja rahi hoon. koi aawaz nahi nikalni chahiye munh se aapke aur is jagah se hiliyega bhi mat. Nahi to samajh lijiyega fir.


Itna kahkar kahkar Sarita ne Video call laga diya. doosri taraf se Manisha ne Video call receive kiya aur call receive karte hi Manisha gana gane lagi.


Manisha- Baar baaar din ye aaye. baar baar dil ye gaye. tum jiyo hajaro sal ya meri hai aarzoo.


Happy baithday too you. Happy birthday too you. Happy birthday Dear Didiya Happy Birthday too you.

Janamdin ki bahut bahut badhayi aur Shubhkamna didiya. Bhagwan ji Tumhe jald hi IAS bana dein taki tum mera pichha chhod do.

Sarita- (Khush hokar) Thank You Thank you Thank You So Muchh Manisha. waise tumhara pichha mera IAS ban-ne ke baad bhi nahi chhutega. waise agar tumne apne gane ki pratibha ka pradarshan kar liya ho to mummy papa se bhi baat karwa do jo tumhare pichhe khade hain.


Udhar Nishchal Kursi par baitha Apne man hi man bola.


Nishchal- Are ye to badi achhi baat hai. aaj to is lady don ka birthday hai. agar main sahi samay par nahi pahuchta to pata nahi aaj kya ho jata.


ye sochte huwe uske chehre par ek udasi aakar chali gayi. wo man hi man Jawed aur Mohit ko dhanyawaad de raha tha. jinke karan Aaj usne Sarita ko bacha liya tha. Sarita apne gharwalo se baat karne me vyast thi aur badi khush lag rahi thi. Idhar Nischal Kursi par baitha apne ek hanth ki hatheli par apna ek gaal tikaye Sarita ko ektak nihare ja raha tha.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
majedar update ..nischal ne dimaag se kaam liya aur jhagda karne ke bahane saari jaankari nikal li gundo se aur waqt pe gun chalake ghayal kar diya unko .sarita ne bhi mauke ka faayda uthaya .
nischal ne jitni acting ki wo to sahi tha par sarita kuch samajh hi nahi payi aur bahut kuch suna diya usko 🤣🤣..

aaj birthday hai sarita ka aur manisha ne badhai di usko 😍.. aur ab nischal ko bhi pata chal gaya aur lagta hai wo kuch plan karega sarita ke liye ..
 

DARK WOLFKING

Supreme
15,532
31,887
244
UPDATE- 32


Sarita Apne ghar walo se baat kar rahi thi jo use uske janamdin ki badhai de rahe the. Sarita apne ghar walo se baat karke bahut khush thi. Uski aankho me aanshu aa gaye the. Nishchal apni hatheli par apna chahra rakhkar Ek tak Sarita ko dekhe ja raha tha. Pata nahi Kyon Par Nishchal ko bilkul bhi achha nahi lag raha tha Sarita ki Utsukta dekhkar. Wah apne gharwalo se door thi. Janamdin ke mauke par bhi Ghar walo se door rahna kitna mushkil hota hai. Ye Nischal ko achha nahi lag raha tha lekin wo kuchh kar bhi nahi sakta tha.


Use Yaad aata hai ki jab wo bhi akela rahta tha to kisi Khushi ke mauke par wo bhi bhawuk ho jata tha. Abhi to uske sath uski Savi di rah rahi thi. Par jab wo Akela rahta tha to use bahut hi yaad aati thi apne ghar ki. Uska man karta tha ki wo jakar un sab logo ko pite jo ye kahte hain ki ladka hai. Aaram se ghar ke bahar rah Sakta hai. Unhe koi fark nahi padta. Unhe ghar ki yaad nahi aati. Wagairah Wagairah.


Sarita ki baat ho chuki thi aur wo baat karne ke baad Paas me rakhe bed par baith gayi. Uske chehre par udasi saf dekhi ja sakti thi. Nishchal kursi par baitha Sarita ki hi taraf dekh raha tha. Sarita ko dekhte huwe Usne kaha.


Nischal- Achha ab to tumhari baat ho gayi hai. Ab ye bhi bata do ki mujhe Kyon roka tumne.

Sarita- (man me) Are yaar Kitna Akdu insan hai. Hitlar kahi ka. Abhi iske samne hi itni der se main baat kar rahi hoon. Ise bhi maloom chal gaya hoga ki aaj mera janamdin hai. Fir bhi ek baar bhi iske baare me mujhse baat nahi ki. Vish bhi nahi kiya abhi tak. Waise main kyon Soch rahi hoon itna. Is hitlar ke vish ke liye main mari thode hi jar ahi hoon.


Sarita ko chup chap sochte dekh Nischal ne chutki bajate huwe kaha.


Nishchal- Miss Joshi, Miss Joshi, Kaha kho gayi tum. Maine kuchh poocha aapse.

Sarita- Wo haa… kahi.nahi….. Achha mujhe ye bataiye ki Aapko kaise pata chala ki koi mujhe marna chahta hai aur aaj hi mujhe marna chahta hai.

Nishchal- Wo sab chhodo. Jab kuchh der pahle main tumhe call kar raha tha to tum kisase baat kar rahi thi.

Sarita- (Hairani se) Aapne kab mujhe call kiya.

Nischal- Ye poochhne se pahle apna phone chack karo.


Sarita ne apna phone dekha to usme 4 miss call padi thi jo Nishchal ki thi. Miss call dekhne ke baad Sarita ne kaha.


Sarita- Haann.. Soryyy. Maine dhyan hi nahi diya.

Nischal- maine tumhe kitni baar mana kiya ki in sab chakkaro me mat pado, ye bahut khatarnak log hain, lekin tumne to meri baat kabhi bhi na man-ne ki kasam kha rakhi hai. Abhi bhi jab maine tumhe kaha tha ki main tumhare Munh se hath hata raha hoon. Aawaz mat karna, lekin tum. Itni tez tez bol rahi thi ki bahar se logo ko pata chal jaye ki aawaz kahan se aa rahi hai. Tumhe us samay ho kya gaya tha. Mere samjhane ke baad bhi tum meri baat nahi mani.


Nischal ki baat sunkar Sarita hadbada gayi, Kyonki us samay to wo kisi aur hi duniya me thi, usne Nishchal ki baat hi nahi suni thi. Wo hadabadate huwe nishchal se boli.


Sarita- kuchhh nahii.. Kuchh bhii too nahii.. Pahle maine jo.. poocha hai aapse wo bataiye mujhe.

Nischal- To Apne boss ko hi order de rahi hoo tum.

Sarita- Haan de rahi hoon order. To bataiye mujhe.

Nishchal- Main kyon bataun tumhe. Tum meri wife nahi ho ki tum mujhse kuchh bhi poocho aur main tumhe bata dooga.

Sarita- (gusse se) Ye Kya faltu ki bakawas kar rahe hain aap. Ek to wo aadmi pata nahi kya kya anargal bate kar raha tha aur ab aap bhi shuru ho gaye. Shant rahiye aap bilkul bhi.

Nishchal- Haan faltu insan ko har baate faltu hi lagti hain. Abhi to tum bol rahi thi ki main tumhe wo baat bataun aur abhi bol rahi ho ki main chu prahu.

Sarita- Are yaar. Jo puch rahi hoon wo bataiye na.

Nischal- Are yaar. Matlab Main yaar ho gaya tumhara. Ab aage pata nahi kya kya banaogi mujhe tum.


Nishchal ki baat sunkar Sarita ne apne hanth jod liye aur Nischal se kaha.

Sarita- Ab Plz mujhe aur pareshan mat kariye aur main jo pooch rahi hoon uska jawab de dijiye. Agar aap kahiye to main aapke pair bhi pad leti hoon.

Nischal- Nahi Uski jaroorat nahi hai. Aaj ke liye itna hi kafi hai. Mujhe apne mukhbir se khabar mili thi ki tumhari jaan khatre mein hai. Tumhe koi marna chahta hai. Main tumhari tarah kisi baat ki aadhi adhori jankari nahi rakhta hoon.

Sarita- Bade aaye mujhe sikhane wale. Agar wo mujhe marna chahte the to mujhe kahi par bhi maar sakte the. Fir unhone mujhe ghar me hi marne ki koshish kyon ki.

Nishchal- (chidhkar) Mujhe kya pata. Abki baar jab wo tumhe fir se marne aaye na tab tum unhi se hi pooch lena ye bate.

Sarita- Had hai yaar. Aap kisi bhi baat ka siddha jawab nahi de sakte hain kya.

Nischal- Tumhe sidhi baat kabhi samajh me aati hai kya jo mujhse sidhe jawab ki ummeed karti ho. Tum khud apna dimag nahi laga sakti. PS me tumhe aakar maarenge kya ye log. PS se tumhara nikalne ka samay bhi fix nahi hai ki ye log tumhe raste me target karein. Fir bacha ye ghar. Isase Achhi aur aasan jagah aur kya ho sakti hai unhe apna kam poora karne ke liye.

Sarita- Haan ye baat to sahi kahi aapne.

Nishchal- thik hai. Kal se tum mere ghar me rahogi di ke sath.

Sarita- (hairan hote huwe) Kyon. Main kYon rahungi aapke ghar me. Miann nahi rahungi aapke yahan.

Nischal- Jitna kah raha hoon. Tum utna hi karo. Mujhe tumse is bare me bahas nahi karni hai. Samjhi tum.

Sarita- Aap hain kaun jo main aapki baat manu. Aap kahi ke judge hain jo aapne ek baar bol diya to uspar koi bahas nahi ho sakti. Main nahi rahne wali aapke ghar par.

Nishchal- Main CO ke post par hi thik hoon. MUjhe judge mat banao. Maine jitna kaha hai tumse utna karo.

Sarita- Main aisa kuchh bhi nahi karne wali Samjhe aap.

Nischal- Tumhari pareshani kya hai haan. Mujhe samajh me nahi aata ki tumhara upar ki manjil me kuchh hai ya ekdam khali padi hui hai. Tumne meri baat na man-ne ki kahi mannat mang rakhi hai kya.

Sarita- Nahi. Maine ek baar bol diya to bol diya. Main nahi aane wali aapke ghar.

Nishchal- (gusse se) bhad me jao tum. Jo man ho tumhara wo karo.


Itna kahakr Nischal bahar jane lagta hai. Tabhi kuchh sochkar wapas mudta hai aur Sarita ki taraf aane lagta hai. Sarita sochne lagti hai ki ab ise kya ho gaya hai. Fir se dimag chatega mera. Kahi mujhe abhi apne sath ghar to nahi le jane wala. Tab tak nishchal uske paas pahuch chuka tha. Sarita ke paas aakar nishchal ne apna hanth aage badhaya aur kaha.

Nishchal- Happy Birth Day Miss Joshi.


Nischal ke aisa kahne se Sarita ek tuck Nishchal ko dekhne lagti hai use to yakeen hi nahi ho raha tha ki Nishchal use Janamdin ki badhaai de raha hai. Sarita ko apni taraf ektuch ghoorta huwa pakar nishcal ne usase kaha.


Nischal- Aise kya dekh rahi ho Miss Joshi. Main tumhe janamdin ki badhaai de raha hoon. Tumhari jaan nahi mang raha hoon. Jo mujhe ghoor rahi ho.


Abhi Sarita kuchh bolti iske pahle hi Nishchal ka phone bajne lagta hai. Nischal jab phone dekhta hai to Savita ka phone tha. Nishchal uska phone dekh phone cut kar deta hai, lekin yaha par wo galti se cut karne ke bajay receive ka batan daba deta hai aur phone ko cut samajhkar jeb me phone wapas rakh leta hai. Phone wapas jeb mein rakhne ke baad Sarita bolti hai.


Sarita- haan kah to aise rahe hain jaise bahut jaldi bol diya mujhe. Main kab se intzar kar rahi thi lekin abhi koi matlab nahi rah gaya hai.

Nishchal- Tum had karti ho yaar.


Itna kahkar Nishchal 2 kadam aur Sarita ke paas chala gaya is daruan jab usne apna tisra kadam uthaya to uska pair bed se niche aa gayi chadar me fans gaya jiska ek sira uske doosre pair se daba huwa tha.


Pair chadar me fans jane ke karan wo apne aapko sambhal nahi pata aur ladkhadate huwe Sarita ke upar gir padta hai. Par Sarita ne turant apna bachav karte huwe apna hath uske sine par rakh kar use apne sine par girne se rok diya. Jiske karan dono ke bich ek doori ban jati hai.


Sarita ne apna hanth uske Sine par Rakha tha, Sarita ko aisa mahsoos ho raha tha ki Nischal ke sine ki dhadkarn bahut tez gati se chal rahi hai. Sarita ka bhi yahi haal tha. Dono ek doosre ki aankho me dekhne lage. Ek doosre ki aankho me dekhte huwe dono lagbhag kho se gaye. Yahi Sthiti lagbhag 5 Minute tak bani rahi.


Na Sarita ne Nishchal ko apne upar se hatne ke liye kaha aur na hi apne hanth se use dhakka dekar hataya. Aur na hi Nishchal ne uske upar se uthne ki koshish ki. Nishchal ke phone par bajane wali ringtone ne us dono ko vastvikta ke dharatal par la patka. Sarita ne nishchal ko apne upar se dhakka dekar pare kiya aur uthkar khadi ho gayi. Nishchal ne apna phone nikal kar dekha to phone Savita ka tha. Nishchal ne phone uthaya aur kaha.


Nishchal- Hello di.

Savi-Nishu kaha hai tu. kitni raat ho gayi hai aur tu abhi tak ghar nahi aaya.

Nishchal- Haan di. kuchh kaam me fans gaya hoon. main ghar nahi aa paunga aaj shayad.

Savi- mujhe pata hai tumhara jaroori kaam aur kaha par hai tu ye bhi pata hai mujhe. tu itni raat ko Sarita ke paas kya kar raha hai.


Savi ki baat sunkar Nishchal chauk gaya. Use samajh nahi aa raha tha ki Uski di ko kaise pata chala ki wo Sarita ke yaha par hai. use dar nahi tha ki uski di uske bare me kuchh galat sochegi, Kyonki Savi ko NIshchal par poora bharosha tha. Nischal ne Sarita se kaha.


Nishchal- Haan di main Sarita ke paas hi hoon. jaldi hi nikalta hoon yaha se.


Udhar se Savita ne phone rakh diya. Sarita ne jab ya suna to uski aankhe badi ho gayi. wo gusse se Nishchal ko dekhne lagi. jaise use kacha chaba jayegi. tabhi Nishchal ne isi baat ka phayda uthakar Sarita ko pareshan karne ki sochi aur jhoth moth ke phone kan ke paas lagaye huwe kaha.


Nishchal- Ab main Kya batauun di. Isi ne mujhse jid ki ke aaj raat mujhe iske sath rahna hai to main kya karta. maine bhi socha ki main iski baat maan leta hoon. nahi to ye aapse meri shikayat karegi.


Sarita ne uski baat sunkar use gusse se dekhne lagi. Nishchal ne usko ignore karte huwe kaha.


Nishchal- Nahi di aap bilkul bhi fikar mat kariye. main iske sath iske kamre me hi sounga.


Sarita ne jab ye suna to wo turant Nishchal ke paas pahuchi aur uske hanth se phone cheenkar apne kan me lagate huwe kaha.


Sarita- Nahi di aisa kuchh bhi nahi hai. maine inhe nahi bulaya. ye khud aaye hain yaha. inhone aapse jo bhi kaha hai sab jhooth hai. maine inhe kuchh baat karne ke liye rukne ke liye kaha tha.


doosari taraf se jab koi aawaz nahi sunai di Sarita ko to wo 2-3 baar hello hello boli. jab udhar se koi aawaz nahi aayi to Sarita ne phone ki screen par dekha to waha par koi call nahi dikhi Sarita ne Jab Nishchal ki taraf dekha to wo jor j0r se hans raha tha. Nishchal ko hansta huwa dekhkar Use samajhte der na lagi ki Nishchal ne use chutiya banaya hai. use pareshan kiya hai. ye samajh me aate hi Sarita ne kaha.


Sarita- Aapne ye bilkul bhi achha nahi kiya. main aapko chhodungi nahi.


itna kahkar Sarita Nishchal ko marne ke liye daudi. Ye dekhkar Nishchal apne apko bachane ki koshish karne laga. isi pakadam pakadai me Sarita ka pair bed ke paruwa (paya) me ulajh gaya aur wo niche girne ko hui to Nischal ne furti dikhate huwe Sarita ko tham liya.

tumblr-e615c4084213561262ffe4f624a6eb07-b42cc3b6-400

Sarita ne bhi girne se bachne ke liye apna hanth chalaya to ek Nischal ke kandhe par aur ek hanth Nishchal ki chaudi chhati par aa gaya. Nishchal ne Sarita ko dono hantho se uski kamar ko tham rakha tha. Is samay Sarita jhuki hui Nishchal ki baaho me thi. dono ek doosre ki aankho me dekhne lage. Sarita ko aisa prateet ho raha tha ki Uske hanth ke niche Nishchal ka dil bahut tezi se dhadak raha tha.


Nishchal ke dhadkan ki aawaz sunkar Sarita ke dil ki dhadkan bhi tez ho gayi. Uske honth fadfadane lage. sharir me ek anchahi sihran si daudti chali gayi. dono ek doosre ki aankho me dekhte huwe kho se gaye. dono bahut der tak ek doosre ki aankho me khoye rahe. dono ka dhyaan Sarita ke phone ne toda, jis par kisi ka phone aa raha tha.


Nishchal hadbadate huwe Sarita ko khada kiya Sarita ne sharam ke mare apni najare jhuka li aur phone Sarita ki saheli ka tha jise receive karke apni Saheli se baat karne lagi. jisne use janamdin ki badhai dene keliye phone kiya tha.


Thodi der Sarita ne apni Saheli se baat karne ke baad phone rakha aur apni najar upar uthayi to Nishchal waha par nahi tha. Sarita bed se niche utar kar bahar aayi aur idhar udhar dekhne lagi. magar Nishchal use kahi dikhayi nahi pada to Sarita ne Use aawaz lagayi.


Sarita- Nishchal Sir. Aap kaha par hain.


Magar Use Nischal ki aawaz nahi sunai padi. Nishchal Sarita ke yaha se chala gaya tha. Sarita ne apne kamre ka darwaza band kiya aur Apne bister par late gayi aur sone ki koshish karne lagi.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
lovely update ..sarita naraj ho gayi thi ki nischal ne usko wish nahi kiya 😁..ab sarita kya bataye ki nischal ke chhune se wo kisi aur hi duniya me pahuch gayi thi .
dono ek dusre ki aankho me kho gaye the nischal ke upar girne par 😍. aur shayad dhire dhire pyar hone lage in dono ko .
di se baat karne ka natak karke ullu banaya sarita ko 🤣..
sarita koi bhi baat maanti hi nahi hai nischal ki jab wo usko apne ghar me didi ke saath rehne ko keh raha hai par wo maan hi nahi rahi ..
shayad dobara hamla karwaye bachcha singh to satark rehna chahiye sarita ko .
 
Top