• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,102
218
Update 91
Idher Raj apne kamre mein aaram kar raha tha tabhi uske mobile mein Yash ka call aata hai.

Raj: Haa Yash bol.

Yash: College mein yaa ghar mein.

Raj: Ghar mein kyo kyaa hua.

Yash: Woh tujhe yaad hai humari Gujrat wali deal.

Raj: Haa yaad hai par unka koi reply toh nhi aaya tha.

Yash: Haa. Par aaj subah unka reply aaya hai. Aur woh humare saath deal karne ke liye taiyaar hai par tujhe deal sign karne ke liye Gujraat jaana hoga aur woh bhi kal.

Raj: Kyaaa. Par main kaise. Main yaha Sonal ko akela chorr ke kaise jaa sakta hu. Tu chala jaa yaa phir papa ya bade papa chale jaayenge.

Yash: Main chala jaata yaar par yaha pe bhi ek jaruri meeting hai jisme dono uncle ko aur mujhe rehna jaruri hai isliye tujhe hi jaana hoga. Aur rahi Sonal ki baat toh woh abhi thikk hai aur sirf 3 din ke liye wih akele reh sakti hai.

Raj: Kyaa 3 din.

Yash: Haa 3 din. Actually unki company ke 25 saal pure horahe hai isiliye unhone ek choti si party rakhi hai aur uske baad hi woh deal sign karenge isiliye 3 din.

Raj: Kuch der sochke. Thikk hai tu tickets book karde. Main college mein inform kardeta hu.

Yash: Thikk hai.

Phir call cut hojaata hai toh Raj principal ko call karke boldeta hai ke woh 3 din nhi paayega. Uske baad woh apni packing karne lagta hai.

Raat ko khaane ke baad Sonal apne kamre mein chali jaati hai aur Raj wahi baitha rehta hai.

Raj: Aarav main 3 din ke liye Gujrat jaa raha hu toh tujhe Sonal ko College se lene aur chorne jaana hoga.

Aarav: Aap chinta naa kare bhaiyaa. Bhabhi ko koi bhi problem nhi hogi. Main pure dhyaan se yeh kaam kardunga.

Raj: Hmm. Dhyaan rakhna uska.

Aarav: Jii.

Smita: Raj achanak se Gujrat woh bhi 3 din ke liye.

Raj: Haa mummy ek deal sign karne ke liye jaana padh raha hai aur isi saal uss company ke 25 saal pure horahe hai isiliye ek choti si party bhi hai jiske baad hi deal sign hogi.

Smita: Thikk hai. Kab jaana hai.

Raj: Kal ekdum Subah subah hi nikalna hai.

Smita: Thikk hai.

Phir Raj apne kamre mein jaane ke liye uthta hai par kamre mein naa jaake woh terrace mein chala jaata hai.

Idher Sonal Raj se phir se maafi maangne ke liye uske kamre mein jaati hai woh waha nhi hota milta.

Sonal: Yeh kaha chale gaye iss waqt. Shayad terrace mein ho waha dekhti hu.

Phir Sonal terrace mein aati hai toh Raj ko waha dekh uske chehre mein ek smile aajati hai.

Sonal: Toh Mr. Darpok yaha hai aur main unhe pure ghar mein dhundhe jaa rahi hu. Yeh bolte hue uske paas aake khadi hojaati hai.

Raj Sonal ki taraf naa dekhta hai aur naa uski baat ka reply karta hai.

Sonal: Ab maaf bhi kar dijiye naa Raj. Mujhse galti hogyi.

Raj: Tumhari iss galti se mujhe bahot hurt hua hai Sonal. Main kaha tumse har baat share karta hu aur tumne mujhse itni baat chupayi. Agar Soniya ki jagah tum hoti toh.

Sonal: Main maanti hu mujhse galti hui hai. Aur main promise karti hu abse aisa kuch nhi karungi. Pleasee maaf kardijiye. Kyaa apni iss dost ki ek galti maaf nhi karenge. Pleaseee maaf kardijiye. Yeh lijiye maine apne kaan pakad liyee.

Raj Sonal ki taraf dekhta hai toh woh ekdum masoom sa face banake kaan pakadke khadi thi. Jisse dekh kar Raj ka saara gussa ek jhatke mein khatam hojaata hai.

Raj: Sonal ke haath uske kaan se hata ke. Tumhare iss masoom se face ki wajah se hi main tumse naraz nhi reh sakta. Par promise karo aage se aisa kuch bhi ho toh tum sidha mujhe bataogi.

Sonal: Promiseee. Waise mere liye itni fikr kisliyee.

Raj: Sonal ki aankho meim dekhte hue. Tum nhi jaanti tum mere liye kyaa ho. Agar tumhe kuch hojaaye toh main kyaa kar baithunga main khud nhi jaanta.

Raj ke aisa bolne se jaha Sonal ke dil mein ek ajeeb hi harqat hoti hai wahi uski aankho mein usse apne liye kuch alag sa dikhta hai jisse woh samaj nhi paati.

Sonal: Raj ki aankho mein dekhte hue. Kyaa hu main aapke liye.

Raj: Samay aane pe khud pata chal jaayega tumhe. Yeh bol apni nazre hata leta hai.

Sonal bhi apni nazre dusri taraf karke khadi rehti hai. Par uska dil badi joro se dhadak raha tha aur aisa kyo horaha tha woh samaj nhi paa rahi thi.

Kuch der baad Raj bolta hai.

Raj: Main kal 3 din ke liye Gujrat jaa raha hu. Toh tumhe Aarav College se laane aur chorne jaayega.

Sonal: Achanak Gujrat kisliye.

Raj: Woh ek business deal hai.

Sonal: Kya aapka jaana jaruri hai. Koi aur nhi jaa sakta.

Raj: Sab dusre kaam mein busy hai toh mujhe hi jaana hoga.

Sonal: Udaas mann se. Thikk hai.

Phir dono kuch der baat karke apne apne kamre mein aajate hai.

Raj apne kamre mein aake apne mobile mein alarm lagake sone lagta hai toh uske mobile mein ek msg aata hai.

Happy and Safe Journey. Good Night.

Yeh msg padhke Raj ke chehre mein ek muskurahat aajati hai aur woh bhi reply kardeta hai. Thank you and Good Night. Phir so jaata hai.

Agle din subah Raj jaldi uth ke ready hoke nichhe aata hai toh waha Smita uska wait kar rahi hoti hai.

Raj: Mummy aap itni subah.

Smita: Beta ghar se bahar jaa raha ho aur ek maa soti rahe yeh kaise possible hai. Chal aaja nashta karle.

Raj bas smile kardeta hai aur baithke nashta karne lagta hai.

Thodi der main uska nashta khatam hojaata hai aur woh jaane ke liye ready tha.

Smita: Dhyaan se jaana aur jaldi aana.

Raj: Jiii.

Phir Raj Smita ke pairr chuke nikalne wala hi hota hai ke usko kuch yaad aata hai aur woh wapas aata hai aur upar ki taraf jaata hai.

Upar aake woh sidha Sonal ke kamre mein aata hai aur dheere se door kholke andar aata hai.

Raj dekhta hai Sonal bekhabar sorahi thi aur uske chehre mein duniya bharr ki masoomiyat jhalak rahi thi.

Raj dheere dheere uske paas aata hai aur ekdum aaram se uske sir ko sehlaane lagta hai.

Raj: Apna dhyaan rakhna Sonal. Main jald wapas aajaunga. Yeh bol uske sir ko chum leta hai.

Idher Jaise hi Raj Sonal ke sir ko chumta hai toh Sonal ke chehre mein neend mein hi ek smile aajati hai.


Phir Raj waha se nikal jaata hai.
Mast update bhai
 

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,102
218
Update 92
Subah Sonal apne time se uthkar daily routine mein lag jaati hai. Woh Raj ka Gujrat jaana bhul jaati hai.

Woh apne kamre se bahar aake kitchen mein chali jaati hai aur Nandini ki help karne lagti hai.

Thodi der mein sablog nashte ke table mein baithe hue the par Sonal ko waha Raj nazar nhi aata toh woh puch baithti hai.

Sonal: Raj nhi aaye abhi tak.

Smita: Tumhe nhi pata Raj Gujrat gaya hua hai.

Smita ke bolne pe Sonal ko kal raat ki baat yaad aati hai ke Raj 3 din ke liye Gujrat chala gaya hai.

Sonal: Haa woh unhone kaha tha par main bhul gayi. Kab gaye woh.

Smita: Woh toh ekdum subah subah hi chala gaya.

Sonal: Mann mein. Itni subah chale gaye. Jaate hue mujhse mile bhi nhi.

Smita: Kya sochne lagi Sonal.

Sonal: Aah kuch nhi. Bas ab College kaise jau yehi soch rahi thi.

Aarav: Didi aap chinta naa karee. Bhaiya ne aapko college se laane aur le jaane ki puri zimmedaari mujhe di hai unke aane tak.

Sonal: Oookkk. Mann mein. Kitni fikr hai meri. Khud nhi hai par mujhe koi problem naa ho yeh dekh kar gaye hai.

Phir sab apna nashta khatam karke apne apne kaam mein chale jaate hai.

Aarav: Toh didi chale aapke college.

Sonal: Haaa chalo.

Phir woh dono nikal padhte hai College ki taraf.

Aarav: Aaj aap pehli baar mere saath jaa rahi hai achha lag raha hai naa. Mann mein. Aaj kitne dino baad bhabhi ko college chorne jaa raha hu. Aisa lag raha hai jaise woh din wapas aagaye hai.

Sonal: Haa achha hi hai.

Aarav: Waise aapka college kaise jaa raha hai. Bhaiya ke rehte hue koi problem toh hoti hogi nhi.

Sonal: College toh achha jaa raha hai. Aur humhe koi problem nhi hoti. Agar koi problem hoti bhi hai toh tumhare bhaiya dekh lete hai.

Aarav: Waise aaj Bhaiya ki jagah main hu toh kahi aap unhe miss toh nhi kar rahi ho naa.

Sonal: Nahi aisa kuch nhi hai. Mann mein. Miss toh kar rahi hu. Par kisliye unhe miss kar rahi hu main.

Phir thodi der mein dono ek jagah ke paas aajate hai toh Sonal bolti hai.

Sonal: Raj gaadi rokiye humara stop aagaya hai.

Aarav: Kyaa hua didi. Gaadi rokhne ke liye kyo kaha. Aur bhaiya nhi hai aaj main hu.

Sonal: Ooo sorry. Actually itne dino se Raj ke saath ki aadat padh gayi hai toh isiliye unka naam hi muh se nikal gaya.

Aarav kuch nhi bolta bas smile kar deta hai.

Sonal gaadi se utarne lagti hai toh Aarav bolta hai.

Aarav: Aap yaha kyo utar rahi hai. Main college ke andar tak chorr deta hu naa. Jab tak Raj bhaiya nahi aate tab tak main wahi se aapko pickup aur drop karta rahunga.

Sonal: Parrr.

Aarav: Ab baith jaaiye. Agar koi puche toh bol dena aapka bhai hu.

Sonal kuch der sochti hai phir haa kardeti hai.

Phir Aarav Sonal ko direct College ke parking area mein hi drop karta hai.

Sonal: Thank You.

Aarav: Isme Thank You kaisa. Yeh kaam karke naajane kyo mujhe ek alag si khushi mehsus hoti hai. Aisa lagta hi nhi jaise aaj pehli baar aapko drop kiya hai.

Sonal Aarav ki baat sunke smile kardeti hai.

Aarav: Chutti ke baad yehi wait karunga aapka. Aap yehi aajana.

Sonal: Thikk hai. Byeee. Yeh bol Sonal waha se nikal jaati hai.

Sonal ke waha se nikalte hi ek awaaz aati hai. Kyaa baat hai Mr. Driver aapko aapki asli job wapas mil gayi kya.

Yeh awaaz sunte hi Aarav ke chehre mein ek smile aajati hai aur woh bolta hai.

Aarav: Yeh job karke mujhe aisa lag raha hai jaise woh purane din wapas aagaye hai Payal. Par meri badkismati yeh job sirf 3 din ke liye hi hai.

Payal: Samaj sakti hu. Bhagwan jald hi bhabhi ki yaadash wapas laa de bas.

Aarav: Hmmm. Waise tum yaha kyaa kar rahi ho.

Payal: Bas kisi khash ka intezaar kar rahi thi.

Aarav: Toh aagaya woh khaash.

Payal: Haa aagaya hai. Achha ab main chalti hu.

Aarav: Aree abhi toh aayi ho.

Payal: Haa pata hai. Par yeh park nhi hai mera college hai. Agar kisi ne dekh liya naa toh achha nhi lagega.

Aarav: Dekhliya toh boldena hone wala pati hai.

Payal: Shakal dekhi hai aaiyne ne. Bade aaye pati wale. Hatttt. Yeh bol haste hue waha se nikal jaati hai.

Aarav bhi haste hue apne gaadi leke waha se chala jaata hai.

Payal Parking se sidha Canteen mein aati hai jaha sablog baithe hue baate kar rahe the.

Soniya: Heyy Sonal main 2 dino se tumse kuch puchna chahti thi par puch nhi paayi toh kyaa abhi puchlu.

Sonal: Haa pucho naa.

Soniya: Yeh Raj Sir ke number tumhare paas kaise aaya. Main usi raat ko puchti par puch nhi paayi.

Soniya ke iss sawaal pe jaha Sonal thodi pareshan hojaati hai wahi Neha bhi yeh jaane ke liye betaab thi.

Neha: Haa batao naa tumhare paas kaise aaya unka number. Aur uss din bhi tumhare ekbaar bulane pe woh turant chale aaye. Kyaa tumlog ekdusre ko jaante ho alag se.

Ishita: Mann mein. Isko itni kyaa padhi hai. Aree woh inke pati hai unka number inke paas nhi rahega toh kyaa tere paas rahega. Abhh bhabhi kyaa karengi. Soniya ne toh achha fhasaya.

Sonal: Woh actually ekdin main unse raaste mein mili thi aur tab unki ek book wahi girr gayi thi jisme unka number tha toh usi se mujhe mila tha unka number.

Neha: Achhaa. Mann mein. Mujhe aisa kyo lag raha hai jaise yeh jhoot bol rahi hai. Kyoki inki woh closeness toh kuch aur hi keh rahi thi. Aisa lag raha tha yeh ekdusre ko bahot achhe se jaante hai.

Soniya: Ooo. Waise achha hi hua tha jo unka number tumhare paas tha. Agar Raj Sir naa hote toh pata nhi kyaa hojaata.

Raj ki tareef sunke Sonal ke dil mein ek anjaani si khushi paida hoti ha aur woh mann hi mann muskurane lagti hai jiska kaaran woh samaj nhi paa rahi thi.

Neha: Waise Sonal.kyaa tum mujhe Raj Sir ka number de sakti ho. Woh kyaa hai naa mujhe unke subject mein thodi problem hoti hai toh unse phone mein baat karke solve karlungi.

Sonal: Sorry Neha. Par unhone mujhe mana kiya hai ke main unka number kisi ko bhi naa du unke permission ke bina.

Neha: Ooo koi baat nhi. Mann mein. Gusse se. Main sab samajti hu Number mujhe dena hi chahti ho tum. Par main bhi unka number leke rahungi chahe jo hojaaye.

Varun: Chalo ab class mein chalte hai. Jinki baat horahi hai unki hi class start hone wali hai.

Sablog uthke jaane lagte hai toh Sonal bol uthti hai.

Sonal: Woh aaj college nhi aayenge. Woh 3 din ke liye kisi kaam se bahar gaye hai toh 3 din unka class off rahega.

Neha: Hairaani se aur dukhi mann se. Tumhe kaise pata woh nhi aane wale hai.

Sonal: Unhone mujhe bola hai isiliye mujhe pata hai.

Neha: Kaha gaye hai woh aur kab tak aayenge aur sirf tumhe hi kyo bola.

Sonal: Woh mujhe nhi pata.

Neha Raj ke naa aane ki baat sunke buri tarah udaas hojaati hai aur usse Sonal se jalan bhi hone lagti hai ke Raj ne sirf Sonal ko bataya ke woh nhi aane wala hai.

Vishal: Ab tumlogo ka yeh period free hai par mera nhi. Main chala. Yeh bol Vishal waha se nikal jaata hai aur uske pichhe pichhe Payal bhi.

Neha bhi waha se bina kuch bole nikal jaati hai Soniya usse puchti hai toh woh library jaa rahi hai yeh bol nikal jaati hai.

Varun: Lo yehlog toh chale gaye. Ab hum kyaa karee.

Soniya: Karna kyaa hai. Class mein jaake hi baith jaate hai wahi baate karenge.

Ishita: Chalo phir.

Sonal: Tumlog jao. Main kuch der yehi rahungi.

Ishita: Kyaa hua didi koi problem hai.

Sonal: Nhii bas kuch der akela rehna hai.

Ishita: Thikk hai.


Phir woh teeno bhi waha se nikal jaate hai aur Sonal Canteen mein hi baithi rehti hai.
Nice update bhai
 

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,102
218
Update 93
Sonal: Kyaa karu unhe call karu kyaa. Karleti hu. Phir Sonal Raj ko call karti hai.

Phone lagne ke kuch der baad hi Raj call receive karleta hai.

Raj: Good Morning Ms. Pagal. Aagayi aap college.

Sonal: Haaa aagayi. Aap pahonch gaye Gujrat.

Raj: Haa main pahonch gaya hu. Tum class mein nhi gayi.

Sonal: Kyaa karti jaake. Yeh class aapki hai. Ab aap hai nahi toh free hi rahega naa.

Raj: Baat toh sahi hai.

Sonal: Waise aapne mujhe hurt kiya hai.

Raj: Maine tumhe hurt kiyaa. Seriously. Kab kiyaa.

Sonal: Haa. Aur aaj hi kiya hai. Aap mujhe apni best friend maante hai aur apni best friend se mile bina hi chale gaye.

Raj: Ooooo. Sorryy sorryyy. Yeh toh mujhse galti hogyi. Par main aaya tha tumhare room mein subah. Par tab tum gehri neend mein so rahi thi aur tumhe uthana sahi nhi laga.

Sonal: Kyaaaa. Aap mere kamre mein aaye the.

Raj: Haaaa. Waise ek baat kahu.

Sonal: Haa boliye.

Raj: Bura toh nhi maanogi.

Sonal: Woh toh aapki baat pe depend karta hai.

Raj: Subah tum sote hue ekdum masoom aur bahot khubsoorat lag rahi thi. Ek pal toh main jaise khoo hi gaya thaa.

Raj ki baat sunke Sonal buri tarah sharma jaati hai aur uske dil mein khushi ki umang chidd jaati hai. Par Raj ko dikhane ke liye woh gussa hone ka naatak karti hai.

Sonal: Kyaaa bola aapnee. Aap mere sote hue hone ka faiyda utha rahe the. Mujhe aapse aisi umeed nhi thi.

Sonal ki baat sunke Raj Tension mein aajata hai.

Raj: Nhii Sonal tum galat samaj rahi ho.

Sonal: Achha ab galat bhi main hi samaj rahi hu. Main toh aapko achha insaan samaj rahi thi par aap meri soch ke ulat hi nikle

Raj: Darr se. Nhii Sonal mera woh matlab nhi thaa. Tum pleasee naraz mat ho. I am Sorry. Pleasee mujhe maaf kardo.

Sonal jo Raj ki halat ka andaza laga paa rahi thi woh ab aur control nhi kar paati aur uski hasi nikal jaati hai aur woh hasne lagti hai.

Sonal: Haste hue. Kaash aap iss waqt mere samne hote toh aapka chehra dekhne layak hotaa. Aap kitne darpok hai. Kitna darte hai aap mere se.

Raj: Matlab itni der se tum mere saath masti kar rahi thi. Aur yaha meri halat kharab hogyi thi. Tum sach mein puri pagal ho.

Sonal: Aur aap darpok. Woh bhi bade wale. Waise aap mujhse itna darte kyo hai.

Raj: Kyoki main tumhe khona nhi chahta. Main nhi chahta kisi bhi wajah se tum mere se durr jao. Tum mere liye kyaa ho yeh toh main tumhe bata nhi saktaa.

Raj ki baat sunke Sonal ekdum khamosh hojaati hai. Woh Raj ki baato ko samajne ki koshish kar rahi hoti hai. Unn baato ke andar Raj ki jo feelings thi woh samajne ki koshish kar rahi hoti hai.

Kuch der dono taraf se khamoshi rehti hai dono jaise ekdusre ki saanson ki awaaz sunn rahe the.

Raj: Achha main rakhta hu Mujhe ab nikal hoga. Sham ko baat hogi. Byeeee aur apna khayal rakhnaa.

Sonal bas aap bhi itna hi bol paati hai uske aage uske shabd hi nhi nikle.

Phir Sonal call cut kardeti hai aur wahi baithi Raj ki kahi hui aankhri baato ko sochne lagti hai.

Jaha uska dil Raj ki kahi hui baato ki wajah se khushi se jhoom raha tha wahi uska dimaag yeh soch raha tha ke Raj ki kahi hui baato ki wajah se usse itni khushi kyo horahi ho.

Yehi sab sochte sochte usse pata hi nhi chalta ke kab class over hojaati hai. Uska dhyaan tab toot ta hai jab uske kaano mein bell ki awaaz aati hai.

Phir Sonal waha se uthkar apne class ki taraf jaane lagti hai par uske dil-o-dimaag mein sirf Raj aur uski kahi hui baatein hi chaai hui thi.

Woh apni class mein aake chup chaap apni jagah pe baith jaati hai aur class mein dhyaan dene ki koshish karti hai par uska dhyaan baar baar dusri taraf ya yu kahe Raj ki kahi hui baato ki taraf hi jaa raha thaa.

Recess ke waqt jaha sablog baate kiye jaa rahe the wahi Sonal chup chaap gumsum si baithi hui thi. Aur yeh chiz uss anjaan insaan ne notice karli thi.

Idher Neha Sonal ke mobile se Raj ke number kaise nikale yehi soche jaa rahi thi. Jo usko kaise bhi karke chahiye thaa.

Recess ke baad sablog apne apne class mein jaa rahe the toh Ishita aur Payal Sonal ke paas aati hai aur puchne lagti hai.

Ishita: Kyaa baat hai didi subah se dekh rahi hu aap kuch pareshan hai. Aap ka dhyaan baar baar kahi aur jaa raha hai.

Payal: Haa didi. Kyaa baat hai. Aur aapka chehra bhi kaise udaas sa hai. Kuch hua hai kyaa.

Sonal: Nhii aisi koi baat nhi hai. Bas mujhe aaj achha nhi lag raha hai. Boriyat si mehsus horahi hai.

Ishita: Aisa toh pehle kabhi nhi hua. Mazaak karte hue. Kahi Raj bhaiya nhi aaye isiliye toh aisa nhi horaha hai. Unke naa aane ki wajah se aapko boriyat mehsus horahi hai naa.

Ishita ki baat sunn jaha Payal hasne lagti hai wahi Sonal ka chehre mein bhi ek pal ke liye muskurahat aajati hai jisse woh jald hi chupa bhi leti hai phir jhootha gussa karte hue Ishita ko bolti hai.

Sonal: Main kyo unki wajah se boriyat mehsus karungi. Areyy kabhi dekha hai kya kisi Bandar ki wajah se Sherni udaas hai. Mujhe bas aaj achha nhi lag raha hai isiliye mera dhyaan bhatak raha hai. Aur tumdono apna yeh dimaag padhai mein lagao samjhi.

Dono: Hastee huee. Haa haa hum sab samaj rahe hai. Sherni apne bandar ko miss kar rahi hai. Warna humne kab kaha aap udaas hai humne tih yeh shabd use hi nhi kiyaa.

Sonal dono ki baat sunke apne aap ko mann mein koshti hai phir dono se apni nazre chura leti hai.

Dono: Humse kaisa sharmana didi. Aap humse baat share kar sakti hai. Hum best friends hai na. Manna Bandar jitna nhi par unke baad toh hai naa.

Sonal: Aisa kuch nhi hai. Woh actually jab se main yaha pe hu woh mere saath hai naa aur aaj nhi hai toh thoda ajeeb lag raha hai. Aur tumdono ke bhaiya hai toh give him respect. Yeh baar baar Bandar kyaa bol rahi ho. Unhe Bandar kehne ka haq sirf mujhe hai samjhi tumdono.

Dono: Haa haa hum sab samaj gaye hai. Yeh bol hasne lagti hai.

Sonal: Chidte hue. Tumdono se toh baat karna hi bekaar hai. Yeh bol waha chali jaati hai.

Sonal ko aise jaate dekh dono phir hasne lagte hai.

Ishita: Payal dekh rahi hai Bhabhi bhaiya ko kis tarah miss kar rahi hai. Unke ek din naa hone se unka yeh haal hai.

Payal: Haa. Unke dil mein bhi bhaiya ke liye ek special jagah bann gayi hai jo woh samaj nhi paa rahi hai. Umeed hai yeh 3 din unko samjha de.

Ishita: Hope so. Agar aisa hojaaye toh kamaal hojaayega. Waise aisa pehli baar hogaa na Bandar aur Sherni ki jodi. Yeh bol hasne lagti hai.

Payal: Haste hue. Dheere bol agar bhabhi ne sunn liya na toh humhe chorengi nhi. Bandar ka toh pata nhi par yeh Sherni humhe kachha khaa jaayegi.

Phir dono haste hue apne apne class ki taraf nikal jaate hai.

Idher Sonal canteen se nikal ke apne class ki taraf jaate hue baar baar sharma rahi thi. Usko Ishita aue Payal ki baat se jaha ek taraf sharm aarahi thi wahi khud ke upar gussa bhi aaraha tha ke woh bhi waha kyaa kyaa bole jaa rahi thi. Par iss conversation se kuch der ke liye hi sahi par Sonal ka moof achha hogya tha.

Chutti ke baad sablog parking ki taraf jaa rahe the jaha Aarav baitha wait kar raha tha.

Aarav: Chalee.

Sablog waha Aarav ko dekh kar thoda hairaan hote hai upar se Aarav ka Sonal se Chale bolke baat karna sabko thoda shocking bhi laga.

Soniya: Sonal yeh kaun hai. Pehle toh kabhi nhi dekha isse tumhare saath. Aur yeh tumhe chalo kyo bol raha hai.

Sonal: Yeh mera bhai hai. Toh mujhe lene aaya hai.

Varun: Achhaa. Toh humsab ka bhi intro karwao.

Sonal: Yeh hai Aarav. Aur Aarav yeh hai Soniya Varun Vishal aur Neha.

Aarav: Hii.

Sab: Hiii.

Payal: Haa toh Mr. Driver humari didi ko achhe se leke jaana samjhe tum.

Aarav: Jii Madam. Didi chale.

Sonal: Haa chalo.


Phir Sonal Aarav ke saath waha se nikal jaati hai aur baaki sab bhi waha se nikal jaate hai.
Nice update bhai
 
  • Like
Reactions: Luffy and Jaguaar

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,102
218
Update 94
Aarav: Toh kaisa gaya aaj aapka college.

Sonal: Thikk hi thaa.

Aarav: Agar aisa hi tha toh aapka chehra utra hua kyo hai.

Sonal: Nhii aisi koi baat nhi hai. Woh bas thoda thakk gayi hu isiliye aisa lag raha hoga tumhe.

Phir Aarav aage kuch nhi bolta aur thodi der mein ghar aajata hai.

Sonal gaadi se utar kar sidhe apne kamre mein jaati hai aur wahi baith jaati hai.

Sonal: Main unhe kyo itna miss kar rahi hu. Abhi 1 din bhi nhi hua hai unhe gaye hue aur main unhe itna miss kyo kar rahi hu. Inn kuch dino mein aisa kyaa hogya hai mujhe. Woh toh sirf mere ek achhe dost hai phir mujhe kyo itna ajeeb lag raha hai.

Yehi sab sochte hue uska sir dard karne lagta hai. Dard ek time pe itna badh jaata hai ke uske aankho se aansu aajate hai. Tabhi uske kamre mein Nandini aati hai aur woh Sonal ko sir pakad ke rote dekh ghabra jaati hai.

Nandini: Sonal kyaa hua tumhee. Tum aise kyo behave kar rahi ho. Kyaa hua batao mujhee.

Sonal: Aankho mein aansu liyee. Meraa sir bahot dard kar raha hai bhabhi. Mujhse yeh dard sehan nhi horaha hai. Aisa lag raha hai koi mere sir mein hathode se maar raha hai.

Nandini: Tension mein. Tumne apni dawaiya li.

Sonal: Haa li thi. Kuch karo bhabhi. Yeh sir dard sehan nhi horaha hai.

Nandini: Tum ruko main abhi Mummy aur Choti Mummy ko bulati hu. Yeh bol Nandini bhagg ke jaati hai aur Smita aur Ragini ko bula ke laati hai.

Smita: Sonalll. Kyaa hua betaa. Aise ro mat. Thikk hojaayegaa.

Ragini: Haaa Betaa. Nandini jaldi jaao aur iski sir dard ki dawai leke aao.

Nandini jaldi se Sonal ke sir dard ki dawai laati hai Sonal ko deti hai. Sonal bhi jaldi se woh dawai le leti hai. Jisse thodi der mein Sonal ka dard kam hone lagta hai aur dheere dheere Sonal ko neend aajati hai aur woh so jaati hai.

Ragini: Nandini achanak se Sonal ko itna sir dard kaise start hogyaaa.

Nandini: Pata nhi Mummy. Main jab Sonal ko khaane ke liye bulane aayi toh yeh apna sir pakad ke ro rahi thi. Jab maine pucha toh boli bahot sir dukh raha hai. Main darr gayi isiliye aaplogo ko bula laayi.

Smita: Shayad aaj jyaada thakk gayi hogi aur hosakta hau dimaag mein kuch hi jorr padh gaya hoga isiliye dard karne laga. Abhi dawaai leke isse sone do. Sham tak thikk hojaayegi.

Phir teeno Sonal ke kamre se bahar aajate hai.

Sham ko jab Sonal so ke uthti hai toh woh achha mehsus kar rahi thi. Uska sir bhi dard nhi kar raha tha. Phir woh fresh hoke nichhe aati hai jaha sablog baithe baate kar rahe the.

Smita: Sonal ab kaisi ho tum. Sir dard thikk hai naa.

Sonal: Haa. Ab thikk hai.

Ragini: Achanak se itna sir dard kaise hogyaa beta.

Sonal: Pata nhi. Achanak se dard suru hogya aur badhta hi gaya.

Smita: Kyaa tum apne dimaag mein jyaada jorr de rahi thi. Kisi chiz ko leke kuch jyaada soch rahi thi.

Sonal: Mann mein. Ab inko kaise batau kuch dino se aur specially aaj main Raj ko leke kuch jyaada hi soch rahi hu. Mere dimaag mein harwaqt wahi ghumm rahe hai. Phir jorr se bolti hai. Nhii aisa kuch nhi hai. Shayad aaj thoda jyaada thakk gayi thi isiliye aisa hogya hoga.

Smita: Thikk hai. Apna dhyaan rakha karo Sonal. Aur tumhara sur dard kar raha tha yeh baat Raj ko mat batana. Warna woh bahot pareshan hojayega. Aur shayad sang sang woh yaha wapas aajayega. Tum nhi jaanti tumhari kitni fikr karta hai woh. Jab tum hospital mein thi tab sabse jyaada woh hi tumhare paas tha.

Sonal ko yeh sunn ek jhatka lagta hai ke Hospital se Raj uski parwaah kiye jaa raha hai. Uska khayaal rakh raha hai. Aur usse pareshan dekh woh pareshan hojaata hai.

Sonal: Mann mein. Sirf ek dost ke liye itni parwaah itni fikr. Meri pareshani dekh woh pareshan hojaate hai. Mujhe koi takleef ho woh dekh nhi sakte.

Aur phir unki kahi hui woh baate ke main unke liye kyaa maayne rakhti hu yeh woh bol nhi sakte. Mere naaraz hone se woh darte hai ke kahi woh mujhe khoo naa de. Itna kuch sirf dosti ke liye. Yaa phir yeh sab dosti se kahi jyaada hai.

Abhi woh yehsab soch rahi thi tabhi uske mobile mein Swati ka call aajata hai jisse dekh woh khush hojaati hai.

Sonal: Hellooo diiii. Kaisii haiii aap.

Swati: Main achhi huu. Tu bata tu kaisi hai. Tabiyat toh thikk hai naa teri. Aur padhai kaisi chal rahi hai. (Casually yeh sab Swati ko pehle se pata hai par phir bhi woh Sonal se jaanmuzz ke puch rahi hai)

Sonal: Main bahot achhi hu. Meri tabiyat bhi thikk hai. Aur padhai bhi achhi chal rahi hai. Mummy papa Samar kaise hai.

Swati: Woh sab bhi achhe hai. Tu kyaa kar rahi hai.

Sonal: Main yaha sabke saath baithi hui hu.

Phir Ragini Swati se baat karne ke liye Sonal se phone le leti hai.

Ragini: Swati beta tabiyat kaisi hai. Sab thikk hai naa.

Swati: Haa Aunty ji. Abhi toh sab thikk hai. Shruti didi toh mujhe koi kaam karne hi nhi deti. Harwaqt bas aaram hi karwati hai. Ishu bhi college se aake mere har chote se chote kaam kardeti hai. Mujhe toh bas ek hi kaam diya gaya hai Shristi ke saath khelna ka.

Ragini: Yeh toh achhi baat hai.

Phir sab Swati se thoda baat karke phone Sonal ko de dete hai. Sonal baat karte hue apne kamre mein aajati hai.

Sonal: Achha di. Agar main aapse kuch puchu toh aap batayengi.

Swati: Aree yeh bhi koi puchne ki baat hai. Pucho kyaa puchna hai.

Sonal: Maan lijiye do anjaan log ek ladka ek ladki. Pehli mulakat mein ekdusre ko galat samaj baithe. Phir dheere dheere unki misunderstanding durr hui aur woh dost bane. Dheere dheere woh dost se bahot achhe dost bane.

Swati: Areyy yeh toh achhi baat hai na.

Sonal: Haaa baat toh achhi hai. Aap aage suniye naa.

Swati: Achha bolo.

Sonal: Dono dost ek saath ek hi jagah kaam pe jaate. Ladki ko ladka kuch apna sa lagne laga par aisa kyo horaha hai usse samaj nhi aata. Ladka ladki ki hadd se jyaada parwaah karta uski fikr karta. Ladki ko pareshan dekh woh ladka bhi pareshan hojaata hai. Ladki ko koi takleef na ho issbaat ka pura khyaal bhi rakhta hai.

Ladki kahi usse naraz naa hojaaye iss baat se darta hai. Aur jab ladki ne pucha itna darte kyo ho toh ladka bolta hai woh usse khone se darta hai. Woh ladki uske liye kyaa hai woh yeh baat usse bol nhi payega.

Ladka kuch waqt ke liye ladki se durr jaata hai toh ladki kuch hi ghanto mein ladke ko miss karne lagti hai. Uske liye woh pareshan hone lagti hai. Par ladki ko aisa kyo horaha hai woh samaj nhi paa rahi hai. Woh harwaqt uss ladke ke baare mein kyo soch rahi yeh usse samaj nhi aaraha hai.

Swati: Tum puchna kyaa chahti ho Sonal. Yeh kahani sunane ka tumhara motive kyaa hai.

Sonal: Main puchna chahti hu kyaa sirf dosti mein itni fikr itni parwaah hoti hai. Ladka ladki se jo bolta hai kyaa woh sirf dosti hai. Ladki ladke ke durr jaane se usse miss karne lagti hai kyaa yeh sirf dostii hai yaa phir yeh dosti se badh kar kuch hai.

Swati: Hmmm toh yeh baat hai.

Sonal: Haaa.

Swati: Pehle mujhe yeh batao yeh baat tumhare dimaag mein aayi kaise. Aur tum yeh kyo puch rahi ho. Aur yeh ladka aur ladki kaun hai.

Sonal: Ghabrate hue. Woh di actually maine na yeh sab ek movie mein dekha tha. Par woh movie mein puri nhi dekh paayi aur uss movie ka naam bhi yaad nhi. Bas isiliye puch rahi hu.

Swati Sonal ke iss harqat pe mann hi mann muskurati hai. Kyoki woh samaj gayi thi Sonal exactly kyaa puchna chahti hai aur woh ladka ladki asal mein kaun hai.

Swati: Dekho Sonal. Maine jaha tak tumhari baat ko samjha hai toh woh yeh hai ki yeh sirf dosti toh nhi hai. Dosti se badh kar kuch hai. Ladka jiss tarah ladki ki parwaah karta hai uski fikr karta hai Ladki ko koi takleef na ho issbaat ka pura khyaal bhi rakhta hai. Ladki kahi usse naraz naa hojaaye iss baat se darta hai. Aur jab ladki ne pucha itna darte kyo ho toh ladka bolta hai woh usse khone se darta hai

Toh meri behen yeh samaj jaa woh ladka uss ladki se pyaar karta hai. Bahot pyaar karta hai. Uske liye kuch bhi jaayega.

Sonal Swati ki baat sunke buri tarah shock hojaati hai. Woh ekdum khamosh hojaati hai. Uski dil ki dhadkane bhi badh jaati hai.

Swati: Aur rahi baat uss ladki ki toh ladki bhi uss ladke se pyaar karne lagi hai par yeh baat woh samaj nhi paa rahi hai.

Swati ki yeh baat Sonal ke liye kisi bahot bade jhatke se kam nhi tha. Usse apne kaano mein yakeen nhi horaha tha ke Swati ne abhi usse kyaa kaha.

Sonal: Shock hoke. Kyaaa kaha aapne abhi. Woh ladki bhi uss ladke se pyaar karti hai.

Swati: Haaa.

Sonal: Aise kaise hosakta hai. Woh toh usko thikk se jaanti bhi nhi hai phir kaise woh pyaar kar sakti hai.

Swati: Mann hi mann muskurate hue. Achha ek baat batao woh ladka aur ladki ekdusre ki kitne time se jaante hai.

Sonal: Yehi kuch 1.5 months ke aas paas.

Swati: Aur agar main kahu pyaar ek pal mein ek hi nazar mein hosakta hai tab tum kyaa kahogi.

Swati ki iss baat pe Sonal khamosh hojaati hai.

Swati: Achha ek baat batao kyaa sirf ek dost ke kuch waqt durr jaane se koi usse itna miss kar sakta hai jitna tumne bataya. Koi itna pareshan hosakta hai. Agar pyaar nhi hai toh kyo woh ladki harwaqt uss ladke ke baare mein soch rahi hai.

Sonal Swati ki baat pe sochne lagti hai ke Swati ne jo kaha woh kahi na kahi sahi hi kaha hai.

Swati: Achha ek baat batao kyaa uss ladke ke kareeb agar koi ladki jaati hai toh kyaa uss ladki ko buraa lagta hai. I mean to say ke jalan jaisi feeling aati hai.

Sonal: Mann mein. Baat toh sahi hai. Woh Neha jab jab Raj ke kareeb jaane ki koshish karti hai mujhe jalan si mehsus toh hoti hai. Phir jorr se bolti hai. Haaa hoti hai.

Swati: Toh agar sirf dost hai toh phir jalan kisliye.

Sonal: Toh aapke hisaab se dono ke beech pyaar hai.

Swati: Haa. Tune mujhe jaisa bataya hai uske hisaab se yeh pyaar hai. Aur agar puri tarah se confirm karna hai toh saamne wale ko samjho uske behaviour ko samjho.

Sonal: Thikk hai di.

Swati: Achha ab main rakhti hu. Apna khayal rakhnaaa. Byeee

Sonal: Byeeee. Phir phone cut hojaata hai aur Sonal Swati ki kahi hui baato ko sochne lagti hai.

Sonal: Kyaa sach mein Raj mujhse pyaar karte hai. Aur kyaa main bhi Raj se pyaar karne lagi hu. Par yeh kaise hosakta hai. Hum toh bas achhe dost hai. Par jaisa di ne kaha humare beech bhi toh waisa hi hai. Kuch der yeh sab sochne ke baad Sonal apna dhyaan padhai ke upar lagati hai par waha bhi baar baar uska dhyaan Raj ke upar aur Swati ki hui baato ke upar hi jaa raha tha.


Isi chakar mein raat hojati hai. Sonal bhi neeche jaake Nandini ki help karne lagti hai. Aur thodi der mein khaana bhi banjaata hai. Jiske baad sab khaa ke apne apne kamre mein aajate hai.
Mast update bhai
 

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,102
218
Update 95
Sonal jab apne kamre mein aati hai toh uske mobile mein Raj ka call aata hai. Jisse dekh kar Sonal ke dil mein ek anjaani si khushi mehsus hoti hai aur uska dil joro se dhadakne lagta hai.

Sonal: Dhadakte dil ke saath. Hello.

Raj: Kyaa kar rahi ho.

Sonal: Kuch nhi.

Raj: Khaana khaa liyaa.

Sonal: Haa bas abhi abhi hua. Aapne khaa liyaa.

Raj: Haa mera hogyaa.

Sonal: Aapka kaam hogyaa.

Raj: Aree abhi kaha. Kal ek party hai. Kaam toh uss party ke baad hogaa.

Sonal: Achha.

Raj: Tum yeh batao tumhara college kaisa gaya aaj.

Sonal: Mann mein. Ab aapko kyaa batao kaisa gaya. Pure time toh aapke baare mein hi soch rahi thi.

Raj: Hellooo.

Sonal: Haaa college achha gaya. Aap kab tak aayenge.

Raj: Kyo miss kar rahi ho.

Sonal: Main kyo miss karungi. Mann mein. Bahott jyaada.

Raj: Thikk hai toh phir yaha kuch din ghum lu phir aaunga.

Sonal: Aree aisee kaise kuch din ghumm lu. Aapko yaha ki(Meri) koi fikr hai ki nhi.

Raj: Waha kiski aur kyaa fikr karni koi bhi mujhe waha miss toh kar nhi raha hai.

Sonal: Aree yaha aapka college hai aapka syllabus abhi baaki hai Aur aapke students aapko miss kar rahe hai.

Raj: Students kar rahe hai. Par students mein jo ek dost hai woh nhi kar rahi.

Sonal: Sharmate hue. Jab sab kar rahe hai toh main bhi kar rahi hu.

Raj: Kyaa baat hai. Sab kar rahe haj isiliye tum bhi kar rahi ho gazabbb.

Sonal: Mann mein. Main aapko kitna miss kar rahi hu yeh main aapko kaise batau. Abhi aapse baate karte hue meri dil ki dhadkane kitni badh gayi hai.

Raj: Tumhe yaha se kuch chahiyee.

Sonal: Nhii kuch nhi chahiye. Mann mein. Aap yaha aajaiye. Mujhe jo chahiye woh mil jaayega.

Raj: Achha ab main rakhta hu. Good Nighttt.

Sonal: Good Nightt.

Phir call cut hojaata hai. Call cut hote hi Sonal apna haath apne dil pe rakh leti hai jo behadh joro se dhadak raha tha.

Sonal: Yeh aaj kyaa hogyaa tha. Raj se baat karte hue mera dil itne joro se kyo dhadak raha thaa. Kyaa sach mein main bhi Raj se pyaar karne lagi hu. Yeh bol woh sharmaa jaati hai. Phir khud hi bolti hai. Nhi nhi aisa kuch nhi hai. Yeh sab di ne mere dimaag meim dhaal diya hai. Mujhe unse puchna hi nhi chahiye tha. Main aur Raj bas achhe dost hai aur kuch nhi.

Phir yehi sab sochte hue Sonal so jaati hai. Par usko neend nhi aarahi thi. Uske dimaag mein kuch aur hi chal raha tha jisko sochte hue woh baar baar sharmaaye jaa rahi thi. Aise hi karte karte usko neend aajati hai.

Sonal ko soye hue kuch time hi hua tha ke uski neend toot jaati hai aur woh uthke baith jaati hai.

Sonal: Yehhh sab kyaa horaha hai mere saath. Pehle toh jaagte hue Raj ki yaad aarahi thi. Ab toh woh khud sapne mein aarahe hai. Bhagwaan yehhh kyaa horahaaa hai. Aisee toh mainn pagall hojaungi. Jaagte hue mujhe pareshan kiye jaa rahe the woh kamm tha ab toh sapne mein bhi pareshan kar rahe hai.

Kahi aisa toh nhi jo didi bol rahi thi woh sach hai. Kyaa sach mein main Raj se pyaar karne lagi hu. Par aisa kaise hosakta hai. Main toh unhe kuch samay pahle hi mili hu. Phir kaise itni jaldi pyaar hosakta hai.

Yehi sab sochte hue woh phir se sone ki koshish karti hai aur kuch time baad usse neend aa bhi jaati hai.

Agle din Sonal jab so ke uthi toh usse late hogyaa thaa.

Sonal: Heyy bhagwaan aaj kitnaa late hogya uthne mein. Yeh sab Raj ki wajah se hua hai. Naa woh sapne mein aake mujhe pareshan karte aur naa main raat mein baar baar uthti. Milne toh Bandar ko ekbaar batati hu Sherni ko pareshan karne se kyaa hota hai. Yeh bol jaldi se washroom bhagti hai ready hone ke liyee.

Ready hoke woh nichhe aati hai toh sablog baithke naashta kar rahe thee.

Smita: Sonal beta tumhari tabiyat toh thikk hai naa aajlate hogya tumhee.

Sonal: Mann mein. Ab aapko kyaa batau. Aapke bete ki wajah se hi aaj mujhe late hua hai. Aane do bandar ko chorungi nhiii. Phir jorr se bolti hai. Haa tabiyat thik hai woh raat ko neend nahi aarahi thi isiliye aaj late hogyaa.

Smita: Thikk hai aao nashta karlo college ke liye late hojayegaa.


Phir Sonal nashta karke Aarav ke saath waha se nikal jaati hai.
Nice update bhai
 

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,102
218
Update 97
Neha: Waise Raj Sir kitne achhe hai naa. Aur kitne handsome bhi hai naa.

Sonal ko Neha ka Raj ko handsome bolna pasand nhi aaya par woh koi react nhi karti.

Neha: Waise unke bina i mean unke class ke bina yeh time kitna waste hota hai naa.

Sonal: Bemann se. Hmm.

Neha: Waise tumhe pata hai kyaa woh kaha gaye hai aur kab aayenge.

Sonal: Mujhe kaise pata hogaa.

Neha: Aree tumhare paas toh unka number hai naa. Toh baat bhi toh hoti hogi. Aur tumhi ne toh bataya tha naa unhone tumhe call karke bola tha woh nhi aane wale.

Sonal: Haa mere paas unka number hai aur unhone hi mujhe bola ttha woh nhi aane wale. Par yeh nhi bola kab aayenge aur kaha gaye hai.

Neha: Achhhaa thikk hai. Bas jaldi aajaye toh achha hai.

Sonal: Neha ko ghurrte hue. Achha woh kisliye.

Neha: Aree ab yaha unka hona kitna jaruri hai. Unki class aisa waste hoti hai aur unka syllabus bhi kitna baaki hai.

Sonal: Hmmm.

Neha: Waise tumhe nhi lagta humhe unhe ek gift dena chahiye.

Sonal: Giftttt. Woh kisliyee.

Neha: Aree unhone Soniya ki itni help ki toh uske favour mein unhe kuch toh dena chahiye naa. Aakhir ek teacher hote hue bhi unhone dost ki tarah kitni madad ki.

Sonal: Mujhe nhi lagta woh accept karenge.

Neha: Aree woh accept karlenge. Chalo chalke sabse discuss karte hai. Yeh bol Neha jaldi se class ki taraf nikal jaati hai.

Sonal: Iss Neha ko itna kyaa hai ke Raj kab aayenge. Aree aajayenge woh. Par isko kuch jyaada hi hai. Jab dekho unke aage pichhe ghumti rehti hai. Yehi sab sochte hue Sonal bhi class ki taraf badh jaati hai.

Class mein sab baithe baate kar rahe the tabhi Neha waha aake bolti hai.

Neha: Yaar Soniya tu kitni badi selfish hai tujhe pata hai.

Soniya: Mujhe iss Varun ka pata hai ke yeh selfish hai par main kaise hogyi.

Varun: Oyee tujhe main selfish dikhta hu.

Soniya: Puch raha hai yaa bata raha hai.

Neha: Tum dono chupp hojaao. Jab dekho kutte billi ki tarah ladne lagte ho. Aur Soniya Raj sir ne teri itni badi madad ki aur tune unhe koi treat nhi di. Bas Thank you boldene se hogyaa.

Soniya: Aree unhone hi bola tha.

Neha: Aree woh toh bolenge hi. Par tujhe toh sochna chahiye naa.

Soniya: Yaar teri baat toh sahi hai. Toh ab main kyaa karu.

Neha: Tu unhe koi achha sa gift kyo nhi deti.

Soniya: Haa yaar yeh sahi hogaa. Par unhe kyaa gift du. Mujhe toh unke baare mein kuch bhi nhi pata.

Neha: Ek kaam karte hai hum dono kisi achhe se shop mein chalte hai college ke baad. Phir waha se kuch achha sa pasand karlenge.

Soniya: Greatttt. Aisa hi karte hai.

Ishita jo bahot derr se Neha ko dekh rahi thi aur uski baate sunn rahi thi usse usko samaj aagaya tha ke Neha aakhir chahti kya hai.

Ishita: Sonal ko dheere se. Didi aakhir maazra kyaa hai.

Sonal: Neha ko ghurte hue. Yeh Soniya ke bahane khud Raj ko gift dena chahti hai isiliye yeh sab kar rahi hai.

Ishita: Woh toh mujhe bhi dikh raha hai. Par bhaiya nhi lenge.

Sonal: Nhi le toh hi achha hai. Mann mein. Agar le liya toh Bandar ko chorungi nhi.

Phir thodu der mein ek professor aajate hai aur padhane lagte hai. Recess mein bhi kuch khaash nhi hotaa. Chutti ke baad sab apne apne ghar ki taraf nikal jaate hai.

Ghar aakar Sonal lunch karke apne room mein jaake so jaati hai aur sham ko uth ke padhne baith jaati hai.

Raat ko sone ke pehle Sonal Raj ko call karti hai toh Raj call receive nhi karta. Sonal ek do baar aur try karti hai par Raj call receive nhi karta. Jisse Sonal ka mood off hojaata hai.

Sonal: Yeh mera phone kyo nhi utha rahe hai. Hosakta hai aaj uss party mein busy ho isiliye nhi utha rahe hai. Ek baar aur try karti hu shayad utha le. Yeh bol Sonal wapas try karti hai par Raj Call receive nhi karta.

Phir Sonal apna udaas ka chehra liye hi so jaati hai.

Agle din Sonal neend se uth ke sabse pehle apna mobile check karti hai ke kahi Raj ka koi call ya msg aaya hai ya nhi.

Sonal: Inhone abhi tak koi call ya msg nhi kiyaa. Itna bhi kyaa busy hai jo mujhse baat tak nhi kar paa rahe hai. Ab jab tak unka call nhi aayega main bhi ab call nhi karungi. Aur unhone mere call ka reply nhi kiya naa toh ab main bhi unse baat nhi karungi. Yeh bol woh college ke liye ready hone chali jaati hai.

Thodi der baad woh ready hoke nichhe aati hai aur kitchen mein Nandini ki madad karne lagti hai. Par uska dhyaan baar baar apne mobile ki taraf hi jaa raha tha.

Nandini: Sonal kyaa baat hai. Kab se dekh rahi hu tumhara dhyaan kahi aur hai. Kyaa soch rahi ho.

Sonal: Kuch nhi bhabhi.

Nandini: Koi baat hai toh mujhse share kar sakti ho. Aakhir hum dost hai.

Sonal: Woh actually main raat se Raj ka phone try kar rahi hu par woh utha hi nhi rahe hai. Aur puri raat beet gayi unhone ek msg tak nhi kiyaa.

Nandini: Mazaakiya andaaz mein. Achhaa toh Raj ki yaad aarahi hai.

Sonal: Baat ghumate hue. Nhii bhabhi aisa kuch nhi hai. Woh toh mujhe ek sums samaj nhi aaraha tha isiliye unko call kar rahi thi.

Nandini: Aur isi liye tumhara yeh chehra utra hua hai kyoo.

Sonal: Hmmm.

Nandini Sonal ka chehra apni taraf karti hai aur puchti hai. Pyaar karne lagi ho Raj se. Dekho sach sach batana toh hosakta hai main tumhari kuch madad kardu.

Sonal Nandini ko hairaani se dekhne lagti hai.

Nandini: Aisee mat dekho. Kuch dino se tumhe notice kar rahi hu. Tumhari aankho mein saaf dikh raha hai. Aur jab se Raj bahar gaya hai tumhari aankhe usse hi dhund rahi hai. Chalo ab sach sach batao.

Sonal: Aisaa kuchh nhi hai bhabhi. Aap galat samaj rahi hai. Hum toh bas achhe dost hai aur kuch nhi.

Nandini: Ab tumhe nhi batana toh koi baat nhi. Tumhari marzi. Maine socha tha kuch madad kardungi tumhari. Thikk hai ab chalo jaldi se nashta karlo college ke liye late hojaayega.

Sonal: Bhabhi pleasee naraz mat hoiye. Aap toh meri pyaari bhabhi ho meri dost ho.

Nandini: Main naraz nhi hu Sonal. Yeh bol Nandini bahar jaane lagti hai.

Nandini ko bahar jaate dekh Sonal ko bolti hai.

Sonal: Bhabhiii. Aapne sahi kaha. Main Raj se pyaar karne lagi hu. Aur kahi na kahi woh bhi mujhse pyaar karte hai.

Sonal ki baat sunke Nandini ke chehre mein ek muskurahat aajati hai aur woh pichhe palat ke Sonal ke paas aati hai.

Sonal: Bhabhi maine aapko bata diya par pleasee yeh baat aap kisi ko mat bataiyegaa. Pleaseee bhabhiii. Main nhi chahti yeh baat abhi kisi ko pata chaleee.

Nandini: Mujhe pata thaa. Main bahot khush hu tumdono ke liye. Aur tum bilkul bhi tension mat lo. Yeh baat sirf aur sirf hum dono ke beech hi rahegi.

Sonal jhatt se Nandini ki gale lag jaati hai. Aap sach mein bahot achhi ho bhabhii.

Nandini: Achha achha ab chalo sab bahar naashte ke liye wait kr rahe honge. Aur tumhe late bhi horaha hoga. Aur iss baare mein hum college se aane ke baad baat karenge. Aur ab apna yeh chehra thikk karo tum aise udaas achhi nhi lagti.

Phir dono nashta leke bahar aajate hai aur thodi der baad nashta karke Sonal nikal jaati hai College ki taraf.

Sonal jaise hi college mein enter karti hai uske mobile mein ek msg aata hai. Msg dekhte hi Sonal ke chehre ki muskurahat wapas aajati hai. Par yeh muskurahat kuch der ke liye hi rehti hai.

Sonal jab msg open karke padhti hai woh bahot udaas hojaati hai. Msg Raj ka tha jisme likha tha usko Gujrat mein aur kuch din rehna hoga. Isiliye uske class ko dusre professor lenge. So class mein chali jaana.

Aarav: Kyaa hua didi aap achanak se utbi udaas kyo hogyi. Kiska msg hai. Kyaa likha hai.

Sonal: Thoda gusse se. Tumhare bhaiya ka msg hai. Gujrat mein kuch jyaada hi dil lag gaya hai isiliye waha aur kuch din rehne wale hai.

Aarav: Shayad unka kaam khatam nhi hua hoga.

Sonal: Mann mein. Aane do unko wapas. Koi baat hi nhi karni hai ab unse. Aise toh badi badi baat karte hai. Main unke liye sabkuch hu aur yaha mujhe akela chorke waha Gujrat mein enjoy kar rahe hai.


Phir Sonal car se utar ke sidha Canteen ki taraf jaati hai jaha sablog baithe hue the.
Mast update bhai
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,755
46,177
259
Update 63
Principal ki baat sunke pure hall mein taaliyan bajne lagti hai par Sonal ke shock ki koi seema nhi thi. Usko apne kaano mein yakeen nhi horaha tha ke usne jo suna kkyaa woh sahi suna.

Principal ke bolne ke baad stage mein Raj aajata hai. Raj ko dekh kar Sonal ki aankhe hairaani se badi hojaati hai.

Sonal: Yeh Raj yaha kyaa kar rahe hai.

Ishita aur Payal: Kaisa laga surprise.

Sonal: Surprise. Matlab tumlogo ko pata tha. Isiliye woh aaj College mein aaye aur principal se milne gaye.

Dono: Haste hue. Haa humhe pata tha. Infact humhe kal hi bola gaya tha. (Jhooth). Toh humne socha kyona aapko surprise diya jaaye.

Sonal kuch nhi bolti bas saamne stage ki taraf dekhne lagti hai.

Raj: Thank You all of you and specially principal sir jinhone mujhe iss kaabil samjha ke main yaha padha saku.

Principal: Students Raj ne isi college se apni padhai puri ki hai aur yeh apni batch ke college topper the.

Principal ki baat sunke sab ekbaar phir se taali bajane lagte hai aur issbaar Sonal bhi taali bajati hai.

Principal: Raj aaj se aap sabki Accounts classes lenge aur aajse yeh Accounts Department ke HOD honge. Aur ab aapsab apni apni classes mein jaa sakte hai. Kuch der mein aapki classes start hongi. Thank you.

Phir saare students apni apni classes mein chale jaate hai.

Saare teachers Raj ke paas aake usko welcome karte hai aur thoda hii hello bhi karte hai.

Raj: Thank You Sir. Aapne meri bahot madad ki.

Professor Kumar: Raj. Isme Thank You ki koi jarurat nhi hai. Ab tum jao aur apna department sambhalo.

Raj: Jii Sir.

Phir Raj waha se apne cabin mein aajata hai.

Idher Sonal aur Ishita apne class mein aur Payal apne class mein chali jaati hai.

Ishita: Toh didi kaisa laga surprise.

Sonal: Bahot jorr ka laga. Mujhe laga nhi tha Raj ek professor hai. Isiliye ghar mein bhabhi bol rahi college mein koi bhi problem ho toh unhe bolne.

Ishita: Jiii. Aur ab unhe Raj nhi Sir kahiye. Yaha woh humare teacher hai.

Sonal: Hmmm.

Thodi der baad class mein teacher ki entry hoti hai.
Teacher: Good Morning Students.

Sab: Good Morning Sir.

Teacher: Tum sab mera naam toh jaan hi gaye hoge. Par main aur ekbaar apna intro de deta hu. Mera naam Raj hai. Aur main aaj se tum sab ko Accounts padhaunga.

Sab: Yes Sir.

Raj: So aaj tum sab ka first day hai. Saath hi mera bhi first day hai. Toh hum aaj ke din ki suruaat intro se karte hai. Ab tumlog ek ek karke apna intro do.

Phir saare students ek ek karke apna intro dena start karte hai. Jab Ishita aur Sonal ka turn aata hai toh Raj unki taraf hi dekhta rehta hai.

Ishita ko Raj ke saamne apna intro dete waqt thodi hasi aarahi thi par woh control karti hai. Same Raj ka bhi yehi haal tha.

Dheere dheere sabka intro hojaata hai.

Raj: Greattt. Aaj ka time toh lagbhag khatam hone ko hai. Toh padhai kal se hi start hogi. Par main tumlogo se ek baat clear deta hu. Mujhe meri class mein kisi bhi tarah ka koi disturbance nhi chahiye. Agar kuch samaj nhi aaraha hai toh baar baar pucho.

Par bina matlab ka mera aur mere class ka time waste nhi karna. Meri class achhi nhi lag rahi toh chup chaap baithe raho. Attendance apne time pe mil jayega.

Par phir bhi kuchlog hote hai jo apni harqato se baaj nhi aate toh unke liye main itna hi kahunga ke unn kuchlogo ki wajah se agar baaki students jo padhna chahte hai unko problem hua tumhare Internal ke marks mere haath mein hai. Aur higher authority ko handle karna mere baaye haath ka khel hai. Is that clearrr.


Sab: Yes Sir.

Raj: Good. Aur iss baat ka dhyaan rakhna. Aur yeh mat samajna yeh naya hai kuch din uchalega phir chup hojayega.

Phir class ki bell baj jaati hai aur Raj bahar chala jaata hai.
Raj ke bahar jaane ke baad kuch students Raj ke attitude achha laga toh kuch students ko woh pasand nhi aaya khaash kar last mein bole gaye baat ko leke.

Ishita: Mujhe nhi laga tha yeh itne strict honge. Mujhe laga tha mera accounts aaram se nikal jaayega.

Sonal: Tum soch rahi thi yeh ghar ke hai toh help kardenge right.

Ishita: Haa maine toh yehi socha tha. Par inka attitude dekh kar toh mujhe yakeen hogya hai yeh ulta meri jyaada band bajayenge .

Sonal Ishita ki baat sunke hasne lagti hai.


Idher unke aas paas baithi kuch ladkiyan bhi Raj ko leke hi baat kar rahi thi.

Ladki 1: Haayee kitna handsome banda hai. Kya attitude hai kyaa style hai bilkul boyfriend material hai yeh.

Ladki 2: Aree boyfriend nhi yeh toh husband material hai. Agar yeh haa kare toh abhi inse shaadi karlu.

Ladki 3: Bilkul bas inki koi girlfriend naa ho.

Ladki 4: Haaa sahi kaha. Warna inke style aur attitude pe toh naa jaane kitni ladkiyan mar miti hongi.

Sonal aur Ishita unki baate sunn rahe the. Jaha Ishita ko unki baate sunke hasi aarahi thi wahi Sonal ko naajaane kyo unki baate achhi nhi lag rahi thi.

Ishita: Mann mein. Bechari ladkiyan. Yeh nhi jaanti yeh jinke sapne dekh rahi hai woh toh kisi aur ke hochuke hai woh bhi bahot pehle. Aur yaha bhi unke unke liye hi aaye hai.

Sonal: Mann mein. Yeh ladkiyan yaha padhne aati hai yaa apne teacher pe line maarne aati hai. Aur yeh Raj ko bhi kyaa jarurat hai itna smart banke aane ki. Par main yehsab kyo soch rahi hu. Unki life woh jaane main kyo yeh sab soch rahi hu.

Ishita: Kyaa hua didi kyaa soch rahi ho.

Sonal: Aah kuch nhi. Lagta hai yaha tere bhaiya ki bahot si deewaaniyan banne wali hai. Apne bhaiya ko bolna thoda bach ke rahe.

Ishita: Mann mein. Par woh toh aapke deewane hai bhabhi.

Sonal: Ab tum kyaa sochne lagi.

Ishita: Kuch nhi. Bas aapki kahi hui baat hi soch rahi thi.
Abhi yehlog baate kar hi rahe the dusre teacher aajate hai aur woh bhi sabse sabka intro leke thoda padhate hai.

Aise hi recess tak teachers aate hai aur intro leke thoda padha ke nikal jaate hai.

Recess mein yehdono canteen mein aajate hai. Thodi der mein Payal bhi aajati hai.

Payal: Hiii.

Dono: Aao baitho. Kaisa raha.

Payal: Bas thoda bahot intro hua. Raj bhaiya bhi aaye the class lene. Kyaa superb attitude thaa unka. Mujhe nhi laga tha padhai ko leke woh itne strict hai.

Ishita: Sahi kaha yaar. Maine toh kal hi soch liya tha Accounts padhne ki jarurat nhi padhegi Raj bhaiya dekh lenge. Par ab lag raha hai woh mere se jyaada mehnat karwayenge.

Payal: Same maine bhi yehi socha tha. Aur tere akele se nhi main bhi line mein hu.

Sonal: Tumdono yehi toh galti kar rahe ho. Samajlo agar unki jagah koi aur hota aur woh anjaan hota tab toh tumhe hi padhna padhta na. Toh waisa hi samajlo naa.

Dono: Tab bhi shayad jyaada nhi padhna padhta.

Sonal: Woh kaise.

Dono Sonal ko dekh kar sararat bhari smile karne lagti hai. Sonal dono ki smile ka matlab samaj jaati hai.

Sonal: No way. Main aisa waisa kuch nhi karti.


Dono issbaar jorr se hasne lagti hai.
बहुत ही बेहतरीन महोदय।
राज़ का एटीट्यूट बिल्कुल वैसा ही था जिसे एक प्रोफेसर का अपने छात्रों के प्रति होना चाहिए। आखिर कक्षा में शोर शराबा करने से अन्य छात्र को परेशानी हो होगी जो पढ़ना चाहते हैं। राज़ की बात उन छात्रों को बिल्कुल भी रास नहीं आई होगी जो कॉलेज बस मस्ती के लिए आते हैं।।

सोनल और पायल अपने तरीके से सोनल को समझा रही हैं लेकिन सोनल इनकार कर रही है। देखना ये होगा कि वो कब तक इनकार करती हैं किसी न किसी दिन किसी लड़की को राज की तरफ आकर्षित देखकर उसका दिल जरूर पसीजेगा।
 
Top