• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,102
218
Update 77
Phir chutti tak sabki class hone lagti hai. Pichli baar ki tarah issbaar bhi Neha koi bahana banake class khatam hone ke pehle nikal jaati hai. Par issbaar woh Raj ke Cabin mein naa jaake bahar hi wait karne lagti hai kisi aur iraade se.

Kuch der wait karne ke baad jab Raj apne cabin se ghar jaane ke liye nikalta hai toh Neha apne mobile mein dekhne ka bahana karte hue Raj ki taraf jaane lagti hai.

Jaise jaise woh Raj ke kareeb jaa rahi thi uski dil ki dhadkan badhte jaarahi thi hone wale situation ko soch kar.

Idher Raj apne hi khayalo mein ghum hokar chale jaa raha tha. Usko yeh aihsaas nhi tha ke koi uske saamne se aaraha hai.

Dono chalte chalte jaise hi ekdusre ke kareeb aate hai toh Neha jaanmuzz ke Raj se takra jaati hai aur girne lagti hai toh Raj usko pakad leta hai.

Raj ka ekhaath Neha ki kamar mein tha toh dusre haath se usne Neha ka ekhaath pakda hua tha. Toh wahi Neha ne apna ekhaath Raj ki kamar pe rakha tha toh dusra haath Raj ke haath mein tha.

Thik usi waqt Sonal waha aajati hai aur dono ko waise dekh leti hai. Dono ko uss tarah dekh kar Sonal ko bahot bada shock laga tha. Usko pata nhi kyo Neha ka Raj ke kareeb jaana bilkul bhi pasand nhi aaya.

Idher Raj ki nazar jaise hi Sonal pe padhti hai aur woh dekhta hai ke woh usse hi ghure jaa rahi hai toh woh jhatt se Neha se alag hojaata hai.

Raj ke aise achanak chorr dene se Neha apne hosh mein aati hai aur usko yeh bilkul bhi achha nhi laga aur woh Raj ke nazro ka picha karke dekhti hai Sonal ko waha khada paati hai jo unndono ko hi dekhe jaarahi thi.

Raj: Woh yeh Neha mujhse takra ke girr rahi thi toh maine bas isse bachaya thaa.

Sonal bina kuch bole unke saamne se nikal jaati hai par usse khud nhi pata chala kab uske aankho mein achanak se nami aagayi thi.

Sonal ke aise chale jaane se Raj ke mann mein ek darr sa paida hojaata hai. Usse darr lagne lagta hai ke ab Sonal kyaa sochegi kyaa kahegi. Kahi mushkil se ki hui dosti toot naa jaaye yeh sab hi woh soche jaa raha tha.

Neha: Thank You Sir. Aapne mujhe girne se bacha liya. Warna mujhe chott lag jaati.

Raj jo apne hi soch mein ghumm tha woh Neha ki awaaz se hosh mein aata hai.

Raj: Haa no problem. Yeh bol Raj waha se nikal jaata hai.

Idher Neha Raj ke jaate hi khushi se uchalne lagti hai.

Neha: Yes Yes. Mera plan kaam kar gaya. Jaisa maine socha tha bilkul waisa hi hua. Raj ke baahon mein aane ka kyaa idea nikala tha maine. Aur idea bilkul perfectly kaam kargaya. Par iss Sonal ne garbar kardi. Agar woh thoda late aati toh hosakta tha aur thodi der waise hi rehti.

Yeh bol uss situation ko yaad karke sharmaa jaati hai. Par tabhi usse kuch yaad aata hai.

Neha: Par yeh Raj Sir Sonal ko dekhkar itna darr kyo gaye. Aur usko explain kyo karne gaye. Phir apne aap hi bolti hai. Aree yeh toh common hai agar uss waqt Sonal ki jagah koi aur hota tab bhi Raj Sir waisa hi karte. Yeh sab sochte hue aur sharmate hue woh waha se nikal jaati hai.

Idher Sonal waha se sidhe washroom aati hai apna muh dhone lagti hai.

Sonal: Raj ko uss Neha ke saath uss halat mein dekh kar mujhe kyo dukh horaha tha. Raj ne toh kaha tha ke woh Neha ko girne se bacha rahe the. Phir mujhe kyo woh chiz achhi nhi lagi. Aur meri aankho se yeh aansu kyo nikal rahe the. Woh bas mere dost hai aur woh unki life hai woh jo chahe kare mujhe kyaa. Aur main issbaare mein itna kyo soch rahi hu. Mujhe yeh sab nhi sochna chahiye. Mujhe kyaa woh jo bhi karee unki marzi. Yahi sab sochte hue woh apne mann ko behla rahi thi. Par uske dimaag mein baar baar woh scene hi aaraha tha. Jo usse pareshan kiye jaaraha tha.

Kuch der waha akele rehne ke baad woh waha se nikalne lagti hai toh usko aihsaas hota hai ke uska mobile vibrate horaha tha. Woh mobile dekhti hai Raj ka phone aaraha tha.

Sonal phone receive karne hi jaati hai ke woh disconnect hojaata hai aur screen pe Raj ke naam se 5 missed calls show horahe the.

Sonal Raj ko call back karti hai toh Raj jhatt se call utha leta hai.

Raj: Sonal Sonal main sach keh raha hu. Main bas Neha ko bacha raha tha aur kuch nhi tha woh. Kuch toh bolo Sonal. Pleasee aise chupp mat raho.

Sonal: Milke baat kare.

Raj: Main waha pe wait kar raha hu.

Sonal call cut kardeti hai aur waha se nikalke baaki sabke paas aati hai. Waha aate hi uski nazar Neha ke upar jaati hai toh aaj usse uske chehre mein ek alag hi khushi dikhai deti hai.

Neha: Sonal tumne jo dekha usko please galat nazariye se naa lena. Sir sach keh rahe the woh bas mujhe girne se bacha rahe the.

Sonal: I know. Aur mujhe aise explaination mat do.

Neha: Thank You. Warna mujhe lag raha tha kahi tum kuch galat naa samaj li ho.

Sonal bas ek jhoothi smile kardeti hai.

Ishita: Aree kyaa hua kisbaare mein baat horahi hai.

Neha: Aree woh Sonal ne mujhe aur Raj Sir ko eksaath dekhliya.

Ishita: Hairaani se. Ek saath dekhliya matlab.

Phir Neha sabko puri baat batati hai jisse sunke Sonal ke chehre mein jaha koi expression nhi tha wahi Payal aur Ishita ke chehre pe thodi tension thi toh wahi woh anjaan shaks Sonal ko dekh raha tha toh baakisab normal the.

Sonal: Achha main chalti hu mujhe late horaha hai. Byeee.

Yeh bol Sonal waha se chali jaati hai. Sonal ke waha se jaate hi baaki sab bhi waha se chale jaate hai reh jaate hai sirf Ishita aur Payal.

Payal: Chal Ishu hum bhi chalte hai.

Par Ishita ka dhyaan toh kahi aur hi tha.

Payal: Ishita ka hila ke. Ishu chalna. Kyaa soch rahi hai.

Ishita: Neha galti se bhaiya se nhi takrayi thi balki woh jaanmuzz ke takraayi thi. Its a pre planned incidence.

Payal: Kyaa bol rahi hai. Usne bola naa woh sab anjaane mein hua tha.

Ishita: Main bhi yehi sochti agar maine pichle kuch samay mein Neha ke upar nazre naa rakhi hoti toh.

Payal: Puri baat batayegi. Mujhe kuch samaj nhi aaraha hai.

Ishita: Neha Bhaiya ko like karne lagi hai.

Payal: Kyaa bakwaas kar rahi hai. Dimaag toh thikane pe hai tera.

Ishita: Ekdum sahi jagah pe hai. Phir Ishita Payal ko wohsab kuch batati hai jo usne notice kiya tha. Jisse sunne ke baad Payal ke chehre mein bhi tension aajati hai.

Payal: Are you sure. Agar yeh sach hua tab yeh bahot badi problem hai.

Ishita: I am fully sure. Aur aaj jo hua woh bhabhi ne dekhliya hai. Bhale hi unhe kuch yaad nhi par kahi woh Raj bhaiya ko galat naa samaj baithe.

Payal: Aisa kuch nhi hoga. Bhaiya jarur baat ko sambhal lenge. Woh bhabhi se bahot pyaar karte hai. Dekhna woh sab thik kardenge.

Ishita: Hopefully aisa hi ho. Par humhe bhaiya ko bata dena chahiye. Jisse woh agli baar alert rahenge.

Payal: Hum jarur batayenge. Par pehle unhe bhabhi ke mann se yehchiz durr karne de.


Ishita: Thikk hai. Phir yehdono bhi apne apne ghar nikal jaate hai.
Mast update bhai
 
  • Like
Reactions: Luffy and Jaguaar

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,102
218
Update 78
Idher Sonal college se sidha Raj ke paas aati hai jo tension mein idher udher chakar kaate jaaraha tha.

Raj ki nazar jaise hi Sonal pe padhti hai toh jaldi se uske paas aata hai aur bolne lagta hai.

Raj: Sonal pleasee mujhe galat mat samajna. Woh sab anjaane mein tha. Main bas usse girne se bacha raha tha. Pleasee mujhe galat mat samajna.

Sonal: Aap mujhe itni explaination kyo de rahe hai. Yeh aapki zindagi hai aap jo chahe kare. Mujhe kyaa.

Raj: Nhii Sonal pleasee aisa mat bolo. Tum toh mujhe jaanti ho naa. Pleasee mujhr galat mat samjho.

Sonal: Main aapko kyo galat samjhungi Raj. Aap pehle shant hojaaiye. Aur yeh paani pijiye. Phir baat karte hai. Yeh bol apni pani ki bottle Raj ki taraf badha deti hai.

Raj bhi Sonal ki baat maanke thoda sa paani pi leta hai.

Sonal: Ab bataiye kyaa hua. Aur aap itna kyi ghabra rahe hai. Aur mujhe itna explaination kyo de rahe hai.

Raj: Kyoki tum meri dost ho. Aur main nhi chahta ke meri dost mujhe kisi bhi kaaran se galat samjhe. Pehle bhi tumne mujhe ekbaar galat samjha tha toh woh mere sehan nhi hua tha aur main nhi chahta dobara waisa hi kuch ho.

Sonal: Kyaa aap sach mein mujhe apna dost maante hai.

Raj: Sirf dost nhi sabse achha dost. Woh bhi pure dil ki gehrai se. Aur yeh dosti mere liye bahot maayne rakhti hai jisse main kisi bhi kimat mein khona nhi chahta.

Sonal: Agar aisa hi hai toh mujhe ekdum sach sach bataiye exactly kyaa hua tha.

Raj: Main yaha aane ke liye apne cabin se nikla. Main apne hi khayalo mein ghumm tha. Main aaram se chalte hue aaraha tha tabhi achanak se woh mujhse takra gayi aur usse girne se bachane ke liye main usse pakad liya tha aur wohi tumne dekha. Bas itna hi hua tha. Main ekdum sach bol raha hu. Humare dosti ki kasam.

Dosti ki kasam sunke Sonal ko Raj ke upar vishwaas hogya tha. Ab usse aur kuch nhi jaana tha.

Sonal: Bas aapko aur kuch bhi kehne ki jarurat nhi hai. Aur aaj toh aapne yeh dosti ki kasam khaa li. Agar baar yeh baat apne muh se naa nikaliye gaa.

Raj: Kabhi nhi nikalunga. Aur tumne mujhe galat toh nhi samjha na.

Sonal: Nhiii. Ab chale ghar.

Raj: Thank You Thank You Thank You so much.

Phir dono gaadi mein baith jaate hai aur ghar ki taraf jaante lagte hai.

Raj: Tumhe nhi pata main kitna darr gaya tha. Mujhe laga kahi tum mujhe wapas se galat naa samaj lo aur kahi humari dosti naa toot jaaye.

Sonal: Aap mujhse itna kyoo darte hai.

Raj: Kyoki main nhi chahta meri yeh dost ab kisi bhi wajah se mujhse naraz hoye ya mujhse durr jaaye.

Sonal: Maine aapka naam bilkul sahi diya hai. Aap sach mein bahot bade darpok hai. Mr. Darpok.

Raj: Mann mein. Ab insaan jisse jitna pyaar karta hai usse utna hi darta hai. Aur tum toh meri jaan ho. Tum agar mujhse durr chali gayi toh shayad main jee naa paunga.

Sonal: Ab bhul jaaiye uss baat ko. Aur main aapse dosti Kabhi nhi todungi aur naahi aapko kabhi galat samjhungi. Promisee.

Raj: Sachhi.

Sonal: Koi shakk. Yeh bol has deti hai. Aur phir mann mein sochne lagti hai. Ekdum pagal hai Raj. Main inhe galat naa samjhu baithu iss darr se kyaa halat banali thi apni. Aur mujhe yakeen dilane ke liye humari kuch dino ki dosti ki kasam bhi khaa li. Sirf ek dosti ke liye itna pagalpan Raj hi kar sakte hai.

Raj: Ab tum kya soch rahi ho.

Sonal: Kuch nhii.

Phir thodi der mein dono ghar aajate hai.

Idher Neha apne ghar mein aake khushi ke maare naachne lagti hai aur pagalo jaisi harqat karne lagti hai.

Neha: Haayee kitna khubsoorat pal tha woh jab main Raj Sir ki baahon mein thi. Uss waqt mujhe toh aisa lag raha tha jaise puri duniya rukh si gayi hai. Kaash aisa hojaata toh kitna achha hotaa.

Yeh sab pagalo jaisi baate sochte hue woh sapno ki duniya mein khoo jaati hai.

Raat ko sablog Nandini ke kamre mrin baithe kisi chiz ke baare mein baate kar rahe the. Aur iss meeting ki head Nandini bani hui thi.

Nandini: Toh tumlogo ne kuch decide kiya kaise kiyaa karna hai.

Sonal: Kisbaare mein kyaa karna hai koi mujhe bhi toh batao.

Raj: Tumhe nhi pata.

Sonal: Nhiii.

Nandini: Mummy aur Papa ki 30th marriage anniversary hai 25 dino baad toh uski hi taiyaari karni hai aur uske liye hi yeh secret meeting bulayi gayi hai.

Sonal: Wow that’s greattt.

Nandini: Woh toh hai. Aur humhe unke liye kuch plan karna hai. Toh chalo sablog apne apne idea dena start karo.

Aarav: Kyo na humlog ek grand party organize kare aur usme saare rishtedaar aur dosto ko invite karee.

Nandini: Kyaa baat hai Aarav nice idea.

Sonal: Haa bhabhi yeh idea mast hai. Aisa hi karte hai.

Nandini: Raj tum kyaa kehte ho.

Raj: Party ka idea hi achha hai bhabhi.

Karan: Haa Aarav ka idea hi achha hai.

Nandini: Thikk hai phir humlog sab milke ek grand party organize karenge. Par karenge kaha. Ghar mein yaa bahar.

Raj: Bahar hi karte hai aur unko surprise denge.

Sonal: Haa nice idea.

Raj: Sonal ki taraf smile karke. Thank you.

Nandini: Achhi baat hai toh party mein kya kya karna hai yeh kal decide karenge. Kal Shurti aarahi hai toh uske aane ke baad decide karenge. Tab tak tumlog bhi sochte raho kya kya karna hai.

Sab: Thikk hai.


Phir sab apne kamre mein aake so jaate hai.
Nice update bhai
 
  • Like
Reactions: Luffy and Jaguaar

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,102
218
Update 79
Aise hi 10 din beet jaate hai. Inn 10 dino mein Raj aur Sonal ke beech ki najdikiya aur badh gayi thi. Dono ab college mein bhi ekdusre se isharo mein baat karne lage the. Aur yeh chiz woh anjaan insaan saaf ko bhi pata thi aur uska shakk ab yakeen mein badal jaata hai ke dono ke beech kuch toh hai.

Idher Payal aur Ishita ne Raj ko Neha ke baare mein bata diya tha jiska pehle toh usse yakeen nhi hua par jab Raj ne dhyaan diya tab usko bhi yakeen hojaata hai.

Neha roj kisi na kisi bahane se Raj ke kareeb jaane ki koshish karti aur Raj usse safe distance main karke rakhta tha. Sonal ko Neha ka Raj ke kareeb jaana bilkul bhi pasand nhi aaraha tha. Saaf sabdho mein ab Sonal ko Neha se Raj ko leke jalan hone lagi thi. Jo Sonal ko bhi pata thi par yeh jalan kyo horahi thi yeh usse samaj nhi aaraha tha.

Udher Shivam ne apna badla lene ke liye ek ghinona plan taiyaar kiya tha jo woh Soniya pe istemaal karna chahta tha aur usko ek sahi mauke ki talash thi jo usko jald hi bhi gaya.

Ekdin college mein Raj apna class le raha tha tabhi class mein kuch seniors aajate hai.

Senior: Excuse me Sir. May we come in.

Raj: Tumlog yaha iss waqt. Kyaa baat hai.

Senior: Sir ek announcement karni thi. Toh kyaa hum karsakte hai.

Raj: Kaise announcement. Aur kyaa abhi karna jaruri hai.

Senior: Sorry Sir. But hum already late hai. Bas 2 minute lagenge.

Raj: Jaldi Karo.

Senior: Thank You Sir. So all the juniors. We are organizing a Fresher Party for all of you.

Senior ki baat sunte hi pure class mein taliyan bajne lagti hai.

Senior: But this time not only students but the teachers will also be a part of this party.

Yeh baat sunke jaha kuch log khush the toh kuch logo ko yeh thoda ajeeb laga.

Senior: You all have to come and participate. This is mandatory. No excuses will be entertain.

Saare students phir se taliyan bajane lagte hai.

Soniya: Yeh Party kab hai aur kyaa kyaa programs honge.

Senior: Party thik 5 din baad hai. Location hai humara Seminar Hall. Aur programs abhi decide nhi hua hai. Par jo bhi hoga woh usidin pata chalega. Haa itna bol sakte hai ke solo bhi hoga dual bhi hoga. Aur jo bhi hoga woh sabko karna padega.

Soniya: Okkk.

Senior: Raj Sir kyaa hum aap se ek help maang sakte hai.

Raj: Mujhse help. Bolo agar mere bas mein hua toh jarur karunga.

Senior: Sir aap bhi iss college se hi pass out hai aur humne yeh suna hai aap apne time mein college ke saare programs mein help karte the. Toh kyaa aap pleasee humari help karenge.

Raj: Mainnn. Nhiii guyss mere se nhi hogaa. Aur mujhe yehsab kiye hue bahot saal hogye hai. Aur tab main akela nhi tha mere saath aur bhi bahot jan the. Par ab yeh possible nhi hogaa.

Seniors: Pleasee sirr. Maan jaaiye naa. Yeh humara first time hai. Agar aap jaisa ek experienced member humare saath hoga toh humari bahot help hogi. Aur agar ek professor humare saath rahenge toh baaki ke professor bhi humhe kuch nhi bolenge. Please Sir maan jaaiye.

Raj kuch der sochta hai aur phir uski nazar Sonal ki taraf jaati hai jo uski taraf hi dekh rahi thi toh woh ishare se puchta hai kyaa karee toh Sonal haa mein ishara kardeti hai.

Raj: Thikkk hai. Main taiyaar hu.

Senior: Thank You so much sir. Humhe pata tha aap naa nhi kahenge. Thank you. Aap yeh class complete karke seminar hall mein aajaiyega. Hum sab wahi pe honge.

Raj: Thikk hai. Phir saare seniors waha se chale jaate hai aur Raj wapas se padhane lagta hai. Par saare students ab Fresher party ko leke hi dheere dheere baate kar rahe the.

Kuch der baad Raj ki class khatam hojaati hai toh woh waha se nikal jaata hai aur saare students fresher party ko leke baat karne lagte hai.

Ishita: Wow fresher party Maza aayegaa. Dekna Miss Fresher toh main hi banungi.

Soniya: Aise kaise. Woh toh main banungi.

Varun: Miss Fresher koi bhi bane par Mr. Fresher toh one and only Varun hi banega.

Soniya: Mr. Fresher nhi Mr. Joker banega tu. Aur yehi title tere upar suit bhi karta hai.

Varun: Shakal achhi nhi hai kam se kam baat toh achhi kiya kar.

Soniya: Tere se toh laakh guna achhi hai.

Sonal: Aree ab bas karo tumlog. Bas mauka chahiye tumdono ko ladne jhagadne ka. Main toh chahungi tumdono hi bano. Isse kam se kam jhagroge toh nhi.

Soniya: Waah yeh hui naa baat. Sonal tumne toh dil khush kardiyaa.

Varun: Dekha isse kehte hai beauty with brain. Jabardast Sonal. Mere saath rehne ka asar horaha hai tumhare upar. Ab tumhara bhi dimaag tezz chal raha hai.

Sab Varun ko ghurr ke dekhte hai toh wih dusri taraf apna chehra ghuma leta hai.

Phir dusre professor aate hai aur woh padhane lagte hai.

Idher Raj class se nikal ke sidha Seminar Hall mein jaata hai jaha Fresher Partu ki taiyaariyan chal rahi thi.

Raj: Haa toh bolo kyaa kyaa karne ka decide kiya hai tumlogo ne.

Senior 1: Kuch samaj hi nhi aaraha hai Sir. Kyaa kare kyaa naa karee.

Senior 2: Aap hi kuch suggest kijiye naa Sir. Aap apne time mein kya kya karte the.

Raj: Hum log toh dance, singing, role play, ramp walk yehi sab karwate the. Aur innsab ke beech mein kuch selected aur non selected freshers ko dare dete the.

Senior 3: Waaah Sir aapne toh humari aadhi problem solve kardi. Hum bhi aisa hi kuch karenge. Par Sir aapko ek aur help karna hoga. Isse fresher party mein thoda alag sa entertainment hogaa.

Raj: Aur woh kyaa.

Senior 1: Sir agar saare Professors including Principal sir bhi agar participate karee toh....

Raj: Woh toh tumlog pehle hi bolchuke ho aur permission bhi mil chuki hai naa.

Senior 1: Haa Sir. Par participate ka matlab woh jo Dance singing yehsab hoga usme agar aaplog bhi join kare toh......

Raj: Areee you Seriouss. Koi nhi maanega. Aur khash kar Principal Sir toh bilkul bhi maanenge.

Sab: Pleaseee Sir. Koshish karte hai naa. Pleaseee Sir maan jaaiye naa. Isse aur jyaada maza aayega. Aur hum promise karte hai kisi bhi professor ka insult nhi hoga aur iss chiz ka hum extra dhyaan rakhenge. Aur agar aap humare saath rahe toh shayad sab maan jaaye. Pleaseee sirr.

Raj: Tumlog mujhe marwaoge. Mujhe yaha aaye hue abhi 1 mahina nhi hua aur lagta hau tumlog hone bhi nhi doge.

Senior 1: Sir aapko bas halka sa support karna hai. Baaki kaam humara.

Raj: Kuch der sochke. Thikk hai dekhte hai kyaa kar sakte hai. Recess mein baat karte hai sabse. Tabtak program ki list bana lete hai.

Phir Raj aur woh students milke apne apne kaam mein lag jaate hai aur kya kya programs honge kaise honge yehsab decide karne lagte hai.

Recess ke woh students Raj ko leke principal ke cabin mein jaate hai.

Raj: Main abhi bhi bol raha hu idea drop kardo. Tumlogo ki wajah se mujhe bhi daant sunni padh jayegi.

Senior 1: Sir ab itna aage aahi gaye hai toh pichhe nhi jaayenge. Agar Principal Sir kuch bolte hai hum aapko kuch nhi hone denge.

Phir sab Principal ke cabin ke andar jaate hai.

Raj: May we come in Sir.

Principal: Oo Raj aao aao. Aree tumlog bhi ho. Bolo kyaa kaam hai.

Senior 1: Woh sir aapse kuch baat karni thi.

Principal: Haa bolo.

Sab students Raj ki taraf dekhte hai aur usse aage badhne ko kehte hai.

Raj: Woh Sir innlogo ne Fresher Party organize ki hai.

Principal: Haa mujhe pata hai aur humsab aayenge usme aisa maine boldiya hai toh.

Raj: Jii Sir. Par baat kuch aur hai. Matlab aapse ek aur permission chahiye. Actually Permission nhi ek request lekar aaye hai yehlog aapke paas.

Principal: Hmmm. Aur tum innlogo ke saath isiliye aaye ho. Toh bolo kyaa request hai.

Senior 1: Sir woh actually hum chahte hai ke woh sir actually woh....

Principal: Aisi kyaa baat hai jiske liye itna ghabra rahe ho.

Senior 1: Ek gehri saans leke. Sir humlog chahte hai ke issbaar juniors ke saath saare professor aur aap bhi programs mein participate karee. Yeh bol woh chupp hojaata hai aur waha ek shanti chaa jaati hai.

Principal bhi yehsunke ekpal ko hairaan hogaya tha.

Principal: Tumlogo ko pata hai tumlog kyaa bol rahe ho. Aur Raj tum bhi innsab mein shamil ho.

Seniors: Sir yeh sab humlogo ka idea hai. Raj sir ne toh humhe mana kiya tha please aap unhe kuch naa bole.

Principal: Fresher Party tum students ka hai. Tumlogo ke kehne pe hum saare teachers aarahe hai yehi bahot badi baat hai ab tumlog chahte ho hum participate bhi karee.

Senior 1: Jii Sir. Actually humne socha tha aisa karne se Students ke mann mein professors ko leke jo ek bewajah wala darr rehta hai woh durr hojayega. Agar Students aur Professor ke beech ki understanding achhi rahegi toh unki studies bhi isse achhi hosakti hai.

Kyoki bahot se jagah pe Students teachers se kuch bhi puchne se yaa baat karne se yaa toh darte hai nhi toh awkward feel karte hai. Agar aaplog inn naye students ke liye agar participate karenge toh unnsab ke mann se woh awkwardness durr hojayegi.

Principal: Kaha se sikhi hai yeh mahan baate.

Senior 1: Yehsab aaplogo se sikha hai Sir. Pleasee Sir maan jaaiye. Hum promise karte hai kisi bhi Professor ya student ki insult nhi hogi. Aur yeh bhi promise karte hai aaplogo ko bhi isme maza aayega.

Sab: Pleaseee Sirr maan jaaiye. Pleaseeee.

Raj: Sir sab itna keh rahe hai toh pleasee maan jaaiye naa.

Principal: Achha thikk hai. Par tumlog kya kya karne wale ho.

Sab: Thank You so much Sir. Aur plans kyaa hai yeh toh sabke liye surprise hi rahega sir.

Principal: Thikk hai. Par dhyaan rahe kisi ki bhi insult nhi honi chahiye.

Sab: Jii Sir. Thank You once again.

Phir sablog waha se bahar aajate hai.

Raj: Toh hogyaa tumlogo kaa. Ab main jau.

Senior 1: Jii Sir. Thank You humari itni help karne ke liyee.

Phir saare students baaki professors ke paas jaane lagte hai aur Raj waha se apne cabin ki taraf jaane lagta hai toh uske mobile mein ek msg aata hai something is waiting in your cabin.


Yeh padhte hi Raj ke chehre pe ek muskaan aajati hai. Aur woh jaldi jaldi apne cabin ki taraf nikal jaata hai.
Mast update bhai
 
  • Like
Reactions: Luffy and Jaguaar

parkas

Prime
22,367
51,796
258
Update 97
Neha: Waise Raj Sir kitne achhe hai naa. Aur kitne handsome bhi hai naa.

Sonal ko Neha ka Raj ko handsome bolna pasand nhi aaya par woh koi react nhi karti.

Neha: Waise unke bina i mean unke class ke bina yeh time kitna waste hota hai naa.

Sonal: Bemann se. Hmm.

Neha: Waise tumhe pata hai kyaa woh kaha gaye hai aur kab aayenge.

Sonal: Mujhe kaise pata hogaa.

Neha: Aree tumhare paas toh unka number hai naa. Toh baat bhi toh hoti hogi. Aur tumhi ne toh bataya tha naa unhone tumhe call karke bola tha woh nhi aane wale.

Sonal: Haa mere paas unka number hai aur unhone hi mujhe bola ttha woh nhi aane wale. Par yeh nhi bola kab aayenge aur kaha gaye hai.

Neha: Achhhaa thikk hai. Bas jaldi aajaye toh achha hai.

Sonal: Neha ko ghurrte hue. Achha woh kisliye.

Neha: Aree ab yaha unka hona kitna jaruri hai. Unki class aisa waste hoti hai aur unka syllabus bhi kitna baaki hai.

Sonal: Hmmm.

Neha: Waise tumhe nhi lagta humhe unhe ek gift dena chahiye.

Sonal: Giftttt. Woh kisliyee.

Neha: Aree unhone Soniya ki itni help ki toh uske favour mein unhe kuch toh dena chahiye naa. Aakhir ek teacher hote hue bhi unhone dost ki tarah kitni madad ki.

Sonal: Mujhe nhi lagta woh accept karenge.

Neha: Aree woh accept karlenge. Chalo chalke sabse discuss karte hai. Yeh bol Neha jaldi se class ki taraf nikal jaati hai.

Sonal: Iss Neha ko itna kyaa hai ke Raj kab aayenge. Aree aajayenge woh. Par isko kuch jyaada hi hai. Jab dekho unke aage pichhe ghumti rehti hai. Yehi sab sochte hue Sonal bhi class ki taraf badh jaati hai.

Class mein sab baithe baate kar rahe the tabhi Neha waha aake bolti hai.

Neha: Yaar Soniya tu kitni badi selfish hai tujhe pata hai.

Soniya: Mujhe iss Varun ka pata hai ke yeh selfish hai par main kaise hogyi.

Varun: Oyee tujhe main selfish dikhta hu.

Soniya: Puch raha hai yaa bata raha hai.

Neha: Tum dono chupp hojaao. Jab dekho kutte billi ki tarah ladne lagte ho. Aur Soniya Raj sir ne teri itni badi madad ki aur tune unhe koi treat nhi di. Bas Thank you boldene se hogyaa.

Soniya: Aree unhone hi bola tha.

Neha: Aree woh toh bolenge hi. Par tujhe toh sochna chahiye naa.

Soniya: Yaar teri baat toh sahi hai. Toh ab main kyaa karu.

Neha: Tu unhe koi achha sa gift kyo nhi deti.

Soniya: Haa yaar yeh sahi hogaa. Par unhe kyaa gift du. Mujhe toh unke baare mein kuch bhi nhi pata.

Neha: Ek kaam karte hai hum dono kisi achhe se shop mein chalte hai college ke baad. Phir waha se kuch achha sa pasand karlenge.

Soniya: Greatttt. Aisa hi karte hai.

Ishita jo bahot derr se Neha ko dekh rahi thi aur uski baate sunn rahi thi usse usko samaj aagaya tha ke Neha aakhir chahti kya hai.

Ishita: Sonal ko dheere se. Didi aakhir maazra kyaa hai.

Sonal: Neha ko ghurte hue. Yeh Soniya ke bahane khud Raj ko gift dena chahti hai isiliye yeh sab kar rahi hai.

Ishita: Woh toh mujhe bhi dikh raha hai. Par bhaiya nhi lenge.

Sonal: Nhi le toh hi achha hai. Mann mein. Agar le liya toh Bandar ko chorungi nhi.

Phir thodu der mein ek professor aajate hai aur padhane lagte hai. Recess mein bhi kuch khaash nhi hotaa. Chutti ke baad sab apne apne ghar ki taraf nikal jaate hai.

Ghar aakar Sonal lunch karke apne room mein jaake so jaati hai aur sham ko uth ke padhne baith jaati hai.

Raat ko sone ke pehle Sonal Raj ko call karti hai toh Raj call receive nhi karta. Sonal ek do baar aur try karti hai par Raj call receive nhi karta. Jisse Sonal ka mood off hojaata hai.

Sonal: Yeh mera phone kyo nhi utha rahe hai. Hosakta hai aaj uss party mein busy ho isiliye nhi utha rahe hai. Ek baar aur try karti hu shayad utha le. Yeh bol Sonal wapas try karti hai par Raj Call receive nhi karta.

Phir Sonal apna udaas ka chehra liye hi so jaati hai.

Agle din Sonal neend se uth ke sabse pehle apna mobile check karti hai ke kahi Raj ka koi call ya msg aaya hai ya nhi.

Sonal: Inhone abhi tak koi call ya msg nhi kiyaa. Itna bhi kyaa busy hai jo mujhse baat tak nhi kar paa rahe hai. Ab jab tak unka call nhi aayega main bhi ab call nhi karungi. Aur unhone mere call ka reply nhi kiya naa toh ab main bhi unse baat nhi karungi. Yeh bol woh college ke liye ready hone chali jaati hai.

Thodi der baad woh ready hoke nichhe aati hai aur kitchen mein Nandini ki madad karne lagti hai. Par uska dhyaan baar baar apne mobile ki taraf hi jaa raha tha.

Nandini: Sonal kyaa baat hai. Kab se dekh rahi hu tumhara dhyaan kahi aur hai. Kyaa soch rahi ho.

Sonal: Kuch nhi bhabhi.

Nandini: Koi baat hai toh mujhse share kar sakti ho. Aakhir hum dost hai.

Sonal: Woh actually main raat se Raj ka phone try kar rahi hu par woh utha hi nhi rahe hai. Aur puri raat beet gayi unhone ek msg tak nhi kiyaa.

Nandini: Mazaakiya andaaz mein. Achhaa toh Raj ki yaad aarahi hai.

Sonal: Baat ghumate hue. Nhii bhabhi aisa kuch nhi hai. Woh toh mujhe ek sums samaj nhi aaraha tha isiliye unko call kar rahi thi.

Nandini: Aur isi liye tumhara yeh chehra utra hua hai kyoo.

Sonal: Hmmm.

Nandini Sonal ka chehra apni taraf karti hai aur puchti hai. Pyaar karne lagi ho Raj se. Dekho sach sach batana toh hosakta hai main tumhari kuch madad kardu.

Sonal Nandini ko hairaani se dekhne lagti hai.

Nandini: Aisee mat dekho. Kuch dino se tumhe notice kar rahi hu. Tumhari aankho mein saaf dikh raha hai. Aur jab se Raj bahar gaya hai tumhari aankhe usse hi dhund rahi hai. Chalo ab sach sach batao.

Sonal: Aisaa kuchh nhi hai bhabhi. Aap galat samaj rahi hai. Hum toh bas achhe dost hai aur kuch nhi.

Nandini: Ab tumhe nhi batana toh koi baat nhi. Tumhari marzi. Maine socha tha kuch madad kardungi tumhari. Thikk hai ab chalo jaldi se nashta karlo college ke liye late hojaayega.

Sonal: Bhabhi pleasee naraz mat hoiye. Aap toh meri pyaari bhabhi ho meri dost ho.

Nandini: Main naraz nhi hu Sonal. Yeh bol Nandini bahar jaane lagti hai.

Nandini ko bahar jaate dekh Sonal ko bolti hai.

Sonal: Bhabhiii. Aapne sahi kaha. Main Raj se pyaar karne lagi hu. Aur kahi na kahi woh bhi mujhse pyaar karte hai.

Sonal ki baat sunke Nandini ke chehre mein ek muskurahat aajati hai aur woh pichhe palat ke Sonal ke paas aati hai.

Sonal: Bhabhi maine aapko bata diya par pleasee yeh baat aap kisi ko mat bataiyegaa. Pleaseee bhabhiii. Main nhi chahti yeh baat abhi kisi ko pata chaleee.

Nandini: Mujhe pata thaa. Main bahot khush hu tumdono ke liye. Aur tum bilkul bhi tension mat lo. Yeh baat sirf aur sirf hum dono ke beech hi rahegi.

Sonal jhatt se Nandini ki gale lag jaati hai. Aap sach mein bahot achhi ho bhabhii.

Nandini: Achha achha ab chalo sab bahar naashte ke liye wait kr rahe honge. Aur tumhe late bhi horaha hoga. Aur iss baare mein hum college se aane ke baad baat karenge. Aur ab apna yeh chehra thikk karo tum aise udaas achhi nhi lagti.

Phir dono nashta leke bahar aajate hai aur thodi der baad nashta karke Sonal nikal jaati hai College ki taraf.

Sonal jaise hi college mein enter karti hai uske mobile mein ek msg aata hai. Msg dekhte hi Sonal ke chehre ki muskurahat wapas aajati hai. Par yeh muskurahat kuch der ke liye hi rehti hai.

Sonal jab msg open karke padhti hai woh bahot udaas hojaati hai. Msg Raj ka tha jisme likha tha usko Gujrat mein aur kuch din rehna hoga. Isiliye uske class ko dusre professor lenge. So class mein chali jaana.

Aarav: Kyaa hua didi aap achanak se utbi udaas kyo hogyi. Kiska msg hai. Kyaa likha hai.

Sonal: Thoda gusse se. Tumhare bhaiya ka msg hai. Gujrat mein kuch jyaada hi dil lag gaya hai isiliye waha aur kuch din rehne wale hai.

Aarav: Shayad unka kaam khatam nhi hua hoga.

Sonal: Mann mein. Aane do unko wapas. Koi baat hi nhi karni hai ab unse. Aise toh badi badi baat karte hai. Main unke liye sabkuch hu aur yaha mujhe akela chorke waha Gujrat mein enjoy kar rahe hai.


Phir Sonal car se utar ke sidha Canteen ki taraf jaati hai jaha sablog baithe hue the.
Bahut hi shaandar update diya hai bhai...
Nice and lovely update...
 

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,102
218
Update 80
Raj apne cabin mein hai toh usko waha table mein uska lunch box dikhta hai jiske upar ek note bhi tha. Jisme likha tha. Jaldi se khaa lijiyegaa.

Yeh padhte hi Raj ke chehre mein wapas se ek muskurahat aajati hai. Aur woh apna mobile nikalke ek Thank you ka msg type karke Sonal ko bhej deta hai.

Idher Neha Fresher party ke liye kuch jyaada hi excited thi jabse usne suna tha ke Teachers bhi aane wale hai.

Neha: Mann mein. Iss fresher party mein main aise taiyaar hoke aaungi ke Raj Sir mujhe dekhte hi reh jaayenge. Unki nazre mujhse hatengi hi nhi. Bas mujhe unki nazre ekbaar mujhpe lagani hogi. Aur iss party mein toh main harwaqt unke kareeb hi rahungi.

Aur woh jo bhi Ms. Pagal hai jiske wajah se Sir mujhe dekhte tak nhi mujhse durr rehte hai usse Sir ko humesha ke liye alag karke apna bana lungi. Yehi sochte hue woh mann hi mann hasne lagti hai.

Dheere dheere Fresher Party ka din kareeb aane lagta hai aur sablog bahot excited the Party ke liye. Sablogo ki saari taiyaariyan hochuki thi.

Fresher Party ke ekdin pehle Shivam apne plan ko aur ekbaar achhe se prepare karleta hai jisse koi garbar naa ho aur woh pakda bhi naa jaaye.

Shivam: Soniya ab tu dekhna bahot maze le rahi thi naa tu mere. Bahot izzat ki baate kar rahi thi. Ab teri izzat aise uchlegi ke tu phir iss college mein nhi dikhegi. Aur tere baad uss Sonal aur Varun ki baari aayegi. Kal jitna enjoy karna hai karle phir toh tu royegi hi. Yeh bol woh kal ke baare mein sochke mann hi mann khush hone lagta hai.

Idher baakilog bhi fresher ko leke bahot excited the par koi tha jo thoda jyaada excited thi aur woh thi Neha. Usne toh soch rakha thaa iss fresher party mein Raj ka pura dhyaan khud ke upar rakhegi aur harwaqt uske saath hi rahegi.

Raat ko Sonal Raj se puchne lagti hai ke party mein kya kya program decide hua hai par Raj Sonal ko kuch nhi batata. Bas itna bata deta hai ke uske liye ek dare taiyaar kiya gaya hai so woh ready rahe.

Dare ke baare mein sunke Sonal ko halki tension hojaati hai aur woh sochne lagti hai ke kyaa dars milega kaisa dare milega agar woh naa kar paayi toh kyaa hogaa. Toh Raj usse jyaada tension lene se mana karta hai aur enjoy karne ko bolta hai.

Agle din Subah Raj aur Sonal party ke liye ready the.

Smita: Toh tumlog taiyaar ho apni fresher party ke liye.

Raj: Mummy meri nhi iss student ki fresher party.

Smita: Fresher toh tu bhi hai uss college mein bhale hi Teacher hai.

Sonal: Sahi kaha. Fresher toh yeh bhi hai. Par inhe koi dare nhi milega professor jo thehre.

Nandini: Matlab.

Sonal: Matlab mere liye ek dare taiyaar kiya hai aur mujhe shakk hai woh inhone hi kiya hai mujhe pareshan karne ke liye.

Raj: Kitni intelligent ho tum.

Sonal: Woh toh bachpan se hu. Yaani aapne hi mere liye dare banaya hai.

Raj: Sahi kaha. Dare toh maine hi banaya hai. Mujhe bahot darpok darpok bolti ho na. Ab dekhte hai kaun darpok hai.

Sonal: Achha mujhe challenge.

Raj: Yes. Dare complete karke dikhao warna main tumhe abse Ms. Pagal ke saath saath Ms. Loser bhi bulaunga.

Sonal: Ab toh main yeh dare jeet ke rahungi. Phir aapse niptungi. Mr. Bandar.

Raj: Bandar. Tumne mujhe bandar kaha.

Sonal: Haa bandar bandar bandar.

Raj: Agar main bandar toh tum bandariya.

Sonal: Bandariya nhi Sherni hu main.

Raj: Badi aayi Sherni. Bandariya kahi ki.

Smita: Achha achha ab ladna band karo. Itne bade hogye ho aur bachho ki tarah ladte ho. Chalo jaao college.

Phir dono Bandar aur Sherni matlab Raj aur Sonal nikal padhte hai college ki taraf.

Smita: Nandini kyaa yeh wahi Raj aur Sonal hai jo ekdusre se thikk se baat tak nhi kar paate the. Aur aaj ekdusre se kaise bachhon ki tarah ladh rahe hai.

Nandini: Ek tarah se yeh achha hi hai naa Choti Mummy. Isse inke beech ka pyaar hi toh badh raha hai. Aur bhagwan naa kare agar kabhi Sonal ki yaadash aayi hi nhi toh yeh dosti yeh pagalpan inhe kabhi alag nhi hone dega inhe humesha aise saath hi rakhega.

Smita: Sahi kaha. Aur jab yaadash aayegi toh inka rishta aur jyaada majbut hojayega.

Nandini: Aaj toh ek aur naya naam de diya inhone apne aapko Bandar aur Sherni.

Smita: Haste hue. Yaadash jaane ke baad toh Raj ke saamne Sonal sach mein Sherni bann gayi hai. Aur Raj toh Bandar thaa hi.

Idher dono car mein chupp baithe the toh Raj bolta hai.

Raj: Toh challenge yaad hai naa Bandariya.

Sonal: Bandariya nhi Sherni. Aur main aapka banaya hua dare jeet ke rahungi. Aur agar main jeet gayi toh aapko yeh manna padega main Sherni hu aur aap bandar.

Raj: Aur agar haar gayi toh.

Sonal: Sawaal hi nhi uthta. Kyoki Sherni kabhi nhi haarti.

Raj: Dekhte hai. Phir mann mein bolta hai. Dare toh tum aaram se jeet jaogi. Ab main apni iss pyaari si Sherni ko haarne thodi dunga. Aur tumhari jeet ke liye main Bandar kyaa jo tum bolo woh bann jaau.

Thodi der mein dono College ke paas pahonch jaate hai toh Sonal car se utar jaati hai aur aage badhne lagti hai tabhi Raj Sonal ko awaaz deke bulata hai.

Sonal: Jii Kahiyee.

Raj: Tum aaj bahot khubsoorat lagrahi ho ekdum jaise swarg se koi apsara utar aayi ho. Yeh bol woh jhatt se apni gaadi aage bhaga deta hai.

Raj ke waise bolne se ekpal toh Sonal usko shock hoke dekhti rehti hai. Woh kuch bolti uske pehle hi Raj waha se nikal jaata hai aur woh usko jaate hue dekhte rehti hai. Phir Raj ki baato ko yaad karke muskura deti hai aur sharma jaati hai.

Sonal: Bilkul darpok hai. Bandar kahi ke.


Phir yeh bhi College ki taraf nikal padhti hai.
Nice update bhai
 
  • Like
Reactions: Luffy and Jaguaar

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,102
218
Update 81
Idher college ki parking mein hi Neha ekdum bollywood actress ki tarah saj sawar ke khadi Raj ka aise intezaar kar rahi thi aakhir fresher party ka dress code bhi bollywood tha.

Neha: Yeh Raj sir aaj itna late kyo kar rahe hai. Main kabse unka wait kar rahi hu pata nhi kab aayenge.

Abhi woh aur kuch bolti tabhi koi uske kandhe mein haath rakhta hai toh woh ghabra jaati hai aur pichhe ghum ke dekhti hai toh waha Vishal khada tha.

Vishal: Yaha akele khadi kisse baate kar rahi ho.

Neha: Kisi se nhii. Main toh bas tumlogo ka hi intezaar kar rahi thi. Tum kab aaye.

Vishal: Bas abhi aaya. Waise manna padega aaj toh bahot jyaada khubsoorat lag rahi ho. Ms. Fresher toh tum hi banogi. Jo bhi dekhega bas dekhta hi reh jayega. Jaise main dekhta hi reh gaya.

Neha: Sharma ke. Kyaaa Vishal tum bhi jhoothi tareef karne lage. Ab itni bhi khubsoorat nhi lag rahi. Phir mann mein. Jiske liye itna taiyaar hui hu woh dekhle toh meri yeh mehnat safal hojaaye. Par pata nhi kaha reh gaye abhi tak aaye hi nhi.

Vishal: Aree ekdum sach bol raha hu. Tum aaj bahot khubsoorat dikh rahi ho. Ekdum Chand ka tukra lag rahi ho.

Neha: Thank You Vishal.

Neha itna hi bolti hai ke tabhi usko ek gaadi ki awaaz sunayi deti hai aur woh pichhe palat ke dekhti hai toh usko Raj ki gaadi dikhayi deti hai jo college ke andar aarahi hoti hai.

Raj ki gaadi dekh kar Neha ki khushi ka thikana nhi hota.

Neha: Mann mein. Finally woh aagaye.

Idher Raj gaadi se utar kar sidha Seminar hall ki taraf jaane lagta hai aur Neha usko dekhti hi reh jaati hai.

Neha: Haayee kitne smart and dashing lag rahe hai. Inko dekhne ke baad toh meri dil ki dhadkane bullet train ki speed se bhaag rahi hai. Kahi inko meri hi nazar naa lag jaaye. Iss Party wear mein toh yeh ekdum jaanleva lag rahe hai upar se aankho mein woh stylish chashmah uska toh kyaa hi kehnaa.

Idher Neha apne hi khayalo mein ghum thi ke usko pata hi nhi chala Raj kab unke kareeb pahonch gaya.

Vishal: Good Morning Sir.

Raj: Good Morning Vishal.

Vishal Neha ko hilata hai tab jaake usko hosh aata hai aur woh saamne Raj ko khade dekh thodi sharma jaati hai.

Neha: Sharmate hue. Good Morning Sir.

Raj: Hmm Good Morning.

Neha: I Must say. Aaj aap bahot jyaada achhe dikh rahe hai.

Raj Neha ke kehne ka matlab samaj jaata hai par woh uski baat ko ignore karta hai.

Vishal: Yes Sir. Neha ne sahi kaha hai. Agar aap student hote toh pakka aapko hi Mr. Fresher ka award milta. If I am not wrong aapke time mein jarur aap hi rahe honge Mr. Fresher.

Raj: Smile karte hue. Jab main padhta tha yaha pe tab mere Bhaiya Bhabhi Didi aur Jijaji mere senior the toh unhone mujhe jaan muzz ke woh award diya tha warna main deserve nhi karta tha.

Vishal: Unhone ekdum sahi kiya tha. Maine uss time toh aapko nhi dekha tha par imagine karsakta hu unhone kuch galat nhi kiya tha. Waise aapki dressing sense bahot achhi hai. Aur yeh party wear aap pe bahot achha lag raha hai.

Raj: Haste hue. Tumhe ladkiyon ki tareef karni chahiye. Meri tareef karne se tumhe marks jyaada nhi milenge. Aur waise bhi yeh dress maine nhi kharida hai. Yeh toh mere liye kisi aur ne pasand kiya tha.

Raj ki baat sunke Vishal hasne lagta hai toh uske saath Raj bhi has deta hai. Par Raj ki aakhri baat pe Neha ki aankhe badi hojaati hai.

Neha: Mann mein. Raj Sir ka outfit unhone pasand nhi kiya toh kisne kiya. Kahi uss Ms. Pagal ne toh nhi. Jarur usine kiya hoga. Yeh sochte hue Neha uss Ms. Pagal se jalne lagti hai. Uski aankho mein uske liye gussa aajata hai.

Vishal: Aapko dekh kar koi nhi keh sakta aap class mein kitne strict hai aur yaha kitne mazakiya.

Raj: Dekho Vishal. Class mein main ek teacher hu aur waha mera bas ek hi kaam hai woh hai padhana hai aur main padhai mein kisi bhi tarah ka compromise nhi karta. Baaki class ke bahar main ekdum normal hu.

Abhi Vishal kuch bolta tabhi uske paas ek call aata hai aur woh call receive karta hai toh saamne woh Senior Student tha.

Raj: Haa bolo.

Senior: Sir ek bahot badi problem hogyi hai.

Raj: Kya huaa.

Senior: Sir jo student program mein Music ko control karne wala tha uske ghar mein kuch serious problem hogyi hai toh woh nhi aasakta hai. Ab kyaa kare kucj samaj nhi aaraha hai.

Raj: Yeh toh sach mein problem hogyi. Tabhi Raj ke dimaag mein ek idea aata hai. Achha tum chinta mat karo. Uss student ki jagah dusra student hai mere paas. Main abhi laata hu usko.

Senior: Sach mein sir.

Raj: Haa.

Senior: Aapne bachaa liya Sir. Thank you.

Phir call cut hojaata hai.

Vishal: Kyaa hua Sir.

Raj: Ek problem hogya hai. Program mein music control jo karne wala tha uske ghar mein kuch problem hogyi hai toh woh nhi aasakta.

Vishal: Toh ab.

Raj: Tum B.Tech ke student hona. Computer ka achha khaasa knowledge hoga naa.

Vishal: Jii Sir.

Raj: Toh kyaa tum woh music control kar sakte ho.

Vishal: Bilkul karsakta hu sir.

Raj: Bahot achhi baat hai. Toh chalo chalke thoda dekh lo.

Vishal: Jii Sir. Aap chinta naa kare.


Phir dono waha se Seminar Hall ki taraf nikal padhte hai aur pichhe Neha khadi reh jaati hai apni soch mein.
Nice update bhai
 
  • Like
Reactions: Luffy and Jaguaar

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,102
218
Update 82
1 ghante baad sablog Seminar hall mein khade the. Seminar hall ko achhe se decorate kiya gaya tha. Aisa lag raha tha jaise pura bollywood hi wahi utar aaya hai.

Sablog apne apne group ke saath khade the aur baate kiye jaa rahe the. Koi kisi ki tareef kiye jaa raha tha toh koi kisi se flirt kiye jaa raha tha.

Varun: Aree yeh Vishal kaha hai aaya nhi abhi tak. Neha Vishal kaha hai.

Neha: Woh Raj sir ke saath hai. Unhone usse kisi kaam se apne saath rakha hua hai.

Varun: Saale ne achhi baazi maarli. Mauke ka sahi faiyda uthaya aur Raj Sir ke saath kat liya jisse usse koi dare ya kisi bhi tarah se participate naa karna padhe.

Tabhi pichhe se koi Varun ke sir mein ek tapli maarta tha aur bolta hai shakal achhi nhi hai toh kam se kam baate toh achhi kar.

Sab pichhe ghum ke dekhte hai toh waha Vishal khada tha aur Varun ko ghurre jaa raha tha.

Vishal: Haa toh tu kyaa bole jaa raha tha. Main bhaag gaya.

Varun: Haste hue. Nhi nhi bhai maine kaha aise bola. Main toh bol raha tha tu dikhai nhi de raha hai kaha gaya tha.

Vishal: Bas bas rehne de. Tere rag rag se waakif hu.

Soniya: Par tum Raj sir ke saath kyaa kar rahe the.

Vishal: Jo program mein music control karne wala tha woh kisi kaaran nhi aasaka isiliye uski jagah main gaya tha.

Phir sab waha khade program start hone ka wait karne lagte hai. Par Neha ki nazare toh Raj ko hi khoj rahi thi. Jab woh nhi dikha toh woh Vishal se hi puch baitha.

Neha: Vishal tum toh Raj sir ke saath hi the naa toh woh kaha dikh nhi rahe hai.

Neha ke aise puchne baakilog toh nhi par Sonal usko ghurne lagti hai. Jo Ishita Payal aur woh anjaan insaan dekh lete hai.

Vishal: Woh wahi seniors ke saath hai.

Neha yeh sunke thoda udaas hojaati hai kaha woh soch rahi thi ke woh harwaqt Raj ke saath rahegi par Raj toh waha thaa hi nhi. Par Vishal ki baat sunke Sonal ko thodi khushi hoti hai.

Kuch der baad saari lights off hojaati hai toh waha hall mein andhera chaa jaata hai. Phir sidha stage mein ek spotlight padhti hai toh sabki nazar waha padhti hai toh waha sab Raj ko khada paate hai.

Raj: Good Morningg Everyoneee and welcome to the Freshers Partyyyyy.

Pure Hall mein Taaliyon ki aur sabke chillane ke awaaz gunj uthti hai.

Raj: So kyaaa sab readyy hai Partyyy hai.

Sab chillake ke haa bolte hai.

Raj: Party Start karne ke pehle main humare Principal Sir ko yaha stage mein invite karna chahta hu. Taaki woh yaha aaye aur 2 shabd kahe.

Raj ke bolne ke baad jaha Principal stage mein aata hai aur baaki sab taaliyan bajane lagte hai.

Principal aake sabko welcome karta hai aur thoda bahot bolke waha nichhe aajata hai.

Raj: So kyaa tumsab yeh janne ke liye jarur excited hoke aaj iss Fresher Party mein kyaa kyaa hone wala hai.

Sab Chillake haa bolte hai.

Raj: Coollll. But aaj kya kya hone wala hai yeh toh time to time hi pata chalega. Par itna bata deta hu. Aaj total teen main programs hongee. Par unke beech beech mein thoda dance thoda singing thodi masti mazaak bhi hogi. Yeh bol Sonal ki taraf dekh ek shaitaani smile kardeta hai jiska matlab Sonal saaf samaj rahi thi.

Sonal: Mann mein. Dekho toh kaise mujhe dekh kar has rahe hai. Jarur kuch aisa socha hoga mere liye jo main kar naa paau. Aur woh mujhe Ms. Loser bolke chidha sake. Par main bhi yeh unka diya hua dare karke dikhaungi.

Raj: So aaj ki party start karte hai ek dance performance se jo tumlogo ke hi ek senior ne tumlogo ke liye taiyaar kiya hai. So with big round of applause please welcome him.

Phir stage mein andhera hojaata hai aur thodi der baad waha stage mein ek Spotlight padhti hai ek ladke ke upar.

Jaise hi sab uss ladke ko dekhte hai toh sab taaliyon ke saath hooting karne lagte hai. Phir Music start hota hai aur uske saath dance bhi start hota hai.

Sablogo ko woh dance bahot pasand aata hai aur sab jorr jorr se hooting karne lagte hai.

Thodi der baad uska dance khatam hojaata hai toh Raj wapas stage mein aata hai.

Raj: So iss tadakte bhadakte dance performance ke baad hum chalte hai humare 1st main program ki taraf. Jisme tum students ke saath saath teachers bhi perform karenge. So kyaa tumsab taiyaar ho yeh jaane ke liye ki pehla program kyaa hone wala hai.

Sab hooting karne Lagte hai.

Raj: Okk okkk. So humara pehla program hai Ramp walk. Ab tumsab toh jaante hi ho iss mein kyaa karna hota hai. Toh iss mein Stream wise students one by one yaha stage mein Ramp walk karenge. Usme tumhare seniors note karenge kiska sabse achha hua aur usse uss basis pe points milenge.

Aur teen programs ke baad jis bhi ladke aur ladki ko sabse jyaada points milenge woh honge iss saal ke Mr. And Miss Freshers. So kyaa tumsab taiyaar ho.

Sabko program bahot interesting lagta hai aur sab hooting karne lagte hai.

Raj: Toh sabse pehle teachers Ramp walk karengee.

Raj ke bolne ke saath hi sab taaliyon ke saath hooting karne lagte hai.

Thodi der baad hall mein andhera chaa jaata hai aur sirf stage mein spotlights aur baaki lights padhti haii. Phir Music onn hota hai aur ek ek karke saare teachers Stage mein walk karne lagte hai.

Jaise hi teachers walk karne aate hai pure hall mein shorr machh jaata hai. Students chilla chillake enjoy karne lagte hai. Aur jab sabse aakhir mein Raj aata hai toh sab aur jor jor se chillane lagte hai. Kyoki inn kuch dino mein Raj bahot se students ka favourite teacher bann gaya tha.

Idher jaise hi Raj walk karta hai toh Sonal aur Neha ke saath saath kuch aur ladkiyan bhi usse ek tak dekhe jaa rahi thi. Sabki nazre jaise Raj pe jamm si gayi thi.

Ishita: Wowww bhaiyaa kyaa lag rahe hai. Ekdum hero lag rahe hai. I am sure agar Bhabhi ki yaadash thik rehti toh woh phir se inke pyaar mein girr jaati.

Payal: Sahi kaha Ishu. Bhaiyaa ki baat hi alag hai. Agar yeh teacher ki jagah student hote toh pakka inhe hi Mr. Fresher ka award milta.

Inndono ki baate waha jo shorr tha uski wajah se aur koi nhi sunn paya tha. Warna aaj toh Raj ki sachai sabke saamne aajati.

Idher Raj ka walk khatam hojaata hai par kuch ladkiyan toh jaise hosh mein hi nhi thi unki nazre toh abhi bhi Stage pe hi thi jisme Neha aur Sonal bhi shamil thi.

Ishita: Didi kyaa dekh rahi ho.

Ishita ke hilane se Sonal hosh mein aati hai aur jhepp jaati hai.

Sonal: Haklate hue. Kuch nhi.

Ishita: Ghabraiye mat. Yaha aapka nhi bahot jan ki yehi halat hai. Jara nazar ghuma ke dekhiye.

Sonal nazre ghuma ke dekhti hai toh bahot si ladkiyan abhi tak jaise statue bani hui thi.

Ishita: Dekha yeh hai humare bhaiya ke kamaal.

Sonal: Yeh sab pagal hai. Aisa kyaa tha unme jo yeh aise dekhe jaa rahi hai.

Ishita: Yeh toh aap jaano. Aakhir aap bhi toh dekh rahi thi.


Ishita ke aise bolne Sonal apna chehra ghuma leti hai aur thoda sharma jaati hai.
Mast update bhai
 
  • Like
Reactions: Luffy and Jaguaar

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,102
218
Update 83
Idher Raj stage mein aata hai sab hooting start kardete hai.

Raj: Toh ab baari hai students ki. Toh tum sab taiyaar hojaao. Pehle Ramp walk karenge B.Tech branch ke students.

B.Tech sunte hi sab apne apne dosto ko best of luck bolne lagte hai jo uss stream mein the.

Ishita: Payal achhe se karnaa. Dheere se kaan mein. Main video call mein Aarav Bhaiya ko dikhaungi. Toh apne saiyaa ji ke liye achhe se karnaa.

Aarav ka naam sunte hu Payal ke chehre mein ek muskurahat aajati hai.

Phir sab Payal aur Vishal ko wish karte hai aur woh back stage chale jaate hai.

Idher Ishita Aarav ko call karti hai.

Aarav: Haa Ishu bolo kyaa hua tumne achanak call kiya.

Ishita: Bhaiya aapko kuch khaash dikhana hai.

Aarav: Kyaaa.

Ishita: Aapko video call kar rahi hu khud dekh lena.

Aarav: Aisa kyaa dikhana hai.

Ishita: Khud dekhlo.

Phir Ishita Aarav ko Video call karti hai aur back camera on karke Mobile stage ki taraf kar deti hai.

Ishita: Kuch der rukhna phir dekhna.

Thodi der mein hall phir se andhera hojaata hai aur stage mein lights jal uthti hai. Music onn hota hai Aur ek ek karke students walk karne lagte hai.

Kuch students ke baad jab Payal saamne aati hai toh Aarav phone mein usko dekhte hi reh jaata hai. Woh apni nazre hi nhi hata paata. Ishita Aarav ka reaction dekh kar hasne lagti hai aur bagal mein khadi Sonal ko bhi dikhati hai toh woh bhi hasne lagti hai.

Sonal: Yeh toh gaya. Dekho kaise dekhe jaaraha hai.

Ishita: Sahi kaha. Dekhiye na palke tak jhapkana bhul gaye hai.

Kuch der mein jab walk khatam hota hai toh Ishita Aarav se puchti hai. Kaisa laga apni dilbar ka Ramp walk.

Aarav: Khatarnak. Mujhe nhi pata tha Payal itni jyaada khubsoorat hai. Main toh dekhte hi reh gaya. Kyaa lag rahi thi woh. Main toh nazre hi nhi hata paaya. Thank You Ishu.

Ishita: Your welcome bhaiyaa. Yeh bol call cut kar deti hai.

Phir Raj stage mein aata hai.

Raj: So ab next karenge Interior Designing branch ke students.

Payal: All the best guys.

Phir sab back stage chale jaate hai aur Raj back stage se Payal ke paas aake khada hojaata hai.

Payal: Dheere se. Kyaa baat hai bhaiya mere liye toh yaha pe nhi aaye. Aur jaise hi Bhabhi ka time aaya unke liye audience ban gaye.

Raj: Teri Bhabhi ke liye toh jaan haazir hai. Ab uske liye nhi aaunga toh kiske liye aaunga.

Payal: Not bad not bad. Aane dijiye unhe batatu hu aap unke liye specially waha se yaha aaye hai.

Raj: Haa toh bata de. Aur ab chup kar mujhe dhyaan se dekhne de.

Phir thodi der mein unka walk start hojaata hai aur Raj besabri se Sonal ke turn ka intezaar karne lagta hai.

Students ke walk start hote hi sab students hooting karne lagte hai. Thodi der mein jab Neha aati hai toh uski nazar saamne baithe Raj pe padhti hai toh woh thodi jyaada adaa ke saath walk karne lagti hai.

Idher Raj jab dekhta hai Sonal ke aane mein time hai toh woh bagal mein baithe sab students ko dekhne lagta hai.

Neha jab dekhti hai ke Raj ka dhyaan stage ki taraf naa hoke dusri taraf hai toh uska chehra utar jaata hai aur woh buri tarah se udaas hojaati hai.

Kuch aur students ke jaane ke baad jab Sonal ki turn aati hai toh Payal bolti hai.

Payal: Lijiye bhaiyaa aagayi aapki dilbar jiske intezaar mein aap kabse yaha baithe hue hai.

Payal ki baat sunke jab Raj stage ki taraf dekhta hai toh dekhta hi reh jaata hai. Saamne starting point mein Sonal khadi thi jisse dekhte hi Raj apne hosh kho baithta hai. Woh usko dekhta hi rehjaata hai.

Usse Sonal ki jagah ek swarg se utri apsara dikh rahi thi jo dheere dheere chal ke saamne ki taraf aarahi thi.

Sonal jab saamne aake khadi hoti hai aur jab charo taraf nazar ghumati hai toh dekhti hai Raj ussi ki taraf sabse bekhabar hoke dekh raha hai. Yeh dekh Sonal thoda tarah sharma jaati hai.

Payal toh Sonal ke ramp walk ka video banane mein busy thi. Aur beech beech mein Raj ki taraf bhi dekh rahi jo bas Sonal ko hi dekhe jaa raha tha.

Idher Sonal wapas starting point ki taraf chali jaati hai aur dusri student aajati hai par Raj ko uska hosh naa thaa.

Payal: Raj ko hilake. Bhaiya ab kyaa dekh rahe ho. Woh toh kabki chali gayi. Ab toh apni nazre hata lijiye.

Payal ke hilane se Raj apne hosh mein aata hai aur aur uski baate sunke jhepp jaata hai aur waha se nikal jaata hai.

Uske aise nikalne Payal hasne lagti hai.

Thodi der mein Interior Designing stream ka walk khatam hojaata hai toh sab students wapas se baaki students ke paas aajate hai.

Sonal ke chehre mein jaha khushi aur sharm thi wahi Neha ke chehre mein dukh aur udaasi.

Payal: Kyaa baat hai didi aap toh chaa gayi. Aur Ishu tera bhi bahot achha tha. But mere se kam.

Ishita: Woh toh points batayenge humdono mein se kiska achha tha. Par Didi ka toh kamaal ka thaa.

Sonal: Tumdono ka bhi bahot achha hua tha. Aur maine toh yehsab pehli baar kiya hai. Main toh soch rahi thi achha hoga yaa nhi.

Dono: Aree bahot achha hua hai. Dekhna aapko pure 10 points hi milenge.

Varun: Kyaa baat hai Soniya mujhe nhi pata tha tu itni achhi bhi dikhti hai. Tera walk toh achha tha.

Soniya: Tu tareef kar raha hai yaa beizaati.

Varun: Jo tujhe achhi lage woh rakhle.

Vishal: Aree sabka achha tha. Par Neha tumhara chehra kyo utra hua hai.

Neha: Woh mera achha nhi hua.

Vishal: Kaun bewakoof yeh bol raha hai. Tumhara toh bahot achha hua hai. Iss Varun aur Soniya se bhi achha.

Neha: Mann mein. Agar achha hota toh Raj Sir meri taraf dekhte par unhone toh mera walk dekha tak nhi. Mujhe laga tha woh humari stream ke liye back stage se saamne aaye hai toh mujhe bhi dekhenge. Par shayad woh Ms. Pagal bhi humari stream ki hi hai.

Varun: Aree Neha itna kyaa dukhi hona. Enjoy karo naa.

Soniya: Haa dekhna tujhe points bahot achhe milenge.

Idher yehlog baate kar rahe the tabhi Raj stage mein aata hai aur dusre stream ka naam announce karta hai.

Aise hi thodi der mein har ek student ka Ramp walk complete hojaata hai aur Seniors aake points bhi announce kardete hai. Jisme Varun ko 7 Vishal ko bhi 7 Soniya ko 8 Ishita aur Payal ko 9 Sonal aur Neha ko 10 mile thee. Kuch apne apne points se khush the toh kuch dukhi.

Soniya: Dekha Bandar kiska performance achha tha.

Varun: Jarur tune unn seniors ko ghuss diya hoga tabhi aisa result hua.

Soniya: Ab bahane banana chorr. Aur apni haar maan le.

Ishita: Dekha didi humne kaha tha aapko 10 hi milega.

Sonal: Yakeen nhi horaha hai hai. Mann mein. Jiss tarah se woh mujhe dekh rahe the jarur unhone hi mere points diye hai.

Thodi der baad Raj bolta hai.

Raj: Toh iss jabardast program ke baad ab karte hai thodi masti. Yeh bol Sonal ki taraf dekh kar shaitaani smile karta hai jisko Sonal samaj jaati hai.

Raj: Toh tumlogo ke seniors ne kuch dares banaye hai kuch selected students ke liye. Toh seniors yaha stage mein aayenge aur ek ek karke student ko bulayenge.


Dare ka naam sunke sab thoda ghabra jaate hai aur sochne lagte hai pat nhi kya na kyaa karwayenge.
Nice update bhai
 
  • Like
Reactions: Luffy and Jaguaar

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,102
218
Update 84
Phir Senior stage mein aate hai aur kuch students ko one by one bulake dare dete hai jisme kuch woh kardete hai toh kuch nhi karpaate.

Sonal ko hairaani hoti hai ke uska naam kyo nhi bulaya gaya woh stage mein khade Raj ki taraf dekhti hai toh Raj usko sabki nazre bachake aankh maar deta hai jisse Sonal ka muh khula ka khula reh jaata hai.

Sonal: Mann mein. Yeh mera naam kyo nhi liya gaya. Kyaa inhone mere saath mazaak kiya tha yaa phir koi aur hi matter hai. Aur abhi unhone mujhe dekh kar aankh maari matlab jarur unke dimaag mein kuch aur hi chall raha hai. Aur unki himmat toh dekho itne saare logo ke saamne kaisi harqat kari unhone. Milne do akele mein phir batati hu.

Raj: Toh ab time hai humare dusre program ka. Yeh wala program dusre wale se thoda alag hai. Isme dual mein perform karna jisme student se student ka pair ban sakta hai student aur teacher ka pair bansakta hai. Toh kyaa tumsab ready ho.

Sab chillake haa bolte hai.

Raj: Aaj ke fresher party ka theme hi hai bollywood aur sablog hi kahi na kahi thodi bahot acting toh karte hi hai. Chahe woh parents ke saamne ho dosto ke saamne ho yaa teachers ke saamne ho. Toh humara aaj ka second program bhi acting ke upar hi hai.

Sablog Raj ki baate sunke jaha thode excited the usike saath thode confuse bhi the.

Raj: Humara aaj ka second program hai role play. Jo hoga bollywood and retro mix style mein. Sabhi students aur teachers ke naam ki chits gender wise inn 2 bowls mein rakhi hai aur iss teesre bowl mein movie ke naam ki chits hai aur uske saath hi kaunsa scene ka role play karna woh bhu likha hua hai.

Toh jis pair ke chits mein jis movie ka naam aayega usko uss movie ka woh hit scene karke dikhana hoga. Par points sirf students ko hi milenge unke individual performance ke upar. Performance end hone ke baad woh pair inn bowls mein dusre pair ka nam announce karega. Sabko 2 minutes perform karna hoga.

Jaise hi Raj bolna khatam karta hai sabhi log taaliyan bajane lagte hai. Sabhi ko yeh program pichle wale se bhi jyaada pasand aaya tha. Sabhi log iss program ke liye aur jyaada excited hogye the.

Raj: Toh pehle pair ka naam announce karenge pichle saal ke Mr. And Miss Fresher.

Phir Raj nichhe aake baaki teachers ke paas khada hojaata hai. Aur pichle saal ke Mr. And Miss Fresher stage mein aate hai. Dono ek ek chits nikalte hai aur ek ek naam announce karte hai.

Phir woh dono pair stage mein aake teesre bowl mein se ek chits nikalte hai aur usme jo movie ka naam likha hota hai aur saath hi kaun sa scene karna hai woh bhi likha hota hai.

Dono woh scene ko achhe se yaad karte hai aur stage ke beech mein aake woh perform karne lagte hai.

Sabhi log iss program ko pasand kar rahe hai hote hai. Students toh students teachers ko bhi yeh program bahot pasand aaraha tha. Wohlog bhi bahot khush the.

Iss tarah bahot saare students ka program hojaata hai. Jisme Ishita Payal Soniya Vishal aur Varun ka performance bhi shamil tha.

Jaha sablog program ko dekh kar enjoy kar rahe the wahi Neha toh issbaar bhagwan se prarthna karne lagi thi ke uski jodi Raj ke saath bane.

Neha: Heyy Bhagwaan kuch aisa karna ke meri jodi sirf aur sirf Raj sir ke saath bane. Pleasee bhagwaan pleasee meri jodi Raj Sir ke saath bana dena.

Stage mein jis jodi ka performance chal raha tha unka khatam hojaata hai toh woh side mein rakhe bowls mein se chits nikalte hai.

Ladka jaha Raj ka nam announce karta hai toh wahi ladki Neha ka announce karti hai.

Neha apna naam Raj ke naam sunke hadd se jyaada khush hojaati hai. Uska mann toh waha uchhal ka kar raha tha. Bhagwaan ne jaise uski prarthna sunli thi.

Idher Raj jab apn saath Neha ka naam sunta hai toh woh sidha Sonal ki taraf dekhta hai jo usko hi dekhe jaa rahi thi. Raj jab dekhta hai Sonal usko hi dekh rahi hai toh woh thoda ghabra jaata hai toh Sonal samaj jaati hai isiliye woh ek smile karke ishare se Best of luck bolti hai.

Sonal ki sehmati paake Raj mein thodi himmat aati hai toh woh stage ke upar aata hai jaha Neha pehle se hi khadi sharmaye jaa rahi thi.

Phir dono teesre bowl ke paas jaake ek chits nikalte hai jisme unka task likha hua tha.

Raj jab woh chit open karke padhta hai toh uske chehre pe ek tension aajati hai. Phir woh chit Raj Neha ko deta hai Neha chit likhe task ko dekh kar thoda sharma jaati hai.

Inndono ka task tha Bharat movie ka chai ke table mein baitha hua conversation jisme shaadi ka proposal diya jaata hai.

Raj apna task sabko sunata hai toh sab jor jor se taaliyan bajane lagte hai. Phir back stage se ek table aur do chair laake stage mein rakh diya jaata hai jiske baad dono ka role play start hota hai.

Neha jaha shaadi ki baat karte waqt thoda sharma rahi thi wahi Raj ekdum silent baitha tha aur beech beech mein ji Madam Sir bole jaa raha tha.

2 minutes ke baad inka performance khatam hojaata hai aur yehdono next pair ka naam announce karke sabke saath aake khade hojaate hai.

Thodi der baad Sonal ka naam announce hota hai jiske saath Principal ki jodi bani thi aur kismat se inko ek emotional baap beti ka scene karna tha jo yeh dono badi aasani se karlete hai. Jiske baad 2nd program bhi bahot achhe se complete hojaata hai aur sabke points bhi announce kardiye jaate hai jisme Vishal ko 8 Varun ko 7 Soniya ko 8 Ishita ko 7 Payal Neha aur Sonal 9 karke milta hai.


Idher jaise hi 2nd program khatam hota hai toh Soniya hall se thoda bahar jaati hai jisko Shivam dekh leta hai jo starting se hi Soniya ke upar nazar banaye baitha hua tha. Toh woh bhi Soniya ke pichhe pichhe chala jaata hai.
Nice update bhai
 
  • Like
Reactions: Luffy and Jaguaar
Top