• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Luffy

Well-Known Member
7,017
29,011
203
Update 97
Neha: Waise Raj Sir kitne achhe hai naa. Aur kitne handsome bhi hai naa.

Sonal ko Neha ka Raj ko handsome bolna pasand nhi aaya par woh koi react nhi karti.

Neha: Waise unke bina i mean unke class ke bina yeh time kitna waste hota hai naa.

Sonal: Bemann se. Hmm.

Neha: Waise tumhe pata hai kyaa woh kaha gaye hai aur kab aayenge.

Sonal: Mujhe kaise pata hogaa.

Neha: Aree tumhare paas toh unka number hai naa. Toh baat bhi toh hoti hogi. Aur tumhi ne toh bataya tha naa unhone tumhe call karke bola tha woh nhi aane wale.

Sonal: Haa mere paas unka number hai aur unhone hi mujhe bola ttha woh nhi aane wale. Par yeh nhi bola kab aayenge aur kaha gaye hai.

Neha: Achhhaa thikk hai. Bas jaldi aajaye toh achha hai.

Sonal: Neha ko ghurrte hue. Achha woh kisliye.

Neha: Aree ab yaha unka hona kitna jaruri hai. Unki class aisa waste hoti hai aur unka syllabus bhi kitna baaki hai.

Sonal: Hmmm.

Neha: Waise tumhe nhi lagta humhe unhe ek gift dena chahiye.

Sonal: Giftttt. Woh kisliyee.

Neha: Aree unhone Soniya ki itni help ki toh uske favour mein unhe kuch toh dena chahiye naa. Aakhir ek teacher hote hue bhi unhone dost ki tarah kitni madad ki.

Sonal: Mujhe nhi lagta woh accept karenge.

Neha: Aree woh accept karlenge. Chalo chalke sabse discuss karte hai. Yeh bol Neha jaldi se class ki taraf nikal jaati hai.

Sonal: Iss Neha ko itna kyaa hai ke Raj kab aayenge. Aree aajayenge woh. Par isko kuch jyaada hi hai. Jab dekho unke aage pichhe ghumti rehti hai. Yehi sab sochte hue Sonal bhi class ki taraf badh jaati hai.

Class mein sab baithe baate kar rahe the tabhi Neha waha aake bolti hai.

Neha: Yaar Soniya tu kitni badi selfish hai tujhe pata hai.

Soniya: Mujhe iss Varun ka pata hai ke yeh selfish hai par main kaise hogyi.

Varun: Oyee tujhe main selfish dikhta hu.

Soniya: Puch raha hai yaa bata raha hai.

Neha: Tum dono chupp hojaao. Jab dekho kutte billi ki tarah ladne lagte ho. Aur Soniya Raj sir ne teri itni badi madad ki aur tune unhe koi treat nhi di. Bas Thank you boldene se hogyaa.

Soniya: Aree unhone hi bola tha.

Neha: Aree woh toh bolenge hi. Par tujhe toh sochna chahiye naa.

Soniya: Yaar teri baat toh sahi hai. Toh ab main kyaa karu.

Neha: Tu unhe koi achha sa gift kyo nhi deti.

Soniya: Haa yaar yeh sahi hogaa. Par unhe kyaa gift du. Mujhe toh unke baare mein kuch bhi nhi pata.

Neha: Ek kaam karte hai hum dono kisi achhe se shop mein chalte hai college ke baad. Phir waha se kuch achha sa pasand karlenge.

Soniya: Greatttt. Aisa hi karte hai.

Ishita jo bahot derr se Neha ko dekh rahi thi aur uski baate sunn rahi thi usse usko samaj aagaya tha ke Neha aakhir chahti kya hai.

Ishita: Sonal ko dheere se. Didi aakhir maazra kyaa hai.

Sonal: Neha ko ghurte hue. Yeh Soniya ke bahane khud Raj ko gift dena chahti hai isiliye yeh sab kar rahi hai.

Ishita: Woh toh mujhe bhi dikh raha hai. Par bhaiya nhi lenge.

Sonal: Nhi le toh hi achha hai. Mann mein. Agar le liya toh Bandar ko chorungi nhi.

Phir thodu der mein ek professor aajate hai aur padhane lagte hai. Recess mein bhi kuch khaash nhi hotaa. Chutti ke baad sab apne apne ghar ki taraf nikal jaate hai.

Ghar aakar Sonal lunch karke apne room mein jaake so jaati hai aur sham ko uth ke padhne baith jaati hai.

Raat ko sone ke pehle Sonal Raj ko call karti hai toh Raj call receive nhi karta. Sonal ek do baar aur try karti hai par Raj call receive nhi karta. Jisse Sonal ka mood off hojaata hai.

Sonal: Yeh mera phone kyo nhi utha rahe hai. Hosakta hai aaj uss party mein busy ho isiliye nhi utha rahe hai. Ek baar aur try karti hu shayad utha le. Yeh bol Sonal wapas try karti hai par Raj Call receive nhi karta.

Phir Sonal apna udaas ka chehra liye hi so jaati hai.

Agle din Sonal neend se uth ke sabse pehle apna mobile check karti hai ke kahi Raj ka koi call ya msg aaya hai ya nhi.

Sonal: Inhone abhi tak koi call ya msg nhi kiyaa. Itna bhi kyaa busy hai jo mujhse baat tak nhi kar paa rahe hai. Ab jab tak unka call nhi aayega main bhi ab call nhi karungi. Aur unhone mere call ka reply nhi kiya naa toh ab main bhi unse baat nhi karungi. Yeh bol woh college ke liye ready hone chali jaati hai.

Thodi der baad woh ready hoke nichhe aati hai aur kitchen mein Nandini ki madad karne lagti hai. Par uska dhyaan baar baar apne mobile ki taraf hi jaa raha tha.

Nandini: Sonal kyaa baat hai. Kab se dekh rahi hu tumhara dhyaan kahi aur hai. Kyaa soch rahi ho.

Sonal: Kuch nhi bhabhi.

Nandini: Koi baat hai toh mujhse share kar sakti ho. Aakhir hum dost hai.

Sonal: Woh actually main raat se Raj ka phone try kar rahi hu par woh utha hi nhi rahe hai. Aur puri raat beet gayi unhone ek msg tak nhi kiyaa.

Nandini: Mazaakiya andaaz mein. Achhaa toh Raj ki yaad aarahi hai.

Sonal: Baat ghumate hue. Nhii bhabhi aisa kuch nhi hai. Woh toh mujhe ek sums samaj nhi aaraha tha isiliye unko call kar rahi thi.

Nandini: Aur isi liye tumhara yeh chehra utra hua hai kyoo.

Sonal: Hmmm.

Nandini Sonal ka chehra apni taraf karti hai aur puchti hai. Pyaar karne lagi ho Raj se. Dekho sach sach batana toh hosakta hai main tumhari kuch madad kardu.

Sonal Nandini ko hairaani se dekhne lagti hai.

Nandini: Aisee mat dekho. Kuch dino se tumhe notice kar rahi hu. Tumhari aankho mein saaf dikh raha hai. Aur jab se Raj bahar gaya hai tumhari aankhe usse hi dhund rahi hai. Chalo ab sach sach batao.

Sonal: Aisaa kuchh nhi hai bhabhi. Aap galat samaj rahi hai. Hum toh bas achhe dost hai aur kuch nhi.

Nandini: Ab tumhe nhi batana toh koi baat nhi. Tumhari marzi. Maine socha tha kuch madad kardungi tumhari. Thikk hai ab chalo jaldi se nashta karlo college ke liye late hojaayega.

Sonal: Bhabhi pleasee naraz mat hoiye. Aap toh meri pyaari bhabhi ho meri dost ho.

Nandini: Main naraz nhi hu Sonal. Yeh bol Nandini bahar jaane lagti hai.

Nandini ko bahar jaate dekh Sonal ko bolti hai.

Sonal: Bhabhiii. Aapne sahi kaha. Main Raj se pyaar karne lagi hu. Aur kahi na kahi woh bhi mujhse pyaar karte hai.

Sonal ki baat sunke Nandini ke chehre mein ek muskurahat aajati hai aur woh pichhe palat ke Sonal ke paas aati hai.

Sonal: Bhabhi maine aapko bata diya par pleasee yeh baat aap kisi ko mat bataiyegaa. Pleaseee bhabhiii. Main nhi chahti yeh baat abhi kisi ko pata chaleee.

Nandini: Mujhe pata thaa. Main bahot khush hu tumdono ke liye. Aur tum bilkul bhi tension mat lo. Yeh baat sirf aur sirf hum dono ke beech hi rahegi.

Sonal jhatt se Nandini ki gale lag jaati hai. Aap sach mein bahot achhi ho bhabhii.

Nandini: Achha achha ab chalo sab bahar naashte ke liye wait kr rahe honge. Aur tumhe late bhi horaha hoga. Aur iss baare mein hum college se aane ke baad baat karenge. Aur ab apna yeh chehra thikk karo tum aise udaas achhi nhi lagti.

Phir dono nashta leke bahar aajate hai aur thodi der baad nashta karke Sonal nikal jaati hai College ki taraf.

Sonal jaise hi college mein enter karti hai uske mobile mein ek msg aata hai. Msg dekhte hi Sonal ke chehre ki muskurahat wapas aajati hai. Par yeh muskurahat kuch der ke liye hi rehti hai.

Sonal jab msg open karke padhti hai woh bahot udaas hojaati hai. Msg Raj ka tha jisme likha tha usko Gujrat mein aur kuch din rehna hoga. Isiliye uske class ko dusre professor lenge. So class mein chali jaana.

Aarav: Kyaa hua didi aap achanak se utbi udaas kyo hogyi. Kiska msg hai. Kyaa likha hai.

Sonal: Thoda gusse se. Tumhare bhaiya ka msg hai. Gujrat mein kuch jyaada hi dil lag gaya hai isiliye waha aur kuch din rehne wale hai.

Aarav: Shayad unka kaam khatam nhi hua hoga.

Sonal: Mann mein. Aane do unko wapas. Koi baat hi nhi karni hai ab unse. Aise toh badi badi baat karte hai. Main unke liye sabkuch hu aur yaha mujhe akela chorke waha Gujrat mein enjoy kar rahe hai.

Phir Sonal car se utar ke sidha Canteen ki taraf jaati hai jaha sablog baithe hue the.
Awesome update
 
Ajay chauhan

Active Member
1,126
6,967
144
Hamm chalo nyi love story to nayi love Story kam se kam dono milenge to sahi

Par Devil bhai kya jo pehle ki sonal thi jo raj se had se jyada pyaar karti thi or raj bhi jis sonal se pyaar kata tha undono ko kabhi unka pyaar nasib hoga

Or ab shayad main apki is story ke naam ka matlab samaj gaya ek aisa pyaar jisse kahi bhi panah nahi mil rahi

Sach main Devil bhi apki is story ne mere dil ko chu liya 👏👏👏🙌🙌🙌🤘
 
ABHISHEK TRIPATHI

Well-Known Member
6,394
28,386
218

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,103
218
Update 76
Udher jisne inndono ko eksaath dekha tha woh apne ghar pahonch indono ke baare mein hi sochne lagta hai.

Kyaa maine jo dekha woh sahi dekha. Kyaa maine Raj Sir aur Sonal ko eksath pani puri khaate hue dekha. Kyaa woh eksaath waha pe the yaa phir anjaane mein saath the.

Lekin agar woh eksaath the toh phir Sonal ne humhe kabhi bataya kyo nhi. Agar Sonal unhe personally jaanti hai aur dono saath ghum rahe the toh hosakta hai dono dost ho yaa phir dosti se jyaada kuch hai.

Agar Sonal jaanti hai toh iska matlab Payal aur Ishita bhi jaanti hai. Agar aisa hai toh innlogo ne humhe yeh baat kyo nhi batayi. Ab inke upar nazar rakhni hogi. Dekhte hai aur kya kya hota hai.

Agle din subah College jaane ke liye dono ready the.

Raj: Sonal chalee.

Sonal: Jii chaliye.

Phir dono college ki taraf nikal padhte hai.

Thodi der baad dono college ke paas pahonch jaate hai.

Raj: Milte hai class mein.

Sonal: Aap bhul rahe hai Mr. Darpok college mein hum dost nhi student aur teacher hai. Humari dosti yaha se start hoti hai aur yahi pe kuch ghanto ke liye break lagta hai.

Raj: Mujhe yaad hai Ms. Pagal par class mein toh hum milenge hi. Bhalei hi rishta kuch aur ho.

Sonal: Aapse baato mein jitna mushkil hai. Byeee. Yeh bol Sonal haste hue college ki taraf nikal jaati hai. Aur Raj usko jaate hue dekhne lagta hai. Kuch der baad woh bhi college ki taraf nikal padhta hai.

Sonal college mein aake sidha canteen mein jaati hai jaha baaki sab baithe hue thee.

Sonal ko dekhte hi waha baithe ekjan ko kal sham ki baat yaad aajati hai aur woh Sonal ko ab shaki nazar se dekhne lagta hai.

Sonal: Good Morning.

Sab: Good Morning.

Phir sab waha kuch der baithke baate karne lagte hai uske baad apne apne class mein chale jaate hai.

Jisne Raj aur Sonal ko eksaath dekha tha woh apne mann mein sochta hai.

Agar dono ke beech kuch hai toh class mein dono mein se kisi na kisi ki nazar toh ekdusre pe hi rahegi. Ab inke upar nazar rakhni hogi.

Thodi der mein Raj class mein aajata hai. Aur aate hi Raj ne ek galti kardi.

Raj ne class mein enter karte hi sidha Sonal ki taraf dekha jo uss insaan ne dekhliya jiski nazar starting se hi inndono ke upar thi.

Phir Raj ne padhana start kiya par Raj hardin ki tarah padhate padhate Sonal ki taraf dekhta hai jo woh insaan notice kar raha tha.

Raj hardin hi Sonal ki taraf dekhta tha par koi notice nhi karta tha par aaj notice karliya gaya tha. Jisse uss insaan ka shakk badhta jaa raha tha aur woh mann mein soch raha tha.

Mera shakk sahi jaa raha hai. Raj Sir ki nazar baar baar Sonal ki taraf jaa rahi hai par Sonal dhyaan padhai mein hi hai. Dekhte hai yeh aage aur kya kya karte hai.

Idher Neha puri class mein sirf aur sirf Raj ki taraf hi dekhe jaa rahi thi par Raj ka dhyaan toh kahi aur hi tha. Jisse woh mann aur udaas horaha tha.

Phir dheere dheere Raj ki class khatam hoti hai aur baaki teachers bhi padhake nikal jaate hai.

Recess ke time sablog canteen mein aake lunch kar rahe the tabhi Sonal ko kuch yaad aata hai aur woh waha se uthke jaane lagti hai.

Ishita: Didi aap kaha jaa rahi hai.

Sonal: Woh mujhe ek kaam yaad aagaya hai. Thoda urgent hai. Tumlog baitho main abhi aati hu. Yeh bol Sonal waha se nikal jaati hai.

Sonal ka aise waha se nikalna uss insaan ko sochne pe majbur kardeta hai. Phir woh bhi ek bahana karke waha se nikal jaata hai.

Idher Sonal canteen se sidha Raj ke cabin mein aajati hai.

Sonal: May I come in sir.

Raj: Haa aao Sonal. Bolo kyaa kaam hai.

Sonal: Andar aake ek nazar pure cabin mein ghumati hai phir bolti hai. Aap apna tiffin mere paas hi bhull gaye the toh woh hi dene aayi hu. Yeh lijiye aapka tiffin aur khaa lijiye.

Raj: Main bhula nhi tha mujhe yaad tha mera tiffin tumhare paas hai.

Sonal: Toh aapne liya kyo nhi.

Raj: Bas aise hi. Aur waise bhi mujhe pata tha tum yeh dene jarur aaogi.

Sonal: Aur agar main naa aati toh.

Raj: Toh kyaa toh kuch nhi. College ke baad wahi coffee aur sandwich. Yeh bol hasne lagta hai.

Sonal: Aap mujhe Ms. Pagal bolte hai. Kabhi khud ko dekha hai aap bhi bahot bade wale pagal hai.

Raj: Ab darpok se pagal bhi hogya.

Sonal: Haaa. Ab baate band kijiye aur yeh khaa lijiye. Main chalti hu ab.

Phir Raj tiffin le leta aur Sonal waha se chali jaati hai.

Idher woh insaan bhi Sonal ke pichhe pichhe Raj ke cabin tak aata hai aur usko andar jaate hue dekh leta hai.

Yaani mera shak sahi tha. Sonal Raj sir ke cabin mein jaane ke liye hi waha se aayi thi. Yaani inndono ke beech kuch toh chal raha hai. Aur yeh toh confirm hai ke dono ekdusre ko pehle se jaante hai.

Phir kuch der baad Sonal ke Raj ke cabin se nikal jaane ke baad woh bhi waha se nikal jaata hai aur canteen mein aake baith jaata hai.

Sonal wapas se canteen mein aati hai toh Neha puchti hai.

Neha: Kaha gayi thi Sonal tum.

Sonal: Woh thoda personal kaam yaad aagaya tha toh woh hi karne gayi thi.

Sonal ki baat sunn woh insaan apne mann mein bolta hai. Haa aur woh personal kaam Raj Sir ke cabin mein tha yeh bhi bol do.

Phir sab apna lunch karke waha se apne apne class mein jaane lagte hai. Raaste mein Ishita Sonal se puchti hai.

Ishita: Didi aap kaha gayi thi abhi. Aur aisa kaunsa personal kaam yaad aagaya aapko.

Sonal: Aree main Raj ke paas gayi thi woh unka tiffin mere paas hi reh gaya tha toh wohi dene gayi thi.

Ishita: Unka tiffin aapke paas kaisee.

Sonal: Baad mein sab bataungi.

Idher inki yeh baat woh insaan bhi sunn leta hai aur usko yeh sunke shock bhi bahot bada lagta hai.

Sonal Raj Sir ko unke naam se bulati hai aur woh unke cabin mein unka tiffin dene gayi thi. Matlab dono ekdusre ko bahot jyaada hi achhi tarah jaante hai. Yehi sab sochte sochte woh class mein aajata hai aur apni classes karne lagta hai.
Nice update bhai
 
  • Like
Reactions: Luffy and Jaguaar
Top