• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,103
218
Update 75
Raaste mein dono ekdum shant the koi kuch nhi bol raha tha. Thodi der baad Sonal hi baat start karti hai.

Sonal: Waise aap apna family business chorke yeh professor kyo bann gayee.

Raj: Bas aise hi. Aur kisne kaha maine family business chora hai.

Sonal: Aap office ki jagah college jaate hai. Office ka koi kaam toh karte nhi isiliye maine aisa socha.

Raj: Aisa nhi hai. Main bhi office jaata hu. Par kabhi kabhi.

Sonal: Aur aapke naa jane se aapka kaam kaun karta hai.

Raj: Aarav hai Yash hai Papa Bade Papa dono hai.

Sonal: Okkkk. Waise aaj aap waha kyo jaa rahe hai.

Raj: Bas aise hi mann nhi lag raha tha ghar mein toh socha thoda office ka chakar hi laga lu. Tumhe mere sang aana achha laga naa.

Sonal: Agar achha nhi lagta toh ghar mein hi bol deti naa. Aur sach bolu toh aisa lagta hi nhi hum kuch din pehle hi mile hai aisa lagta hai hum bahot waqt se ek dusre ko jaante hai aur bahot achhe se jaante hai.

Raj: Yeh toh achhi baat hai naa.

Sonal: Haaa. Waise aaj sabne bahar ghumne jaane ka plan banaya thaa.

Raj: Sabne matlab.

Sonal: Aree woh college mein.

Raj: Achha. Toh kyaa hua gaye nhi tumlog.

Sonal: Sach bolu toh mera mann nhi tha unke saath jaane ka. Bhale hi woh dost hai aur bahot achhe log hai par unke saath uss hadd tak ka lagav nhi hua hai. Aur waise bhi har roj ghar ke bahar jaana bhi achha nhi lagta isiliye mana kardiya.

Raj: Samjhaa. Toh kyaa main yeh samjhu tumhara mere saath uss had tak ka lagav hogya hai isiliye tum mere saath bahar ho.

Sonal: Ghurte huee. Aapko bas flirt karne ka mauka chahiye naa.

Raj: Sach bolu toh itni beautiful aur masoom ladki bagal mein ho toh flirting apne aap hojaati hai.

Sonal: Aap kabhi nhi sudhar sakte. Jisdin aapke life mein koi aagaya aur usne aapko aise flirt karte dekhliya naa tab aapko samaj aayega.

Raj: Dheere se. Tum ho naa. Ab tumhare alawa koi nhi aayega.

Sonal: Kuch kaha aapne.

Raj: Haa maine kaha jab aayegi tab dekha jaayega. Par tab tak ke liye toh aaram hai naa.

Sonal: Aapse baato mein koi nhi jeet sakta.

Raj: Yeh tareef thi yaa beizaati.

Sonal: Jo aapko achhi lage woh rakh lijiye.

Raj: Smarttt.

Sonal: Bachpan se. Yeh bol hasne lagti hai. Raj bhi Sonal ke saath has deta hai.

Phir yehlog kuch der mein office aajate hai.

Sonal: Office toh achha dikh raha hai.

Raj: Sab bade papa aur papa ki mehnat hai.

Phir dono andar jaate hai toh security guard Raj ko dekh kar salute karta hai.

Raj: Kaise ho kaka. Aur aapko kitni baar kaha hai mujhe yeh salute naa kare.

Guard: Achha hu Sir. Bahot dino baad aaye aap. Aur aap malik hai aapko toh salute karna banta hai.

Raj: Bas kahi aur hi busy hu aajkal. Malik hu toh kyaa hua umar mein toh aapke bete ki tarah hi hu naa.

Guard: Yeh toh aapka badappan hai Sir. Warna aise bahot se log hai jo guards se baat karna toh durr unko dekhna bhi pasand nhi karte.

Raj: Achha yeh sab choriye. Yash aaya hai.

Guard: Jii Sir. Yash Sir aaye hue hai.

Raj: Thikk hai.

Phir dono andar jaate hai.

Idher Sonal ko Raj ka guard se iss tarah baat karna bahot achha lagta hai. Aur yeh chiz uske dil mein ghar kar jaati hai.

Phir dono chalke reception ke paas aate hai toh receptionist bhi Raj ko greet karti hai saath mein Sonal ko bhi.

Receptionist: How are you Raj Sir.

Raj: Fine. Kaisa chal raha hai sab. Koi problem toh nhi hai naa.

Receptionist: Nhi sir. Sab thikk hai koi problem nhi hai.

Raj: Good.

Phir Raj Sonal ko leke apne cabin mein aata hai.

Raj: Sir kyaa hum andar aasakte hai.

Yash awaaz sunke pichhe ghum ke dekhta hai toh khush hojaata hai.

Yash: Tu bahar nikal aur tum please andar aao.

Raj: Achha inko andar aur mujhe bahar aisa kyo.

Yash: Yeh special hai aur tujhe main kyaa hi kahu koi word nhi hai.

Raj: Haa bhai sab samay samay ki baat hai.

Yash: Aao Sonal. Bolo kaisi ho. Tabiyat thik hai.

Sonal: Main achhi hu aur tabiyat bhi thikk hai. Aap kaise hai.

Yash: Bas jee rahe hai. Aur tum khadi kyo ho baitho naa. Yeh tumhara hi Cabin hai aaram se baitho. Aur tu bata yaha kyaa kar raha hai.

Raj: Bas ghar meim bore horaha tha toh yaha aagaya. Aur bata kaam kaisa chal raha hai.

Yash: Sab achha chal raha hai. Aarav bahot mehnat kar raha hai.

Raj: Achha hai tab toh.

Yash: Aur batao Sonal kyaa logi Chai Coffee Juice.

Sonal: Aree aree kuch nhi. Main toh bas aise hi ghumne aagayi.

Yash: Aree aise kaise. Tum pehli baar aayi ho. Kuch toh lena hi hoga. Phir ek call karke 3 coffee order kardeta hai.

Sonal: Aap bataiye ghar mein sab kaise hai.

Yash: Ghar mein sab achhe hai. Tumhara college kaisa jaa raha hai. Yeh thikk se toh padhata hai naa.

Raj: Tu kehna kyaa chahta hai main achha nhi padhata.

Yash: Tere upar shakk hai isiliye confirm kar raha hu.

Sonal: Nhii yeh bahot achhe se padhate hai. Har topic ko achhe se samjhate bhi hai.

Yash: Achhi baat hai. Aur woh budhha khusat kuch bolta toh nhi hai naa.

Sonal: Matlab.

Yash: Matlab woh tumlogo ka principal. Sambhal ke rehna bahot khusat hai woh. College mein mera jeena haram kardiya tha.

Sonal yeh sunn hasne lagti hai. Aree woh toh kitne achhe hai. Aur bhabhi ne mujhe bataya tha kyo woh aapke pichhe the aapne unki gaadi ko thokk diya tha naa.

Yash: Aree thoka nhi tha galti se hogya thaa.

Sonal: Koii nhi. Ab toh aap waha nhi ho naa toh bhull jaaiye.

Yash: Hmm.

Tabhi waha coffee aajati hai aur teeno coffee peete hue baate karne lagte hai.

Phir Raj Sonal ko pura office ghumata hai. Kuchlog Sonal ko pehle se jaante the toh kuch log naye mil rahe thee.

Aise hi inko sham hojaati hai aur yeh ghar ke liye nikal padhte hai.

Raaste mein Raj Sonal se puchta hai.

Raj: Achha laga.

Sonal: Kyaa.

Raj: Office.

Sonal: Haaa bahot achha laga. Yash bhi bahot achhe hai. Humesha hasi mazaak karte rehte hai.

Raj: Hmmmm.

Phir dono chupp chaap baith jaate hai thodi der baad Achanak se Raj gaadi rokh deta hai.

Sonal: Kyaa hua gaadi kyo rokh di.

Raj: Saamne dekho.

Sonal saamne dekhti hai toh waha Pani Puri wala baitha hua tha.

Sonal: Pani Puri.

Raj: Haaa. Khaaogi.

Sonal: Abhiii.

Raj: Haaa abhiii.

Sonal: Aapko khaane ka mann hai.

Raj: Tumhara hai toh mera bhi hai.

Sonal: Matlab aapko mann hai aur aap woh mere upar dhaal rahe hai.

Raj: Chalogiii.

Sonal: Achha thikk hai. Chaliye chalte hai.

Phir dono gaadi ke utar ke Pani puri wale ke paas jaate hai aur pani puri khaane lagte hai.

Idher yeh dono bekhabar pani puri khaa rahe the udher kisi ki nazar inpe padh jaati hai aur woh inndono ko eksaath dekh kar shock hojaata hai. Par inke paas naa aake wahi se chala jaata hai.


Idher yehlog bhi pani puri khaake ghar ki taraf nikal padhte hai.
Nice update bhai
 

dhparikh

Well-Known Member
6,553
7,915
173
Update 96
College aake Sonal sidha canteen aati hai jaha sab baithe hue baithe kar rahe thee.

Payal: Kyaa baat hai didi aaj aap late hogyi. Kyaa aapka woh driver soraha tha kyaa.

Sonal: Haa woh actually aaj mujhe uthne mein late hogyaa. Raat ko neend hi nhi aarahi thi.

Soniya: Mazaak mein. Kyoo kiske baare mein soch rahi thi humari Miss Fresher.

Sonal jab yeh sunti hai toh uske aankho ke saamne Raj ka chehra ubhar aata hai aur woh thoda sharma jaati hai.

Sonal: Kyaa Soniya tum bhi. Aisaa kuch nhi hai.

Soniya: Achhaaaa. Toh tum sharma kyo rahi ho aur tumhare gaal tamatar ki tarah laal kyo hogye hai. Aakhir chakar kyaa hai madam. Kaun hai woh jiske baare mein tum soch rahi thi. Sach sach batao

Sonal: Ab tum aisi baate karogi toh sharm toh aayegi hi naa. Aur aisa kuch nhi hai jaise tum soch rahi ho.

Soniya: Tum choro humhe pata hai tum toh bataogi nhi. Heyy Ishita aur Payal tum dono batao. Tumdono toh iske relative ho toh tumhe toh pata hogaa naa.

Dono: Ab hum kyaa bole. Par aisa kuch nhi hai. Agar hota toh humhe jarur pata hotaa. Mann mein. Ab hum kaise bole ke yeh kiske baare mein soch rahi hai.

Varun: Aree Soniya choro naa. Ab yeh uska personal matter hai. Woh nhi batana chahti hogi. Jab time aayega tab woh bata degi.

Idher Neha jo innsab ke sath hote hue bhi insab ke beech nhi thi woh apni alag hi soch mein thi. Uske dimaag mein abhi yehi chal raha tha ke woh kaise Raj ka number haasil karee.

Neha: Main aisa kyaa karu jisse Raj Sir ka number mujhe mil jaaye. Yeh Sonal toh mujhe degi nhi. Mujhe koi aur tarika hi sochna hoga. Par aisa kya karu. Abhi woh yeh soch rahi thi tabhi uske dimaag mein ek idea aata hai.

Haa yeh sahi rahega. Aise mujhe Raj Sir ka number bhi mil jayega aur iss Sonal ko pata bhi nhi chalega. Par uske liye mujhe Sonal ko innsab se alag karna padega. Warna mujhe number nhi milegaa.

Kuch der mein class ki bell bajne lagti hai toh jinki jinki class thi woh chale jaate hai aur baakilog class mein baithke baate karne ke liye chale jaate hai.

Idher Sonal phir se canteen mein akele baithne kal bolke wahi rukh jaati hai.

Soniya: Haa haaa. Ab toh akele rehna ka mann toh karega hi. Ab humare saamne toh kisi special se baat nhi karpaogi naa. Isiliye yaha akele baith ke baate karogi ab. Yeh bol woh hasbe lagti hai.

Sonal: Soniyaaa tum nhi sudhrogi. Ruko tumhe abhi batati hu.

Sonal kuch karti uske pehle hi Soniya waha se bhaag jaati hai aur piche Sonal sharma ke wahi baithi rehti hai.

Sabke jaane ke baad Sonal Raj ko call laga deti hai. Kuch der ring hone ke baad Raj call receive karleta hai.

Raj: Hello.

Raj ki awaaz sunte hi Sonal ke dil ki dhadkan badh jaati hai aur uska chehra sharm se laal hojaata hai.

Raj: Madam ab baate bhi karlijiyee. Yaa phir sirf humari awaaz sunne ke liye hi call kiya hai.

Sonal: Main kyoo aapko call karungi. Mere paas aur bhi kaam hai. Yeh toh galti se call aapko lag gaya. Warna main toh Jaipur call kar rahi thi.

Raj: Achhaa. Waise J aur R ke beech bahot se letters aate hai. Sidhhe sidhhe maanlo na tumne mujhse baat karne ke liye hi call kiya hai.

Sonal: Yeh aapki galat fehmi hai. Main Samar ko call kar rahi thi aur Samar ke pehle hi aapka number tha toh galti se aapke paas lag gaya.

Raj: Achhha. Toh call lag gaya toh sang sang cut kyo nhi kiyaa. Tumhe toh jhooth bolna bhi nhi aata.

Ab Sonal ke paas bolne ko kuch nhi tha isiliye wih chup kar jaati hai jisse Raj hasne lagti hai.

Sonal: Aap hasna band kijiyee. Ek toh maine khud se aapko call kiya aur aap mera hi mazaak udaa rahe hai. Jaaiye main aapse baat nhi karti.

Raj: Ab agar tumhe baat nhi karni toh main kyaa kar sakta hu. Phir main call cut kardeta hu.

Sonal: Agar aap mein himmat hai toh call cut karke dikhaiye. Main bhi dekhti hu aap kaise call cut karte hai.

Raj: Aree tumhi ne toh kaha tumhe baat nhi karni. Toh main kyaa karta.

Sonal: Haa toh mujhe nhi karni hai baat. Aur main kaha baat kar rahi hu.

Raj: Ajeeb pagal se paala padh gaya hai mera. Naa baat karni hai aur naa call cut karna hai.

Sonal: Aapne khud hi paala padhwaya hai. Aur ab yeh chhutne wala bhi nhi hai.

Raj: Dheere se. Main kabhi chhutne dunge bhi nhi. Yeh pagalpan se aur iss pyaari si pagal ke liye toh main harwaqt phone ko apne kaan se laga ke rakhu.

Sonal: Kyaa bola aapne. Jara jorr se boliye. Haalaki Sonal ne sunn liya tha.

Raj: Main keh raha hu kaisi pagal Girlfriend hai meri. Par jaisi bhi hai mujhe chalegi.

Raj ke muh se girlfriend sunn ke Sonal ke dil mein khushi ki ek jabardast lehar uthne lagti hai. Uski dil ki dhadkane hadd se jyaada badh jaati hai. Uske chehre mein khushi aur sharm saaf samaj aarahi thi. Par saath mein woh shock bhi bahot jyaad thi.

Sonal: Kyaaa kyaa bolaa aapne abhii.

Raj: Kyaa bolaa mainee. Maine toh yehi bola kaise Pagal Girl friend mili hai mujhee.

Sonal: Aapne mujhe Girlfriend bola.

Raj: Haaa kyoo tum nhi ho meri Girlfriend.

Sonal: Aapko pata bhi hai aap kyaa bol rahe hai.

Raj: Aree tum shayad galat samaj rahi ho. Ruko main samjhata hu. Dekho tum meri dost ho aur dost ko English mein bolte hai Friend right.

Sonal: Haa.

Raj: Aur tum ek ladki ho toh ladki ko English mein bolte hai Girl. Toh dono ko mila do toh hogya naa Girlfriend. Tumne kyaa samaj liya thaa. Kahi tumne woh toh nhi samaj liyaa.

Sonal: Sharmaa ke. Jii nhii maine aisa waisa kuch nhi samjhaa. Aur yeh aapne kaha se sikhaa.

Raj: Aree yeh toh maine yaha kisi ko bolte suna tha toh yaad aagaya.

Sonal: Hmmm.

Raj: Toh bolo kyaa tum banogi meri Girlfriend.

Sonal: Sharma ke. Woh toh pehle se hi hu na. Achha ab main rakhti hu byeee. Yeh bol jhatt se call cut kardeti hai. Aur apna chehra apni hateliyon mein chupa ke sharmane lagti hai.

Sonal: Haayee kis tarah se bol rahe the woh. Aur baat ko kis tarah ghumaya. Jaise main samajti nhi unke kehne ka matlab kyaa tha. Aur kis tarah mujhe abhi indirectly propose kiyaa.

Par Mr. Raj Kapoor main itni aasani se accept nhi karne wali. Abhi toh aapko pareshan karungi. Aapse apne saare nakhre uthwaungi phir sochungi. Taiyaar hojaaiye apni iss Girlfriend ke nakhre uthane ke liye Mr. Kapoor. Yeh bol phir sharmaa jaati hai.

Abhi Sonal baithe hue aane wale samay ke sapne sajaye jaa rahi thi ke uske saamne Neha aake baith jaati hai.

Neha: Kyaa soch rahi ho Sonal.

Sonal Neha ko aise saamne dekb thoda hairaan hojaati hai par phir sambhal ke bolti hai.

Sonal: Kuch nhii. Tum yaha kyaa kar rahi ho.

Neha: Woh mujhe naa apne ghar ek call karna hai par mera mobile band hogya hai toh kyaa tum mujhe apna mobile dogi main thoda call karlu.

Sonal: Haa lo naa.

Neha: Mobile lete hue. Thank you. If you don’t mind kyaa main thoda durr jaake baat karlu.

Sonal: Yeahh Sure.

Phir Neha Sonal ka mobile leke jhatt se waha se nikal jaati hai aur Sonal se thoda durr jaake jhatt se Sonal ke mobile ke contact list search karne lagti hai Raj ke naam se.

Par Neha ki buri kismat ke usse uss naam se waha koi contact nhi dikhtaa. Woh ekbaar aur achhe se search karti hai par usse nhi milta.

Neha: Aree iske mobile mein toh Raj sir ka koi naam hi nhi hai. Toh kyaa Sonal ne jhoot bola tha. Nhii jhoot toh nhi bola hogaa kyoki uss raat ko toh Sonal ne sabke saamne call lagaya tha aur uss din Sonal ko unka call bhi toh aaya tha. Phir koi number kyo nhi hai. Call logs check karti hu.

Phir Neha call logs open karti hai toh usko sabse pehla naam dikhta hai Bandar jissr Sonal ne kuch der pehle hi baat ki thi.

Neha: Yeh kaisa naam hai Bandar.

Phir woh uss naam ko ignore karke aage check karti hai toh Raj ke naam se yaa phir koi unknown number nhi dikhta. Sirf family members ke naam dikhte hai aur sabse jyaada Bandar ke naam se hi dikhte hai.

Neha: Ajeeb baat hai iske pure mobile mein kahi bhi Raj sir ka naam nhi hai. Aur call logs mein bhi sirf Bandar naam hi bhara hua hai. Jarur yeh Bandar iska woh dost hoga jiske baare mein kuch der pehle baate horahi thi. Whats app check karti hu. Shayad waha mil jaaye.

Yeh bol woh whats app open karti hai toh woh password protected tha.

Aree yeh toh password protected hai ab kyaa karu. Iska mobile lena kisi kaam nhi aaya. Phir Neha jaldi se ek faltu sa number dial karke cut kardeti hai aur open kiye saare apps ki history delete kardeti hai.

Neha: Yeh lo Sonal tumhara phone. Thank You.

Sonal: Aree koi nhiii.

Neha: Waise ek baat puchuuu.

Sonal: Haa pucho naa.

Neha: Yeh bandar kaisa naam hai. Maine number dial karne ke liye call log open kiya toh dekha tumne recently iss naam se call kiya tha.

Sonal Neha ki baat sunn jhepp jaati hai. Phir bolti hai.

Sonal: Aree woh mere dost hai. Woh unhe pyaar se main Bandar bulati hu toh isiliye uss naam se hi save kiya hua hai.

Neha: Ooooo greattt Par tum itni jyaada izzat se baat kyo kar rahi ho dost ko unhe kab se bolne lagi tum.

Sonal: Aree woh mere se age mein badhe hai isiliye aise bol rahi hu.

Neha: Achhaa. Chaloo class mein chalte hai. Raj Sir ka class khatam hone wala hai.

Sonal: Haa chalo.


Phir dono class ki taraf jaane lagte hai.
Nice update...
 
  • Like
Reactions: Jaguaar and Luffy

Kala Nag

Mr. X
3,801
14,984
144
Update 13
Agle din Shurti pag fhere ki rashm ke liye Kapoor House aati hai. Woh bahot khush nazar aati hai. Shruti ko khush dekh kar baaki sab bhi bahot khush the.

Deepak: Maa. Sham ko humhe bhi jaana hai.

Savitri: Itni jaldi kya hai Deepak.

Deepak: Nhii Maa. Kaam chor ke aaye hai aur Samar bhi apni college ko chor ke aaya hai.

Savitri: Thikk hai. Par agli baar jyaada din ka samay leke aana.

Deepak: Jarur.

Jaane ki baat sunke Yash aur Swati ekdusre ko dekhte hai. Unka chehra utar chuka tha. Par woh kuch nhi kar paate hai. Unke dil mein toh ekdusre ke saath akele time spend karna tha par kaise kare yeh nhi pata tha.

Swati: Papa humhe sham ko jaana hai naa.

Deepak: Haaa.

Swati: Toh main mumbai ke famous SiddhiVinayak mandir ke darshan kar aau. Pata nhi phir kab aana ho.

Deepak: Haa haa kyo nhi. Jao. Par tum jaogi kaise. Tumhe toh raasta pata nhi hai.

Tabhi Yash jhapak se bolta hai.

Yash: Agar aaplogo ko problem naa ho toh main le jau.

Raj durr khada Yash ki taraf hi dekh raha tha. Woh samaj raha tha sab kuch. Woh Sonal ko ishara karke apne paas bulata hai.

Sonal: Kya hua Raj.

Raj: Ek jhooth bologi.

Sonal: Kyaa.

Raj: Maine kaha ek jhooth bologi.

Sonal: Maine sabko sach bologi aisa bolte suna hai. Aap pehle aise hai jo jhooth bologi bolrahe hai.

Raj: Ab main thoda alag hu. Bolo bologi.

Sonal: Aap bole aur Sonal naa kare aisa kabhi nhi hosakta. Boliye kya bolna hai.

Raj: Swati abhi Mandir jaana chahti hai aur Yash usko le jaraha hai.

Sonal: Haa.

Raj: Toh tum ekbaar bolo tumhe bhi jaana hai phir baad mein bolna nhi jaa sakti ek kaam yaad aagaya.

Sonal: Aisa kisliye bolu. Main bhi sang jaati hu naa unke.

Raj: Aree main tumhe baad mein personally le jaunga. Abhi jo bola hai woh kardo.

Sonal: Sachhh.

Raj: Tumhe vishwaas nhi hai.

Sonal: Khud se jyaada hai. Par baad mein reason bhi bolenge aap.

Raj: Thik hai. Ab jaldi jaao.

Sonal waha se sabke paas aati hai. Tab tak Yash ko permission mil chuki thi Swati ke saath akele jaane ki.

Sonal: Dii chaliye main bhi chalti hu. Main bhi darshan karlungi.

Sonal ke aisa bolne se dono ka chehra utar jaata hai. Aaj pehli baar Swati ko Sonal ke upar gussa aaraha thaa.

Swati(Mann mein): Khud toh harwaqt apne pyaar ke paas rehti hai. Aur ab mujhe ek mauka mila hai mere pyaar ke saath thoda time spend karne ka toh kabab mein haddi kyo ban rahi hai. Kisi ne sach hi kaha hai jab ghar mein hi dushman bhade pade ho toh bahar walo ki kya jarurat.

Yash(Mann mein): Aree yaar aaj pehli baar toh time mil raha tha akele time spend karne ka toh usme bhi Sonal aagayi beech mein. Lagta hai mere naseeb mein hai hi nhi Swati ke saath akele rehna.

Raj waha aata hai aur dekhta hai Swati aur Yash dono ka chehra hi utra hua hai.

Meera: Haa thik hai chali jao. Swati ko kya problem hogi.

Swati: Bemann se. Haa haa chalo mujhe kyaa.

Sonal Raj ki taraf dekhti hai toh woh ishare se bolta hai bolo nhi jaana hai.

Sonal: Oohoo nhi jaa sakti. Mujhe abhi yaad aaya mujhe college ka ek jaruri kaam karna hai. Shaadi ke kaam mein bhul hi gayi thi.

Swati aur Yash yeh sunke khush hojate hai. Ab woh aur risk nhi lena chahte the.

Yash: Swati chalo. Phir tumhe wapas bhi jaana hai naa.

Swati: Haa chaliye.

Dono jaldi se waha se nikal jaate hai. Unki aisi halat dekh Raj thoda has deta hai.

Sonal Raj ko dekhti hai toh woh bolta hai bahar garden mein aao.

Thodi der baad dono garden mein jaate hai.

Sonal: Ab boliye aapne mujhse aisa kyo karwaya.

Raj: Aree bolta hu bolta hu. But aaj main bahot khush hu.

Sonal Raj ko khush dekh kar bahot khush hoti hai.

Raj: Aur yeh khushi tumhari help se bhi aayi hai Thank You.

Sonal: Khush hoke. Aapke liye kuch bhi Raj. Ab boliye na aapne aisa kyo karwaya.

Raj: Mera bhai Yash. Aaj tak kabhi bhi ladki ki taraf dekhta nhi tha usko pyaar hogya hai. Bas yehi confirm karne ke liye hi aisa karwaya.

Sonal: Sachhh. Aapko kaise pata aur kisse hua hai.

Raj: Tumne dekha nhi Shaadi mein aur uski rashmo mein Yash kisi taraf baar baar dekh raha tha aur ghurr raha thaa.

Sonal ab kya bolti woh toh khud hi Raj ko hi dekh rahi thi usko aur kisi ki koi khabar hi nhi thi.

Sonal: Haa maine notice kiya thaa.

Raj: Aur aaj jab Swati ne bola usko mandir jaana hai aur Yash ne jhatt se bola woh le jayega. Phir jab tumne bola tum bhi jaana chahti ho toh uska chehra kaise utar gaya tha. Aur jab tumne mana kiya toh kaise uska chehra khill gaya tha.

Sonal: Haaa sahi kaha aapne. Par pyaar kisse hua.

Raj: Tum abhi bhi nhi samjhi.

Sonal: Shock hoke. Kya jo main samaj rahi hu wohi hai kyaa.

Raj: Haaaa. Wohi hai.

Sonal khushi ke maare jhatt se Raj ke gale lag jaati hai. Usko khushi ke maare hosh hi nhi tha usne kya kiya hai. Raj bas uske iss action se sambhalne ki koshish karta hai.

Sonal: Gale lage hue hi. I Am so happy. Main bahot khush hu unke liye.

Raj: Aah Sonal.

Sonal: Jiii.

Raj: Woh tum excitement mein....

Sonal jab Raj ke words ko aur apne halat ko follow karti hai toh jhatt se alag hoti hai aur sharma ke.

Sonal: Haklate hue. I am sorry. Woh khushi mein....

Raj: Its okk. Samaj sakta hu.

Sonal ab aage kuch nhi bol paati kyoki usko bahot sharam aarahi thi. Woh bas kuch der pehle hue incident ko hi soch rahi thi.

Raj: Abhi Swati aur Raj ke baare mein kisi ko kuch mat batana aur unko mat batana humhe unke baare mein pata hai. Unko apne pyaar ko enjoy karne do.

Sonal: Najre jhuka ke. Jiii.

Raj: Andar chalee.

Sonal: Jiii.

Phir dono andar aate hai. Sonal sidhe apne kamre mein chali jaati hai aur bed mein let jaati hai aur apni saanson ko sambhalne lagti hai.

Idher Yash aur Swati bhi car mein baithe the.

Yash: Swati.

Swati: Hmm.

Yash: Kaha chalna hai.

Swati: Sharma ke. Jaha aap chahe.

Yash: Chalo pehle tumhe SiddhiVinayak mandir hi le chalta hu. Phir kahi aur chalenge.

Swati: Jaisa aap thik samjhe.

Phir dono thodi der baad mandir aajate hai aur darshan karlete hai.

Swati: Aapko pata hai meri bahot ichha thi yaha ke darshan karne ki. Thank You Yash.

Yash: Isme Thank You kaisa. Tumne pehli baar koi wish ki usko pura karna mera farz tha.

Swati kuch nhi bolti bas sharma jaati hai.

Yash: Phone mein toh bahot baate ki. Par milke kyaa baate karu samaj nhi aaraha hai.

Swati: Mujhe bhi.

Yash: Coffee piyee.

Swati: Thikk hai.

Phir Yash Swati ko leke CCD jaata hai aur ek corner table mein baith jaata hai.

Yash: Phir kab aaogi.

Swati: Ab toh wapas aane ka koi reason hi nhi hai. Pehle sagai thi phir shaadi. Aur ab toh woh bhi hogyi.

Yash: Udaas hoke. Hmmm. Sahi kaha.

Thodi der mein coffee aajati hai dono pi ke waha se nikal jaate hai aur ek beach mein chalne lagte hai haath mein haath dhaal ke. Dono ko ek dusre ka saath bahot achha lagraha tha. Unko toh time ka pata hi nhi thaa.

Tabhi Yash ka call aata hai. Woh dekhta hai Raj ka thaa.

Yash: Yeh saala khud toh pyaar karega aur mujhe bhi nhi karne degaa.

Swati hasne lagti hai.

Yash: Haa bhai bol.

Raj: Bhai ke bachhe kidhar hai be. Bhul gaya kya Swati ko jaana bhi hai. Jaldi aa usse leke.

Yash: Haa haa aata hu. Yeh bol call cut hojaata hai. Saala kabab mein haddi.

Swati: Kyaaa huaa.

Yash: Tumhara bulawa aagaya hai. Chalo.

Swati: Hmm.

Phir dono ghar wapas aate hai.

Raj: Kidhar tha be bahot late kardiya aane mein.

Yash: Woh woh actually woh haa woh traffic bahot thaa naa. Isiliye jaane aane mein late hogya.

Raj muskurane lagta hai.

Swati toh waha se bhagg jaati hai apne kamre mein.

Raj abhi aur kuch bolta usse pehle hi Yash waha se nika leta hai.

Thodi der baad Sonal ki family jaane ke liye ready thi.

Swati ka chehra toh utra hua tha aur saath mein Yash ka bhi.

Deepak: Achha Maa chalta hu.

Savitri: Agli baar jyaada time leke aana.

Deepak: Jii Maa.

Savitri: Rajj inhe Airport chorr dee.

Raj: Jii Dadi.

Sonal: Raj kyaa main bhi chal sakti hu.

Raj: Par car mein issbaar itni jagah nhi hogi.

Sonal: Ooo. Thikk hai koi baat nhi.

Tabhi Yash jhatt se bolta hai.

Yash: Agar tumhe jaana hai toh chalo main le chalta hu.

Sonal: Khush hoke. Thank you Yash.

Phir yehlog car mein baithne lagte hai tabhi Sonal bolti hai.

Sonal: Diii. Kya main Mummy Papa ke saath baith jau.

Swati: Khush hoke. Haa haa kyooo nhiii. Tum yaha baith jao. Main Yash ke saath baith jaati hu.

Raj yeh sunke muskura deta hai saath mein Sonal bhi.

Phir Raj baakisab ko leke nikal jaata hai. Toh Yash Swati ke saath nikalta hai.

Yash: Jaana jaruri hai.

Swati: Haaa. Kuch din baad humari ek important meeting hai. Isiliye jaana padh raha hai.

Yash: Phir kab aaogi.

Swati: Kuch keh nhi sakti. Shayad Sonal ko milne par kab nhi pata.

Yash: Matlab koi thikk nhii.

Swati: Hmmmm.

Yash: Pahonch ke call kardenaa.

Swati: Jiii.

Thodi der baad yehlog Airport pahonch jaate hai.

Swati ka jaane ka mann toh bilkul bhi nhi thaa par majburi thi isiliye jaa rahi thi.

Yash bas usko hi dekh raha thaa. Aur Raj inndono ko.
Meera: Sonal apna dhyaan rakhnaa.

Sonal: Jii Mummy.

Phir yehlog Airport ke andar chale jaate hai.

Raj: Tu kaha jayegaa. Humare ghar yaa apne ghar.

Yash: Apne ghar. Kyoki thodi der mein hi bhaiya bhabhi aur Ishu aajayenge.

Raj: Thikk hai. Chale Sonal.

Sonal: Jiiii.

Phir Yash apne raaste nikal jaata hai toh Raj Sonal ke saath.

Sonal: Raj aap thik hai naaa. .


Raj: Haaa mujhe kya hogaa.

Sonal: Nhi woh kal aap pareshan the naa.

Raj: Wohh toh didi ke liye thoda dukhii thaa par ab thik hu. Aur haa Thank You once again for help.

Sonal: Aap aise Thank You naa bolee.

Phir yehlog ghar aajate hai. Thodi der baad Ishant aur Shruti bhi apne ghar chale jaate hai. Payal wahi ruki thi. Woh kal college ke baad ghar jaane wali thi. Uske rukhne se Aarav bahot khush thaa.

Sonal: Kyaa baat hai Aarav bahot khush nazar aarahe ho. Koi mann ki murad puri hogyi kyaa.

Aarav: Ab aapse kya chupana aap toh sab jaanti hai. Bas samaj lijiye mann ki murad hi puri hogyi.

Sonal hasne lagti hai. Phir apne kamre mein aajati hai.

Raat ko dinner ke waqt Aarav Payal ke saamne hi baitha tha toh woh table ke neeche se apne pairon ko Payal ke pairon ko chedd raha tha.

Payal gusse se ek nazar Aarav ko dekhti hai toh woh sabki nazre bachake Payal ko aankh maar deta hai. Woh ab minnate bhari nazro se Aarav ko dekhti hai jaise bol rahi ho pairr hata lo. Par Aarav kaha sunne wala tha.

Payal ko bahot sharm aarahi thi. Par kahi na kahi usko achha bhi lag raha tha. Par ek darr tha kahi koi pakad naa le.

Thodi der baad sabka dinner khatam hota hai toh sab apne kamre mein jaane lagte hai. Payal Sonal ke saath uske kamre mein hi ruki thi. Jab Payal apne kamre mein jaa rahi thi toh mauka dekh kar Aarav uska haath khinch kar apne kamre mein bula leta hai.

Payal achanak hue iss humle se ghabra jaati hai woh chikhne wali hoti hai tabhi Aarav uska muh mein apna haath rakh leta hai.

Aarav: Chillana mat warna ghar wale maar denge.

Payal thoda shant hoti hai phir bolti hai. Tumhe toh maar hi dena chahiye.

Aarav: Agar main marr gaya.... Abhi Aarav ne itna hi bola tha ke Payal ne uske muh mein haath rakhta diya.

Payal: Khabardaar jo aajke baad aisa kuch bola toh. Aur tum choro mujhe. Koi dekh lega.

Aarav: Main toh nhi chorr raha hu. Bahot tadpa hu.

Payal: Mujhe kyo bol rahe ho. Mujhe koi matlab nhi hai. Tum ek kaayar aur fattu insaan ho. Aur mujhe fattu insaan se koi matlab nhi.

Aarav: Achha main Kaayar aur fattu hu. Toh tum kyaa ho.

Payal: Tumhari tarah nhi hu.

Aarav: Tum mujhe bolti ho kya tumne apne ghar mein baat ki. Tumhare ghar mein Bhabhi ke baad toh tumhara hi number hai. Par mere case mein aisa nhi hai. Bhaiya ke baad didi ka tha jo nipat gaya. Par sabse bada problem bacha hai Raj bhaiya. Unko toh koi pasand hi nhi aati. Ab jab tak woh nhi maante main aage kaise badhu. Par tum toh samajti hi nhi ho.

Payal: Aur tum samajte ho. Agar mummy papa ne kahi aur mere liye dekhliya toh mera kyaa hogaa. Tumhe mera darr samaj nhi aata. Tunhe sirf apne darr ki padhi hai. Yeh bolte waqt uski aankho mein aansu aajate hai.

Aarav: Tum aise mat ro. Tumhe pata hai naa tumhari aankho mein aansu mujhe bardaast nhi.

Payal: Toh mera yeh darr khatam kardo naa Aarav. Main yeh nhi keh rahi ke abhi shaadi karlo. Tumhari jab marzi hogi tabhi karenge. Chahe mujhe saari zindagi wait karna padee. Par kam se kam mujhe yeh toh shanti rahegi ke mere jeevan mein sirf aur sirf tum rahoge.

Aarav: Tumhe mujhse koi alag nhi kar sakta. Tum sirf aur sirf meri ho. Aur rahi tumhare darr ki baat toh uska solution maine kuch dino pehle hi kardiya tha.

Payal: Kyaaaa. Matlab tumne baat karli uncle aunty se.

Aarav: Kaahe mujhe maarna chahti ho. Agar abhi unhe bola naa toh yehi mujhe maar dalenge.

Payal: Toh kyaa solution nikala.

Aarav: Tum future mein humesha ke liye yehi aaogi yeh final karwa diya. Aur unse karwaya hai jiski baat naa tumhare ghar mein koi talega aur naa hunare ghar mein.

Payal: Matlab.

Aarav: Matlab maine bhabhi ko sab bata diya hai aur unhone yeh assure kiya hai tum yehi aaogi.

Payal: Shock se. Kyaaaaaa. Tumne didi ko sab bata diyaa. Ab woh mere baare mein kyaa soch rahi hongi. Tumhe na bilkul bhi akal nhi hai.

Aarav: Achha ji. Ab mujh mein akal nhi hai. Bhabhi ko bataya toh yeh haal hai agar mummy papa ko batata toh kyaa hota. Jiske liye tum mujhse baat tak nhi kar rahi thi ab jab maine woh kardiya toh mujh mein akal nhi hai. Kisi ne sach kaha hai ladkiyon ko aajtak koi naa samaj paaya.

Yeh bol usko chor deta hai aur bed mein baith jaata hai.

Payal jab Aarav ki kahi hui baato ko samajti hai tab usko aihsaas hota hai usne kyaa kiya tha pichle 3 mahino mein. Woh Aarav ke paas aati hai aur uska haath pakad ke uska paas baith jaati hai.

Payal: I am sorry. Mujhe maaf kardo. Maine apne darr mein tumhare saath galat kiyaa. Tum sahi the. Par main hi pagal thi.

Aarav: Thi nhi ho. Tum puri pagal ho.

Payal: Mujhe maaf kardo. Ab tumhara jab mann kare tum tab baat karlena. Main koi force nhi karungi.

Aarav: Tumse naraz toh main ho hi nhi sakta. Aur rahi baat karne ki toh woh maine bhabhi se karli hai aur woh bahot khush hai. Tum chinta mat karo.

Payal: Tum naa bahot achhe ho.

Aarav: Achha ji ab main achha hogya. Warna main toh fattu kaayar aur bhi naa jaane kya kya tha.

Payal: Haste hue. Kisne kahi yeh baat jara mujhe batana toh.

Aarav: Hai ek pagal jungli billi. Par mujhe bahot pasand hai.

Payal: Haste hue. Sambhal ke rehna kahi jungli billi panja naa marde.

Aarav: Mujhe jungli billi ko handle karna aata hai bahot saal se kar raha hu.

Tabhi Sonal andar aati hai. Agar jungli billi ki kahani khatam hogyi ho toh kyaa sonee chalee.

Payal Sonal ko dekhte hi jhatt se alag hojaati hai. Aur ghabra ke bolti hai. Di aap. Main toh yaha bas

Aarav toh aaram se baitha tha par Payal ki toh halat hi kharab hogyi thi.

Sonal: Bas bas koi explanation nhi chahiye. Sab pata hai mujhe. Chalo ab sone chalo. Kal college bhi jaana hai.

Payal pehle toh hairaan hojaati hai phir eknazar Aarav ko dekhti hai toh woh has raha hota hai.

Aarav: Inki wajah se maine bhabhi se baat ki thi. Inhone hi mujhe idea aur himmat di thi. Inko sab pata hai.

Payal: Aur kisko kisko bataya hai aaplog bata do. Kam se kam main savdhaan rahungi. Warna kisi din heart fail hojayega jo shock de rahe ho.

Aarav aur Sonal hasne lagte hai.

Aarav: Bas inhe aur bhabhi ko hi pata hai.

Sonal: Ab chale. Yaa raat bhar yehi rukhna hai.

Payal: Good Night bolke waha se bhagg jaati hai. Sonal hasne lagti hai. Phir woh bhi good night bolke kamre mein aati hai.

Sonal: Toh future Mrs. Kapoor. Ab kya humlog sojaaye.

Payal: Di. Aisa naa boliye. Mujhe sharm aarahi hai.

Sonal: Achha ji ab sharm aarahi hai. Thodi der pehle jo apne hone wale room mein thi tab sharm nhi aayi.

Payal: Main toh yehi aarahi thi woh toh usne mera haath pakad ke khinch liya tha.

Sonal: Aur tumne surrender kardiya.

Payal: Woh baate hi kar rahe the ke aap aagayi.

Sonal: Galat waqt pe aagayi naa.

Payal: Haaaa. Nhiiiiii. Main toh bas aahi rahi thi.

Sonal: Bas bas pata hai. Chalo ab so jao. Aur ab toh koi darr nhi hai naa.

Payal: Mere darr ne mujhe pagal kardiya tha didi. Par aaj samaj aaya meri jidd galat thi. Aur usi jidd mein maine Aarav ko hurt kiya. Aur woh haste hue sehta raha.

Sonal: Woh isiliye kyoki usko pata hai tum usse kitna pyaar karti ho aur tumhara darr bhi yehi tha kahi tum usko khoo naa do. Aur woh bhi toh tumse kitna pyaar karta hai. Isiliye toh tumhari shaitaani bhi haste hue sehta raha. Par ab aisa kuch naa karna.

Payal: Kabhi nhiii didi. Aarav se waisa behave kar takleef mujhe bhi hoti thi. Par mera darr mere uss takleef ko dhakk de raha tha. Par ab sab thikk hai. Aur mujhe pata hai aapko chorne aur lene aane ka toh sirf ek bahana hai.

Sonal: Hmmm. Chalo bahot raat hogyi hai. Phir kalse college continue karna hai.

Payal: Good Night.

Sonal: Good Night.


Phir dono so jaate hai. Iss baat se anjaan ke kal Sonal ko ek jhatkaa milne wala hai.
वाव गुदगुदाती लम्हें मजा आ गया
 
  • Like
Reactions: Jaguaar and Luffy

Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244
Wow nice update. Neha ka pyaar badhta ja raha hain ladki buri nahi hain bas galat jagah dil laga baithi hain kya karu me is pagal neha ka. Sonal bhi raaj se pyar karne lag gayi par ab bechare raaj ko sonal apni ungliyo pe nachayegi kaha pahle voh khud nachti thi. Ise kahte hain waqt jo har kutte ka aata hain. Aur pahle kitna badhiya tha update 2nd ya 3rd page pe mil jaata tha lakin ab to 4-4 page piche update padhe rahte hain. Meri to saari khushi hi chali gayi 1 update dekhke kaha maine socha tha 4 page hain kam se kam 2 update to honge hi.
Thank you

Uss pagal ladki ko chorr dijiyee. Woh bechari attraction ki maari hui hai.

Raj toh enjoy karega Sonal ki sab harqate. Usko iss baat se koi problem nhi hone wali.

Isiliye toh maine Index banaya hai. Aur usse har update ke baad change kardeta hu.
 
Top