• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

park

Well-Known Member
7,887
9,771
173
Update 96
College aake Sonal sidha canteen aati hai jaha sab baithe hue baithe kar rahe thee.

Payal: Kyaa baat hai didi aaj aap late hogyi. Kyaa aapka woh driver soraha tha kyaa.

Sonal: Haa woh actually aaj mujhe uthne mein late hogyaa. Raat ko neend hi nhi aarahi thi.

Soniya: Mazaak mein. Kyoo kiske baare mein soch rahi thi humari Miss Fresher.

Sonal jab yeh sunti hai toh uske aankho ke saamne Raj ka chehra ubhar aata hai aur woh thoda sharma jaati hai.

Sonal: Kyaa Soniya tum bhi. Aisaa kuch nhi hai.

Soniya: Achhaaaa. Toh tum sharma kyo rahi ho aur tumhare gaal tamatar ki tarah laal kyo hogye hai. Aakhir chakar kyaa hai madam. Kaun hai woh jiske baare mein tum soch rahi thi. Sach sach batao

Sonal: Ab tum aisi baate karogi toh sharm toh aayegi hi naa. Aur aisa kuch nhi hai jaise tum soch rahi ho.

Soniya: Tum choro humhe pata hai tum toh bataogi nhi. Heyy Ishita aur Payal tum dono batao. Tumdono toh iske relative ho toh tumhe toh pata hogaa naa.

Dono: Ab hum kyaa bole. Par aisa kuch nhi hai. Agar hota toh humhe jarur pata hotaa. Mann mein. Ab hum kaise bole ke yeh kiske baare mein soch rahi hai.

Varun: Aree Soniya choro naa. Ab yeh uska personal matter hai. Woh nhi batana chahti hogi. Jab time aayega tab woh bata degi.

Idher Neha jo innsab ke sath hote hue bhi insab ke beech nhi thi woh apni alag hi soch mein thi. Uske dimaag mein abhi yehi chal raha tha ke woh kaise Raj ka number haasil karee.

Neha: Main aisa kyaa karu jisse Raj Sir ka number mujhe mil jaaye. Yeh Sonal toh mujhe degi nhi. Mujhe koi aur tarika hi sochna hoga. Par aisa kya karu. Abhi woh yeh soch rahi thi tabhi uske dimaag mein ek idea aata hai.

Haa yeh sahi rahega. Aise mujhe Raj Sir ka number bhi mil jayega aur iss Sonal ko pata bhi nhi chalega. Par uske liye mujhe Sonal ko innsab se alag karna padega. Warna mujhe number nhi milegaa.

Kuch der mein class ki bell bajne lagti hai toh jinki jinki class thi woh chale jaate hai aur baakilog class mein baithke baate karne ke liye chale jaate hai.

Idher Sonal phir se canteen mein akele baithne kal bolke wahi rukh jaati hai.

Soniya: Haa haaa. Ab toh akele rehna ka mann toh karega hi. Ab humare saamne toh kisi special se baat nhi karpaogi naa. Isiliye yaha akele baith ke baate karogi ab. Yeh bol woh hasbe lagti hai.

Sonal: Soniyaaa tum nhi sudhrogi. Ruko tumhe abhi batati hu.

Sonal kuch karti uske pehle hi Soniya waha se bhaag jaati hai aur piche Sonal sharma ke wahi baithi rehti hai.

Sabke jaane ke baad Sonal Raj ko call laga deti hai. Kuch der ring hone ke baad Raj call receive karleta hai.

Raj: Hello.

Raj ki awaaz sunte hi Sonal ke dil ki dhadkan badh jaati hai aur uska chehra sharm se laal hojaata hai.

Raj: Madam ab baate bhi karlijiyee. Yaa phir sirf humari awaaz sunne ke liye hi call kiya hai.

Sonal: Main kyoo aapko call karungi. Mere paas aur bhi kaam hai. Yeh toh galti se call aapko lag gaya. Warna main toh Jaipur call kar rahi thi.

Raj: Achhaa. Waise J aur R ke beech bahot se letters aate hai. Sidhhe sidhhe maanlo na tumne mujhse baat karne ke liye hi call kiya hai.

Sonal: Yeh aapki galat fehmi hai. Main Samar ko call kar rahi thi aur Samar ke pehle hi aapka number tha toh galti se aapke paas lag gaya.

Raj: Achhha. Toh call lag gaya toh sang sang cut kyo nhi kiyaa. Tumhe toh jhooth bolna bhi nhi aata.

Ab Sonal ke paas bolne ko kuch nhi tha isiliye wih chup kar jaati hai jisse Raj hasne lagti hai.

Sonal: Aap hasna band kijiyee. Ek toh maine khud se aapko call kiya aur aap mera hi mazaak udaa rahe hai. Jaaiye main aapse baat nhi karti.

Raj: Ab agar tumhe baat nhi karni toh main kyaa kar sakta hu. Phir main call cut kardeta hu.

Sonal: Agar aap mein himmat hai toh call cut karke dikhaiye. Main bhi dekhti hu aap kaise call cut karte hai.

Raj: Aree tumhi ne toh kaha tumhe baat nhi karni. Toh main kyaa karta.

Sonal: Haa toh mujhe nhi karni hai baat. Aur main kaha baat kar rahi hu.

Raj: Ajeeb pagal se paala padh gaya hai mera. Naa baat karni hai aur naa call cut karna hai.

Sonal: Aapne khud hi paala padhwaya hai. Aur ab yeh chhutne wala bhi nhi hai.

Raj: Dheere se. Main kabhi chhutne dunge bhi nhi. Yeh pagalpan se aur iss pyaari si pagal ke liye toh main harwaqt phone ko apne kaan se laga ke rakhu.

Sonal: Kyaa bola aapne. Jara jorr se boliye. Haalaki Sonal ne sunn liya tha.

Raj: Main keh raha hu kaisi pagal Girlfriend hai meri. Par jaisi bhi hai mujhe chalegi.

Raj ke muh se girlfriend sunn ke Sonal ke dil mein khushi ki ek jabardast lehar uthne lagti hai. Uski dil ki dhadkane hadd se jyaada badh jaati hai. Uske chehre mein khushi aur sharm saaf samaj aarahi thi. Par saath mein woh shock bhi bahot jyaad thi.

Sonal: Kyaaa kyaa bolaa aapne abhii.

Raj: Kyaa bolaa mainee. Maine toh yehi bola kaise Pagal Girl friend mili hai mujhee.

Sonal: Aapne mujhe Girlfriend bola.

Raj: Haaa kyoo tum nhi ho meri Girlfriend.

Sonal: Aapko pata bhi hai aap kyaa bol rahe hai.

Raj: Aree tum shayad galat samaj rahi ho. Ruko main samjhata hu. Dekho tum meri dost ho aur dost ko English mein bolte hai Friend right.

Sonal: Haa.

Raj: Aur tum ek ladki ho toh ladki ko English mein bolte hai Girl. Toh dono ko mila do toh hogya naa Girlfriend. Tumne kyaa samaj liya thaa. Kahi tumne woh toh nhi samaj liyaa.

Sonal: Sharmaa ke. Jii nhii maine aisa waisa kuch nhi samjhaa. Aur yeh aapne kaha se sikhaa.

Raj: Aree yeh toh maine yaha kisi ko bolte suna tha toh yaad aagaya.

Sonal: Hmmm.

Raj: Toh bolo kyaa tum banogi meri Girlfriend.

Sonal: Sharma ke. Woh toh pehle se hi hu na. Achha ab main rakhti hu byeee. Yeh bol jhatt se call cut kardeti hai. Aur apna chehra apni hateliyon mein chupa ke sharmane lagti hai.

Sonal: Haayee kis tarah se bol rahe the woh. Aur baat ko kis tarah ghumaya. Jaise main samajti nhi unke kehne ka matlab kyaa tha. Aur kis tarah mujhe abhi indirectly propose kiyaa.

Par Mr. Raj Kapoor main itni aasani se accept nhi karne wali. Abhi toh aapko pareshan karungi. Aapse apne saare nakhre uthwaungi phir sochungi. Taiyaar hojaaiye apni iss Girlfriend ke nakhre uthane ke liye Mr. Kapoor. Yeh bol phir sharmaa jaati hai.

Abhi Sonal baithe hue aane wale samay ke sapne sajaye jaa rahi thi ke uske saamne Neha aake baith jaati hai.

Neha: Kyaa soch rahi ho Sonal.

Sonal Neha ko aise saamne dekb thoda hairaan hojaati hai par phir sambhal ke bolti hai.

Sonal: Kuch nhii. Tum yaha kyaa kar rahi ho.

Neha: Woh mujhe naa apne ghar ek call karna hai par mera mobile band hogya hai toh kyaa tum mujhe apna mobile dogi main thoda call karlu.

Sonal: Haa lo naa.

Neha: Mobile lete hue. Thank you. If you don’t mind kyaa main thoda durr jaake baat karlu.

Sonal: Yeahh Sure.

Phir Neha Sonal ka mobile leke jhatt se waha se nikal jaati hai aur Sonal se thoda durr jaake jhatt se Sonal ke mobile ke contact list search karne lagti hai Raj ke naam se.

Par Neha ki buri kismat ke usse uss naam se waha koi contact nhi dikhtaa. Woh ekbaar aur achhe se search karti hai par usse nhi milta.

Neha: Aree iske mobile mein toh Raj sir ka koi naam hi nhi hai. Toh kyaa Sonal ne jhoot bola tha. Nhii jhoot toh nhi bola hogaa kyoki uss raat ko toh Sonal ne sabke saamne call lagaya tha aur uss din Sonal ko unka call bhi toh aaya tha. Phir koi number kyo nhi hai. Call logs check karti hu.

Phir Neha call logs open karti hai toh usko sabse pehla naam dikhta hai Bandar jissr Sonal ne kuch der pehle hi baat ki thi.

Neha: Yeh kaisa naam hai Bandar.

Phir woh uss naam ko ignore karke aage check karti hai toh Raj ke naam se yaa phir koi unknown number nhi dikhta. Sirf family members ke naam dikhte hai aur sabse jyaada Bandar ke naam se hi dikhte hai.

Neha: Ajeeb baat hai iske pure mobile mein kahi bhi Raj sir ka naam nhi hai. Aur call logs mein bhi sirf Bandar naam hi bhara hua hai. Jarur yeh Bandar iska woh dost hoga jiske baare mein kuch der pehle baate horahi thi. Whats app check karti hu. Shayad waha mil jaaye.

Yeh bol woh whats app open karti hai toh woh password protected tha.

Aree yeh toh password protected hai ab kyaa karu. Iska mobile lena kisi kaam nhi aaya. Phir Neha jaldi se ek faltu sa number dial karke cut kardeti hai aur open kiye saare apps ki history delete kardeti hai.

Neha: Yeh lo Sonal tumhara phone. Thank You.

Sonal: Aree koi nhiii.

Neha: Waise ek baat puchuuu.

Sonal: Haa pucho naa.

Neha: Yeh bandar kaisa naam hai. Maine number dial karne ke liye call log open kiya toh dekha tumne recently iss naam se call kiya tha.

Sonal Neha ki baat sunn jhepp jaati hai. Phir bolti hai.

Sonal: Aree woh mere dost hai. Woh unhe pyaar se main Bandar bulati hu toh isiliye uss naam se hi save kiya hua hai.

Neha: Ooooo greattt Par tum itni jyaada izzat se baat kyo kar rahi ho dost ko unhe kab se bolne lagi tum.

Sonal: Aree woh mere se age mein badhe hai isiliye aise bol rahi hu.

Neha: Achhaa. Chaloo class mein chalte hai. Raj Sir ka class khatam hone wala hai.

Sonal: Haa chalo.


Phir dono class ki taraf jaane lagte hai.
Nice and superb update...
 

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,103
218
Update 70
Agle din dono as usual college aate hai aur Sonal aage utar jaati hai aur chalte chalte college aajati hai.

Sonal jab college aati hai toh Payal usse puchti hai.

Payal: Didi aap akele kyo aarahi hai. Bhaiya kaha hai.

Sonal: Humdono saath hi aaye hai par main thoda pehle utar jaati hu.

Ishita: Kisliye. Jab aap dono ek hi jagah se aate hai toh aisa kyo.

Sonal: Kyoki main nhi chahti log chaar baate banaye ke Professor ek student ke saath jaana aana karte hai.

Payal: Hmm baat toh sahi hai. Waise bhi kuch logo ko toh ek bahana hi chahiye dusro ko pareshan karne ke liye.

Sonal: Isiliye main college se thodi durr utar jaati hu aur wahi se uthh jaati hu. Chalo ab.

Phir yeh teeno sabke paas aake baith jaate hai.

Sonal: Kyaa baat hai Neha aaj itna saj sawar ke aayi ho kahi jaana hai kyaa.

Neha: Nhii kahi nhi jaana hai. Bas aaj mera mann kiya isiliye just thoda sa extra touch up diya hai.

Vishal: Par tumhe aaj jo bhi dekhega woh tumhare pichhe pagal hojayega. Mann mein. Haaye kitni sundar lag rahi hai. Kahi meri hi nazar naa lag jaaye. Pata nhi kab yeh mere pyaar ko samjhegi.

Neha: Toh hojaane do mujhe kyaa hai. Bas mere saamne nhi aane se hi hua. Agar mere saamne aaya toh sidha Hospital mein jaayega. Mann mein. Mujhe sab se kyaa bas jinke liye itna sajna hua hai woh dekhle toh meri mehnat ka fal mil jaayega.

Idher Ishita kal se Neha ko aur uske expression ko dekh rahi thi aur usko uska yeh behaviour thoda ajeeb laga par usne ignore kiya kyoki woh uske baare mein achhe se jaanti nhi thi. Par uske mann mein ek shakk paida hogya thaa.

Neha: Chalo sab class ka time hogya hai. Raj Sir ka class start hone wala hai.

Ishita: Aree chalte hai chalte hai. 2 mins late hone se Raj sir humhe khaa nhi jaayenge. Woh itne bhi strict nhi hai. Yeh bol hasne lagti hai.

Ishita ke saath baaki sab bhi hasne lagte hai par Neha ko Ishita ki baat achhi nhi lagi par woh kuch bhi nhi bolti aur chup hojaati hai.

Phir sab apne apne class mein jaane lagte hai. Neha kuch jyaada hi jaldi jaa rahi thi. Jo Ishita ke shak ko badha raha tha.

Payal: Ishu kyaa soch rahi hai.

Ishita: Payal mujhe abhi thoda confusion hai ekbaar clear hojaane de phir bataungi. Bas itna samaj le mera jo confusion hai woh sach hua toh bahot bura hoga.

Payal: Kyaa bol rahi hai. Kuch samaj aaye aisa bol.

Ishita: Baad mein bataungi. Abhi chalti hu. Byee.
Payal: Byeee.

Phir sablog apni apni class mein aajate hai.

Neha aaj bhi first bench mein hi baithi thi. Aur baaki sab apne apne jagah pe.

Thodi der mein Raj aajata hai. Raj ko dekhte hi Neha ki chehre mein ek muskurahat aajati hai jo Ishita saaf dekh paa rahi thi.

Raj: Good Morning Everyone.

Sab: Good Morning Sir.

Raj: Main tum sab se kuch puchna chahta hu umeed hai jawaab sach sach doge tumlog.

Sablog Raj ko dekhne lagte hai.

Raj: Main jo padha raha hu jaise padha raha hu kyaa usme tumlogo ko koi problem hai. Kyaa main tumlogo ko thikk se topic samjhaa nhi paa raha hu.

Raj ke sawaal pe saare students chupp hojaate hai kyoki unko pata tha Raj kisliye yeh puch raha hai.

Raj: Kal jab maine tumlogo se pucha ke subah jo maine padhaya tha kya usme koi doubts hai koi question hai toh tumlog sab chup chaap the sivaay 2 jan ke. Aur jab maine tumsab ka usi topic ke upar test liya toh itna kharab result.

Agar tumsab ka topic clear tha toh test itna kharab kyo hua iska answer chahiye mujhe tumsab se. Aur agar topic clear nhi tha toh jab maine pucha tha toh tumsab chup kyo the. Mujhe tumsab ke answers chahiye.

Sabhi students ka sir nichhe jhukk jaata hai.

Phir Raj woh answer sheets nikalta hai aur ek ek karke naam bolta aur puri class ke saamne unnsab se sawaal karta hai toh sabka sir nichhe jhukk jaata hai.

Raj: Main last time yeh chiz dekh raha hu. Agli baar se aisa nhi hona chahiye. Main tumlogo ko jo samjha raha hu jo sikha raha hu yeh chiz future mein tumhare hi kaam aayega. Accounts koi easy subject nhi hai jisko ratta maara aur yaad hogya.

Agar thikk se doubts clear nhi hue toh exam mein fail hojaoge. Main phir se bolta hu agar kisi ko topic mein kahi bhi koi bhi problem hai toh mujhse discuss karo. Main apni taraf se puri koshish karunga aage tumlogo ki marzi.

Raj jaise hi chup hota hai toh ek ladka uthta hai aur bolta hai.

Ladka: Sorry Sir. Next time se aisa nhi hoga. Aur aap jaise padhate hai jaise samjhate hai usse humhe koi problem nhi horaha hai.

Sab: Yes Sir next time se aisa nhi hogaa.

Raj: Thikk hai. Mujhe yehi umeed rahegi.

Phir Raj aage padhana start kar deta hai.

Sonal: Mann mein. Kisi bhi teacher ko students ke liye itna karte hue maine nhi dekha. Agar yeh chahte toh apni duty puri karke students ko unke haal mein chore sakte the. Par innhone aisa nhi kiya ulta sabko samjhaya. Jitne din jaa rahe hai utne achhe se inko jaan rahi hu. Interestinggg.

Neha: Mann mein. Main inke liye itna saj sawar ke aayi aur inhone ekbaar bhi meri taraf nhi dekha ulta aate hi sabko daantna start kardiya aur phir sidha padhai. Areee ekbaar toh dekhlo aakhir aapke liye hi itna saja hai maine.

Sonal ne toh wapas se apna dhyaan padhai ke upar laga liya tha par Neha ne nhi lagaya uska pura dhyaan sirf aur sirf Raj ke upar hi thaa.

Class khatam hone ke kuch der pehle Raj sabse puchta hai.

Raj: Toh aajka topic sabko samaj aaya.

Kuch students issbaar haath upar karte hai aur bolte hai unko thoda doubt hai.

Raj: Hmmm. Thikk hai. Yaha aao aur dikhao kyaa doubt hai.

Phir woh students Raj ke paas aake apne apne doubts ko solve kara lete hai.

Phir class khatam hojaati hai aur Raj chala jaata hai.

Neha: Mann mein. Puri class khatam hogyi par inhone ekbaar bhi meri taraf nhi dekha. Itna bhi kyaa attitude.


Ekbaar dekh lete aur mera din banjaata toh inka kyaa bigad jaata. Yehi sab sochte hue woh udaas si baithi rehti hai.
Nice update bhai
 
  • Like
Reactions: Jaguaar and Luffy

Lovekillsyou

Active Member
649
2,715
124
Update 96
College aake Sonal sidha canteen aati hai jaha sab baithe hue baithe kar rahe thee.

Payal: Kyaa baat hai didi aaj aap late hogyi. Kyaa aapka woh driver soraha tha kyaa.

Sonal: Haa woh actually aaj mujhe uthne mein late hogyaa. Raat ko neend hi nhi aarahi thi.

Soniya: Mazaak mein. Kyoo kiske baare mein soch rahi thi humari Miss Fresher.

Sonal jab yeh sunti hai toh uske aankho ke saamne Raj ka chehra ubhar aata hai aur woh thoda sharma jaati hai.

Sonal: Kyaa Soniya tum bhi. Aisaa kuch nhi hai.

Soniya: Achhaaaa. Toh tum sharma kyo rahi ho aur tumhare gaal tamatar ki tarah laal kyo hogye hai. Aakhir chakar kyaa hai madam. Kaun hai woh jiske baare mein tum soch rahi thi. Sach sach batao

Sonal: Ab tum aisi baate karogi toh sharm toh aayegi hi naa. Aur aisa kuch nhi hai jaise tum soch rahi ho.

Soniya: Tum choro humhe pata hai tum toh bataogi nhi. Heyy Ishita aur Payal tum dono batao. Tumdono toh iske relative ho toh tumhe toh pata hogaa naa.

Dono: Ab hum kyaa bole. Par aisa kuch nhi hai. Agar hota toh humhe jarur pata hotaa. Mann mein. Ab hum kaise bole ke yeh kiske baare mein soch rahi hai.

Varun: Aree Soniya choro naa. Ab yeh uska personal matter hai. Woh nhi batana chahti hogi. Jab time aayega tab woh bata degi.

Idher Neha jo innsab ke sath hote hue bhi insab ke beech nhi thi woh apni alag hi soch mein thi. Uske dimaag mein abhi yehi chal raha tha ke woh kaise Raj ka number haasil karee.

Neha: Main aisa kyaa karu jisse Raj Sir ka number mujhe mil jaaye. Yeh Sonal toh mujhe degi nhi. Mujhe koi aur tarika hi sochna hoga. Par aisa kya karu. Abhi woh yeh soch rahi thi tabhi uske dimaag mein ek idea aata hai.

Haa yeh sahi rahega. Aise mujhe Raj Sir ka number bhi mil jayega aur iss Sonal ko pata bhi nhi chalega. Par uske liye mujhe Sonal ko innsab se alag karna padega. Warna mujhe number nhi milegaa.

Kuch der mein class ki bell bajne lagti hai toh jinki jinki class thi woh chale jaate hai aur baakilog class mein baithke baate karne ke liye chale jaate hai.

Idher Sonal phir se canteen mein akele baithne kal bolke wahi rukh jaati hai.

Soniya: Haa haaa. Ab toh akele rehna ka mann toh karega hi. Ab humare saamne toh kisi special se baat nhi karpaogi naa. Isiliye yaha akele baith ke baate karogi ab. Yeh bol woh hasbe lagti hai.

Sonal: Soniyaaa tum nhi sudhrogi. Ruko tumhe abhi batati hu.

Sonal kuch karti uske pehle hi Soniya waha se bhaag jaati hai aur piche Sonal sharma ke wahi baithi rehti hai.

Sabke jaane ke baad Sonal Raj ko call laga deti hai. Kuch der ring hone ke baad Raj call receive karleta hai.

Raj: Hello.

Raj ki awaaz sunte hi Sonal ke dil ki dhadkan badh jaati hai aur uska chehra sharm se laal hojaata hai.

Raj: Madam ab baate bhi karlijiyee. Yaa phir sirf humari awaaz sunne ke liye hi call kiya hai.

Sonal: Main kyoo aapko call karungi. Mere paas aur bhi kaam hai. Yeh toh galti se call aapko lag gaya. Warna main toh Jaipur call kar rahi thi.

Raj: Achhaa. Waise J aur R ke beech bahot se letters aate hai. Sidhhe sidhhe maanlo na tumne mujhse baat karne ke liye hi call kiya hai.

Sonal: Yeh aapki galat fehmi hai. Main Samar ko call kar rahi thi aur Samar ke pehle hi aapka number tha toh galti se aapke paas lag gaya.

Raj: Achhha. Toh call lag gaya toh sang sang cut kyo nhi kiyaa. Tumhe toh jhooth bolna bhi nhi aata.

Ab Sonal ke paas bolne ko kuch nhi tha isiliye wih chup kar jaati hai jisse Raj hasne lagti hai.

Sonal: Aap hasna band kijiyee. Ek toh maine khud se aapko call kiya aur aap mera hi mazaak udaa rahe hai. Jaaiye main aapse baat nhi karti.

Raj: Ab agar tumhe baat nhi karni toh main kyaa kar sakta hu. Phir main call cut kardeta hu.

Sonal: Agar aap mein himmat hai toh call cut karke dikhaiye. Main bhi dekhti hu aap kaise call cut karte hai.

Raj: Aree tumhi ne toh kaha tumhe baat nhi karni. Toh main kyaa karta.

Sonal: Haa toh mujhe nhi karni hai baat. Aur main kaha baat kar rahi hu.

Raj: Ajeeb pagal se paala padh gaya hai mera. Naa baat karni hai aur naa call cut karna hai.

Sonal: Aapne khud hi paala padhwaya hai. Aur ab yeh chhutne wala bhi nhi hai.

Raj: Dheere se. Main kabhi chhutne dunge bhi nhi. Yeh pagalpan se aur iss pyaari si pagal ke liye toh main harwaqt phone ko apne kaan se laga ke rakhu.

Sonal: Kyaa bola aapne. Jara jorr se boliye. Haalaki Sonal ne sunn liya tha.

Raj: Main keh raha hu kaisi pagal Girlfriend hai meri. Par jaisi bhi hai mujhe chalegi.

Raj ke muh se girlfriend sunn ke Sonal ke dil mein khushi ki ek jabardast lehar uthne lagti hai. Uski dil ki dhadkane hadd se jyaada badh jaati hai. Uske chehre mein khushi aur sharm saaf samaj aarahi thi. Par saath mein woh shock bhi bahot jyaad thi.

Sonal: Kyaaa kyaa bolaa aapne abhii.

Raj: Kyaa bolaa mainee. Maine toh yehi bola kaise Pagal Girl friend mili hai mujhee.

Sonal: Aapne mujhe Girlfriend bola.

Raj: Haaa kyoo tum nhi ho meri Girlfriend.

Sonal: Aapko pata bhi hai aap kyaa bol rahe hai.

Raj: Aree tum shayad galat samaj rahi ho. Ruko main samjhata hu. Dekho tum meri dost ho aur dost ko English mein bolte hai Friend right.

Sonal: Haa.

Raj: Aur tum ek ladki ho toh ladki ko English mein bolte hai Girl. Toh dono ko mila do toh hogya naa Girlfriend. Tumne kyaa samaj liya thaa. Kahi tumne woh toh nhi samaj liyaa.

Sonal: Sharmaa ke. Jii nhii maine aisa waisa kuch nhi samjhaa. Aur yeh aapne kaha se sikhaa.

Raj: Aree yeh toh maine yaha kisi ko bolte suna tha toh yaad aagaya.

Sonal: Hmmm.

Raj: Toh bolo kyaa tum banogi meri Girlfriend.

Sonal: Sharma ke. Woh toh pehle se hi hu na. Achha ab main rakhti hu byeee. Yeh bol jhatt se call cut kardeti hai. Aur apna chehra apni hateliyon mein chupa ke sharmane lagti hai.

Sonal: Haayee kis tarah se bol rahe the woh. Aur baat ko kis tarah ghumaya. Jaise main samajti nhi unke kehne ka matlab kyaa tha. Aur kis tarah mujhe abhi indirectly propose kiyaa.

Par Mr. Raj Kapoor main itni aasani se accept nhi karne wali. Abhi toh aapko pareshan karungi. Aapse apne saare nakhre uthwaungi phir sochungi. Taiyaar hojaaiye apni iss Girlfriend ke nakhre uthane ke liye Mr. Kapoor. Yeh bol phir sharmaa jaati hai.

Abhi Sonal baithe hue aane wale samay ke sapne sajaye jaa rahi thi ke uske saamne Neha aake baith jaati hai.

Neha: Kyaa soch rahi ho Sonal.

Sonal Neha ko aise saamne dekb thoda hairaan hojaati hai par phir sambhal ke bolti hai.

Sonal: Kuch nhii. Tum yaha kyaa kar rahi ho.

Neha: Woh mujhe naa apne ghar ek call karna hai par mera mobile band hogya hai toh kyaa tum mujhe apna mobile dogi main thoda call karlu.

Sonal: Haa lo naa.

Neha: Mobile lete hue. Thank you. If you don’t mind kyaa main thoda durr jaake baat karlu.

Sonal: Yeahh Sure.

Phir Neha Sonal ka mobile leke jhatt se waha se nikal jaati hai aur Sonal se thoda durr jaake jhatt se Sonal ke mobile ke contact list search karne lagti hai Raj ke naam se.

Par Neha ki buri kismat ke usse uss naam se waha koi contact nhi dikhtaa. Woh ekbaar aur achhe se search karti hai par usse nhi milta.

Neha: Aree iske mobile mein toh Raj sir ka koi naam hi nhi hai. Toh kyaa Sonal ne jhoot bola tha. Nhii jhoot toh nhi bola hogaa kyoki uss raat ko toh Sonal ne sabke saamne call lagaya tha aur uss din Sonal ko unka call bhi toh aaya tha. Phir koi number kyo nhi hai. Call logs check karti hu.

Phir Neha call logs open karti hai toh usko sabse pehla naam dikhta hai Bandar jissr Sonal ne kuch der pehle hi baat ki thi.

Neha: Yeh kaisa naam hai Bandar.

Phir woh uss naam ko ignore karke aage check karti hai toh Raj ke naam se yaa phir koi unknown number nhi dikhta. Sirf family members ke naam dikhte hai aur sabse jyaada Bandar ke naam se hi dikhte hai.

Neha: Ajeeb baat hai iske pure mobile mein kahi bhi Raj sir ka naam nhi hai. Aur call logs mein bhi sirf Bandar naam hi bhara hua hai. Jarur yeh Bandar iska woh dost hoga jiske baare mein kuch der pehle baate horahi thi. Whats app check karti hu. Shayad waha mil jaaye.

Yeh bol woh whats app open karti hai toh woh password protected tha.

Aree yeh toh password protected hai ab kyaa karu. Iska mobile lena kisi kaam nhi aaya. Phir Neha jaldi se ek faltu sa number dial karke cut kardeti hai aur open kiye saare apps ki history delete kardeti hai.

Neha: Yeh lo Sonal tumhara phone. Thank You.

Sonal: Aree koi nhiii.

Neha: Waise ek baat puchuuu.

Sonal: Haa pucho naa.

Neha: Yeh bandar kaisa naam hai. Maine number dial karne ke liye call log open kiya toh dekha tumne recently iss naam se call kiya tha.

Sonal Neha ki baat sunn jhepp jaati hai. Phir bolti hai.

Sonal: Aree woh mere dost hai. Woh unhe pyaar se main Bandar bulati hu toh isiliye uss naam se hi save kiya hua hai.

Neha: Ooooo greattt Par tum itni jyaada izzat se baat kyo kar rahi ho dost ko unhe kab se bolne lagi tum.

Sonal: Aree woh mere se age mein badhe hai isiliye aise bol rahi hu.

Neha: Achhaa. Chaloo class mein chalte hai. Raj Sir ka class khatam hone wala hai.

Sonal: Haa chalo.


Phir dono class ki taraf jaane lagte hai.
Wow nice update. Neha ka pyaar badhta ja raha hain ladki buri nahi hain bas galat jagah dil laga baithi hain kya karu me is pagal neha ka. Sonal bhi raaj se pyar karne lag gayi par ab bechare raaj ko sonal apni ungliyo pe nachayegi kaha pahle voh khud nachti thi. Ise kahte hain waqt jo har kutte ka aata hain. Aur pahle kitna badhiya tha update 2nd ya 3rd page pe mil jaata tha lakin ab to 4-4 page piche update padhe rahte hain. Meri to saari khushi hi chali gayi 1 update dekhke kaha maine socha tha 4 page hain kam se kam 2 update to honge hi.
 

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,103
218
Update 71
Phir ek ek karke teachers aate hai aur padhane lagte hai.

Idher Shivam apni uss beizaati ke baad se iss group ko roj observe karta tha aur apna badla lene ke liye sochta rehta thaa. Aur usko ek idea bhi aagaya tha jisse woh unki izzat ka kabada karne wala tha.

Recess mein sablog Canteen mein baith ke lunch kar rahe the tabhi Shivam waha aajata hai.

Shivam: Hiii guyss.

Sablog Shivam ko waha dekh kar thoda shock hue the.

Varun: Oo. Mr. Boxer. Aaj phir se yaha.

Shivam: Woh main ussdin ke liye sorry bolne aaya tha. Ussdin mujhse galti hogyi mujhe maaf kardo.

Soniya: Kyaa baat hai aaj yeh Ganga ulti kaise behene lagi. Uss din ke tevar toh kuch aur hi the.

Shivam ko Soniya ki baat pe gussa aata hai par woh apne chehre mein nhi aane deta.

Shivam: Uss din sach mein mere se galti hogyi thi isiliye main aaj maafi maangne aaya hu.

Vishal: Achhi baat hai.

Sonal: Aur hum woh baat usi din bhul gaye the ab tum bhi bhul jao.

Shivam: Thank you. So kyaa ab hum friends bann sakte hai.

Varun: Ek baat bata. Tu isse hi dosti karne ke pichhe kyo padha hai. Uss din bhi tu iske pichhe hi tha aur aaj bhi.

Shivam: Issbaar main sirf inse nhi tumsab se dosti karna chahta hu.

Vishal: Dekh tere liye abhi humare mind mein negative thoughts hi hai isiliye hum tujhse dosti nhi karna chahte.

Soniya: Aur ab please humhe lunch karne do.

Shivam: Thikk hai. Yeh bol waha se chala jaata hai.

Shivam ke jaate hi Varun bolta hai.

Varun: Yeh bahot hi ajeeb ladka hai. Mujhe iske intensions thikk nhi lagte hai. Khaash karke Sonal tumhare liye.

Sonal: Ab harjagah aise kuch ladke hote hi hai. Ab inke wajah se hum jeena toh nhi chorr sakte naa. Aur jab tak yeh saamne se kuch nahi karta isko simply ignore karo.

Varun: Baat toh sahi hai.

Idher itna kuch hogya tha par Neha toh jaise waha hoke bhi waha nhi thi woh apne mein hi ghumm thi.

Soniya: Nehaa tujhe kyaa hua hai. 1st day se dekh rahi hu tera dhyaan kahi aur hi rehta hai.

Vishal: Haa Neha. Main bhi dekh raha hu. Kyaa hua hai tumhe. Tumhari tabiyat toh thikk hai naa.

Neha: Haa main thikk hu.

Vishal: Woh toh tum bol rahi ho par mujhe nhi lag raha hai. Tumhare dil-o-dimaag mein kuch aur hi chal raha hai. Tum humse bol sakti ho. Hum dost hai tumhare.

Varun: Kyaa baat hai bhai tujhe Neha ke dil-o-dimaag ke baare mein bahot pata hai kabhi humare baare mein bhi bata diya kar. Hum bhi dost hi hai tere dushman nhi.

Varun ki baat sunke jaha Vishal jhep jaata hai wahi baaki sab hasne lagte hai.

Vishal: Aisa kuch nhi hai. Woh toh Neha ko har waqt kuch sochte hi dekhta hu isikiye aisa bola.

Varun: Sharati andaaz mein. Achhhaaa aisaa kyaaa. Achha hua bata diya nhi toh main apni hi theory lagane wala tha. Yeh bil hasne lagta hai.

Neha: Varun tum toh ho hi over smart. Har chiz mein apni faltu theory lagana toh tumhari aadat hai.

Varun: Aree madam Smart toh hu hi par yeh over nhi too smart bolo.

Neha: Apna sir pitte hue. Iski toh beizaati karke bhi koi faiyda nhi. Pata nhi kis mitti ka bana hai yeh. Har baat ka jawaab hota hai iske paas.

Varun: Tareef ke liye shukriyaa.

Vishal: Ayee Varun tu chup kar aur Neha tum batao aakhir baat kya hai.

Neha: Mann mein. Aree kitna mast iss Varun ke chakar mein baat tal gayi thi par Vishal ne phir se wahi baat cherr di. Ab kaise bolu main ke mujhe Raj Sir se pyaar hogya hai. Aur aaj unke wajah se hi main dukhi hu.

Soniya: Lo yeh phir sochne lagi. Kyaa madam pyaar hogya hai jo baar baar kisi ke khayalo mein khoti jaa rahi ho.

Soniya ki baat pe jaha Neha jhepp jaati hai wahi Vishal pareshan hojaata hai.

Neha: Ghabraate hue. Nhi nhi aisa kuch nhi hai.

Varun: Toh itna ghabra kyo rahi ho jaise Soniya ne tumhari koi chori pakad li hai. Phir CID style mein bolta hai kuch toh garbar hai Daya. Kuch toh garbar hai.

Vishal: Mann mein. Kyaa sach mein Neha ko kisi se pyaar hogya hai. Par aise kaise hosakta hai achanak se. Jaan na pehchan aur pyaar hogya.

Neha: Ayee CID keede chupp kar. Aur aisa kuch hai woh toh Soniya ne achanak se yeh sawaal pucha toh main ghabra gayi.

Neha ki baat jaha sab shant hogaye the wahi Vishal ke mann mein darr baith gaya tha toh Ishita ka shakk aur gehra hogya tha.

Ishita: Mann mein. Kahi main jo soch rahi hu woh sach toh nhi. Agar waisa hua toh yeh achha nhi hoga. Naahi Neha ke liye aur naahi Bhabhi ke liye.

Sonal: Chalo ab class ka time horaha hai.

Neha: Haa chalo warna yeh Varun aise hi pakata rahega.

Phir sab apne apne class ki taraf rawana hojaate hai aur chutti hone tak class karne lagte hai.

Par Neha ke dimaag mein aaj kuch aur hi chall raha tha. Woh chutti hone ke kuch der pehle hi washroom ka bahana karke class ke nikal jaati hai aur Raj ke cabin ki taraf nikal padhti hai.

Neha Raj ke Cabin ke paas aake dekhti hai ke Raj andar hi hai aur kisi se phone mein baate kar raha hai.

Neha: Himmat karke. May I come in Sir.

Raj darwaaze ki taraf dekhta hai aur andar aana ka ishara karta hai.

Raj: Achha main baad mein baat karunga. Ab chutti hone wali hai toh mujhe nikalna hoga. Yeh bol call cut kardeta hai.

Raj: Haa bolo.

Neha: Sir woh mujhe aaj ke topic mein 2 doubts the toh kyaa main abhi puch sakti hu.

Raj: Hmm. Thikk hai. Par abhi toh sabki class chal rahi hai toh tum waha kyo nhi ho.

Neha: Woh sir main washroom ke liye gayi thi toh phir mujhe yaad aaya ke abhi woh doubts puch leti hu aur class mein kuch khaash nhi horaha hai toh...

Raj: Hmm. Thikk hai. Bolo kyaa doubts hai.

Phir Neha jaan muzz ke aise sawaal puchti hai jisme thoda time lage.

Raj Neha ki soch se anjaan uske doubts ko solve karne lagta hai.

Idher Raj Neha ke doubts ko solve kar raha tha toh Neha apna dhyaan unn answer pe naa deke Raj ke chehre ko ghuree ja rahi thi.

Neha: Mann mein. Haaye kitne smart hai. Jee karta hai inko aise hi dekhti rahu. Par attitude bahot hai. Ek khubsoorat ladki subah se saj sawar ke inke saamne khadi hai par yeh hai ki unko dekh hi nhi rahe hai. Aree ekbaar dekh kar thodi si tareef hi kardo.

Raj: Toh yeh thaa tumhare questions ka answers. Samaj aaya.

Neha: Jii sir. Samaj gayi. Aap bahot achhe se samjhate hai. Isme koi shakk nhi ke aap apni batch ke topper the. Sir agar aap mind nhi karee toh ek baat puch sakt hu.

Raj: Hmm pucho.

Neha: Kyaa aap mujhe Accounts ki tuition denge college ke baad. Woh kya hai naa mera accounts thoda weak hai. Aur aap bahot achhe se padhate aur samjhate hai toh isse meri bahot madad hogi. Pleaseeee sirr. Pleaseeee.

Raj: Sorry. Par mere paas time nhi hota hai. Aur main koi professional teacher nhi hu.


Neha:Chotta sa muh banake. Okk Sir.
Mast update bhai
 

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,103
218
Update 72
Phir Raj pichhe ghumke apna bag pack karne lagta hai tabhi uske mobile mein Shruti ka call aata hai.

Raj: Back pack karte hue hi. Good Afternoon Didi. Kaisi hai aap.

Shruti: Good Afternoon Mr. Darpok.

Raj: Kyaa Didi aap bhi. Lagta hai bhabhi ne aapko sab bata diya hai.

Shruti: Haa. Par naam mast mila hai tumhe.

Raj: Yeh sab uss Ms. Pagal ki karamat hai. Ab uske liye Darpok kyaa kuch bhi banna padhe toh banunga. Yeh bol pichhe ghumta hai toh dekhta hai Neha abhi bhi wahi khadi hai. Ek min Didi hold karna.

Raj: Doubts solve hogye naa.

Neha: Jiii.

Raj: Toh ab tum jaa sakti ho. Haa didi boliye.

Neha waha se khisak leti hai par jaate jaate Raj ki ek baat woh sunn leti hai.

Raj: Didi ab agar uske liye nhi karunga toh kiske liye karunga. Aur yeh toh bas college hai. Agar woh kahi aur bhi jaati toh main uske pichhe pichhe jaata .

Raj ki yeh baat Neha ke dil-o-dimaag mein ek dhamaka kardeti hai aur woh sochne pe majbur hojaati hai.

Neha: Yeh Sir ne abhi kyaa bola. Kyaa maine jo suna woh sahi suna. Woh yaha college mein kisi ke pichhe aaye hai. Kiske pichhe aaye hai Sir. Aur uska inse kyaa lena dena hai.

Kyaa Sir yaha apne kisi special ke liye aaye hai. Nhiii nhiii main bekaar mein yeh sab soch rahi hu. Par Sir ne jo kaha woh kyaa tha. Aur phir unhone woh kyaa bola ke uske liye Darpok kyaa kuch bhi banna padhe toh banunga iska kyaa matlab hua. Aur yeh Ms. Pagal yeh kaun hai. Kyaa Sir iss Ms. Pagal ke liye hi yaha pe hai.

Par inka usse kyaa rishta hai yeh pata lagana hoga aur woh bhi jald se jald. Kahi derr naa hojaaye.

Yehi sab sochte hue woh waha se dheere dheere jaa rahi thi tab tak Raj bhi pichhe se phone mein baat karte hue uske paas se nikal jaata hai.

Raj ko jaate dekh Neha bhi uske pichhe pichhe jaane lagti hai aur uski baate sunne ki koshish karti hai par kuch khaash sunne ko nhi milta.

Aise hi Raj baat karte karte parking mein aajata hai apni car ke paas.

Raj: Achha didi ab rakhta hu. Uski class khatam hochuki hai toh woh aane hi wali hogi toh mujhe yaha se thoda durr jaake wait karna hoga.

Shruti: College se durr kisliye. College se hi kyo saath nhi aate.

Raj: Ab uska order hai. Aur woh nhi chahti ke koi humhe saath dekh kar 4 baate banaye. Isiliye woh college ke thoda durr se utarti aur charti hai. Aur sach bolu toh isme bhi ek alag hi maza hai.

Shruti: Achhi baat hai. Thik hai jao wait karo. Byeee.

Raj: Byeee.

Phir Raj call cut kardeta hai.

Idher Neha ne Raj ki boli hui saari baate sunn leti hai jisse uska shak pura pakka hojaata hai aur jaise hi Raj call cut karta hai Neha thoda chipp jaati hai jisse Raj usko naa dekh paaye. Raj bhi apni car start karke waha se nikal jaata hai.

Neha: Yaani uss waqt main jo soch rahi thi woh sahi thaa. Raj Sir ki life mein koi special one hai aur uske liye hi woh yaha pe aaye hai. Yeh bolte hue uske aankho mein thodi nami aajati hai.

Par chahe jo bhi ho main unko apna bana ke rahungi. Main aise haar nhi manungi. Sabse pehle toh mujhe uss ladkinke baare mein pata lagana hoga jiske liye Raj sir yaha pe hai. Phir usse main apne tarike se niptungi.

Abhi Neha yeh bolti hi hai ke tabhi kandhe pe koi maarta hai aur bolta hai. Kisse nipatne ke baare mein soch rahi hai.

Neha pichhe ghum ke dekhti hai toh usse waha sab khade milte hai. Aue kandhe pe maarke puchne wali Soniya thi.

Soniya: Haa toh madam kisse nipatne ke baare mein socha jaaraha hai. Aur tu wapas class mein kyo nhi aayi. Kaha bhatak rahi thi.

Soniya ke sawaal pe Neha kyaa bole usko samaj nhi aaraha hota hai. Woh sochne lagti hai ke woh kyaa jawaab de.

Neha: Woh toh mera aur class karne ka mann nhi kar raha tha isiliye main wapas class mein nhi gayi.

Neha ke aisa bolne se Soniya Varun aur Vishal ko shock lagta hai.

Vishal: Neha tumhari tabiyat toh thikk hai naa. Tumhe aur class karne ka mann nhi kar raha tha. Jo ladki boring se boring class bhi mann laga ke karti hai uska mann nhi kar raha tha. Yeh baat hajam nhi horahi hai.

Soniya: Ekbaar ko toh yeh Varun bhi sudhar jaaye toh humhe utna shock nhi lagega jitna teri iss baat se laga hai.

Varun: Oo Hello. Main already sudhra hua hu. Mujhse jyaada sudhra hua ladka chirag leke bhi dundhoge toh dusra nhi milega.

Soniya: Mujhe dusra chahiye bhi nhi yeh ek hi kaafi hai ab tum chup raho aur Neha tu bol.

Neha: Aree kyaa itni si baat ko itna khinch rahe ho.

Varun: Yaar Vishal ek kaam karte hai isko kisi doctor ke paas le jaate hai. Iss college ki hawa paani mein kuch garbar hai kyoki jabse yeh yaha aayi hai behki behki baate kar rahi hai.

Vishal: Mujhe bhi yehi lag raha hai.

Neha: Tumlogo ka naa dimaag kharab hogya hai. Tumlog yeh faltu ki baate sochte raho main chali ghar. Byeee. Yeh bol Neha waha se khisak leti hai.

Soniya: Achha achha rukk naraz mat ho. Saath mein chalte hai. Thoda rukh.

Soniya ke bolne pe Neha rukh jaati hai.

Sonal: Achha main chalti hu mujhe late horaha hai byeee.

Soniya: Aree Sonal ruko naa. Ek baat karni hai.

Sonal: Haa bolo.

Soniya: Kal college ki chutti hai toh kyo naa humsab kahi ghumne chale.

Varun: Waaahh kyaa idea nikala hai. Yeh hui naa mardo wali baat yeh bol Soniya ke kandhe pe jorr se haath maarta hai.

Soniya: Oyeee Mardo wali baat apne haath ko naa control mein rakh warna haath todd dungi. Aur bata chalega ghumne.

Varun: Agar naa bolunga toh kyaa tu mujhe chorr degi.

Soniya: Himmat hai tere mein mujhe naa bolne ki.

Varun: Himmat toh bahot hai par phir sochta hu Hospital mein kaun bharti hona chahega isiliye haa boldeta hu.

Soniya: Very Good. Ab tumlog batao.

Vishal: Thikk hai chalte hai. Waise bhi bahot din hogye kahi ghumne nhi gaye.

Neha: Hmm thikk hai.

Soniya: Tum teeno kyaa bolte ho.

Sonal: Mera possible nhi hai. Main khud yaha relative ke ghar mein rehti hu toh chutti ke din bhi agar ghar ke bahar gayi toh achha nhi lagtaa.

Payal: Aur mera bhi nhi hoga kyoki mera kal kahi aur ka plan hai.

Ishita: Same mera bhi. Kal maine bhabhi ko promise kiya tha unke saath unke maayke jaana hai. So not possible. Next time dekhenge.

Soniya: Kyaa yaar. Kitna achha plan banaya tha but tum teeno ne toh mana kardiya.

Sonal: Koi baat nhi. Hum next time chalenge naa. Main pehle se permission le lungi.

Payal: Haaa. Aur plan ke baare mein thoda pehle batana toh agat koi aur plan hua toh woh postpone kardungi.

Ishita: Ekdummm.

Soniya: Thikk hai phir next time koi bahana nhi chalega.

Teeno: Thikk hai.


Phir Sonal waha se nikal jaati hai. Aur baaki sab bhi apne apne ghar ki taraf nikal padhte hai.
Nice update bhai
 
  • Like
Reactions: Jaguaar and Luffy

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,103
218
Update 73
Sonal jab Raj ke paas pahonchti hai toh Rah Car ke bonet pe baithke coffee pi raha tha aur sandwich khaa raha hota hai.

Raj: Coffee and Sandwich

Sonal: Iss time coffee aur sandwich.

Raj: Bas mann kiyaa aur thodi bhukk bhi lag rahi thi. Aur aaj aane mein late hogya.

Sonal: Bas baate kar rahe the. Bhukk lag rahi thi matlab lunch nhi kiya aapne.

Raj: Nhii woh aaj lunch laana bhull gaya tha.

Sonal: Aur aapne mujhe bataya tak nhi. Mujhe bata dete toh main apna lunch de deti.

Raj: Aur tum kyaa khaati.

Sonal: Ishita aur Payal hai naa unse share karleti. Ab dost banaye hai toh dost se baat share kara kijiye.

Raj: Sorryyy. Agli baar aisa nhi hoga. Lo tum bhi khaao.

Sonal: Nhii aap khaaiye. Aapko bhukk lag rahi hogi.

Raj: Aree toh aur aajayenge. Tum khaao naa.

Phir Sonal bhi waha khadi Raj ke saath Sandwich khaane lagti hai. Raj ne Sonal ke liye bhi ek coffee aur khud ke kiye 1 sandwich aur mangwa liya tha.

Raj: Yaha baithke khaao naa. Khadi kyo ho.

Sonal: Thikk hai. Koi baat nhi.

Raj bhi issbaat pe jyaada force nhi karta.

Kuch der mein dono ka khaana hojaata hai.

Raj: Aur kuch khaaogi.

Sonal: Nhiii. Woh toh aapne insist kiya isiliye maine khaaya. Aapko aur chahiye toh le lijiye.

Raj: Nhii mera hogyaa.

Phir Raj bill pay karta hai aur dono waha se nikal jaate hai.

Sonal: Next day se naa aapka tiffin main hi le aaya karungi.

Raj: Aree thikk hai. Aaj bhull gaya ab har din toh nhi bhulunga naa.

Sonal: Koi baat nhi. Ek tiffin extra rakh lene se bag bhaari nhi hojayega. Ab aap mere liye itna karte hai toh kya main aapke liye itna nhi kar sakti.

Raj: Thikkk hai jaisi tumhari marzi waisa karo. Waise aaj tumlogo ka last class boring thaa kyaa.

Sonal: Matlab.

Raj: Matlab aaj last class mein kuch nhi hua thaa kyaa.

Sonal: Nhii aisa toh kuch nhi hai. Aapne aisa kyo puchaa.

Raj: Woh chutti hone ke kuch der pehle tumhare friend circle mein wih ladki hai naa Neha woh aayi thi mere cabin mein.

Sonal: Nehaa aapke cabin mein. Achanak kisliyee.

Raj: Haa woh usko kuch questions mein doubts tha isiliye aayi thi. Maine pucha class nhi hai toh boli class mein kuch khaas nhi horaha tha toh woh waha se nikal gayi.

Sonal: Ajeeb hai. Ulta last class mein toh achha hua thaa. Aur bahot interesting bhi tha.

Raj: Choro. Ab uski marzi usko nhi karna hoga class.

Sonal: Hmmm. Hosakta hai.

Thodi der mein dono ghar aajate hai.

Smita: Raj tu aaj apna tiffin le jaana bhull gaya.

Raj: Haa Mummy aaj bhul gaya tha. Par maine abhi thodi der pehle khaa liya hai.

Smita: Sonal beta yeh sach bol raha hai naa.

Sonal: Jiiii. Inhone abhi thodi der pehle hi kuch sandwiches khaaye hai. Aur kal se inka tiffin mujhe de dijiyega. Main inka tiffin le jaungi.

Smita: Haa yeh sahi rahega. Chalo jaao tumlog fresh hojaao.

Phir dono apne apne kamre mein jaake fresh hojaate hai.

Idher Neha jabse apne ghar pahonhi thi woh Raj ki baato ko hi soche jaa rahi thi.

Neha: Chahe kuch bhi hojaaye. Main haar nhi maanungi. Woh ladki chahe jo bhi ho usko pichhe hatna hoga. Aur uska pata lagane ke liye mujhe ab Sir pe nazar rakhni hogi. Ekbaar uss ladki ka pata chal jaaye phir usko main dekh lungi. Phir Sir sirf mere honge.

Idher Vishal apni socho mein hi gumm thaa. Tabhi uske paas Varun ka call aata hai.

Varun: Kyaa kar raha hai.

Vishal: Kuch nhi tu bata.

Varun: Pehle tu bata Neha ko kyaa hua hai woh aisi harqat kyo kar rahi hai.

Vishal: Abee main nhi jaanta. Mujhe toh Soniya ki baat hi sahi lag rahi hai. Shayad usse kisi se pyaar hogya hai.

Varun: Toh tu kyaa jhakk maar raha hai. Usse bol kyo nhi deta.

Vishal: Kaise bolu yaar. Agar usne bura maanke dosti todd di toh.

Varun: Aur agar nhi bolega toh hosakta hai kisi aur tab kisi ki hojayegi. Tab kya karega.

Vishal: Pata nhi yaar.

Varun: Meri maan bol de. Kam se kam tere dil pe yeh boj toh nhi rahega ke tune koshish nhi ki.

Vishal: Dekhte hai. Bahot jald bol dungaa.

Varun: Bahot achhe.


Phir dono idher udher ki baate karke phone rakh dete hai
Mast update bhai
 
  • Like
Reactions: Jaguaar and Luffy

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,103
218
Update 74
Agle din sablog baithke nashta kar rahe the tabhi Aarav achhe se taiyaar hoke nichhe aata hai.

Smita: Tu office nhi jaa raha hai kyaa aaj.

Aarav: Nhii woh aaj thoda dosto ke saath bahar jaa raha hu.

Nandini: Dosto ke saath yaa Payal ke saath.

Payal ka naam sunke jaha Aarav sharma jaata hai wahi Sonal thodi hairaan hoti hai.

Nandini: Dekho toh kaise sharma raha hai. Chalo aao nashta karlo phir jaha jaana hai jaa sakte ho.

Aarav: Nhii bhabhi. Late hogya hai. Aur waise bhi nashta bahar hi hai.

Nandini: Achhi baat hai. Par khaali pet toh bahar nhi jaane dungi. Lo pehle juice pi lo.

Phir Aarav Juice pi ke waha se nikal jaata hai.

Baaki sab apna nashta karke apne apne kaamo mein lag jaate hai.

Nandini kitchen mein kaam kar rahi thi tabhi Sonal waha aati hai.

Sonal: Kya kar rahi ho bhabhi.

Nandini: Bas lunch ki taiyaari. Tum yaha kyaa kar rahi ho. Kuch chahiye kyaa.

Sonal: Kyaa main bina kisi kaam ke kitchen mein nhj aasakti.

Nandini: Aisi baat nhi hai. Yeh bhi tumhara hi ghar hai. Achha bolo kyaa kaam hai.

Sonal: Main bore horahi thi toh socha yaha aapki thodi help kardu. Isse mera bhi time pass hojayega aur aapka kaam bhi jaldi hojayega.

Nandini: Achhi baat hai. Par agar tumhare professor ne dekhliya ke tum yaha kaam kar rahi ho toh woh kuch bolenge nhi.

Sonal: Professor honge woh college mein. Aur waise bhi woh mere se darte hai. Mr. Darpok. Yeh bol hasne lagti hai.

Sonal ki baat sunn Nandini bhi has deti hai.

Phir dono milke kaam karne lagte hai.

Sonal: Bhabhi ek baat puchu.

Nandini: Hmm pucho.

Sonal: Yeh Aarav jis Payal se milne gaya hai kyaa iss Payal ko main jaanti hu.

Nandini: Tumhara shak ekdum sahi hai. Aarav usi Payal ke paas gaya hai. Dono ka rishta tay hogya hai. College ke baad hi dono ki shaadi kardenge.

Sonal: Ooooo. Payal ne kabhi bataya nhi. Isiliye woh kal bol rahi thi uska aaj dusra plan hai. Toh kyaa arrange marriage hai.

Nandini: Nhiii. Yeh dono toh school time se ekdusre se pyaar karte hai. Par ghar mein yeh baat bolne se darte the. Phir himmat karke dono ne confess kar hi diya.

Sonal: Greattt.

Nandini: Waise tumhe bhi koi pasand hai kyaa.

Sonal: Nhii bhabhi aisa kuch nhi hai. Par pata nhi kyo mujhe kabhi kabhi kisi ka chehra sapne mein dikhta hai par woh bahot jyaada dhundla hota hai. Uska chehra samaj hi nhi aata.

Nandini: Ab sapna hai aur hum sapne mein kyaa kuch nhi dekhte. Waise Hosakta hai woh ladka hi tumhara soulmate ho.

Sonal: Pata nhi woh kaun hai. Aur agar woh hi mera soulmate hota toh mujhe uska chehra saaf dikhta. Aise dhundla nhi dikhta.

Nandini: Achha woh choro yeh batao tumhe kaisa ladka chahiye.

Sonal: Mujhee aisa ladka chahiye jo mujhe aur mere pyaar ko respect kare. Mujhe har tarah se support kare. Apne se bade aur choto ko pyaar kare. Apne kaam mein humesha apna best de. Aur sabse important mujhe hadse jyaada pyaar karee.

Nandini: How Sweet.

Sonal: Achha aapki shaadi ko kitna waqt hogya.

Nandini: Bas kuch mahine ke baad hi 2 saal hojayega. Mann mein. Tumhari shaadi ko bhi toh 1 saal hone wala hai Sonal.

Sonal: Waaahhh.

Phir dono aise hi baat karte hue kaam karne lagte hai.

Idher Aarav ghar se nikal ke sidha ek restaurant mein gaya jaha Payal uska wait kar rahi thi.

Payal: Aur thoda late se aajate hai. Sidha lunch hi karte. Breakfast ki kyaa jarurat hai.

Aarav: Aree meri jaan maaf kardo. Woh toh bhabhi ne rokh liya tha. Warna main kabka aagaya hota.

Payal: Haa apni galti ka dosh meri didi upar do. Sach bolo naa ke late se uthe the.

Aarav: Haste hue. Meri jaan kitni intelligent hai. Haa main late utha tha par bhabhi ne bhi rokh liya tha.

Payal: Thikk hai thikk hai. Jaao maaf kiya.

Aarav: Thank You. Ab bolo kuch khaaogi.

Payal Aarav ko ghurr ke dekhti hai.

Aarav: Samaj gaya khaaogi.

Phir Aarav waiter ko bula ke dono ke liye khaane ka order deta hai.

Aarav: Aur batao kaisa jaa raha hai college.

Payal: Achha jaa raha hai. Aur tumhara office.

Aarav: Yash bhaiya toh jaise mere se apni koi dushmani nikal rahe hai. Baat baat pe kaam pakda de rahe hai. Raj bhaiya ke saath saath unka kam bhi karna padh raha hai.

Payal yeh sunn hasne lagti hai.

Aarav: Tumhe hasi aarahi hai.

Payal: Toh aur kyaa karu. Bolte waqt tumhara chehra kitna funny dikh raha tha.

Aarav Payal ki baat se chidd jaata hai. Yeh dekh woh phir se hasne lagti hai.

Thodi der mein unka order aajata hai toh dono khaane lagte hai.

Aarav: Achha yeh batao College mein bhaiya bhabhi kya ek dusre ke kareeb aarahe hai.

Payal: Aree kaha. Ulta bhabhi ne toh Bhaiya ko boldiya hai woh unko college se thodi durr drop karde kyoki woh nhi chahti ke koi unndono ko ek saath dekh kar chaar baate karee.

Aarav: Yeh Bhabhi bhi kamaal hai. Bas bhagwaan kare unki yaadash jald se jald wapas aajaye.

Payal: Haaa.

Aarav: Aur Raj bhaiya ki class achhi lag rahi hai naa.

Payal: Aree pucho mat. Kyaa mast padhate hai. Unke samjhane ka tarika bahot achha hai. Isse hi pata chalta hai woh kyo apne time ke topper the.

Aarav: Aakhir bhaiya kiske hai.

Payal: Meree. Yeh bol hasne lagti hai. Aarav bhi uske saath hasne lagta hai.

Thodi der mein inka khaana hojaata hai. Phir Aarav bill pay karta hai aur dono bahar chale jaate hai.

Idher Raj apne kamre mein bore horaha tha toh woh thoda office jaane ka sochta hai. Phir woh aise hi casually taiyaar hoke nicche aata hai.

Smita: Raj kaha jaaraha hai.

Raj: Bas thoda office ki taraf jaa raha hu. Ghar mein bore horaha tha toh.

Ragini: Ek kaam karo. Sonal ko bhi le jaa apne saath. Woh bhi thoda ghumm aayegi.

Raj: Agar woh jaana chahe toh chal sakti hai.

Smita: Rukhh main puchti hu. Phir woh Sonal ko awaaz de ke bulati hai.

Sonal: Jii Chachi ji.

Smita: Raj thoda apne office ki tarah jaa raha hai. Toh tum bhi ghar mein bore horahi hogi. Agar tum jaana chaho toh jaa sakti ho.

Sonal: Officee.

Raj: Aah woh Papa aur Bade Papa ke office. Main kabhi kabhi jaata rehta hu.

Sonal: Ooo.

Raj: Main ghar mein bore horaha tha toh socha wahi ghumm aau. Tum jaana chahogi. Agar mann ho toh.

Sonal: Kuch der sochke. Thikk hai. Main bhi chalti hu. Kyoki main bhi ghar mein bore horahi thi. Aap rukiye main ready hoke aati hu.


Phir Sonal jaldi se jaake ready hojaati hai. Aur dono nikal padhte hai office ki taraf.
Nice update bhai
 
  • Like
Reactions: Jaguaar and Luffy
Top