• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Completed)

Naik

Well-Known Member
20,207
75,222
258
कहानी का ग्यारहवाँ भाग लिख दिए हैं दोस्तों और पाठकों।।

पढ़िए, आनंद लीजिए और अपना महत्वपूर्ण विचार भी व्यक्त कीजिए।।।
Bahot badhiya shaandaar update
Poora update padh dala lekin yeh bataya
UPDATE- 11


Uttar Pradesh Provincial Civil Service (UPPCS) me selection ke baad aaj joining ke liye Sarita ko dusre shahar jana tha. Jiske liye wo apna saman pack kar rahi thi. Manisha bhi Saman pack karne me uski madad kar rahi thi. Sath hi sath apna saman bhi pack kar rahi thi. Saman pach karte samay Manisha ki najar Sarita ke kapdo par padi to Manisha ne wah kapda uthakar Sarita ko dete huwe kaha.


Manisha- Didiya is kapde ko bhi apne bag me rakh lo. Tumhare bahut kaam aayega.


Manisha ki baat sunkar Sarita ne kapde ki taraf dekha to Manisha ki hanth me ek party gown tha. Jise wah Sarita ko rakhne ke liye bol rahi thi. Sarita ne Manisha se kaha.


Sarita- Iski mujhe waha par filhal koi jarorat nahi hai. Maine pahle hi apna salwar kameez rakh li hai aur ab mera bag bhi full ho chuka hai.

Manisha- tum na ekdam pagal ho didiya. Maan lo ki waha tumhe kisi ke sath kisi party me jana pade ya kisi ke sath dinner karne ke liye jana pade to ye tumhare bahut kaam aayega.


Manisha ne shararat se ye baat Sarita ko kahi. Uski baat ka matlab samajhte huwe Sarita ne uske sir par chapat lagate huwe kaha.


Sarita- tu na apna ye chhota sa dimag jyada mat chalaya kar. Tu jo kahna chahti hai main ache se samajh rahi hoon. Lekin ek baat tu ache se jan le. Main wahan job karne ja rahi hoon police inspector ki. Kisi ke sath dinner karne nahi ja rahi hoon Samjhi.

Manisha- Are didiya. Main kaha kah rahi hoon ki tum abhi ja rahi ho kisi ke sath dinner par. Maan lijiye ki tumhare hi ofiice me koi mill gaya jo tumhe dinnar par le jana chahe to. Main to bas tumhare bhale ke liye bol rahi thi.


Manisha ne masti karte huwe Sarita se kaha. Manisha ki baat sunkar Sarita ne uska kan pakad kar umeth diya. jisase Manisha ko halka sa dard huwa. Manisha apna kan sahlane lagi. Sarita ne mahisha se kaha.


Sarita- tu apna dimag jyada mat chalaya kar Samjhi na. ab jyada bakwas na kar aur packing me meri madad kar.

Manisha- (apna kan sahlate huwe). Matlab tumhare bhale ke liye bhi nahi soch sakti. Tumhara kuchh nahi ho sakta didiya. Tum jaise thi pahle waise abhi tak ho. Apne me reserve rahne wali. Ab to apne aapko badal lo didi. Aakhir ek police officer ban gayi ho tum. Tum na ekdam aadimanav ke jamane me ji rahi ho. Deen duniya se koi matlab hi nahi hai.

Aajkal ki ladkiyo ko dekho. Ghar se sabji kharidne bhi nikalti hain to aise makup karke jati hain jaise boyfrnd se milne ja rahi hain. Bagal se bhi gujar jaye to vatavaran mahakne lagta hai. Aur ek tum ho jo agar kajal bhi laga le to bhi 72 nusk nikalti ho usme. Kab sudhrogi tum didiya.

Sarita- Dekh Manisha. Asli khoobsurti makeup aur sent lagakar tadak bhadak dikhane me nahi hai. Asli khoobsurti man ki hoti hai. Makeup sent aur tadak bhadak wali khoobsurti jitni jaldi dil par chhati hai. Usni jaldi wo dil se utar bhi jati hai. Lekin man ki khoobsurti ko failne me bhale der lagti hai lekin ek baar ye kisi ke dil par chaa jati hai to marte dum tak nahi utarti. To isliye tu apni bakbak band kar aur jaldi jaldi hanth chala nahi to tere chakkar me meri train chhot jayegi.


Sarita ki baat sunkar Manisha ne bura sa munh bana liya aur bag me saman rakhne lagi tabhi Rani ji kuchh lekar Sarita ke paas aati hai aur usase kahti hain.


Rani ji- ye lo Sarita isko bhi apne paas rakh lo. Isme namkin aur mathri hai jo maine tere liye apne hantho se banai hai.


Sarita ne dekha ki Rani ji ke hath me 2-3 dibbe the jisme namkin aur mathai the. Sarita ne rani ji se kaha.


Sarita- Iski kya jaroorat hai mummy. Aap to aise sab kuchh mere bag me bhare de rahi jaise jaha main ja rahi hoon. Waha kuchh milega hi nahi khane ko. Are mummy. Aap kyon pareshan ho rahi hain. Mera jo bhi khane pine ka man hoga main khareedkar kha lungi waha.


Rani ji- Tu nahi samjhegi Sarita. Ye ek maa ka pyaar hai. Jab tub hi maa banegi tab tujhe bhi pata chal jayega iske bare me.

Manisha- Rahne do maa. Agar didiya itna nakhra kar rahi hai to main kha lungi.

Sarita- Dekh Manisha ab tu chup ho ja. Jab se aai hai yaha bak bak kiye ja rahi hai. Agar ab ek shabd bhi aur kaha to peet dungi tujhe main.

Rani ji- Achha tum dono bas karo ab. Hamesha chuhe bolli ki tarah ladte rahte ho. Main janti hoon tum dono ek doosre ke bina nahi rah sakte, lekin sath me rahkar bhi sath nahi rah sakte. Hamesha ladte jhagadte rahte ho. Kuchh din baad jab tum dono ko ek doosre ki yaad ayegi tab pata chalega tum dono ko. Aur ye namkeen aur mathri rakh lo beti. Isme maa ke hathho ka pyar hai.


Rani ji ki baat sunkar Sarita ko apni galti ka ehsas ho gaya ki usne anjane me hi apni maa ko dukhi kar diya hai. Isliye Sarita ne Rani ji ko gale laga liya aur boli.


Sarita- mujhe maaf karna mummy. Maine ye bas aise hi bol diya tha. Mujhe maaf kar do Manisha.

Manisha- kya didiya. Tum kyon mafi mang rahi ho. Tumko satane me mujhe bada maza aata hai.

Sarita- Ruk Abhi batata hoon tujhe. Din-ba-din shaitan hoti ja rahi hai tu. Bahut pitegi mujhse tu kisi din.


Fir Manisha bhi aakar Sarita ke gale lag rayi. Aise hi dono bahne kuchh der gale lagi rahi tabhi kamre me Aanand ji aaye aur dono bahno ko dekhte huwe bole.


Aanand ji- lo ji kar lo baat. Sara pyaar dono bahane aapas me hi kar rahi hain. Are koi mujhpar bhi to dhyan do.


Aanand ji ki baat sunkar Sarita aur Manisha dono jakar Aanand ji ke gale lag gayi. Sarita ne apne paapa se kaha.


Sarita- Mujhe Aap ki bahut yaad aayegi papa. Aap mere liye sab kuchh ho. Ye maine aaj jo bhi mukam hasil kiya hai sab Aapki wajah se hi sambhav huwa hai papa. Main kaise rahungi waha Akele.

Manisha- Isiliye to main bol rahi hoon ki mujhe bhi apne sath le chalo. Main rahungi aapke sath to aapka Akelapan door ho jayega aur aapko apni bahan ke sath rahne ka mauka mil jayega.


Manisha ki baat sunkar Sarita ne Uske kaan pakadkar ainthte huwe kaha.


Sarita- tujhe sath le jane se badhiya hai ki main akele hi waha par rahu.

Manisha- dekho na papa. Didiya mera kaan kheech rahi hai.


Aanand ji dono bahanon ka pyaar dekhkar bahut khush the. Unhone dono ke sir par pyaar se hanth ferte huwe kaha.


Aanand ji- Bhagwan kare tum dono ka ye pyaar hamesha bana rahe. Sarita beti ab to tum Inspector bitiya ho gayi ho. Mujhe tum par bahut garv hai beti. Tum wahan man lagakar kam karna. Koi shikayat ka mauka mat dena apne Senior Officers ko.

Sarita- Aap bilkul bhi befikar rahiya papa. Aapko shikayat ka koi mauka nahi doongi. Main wo kaam karungi ki log bolenge ki beti ho to Aanand Joshi ki beti ki tarah ho.

Aanand ji- Bhagwan kare tujhe har janam me meri beti hi banaye. Tumhare jaisi guni beti pakar mera naseeb hi khul gaya Sarita.


Ye kahte huwe Aanand ji ki aankho me pani aa gaya. Jise Sarita ne saf karte huwe kaha.


Sarita- Ye kya papa. Aap agar rone lagenge to main kamjor pad jaungi. Aap hi to mera hausla ho papa. Kam se kam mujhe jate huwe hanskar vida kariye. Aur waise bhi aap rote huwe bilkul bhi Achhe nahi lagte.

Aanand- Achha meri maan. Jaisa tum kaho.


Manisha badi der se Sarita aur Aanand ji ki bate sun rahi thi. Jise sunte huwe bo aanand ji se boli.


Manisha- Ye kya papa Aap sara pyaar didiya ko de rahe hain, jabki meri taraf dekh bhi nahi rahe hain.

Sarita- to kya huwa. Mere chale jane ke baad ghar me tu hi to rahegi. Tab lena papa ka pyaar tum. Abhi mujhe papa ka pyaar chahiye.

Manisha- Nahi mujhe chahiye.

Sarita- Nahi mujhe chahiye.

Dono bahano ki tu tu main main fir se shuru ho gayi. Aanand ji aur Raani ji khade huwe apni betiyon ke is nishwarth prem ko dekh rahe the. Thodi der dekhne ke baad Aanand ji ne kaha.


Aanand ji- Bas Bas. Shant ho jao tum dono. Jab dekho tab kutte billiyon ki tarah ladte- jhagadte rahte ho. Chalo shant ho jao tum dono.

Manisha- Ek baat kahni thi aapse papa. Mujhe bhi jana hai didiya ke sath.

Sarita- Tum kyon sath chalogi. Tum yahi rahkar chupchap apni padhai karo. Kahi jane ke jaroorat nahi hai.

Manisha- Nahi mujhko jana hai to jana hai. Agar mujhe sath nahi le chalogi to main tumhe bhi jane nahi doongi.

Raani ji- tujhe jane ki kya jaroorat hai. Sarita thikk kah rahi hai. Tu chupchap apni padhaai kar.

Manisha- Main jaungi to jaungi. Nahi to main didiya ko bhi nahi jane doongi.


Manisha ne apni jid pakad li thi. Wo kisi ke samjhane se nahi maan rahi thi. To Aanand ji ne kaha.


Aanand ji- Jane do na Bhagyawan 5-6 din tak rahegi fir chali Aayegi. Waise bhi Sarita ko bhi kuchh company mil jayegi.

Raani ji- Ye aap dono ki pahle se hi milibhagat thi ya Abhi ye plan bana hai.

Manisha- ye pahle ka hi plan tha tabhi to maine pahle hi apna bag pack kar liya hai. Ye dekho.


Itna kahkar Manisha ne apna bag Raani ji aur Sarita ko dikhane lagi. Bag dekhne ke baad Sarita na kaha.


Sarita- Tu na bahut hi shararati ho gayi hai. Mujhe bhi is baat ka pata nahi chalne diya kitu bhi sath me chal rahi hai.

Aanand ji- chalo ab tum dono khana khakar so jao. Kal subah jaldi nikalna hai. Main tum dono ko khud lekar chalunga Satation Chhhodne.


Uske baad sabhi ne khana khaya aur sone ke lie apne bister par chale gaye. Subah sab jaldi Se uthkar jane ke liye taiyaar hone lage. Kuchh hi der me Aanand ji, Raani ji, Manisha aur Sarita Auto me baithkar Aallahabad junction pahuch jate hain. Train aane me abhi kuchh minto ka samay tha to Raani ji Sarita ko Samjha rahi thi.


Raani ji- Sarita beta. Waha pahuch kar ache se rahna. Roj mujhe phone karna. Koi bhi samasya aaye to batane me bilkul bhi mat hichkichana. Paise ki jaroorat pade to turant batana. Apna poora khayal rakhana. Samay par khana kha liye karna. Man lagakar apna kam karna.

Aanand jj- Are bas karo bhagyawan. Beti police Inspector ban gayi hai. Koi bhi samasya aane par wo khud hi nipat sakti hai. Log uske paas apni samasyaon ko lekar aayenge. Aur tum use bol rahi ho ki koi samasya ho to wo tumhe bataye.

Raani ji- Aap nahi samjhenge. Main maa hoon uski.

Manisha- to kisne kaha ki aap didiya ke papa hain. Aur waise bhi aap didiya ki bilkul bhi chinta mat kare. Main sath me ja rahi hoon. Main sab samjha doongi inko.

Raani ji- Chup kar besharam ladki. Kuchh bhi bolti rahti ho. Tumhare jane se hi meri chinta badh gayi hai. Tum dono ghar me kitna utpaat machati ho. Waha pata nahi kaise rahogi tum dono.


Abhi sab aapas me baat kar hi rahe the ki train aakar platform par lag gayi. Sarita aur Manisha ne Aanand ji aur Raani ji ke pair chhookar aashirwad liya aur train me chadhkar baith gaye. Raani ji abhi bhi train ke bahar khadi hokar khidki se Sarita ko kuchh na kuchh bate samjhaye ja rahi thi.


Train ne doosra horn baja diya tha aur dhire dhire train platform se aage ki taraf rengne lagi. Aanand ji, Sarita Raani ji aur Manisha ki aankho me aanshu aa gaye. Aaj pahli baar aisa ho raha tha ki jab Sarita apne ghar se kahi door ja rahi thi. Dhire dhire tain platform ko chhodkar apne gantavya ki taraf ravana ho gayi.



Iske Aage ki Kahani Agle Bhag mein..
Poora update padh dala lekin aapne yeh tow bataya hi nahi kaha per join kerne ja rahi h Sarita apni duty
Dekhte h agle update m kia pata chalta h
Shaandaar update Mahi ji
 
Last edited:

Naik

Well-Known Member
20,207
75,222
258
UPDATE- 12


Jaunpur Ek historical city hai. Jo Allahabad se 90 Km. door aur banaras se 60 Km pahle gomti nadi ke kinare basa hai. Jiski neev mohammad bin tuglak (Juna Khan) ki yaad me Uske chachere bhai Firoj Shah Tuglak ne rakhi thi. Sarita ki first posting isi shahar me hui thi.


Lagbhag 2.5-3 ghante ke safar ke baad (is root par express train bhi passenger train ki tarah chalti hain) dono bahane Jaunpur pahuch gayi aur ek hotel cum lodge me karma le liya aur apna saman rakh kar fresh hone ke baad aaram karne lagi. agle din office jane ke bad hi kiraye par kamra lene ke liye staff ke kisi member ko bol sakti thi Sarita ya fir office ki taraf se rahne ki koi vyawastha ho sakti thi. Thodi der aaram karne ke baad dono bahne uth gayi. Manisha ne sarita se kaha.


Manisha- Chalo na didiya. Kahin bahar ghoomkar aate hain.

Sarita- bahar kahan jayenge ghumne. Abhi ham is shahar me naye hain. Kuchh jante hi nahi hain iske bare me to kahan ghumne chale.

Manisha- Are jab bahar nikalenge to hi is shahar ke bare me janenge. Aur chalo isi bahane kuchh kharidari bhi kar lete hain.

Sarita- bas padhai likhai me dhyan dene ke bajay tum in sabpar jyada dhyan deti ho. Yahi karne ke liye aayi ho kya mere sath.

Manisha- Kya didiya. Tum bahut niras Prani ho. Tumhare andar koi utsah hi nahi hai. Main to ye tumhare liye bol rahi thi. Lekin tum to naraz ho jati ho.

Sarita- Chal ab jyada natak mat kar. Mujhe pata hai ki ye sab tum mere liye nahi apne liye kar rahi ho. Chal jaldi se taiyar ho ja. Fir chalte hain.

Manisha- Aap kitni achhi ho didiya. Mujhe kitni achhi tarah se samajhti ho.


Itna kahkar Manisha ne Sarita ko gale laga liya aur washroom me chali gayi. Thodi der baad dono taiyar hokar niche aa gayi. Dono kamre se bahar Aai aur reception par baithe ladke se poocha.


Manisha- yahaan aas paas koi kapde ki dukan hai kya bhaiyaa.


Itni sundar ladki ke munh se bhaiya sunkar ladke ko bilkul bhi achha nahi laga. Usne ghoorkar Manisha ki taraf dekha aur dhire se kaha.


Ladka- Yahan se ek KM. aage ek market hai. Jahan aapko kapde mil jaenge.


Dono lodge se bahar aai to Sarita ne riksha karna chaha. Manisha ne mana karte huwe kaha.


Manisha- Kya didiya. 1 KM ke liye bhi riksha. Aisa raha to mujrimo ko kaise pakdogi. Rikshe se. hahaahahaha..

Sarita- Ab jyada dant mat dikha. Main to tere liye riksha kar rahi thi. Nahi to mujhe paidal chalna achha lagta hai.


Dono bahane paidal hi market ki taraf chali ja rahi thi. Halke fluke makeup me bhi dono bahane bahut khoobsurat lag rahi thi. Aaspas se gujarne wale un dono par ek najar dalne par majboor ho jate the. Thodi der me dono market me pahuch gai. Market me bahur bheed thi. Road side par kuchh dukane lagi thi kapde ki to dono bahane usme se kapde dekhne lagi. kuchh kapde kharidne ke baad Manisha ne kaha.


Manisha- didiya Chalo na us undar garments ke dukan me. Waha se kuchh le lete hain.

Sarita- tujhko lena hai to tu ja. Main yahi bahar intezaar karti hoon.


Sarita ki baat sunkar Manisha dukan ke andar chali gayi. Sarita bahar khade hokar waha ka najara karne lagi. tabhi use aise laga ki uski kamar ko kisi ne chhuwa hai. Sarita ne turant pichhe mudkar dekha to 26-27 sal ka ek lamba chauda , Achhi personality, dekhne me ekdam hero jaisa raubdar ladka aankho me bada sa goggles lagaye phone par kisi se baat kar raha tha.


Sarita ne aav dekha na tav, bina kuchh pooche kheechkar ek thappad use rasid kar diya. Thappad itna jordar tha ki uska mobile hath se chhutkar aur goggles aankho se nikalkar jameen par gir pada. Logo ki najar unki taraf uth gayi. Sarita gusse se fufkarte huwe boli.


Sarita- teri himmat kaise hui mujhe hanth lagane ki sale. Main tum jaise ladko ko achhi tarah se janti hoon, jaha kahi bhi koi ladki dekhi nahi ki lar tapkana shuru kar dete hain. Lekin tumne is baar galat ladki se panga liya hai. Tum jaiso ko sudharna main achhi tarah se janti hoon.


Thappad khakar ladke ka dimag chakra gaya. Usne gusse se Sarita ko dekhte huwe kaha.


Ladka- teri himmat kaise hui mujhpar hanth uthane ki. Agar tum ladki na hoti to main tere us hanth ko todkar doosre hanth me de deta.

Sarita- tune jo harkat ki hai uske liye tujhe thappado se nahi. Sandal nikal kar pitna chahiye. Ye to shukar manao ki main ache mood me hoon. Isliye ek hi thappad mara. Agar mera dimag ghoom gaya to apni sandal utarkar teri pitai karungi. Dekhne me to shareef ghar ke lagte ho, lekin tumhari harkate chhichhoro ki tarah hain. Tere ghar me maan bahan nahi hain kyaa.


Sarita ki baat sunkar us ladke ko bahut gussa aa raha tha. Uska chehra gusse se laal ho gaya tha market me lagbhag adhiktar log us ladke ko jante the. Wo soch rahe the ki is ladki ne bewajah hi us ladke se panga le liya. Ladke ne apni muthhi bheej kar apne gusse ko control karte huwe kaha.


Ladka- tu apni had paar kar rahi hai ladki. Main kuchh nahi bol raha hoon. Isliye tu kuchh bhi bake ja rahi hai. Tujhe pata bhi hai main kaun hoon. Main ek police officer hoon.


Abhi ladke ne itna hi kaha tha ki uske doosre gaal par bhi ek jordar tamacha pad gaya. Jise Sarita ne hi mara tha. Sarita gusse se funfkarte huwe boli.


Sarita- teri himmat kaise hui police ko badnam karne ki. Ek to aisi chhichhori harkat karta hai aur upar se police ka naam lekar unhe badnam karta hai. Agar dobara police ka naam liya to main tera khoon pi jaungi kamine.


Un dono ki tu tu main main itni badh gayi thi ki aas paas ke log bhi unke paas jama ho gaye the. Bahar ho rahe shor ki aawaz sunkar Manisha bhi dukan se bahar aa gayi. aur wo Sarita ko kheechkar waha se le jane lagi, lekin Sarita bahut gusse me thi. Wo waha se jane ka nam hi nahi le rahi thi, badi muskil se Manisha use waha se lekar chali gayi. Raste me Manisha ne Sarita se kaha.


Manisha- Kya jaroorat thi us bechare ko thappad marne ki. Tumhe faltu ke pange lene me jyada maza aata hai kya. Bechare ka thobda suja diya hai tumne.


Sarita Manisha ki baat sunkar use gusse se ghoorti hui boli.


Sarita- tu to chup hi kar. Wo tujhe Bechara dikh raha tha, Agar tu bich me na aati to main uska munh tod deti. Main ache se janti hoon in jaise ladko ko. Wo janta nahi hai mujhe. Sarita joshi naam hai. Usne galat ladki se panga liya hai.

Manisha- mujhe kyon bata rahi ho aap ye. Tum na didiya. Kuchh jyada hi over react kar rahi ho. Dekha nahi tumne. Market me kitni bhid thi. To galti se hanth lag gaya hoga uska. Kam se kam ek baar pooch to lena chahiye tha, lekin nahi. Jama diya usko thappad. hamesha gussa nak par liye ghoomti rahti ho. Bechare ka gal lal ho gaya tha. tumhare hantho ke Nishan chap gaye honge uske gal par. Tumne mara hi itni jor se tha us ladke ko.

Sarita- Achha tu jyada chamchi na ban uski. Tujhe bada dukh ho raha hai usko lekar. Ye sab teri wajah se huwa hai. Na main tere kahne par market aati aur na hi ye sab hota. Mil gayi santusti tujhe.

Manisha- maine kya kiya didiya. Mara to tumne use hai. Achha ab gussa thook do aur shanti ke sath kamre me chalo. Aaj ka din hi kharab gaya.


Dono bahane bate karte huwe fir se lodge me aa gayi aur apne kamre me chali gayi. Udhar market me wo ladka apni badi bahan Savita, jiski umar is wakt 30 varsh ki ho gayi thi, ke sath aaya tha. Jo doosri dukan par kuchh saman khareed rahi thi aur Usne donon ki bahas hote dekh liya tha. Jab tak wo aati. Manisha Sarita ko lekar nikal gayi thi. Usne aate hi ladke se poocha.


Savi- Kya huwa. Wo ladki tujhpar itna kyon chilla rahi thi. Kya kiya tha tune. Jo wo tujhpar itna kyon bhadak rahi thi. Aur tere dono gall kyon lal hain.


Ladka- Kuchh nahi di. Koi sanki ladki thi. Jo bina matlab mujhse ulajh rahi thi.

Savita- lekin tere gaal kyon lal ho gaye hain. Aakhir huwe kya tha yahaa par.


Apni didi ki baat sunkar ladka thoda sharminda ho gaya aur Apni gardan jhukakar haklate huwe dhire se bola.


Ladka- wo kya hai na dii. Wo ladki thoda pagall thii. Usne mere donooo gall lall kar diye. Ek number ki sanki thi wo ladki.


Ladke ki baat sunkar Savita ko bahut Aacharya huwa. Aaj tak kisi ladki ki himmat nahi hui thi ki wo uske bhaai se unchi aawaz me baat kare. Yaha to us ladki ne uske bhai ko thaappad mar diya. Savita ne Aashcharya jatate huwe kaha.


Savi- Kyaa. Kyaa kahaa tumne. Us ladki ne tumhe thappad maraa. Mandal Adhikari (Circle Officer City) ko thappad mara. City Circle Officer Nischal Singh Rathod ke upar Hath uthaya. Poore City me kisi ki himmat nahi hai ki Tujhse najar milakar baat kare. Aur us ladki ni tujhe thappad maar diya. ye baatt kisi se bhi bhool kar bhi mat kah dena. Nahi to tumhari badi fajihat ho jani hai.



(Ji haan ye mahashay Nishchal Singh Rathod. Rathod khandan ke eklaute warish. Arabo ki milkiyat hai iske papa Shri Mahendar Singh Rathod ke paas. Kai karkhane aur Factoriya hain Mahendra Singh Rathod Ke paas. Kanpur mein Inke naam ki tuti bolti hain. Mahendra Singh Ke laakh kahne ke baad bhi Nishchal ne Patrik Karobar mein koi ruchi nahi dikhayi. Uske Sir par bachpan se Desh Seva ka dhun sawar tha, Kyonki Nishchal ke dada Ji Swatantrata Senani rah chuke the. To ye apne dada ke naksekadam par chal nikle. Police mahakmein mein Inki Imandari aur bahaduri ke charche the. Apne collegue se dosto jaisa vyavhar karte the. Inke do khaas bande the Mohit Sharma Aur Jawed Akhtar. Jinke bare mein aapko aane wale kuchh bhago mein pata chalega. To ab aate hain kahani par)


Nishchal- Kyaa dii Ab Aap bhii meraa majaak uda rahi hain. Jaiye main baat nahi karta aapse.

Savi- main majaak nahi sach kah rahi hoon. Ek ladki ne tujhe thappad maraa. Mera matlab hai ki maine pahli baat itni tez tarrar ladki dekhi hai jisne Circle Officer ko hi thappad jadd diya.


Itna kahkar Savita hansne lagi. Nischal singh ko badi sharmindagi mahsoos ho rahi thi. Wo apni didi se kahta hai.


Nischal- Ab chalo bhi di. Aapki shoping to ho hi gayi hai ab. Wo koi sirfiri ladki hogi di.

Savi- (dhire se) Aur teri pitai bhi.

Nischal- Kuchh kahaa aapne di.

Savi- Nahi Nishu maine to kuchh nahi kaha.


Itna kahkar Savita muskurate huwe aage badh gayi. Nishchal ko ye dekhkar bahut gussa aa raha tha. Wo man hi man soch raha tha ki agar kabhi mauka mila to wo iska badla jaroor lega. Wo us ladki ko sabak jaroor sikhayega



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Jonpur m pehli posting huwi h sarita ki
Pehli mulaqat m Heroine n Hero ko jad dia 2 thappad sahi h
Dekhte h jab aamna saamna hoga dono ka tab kia hota h
Mazedaar lajawab update Mahi ji
 

Naik

Well-Known Member
20,207
75,222
258
UPDATE-13


Udhar dono bahane lodge me pahuchti hain aur apne kamre me jakar saman rakhkar fresh hoti hain Sarita ka moodh abhi bhi usi baat ko lekar ukhada huwa tha. Manisha usase baat kar rahi thi aur wo haan hoon me hi jawab de rahi thi. Jise dekhkar Manisha jan gayi ki uski bahan ka mood abhi bhi kharab hai to wo hansi majak karne lagi lekin Sarita ka mood waise hi raha. Jise dekhkar Manisha ne kaha.


Manisha- Ye kya hai didiya. Kab se dekh rahi hoon ki aap usi baat ko lekar abhi tak baithi hui hain. Jo ho agyaa so ho gaya. Waise bhi galti aapki hi thi. Us bechare ko thappad marne se pahle ek baar sochna chahiye tha ki market mein kitni bhid thi, galti se hanth lag gaya hoga, lekin nahin use thappad bhi mara aapne. Fir bhi aapka man nahi bhara abhi tak.

Sarita- tu jyada uski wakeel mat ban. Tune mujhe roka na hota to aaj main uska wo haal karti ki wo kisi ladki ki taraf aankh uthakar bhi na dekhta dobara.

Manisha- Achha baba. Mujhe maaf kar do. Ab to chill karo na didiya. Aap use itni siddat se yaad kar rahi hain kahi wo Bechara hichki se hi na mar jaye. Aapki ye aadat bahut hi kharab hai. Kisii ek cheez ke pichhe pad gayi to uska pichha hi nahi chhodti aap.


Manisha ne ye baat muskurate huwe kahi thi. Jise sun-ne ke baad Sarita ne use gusse se dekhte huwe kaha.


Sarita- Usee yaad kare meri juti. Ab tu jyada apni bak bak mat kar. Aur chupchap baith ja.

Manisha- thik hai meri maa. Aap se to baat karna hi bekaar hai.

Sarita- Mujhse baat mat kar. Apni kitab nikal kar padhai kar pahle.


Iske baad Manisha kuchh nahi boli aur apni kitab nikal kar padhaai karna lagi. Raat me dono ne khana khaya aur so gaye. Agle din subah tadke Sarita uthi. Aaj uske office ka pahla din tha Aur Aaj use office Join bhi karna tha to wo apne office ke pahle hi din late nahi hona chahti thi, isliye wo uthane ke baad jaldi jaldi bath lekar taiyaar hone lagi. Manisha uske liye nashta lekar aayi aur boli.


Manisha- bahut hi pyaari lag rahi ho didiya. Aaj tumhare office ka pahla din hai to jaldi se nashta karke office ke liye nikal jao. Pahle din hi meri inspector didiya late nahi honi chahiye.

Sarita- haan sahi kah rahi hai tu Manisha. Main pahle din hi office me late nahi hona chahti hoon. La jaldi se mujhe nashta de.

Sarita jaldi jaldi nashta karke Manisha ko Achhe se rahne ki hidayat dekhar apne office ke liye chali gayi. Jab Sarita waha pahuchi to uska jordaar swagat kiya gaya. Uske joining ki khabar kisi ko nahi thi ki wo kis din aakar join karne wali hai. Isliye koi khas taiyari nahi ki gayi thi, lekin uske office pahuchne par uska jaisa swagat kiya gaya tha.


Use dekhkar use aisa lag raha tha ki wo is jagah par pahli baar nahi aayi hai. Sarita ko office ke sabhi logo se introduce karwaya gaya. Sarita se Senior bas ek hi officer the, Rawat sir. Baki sabhi officers/officials usase junior hi the. Ye alag baat hai ki umar ke hisab se bahut sare officer/official usase bade the, lekin Job me umar nahi post badi hoti hai.


Sarita ke niche kaam karne wale jo staff the usme sub-inspector Mohit Sharma, Ranjna, vikas Kumar Aur Jawed Akhtar the. Aur Assistant Sub- Inspector janhavi, Kushal aur Amit the. Sarita ne sabhi Staff se prem purvak mulakat ki aur apne kaam me lag gayi. Poora din wo apne kabin me kaam karti rahi. Chhutti hone par wah Lodge chali gai.


Isi tarah do din gujar gaya. Police Station me Sarita poora man lagakar apna kam karti thi. Uska man bhi police station me lagne laga. Police Station (PS) me sabhi uske sath Acha bartav karte the aur wah bhi sabhi ke sath achha vyawhar karti thi.


Do dino me Sarita ne sab ke man me apni ek alag pahchan bana li thi. Sarita ko office ki taraf de uska uniform aur rahne ke liye quarter de diya gaya. Sarita ne Chhutii hone ke baad lodge se apna sara saman apne quarter me sift kiya aur Apne quarter me aa gayi. Quarter par aane ke baad Sarita ne Manisha se kaha.


Sarita- Manisha. Ab tum apna saman pack kar lo. Kal tum ghar ke liye nikal rahi ho na.

Manisha- Abhi kahan didiyaa. Kam se kam 2-3 din to aur rahne do.

Sarita- Nahi bahut rah liya tumne mere sath. Ab chupchap ghar jao aur man lagakar padhaaii karo. Tumhe Indian Administrative Service (IAS) ki taiyari karni hai. Jiske liye bahut mehnat karni padegi. Lekin tum ho ki padhai me dhyan hi nahi deti ho.

Manisha- Itni mehnat ka kaam mujhse nahi hoga didiya. Ye padhai likhai mere bas ki baat nahi hai. Main to bas ek cleark ki bhi naukari pa jaungi to usi me khush ho jaungi. Mera itna bada sapna nahi hai didiya tumhari tarah.

Sarita- Bas Bas. Tumse jab bhi padhai likhai ki baat karo to tumhari bak bak shuru ho jati hai. Tumhare isi negative thought ki wajah se tumhara kuchh nahi hone wala. Kabhi to meri baato ko seriously le liya karo. Har samay masti majak karna sahi nahi hota. kabhi to meri baat man jaya kar.

Manisha- Are meri pyaari didiya. Ye IAS, PCS, Doctor, Engineer ki padhaii mere liye nahi bani hai. Main to ek achhi teacher ban-na chahti hoon. Taki tum jaise kitne logo ko IAS, PCS, Doctor aur Engineer bana saku. Bas main uthi hi padhai karungi.


Manisha ki baat sunkar Sarita ne apna mata pit liya aur boli.


Sarita- tumse to baat karna hi bekar hai. Tumse baat karne ka matlab hai patthar par apna sir patakna. Tumhara is janam me kuchh bhi nahi ho sakta hai.

Manisha- main to sone ja rahi hoon ab tum bhi so jao didiya. Tum bhi din bhar kaam karke thakk gayi hogi na.

Sarita- Nahi tum so jao. Mujhe abhi kuchh der padhai karni hai. Uske baad main bhi so jaungi

Manisha- Offfooo didiya. Tum aur tumhari padhaii. Kitni jyada padhai karti ho tum. Chacha chaudhari ban-na hai kya tumko.

Sarita- Ab ye kaun si bala hai yaar.

Manisha- Kyaa. Aapko chacha chaudhari ke bare me nahi pata. Use to sab jante hain. Isiliye main kahti hoon aapse ki kabhi apni padhai ki kitabo ko chhod kar kuchh aur kitabe padh liya karo.

Sarita- Apni bakwas band kar aur ye bata ye chacha chaudhari kaun hai.

Manisha- Are didiya. Wo comics ke chacha chaudhari aur Sabu hain na. jinka dimag computer se bhi tez chalta hai. Main unhi chacha chaudhari ki baat kar rahi thi.

Sarita- Bas tumhara dimag inhi sab me lagta hai. Agar itni dhyan se tum apne subject ki padhai karo to IAS, PCS clear kar sakti ho.

Manisha- Mujhse ye sab nahi hoga. Aap hi padhiye apne Vishay ki kitab ko. Main ja rahi hoon sone. Good night didiya.


Sarita bhi use good night wish karti hai aur padhne baith jati hai. Lagbhag 1 hours padhai karne ke baad wo apni kitab band karti hai aur so jati hai.


Subah uthkar phir se wahi routine follow karti hai. Aaj Sarita ne apni police ki dress pahni thi. Manisha jab nashta lekar aati hai to apni didiya ko khaki rang me dekhkar kahti hai.


Manisha- didiya. Ye khaki rang tum par bahut jach raha hai. Tum bahut hi pyaari inspector Sahiba lag rahi ho. Kahin tumko meri najar na lag jaye.


Sarita Manisha ki baat sunkar Aatmvishwas ke sath kahti hai.


Sarita- Is khaki ko pahankar mujhe garv ka Anubhav ho raha raha hai. Ise pahan kar mujhe apni jimmedari ka bakhubi Anubhav ho raha hai. Main bhagwan se yahi prarthana karti hoon ki main apne kaam ko poori imandari aur nishtha ke sath karu. Mujhse nyay karne me kabhi koi galti na ho. Main har us insan ki madad kar saku jo sahi ho. Jo mere paas apni samasyae lekar aaye. Tumm bhi mere liye prarthana karna Manisha.

Manisha- ye bhi koi kahne ki baat hai didiya. Main to tumhare liye hamesha prarthana karti hoon. Aur mujhe ache se pata hai ki tum apni jimmedari bahut ache se nibhaogi aur sabke sath nyay karogi. Ab chalo jaldi se nashta karke office jao nahi to der ho jayegi.


Manisha ke kahne ke baad Sarita ne Manisha ke sath milkar nashta kiya aur use phir se padhne ki hidayat dekhar apne office chali gayi. Sara din office ka kam karti rahi. Jo bhi usase baat karta unse prem se baat karti aur sham ko office se apne kamre par wapas aa gayi. Agale din Sarita ki chhutti thi aur Manisha ko bhi ghar wapas lautna tha.


Subah Sarita na Manisha ko Station par Allahabad jane wali train par baitha diya. Dono bahano ki aankho me aanshu the. Aaj pahali baar wo itne dino ke liye ek doosre se bichhad rahi thi. Manisha ne dabdabai hui aankho se Sarita se kaha.


Manisha- Didiya. Mujhe nahi jana ghar. Mujhe tumhari bahut yaad aayegi.

Sarita- tujhe kya lagta hai main tumhare bina yaha par rah paungi, mujhe bhi tumhari bahut yaad aayegi, lekin tumhe ghar jana hoga. Kyonki waha par mummy papa akele hain. Tumhe unke sath rahkar unka hausla badhana hai.

Manisha- mujhe roj phone karna didiya. Mujhse roz baat karna. Agar tumne mujhse roz baat nahi ki to main chali aaungi yaha par tumhare paas.

Sarita- thikk haiii. Main tujhse roz baat karungi. Ab apne aanshu saff kar le. Tu rote huwe bilkul bhi achhhi nahi lagti.


Tabhi train ne doosri sity bajai aur platform se rawana hone lagi. Manisha ne khidake se kaha.


Manisha- apna khyal rakhna didiya aur mujhe roz phone karna.

Sarita- tum bhi apna aur mummy papa ka khayal rakhna.


Train ke chale jane ke baad Sarita apne kamre par wapas aayi aur khana khakar so gayi. Aaj ka din Sarita ka udasi bhara gujra Manisha ke chale jane ke baad. Raat me khana khana khane ke baad jab Sarita leti to use thikk se neend nahi aa rahi thi. Aadhi raat tak karwate badalti rahi. Jab use neend nahi aai to usne Manisha ko phone kar diya. Itni rat ko Manisha Sarita ka phone dekhkar hadbada gayi aur jaldi se phone uthakar boli.


Manisha- Hello. Didiya. Kya baat hai tum thik to ho na. kuchh huwa to nahi hai na tumko.

Sarita- Are nahi. Main bilkul thik hoon. Mujhe kuchh bhi nahi huwa hai. Bas neend nahi aa rahi thi to socha tumse thoda baat kar loon.

Manisha- main to dar gayi thi didiya. Itni raat me tumhara phone dekhkar.


Iske baad dono bahane kuchh der aise hi baat karti rahi. Sarita ko ab achha mahsoos ho raha tha. Thodi der baat karne ke baad Sarita ne phone rakh diya aur sone ko koshish karne lagi. thodi der me hi use neend aa gayi. Der raat sone ke karan uski neend der se khuli.


Wo raat me alarm lagana bhol gayi thi. Wo jaldi se bathroom me ghus gayi aur jaldi jaldi nahadhokar bahar aayi. Thoda bahut nashta banaya. Khaya aur police station (PS) ka liye nikal gayi. Jab wo PS pahuchi to waha ka mahaul sab kuchh shant shant tha. Poore PS me sannata pasra huwa tha. Sabhi apni apni tabal par chupchap baithkar kaam kar rahe the. Sarita ne janhavi se poochaa.


Sarita- Kyaa baat hai Janhavi. Aaj PS ka mahual bahut shant hai. Sab log itne chupchap hain koi baat ho gayi hai kyaa.

Janhavi (fusfusate huwe). Wo DSP (Circle Officer City) Sir ne Aaj idhar ka round laga diya hai. Kitne logo ki claas laga di hai unhone aaj. Wo aapke baare me kai baar puchh chuke hain.

Sarita- Achha ye batao DSP Sir ka Swabhav kaisa hain. Matlab wo gusse wale to nahi hain na.

Janhavi- madam. DSP sir gusse wale to nahi hain. Sabse Achhe se baat karte hain, lekin wo anushashan priy hain. Agar kisi se galti hoti hai to wo use chhodte nahi hain. Mujhe to lagta hai ki aaj aapki bhi khair nahi hai madam aap bahut late office aayi hain. Wo to ham logo ke aane se pahle hi PS aa gaye the. Aur aapke cabin main baithkar aapka intezar kar rahe hain.


Janhavi ki baat sunkar Sarita ko ye ehsaas ho gaya ki aaj dant to pakka padegi. Usne man me socha ki meri to kismet hi kharab hai. Roj samay se office aati thi to koi high rank officer nahi aata tha aur aaj thodi si der ho gayi to DSP ko aaj hi aana tha. Wo apna kaleza mazboot karte huwe apne cabin ki taraf kadam badha diye. Apne kabin ka darwaza kholkar dekha to ek sakhs uski chair par baitha tha. Uski pith darwaze ki taraf thi. Sarita ne poochaa.


Sarita- Kya main andar aa sakti hoon Sir.

CO City- Ji jaroor aapka hi Cabin hai. Aa jaiye.


Itna kahkar wo Sakhs Sarita ki taraf ghoom gaya. Jise dekh kar Sarita ka munh khula ka khula rah gaya. Sarita ki aankhe badi badi ho gayi. Sarita ka chehra dekhkar us sakhs ke hontho par ek katil muskan aa gayi. Us sakhs ko dekhkar sarita ke munh se anayas hi nikal gaya.


Sarita- Tum.........



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Ab aayega maza Nishchal k chehre per kutil muskan or Sarita k chehre per hawaiya udi huwi h
Badhiya shaandaar update Mahi ji
 

TheBlackBlood

αlѵíժα
Supreme
78,222
113,714
354
UPDATE-13
Shandaar update mahi madam,,,:claps:
Manisha ne sarita ko samjhane ki koshish to ki lekin sarita abhi bhi overreact kar rahi hai. Iske pahle kisi update me uska aisa reaction dekhne ko nahi mila. Dheer gambheer swabhaav ki sarita se aise moorkhatapoorn reaction ki ummid nahi thi. Khair, manisha to ghar wapas laut gayi lekin idhar agle hi din sarita office late pahuchi to waha uski badkismati uska intzaar karti mili. Yakeenan uske cabin me uski chair par baitha shakhs uska alaa officer nishchal hi tha. Khair dekhte hain uske hotho par ubhri kutil muskaan kahani ko kaisa mod pradaan karti hai,,,,:smoking:
 
9,380
39,528
218
सरिता ने अपने आला अधिकारी डिप्टी सुपरिटेंडेंट आफ पुलिस को पहले मुलाकात में ही थप्पड़ जड़ दिया । उसे लगा था कि वो उसे छेड़ रहा था । जरूर डी. एस. पी. साहब का हाथ उसके प्राइवेट अंगों को छू गया होगा वरना सरेआम उसे तमाचे नहीं जड़ती !
भीड़ भाड़ इलाके में ऐसी चीजें होती रहती है । ज्यादातर लोग इसे नजर अंदाज कर देते हैं । बशर्ते कोई बड़ी घटना न हो ।
शायद सरिता छोटे शहर से आई है इसलिए बड़े शहरों की ऐसी छोटी मोटी घटनाओं से अवगत नहीं हो पाई है ।

मनीषा और सरिता , दोनों बहनों की नोंक झोंक और प्रेम बहुत बढ़िया लगा । भाइयों में भले ही प्यार हो या न हो पर बहनों के बीच प्रेम की भावना रहती ही रहती है । ट्रेन में बैठाने के बाद दोनों बहनों की जुदाई काफी इमोशनल सीन रहा ।

निश्छल सिंह राठौड़ , डिप्टी सुपरिटेंडेंट आफ पुलिस , एक जिंदादिल इंसान लगते हैं । इतने बड़े पोस्ट पर रहने के बावजूद भी उन्होंने एक मामूली सी लड़की को उसके गलत बर्ताव पर कुछ भी रियेक्सन नहीं लिया । शायद औरतों का सम्मान करते हैं वो । यह किरदार भी सरिता की तरह ही बढ़िया लगा ।

सभी अपडेट्स बेहद ही खूबसूरत थे माही जी ।
जगमग जगमग अपडेट ।
 
Last edited:
Top