• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Completed)

TheBlackBlood

αlѵíժα
Supreme
78,222
113,744
354
Update:- 07 to 12..

Idhar ke saare update padh liye mahi madam. Bahut hi shandaar kahani lagi aur bahut hi khubsurti se likha hai aapne. Update - 07 dil ko chhu gaya. Hamare desh me abhi bhi gaav dehaat me dahej ke lobhi fal fool rahe hain. Sarita ki sagaayi ke din jo kuch ladke ke baap ne anand ji se kaha wo bahut hi zyada nindaneeya tha. Aise logo ko to sare aam goli maar dene ka kaanunan adhikaar milna chahiye. Ladke ka baap kahta hai ki usne apne bete bachpan se paal posh kar aur padha likha kar bada kiya hai to uska kharcha kaun dega?? Abe madarjaat saale apne ladke ki padhaai likhaai me jo paisa kharch kiya to kya use is tarah se wasoolega?? Kya yahi soch kar tune apne ladke ko padhaya tha ki ek din kisi gareeb baap se dahez ke roop me apna paisa wasoolega? Matlab tune apne bete ko padhaya to usme lage kharche ka tujhe dhyaan hai aur jis baap ne apni ladki ko itna padhaya likhaya uska kya? Kya uski ladki ki padhaai me paisa nahi laga hoga? Sahi kaha tha anand ji ke saale ne ki aise logo ke samne kuch bhi kahne ka matlab hai patthar par apna sir patakna. Dahej pratha aaj bhi hamare samaaj me deemak ki tarah kaayam hai jiska vajood shayad hi kabhi khatm hoga. Aisa nahi hai ki dahej ke lobhi sirf gareeb tabke ke log hote hain balki achhe khaase padhe likhe log bhi iske laalach ka shikaar hain. Mujhe samajh nahi aata ki aise log sab kuch samajhte huye bhi is tarah ka laalach aur aisi maansikta kyo paale rahte hain? Unhe ek ladki ke baap ki peeda aur byatha ka zara bhi ehsaas nahi hota. Ek majboor baap ki ijjat ko sare aam uchhaalne me bada maza aata hai. Aise logo ke liye bas yahi kahuga..aakthuuuuu, :angry:

Sarita ne khud rishta tod kar bahut achha kaam kiya tha. Main ye nahi kahta ki har ladki ko aisa hi karna chahiye kyoki har ladki ke maa baap sarita jaise nahi ho sakte. Mahi madam is update me jo halaat the unhe aapne behtareen dhang se chitrit kiya hai aur ye dekh kar mujhe behad khushi huyi hai. Sarita ka ye faisla bhi achha laga ki use kuch aisa karna chahiye jisse uske pita ka jhuka hua sir garv se uncha ho jaye. Aisa wahi ladki soch sakti hai jo ek pita ke hriday ki byatha ko behtar tareeke se samajhti ho,,,,:claps:

Inspector ki biwi aur uski beti ka bartaav bahut hi ghatiya tha. Halaaki dosh uska bhi nahi hai kyoki duniya me har koi achhe vicharo wala nahi hota, bahut se bure log bhi hote hain jinhe dusro me buraaiya hi nazar aati hain. Ek tarah se ye achha hi hua kyoki agar wo aisa na kahti to sarita ke man me uthe un vicharo ko aur bhi zyada bal na mil pata jo usne apne pita ke sir ko uncha karne ke liye banaye the. Khair, sarita ne jee tod mehnat kar ke aakhir wo mukaam haasil kar hi liya jiski vajah se aaj har taraf uski aur uske mata pita ki ijjat me chaar chaand lag gaye. Sarita ab police officer ban chuki hai. Manisha ke sath uski nok jhonk achhi lagi. Maa baap ka apne bachcho ke prati pyar dil ko chhu gaya. Ghar ki do betiya jeewan me pahli baar apne mata pita se door ja rahi thi, zaahir tha aise mahaul me mata pita aur khud wo dono behad bhaavuk hone hi the. Sarita ko har khushi ke mauke par apne bhai ki yaad aati hai lekin uska bhai pichhle aath saalo se lapata hai. Zaahir hai uske sath bhi bahut kuch ghat raha hoga,,,,:dazed:

To dono bahne Kanpur pahuch gayi hain. Manisha ke sath market jane ke baad sarita ke sath jo kuch hua waisa anjaan shahar me swabhaavik to tha kintu thoda overreacting bhi laga. Mujhe lagta hai sarita ko is tarah se akramak nahi hona chahiye tha. Khair sabse zyada mazedaar baat ye huyi ki jis ladke ke usne dono gaal laal kiye wo uske hi police mahkame ka ek aala officer tha aur baat usne sarita ko bataya bhi lekin sarita to us waqt ek alag hi mood me thi. Khair sarita aur manisha ke jane ke baad pata chala ki jis ladke ke dono gaal sarita ke dwara laal huye the wo is kahani ka hero nishchal hai. Waise hero ka swagat bahut badhiya dhang se hua hai. Main to kahta hu ki dono gaal laal karne ke sath sath uska pichhwada bhi laal kar dena tha,,,:lol1:
 
Mbindas

Active Member
1,938
4,123
158
Mahi jii story bohot hi achchhe flow me ja rahi hai :thumbup: sabhi update kamal ke aa rahe hai.

Mafi chahunga pichhle updates ke review nahi de saka. Par aage se koshish karunga ki har update ke review barabar dun.

Rahi update 12 ki to hamari jhansi ki rani Jaunpur pahuch hi gai aur apni virta ka pradarshan kar hi diya :laugh:. bechara nishchal dono gaalo par do laal tamatar lekar ab ghar walo ka kaise samna karega :laugh:. Wese ye nishchal ke ek bande ka naam Mohit Sharma ki jagah Mohit Chauhan ho jata to uske dono bande hi singer ho jate :D kher koi na baat ek hi singer kaafi hai.

Keep writing :thumbup:
 
DARK WOLFKING

Supreme
15,534
31,893
244
majedar update ..sarita niras prani hai manisha ke hisaab se 🤣🤣..
dono behane majak masti karti rahi aur shopping karne chalo gayi .
sarita ko kisne touch kiya ye to pata nahi chal paya par nischal uske pichhe khada tha to usko hi galat samajhkar sarita ne thappad chipka diya 🤣..
nischal ke baare me bhi pata chal gaya ki wo kaun hai .
manisha khichke le gayi sarita ko warna waha aur bawal ho jata .kuch jyada hi gussa ho gayi thi sarita .

nischal ki behan ne bhi maja liya apne bhai ka ki wo ek ladki se thappad kha liya 😁..
 
park

Well-Known Member
8,000
9,865
173
UPDATE- 12

Jaunpur Ek historical city hai. Jo Allahabad se 90 Km. door aur banaras se 60 Km pahle gomti nadi ke kinare basa hai. Jiski neev mohammad bin tuglak (Juna Khan) ki yaad me Uske chachere bhai Firoj Shah Tuglak ne rakhi thi. Sarita ki first posting isi shahar me hui thi.

Lagbhag 2.5-3 ghante ke safar ke baad (is root par express train bhi passenger train ki tarah chalti hain) dono bahane Jaunpur pahuch gayi aur ek hotel cum lodge me karma le liya aur apna saman rakh kar fresh hone ke baad aaram karne lagi. agle din office jane ke bad hi kiraye par kamra lene ke liye staff ke kisi member ko bol sakti thi Sarita ya fir office ki taraf se rahne ki koi vyawastha ho sakti thi. Thodi der aaram karne ke baad dono bahne uth gayi. Manisha ne sarita se kaha.

Manisha- Chalo na didiya. Kahin bahar ghoomkar aate hain.

Sarita- bahar kahan jayenge ghumne. Abhi ham is shahar me naye hain. Kuchh jante hi nahi hain iske bare me to kahan ghumne chale.

Manisha- Are jab bahar nikalenge to hi is shahar ke bare me janenge. Aur chalo isi bahane kuchh kharidari bhi kar lete hain.

Sarita- bas padhai likhai me dhyan dene ke bajay tum in sabpar jyada dhyan deti ho. Yahi karne ke liye aayi ho kya mere sath.

Manisha- Kya didiya. Tum bahut niras Prani ho. Tumhare andar koi utsah hi nahi hai. Main to ye tumhare liye bol rahi thi. Lekin tum to naraz ho jati ho.

Sarita- Chal ab jyada natak mat kar. Mujhe pata hai ki ye sab tum mere liye nahi apne liye kar rahi ho. Chal jaldi se taiyar ho ja. Fir chalte hain.

Manisha- Aap kitni achhi ho didiya. Mujhe kitni achhi tarah se samajhti ho.

Itna kahkar Manisha ne Sarita ko gale laga liya aur washroom me chali gayi. Thodi der baad dono taiyar hokar niche aa gayi. Dono kamre se bahar Aai aur reception par baithe ladke se poocha.

Manisha- yahaan aas paas koi kapde ki dukan hai kya bhaiyaa.

Itni sundar ladki ke munh se bhaiya sunkar ladke ko bilkul bhi achha nahi laga. Usne ghoorkar Manisha ki taraf dekha aur dhire se kaha.

Ladka- Yahan se ek KM. aage ek market hai. Jahan aapko kapde mil jaenge.

Dono lodge se bahar aai to Sarita ne riksha karna chaha. Manisha ne mana karte huwe kaha.

Manisha- Kya didiya. 1 KM ke liye bhi riksha. Aisa raha to mujrimo ko kaise pakdogi. Rikshe se. hahaahahaha..

Sarita- Ab jyada dant mat dikha. Main to tere liye riksha kar rahi thi. Nahi to mujhe paidal chalna achha lagta hai.

Dono bahane paidal hi market ki taraf chali ja rahi thi. Halke fluke makeup me bhi dono bahane bahut khoobsurat lag rahi thi. Aaspas se gujarne wale un dono par ek najar dalne par majboor ho jate the. Thodi der me dono market me pahuch gai. Market me bahur bheed thi. Road side par kuchh dukane lagi thi kapde ki to dono bahane usme se kapde dekhne lagi. kuchh kapde kharidne ke baad Manisha ne kaha.

Manisha- didiya Chalo na us undar garments ke dukan me. Waha se kuchh le lete hain.

Sarita- tujhko lena hai to tu ja. Main yahi bahar intezaar karti hoon.

Sarita ki baat sunkar Manisha dukan ke andar chali gayi. Sarita bahar khade hokar waha ka najara karne lagi. tabhi use aise laga ki uski kamar ko kisi ne chhuwa hai. Sarita ne turant pichhe mudkar dekha to 26-27 sal ka ek lamba chauda , Achhi personality, dekhne me ekdam hero jaisa raubdar ladka aankho me bada sa goggles lagaye phone par kisi se baat kar raha tha.

Sarita ne aav dekha na tav, bina kuchh pooche kheechkar ek thappad use rasid kar diya. Thappad itna jordar tha ki uska mobile hath se chhutkar aur goggles aankho se nikalkar jameen par gir pada. Logo ki najar unki taraf uth gayi. Sarita gusse se fufkarte huwe boli.

Sarita- teri himmat kaise hui mujhe hanth lagane ki sale. Main tum jaise ladko ko achhi tarah se janti hoon, jaha kahi bhi koi ladki dekhi nahi ki lar tapkana shuru kar dete hain. Lekin tumne is baar galat ladki se panga liya hai. Tum jaiso ko sudharna main achhi tarah se janti hoon.

Thappad khakar ladke ka dimag chakra gaya. Usne gusse se Sarita ko dekhte huwe kaha.

Ladka- teri himmat kaise hui mujhpar hanth uthane ki. Agar tum ladki na hoti to main tere us hanth ko todkar doosre hanth me de deta.

Sarita- tune jo harkat ki hai uske liye tujhe thappado se nahi. Sandal nikal kar pitna chahiye. Ye to shukar manao ki main ache mood me hoon. Isliye ek hi thappad mara. Agar mera dimag ghoom gaya to apni sandal utarkar teri pitai karungi. Dekhne me to shareef ghar ke lagte ho, lekin tumhari harkate chhichhoro ki tarah hain. Tere ghar me maan bahan nahi hain kyaa.

Sarita ki baat sunkar us ladke ko bahut gussa aa raha tha. Uska chehra gusse se laal ho gaya tha market me lagbhag adhiktar log us ladke ko jante the. Wo soch rahe the ki is ladki ne bewajah hi us ladke se panga le liya. Ladke ne apni muthhi bheej kar apne gusse ko control karte huwe kaha.

Ladka- tu apni had paar kar rahi hai ladki. Main kuchh nahi bol raha hoon. Isliye tu kuchh bhi bake ja rahi hai. Tujhe pata bhi hai main kaun hoon. Main ek police officer hoon.

Abhi ladke ne itna hi kaha tha ki uske doosre gaal par bhi ek jordar tamacha pad gaya. Jise Sarita ne hi mara tha. Sarita gusse se funfkarte huwe boli.

Sarita- teri himmat kaise hui police ko badnam karne ki. Ek to aisi chhichhori harkat karta hai aur upar se police ka naam lekar unhe badnam karta hai. Agar dobara police ka naam liya to main tera khoon pi jaungi kamine.

Un dono ki tu tu main main itni badh gayi thi ki aas paas ke log bhi unke paas jama ho gaye the. Bahar ho rahe shor ki aawaz sunkar Manisha bhi dukan se bahar aa gayi. aur wo Sarita ko kheechkar waha se le jane lagi, lekin Sarita bahut gusse me thi. Wo waha se jane ka nam hi nahi le rahi thi, badi muskil se Manisha use waha se lekar chali gayi. Raste me Manisha ne Sarita se kaha.

Manisha- Kya jaroorat thi us bechare ko thappad marne ki. Tumhe faltu ke pange lene me jyada maza aata hai kya. Bechare ka thobda suja diya hai tumne.

Sarita Manisha ki baat sunkar use gusse se ghoorti hui boli.

Sarita- tu to chup hi kar. Wo tujhe Bechara dikh raha tha, Agar tu bich me na aati to main uska munh tod deti. Main ache se janti hoon in jaise ladko ko. Wo janta nahi hai mujhe. Sarita joshi naam hai. Usne galat ladki se panga liya hai.

Manisha- mujhe kyon bata rahi ho aap ye. Tum na didiya. Kuchh jyada hi over react kar rahi ho. Dekha nahi tumne. Market me kitni bhid thi. To galti se hanth lag gaya hoga uska. Kam se kam ek baar pooch to lena chahiye tha, lekin nahi. Jama diya usko thappad. hamesha gussa nak par liye ghoomti rahti ho. Bechare ka gal lal ho gaya tha. tumhare hantho ke Nishan chap gaye honge uske gal par. Tumne mara hi itni jor se tha us ladke ko.

Sarita- Achha tu jyada chamchi na ban uski. Tujhe bada dukh ho raha hai usko lekar. Ye sab teri wajah se huwa hai. Na main tere kahne par market aati aur na hi ye sab hota. Mil gayi santusti tujhe.

Manisha- maine kya kiya didiya. Mara to tumne use hai. Achha ab gussa thook do aur shanti ke sath kamre me chalo. Aaj ka din hi kharab gaya.

Dono bahane bate karte huwe fir se lodge me aa gayi aur apne kamre me chali gayi. Udhar market me wo ladka apni badi bahan Savita, jiski umar is wakt 30 varsh ki ho gayi thi, ke sath aaya tha. Jo doosri dukan par kuchh saman khareed rahi thi aur Usne donon ki bahas hote dekh liya tha. Jab tak wo aati. Manisha Sarita ko lekar nikal gayi thi. Usne aate hi ladke se poocha.

Savi- Kya huwa. Wo ladki tujhpar itna kyon chilla rahi thi. Kya kiya tha tune. Jo wo tujhpar itna kyon bhadak rahi thi. Aur tere dono gall kyon lal hain.

Ladka- Kuchh nahi di. Koi sanki ladki thi. Jo bina matlab mujhse ulajh rahi thi.

Savita- lekin tere gaal kyon lal ho gaye hain. Aakhir huwe kya tha yahaa par.

Apni didi ki baat sunkar ladka thoda sharminda ho gaya aur Apni gardan jhukakar haklate huwe dhire se bola.

Ladka- wo kya hai na dii. Wo ladki thoda pagall thii. Usne mere donooo gall lall kar diye. Ek number ki sanki thi wo ladki.

Ladke ki baat sunkar Savita ko bahut Aacharya huwa. Aaj tak kisi ladki ki himmat nahi hui thi ki wo uske bhaai se unchi aawaz me baat kare. Yaha to us ladki ne uske bhai ko thaappad mar diya. Savita ne Aashcharya jatate huwe kaha.

Savi- Kyaa. Kyaa kahaa tumne. Us ladki ne tumhe thappad maraa. Mandal Adhikari (Circle Officer City) ko thappad mara. City Circle Officer Nischal Singh Rathod ke upar Hath uthaya. Poore City me kisi ki himmat nahi hai ki Tujhse najar milakar baat kare. Aur us ladki ni tujhe thappad maar diya. ye baatt kisi se bhi bhool kar bhi mat kah dena. Nahi to tumhari badi fajihat ho jani hai.

(Ji haan ye mahashay Nishchal Singh Rathod. Rathod khandan ke eklaute warish. Arabo ki milkiyat hai iske papa Shri Mahendar Singh Rathod ke paas. Kai karkhane aur Factoriya hain Mahendra Singh Rathod Ke paas. Kanpur mein Inke naam ki tuti bolti hain. Mahendra Singh Ke laakh kahne ke baad bhi Nishchal ne Patrik Karobar mein koi ruchi nahi dikhayi. Uske Sir par bachpan se Desh Seva ka dhun sawar tha, Kyonki Nishchal ke dada Ji Swatantrata Senani rah chuke the. To ye apne dada ke naksekadam par chal nikle. Police mahakmein mein Inki Imandari aur bahaduri ke charche the. Apne collegue se dosto jaisa vyavhar karte the. Inke do khaas bande the Mohit Sharma Aur Jawed Akhtar. Jinke bare mein aapko aane wale kuchh bhago mein pata chalega. To ab aate hain kahani par)

Nishchal- Kyaa dii Ab Aap bhii meraa majaak uda rahi hain. Jaiye main baat nahi karta aapse.

Savi- main majaak nahi sach kah rahi hoon. Ek ladki ne tujhe thappad maraa. Mera matlab hai ki maine pahli baat itni tez tarrar ladki dekhi hai jisne Circle Officer ko hi thappad jadd diya.

Itna kahkar Savita hansne lagi. Nischal singh ko badi sharmindagi mahsoos ho rahi thi. Wo apni didi se kahta hai.

Nischal- Ab chalo bhi di. Aapki shoping to ho hi gayi hai ab. Wo koi sirfiri ladki hogi di.

Savi- (dhire se) Aur teri pitai bhi.

Nischal- Kuchh kahaa aapne di.

Savi- Nahi Nishu maine to kuchh nahi kaha.

Itna kahkar Savita muskurate huwe aage badh gayi. Nishchal ko ye dekhkar bahut gussa aa raha tha. Wo man hi man soch raha tha ki agar kabhi mauka mila to wo iska badla jaroor lega. Wo us ladki ko sabak jaroor sikhayega

Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Nice and superb update...
 
dhparikh

Well-Known Member
6,856
8,193

Nice update...
 
Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
23,231
46,899
259
Idhar ke saare update padh liye mahi madam. Bahut hi shandaar kahani lagi aur bahut hi khubsurti se likha hai aapne. Update - 07 dil ko chhu gaya. Hamare desh me abhi bhi gaav dehaat me dahej ke lobhi fal fool rahe hain. Sarita ki sagaayi ke din jo kuch ladke ke baap ne anand ji se kaha wo bahut hi zyada nindaneeya tha. Aise logo ko to sare aam goli maar dene ka kaanunan adhikaar milna chahiye. Ladke ka baap kahta hai ki usne apne bete bachpan se paal posh kar aur padha likha kar bada kiya hai to uska kharcha kaun dega?? Abe madarjaat saale apne ladke ki padhaai likhaai me jo paisa kharch kiya to kya use is tarah se wasoolega?? Kya yahi soch kar tune apne ladke ko padhaya tha ki ek din kisi gareeb baap se dahez ke roop me apna paisa wasoolega? Matlab tune apne bete ko padhaya to usme lage kharche ka tujhe dhyaan hai aur jis baap ne apni ladki ko itna padhaya likhaya uska kya? Kya uski ladki ki padhaai me paisa nahi laga hoga? Sahi kaha tha anand ji ke saale ne ki aise logo ke samne kuch bhi kahne ka matlab hai patthar par apna sir patakna. Dahej pratha aaj bhi hamare samaaj me deemak ki tarah kaayam hai jiska vajood shayad hi kabhi khatm hoga. Aisa nahi hai ki dahej ke lobhi sirf gareeb tabke ke log hote hain balki achhe khaase padhe likhe log bhi iske laalach ka shikaar hain. Mujhe samajh nahi aata ki aise log sab kuch samajhte huye bhi is tarah ka laalach aur aisi maansikta kyo paale rahte hain? Unhe ek ladki ke baap ki peeda aur byatha ka zara bhi ehsaas nahi hota. Ek majboor baap ki ijjat ko sare aam uchhaalne me bada maza aata hai. Aise logo ke liye bas yahi kahuga..aakthuuuuu, :angry:
बहुत बहुत धन्यवाद इस खूबसूरत समीक्षा के लिए।।
दहेज़ प्रथा वो चाहे उच्च वर्ग हो, माध्यम वर्ग हो या निम्न वर्ग हो, हर जगह विराजमान हैजो देखा जाए तो एक तरह से समाज को खोखला कर रही है। जिसके पास जितना ज्यादा पैसा है वो उतना ज्यादा पैसे के लिए हाइ तौबा मचाता है। इसमें सबसे ज्यादा निम्न और मध्यम वर्ग को परेशानी होती है, क्योंकि उन्हें दहेज़ के लिए पैसा इकट्ठा करने में बहुत दिक्कतों का सामना करना पड़ता है।।
Sarita ne khud rishta tod kar bahut achha kaam kiya tha. Main ye nahi kahta ki har ladki ko aisa hi karna chahiye kyoki har ladki ke maa baap sarita jaise nahi ho sakte. Mahi madam is update me jo halaat the unhe aapne behtareen dhang se chitrit kiya hai aur ye dekh kar mujhe behad khushi huyi hai. Sarita ka ye faisla bhi achha laga ki use kuch aisa karna chahiye jisse uske pita ka jhuka hua sir garv se uncha ho jaye. Aisa wahi ladki soch sakti hai jo ek pita ke hriday ki byatha ko behtar tareeke se samajhti ho,,,,:claps:
सरिता ने खुद रिश्ता तोड़ दिया क्योंकि ऐसे लालची लोगों के यहाँ शादी करने के बाद शायद सरिता को रोज प्रताड़ित किया जा सकता था, साथ ही वो स्वाभिमानी लड़की थी जिसे अपने पापा की बेइज्जती बर्दास्त नहीं थी इसलिए उसने ऐसा किया।
Inspector ki biwi aur uski beti ka bartaav bahut hi ghatiya tha. Halaaki dosh uska bhi nahi hai kyoki duniya me har koi achhe vicharo wala nahi hota, bahut se bure log bhi hote hain jinhe dusro me buraaiya hi nazar aati hain. Ek tarah se ye achha hi hua kyoki agar wo aisa na kahti to sarita ke man me uthe un vicharo ko aur bhi zyada bal na mil pata jo usne apne pita ke sir ko uncha karne ke liye banaye the. Khair, sarita ne jee tod mehnat kar ke aakhir wo mukaam haasil kar hi liya jiski vajah se aaj har taraf uski aur uske mata pita ki ijjat me chaar chaand lag gaye. Sarita ab police officer ban chuki hai. Manisha ke sath uski nok jhonk achhi lagi. Maa baap ka apne bachcho ke prati pyar dil ko chhu gaya. Ghar ki do betiya jeewan me pahli baar apne mata pita se door ja rahi thi, zaahir tha aise mahaul me mata pita aur khud wo dono behad bhaavuk hone hi the. Sarita ko har khushi ke mauke par apne bhai ki yaad aati hai lekin uska bhai pichhle aath saalo se lapata hai. Zaahir hai uske sath bhi bahut kuch ghat raha hoga,,,,
आज सरिता जो कुछ भी बनी है उसमें कहीं न कहीं अप्रत्यक्ष रूप से इंस्पेक्टर की पत्नी और बेटी का हाथ है इसलिए श्रेय उन्हें भी मिलना चाहिए सरिता की कामयाबी का। अभिषेक जहां भी है कुछ न कुछ तो जरूर उसके साथ हो रहा होगा।।
Manisha ke sath market jane ke baad sarita ke sath jo kuch hua waisa anjaan shahar me swabhaavik to tha kintu thoda overreacting bhi laga. Mujhe lagta hai sarita ko is tarah se akramak nahi hona chahiye tha. Khair sabse zyada mazedaar baat ye huyi ki jis ladke ke usne dono gaal laal kiye wo uske hi police mahkame ka ek aala officer tha aur baat usne sarita ko bataya bhi lekin sarita to us waqt ek alag hi mood me thi. Khair sarita aur manisha ke jane ke baad pata chala ki jis ladke ke dono gaal sarita ke dwara laal huye the wo is kahani ka hero nishchal hai.
इंस्पेक्टर की पत्नी की बातें वो भूली नहीं है इसलिए सरिता ने त्वरित और धांसू प्रतिक्रिया दी निश्छल को। सरिता को एक बार जरूर पूछना चाहिए था निश्चल से उसके बाद ही कोई कदम उठाना चाहिए था, लेकिन उस समय सरिता का पारा गर्म था इसलिए उसने निश्चल की नहीं सुनी।।
Waise hero ka swagat bahut badhiya dhang se hua hai. Main to kahta hu ki dono gaal laal karne ke sath sath uska pichhw
समय आने पर निश्चल का पिछवाड़ा भी लाल होगा ।🤣🤣

साथ बने रहिए।।
 
Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
23,231
46,899
259
Mahi jii story bohot hi achchhe flow me ja rahi hai :thumbup: sabhi update kamal ke aa rahe hai.

Mafi chahunga pichhle updates ke review nahi de saka. Par aage se koshish karunga ki har update ke review barabar dun.

Rahi update 12 ki to hamari jhansi ki rani Jaunpur pahuch hi gai aur apni virta ka pradarshan kar hi diya :laugh:. bechara nishchal dono gaalo par do laal tamatar lekar ab ghar walo ka kaise samna karega :laugh:. Wese ye nishchal ke ek bande ka naam Mohit Sharma ki jagah Mohit Chauhan ho jata to uske dono bande hi singer ho jate :D kher koi na baat ek hi singer kaafi hai.

Keep writing :thumbup:
धन्यवाद आपका मान्यवर।।
आप की टिप्पणी की प्रतीक्षा रहेगी।।

सरिता ने बाजार में वही किया जो उस समय उसको सही लगा, ये अलग बात है कि वो पुलिस का आला अधिकारी निकला, उसका दोनों बन्दे बहुत काम की चीज़ हैं जो समय आने पर आपको पता चल जाएगा।

साथ बने रहिए।।
 
Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
23,231
46,899
259
majedar update ..sarita niras prani hai manisha ke hisaab se 🤣🤣..
dono behane majak masti karti rahi aur shopping karne chalo gayi .
sarita ko kisne touch kiya ye to pata nahi chal paya par nischal uske pichhe khada tha to usko hi galat samajhkar sarita ne thappad chipka diya 🤣..
nischal ke baare me bhi pata chal gaya ki wo kaun hai .
manisha khichke le gayi sarita ko warna waha aur bawal ho jata .kuch jyada hi gussa ho gayi thi sarita .

nischal ki behan ne bhi maja liya apne bhai ka ki wo ek ladki se thappad kha liya 😁..
धन्यवाद आपका महोदय।।
सरिता ने जौनपुर पहुंचने के बाद अपने आने के संकेत दे दिए हैं और सभी को सावधान भी कर दिया है ।।😃😄

निश्छल की नींद हराम हो गई होगी इस वाकये के बाद। क्या होगा जब दोनों का सामना होगा।।

साथ बने रहिए।।
 
Top