• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Dhaal Urph Pradeep

लाज बचाओ मोरी, लूट गया मैं बावरा
443
996
93
Update 58
Thodi der mein jab dono police station pahonchte hai toh dekhte hai Ranjeet ki Maa jiska naam Reshma hai uski rihai hochuki hai.

Raj aur Karan gaadi se utar ke uske saamne se andar jaate hai aur woh dono ko gusse se ghurr ke dekh rahi thi par filhal woh koi panga nhi karna chahti thi isiliye chup hi rahi.

Karan: Inspector saari taiyaari hochuki hai.

Inspector: Haa Sir. Ek lady constable civil dress mein ready hai.

Karan: Good. Usko bol do ek pal ke liye bhi isko apne nazro se durr naa karee. Aur sambhal ke rahee.

Inspector: Yes Sir.

Phir woh inspector waha se chala jaata hai.

Idher Reshma police station se nikal ke waha se ek taxi karti hai aur nikal padhti hai apni manzil ki taraf aur uske pichhe pichhe woh lady inspector bhi jaarahi thi.

Takreeban 1 ghante ke baad Reshma taxi ko ek ghar ke bahar rokhti hai. Jo ki aisi jagah mein tha jaha bahot kam log hi rehte the.

Reshma taxi se utar ke charo taraf nazar ghuma ke dekhti hai jab usse yakeen hojaata hai ke koi uske pichhe nhi hai toh woh uss ghar ke darwaaze pe aake bell bajati hai.

Bell bajane ke kuch der baad ek aadmi darwaza kholta hai aur woh Reshm ko dekh kar khush hojaata hai.

Aadmi: Aakhir kaar aayi hi gayi tum.

Reshma: Woh toh aana hi tha. Ab jaldi se andar chalo. Agar kisi ne dekh liya toh musibat hojayegi.

Phir dono ghar ke andar chale jaate hai.

Lady Constable apni location Inspector ko bhej deti hai phir usko call karti hai.

Lady Constable: Sir maine aapko location bhej di hai. Rajesh ko maine dekha hai. Umeed hai Ranjeet bhi andar hi hogaa. Aaplog jaldi se aajaiye.

Inspector: Thikk hai tum waha pe hi raho aur nazar rakho hum thodi der mein aate hai.

Lady Constable: Yes Sir.

Phir Inspector Karan ke paas aata hai.

Inspector: Sir unka pata chal gaya hai. Humhe jaldi nikalna chahiye.

Karan: Greatt jaldi chalo. Aur woh arrest warrant bhi sang le lo.

Inspector: Yess Sir.

Phir Karan aur Raj nikal padhte hai uss location ki taraf. Inspector bhi kuch hawaldaar leke nikal padhta hai.

1 ghante ke baad woh log uss location pe pahonch jaate hai.

Karan: Kaha hai woh log.

Lady Constable: Sirr uss ghar mein hai.

Karan: Thikk hai. Inspector uss ghar ko gherr lo. Aaj woh bachh ke jaana nhi chahiye.

Inspector: Yes Sir.

Phir Inspector Hawaldaar ke saath ghar ko charo taraf se gherr leta hai. Aur Karan ko ishara karta hai.

Karan: Tum(Lady Constable) bell bajao.

Lady Constable bell bajati hai toh thodi der baad Reshma darwaaza kholti hai.

Reshma: Aap kaun aur kisse milna hai.

Lady Constable: Main teri saas. Tujhe sasuraal le jaane aayi hu.

Reshma: Matlab.

Karan: Matlab main samjhata hu.

Reshma Karan ko dekh kar darr jaati hai aur chillane hi wali hoti hai tabhi lady constable usko pakad leti hai aur uske muh ko band kardeti hai.

Karan: Agar chillane ki koshish karegi toh yehi thokk dunga. Phir Karan sabko leke andar aata hai toh dekhta hai Rajesh aur Ranjeet hall mein baithe baate kar rahe hai.

Karan: Karle jitni baate karni hai. Aajke baad tum dono baat karne toh kya kuch bhi karne ki halat mein nhi rahoge.

Rajesh aur Ranjeet Karan Raj aur baaki police walo ko dekh kar darr jaate aur pichhe ke raaste se bhaagne ki koshish karte hai. Jaise hi pichhe ka darwaaza kholte hai police unko pakad leti hai aur ghaseet ke unko andar leke aati hai.

Karan: Bahot bhaag liya aur bahot karli apni manmaani ab marte dum tak sadte rehna jail mein.

Ranjeet: Choro mujhee. Maine kaha choro mujheee.

Raj jo gusse se Ranjeet ko dekhe jaa raha tha woh ishare se hawaldaar ko bolta hai Ranjeet ko chor dene ko.

Jaise hi Hawaldaar Ranjeet ko chorta hai Raj Ranjeet ke seene mein ek laat maarta hai jisse woh durr jaake girta hai.

Raj: Tujhe aaj main nhi chorunga. Tune meri masoom si Sonal ko maarne ki koshish ki. Aaj tujhe yehi zinda gaar dunga. Yeh bol woh Ranjeet ke paas jaake usko maarne lagta hai. Kabhi laat kabhi ghushe usko andhadhun maarne lagta hai.

Raj apna saara gussa Ranjeet ke upar nikalta hai. Ranjeet ki halat kharab hochuki thi. Uske pure chehre se khoon beh raha tha.

Karan jaake Raj ko rokhta hai.

Karan: Bas kar Raj bas kar. Mar jaayega woh. Aur mat maar.

Raj: Mujhe chorr do bhaiyaa. Jaan le lunga main iski. Isne meri Sonal ko maarne ki koshish ki hai. Maardungaa isse main aaj.

Karan: Nhii Rajj. Yeh kaam tera nhi hai. Chorr de usse. Tujhe teri Sonal ki kasam chorr de usse.

Sonal ki kasam sunte hi Raj shant hojaata hai aur Karan ko dekhta hai.

Karan: Shant hojaa mere bhai. Isne jo kiya uski saza isse mil ke rahegi. Par gusse mein tu koi aisa kaam naa kar jisee tere pichhe Choti Mummy Sonal aur hum sab ko dukhh ho.

Karan ki baat sunke Raj puri tarah shant hojaata hai. Phir Karan adhmaare Ranjeet ko uthata hai aur usko ek thappad khinch ke maarta hai jisse woh wapas jaake nichhe girta hai.

Karan: Inspector arrest karo isse.

Inspector aake Ranjeet ko uthata hai aur uske haath mein hatkari lagata hai aur iss dauran Raj usko ghuree jaa raha tha.

Phir Karan aur Raj aage chalne lagte hai. Idher Inspector Ranjeet ko le jaane lagta hai. Par tabhi Ranjeet apni puri chalaki se Inspector se uski gun chinn ke usko dhakka de deta hai aur gun ko Raj ke upar point kardeta hai.

Ranjeet: Rajjjjjjj.

Sablog pichhe ghumm ke dekhte hai toh shock hojaate hai. Karan bhi apni gun nikal ke Ranjeet ke upar point kardeta hai.

Karan: Ranjeet gunn fhekk de. Tu chahe kuch bhi karle par tu bachega nhiii.

Ranjeet: Abeee chuppp. Mujhe pata hai main marunga. Par main akele nhi marunga. Mere sabse bade dushman iss Raj Kapoor ke leke marungaa.

Karan: Ranjeet main bol raha hu gun fhekk dee. Warna yehi tujhe thokk dungaa.

Ranjeet: Gun tu fhekk Karan. Warna tera bhai toh marega hi saath main tu bhi maregaa. Sunaa hai teri haseen biwi ne bete ko janam diya hai. Bechera iss umar hi anaath hogaa. Yeh bol hasne lagta hai.

Karan: Gusse se. Kamine apni hadd mein reh. Warna yehi tujhe zinda garr dungaa.

Ranjeet: Rajjj. Tune mere har kaam mein apni taang adaayi. Main jiss project ko paana chahta usse tu chinn leta. Teri uss kamsin behen se thodi baat kyaa karli tune bharee bazaar mein meri beizaati ki. Tujhe tere parivaar ke saamne beizaat karne ki koshish ki par tere iss bhai ne tujhe bacha liya aur humsab ko jail meim daal diya.

Teri hi shaadi mein tujhe maarne ki koshish ki par tu bachh gaya. Phir baari aayi teri biwi ki. Manna padega badi haseen aur kamsin hai. Par saali woh bhi bachh gayi. Par aaj nhi aaj tujhe maar ke apna badla lunga.

Raj: Ranjeet tune apni gandi jabaan se meri biwi ke baare mein bolke apne din pure karliye. Aaj tu yehi maregaa.

Ranjeet: Jorr jorr se hasta hua. Mujhe pata hai main marunga. Par tujhe maarne ke baad. Yeh bol ek nazar sab pe ghumta hai aur goli chala deta hai.


Par idher ek nhi do goli chalti hai. Ek Ranjeet ke gun se aur dusri Karan ke gun se. Par chikhh sirf 1 jan ki nikalti hai.

Ranjeet ko akhir kar pakad hi liya gaya lekin kamina hai pura kamina itne chal chlne ke bad bhi fhas hi gaya mana pad ga kahte hain ladki hi dubati hain aur ladki hi ubharti hain jo ranjit aur rajeesh ke sath hua vichari reshma kitni khushi kushi uchhalti huyi aayi lekin fhuti kisnat sivil dress me reki kar rahi consteval ki najro se bach nehi payi aur pakad liya gaya lekin yahan to najara hi bdal gaya ranjeet ke hath gun aa gaya. Ye police walo ko dhang se trening nehi di jati apni gun kaise bachni hain.

Shandar update aprtim
 

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
Ranjeet ko akhir kar pakad hi liya gaya lekin kamina hai pura kamina itne chal chlne ke bad bhi fhas hi gaya mana pad ga kahte hain ladki hi dubati hain aur ladki hi ubharti hain jo ranjit aur rajeesh ke sath hua vichari reshma kitni khushi kushi uchhalti huyi aayi lekin fhuti kisnat sivil dress me reki kar rahi consteval ki najro se bach nehi payi aur pakad liya gaya lekin yahan to najara hi bdal gaya ranjeet ke hath gun aa gaya. Ye police walo ko dhang se trening nehi di jati apni gun kaise bachni hain.

Shandar update aprtim
Thank you
 

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
:congrats:
300 पेज पूरा हुआ इस खुशी में नाचो :giveme::giveme:

बहुत बहुत बधाई भाई लगे रहो और रोज एक अपडेट छपते रहीं
Thank you
 

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
जगुआर जी आज का अपडेट किधर हैं जला दो नहीं तो खिंचाई वाला प्रोगाम फिट करता हु।:angrywife:
Pehle program fit karo phir dekhta hu
 

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
Update 59
Karan goli chalane ke baad Raj ki taraf dekhta hai toh shock hojaata hai. Kyoki waha Reshma apne pet mein haath diye khadi thi jisme se khoon bahe jaaraha tha aur uske aankho mein aansu the. Aur Raj woh side mein khada hua tha. Aur idher Ranjeet khoon mein lathpath zameen pe giraa hua tha aur uske seene se khoon bahe jaaraha tha.

Udher Rajesh jo kabse Hawaldaar ki giraft mein khada tha woh apni aankho ke saamne apni patni aur bete ki aisi halat dekh kar apna maansik santulan khoo baithta hai aur behosh hojaata hai.

Karan: Inspector jaldi se indono ko hospital leke jaao.
Inspector aake check karta hai paata hai Ranjeet marr chuka hai kyoki goli uske seene mein lagi thi.

Inspector: Sir yeh marr chuka hai. Goli seene mein lagi hai.

Karan: Whattttt. Aur yeh Reshma.

Lady Constable: Sir saanse chal rahi hai.

Karan: Jaldi se isko hospital leke jaao.

Phir Inspector Reshma aur Rajesh ko hospital bhejj deta hai.

Karan jaldi se Raj ke paas jaata hai aur usko gale laga leta hai.

Karan: Rajjj tu thikk hai. Tujhe kuch hua toh nhii naa.
Raj: Haa bhaiyaa main bilkul thikk hu.

Karan: Par yeh Reshma kaha se beeche mein aagayi.

Raj: Bhaiya jaise hi Ranjeet goli chalata hai main bachne ke side hojaata hu. Par mujhe nhi pata tha ke Reshma thikk mere pichhe hi khadi hai. Toh mere side hote hi goli Reshma ko jaa lagi.

Karan: Aur jaise hi usne tere upar goli chalayi maine bhi uspe goli chala di.

Raj: Par bhaiya woh marr gaya.

Karan: Tu tension mat le. Main sambhal lungaa. Tu ab aaram se apne office jaa. Main yaha dekh lungaa.

Raj: Sach na bhaiya koi problem nhi hai naa.

Karan: Nhii bhaii koi problem nhi hai. Tu aaram se jaa.

Raj bhi chup chaap waha se nikal jaata hai. Aur idher Karan Ranjeet ki laash ko dekhta rehta hai.

Inspector: Sirrr.

Karan: Hmm.

Inspector: Unko hospital bhej diya hai.

Karan: Hmmm. Ek ambulance bulao aur iski laash bhi bhijwao.

Inspector: Maine bula liya hai sir bas aati hi hogi.

Karan: Hmm.

Thodi der mein ambulance aajati hai aur Ranjeet ki laash ko leke waha se chali jaati hai. Phir Karan bhi waha se sidha hospital chal jata hai.

Karan: Doctor woh aurat kaisi hai ab.

Doctor: I Am Sorry. Par unhone raaste mein hi dum tod diya tha.

Karan: Whatttttt.

Doctor: Haaa. Woh already bahot kamzor thi. Aur phir goli lagne se khoon thoda jyaada beh gaya tha jiske wajah se unhone raaste mein apna dumm tod diya tha.

Karan: Aur woh aadmi.

Doctor: Shock ki wajah se apna dimaagi santulan khoo baithe hai.

Karan: Oooookkkkk.

Doctor: Aap inke parivaar walo ko bula lijiye.

Karan: Doctor yeh sab criminals hai. Aur pura parivaar yehi hospital mein hi hai jisme sirf ab woh aadmi bachha hai.

Doctor: Toh inki laash ka kyaa karna hai.

Karan: Aaplog inka kiryakaram kardijiyega. Aur uss aadmi ka kyaa karna hai.

Doctor: Usko toh mental asylum mein rakhna hoga.

Karan: Thikk hai. Toh kuch der mein hi mental asylum ke aadmi aake usko le jaayenge.

Doctor: Thikk hai.

Phir doctor waha se chala jaata hai.

Karan: Inspector kisi mental asylum mein call karke iska intezaam kar dena.

Inspector: Okk Sir.

Phir Karan aur Inspector bhi waha se nikal jaate hai.
Idher Raj waha se nikal ke sidha apne office aata hai jaha Yash uska kabse wait kar raha tha.

Yash: Abee kaha tha tu. Kitni chinta horhi thi teri. Chal ab bata waha kyaa huaa. Woh kamine pakde gaye yaa nhi.

Raj: Shant hojaa pehle. Phir sab batata hu.

Yash: Main shant hi hu. Tu bata.

Phir Raj waha jo jo hua woh sab batata hai.

Yash: Achha hua saala marr gaya. Ab kabhi bhi tere ya Sonal ya kisi aur ke saath kuch nhi kar payega.

Raj: Hmmm.

Phir dono apna apna kaam karne lagte hai.

Raat ko dinner ke baad jab sab apne kamre mein chale jaate hai toh Sonal apne maa baap ke paas jaati hai.

Sonal: Mummy Papa.

Mummy: Sonalll. Tum yaha. Tumne kyo takleef ki beta. Abhi bhi tumhare pairr thikk nhi hue hai. Koi kaam tha toh humhe bula liya hota.

Sonal: Abhi main thikk hu Mummy. Woh mujhe kuch baat karni thi.

Deepak: Haa beta bolo kyaa baat karni hai.

Sonal: Woh aaplog mujhse kitne time se durrr ho.

Sonal ke sawaal pe pehle dono ekdusre ko dekhte hai phir bolte hai.

Dono: Hum samjhe nhi tum kyaa kehna chahti ho.

Sonal: Main kehna chahti hu ke main agar aaplogo se 2 saal durr rahu toh chalega.

Dono: Matlabbbb.

Sonal: Woh papa aapne pucha thaa naa ke main masters ke liye yaha pe college karna chahti hu yaa nhi.

Deepak: Haaa.

Sonal: Toh aapne mere liye jab yaha pe college choose kiya hi toh kuch soch ke hi kiya hoga. Toh main aapki baat nhi talungi. Agar aaplogo ko koi problem naa ho toh main yaha mumbai se hi masters karungi.

Dono Sonal ki baat sunke bahot khush hote hai par woh khushi dikhate nhi hai.

Meera: Sonal kyaa tum yeh apne mann se bol rahi ho.
Sonal: Mummy Papa ne mere liye jo bhi socha hai woh achha hi socha hoga. Papa ne jab mere liye yaha ke college ko choose kiya hai toh main yehi aage ki padhai karungi.

Deepak: Thikk hai toh main subah hi yaha pe baat karta hu. Par tum yaha pe rehlogi naa.

Sonal: Haa Papa. Yehlog bahot achhe hai. Yeh kuch dino mein innhone mera bahot khayal rakha hai. Ragini Chachi aur Smita Chachi mujhe Mummy jaisa pyaar deti hai. Bhabhi ek badi behen ki tarah mera khayal rakhti hai Aarav Chote bhai ke jaisa mujhe hasata hai mujhe bore nhi hone deta.

Aisa lagta hi nhi hai ke main innlogo se kuch din pehle mili hu. Balki mujhe toh lagta hai main innlogo ko bahot din se janti hu.

Meera: Tab toh achhi baat hai. Ab tum jao aur jaake so jao. Hum kal subah hi baat karenge.

Sonal: Good Night.

Dono: Good Night.

Phir Sonal waha se apne kamre mein aajati hai aur so jaati hai.

Meera: Sonal toh yaha rehne ke liye maan gayi hai.

Deepak: Haa. Achha hua. Warna hum soch rahe the usko kaise manayenge.

Meera: Yaha sablog yeh sunke bahot khush hojayenge.

Deepak: Hmm. Sabse jyaada toh Raj khush hojayega. Mujhe nhi laga tha woh humari Sonal se itna pyaar kar baithega.

Meera: Meri beti ne bahot mehnat ki hai tabhi Raj ke dil uske liye jagah bani hai.

Deepak: Haa. Chalo ab so jaao. Kal subah sabko yeh khabar sunani hai aur aage ki taiyaari bhi karni hai.

Meera: Hmm.

Phir yeh dono bhi so jaate hai.
 
Top