• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
:roflol: :lotpot:
yaha mujhe kuch bolne ki jarurat hi nahi hai sab to is sonal ne hi kar di hai :lol:

:roflol: .... waise is baat ko leke afsos hai sonal ke hath mein chhot lgi thi...Warna aaj kam se ka me raj ka ek laal hona tay tha :D
Koi na.....Aaj nahi kal sahi , btw sonal ka thappad udhar raha usko:D

shaandar update, shaandar lekhni shaandar shabdon ka chayan..
kirdaaro ke mood, mahol aur unke bich baatcheet ke varnan kabile tarif raha... :D
waise meera ko bahot peeda ho rahi hai raj ki haalat dekh :sanskar: specially jab sonal ne usko kamre se bahar nikal di tab :D
Let's see what happens next..

Brilliant update with awesome writing skills... :applause: :applause:
Thank you

Aapka sapna ke Sonal kabhi Raj ke upar haath uthayegi dekhte hai woh kabhi pura hota hai yaa nhi.
 
  • Like
Reactions: mashish

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
ye to kuch bhi nahi hai... :D
hospital mein to khuleaam meera ka hath kaske dabaye romance kar raha tha raj.... :kissie: :laugh:
yaha to bandh kamre mein pakda hai ;)

Sonal ne to iski ijjat ka to bhajjiya tal di :cook:
Khair chhodo inki baatein, inki baatein purani... :popcorn:

shaandar update, shaandar lekhni shaandar shabdon ka chayan..
Let's see what happens next..

Brilliant update with awesome writing skills... :applause: :applause:
Thank you

Jaise bhajjiya tale hai waise hi maafi bhi maangegi.
 
  • Like
Reactions: mashish

dhparikh

Well-Known Member
6,787
8,133
173
Update 51
Bahar aate hi Swati rone lagti hai.

Swati: Rote hue. Mujhse Sonal ki yeh halat nhi dekhi jaati.
Yash: Swati sambhalo khud ko. Aise rone se kuch nhi hogaa.

Swati: Kaise sambhalu Yash. Aaj hi usko hosh aaya hai aur woh sawaal puchne lagi hai jiska humare paas koi jawaab nhi hai.

Meera: Swati aise mat ro. Humhe ab Sonal ke saare sawaalo ke jawab taiyaar karne honge. Yeh tum bhi jaanti ho aur hum bhi jaante hai Sonal chup baithne walo mein se nhi hai.

Swati: Jaanti hu Mummy. Aur yehi chiz ka darr hai mujhe. Kahi Sonal ko saamne koi aisi baat naa nikal jaaye jisse usse problem ho.

Meera: Humhe sambhalna hoga. Aur Raj Sonal ke waise behaviour ke liye main tumse maafi maangti hu.

Raj: Aaplog aisa naa bole. Sonal patni hai meri. Uska pura haq hai mujhpar. Usne mujhe jo bhi bola hai woh sab anjaane mein bola hai. Abhi humhe issbaat ke upar dhyaan dena chahiye ke Sonal ko kyaa batana hai aur kaise batana hai.

Phir sablog baithke taiyaari karne lagte hai ke Sonal ko kyaa batana aur kaise batana hai.

Idher Sonal andar room mein Raj ke baare mein hi soch rahi thi.

Sonal: Kaun thaa woh. Aur kaise mujhe touch kar raha tha mere permission ke bina. Jaise main uski biwi hu. Agli baar agar mujhe touch karne ki koshish bhi ki toh maardungi usse.

Sonal ki nazar mein Raj ka impression uss harqat se thoda down hogya tha. Aur ab Sonal Raj ko naa pasand karne lagi thi. Kyoki usko lag raha tha woh jaanmuzz ke usko touch kar raha tha jo usko bilkul bhi pasand nhi hai. Kaha pehli hi nazar mein usko apna sab kuch maan baithi thi aur ab ussi insaan ko woh naa pasand karti hai.

Sonal: Par main yaha hospital mein kaisi aayi. Mujhe kuch yaad kyo nhi hai. Dimaag mein jyaada jorr bhi nhi de sakti doctor ne mana bhi kiya hai. Aur woh aunty woh kitni achhi thi unhone jab mujhe chuaa toh aisa laga jaise meri Mummy ne mujhe chuaa hai.

Par woh sablog kaun the. Papa ne kaha tha wohlog Kapoor Uncle ke gharwale hai. Par main unhe pehchan hi nhi paayi. Kitne saal pehle dekha tha unhe.

Yeh sab sochte hue bhi Sonal ka dhyaan baar baar Raj ke touch ki taraf jaaraha tha jo usse bahot pareshan kar raha tha. Woh yeh accept nhi kar paarahi thi.

Thodi der baad Raj Deepak Karan Nandini doctor se milne jaate hai.

Raj: Doctor kaisi halat hai ab Sonal ki.

Doctor: Woh physically jaldi recover hojayengi. Par mentally kuch keh nhi sakte.

Deepak: Hum usse ghar kab tak le jaasakte hai Doctor.

Doctor: Aaplog chahe toh usse ghar le jaasakte hai. Par jaisa maine kal kaha tha unke dimaag mein jyaada pressure naa padhe uska khayak rakhna hoga.

Raj: Aap bilkul chinta naa karee Hum uska pura khayal rakhenge.

Doctor: Thikk hai. Aur yeh dhyaan rakhiyega ke abhi woh apne pairon mein koi jorr naa de.

Nandini: Aap chinta naa kare. Iska dhyaan main rakhungi ke Sonal ke pairon mein koi jorr naa padhe.

Doctor: Thikk hai toh main discharge paper taiyaar karwata hu. Aaplog unhe ghar le jaaye aur woh medicines time to time dete rahiye.

Raj: Thank You doctor. Kyaa aapka number mil sakta hai agar kabhi koi emergency aagayi toh...

Doctor: Yeah Sure why not. Phir doctor Raj ko apna card de deta hai.

Raj: Thank You Doctor.

Phir sab waha se nikal jaate hai.

Raj: Bhaiya aap Jijaji ke saath milke ghar jaane ki taiyaari kijiye. Bhabhi aap jara Sonal ko ready karwa dijiye. Main Hospital ka bill payment karke discharge paper leke aata hu. Yeh bol Raj chala jaata hai.

Nandini sidha Sonal ke kamre mein jaati hai jaha pehle se hi Savitri Smita Ragini Meera Shruti Payal Ishita aur Swati baithe hue the. Aur inhone apna apna intro Sonal ko de diya tha. Jaise hi Nandini room mein enter karti hai toh Sonal bolti hai.

Sonal: Aap kaha gayi thi bhabhi.

Nandini yeh sunke ek pal hairan rehti hai aur sochti hai ke Sonal ko sab yaad aagaya. Par agle hi pal woh haqiqat mein aajati hai.

Nandini: Main doctor ke paas gayi thi. Unhone chutti de di hai ab chalo ghar chalte hai.

Thodi der baad Raj discharge paper leke andar aata hai tab tak Sonal taiyaar hogyi thi. Sonal ki nazar jaise hi Raj ke upar padhti hai toh usko bahot gussa aajata hai.

Sonal: Tumm. Tumhari himmat kaise hui yaha aane ki. Niklo bahar. Mummy aap isse abhi ke abhi bahar nikaliye.
Sonal ke aise behaviour pe sab log shock hojaate hai. Jo Sonal kabhi Raj se aankhe utha ke baat nhi karti thi woh aaj usse aise baat kar rahi hai.

Smita: Kyaa hua Sonal. Tum isse aise kyo baat kar rahi ho. Tum janti ho yeh kaun hai.

Sonal: Chachi ji yeh ek badtameez insaan hai. Mujhe touch kar raha tha meri permission ke bina. Aur mere haatho ko kas ke pakde hue tha. Shakal se toh shareef hai par harqate bilkul bhi shareef nhi hai. Aur tum abhi tak yehi khade ho. Maine kaha naa niklo bahar.

Sonal ki baat pe sab Raj ko ghurr ke dekhte hai jaise puch rahe ho yehsab kyaa hai.

Smita: Sonal beta shant hojaao. Kyaa tumne isse nhi pehchana. Yeh Raj hai.

Sonal: Raj hai toh main kyaa karu. Naam Raj hone se kya yeh koi mahan bangaya. Aur main kisi Raj ko nhi.......

Abhi Sonal ne itna hi bola tha ke usse kuch yaad aata hai aur woh ghurr ke Raj ko dekhti hai aur usse pehchan ne ki koshish karti hai. Par jab Sonal ne Raj ko ghurr ke dekha toh usko thoda ajeeb lag raha tha aur uske sir mein halka sa dard hua.

Sonal: Aaahhhhh mera Sir.

Sonal ke aise bolne se sabko tension hojaati hai khaash karke Raj ko. Woh Sonal ke paas aana chahta tha par aa nhi paaya.

Swati: Kyaa hua Sonal. Sir dard kar raha hai.

Sonal: Haa di. Halka sa sir dukh raha hai aur ajeeb lag raha hai. Aisa lag raha hai jaise main isse bahot baar mil chuki hu.

Smita: Aree Sonal yeh Raj hai mera beta. Tumdono bachpan mein kitna khelte the. Aur tumne sahi toh kaha tum isse bahot baar milchuki ho. Ab itne saal baad dekh rahi ho upar se tumhare sir mein chot hai isiliye yaad nhi raha hoga aur dard horaha hoga. Tum jyaada jorr mat do apne dimaag mein.

Smita ne baat ko toh sambhal liya tha par Sonal ki baat se Raj ki aankho mein thodi nami aagayi thi.

Sonal jab sunti hai ke Raj kaun hai toh usse thoda sa jhatka lagta hai aur usse thoda sa pachtava hota hai ke usne Raj ke saath thodi badtameezi kardi.

Sonal: Kyaaa yeh Rajjj hai.

Smita: Haaa. Ab kuch yaad aaya.

Sonal: Nazre nichhe kiye hue. I am Sorry. Main aapko pehchan nhi paayi aur naajaane kya kya boldiya.

Raj: Nam aankho se. Tumhe sorry bolne ki koi jarurat nhi hai. Yeh mera bad luck hai ke tum mujhe bhul gayi ho. Yeh bolte hue Raj ki aakho se 2 boond aansu ke nikal jaate hai.

Raj ke bolne ka matlab sabko samaj aagaya tha ke woh kyaa bolna chah raha hai.

Sonal: Main samjhi nhi.

Raj: Choro. Yeh batao tum kaisi ho ab.

Sonal: Abhi thik hai. Bas thoda sir bhaari hai.

Raj: Jaldi thikk hojayega. Chalo ghar chalte hai.

Sonal: Par mere pairr.

Raj: Agar permission ho toh main touch kar sakta hu tumhe.

Sonal: Nazre nichhe karke. Main apne kiye pe sharminda hu. I am sorry.

Raj: Maine kaha naa tumhe sorry bolne ki jarurat nhi hai. Waise bhi galti meri thi mujhe tumhe uss tarah touch nhi karna chahiye tha. Par kya ab main tumhe touch kar sakta hu.

Sonal: Jiii.


Phir Raj Sonal ko apni godd mein utha ke wheel chair mein achhe se baitha deta hai aur phir uski chair ko dhakel ke hospital ke bahar lejaane lagta hai. Baaki sab bhi unke pichhe pichhe chalne lagte hai.
Nice update...
 
  • Like
Reactions: Luffy and Jaguaar

CG

Sab Chutiyapa hai Bhaya
1,980
3,529
159
Emotional and expected situation tha ye


Ab kuch dhamaal karo aise kya slow motion purani Hindi film ki story banaaye hue ho
 
  • Like
Reactions: Luffy and Jaguaar
Top