• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Bull Wit

सुनो ना, हमारी ख्वाइश पूरी करो ना
104
300
63
Update 29
Agle din Sonal as usual Raj ke saath college jaati hai. Par aaj pure raaste dono shant baithe the.

Sonal: Byee Raj.

Raj: Hmm Byee.

Phir Raj waha se chala jaata hai aur Sonal usko jaate hue dekhti rehti hai jab tak woh uski nazar se gayab nhi jo jaata.

Phir Sonal canteen mein aati hai jaha Payal aur Ishita pehle se hi baithe the.

Dono: Good Morning.

Sonal: Good Morning.

Dono: Ab kaise hai Raj bhaiya.

Sonal: Abhi thikk hai. Bas dukhi hai. Itne dino ka gum kal bhar nikla hai.

Dono: Raj Bhaiya bahot strong hai. Apne andar itna kuch chupaaye rakha tha lekin kisi kuch pata nhi chalne diya. Woh Megha sach mein bahot lucky thi.

Sonal: Hmmm.

Phir teeno apni apni class mein chale gaye.

Idher Raj office aata hai toh Yash waha baitha hua tha.

Yash: I am sorry Raj. Mujhe kal woh nhi bolna chahiye tha. Mujhe laga tha ab tu shayad aage badhne ke liye ready hai.

Raj: Nhi Yash. Tune sahi kiya. Chahe jo bhi ab toh Megha kabhi bhi wapas nhi aasakti. Aur main bhi kab tak aise hi rahunga. Aur family ko bhi ek na ek din toh pata chalna hi tha toh pata chal gaya.

Yash: Main apni shart wapas leta hu. Tera jab mann kare tu tab hi shaadi karna.

Raj: Nhi Yash. Mummy ne kal promise karwaya hai main ab pichhe nhi hatunga. Unhone kisi ladki ko mere liye pasand karliya hai.

Yash: Yaani tu bhi....

Raj: Haa Yash. Aakhir Megha bhi toh yehi chahti thi main life mein aage badhu. Toh bas wahi karunga ab.

Yash jhatt se Raj ke gale lag jaata hai. Main bahot khush hu tere liye Raj.

Raj kuch nhi bolta bas jaake baith ke kaam karne lagta hai.

Idher Smita ne Sonal se baat karne ki saari taiyaari kar rakhi thi woh bas uske college se aane ki wait kar rahi thi.

Nandini: Choti Mummy aapne Raj ke liye jo ladki dekhi hai woh kaun hai.

Smita: Bahot jald pata chal jayega Nandini.

Nandini: Choti Mummy. Mujhe uss baare mein aapse kuch baat karni hai. Actually meri nazar mein bhi koi hai jo shayad Raj ke liye....

Smita: Kyaa tum Payal ki baat kar rahi ho Nandini.

Nandini: Nhi Choti Mummy. Main Payal ke baare mein bilkul nhi soch rahi hu. Main kisi aur ke baare mein bol rahi hu.

Smita: Toh phir.

Nandini: Actually main chahti hu aap ekbaar Sonal ke baare mein soche. Woh bahot achhi ladki hai. Uske aane se maine Raj ko bahot khush dekha hai. Hasta hua dekha hai. Aur dono achhe dost bhi hai. Isiliye main bol rahi thi agar aap ekbaar issbare mein sochti toh.

Smita Nandini ko ghurr ke dekhti hai.

Nandini: Bura laga ho toh Sorry Choti Mummy. Main bhi Raj ke liye achhe se achha hi sochungi.

Smita: Tumhe pata hai tumne kiska naam liya hai.

Nandini: Jii Sonal ka.

Smita: Achha ekbaat batao. Jabse Sonal ghar aayi hai tabse tumne mujhe kisi bhi aise insaan se milte yaa baat karte dekha hai jisse main Raj ke liye baat karu.

Nandini pehle sochti hai phir naa mein gardan hilati hai.

Smita: Kyaa maine kisi bhi ladki ko dekha yaa baat ki hai.

Nandini: Nhiii.

Smita: Toh phir aage tum samajdaar ho maine kisko choose kiya hai.

Nandini pehle apne dimaag mein jorr deti hai phir jab usko samaj aata hai toh woh Smita ki taraf dekhti hai toh woh muskura rahi thi. Nandini kuch bolne ko hoti hai toh Smita rokh deti hai.

Smita: Yeh baat apne tak hi rakhna. Pehle mujhe puri baat karlene do. Phir Raj se confirm karne do. Uske baad.

Nandini: Smita ke gale lagte hue. Thank you thank you Choti Mummy.

Smita: Isme Thank You kaisa. Sonal ki wajah se hi Raj ne mujhe maaf kiya hai. Uski wajah se hi Raj gumsum nhi rehta hai. Aur ek Maa apne bachhe ke liye humesha achha hi sochegi. Aur Raj ke liye Sonal se achha koi nhi. Haa yeh alag baat hai Sonal ko bahot mehnat karni padegi Raj ke dil mein apne liye jagah banane mein.

Nandini: Haa Choti Mummy. Sonal ko bahot mehnat karni padegi. Kyoki Raj ke dil mein Megha ki jo jagah hai woh itni aasani se nhi jaayegi aur shayad kabhi jaaye bhi nhi.

Smita: Hmmm. Dekho abhi Sonal aane wali hai toh usko jaldi se lunch karwa dena. Phir main usse baat karungi.

Nandini: Jiii.

Phir Nandini waha se chali jaati hai.

Thodi der baad Sonal aajati hai. Aaj Nandini Sonal ko dekh kar kuch jyaada hi khush nazar aarahi thi.

Meera: Kaisa raha beta college.

Sonal: Achha tha mummy. Papa aur Didi kaha hai.

Meera: Woh dono toh Vijay Bhaiya aur Ashok Bhaiya ke saath office gaye hai ghumne. Thodi der mein aajayenge. Tum jao fresh hojao. Phir lunch karlo.

Sonal: Jiii.

Phir Sonal jaldi se jaake fresh hoti hai aur lunch karti hai.
Smita: Sonal tumhe abhi kuch kaam hai.

Sonal: Nhi Chachi ji.

Smita: Toh thodi der baad mere kamre mein aao. Mujhe much jaruri baat karni hai.

Sonal: Jiii.

Idher Smita ki baat sunke Meera aur Nandini muskura deti hai. Aur Sonal sochne lagti hai aisi kyaa baat hai.

Sonal: Bhabhi kyaa baat karni hai chachi ji ko.

Nandini: Ab yeh mujhe kaise pata hoga. Hosakta hai unhe kuch jaruri baat karni ho. Jaao dekho.

Sonal: Jiii.

Phir Sonal Smita ke kamre mein jaati hai.

Smita: Aao baitho.

Sonal: Jii boliyee kyaa baat karni thi.

Smita: Pehle batao yaha achha lag raha hai na. Koi pareshani toh nhi horahi hai.

Sonal: Nhii nhii chachi ji. Mujhe yaha bahot achha lag raha hai. Aisa lag raha hai main Jaipur mein hi hu. Mujhe koi pareshani nhi horahi hai yaha par.

Smita: Achhi baat hai. College kaisa jaa raha hai.

Sonal: College bahot achha jaa raha hai. Payal Aur Ishita mujhe waha pe koi problem nhi hone dete.

Smita: Hmmm. Dekho main tumse kuch jaruri baat karna chahti hu. Aur main chahti hu jawab ekdum politely aur shanti se dena.

Sonal: Jiii.

Smita: Kyaa tum kisi ko pasand karti ho. Mera matlab hai kisi se pyaar karti ho.

Sonal yeh sunke shock hojaati hai aur hairaani se Smita ki taraf dekhti hai.

Smita: Dekho mujhe galat mat samajhna. Par main yeh kuch jaruri baat karne ke liye hi puch rahi hu.

Sonal ek baar toh sochti hai woh Raj ke baare mein bata de. Par phir sochti hai ke uska pyaar one sided hai.

Sonal: Nhii Chachi ji aisa kuch nhi hai.

Smita: Hmmm.

Sonal: Par achanak yeh sawaal kisliyee.

Smita: Batati hu. Dekho tum bhi jaanti ho aur hum bhi jaante hai Raj ki halat abhi kaisi hai. Woh bahar se dikha raha hai woh thikk hai. Par main jaanti hu woh andar se puri tarah toota hua hai.

Sonal: Jiiii. Main samajti hu.

Smita: Aur iss waqt Raj ko ek saathi ki jarurat hai jo usko sambhal sake usko samaj sake.

Sonal: Hmmmm.

Smita: Raj jitna bhi bole usko kisi saathi ki jarurat nhi hai par puri zindagi akele bitayi nhi jaati. Ek saathi ki jarurat padhti hai. Aur main ek maa hu mujhe pata hai mere bete ko abhi ek saathi ki sakht jarurat hai. Main yeh wada karti hu Raj Uski izzat jarur karega aur uska jo haq hai woh dega par shayad abhi apne dil mein usko jagah nhi de paayega. Par ek samay Raj thik uss saathi ko apne dil mein jagah dega.

Sonal: Thoda confuse hoke. Jiii main samajti hu.

Smita: Tum soch rahi hogi main tumhe yehsab kyo bol rahi hu.

Sonal: Nhii nhii aisa kuch nhi hai.

Smita: Aree main samajti hu.

Sonal halka sa smile karti hai.

Smita: Toh maine Raj ke liye ek saathi khoja hai.

Sonal yeh sunti hai toh uski halat aisi hojaati hai kaato toh khoon nhi. Uski aankho se aansu kabhi bhi nikal sakte the.

Smita: Tum Raj ki achhi dost ho isiliye tumhe bol rahi hu.

Sonal: Mann mein. Kyaa kismat hai meri. Pehli baar kisi ko chaha. Par woh kisi aur ko pasand karte hai. Aur mere hi saamne unke liye kisi aur ko chunaa jaaraha hai aur yeh baat mujhse share ki jaa rahi hai.

Smita: Main chahti hu woh ladki Raj ko Raj ke past ke saath accept kare. Woh yeh samjhe ke usko Raj ke dil mein apne liye jagah banane ke liye bahot mehnat karni hogi. Raj usse shaadi karlega uski izzat karega usko jo chahiye woh dega par shayad usko pyaar nhi kar payega.

Isiliye main chahti hu tum uss ladki ko thoda samjhao aur Raj ke liye ready karo. Uss ladki ke maa baap ready hai. Par ladki ki marzi ke khilaf main kuch nhi karna chahti. Agar Ladki taiyaar hojaaye toh main Raj se baat karungi. Toh bolo kyaa tum samjhaogi.

Sonal: Mann mein. Waaahhhh reee merii kismat. Mujhe apne Raj ke liye kisi aur ladki ko samjhana hoga ke woh usse shaadi karle. Bhagwaan maine kabhi kisi ka bura nhi chaha bura nhi kiya phir mere saath hi aisa kyo horaha hai.

Smita: Kyaa hua Sonal.

Sonal: Kuchh kuchh nhi Chachi ji. Main toh soch rahi thi uss ladki ko kaise manau. Jabki main toh usko jaanti tak nhi.

Smita: Kisne kaha tum nhi jaanti. Tum usse achhe se janti ho.

Sonal: Mann mein. Main jaanti hu uss chudaill ko. Kaun hai woh. Par main toh yaha sirf Payal aur Ishita ko hi jaanti hu.
Toh kyaaa Payalllll. Par woh toh Aarav se pyaar karti hai.

Smita: Sonalllll.

Sonal: Jiii jiii.

Smita: Yeh baar baar kyaa soch rahi ho.

Sonal: Jii uss ladki ke baare mein. Main toh yaha sirf Payal aur Ishita ko hi jaanti hu. Toh kyaa Payal.

Smita: Aree nhi nhi. Payal nhiii.

Sonal: Toh.

Smita: Achha pehle ek baat batao. Raj tumhe kaisa lagta hai.

Yeh tha Sonal ke liye ek jhatkaa.

Sonal: Haklaate hue. Ji ji achhe hai matlab achhe lagte hai. Sabki izzat karte hai. Humesha sabko pyaar karte hai. Mehnati hai. Loyal hai. Aur abhi abhi pata chala jisse pyaar karenge usse saari zindagi bhar pyaar karenge.

Smita: Hmmm. Toh ladki tumhare pichhe hi hai. Tum thoda usko samjhao agar woh shaadi ke liye taiyaar hoti hai toh main aage baat karu. Main bahar jaa rahi hu tum aaram se baat karo. Yeh bol Smita waha se chali jaati hai.

Sonal wahi baithi rahi. Uski himmat nhi hoti ke woh pichhe ghumm ke dekhe.

Sonal: Kyaa naam hai tumhara.

Par koi awaaz nhi aati.

Sonal: Raj bahot achhe ladke hai. Unse achha aur koi nhi. Tum bahot khushnaseeb ho jo tumhe unke liye choose kiya gaya hai. Yeh bolte hue uski aankho mein aansu aajate hai.

Sonal ke itna bolne ke baad bhi jab koi awaaz nhi aati toh Sonal pichhe ghum ke dekhti hai toh shockkk hojaati hai. Kyoki pichhe koi nhi tha. Infact pure kamre mein Sonal ke alawa koi nhi tha. Sonal ke pichhe bas ek mirror tha.

Sonal: Hairaani se. Aree yaha toh koi nhi hai. Par Chachi ji ne toh bola tha ladki thik mere pichhe hai. Par mere pichhe toh yeh mirror tha jisme mera aksh hai. Iska matlab Chachi ji ne Raj ke liye mujhe choose kiya hai.

Sonal yeh bolte hi khushi se naach uthti hai. Uske mann mein jo dukh tha woh turant khushi mein change hojaata hai. Woh khushi ke maare naachne lagti hai.

Sonal: Iska matlab Mummy Papa ne haa kardi hai. Ab sirf meri haa hone se meri shaadi Raj ke saath hojayegi. Matlab main humesha mera Raj ki hojaungi. Main Raj ki patni. Mrs. Sonal Raj Kapoor banungi. Yeh bolte hue thoda sharma jaati hai. Thank you bhagwaan ji thank you. Aapne mujhe meri zindagi ki sabse badi khushi di hai.

Sonal jaldi se bahar aati hai. Jaha Smita Nandini aur Meera baithe hue the.

Nandini: Aao aao Sonal. Toh kyaa socha hai tumne proposal ke baare mein. Dekho Sonal. Maante hai Raj abhi shayad tumhe dil se naa apnaa paaye. Par ek samay baad woh thik tumhe pure dil se apnayega. Tumhe kabhi bhi dukhi nhi hone dega. Par tumhe himmat rakhni hogi aur koshish karte rehna hoga.

Meera: Sonal. Maine tumse puche bina haa kardi thi. Agar tum iss ghar mein aati ho toh humhe bahot khushi hogi. Humhe tumhari koi chinta nhi hogi. Swati bhi tumhare paas rahegi. Par agar tum nhi chahti toh koi baat nhi.

Smita: Haa Sonal. Tumhare upar koi force nhi hai. Tumhari life hai tum aaram se socho. Aakhir tumhari puri zindagi iss ek faisle ke upar hai.

Sonal: Chachi ji aapne mujhe Raj ke layak samjha yeh meri khushnaseebi hai. Raj jiss bhi ladki ko apni patni banayenge woh humesha khush rahegi. Raj bahot achhe hai. Aur aapne mujhe Raj ke liye pasand kiya yeh mere liye bahot badi baat hai. Agar Mummy Papa aur Raj ko koi problem nhi hai toh mujhe manjur hai.

Sonal ki baat sunke sab bahot khush hojaate hai. Meera ki aankho mein ek pal ke liye aansu aajate hai ke ab uski beti uske paas nhi rahegi. Par Sonal ka future dekh kar woh bhi bahot khush thi.

Smita Sonal ko maatha chum kar usko gale laga leti hai.
Smita: Thank You beta. Tumne haa bolke mujhpar bahot bada aihsaan kiya hai.

Sonal: Nhi chachiji. Yeh meri khushnaseebi hai ke mujhe Raj ki patni banne ka saubhagya mila.

Nandini jaldi se jaake mithai laati hai sabka muh meetha karwati hai phir Sonal ke gale lag jaati hai aur dheere se bolti hai. Mujhe pata tha tum haa bologi. Aakhir Raj se itna pyaar jo karti ho tum.

Sonal yeh sunke bahot buri tarah darr jaati hai. Usko aisa lagta bai jaise kisine uski chori pakad li ho. Woh Nandini ko darr se dekhti hai.

Nandini: Dheere se. Mujhe kaise pata yehi soch rahi ho naa.

Sonal Darr se. Haa mein gardan hilati hai.

Nandini: Tumlog jab ghumne gaye the uske pehle ekdin maine tumhari baate sunli thi jab tum apne aap mein hi magna thi.

Sonal yeh sunke aur buri tarah darr jaati hai. Uski aankho mein woh saaf dikh raha tha.

Nandini: Daro mat. Mujhe Raj ke liye khushi hai ke usko ek itna pyaar karne wali patni mil rahi hai. Aur issbaare mein baad mein baat karenge.

Smita: Kyaa hua Nandini kyaa bol rahi ho.

Nandini: Kuch nhi choti mummy. Bas Sonal ko samjha rahi thi.

Smita: Main aaj hi raat ko yeh baat sabse karti hu.

Sonal: Parrr itni kyaa jaldi hai.

Nandini: Tumhe nhi par humhe hai. Agar tumhara iraada badal gaya toh. Yeh bol hasne lagti hai.

Sonal ghurke Nandini ko dekhti hai. Jaise bol rahi ho aap milo baad mein.

Smita: Beta bahot mushkil se Raj shaadi karne ke liye taiyaar hua hai. Main nhi chahti ki uska mann phir badal jaaye. Isiliye main jaldi kar rahi hu.

Sonal aage kuch nhi bolti.

Phir Sonal apne kamre mein chali jaati hai aur yeh sochne lagti hai Nandini kaise react karegi ab. Woh isi soch mein gumm thi. Tabhi Nandini uske kamre mein aati hai.

Nandini: Kiske khayalo mein gumm ho Sonal.

Sonal: Bhabhi aap. I am Sorry Bhabhiii. Yeh bol apni nazre nichhi karleti hai.

Nandini: Sorry kisliye.

Sonal: Woh woh maine Raj se....

Nandini: Tumne Raj se pyaar kiya. Areee iske liye toh main tumhe Thank You kehti hu ke tumne usse pyaar kiya. Megha ke baad usko ek saathi ki sakht jarurat thi jiski kami tumne puri ki. Maante hai yeh one sided hai. Raj sirf tumhe apna dost maanta hai aur shayad tumko leke uske mann mein koi feeling nhi hai. Par tumhe koshish karni hogi Sonal.

Maine dekha hai tumhare saath woh khush rehta hai. Hasta hai masti mazaak karta hai. Tum usko wapas purana Raj bana sakti ho.

Sonal: Aapko kaise pata chala bhabhi ke main Raj se....

Nandini: Ekdin tum yaha apne kamre mein apne aap se hi baat kiye jaarahi thi. Main yaha se jaa rahi thi tabhi maine sunn liya. Uss waqt mujhe bahot khushi hui thi ke Raj ke life mein koi pyaar karne wala aaya hai. Par tumhe kab hua aur kaise hua.

Sonal: Wohhh wohh actually mujhee.

Nandini: Ghabrao mat Sonal. Aur yeh baat sirf humdono ke beech hi rahegi. Tum mujhe apni dost maanke keh sakti ho.

Sonal: Wohhh jisdin Raj ko Airport mein pehli baar dekha tha ussi waqt. Phir unke saath rehke mujhe unse aur pyaar hogya. Unka caring and helpful nature sabko respect karna pyaar karna mujhe achha laga.

Nandini: Main bahot khush hu tumhare liye. Par main abhi bhi bol rahi hu. Tumhe bahot koshish karni hogi.

Sonal: Main puri koshish karungii bhabhi. Par kyaa Raj maanenge shaadi ke liye. Kahi woh mujhe galat naa samaj le.

Nandini: Raj sahi kehta hai tum puri pagal ho. Choti mummy hai naa woh thikk sambhal lengi. Tum bas jaldi se apna samaan humesha ke liye bagal wale kamre mein shift karne ki taiyaari karo.

Sonal yeh sunn sharma jaati hai.

Nandini: Haayeee dekho toh gaal kaise laal hogye hai. Waise main bahot hi sakht jethani banne wali hu. Mera har hukum manna padega. Mera saara kaam karna padega.

Sonal: Jii jethani ji. Aap bas ab aaram kijiye. Aur mujhe achhe se bhatije aur bhatiji dijiye. Waise aapki tabiyat kaisi hai ab.


Nandini: Abhi toh ekdumm achhi hai. Chalo ab tum aaram karo.
वाह जगुआर जी छुट्टी से आकर धमाल मचा दिया एक के बाद एक धांसू अपडेट देकर रोमांचित कर दिया

पहले राज और मेगा की बेपनाह प्रेम कहानी को दिखाया फिर मेघा और राज ने किस तरह करन और नंदिनी को मिलवाया। मेघा का राज से हमेशा हमेशा के लिए विछड जाना। राज का मेघा से विछडने का दर्द जो राज अकेले ही ढोए जा रहा था। राज का दर्द जो कभी नहीं मिटने वाला हैं क्योंकि पहला प्यार अधूरा रहने पर अच्छे अच्छों को तोड़ देता हैं।

लेकिन इस मामले में सोनल बहुत खुसनासीब हैं जो उसे उसका पहला प्यार मिल रहा हैं जिसके साथ वो बाकी की जिन्दगी बिताने वाला हैं।

आगे देखते हैं सोनल कैसे राज के दिल में अपने लिए अलग जगह बनाता है।


जगुआर जी ये मत सोचना की ये मेरा अपके कहानी पर पहला रेवो हैं। मैंने पहले भी इस कहानी में रेवा दिया था deep the rainbow के नाम से नए अकाउंट बनाने के पिछे एक कारण हैं।


Read my story
 
Last edited:

Bull Wit

सुनो ना, हमारी ख्वाइश पूरी करो ना
104
300
63
Update 30
Raat ko dinner table pe sab the. Sab chup chaap dinner kar rahe the. Thodi der baad jab dinner hojaata hai toh Sonal apne kamre mein chali jaati hai.

Smita: Maine aapsab se kaha tha maine Raj ke liye ladki dekhi hai aur uske maa baap maan gaye hai.

Ashok: Hmmm kaha tha. Toh kyaa Ladki maan gayi.

Smita: Maine aaj ladki se baat ki usse samjhaya aur woh bhi maan gayi hai.

Raj: Mummy yeh jaruri nhi hai.

Smita: Raj kyo jaruri nhi hai. Tumhi ne kaha tha naa. Ab kyo pichhe hatt rahe ho.

Raj: Kyaa aapne jisko pasand kiya hai woh sab jaanti hai.

Smita: Haa usse sab pata hai. Aur usne tumhe tumhare sabhi situation ke saath accept kiya hai.

Yeh Raj ke liye thoda unacceptable tha par woh kuch nhi bolta.

Savitri: Kaun hai woh ladki.

Smita: Maa ji ladki ghar mein hi hai. Maine Deepak aur Meera ki beti Sonal ko pasand kiya hai.

Yehsunke sabko bahot ghehra jhatka lagta hai. Raj ko sabse jyaada laga thaa. Usko yakeen hi nhi horaha tha Smita ki baat pe. Swati ki khushi ka toh koi thikana hi nhi thaa.

Savitri: Kyaaaa Sonallll. Humari Sonal.

Smita: Jiii.

Savitri: Deepak Meera kyaa tumdono ne soch samaj ke faisla liya hai. Tumhe pata hai naa sab.

Dono: Maaa humne soch samaj ke hi yeh faisla liya hai. Humhe pata hai Raj ke saath kya hua hai aur woh kis tarah reh raha hai. Humne sabkuch Sonal ke upar chorr diya tha. Yeh uska hi faisla hai. Aur phir Sonal yaha aaplogo ke paas rahegi isse jyaada hunare liye achha kya hoga. Humhe uski koi fikra nhi hogi.

Savitri: Rajjjj. Kyaa tu taiyaar hai.

Raj: Mujhe thoda waqt chahiye. Yeh bol Raj waha se chala jaata hai.

Meera: Dekhiye aaplog Raj ko force naa karna. Kyoki yeh puri zindagi ka sawaal hai.

Savitri: Tum chinta mat karo. Ab Sonal humari hui. Ab Sonal sirf 2 saal ke liye nhi puri zindagi ke liye humare paas rahegi.

Idher Swati jaldi se Sonal ke kamre mein bhaagti hai.

Swati: Sonalllll sonall sonalllll. Tune mujheee itnii badi baat nhiii batayiiii. Main tere liyee bahottt khushh huuu.

Sonal: Main kyaa batati di. Maine sirf Raj ke liye haa kaha hai. Kyoki unhe ek saathi ki jarurat hai jisse woh apna dukh dard baant sake. Aur mera pyaar woh toh pura ek tarfa hi rahega naa di.

Swati: Yeh tu kyaa bol rahi hai Sonal. Tu jisse pyaar karti hai usse teri shaadi hogi. Tu uske saath puri zindagi rahegi.

Sonal: Par kyaa Raj kabhi mujhse pyaar karenge. Woh mujhe patni ka haq denge meri jimedaari uthayenge mera khayal rakhenge. Par kyaa woh mujhse pyaar karenge.

Swati: Yeh toh tere upar hoga naa. Agar tu Raj ka saath degi uske liye har woh kaam karegi jo Raj ke nazar mein aaye toh ek na ek din Raj ko bhi tujhse pyaar hojayega Sonal. Tujhe mehnat karni hogi. Maine tujhe ussdin bhi samjhaya tha na.

Sonal: Par kyaa Raj maanenge.

Swari: Woh maan jayegaa.

Tabhi darwaaze pe knock hota hai. Swati jaake gate kholti hai toh saamne Raj khada tha.

Raj: Woh Sonal.

Swati: Andar hai aao.

Raj: Woh kuch baat karni thi.

Sonal: Aaiye naa Raj.

Raj: Kyaa terrace mein aasakti ho agar problem naa ho toh.

Sonal: Jii chaliye.

Raj waha se terrace mein chala jaata hai. Thodi der baad Sonal bhi aajati hai.

Sonal: Bataiye Raj kyaa baat karni thi.

Raj: Kyaa tumhe kisine Shaadi ke liye force kiya hai.

Sonal: Yeh aap kaisi baat kar rahe hai Raj.

Raj: Yeh mere sawaal ka jawaab nhi hai Sonal.

Sonal: Nhii mujhe kisi ne koi force nhi kiya hai. Yeh mera khud ka faisla hai.

Raj: Tum kyo apni zindagi barbaad kar rahi ho Sonal. Tum mere saath khush nhi reh paogi.

Sonal: Mujhe pata hai Raj main aapke saath khush rahungi. Inn kuch mahino mein main aapke saath rahi hu. Mujhe pata hai aap jiska bhi haath thaamenge uska saath kabhi nhi chorenge.

Raj: Kisliye Sonal.

Sonal: Main aapki best friend hu naa Raj. Toh kyaa main apne best friend ke liye itna nhi kar sakti. Aisa samaj lijiye yeh maine aapke liye nhi apne best friend ke liye kiya hai.

Raj bas ektak Sonal ko dekhte rehta hai.

Sonal: Aur mujhe aapke past se koi problem nhi hai Raj. Sabke life mein kuch aisa hota hai. Par mujhe pata hai aap future mein mere saath kabhi naainsaafi nhi karenge.

Raj: Tum itni achhi kyo ho Sonal. Tum chahti toh mana kar sakti thi. Kyoki tumhe bhi pata hai main shayad kabhi tumhe woh naa de saku jiska tumhe haq hai. Phir bhi tumne haa kaha.

Sonal: Maine aisa kuch nhi kiya Raj. Maine jo bhi kiya apne best friend ke liye kiya hai. Yaad hai aapne bhi apne best friend ko jabardasti kuch dresses kharid diye the. Toh kyaa main apne best friend ke liye itna nhi kar sakti.

Raj: Good Night Sonal.

Sonal: Good Night Raj.

Phir Raj nichhe chala jaata hai aur Sonal wahi khadi reh jaati hai. Uske aankho mein nami bhi thi.

Agle din Sonal Raj ke saath college aati hai par raaste mein bilkul shanti thi. Dono mein se kisi ne kuch bhi nhi kaha tha.

Sonal ko college chorne ke baad Raj office jaata hai jaha woh sirf soch mein gumm tha.

Yash: Itna mat soch Raj. Haa karde. Sonal bahot achhi ladki hai.

Raj: Mujhe pata hai Sonal bahit achhi hai par kyaa main uske layak hu.

Yash: Tu yeh sab mat soch. Dekh Aunty ne tere liye Sonal ko choose kiya hai toh unhone kuch soch samaj ke hi kiya hoga. Aur phir Sonal bhi toh tera past jaanti hi hai. Naa tu usse kuch chupa raha hai aur naa woh tere se. Isiliye meri maan aur haa kardeee.

Raj kuch der aur sochta hai phir apni maa ko phone karta hai.

Raj: Mummy.

Smita: Haa Raj.

Raj: Main shaadi ke liye taiyaar hu.

Smita: Khushi se. Sachhhhhhh.

Raj: Jii Mummy.

Yash bhi yehsunke bahot khush hota hai.

Smita ne Raj ki baat ghar mein sabhi ko bata di thi. Waha bhi sab bahot khush the.

Idher College mein Sonal ka chehra utra hua tha. Payal aur Ishita ko sab pata tha isiliye unhone jyaada kuch nhi bola.

College ke baad jab Aarav Sonal ko lene aata hai toh woh bahot khush dikh raha tha.

Aarav: Chaliye Bhabhi. Ghar chalte hai.

Sonal Aarav ko hairaani se dekhti hai.

Aarav: Raj bhaiya ne shaadi ke liye haa kardi hai. Toh uss hisaab se aap meri bhabhi hi hui naa.

Sonal jab yeh sunti hai toh uske aankho mein thode aansu aajate hai. Usko jaise woh sab milgaya tha jo usse chahiye tha.

Aarav Sonal ko leke jaldi se ghar aata hai toh Swati jhatt se Sonal ke gale lag jaati hai.

Swati: Congratulations meri behen. Aakhir tera sapna sachh horaha hai. Raj ne haa kardi hai.

Sonal: Thank you di. Mujhe abhi bhi yakeen nhi horaha hai.

Swati: Yakeen kar. Yeh sach hai.

Samar: Congrats meri Shinchan. Maine toh masti mein bola tha aapne toh sach kardiya.

Sonal: Samar ko maarte hue. Ab mera kazama kuch bole aur woh naa ho aisa hosakta hai. Yeh bol uske gale lag jaati hai.

Samar: Ab toh aap humesha ke liye yaha pe rahogi yaani aapka kamra ab meraaa. Yeh bol hasne lagta hai par uski aankho mein bhi thode aansu the aakhir uski sabse pyaari behen usse durr hojayegi.

Sonal: Samar ki aankhe pochte hue. Main waha aati rahungi.

Samar: Aapka kamra humesha aapka rahega di. Koi usko touch nhi karega.

Raat ko sablog eksaath baith ke shaadi ki baat kar rahe the. Ishant aur Shruti bhi aagaye the. Bas Raj waha nhi tha.

Savitri: Vijay kal pandit ji ko bula le. Aur unse dono shaadiyon ki baat karle.

Vijay: Jii Maa.

Deepak: Maa mujhe ek baat kehni hai.

Savitri: Haaa bol.

Deepak: Hum chahte hai meri dono betiyon ki doli Jaipur se nikle. Inki shaadi Jaipur mein ho.

Meera: Haa Maa ji. Woh inka ghar hai. Isiliye hum chahte hai agar inki shaadi jaipur mein ho toh. Agar aaplogo ko koi pareshani naa ho toh.

Savitri: Nhi nhi koi pareshani nhi hai. Shaadi Jaipur mein hi hogi.

Deepak aur Meera yeh sunke khush hojaate hai.

Ragini: Aur tumdono(Nandini aur Shruti) kaan khol ke sunn lo. Agar ek bhi kaam karte dekha naa mujhse bura koi nahi hoga.

Dono: Areee aiseee kaiseeee.


Ragini dono ko ghurr ke dekhti hai toh dono wahi chupp hojaati hai. Phir shaadi ko leke hi thodi bahot baate hoti hai phir sab apne kamre mein aajate hai.

राज का सवाल लाज़मी था। राज सोनल को एक अच्छा दोस्त मानता हैं और सोनल राज के बीते कल को जानकर भी राज से शादी के लिए हा कर देता हैं। ये प्यार भी न जानें अशिको से क्या क्या करवा देता। एक तड़प तड़प कर जी रहा हैं तो दुसरा एक तरफा प्यार को पाने के लिए कुछ भी करने को राजी हैं।

अदभूत अतुलनीय
 

Golu_nd

Proud INDIAN 🇮🇳
1,617
4,857
143
Great Story...... 👍👏
 
  • Like
Reactions: Luffy and Jaguaar

Bull Wit

सुनो ना, हमारी ख्वाइश पूरी करो ना
104
300
63
Update 31
Agle din Subaj hi pandit ji aake baithe hue the.

Savitri: Pandit ji. Mere do poto ki shaadi karwani hai. Koi achha sa muhurat nikaliye.

Pandit ji charo ki kundli milwate hai aur panchang se 15 din baad ka achha muhurat nikalwate hai.

Pandit: 15 din baad shaadi ka bahot achha muhurat hai. Aap chahe toh ussdin shaadi karwa sakte hai. Aur 13 din baad sagai. Nhi toh agle saal hi hoga.

Savitri: Nhi nhi agle saal bahot late hojayega.

Smita: Par Maa ji 15 din mein sab taiyaariyan kaise hongi. Nandini aur Shruti ki halat bhi toh abhi achhi nhi hai.

Nandini: Choti Mummy hum thikk hai.

Ragini: Iss mamle mein tumdono ekdumm chup rahogi. Tumdono akeli jaan nhi ho. Tumhare andar ek aur pal raha hai. Apna nhi toh uska khayal rakho. Aur Smita chinta mat karo. Saari taiyaari hojayegi.

Ishant: Haa Mummy. Aap chinta mat kijiye. Hum sab sambhal lenge.

Smita: Dekhlo jaisa tumlog thikk samjho.

Savitri: Toh 15 din baad ka hi thikk karte hai.

Sab haa mein gardan hila dete hai.

Deepak: Toh Maa hum bhi aaj hi nikalte hai humhe bhi toh taiyaariyan karni hogi.

Savitri: Thikk haiii.

Meera: Kyaa hum Sonal ko saath lejaaye. 15 din baad toh yeh humesha ke liye yehi aajayegi. Kam se kam yeh 15 din humare saath rahe.

Smita: Sonal ki marzi ho toh le jao.

Meera: Sonal chalogi.

Sonal jiska mann toh nhi tha Raj se alag hone ka par phir bhi woh haa boldeti hai aur apni packing karne upar chali jaati hai. Saath mein Swati bhi.

Ishant: Main Yash ko boldeta hu woh aapsab ki tickets karwa dega.

Deepak: Thikk hai.

Phir sablog apne apne kaam mein lag jaate hai.

Dopahar ko Raj aur Yash dono aajate hai office se.

Yash: Yeh aaplogo ki tickets aur 2 ghante baad flight hai.

Deepak: Thank You Beta.

Yash: Aree isme Thank You kaisa.

Ragini: Raj Yash jara innlogo ko Airport chorr aao.

Dono: Jiiii.

Phir dono jaldi se fresh hote hai aur sabko leke Airport chale jaate hai.

Yash: Toh tum jaarahi ho.

Swati: Bas 15 din. Uske baad toh humesha aapke saath hi rehna hai.

Yash: Haaye yeh 15 din pata nhi kaise gujrenge.

Swati: Sabar kijiye. Sabar ka fhal meetha hota hai.

Yash: Bahot mushkil se katenge yeh 15 din.

Swati: Hum intezaar karenge aapka. Jaldi aaiyegaa.

Yash: Bolo toh saath chalu. Shaadi ki taiyaariyon mein madad hojayegi.

Swati: Jii nhiii. Aap yaha ki taiyaariyan dekhe.

Thodi der mein sab Airport aajate hai.

Sonal: Apna khayal rakhiyega.

Raj: Hmmm.

Sonal: Aap khush hai naa.

Raj: Haaa. Khush hu.

Phir sab Airport ke andar jaane lagte hai toh Raj Sonal ko bulata hai.

Raj: Sonal.

Sonal: Jiii.

Sonal: Thikk se jaana. Aur pahonch ke call kardena.

Sonal yeh sunke bahot khush hoti hai. Jiiiii.

Phir wohlog andar chale jaate hai aur yehlog ghar aajate hai.

Vijay: Raj ab shaadi tak office nhi jaaoge.

Raj: Par bade papa shaadi 15 din baad hai. Toh itni jaldi office se chutti kisliye.

Ragini: Kyoo koi problem hai. Aree bhai humhe bhi toh taiyaariyan karni hogi ki nhi.

Raj: Jiii.

Shruti: Mummy main kya bolti hu. Agar main aur Ishant Jaipur chale jaaye toh kaisa rahega. Waha unhe bhi madad hojayegi.

Ishant: Haa Mummy. Waha sirf Samar aur Deepak Uncle hi hai. Woh akele padh jaayenge.

Smita: Socha toh achha hai. Thik hai phir kal tumdono waha chale jaao. Yash aur Ishu yaha humare paas aajayenge.

Shruti: Thikk hai.

Idher Sonal ne jabse mumbai chora tha uska mood off tha.

Swati: Kyaa hua Sonal.

Sonal: Kuch nhi di.

Swati: Main dekh rahi jab se humne Mumbai chora hai tera chehra utra hua hai. Kyaa Mumbai itna pyaara hogya. Yaa mumbai ka koi yaad aaraha hai.

Sonal: Aisa kuch nhi hai di.

Swati: Tum yeh kyo bhul jaati ho Sonal tum mujhse kuch nhi chippa sakti. Raj ki yaad aarahi hai.

Sonal haa mein gardan hila deti hai.

Swati: Pagal sirf 15 din ki toh baat hai. Phir humesha uske saath hi toh rehna hai.

Sonal: Hmmm.

Swati: Waise Mumbai call kiya yaa nhi.

Sonal: Areee baap ree. Main toh bhul hi gayi. Raj ne bola tha pahonch ke call kardena.

Swati: Par tu yaha pahonchi kaha hai. Teri body yaha hai par dil dimaag dono waha pe hi hai. Chal jaldi se call karke bata de.

Sonal jhatt se Raj ko call karti hai.

Raj: Haa Sonal pahonch gayi.

Sonal: Sorry Raj. Main bhul gayi thi call karna.

Raj: Koi baat nhi. Itne samay baad ghar gayi ho toh dimaag se nikal gaya hoga.

Sonal: Aapne dinner kiya.

Raj: Haa karliya.

Sonal: Kiyaa naa.

Raj: Haa karliyaa. Tumne kiya.

Sonal: Nhi bas karungi.

Raj: Hmm Thikk hai. Aaram karo Good Night.

Sonal: Good Night Raj.

Phir call cut hojaata hai.

Agle din subah hi Ishant aur Shurti Jaipur ke liye nikal jaate hai. Deepak Meera aur baakisab inko dekh kar bahot khush the.

Meera: Shruti beta kyaa jarurat thi iss halat mein travel karne ki.

Shruti: Aunty travel aaj nhi toh kuch din baad mujhe karne hi tha. Mere bhai aur devar ki shaadi hai. Aur aap akele kaise sab sambhalti isiliye main aagayi.

Meera: Bahot achha kiya beta. Warna main akele kya kya karti samaj nhi aaraha tha. Card chapwane hai invitation list taiyaar karni hai marriage hall book karna hai kitna kaam hai.

Ishant: Sab hojayegaa. Aap tension naa le. Marriage hall maine kal hi book kardiya tha raat mein. Uski tension nhi hai ab. Aap Shruti Swati aur Sonal milke Invitation list banale. Tab tak main aur Samar jaake invitation card chapwane ke liye de dete hai aur ek hotel bhi book kardenge. Phir sham ko humlog shaadi ki shopping ke liye chalenge.

Deepak: Bahot achhe beta. Tumne toh aate hi saara kaam ka schedule banwa liya. Par yeh hotel kisliye.

Ishant: Uncle Mumbai se jitne bhi log aayenge woh hotel mein hi rahenge. Saare mehmaan aur Baarat bhi wahi se niklegi aur wapas wahi pe jaayegi.

Deepak: Hotel kyo. Humara ghar hai. Yaha pe rahenge sab.

Ishant: Nhi Uncle. Yeh Sonal aur Swati ke maayka hai. Yaha se kaise dono baarat eksaath niklegi.

Deepak: Hmmm. Thikk hai. Par Maa Shruti Nandini Aarav Ishita aur woh Nandini ki behen yehi pe rahenge. Woh hotel mein nhi jaayenge.

Ishant: Thikk hai.

Meera: Chalo ab tumlog kuch khaa lo.

Shruti: Chaliye main aapki madad karti hu.

Meera: Agar kitchen mein pairr rakha toh abhi ke abhi wapas Mumbai bhej dungi. Chup chaap baith ke aaram karo. Koi kaam nhi karogi tum. Yeh bol Meera kitchen mein jaake jaldi se naashta taiyaar karti hai.

Phir yehlog naashta karke apne apne kaam mein lag jaate hai.

Meera: Swati Sonal aao guest ki list bana lete hai.

Swati: Mummy kyaa Khanna Uncle Aunty ko bulayenge.

Meera: Invitation toh dena hogaa.

Swati: Par woh Vickyyyy.

Sonal: Di uski wajah se hum uncle aunty se kyo galat behave karee. Hum unhe invitation jarur denge.

Shruti: Sonal ne sahi kaha Swati. Bhabhi ne mujhe bataya tha college wala case.

Phir yehlog saare mehmaano ki list banane lagte hai.

Idher Samar aur Ishant jaake pehle Hotel ki booking karte hai aur waha pe saari baat bhi karlete hai phir jaake Invitation card chapwane ke liye de dete hai.

Ghar mein Mehmaano list taiyaar hogyi thi. Tab tak Ishant aur Samar bhi ghar aagaye the.

Sham ko sablog milke shaadi ki shopping ke liye jaate hai. Sonal ne apne liye dress lene ki jagah Raj ke liye dress lene start kardiye. Usne shaadi aur sagai ke liye Raj ki sherwaani choose karli.

Sonal: Didi yeh dono maine Raj ke liye select ki hai. Kyaa unhe pasand aayega.

Shruti: Sonalll. Hum yaha tumhari shopping ke liye aaye hai aur tum apni shopping ki jagah uski shopping kar rahi ho.

Sonal: Nhii didi woh toh mujhe bas yeh dikha toh maine bas pasand kiya. Boliye naa kyaa yeh unhe pasand aayega. Yeh wala sagai ke liye aur yeh wala shaadi ke liye.

Shruti: Dono bahot achhe hai. Raj pe bahot achhe lagenge. Ruko main mumbai mein bhi dikhati hu. Yeh bol woh Nandini ko video call karti hai.

Nandini: Haa Shruti bolo.

Shruti: Bhabhi aapki devrani ne apni shopping ki jagah apne hone wale husband ki hi shopping kardali. Mujhe toh pasand aaya. Aap bhi dekhlijiye phir yehi se final kardete hai.

Nandini: Yeh ladki puri tarah pagal hai. Dikhao. Phir Nandini Raj ki sherwaani dekhti hai toh usko bhi bahot pasand aata hai.

Shruti: Toh yeh final kardete hai Raj ke liye.

Nandinj: Haa yehi kardo. Aur Sonal tum apni shopping pe dhyaan do. Yaha pe Raj ke liye bahot jan hai.

Sonal: Jii bhabhi.

Phir call cut hojaata hai.

Shruti: Hone wala pati ka toh hogya. Ab patni ka bhi karle.

Sonal: Sharmaa ke. Hmmm.

Phir Shruti jaake Sonal ki shopping pe nazar deti hai. Aur Raj ke sang match ho aisi dress leti hai.

Idher Ishant ne bhi Shruti ke liye shopping karli thi jiske baare mein Shruti ko pata nhi tha.

Shruti: Chalo tumhara toh hogya. Ab main thoda Ishant ka dekhlu.

Sonal: Jiii.

Shruti Ishant ke paas aati hai toh woh ladies section mein tha.

Shruti: Mister husband aap ladies section mein kyaa kar rahe hai.

Ishant: Apni biwi ki shopping jo lagbhag hochuki hai.

Shruti: Kyaaaaa aapne meri shopping ki.

Ishant: Haaa. Yeh lo.

Shruti: Howww sweet. Phir sabki nazre bachake Ishant ke gaalo mein ek kiss kardeti hai.

Ishant: Agar shopping karne pe aisa inaam milta hai toh main roj karu.

Shruti: Lalach nhi karna chahiye. Yeh bol hasne lagti hai. Ab chaliye aapne meri shopping toh karli main aapki shopping karlu.

Ishant: Chalooo.

Phir Shruti jaake Ishant ki shopping karti hai.

Idher Meera ne Swati ki shopping karwa di thi.

Innsabki shopping hote hote raat hogyi thi. Phir yehlog jaldi se kuch khaa ke ghar aate hai aur sidha apne kamre mein jaake sojaate hai.

Dusre din invitation card aagaye the. Toh list ke hisaab se sabko card dene jaana thaa.

Meera: Main aur Samar Khannas ke paas chale jaate hai. Tumlog baakiyon ke paas chale jaao.

Sab: Thikk hai.

Meera aur Samar phir Khannas ke ghar ke liye nikal jaate hai aur thodi der mein waha pahonch jaate hai.

Mrs. Khanna: Aree aaplog aaiye aaiye. Kaise hai aaplog.

Meera: Hum thik hai aaplog kaise hai.

Mrs. Khanna: Aaiye baithiye.

Yehdono andar aate hai toh Vicky hall mein hi baitha hua tha. Vicky ko dekh kar ekbaar toh Meera aur Samar ko bahot gussa aata par woh shant hojaate hai aur usko complete ignore karte hai. Mrs. Khanna ko bhi samaj aaraha tha.

Mrs. Khanna: Bataiye kaise aana huaa.

Meera: Yeh shaadi ka invitation dene aaye the.

Shaadi ke baare mein sunke Vicky ke kaan khade hojaate hai. Par woh itna react nhi karta kyoki usko laga Swati ki shaadi hogi.

Mrs. Khanna: Shaadi. Kyaa Swati ki shaadi hai.

Meera: Sirf Swati ki shaadi nhi hai sath mein Sonal ki bhi shaadi hai.

Sonal ki shaadi ki baat sunke Vicky ko bahot bada jhatka lagta hai. Woh gusse se inlogo ko dekhne lagta hai jo Samar ne dekh liya.

Mrs. Khanna: Sonal ki shaadi. Kisse aur achanak. Ladka kaun hai kyaa karta hai.

Meera: Hum Mumbai gaye the Swati ke liye ladka dekhne par waha pe Sonal ki hone wali saas ne Sonal ka haath maang liya. Ladka achha hai parivaar humare jaan pehchan ka hai aur sabse badi baat Sonal ki aur uske bhai behen ki marzi thi isiliye rishta fix kardiya.

Mrs. Khanna: Oooo. Chalo bahot achhi baat hai. Hum shaadi mein jarur aayenge. Shaadi kyaa yaha hai yaa Mumbai mein.

Meera: Shaadi yehi hai. Dono behen dekha jaaye toh ek hi ghar mein jaarahi hai. Sonal ki hone wali nanad ka devar hai Swati ke liye.

Mrs. Shaadi: Oooo. Achhi baat hai. Waise ladke kyaa karte hai.

Meera: Ladko ka khud ka business hai. Dono bahot achhe dost hai. Swati ke liye jo ladka chuna hai uska naam hai Yash aur Sonal ke liye Raj.

Raj ka naam sunte hi Vicky ko bahot gussa aata hai aur usko apni beizaati yaad aajati hai.

Vicky: Mann mein. Ooo toh matlab dono ne plan karke inko ready karwaya hai shaadi ke liye. Sonalllll yeh tune achha nhi kiya. Tu agar meri nhi hosakti toh tujhe kisi aur ki bhi nhi hone dungaa. Aur tere uss Raj ka aisa intezaam karunga ke woh pachtayegaa.

Meera: Achha ab hum chalte hai. Aur aaplogo ko shaadi mein jarur aana hai.

Mrs. Khanna: Bilkul aayenge. Aur shaadi mein koi bhi madad ki jarurat ho toh humhe yaad kijiyega.

Meera: Areee nhi nhi Swati ke jeth aur jethani aagayi hai madad ke liye. Aur aate hi saara kaam apne kandho pe le liya hai.

Mrs. Khanna: Ooo achhi baat hai.

Phir Meera aur Samar waha se chale jaate haii. Unke jaate hi Vicky bolta hai.

Vicky: Humlog iss shaadi mein nhi jaayenge.

Mrs. Khanna: Aur woh kisliye.

Vicky: Jiss ladki ki wajah se aapke bete ki beizaati hui aaplog usi ki shaadi mein jaayenge.

Mrs. Khanna: Beizaati tumne khud apni karwaayi hai apni ghatiya harqato se. Mujhe toh laga tha tumhari neech harqat ke baad yehlog humse rishta hi todd denge par iss shaadi mein bulake humhe maaf kiya hai.

Vicky: Gusse mein. Maine kaha naa humlog iss shaadi mein nhi jaayenge.

Mrs. Khanna: Tumhe kisne kaha hai jaane ko. Shaadi mein main aur tumhare papa jaayenge. Aur tum yehi rahoge. Hum nhi chahte waha shaadi mein tumhari wajah se humari aur beizaati ho. Aur agar yaha nhi reh sakte toh shaadi hone tak jaipur ke bahar raho. Waise bhi kaam dhanda toh hai nhi saare din loafer ki tarah ghumte rehte ho.

Vicky apni maa ki jali kati baate sunke aur jyaada gussa hojaata hai uska mann toh kar raha tha jaake abhi Sonal ko maar de. Woh gusse mein waha se nikal jaata hai aur Rajesh ki call karta hai aur shaadi ki baat batata hai.

Vicky: Yeh shaadi nhi honi chahiye. Iss shaadi mein khushiyan nhi maatam honi chahiye.

Rajesh: Aisa hi hogaa. Yeh shaadu uss Raj aur uske parivaar walo ke yaad gaar rahegi. Phir woh Vicky ko ek plan batata hai jisse sunke Vicky jor jor se hasne lagta hai.

Vicky: Bahot badiyaaa. Isse iss Sonal se apni beizaati ka badla bhi le lunga. Par uska woh bhai jo police hai uska kyaa.

Rajesh: Chinta mat karo. Iss kaam ke liye mere paas ek aisa aadmi hai jo agar pakda bhi gaya tab bhi humara kuch nhi bigdega.

Vicky: Bahottt khubbbbb. Phir call cut hojaata hai.


Sonallll tune uss Raj ke liye mujhe beizaat kiya aur mujhe reject kiya tha naa. Ab dekhna tujhe teri shaadi ka main aisa gift dunga jisse tu zindagi bhar yaad rakhegi. Yeh bol jor jor hasne lagta hai.

अच्छा खासा शांत और खुशनुमा माहौल में शादी हों रहा था लेकिन सोनल के घर वालों ने उड़ता तीर खुद ही लपक लिया खन्ना परिवार को इनवाइट करके। ये विक्की राज की पिटाई से सुधरा नहीं हैं। लगाता हैं राज ने खर्चा पानी देने में कुछ कमी कर दिया हैं जो विक्की फिर से उछल रहा हैं।
अब क्या होगा?

अदभूत अतुलनीय
 

Bull Wit

सुनो ना, हमारी ख्वाइश पूरी करो ना
104
300
63
Update 32
Shaadi ki taiyaari jor shor se chal rahi thi. Sonal ke Mama Mami bhi apni beti ke saath pune se jaipur aagaye the.

Harish Agarwal(Sonal ke Mama)- Ek Govt. Employee hai. Kamai achhi khaasi hai jisse apna ghar bina kisi pareshani ke chala lete hai. Dil ke achhe hai par hadd se jyaada bhole hai. Apni beti se bahot pyaar karte hai.

Rashmi Agarwal(Sonal ki Mami)- Ek housewife hai. Pati jitna bhola hai yeh utni chalak hai. Apni beti ke future ki bahot tension rehti hai. Padhai mein thodi kamzor hai.

Rashi Agarwal(Sonal ki behen)- Thodi shaitan hai but usse
kabhi kisi ko problem nhi hui. Padhai mein dhyaan bilkul bhi nhi rehta. Ghumna fhirna masti karna yehi jyaada pasand hai.

Rashi: Kyaaa baat hai Swati di Sonal di Bahot jaldi shaadi kar rahi rahi ho.

Dono: Ab Mummy Papa chahte hai isiliye kar rahe hai.

Rashi: Matlab jabardasti kr rahe hai. Its a crime. Aaplogo ki marzi ke bina shaadi karwa rahe hai. Aaplog chinta naa karee mere rehte aisa kabhi nhi hogaa. Main abhi baat karti hu.

Yeh bol woh jaldi se waha se bhaag jaati hai. Swati aur Sonal ko kuch bolne ka mauka hi nhi mila.

Sonal: Di jaldi chaliye warna woh express train pata nhi kya kya bolde.

Swati: Haa challl.

Nichhe Rashi ne hungama kar diya tha.

Rashi: Bua fufaji mujhe nhi pata tha aaplog aisa karenge. Mujhe aaplogo se aisi umeed nhi thi. I Am Hurt.

Meera: Rashi humlogo ne aisa kyaa kardiya.

Rashi: Kyaa kardiya. Ab yeh bhi mujhe bolna padega. Aaplog ek tarah ka crime kar rahe hai. Aur mere rehte aisa kuch nhi hoga.

Rashi ki baate waha khade sabke dimaag ke upar se jaa raha tha kisi ko kuch samaj nhi aaraha tha.

Shruti: Aree baat kyaa hui. Puri baat baat batao.

Rashi: Shruti didi innlogo ne Swati di aur Sonal di ke marzi ke khilaaf jaake jabardasti shaadi fix kardi hai. Unnlogo ne mujhe bola Mummy Papa ne shaadi fix kardi isiliye karni padh rahi hai.

Rashmi: Didi kya yeh sach hai. Kyaa Swati aur Sonal ke marzi ke khilaf shaadi horahi hai.

Rashi: Haaa Mummy. Mujhe abhi unhone ne kaha. Lo woh aagyi aap pucho unse.

Rashmi: Swati Sonal kya yeh shaadi tumlogo ke marzi ke khilaaf horahi hai.

Swati: Mami yeh aapki express train puri baat sunti kaha hai. Aadhi baat suni aur daud padhi.

Rashmi: Matlab.

Sonal: Matlab shaadi humari marzi se horahi hai.

Rashi: Par abhi toh aaplogo ne upar kaha Mummy Papa ne shaadi fix kardi isiliye kar rahe ho. Aaplog daro mat main hu na.

Sonal: Tum chupp karo. Pehle puri baat sunaa karo. Humne kaha tha Mummy Papa ne shaadi fix kardi isiliye kar rahe hai. Par yeh aadhi baat thi. Aur yeh aadhi baat sunke hi tum daud gayi.

Swati: Haaa. Rishte ke liye pehle Mummy Papa ne humlogo se pucha tha aur humhe pasand aaya isiliye humne haa kaha.

Rashi: Toh aaplogo ne upar kyo nhi bataya. Bekaar mein maine itna kuch bola jisse mera gala sukhh gaya. Aaplogo ko puri baat batani chahiye thi naa.

Sab ghurr ke Rashi ko dekhte hai toh woh bolti hai.

Rashi: Ab aise kya ghurr rahe hai aapsab. Ab hogayi galti inndono se. Maaf kardo.

Rashmi jhatt se Rashi ke kaan pakad leti hai. Aur bolti hai.

Rashmi: Tere yeh kaan aur taange naa kaat dungi. Bekaar mein sabko tension de diya. Ab samaj aaya kyo tere marks kam aate hai. Aadha adhura sunegi aur usse bhi aadha samjhegi aur likhegi.

Rashi: Aaahhh Mummy dukhh raha haii choro naa.

Meera: Chor do Rashmi. Bachhi hai.

Rashmi: Sonal se ek saal choti hai. Ab toh Sonal ki shaadi horahi hai kuch time baad isko bhi nikalwa dungi mera tension khatam hoga.

Rashi: Main kahi nhi jaa rahi aaplogo ko chorke. Aur shaadi ke baad main kyo jau apna ghar chorke woh aayega apna ghar chorke.

Rashi ki baat pe sab hasne lagte hai.

Dekhte dekhte sagai ka din aajata hai. Kapoor family Jaipur aachuke the aur Ishant ke book kiye hue hotel mein ruke the. Par jaisa Deepak ne bola tha thik usi tarah.

Sham ko Sagai thi isiliye Sonal ne jo dress Raj ke liye pasand ki thi woh Raj ke liye bhej diya gaya tha.

Idher ghar mein Swati aur Sonal ko sagai ke liye ready kiya jaaraha tha. Beauticians ko bulaya gaya tha.

Kuch ghanto ke baad Swati aur Sonal ko achhe se taiyaar kardiya gaya tha. Sonal ne ek Silver Colour ka lahenga pehna tha toh Swati ne Off White colour ka lahenga pehna tha. Chehre pe achhe se makeup kiya gaya tha jo unki khubsoorati ko chaar chand laga rahe the.

Nandini: Kyaa baat hai. Raj aur Yash toh dekhte hi reh jaayenge. Bahot khubsoorat lag rahi ho. Kisi ki nazar naa lage.

Shruti: Sach kaha bhabhi bahot khubsoorat lag rahi hai dono.

Rashi: Dono Jijaji toh aaj hosh khoo baithenge aapdono ko dekh kar.

Swati aur Sonal bas sharmaaye jaa rahe the.

Tabhi waha Meera aati hai aur bolti hai.

Meera: Aree chalo jaldi tumlogo ka hua nhi kyaaa.

Nandini: Sab hogya Aunty. Dekhlijiye dono ko koi kami toh nhi lag rahi hai naa.

Meera Swati aur Sonal ko dekhti hai toh woh bahot khush hoti hai par uske aankho mein aansu bhi rehte hai.

Meera: Meri betiyan bahot pyaari aur khubsoorat lag rahi hai. Aaj tak dusro ki sagai aur shaadi ke liye taiyaar hoti thi aur aaj dekho kitni badi hogyi hai ke apni sagai ke liye ready hui hai. Yeh bolte waqt Meera ka gala bharr jaata hai aur aankho mein aansu aajate hai.

Dono ke aankho mein bhi aansu aajate hai aur woh Meera ke gale lag jaati hai.

Meera: Meri betiyan kab itni badi hogyi pata hi chala. Aisa lag raha hai jaise kal hi toh yeh dono hall mein khilono ke liye Samar ke saath ladh rahi thi aur aaj dekho dono ki sagai horahi hai. Aur phir 2 din baad dono humesha ke liye mere se durr chali jayengi.

Dono: Hum aapko aur papa ko chorke kahi nhi jaayenge Mummy. Hum chahe kitni bhi badi hojaaye yaa durr chali jaaye hum humesha aapki choti si betiyan rahengi aur humesha aapke paas rahengi.

Nandini: Aunty aise roiye mat. Warna inka makeup kharab hojayega. Aur Yeh dono paraye ghar thodi jaa rahe hai.

Shruti: Haa Aunty. Yeh dono toh apne dusre ghar jaa rahi hai. Aur phir aapka jab mann kare waha aajaiye gaa yaa yeh dono yaha aajayengi.

Meera dono ke ke aansu pochti hai aur kajal ka teeka dono ke kaan ke pichhe laga deti hai.

Meera: Chalo warna late hojayega.

Phir sab Marriage hall ki taraf nikal jaate hai aur thodi der mein waha pahonch bhi jaate hai.

Jab yeh waha pahonchte hai toh dekhte hai Raj aur Yash waha pehle se the.

Raj aur Yash ki nazar jab Sonal aur Swati par padhti hai toh woh nazare hi nhi hata paa rahe the. Unki nazre jaise jamm gayi thi. Dono bas ek tak dekh rahe the.

Swati aur Sonal yeh dekh kar sharma rahi thi. Dono ko le jaake Raj aur Yash ke bagal mein khada karwa diya gaya tha.

Swati aur Sonal ke chehre ki khushi dekhte bann rahi thi. Unki khushi unke chehre se saaf samaj aarahi thi.

Yash: Dheere se Swati ke kaan mein. Kyaa baat hai Mrs. Roy. Aaj toh aap bahot khubsoorat dikh rahi hai. Kahi aapko meri hi nazar naa lag jaaye.

Swati kuch nhi bolti bas sharmaa jaati hai.

Idher Raj ek nazar Sonal ko dekhta hai phir dheere se bolta hai. Yeh silver colour achha dikh raha hai.

Sonal toh yeh sunnke hi khush hojaati hai aur saath mein sharma bhi jaati hai.

Ragini: Chalo chalo ab sagai ki rashm puri karte hai. Nandini Shruti Angootiyan laao.

Dono jaldi se angoothiyan le aati hai aur Yash aur Raj ke bagal mein khadi hojaati hai.

Ragini: Yash Raj chalo jaldi se angoothi pehnao.

Phir Yash aur Raj dono Swati aur Sonal ko Angoothi pehna dete hai. Phir Swati aur Sonal bhi angoothi pehna deti hai.

Jaise hi Raj ne Sonal ko angoothi pehnayi thi aur Sonal ke chehre mein jo khushi thi woh durr khada Vicky gusse se dekh raha tha.

Vicky: Gusse se. Jitna khush hona hai ho le. Kyoki teri shaadi ka ek aisa tohfaa taiyaar kiya hai maine jo tujhe saari zindagi yaad rahega. Tumdono ne mujhe beizaat kiya tha naa. Uski saza toh tumdono ko milegi hi.

Idher Sonal toh bas Raj ke dwara pehnaayi gayi angoothi ko pyaar se dekhe jaa rahi thi aur sharmaaye jaarahi thi.

Sonal: Mann mein. Thank You Bhagwan. Thank You so much. Aapki wajah se aaj meri sagai mere Raj se hogyi. Zindagi mein pehli baar jisse pyaar kiya tha aapne ussi se zindagi bhar ke liye meri rishta jorr diya. Thank You so much.

Nandini: Aree sab log aise chupp chaap kyo khade ho. Chalo chalke naach gaana karte hai. Chalo Shrutiii. Aakhir aaj mere 2 devaro ki sagai hai.

Shurti: Haa bhabhi sahi kaha. Chaliye chalte hai.

Smita: Kidher jaana hai tumdono ko.

Shruti: Humare bhai aur devar ki sagai hai hum enjoy bhi naa karee.

Smita: Kitna mahina chal raha hai tumdono ka.

Nandini: That’s not fare choti mummy. Ab kyaa hum enjoy bhi naa karee.

Smita: Enjoy karna hai naa. Bilkul karo. Par ek jagah khade hokar karo. Agar ek kadam bhi aage badhaya naa toh sidha Mumbai bhijwa dungi.

Nandini Mummy: Bilkul thikk kaha aapna Smita ji. Aur tumdono chupp chaap yaha aake khade hojaao. Aur jitna enjoy karna hai yaha khade hokar karo.

Dono apna sadha sa muh banake chup chaao jaake ek jagah khadi hojati hai.

Samar: Chaliye bhaiyaa hum start karte hai.

Phir Shruti aur Nandini ko chorr ke sablog naachne gaane lagte hai. Ishant aur Karan toh Shruti aur Nandini ko chida chida ke naach rahe the. Jisse dono ko bahot gussa aaraha tha.

Nandini: Dekho toh kaise naach rahe hai humhe dikha dikha ke.

Shruti: Haaa. Kaha biwi ke bagal mein khade hoke biwi ko support karenge uski jagah biwi ko chidaa rahe hai.

Nandini: Aane do function ke baad room mein. Aaj toh yeh bahar hi soyenge.

Shruti: Ekdumm. Aaj inki room mein no entry.

Thodi der baad function apne end ki taraf aajata hai. Saare guest chale gaye the. Bas ghar ke hi kuch members reh gaye the jinme se Mr. And Mrs. Khanna bhi the. Vicky toh bahot pehle hi nikal gaya tha.

Mr. Khanna: Sagai ki bahot bahot badai ho.

Charo: Thank You.

Mrs. Khanna: Achha ab hum chalte hai. Bahot late hogya hai. Yeh bol yehdono bhi nikal jaate hai.

Idher Nandini aur Shruti apna muh fulaaye khadi thi. Dono ne abtak Karan aur Ishant se koi baat nhi ki thi infact puri tarah se ignore kiya tha.

Deepak: Ab humhe bhi chalna chahiye phir kal subah baaki ki taiyaariyan bhi toh karni hai.

Vijay: Haaa. Chalo. Waise bhi bachhe bahot thakk gaye hai.

Phir sab ghar aur hotel ke liye nikal jaate hai.


Ghar pahonch ke sab apne apne room mein chale jaate hai.
सुपर अपडेट

चारों जोड़ो की सगाई बहुत अच्छे से हों गईं। लेकिन नंदिनी और श्रुति के लिए अच्छा नहीं रहा दोनों अपने देवर और भाई की सगाई पर नाच नाच कर फालोर तोड़ने का इरादा बना रखा था लेकिन समिता ने उनके इरादों पर पानी फेर दिया अब नाचो और तोड़ो जीतना फालोर तोड़ना हैं।

अदभूत अतुलनीय

एक नज़र इधर भी लो:-

अजनबी हमसफ़र - रिश्तों का गठबंधन
 

park

Well-Known Member
7,945
9,821
173
Update 33
Nandini: Aap nikaliye room se bahar. Aaj ki raat aap room ke bahar guzarenge.

Karan: Kyaaaaa. Par kyooo. Maineee kyaaa kiyaa.

Nandini: Kyaaa kiyaaa. Aapko nhi pata aapne kyaa kiyaaa. Nikaliye room se bahar.

Karan: Nandini meri pyaari Nandini kyaa huaa. Kyo gussa ho.

Nandini: Mujhe dikha dikha ke aap naach rahe the. Aapko mere bagal mein khada hoke mujhe support karna chahiye tha. Par nhi aapko toh aapki biwi ko pareshan karna tha naa. Isiliye aapki saza yahi hai aaj raat aap bahar guzarenge.

Karan: Nandini ko apne baahon mein leke. Nandini meri pyaari Nandini. Itna gussa nhi karte. Warna humara baby bhi gusse wala hoga. Aur jara socho agar main raat ko bahar raha tha toh sab kyaa sochenge ke IPS Karan Kapoor ki biwi ne usko room se bahar nikal diya. Aur waise bhi yeh humara ghar nhi hai.

Nandini: Choriye mujhe. Aur mujhe apni baaton mein fhasane ki koshish mat kariye.

Karan: Tum toh pehle hi meri baaton mein fhas gayi thi. Tabhi toh aaj hum ek kamre mein hai.

Nandini: Isi baat ka toh faiyda utha rahe hai aap. Thikk hai nhi bhejti kamre ke bahar. Par bed mein nhi sofa mein soyenge aap. Aur mumbai pahonchne tak no touching.

Karan: Thikk hai tumhe touch nhi karunga aur tumhare paas nhi sounga. Par apne bachhe ke bagal mein toh so sakta hu aur usko touch bhi kar sakta hu. Aur isme koi objection nhi chalega tumhara.

Nandini Karan ke counter attack mein puri tarah se fhass chuki thi. Isiliye woh pairr patakte hue bed mein jaake let jaati hai. Karan bhi haste hue let jaata hai.

Idher Ishant ke saath Shruti bhi yehi karti hai par Ishant bhi chalaki se bachh jaata hai.

Idher Swati aur Sonal bahot khush thi dono ki khushi toh jaise kam hi nhi horahi thi. Dono baar baar apni angoothi ko pyaar se dekh rahi thi aur chum rhi thi.

Agle din mehendi aur sangeet ki taiyaariyan start hochuki thi. Sonal aur Swati ko ek jagah baitha kar mehendi lagayi jaa rahi thi.

Sonal ke haatho mein jab Raj ka naam likha jaata hai toh uske aankho mein khushi ke aansu aajate hai jo Swati dekh leti hai.

Swati: Dheere se. Kyaa baat hai Sonal tumhari aankho mein aansu.

Sonal: Yeh toh khushi ke aansu hai di. Raj ka naam mere haatho mein likha hua hai yeh dekh kar mujhe bahot khushi horahi hai. Mujhe nhi pata tha mera pyaar mujhe itni jaldi milegaa.

Swati: Pagal. Yeh toh tera pyaar sachha tha isiliye teri shaadi Raj se horahi hai. Aur apni aankho se aansu poch. Warna agar uss Rajdhani Express ne dekh liya toh bolegi jabardasti shaadi horahi hai.

Swati ki baat pe Sonal ko hasi aajati hai. Sonal ke chehre pe hasi dekh Swati bhi has deti hai.

Idher Yash Raj ke saath khada tha. Yash ke chehre pe toh khushi saaf samaj aarahi thi. Par Raj ka chehra pe koi reaction nhi tha.

Yash: Kyaa baat hai Raj. Kyaa tu khush nhi hai iss shaadi se.

Raj: Aisa kuch nhi hai Yash. Sonal bahot achhi ladki hai. Main bas yehi soch raha hu kyaa woh mere saath khush rahegi.

Yash: Tu jara Sonal ke chehre ko dekh. Dekh kitni khush hai woh iss shaadi se. Aur sach kahu toh Sonal se achhi ladki tujhe nhi mil sakti. Tumdono ekdusre ko samajte ho. Aur sabse badi baat usne tujhe tere past ke saath accept kiya hai. Isiliye ab yehsab sochna chorr aur apne aage ki zindagi ke baare mein soch.

Raj kuch nhi bolta bas Sonal ke haste hue chehre ko dekhta rehta hai. Jab Sonal ki nazar Raj ki taraf jaati hai toh woh dekhti hai Raj usko hi dekh raha hai toh woh ishare se puchti hai kyaa huaa. Raj bas naa mein naa mein gardan hila deta hai.

Dekhte dekhte sham hochuki thi aur Sangeet ka time bhi hogya tha. Par as usual Nandini aur Shruti ke chehre latke hue the.

Ragini: Kyaa hua chehre kyo latke hue hai.

Dono: Toh kyaa karee. Aaplog toh humhe enjoy karne hi nhi de rahe hai. Upar se aaj toh Sangeet hai. Kam se kam aaj toh thoda enjoy karne dijiye.

Ragini: Ab samaj aaya. Toh tumdono ko naachna gaana hai.

Dono: Jiii. Bas thoda saaa. Hum sambhal ke rahenge. Pleaseee maan jaaiye.

Ragini: Thikk hai jaao. Par jyaada nhiii.

Dono yeh sunte hi khushi se uchal padhte hai jisse unhe jhatka lagta hai aur unhe dard hota hai aur woh ek jagah baithh jaate hai aur unki aankho mein aansu bhi aajate hai.

Ragini: Lo paani piyo. Ab samaj aaya kyo hum mana kar rahe hai. Par tumdono ko samaj kaha aata hai. Areee humlog tumlogo ki halat samajte hai. Par tumdono bhi toh dekho kyaa halat hai abhi tumhari. Halki si chukk aur kitna bada nuksaan.

Dono: We are sorry. Ab hum samaj gaye hai. Ab hum koi aisa kaam nhi karenge jisse problem ho and thank you.

Ragini: Aankhe dikha ke. Last mein kyaa bolaa phir se bolnaa.

Dono: Sorry sorry galti hogyi.

Ragini: Hmmm. Chalo ab chup chaap baith ke aaram karo. Dard nhi horaha hai naa.

Dono: Nhiii abhi thikk hai.

Idher Nandini ki Maa durr se yeh dekh rahi thi aur Ragini ko Nandini ki itni parwaah karte dekh itna pyaar karte dekh bahot khush thi. Aakhir ek maa ko toh yehi chahiye ke uske bachhe humesha khush rahe. Aur Nandini ko khush dekh kar uski maa bhi bahot khush thi.

Idher Sangeet ke mahol mein Rashi galti se Aarav ke kareeb jaa rahi thi jo Payal dekh leti hai toh woh gusse aur jalan se Aarav ko apne saath hi rakhti hai usko akela hi nhi chorti hai.

Aarav ko yeh dekh kar bahot hasi aarahi hoti hai par woh apni hasi ko control karleta hai.

Karan aur Ishant issbaar apni biwiyon ko support karte hue unke paas jaake khade hojaate hai jisse Nandini aur Shruti ko achha lagta hai.

Dekhte dekhte Sangeet ka function bhi khatam hojaata hai. Agle din shaadi thi isiliye sablog jaldi so jaate hai. Par kuch logo abhi bhi jaag rahe the aur shaadi ko leke hi baat kar rahe thee.

Vicky: Saari taiyaari hochuki hai naa.

Ranjeet: Haaa saari taiyaari hochuki hai. Humara aadmi Jaipur pahonch gaya hai. Tum usse le jaana. Aur yaad hai naa usse kaise milna hai.

Vicky: Haa mujhe yaad hai.

Ranjeet: Hmmm. Kal uss Raj ko uski shaadi ka aisa tohfa milega jise woh zindagi bhar nhi bhul payegaa.

Vicky: Haaa. Aur uss Sonal ne mujhe thukra ke meri beizaati ki thi naa. Kal uska bhi badla pura hojaayega. Yeh Shaadi ek yaadgaar shaadi banke rahegi.

Phir call cut karke kal ke plan ke baare mein sochte hue sojaata hai.

Agle din subah se hi shaadi ki taiyaariyan start hogyi thi par uske saath saath haldi ki rashm bhi ki jaa rahi thi.
Nandini aur Shruti subah subah hi Hotel aagaye the Raj aur Yash ko haldi lagane ke liye.

Sablog achhe se Raj aur Yash ko haldi laga rahe the aur masti mazaak kar rahe the. Phir wohi haldi Sonal aur Swati ke liye bhijwa di gayi thi jise dono ko laga diya gaya tha.

Dono pehle se hi khubsoorat thi uske upar haldi ka lep lagne ke baad dono ka nikhaar aur badh gaya tha.

Haldi ki rashm ke baad Swati aur Sonal ko beauticians ke saath alag alag kamre mein bhej diya gaya tha taiyaar karwane ke liye. Sonal ne Raj ke liye jo Sherwaani kharidi thi woh bhi bhijwa diya gaya tha.

Yash: Kyaa baat hai Raj tujhe toh kuch shopping karne ki jarurat hi nhi padhi. Sagai se lekar shaadi tak teri saari shopping Sonal ne hi kardi hai.

Raj: Didi ne bola tha usko par woh nhi maani. Warna meri shopping toh bhabhi aur mummy hi karne wale the. Par achha hua isse bhabhi ko jyaada mehnat nhi karni padhi.

Yash: Haa haa. Abhi se biwi ki side le raha hai. Aage pata nhi aur kya kya karega. Yeh bol hasne lagta hai.

Raj: Jyaada mat bol. Warna sabko bata deta hu tera aur Swati ka chakkar pehle se chal raha tha. Phir sambhalte rehna sabke sawaal.

Yash: Aree tu toh gussa hogyaa. Shantt hojaa mere bhai. Ekbaar shaadi hojaaye phir bol dena.

Raj: Dekhte hai.

Yash: Achha. Waise tune ek baat gaur ki. Woh ladka Vicky har function mein kaise tujhe aur Sonal ko gusse se ghurr raha tha.

Raj: Hmm dekha maine. Mumbai mein uske saath jo hua hai uske baad woh shayad direct kuch nhi karega. Aur yaha shaadi mein uske maa baap bhi honge toh indirectly bhi kuch nhi karegaa.

Yash: Naa karee toh achha hai. Warna issbaar toh uski haddiyan hi tutegi.

Raj: Chorr uski baat. Woh bas ek stalker tha jiski saza usse mil chuki hai.

Idher yehdono Vicky ki baat kar rahe the udher Vicky apni planning ke mutabik uss aadmi ke paas chala jaata hai jo Mumbai se aaya hai.

Vicky uss aadmi ko achhe se sab samjha deta hai usko kya karna hai kaise karna hai aur kaam ke baad kaha jaana hai. Woh aadmi bhi sab achhe se samaj leta hai.

Dheere dheere raat hojaati hai aur shaadi ka time bhi horaha thaa. Swati aur Sonal ko achhe se taiyaar kardiya gaya tha.

Swati ne jaha se ek Pink colour ka lehenga pehna tha wahi Sonal ne ek Golden aur red colour mix ka lehenga pehna tha. Dono bahot hi jyaada khubsoorat lag rahi thi upar se beauticians ke haath ka makeup unki khubsoorati pe chaar chaand laga raha tha.

Meera jab apni betiyon ko dekhti hai uski aankho mein aansu aajate hai aur woh chah ke bhi issbaar apne aansu nhi rokh sakti.

Meera: Meri bachhiyan kab itni badi hogayi pata hi nhi chala. Aisa lag raha hai jaise kal hi inka janam hua aur aaj dekho shaadi ke jode mein khadi hai.

Dono: Apni maa ke gale lagte hue. Hum chahe jitni bhi badi hojaaye aapke liye toh chote hi rahenge mummy.

Meera: Apna khayal rakhnaa aur apni mummy ko bhul mat jaanaa.

Dono: Aankho mein aansu liye. Aisaa mat boliye mummy. Hum bhale hi iss ghar se jaa rahe hai par aapke dil mein toh humesha rahenge na. Aapne humhe iss duniya mein laaya. Aap humari mummy hai aapko kaise bhul jayengee.

Darwaze pe khada Deepak bhi yeh dekh raha tha andar hi andar woh bhi ro raha tha par bahar se khud ko sambhale khada tha.

Deepak: Aree chalo chalo udher Hotel se baarat nikal gayi hai wohlog kabhi bhi Marriage hall pahonchte honge.

Dono: Aankho mein aansu liyee. Papaaaa.

Deepak: Haaa beta bolo.

Dono bhaag ke aati hai aur Deepak ke gale lag jaati hai. Deepak jo itni der se khud ko sambhale khada tha uski aankho se bhi aansu nikal jaate hai.

Deepak: Rote nhi betaaa. Aaj se tumdono apne asli ghar jaaogi. Maine toh bas itne saal apni zimmedaari nibhayi hai jo aaj puri hojaayegi.

Dono: Hum aapko bahot miss karenge papa. Aap sabse achhe papa ho. Aapne aaj tak humari har ichha puri ki. Humhe kabhi bhi dukhi nhi hone diya.

Deepak: Apne bachho ki ichha ko puri karna unhe khush rakhna toh ek baap ka farz hota hai. Bas tumdono apne iss baap ko bhull mat jaana. Aur humesha khushh rehnaa.

Dono: Kabhi nhi papa. Kabhi nhiii. Yeh bol dono kuch der Deepak ke gale lagi rehti hai.

Durr khada Samar yeh sab dekh raha tha jiski aankho mein bhi aansu thee.

Sonal: Kazamaaaa. Apni Shinchan ko miss karega naa.
Samar: Rote hue. Main kyo miss karunga. Main toh bahot khush hu aaplogo ke chale jaane se. Ab aaplogo ke hisse ka pyaar bhi mujhe milega. Ab iss ghar mein mera raaj hoga ab yaha meri baate maani jaayengi koi meri shikayat nhi karega koi mujhe daatega nhi.

Dono rote hue apne bhai ke gale lag jaati hai. Samar bhi apni beheno ko kaske gale laga leta hai.

Samar: Rote hue. Mujhe meri Shinchan bahott yaad aayegi. Ab kiske saath main masti karunga. Ab kaun mujhe daatega. Ab kaun meri shikayat mummy papa se karega.

Dono Samar ke aankho se aansu pochte huee. Apna khayal rakhna Samar. Aur Mummy Papa ka bhi dhyaan rakhnaa. Ab tujhe hi iss ghar ko sambhalna hogaa. Sambhalegaa naaa.

Samar rote hue naa mein gardan hila deta hai jisse naa chahte hue bhi dono ke chehre mein ek hasi aajati hai.

Deepak: Chalo ab chalte hai. Baarat kabki nikal chuki hai hai hotel se.

Phir Meera Sonal aur Swati ke aansu pochti hai aur halka sa makeup ka touchup deti hai phir sablog nikal padhte hai Marriage hall ki taraf.

Idher Hotel mein baarat nikalne se pehle sablog Raj aur Yash ke saath masti kar rahe the jisme Raj bhi has raha tha.

Vijay: Aree chalo chalo aur kitna late karoge. Muhurat nikal jayega tumlogo ki masti mein.

Ashok: Haa chalooo ab. Main Deepak ko boldeta hu hum nikal rahe hai. Karan innki ghodi taiyaar hai ki nhi.
Karan: Haa taiyaar hai.

Savitri: Nandini Shurti tumlog mere saath gaadi mein aaogi.

Dono: Par Dadi hum chal sakte hai. Marriage hall paas mein hi toh hai.

Savitri: Nhii bilkul nhi. Chalo chup chaap gaadi mein baitho.

Dono apna sada sa muh banake chup hojaati hai.
Thodi der mein Smita Raj aur Yash ki aarti utarti hai phir sab hotel ke bahar nikal te hai.

Hotel ke bahar hi 2 ghodi aur band baaje waale khade the aur kuch guest bhi.

Ashok: Chalo Raj Yash ghodi mein baitho.

Dono ghodi ki taraf aage badhte hai toh Raj ko Karan aur Yash ko Ishant ghodi mein baithate hai. Yash toh kuch jyaada hi exicted lag raha tha.

Jaise hi Raj aur Yash ghodi mein baithte hai Bandwale na bajana start kardiya.

Savitri Nandini aur Shruti ke saath gaadi mein baith jaate hai aur baaki sab baraati ghodi ke saamne naachte gaate hue nikal padhte hai.

Aarav Payal Ishita Karan Ishant pure joro shoro se naach rahe the. Karan aur Ishant toh gaadi baithi apni biwiyon ko dikha dikha ke naach rahe the. Jisse unko bahot gussa aaraha tha. Par Ragini ne dono ke kaan pakad ke kheenchna start kardiyaa jisse Nandini aur Shruti hasne lagti hai.

Thodi der mein baraat Marriage hall pahonch jaati hai Deepak ne family with guest pehle se waha pahonch chuke the. Sonal aur Swati ko waha pe ek kamre mein baitha diya gaya tha.

Nandini aur Shruti gaadi se utarke Karan aur Ishant ke paas jaake unke pairon mein jorr se maarke aage badh jaati hai dono bas apne pairon ko pakad ke khade rehte hai.

Meera Raj aur Yash ki aarti utarti hai aur dheere se apne haath aage badhati hai par tabhi Karan bolta hai.

Karan: Raj Yash bachkeeee.

Raj aur Yash Karan ke kehne ka matlab samajte uske pehle hi Meera ne Raj aur Yash ki naak pakad ke kheench di aur yeh dekh kar sab hasne lagte hai.

Karan: Isi se bachne ko keh raha tha. Har saas yeh karti hai.

Meera: Thodaa latee hogayee Karan. Pehle se bata dena chahiye thaa. Chalo aao andar aao.

Phir sablog andar aate hai. Raj aur Yash ko stage mein rakhe chair pe baitha diya jaata hai.

Shruti: Tumdono apne jutee sambhal ke rakhna. Sonal aur Swati ki beheno ke haath nhi lagna chahiye. Naak kheenchai mein toh haar gaye ho jutee churai mein jitna hi jitna hai humhe.

Nandini: Haaa sahi kaha. Payal Ishita Aarav Karan Ishant dhyaan rakhna koi bhi inke jutoo ke taraf naa aa paaye chahe kuch bhi hojaaye jutee chori nhi hone chahiyee.


Sab: Yess Bosss. Chinta mat kijiye hum sambhal lenge.
Nice and superb update..
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
23,132
46,600
259
Update 26
Agle din Karan apne time se pehle hi uthh jaata hai aur jaldi se ready hoke nichhe aajata hai aur jaldi se breakfast karke uss park mein chala jaata hai jaha Nandini aane wali hoti hai.

Raj aur Shruti jab Karan ko subah jaldi ghar se nikalte hue dekhte hai toh ekdusre ko dekh kar smile karte hai. Phir woh bhi jaldi se nashta karke nikal padhte hai.

Idher Karan Park mein aake ek jagah baith jaata hai apne saath laaye hockey stick ko chupaa deta hai.

Raj Megha Ishant Shruti Yash bhi time se aajate hai. Woh log Nandini ke saath Karan se thoda durr khade rehte hai.

Raj: Megha maine tumhara kuch bigada thaa kyaa. Tumse pyaar kiya propose kiya aur tumne mere saath aisa kiyaa.

Megha: Kyaaa bol rahe ho. Dimaag hill gaya hai kyaa.

Raj: Toh yaar mujhe pitwa ke tumhe kyaa milega. Udhar dekho Bhaiya Hockey stick leke aaye hai mujhe maarne ke liye. Agar ek bhi lag gaya naa toh tujhe lula pati milega.

Megha: Yaar aisa naa bolo. Mujhe kyaa pata tha Mr. IPS aisa kuch karenge. Oo Mrs. IPS. Mere Raj ko kuch naa hona chahiye. Mere Raj ki jimmedaari aapki.

Nandini: Yeh idiot itna pyaar karta hai toh bolta kyo nhi. Agar aaj bhi isne naa bola naa toh isi hockey se isko maar ke main binn shaadi ke vidhwa hojaungi.

Shruti: Yehhh kyaaa bole jaa rahe ho tumlog. Aisa waisa kuch naa hogaa. Aur Raj tu jaldi se yeh hoodie pehen le aur apna face achhe se cover karle.

Megha: All The Besttt. Aur Mrs. IPS banke aanaa.

Nandini: Aaj toh aar ya paar hoga. Kuch hi dino mein college khatam hojayega. Agar ab bhi isne naa bola toh Mummy Papa mere liye pakka koi aur dhund lenge.

Shruti: Aree bol denge. Hum kal se dekh rahe hai. Chal jaldi jaa.

Raj: Megha bhagwan se prathna kar tere Raj sahi salamat aajaye. IPS bahot bhadka hua hai.

Megha: Kuch naa hogaa. Jaldi jaao.

Phir Nandini Raj ka haath pakad ke apne saath le jaati hai. Aur Karan se thoda durr saamne wali bench pe baith jaati hai.

Karan dekhta hai Nandini wohi dress pehen ke aayi hai Jo usne usko bataya tha. Nandini ko uss dress mein dekh kar toh Karan usme khoo hi jaata hai. Uske chehre se toh Karan ki nazar hi nahi hatt rahi thi. Par jab Nandini ke bagal mein baithe ladke ko dekhta hai toh woh gusse se aag babula hojaata hai.

Karan: Achha toh yeh hai woh jo mujhse meri Nandini ko chinne aaya hai. Aaj yeh aaya toh apne pairon mein hai par jaayega chaar kandho mein.

Phir unki baate sunne ki koshish karne lagta hai.

Idher Raj thoda nervous horaha tha. Aur Nandini bhi thodi nervous horahi thi.

Nandini: Raj. Josh josh mein aa toh gaye. Kahi Karan buraa naa maan le.

Raj: Didi darr toh mujhe bhi lag raha hai. Dekho naa kaise gusse se mujhe dekh rahe hai. Jaise abhi mujhe jaan se maar de.

Nandini: Yaar aise naa darao. Kahi mera rishta suru hone se pehle hi khatam naa hojaaye. Chalo ab jaldi se start karoo.

Raj: Karna kyaa hai.

Nandini: Areee mujhe propose karne ki acting karo. Aisa samjho saamne main nhi Megha hai.

Raj: Aree aise kaise. Mujhe darr lag raha hai. Woh dekho hockey stick haath mein liye hue kaise dekh rahe hai.

Nandini: Aree tum aage badho. Uske aane se pehle tum warn kardungi.

Raj: Bachaa lena. Warna meri Megha ka kyaa hogaa.

Idher Megha Shruti Ishant aur Yash chupke sab dekh rahe the.

Megha: Yehlog itni kyaa baat kar rahe hai. Udher Bhaiya kaise gusse mein mere Raj ko ghurr rahe hai.

Shruti: Megha chinta naa karee. Kuch naa hogaa.

Megha: Ayee Yash tujhe jaana chahiye tha.

Yash: Haaa taaki hockey mujhe padheee. Maaf karo. Dosti mein sab thikk hai. Par maar nhiii. Upar se hone wale IPS ke haath se. Kabhi nhiii.

Megha: Kaisaa dost hai.

Yash: Jaan se pyaara hai woh. Par jaan nhi dungaa.

Idher Raj himmat karke Nandini ko ek taraf khade hone ko bolta hai. Jaise hi Nandini khadi hoti hai Karan bhi hockey leke khade hojaata hai. Raj bhi apne ek ghutne pe baith jaata hai aur haath mein rose leta hai.

Idher Karan yeh dekhta hai toh daud ke unke paas aata hai. Karan ko aise daud ke aate dekh Nandini ghabra jaati hai.

Nandini: Karan tum yaha. Aur yeh hockey leke kyo daud rahe ho.

Karan: Gusse mein. Tum yaha kya kar rahi ho. Aur yeh kaun hai.

Nandini: Maine bataya tha na yeh mera woh dost hai hum bas aise hi baat kar rahe the.

Karan: Baat kar rahe the toh yeh apne ghutne mein kyo hai aur iske haath mein rose kyo hai. Yeh tumhe propose kar raha hai aur tum mujhe bol rahi hai sirf baat kar rahe hai. Isse toh main chorunga nhi. Iski himmat kaise hui tumhe propose karne ki.

Nandini: Whats your problem Karan. Agar yeh mujhe propose kar bhi raha hai toh tumhe kya problem hai. Tumhe toh khush hona chahiye tumhari best friend ka ghar bas raha hai.

Karan: Tumhe koi propose karega aur main usse chorr du. Usse toh main jaan se maardungaa. Iski itni himmat mere saamne tumhe propose kareee.

Nandini: Tum hote kaun ho. Mere mamle mein bolne wale. Kyaa tum mere boyfriend ho. Mujhse pyaar karte ho. Mujhse shaadi karna chahte ho. Mujhe apne ghar apni patni banake le jaoge.

Karan: Haaa Main tumse pyaar karta hu. Bahot pyaar karta hu. Pichle 3 saal se pyaar karta hu. Tumse shaadi karna chahta hu. Tumhe Ms. Nandini se Mrs. Nandini Karan Kapoor banake apne ghar humesha ke liye le jaana chahta hu. Aur innsab mein yeh beech mein aaraha hai. Tumhe mujhse chinne ki koshish kar raha hai. Aaj toh isko maar hi dungaa.

Nandini jab Karan ke muh se sab sunn leti hai toh uska mann khushi se naachne ka kar raha tha. Usne jiss liye sab kiya tha aaj woh hogyaa.

Par idher Karan Raj ko maarne hi wala tha tabhi Raj beech mein bol padhta hai.

Raj: Areee rukho rukhoo kyoo bachhe ki jaan le rahe ho. Ooo honewali bhabhi sapno ki duniya se bahar aao. Warna aapke hone Devar ko aapke hone wale pati maar dengee. Areeee Meghaaa kaha haiii tuuu jaldiii aaaa.

Raj ke aise bolne Nandini hosh mein aati hai baaki sab bahar aajate hai aur yehsab dekh kar Karan shock mein thaaa.

Ishant: Kyoo bhaiii. Humare saale sahab ko kyoo maar raha hai.

Karan: Yeh yeh sab kyaa thaaa. Raj tu yaha kyaa kar raha tha.

Shruti: Aap meri best friend se pyaar karte ho yeh bulwane ke liye itja sab drama kiya. Aur aap hai ke mere bhai ko maarne chale.

Karan: Matlabb.

Phir Megha Karan ko sab batati hai kaise usne plan banaya jhooth bola. Nandini aur baaki sab ko shamil kiya.

Karan: Matlab kal se jo jo horaha tha woh sab tumhari planning thiii.

Megha: Karna padha. Warna aap toh Nandini didi urf Bhabhi ko bolte nhi. Iske chakar mein yeh kahi aur nikal leti kisi aur ke saath. Aur aisa hum kaise hone dete.

Karan: Nandini tum bhiiii...

Nandini: Main kyaa karti Karan. 3 saal se aapse pyaar karti hu. Tabse bas yehi sochti hu aap ab bolenge ab bolenge. Par aap toh bolte hi nhi the. Aur ab toh humara college bhi khatam hone mein aagaya tha. Aur agar ab bhi aap nhi bolte toh mummy papa mere rishta kahi aur kar dete. Aur main unhe kyaa bolti main aapse pyaar karti hu jabki mujhe aapki taraf se koi baat hi nhi pata. Isiliye maine yeh sab kiya. Aur agar aaj bhi aap naa bolte toh isi hockey se aapko maar deti aur khud binn shaadi ke vidhwa banke jee leti.

Karan: Toh tum mujhe boldeti.

Nandini: Aise kaise. Ladkiyan kabhi naa bolti. Ladko ko hi bolna hogaa.

Raj: Areee chalo sab. Inko akele chorr do. Humara kaam hogya hai.

Phir baaki sab unndono ko akele chorke nikal jaate hai. Idher yehdono bhi kahi aur nikal jaate hai.

1 mahine baad Karan Nandini Ishant aur Shruti ka college complete hojaata hai. Raj Megha aur Yash final year mein aajate hai.

Ekdin Karan Nandini ko apne ghar le jaata hai aur shaadi ki baat karta hai.

Sablog Karan ki baat sunke shock mein the. Nandini bhi shock mein thi aur sharm se mari jaa rahi thi.

Par inhe nhi pata tha Raj aur Shruti ne pehle hi ghar walo ko sab bata diya tha. Gharwale milke pehle Karan ko bahot pareshan karte hai phir Nandini se baat karte hai.

Dusre din sablog Nandini ke ghar Karan ka rishta leke jaate hai. Jaha pehle se hi saari baat ho rakhi thi.

Nandini ne shaadi ke liye abhi mana kar diya tha. Woh chahti thi pehle Karan apni IPS ki training puri karke aaye phir shaadi hogi.

Ghar wale bhi yeh baat maan lete hai aur sagai karwa dete hai. Sagai ke kuch din baad hi Karan IPS ki training ke liye chala jaata hai.

Idher Raj aur Megha ne apne baare mein ghar mein nhi bataya tha. Woh apni college life aur pyaar ko aaram se enjoy kar rahe the. Ab inke college life ke bhi 2 mahine hi baaki the.

Megha: Raj main kal kuch dino ke liye mummy papa ke saath bahar jaa rahi hu.

Raj: Areee achanak kaisee. Aur main kaise rahunga tumhare bina.

Megha: Areee kaunsa humesha ke liye jaa rahi hu. Bas 3 din ke liye hi jaa rahi hu. Aur meri itni bhi aadat mat lo.

Raj: Kyoo naa lu.

Megha: Mere baad phir kaise jiyoge.

Raj: Tumhare baad matlab.

Megha: Aree ek time aayega jab main marr jaungi. Tab tum kaise jiyoge.

Raj: Meghaaaaaaaaa. Aaj toh yeh boldiya. Phir aisa kabhi naa kehnaa. Tumhare bina jeena toh main soch bhi nhi saktaaa.

Megha: Par yeh toh sach hai naa Raj. Ek na ek din toh sabko bhagwan ke paas jaana hi hai.

Raj: Toh saath chalenge. Jaha bhi jayenge saath jayenge.
Megha: Agar main pehle chali gayi toh.


Raj: Main piche piche aajaunga.

Megha: Nhiii Rajjjj. Mujhe promise karo. Agar humdono mein se kisi ko kuch bhi hota hai toh woh royega nhi aur apni baaki ki zindagi hasi khushi bitayega.

Raj: Yeh sab tum kaisi baate kar rahi ho aaj. Lagta hai neend puri nhi hui hai tumhari.

Megha: Meri neend puri hui hai. Par tum mujhe promise karo.

Raj: Main aisa ghatiya promise naa kartaa.

Megha: Rajjjjjj.

Raj: Meghaaaaaa.

Megha: Rajjjj. Pleaseee mere liyeee. Promise karo. Humdono mein agar mujhe pehle kuch hota hai toh tum rona mat aur apni baaki ki zindagi hasi khushi bitana.

Raj: Achha pehle tum promise karo tum yeh bekaar ki baate wapas nhi karogi.

Megha: Achha promiseee.

Raj: Toh mera bhi promise.

Megha: Apna promise naa todna.


Raj: Tum bhiiii.
Bahut hi behatareen aur lajawab update mahoday..
 

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
वाह जगुआर जी छूटी से आकर धमाल मचा दिया एक के बाद एक धांसू अपडेट देकर रोमांचित कर दिया

पहले राज और मेगा की बेपनाह प्रेम कहानी को दिखाया फिर मेघा और राज ने किस तरह करन और नंदिनी को मिलवाया। मेघा का राज से हमेशा हमेशा के लिए विछड जाना। राज का मेघा से विछडने का दर्द जो राज अकेले ही धोए जा रहा था। राज का दर्द जो कभी नहीं मिटने वाला हैं क्योंकि पहला प्यार अधूरा रहने पर अच्छे अच्छों को तोड़ देता हैं।

लेकिन इस मामले में सोनल बहुत खुसनासीब हैं जो उसे उसका पहला प्यार मिल रहा हैं जिसके साथ वो बाकी की जिन्दगी बिताने वाला हैं।

आगे देखते हैं सोनल कैसे राज के दिल में अपने लिए अलग जगह बनाता है।


जगुआर ये मत सोचना की ये मेरा अपके कहनमें पहला रेवो हैं। मैंने पहले भी इस कहानी में रेवा दिया था deep the rainbow के नाम से नए अकाउंट बाने के पिछे एक कारण हैं।


Read my story
Thank you

Sonal ko usko pyaar toh mil raha hai lekin usko mehnat bahot karni padegi.

Maine bhi yehi socha tha yeh kaun hai jo beech ke updates mein review de raha hai.
 

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
राज का सवाल लाज़मी था। राज सोनल को एक अच्छा दोस्त मानता हैं और सोनल राज के बीते कल को जानकर भी राज से शादी के लिए हा कर देता हैं। ये प्यार भी न जानें अशिको से क्या क्या करवा देता। एक तड़प तड़प कर जी रहा हैं तो दुसरा एक तरफा प्यार को पाने के लिए कुछ भी करने को राजी हैं।

अदभूत अतुलनीय
Thank you
 
Top